॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhogasakti ki jalan se bachne ka saral upay / anand chahiye to in 11 baton se savdhaan rahie // 24/07/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

vrinda vaneshwari tav padarvindm prema makrand Ashok purnam hadyapit madhupte smartamugram nirvapay param shital masya param shital maya aaj dekh braj sundari mohan ban ke braj sundari mohan bani ke ansh ansh bahu de kishor jor rup rashi mano tamal arujhi rahi saras kanak be mano tamal arujhi rahi saras kanak beli ansh ansh bahu dey kishor jor rup rashi manottamal arujhi rahi saras kanak beli aaj dekh braj sundari mohan bani ke navnikunj bhramar gunj manj Gosh prem punj gaan karat mor pikan apne sur so meri Madan mudit ang ang beech beech surat rang beech beech surat rang pal pal Harivansh vivat nain chasak jheli Madan mudit ang ang beech beech surat rang rang pal pal Harivansh piwat nain chasak jheli pal pal harivansham piwat nain chashak jheli aaj dekhi braj sundari mohan bani ke mohan bani ke upasna mein jad chaitanya buddhi stri purush buddhi duratma mahatma buddhi in sab ka lay ho jaata hai.

uski drishti mein na koi stri hai, na koi purush hai, na koi duratma hai, na koi mahatma ekmatra paramatma drishti jagrit hoti hai. Yah jagrit hoti hai. Pehle bhavna ki jati hai. Phir sthiti hoti hai. Jaise parthiv sthiti hone par pehle stri purush jad chaitanya duratma mahatma aisa darshan hoga baad mein bhagwat bhav hoga lekin sthiti hone par keval bhagwat bhav rahta hai keval prabhu bhav rahta hai jab tak yah bhav nahi rahta tab tak bahut kachchai hai aur upasak ko savdhani purvak apne ko paripakva karna hai paripak ko apna prayas aur guru isht kripa apna keval prayas hi hai.

kripa ka bharosa nahi to paripakva avastha nahi prapt ho sakti. Aur aap vani se keval kripa shabd ka ucharan karte hain aur aap prayas bilkul nahi kar rahe. Purusharth nahi kar rahe. Manmani aacharan kar rahe hain to sthiti nahi prapt ho sakti. Sthiti prapt hoti hai. Apna sampurn purusharth laga de aur bhagwat kripa ka guru kripa ka bharosa to sthiti nischit prapt ho jati hai. Yahi sthiti jeevan mukt karti hai aur jeevan mukt mahapurush hi priyal ke prem ka rasaswadan karta hai. Jab tak deh bhav pusht hai tab tak prem ka pradurbhav nahi hota.

jaise jaise deh bhav galit hota hai waise waise prem pratishan vardhmaan hota rahta hai. Badhta rahta hai. Prem agadh samudra hai isliye kabhi ismen purnata nahi hoti ki ab purn prem aa gaya. Kabhi premi ko aisa anubhav nahi hota ki main premi hoon ya mere mein prem hai ya purnata hai. Nahi. Har samay ek vichitra koti ki chah utpann hoti hai. Yadyapi jinki chah hai wo mile hue hain. Phir bhi wo itni pyas hai ki wo chah badhti hi rahti hai. Chah badhe din rahan raat din chah badhti hai. Yadyapi tan man ke bichure nahi na sharir se dur hai na man se dur hai par chah badhe din rahan kabahu sanjog na manah dekh bhari bhari nain har samay netr bhar ke rup ras ka pan karte hain par aisa lagta hai mano kabhi dekha hi nahi aisi prem ki mahmmahim vritti jab upasak ke hriday mein jagrit hoti hai yah hai moksh sukh bhi kadva kar dene wala sukh mano deh mein jo mrityu lok ka sukh hai to bada ghrinit sukh hai isse uchh koti ka sukh devlok mein hai.

devlok se bhi tapok maharlok janok phir sabse zyada mahan sukh brahmlok mein hai. Lekin ye jitne sukh hai sab mayakrit hai. Jo das ko sukh milta hai wah brahma ji ko bhi sukh brahm pad mein nahi mila. Bhagwat dastv phir jo sakhaon ko sukh mila uski to mahima hi kya? Jo vatsalya bhav se prabhu ko dular karte hain unke hriday ko kya kahna? Jo kanta bhav se prabhu se pyar karte hain unko kaun upma de kisi se? Kyonki wah adwati hai jo kant shri Krishna ko mankar atho pahar unmein chitt ko shringar bhav se jodte hain aur ye to mahadhury ras Vrindavan nitya vihar yahan jab chitt sparsh karta hai to moksh kadva lagne lagta hai.

moksh sukh bhi thutkeekrit ho jaata hai. Jise kadva ham sweekar nahi kar sakte. Thuk dete hain. Aisa shripad Prabuddhanand ji ne kai bar varnan kiya. Mahaprabhu Harivansh chandra jo bhi kahte hain vibheem kaivalyata ye to bhayav hai moksh pad bhay lagta hai isse. Shri rup ji ne kaha ki yah to pishachini hai. Jab tak yah bhakti mukti pishachini lagi rahegi tab tak prem nahi prakt hota hai. Bhogon ko bhogne ki ichchha rupi pishachini ya mukt ho jane ki pishachini aisa mahapurushon ne jab Priya pritam ke prem rang ras ka rasaswadan kiya to moksh mukti pishachni lagne lagi.

bhayava lagne lagi, kadvi lagne lagi, thutki krit ho gayi. Phir aur kaun sa sukh bacha? Sarvshresht maha sukh, atma sukh jeevan mukt mahapurushon ko prapt hota hai. Lekin prem sukh ke age ye sab sukh fike ho jaate hain. In vilokat ati anurag barbas brahm sukh man tyaga. Brahm sukh ka bhi tyag karke man prabhu ke rup rasashon ka rup ka anand prapt karne ke liye vikal ho gaya. Janak ji maharaj ka aur gyanyon ki aur brahm bodh sampann mahapurushon ki to alag vritti rahi. Ye to bade-bade gyanyon ke guru hai.

isliye shripad kah rahe ki ta bhuta vimukti visham nirabh sarwendrtha sarve bhoga bhavti prabal gal vanbhat jwaal kalp kit praya samasth pravar suragna siddh jal prayah sanswad Vrindavan rasik rasam madhyate mein hadam jab aapko priyal ka thoda bhi prem prapt hoga to tati bhuta vimukti ye jo jeevan mukti avastha hai moksh padvi hai bole tati bhuta hai kadvi lagne lagegi nahi chahiye moksh shubh par ye bahut unchi baat hai. Abhi to mrityu lok ke bhog hi aapko parast kar denge. Moksh sukh to jo brahmlok tak ke bhogon ka tyagi hota hai usko prapt hota hai.

