sadhak ke liye sadhna mein zaroori niyam aur savdhaniyan / sadhan bhakti, bhav bhakti aur prem bhakti ka mahatva
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh vrindavneshwar tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smar pratap mugam nirvai param shital mashyam param shital mashyam shri Radha Madhav jugal divya rup gun khan avirat main karto rahun prem magan gungan Radha Govind naam ko kar nitya uchchar unche sur mein madhur mridu bahe dagan rasdhar he karunami kiya adham par karo kripa ab sweekar par raho nit charnon mein karto jai jaykar paro raho nit charan mein kar to jai jaykar he Radha Madhav yah vani sadaiv aapke divya rup gun mahima naam mahima dham mahima isi ka gaan karti rahe uchh swar se prem mein magan hokar aapke naam ko pukaru aur ankhon se ashrudhara rasdhara bahti rahe.
he karunamay swamini mo adham par ab kripa karo aur apne shri charnon ki dasata pradan karo. Apne shri charnon mein man buddhi chitt aham yah ghasit lo. Ye har samay aapki keval jai jaykar karte hue samay vyatit karen. Main nahi dekhun aur ko main nahi dekhun aur ko moh na dekh aur main nit dekho hi karun tum do un sab thor aisi kripa karo ki mere netr kisi aur ko na dekhe aur koi mujhe na dekhe. Bas main jahan drishti pare wahan aap yugal sarkar ko dekhun. Aur aap yugal sarkar yah dekhen ki yah mera jan hai. Bas he prabhu yahi hamari chah hai.
para rahun ekant mein chintan. Khade hain ya pare hain, chal rahe hain ya kriyarat hain ya kriya rahit hain. Matra chintan ekmatra jeevan ka param dhan hai bhagwat chintan. Priya pritam ka chintan. Para rahun ekant mein soun pair pasar nishcint hokar bas aapka chintan yahi hai vishram sthiti jisko pakar mein aa gayi yah baat wo janm maran se mukt ho gaya ekmatra chintan samasth shastron ka sar smaran har samay naam ka smaran rup ka chintan leela ka chintan bhagwat chintan bas para hai ekant kunj mein kahu ke bal bhajan ko kan ke achar vyas bhrose ko chintan ekmatra ladli ke bhrose ka unki kripa ka ab yah padhna aisa dridh nishtha yukt hona chahiye ki chahe jitni vipatti ave ham swamini ji ke charnon ki shraddha na chhod pave.
jaise shri dham Vrindavan ke vas ki nishtha shripad varnan karte hain ki khand khand hoe jae tan ang ang sat tuk Vrindavan nahi chhadiyo chhadbo hai badi chuk chahe ang ang galit ho jae, kaat diye jae ang ang par ham Vrindavan nahi chhod sakte hain. Kah rahe agar Vrindavan chhod diya to badi chuk ho jaegi. Anant janmon ka bhatakna mitne ka avsar aaya hai. Mat chodna. Aise hi pyari jo ke bhrose par jo ham nishcint hokar ji rahe hain. Yah panv pasar kar sona. To kah rahe tukde tukde deh ho tan se nikle pran tab bhi mukh se Radha yahi nikle rahe naam ki tan Radha Radha Radha Radha chahe sharir galit ho jae ang ang kat jae pran nikalne ka avsar aae to bhi mere mukh se nikle Radha Radha Radha hi swamini so lago rahe bahar khele khel labh hani jeevan maran sab mein priyaso mel hriday swamini mein laga hua hai.
bahar se prapanch ke khel ho rahe hain. Koi fark nahi parta. Aur bahar se aarti kar rahe hain. Hriday prapanch mein laga hua hai. Koi fark nahi parta. Bhakti ka rang chadna bada mushkil hai. Baat hriday ke parivartan ki hai. Ha swamin so lago rahe bahar khele khel. Hriday mein priyal ka chintan hai. Bahar se vyavahrik nokri hai, kisani hai, vyapar hai. Kya fark parta hai? Aap ek bahut uchh koti ke sant hain. Yadi aapka chintan priyal ke charnon mein nirantar ho raha hai to aap bahut achhche sant hain. Agar ham sant bhesh mein hain.
hamara chintan vishyon ka ho raha hai. Priyal ka vismaran hai. Bhogon mein sukh buddhi hai. Nana prakaar ke prapanchik aishwaryaman pratishtha ki jagah hai. Hriday mein wo damb hai. Pakhand hai. Wah sadhuta nahi hai. Labh hani jeevan maran sab mein Priya sumel labh hai to jai shri Radhe hani hai to jai shri Radhe jeevan hai to Radha Radha maran hai to Radha ab priyaju se vilag hamara jeevan nahi hai jab ham purn rup se apne isht dev ke ashrit hote hain to hamse koi galti ho hi nahi sakti. Yah vishwas karo jab tak ahankaar rahta hai tabhi tak galti hoti hai.
aur jab ek galti hoti hai to us galti ko chhupane ke liye shastron galtiya karni padti hai. Aur jab shastron galtiya hoti to hriday andhkar mein ho jaata hai. Kya karna chahiye? Kya nahi karna chahiye. Isliye sabse prarthna hai pahli galti hi chhupane ki koshish na ki jae. Us galti ka dand mil jaega to ham nishpap hokar bhagwat marg mein chal denge. Nahi yah dusht sansaar ek sansaar dusht ki sangati tu mein tum pusht karav ho. Is dusht sansaar ke sansarg se galti hoti hai aur galti ko chhupane ke liye 100 galtiya ki jati hai aur phir wah 100 galti pure hriday ko itna malin kar deti hai ki bhagwat prapti bhagwat marg ye sab chhut jaata hai aur jab ham bhagwat ashrit hote hain kaise bhagwat ashrit hote hain hriday swamini so lago rahe aur bahar khele khel jab hriday Priyalal se laga hua hai to bahar asat khel ho hi nahi sakta hai kyonki wah hota hai kamna se ahankaar se kamna hoti hai aur kamna se phir nana prakaar ke prapanchik
kriyaen hoti hai pehle aham hota hai main purush main stri main vidvan main amuk main dhanvan main amuk phir uske baad sankalp banta hai usi aham se main ye karunga main dekhuga main bhogung phir wahi uske hriday ko ganda karta hai aur jab ye aham priyal mein laga hua hai to kaun kam kab kaise karbo kahan kaun ka sang sab kuch kare karave hi rache anokhe dhang ab prabhu ki jimmedari ho gayi kaun karya isse karvana hai kab kaise milwana hai kisse kya bulwana hai kaisa sang karana hai sab kuch wo vidhan karte rahte karen karave aap sab jan badhai de jab aham samarpit ho jaata hai kathputli unke kar ki ho nij moh nachave khel khilave jo kuch tinu mere priy ke man ave ab to main apne Priya pritam ke hath ki kathputli hoon jab jaisa khel khilana hai vaisa wah khel khila rahe hain.
aisa aham samarpit upasak ke hriday mein hota hai. Jo aham samarpit upasak hota hai. Bahut achchhi sadhna hoti hai. Par sadhna ka aham nahi hota. Sakal sadhna siddhi shunya hai keval kripa sahara kripa kripa bas kripa ek hi hai sarvasv hamara aham samarpit sadhak ki bahut achchhi sadhna hoti hai. Bahut uchh koti ki siddhiya jagrit ho sakti hai. Par uske hriday mein ek bharosa rahta hai. Ye sab kripa se ho raha hai. Kripa kripa bas kripa ek hi hai sarvasv hamara. Pyari ji ki kripa, lal ji ki kripa, Gurudev ki kripa, dham ki kripa bas kripa hi kripa mujhe ghere hue hai.
prabhu ke anupam sukh sagar mein jo duba rahta hai nishdin hai. Milta nahi kahin dhundhe usko dukh ka til bhar jeevan. Har samay jo priyal ke chintan mein duba rahta hai. Aisa sukh prapt hota hai ki pure jeevan mein dhundhe to dukh hai hi nahi. Ye bahari baten mat dekhna ki sharir rogi hai. Bahari samasya khanpan ki bhi nahi hai. Bas ki bhi vyvastha nahi. Kya kya takleephen bhakton ko milte hain. Ye bahari baat hai. Andar kya sukh milta hai wo dikhaya nahi ja sakta. Wo tumhare netr ho to tum dekh lo.
