bhagwan dikhte to hain nahi to unke astitva ka kya praman hai ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
ranjna sahi ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji man ashant rahta hai yah pata hone ke bavjud bhi ki man ki shanti ek hi vikalp se dur ho sakti hai bhagwan ka dhyan lagaen jaap karen parantu usi kshan dimaag ishwar ki upsthi ka praman mangta hai maharaj ji bhagwan ka astitva hamare hriday mein prakt ho aise kiska prashn hai aap hain aisa aapko praman milta hai dekh sakte hain khud ko aap keval darpan mein dekhkar aap apne ko stri mante hain. So hai nahi. So hai nahi aap. Yah aapka dhancha hai. Sharir ek dhancha hai.
na ki aap hain. Andar ghuso. To alag-alag department hai. Man hai, buddhi hai, chitt hai, ahankaar hai, indriyan hai. Aap kahan hai? Aap apne ko dekha hai? Imandari se batao. Kabhi apne ko dekha hai? Nahi dekha na? Haan wahi ishwar hai jisko dekh nahi sakte par hai. Aap hain. Itna to hai na ki aap hain. Aap kya hain? Khud apne ko nahi jante. Jabki aap ishwar ke ansh hain. To us mahan ko kaise jaan lenge bina sadhna ke? Jab sadhna ki jati hai to apne aap ka sakshatkar hota hai. Use kahte hain atmabodh.
atmajnani wo moksh ko prapt ho jaata hai. Jo apne ko jaan jaata hai aur jo paramatma ko jaan gaya wo prem ko prapt ho jaata hai. Maharaj ji aap to sant hain. Aapko to praman hai prabhu ka bhi. Nahi aap ye batao kya buddhi se aap us paramatma ko jaan sakte hain? Agar wah na jana na chahe to are aap mein baitha hai. Ham sahi baat kah rahe hain aap hi ho. Ham jo satya baat kah rahe hain ganga ji ki ek chamach chahe Gangajal nikalo ya ek tanker nikalo. Bologe kya? To purnada purnidam purn mudte purnas purn maday purn meva vashishte us purn ka jo avshishtya hota hai avshishta shesh bhag wo bhi purn hota hai tum paramatma swaroop ishwar ansh jeev avinashi chetan amal sahaj sukhrashi ham log shariron mein par gaye isliye ham samjh nahi pate ki ishwar kya hai ye anant brahmand krit mane hota hai rachna krit kriti mane rachna hota hai na ye prakriti hai nahi prakriti hai kriti ye prakriti kisi ki rachna hai ki nahi apne aap to nahi ban gayi jiski rachna use ishwar kahte hain paramatma kahte hain kisi se pura to sanchan ho hi raha hai.
hamari ichchha se sanchan ho raha hai. Samay se varsha ho rahi hai. Samay se surya nikal raha hai. Samay se chandra nikal raha hai. Akash mrityu sab apna kam samay se kar rahe hain. To koi to hai. Jo sabko sambhal raha hai. Jo sabko sambhal raha hai wahi paramatma hai. Wahi ishwar hai. Ab wo avyakt hai. Uske liye sadhna karni padegi. Jab tak sadhna nahi hai, bhajan nahi hai tab tak uska prichay nahi jaan sakte. Brahm vid brahm bhavti aur jo brahm ko jaan gaya wo brahm swaroop ho gaya. Wo paramatma swaroop ho gaya. Kahin na kahin vishwas karna parta hai.
jaise maa apne bete se kahti tumhare pita hai to vishwas kar leta hai na. Apne pita ka prichay sirf maa se janta hai. Sirf maa janti hai iska pita kaun hai? Aise sadguru bhagwan ka prichay dilata hai. Vishwas karo koi kan nahi jahan bhagwan na ho. Koi kshan nahi jahan bhagwan na ho. Tum mein bhagwan yahan bhagwan sarvatra bhagwan virajman hai. Ye jo bijli hai wahi paramatma hai. Jo urja hai wahi paramatma hai. Jisse ham hil dul rahe hain na ye paramatma se hil dul rahe hain. Jaise karya alag-alag hai.
uska kshetra alag-alag hai. Pankha, hydrogen, AC tino ke karya alag hai. Ek prakash de raha hai, ek keval hawa de raha hai. Ek shital hawa de raha hai. Lekin bijli ek hi hai na to ek dusht khopdi mein wahi power gaya wah dushtata kar raha hai ek sadhu khopdi mein wahi power gaya wo sadhuta kar raha hai ye jo power hai ye paramatma hai ye jab rup dharan karta hai to Ram rup Krishna rup aur jagat rup ye sara rup usi ka hai ab jab tak bhajan nahi karoge to aise apni chhoti buddhi hai chhoti buddhi ekdam bahut chhoti itni chhoti buddhi hai ki 50 varsh to 40 varsh to ho gaye honge aapko is sharir mein rahte hue 50 50 50 varsh mein 5 second bhi aap apne se nahi mile ki 50 sal rahte ho zyada bada ghar nahi sa hath ka hai apne se napa jae to sa hath ka ye ghar hai apne se milna kya hai haan yahi to jaan jae to sabse badi baat sharir ka rag nasht ho jana hamne to mana hai ki ye jo sharir dhari ka jo naam hai yahi main hoon nahi nahi nahi ye to sab koi jante yahi rah jaata hai.
