॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya hamari pida kabhi khatm hogi ?/ ye upay nahi kiya to kaliyug raund daelga // 28/06/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

shri Vrindavan dham ki jai Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashryam param shital mashyam sadhna ka sabse shreshth swaroop hai sab aashray chhut jae yashya pankaj mundra maneend vrind rarate bhav dawa nalda shya sarwa paradham vich mama khilatma drago charo bhavat mein dasdi bandhu jo alasya ka tyag kar chuke hai bahut pryasrat hai bhagwat prapti ke liye. Bhagwat prapti ke liye avashyak hai apna ji jaan se prayas aur bhagwan ki kripa tabhi safalta prapt hoti hai.

ji jaan se prayas par prayas ka bharosa nahi bharosa kripa ka. Par aisa nahi ki kripa ke bhrose se prayasheen ho jao. Donon baten samjhna hai. Ji jaan se prayas vani path naam jap jo dincharya mein samay hi nahi hai. Yah ji jaan se prayas hai par bharosa kripa ka hai. Ki aapki kripa se hi aapki prapti hogi. To jo yashyang pankaj manendra munte bhav dawa nalda sharparadh vichint mamakhilatma dagochro bhavat sa din bandhu bhagwan din bandhu hai jo alasya tyag karke bade-bade munivar unke samuh ke samuh is sansaar dukh rupi davanl ki jalan shant karne ke liye prayas kiya alasyaheen hokar agar koi kahe ki keval bhagwan ki kripa hi to kripa mein anant samarth mujhe sanshay nahi hai.

par bhagwan ki sab par kripa hai. Sab par mori barabar daya sab mam priy sab mam upjae to sab par bhagwan ki daya hai sab bhagwan ko priy hai lekin sab din dukhi bhtak rahe hain kyon apna prayas nahi hai. Yah baat dhyan rakhna hai ki pradhan bhagwan ki kripa se apna prayas hai. Yadi apna prayas shithil hua to bhagwan ki phir kripa ki baat aap nahi bol sakte. Kripa ki baat bolne ka adhikar tabhi hai jab aap prayas athak kar chuke hain. Nahi to aap nirnay dekh lo. Kya bhagwan ki kripa se manushya sharir nahi mila? Kya bhagwan ki kripa nahi hai?

kyonki bhagwan kabhi asatya nahi bolte. Bhagwan satyanarayan hai. Wah satya vachan bolte hain. To kah rahe sab mam priy sab mam upjae sab mere prakt kiye ho. Sab mere pyare ho. Sab par mor barabar daya. Bhakt abhakt dushtatma mahatma sabke upar bhagwan ki kripa hai. Par kripa ka labh kaun le paya? Jo ji jaan se bhajan kiya. Athak parishram kiya paramarth mein wahi safal hua hai aaj tak to hamara alasya pramadheen hokar nirantar bhajan ka prayas karna aur bhagwan ki kripa ke bhrose rahna bade-bade munindra jan isi prayas se aur isi bhagwat aashray se din bandhu bhagwan ko prapt hue nahi to man bar-bar vishyon mein jaata hai.

rishte natedaro mein jaata hai. Rupya paisa sansaar mein jaata hai. Agar ise prayas karke bhagwan mein nahi lagaoge to yah nahi lagega. Kabhi-kabhi man ke upar bahut gussa aati hai ki 10 10 varsh 20 20 varsh ho gaye. Tujhe samjh bhi hai yah ki sansaar jhutha hai. Tujhe yah bhi samjh hai ki yah main nahi bhog sakta. Phir kyon jaata hai? Phir nirantrta mein tu antar kyon la raha hai? Bhagwan ki taraf chal. Aur jahan jalan kas ke hui to iske liye yahi kuda hai. Hriday mein jahan jalan hoti hai phir bhag ke bhagwan ke charnon mein lag jaata hai.

agar ham aisa kahenge ki chalega. Ham to bhagwan ke sahare hain. Bhajan ho chahe na ho. To aap yah samjh lo pura jagat bhagwan ka racha hua hai. Sab par bhagwan ki daya kripa hai. Lekin sab narak jaate hain. Sab durgati ko bhog rahe hain. Bach wahi pata hai jo bhagwan ke liye athak prayas kiye hain. Bhagwan ke liye prayas nirantar naam jap bhagwat katha sunna bhagwat katha gaan karna bhagwan naam kirtan sunna bhagwan naam kirtan karna nishkam bhav se samaj ki seva karna ye prayas par prayas to bhagwan ki kripa usko varan kar leti hai kripa sab par hai par varan kisi kisi ko karti hai to wo kisi kisi mein kaun hai jis par kripa utarti wah hai athak prayas karne wala.

