॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1023 · 5 sitambar 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki jai satgurudev bhagwan ki jai Shivam ji Haryana se Radhe Radhe maharaj Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji Radha Krishna ke naam mein itna bal hai ki sab kuch mil jaata hai lekin naam jap karte wakt man mein asli prem aur anubhav kaise jagaen aur naam jap karte wakt isi se ho jaega.

sab isi se theek ho jaega. Prem mul yah naam hai. Agar jad mil gayi to sab mil jaega na. Mul mane hota hai jad. Prem ki jad kya hai? Naam. Agar ham Radha Krishna Radha Krishna Radha Krishna to isse prem bhi prapt ho jaega. Aur jab man ko prem anand milega to vishay anand mein jaega nahi. Uska bhatakna band ho jaega. Hamara sara prayas hona chahiye. Har samay naam ka sumiran karne ka wo naam jaise ham dawa khate hain aur vishwas karte hain ki isse hamara rog theek ho jaega. Mahina bhar khaya thoda bhi fayda nahi hua.

phir bhi doctor kahta hai yahi dawa khao theek ho jaoge. Phir bhi ham khate hain aur kalantar mein ham theek ho jaate hain. To yah naam hai. Ab jaise ham soche ki do char 10 din mahina do mahina char mahina jape hamara man nishkam ho jae aisa nahi. Bhagwan ki maya ke dwara banae hue jo dosh hai jab tak bhagwan ka darshan nahi ho jaata tab tak ye ghasit sakte hain. Matlab 10 panch varsh bhi bhajan karo to ye kam ho jaenge. Nasht nahi honge. Bhagwan mil gaye tab ye baat ho gayi ki ab ab nahi gira sakta. Nahi to maya ka akarshan bahut prabal hai.

to naam jap karne se uska akarshan katta hai. Dhire dhire dhire dhire dhire dhire jab prem prakt hota hai tab aur kuch accha hi nahi lagta hai. Sab nasht ho jaata hai. Ab jaise ghadi diwal ghadi hai na uska sel khach lo to second ki sui second ki minute ki minute mein ghante ki ghante mein thap aise hi jab prem prakt hota hai to jo man ki chalbaji hai na chanchalta hai wo thap hai shant pucha jae kya chahiye aapko bhi khojo to aapko pakar bhi nahi aayega ki kya chahiye ab? Kaise ho? Jaise prabhu rakh rahe hain. Kya chahiye?

kuch ye sthiti ho jaegi andar ki. Lakho karodon arabon rupaye aa jae to aapko koi harsh nahi hoga aur sab chhin jae to aapko koi shok nahi hoga. Lakho log pranam kar rahe hain to aapko koi sammaan nahi pratit hoga. Aur lakho log ninda kar rahe hain to aapko kuch bura nahi lagega. Aisi sthiti aa jati hai. Par yah sab bhajan karne se aati hai. Ab jaise hamare paap hai 500 gram hamara bhajan hai 25 gram to kaise asar kaise hamen samjh mein aayega? Jab hamara bhajan 500 gram ke upar chadh baithe tab samjh mein aayega.

wo mitiya met kar diya paap ko aur hriday nirmal anand to hamen lage rahna chahiye. Labh dikhayee de ya na dikhayee de shanti mile na mile dawa sahi hai achuk hai bas chalate raho naam chala ek bhi naam vyarth nahi jaega bhagwat mein aata hai ki jaise bhukha aadmi ho aur ek ek kaval pave to ya to pete mein raha lekin panch kaval pane ke baad rok do aap aur kaho kaisa lag raha hai ab bhojan nahi milega to wo yahi kah gaya isse to accha na dete to theek tha. Jab wah aadha pet ho jaega tab use samjh mein aayega khir kaisi hai aur sabji kaisi hai.

aadha pet to keval bharne mein lagega. Aise hi ek ek naam ja raha hai. Sansaar se vairagya bhagwan ke charnon mein prem aur swaroop ka gyan ye karva raha hai. Par bahut janmon se bhukhe hain ham anand ke. To hamen samjh mein nahi aayega. Bhi jab kam se kam aadha pet 12 ghanta bhajan ho 24 ghante mein 12 ghanta bhajan ho tab samjh mein aayega ki swad kya hai naam ka abhi naam ka swad thodi mila hai Radha Radha Ram man bhag raha hai sansaar mein aur sansaar ke bhogon mein bhag raha hai koi swad jo swad milega to bhagega nahi phir yahi lag jaega Radha Radha ekdam hriday anand se bhar jaega par satya baat ki naam param anandmay hai.

