॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

raja Janak ji ki tarah hi 5 minute mein bhagwat prapti kaise ho ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

maharaj ji jaise hi raja Janak ji ko 5 minute mein paramatma ki prapti ho gayi thi main aisa kya karun ki mujhe bhi shri ji ke darshan panch minute mein ho jaen. Aap raja Janak nahi hai aur ham guru ashtavakra nahi hai. Bhai raja Janak jaisa shishya aur ashtavakra jaise guru to unhone kaha ghode ki rakab pe pair rakhte hue jitni der mein baitha jaata hai itne mein brahm bodh kara denge. Ab raja Janak jaise gyani to na tum Janak ho na ham ashtavak hai isliye baat yahi samapt hoti hai naam jap karo jab kripa ladli ki tab darshan de de ladli koi kisi ke adhin thodi hai brahm bhi jinke adhin hai ja ke adhin sada hi sanvro ya braj ko sirtaj hamare mai shyama ko raj to isliye ham naam jap karen unse vinay karen wo kripa karen to ho sakta hai bas shanti se ayush rushi Sharma ji banavansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji pehle mujhe mekaap wagairah ka bahut shauk tha maharaj ji aur aisa lagta tha khub paisa kamaun bada pad ho sundar-sundar bhog ho maharaj ji jab se satsang suna hai aur yahan ana shuru kiya hai keli kunj mein to maharaj ji tab se matlab ye kam ho gaya hai aur matlab aisa ho gaya ki abhi keval aur keval bhajan karna hai Vrindavan vas ho jae prabhu ki prapti ho jae maharaj ji ab bahut badi kripa hui hai jo aisi baat ai ai hai.

bahut badi kripa hui. Bas is baat ko paripakva kar lo. Apne hriday mein baith jae. Vrindavan vas hoe chahe na ho lekin naam na chhute. Jahan naam hai wahin prabhu hain. Ab ham Vrindavan vas karen. Prabhu ka bhajan na ho to baat theek nahi. Hamko pradhanata rakhni hai. Pahli baat prabhu ke bhajan ki ki ham jahan bhi rahenge prabhu ka sumiran karenge. Ab dusri baat arji lagate rahie ki Vrindavan vas ho jae aur agar shri ji Vrindavan vas de den aur phir bhajan ho to aur badhiya baat hai. Par jahan bhi rahe bhajan paraayan rahe. Manushya jeevan ka uddeshya yahi hai ki ham apne kartavya karm ka palan karte hue dhyan se suno.

apne kartavya karm ka palan karte hue bhajan karke bhagwan ko prapt kar len. Kahin bhagne ki zaroorat nahi. Kahin kuch badalne ki zaroorat nahi hai. Jo ho jahan ho jaise ho bhagwan ke ho aap bas naam jap shuru kar do. Bhagwan ka sumiran karo. Achhche karm karo. Pavitra bhojan karo bhagwan ki kripa ho jaegi. Achhche karm nahi hue. Agar hamse galat karm hote rahe to bahut samay phir lagega. Marjan bar-bar nahao aur dhul mein laut jao. To yah hai ki achhche karm kiye, phir bure karm kiye, phir bhajan kiye, phir bure karm kiye to bahut janm lag sakte hain.

agar hamse paap karm na ho aur ham bhajan karen to hamara mangal. Aapse sahi kahte hain. Ye vesh parivartan ya desh parivartan isse kuch nahi hota hai. Jab tak uddeshya parivartan nahi hota tab tak baat nahi banti. Agar hamara uddeshya andar ka badal jae. Jaise bachchha bola pehle uddeshya tha sharir shringar sansaar sukh ab hamare andar lagta hai ki manushya janm ki sarthakta bhagwat prapti to uddeshya badal gaya. Ab aap nokri karo, phir vyapar karo, kuch bhi karo. Aapka uddeshya bhagwat prapti hai. To badhiya. Ab jaise uddeshya ho gaya dhan man pratishtha to ab aap chahe Baba ji ban jao, chahe aap grihasth raho, wahi chalega kyonki uddeshya aapka dhan ban gaya na.

uddeshya aapka sansaar ban gaya. Bas isliye hamen yah samjhna hai ki hamara uddeshya theek ho jae. Bhash parivartan, sthan parivartan khas baat nahi hai. Khas baat hai uddeshya parivartan aur uddeshya jo baname uski suraksha ke liye phir waise hi aacharan karen, waise vihaar karen. Aise mein shastr swadhyay karna, naam jap karna, sanyam se rahna, koi paap na ho aur khub bhajan karna to bhagwan ki prapti ho jaegi. Uddeshya parivartan mahan vastu hai. Sthan parivartan, bhash parivartan iska koi khas vishay nahi hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…