॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

vani,drishti,ahar,shravan,manadi ko kaise sayamm mein karen / Uddhav ji ke vivid prashno ke uttar // 17/02/25

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavan Shabri taiv padarvindm prema mrtak makrand raso gh purnam hridya pitam madhupati smar tap magramas ma ashraya nirva payat param shital ma shya param sacchidanand ghan prema amrit swaroop nav nivat nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle yugal sarkar prana aradhya pran priy shri Priya pritam ju samasth sachar vrind khag mrig pashu panchhi taralta shri yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein koti shah pranam koti shah naman namaskaar shri Priyalal ki kripa hi hamari sadhna hai hamare aham mein bhale baith jae ki main bahut accha sadhan karne wala sadhak hoon par vastvik achchai hai to shri ji ki kripa se hai anytha pag pag par maya apna prabhav dikha rahe hai kabhi indriyan man vishyon ki taraf khinch rahe hain kabhi rag kabhi dves kabhi irshya kabhi matsar yah sab kuda karkat bhara hua hai jab ham apni taraf dekhte hain to aisa lagta hai bhagwat prapti bahut durlabh hai aur jab prabhu ke swabhav ki taraf dekhte hain to lagta hai hamara bhi beda par ho jaega bade

kripalu hain prabhu kshma kar denge hamare avgunnon ko hamare dosho ki taraf dhyan na dekar yah mera sharanagat hai aisa mankar aisa jankar kripa kar denge bas ek yahi bharosa hai nahi to aisi maya ki andhi chal rahi hai ki pag pag par kuch dikhayee nahi deta keval vishay dikhayee dete hain bhog dikhayee deta hai man pratishtha dikhayee deti hai jo bhagwat prapti mein badhak hai wahi dikhayee de rahe hain jo bhagwat prapti mein sadhak hain wah to hamari samjh mein nahi aa rahe hamen to keval ek kripa ka bharosa hai aur wah kripa ka sakshat swaroop hai shri Vrindavan dham ladli lal ki kripa se shri dham Vrindavan ka aashray mil gaya Shridham Vrindavan ka vas mil gaya to chahe jitna patit ho use nischit bhagwat kripa bhagwat prapti kara deti hai shripad prabodha and ji maharaj kah rahe Radha pati rati kandam brindavan mev jeevanam em ta charnam buj ren rasa meva hama se shri Radha pran pati shri ladli lal shri Radha unke pran pati ladli lal jis dham mein nirantar vilas hain unka nij dham ye Vrindavan hai aur Vrindavan jiska jeevna

adhar hai jiska jeevan Vrindavan ban gaya hai arthat jisne Radha pati udaar dhi shri Priya pritam ja ke is nij mahal ko apna jeevan man liya hai ki ab sadhan sadhya y sab varta hamare bas ki nahi ham to Shridham Vrindavan ke basi hain bas Radha Radha Radha Radha to shripad kahte hain wo itna mahan ho jaata hai ki main unke charnon ke parag ki prapti ki asha rakhta hoon jisne apni asha Shridham Vrindavan mein samarpit kar di aur pran Vrindavan jeevan Vrindavan sarvasv Vrindavan aisa sweekar kar liya shripad

kahte hain main uske charnon ki raj ki asha karta hoon aur prarthna karta aise akhand Vrindavan vasi ka hi mujhe sang prapt ho gan sukh sarika su charita ni Radha pate ta dek partu taru lata sad phalita sarash kamlo palad bhi radh yatra Shri yam tad utsa krite man smar ta dev Vrindavan ham aise Vrindavan ka smaran karte hain gant sukh sarika su charita ni Radha pate jahan ke sukh aur sarika shri Radha vallabh lal ke prem charitra ka gayan karte hain jahan ke pakshi vrindavan dhi sir yugal sarkar ke leela charitra ka gayan karte hain jahan ki taru latae keval Priya pritam ko santusht karne ke liye parishtha karne ke liye navam navam pallav navam navam pushp naveen naveen sugandh yah bikherte rahte hain Vrindavan mein shobha chaai hui hai keval Priya pritam ke parishtha ke liye jahan ke pakshi keval Priya pritam ka jas gaan karte hain jahan ki latae sundar patr pushp parag sugandh bikher rahi keval Priya pritam ke liye jahan ke sarovar mano aandit ho rahe hain aisa pradarshn karte hain neel kamal shwet kamal arun kamal pit kamal yah

khil rahe hain Priya pritam ke liye jahan ke sarovar apna anand kamal ke rup mein prakt kar rahe hain aise mein shri dham Vrindavan ka jo nirantar Radha kant ko apne anand shobha mein mat kiye hue hai aise Vrindavan dham ka ham aashray lete hain aise Vrindavan ka ham vas sweekar karte hain aur sadaiv aise hi Vrindavan ki ham shobha ka smaran karte hain nana kel nikunj mandap yate nana saro wa pika ram gul malta drum parto nana vidh shobhte nana jati samul sat khag magar nana vilas sthal pron milan mani roch sa priy kada yo sh Vrindavan anek prakaar ki naveen naveen nikunj jahan naveen shobha se vyapt hai koi lata mahal rup ho gayi hai koi lata mandap rup ho gayi hai badi sundar sundar latae aapas mein lipt kar sundar sundar nav nivrit nikunj mein bhavnon ka nirman kar rahe nana kelie nikunj mandap yate aur naveen naveen pushpo se khile hue bahut se sarovar hain bavdi hai ramneey man ko lubha lene wali gulma latae tar vriksh aadi hai nana vidhi anand mein kola hal karne wale khag mrig hai yahan ke kahin mayur ka jhund kola hal kar