param gyan pradan karne wala hai. Sab dukh mitane wala hai. To hamko ismen lage rahna chahiye. Ghata to hota nahi hai. Labh hi labh hona hai. Arun kumar ji Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji ham sansarik bhogon ko bhogte hain. Pata hota hai ki ye hamare marg mein badha dalte hain. To kya yah hamare naam jap mein bhi vighna dalte hain? To isse hamare karm baenge ya bhogon mein fanse rahenge ya vighna rahega? Agar ham bhogon mein rahenge to naam mein ruchi hi nahi rahegi aur bhogon mein sukh lagega to bhagwan pyare hi nahi lagenge Bhogeshwar prasakta naam tap prat chetsa vyavsayatmika buddhi samadh vidhte jiska bhogon ne chit aphrn kar liya hai wo bhagwat prapti ka sankalp bhi nahi bana sakta soch bhi nahi sakta wo bhagwan ki aradhna karega lekin chahega yahi ki mujhe bhog mile sampatti mile aishwarya mile sammaan mile bhagwan mile aisa nahi chahega jab bhajan ke bal se naam jap jal zabardasti kiya jaata hai man thodi lagta hai zabardasti kiya jaata hai to jab naam jaise kadvi dawa aankh mund ke khai jati hai ki ab khana hi ab ye to dawa hai kadvi hai par khana hai to abhi hamen naam kadva lag raha hai jabki amrit hai namamrit hai lekin kadva lag raha hai.

agar ham yahi naam jap karte rahe to dhire-dhire bhoga shakti mita dega. Maharaj ji phir hamen kya sansaar ka jo ghar grast hai usse thoda sa alag rahna chahiye? Nahi sansaar se alag nahi rahna chahiye. Sansaar mein rah ke sansaar ka swad nahi lena chahiye. Swad bhagwan ka inme swad hai kahan? Hamen batao. Agar swad hota to tripti ho jati. Aap log to grihasth hain. Kahin aapko aisa laga ki ham kachu nath na chahiye more man mein kuch kami thi haan wahi wah kami bhagwan se hi puri hoti tabhi kaha kahin bhi kuch karo na ek adhurapan rahta hai aur man hamko dikhata hai ki is vastu mein nahi is vastu se shayad is vyakti se nahi shayad is vyakti se man hamko galat raste mein le jakar bhatkata rahta hai aur baad mein jab ekant baithe hain to phir wahi trishna phir wahi bhog to kyonki ismen sar vastu nahi hai isliye ham bhatkte rahte hain.

agar bhagwan se hamara chitt jud jae to thos vastu aa jae. Maharaj ji har time hairani pareshani si rahti hai. Uske naam jap jab tak ham naam jap nahi karenge to ye hai jo hamen chanchalta man ki pareshaan karti hai na wo tab tak rah jaegi. Ye sara khel man ka hai. Chinta, bhay, shok, uddeegnata yah man hi paida karta hai jab bhagwan se vimurkh hota hai. Aur bhagwan ke samukh jab hota hai to nirbhay, nishcint, nishok ek anand aata hai. To naam jap mein koi badha bhi nahi hai. Koi paisa bhi nahi kharch ho na. Aur aisa nahi ki ismen koi dikhava ho.

aap andar andar naam jap karte raho. Apne kam karte raho. Jab baat karna hai to bhagwan ko haan bilkul ham sabse prarthna karte hain ki naam jap karo isse bahut labh aapko milega aapke paap nasht honge aapko age sukh milega aap dekh lena mana bhari vipatti ane wali hai sabke jeevan mein aayegi aaj tum sukhi ho to kal dukhi hona padega aaj tum dukhi ho to kal sukh aayega aisa kram hai maya ka to sukh sthai nahi hai jaise raat hai to din aayega. Din hai to raat aayegi. To jaise ham din mein raat ki vyvastha kar lete hain.

light hai, vyvastha sab fit hai to hamen raat akharti nahi hai. Aise yadi ham bhajan ke bal se vipatti ki vyvastha kar lenge. Gyan vigyan padha likha Shastri shastron ka swadhyay satsang to hamen pata hai phir ham nipat lenge vipatti se. Aur agar hamne vyvasthaye din mein nahi ki ratri ki to ratri akar andhkar mein hokar ke hamen bhay pradan karegi. Isliye sukh ke samay ham bhagwan ka itna sumiran karen ki ham dukh se nipat pave kyonki aayega dukh sabke jeevan mein aata hai. Jab bhagwan Ram aur bhagwan Krishna ke jeevan mein aaya jo avatar the to ham tum to manushya hain.

hamare to jeevan mein to aayega hi aayega. Naitik Gupta ji ajmer se Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji mera sawal hai ki aapne bataya tha ki shad vikar kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar rupi ped ki jad kat jane ke baad bhi ye kuch din tak hare-bhare se pratit hote hain. Prabhu ye kaise pata chale ki inki jade kamzor ho chuki hain ya kat chuke hain? Jab hamare hriday mein matra ho sankalp na banne pave kriya na hone pave aur bhagwan ka bhajan saath mein chalta ho samjhe inki satta nahi rah gayi agar bhajan nahi chal raha to phir bhajan chal raha hai aur kam ki spurna ho rahi to inki jade kat gayi ab nasht ho jaenge aur bhajan nahi chal raha to phir wah sad vikar to mayakrit hai wo phir apna prabhav dikhate rahenge to jaise bade ped ho ukhad jae to mahino harabhra dikta hai to ham bhagwan ki sharan mein ho gaye ab vikaro ki jad to ukhad gaye hain aur harebhre dikhte