kitna apaar sukh prabhu pradan karte hain. Jaise logon ki prashn dharana rahti hai ki bhakton ko dharmatmaon ko to bada dukh bhogna parta hai. Nahi dukh to papiyon ko bhogna padega. Dukh ki sthiti mein bhi maha sukh mein jo nimgn hai un bhakton ke hriday ki gati ko tum mansik drishti se nahi dekh sakte. Agar bhakton ko dukh mein dukh milta to mata Kunti kabhi dukh nahi mangti. Unhone dukh mein sukh sindhu ko paya hai. Jab sukh aaya to sukh sindhu gaya Dwarika. Isiliye rok diya rath ko aur phir vinay ki ki mujhe aisa sukh nahi chahiye jismen aap Dwarika ke liye jao.
he sukh sindhu mujhe pag pag par dukh mile. Kyonki jab jab dukh mila tabat sukh sindhu hamari taraf ate dikhayee diya. Aapki madhur madhuri shri ang ki lawanya adbhut muskurahat aap hamari taraf aur nirbhay raho. Bas yah mujhe chahiye aur yah milta hai agar dukh mein to mujhe lakh lakh dukh dijiye. Mujhe sukh nahi chahiye. Kaun janta hai? Sab bahirmukh bahari vritt rakhne wale bhakton ko bada dukh hota hai. Phir sukh kisko hota hai? Dekho kah rahe hain prabhu ke anupam sukh sagar mein jo duba rahta hai nishdin hai milta nahi kahin dhundhe usko dukh ka til bhar jeevan sharir se asang raho vrityio se asang raho ye jhutha ye kapti ye dusht sansaar kabhi tumhen sukh nahi de sakta man lo hamari baat agar tumne sukh lene ki ya sukh dene ki bhavna ki sansaar mein to phas jaoge.
ekmatra prabhu se sambandh aur prabhu ka bhav tab to chalega. Prabhu ka bhav chhod diya aur vyakti bhav lekar sukh dukh ka vyapar kiya phas jaoge. Phas jaoge. Ekmatra prabhu sambandh nirvikaar. Ye bahut dusht sansaar hai. Ye samjh mein nahi aaya. Sevak ji maharaj kah rahe ek sansaar dushti ki sangati tahu mein tum pusht karav vinati karo sakal dharm so dharm ho jin naam dharau swarth sakal taji guru charan bhuji gun naam sun kath santan so sang kari kal vyal mukh par kaph pitt baat bhar bhram kat anannya kahe ki ji laj dhari swarth ka tyag karke guru charnon ka bhajan karo tumhara sharir kaph baat pitt se bana hua kabhi bhi nasht ho sakta is par vishwas mat karo.
har samay bhajan lakh samjhao. Ye tab samjhte hain aise jad jeev jab inko bhayanak dand milta hai. Ye prarthna, vinay, kripa in shabdon se inka prichay nahi hota. Ye dand, tiraskaar, bhayanak dukh ki jab paristhitiyan aati tab aise dusht purushan ko pata chalta ki koi hai ishwar, koi hai vidhata, vidhan karne wala. Ab mujhe wo bacha le. Tab usko yad aati hai bhagwan ki. Is sansaar mein jo vastuon ka vyaktyo ka milna hai wo praarabdh se hota hai. Milna aur bicharna jag mein hai nischay praarabdh adhin. Kintit ka smriti sammelan rahta nit antar mein leen bahari vyakti bahari vastu bahari sthan ka sanyog prapt hone par yadi hamara chitt hamare isht ke chintan mein hai to sahi nikal jaoge maya phasa nahi paegi aur agar aapka bhagwat chintan chhuta to har vyakti har vastu har sthan asakti rupi dosh paida karke aapko apne adhin kar vishwas kijiye jo bade-bade diggaj dishaon ko bhi jit sakne ki takat rakhte the wo vasna mein phas ke nasht ho gaye.
jo apni bhujao ke bal se lokpalon ko bhi bhayabhit kar de aise samarthshali the. Wo indriyon ki gulami mein nasht ho gaye. Isliye vastu vyakti sthan ka sanidhy par bhagwat chintan na chhutne pave to koi fansa nahi payega. Phaaste hue bhi nikal jaoge aur bhagwat chintan chhuta to nikle hue bhi phas jaoge. Aapko laga main nikal gaya par agla kadam daldal mein hi hoga aur aap phas jaoge. Isliye praarabdh anusaar vyakti vastu sthan bhog samgri aa sakti hai par usko bhogna na bhogna ye tumhare upar hai. Chitt ka bhagwat chintan se tar juda hua hai to aapka nirnay theek hoga.
agar tar tut gaya chintan ka to vishay ras gira lega aapko. Aur agar chintan chal raha hai to kahin bhi tumhari mamta nahi phansegi. Badhti rahti mamta pratiphal rahta chit divas nishleen hota nitya nivas hriday mein rahti jaise jal mein meen nirantar chintan chal raha hai to vyakti vastu sthan ke beech mein rahte ye bada sukshm vishay hai nirantar chintan chal raha hai priyal ka to vastu vyakti sthan ke beech beech mein rahte hue bhi mamta priyal mein hogi. Vastu mein nahi, vyakti mein nahi, sthan mein nahi. Ham logon se yahi bhul ho jati hai ki vastu vyakti sthan ka praarabdh anusaar sanidhy milne par ham prabhu ko bhul jaate hain aur uska bhog karne lagte hain.
jisse ham phas jaate hain. Phir ham prabhu ki muskurahat nahi. Phir ham sansaar ki muskurahat dekhna chahte hain. Yah khush rahe, yah prasann rahe. Kabhi dusht prasann nahi ho sakta. Dusht hriday kabhi prasann nahi ho sakta hai. Dhyan rakhna jeevan mein anubhav ki baat jo ham kahte hain usko pakar lo. Yadi sukhi hona chahte ho to bhitar aur bahar se asang raho. Kisi ko bhi dular mat karo. Na apni indriyon ko na bahar kisi ko. Agar kisi ko dular kiya to phas jaoge aur phas jaoge to chhutane wala Govind hai.
wo chhutaega. Pehle ek bar tumhen muki khani padegi. Kyonki tumne Govind ki nahi mani. Tumne guru ki nahi mani. Isliye ek bar tumhen ghutne tekna padega maya ke age. Ab ho gaye jab Radha ke tab shok bhay kuch bhi nahi. Sab taraf dhara prabal anand ki hai bah rahi. Asang hokar jab ham Radha kishori ke ho gaye to aap dekhenge raat din anand ki dhara bah rahi hai. Isliye uttama bhakti ka lakshan hai kisi bhi tarah ki koi anya abhilasha hamare hriday mein jagrit na hone pave. Yah sabse zyada bhakti mein badha pahunchati.
bhakti mein gyan mein kisi bhi yog mein gita ji mein bhagwan ne kaha hai gyanyon ka nitya bairi hai kam kabhi na ghane wala mahapapatma isko mar dalo arjun jo bhagwat marg mein chalte hain bahut ye gadh vishay hai yahan savdhaan kiya hai ki jo log raas ke mahmmahim swaroop ko na jaan karke aur bahut si striyon ke saath tuchch vihaar karte hain. Inko ghor narak ki prapti hoti hai. Pujya bhai ji shri hanuman prasad bodar ji mahan bhav mein dube hue jo Radha Baba jaise sanyasi ko bhi prem rang mein rang diya aur jinki kalam ne lakho ko bhagwat prapti kara di wah bol rahe hain.
yah main satya kah raha hoon. Sara sansaar paramatma swaroop hai. Ismen mujhe koi sanshay nahi hai. Lekin jo paramatma shri Krishna ka swang banana chahta hai aur parai striyon se ganda aacharan karta hai. Inki ghor durgati nark mein hoti hai. Mujhe koi sanshay nahi ki pashu pakshi kit patang jad chaitanya inme shri Krishna nahi hai. Par shri Krishna leela ka anuran karne ki samarth nahi hai. Ye sab ansh swaroop hai. Kaun hai? Giriraj ji ko utha le. Utha ke dikhave giriraj ji hai to sab mein shri Krishna. Kaun hai ki ek bhayanak vishdhari sarp ke phanon ka bar-bar prhar ho raha hai.
sarp ugal raha hai. Vish aisa vish jo pura kali dah vish se yukt hai ki pakshi ud jae to mar jae gir kar ke. Upar se ud jae aur bhagwan ko wo kaat raha hai. Koi fark nahi par raha. Kaun aisa hai jo davanl ko apne mukh mein pi le? Kaun aisa hai jo chha din ka hai? Chhah kos ka sharir jiska aisi Putna ko param pad pradan kar diya. Kaun aisa aghasur bakasur bade-bade digvijay kans aadi ko mar ke phenk diya. Koi Krishna ki samanta kar sakta hai. Isliye bhagwan shri Krishna ki agyaa ka palan kiya jae. Yah raas ka anuran jo gandi bhavna se karte hain, inki bahut badi durgati hoti hai.