raha kahin kokila kahin sukh sarika kahin hansa aadi evam mrig aadi naveen naveen shobha se yukt Vrindavan swarnnim bhumi aur pankti banae hue mrig khade hue Priya pritam padharenge unke darshan ke liye nana prakaar ki leela sthal vilas sthal se yukt maha jyotirmay shri Vrindavan main kab aise Vrindavan ko dekh pau ga jahan naveen naveen taru latae mandap banae hue hain jahan naveen pushpo ki saiya hai jahan us saiya par virajman hokar naveen naveen kel kar rahe Priya pritam aur usi kel ka sundar sukh sari

ka gayan kar rahe hain mayur ke jhund hanson ke jhund kolahal kar rahe hain jaha mrig mandli Priyalal ke darshan ke liye apne netr ektak aplak lagae hue hain aise Vrindavan ki shobha aise Vrindavan ko main kab dekh paunga pujya pad pandit gaya prasad ji maharaj mahmmahim pujya pad shi odiya Baba ke kripa patr hai ek ekak shabd sadhak ke liye amrit hai yadi dhyan purvak suna jae aur use apne jeevan mein utara jae sanyam jo in baton ko apne jeevan mein utar leta hai use sanyami purush kahte hain sanyami sadhak kaun hai jo age bataai jane wali baton ko apne jeevan mein utare sanyam pehle vani ka phir drishti ka phir ahar ka phir shravan ka phir netr ka phir man ka aise age varnan kar rahe ek ek ko bade dhyan se suno vani ka sanyam vani sadaiv sambharik bon kah anuchit shabd na nikal jae aiso dhyan rakhan vani ka sanyam vani ko sambhar ke bolno kah anuchit shabd na nik jae aiso dhyan rakhan kam bolno satya bolno mridu bolno o hit kar vakya hi mukh sa ucharan karno ka kaisi paristhiti aa jae kah so kathor vachan nahi

bolno yah vani ka sanyam hai kam bolna hitkar bolna mrid bolna satya bolna aur maun rahna yah vani ka sanyam maun raho bolna hai to kam bolo satya bolo hitkar bolo mitha bolo jisse dusre ko sukh prapt ho drishti ka sanyam netr ka jo ham dekhne ki hamari drishti hai uska sanyam bahut sambhal ke aankh kholan drishti bahut sambhar ke dalan kahu stri ke sharir par drishti na par jae kahin koi pashu pakshi maithun kar raha hai us par drishti na par jae netr jhuka ke rakhan jab chale to netr jhuka ke chale itne mein aaspas sab dikhayee deta hai aise karna to bahut sambhal ke karna kahin kisi aise jeevan par drishti na par jae jo maithun sanyog kar rahe hain agar ek bar drishti chali jae to dobara drishti na jae ab socho shastr mana karta hai aisa aur jo mobile se gandi baten dekhte unki durdasha kya hogi bahut bacha ke rakhna hai apni drishti ko netr jitne chanchal karoge utni tumhari drishti ki shakti jati rahegi marg mein chalte samay it ut ko na jhaak no seedh dekhlo kah jeev par pair na par jae yah drishti ko

sanyam hai netran ko theek sanyam yahi hai bhaktan ke darshan karo bhagwan ke shri vigrah ke darshan karo bhakt bhagwan ke charit padho i se ashleel baten mat padho ashleel chitra mat dekho ja granth mein kahu ki ninda likhi ho kisi acharya kisi mahapurush wah granth wah vani wah kitaab hamen nahi padhni khandan likhe hoe aisi pothi nahi padhni santan ke vakya netran se dekh ke padho sant bhakt bhagwat vigrah ke darshan karo aur ashleel chitran ke dekhe se apne netran ko bachao ye tumhare drishti aur netr ka sanyam ab ahar ka sanyam ahar utan hi karno jitne mein bhookh mit jae bhookh to mit jaegi lekin swad drishti se jo adhik paya jaata hai wah bhajan ke liye hanikarak hai isiliye zyada swadisht padaarth na pave nahi to agar jaban se swadisht padaarth paoge to phir aur man chanchal ho jaega rukha sukha khae ke thanda pani piyo dekh parai chupdi mat lalchave jeev kuch nahi rakha va bas do angul jawan hai isi mein jitni der tika tika gale ke niche gaya sab bekar yahi tak ka swad hai to thodi der himmat karke swad

ka tyag karke prasad rup utna hi ahar karo jitni tumhari bhookh hai do roti ham aur pa sakte hain aisi sthiti mein band kar do jaise char pate ho to do roti pao phir sham ke do roti pa lo prannon ka poshan karna hai koi pah vani to nahi karni na hamen pran sukshm karne hain pran sthul nirbhal hote hain sukshm pran balvan hote hain to ahar utan hi karno jitne mein udar purti ho jae ahar satvic karno hitak karno halko ahar karno sahaj mein pach jae aur kam paise ka ho ahar par dekhna hai satvic ho hitkari ho pachne mein halka ho aur paise kam lage ho aisa ahar karo to hamko ye ganit laga ke pani hai ye kam paise wala bhojan hona chahiye daal ek katori do teen roti pa li thoda salad pa liya thodi sabji pa li ho gaya bahut svasth rahne ke liye satvic bhojan hai ye mitha ek pees 24 ghante mein ek pees mitha bahut 50 gram nahi to jo sugar hai wah roti mein bhi hoti hai sugar har padaarth mein hoti hai to apna sharir ke liye jo sugar chahiye va le leti sab padartho se to agar swad ke liye