rahe akarshan hota rahega jab tak bhagwat prapti nahi ho jaegi to ham naam jap chalate rahe inka akarshan aayega chala jaega inme dum nahi rah jati aur jab bhajan nahi hota to inheen ka to sara khel chal raha hai puri srishti mein kahin kam kahin krodh kahin lobh kahin moh kahin mad kahin yahi sab to nachni nach nachae hue hain sabko Uma daru jot ki nai sab nachavat Ram gosai bhagwan ki maya ke dwara sab nach rahe hain vijay lakshmi god ji chhattisgarh se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji kya tatv gyan ki prapti ke baad kalantar mein bhagwat prem ki prapti hoti hai ya donon chijon saath-saath chalti hain.

tatv nahi saath nahi hoti. Donon alag-alag hai. Tatv gyan jo hota hai wo sab mein atma tatv ka darshan hota hai. Sab jagah ek atma virajman hai. Dusra koi nahi hai. Aur jo prem hota hai wah sab mein shri Krishna virajman hai. Shri Ram virajman. Shri Ram mein sab jag jani. To jab ham sakar bhavna se sab mein apne bhagwan ko dekhte hain to ham prem marg mein jaate hain. Aur jab ham tatv rup se atma rup se dekhte hain to ham gyan marg mein jaate hain. Atma tatv ka sab jagah darshan karne wala moksh ko prapt hota hai.

aur shri Krishna ka sab jagah darshan karne wala prem ko prapt hota hai. Wah atma premi hai. Wah shri Krishna premi hai. Lekin aisa nahi ki wah divya lilaon mein dubega kyonki wah gyan marg ka hai to moksh ko prapt hoga aur jo bhakti marg mein prem se yukt hokar bhagwan ki rasmay divya lilaon ka ras aswadan karega. To isliye sahaj bhav hai ki sab mein bhagwan ka darshan karen to wah tatv bhi ho gaye aur prem bhi prapt ho jaega. Shubham ji seetamadh Radhe-Radhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji sab pujya janon se suna hai ki is janm ke achhche bure karmon ka phal abhi nahi to agle janm mein jarur milta hai parantu hamen jo pichle janm ya agle janm ka koi gyan nahi hai.

to kya is is karan bure karmon ka bhay na hone hi sansaar ke paap aur adharm ka karan hai maharaj ji haan waise hamen bhayabhit rahna chahiye ki hamse koi galat kam na ban jae. Kanun ka dar, bhagwan ka dar, samaj ka dar aur apni izzat ka dar. Agar yah dar bana rahe to hamse koi galat kam nahi honge. Dar hi to khatm ho jaata hai. Tabhi hamara marg galat ho jaata hai. Agar bhagwan ka dar ho ki dekh raha hai wo. Samaj ka dar ho, log kya kahenge? Kanun ka dar ho ki yar pakde jaenge. Izzat ka dar ho ki sab nasht ho jaega.

to kisi se koi galat kam na ho. Galat kam hote hi hain. Jahan ye dar khatm ho jaate hain. Bhagwan ka dar, kanun ka dar, samaj ka dar, sammaan, izzat ka dar jahan khatm ho jaata hai to aadmi Rakshash ho jaata hai. Uske andar asuri pravriti aa jati hai aur wo kuch bhi kar sakta hai. To hamen lagta hai dar hona achchhi baat hai. Yahi darah darap Harivansh hit jino bhram gun saleel par jiman mangal lok ton su hari pad bhaj na vilumb kar jinka naam tino loko ka mangal karne wala hai ye darte raho ki hamse koi galti na ho jae aur un bhagwan ka naam jap karte raho to aapko sahi rasta milta rahega galat ki taraf jane mein aapko jalan paida hogi aur bhagwan bacha lenge karo sada tin rakhwari jin balak rakhe mahatari isliye hamen mein bhagwan ki sharan hona chahiye aur bhagwan ka naam jap karna chahiye aur galat kamon se darna chahiye kyonki aaj nahi to kal wo mujhe dand denge jo karm ho gaya bhale wo gupt ho gaya koi nahi janta lekin wo hamen age chalkar rog ke rup mein vipatti ke rup mein nishphalta ke rup mein har ke rup mein yah hamko dand denge ham bahut padhai padhe hain lekin nokri nahi mil rahi ab praarabdh bhog hai wo hamen bahut vyapar mein paisa lagaya asflata ho rahi piche ka karm hai tumhen age nahi badhne de raha to hamen bura karm jo hai vipatti dukh sankat chinta shok bhay aur mrityu yah hamen pradan karta hai.