yah malin gande kam rajya ko raas nahi kahte hain. Panch bhautik jahan deh hi nahi hai, jahan deh ke ang hi nahi hai, wahan kam leela kaise ho sakti hai? Chidanand sharir mein panch bhautik vikar nahi hote. Kam ka pravesh panch bhautik sharir mein hota hai na ki chidanand deh mein atmajnani kaivalya moksh pad prapt mahapurushon mein bhi kam ka pravesh nahi hota phir premi mahapurushon mein phir bhagwan mein gopiyan sakshat shri Krishna hai jaise shri Krishna sacchidanand aise gopi sacchidanand jaise atma sacchidanand aise gopi sacchidanand jo bhagwan shri Krishna ki leela ka is tarah uphash karte hain.
parai striyon ko apne prem sambandh ki bhavna se aisa to narak ki tayyari kar rahe hain. Narak yantrana ki tayyari kar rahe hain. Are jahan prem maha prem keval hai wahan koi kamna koi vasna jagat ka koi bhi jeev atmendriy tripti ki ichchha ke bina chahe wo kitna bhi bada sadhak ho ek kshan bhi nahi rah sakta atmendra trishti aur gopijan shri Krishna sukh mein sthit bahut unchi sthiti aur gopijan koi stri hai unke sharir to patiyon ke paas virajman ghar mein virajman sab chidanand deh se bhagwan jab bhagwan avatar lete hain to bhumi bhi chidanand hoti hai.
mata pita parikar sab chidanand hote hain. Khagmrig pashu panchhi sab chidanand hote hain. Aur aapko pata hona chahiye ki gopiyan jo prakt hui bade-bade brahm rishi jo tapasya kar rahe the wo bhagwan se vardan mange aur gopi akar bane. Jo is lok mein is mahan param pavan bhakti ka durpayog karte hain wo parlok mein narak ki yantrana is lok mein ninda bhay klesh kasht prapt karte hain. Shastr mein kaha gaya hai yas wa agamyam striyam purush agamyam bahut dhyan se sunie yah sutra yasta wa agamyam striyam purush agamyam wa pursham yogachchhati tavatra kasya tantya suramya lohya purush malingti striy purush rupya suramya yadi koi dusre ki stri se chhal kapt karke vihaar bana karke uske saath sambhog karta hai to use lohmay jalti hui stri se bahut kal tak aalingan karaya jaata hai.
waise cheshta karai jati hai. Yava agamyam striyam purush agamyam wa pursham yodhti ta kasya tantya suramya loh maiya purush malingti purush mal us purush ko nark mein aisi yantrana aur jo stri apne pati ko dhokha dekar dusre purush ka to wo cha purush rupya suramya wo purush rup loh se jalti hui lohe ki murti usse usko aalingan bahut varsho tak karaya jaata hai narak mein bhishan yantrana usko prapt hoti hai. Ise is nark ka naam hai tapt shoor nark aur phir iske baad jab uska janm hoga to bhayanak bhayanak rogon se pura jeevan pidit rahega jo dusri matao bahno ke saath vybhchar karta hai.
ab jab karm ka phal aata hai tab kahte hain ki kah dete hain ki purv janm ka karm hai usko bhogna padega. Hamare saath bhagwan anyay kar raha hai. Hamne koi paap karm nahi kiya. Agar karm ka phal nahi hai to garb se hi balak apang kaise paida ho raha hai? Garbhsth balak ne kya paap kiya tha is janm mein? Garb se hi netraheen kyon paida ho raha hai? Garb se hi mook badhir kyon paida ho raha hai? Garb ke bahar aaya abhi chhota balak hai. Khel khel mein hath pair tut gaya. Kyon? Kaun sa aparadh usne abhi kiya hai?
yah purv ka hai. Nahi purv ka kya praman hai ki uska janm hua hai? Nahi lakho bar janm hua hai. Agar praman hi dekhna hai to dekho bhay, pyar, pran poshan iska purvabhaas usko hai. Puchkaro chhote se balak ko. Wo kilkari marenga. Ye kisne sikhaya hai ki ye pyar ka lakshan hai. Aise karo. Wo rone lagega. Ye kisne? Ye bhay ka lakshan hai aur uske mukh mein dugdh laga do. Pine lagega pran poshan. Yah kaise jana hai? Kisne sikhaya hai ki dekho ye tumhare muhn par jab lagaya jaega isko tumhen pina hai.
usko gyan hai kya? Lekin je mukh mein lagate ho pina shuru kar de. Purvabhaas hai. Bahut bar samjhane par bhi agyani jeev tark nahi chhota hai. Are papacharan chhod do. Papacharan karne se kai janmon tak aapko dukh bhogna padega. Ek ek paap ka bahut janm tak dukh bhogna padega. Aur yah karm bahut balvan hota hai, bahut prabal hota hai. Badi kripa bhagwan ki hai jo bade bhari karmon ka hisaab hamen chhote mein dekar ke bhugta rahe hain. Isliye upasak ko chahiye ki bhagwan ki lilaon ka gayan karen. Yah vishwas rakh ke ki nischit ham param mangal karne wala bhagwan ka naam gun kirtan hai.
tumhara man lage ya na lage bhav bane na bane. Agni ko dekho ya na dekho agni ko samjho ya na samjho agni par bhav karo na karo bhul se chuk se samjh se zabardasti se bhi chhwa di jae to tumhen jala degi kyonki usmen dayika shakti hai. Aise hi shraddha se, ashradha se, bhul se, jankari se, bhav se, kubhav se kaise bhi naam jap karo. Leela katha suno tumhara param udhar ho jaega. Param mangal ho jaega. Bhagwan ki leela katha gaan karne se hriday pavitra hota hai. Unki lilaon ka kuch leela jo sahaj karunamay unka to anuran ho sakta hai.
sab lilaon ki samarth nahi. Jab bahut janmon ke punya ekatrit hote hain tab bhagwan ke premi sant janon ka sang milta hai. Usmen bhagwat katha sunne ko milti hai. Siddhant sunne ko milte hain. Yah jo tark karne wale log tarkik hain, aise logon ko karodon shatruo ke saman mankar tyag dena chahiye. Dhyan se sunie. Jo log bhagwan ke naam ki ninda karte hain, dham ki ninda karte hain, bhagwat leela ki ninda karte hain, shastron ki ninda karte hain, bhakti ki avhelna aise logon ka sang tyag dena chahiye.
jo grihasth mein hai, sansaar mein hai, sanyog banta hai, bhagwan kripa karte hain. Satsang sunne ko milta hai. Lekin aise log mil jae to unki shraddha bahut komal hoti hai. Wo nasht ho jati hai. Bhagwat leela katha hi ek aisa upay hai jo har jeev ka parivartan kar deti hai. Agar aap satsang sunoge to nischit aapka parivartan ho jaega. Jab satsang sunne ka samay ave, avsar mile to apne kan bilkul ekaagr karke laga dene chahiye. Koi shabd nahi chhutna chahiye. Har shabd sune khub aandit hokar. Ya to ham hath mein mala hai isliye ki tumhara man na bhage aur kan satsang mein hai.
jahan man bhagne lage to beech mein chalane lage. Radha Radha Radha Radha aur agar aap ekaagr shrota hain to phir mala ki zaroorat nahi hai. Ekaagr drishti vakta ke mukh par aur nikle hue shabd ko swati ki tarah pan karo. Sari badhae satsang nasht karne mein samarth hai. Sari badhae adhyatma ki vihaar ki sab nasht ho jaengi. Satsang ki dhara jahan antar pahunchti hai to janm janmantar ke kuda karkat ye sab baha deti hai. Kitne aise hazaron log hain jo satsang ke prabhav se apne jeevan ki gandi baton ka tyag kar aur uttam marg mein chal pare.
aag jalakar bhasm ka dher chhod deti hai. Par satsang wo baadh hai ki rakh bhi nahi chhodti. Sab baha le jati hai. Arthat vasna kamna papacharan ka chinh bhi nahi rah jaata. Yadi satsang roz sune aur manan karen to shri Krishna ka prem samrajya prapt ho jaata hai satsangi ko. Jahan shrota ke man mein vakta ki pariksha lene ki baat aati hai. Ye dekh chal ke kaisa gyan hai inko. Tark karne ki baat aati, vivad karne ki baat aati. Un shrotaon ko vishesh labh nahi milta. Jo keval ras pine ki ichchha kya bhagwat charcha ka ras hai.