bhi pana to prasad rup ek mitha agar theek se chaloge to sugar nahi hogi agar sugar ho gayi to phir aadha jeevan nasht ho gaya savdhani hui to pura jeevan nasht ho gaya sugar lever kidney in par prhar karti hai koi sadharan rog nahi pura jeevan khokhla kar deti hai isliye mitha khane se bacho zyada mitha rajogun utpann karta hai thoda mitha satogun hota hai ham un sadhako se prarthna karte hain ki kal phir pana hai itna dhyan rakho aaj pa ke nahi param pad mein pahunch jana hai bhajan mein tab man lagta hai jab sat vriti hoti do roti pai thodi daal prannon ka poshan hai prannon ka poshan karna hai khub bhajan karna bhajan se bal prapt karna hai apna bharat pavitra desh hai bahut dharmasheel hai a va gandi gandi baten desh videshon ki idhar aa gayi hain to wah sab khanpan ahar sanyam sab kal ek sajjan bata rahe the ki aapko pata nahi hoga maharaj ji aajkal 8 log ratri mein jagte hain aur din mein sote hain ab to kitna sundar samay hai din ka prat kalin char se lekar ke brahm muhurt mein utho sandhya vandan karo naam jap karo

vyayam karo aur din mein apne karyasheel raho raat mein 10 se 3 baje tak so jao 11 12 ek do teen pa agar 4 baje tak so jao to 6 ghante ho gaye badhiya samay tu kaha raat mein karte kya hai bole nasha vyabhichar yahi sab gandi baten karte jeevan barbad jeevan barbad ham ka kahe ko jeevan barbad kar itna uttam manushya jeevan bhagwat bhajan karke lok parlok sab chamka de ho toy ahar buddhi bhrasht karta hai sharir ki raksha ke liye bhojan kiya jaata hai jivya ke swad ke liye nahi garmagram dhua nikalta hua bhojan pane se chahe jitna satvic bhojan ho tamogun ho jaata hai nahi pana chahiye aise log pate dekhte hain jal rahi jawan ab yah koi swad hai jawan mein nahi rakha ja raha aise aise kar rahe ho are thoda thhar jae yar koi utha thodi le jaega thoda Radha Radha naam jap kar thoda thanda ho jae dhua nikal jae phir pa dhua nikalta hua bhojan nahi pana chahiye apne ko dhua wala to mil hi nahi sakta hai kyonki garam garam anukul bhog to pehle Priyalal ko Priya lal ke baad jo prasad milega wah adbhut swadisht

ushta mrit bhukta va garmagram to pai nahi sakte na Priyalal ko arpit karke pana hai jivya ke swad ke vichar sa koi ahar na karno bahut garm bhari bhar kamp jo tala hua hai yah sa isko sadhak na khae zyada y samosa hai pudi hai chaudi hai halwa hai gulab jamun hai laddu hai jalebi hai imarti hai ahar sarno lal mirch khatai zyada mithai uttejak basi bhojan waise bhookh rakhne ka abhyaas banana chahiye ek do din bilkul kuch nahi khaya khub bhajan dat ke ho raha hai aur koi jaan nahi paya aisa abhyaas rakhna chahiye kabhi bhojan pake bhi kabhi bina bhojan ke bhi bhajan ka abhyaas karen kabhi koi nasha na karen bhojan karte samay vishesh savdhani yah hai ki us samay ka vichar aapke 24 ghanta ke liye ahar ke saath ja raha hai vichar to kisi ki gussa wali baat na yad karen koi kam bhog wali baat na yad karen koi gande vishay yad na karen us samay jarur pad chintan karen ya naam jap karte hue aram aram se koi bhagam bhag nahi para hai aram aram se bhojan pao par itna aram se bhi nahi ki dedh ghanta sava ghanta do pankti uth

gayi aram aram se pa rahe hain kitna pana hai do roti teen roti 15 minute 20 minute badhiya achhche se pane mein 15 minute 20 minute 30 minute lamba ahar ekek kaval kam karte jao to aap kuch din dekhoge thode ahar mein aapka kam chal jaega sharir mein sfurti rahegi sharir waise hi rahega aur ekek kaval badhate chale jao to dekho lamba ahar hone lagega bal ghatne lagega wo pramad sthiti ane lagegi shayan matlab nind aur bhojan in do ko bahut kam kiya ja sakta hai bahut badhaya ja sakta hai agar roz ham aadha ghanta naam jab apna badhate rahe to 24 ghante bhajan kar sakte hain roz ham 10 pach minute zyada sote rahe to 24 ghante sone ka abhyaas kar sakte nahaya khaya so gaye aur agar ahar ka abhyaas adhik badha lo to teen-teen bar charchar bar log to do do ghante mein pate hain ahar ke liye niyam hai ek bar 24 ghante mein ya do bar yah 14 bar pana sadhak ka lakshan nahi hai jab jo aaya muh chal raha hai dekh rahe hain sadaiv pavitra vichar karte hue na jap karte hue bhojan pave bhojan ke samay kah so krodh na karen aise kar so bhojan ko