isliye hamen bure karmon se darna chahiye. Pakka darna chahiye. Jo dar gaya wo abhay ho gaya. Aur jo dara nahi wo phas gaya. Yah baat hai Gyandev Mishra ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji Gurudev bhagya se milte hain athva apne prayas se maharaj ji Gurudev Gurudev to kripa se milte hain na bhagya se milte hain na prayas se milte hain Gurudev kripa se milte hain ab moh bhav bhros hanumanta binu hari kripa mile nahi santa jab bhagwan kripa karte hain to Gurudev rup se mil jaate hain. Bhagwan ki kripa Gurudev ki kripa banno guru pad kanj kripa sindhu nar rup hari mahamoh tam punj jasu vachan ravivkar nikkar jo apne vachan rupi surya ka prakash karke jeevan ke agyaan andhkar ka nash kar dete hain wo swayam bhagwan sadguru dev rup se virajman hai aur wo kripa se milte hain apne prayas se nahi aap jaise yahan aae ho to bhagwan ki jab kripa hui ladli jo ki kripa hui to aap unke mahal mein aae ho.

yah Vrindavan ladli ji ka mahal hai. Jinko vrinda vipin hai. Kripa tir ki hoe. Jab unki kripa hogi tabhi yahan kadam rakh sakte ho. Nahi man se bhi nahi soch sakte ki kaisa hoga Vrindavan. Pratham yathmati prano shri Vrindavan tiramya shri Radhika kripa binu sabke manangamya. To aap Vrindavan aae kripa se aap sadhu sang kar rahe hain kripa se. Ismen apna praytn nahi hai. Ismen kripa hi hai jo hamko ghasit lai hai. Ji akhil mittal ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji margdarshan jeevan mein kaise prapt karen?

guru kise banain? Mukti ka rasta kya hai? Bhagwan guru bhagwan hai. Bhagwan hi guru hain. Shastron ka swadhyay karo. Santo ki vani suno. Uske anusaar chalo. Bhagwan ko guru mano sahi rasta mil jaega. Bhagwan hi guru hai. Guru hi bhagwan hai. Insaan kabhi guru ho nahi sakta. Kyonki insaan ki itni badi buddhi hoti hai aur paramatma samudra hai. To jaise sheep samudra mein nahi sama sakta. Aise hi insaan ki buddhi is maya se par hone ka rasta nahi bata sakti. Wahi buddhi mein baithkar ke rasta batte hain.

agar kisi ko is maya se mukt hone ka rasta mila to bhagwan se mila. Bhagwan hi buddhi mein baithkar ke uska kalyan karate hain. Bhagwan se kalyan hota hai. Insaan se nahi kalyan. Anant bramhandon ka jo Swami hai jisne aisi prachnd maya faila rakhi hai. Koi vyakti hamen par kara sakta hai. Aap vichar karo is maya se hamen koi vyakti par kara sakta. Nahi Vishveshwar bhagwan par karate hain. Wahi guru hai. Guru hi bhagwan hai. Bhagwan hi guru hai. To ham bhagwan ko guru mankar santo ki vani sunkar ke sataarg mein chale.

vishv bandhu ji ambala se Radhe-Radhe guru ji. Radhe-Radhe maharaj ji. Main bharatiya vayu sena mein rashtr seva hetu taynaat hoon. Main rashtr seva ke karm ko dharm mankar purn nishtha se seva karta hoon. Par puja path aur naam jap itna samay nahi de pata. Aise mein karm yog se prabhu ki prapti haan par naam jap jarur chalna chahiye. Naam jap mein koi badha nahi hai. Naam jap mein koi bahari zaroorat bhi nahi hai. Aap juta pahne ho to aap shauchalay mein ho to aapka khanpan jaise bhi chal raha hai waise chalao. Naam jap karte raho.

Radha Radha Krishna Krishna Ram Ram hare hari jo naam priy ho kyonki naam se sadgati prapt hoti hai. Puja path to samay hai to kar lijiye nahi to puja hi hai. Ham zyada is paksh ko pusht nahi karte ki aap ek ghanta baithkar ke aarti puja karen. Aap duty mein taynaat hai. Apni duty mein jaiye. Jo samay mile usmen to jo manoranjan mein sansaar mein lagate ho wo bhagwan mein laga do accha hai lekin sabse badi puja hai kartavya ka palan karna aur wo puja bhagvatik ho jae bhagwan ko samarpit ho jae isliye naam jap zaruri hai uthte baithe chalte phirte naam jap karne mein kya jaata hai har samay ham baat hi thodi karte rahte hain jab hamari vani maun hai to andar se Radha Radha chal raha hai apne kartavya ka palan karo bilkul bilkul nischit bhagwan kripa karenge.

maharaj ji zaruri nahi hai ki tilak kanthi aur ye sab banda ya mandir ja raha hai wahi bhakt hai. Apne karm kshetra mein bhi dharm ye acharya parampragat diye hue bhesh hain. Ye bhagwat marg ke chinh hain. Jaise ham tilak lagae hain, jata rakhae hain, kapda pahne. Yah hamare sampradayik vesh hain. Sadhu ke vesh hain. Lekin andar se sadhuta na ho aur vesh ho to bhagwat prapti to hone wali nahi. Aur vesh na ho aur andar se wo sadhuta ho to nischit usko bhagwat prapti ho jaegi. To ye zaruri nahi hai. Zaruri hai yah apne kartavya ka palan karte hue bhagwan ka naam jap karna.