aha anand aaj to saubhagya ho gaya ki hamen satsang sunne ko mila. Yah parivaar rupya paisa nana prakaar ke bhog samgri pad sabko mil rahe hain. Papiyon ke paas bhi hai. Sut dan lakshmi papiyon ke ghar ho sant samagam hari katha tulsi durlabh do katha ye bhagwan ki aisi maha mahimamay hai ki sunne matra se bhagwat prapti kara deti hai. Dekho bade yagyik aur vidvan hain. Vedagya hain Mathura ke brahmin lekin inko bhagwat darshan nahi hua aur unki patniyan keval bhagwat charcha sunti hain. Vrindavan se malini pushp lekar jaate aaj thakur ji ne aisa shringar kiya tha.
aaj lal bihari ne us asur ka vadh kiya. Sun sun ke itni prabal lalsa jagrit hui ki wo bhog lekar ke sidhe bhagwan ko pavaya aur darshan prapt kiya. Ratanavati ji ne aur kabhi koi sadhna nahi ki thi. Keval dasi ne bhagwat charcha sunai to bhagwat charcha sunte sunte aise mahan ki bhakt bhoop unko kaha shri nabha ji ne ye antarang leela mein pravesh jab bahar sunte sunte to antarang leela mein sidhe pravesh satsang kara deta hai. Bhagwan ki leela katha aisi hai ki agar kano mein shabd pahunch jae to paap aur tap donon ka nash kar deti hai.
par jo shri Krishna ke bhakt hain, premi hain, unhin ke mukh se sunne par yah parivartan hota hai. Anytha nahi. Yahan pujya bhai ji maharaj kah rahe hain ki aisa leela katha ka prabhav ki sidhe bhagwat prapti to jo shri Krishna ke bhakt hain premi hain jo rupya ke bhakt nahi man pratishtha ke bhakt nahi vihaar ke bhakt nahi keval paramarth ke bhakt hain unko ye vani mein unmein pravinta hoti hai samarth hoti hai ki jeev ke swabhav ka parivartan mardan karke usmen bhagvatik swabhav prakashit kar dena.
jab koi shri Krishna bhakt shri Krishna premi bhagwat charcha karta hai to aho bhagya bada saubhagya uska jisko sunne ko milta hai tab uske paap tap sab bhasm ho jaate hain kyonki unki vani shri Krishna se judi hui hai. Unka chitt shri Krishna se juda hua hai. At jo shabd ucharan karte hain usmen shri Krishna ki samarth hoti hai aur jeev ka parivartan kar deti hai. Gyan yog se bhagwan ko brahm samjhkar bhajne wale sansaar se mukt hona chahte hain. Ashtang yog wale samadhi mein sthit hokar paramatma ki divya siddhiya aur jyoti darshan pana chahte hain.
ishwar gyan yukt bhakt log samapya saj aadi moksh chahte hain. Yah sab atmahit chahte hain. Lekin satsangi shri Krishna prem chahta hai. Isiliye kaha tat swarg apvarg sukh dhari tula kang tulan tae sakal mil jo sukh lav satsang satsang sidhe bhagwat prem satsangi sidhe bhagwat prem chahta hai shri Krishna ke saath prabhu ke saath mamta ho jana ye sabse badi baat hai aur us mamta ka swaroop pranwallabh shri Krishna pranwallabh prannon se bhi adhik priyatam hamare pyare pran dena pare to aise pushp ki tarah de de.
apne sare sukho ko bhulkar apne pyare ke sukh mein magan hona ise prem kahte hain. Dhundho apne hriday mein kahan prem hai ya apne sukh ke liye pyare se pyar karna ki mujhe sukh milta hai. Lekin pyare ke sukh ke liye apne sare sukho ko bhulkar yah anurag hai. Apne sukh dukh ki parvah nahi. Pyare ki ichchha mein ichchha milakar unki agyaa palan karna. Ye dusht swabhav wale nahi samjhenge ye baat. Unko apni vasnaon ki purti chahiye. Apni ichchha ki purti chahiye. Nahi samjhenge. Satsang ka rang jab chadega to apne sukh dukh ki parvah bhulkar apne pyare ki agyaa mein chalna.
pyare ki ichchha purti karne ki bhavna rakhna. Bhagwan ki kripa se ho jaega. Yah aisa bhav ho jaega. Hai durlabh bada kathin bhav hai susukh wanchha ka tyag karke tat sukh par kripa shakti mein itna mahan bal hai ki jitni bhagwan ki shaktiya sab kripa shakti ka anusaran karti hai bhai ji maharaj kah isliye tum har samay kripa manao ki mere upar ladli ji ki bahut kripa hai. Jo kripa shakti ka aashray le leta to kripa shakti ka anusaran bhagwan ki anant shaktiya karti hai. Yahan tak ki kripa shakti itni balvan hai ki bhagwan ko bhi adhin karva deti hai.
kripa se hi itni kripa hai ki bhagwan ko bhi adhin kara deti hai. Bhagwan bandhan sweekar kar lete hain bhakt ka kripa se. Isliye bhagwan ki jitni kripa manate rahoge utna hi aapko anubhav hota rahega ki aapki adhyatma unnati ho rahi. Bahut bada ye shabd hai kripa. Iska prichay sadhna mein jab aham grih sadhna thi tab prichay nahi tha. Kripa bahut bada kripa se sab kuch ho jaata hai. Sab kuch kripa se ho jaata hai. Bas har samay anubhav karte raho. Shrimad bhagwat mein likha hai ek shlok mein arth hai. Uska yah hai ki jo har samay bhagwan ki kripa manata rahta hai.
jo dukh sukh aata hai use bhog leta hai. Aur bhagwan ki smaran mein tanmay rahta. Kripa manate badi kripa dukh aaya to badi kripa sukh aaya to badi kripa vipatti ai to badi kripa sampatti ai to badi kripa to wo bhagwan ko aise prapt ho jaata hai jaise pita ki property par putr ka swayam adhikar ho jaata hai aise bhagwat prapt ho jaata hai akhil rasamrit murti prabhu ki prapti ka sahaj aur sarvshresht upay hai chitt vritti ka nirantar avichhinna rup se prabhu mein lage rahna hai. Yah hazaron bar charcha hui.
isko pakdo. Chitt vritti ka nirantar prabhu mein lage rahna. Chahe tum sakam se ho, chahe nishkam se chinta mat karo. Sakam se bhi ho. Prabhu ka chintan banne lage. Bhakti ke anek sadhan hain. Bade-bade mahapurushon ne, rishiyon ne, brahm rishiyon ne bhagwat prapti ki, badi sadhna bataai hai, vyakhyaen ki hai. Yahan uttama bhakti ka kya swaroop hai? Bahut samjhne ka vishay hai. Sarvottam bhakti ka kya lakshan hai? To bole anyabhilasita shunyam gyan karmadhyanam anukul krishnanusheelnam bhaktittama jo saundaryurya nidhi bade bade mahatma bade bade brahm gyani tapaswiyon ke bhi man ko barbas khinch lete hain.
badi adbhut rup madhuri jinki hai anant prabhuta hai jinki anant aishwarya hai jinke bhagwan devdhidev mahadev aur brahma jinki agyaa ka palan karte hain jo unke chintan mein rahte hain wo sabke mul aashray tatv bhagwan shri Krishna chandra jo anukulta yukt anusheelan uttama bhakti ka lakshan shri Krishna anukul len uttama bhakti anukulta arthat shri Krishna ki ruchi mein ruchi milakar kaise jananenge shri Krishna ki ruchi kya hai sampurn gita bhagwan ki agyaa hai. Bhagwat mein ekadshi skand mein Uddhav ji ko jo adesh kar rahe hain un sab bhakton ko adesh kar rahe hain.
bhagwan shri Krishna ki agyaa ke anusaar hi sharir se kriya ho. Vani se ham wahi bole jaisa bhagwan ka adesh hai. Man wahi nirantar karya karen jo bhagwan ki priyata ka ise kahte hain. Shri Krishna anukul len pratikuls visarjan. Ek bhi pratikul sharir se aacharan na ho. Vani se shabd na ho. Man se sankalp na ho. Shri Krishna ko prasann karna, shri Krishna ko sukh pradan karna, unki agyaa mein rahna. Yah anusheelan Rupa bhakti shri Krishna anukul len hai. Prabhu ke anukul chalna. Is bhakti ki do upadhiyan hai uttama bhakti ki.
ek hai anyabhilasita aur ek hai karm gyan yogadika. Ek bhi upadhi jab tak rahti hai tab tak prem ka pradurbhav nahi hota. Jo uttama bhakti hai wo anyabhila shunya hai lekin anya koi abhilasha hai ya karm ya gyan se sambandh hai to prem prakt nahi hoga. Kal ek gyani aae the. Unhone kaha ki ham dedh do varsh se aapko sun rahe hain. Bahut parivartan hua hai. Accha lag raha hai. Par bichbich mein hamara man udas ho jaata hai. Aap prem ki baat karte ho. Bhagwan ki baat karte ho. Aap bhakti ki baat karte ho to bhakti to dvait hai.