ras banwe ki apeksha bhojan vish ho jae sharir mein nana prakaar ki vikriti paida karen saath hi aso bhav aur rakt donon dushit ho jae to bhojan karte samay kabhi kisi se krodh na karen kabahu shri bhagwat asarpa ahar grahan na karen jo bhagwan ko bhog lagaya gaya va kabhi alag se na pave jo bhagwan ko bhog laga wahi prasad pave aur badi mahima hai yah nishtha rakhne ki ek Angad ji naam ke maha bhagwat hue hain waise wah swabhav se to pehle nastik pravriti ke the unki jo patni thi va badi bhagwat thi aur santo ki seva unke mayke mein hoti rahti thi aur sadguru ka varn wo hue thi aur jab Angad ji ke saath byah hua to y raja ke chacha the pura raj vaibhav tha par kisi sant ka wahan darshan bhi nahi kar sakte kisi ka ana jana nahi koi bhagwat charcha nahi koi satsang nahi to jo rani thi va bahut vyakul ho gayi ki hamen to roz santo ka uchchhisht ghar mein milta tha satguru dev bhagwan ke praya darshan hote rahte the yahan to bilkul bhakti sa koi bhi lakshan nahi par Angad ji ki ek mahima wali baat ban gayi apni patni

ko bhagwat bhakt jankar bahut shraddha karte the virodh nahi karte the patni ka par koi bhi bhakti ka aacharan unmein nahi tha aur na kisi sant mahatma ke prati unki koi shraddha thi na va bhagwan ki koi aradhna karte the jab kafi din ho gaye santo ke darshan mein to vyakulta hui rani ko Angad ji ki patni ko aur maike patr likha aur maike se prarthna karwai ki hamare jo sadguru dev bhagwan unse prarthna kar do ki ek bar karuna karke aap yahan aae aur darshan de de kyonki main yahan se nikal nahi sakti aapke darshan hetu kyonki hamare pati mein bilkul santo ke prati shraddha nahi Gurudev bhagwan ko jab mayke ke raj parivaar ne prarthna ki to sant to karunamay hote hain sant saral chit jagat hit jaan swabhav sneh unka swabhav unka prem ek alaukik hota hai aap 100 gali do phir milo to waise hi milenge yah gali diya hai aisa kabhi nahi soch sakte ho jo aisa soch kar milte hain ki to gali dene wala hai abhi sadhu nahi ai hai sadhu ka matlab hai jo gali de apman kare jab ave to use gale

lagave use sammaan de aise jaise apne priyjanon se mila jaata jab Gurudev aae to rani to nach padi mere Gurudev bhagwan aa gaye charanamrit utara charanamrit pan ki aarti utari bhog pavaya Gurudev asan par baithe to dhire-dhire charan daba rahi thi itne mein angat ji aa gaye meri rani aur kisi sant ke pair pakde hue wo ate hi sant bhagwan se bigad gaye rani ke to hosh ud gaye ki itni prarthna par to Gurudev bhagwan aae hain aur ye sidhe Gurudev ka apman unhone rani ki taraf kaha beta aap shant rahna uthe aur

chal pare ab rani ne kaha ki main apna jeevan nahi rakhungi jab Gurudev bhagwan ka apman kar diya to na tera sparsh karungi aur na tere se sambhshan karungi na tere ghar ka ek ann na ek jal aur apne sharir ko nasht kar dungi kyonki mere bulane par mere Gurudev ka apman hua Gurudev ka apman to mera jeevan nahi chhod diya an aur Angad ji bahut aasakt the apni patni par unka hriday bada vyakul ho gaya a ann jal sab chode jab kai din ho gaye to angat ji charan pakar liye patni ke aur kaha tum janti hoon main tumhare bina ji nahi sakta tum mujhe agyaa karo tum kaise prasann ho gi to bole jao hamare Gurudev bhagwan ke charan pakdo unko manakar lao aur yahan unko bhog pavao yadi wah bhog yahan akar pa le to phir ham unka uchchhisht payenge aur phir ham jaisi hamari dincharya thi waise chalne lagegi angat ji bhakti se nahi gaye patni ke prati aasakt hone ke karan wah sant ke paas gaye charan pakda santo ko to kah rahe na kitni bar unka apman karo phir jakar dandvat kar de to waise milenge vimurkh bhae nimis

na a kripa jab chit tab waise hamare Swami ka swabhav hai aise santo ka swabhav hai wo sahaj aa gaye koi zyada manana nahi para chamatkar jehi aae donon ne milkar charan dhoe bhog lagaya aur yah sab angat ji bhakti se nahi kar rahe patni prasann ho jae aur hi Gurudev ka uchchhisht charanamrit gaya pashchatap hone laga main kitna nastik hoon santo ke prati aisa bhav karta hoon kitne kripalu sant hai ab buddhi jo viparit chintan karti thi va anukul chintan karne lagi patni se kaha aaj tak ka jeevan hamara vyarth gaya ab mujhe batao bhakti kaise karni hai thakur seva mein sahyog dene lage angat ji aur bina bhog lagae ab kuch nahi pate varsho se ab yahi dincharya unki chalne lagi thakur ji ko bhog lagana bhog laga ker hi prasad pana patni ki bhakti ki puri anukulta char parsad laga diye jahan sant dikhayee de unko roz ghar mein bulakar lao bhog lagao raja Angad ji ka bhateeja tha va angat ji bahut veer purush the to ek jagah kisi raja ke ha chadhai ki to uska mukut jit kar laye the usmen 101 hire the ek hira aisa