alasyaheen pramadheen sadhak jo nirantar bhagwan ment ko jode hain ve samasth jagat ke atmabhut din bandhu mere apardhon ko bhul jae aur aaj kripa karke mere netron ke samne ho dagochro bhavat me sa din bandhu he din bandhu mere dag gochar ho jagannatha Swami nayan pathgami bhavat mein he jagat ke nath aaj mere netron ke samne aap aa jao mere netr aapko dekh le y naam kirtan par swapcho pinam hitwa khilam kalimlam aha bhavnam punat jin bhagwan ka naam kirtan nich chandal ko bhi param pavitra jagat vandneey bana deta hai.

in baton ko pakdo keval kalyug mein bhagwan ka naam hi mangal kar sakta hai aur koi yog nahi. Jaisa khanpan vayumandal apvitra chal raha hai. Ismen ekmatra kalyug keval naam adhara sumir sumir nar tarah para is sansaar samudra se par jane ke liye sudridhon ka bhagwan ke charnon ka aashray lekar naam jap karna y naam kirtan par swapcho nunam nich chandal bhi jinke naam ka kirtan karke apna param hit kar leta hai. Hitwa khilam kalimlam bhavnam punati apna hi kalyan nahi kar leta. Bhavan ke bhavan ko pavan kar deta hai.

jaise naam dhvani ho rahi hai apne yahan. Vani ji ka gayan ho raha hai. Har samay chalta hi rahta hai. To yah param ek to paramdhaam Vrindavan aur dusre naam vani jahan Shyam shyama tahan naam vani sunat Shyam shyama subas naam vani nikat Shyam shyama pragat Shyam shyama pragat virajman yahan hai. Yahan baithe hi aapko shanti milegi. Nirvikarta badhegi. Bhagwat bhav badhega. Bhavnam Puna mam bhakti yukt bhavnam Puna hitilam kalamlam bhavnam Puna kalyug ka ek prabhav hai wo buddhi ko malin karta rahta hai jaise gam hawa chalti hai to gam hawa sabko lagti hai aise yug dharm hai sharab mans vybhchar juaa chori hinsa inme priti hogi ye achhche lagenge sabko.

yah kalyug ka prabhav hai. Agar koi bach sakta hai to naam japak bach sakta hai. Ek aaj ekantik mein 17 varsh ki bachchhe 18 beech ke kah rahe ki hamari buddhi kharab hai. Main roz sharab peeti hoon. Cigret peeti hoon. Apni dadi ko nashe mein karke par purush par purush ka sevan karti hoon. Bachchhe ho abhi aur yah ek bachchi ki nahi yah saikadon bachchon ki yahi halat ho rahi hai jo apne jeevan se bahut dur bhag rahe hain. Yah jeevan andhkar ki taraf ja raha hai. Ghor patan ki taraf ja raha hai. Narak ki taraf ja raha hai. Kam krodha tatha lobha yah narak ke sakshat dwaar hai.

aur aise aacharan to yah kalyug buddhi ko isi taraf ghaseetta hai. Durwasan, duryvhaar, durachaar yah uska prabhav hai. Agar naam jap nahi karoge to kalyug ka prabhav aapko grasit kar lega. Keval naam jab bacha sakta hai nahi hahkar macha hai sabko sharab free lagti hai sabko parai stri ko bhogna accha lagta hai paraya dhan accha lagta hai yahi sab accha lag raha hai juaa khelo gem khelo nasha karo girlfriend boyfriend living relation nahi hai to aise jaise bane waise mar do hinsa kar do bhog kar lo ye naam jap nahi karoge to kalyug ka ye prabhav tumhen raund daelga raund daelga chuk ho to raja parikshit se aparadh kara diya aur kya itne bade maha bhagwat jo garb mein bhagwan ka sakshatkar kiye the wo shrringi rishi ke pita ke gale mein mara hua sarp dale chuk hai kalyug ka prabhav jara bhi chuk ho gayi to tabhi sevak ji maharaj kah rahe hain Harivansh ke naam antar par agar naam chhuta to kalyug ka prabhav aapko phasa dega in baat bahut priy lagta hai vichar ki baat socho kitna priy lagta hai.