bole aap kyon dharan kiye ho? Hamare bhagya mein likha hai. Hamare bhagya mein likha hai ki tumhen bachpan se Baba ji banna padega. To bachpan se Baba ji hai. Hamare bhagya mein bhens ye likha hua hai. Inke bhagya mein likha hua hai. Jatajut tumhen pehle dharan karna padega. Baba ji banna padega. Khas baat hai bhagwan ka bhajan karna. Khas baat hai bhagwan ke dwara prapt kartavya karm ka palan karna. Waise ham sahi batayen. Bahut badhiya jeevan hai yadi grihasth dharm se sahi chala jae to kyonki sadhu bhi grahasti se hi paida hote hain aur sadhuan ka poshan bhi grahasti se hi hota hai aur bhagwan ka avatar bhi grahasti mein hi hota hai.

grihasth dharm bahut badhiya dharm hai. Yadi dharm se chala jae. Par itna prapanch hai ki bhajan karna kathin hai. Nahi itna matlab ek chapter ho to nipta le. Itne chapter hain ki dimaag jo hai usi mein bata rahta hai. Bhajan karna, mala japna sab ye to bahut piche ki baat hai. Kaise bitiya ka byah ho, kaise ladka ki padhai ko de aur ladka padhta nahi. Badi udandta karta hai. Kit itni matlab itni baten hain ki wo nipta hi nahi pata. Thak ke so jaata hai. Phir subah jab utha to phir subah se shuru ho jaata hai. Grih karaj nana janjala te ati durgam shail vishala.

to yahi sir aavat ati kathinai Ram kripa bin ai na jai nahi to bahut badhiya dharm hai aap apne dharm ka palan karte hue naam jap karo aap ek sant ho ganda bhojan mat karo gande aacharan mat karo to aap sant ho aur sant hokar rupya paisa khanpan nana prakaar ke bhog samgri to bhai bhagwat prapti nahi hogi vesh se bhagwat prapti nahi hoti uddeshya se bhagwat prapti hoti vesh to prarabdhanusar janm janmantro ka sukrit uday hota hai tab virakta marg milta hai ki ekant mein bhagwan ka chint ab hamare paas ek hi chintan hai bhagwan ka chintan karo koi aur na ladka na bachchha na parivaar aur na swayam khane ki chinta swayam khane ki chinta nahi bhagwan de rahe hain na de to bhukhe bhi rahe hain jaise bhagwan rakhe waise koi chinta nahi keval bhagwan ka bhajan ye bhagwan ne diya hai lekin aap dusron ki chinta karte hue bhajan kar rahe hain.

yah bahut badi baat hai. Ek koi kam grahasti ka de do to ham pareshaan ho jaenge. Tumhare paas 100 kam hai phir bhi Radha Radha kar rahe ho. Vichar karke dekho. 100 kam hai. Phir bhi aap samay nikal ke Radha Radha kar rahe ho. Bahut badi baat hai. Ek bar kisi sant ne kaha ki aap grihasth bhakt ko prabhu shreshth mante hain ya virakta bhakt ko? To bhagwan ne kaha grihasth bhakt ko virakta to raat din hamare mein lage hue hain lekin to unhone kaha prabhu virakta to sarvshresht hai kyonki sab kuch tyag kar aapke liye bhi tha to unhone kaha ek kam karo is prashn ka uttar baad mein denge ek bada sa katra diya aur ghee bhara aur kaha hamare iske round mat lagao asan ke aur ek bund agar ghee gira to sudarshan chakra piche hai.

aur bole prabhu samasya mein dal diya. Bole ek round lagao pura round laga ke aae. Bole kai bar hamara bhajan kiye. Bole bhajan wo piche sudarshan chakra ye hamara pura chintan tha ki ek bund na gire. To bole socho tumhen ek kam diya hai ki ghee ek bund girne na pave to tum ek bar naam nahi jap kiye aur grahasti mein saikadon kam hai aur wo sab kam niptata hua bhi Ram Ram Krishna Krishna hari hari rachta hai isliye grihasth dharm se hi sab dharmon ka palan hota hai. Sab dharmon ka palan hota hai. Par aap agar bhagwan ka bhajan kar le to sarvshresht sant hain.

kyonki santo ki bhi seva, parivaar ki bhi seva, samaj ki bhi seva aur bhagwan ka bhi bhajan kitni badi baat hai. Hamare paas ek hi kam hai keval bhajan dusra kam nahi. Tumhare paas saikadon kam hote hue bhi bhajan hai. Yah bahut badi baat hai. Bas chalte raho. Galat aacharan mat karo. Ganda khanpan mat karo. Nahi to buddhi phir bhajan mein nahi lagegi. Maharaj ji grihasth ki baat ho rahi hai to matlab ek sadgasta ko jo abhi tak to theek hai sansaar mein bat abhi usko prambhik avastha mein uski dincharya kya honi chahiye dincharya mein kya usko matlab apne sare grih karya aur apni job aadi karte hue bhi kaise bhajan ko prapt dekho koi samay nahi de sakte isliye ki koi koi nait duty karta hai koi koi raat ki duty karta hai ab ham kah de subah 4:00 baje uthna hi chahiye wo 2:30 baje 3:00 baje 4:00 baje aaya hai ab wo uthga ki snaan karega ki soega jake hamen lagta hai jab hamen samay mile grahasti mein ab subah se kai aise karya hote hain ab raat mein pani lagana hai kisan ko alag-alag kai aise karya hote hain.