kimti tha jo amulya tha angat ji ko pehchan thi shesh hire to raja ko de diye jo vijay karke laye the ek hira le liya aur kaha yah hira Jagannath ji ke mukut par lagega raja ko jahri ne aur mantri ne milkar bataya ki us hire ki keemat tumhara pura khajana nahi to raja ne vinay ki ki wah hira hamen de do to unhone kaha nahi wo hira to hamne Jagannath ji ko de diya buddhi badalne mein der nahi lagti raja ki buddhi mein angat ji ko mar diya jae yab chacha the to waise marenege to ninda hogi to unhone jo rasoi banane wali thi unko apne paksh mein kiya aur wah Angad ji ki bahan hi thi kyonki raj parivaar mein bahut vishwasneey ke dwara rasoi tayyar ki jati hai wahi ro rai tayyar karti thi unse kaha ki tum jitna dhan kahogi main dunga aur tumhari sevka chhut jaegi tum angat ji ke bhojan mein jahr mila do aur jahr lakar diya apne samne bhojan mein milwa diya ab angat ji ko pata nahi tha thakur ji ka bhog laga bhog laga ke san kiya jab pane baithe to jo bahan rasoi banati thi uski ek bitiya

thi wo usko bulakar saath ate the to aaj wo gayab kar di thi kyonki wo bulaenge usmen jahr hai to unka bitiya kahan hai bole kahin khalne chali gayi bole nahi jab tak wah nahi aayegi tab tak ham bhojan nahi payenge is baat ka prabhav us bahan par para ki meri putri se itna prem to unka bhaiya bhojan mat pana u kaha kyon unhone kaha raja ne mujhe prerit karke pralobhan kar diya meri buddhi bhrasht ho gayi ismen maine jahr mila diya hai aapke liye to uka aapne thakur ji ko bhog laga diya main jahr ka bhojan thakur ji ko laga diya thakur ji pa liye ab main kaise hata sakta hoon aur Angad ji ne pura bhojan pa liya chat kar pa liya koi bhi prabhav jahr ka Angad ji ke upar bilkul nahi para svasth ekdam koi prabhav nahi prasad to yahan pujya pandit gaya prasad ji maharaj kah rahe amarpit bhojan kabhi mat pana jab pao to thakur ji ka prasad man lo aisi jagah kahin aap ho jahan thakur seva nahi hai aur aapke samne bhojan aa gaya hai to aap us samay ek minute aankh mado apne isht dev ka dhyan karo aur prabhu ko

arpit karke phir naam jap karo do char bar aur jai ho prabhu ki jai karke arpit karke pao bina prabhu ko arpit kiye pani bhi mat piyo to tumhari buddhi shu ho jaegi vani ka sanyam drishti netr ka sanyam aur ahar ka sanyam ab shravan ka sanyam shravan idri se savdhaan raho ki kisi sant ki ninda sunne ko na mil jae agar kahin sant bhakt bhagwan ki ninda ho rahi hai to y siddhant hai kan mein anguli kas ke thaas lo awaz sunai na de aur aap uchh swar se naam bolo Radha Radha Radha Radha Radha aur wahan se chal do aisa hi karna chahiye nahi to parninda ke kahete aavat nahi kachu hath murkh parvat paap ko le chal apne saath to parai ninda nahi sunni chahiye sant bhakton ki ninda nahi sunni chahiye bhagwan ki kisi bhi rup ki ninda nahi sunni chahiye sant shabhu shri pad apwa jahan santo ka bhagwan shankar ka bhagwan shri hari ka kahin ninda ho rahi ho to wahan mariyada hai ki kan mein anguli dalo us sabha ka tyag kar do ya uska virodh karke uski jaban band kar do to shravan idri se kabhi kisi ki ninda

na sune bhagwan ke pavan charitra ko sune bhakt charitra ko sune kah ki prashansha hoti hue to sune par kah ki ninda nahi sunni ashleel gane nahi sunne ashleel baten nahi sun aur apni prashansha nahi sunni jab koi tumhare samne tumhari prashansha karne lage to Radha Radha Radha band karo kahe ko baat karte ho tum ham kitne nich hai tumko kya pata keval tum bahari baten dekh rahe ho aise kah ke apne aap ko bacha lena chahiye yadi samne wala prashansha kar raha hai aur aap khushi khushi sun rahe to aapke punya nasht ho rahe hain aapka bhagwat marg badhit ho raha hai jo paap lage hai par ninda karve mein vahi paap lage hai apni prashansha karve mein jo paap lage hai par ninda karve mein vahi paap lage hai apne mukh se apni prashansha karve mein apni prashansha sunweno andar bhagwan naam ucharan kare usi ko sune yah shravan idri ko sanyam bhyo man man mein vishay sambandhi sankalp na uthanta man ka kam hai sankalp banana bhogon ka aise se aisa kiya jae ab aise se aisa kiya jae man mein vishay sambandhi sankalp na uthanta

kah ko anisht chintan na hon pave jab jab man mein chit galat sankalp uthbe lage tab tak bhagwan ka smaran jor-jor se shuru kar Radha Radha Radha us samay maun mat raho nahi to man ghasit lega aapko bhagwan ki badi kripa hai shri prannath thakur ji hamare upar badi kripa kiye hain main aisi gandi baat kaise soch sakta hoon mu ko manushya janm diyo vidya adhyan karayo uttam sang diyo ab hamen chahiye ki sadaiv savdhaan hok unko bhajan karen achchhi baten soche gandi baten ganda chintan ganda sankalp uthne hi na pave yah