yah premi jan moksh ke age bhi jo maharas hai usmen sthit hai. Mrit bhog tumhen akarshit karke bhrasht kar dete hain. To moksh sukh to bahut duri ki baat hai. Hamari sthiti nahi hai. Par hamare gurjan jo age chal rahe hain unki sthiti hai aur usi marg mein ham chal rahe hain to ham sthiti na hote hue bhi usi marg ka anusaran karenge jismen hamare gurjan gaye hain. Mahapurush jan gaye hain. Mahajno gan swaptha jismen mahapurush jan gaye us pankti mein ham khade hain. Sthiti hamari nahi hai par hamko wahi wahi aacharan karne hain vaisa hi bhav rakhna hai jaisa hamare age virajman gurjan jo pankti mein hai jo priyal ko dular karne wale hain jo priyal ke samip pahunch chuke hain jinke aaspas atho pahar maha sukh ghere rahta hai to ham usi marg se chal rahe hain isliye jaise koi kahe ki hamari sthiti to nahi par ham usi pankti mein to khade hain na to hamko vaisa hi vihaar karna hai.

itna bada tyag kisi aur ki samarth nahi sirf prem ki samarth hai. Jo moksh sukh ka bhi tyagi bana de aur aisa tyagi ki punah uski ichchha hi kabhi na ho. Ta bhutwa vimukti moksh padvi kadvi lagne lagti hai. Shripad kah rahe hain visham nirav bhati sarwendra arth nir kahte hain narak ko aur jitne bhi bhog hain ye visham hai ye ek ras nahi hai aaj kamna jitni badi hui to bhogo tumhen accha lagega phir bhogo phir bhogo to man kahne lagega is sharir mein nahi us sharir mein dekho is bhog mein nahi us bhog mein is vastu mein nahi us vastu mein iska matlab hamko keval bhulwe mein dala ja raha hai sukh nahi hai likha visham niray vabhati sarwendriy indriyon ke jitne bhi bhog hain yah sab narak pradan karne wale hain.

inme kinchin matra sukh nahi hai. Shri Krishna chandra ji ne gita ji mein kaha dukh yonya arthat keval yah dukh prakt karte hain. Pakki baat hai sachchi baat hai. Agyaan ke karan aapko aisa lagta hai ki indriyon ke bhog bhog kar main sukhi ho raha hoon. Lekin satya vishay yah hai ki jab unko bhogo to andar se aata hai ki jo main chintan mein sukh prapt kar raha tha wah to hai hi nahi. Bade-bade bhogiyon ko ghrna hone lagti hai. Par wah ghrna dusri tarah ki hoti hai. Vairagya nahi hota. Us sharir se nahi dusre sharir mein us sharir se nahi tisre sharir mein.

aise wo bhatakta hai aur jo viveki hota hai wo sampurn bhogon se narakwat apna pind chhuda leta hai. In bhogon ke bhogne mein tumhara chintan pradhan hai aur kuch nahi. Dhato vishay push sang deshte yadi tum vishay chintan na karo to kisi vishay mein sukh nahi hai. Tumhara jab ekant mein chintan banta hai tab wo tumhen chintan ke karan sukhanubhuti hoti hai na ki us vishay mein sukh hai. Jaise ek kutta sukhi haddi lekar ekant mein bhagta hai ki mere sukh ko koi chhin na le aur jab chabata hai to usi ki galaphron se rakt sraav hokar haddi mein dikhayee deta hai.

usko lagta hai ismen ras hai. Ismen power hai kuch nahi. Aise hi agyani purush ke dwara samasth bhogon ke bhogne ka jo chintan hai wahi chintan use sukhanubhuti karata hai na ki bhogon mein. Nahi to bhagwan ki agyaa mano anannya chintyanto mam keval bhagwat chintan ho phir hamko parinaam batao kaun sa bhog tumhen sukh pradan karta hai ghrna ho jaegi ye bhagwat prapt mahatma kah rahe hain inke vachno ko manna chahiye anubhav mein nahi utrna chahiye aisa daldal hai bhogon ka ki aaj tak koi anubhav karke nahi nikla hai jab nikla hai to ro ke asantusht hokar ke hi chhoda hai kabhi koi aise bhog nahi chhod paya ki bahut bhoga hamen tripti ho gayi.

ab main ja raha hoon bhagwan ki sharan mein. Aisa kabhi nahi hua. Ek bhi nahi hua. Chahe jitna bada samrat ho chahe jitna bhog bahulyta ho. Roya pashchatap kiya aur asantusht hokar atript hokar tyaga. Wahi baat aaj hai aapke hriday mein ki aap atript hai bhogon se. Asantusht hai to anubhav ke liye mat jaiye. Gurujanon ki mahapurushon ki baat man lijiye aur uska chintan chhod dijiye. Bas khas baat hai. Tumhare ko agar koi pareshaan karta hai to tumhara chintan pareshaan karta hai. Andar se theek baithkar dekh lijiye.

bade bhagyashali upasak hai jinhone apne chintan ko bchane ki cheshta ki. Koi bhi kriya tab hoti hai jab chintan hota hai. Yah bahut siddhant hai. Bhagwan ke vachan hai. Dhatu vishay pusas sanguja jab ham kisi vishay ka dhyan karte hain, chintan karte hain, manan karte hain to hamare andar uske bhogne ki ichchha prakt hoti hai. Chahe wo koi khan-pan ki vastu ho, pahne odhne ki vastu ho. Ye sab bhog ke antargat ate hain. Sarwendra arth samasth indriyon ke arth bhog alag-alag hai. Shravan indri ghanendra netr indri tagdri wakendra hastri pad indri jnendriay guda indri ye sab indriyan hain.

panch karmendirya hain. Aur panch gyanendriay hain. Inka mukhiya man ye 11 inka kam hi hai jagat ke bhogon mein chintan lagana bahut sukshm vishay prarthna hai ye santo ki anubhut vishay hai chintan kisi vishay ka na ho aur phir koi bhog bhogo bilkul 100 mein 100% aapko sukh nahi milega aise mahapurushon ka jo chintan bhagwan mein sthit hai priyal mein sthit hai unke liye kaha gaya vishay grahan munch koi fark nahi parta vishay sevan mein paap krit mein punya krit mein antar se dekha jaata hai ki usko barabar panch vyakti barabar wahi kriya kar rahe hain.

chahe wah paap ke ho ya punya ki ho lekin panchon ka phal alag-alag ho sakta hai. Ek ka rag nahi hai. Bilkul keval kriya hai. Bilkul rag nahi hai. Bilkul nahi bandhega. Uska har karm akarm ho jaega. Ek hai bahut kam rag hai. Usko bahut kam fasav usko hoga. Ek hai sampurn rag chitt mein hai. Usko puri asakti uski durgati kara degi. Antar se tum kitna chintan karke us bhog ko sweekar kiye ho bas khas baat hai. Isiliye bhagwat prapti ke marg mein chahe jo vishay ho yadi wah bahut priy lag raha hai aur uska hamara chintan bana hai to use hamen sevan nahi karna chahiye.

chahe wo kitna satoguni bhog kyon na ho kyonki hamara chintan bana hai aur agar ham bhogenge to chintan pusht ho jaega aur bar-bar chintan hoga to hamare chintan mein vighna padega isliye jis vastu ka chintan ho ki aaj to amuk chij khani hai amuk chij dekhni hai amuk chij bhogni hai uska bahut saralta purvak yadi maya ne sanidhy de diya to bhi na bhoga jae yah bahut andar se adhyatma pushti ki baat hai. Ise samjh lo. Shripad kah rahe hain visham pahli baat yah hai ki tum harshit hokar je hi bhog mein jaoge to parinamta tumhen shok milega kyonki dwaand hai ye.