vyapar mein usko videsh jana hai. Aise kai karya hote hain jinse grahasti mein ek dincharya nahi rah sakti. Ek dincharya nahi rah sakti. To sabse badi grahasti ki sadhna hai ki hamare darwaze se koi bhukha na jae aur hamare andar naam chalta rahe. Bas sabse badi sadhna hai. Aap jo karm kar rahe ho wo karm karo aur naam ko pakar lo. Naam agar chalta raha to aap jit jaoge maya par. Kalyug keval naam adhara sumir sumiran. Ham ye nahi kahte ki 4:00 baje uthkar ke puja mein baith jao. Kyonki bahut si aisi samasyaen hain jo 4:00 baje uthne wala samay nahi mil payega.

jab aap uth pao bhagwan ka smaran karo. Naam jap shuru karte hue apne apne karya pranali mein lag jao. Ab grahasti mein matao bahno ko jaise subah uthie aur yah dekhiye ki pati kai baje office jaega. Balak kai baje school jaega. Pati aur balak ko tayyar kijiye. Usko school bhejie. Usko office bhejie ya apne kam mein ja raha hai. Usko tayyar karke tiphin sabke fit kar diye. Ab koi kam nahi hai. Parda thakur ji ka khola unki puja ki. Wo chahe 10:00 baje ho chahe 11:00 baje ho. Ab pati ko office jana hai. Bachchhe ko school jana aur tum puja ka vistar kar rahe ho to sab bigad jaega.

nahi bigad jaega. Wo to hamen lagta hai grihasth dharm mein apne sambandho ka nirvah karna hi sabse badi puja hai. Apne pati ko bhagwan manna putr mein bhagwan ko dekhna sundar bhog bankar unko pavaya tiphin laga diya unko bhej diya. Ye grahasti mein ye nahi ki bhai ham to kar lo to tumhara man ho karo nahi ham puja wo to hamen lagta hai apne kartavya ka palan karna sabse badi puja hai. Apne kartavya mein chuk gaya to puja puja nahi hai. Ham ek puja puja shabd se hamare dimaag mein ek baat aa jati hai.

thakur ji ki chhaviya, aarti, agarbatti laga ye hamen lagta hai ki yahi puja nahi hai. Yahi puja nahi hai. Agar yahi puja hoti to shri Krishna karman vadhikaraste ma phaleshu kadatan bhagwan ne adesh kiya karm ke liye bhagwan kahte hain apne karm ko karo phal ki akanksha mat karo sabse badi puja hai aur bhagwan ne kaha ma munishwar mera smaran anannya sat cheta satatam yo mam smarte Nitysa jo nirantar mera smaran karta hai ye sabse badi baat hai Radha Radha Radha Radha Krishna Krishna Krishna ye to chalte phirte uthte baithe wo to sab theek ho jaega.

Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji ek naye sadhak ki sadhna bahut bar tutti hai jisse man kamzor aur nirasha ka anubhav karta hai. Matlab sadhna ka koi niyam banate hain to tut jaata hai maharaj ji. Man ko dobara sadhna mein lagana kathin ho jaata hai. Aise mein kya karun? Us wakt man ko kaise samjhaun? Main wahan London mein rahti hoon. Wahan keval satsang hi hai mere paas. Dekho ismen sabse kami jo hai do pointon ki hai. Ek brahmcharya ek ahar hamara ahar apvitra hoga to jaisa khae ann vaisa bane man aur hamara brahmcharya theek nahi hoga to smriti par prabhav padega.

smriti dridta sankalp purnata yah brahmcharya se sambandh rakhte hain. Agar hamara brahmcharya hai to dridh sankalp smriti ka pravah usi brahmcharya se pusht hota hai. Brahmcharya hai ek utsah. Brahmcharya hai har niyam palan. Niyam tutna do karan. Ahar ashuddhi aur brahmcharya theek na hona. Chahe grihasth ho chahe virakta ho ek grahasti mein ek sima tak brahmcharya hai aur virakti mein aajeevan brahmcharya hai. Brahmcharya zaruri hai. Jo brahmcharya hai wo sharir ko pusht rakhta hai. Adhyatma ki taraf hamen prerit karta hai.