jala diya jaata hai. Bole wo nikal gaya jo tha to tha kaun? Usi ki to baat kar rahe hain. Tha kaun? Wahi paramatma wahi paramatma dusra koi nahi hai. Wahi paramatma hai. Yahi to chhupa chupi ka khel hai. Wo aapke andar chhupa hai. Aap banke chhupa hai. Aap hi aap jab khojne gaye to jab wo mila to khojne wala nahi mila. Samjhiye jab tak khojte rahe tab tak main raha aur jab khojne se khojne wala log khoj paya to khojne wala nahi raha usko Kabir das ji kahte hain jab main tha tab hari nahi ab hari hai to main maharaj ji main kaun hai ismen aur mera kaun hai main paramatma hai mera paramatma hai main paramatma hai aur mera parma paramatma hai.
ab main dehdhari purush ho gaya to meri maya ho gayi. Main dehdhari stri ho gayi to ab maya fail gayi. Main shuddh brahm hai. Aur mera jo kuch hai wo sab brahm hai. Kyonki sarvam khalmidam brahm ne nanast kinchna us brahm ke siva kuch hai hi nahi. To mera jo kuch hai wo sab brahm hi hai. Kya sunne matra se iska gyan ho jaega? Nahi. Namatma pravchne labhya na medhya na bahuna yah atma bodh na pravachan se prapt hota hai na pravachan sunne se prapt hota hai ye bhajan karne se prapt hota hai khub naam jap karo bhajan karo aur shastron ka swadhyay karte raho aur soi jaan dehu janai janat tum hi tum hoe jae kitni badhiya baat goswami ji kah rahe hain wahi nahi jaan pata hai jise aap jana do jo jaan gaya wo aap hi aap ho jaata hai tum hi tum hi ho jae wo bhagwat swaroop ho jaata hai ab naam jap karo sakhi to dhire-dhire samjh mein aa jae bhagwan ka ji meri madar ki kuch arsa pehle deth hui wahi sab kuch thi dekho iska naam mrityu lok hai aur deth kisi ki hoti nahi hai mrityu kisi ki nahi hoti parivartan ho jaata hai jal tatv jal mein mil gaya.
agni tatv agni mein mil gaya. Vayu tatv vayu mein prithvi tatv prithvi mein mil gaya. Akash tatv akash mein chala gaya. Aur jo andar paramatma ka ansh hai wo paramatma mein mil gaya. Agar wo moksh ko nahi prapt hua to apne karm anusaar dusre sharir ko chala. Mara koi nahi. Rup parivartan sharir parivartan ise ham mrityu mante hain aur naye sharir mein jana use janm mante hain. Mara nahi wahi agar moksh ko prapt nahi hua to agla janm dharan karega. Pashu pakshi manushya devta jis karm ke anusaar mara to hai hi nahi.
mara kaun? Mera mana hua sambandh. Ye mere pitaji the. Ye maharri thi aur jahan uska parivartan hua karm ke anusaar to ham man lete hain wo mar gaya kuch nahi mara kuch bhi kinchin matra bhi kuch nahi mara par rup parivartan hua bikhar gaya age jake samit gaya panchbhuton ka rup bal gaya bole ab chidiya ab bhens ab kutta ab bhut ab devta jaisa jaisa karm hua uske anusaar naye sharir ko grahan kar liya wah kabhi marta nahi jo tum ho kabhi marte nahi aur ye sharir ek jaisa kabhi nahi rahta iska prati kshan parivartan hota rahta hai dekho ek samay tha balak the ham ek samay tha moochh nahi nikli thi ab wo tarikh hai nahi yad jab moochh nikli kisi ko yad hai ham hi maa ke garb mein rahe lekin ek second ka bhi gyan ho to hamen batao ek second ka ki maa ke garb mein kaisa aisa lag raha tha ek second ka vigyaniyon ham sab maa ke garb se hi aae.
yah bhagwan ki durant maya hai. Jab tak ham bhajan nahi karenge tab tak ye hamare gyan ko dhak leti hai. Aisa lagta hai kahan bhagwan bhagwan hota hai to aisa wo hai lekin karm ke anusaar aapko bhog bhogna padega. Avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashbham. Hamari baat man lo. Koi kisi ko dukh sukh nahi deta. Hamare karm hi hamko dukh sukh dete hain. Keval ham yahan karm karne ke liye is sharir ko paya hai. Main ye sharir nahi hoon. Yah sharir chhutega. Yah keval karm karne ka ek yantr hai. Achhche karm kar lo ya bure karm kar lo.