aur thoda hamko gyan marg accha lagta hai. Adwait hamne kaha kaun se gyani ho tum? Prem aur bhakti tum abhi dvait samjhte ho. Abhi kaha tum are adwait ke age ki prem bhakti ki varta ho rahi. Tum samjh kahan pa rahe ho? Drishti gayi to badhiya maang kadhi hui thi. Aur badhiya to ham kaha prabhu abhi to brahm bodh to hua nahi aapko nahi to prem ko aap aisa nahi kah sakte. Prem dvait nahi hota. Prem gali ati sakri tame do samae to dvait kaise hoga prem mein adwait se phir ye jo bhav aata hai ye mahan pavitra pehle dvait se adwait aur adwait se jo dvait ka bhav mahan ye nahi samjh mein aayega ismen tan man ke bichhre nahi cha badhe din rahan kab sanjog na manhi dekh bhari bhari nain yahan apni sudhi na rahe ek raho Nandlal ek raho Nandlal kaha aapko brahm bodh hai.
imandari se batao. Aapka shabd kah raha hai ki aapko nahi hai. Nahi nahi abhi to ham pryasrat hai. Veer kaise kah diya ki ham dvait ko bolte hain. Dvait ko nahi bolte. Ham apni atma ko bolte hain. Atma Harivansh prakt parmanand shri Harivansh. Ham atma gungan kar rahe hain. Kisi aur ka gungan thodi kar rahe hain. Atma Harivansh ha hari Radha Vrindavan sa sahachari Vrindavan mein virajman sachariyo ke madhya mein shyama Shyam kaun hai? Hamari atma hai. Atma Harivansh prakt parmanand shri Harivansh praman manm shri Harivansh vidhit vidhi vedam shri Harivansh jo tatv abhedam ham abhed tatv ka varnan kar rahe hain.
kahan ho? Tum bhed mein ho isliye tumhen bhed ka chashma laga hai to bhed hi dikhayee dega. Aur abhed ka chashma laga hai to abhed dikhayee dega. Karm gyan yoga aadi mishran nahi hai hamari bhakti mein. Yah vishuddh bhakti hai. Ab ya mein milo nahi mile na kachu jab khelt raas sadabal mein. Abhilasha bhog kamna ki aur moksh kamna ki. In donon ki kamnao ka tyag karne wala anyabhila shunya hai. Na bhog ki aur na moksh ki. Aur yahan gyan aham brahmasam iski zaroorat nahi hai. Yahan yahan yog hath yog aadi ki zaroorat nahi hai.
yahan karm kisi phalakanksha se nahi hota hai. Kisi laukik parloulik bhogon ke liye nahi hota hai. Haan yahan gyan hai. Kya bhagwan ke divya mangalmay rahasya ka swaroop ka bhajan ka tatv ka sab mein viraj sar vastu ta nireeksh param swara buddham yahan yog hai par hath yog nahi yahan chitt ki vritti ka nirodh karke nirantar Priyalal mein sthit rakhna yah yog hai. Bhagwan ke rup gun leela charit aadi mein tallin rahna yah yog hai. Yahan karm hai. Lok parlok ke bhogon ke liye nahi priyal ki seva ke liye to gyan yog ashtang yog ya karm yog yahan is tarah se nahi hai prem bhakti ka vardhan karne wala hai jo sakam bhakt hai prayah lakho bhakton mein koi ek nishkam hota ho to hota ho usmen bhi sanshay hai nahi lok parlok ki moksh ki kalyan ki paap nash ki sukh ki kamna kuch na kuch bani hi rahti hai.
sakam bhakti teen prakaar ki hoti hai. Jo bhogon ki chah ya hamara naam ho jae, hamari kirti ho jae, hamara aishwarya ho jae. Bada vichitra khel hai. Apna naam karna gungan prabhu ka ga rahe hain. Naam apna chahte hain. Kirti prabhu ki ga rahe hain. Kirti apni chahte hain. Prabhu ki baat kar rahe hain. Pratishtha apni chahte hain. Bhakti ka swang hai. Kamna hai. Yash kirti naam pratishtha vishay bhog aishwarya samuday jinke ek rom kup mein anant brahmand vas karte ho mere pritam hai wo kafi hai tumhari zaroorat nahi tumhen zaroorat ho to aao hamen tumhari zaroorat nahi tumhen zaroorat hai to dwaar khula hai dikhrava mate tin adbhut rup prachnd rom rom prati lage koti koti brahmand brahmand nikhaya nirmit maya rom rom pratived kahe aae ho to bhagwan hai aap hamare aadar hai kabhi na aao to prashn nahi hoga aae ki hujjat nahi gaye ki talash nahi
bharoso dridh in charan kero jab hamare andar skamta hoti hai to vishay bhog ki yash kirti ki aishwarya ki man pratishtha ki to wah bhakti rup le leti rajsi bhakti aur jab kisi ko dand dene ki hinsa ki piche aapne suna hoga jo Radha Krishna mein bhed buddhi karte hain jab tak surya chandra rahta hai tab tak kal sutra nark mein rahte hain sunao to narak bhogega tujhe koi nahi bacha sakta kyonki brahm rishiyon ne likha hai wo saanp nahi hai wo krodh nahi hai wo hinsa nahi wo dand nahi wo jo dand vidhan likha hua hai jaise abhi kaha jo parastri se bhog karta hai wo is nark mein dala jaata hai aur wahan lohe ki tapti hui stri se hazaron varsho tak uska aalingan karaya.
le bhog ab ye saanp nahi hai. Ye dand vidhan hai. Us vidhan ka phal varnan kiya jaata hai. Jo dusre ki hinsa karne ke liye damb dikhava karne ke liye matsarta irshya dves ye tamsik bhakti hai. Bhakti to karta hai par tamsik bhakt hai. Aur jo apne moksh ki kamna, paap nash ki kamna, kaivalya param pad ki kamna ise satvic bhakti kahte hain. Lekin in tino bhaktiyon se upar uthi hui uttama bhakti hoti hai. Uttama bhakti chit swaroopa hoti hai. Iske teen bhed hote hain. Pahla sadhan bhakti, dusra bhav bhakti aur tisra prem bhakti.
indriyon ke dwara sari ki sari cheshta prabhu ke liye hona. Jaise naam kirtan karna hai, naam jap karna hai, leela charit sunna hai, seva karna hai, parikrama karna, indriyon ke dwara karmendriy gyanendra ke dwara man sahit sari cheshta prabhu ke liye hona use sadhan bhakti kahte hain. Is sadhan bhakti mein do gun prakashit hote hain. Bade jor ke klesh agni shubhdayni sare klesh nasht kar deti hai sadhan bhakti uttama bhakti ke teen sadhan teen pahla hai sadhan bhakti dusra hai bhav bhakti tisra hai prem bhakti is bhed ko samjho pahli sadhan bhakti agar pahli sahi hai to dusri aa jaegi bhav bhakti aur bhav bhakti sahi hai to tisri prem lakshna bhakti jagrit ho jaegi pahli pahli mein hi kitna labh shuru ho jaata sadhan bhakti mein klesh agni sampurn kleshon ka nash ho jaata hai.
klesh kisse hote hain? Teen se klesh hote hain. Paap se, vasna se, avidya, agyaan se. Jab ham sadhan bhakti karte hain. Sadhan bhakti ka matlab samjhe. Man sahit panch gyanendriay, panch karmendriyon se jitna kuch ban raha hai sab prabhu ki prasannata ke liye us sadhan bhakti ke do prabhav prakt honge. Sampurn kleshon ka nash. Klesh kisse hota hai? Teen baton se. Paap se klesh hota hai, vasna se klesh hota hai aur agyaan se klesh hota hai. Yah sadhan bhakti mein gyan prakashit ho jaata hai.
sampurn vasnae bhasm ho jati hai aur paap nasht ho jaata hai. Isliye klesh agni sampurn klesh ka nash sadhan bhakti mein hi ho jaata hai. Aur shubhdayni kabhi-kabhi agyaan ke karan arop bhagwan mein karte hain ki bhagwan ham par kripa nahi kiye itni bhakti ki itna naam jap kiya lekin purv praarabdh jo hai wo bahut balvan hai. Jab sharir racha gaya usi samay praarabdh racha gaya. Aapke saath ghatnayen ghateng. Isiliye naam jap kar lo. Praarabdh aur aparabdha praarabdh jiska paap phal prakt ho chuka hai. Bhogo aparabdha abhi ane wala hai.