bhavna uchit naye jo baithe-baithe gandi baten sochte hain atah prem prapti ke tae kah shastr mein aur kah sant mein praga shraddha kar leni chahiye kisi ek sant mein adarsh bhavna karke pura ka pura samarpan kar do kisi ek granth ko kisi ek sant ko kisi ek panth ko kisi ek mantr ko kisi ek kant ko to wah sangopang upasna kahi jae shighr se shighr kahu sant mein pragad shraddha kar leno praga shraddha unki agyaa ke virudh ham nahi chalenge shraddha hi sadhak ko sadhu baname hain shraddha hi sadhak ko sudridh sadhak baname hain Shraddhavan sadhak ko chahiye ki shri Sadgurudev bhagwan mein sadharan manushya buddhi na karen shri Sadgurudev aur bhagwan abhed mano gayo guru Govind na bhed karai yah dridh bhav ban jae ki mere karan jo nirakaar brahm hai wah Gurudev ke rup mein sakar aae hain yadi vichar karke dekho jae to gyan vairagya evam prem devah shraddha ke hi phal hai shraddha jitni avashyak hai utni hi durlabh hai agar shraddha aa gayi hai to sambhalo bahut bada dhan hai guru ke prati shraddha

bhagwan ke prati shraddha yah shithil na banan pave shraddha ko dinwa din sudridh banate rahan hi to sadhna hai swabhav mein kathorta na chu jae tab prem dev prakt hoe prem dev atyant mridu hai at inke nivas sthan hriday ko atyant komal banano hai saral baname satyta sa paripurn baname koi vikar hriday mein rahan hi na pave yah mane hai ki yah kam jeev ke tae sugam nahi hai tathapi yah param avashyak hai prem prapti ke ichchhuk ko hriday ati nirmal evam saral banano hi progo upay keval ek hi hai Gurudev mein shraddha dridh shraddha Gurudev mein puri tatparta ke saath lagan ke saath unki agyaa palan ki vritti jo Gurudev kahe wahi karna yadi kah sadhak ne shraddha dridh banae la to age ki samasth uplabdhiyan saral ho jaengi sachi shraddha hoe be pa apne vichar band ho jae hain keval shastr aur sant agyaa mein jeevan rah jae tab paap ban hi na sake karan spasht hai jo karego shastr sant ki agyaa se karego vahi ko utthan hi utthan to vani ka sanyam drishti netr ka sanyam ahar ka sanyam man ka

sanyam yah sanyam rakhte hue Sadgurudev mein apaar shraddha nirantar naam jap shravan idri ka sanyam kuch idhar udhar ki baten na sunna to hamare hriday mein prem prakashit ho jaega Shrimad bhagwat mahapuran bhagwan shri Krishna chandra ja u ji ko updesh karte hain Uddhav ji ne bahut se prashn kiye the sanyam kise kahte hain yam kise kahte hain niyam kise kahte hain sam kise kahte hain dharm kise kahte hain dhairya kise kahte hain titiksha kise kahte bahut se prashn kal kiye the bhagwan shri Krishna chandra jo uska uttar dete hain bahut dhyan se suno buddhi ka bhagwan shri Krishna chandra ji kah rahe mujh mein lag jana sam hai jab buddhi bhagwan mein lag gayi to samrupi sadgun aap mein aa gaya indriyon ka sanyam hona indriyon ko jit lena yah dum kahte dum tum mein dum hai to jit ke dikhao indriyon ko ise dum kahte hain buddhi ka bhagwan mein lag jana sam kahte hain indriyon ka jo sanyam hai indriy vijeeta jo hai wahi dum hai aur nyay se prapt dukh ke sahne ka naam titiksha hai ham apni dincharya mein jo dukh bhogte hain

yah tapasya hai sardi garmi barsat apni dincharya mein theek samay naha dhokar tayyar hokar satsang mein ana darshan karna satsang sunna bhookh baithna uthna laghu shanka soch sabka sanyam ho raha hai yahi tapasya hai to nyay se prapt dukh ke sahne ka naam titiksha hai jivya aur jan indri par vijay prapt karna dhairya hai Rasendra aur jan indri par jo vijay prapt kar liya wahi dhairyvan kaha jaata hai sabse bada dan kya hai kisi se droh na karna kisi se dushmani na karna sabko abhay dan dena sabse bada dan hai sabse badi tapasya kya hai kamnao ka tyag karna hi sabse badi tapasya hai jiske hriday mein koi kamna nahi wah mahan tapasvi hai veer purush kise kahte hain veer purush use kahte hain jo apni vasnaon ko raund dale kisi vasna se prerit hokar karm na karen apni vasnaon ko hi nasht kar de jo vasnaon par vijay prapt karta hai wahi Shurvirr kaha jaata hai satya kise kahte hain sarvatra sam swaroop satya swaroop paramatma ka anubhav hona hi satya ka anubhav hona hai rit kise kahte hain satya

aur madhur bhashan ko rit kaha gaya hai mahatma ne satya aur madhur bhashan ko rit kaha hai pavitra kise kahte hain kisi bhi karm mein aasakt na hona use pavitra kahte hain nana dhona nahi yah to ek bahari din chal hai pavitra kisi bhi karm mein asakti nahi hai kisi vastu vyakti sthan kisi kamna bhog kisi mein aa anasakt purush param pavitra hai va nahaye ya na nahaye sanyaas kise kahte hain kamnao ke tyag ka hi naam sacha sanyaas hai koi kamna jiske hriday mein nahi wah sacha sanyasi hai chahe pent

