॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya ek guru se diksha lene ke baad kisi dusre sant ya guru ka anusaran kar sakte hain ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

sourabh ji maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya yah sahi hai ki ek guru se diksha lene ke baad kisi anya guru ka anusaran karna jahan unhen shanti aur prem ki prapti ho rahi ek chij dhyan rakhna hai ki shiksha guru ham 100 200 bana sakte hain jaise 24 shiksha guru banae dattatray ji maharaj ne lekin diksha guru hamne diksha le li jaise guru ne kaha Ram Ram japo ab ham Ram Ram jap karenge aur 100 do santo se milenge. Unke anubhav sunenge. Hamen jin sant ki baat achchhi lagi wah baat ham jeevan mein sweekar kar lenge.

par hamen lagta hai ki guru jo mantr diksha wala guru ek hi hona chahiye. Shiksha guru anek kiye ja sakte hain. Shiksha ham kahin bhi baithkar ke sun sakte hain. Man lo hamko apne guru ke vachno mein dridh vishwas karne wale agar hamko 100 santo ke vakya mile to hamari baat ban jaegi. Lekin hamen apne guru par ashradha nahi karni chahiye. Apne guru mantr par ashradha nahi karni chahiye. Yadi ham apne guru dwara diya hua mantr aur naam jap karenge aur sab santo ka sang karen aur apne guru ke anukul baat sune.

baat samjhna sab santo ka sang karen par baat wahi pakde jo hamari sadhna ko pusht karen to hamari baat bigdegi nahi. Ham chahe 100 santo se sang karen hamara kuch nahi. Ab ye nahi ki ham jahan sang kiya wahin guru bana liya. Phir unko chhoda phir unko ye aise aise nahi guru ek hai. Shiksha diksha satsang ham hazaron jagah sun sakte hain. To wah baat alag hai. Ham jo mantr diksha liye hain wah ek hi jagah se aisa chalna chahiye. Hamen lagta hai. Aur agar guru par ashradha ho jae to guru mantr par to ashradha nahi honi chahiye na.

pehle guru se aapka man nahi milta kisi bhi karan se. To guru ji ne kaha hai ki aap Radha Radha rato to aap Radha Radha rato usi se kalyan ho jaega. Duri bana lo Radha Radha rato kalyan ho jaega ninda karne ki zaroorat kya hai guru badalne ki zaroorat kya hai hamen to aisa lagta hai kyon maharaj ji ismen thoda sa vistar chah raha tha maharaj ji jaise kuch har ek sant bhagwan ke siddhant alag-alag hote hain sadhna paddhti ke jo to usi mein hamne kaha jo apne guru siddhant se baat milti ho jo hamare guru vachno ko pusht karta ho wahi satsang hamen sweekar karna chahiye aur sun sabka lena chahiye koi sant bhagwan jo varishtha hote hain un unhone koi agyaa kar diya jo Gurudev ke siddhant se thodi alag ja rahi hai.

wo matlab sun le bat apne guru de ya unke age prastut kar de haan nahi manna chahiye apne guru ke siddhant se hi chalna chahiye jo satsang hamare guru ji ke siddhant ko pusht karta hai ham wahi baat manenge ham anya baat nahi avagya to nahi ho jaegi nahi ismen pragat mein waise hamen lagta hai koi bhi sujha hua sant agyaa hi nahi karega koi bhi sujha hua sant aisi agyaa hi nahi karega jo aapke guru se aapko alag kare aapke guru ke siddhant se aapko alag karen. Agar aisi agyaa hai to mujhe lagta hai phir nahi manani chahiye.

apne guru mein shraddha apne guru marg mein pushta yahi satsang ka prabhav hai. Guru vimurkh kar dena matlab hari vimurkh ho jana phir baat nahi banti hai. Ek to maharaj ji ye to sadhna sambandhi ho gaya. Ek unhone koi aisi sevartha karyo mein agyaa kar di. Pyau banao man lijiye gaushala banao to apne guru se iski agyaa leni chahiye ya wo karya kar sakte hain agar hamare samarth hai ya nahi bhi hai to ham kaise usko pahli baat to hai ki har karya ke liye Gurudev ki agyaa aniwarya hai. Yadi ham paramarth pe chalte hain dekho bhagwan Ram dhanush utha rahe hain to guru hi pranam man hi man kina pehle Gurudev ke charnon mein pranam kiya phir dhanush utha matlab har ek karya apne Gurudev ki agyaa Gurudev ko naman Gurudev ab jaise kisi sant ne kaha ki aap paushala kholie ji maharaj ji Gurudev bhagwan se baat karte hain khuli baat hai ham apne Gurudev bhagwan se baat karte hain aur Gurudev bhagwan sahmti de dete hain ki haan kholie hamare paas dhan hai to ham paushala khol dete hain lekin direct kisi baat ko ham tab manenge jab hamare Gurudev ki anumati hogi haan ek koi aae the to kah rahe the ki unhone kisi ne pujya jan ne bola hai ki ek sal tak yahan bhandara karaya jae to matlab wo itna zyada ho gaya ki unki agyaa ka ullanghhan karen tab dikkat aur yahan se ek maharaj ji ki ek dincharya hai usmen badhit ho rahi hai.

hamari sadhna badhit ho rahi hai to maharaj ji usmen ho jaata hai. Ismen chahiye ki apne guru se agyaa le leni chahiye. Agar hamare paas dhan hai aur kisi sant ne kaha hai ek sal bhandara karo to yah baat ham mante hain. Par hamare guru ji ki kya ismen anumati agyaa hai? Bina unki agyaa ke ham nahi kar sakte. Aisa jarur nishtha rakhni chahiye. Apne guru ji se anumati aur agyaa leni chahiye. Tabhi baat siddh hogi. Siddh baat tabhi hogi. Nahi aise kabhi koi kuch bol raha hai, kabhi koi kuch bol raha hai, kabhi koi kuch bol raha hai tab to aap pareshaan ho jaoge ki sant avagya na ho jae tab to aap pareshaan ho jaoge.

kuch din kiya to kah rahe jo maharaj ji ne ek paddhti bataai thi aapne pujan kiye meri shri ji ki seva hi chhut rahi hai mera naam jab chhut raha hai to matlab wo ek isiliye hamne kaha ki satsang sab jagah sune aur jo guru ke siddhant aur guru ki agyaa ko pusht karne wali baat ho wo baat sun le aur bakaya sab bhagwan ki charcha hai pranam karke chal rahe hain maharaj ji jaise bachpan mein matlab jante nahi the guru diksha ho gayi hai lekin jo Gurudev bhagwan hai laik hamare mummy papa sab sabki jo diksha hui hai to us samay un logon ki koi dincharya unhone bataai nahi to Gurudev bhagwan hamne to aise Radha naam pahli bar suna aur Radha jap rahe hain.

haan ab jaise ekdam bachpan mein guru mantr to thoda jab tak vivek na ho hamen pata hi nahi hai ki guru kya hote hain? Guru mantr kya hote hain? To phir us samay nahi us samay naam bhagwan ka japne ki prerna karni chahiye. Guru mantr tab dena chahiye jab thoda gyan prakashit ho jae. Wo samjhe guru mantr kya hota hai? Guru kya hota hai? Satmarg kya?

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…