yah visham hai. Harivansh mahaprabhu. Isi sansaar par vijay prapt karne ke liye prem ki baat kahi hai. Agar is sansaar ko jitna hai to ekmatra bhagwat prem hai dusra kuch nahi dusri kisi ki samarth nahi hai prem mein bahut prabal shubh ashubh Durg vidhvans bal tab jayati jayati jag sevak ji maharaj kah rahe hain jit visham sansaar kirti jag vistare jit visham sansaar kaun jai jai shri Harivansh naam gun gay hai jo naam jap kar rahe hain leela gayan kar rahe hain sarwendra arth samasth indriyon ke arth unke bhogne ka chintan aur bhog kriya narak pradan karti hai.

narak spasht sarve bhoga bhavti prabal gar kyonki jitne bhi bhog hain yah prabal vish hai. Prabal vish prabal vish ka matlab hota hai tatkaal asar karne wala ek mitha vish hota hai. Mahino mein asar karta hai. Lekin bhog tatkaal pagal bana dene wala hai. Chintan hua, sanidhy bhog ka hua. Pagal ban gaya. Kya karna chahiye, kya nahi karna chahiye sab bhul gaya. Dekho kitna asar chadha uska ki uska chintan, uski kriya sab bhagvatik mit gayi aur us samay wo kamand ho gaya. Us samay vasna mein ho gaya. Sara chintan khatm.

sari ki sari vritti yah jahr hai. Ise kah rahe sarve bhoga bhavti prabal gar ye prabal vishay jo tatkaal chadta hai. Dekhne se chadta hai, chune se chadta hai, chintan se chadta hai. Phir bhogne se kya hota hoga? Yah aisa prabal garal hai, vish hai ki ek vish to khane se hi keval ek sharir mein chadega, ek janm nasht karega. Lekin ye bhog kah rahe sarve bhoga bhavti prabal gar ye itna bada vishay ki dekhne se chadh jaata hai. Sunne se chadh jaata hai. Chintan se chadh jaata hai. Phir bhogne se kya durgati hogi? Isliye kaha nirav vaat sarwendrtha jo indriyon ke bhogon ka chintan karke unko bhog kar sukhanubhuti karte unko narak ki prapti hoti hai.

bhagwan ne bhi kaha trivadh naraksad dwaar na matman kam krodha tatha lobha tasat ye tino narak ke dwaar hain. Kam krodh lobh ye nischit narak pradan karte hain. Vanyut bhat jwaal kalpaha aur yah bhog kya karte hain? Hriday ko jlate hain. Agni jaise jala ke twagendra ko sharir ko kasht deti hai. Lekin yah karan sharir tak prabhav dalte hain. Bhog swabhav antahkaran indriyan aur sthul sharir bhi is tino shariron par vish ka prabhav pare. Aisa vish ki rachna aaj tak nahi hui. Prakriti mein prakritik vish keval sthul sharir par prabhav dalta hai is par.

lekin ye sarve bhoga bhavti prabal gar ye sthul sharir par bhi prabhav dalte hain. Sukshm sharir ko vashbhut kar lete hain aur swabhav ko bigad dete hain. Dehabhmani purush jab indriyon ke dwara vishyon ka chintan karke bhog karta hai to uske tino sharir barbad ho jaate hain. Tino sharir uske gande ho jaate hain. Ye isiliye jo vign jan hai wo kah rahe hain ki isse bada koi jahr hi nahi hai. Sarve bhoga bhavti prabal gar van bhat jwaal kalpa hriday jalata hai. Bhogne par bhi jalan bhogne ke baad bhi pashchatap ki jalan pashchatap ki jalan aur wo pashchatap tikav nahi hota hai.

ek ghante do ghante jalan hui tisre ghante phir usi bhog ki chintan vritti phir wahi bhog ki kriya badi durgati hai sansarik jeev ki badi durgati upar se chikna chupda shant nazar aa raha hai andar dekho ismen likha hai van bhat jwaal kalp ka kam agni krodha agni lobha agni usse jal raha hai wo kit praya samasth pravar gana siddhasendra jal kah rahe hain ki bade mahapurush hain. Isliye kah rahe hain ki in keedon mein aur devtaon mein koi fark nahi hai. Kyon? Praarabdh anusaar kida bhi apne bhog ko bhog raha hai.

devta bhi bhog ko bhog rahe hain. Devta koi naveen karm karke bhajan thodi kar rahe hain. Apne purv punya ko bhog rahe hain. To kit praya samasth pravar suragna ye pravar mane hota shreshth. Shreshth jo devta log hain hamari drishti mein kide se zyada nahi hai. Kyon? Kyonki jaise kida apna praarabdh bhog raha hai. Aise devta apne praarabdh bhog rahe hain. Shubh kuch nahi hai unke paas. Naveen karm nahi jitna rupya jama hai uska bhog kar rahe hain. Jaise badhiya hotel hai, har vyvastha hai, aapka payment hai to aap bhogie har bhog jis din payment khatm hua dhakka mar ke bahar kar diye jaoge.

aise hi swarg se dhakka mar ke gira diya jaata hai. Uske gale mein mala padi hoti hai. Wo mala nitya naveen sugandhat rahti hai. Jab tak usko swarg mein rahna hai. Aur jahan mala kumlai to pata chala ki punya nasht ho gaye. Ab usko bhari viyog uska viman chhin jaega. Uska mahal chhin jaega. Usko Apsara jo mili thi wo sab bhog samgri ek kshan mein hata ke dev sharir se hata ke bhrasht kar diya gaya. Phir mrityu lok mein kya banega ki kida patanga kya banega wo bhagwan jane. Isiliye kah rahe hain meri drishti mein kide se aur devta se samanta jab karte hain to barabar nazar aata hai.

wo apne praarabdh ka bhog bhog raha hai. Apne praarabdh ka. Bole manushya ka udaharan kyon? Manushya shreshth hai devtaon se. Kyon? Kyonki Radha Radha Krishna Krishna jap karke wo bhagwat prapti kar sakta hai. Devta nahi kar sakte. Kit praya samasth pravar suragna siddhasendra jal. Ab kah rahe hain ye jo asht siddhiya aur bhi 28 siddhiya aur bhi anya chhoti siddhiya bole ye indra jal hai koi bhagwat anand nahi hai. Indra jal mane hota hai jo hai nahi par dikhaya ja raha hai. Maya ka jadu ka ek naya tamasha.

siddhiya kya hai? Maya ka ek naya tamasha. Agar unko aur kya tamasha yahi hai abhi yahan hai aur isi samay kahin aur hai jab donon are bade to siddh purush hai abhi to yahan hamare samne to bole theek isi samay hamare paas bhi the bole bade siddh purush hai ye kya hai koi khas baat thodi hai asht siddhiya siddhas indra jal ye indra jal maya jadu ka tamasha yah hai prem ki prapti ke liye jo hamen vikalta chahiye wah yahan kahin nahi tikna. Prayah sanswad Vrindavan rasik rasam madhyate me hridam jinko Vrindavan prem ras ki prapti ki chah hai wo itne mein kisi mein bhi na tike kisi ko bhi sweekar na karen.