gandi baten socho aisa lagta hai ki amrit hai aur jabki wo mrit hai aur bhagwan ki charcha amrit hai. Jabki wo hamen mrit jaisi lagti hai. Jahr jaisi bhagwan ka naam japne mein jalan hoti hai. Bhagwan ki charcha sunne mein alas aata hai. Bhagwan ki charcha sunne mein swad nahi aata. Film dekhne mein gandi baten dekhne mein kahan aata hai? Kisi ko batao alas aata ho. Film dekhne khub bade-bade lekin satsang mein bhagwan naam kirtan mein karne lagenge bhajan ka bhav bilkul nahi aa payega. Kalyug ka bahut bada kupra prabhav chal raha hai.

isse bach sakte ho to keval naam se bach sakte ho. Aise aise prashn ate hain jinko liye nahi jaate par likhat to hote hain na. Baad mein batte hain ki aisa prashn aaya tha. Hamne kaha nahi. Kitne gande gande bachchon ki adte badh rahi. Kitni gandagi ki taraf badhte chale ja rahe hain. Naye-naye bachchhe. Budhi dadi hai usko behosh kar diya. Parae purush ko bulakar ke gande aacharan kar rahe hain. Unke jo jhala bala sab rakhe wo sab bechkar sharab pi rahe. Naye bachchhe. Ab aise ho raha hai. Kya samaj ka swaroop aa raha hai. Jahan pati ke liye savitri ji ne Yamraj ki buddhi ko chakra diya.

ashcharyachkit kar diya. Aur Yamraj ke paas se apne satyavan pati ko chhudaya. Aaj unka charit gaya jaata hai. Ham us desh ke vasi hain jahan savitri aur Anusuya jaisi sati hui hai. Koi kuch koi kuch kaise aacharan ho rahe hain. Parinaam ki taraf drishti hi nahi hai ki jo ye asatma kar rahe hain. Pati to mrityu ko prapt hua aur aap jail ko prapt hue. Na boyfriend mila na koi matlab nahi. Pura jeevan nark ye bhogo aur iske baad maro tab aur nark bhogo ja pati vanchak parapti rati kar roro narak kalp sat par jo apne pati ki vanchna karke dusre purush ke saath bhog karti hai 100 karod kalp tak narak bhogna parta hai ab aap dekho ek ek minute ki saja jo aparadh ban gaya to pure jeevan ki hoti hai to aise nark mein bhari hisaab hota hai 100 kalp tak itne kalp tak ye bhogo itne kal are abhi manushya sharir mila hai to hosh mein ho jao bhagwan ka naam na chhute nahi kalyug ka prabhav aa jaega bahut bura vatavran banta chala ja raha hai nav yuvkon ka nav yuvtiyon ka dharm izzat maryadaen sab kone par tangi rah gayi jo man ave so karo jo man ave so na mata-pita ka bhay na samaj ka bhay na bhagwan ka bhay na dharm ka bhay bach payega wahi jo bhagwan naam jap kar raha hai.

isliye man lo har samay apni jibhya se ucharan karte raho. Radha Radha Krishna Krishna Ram Ram hari hari shiv shiv jo tumhen naam priy ho tumhara mangal dason dishaon mein hoga. Bhav kubhav anakh alashu naam japat mangal dashu kshan bhangur jeevan hai. Is jeevan mein paap karke jaoge to anek yoniyon mein anek prakaar ke kasht bhogoge. Is jeevan mein dharm karke jaoge, naam jap ke jaoge tumhara mangal ho jaega. Bada dharm ki taraf to kisi ki vritt hi nahi hai. Har purush stri ki vritti keval aap log baithe ho dhyan dijiye dharm ki hamara dharm kya hai yah vritti nahi hamara dharm yukt karm ho raha hai ki nahi ye vritt nahi bas bhog lalsaen chahe wo paramarth path par chalna chahta ho chahe wo sansaar marg ka pathik ho chintan donon ka ghasit rahi hai maya chintan donon ka bigad raha hai kalyug bachega kaun jo naam japak hai kal abhadr bar jite jitne kalyug ke abhadr hai wo sab nasht ho jaate hain jab bhagwan naam jap karoge bhagwat katha sunoge bhagwat charcha sunoge