pehle se nischit hai ki 55 varsh ki avastha mein aapko yah bhogna hai. Pakka bhogoge chahe jitna bhajan karo. Bhogne ki samarth bhajan se mil jaegi. Praarabdh ko mitana bahut kathin hai. Aur jab mitane wala bhajan ho jaata hai to mitane ki ichchha nahi rahti kyonki bhagwat prapti ke nazdik pahunch chuka hai. To laut kar kaun jaise saanp apni kechul ki taraf nahi dekhta aise bhagwat prapti ke yogya mahatma sharir ki taraf nahi dekhta. To paap ka bij vasna hai. Isse hamare purv paap hue. Do prakaar ke praarabdh ban chuke hain.
ek praarabdh, ek aprarabdha. Praarabdh jo ham bhog rahe hain aparabdha jo age bhogne wala hai paap ki bij vasna is janm bhi paap kara rahi hai to ham jab sadhan bhakti karte hain to is janm ki vasna ka nash hota hai aur purv staak jo papon ka hai uska nash ho jaata hai aur avidya jiske karan paap ho raha tha vasna ban rahi thi uska nash ho jaata hai par praarabdh bana rahta hai yah agyani jan na janne ke karan kahte hain ki are bhajan shuru kiya bada kasht bhog rahe hain to kya bhajan ka phal hai anant janmon se bhogte chale aa rahe ho paap karm karte chale aa rahe ho tumhen pata nahi logon ki samjh mein hi nahi aata machhli ko jal taroi kahte hain to tum kaun si taroi hoge tumhen bhi pata hona chahiye pakka matsya avatar bhagwan ne liya ki nahi liya matsya avatar bhagwan ne liya hai aur tum machhli ko jal thodi karte ho.
kadhai mein tal ke khate ho to tum bhi tle jaoge. Ab ek bar ke ahar mein kitne jeev khate hain log. Kitna paap kar rahe hain. Agyaniyon ko brahma bhi nahi samjha sakte. Murkh hriday na chet chahe guru mile winch sam phule phare na ved bans mein chahe jitni khad pani laga do wahan sev santra nahi lagne wale. Aise hi jo murkh swabhav ke log hote hain nahi samjhne wale jab sadhan bhakti ka anusthan kiya jaata hai to usse do prabhav prakt hote hain. Klesh agni aur shubhdayni klesh agni paap se klesh hota hai.
vasna se klesh hota hai. Vidya tino ka nash ho gaya. Lekin praarabdh aur aparabdha age ane wala bhog ye donon bhogne padenge. Isliye himmat jutao. Naam jap ke dwara itne balvan bano ki praarabdh ave aur hanste hue bhog log praarabdh ka nash karne ki jab yogyta aati hai tab nash karne ki ichchha nahi rah jati aur jab tak nash karne ki ichchha tab tak yogyta nahi ai. Sab kleshon ka mo karan bhagwan ka bhajan na hona bhagwat vimukhta hai. To jab ham bhakton ke sang ke prabhav se sadhan bhakti ka anusthan karte hain to sare kleshon ka dukho ka nash ho jaata hai.
ab age dukh nahi hai. Bas itna hi hai rasta jisko aap bhog le. Sarv dukh nashkatwa ye klesh agni se ho gaya. Ab shubh shubh ka arth hai sadhak ke jeevan mein param mangal param anand ka vidhan. Yah naam se prakt hota hai. Shri Harivansh chandra shubh naam sab sukh sindhu prem ras dham jam ghati bisre nahi ek kshan naro har samay naam jap karo ye maha shubh prakashit kar dega shubh se kya hota hai jaise klesh agni se vasna paap avidya ka nash praarabdh ke bhogne ki samarth aa gayi shubh se kya hota hai bole shubh sari daivi sampada prakt kar deti hai sadhan bhakti se vishay sukh, brahm sukh, parmeshvar sukh ye sabhi prapt ho jaega.
aapko vishay sukh chahiye to bhi sadhan bhakti karo. Aap dekho vishay sukh prapt ho jaega. Brahm sukh prapt ho jaega. Parmeshvar sukh prapt ho jaega. Aur agar in sukho ki chah na karo to prem prakt ho jaega. Sadhan bhakti karte karte bhav prakt hota hai. Bhav bhakti teen bhed uttama bhakti ke pahla sadhan phir bhav phir prem sadhan bhakti bhav bhakti prem bhakti sadhan bhakti mein chakhachakh anandmay ho jaata hai sare klesh paap vasnae avidya nasht ho gayi aur sab shubh daivi sampada prakashit ho gayi mangal bhavan bhagwan ki taraf vritt sampurn rup se yah shubh ab bhav bhakti do gun prakashit karti hai sadhan bhakti do prakashit kiye klesh agni shubhdayni aur bhav bhakti do gun prakashit kiye moksh laghutakrit aur sudurlabha klesh agni aur shubhdayni to ismen aa hi gaye apne aap sadhan bhakti ke lakshan bhav bhakti mein to sama hi gaye ye klesh agni aur shubh dayni par ismen moksh laghutakrit aur sudurlabha bada sundar is bhav bhakti mein char lakshan ho gaye.
klesh agni, shubhdayni, moksh laghutakrit aur sudurlabha. Moksh laghutakrit itna anand prakt hota hai bhav mein ki moksh bhi laghu lagne lagta hai. Wo jab bhav prakt hoga. Bhavotsaven bhajta. Bhav prakt hoga tab aapko pata chalega ki moksh sukh bhi kadva lagne lagta hai. Isliye premi mahapurushon ne moksh sweekar nahi kiya aur sudurbha bhagwan ke us sudurlabh divya divya gun divya divya rahasya divya divya bhav uske hriday prakt hote hain jo anya kisi sadhan se nahi prakt ho sakte. Tab usmen mahmmahim prem lakshna bhakti jagrit hoti hai.
ab prem lakshna bhakti mein apne do gun prakashit hue. Sandranand vishesh atma pahla aur dusra shri krishna akarshani ye do gun to prem lakshna bhakti mein chhah gun upasthit ho gaye. Jo sadhan bhakti mein klesh shubhdayni aur bhav bhakti mein moksh laghutakrit aur sudurlabha ye to prem bhakti mein hai hi aur prem bhakti ke apne do mil gaye sandranand visheshatma aur shri krishnakarshani bhakti chhah lakshan se yukt ho gayi klesh agni shubhda moksh laghuta krit sudurlabha sandranand visheshatma shri krishna karshani chasa klesh nashni shubhdayni ye sadhan bhakti mein ho gaya moksh laghutakrit ka tatparya hai dharm arth kam moksh ye sab vyarth nazar ane lagte hain jab bhav prakt hota hai
Shrimad Radha sudanidhi mein dharma chaturshty vijayta kim tatha vartaya dharm arth kam moksh ki bekar ki varta hamare hamare samne kahte ho jagat mein vijay rahe mere samne jaise bhav mein dube hue bharat ji maharaj kah rahe hain arth na dharm na kam ruchi gati na chah nirwan janam janam rati Ram pad yah vardan nan to moksh laghutakrit ka tatparya hai salokya sarup samya sashta saj panch prakaar ke mokshon ka bhi tyag daman ganat vina mat sevan jana dharm arth kam ki to baat jane do panch prakaar ke mokshon ka bhi tyag ho jaata hai jab bhav bhakti ka pradurbhav hota hai aur sudurlabha sab siddhiya bade-bade sukh bade-bade labh bade-bade rahasya ye sab uske samne hote hain.
jo bhav bhakti mein duba hua mahapurush hai. Parantu apni bhav bhakti ki pradhanata se shighr un sabko cross karke prem mein pahunchne wala hai. Isliye kisi ko sweekar nahi karta. Sab kuch nyochhavar kar deta hai apne pritam ke liye aur kripa par nirbhar ho jaata hai. Tab uske andar prem lakshna bhakti jagrit hoti hai aur uska gun prakt hota hai. Sandranand vishesh atma ye sandranand vishesh atma karodon brahmanand ko bhi is prema amrit ke samne nahi ginta jiske andar yah prem lakshna bhakti jagrit ho gayi ek brahmanand kya karodon brahmanand bhi us Premanand ke samne ek kan ki tulna ke bhi barabar nahi apaar achant maha prem sukh us bhakt ko prapt hota hai jiske andar prem lakshna bhakti jagrit ho jati hai aur shri krishna akarshani bahut jor ki mahima ismen uske aradhya dev uske piche piche vashbhut hokar ghumte prem lakshna bhakti se jo yukt ho gaya ekadash skand mein bhagwan ne sweekar kiya Shrimad bhagwat mein kah rahe hain ki nirpekshm muni shantam niram samdashnam anujamyam nityam puje yatrangure bhi jo nirapeksh hai kisi ki apeksha nahi rakhte mannsil hai har samay mein mera manan karte rahte hain.