kya hamko aisa gyan hai? Nahi hai. Yah sharir yantr hai. Aisa gyan nahi hai. Hamko yah gyan hai. Main hi sharir hoon. Main hi bhogta hoon. Main hi karta hoon. To kaise jaan paoge apne ko? Karta bhogta ahankaar hi mudh atma hota hai. Ahankaar vimudh atma karta manyate wo andhkar mein hai. Wo kaise jaan sakta hai apne swaroop ko to guru kripa karen unke dwara sadhna ki jae tab hamare andar ye gyan agyanas gyanjan salakya chaksha miltam tasmai shri guruve namah aur ham paramatma ke hain. Iski pehchan bap ka lakshan bete se milna chahiye.
kyon? Bap ka lakshan bete se milna chahiye na. To hamare jo prabhu hain wo avinashi hai aur hamara swaroop avinashi hai. Hai na? Agar thoda bhi gyan hai to itna to pata hai ki hamara swaroop avinashi hai. Ye rup avinashi hai. Dusri baat hamare andar ek chah rahti hai is praman mein ki hamara swaroop avinashi hai. Main kabhi marun na. Amar hone ki chah hoti hai na. Kyonki mera pita amar hai. Mera pita amar hai. Paramatma amar hai na. Dusri baat paramatma sukh samudra hai. Ham sab sukh chahte hain ki nahi?
aur aisa sukh chahte hain jismen dukh kinchin matra na ho. Aisa sukh chahte hain na sab hamen dukh kinchin matra na ho aur sukh hi sukh mile. Kyon? Hamara pita sukh sindhu hai. Tisri baat prem. Paramatma prem rup hai. Ham sabke andar ek pyas rahti hai. Koi mujhe pyar kare. Keval mujhe pyar karen. Apne swarth ke liye nahi mujhe pyar karen. Aisa yahan kahin nahi hai. Wah keval paramatma se hi prapt hota hai kyonki paramatma hi prem swaroop hai. Kai aise lakshan hai jaise ham number ek hona chahte hain.
jis department mein kyonki ham number ek ke hain. Uska number koi bhi mahatma uthaega to aise kahega na paramatma. Wo number ek hai na? Wo number ek hai. To ham hai na uske bachchhe. Ham avinashi marna nahi chahte. Ham sukh sindhu ham sukh chahte hain. Ham amar hona chahte hain. Ham number van banna chahte hain. Ye sab hamare pita ke lakshan hain. Bap ke lakshan bete mein ate hain na hamare pita paramatma hai. Unke ham bachchhe hain. Unke ham ansh hain. Isliye hamari ye chahte hain. Apne andar dhund ke dekho to aapko lagega ham sabse alag hain.
in chehron se sabse alag hain. Aur jab andar wali pehchan ho jaegi to lagega ham hi sabke andar hain. Dusra koi nahi. Ek connection ek iski bijli ka em alag hai. Iski bijli ka em alag hai. To praman bhi de sakti ki tu keval hawa deti main light. Par sahi pocho. Agar bijli ka rahasya jante ho to ek hi bijli hai. Aise ham sab mein ek hi bijli hai. Koi chhota bada nahi, koi unchneech nahi, koi dur nazdik nahi. Wo ham sab ek bijli se chal rahe hain. Ek hain. Sahi pocho to pure vishv brahmand mein jitne jeev hain sab ek hi paramatma ke sanchan se chal wahi paramatma sab kuch bana.
ab ye gyan jis samay aa gaya to wahi mahatma ho jaata hai. Sam mahatma sudarlabha. Ab ye gyan aise baton se to hoga nahi. Dat ke bhajan karna padega. Indriyon par vijay prapt karna padega. Man par vijay prapt karna padega. Tab jake bodh hota hai. Aji sunne mein bahut accha lag raha hai bat aise kabhi-kabhi kathin bhi lag raha hai ki itna aasan haan vihaar mein to bahut kathin hai. Koi hamse galat vihaar kare use paramatma bane wo hamen mar raha hai. Gali de rahe he paramatma aapki jai ho. To aisa santo ne kaha hai.
aisa santo ne karke dikhaya hai ki jo unko mar rahe hain mar kude khal khinch rahe hain aur bole hari bol hari bol karta hai. To muskura ke bole ab tumhara bhi kalyan ho jaega. Kyonki tumne do bar hari bol kaha tumhara kalyan lo jo mar rahe hain unke kalyan ki unko chinta hai jo mar rahe hain unke sukh ki chinta hai yahi to mahatmaon ka hriday hota hai yahi to bhakton ka hriday hota hai se
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…