utsah badhata hai. Brahmacharyaheenta smriti viheenta bar-bar kasam tut jana niyam tod dena sharir mein ek pramad sthiti bane rahna ye sab rahta hai to aap do chijon mein sudhar kar lijiye ahar shudhi kar lijiye aur brahmcharya par drishti rakhiye aur naam jap kijiye dekho abhi theek ho jaega sab theek ho jaega pallavi ji aleegadh se pranam maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji mantr jaap se vartman jeevan ke dukh taklif kam hoti hai ya agle janm ke are pocho mat isliye kah rahe hain ki agar kahenge to

vishwas nahi hoga to isliye ham kaha pocho mat agar ham kahte hain ki dukh mit jaata hai to aap ungli hamare upar utha doge to agar kaho ki mantr japne aa dukh mit jaate ho agar ham kah de haan to aap kahoge aap hi bhog rahe ho abhi tak kya mantr nahi jap paye kya baat yah hai ki purv jo praarabdh nischit ho gaya hai use bhogna padega jise praarabdh kahte hain use bhogna parta hai jo naya karm hai aur jo purane sanchit karm hai ye donon nasht ho jaate hain bhajan se praarabdh nasht nahi hota praarabdh bhogna parta hai Ram Krishna Paramhans ji ke gale mein cancer tha.

bade-bade santo ke sharir mein peedaen dekhi gayi. Agar bhajan se sab pida nasht ho jati to bhajan karne wale ko kisi ko pida hi na milti. Aap vichar karke dekho jitne bade-bade sant ya koi bhi bhagat hai pida se yukt paya jaata hai kyonki uske prarabdhon ka nash hota hai. Purv sanchit karm bhasm kar dete hain bhagwan aur kriyman mane vartman mein jo hamse galti hoti hai use kshma kar denge. Lekin jis samay hamara sharir banaya gaya tha us samay jo rakha gaya hai ki 20 varsh mein tumhara hath tut jaega 25 varsh mein tumhara sir phutega tumhen cancer wo sab hoga wo sab hoga chahe bhajan karo ya na karo usse koi fark nahi parta to yah baat himmat karke haan yah jarur hai ki bhagwan thoda sahne ki samarth de dete hain sahne ki samarth dete hain ki usi ko ham ro ke kate ya usi ko hans ke kate to jab ham bhajan mein chitt jodte hain to thoda anandmay jeevan hota hai lekin bhogna parta hai.

avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhasham bhogna parta hai. Isiliye sabko bhogna parta hai. Isiliye kaha jaata hai daro paap karm mat karo kyonki karm ban gaya to bhogna padega. Abhi manushya janm hai to naam jap karke bhagwan ka aradhan karke tirth yatan karke dusron ki seva karke aap mita sakte ho aur manushya janm chhut gaya phir nahi mita paoge phir to bhogna hi bhogna hai isliye khub naam jap karo aur jo kasht ave use bhog lo bhagwan ka prasad man ke nikal chalo bahut bhayav sansaar hai bahut kashtamay sansaar hai pata nahi log kaise jite hain yahan to har kshan kis kis ki sharan mein jae.

sab asmarth hai. Koi bhi batao aisa hai jiski god mein sir rakhkar roya jae aur hamko nishcint kar de. Kyonki jiski sir mein ham god rakhkar ke rona chahte hain wo bhi asmarth hai. Wo bhi bechara kal ke adhin hai. Wo bhi mrityu ke adhin hai. Wo bhi bhay yukt hai. Wo purn samarth to nahi hai. Aur jo purn samarth wo dikhayee nahi de rahe. Hai yahi hai sabke andar hai sabke beech mein hai hamari sun rahe hai lekin hamen lagta hai pragat mein koi ho na jiske gale lag ke ham apne dukh ko varnan kar sake ham ro sake koi hamen pyar se ki aap nishcint rahie ham hai na wo ye karte nahi hai chhupe chhupe dolte hain parde mein rahte hain maya ke dekho ek sima hai jahan tak tumhen bhajan anand aur jab asim anand ki taraf badhoge tab tumhare tan man pran sab par bhagwan ka adhikar hoga aur us samay Ram ka kiya mitha lage yah baat ana bahut kathin hai.

hari naam japne wale mahapurush ko 22 bazaron mein kodon se mara gaya. Kya aparadh tha? 22 bazaron mein kodon se mara gaya. Hari bol hari bol mar kode unke sukumar sharir ki dhajhiyan uda rahe the 22 bazaron mein mar mara jankar ganga ji mein phenk diya yah hai jab shri Krishna se pyar karoge balance bana ke chaloge to theek se rahoge bhajan bhi kiya aur bhog bhi bhoge aur sansaar mein hai aur agar unke chipakna chahe pritam pyare are to phir wo phir wo wo jo leela karte hain dekho Prahlad ji bade-bade bhakton ke charitra mein dekho pyar karte hain par phir pariksha lete hain.

tumhen tan se pyar hai ya mere se pyar hai? Prannon se pyar hai ya mere se pyar hai? Parivaar se pyar hai ya mere se pyar hai? Yash kirti se pyar hai ya mere se pyar hai? Unki pariksha mein wahi paas karva de to karva de nahi to paas hona bahut kathin hai. To hamen lagta hai ki bhagwan ki sharan mein hokar bhagwan ka naam jap karte hue aae hue dukh sukh ko bhog le aur bhagwan se prarthna karen ki mujhe itni kshamta do ki main aapke vidhan ko jaan karke ham is dukh sukh ko sukh mein phule nahi aur dukh mein bhule nahi.