munim aur shantam jo har dwaand ko shant bhav se sah jaate hain. Nirpekshm munim shantam niram jinka sansaar mein kisi se bhi dves nahi. Sam darshan jo sab jagah mere ko dekhte hain. Samta ke bhav ko prapt ho gaye. Aise mahatmaon ke piche main dolta hoon ki unki charan raj mere upar par jae. Shri krishnakarshani ka abhipray hai ki aise premi bhakt ke piche piche bhagwan vashbhut hokar dolte hain. Bhaktan pache yo phire jo bachhra sang gay upasak ko uttama bhakti ka anusthan karna chahiye. Jisse bhagwat prem ka hriday mein pradurbhav hota hai.
uttama bhakti ke liye sadhan bhakti atyant aniwarya hai. Aur sadhan bhakti ka swaroop shri mahmmahim dadu dayal ji kah rahe hain ham jeev i asre sumiran ke adhar dadu chhitke hath su to hamko bar na par. Bade mahapurushon ne kaha hai ki sumiran chal raha hai to ham ji rahe hain. Agar sumiran nahi to hamari mrityu samjho. Param mahmmahim shri nanak sahab ji ke bhi ki naam hai to ham jivit hai. Naam nahi to agar naam chhuta sumiran chhuta to mano hamari mrityu ho gayi. Hamara jeevan hi naam hai. Ye aisa uttama bhakti ke liye sumiran chahiye.
uttama bhakti ka sadhan is koti ka chahiye ki naam hai to ham jivit hai. Naam nahi to devrshi narad ji kah rahe tad smaran param vyakul teti ham param vyakul ho jae naam chhut jae to bhai yahan rag dves nana prakaar ke vikaro ki dhoom machi hui hai aur usko hatane ke liye naam hai usko pakar nahi raha sadhak dadu vishay vikar so jab lag man rata tab lag chet na aav tribhuvan pati data jab tak man vishyon mein laga hua hai naam jap nahi kar rahe to tumhara chitt tribhuvan pati bhagwan mein rati ko prapt nahi ho sakta.
dadu ah sada sharir mein hari chintat din jai aur prem magan lay leen man antar gati la lai sharir mein jab tak pran hai tab tak hari chintat din jae raat din hamara prabhu ke chintan mein jae prem magan lay leen man antargat gati lo lai antar hi andar andar hi andar chintan chal raha prabhu ka nirantar dadu anand atma avinashi ke saath prannath hriday base to sakal padaarth hath yadi tumhara bhagwat chintan chal raha hai parmanand mein prabhu ki anubhuti ho rahi hai hriday mein to kya bakaya rah jaega ye mare ghum rahe jeev vishwas nahi kar rahe vishwas nahi ho raha naam par vishwas nahi ho raha bhajan par vishwas nahi ho raha antargat hari hari kare tab mukh ki hajat nahi sahaj dhun lagi rahe dadu man hi mahi pehle mukh se shuru karo naam jap karna phir upansu mein aata hai phir mansik jab mansik aata hai tab koi samjhane ki zaroorat nahi apne aap anand mein doob jaoge ja ghun lage kaat ko lohe lage kaat kam kiya ghat jajra dadu bar bat jaise gehun mein ghu lag jae to upar gehun dikhayee dega lekin andar bekar ho jaega.
lohe ko jaise katne wala kaat dalta hai aise yah vasnae kaat dalti hai sadhak ko. Isliye vasna se bachne ke liye upasna ati aniwarya hai. Upasna har samay apne aradhya dev ke samip rahna. Kaise chintan se rahna? Dadu kahe tu rakhe saiyan to mar sake na koi bal na baka kar sake jo jag bairi hoe yadi naam nirantar chal raha mera ishwar mera pritam meri raksha kar raha hai to kam krodh lobh moh mad matsar ye bal banka bhi nahi kah sakte je sir saumpya Ram ko so sir bhaya sanath aa ha dadu de un bhaya jiska tiske hath hath prabhu ne diya tha jeevan prabhu ko samarpit kar diya jo prabhu ko samarpit kar diya jiska sir prabhu ke hath mein kaun tribhuvan mein aisa paida hua ki uska bal banka bhi kar sake haan prabhu
mangal vidhan karte rahte hain wo bade-bade bhaktjan jante bahari log to kahenge unko kasht diya gaya unko kasht diya gaya lekin jinko kasht diya ja raha hai unko wo parmanand hai jo keval unka hriday janta hai dusre nahi jante hain isliye isliye dadu jo sahab ko bhave nahi so sab parihar pran manasa vacha karmana jetu chatur sujan jo tumhare isht ko accha nahi lagta wo kabhi mat karo yadi isht ke viparit karoge to dhokha hi milega jo upasak apne isht ke thoda bhi pratikul karega to hriday jalta rahta hai jo sahab ko bhave nahi so sab parihri pran santo se isiliye suna jaata hai ki unka anubhav bhi hota hai.
kisi sadhak se kah rahe the ki tumhen siddhvastha prapt karne ke liye koi vishisht sadhna nahi karni kyonki jaise bat vriksh ki chhaya mein baithe hue ko dhoop nahi lag sakti. Aise guru kripa patr ko maya nahi sata sakti. Bas tum ek agyaa ka palan karo. Asang raho. Sharir se asang raho aur man se bhi asang raho. Apne aap siddh ho jaoge. Apne aap bhagwat prapt ho jaoge. Jo gurujanon ke vachno ko man le to siddhi gurujanon ke vachno mein hoti hai. Moksh mulam guru kripa samjho pehle moksh mulam guru kripae tum aisa karo tumhara kam ho jaega.
bola aisa karne se kam kaise ho sakta hai? Khatm khel gaye tum. Aisa karo kam wo pakka ho jaega. Pakka ho jaega. Bina padhe charon ved prakashit ho gaye. Aisa kaise ho sakta hai? Yah guru kripa gay charane ko adesh kar diya. Gay charate hi brahm prapt ho gaye. Dadu jo sahab ko bhave nahi so bat na bujh re jab lag man thir nahi. Ye man chanchal hai na. Sahab kahte hain is gali chalo. Wo nahi wo is gali chalega. Are wo rasta nahi chalna jismen hamare sahab ka adesh nahi. Sahab hamare Gurudev hain. Sahab hamare thakur ji hain.
ye shastr hamare sahab hain. Jo agyaa kar rahe hain. Hamko waise chalna hai. Sain so sanukh rahe is man so joojh re. Man se ladna padega. Jo man se lad gaya wahi bahadur. Dusre ko patak dene wale to aapko mil jaenge. Lekin man ko patak de aise milne kathin hai. Man ki patki khane wale to karodon arabon milenge lekin man ko patak de aisa koi guru ka chela milega guru mehrabwan to yah chela pahlvan ab patak dega apne man ko yukti pa gaya na jisko guru ka sahyog mil gaya wo maya par vijay na prapt kar le uska karan uska koi mano agarh hai kuch pakde hai agar pakar chhod de aur guru ke sahare aise ho jae to naiya par ek board liye khade the jab aa rahe the kah rahe the dariya bhi teri lahar bhi teri naiya bhi teri aur khevaiya bhi teri ab kya mujhe pareshani
dariya bhi jahan dubne ka bhay wo bhi tu hai teri hai lahar bhi teri hai dubne wali aur khevaiya bhi tu hai naiya bhi tu ab mere ko kya parvah bilkul param satya wahi dariya hai wahi lahar hai wahi naiya hai wahi khe hai bas samjh ja aur pair pakar le hari ka aashray mame prapadte maya mein tam tarte dadu jo sahab ko bhave nahi so bat na bujh re sain so sanukh rahe is man so joojh re man se ladna padega agar guru mani ho gaye to maya mukt ho gaye manmani ho gaye to maya mein phas gaye apne sahab ko jo na bhave wo nahi karna chahe inhe bhogoge.