shirt mein hi kyon na ho jiske andar koi kamna nahi hai wahi sacha sanyasi hai sabse bada dhani kaun hai jo dharm ka sanchay karta hai wah abheeshta dhanvan hai jo dharmatma purush hai wahi dhanvan hai jiske jeevan mein dharm hai wahi mahan hai agar dharm nahi hai to dhanvan nahi hai dharm ke dwara jo mahima vikas hoti hai prakashit hoti hai usi ko kahte hain sampatti to sampatti van kaun dharmatma purush sabse badi yagya kya hai parmeshvar ka chintan kyonki parmeshvar hi yagya hai hari hi yagya hai aur hari ka chintan hi yagya naam jap yagyo mein bhagwan ka chintan hi sabse badi yagya hai dakshina dusre ko gyan ka updesh dena hi dakshina hai vastvik gyan ka updesh dekar agyaan se nivrit kar diya sabse badi dakshina de di bal pranayam hi bal hai jo apne prannon ko sanyam kiye hue hai wahi balvan hai bhag bhag mane hota hai aishwarya bhagwan kah rahe main hi hoon ishwar ji main hi hoon mera hi ishwar hai labh sabse bada labh bhagwan kah rahe hain meri bhakti hi uttam labh hai bhakti mil gayi isse bada koi labh nahi

vidya sachchi vidya wahi hai jise brahm aur atma ka bhed mita de adhyatma vidya lajja paap karne mein ghrna buddhi ho jae isi ka naam lajja hai shri sabse nirapeksh hai yahi sabse badi shri hai kisi se koi chah nahi koi apeksha nahi yahi shri hai dukh aur sukh donon ki bhavna sada ke liye nasht ho jae use sukh kahte hain sukh kya hai sukh aur dukh donon bhavanon ka nash ho jana hi param sukh hai dukh vishay bhog ki ichchha rakhna hi dukh hai bandhan aur moksh ko jo tatv se janta hai wahi pandit hai pandit kaun jo bandhan aur moksh ke tatv ko janta hai murkhta sabse bada murkh kaun jo sharir ko main manta hai jo is sharir ko main manta sabse bada murkh sumarga kise kahte hain jo sansaar ki or se nivrit karke bhagwan ki or chala de bhagwan ki prapti kara de use sumarga kahte hain kumargh kise kahte hain chitt ki bahirmukhi bhogon ki taraf bhag raha hai yahi kumargh hai jo chitt bhagwan ki taraf ja raha hai yahi sumarga hai swarg ka sukh kya hai satogun satogun jitna badhega mano swarg ke sukh

ko bhog rahe ho narak ka dukh kya hai tamogun jitna tamogun badhega utna nar ki dukh bhog rahe ho sacha bhai bandhu kaun hai Gurudev guru kaun hai main bhagwan hi guru hai aur sache bhai bandhu rishte natedar hamare Gurudev hain sacha ghar kya hai yah sharir sacha dhani kaun hai jo bhagwan naam jap se dhanvan hai khub sadgunan ka sanchay karke bhagwan naam jap karta hai wahi sacha dhani hai jiske paas naam rupi khajana hai wahi sacha dhani hai daridra kaun hai jise gyan ka ka bhav hai gyan ka a bhav hai wahi daridra hai kyonki agyani yah chahiye yah chahiye yah chahiye chitt mein asantosh hai abhav ka yah mil jae yah mil jae use daridra kahte chahe arabpati kyon na ho jo jitendra nahi hai wahi kripan hai jo samarth hai swatantr hai usi ka naam ishwar hai jiski chittritti vishyon mein aasakt nahi hai jo vishyon mein aasakt hai wahi asmarth hai pyare Uddhav tumne jitne prashn poohe the unka uttar maine de diya in uttar ko samjh lena moksh marg ke liye sahayak hai main tumhen gun aur dosho ka lakshan alag-alag kahan

tak batau sabka saransh itne mein hi samjh lo ki gun aur dosho par drishti jana hi sabse bada dosh hai gun dosho par drishti na jakar apne shant ni sankalp swaroop mein sthit rahe wahi sabse bada gun hai Uddhav ji ne kaha kamal nayan shri Krishna aap sarvshaktiman hai aapki agyaa hi ved hai usmen kuch karmon ke karne ki vidhi aur kuch karne ke nishedh hai ye vidhi nishedh karmon ke gun aur dosh ki pariksha karke hi hoti hai varnashram bhed pati pratilom anulom rup varn sankar karmon ke upyukta anupyukta

dravy desh ayu kal tatha swarg narak ke bhedon ka bodh bhi vedon se hi hota hai ismen sandeh nahi ki aapki vani hi ved hai parantu usmen vidh nishedh hi to bhara para hai yadi usmen gun aur dosh mein bhed karne wali drishti na ho to praniyon ka kalyan karne mein samarthi kaise ho he sarvshaktiman parmeshvar aapki vani ved hi pitr devta aur manushyon ke liye shreshth margdarshan ka kam karti hai kyonki usi ke dwara swarg moksh aad adrishtavantha prabhu ismen sandeh nahi ki gun aur dosho mein

bhed drishti aapki vani ved ke hi anusaar hai kisi ki apni kalpna nahi hai parantu prashn to yah hai ki aapki vani hi bhed ka nishedh karti hai aur bhed pratipadan bhi karti hai to yah virodh dekhkar mujhe bhram ho raha hai ki ek jagah vidhi nishedh karegi aur ek jagah pura nishedh kar degi trigun vish veda trigun bhava arjun to aapki hi vani se pratipadan ho raha hai aapki vani uska nishedh kar rahi yah dekhkar mujhe bhram ho raha hai aap kripa karke mera yah bhram mita dijiye bhagwan shri Krishna ne kaha priy Uddhav maine hi vedon mein evam anyatra bhi manushyon ka kalyan karne ke liye adhikar bhed se teen prakaar ke yogon ka updesh kiya hai ek hai gyan yog ek hai karm yog aur ek hai bhakti yog manushya ke param kalyan ke liye in teen ke atirikt aur koi upay nahi hai bhagwan kah rahe hain gyan yog karm yog aur bhakti yog Udhav ji jo log karmon tatha unke phalan se vir ho gaye hain unka tyag kar chuke hain ve gyan yog ke adhikari hain gyan ka adhikari kaun hai jo log karmon se aur karmon ke phalan