bhagwan ki seva mein rahoge thakur seva mein raho to hi mangal ho sakta hai nahi dusra koi upay nahi aur mrityu to aise padi hai ab havai jahaj mein baithe anand purvak baithe ek minute mein sab jal gaye aram se baithe chat giri sab mar gaye upar se jahaj gira niche se jo niche kha pi rahe the wah bhi chale gaye kya bharosa abhi jab ham aa rahe the to yahan ek embulens mein shri ji ke jo sharanagat the unka shauk kaise hua bole wo to relgadi se aake bas kar mein baithe bas chale gaye jab aapka number aa jaega to ye thodi dekha

jaata hai jawan ho ki budhe ho ki Mathura se Vrindavan nahi ane paye va mathure mein radheshyam ho gaye to chalo bhagwan ki nagri hari ka dham to mila Mathura nitya Krishna ko vas nish din Shyam na chhanat paas tap sakal leela kahi dagadhwa mama makhilam karun kshanan aap karuna karke hamare papon ko nasht kar do prabhu jisse aapke naam mein priti ho jae naam japak apne aap ko bhi pavan karta hai aur sarv bhavan loko ko pavan karta hai. He nath aapki kripa se hi ab meri baat banegi. Roga harti satatam prabla shareeram kamadyodinam praditam mrityu nritya sada kalayna tasmat sharanam mam di bandhu he bhakton par daya karne wale din bandhu sharir kalyugi hai.

ab rog grasit hai. Panch varsh ka balak hai 500 sugar hai. Jawan jawan hai. Hai blood pressure lo blood pressure ye wo duniya ka rog cancer to aise ho raha hai jaise bukhar jukam hota tha. Pehle kisi kisi ko kabhi bukhar jukam aise yahan cancer ho raha hai. Kisi ke yahan cancer kisi ke wahan cancer roga harant satatam prabla shareeram jab tak man bhagwan mein nahi laga hota tab tak baten chahe koi bana le. Sharir mein pida hogi to man pida mein hi rahega. Bhajan mein nahi jaega. Dhyan dena. Jab apne logon ko yah gyan ho chuka hai ki main sharir nahi hoon aur sharir mein bhaykar pida hoti hai to man viksipt hone lagta hai to us samay sakshi bhav mein turant khade ho jaate hain.

tu viksipt ho hamen tere se lena dena nahi kyonki guru pratap se kala jagrit ho jati hai. Kaise kis prabhav se kaise bachna hai? Turant sakshi bhav mein sthit hokar nahi yah man sharir mein tanmay hai aur sharir jad hai. Is jad sharir ko kasht ho raha hai to man ko ho raha hai. Main main man nahi hoon. Main atma swaroop divya chidanand hoon. Shanti gambhirta agar bhajan nahi karoge to iske sochne se thodi hoga ki pida ho rahi hai. Main tan nahi hoon. Main tan nahi. Nahi gas chadh jaegi to atma thodi samjh mein aayegi.

kabz ho jaegi to atma thodi samjh mein aayegi aur ye to sadharan rog hai bade-bade rog hain. Prabhu roga harant satatam prabla shareeram is sharir ko rog pratiphal ksheen kar rahe hain. Kaise-kaise rog hain? Kaisi-kasi pareshaniyan hai. Are aap Vrindavan mein ho isliye bahari hawa se bache hue. Bahar log kitne pareshaan hain. Sabke dimaag mein rupya chal raha hai. Rupya bas rupya bhog nirman jab se srishti hui nirman ho hi raha hai. Chal hi rahi sab udhar nirman ho rahi udhar misailen chal rahi. Pure prant ka prant uda rahe bhu kampan ho raha jo jisse pure bade sab nana prakaar ki vinash leela bhagwan ki sharir apne aap jo hai itne vishay ho rahe hain bina brahmcharya ke bhagwat chintan nahi hota dhyan rakhna ye ham anubhav ki baat kahte hain brahmacharyaheen chintan vishyon ka hi karega uski kshamta nahi ki wo sacchidanand bhagwan mein apne man ko laga sake aur brahmcharya aajkal brahmcharya kahan koi dekh raha hai vybhchar dekh raha hai mobile mein vybhchar dekh raha hai aur acharno mein usi ko utar raha hai chhote-chhote bachchhe ek 12 varsh ka ladka kah raha tha main bahut pareshaan hoon kisse hamare girlfriend hai aur main hastmaithun bhi karta hoon to isliye main bahut bahar 12 varsh ke bachchhe ho tumhari girlfriend hai.