dekho ek prashn kiya parso ki jab mahapurush hote hain tab ye maya samjhne kyon nahi deti ki mahapurush hai. Aisa kyon hota hai? Jab hote hain tab samjhne nahi hote. Jab baad mein charit padhte hain tab lagta hai yar bahut badi nidhi the. Chale gaye. Ham vartman mein Duryodhan bhi nahi samjh paya bhagwan shri Krishna ko kyonki wo swayam aise leela bihari rachna rachte hain ki samjh na pave. Bade-bade siddho mein aisi leela rahi hai ki lagta tha ki aisa kaise ho sakta hai. Ichchhavar ye phatehpur jila kyon mein hai jab bhramn kar rahe ye yamuna ke kinare parta hai to wahan kuch din ruke to idhar bindaur hai idhar ichhavar hai ichhavar mein phakkad Swami rahte the phakkad Swami unko phakkad kahte hi the phakkad kise kahte hain phikar phaar phakni kare tako naam fakir nishcint mahatma jismen chah miti chinta miti manva beparwah unko kahte phakkad mahatma koi fikr nahi koi chinta nahi bas ek langoti par rahte the aur 1000 guriya ka mala rakhte the rudraksha ka mota wala aur ganv ke log jab koi bhakti se unke paas bahari jana chahta to pehle hi lage the kah dete the hath jodte mat jao hamare Swami ji ko aap ek shabd nahi bolenge agar jana hai to jao tumhen kis tarah swagat karenge bhagwan jane par aap bolne ki himmat nahi rakhte agar unka apman karoge to ham khade hain ham log aap jao mat ham pehle aapse se bata rahe hain aur wo bade albele mahatma the.
lakho ki kamnayen siddh kar di. Wo siddh mahapurush the. Par siddh karna unka bahut vichitra tha. Ek pulis vibhag ke bade adhikari the. Unke santan nahi ho rahi thi. Suna phakkad Baba ke paas samasth kamnayen purn ho jati to pure apne labh lashkar ke saath ganv ke log pehle hi lage rahte the. Bahar dur unko bhi nazdik nahi rahne dete phakkad Swami dur se unhone kaha sahab hath jodte hain mat jao bole nahi ham to badi shraddha se ja rahe bole wahan shraddha ki puja nahi hoti wahan dusri shraddha chalegi bole jo kuch hoga sahenge bole sahab ham bardast nahi kar payenge agar hamare Swami ji ko aap kuch bole bole kuch nahi bolenge gaye jo hi wo to asthi matra hue rahe sharira aise the jo hi drishti gayi so shastr naam ki tarah galiyan shuru kar di.
adbhut yah badi vichitra gati isiliye baad mein kaise ab wo to satsangi honge tabhi itna sahnseel the. Nazdik gaye. Kaha Swami ji har upay karke dekh liya hai. Santan nahi ho rahi. Santan ke bina hamen apna jeevan vyarth lag raha hai. Patni bagal mein unka pranam karo. Ab ab gali nahi de rahe the. Ab shant ho chuke the. To hazar guriya wala rudraksha uthaya ghumaya mota mara unki patni ke to aise pura rudraksha aise. Ab wo chikh padi. Ganv ke log bilkul alert khade rahte the kyonki unka vihaar aisa tha ki har ek bardast nahi kar sakta aur bahut gambhir the aise hi khade rahe to unhone kaha ja jab ho jae ab ana yahan santo ko bhandara kar dena aise siddh purush bade-bade mahapurushon ne jo cheshta ki unko us samay samjh pala ki ye sakshat shri bhagwan hai bada mushkil hai bada mushkil hai aur jab wo padhar jaate hain.
unke jab charit likhe jaate hain tab samjh mein aata hai ki ho ye to aisi badi nidhi jab lagi ye man thir nahi tab lagi paras na hoi dadu manva thir bhaya sahje mila soi wo yahi baitha hai paramatma aap mein baitha hai aapke samip baitha hai aapke aaspas hai aapka man vishwas kar le aapka man sthir ho jae aapka man prem se yukt ho jae abhi bhagwat sakshat tkarkar kahin dur nahi hai te samaj girja mein raho avsar paye vachan ek kahhu hari vyapak sarvatra samana prem te pragat hoe main jana jab pratham Gurudev bhagwan do varsh ke baad antar dhyan hue tab jo ghata laga uski purti Vrindavan mein akar ke shri ji ne ki Gurudev bhagwan punah is rup mein mile nahi to jo hriday pura jalta raha usko kaise batayen guru ki chhaya mein rahne wala upasak kaisa nirvigghn hota hai aur jab chhaya hatti hai to puri dhoop sahni padti hai aur us dhoop ko sahakar maya ki koi age nikal jae koi birla hi hota hai isliye dhanya bhag hain jo guru chhatrachhaya mein hai isliye sahab ki agyaa se chale man se ladai lade manmani koi bhi aacharan
na kare kaha hamara mani man papi parihar Ram vishyon ka sang chhod de dadu mil hai Ram ai man papi ab mera kaha man de ye vishyon ka sang chhod de vishay purushan ka sang chhod de dekh tujhe bhagwan mil jaenge bhagwan ki prapti kathin nahi hai vishyon ka rag chodna bada kathin hai man ki chal ko rup pana bada kathin hai shri charandas ji maharaj jinhe hari bhakti pyari ho mata pita sahaj chhut jave chhute sut aru nari ho dekho yahan chhutne ka matlab rag se hai rag chhorne se matlab parivaar mein rahte hue sab mein bhagwat bhav ho jae to hari bhakti aur parivaar chhodkar chahe jahan bhag ke jao naya parivaar ban jaata hai.
agar rag hai to shishya rag se bhi durgati ho jaegi. Shishya rag se bhi durgati ho jaegi. Ek siddh sant ja rahe the unke saath kai shishya the to ek kachua kachua samjhte hain na jo mitti khata hai. Bahut komal sharir wala hota hai aur lal chinti usmen lakho chipti hui thi. To shishya khade ho gaye aur guru ji se kaha guru ji kitna bhayanak kasht is jeev ko kyonki yah chinti jab katti hai to manushya sharir mein bhi bahut pida hoti hai aur dag ban jaata hai lalal aur dekho kitna komal sharir kachua ka lakho chinti hai bole main dhyan ke dwara dekhkar kah raha hoon ye purv janm mein guru ji the kachua ji aur ye jitne sab chela ji hain ye sab pida pahuncha rahe hain kyonki inhone thag karke inse arth ka shoshan kiya tha aur inhone vivek purvak guru nahi banaya tha to donon ki durgati ho gayi.
yah chinti bankar guru ji ko noch rahe hain. Guru ji kachua ban ke bahut hosh mein yadi bhagwat marg vimurkh vishay chintan vishay kriya vishay vichar se yukt ho to bhagwan ki prapti nahi durgati prapti hai. Aur yahan kah rahe hain ki yadi bhagwan ke charnarvind ki bhakti mein tumhara chitt hai to kahin rag nahi rah jaega. Rag bahut khtrnak hai. Ye vish hai rag. Rag bahut bada vishay kyonki jahan pratikultaa bhi tha dves ho gaya. Rag aur dves yahi janm maran ka bandhan hai. Rag dves donon khoie tab khojie pad nirvaan.
jab bhakti ka rang lagta hai to lok bhog fike lage samasth tigari ho. Hani labh nahi chahiye sab ashahari ho. Koi bhi asha jab tak hriday mein hai tab tak bhakti ka rang nahi aaya. Keval ek asha prabhu ki prabhu se nahi prabhu ki asha prabhu se asha bhogon ki nahi prabhu se asha kalyan ki bhi nahi keval prabhu ki asha tab prem lakshna bhakti na hani ki parvah hai na labh ka sukh hai na kisi lok ke bhog ki asha hai jag su mukh more rahe kare murari dhyan ho jit manva lago rahe bhay ghat ujiyari ho guru Sukhdev bataiya premi gati bhari ho charan das charon ved su aur kachu nyari ho man mare tan bas kare sadhe sakal sharir phikar phari kaphni kare tako naam fakir wahi bhakt hai koi fikr nahi, koi chinta nahi.
shri Gurudev ke batae hue marg par chalkar nirantar bhagwat aradhna mein tanmay hai. Manushya jeevan ka param labh uttam prem lakshna bhakti uttam prem lakshna bhakti ka saral shabdon mein nirantar apne prabhu mein chitt jode rahna. Jaise bane waise kar lo. Ga ke ro ke hans ke jaise bane vaisit ko prabhu mein jode raho yahi sarvopri sadhna hai aur grihasth mein ho to apni patni se keval bhav wo bhi sanyam purvak aur bhagwan ki prapti ke liye sabse zyada dushman hai ye kam bhav bas isi se ladna hai sab isi se mit jaenge isliye pehle rakha hai kam krodh phir lobh moh mad matsar aise rakha gaya.
pahla mita ki sab mit jaenge. Pehle kam ko mitana hai. Jo bhakti ya gyan ya yog mein jana chahta hai. Sabse pehle is kam ko mitana hai. Kam ko wahi mita sakta hai jab iska chintan chhute. Iska chintan chhorne ka tatparya nirantar prabhu ka chintan karna. Isiliye ham kahte hain Radha Radha Radha Radha har samay naam jap karte raho. Satsang suno manan karo. Usko aacharan mein utaro. Isi janm mein bhagwat prapt ho jao, nihal ho jaoge.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…