aapko nirantar yad karen. Bakaya hai bahut kathin marg. Koi saral marg nahi bhakti bahut kathin marg hai. Matlab aap kadam kadam par kante bichhao aur iske baad aapki ham jai bole. Aisa marg hai. Ham chal rahe hain aur aap kadam kadam par hamare kante bichhao aur ham aapka mangal manaen ki tum sukhi raho. Tumhen kabhi dukh na ho. Bhagwan tum par yah hai sant ka marg karat je anhan nindak ti anugrah kiyo jo tumhari ninda karen jo tumhara apman karen jo tumhen dukh den unka mangal manao kaise ho sakta hai kitna kathin hai sant marg bhakt marg kitna kathin hai kah rahe ki agar tumhen koi gali de raha hai agar tumhara koi apman kar raha hai to tum uska mangal manao svasth raho tumhare upar bhagwan ki kripa rahe tumhen kabhi kabhi koi dukh na mile kisko jo hamen dukh de raha hai jo hamen kasht de raha hai yah bada marg jo bhakt isiliye to kaha gaya more man prabhu vishwasa Ram te adhik Ram kar dasa bhagwan ka bhakt bhagwan se bhi badhkar hai kyonki ye vastvik bhakti ana ye bahut kathit baat hai thoda mala ghuma lena aarti puja kar lena mauj masti se jeena ye to theek hai lekin pura ka pura jeevan bhagwan ke liye arpit kar dena phir wo wo thoda kathin hai phir kathin hai.

Gurudev ji agar kisi ke paas guru mantr nahi hai to har koi Radha naam ka jaap kar sakta hai. Bilkul kar sakta hai. Bilkul kar sakta hai. Sab koi kar sakta hai. Maharaj ji aap supreem court ke jaj hain. Accha aapne jo saral bhav mein bhakti kya hai wo bataya. Dhanyavaad maharaj ji. Ji prayas yahi rahta hai hamara to ki ji karya karte-karte smaran hota rahe. Haan bilkul apne kartavya ko hi puja samjhe. Kartavya mein bhay aur pralobhan ka tyag karke apne wahi hai wahi apne kartavya ka bhay aur pralobhan se yadi ham hat ke to hamari kartavya puja ho jaegi.

agar bhaywash kuch hua ya pralobhan vash kuch hua to hamari puja mein badha par jaegi. Hamen samay mile to aur bhi puja karenge. Sabse badi puja hai apne kartavya ka palan karna jo bhagwan ne hamen kartavya diya aur naam jap kar andar hi andar bhagwan ka smaran karta rahe unka prashn hai Baba jhanda apman eersha isko kaise main sahan aur kar sakun kyonki jab tak jab tak sab mein apne ham prabhu ko nahi dekhte tab tak kahin na kahin kabhi gun dikhayee dete hain to ham prashansha kar dete hain aur dosh dikhayee dete hain to ninda kar dete hain lekin jab ham prabhu ko dekhte hain to phir gun dosh nahi dikhayee sansaar mein rah rahe hain to ye thoda sa hamen phes karna parta hai.

haan haan sansaar par bahari karo andar se sab mein prabhu ko dekho to badhiya rahega. Bahari mein to zaroorat pare to dant bhi dena hai. Lekin andar se yahi manna hai ki prabhu aapne seva di hai. Sab mein prabhu virajman hai. Yah bhavna ke bina rag dves jaata nahi hai. Aur rag dves jab tak rahta hai to janm maran bana rahta hai. Sab mein ladli ji virajman hai. Sab mein thakur ji virajman hai. Par ab agar chor rup se thakur ji aaenge to danda rup se puja to hoegi. Nahi usmen pareshaan nahi hona. Phes karna parta hai.

haan bilkul bilkul bilkul bilkul Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha aapki aankh ko dekh ke bas ye samjho ke hriday gadgad jave lage ki sakshat Vrindavan ab jagrit kar diyo aapne ek samay pe ji es graus maharaj ji yahan kalektar the british shasan kal mein to wo kaun thakur ji ko mante hi nahi hai unhone gaye wo gopeenath mandir unhone ghadi di jo wahan se chale to jaise hi thakur ji ko ghadi pahrai to ghadi chalne lagi jo palsa se chalne wali ghadi hai to gopeenath ji ko ghadi wala mandir bhi bole Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itno to kabahu hasi ho itna to kabahu has de sunhu kripa kishori Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe avasi kripa ki kote hoon itno to abhu has ho tum mohi milo milo na kripanidhii mo ko dhundt to bhatke ho tum meri suno suno kishori mo ko to nit din rate ho tum meri bah meri bah aa tum meri bah kaho na gaho hansi bhuj pasar moso vinay kare ho tum mere drig phucho mat phucho pe so nit drig nir dhare ho ati nich kaha mango itni to ta as puje ho bhori nem badhe tum hi so bhori nem badhe tum hi so sab jag so sambandh chhude ho itna to ab has gaye ho Radha Radha Radha Radha

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…