nahi prem ras nahi milega. Isiliye aap dekhen hamare Vrindavan braj dham ya kahin bhi jo bhagwat premi siddh mahapurush hai aapko koi jadu tamasha koi aisi baat nahi milegi sidhe saral swabhav naman kutilai to yahan ki siddhi kya hai yahan ke siddho ko kya prapt hota hai rud suram rajan Krishna darshan lalsa par rona yahan ki siddhi hai jis par tum ho reejhte kya dete yadi veer rona sisakna tadpna ahon ki jageer ye ye yahan ke siddho ki paripati hai. Ekant mein baithe hue chilla chilla ke ro rahe hain prabhu se ha Krishna ha kamal lochan ha priyaju ha swamini ye yahan ki siddhi hai.

to ye kisko milti hai? Bole jo moksh ko kadva man ke jo samasth indriyon ke bhogon ko narak man ke jo samasth bhogon ko maha vish jaan ke kyonki ye jalane wale hain aur samasth devtaon ko bhi kide se bhi zyada bhav na rakhna kida apna praarabdh bhog raha hai. Wo apna praarabdh bhog aur indriyan to jadu ka tamasha hai. Goswami tulsidas ji ne bhi likha hai Riddhi siddhi pere bahu bhai buddhi lobh dikhave ai hoe buddhi jo param sayani tant chit na jani ye hamara amangal kar deng bhagwat prapti nahi hone degi isliye bhagwat premi mahatma kabhi kisi siddhi ko sweekar nahi karta isiliye bahut saral hote ab phir unmein koi chamatkar nahi dikhayee deta kya chamatkar bahari kyonki wo indra jal sweekar nahi kiye.

unka chamatkar hota hai unke samip ek bar jo aa gaya aur un par bhav kar liya to uska jeevan parivartit ho gaya. Wo bhakt ban gaya. Bhagwan ka naam japak ban gaya. Achhche aacharan wala ban gaya. Manushya jeevan ka usko labh mil gaya. Yah chamatkar hota hai. To shripad kah rahe hain shri Vrindavan ka jo maha rasaswadan matvala kar dene wala moksh sukh ko bhi thutkeekrit karne wala prem hai uski prapti ke liye yadi aap chal rahe ho to stri matra matra buddhi bahut dhyan se sunie grihasth hai to jinke saath pan grahan sanskar kiya hai unke alawa aapka kisi ke prati bhi kam bhav wali vritti ka sambandh nahi hona chahiye.

yani badi durgati hoti hai. Chahe wo stri sharir ho, chahe purush sharir ho, yadi apni mariyada se alag ye dekho dharm shastr hain. Inka ek kanun hai. Bharatiya samvidhan ke anusaar aapne yadi kanun virudh aacharan kiya aur nahi pakde gaye to aap apne ko bahut praveen mante hain ki main bach gaya. Dekho lekin tum bharatiya samvidhan ke pragat mein dand na milne par aisa na samjh lena ki dand mukt ho gaye. Ek hai bhagvatik samvidhan jismen kisi ki gavahi, kisi ki sakshi ki ya kisi ki report ki zaroorat nahi.

tumhara karm hi tumhen dand de dega. Jo tumne karm kiya hai isliye jo pati vanchak par pati rati kar ro narak kalp sat par jo stri apne pati ki vanchna karke dusre purushan ke saath sahwas karti hai bahut samay tak wo roro nark ko prapt hoti hai. Aisi jo purush pani grahan karke apni patni ko dhokha dekar dusri stri ke saath sahwas karta hai. Aisi uski durgati hoti hai. Aur jo bhagwat marg mein chalne wale upasak hain chahe grihasth ho chahe virakta samasth sansaar ki jitni bhi stri sharir dhari hain un sabke prati pujya buddhi bhagwat buddhi daivi buddhi matri buddhi aisa kaha gaya hai.

jinse pani grahan kiya unki baat alag grihasth mein prakash sabke prati bhagwat buddhi sabke prati aise virakta bhav mein goswami ji isi ki tika karte hain. Stri mat matra buddhi ke liye janani sam janah par nari dhan parae bite vish bhari jinah Ram tum pran piyare tinke man shubh sadan tumhare jo aapko prannon se bhi adhik pyar karte hain unka man aapka nirantar nivas sthan hai. He Raghunath ji Valmiki ji ke jo sadaiv matao bahno ki taraf drishti keval pujya buddhi se jati hai. Ye janani hai. Ham inheen se paida hue hain.

inheen matao ke garb mein bade-bade mahatma bade-bade rashtrabhakta prakt hue. Yah daivi shakti hai. Inka jo apman karta hai, nirader karta hai, nasht ho jaata hai. Bade-bade aparadh Ravan ne kiye lekin nasht nahi hua. Lekin jab daivi shakti ka apman kiya to bhasm ho gayi sone ki lanka aur raha na kokul rovan hara. Badi uddandta karta tha Duryodhan. Lekin bade-bade mahatmaon ki kripa bani rahi uske upar. Par jo usne devi ka apman kiya, sabha mein nirvastro karne ka adesh, usi samay sare sukrit nasht ho gaye aur har mahatma ki kripa hat gayi aur nasht pura kul ka kul nasht ho gaya.

jinke gharo mein matao bahno ko sataya jaata hai, kasht diya jaata hai, wah kabhi shri sampann ghar nahi ho sakte. Aur jo matayen bahne dharm bhrasht aacharan karti hain, wah kabhi sukhi nahi rah sakti. Durgati ko prapt honge. Yah dharm hai. Yah hamara desh dharm pradhan desh hai. Bahut mahima is bharat desh ki gai gayi hai. Kyonki ismen dharm pradhan kshetra alag-alag bhagwan ne kshetra jaise swarg hai wo bhog bhumi hai. Nark hai wo paap bhog bhumi hai. Mrityu lok hai. Mrityu lok mein bharat bhumi bhagwat prapti ka param dharm sthan hai.

jaise ganga yamuna Saraswati ka samagam Tirtharaj prayag ek sthan hai apna uska mahatva hai. Aise pure vishv mein bharat ka mahatva hai. Yahan bhagwat prapti rupi mahan dharm ki sthaapna bhagwan ne ki hai. Ye wo bhumi hai. Is bhumi mein vas karne wale ke upar bhagvatik shasan hai. Dharm shastr ka aap yahan paraspat vybhchar nahi kar sakte. Jo hamare shastr mariyada hai uske viruddhachran nahi. Stri matra matra buddhi adesh kar rahe hain. Sampurn striyon mein matriddhi dekho ganv mein hamne dekha hai chhoti-chhoti jo balikaen 10 ghar se to sab unke charan chune ki bhavna ghar ke janm are tu to kanya hai devi hai jaise wo pita ke charan chune ke liye chale la idhar pair la ham ganv ki baat karen aise chale tu to durga hai kanya hai devi hai aisi bhavna hai navratri mein pavaya jaata hai na aradhna karke to unke prati wahi buddhi rakho jo navratri mein buddhi rakhte ho ki ye to sab naveen avastha ki bachchyan durga swaroop hai devi swaroop hai to waise stri matra matra buddhi ye sab Jagdamba hai hamari shri ji ki nij sakhiya hai inke charnon mein vandna karen to Priya ji se prem ho jaega aur inke prati dosh bhav kare to narak ki prapti hogi.

aise stri sharir ko chahiye purush sharir ke prati bhagwat bhav rakhna. Goswami tulsidas ji ne likha hai madhyam parapti dekh kaise bhrata pita putr nij jaise apne barabar ka dekha to jaise hamara bhai ho to kaisa hamara bhav rahega? Chhota dekha to putr ho to kaisa bhav rahega? Aur pita ke saman jo vayovriddh bade hain unke prati pujya bhav rahta hai. To mata bahne kaise purush ko dekhti hain? Bhrata pita putr nij jaise aur purush kaise dekhte hain? Bole janani samjhane par nari jo badi mata bahne aur sakshat maa hai jo chhoti aur sakshat durga hai naveen kanya rup unke charan sparsh karen.

jahan pani grahan wahan ardhangini bhav stri matre matra buddhi samasth charachar jagat ki ye prem prapti ke liye adesh de rahe shripad sthir char nikhil prani prani upas buddhi chahe jad ho chahe chaitanya ho usmen gaur se dekho Radha vallabh lal ji ki bhavna karte hue to Radha vallabh lal ji dikha denge kah rahe sthir char nikhil pran upas buddhi ye krur papin cham sambhas drishya sar param swadhya buddhimam mere aradhya dev charchar mein virajman hai bah sesh labhesh kah rahe ki sansarik jitne bhi labh hai ye sab dhoke ke hain.

samjhna hai keval samjhna hai kartavya palan karna hai par yah samjhna hai ki ye koi labh nahi hai dhoke ka labh hai ek arab rupya bank mein jama hai aapke paas badhiya makan bana hai pure jeevan bhar mehnat ki khub chhal kapt jaise bhi bana sab vyvastha kar li ab marne ka samay aa raha hai ab wo kab aayega ye to pata nahi kisi ka kabhi bhi aa sakta hai jawani mein aa sakta hai budhape mein aa sakta hai balyvastha mein yahan jo kah rahe hain ki bah sheshartha labhi jitne bhi sansarik labh hai wah sab bekar hai bah hain kaise bekar hai hamare to itne bank mein jama hai itne mitra hain itni factory ye ye ye theek hai final mein aao ab aapka sharir chhutne wala hai ab ab aapke paas kya jaega hua na sab bekar to kya karen na kuch karen nahi apne kartavya ka palan karo dharm purvak dharm purvak kiya hua kartavya tumhari raksha karega tumse papacharan nahi hone payenge tumhen bacha lega aur naam jap karoge yah dhan tumhare saath jaega hriday mukham la kriddhan buddhi kabhi bhi in bhogon ki hani ho jane par mukh milan karke udas

nirash mat ho kyonki ye koi labh nahi tha jise tum hani man rahe ho ki wo wo vastu nasht ho gayi, dhan nasht ho gaya. Hamen to sabne chhod diya. Hamara to uphash karte kuch nahi. Ye labh hi nahi tha. Yadi naam jap kar rahe ho to bhagwan tumhare hain to tumhen shok kaise aa sakta hai? Na yahan mana kar rahe hain. Hriday mukh milani nikriddha nibuddhi ai buddhihin kisi bhi hani mein tu udas mat ho. Ye koi hani hai. To bole hani phir kise kahte hain? Bole hani Harivansh ke naam antar pare agar aap Radha Radha jap rahe ho Krishna Krishna jap rahe ho shri Harivansh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh koi bhi hani ho gayi udas hone ki zaroorat nahi hai mere Swami ne ek second mein palak jhapkte anant brahmand rach diye wo jab jaisa chaenge kar denge joi joi pyaro kar rahe soi moh bhave mujhe nirash ya mukh milan karne ki zaroorat nahi deh stri mitra putrad nahi bahut pavitra baat kah rahe deh tumhari aur stri aur putr aur vitt arthat dhan putr

stri sharir tumhara no ye nahi hai tumhara nahi kaise nahi hai to sab final mein final mein aao ye sharir jaega tumhare saath nahi patni nahi putr nahi bank balance nahi to kah rahe deh stri mitra putrad nahi isliye mamdhi mitra buddhi apni buddhi ko bachao inse mamta na hone pave inme bhagwat bhav karo sva shatrush peedaya samtat koi kitni bhi pida de usse dushmani na hone pave kyon kyonki mujhe bhagwat prapti karni hai na aur bhagwat prapti usi ko hoti hai vishv mein jiska ek bhi dushman nahi hota.

dhyan do yah janm bahut durlabh hai. Kitna ek ek baat ko ekdam alag-alag karke bata rahe hain. Tumhare paas dhan hai, stri hai, putr hai, makan hai, bade mitra hain. Final mein tumhare paas kuch nahi hai. Radha Radha naam jap karo. Hai ab tumhare paas hai naam jap hai sadhu sang haan ye tumhare paas hai vani gayan haan ye theek hai dusron ki paropkar bhari seva haan hai tumhare paas sampatti ye ye jaegi aapke saath mam dhi dhi mane buddhi mam mane mera inko kabhi mere bhav se sweekar mat karo ki meri patni mera putr mera dhan mera makan tumhara sharir bhi tumhara nahi hai ye chhut jaenge yahi to kya bhav karen inse bhagwat bhav inme jo power hai sab mein bhagwan baithe hain.

aisa bhav karoge to ye bhav tumhara udhar kar dega. Sansaar mein phasne nahi dega. Aur sva shatru peedayam samta shatru bhav rakhkar koi hamse kitni bhi hamen pida de hamko usse shatru bhav nahi hone dena kyonki mujhe bhagwat prapti karni hai. Agar ek se bhi shatru bhav ho gaya to bhagwat prapti mein badha par jaegi. Yah pakki baat agar koi tumse dushmani karta hai yadyapi bahut kathin hai ki wah samne se katu vachan bole ham hath jod ke nikle nikalna padega kyonki tumhen mahan pad mein jana hai to hath jodna padega tumhen dekho yahan bhi kisi pad mein agar jana hota hai to hath jodne padte hain nahi padte ganv ka pradhan banna hai na to pure ganv ke gharo mein jaate hain waise to kabhi Ram Krishna hari nahi bolte par waise jab bot ka samay aata hai to bhaiya Ram Ram aise hath jodte hain na phir aur bade-bade

pad aur ye to param pad hai ismen pure vishv ka vot chahiye Harivansh naam leen je ajat shatru te sada prapanch damb aadi de tha kachu na pekhe sevak ji maharaj kah rahe hain agar bhagwat prapti karni hai to pure vishv mein koi bhi ek shatru nahi shatru paida hi nahi hua ajat shatru bhakt hota hai uska shatru hi nahi to kya uski dushmani ya koi usse dves nahi karta koi usko gali nahi deta koi apman nahi karta nahi hota hai roz hota hai par unmein bhagwat bhav kiya jaata mere prabhu kyon wo to aisi

baat kar raha hai aisi cheshta kar raha hai aiseise nahi 100 rup mein prabhu akar ke saikadon rup mein pranam karke sammaan badha rahe to do char rup mein akar uska balance theek kar rahe bade kripalu hai agar aapko gussa aa gaya to aapne pranam ka bhog sweekar kiya hai to phir aapka paramarth ruk jaega. Kya baat hai? Kitna sundar bhajan hai. Kitna inka yash hai. Kitni kirti ek to yah hua aur dusra ye hua gali galauj apman aisi mudrae jo krodh bhari jo dves bhari to ye na jae ki gali galauj karne lage ladne lage aapka paramarth ruk jaega.

wo chahte hi hain maya ke parsad ki aap thoda bolie aap thoda ladie unse nahi ladna kya karna hai aur hath jod ke sir jhuka ke nikalna hai kal kuch premi jan aae hue the sant Bhishma to unhone kaha ki yadi hamare guru ko koi ninda karta hai to phir ham uske saath kya vihaar karen aap kahte sab mein bhagwat bhav karo kya usmen bhi bhagwat bhav karen to dekho imandari se dekho to kya usmen bhagwan nahi hai kya aap na to nahi kar sakte na jab sarvam khalmidam brahm jab vasudeva sarvam to usmen bhi to hai hamko kya karna hai pehle usmen bhagwat bhav karna apne ko sochna hai ki meri guru nishtha ke yahan pariksha li ja rahi hai.

mere Gurudev ki avhelna aur nindatmak vachan bol ke bhagwan meri guru nishtha ki pariksha le rahe hain. Jaise Parvati ji ke paas sapt rishiyon ko bheja tha aise mere paas is nindak ko bheja hai. To nindak ko pranam kiya aur duri bana liya aur andar se prasann rahe ki he Gurudev aapki nishtha mein koi fark nahi padega. Aap pariksha le dekh lo. Wo Gurudev ka bheja hua pareekshak hai hamara. Wo Gurudev ka nindak nahi hai. Jaise sapt rishiyon ko mahadev ji ne bheja. Parvati ji ke paas. Are mundon ki mala dharan karte hain.

chita ki bhasm lagate hain. Iske liye tum tapasya kar rahe ho. Na unke ghar hai na dwaar hai. Bargad ke ped ke niche rahte hain. Are udasin rahte hain. Aise dulhe ki kya zaroorat? Dulha dilae ham baikunthna. Jahan bade-bade parsad bhagwan ki seva mein lage hue lakshmi ji charan chap rahi. Parvati ji ko gussa aaya tha kya? Nahi. Unhone kaha ki aap badhiya updesh kar rahe hain. Mana ki mahadev avgun bhavan mana aapki baat Vishnu sakal gun khan ye bhi mana lekin jakar man jen rame te san hamne to varan kar liya hai bhagwan shiv koti janam lag hamari bar shata raho ko kya nishtha mata ji ne prakt ki maine to varan aap jo kah rahe ho theek hai aise hi hona chahiye guru nishtha ki aap jo kah rahe aapki buddhi mere to param brahm hai andar usse bolna nahi andar mere to param bahma paramatma hai phir ham na uski baat sunte hain na uski taraf dekhte hain na usse dves karte hain swa shatru peedaya samtat sukhamti ramitand vrindavnastu main sarvda sukh magan rehunnga kisi se dves nahi karunga kisi se apnapan nahi karunga aur Vrindavan ka aashray lekar Priya pritam ke prem mein magan rehunnga.

jise prem prapti karni hai jo shripad Prabodhanand ji kah rahe hain ek bahut bade mahapurush kah rahe hain. Kah rahe hain ki number ek ye baat sahne ke liye nirantar naam jap chahiye. Jo abhi tak aapne suna ki moksh kadva lagne lage. Samasth indriyon bhog narak ke saman lagne lage. Samasth bhogon mein vish dikhayee dene lage ki ye to pure tino shariron ko nasht karne wala hai. Ganda karne wala hai. Aur hriday se hamare indriyon ka jo vilas hai ye to narak tully hai. Lekin siddhiya bhi ye maya ka jal hai. Nahi chahiye mujhe koi siddhi.

mujhe bhagwat prem chahiye. Bhagwat prem prapt karne ke liye samasth sansaar ki stri shariron mein Jagdamba buddhi hona aniwarya hai. Aur samasth sthir aur chetan jad chetan mein bhagwat buddhi hona aniwarya hai. Apna sharir, apni patni, apna putr, apna dhan, apna makan yah apna nahi hai. Antim mein chhut jaega. Yah vairagya buddhi hona aniwarya hai. Phir bhagwat bhav ka pradurbhav tabhi hota hai jab pure sansaar mein kisi se bhi hamari dushmani na ho. Ab yah sab kaise hoga? To bole number ek nirantar jo naam jap karta hua malik se prarthna karta rahta hai malik kaun apne isht se ki he prabhu mujhe aisi samarth do ki koi bhi vishay mujhe parast na kar pave aur pure sansaar mein mera kisi se bhi dves na ho adwashta bhut naam gita ji bhi kah rahi adwashta sarvabhut naam kisi bhi bhut prani ke prati hamara dves dosh bhav na ho pahla pahla nirantar naam jap aur prabhu se prarthna.

ismen likha hai malik se prarthna. Apne Swami shri hari se isht se prarthna ki mujhe aisi sam prarthna mein bahut samarth hai. Are bahut savdhani ki zaroorat hai. Kisi ke prati jara sa bhi dosh chintan jo bhajan jinka ek tar chalta hai. Badi badha khadi ho jati hai. Shri rup goswami ji leela chintan kar rahe hain. Usmen dikhayee diya ki Priyaju pushp chayan kar rahe yah pushp to Lalaju godi mein utha liye Priyaju aise pushp ka guchchha le rahe ek hath se dal pakde hue Lalaju ne dekha ki surakshit dal pakde Priyaju nazdik ki chhoti kunj mein to chhod diya to Priyaju aise aur Lalaju aandit ho rahe hain to pujya shri rup goswami ko bhi hansi aa gayi ki Lalaju ko aisa vinod suja is samay atyant sukumar aur Priya jo darap rahi hai.