tumhare gande anchal itna gandagi badh rahi kalyug mein jab sunne ko milta hai apne ko tab pata chalta apne to gufa mein baithe hue hain. Hawa bhi nahi lag rahi. Ye Vrindavan kripa sindhu hai. Apne log in havaon se kitne dur hai. Jab dusre log bahari ate ho tab keval bhagwan ka sumiran bhagwan ka chintan nahi to kah rahe he din bandhu yah sharir sansaar mein jo janma janm lete hi mrityu piche mandrane lagi aur sharir rogon se grasit hokar ke shakti ksheen kar raha hai aur kam krodh aadi hriday ko jala rahe hain. Mrityu raat din sir par nach rahi hai.

prabhu ham kya sadhna karen? Kya upay karen? Ab ek hi upay samjh mein aaya hai. Tasmat madhya sharanam mam din bandhu he mere din bandhu main aapki sharan mein hoon. He karunamay do vinasti sada parinaam sheelitam chakhti sada vishyaragi buddhi sada hate vishay suna tas tasmat sharanam mam din bandhu prabhu yah sharir pratikshan nash ko prapt ho raha hai. Roz ham mar rahe hain. Bole happy birthday. Ek sal mar gaya tumhare jeevan ka. To tumhen baithkar ke bhagwan ka chintan karte hue andar se pareshaan ho jana chahiye. Ek sal jeevan ka gaya.

pata nahi age aur jeevan hai ki nahi. Waise kriya waise hi karte hain. Shok wali mombatti jala ke bujha dete hain. Jeevan ki jo jyoti hai wo ek varsh kam ho gayi. Ab pata nahi kitne minute hai. Log happy manate hain. Happy ka hai ki happy? Tumhare paas se dharashi kam ho jae, chhin jae. Man lo aapke paas ek lakh hai aur aapke 500 jeb kat gayi to aap kya karoge prasann hoge nachoge udas ho jaoge chintit ho jaoge adhi rakam gayi yahan ye bhi pata nahi ki aadha jeevan gaya ki nahi gaya andaja lagate ki 80 tak to jiyenge 40 nikal gaye aur 80 second ka bharosa nahi isliye kah do vinasti sada parinamsheel iska parinaam hai deh ka vinash kitna bhi kha pi lo mota tagda kar lo pran nikle utni zyada lakdi lagegi par bhoonj diye jaoge jala ke aur khub danda se hila hila ke kyon pura jalaya

jaata hai ki bachne na pave jab rakh ho gayi to rakh bhi na bachne pave phenk do dhara mein mitiya met deho vinashyat sada parinamsheel isko jo bahut pyar kar rahe ho sharir ko aur is sharir ke dular mein murga murgi kha rahe ho bakra bakri kha rahe ho aise kate jaoge aise bhune jaoge narak mein aur ye ye sharir to tikne wala hai nahi kyonki parinamsheel deho vinashyati sada iska parinaam hai vinash yah marega yah nasht hoga isliye paap karm mat karitam sada khidat sada vishay anuragi prabhu kisse bhajan karen ye jo

hamara chitt hai ye vishyon ke liye khinn rahta hai kabhi aapke liye udas nahi hua ki hai 40 50 varsh bit gaye is mrityu lok mein aae ek bar bhi bhagwan ka sakshatkar nahi hua ek bar bhi mere netr bhar ke bhagwan ke rup madhuri ke dhyan mein nahi dube. Kya jeevan kya dhikkar jeevan khokhla jeevan koi bhi baat hamare andar nahi. Hamen rona ana chahiye. Chittam chid sada vishay anuragit to hamara khinn bana rahta hai vishay anurag ke liye buddhi sada hate vishay buddhi bas yahi nischay karti rahti hai yah bhog mil jae to sukh mil jaega yah bhog mil jae to indriyon ke bhog ka hi nischay karne wali buddhi hai he prabhu main aapki sharan mein hoon he din bandhu apna bhajan de do apni sharanagati ka prabhav de do nahi ayu vinasti yatha maghattoy vidyut prbh chapla shri vridha pradhav yatha mrigraj patni tasmat sharanam mam din bandhu to prabhu kasht ki baat yah hai ki kachu ghade mein jaise pani bhar diya jae to phailne mein der nahi lagti.

jaise anjuli bandh liya jae kitni jor se par pani tikega nahi. Jaise pani ka bulbula phutega hi. Jaise patte mein latakta bund tutega hi. Aise hi ayu vinasti yatha mag tathoyam vidyut prbh chapla Yavan stri jawani bijli ki tarah ai aur bijli ki tarah chali gayi kab jawani chali gayi pata nahi chala abhi brahmcharya raksha ka samay hai boyfriend girlfriend aaj bhay nahi rah gaya. Bahut zaruri hai. Bina shasan ke na rajya chalta hai na parivaar chalta hai. Na gharwar shasan kisi ka kisi pe hai nahi. Yah bahut durbhagya ka vishay hai ki bachchhe aaj shasit nahi ho kahte mata-pita tum apna dekho ham dekh lenge.

bahut hani ka vishay hai. To bole jawani bijli ki tarah ai wo bijli ki tarah chali gayi. Jo jawani mein bhajan nahi karta wo kabhi budhape mein bhajan nahi kar sakta. Aur jyadatar dekho jake to naujawan dandta ki jail mein milenge. Kyonki jo adhyatma ko sweekar nahi karte unki buddhi apvitra hoti hai. Apvitra buddhi papacharan karti hai. Papacharan karne wala yahan bhi dukh pata hai. Parlok mein dukh pata hai. He din bandhu vriddhavastha sinhni ki tarah bhagti hamari taraf chali aa rahi. Aise agar bachpan se jamane mein bhajan nahi kiya, bhagwan ka chintan nahi kiya, dharm se nahi chale to budhape mein nahi dharm se chal sakte hain.

to kah rahe hain prabhu aaya vyayo mam bhavat adhiko vineete kam dayo hi bali nabla sama mrityu yada tati ma kim vam tasmat sharanam mam di bandhu he bhagwan mere paas sahi kah raha hoon. Ay se vyay adhik hai. Sab ay hai chhoti aur kharch hai bahut. Chinta sabke hue rupaiya. Yahi maya ki chal hai. Maya ki yahi chal hai. Ay ek hai aur kharch ₹1 hai. Ab wah bechara chintit ho raha hai rupaye ke liye. Sab chintit hai. Sab engineer hain, padhe likhe hain. Sab vyvastha itni chinta, itni pareshani log inko dekh rahe honge ki 20on gaadi inke piche chal rahe.

itna phorsa chal raha hai. Bade sukhi honge. Bada dukh hai. Sukhi kaun hai? Jo bhagwan ke charnon ke ashrit hai. Pakka vishwas man lo Harivansh mahaprabhu ke vachan i parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun sun bhagwat aashray bhagwan ki sharan mein hai to ye parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun sun man lo hamari baat Radha Radha Radha Radha is lok mein bhi sukhi rahoge parlok mein bhi sukhi rahoge he prabhu ay se vyay adhik hai kyonki main aneet kamnao ke dwara parast ho chuka hoon. Kamnayen ek kah rahe the ki badi mushkil se apna ghar dwaar sab theek kiya.

jab dusron ka ghar dekhte hain bada ghar ho badhiya to mere jalan paida hoti hai ki hamko bhi aisa ghar chahiye. Tum kaha aise to kabhi purti hone wali nahi. Jab vaisa ghar ho jaega to tumko maya aur vaisa dikhaegi. To aise dekhtede pura jeevan chala jaega. Kabhi purti hone wali nahi. Us ghar ki yad karo jahan marne ke baad milna hai. Wo ghar paramatma ka hai. Uske liye naam jap karo. Is ghar mein to jaise bane gujara kar lo. Chand minton ki baat hai. Pata nahi kab mrityu ho jae sharir chhute chalna hai prabhu ke paas.

yahan to aise gujara karo jaise station mein yahan aise gujara karo jaise sarkari aadmi ko gali gaadi aur bangla milta hai. Usko yah nahi hota ki khidki theek karwani kyonki sarkari apna theek karvawe. Hamen to pata nahi kab transfer ho jae. Aise pata nahi is sharir ka kab transfer ho jae. Hosh mein nirantar naam jap karo. Bhagwat aradhna karo. He prabhu ye kamad dosho ka itna prabhav badh gaya hai ki ab mera bas nahi chalta. Khed hai mujhe us din ka bhay nahi hai jis din mrityu aayegi. Khed hai bhay hona chahiye.

bhay ho jae to abhi sab koi hosh mein chalne lage ki yar marna hai paap karke kyon mare? Marna hai to punya karke mare. Bhagwan ka bhajan karke mare. He prabhu main aapki sharan mein hoon. Aap kripa karke hamen sambhal lo. Tapam tapo nahi kadap ma tanwa vyaa tatha na kadap tapas taptam mithya vibha par na manas hi tasmat madhya sharanam mam din bandhu he bhagwan maine is jeevan mein kabhi sharir se param pavitra tra tapasya nahi ki. Bhookh pyas sahna, tirthon ka ugahan karna, parikrama karna, samay se uthna, snaan karna, trikal snaan karna koi tapasya nahi ki.

ek kal kah rahe the ki hamne aapke pravachan mein suna dham jana chahiye to ek din vrat rahna chahiye. To ham to 12 baje tak rah paye. Iske baad jakar ke bihari ji ki gali mein dat ke wo hamse to nahi raha gaya. Aap kahte ho ek din ek din are yahan kai kai din bhojan kya kuch nahi mila. Gangajal ke siva bhagwan ke charnon ka aashray lekar tap kiya jaata hai. Kasht saha jaata hai to paap nasht hote hain. Tab sukh prapt hota hai. Bole jeevan mein kabhi sharir se tap nahi kiya aur kabhi satya nahi bola. Asatya bhashan priy lagta hai.

ab to yah baat hi nahi rah gayi ki satya bolna hai. Vani mein yah shasan hi nahi rah gaya ki satya bhashan karna hai. Jisko dekho jhooth bol raha hai. Jisko dekho sab jhooth hi lena. Jhooth hi dena. Jhooth bhojan jhooth chavena. Aao prasad pa lo. Nahi paya hai. Yahan aur bilkul nahi paya. Jhooth bolna yah nahi ki abhi paya to nahi lekin yahan nahi pa sakte ghar mein payenge jake satya bolo kya chala jaega thoda wo samne wale ko agar jalan paida hogi to koi baat nahi aap satya bolo satya bolie koshish kijiye satya bolne ki mobile se to bahut jhooth bol rahe hain jara si baat mein ki ham aapse milna chahte bole is samay to nahi mil sakte is samay to ham chathi karave hain is samay to ham amuk jagah hain aur hai wahi bagal wale ghar mein aur jhooth bol rahe hain.

mobile se, vyapar se, nana prakaar ke prayatnon se ham jhooth bol bolkar paap ka pahar tayyar kar rahe hain. Aur log jhooth bolna papi nahi samjh rahe. Jhooth bolna bada bhari paap hai. Nahi asatya sam patak punja. Punja mane samuh. To kah rahe hain prabhu sharir se koi tap nahi kiya aur vani se jhooth bolne mein lage hain. To vani ka tap nahi hua aur man sadaiv gandi baton ka chintan karta hai to mansik tap nahi hua to din bandhu mera udhar kaise ho sakta hai sharir bhogon mein laga hai man bhogon ka chintan kar raha hai vani jhooth bol rahi hai meri durgati nischit hai isliye he din bandhu main aapki sharan mein hoon mujhe bacha lijiye stabdha mano mam sada naya saumyam chakshume to vishwupam vacha tath mam somya vani tasmat sharanam mam din bandhu he bhagwan ab jad ho gaya hoon vivek nahi hai buddhi kam nahi kar rahe lakh prayas karo bas wahi sansaar ka chintan hamen dekhte hain prayasat hokar to bhajan kar sakte ho.

agar chhod diya to bhi bhajan nahi hone wala. Ham kai sadhako ko dekhte hain. Ham to bhagwan ke ashrit hain. To nirantar bhajan hona chahiye. Agar bhajan nahi ho raha to aap bhagwat ashrit nahi ho. Kyonki jiska aashray liya jaata hai usi ka chintan hota hai. Aap kisi dehdhari ka chintan kar rahe hain. Kisi vishay ka chintan kar rahe hain. Prapanch ka chintan kar rahe to aap prapanch ke ashrit ho. Bhagwan ke ashrit nahi. Jo bhagwan ke ashrit hota hai uska nirantar bhagwan ka sumiran hota hai. To prabhu main jadwat gyan shunya ho raha hoon.

kyon? Kyonki jad sansaar ka chintan ho raha hai. Ye jad bhogon ka chintan ho raha hai. Agar chaitanya sacchidanand rupae prabhu ka chintan ho to abhi gyan jagrit ho jae. Prabhu isi ke karan meri ankhen agyaan ke karan stri purush dekh rahe hain aur jabki aap virajman ho vasudeva mahatma surbha sab jagah bhagwan virajman Siya Ram sab jag jani he nath mere netron ka dosh yah hai ki ye jad chaitanya dekh raha hai stri purush dekh raha hai vishv rup aapka darshan nahi kar raha aur meri jibhya kabhi aapke naam jap mein nahi lag rahi.

aapke leela gayan mein nahi rahe. Amrit mein jo bhagwan ke pavan charit hai gayan karne se bahut jaldi hriday pavitra hota hai. To nath ab meri samjh mein aa gaya ki mera udhar nahi hoga. Mera udhar to ab aapki kripa se hoga. He din bandhu main aapki sharan mein hoon. Prabhu satam name mansiya rajmobhya vi tatha kath ho shubh karm vtaa sakshat param paratya sukh sadhnam tasmat madhya sharanam mam din bandhu prabhu yah trigunmay maya jaise sabke hridyon ko ghaseete hue aise mere hriday ko bhi vidh kiye hue kabhi satogun kabhi rajogun kabhi tamogun satogun to kabhi kabhi aata hai kam samay ke liye aata hai lekin rajogun aur tamogun ye mere hriday mein chhaya hua hai aur jahan rajogun aur tamogun hai wahan nidra alasya pramad aur bhog vasnaon ki keval baten rheng aur koi baten nahi khao piyo bhog

bhogo so jao bhajan sadhna ye sab baten nahi rahti rajogun tamogun mein prabhu satogun tik hi nahi pata kyonki ahar satoguni ho tab to tik pave ahar rajoguni aur tamoguni hai prayah ashudh bhojan hota hai koi hotel ho shuddh ho to bhagwan jane nahi to tumhare samne badhiya saaf swachchh aata hai lekin jab pleten dhoi jati hai tab dekh lo jahan bhojan banta hai wahan ki apvitrata dekh lo jo bhojan banate hain unko dekh lo pasina mein lathpath hai aise khajulae wahi pasina wale hath se aise roti aur tanduri bole kya baat hai to wahan jab samne ai to kya baat hai piche jo hoti tab dekhte to pata chalta wo sab gande prakaar unke hote hain banane ki prakriyaen batte hain na ki jab hamara dialysis hota hai to antim jo charan hota hai dialysis ka usmen mobile se ki ye dekho aap bol rahe the ye to aise kai manoranjak dikhate hain ki aise aise aise karke kahin niche khajwa raha hai kahin upar khajwa raha hai wo badhiya tanduri mein sek ke bhej raha hai koi koi mahapurush to thuk ke dete hain haan dekho aise hamko

dikhae gaye video ki usmen ab ata lag raha hai dekho unke pasina usi mein chu raha hai. Kaun dekhta hai wahan gaye bole phrai lana ho tanduri lana ye lana wo lana char din ki basi daal phrai karke tumhare samne rakh di gayi tumhari buddhi shuddh hogi. Basi ann pane se tamogun hota hai. Apvitra ann pane se rajogun badhta hai. Kotlon ka bhojan jahan tak ho sake bhagwan se manao ki aapko na khana pare. Nahi to rajogun tamogun aapki buddhi ko bhrasht kar dega. Prayah aaj ki daud bhag ki zindagi mein kisko ghar ki roti milti hai?

daudbha ki zindagi mein hotlon mein waise restorent mein hi to he prabhu aaj ke samay mein rajogun tamogun hriday mein badh raha hai. Satogun ki gunjaysh nahi hai. Jab satogun nahi hai to shubh karm nahi hai. Shubh chintan nahi aur jab suchintan nahi to prabhu phir kaise aapki prapti ho sakti hai? Isliye he din bandhu ham aapki sharan mein bhagwan ki sharan mein hokar jinka naam tino loko ka mangal karne wala hai aur tino gunon ko parast karke tino tap ko naam mitane wala hai jasu naam bhashaj haran ghor trishul soi kripalu mohi to hi par rahe sada anukul bhagwan sada kripa karen aur khub naam jap karo isi se mangal hoga shesh charcha age shri Radha vallabh vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi