aap jab nahi rahoge to hamara kya hoga ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
deepak ji jabalpur se Harivansh maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam maharaj ji main pichle do varsho se aapka satsang ekantik vartalaap sun raha hoon. Aapki kripa se bhajan karne ka bhi prayas karta hoon. Vigat do varsho se aapki kripa se jeevan sahi marg par chalane ka bhi prayas kar raha hoon. Phir bhi man mein ek dar sa bana hua hai ki jab aap pratyaksh rup mein virajman nahi honge to hamare jaise lakho yuvaon ko kaun sambhalega ki ham kinki vani ka sahara lekar is jeevan ki bhagwan ki aisi leela hai ki iska naam hai mrityu lok.
yahan marna to padega bhaiya. Chahe ham ho, chahe aap ho, samay ane par sharir chhutega. To hamen lagta hai ki santo ki vani hamara sahyog karti hai. Jo santo ke vakya hain wahi hamare guide hain. Agar ham santo ke vakyo ko mane to sant ke chale jane par vakya to rahenge na. Ham un vakyo ke anusaar chale. Sharir to nashvan hai. Aaj hai kal nahi rahega. Yah pakka hai hamara tumhara ya kisi ka bhi jab jahan jiska aaya usko sharir chhod ke jana padega. Lekin unke vakya unke adarsh unke siddhant hamare jeevan mein pure jeevan saath rah sakte hain.
to hamen lagta hai hamen jaise ham bachpan se bhagwan ke marg mein chale na to hamara thoda tarkik dimaag tha. Tha. Isliye kah raha hoon ki pehle ab to shraddha se sampann ho gaya kyonki Priya pritam ki upasna pehle sanyaas marg mein to bacchapan se hamara tarkik dimaag tha. Kisi vyakti ka sanidhy sweekar karna hamare swabhav mein nahi tha. Dur se uska parikshan karna agar lag raha hai ki hamen hai to phir to ham adarsh kisko mane? To pujypad odiya Baba ki vani usko ham jeevan bhar apne paas rakha hai.
aaj bhi hamare paas virajman hai. Jeevan bhar paas rakha hai. Sant ko aisa chalna chahiye. Aise chalna chahiye. Baba ne jo jo updesh kiye bas unhin ka Baba ke charnon ka aashray lekar ke unhin ko guru man karke unhin ke baat mankar aaj bhi unhin ke vachno ke anusaar chalne ki cheshta kar rahe hain. To sant vani hamen kabhi anubhav mein nahi aaya ki odiya Baba nahi hai. Kyonki unki baat Baba ne ye kaha Baba ne kaha aisa karna chahiye. Aisi paristhiti mein aisa karna pura itna mota granth hai Baba ka updesh hi usmen hai sadhak ke liye gyani ke liye bhakt ke liye stri ke liye purush ke liye bachchha ke liye sabke liye updesh hai to wahi jeevan bhar adarsh mana to hamen lagta hai agar ham santo ki vani ko apna mitra bana le to viyog ka dukh nahi anubhav hoga agar ham sharir ko apna mitra manenge to ye maran dharma hai iska nash hoga aaj nahi to kal jarur nash hoga.
yah nashvan ka nash hoga. Mujh avinashi ka kabhi nash nahi hona. To avinashi ki vani ko mano to avinashi pad mein aa jaoge. Vinashi sharir to isse pyar na karo. Yah nashvan sharir hai. Iski mahima bilkul kuch nahi hai. Pani ka bulbula abhi dikhayee de raha hai. Ek minute mein foot gaya. Kaho bolte bolte ra bol paye, dha na bol pave. Aisa system hai ki ham Radha ucharan karna chahte. Ray hi bol paye. Dha tak pahunch hi nahi paye. Chale gaye. Yah bahut vichitra khel hai. Isliye hamen kisi bhi sharir dhari se asakti nahi karni chahiye.
vihaar bhagwat swaroop man ke karna chahiye aur asakti avinashi se karna chahiye. Ye vinashi sharir viyog ko prapt hone par hamara hriday vyathit ho jaata hai. Phir ham sat dharm ka nirnay nahi kar pate. Vyathit hriday wo sahi nahi hota. Ashantas kuta sukham jab chitt ashant ho gaya to ye lagega Baba chale gaye. Phir manman nahi aacharan shuru ho jaenge. Aur ye ki Baba to chale gaye lekin Baba ne jo kaha wo hamen karna hai. Unki agyaa ke khilaf nahi chalna. To aap dekhoge yahi dimaag mein baitha milega. Jaise ham odiya Baba ka chintan to hamen lagta hai odiya Baba yahi baithe hue hamare aise se aise karo aise se Baba ne kaha aisa to har samay Baba ka chintan Baba ki vani ka chintan to unka sanidhy hamen nirantar anubhav mein aata raha.
maharaj ji jab kabhi man pareshaan hota hai to na aapke age dham mein darshan kar le sab shanti matlab kya ek wo dar rahta hai haan ye ab ismen hamara bhi bas nahi ki ham bane rahe ab wo bhagwan ke bal se chal rahe hain. Bhagwan ka ek adhyatmik bal hai. Usi adhyatmik bal se bhagwan chala rahe hain. Nahi to jo sharir ki halat hai, jo kidney ki halat hai. Bilkul wo kriya rahit ho chuki hai. Bilkul kriya rahit hai. Par hamko aapko sahi bataya bachchha bilkul koi kasht nahi. Shareerik kasht hone par bhi hamare man mein prasannata rahti hai.
hamara man aandit rahta hai. Accha marne ka bhay isliye nahi hai ki hamen jana hai apne prabhu ke paas. To bhay tab ho jab isse hamne rag nahi kiya. Prabhu se pyar kiya to aaj chhut jae. Chahe 100 varsh baad chhute. Prabhu ke paas hi jana hai. Jitne din unko seva leni hai le le. Ham na rahenge par hamara vachan rahega. Hamare bhagwan aapke saath rahenge. Yah baat man lo. Sharir to nashan sharir to jaega.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…