se virakta ho gaye hain unka tyag kar chuke hain ve gyan yog ke adhikari hain bhagwan bol rahe iske viparit jinke chitt mein karmon aur unke phalan se vairagya nahi hua hai aur usmen dukh buddhi nahi hui ve sakam vyakti karm yog ke adhikari hai jo purush na to atyant virakta hai aur na atyant aasakt hi tatha kisi purv janm ke shubh karm se saubhagya meri leela katha aad mein uski shraddha ho gayi hai wah bhakti yog ka adhikari hai bhakti yog ke dwara hi siddhi mil sakti hai karm ke sambandh mein

jitne bhi vidhi nishe unke anusaar tabhi tak karm karna chahiye jab tak karm mein jagat aur usse prapt hone wale swarga aadi sukho se vairagya na ho jae athva jab tak meri leela katha ke shravan kirtan aadi mein shraddha na ho jae Udhav is prakaar apne varn aur ashram ke anukul dharm mein sthit rahkar yagno ke dwara bina kisi asha aur kamna ke meri aradhna karta rahe aur nishiddh karmon se dur rahkar keval vihit karmon ka hi aacharan kare to use swarg ya narak mein nahi jana parta wah mere ko prapt hota hai apne dharm mein nishtha rakhne wala purush is sharir mein rahte rahte hi nishiddh karmon ka gande karmon ka partyag kar deta hai aur raga di malo se mukt pavitra ho jaata hai isi se ana use atma sakshatkar rup vishuddh tatv gyan dru chit hone par meri bhakti prapt hoti hai yah vidh nishedh rup karm ka adhikari manushya sharir bahut hi durlabh hai swarg aur narak donon hi loko mein rahne wale jeev is manushya sharir ki abhilasha karte rahte hain kyonki isi sharir mein antahkaran

ki shudhi hone par gyan athva bhakti ki prapti ho sakti hai swarg athva narak ka bhog sharir kisi bhi sadhan ke upyukta nahi hai swarg mein jo dev sharir hai wah sadhna nahi kar sakta narak mein jo yatna sharir hai wah sadhna nahi kar sakta isiliye buddhiman purush ko na swarg ki abhilasha karni chahiye aur na narak ki aur to kya is manushya sharir ki bhi kamna nahi karni chahiye kyonki kisi bhi sharir mein gun buddhi aur abhiman na ho jae bahut savdhaan rahe tabhi va apne vastvik swaroop ki prapti ke sadhan mein pramad rahit hokar lagega nahi to pramad ho jaega yadyapi y manushya sharir bada durlabh hai phir bhi mrityu grast kabhi bhi mar sakta hai aur is manushya sharir ke dwara paramarth ki satya vastu ki prapti ho sakti hai buddhiman purush ko chahiye ki yah baat jankar mrityu hone ke pehle hi savdhaan hokar aisi sadhna kar le ki jisse bh prapti ho jae janm mrityu ke chakkar se sada ke liye chhut jae mukt ho jae dekho Uddhav yah sharir ek vriksh hai ismen ghosla bankar jeev rupi pakshi

nivas karta hai ise Yamraj ke doodh pratikshan kaat rahe hain jaise pakshi katte hue vriksh ko chhodkar ud jaata hai waise hi anasakt jeev bhi sharir ko chhodkar moksh ka bhagi ban jaata hai parantu jo aasakt jeev hai va dukh par dukh bhogta rahta hai priy Uddhav yah din aur raat kshan kshan mein manushya sharir ki ayu ko ksheen kar rahe hain yah jankar jo bhay se kamp uthta hai wah vyakti ismen asakti chhodkar param tatv ka gyan prapt kar leta hai aur phir iske jeevan maran se nirapeksh hokar apni atma mein shant ho jaata hai he Uddhav yah manushya sharir samasth shubh phalan ki prapti ka mul hai atyant durlabh hone par bhi yah bhagwan ki kripa se mil gaya hai is sansaar sagar se par jane ke liye manushya sharir atyant avashyak hai yah sudridh nauka hai yadi meri sharan mein ho jae aur Gurudev iske khivaiya ban jae to bahut jaldi bh samudra se par ho jae smaran matra hi main anukul vayu rup mein ise lakshya ki or badhane lagta hoon is manushya sharir mein itni suvida hai ki sharir ke dwara sansaar sagar se par nahi ho

jaata to wo atma hatyara kaha jaata hai adha patan kar raha hai is manushya sharir mein itni suvida hai ki aap bhagwat prapti kar sakte ho yadi bhagwat prapti nahi kiya to atma ko hanan karne wale ki jo durgati hoti wahi aapko hogi atma ka hanan karne se adha patan ho jaata hai isliye par dosh darshan ki vritti chodo apne ko sharir mat mano apne karmon ko bhagwan ko arpit karo aur khub naam jap karo jitna jeevan hai isi se bhagwat prapti ho jaegi shesh charcha aag shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi