jeevan ka parivartan kar degi aisi rahni / bhagwan ne kiya para-apra prakriti ka varnan // 09/05/2025
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
shri Vrindavan dham ki jai Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapyt param shital mayam param shital maya prasang chal raha hai. Jagatguru bhagwan shri Krishna chandra ji ne gita ji mein kaha manushya sahastre kashchityati siddh yatta siddh naam kashchin ma ve tatwata lakho manushyon mein koi ek aisa hota hai jo bhagwat prapti ke marg mein chalne ki sochta hai. Nahi to maya vatika ka aisa manoranjan hai ki isi mein pura jeevan vyatit ho jaata hai. Kamnao ki baadh, chinta, shok, bhay inhi mein fansa hua nana prakaar ke dukho ko bhogta hua is divya manav jeevan ko vyarth kar deta hai.
lakho mein koi ek dharmatma hota hai. Sab manmane aacharan mein chalne wale hote hain. Un lakho dharmatmaon mein koi ek bhagwat prapti ki baat sochta hai. Atma bodh ho jana. Bhagwan ke liye sampurn jeevan samarpit karke ek ek shas bhagwan ka naam jap karna. Koi birla un chalne walon mein hazaron mein koi ek chal pata hai to kya hota hai phir wo manoranjan mein lag jaata hai kanchan kamini kirti rupya paisa ka sangrah karna jnendriay aur rasendriy ke bhogon mein tript rahne ki bhramtmk sambhavna rahna ki main khub accha kha lun accha pahan lun aur Jnendra janit sahwas kar lun.
yahi manushya jeevan ka labh hai. Bhagwan to phir kabhi mil jaenge aur wah bhramit hokar rasd aur Jnendra ke bhogon mein bhtak jaata hai. Jo sadhak kamar kas ke yah nischay kar liya hai ki is janm mein mujhe indriyon ki tripti mein samay vyatit nahi karna. Rasd se swad yukt bhojan nahi karna. Jnendriay se stri sahwas nahi karna ya purush sahwas nahi karna. In bhramtmk bhogon ko bhogte hue to bahut janm vyatit ho gaye. Yah janm ham paramatma ke liye arpit karte hain. Uski dincharya kya hogi? Pahla kisi uchh koti ke mahapurush ka aashray piche varnan hua hai ki jo kisi mahan sampraday se jude ho jo jitendri ho vishay lolup na ho keval paramatma chintan mein hi jinka samay jaata ho bhagwan se prarthna karen aise Sadgurudev mujhe mile Sadgurudev ki sharan lekar ke phir pahla unki agyaa mein apne jeevan ko samarpit karna jo bhagwat marg mein chalna chahte hain.
Sadgurudev ki sharan unki agyaa mein jeevan sam agyaa pe yah prashn nahi hota ki kya agyaa guru agyaa mein bahut badi samarth hai. Guru ne agyaa kar di. Mahabharat mein prasang aata hai ki varsha ho rahi hai. Jao khet ki mel tutne na pave. Gaye bahut sambhalne ki koshish ki. Mel tut gayi. Usi mel ke sthan mein apne sharir ko rakh diya. Prat kal hua shishya wapas nahi aae Gurudev gaye awaz lagai unhone kaha Gurudev main yahan hoon unka beta tum meri agyaa ke liye swayam mel bankar ke let gaye bole Gurudev pani sambhal nahi raha tha aur aapki agyaa palan karne mein yadi hamare pran bhi chale jae to unhone kaha jao charon ved tumhare hriday ment ho jae.
guru kripa hi kevalam ham sadhan to nimit mante hain. Kripa ko vishesh mante hain. Guru kripa se hi shishya ka sadhan sampurn siddhvastha tak pahunchta hai. Agar sadhak abhiman kar le to bhrasht ho jaega. Wo siddhvastha tak nahi pahunch sakta. Sadhan ki siddha avastha guru ki adhinta hai. Jo soche ki hamne guru mantr le liya, guru se updesh le liya. Ab guru ki kya avshyakta hai? Ab to ham sadhna karen. Sadhna karke bhagwat prapti kar le. Asamabhav. Piche charcha mein kaha gaya tha jaise jal ke sanyog se kamal pusht hota hai aur jab surya uday hota hai to khil jaata hai.
surya hai Gurudev aur jal ka sanyog hai unki agyaa aur ham hai kamal. Agar ham unki agyaa ke sanyog mein bane rahe to unke prakash se ham khil jaenge. Ham bhagwat anand mein doob jaenge. Aur yadi Gurudev ki agyaa rupi jal sang ka tyag kar de to usi tej se wah kamal bhasm ho jaega. Jo guru ki avagya kar dega uski sadhna kitni bhi uchh koti ki ho wo kabhi siddh purush nahi ho sakta. Kabhi bhagwat sakshatkar nahi kar sakta. Kabhi anand ka anubhav nahi kar sakta. Isliye Gurudev ki adhinta unke vakya ko hi ved vakya manna dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam moksh mulam guru kripa mantr ka mul guru ke vakya hai aur moksh ka mul guru ki kripa hai.
Gurudev manushya hain. Aisa adham sadhak manta hai. Gurudev achhche sant hain. Yah madhyam sadhak manta hai. Aur gurur brahma gurur Vishnu gurur dev Maheshwara guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah ye uttam sadhak ka lakshan hai ki jo param brahm samne hamare baithe hue hain. Hamen aur koi anubhuti nahi karni. Hamare Gurudev param brahm hai. Unke vakya hi ved hai. Unki agyaa ka palan hi sadhna hai. Aur unki prasannata hi siddhvastha hai. Ab us sadhak ko apni dincharya banani chahiye. Nitya swadhyay hona chahiye.
vedo nitya madhtam shastr agyaa karta hai vedo nitya madhtam vedon ka nitya swadhyay hona chahiye sadhak ko ab jo sanskrit nahi padhe to vedon tak kaise pahunch sakte hain to vedon ko brahm rishiyon ne Hindi shabdon mein bhi apne apne vakyo mein bhi bola hai to ved vakya hi hai santo ki vani ka roz swadhyay karna satsang sunna shastron ka swadhyay karna jaise Shrimad bhagwat gita ji hai Shrimad bhagwat ji hai bahut saral bhasha mein goswami tulsidas ji ne Ramcharitmanas hai aur bade-bade mahapurushon ke vachan hai wo sab jab ek dhara hai us sthiti mein jab mahapurush pahunchte hain to sabke vakya ek hi jaise milte hain shabdavli alag ho sakti hai, bhasha alag ho sakti hai.
lekin sthiti sab mein ek hi hamne pai. Chahe wo guru vani ji ho, chahe Mahavir Swami ke vachan ho, chahe adya guru bhagwan shankaracharya ke vachan ho, sab usi paramatma tatv ki sthiti mein pahunche hue mahapurush usi ka varnan karte hain. Sab mahapurushon ka ek hi sar vishay hai. Sharir ka rag mit jana, indriyon ko vash mein kar lena, man ko paramatma mein laga lena, ho gayi paramatma prapti. Vishyon mein laga hua man bandhan ka karan hai aur paramatma mein laga hua man moksh ka karan hai. To sadhak ki dincharya mein vedo nitya madhtam shastr ka swadhyay nitya hona chahiye.
jaise apni vani hai Shrimad chaturasi ji 42 leela yah jo bhagwat lilaon ka gayan karne wale hain inka to gayan kiya hi jae lekin siddhant jarur padha jae. Agar siddhant jeevan mein nahi hai to aap leela gayan karke naam jap karke vairagya dharan karke bhi bhogon mein bhrasht ho jaenge. Siddhant wah me hai jo sadhak ko phutne nahi deti, bahne nahi deti, bhrasht nahi hone deti. Siddhant samjh lena chahiye. Bilkul ek shlok mein Harivansh mahaprabhu siddhant ka varnan ek dohe ko man lo to usi se kam chal jaega.
ek shlok dura dapa swajan sukh koti sarveshu sadhan vareshu chiram nirasha varsh sahjadbhut shaukya dhara shri Radhika charan renu mam smaram pariviarik janon se dur raho sidhe adesh hai ai vairagi ai bhagwat tatv ke gyan ko prapt karne wale jignyasu duradpas swajan jo sharir sambandhi jan hai inse duri banao yadi grihasth ho to inme bhagwat bhavna karo. Moh ko mita do. Aur yadi vairagi ho to bhagwat bhavna karke inse duri banao. Dura dapasna agar koi kahe ki phir mat rin pit rin rishi rin dev rin ye bhagwat prapti hote hi sare rinon se wah jeev mukt ho jaata hai aur uske mata pita parivaar sabka kalyan hota hai.
isliye sabka kalyan ke liye apne ko nirmohi banna hoga. Dur dapa paramatma ke siva Gurudev ki agyaa ke siva Gurudev ke siva hamara koi nahi asangom purush main asang hoon mera koi nahi pehle dura dapas ye jo ghar parivaar se bairagi hokar ke milna to purv moh ko jo andar hamare sanskar unko ko jagrit karna to phir chintan kiska hoga? Saral bhasha mein goswami tulsidas ji ne isi baat ko kaha janani Janak band sutara tan dhan dham sud parivara sabki mamta tag batori mam pad man bandh bhar dori bhagwan ke siva priyaju ke siva thakur ji ke siva Gurudev ke siva hamara koi nahi hai vairagya ka sacha lakshan pehle samjho duradh swajan jo swajan sambandhi kahne wale hain inse bilkul dur inka prichay bhulana hai hamen kyonki hamara janmjanm se aisa rag hota raha jahan janm hua wo maa wo pita wo parivaar wo dular wo apnapan hamare chitt ko kheenchta hai.
ye jo pariviarik moh hai yahi durgati ka karan hai. Yadi grihasth hai to usse bhagwat bhavna karke moh mitana hoga ki in sab mein bhagwan hai aur virakta hai to duri bankar bhagwat bhavna karni hogi usko najdeeki pana nahi ki sab mein bhagwan hai ham nahi ghar nahi jana ghar walon se nahi milna kabhi aise achanak koi mil gaya to pranam namaskaar wo bhi rukhe man se aao aao milna baithana pyar karna isse paramarth bigad jaega siddh purushan ki baat alag hai. Sadhak ko bilkul is agyaa ka palan karna chahiye. Dusra sukh martha koti rupaye ke dwara prapt hone wale sukho ka tyag.
yadi labh santusht dwandati vimatsara bhagwan jaise hamara bharan poshan karen. Ham bhagwan ke ashrit hokar apna bharan poshan sharir ka hone den. Rupaye ke ashrit hokar nahi. Agar virakta hokar ke rupaye ke ashrit hamara bharan poshan hota hai ya rupaye walon ke ashrit hota hai. Paramarth nahi ban raha. Pet bhar lo vip vyvastha mein rah lo. Aapka paramarth nahi ban raha. Mahlo mein rakho chahe jhopdi mein vas do. Bairagi santo ki ye sthiti rahi. Kabhi mahlo mein vas kar rahe hain. Koi mahlo mein le gaya. Kabhi footpath mein vas kar raha hai.
kabhi koi chandan mala chala raha hai to kabhi koi juta bhi chala diya. Koi fark nahi. Kabhi koi gali bhi de diya, marpeet bhi diya to bhi uska mangal kiya. Tumhara mangal ho. Bhagwan tumhara kalyan karen. Tumhara mangal. Kabhi unse dves sadhu bahut badi sthiti hoti hai. To sukhmartha kotim rupaye ka aashray nahi andar se hona chahiye. Aashray bhagwan ko hona chahiye. Tisra sharir rag sarveshu sadhan vareshu ismen sharir rag chhipa hua hai. Main sadhna karta hoon. Is sadhna ke bal se bhagwat prapti karunga. Ismen bhi aham grah hai.
aham hai. Aham hone ke karan bhagwat prapti nahi kar payega. Isliye sadhan to ham kar rahe hain. Par guru kripa ka aashray hai. Guru kripa se kar rahe hain. Bhagwat kripa se kar rahe. Hamara jo sadhan ban raha hai mujhe iska bal nahi hai. Mujhe guru kripa ka bal hai bhagwat prapti ka. Teen baten Harivansh mahaprabhu ne kahi. Sab hit nishkam mati shri Vrindavan vishram shri Radha vallabh lal ko hriday dhyan mukh naam sabse hamen vihaar karna padega. Manushya jeevan hai milenge bhagat jagat sab lekin sabse hamen nishkam mati rakhni hai hamen koi chah nahi karni kisi vyakti ke milne se kisi se prem se vihaar karne se mere andar ye chah na paida ho jae ki ye vyakti hamen kuch de ya dega aisa hamara vihaar nahi hona chahiye yadi bhagwat prapti karni hai sab hi lekin nishkam mati sab jeevan so priti vihaar mein sabse prem vihaar se bolenge lekin riti nibhapni hamari riti hai ham tumse koi chah nahi karenge achah hokar vihaar karna aur virakto ko ab chahiye samay bada parivartit hota ja raha hai abhi char panch din pehle hamen ek klip dikhayee gayi Jain muni Rajasthan sthan mein kisi ganv ke bahar param virakta bhav se jo bhramn karte hain unko bahut mara.
chhah logon ne milkar mara sariya dandon se aise bada hriday vyathit hua ki aaj sadhu apni sadhuta ki raksha ke liye bhramn bhi nahi kar sakta. Bhramn kare to kahin koi bachchha chor kah ke ya kahin koi aise is tarah ka raaksasi bhav badh raha hai. To adesh kiya param pavitra tirthon mein dhamo mein vas karo. Shri Vrindavan mein vishram bhagwan ke dham jahan guru ki siddh pith hai. Par jo veer purush hote hain wo darte nahi hai. Praarabdh bhog hai sharir ka. Chalo peet lo. Lekin wo apni mariyada mein kabhi vichlit nahi hote.
wo to bhramn hi karte hain. Par samay bahut galat aata chala ja raha hai. Logon ki asuri buddhi badh rahi. Bolo virakta sant unmein tumhen kya bhay ki ashanka hai jo komal swabhav karunamay jagat mangal ke liye pad yatra kar rahe hain unke charan dhali mathe par lagave jisse mangal ho aur naujawan chhah logon ne milkar ke dande se mara ek bar kahin mar hi dala tha palghar mein to mar hi dala tha santo ko to isliye kah rahe shri Vrindavan vishram bhagwat dhamo mein guru ki siddh peethon mein vishram karen kyonki jagat ka bada vikral swaroop hota chala ja raha hai.
log pashuta ko aise santo ke aparadh se kul parampara nasht ho jati hai. Sadhu avagya turat Bhawani kar kalyan akhil ke hani jo virakta sant hai unke prati keval rosh drishti se dekh lene matra se anek janmon ke punya nasht ho jaate hain. Phir un par prhar kar dene se to sarvnash ho jaega. Unko na lok ke rahenge na parlok ke na unke bap Baba rahenge pitro tak ka nash ho patan ho jaata hai agar ek kul mein bhagwat bhakt janme to unke pitro ki tripti ho jati hai udhar ho jaata hai agar ek dusht janme to pitro tak ka patan ho jaata hai sab sabse pyar karo nishkam bhav se raho bhagwat dhamo ka sevan karo nirantar bhagwan naam jap karte hue apne isht ka dhyan karo yah hua chalna abhi pahunchna nahi hua bhagwan kah rahe hain manushya shastru kat siddh siddh ke marg mein koi birla hi
chalta hai jo bilkul shastr ki agyaa ke anusaar guru ki agyaa ke anusaar chalta hai bhagwan ke naam ka kirtan karna bhagwan ke shri vigrah ke samne nritya karna jorjor se bhagwan ko ekant mein pukarna bade mahapurushon ka sang karna sadhu sang bahut soch samjh ke karen hamko updeshak to lakho mil sakte hain lekin sadhu milna kathin mil isliye kabhi aaj tak sang nahi kiya pravachan ho rahe hain dur se sun liya kabhi sang nahi kiya aaj tak kisi ka sang nahi kiya unke vachnamrit ko pakda aur parma paramarth par chale dur se sun liya bhagwan ki baat agar satya mil rahi hai to use sweekar kar liya age badhe kapti dambhi pakhandi bahut tarah ke vesh dharan karne walon ki badhotri hoti chali ja rahi shastr aur guru agyaa ke anusaar chalne wala sadhu usse hamara sang hona chahiye tabhi hamare hamko labh milega hamko pravchno se labh nahi milega.
jiske swayam ke aacharan pavitra nahi jo kanchan kamini ka gulam hai wo brahm tatv ka updesh kare to kaise anubhav mein aayega? Anubhav mein tab aata hai jab swayam mein sthit ho aur phir wo baat kahe to baat samjh mein aati hai. To hazaron mein koi ek siddho ke marg mein chalta hai. Ye bhagwat marg mein aur un marg mein chalne walon mein hazaron mein koi ek siddh hota hai. Kyon? Kyonki beech mein itni manohar vatikaen maya phenk deti hai. Usi mein man ram jaata hai. Bhagwan to phir mil jaenge. Accha accha khane ko mil raha hai.
pahne ko mil raha hai. Ghoda gaadi mein chalne ko mil raha hai. Rupya paisa hai. Bade bhagat hai. Fas gaya. Lakshya rai ke sam chalat hi hot aur ki or. Ek rai ke dana ke barabar agar chal de alag to paramarth bahut dur ho jaata hai. Paramarth bilkul kadam pe kadam jaisi agyaa vaisa hi chalna. Kuch sant jan aae the. Hamne kaha hamari ichchha hai vastr le lijiye. Unhone kaha aapki kripa hi kafi hai. Vastr pahne hain. Hamen zaroorat nahi. Accha laga. Hamen zaroorat nahi. Aapki kripa hi hamen aapke darshan mein sambhshan ho.
accha sahi chal rahe ho. Jab vastr sharir mein hai to ham lad ke kya karenge? Hamare paas sharir dhakne ke liye vastr hai. Hamen nahi chahiye. Hamare andar hamara lakshya hona chahiye. Hamara lakshya vastr sangrah karna thodi hai. Rupya sangrah karna thodi hai. Bhog bhogna thodi hai. Paramatma anubhuti karna hai. To bhagwan kah rahe yatta siddh naam kashchin tatwata un hazaron mein yatna karne walon mein koi ek siddh hota hai. Siddh bhagwat prapt nahi kathinaiyan bhi hai. Itni antarik kathinaiyan hai. Kam krodh ka veg, lobh moh ka veg kuch anand ki anubhuti hriday mein nahi ho rahi.
andhkar chhaya hua hai. Bhajan ka prayas kar raha hai. Maya apni taraf akarshit karke uske chintan ko khaseet rahi hai. Bada yuddh hai. Koi chhota mota nahi. Mahabharat yuddh se bhi badhkar yuddh hai. Ye yuddh wahi janta hai jo sadhak bhagwat prapti ke marg mein chal raha hai. Jo balance bana ke manoranjan kar rahe hain unko to yuddh se matlab hi nahi. Lekin jo sanyam se bhagwat prapti ke marg mein chal raha hai. Uske hriday mein dah paida hoti hai. Wo mahan tathu kashto ko sahne wala bahari bhitri donon prakaar ke praharon ko sahne wala wo sahat sahat baadh bhagat ga tan guru hitgar.
ab shri bhagwan kah rahe hain main swayam tumhen tatv ka updesh karunga. Abhi tak bhagwan kabhi brahm rishiyon ke mukh se updesh diye, santo ke mukh se updesh diye wo bhi sab yathavat hai kyonki bhagwan hi bolte hain. Ye swayam bhagwan bol rahe hain. Jagat guru shri Krishna chandra jo bhagwan ne kaha tha ki main tumhen gyan vigyan ke sahit tatv ka varnan karunga. Ab bhagwan tatv ka varnan kar rahe hain. Bhumi rapo lo vayu kham mano buddhi revach ahankaar iti mein bhinna prakti rashtadha aprit prak vidhi mein para jeev bhuta maho yadam te jagat prithvi jal tej vayu akash man buddhi ahankaar ye aath prakriti hai jismen jeev fansa hua hai.
bhagwan kah rahe hain yah aath bhedon wali meri apra prakriti hai aur apra prakriti se bilkul bhinn ek para prakriti hai jise jeev kahte hain. Inheen donon ke dwara anant brahmand viksit dikhayee de rahe hain. Panch mahabhut man buddhi ahankaar ashtadha prakriti ye apra hai aur jo atma hai atma shabd isliye yahan nahi kaha gaya kyonki bhul se dehabiman ko sweekar kiya isliye use jeev kaha gaya jaise koi riksha chalak hamen rokna bola ae riksha wo khada ho gaya kya wo riksha riksha hai nahi par usne rikshe se tadatma kar liya hai isliye riksha kahne se ruk jaata hai.
aise hi ek tarah samjho atma ki ninda hai jeev kahna dehabhmani jaise riksha kahna uska apman hai riksha chalak ka par wo samjhta nahi wo rikshe mein tadat mein isliye khada ho gaya haan bolie ae taxi wo khada ho gaya yadyapi wo alag hai taxi alag hai aise deh alag hai ye apra prakriti hai panchamhabhut man, buddhi, ahankaar ye apra prakriti hai. Main nahi hoon. Par itna pyar isse ho gaya, itna bandh gaye ki hamko jeev kah diya gaya. Yadyapi ham shiv hai. Yadyapi ham atma tatv hai. Yadyapi ham bhagwat swaroop hai.
apne swaroop ko bhul karke hamen jeev kah diya gaya. Kyonki jeev shabd hi hota hai us jo dehabhmani hota hai. Dehabiman kisse hua? Ye asht prakriti se ham fas gaye. Yah aath baten hain jo hamko fasaye hue hain. Panch bhauton se bana hua yah sharir aur ismen man buddhi aur dehabiman ahankaar ye ashtadha apra prakriti ko bhram se apna man lene se para prakriti jo paramatma swaroop hai wo jeev in donon se charachar jagat bhara hua hai. Shri bhagwan jeev bilkul samjh lo jeev nahi hai. Paramatma hai kyonki ekom bahuma main ek bahut rupon mein ho jaun to wahi parbrahmma paramatma bahut rupon mein hua par wo dehabiman ko sweekar karne ke karan paramatma na kah ke use jeevtma kaha gaya.
sthul sukshm karan sharir se rag karne ke karan use jeev kaha gaya. Nahi to sachchi maniye abhi chhodkar dekhiye sthul sukshm karan ko to aap paramatma swaroop hai aap brahm swaroop hai. Shri bhagwan ne sambandh hi durgati ka karan hai. Aur sambandh hi moksh ka karan hai. Sambandh se sambandh mitana hai. Guru sambandh se jagat ka sambandh mita dena hai aur guru mantr ke sambandh se deh chintan chhod dena hai. Guru sambandh se jagat sambandh mita dena hai. Gurudev ke siva mera akele aur Gurudev ke mantr mein itna chintan mein tallin ho jana hai ki deh chintan chhod dena hai.
aur phir achint gati ko prapt ho jana hai. Ye aath mein fanse hue hai. Charachar jagat isi aath mein fansa hua hai. Tino lok 14 bhuvan jad chetan sthavar jangam thalchar jalchar navchar jarayuj and shwed ubhit satvic rajas tamas manushya devta pitr gandharv pashu pakshi kit pratanga bhut pret pisach sab ye do mein apra aur para prakriti panchbhut man buddhi ahankaar isi mein aasakt hokar ke atma tatv apne ko bhramit man ke main stri main purush mein jad main chaitanya aur anant janmon se bhatkav chala aa raha hai. Shri bhagwan bhutani sarwadhar aham krishnas jagta prbh pralya tatha sampurn praniyon ke utpann hone mein ye do hi baten hain.
apra aur para prakriti prakriti kah diya gaya atma tatv ko kyonki prakriti se aasakt ho gaya to prakriti kah diya gaya riksha mein tadatma ho gaya to riksha kah diya gaya nahi to paramatma swaroop hai. Age ke shlok mein bhagwan varnan karenge is baat ko. Apra aur para in donon prakritiyon ke sanyog ka hi karan tum samjho yah sampurn jagat agar is sanyog ko mita de to mahatma aur sanyog mein fansa raha to wahi duratma koi isliye asangoham purush asang deh se asang deh sambandho se asang jagat se asang ye bhagwat prapti koi rasgulla to hai nahi ki aise mukh mein dharo atishay ragad kare jo koi pragat anal chandan te hoi is jad chaitanya ki granthi ka bhhedan karna bahut kathin hai yadyapi ganth hi nahi lagi bada ascharya hai jad chetan hi granthi par gayi yadyapi masa chutati kathin to etni bhutan sarwadhare inhi do se anant brahmand bhare hue hain bhagwan kah rahe hain.
is jagat ka prabhav bhi main hoon aur pralya bhi main hoon. Main hi apne aap se apne aap ko srijan karta hoon. Apne aap se apne aap ka palan karta hoon aur apne aap se apna lay kar leta hoon. Sanhaar kar leta hoon. Ye jo jaan gaya wo mast rahta hai. Har sthiti mein mast rahta hai. Ek jagah yagya ho rahi. Ek jagah sanhaar leela ho rahi. Madhya se wo ja raha hai na idhar harsh hai na udhar shok hai kyonki dekh raha hai wo apne aap se apne aap ka srijan karta hai aur apne aap se apne aap ka palan karta hai aur apne aap se apna aapka sanhaar kar leta hai isliye bhagwan age ke shlok mein kaha mat partram nyat kinchit Dhananjay ma sarwadam protam sutra managnay he Dhananjay mat partram namat kinchit mere siwai kinchit matra kuch nahi hai.
sab paramatma hi paramatma hai. Hamen tumhen kyon nahi dikhayee de raha? Kyonki ham paramatma ko nahi ashtadha prakriti ko apna man liya. Usi mein phas gaye. Jo panch mahabhut man buddhi ahankaar ismen ham tanmay ho gaye. Isliye hamen paramatma tatv ka bodh na hone ke karan hamko stri dikhayee deta hai. Purush dikhayee deta hai. Duratma dikhayee deta hai. Mahatma dikhayee deta hai. Chhota bada accha bura. Bhagwan ye varnan kar rahe hain ki isi mein phas gaya. Agar guru kripa se ashtadha prakt se mukt ho jae to use anubhav mein hoga.
mat par taranya kinchit dast Dhananjay mere siwai dusra koi bhi kinchit matra kahin kuch nahi hai. Karan kyonki main is jagat ka karan bhi hoon. Karya is jagat ka karya bhi main hoon. Karan bhi main hoon. Banne wala bhi main hoon aur banane wala bhi main hoon. Aur mitne wala bhi main hoon aur mitane wala bhi main hoon. Sajne wala bhi main hoon aur sajane wala bhi main hoon. Phir pareshani kya hai? Pareshani yah hai ki ye panchbhuton ke rachit bavandar mein phas gaye. Is deh mein phas gaye. Main tu mein phas gaye. Mera tera mein phas gaye.
bas yahi mitane ke liye manav deh mila hai. Shri bhagwan kah rahe hain jaise sut ka mala to sut ka dhaga bhi aur sut ki maniya bhi aise charachar jagat hai. Ashtadha prakriti bhi main hi bana hoon aur para prakriti bhi main hoon. Mere siva koi nahi hai. Sabka mul karan bhi main hoon aur sabki kriya bhi main hoon. Bolo kya pareshani? Wahi paramatma satogun rajogun tamogun wahi paramatma satogun rajogun tamogun ki kriyaen ho isiliye jo sant jan hote hain wo nirapeksh hote hain. Jahan kahin hahkar macha hai wahan bhi wo anand mein hote hain aur jahan kahin jai jaykar macha hai wahan bhi anand mein hote hain.
unke anand mein koi fark nahi hota kyonki anand sindhu ki leela ho rahi isliye unhen koi fark nahi hota. To apne ko itna gyan nahi hai ki sab bhagwan hi hain. To ham itna to aaj se shuru hi kar den ki suna hai sab mein bhagwan hai. Sab rupon mein bhagwan hai. Isliye ham kisi se ladai jhagda nahi karenge. Kisi se dves nahi karenge. Dusra koi hamen gali dega to mera hi bhagwan hai. Isliye ham palat kar gali nahi denge. Koi hamen marenga to ham palat kar use marenege nahi. Ham itni sadhna to shuru kar den.
ham kisi se dves na karen. Vimatsa raha kisi se dves na karen. Kisi se ladai jhagda na karen. Sab mein mera bhagwan hai. Jab tak ye prashn ka samadhan nahi hoga tab tak moksh nahi milega. Ek bhi srishti mein koi bakaya na rah jae jise aap paramatma se alag mane. Wahi tumhare bandhan ka karan hoga. Sarvam khalmidam brahm ne nana nast kinchan sab kuch paramatma hi hai. Ye swayam paramatma bol rahe matta partram nanyat kinchitasta Dhananjay mere siwai jagat mein kinchin matra bhi kuch nahi hai. Aur hamko yahi siddh karna hai.
jo siddh purush hue hain unhone sare jagat mein apne isht ko dekha hai. Jaise goswami tulsidas ji kah rahe shri Ram mein sab jag jani. Upnishad tatwadarshi mahapurush kah rahe hain eeshavad sarv kin jagat jagat jagat ka ek kan bhi aisa nahi jismen ishwar na virajman ho yahi hamen siddh karna hai bhagwan kah rahe hazaron mein koi ek siddh karta hai to jise ise yahan hazaron mein kah rahe hain usi ko piche kaha bahu naam janm na gyanvan mam prapte vasudeva mahatma sudwa sab jagah Vasudev hai jab tak ye baat nahi siddh hogi tab tak aapki jeevan yatra adhuri mani jaegi.
sadhna adhuri mani jaegi. Hamare Harivansh mahaprabhu kahte hain ye krura apino nasta samas dyaa sar param swadhya buddhim jo dusht hai papi hain nich hai wo bhi mere sakshat isht dev hai ye koi na samjhe ki ye gyan marg ki baat hai. Bina is prashn ka samadhan kiye sarvatra bhagwat buddhi kiye koi bhi moksh padvi ko prapt nahi ho sakta. Koi bhi bhagwat prapt nahi ho sakta. Koi siddh nahi ho sakta. Isliye ham praytn karen ashtadha prakt se apne sambandh ko hatakr bhagwan mein Gurudev mein lagaen aur nirantar guru mantr ka chintan karen.
isi se hamara sara kam ban jaega. Shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…