phir lal ji ne apni god mein le liya. Phir unka shaman hua. Jis samay hans rahe the us samay ek sant ja rahe the jo langda ke chalte the. Aise aise ab wo aise ardh nilit netron mein aise hans rahe the. Aise unko drishti gayi ki are bhagwan ne mujhe langda banaya hai to hans rahe hain. Ham to samjh rahe the bahut bade mahapurush hain aur ye hamari hansi kar rahe hain. Aisa kaise ho sakta hai? Haan na hamara praarabdh bhog hai na hamara pair aisa hai isliye hansi ka patr main bade andar se dukhi ho gaye chale gaye leela band ho gayi unki ab aap batao unhone socha nahi dekha nahi wo to Priya pritam ko dekh rahe the bade vikal hue jab leela band ho gayi to phir pujya shri sanatan goswami se charcha ki kyonki donon mahapurush ki hamari leela band band ho gayi unka ek hi upay vaishnav aparadh ban gaya wo vaishnav aparadh kisi vaishnav ko abhadr bole ya dukh pahunchae aisa sambhav hi nahi mahaprabhu chaitanya dev ki kripa se aisa sambhav hi nahi hai kaise unka hai to vaishnav aparadh ab ye vichar hua ki kaise jana jae ki kisse aparadh bana kaise jana jae jab kiya hi nahi prakt mein to jana kaise jae bole koi vaishnav dukhi ho gaya hai to vaishnav seva ki jae.

aaspas ke jitne sant sabko nimantran diya jae. Pata chal jaega. Sabki juthan pai jaegi to shayad punah aparadh koi hua ho jane anjane mein to uska marjan ho jaega. Aisa hua. Aaspas ke sab santo ko nimantran diya gaya. Vaishnav je hi unke paas nimantran gaya to naraz hokar bole pehle to uphash karke hansi udate hain phir nimantran dete hain hamen nahi jana turant suchna ai ki wo naraz hai are turant gaye pujya shri rup goswami ji aur kaha prabhu kab hamne aapka uphash kiya to kaha prabhu prabhu aap kar rahe ho us din ham ja rahe the aur jaise hamara bhagwan ne pair aisa kar diya hai to jhatka mar ke chalte to aap hans rahe the to kaha mujhe to yad hi nahi ki aap kab nikle aur ham kab hanse to unhone samay bataya ki amuk din us samay accha accha to unka prabhu aise batani nahi chahiye par aap naraz hain isliye bata raha hoon prabhu us samay mein leela dekh rahe the Priya jo pushp chayan karne le to lal ji god mein utha ke wo puri ghatna bataai aur kaha agar aisa bhav mein ham hans rahe to aap usi samay nikal rahe honge.

aapko aisa laga to prabhu aapke liye nahi tha. Aap kshma kijiye. Wo to Priya to charnon mein gire jo dusre vaishnav the aur kaha are aap jaise mahapurushon ke prati hamara dosh bhav ban gaya. Kshma karo. Wo raj tatkaal leela prarambh ho gayi. Tatkaal ab aap vichar karo jab dosh nahi hai aur vaishnav dukhi ho gaye to leela ruk gayi phir agar ki keval swikrati ki haan ye galat hai wo galat kar rahe to bhi haan galat hai nahi aur bhagwan ki leela bhagwan jane nahi aap batao ki ye galat hai ki sahi nahi to ham koi jaj hai kya jinke sahare ham chal rahe unke sahare wo chal rahe unse pocho jake chale jao Radha Radha Radha kabhi kisi ka final karne ke nahi das shastr to tumhara yah bahut sukshm vishay mein isliye varnan kiya bahut sukshm vishay hai.

bahut savdhaan naam japak bhagwat prem prapti ke liye itni samarth jo abhi piche charcha hui uske liye nirantar naam japo prabhu se prarthna ki kisi bhi ke prati hamara tanik bhi dosh bhav na banne pave. Prabhu se prarthna wahi sabke hriday mein baithe hain. Wahi aapko aise samarth denge kyonki srishti mein aapke prati pratikul vihaar hoga. Aapka uphash karenge. Aap nana prakaar ke katu vachan bolenge. Aapko sah jana hai unke prati katu vachan nahi karna. Dosh bhav nahi karna. Nahi apni bhagwat prapti mein badha aa jaegi.

yah sukshm vishay sab koi nahi samjh payega. Lekin upasak jo bhagwat prapti karna chahte hain, apna bhajan bachana chahte hain, wo is baat ko achhche se pakde. Dusra jo dincharya di gayi hai usmen alasya na hona bhagwat prem prapti ya unchai par chadne ke liye jo dincharya hai hamko yah nahi dekhna hai ki amuk sadhak aata hai ki nahi aata hai amuk nahi aata to ham bhi nahi ate hain aisa nahi amuk ki truti hai uska sudhar wo karna chahe to kar sakta hai lekin aap sudhre hue ho to aapko achhche acharno ka anuran karna hai.

aapko aise aacharan nahi karne hain jinse hamari dincharya badhit ho jae. Ek chij aur dhyan rakhna hai. Isko bahut vistrit rup se samjha isliye rahe ki ek dincharya hai jiske paas seva nahi guru seva. Aur ek dincharya hai jo gurujanon ki seva mein rahte hain unse ho sakta hai jo bhagwat dincharya ka adesh diya gaya hai wah na ho to unko asantusht nahi hona kyonki wo guru seva mein hai sari dincharya ka phal jo hai wo guru prasannata hai to agar wo guru seva mein jaise hamare shri ji ki bhog seva mein hai.

ab prat bal bhog se lekar ke shayan tak kitne bhog shri ji ko lagte hain. Ab unmein unko ho ki hamari dincharya to nahi. Ab jaise jo aur hain seva mein hai bahut se koi kisi seva mein koi kisi seva mein ab unki dincharya mein mala le nahi baithenge. Thodi thodi der mein jo dincharyaen hain jo sevae hain to unko is baat ka pashchatap nahi karna ki meri dincharya nahi chal rahi. Wah tumhari dincharya guru prasannata ke antargat hai. Usmen nahi soch aur yah nahi sochna ki ab ham seva kar rahe hain to hamara wo bhajan to ho nahi raha jo dusri mala se kar rahe hain to pata nahi meri gati kya hogi.

ye nahi soch guru seva ka ek pratap hai. Ye bhi dhyan rakhna. Jaise man lo koi sharir ke vastr dho raha hai, koi aisi sevae kar raha hai. Wah nana prakaar ki sevae hain. Jinme unko samay nahi mil raha ki wo baithkar ke pad gayan kare. Wo 11 mala 41 mala wo sankhya puri kare. Accha sevaaon mein laga hai to uska man laga hai. Ab uska man kahan laga hai? Yah vastr guru ji ka hai. Yah guru ji ke liye jal hai. Yah uska chintan ho raha. Dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakya moksh mulam guru kripa kyonki kai sadhak aise hain jo phir unko pashchatap hoga ki dincharya mein badha par rahi hamari to dincharya ki charcha hui thi.

nahi jinko seva mili hui hai ek bar bhagwan shankaracharya ji se kai shisyo ne kaha ki ek ye brahm sutra hai iski vyakhya sunna chahte hain to unki sharir seva mein snaan ke baad jo vastr languthi aadi prakshaln karna hai wo tratkacharya ji rahte the to unhone kaha trotak ko aa jane dijiye to unhone kaha prabhu wo to kabhi vyakaran nahi padhe kabhi shastr jab gayan swadhyay hota hai to kabhi baithe nahi to sharir seva mein hi lage rahte matlab gyan ki charcha thi na to sharir ko guru ke sharir ko wo sadharan sharir samjh rahe the unka accha aisi baat hai aa jane do usko jab aa gaye to bole khade ho is brahm sutra ki vyakhya karke batao to jo padhne likhne se nahi aata guru kripa se aata hai tatkaal sanskrit ka pradurbhav hua aur vaidik siddhanto ka pravachan sab dang rah gaye to unka guru ki langoti dhone wale ko sadharan samjhte ho kya sadharan nahi hota guru ki langoti dhone wala vastr dhone wala asdhran kripa se saubhagya milta hai asdhran kripa se to jinki jo dincharya aisi

hai ki unko fursat hi nahi hai to unko kabhi nahi sochna ki itne baje itne baje itne unki dincharya hai to ye chijon dhyan rakhna hai upasak ko pramad mein hamen dincharya mein badha nahi pahunchane pramad yukt hamari dincharya nahi honi chahiye yadi guru seva isht seva mein hamari jo guru ki anya sadhako ke prati bataai hui dincharya usmen badha padti hai to wo badha nahi mani jaegi aapki dusra jo abhi varnan kiya guru pradatt dincharya mein badha nahi honi chahiye bahut badi chij hai guru

pradatt dincharya bahut badi vastu hai bahut badi vastu guru seva mil gayi to ladli jo adhin ho gayi pakka tisra kusang se dur rahna yah bahut zaruri hai. Bahut zaruri hai. Ravan lanka mein rahta tha. Lanka samudra ke kinare thi. Samudra nirdosh tha. Par aise doshi ka sang samipita hone ke karan samudra ko bandh liya gaya. Samudra banda gaya. Jiski mariyada apaar hai, use mariyada Purushottam ne bandh diya. Kis liye banda gaya tha? Kyonki Ravan ka padosi tha. Ravan ka padosi hone ke karan samudra ko bandh diya gaya.

jo rahim uttam prakti ka kar sakat kushang chandan vish vyapat nahi lapte rahat bhujang. Accha jab koi galat karta hai to wah char se thodi kahta hai ki main galat karta hoon. Nahi wo sahi aur kubuddhi ko wahi sahi dikhayee deta hai. Galat sahi dikhayee deta hai aur wo paramarth se bhrasht ho jaata hai. Isliye kusang se bahut dur rahna chahiye. Satsang aur kusang ka kaise pehchan karoge ki hamara kusang ho raha hai. Hamara satsang ho raha hai ya kusang ho raha hai? Kaise pehchan karoge? To santo ne kaha hai jake sang kumti mati upjay karat bhajan mein bhang jisse deh bhav pusht hone lage bhagwat bhav nasht hone lage vairagya bhav nasht hone lage rag pusht hone lage bhajan chhutne lage sansaar accha lagne lage naam chhutne lage aur dhan accha lagne lage guru se ashradha ho jae bhakti se ashradha ho jae ye kusang ka phal hota hai accha kusang ka phal jab aapke upar chadega to aapko nahi lagega main kusang kar raha hoon.

nahi to theek ho jaoge. Samne se mahapurushon ko lagega kusang kar raha hai. Aur wo jab kahte hain to unko chidchida hoti hai. Main kahan kusang kar raha hoon. Nahi nahi kyonki kumti kabhi sweekar nahi karti ki main kumti hoon. Agar sweekar kar le to sumati aa jae. Kusang se bachna chahiye. Pahla hai nirantar naam jap karte hue bhagwan se prarthna karna ki kabhi kisi ke prati hamara dosh darshan na ho. Shatrutha ka bhavna ho. Dusra guru pradatt dincharya ka palan karna. Alasya bilkul na ane dena. Tisra kusang se bachna.

aur chautha un granthon se un pravchno se un kisse kahaniyon se un chitron se bachna chahiye jinse hamara bhagwat bhav nasht hota hai. Jaise kal ek prasang mein prashnakarta kah rahe the ki hamko updesh mila hai kahin se bas swason ke ane jane par dhyan do. Bas isi se param pad mil jae yar svase to waise chal rahi hai ane jane ke dhyan ka matlab kya raha swason ke ane jane ka dhyan do ki khali to nahi ja rahe hain har mein Radha vallabh shri Harivansh Radha Radha Radha jaise kal aapse kaha tha naam rup leela dham se hata de wo kusang hota hai wo bechara par ham kaha thodi shraddha hai hamare prati bole shraddha to lai hai aapke paas to ham kaha aaj se Radha Radha naam jap kar aur prabhu ka jo rup dhyan mein tumhare priy lage Ram rup Krishna rup hari rup jo bhi turant dhyan kar unke dhyan mein lag ye bihari jo Radha raman jo Radha vallabh jo sakshat bhagwat prapti ke liye hi to vigrah rup dharan karke prakashit ho rahe kabhi-kabhi jise ham satsang samjhte hain wo kusang ban jaata hai.

isko dhyan se sunna. Isiliye roz satsang mein ghuma ke aa jati hai baat ki isht mile aur man mile mile bhajan ras riti are bhagwan shiv naam jap karte hain sankadi naam jap karte hain wo paramatma nirakaar hai sakar hai sagun hai nirwishesh pura ka pura aapko samjh mein aa jaega phir unko samjhaya ki Gurudev sakar hai ki nirakaar jo updesh kiye the bole sakar pranam karte ho haan mala pahnate ho haan to Gurudev ki puja hui ki nahi bole haan hui to Gurudev murt hai ki amurta bole murt tumka murti puja hui ki nahi

bole haan hui tumko phir kahe pareshaan ho samjh mein nahi aata hai are bhai bahut sambhal ke bahut sambhal ke shastron mein jo likha usko samjhne ke liye bahut pavitra buddhi chahiye paramatma nirakaar bhi hai kaise nirakaar hai dekho akar kar khmbe ka ismen hai ki nahi aur jab bhavna kiya Prahlad ji ne ki hai to nikal para na narsingh rup mein to hai na sakar wo nirakaar rup se sab jagah ho pukaro to sakar rup hokar abhi dikhayee de wo sakar bhi hai aur nirakaar bhi hai yahan jal hai is vayumandal mein jal hai dekho bola kahan gila hua aur ek mashin hai je usko on karke rakho to ek kamre mein teen liter char liter liter pani char panch ghante mein nikal jaata hai aur kamre mein kahin bund nahi hai.

vashpa matlab jal hai vani hai. Vani ka matlab akash shabd hai. Vayu hai. Agni tatv hai. In sab kuch virajman hai. Lekin nirakaar dikhayee de raha hai na. Kahan dikhayee de raha? Sab sakar rup mein aa jaata hai. Wahi sakar hai. Wahi nirakaar. Kuch antar nahi. Sabke hriday mein akar ye dekho bahar wo andar baitha hua hai nirakaar aur pukaro to akar rup ke le aa jaega Ram mariyada Purushottam kamal na rup dhar ke wahi aa jae wahi rup hai wahi arup hai koi antar koi antar nahi sab gyan ho jaata hai naam jap se sab gyan par bacho aise updesh se jisse bhajan hi na ho pave aisi granth hai aise jaise jaise bhagwan shri Krishna chandra ji ne gita jo likhi hai aap bhagwan ki vani ko apne bhavna ke anusaar samjh liye lekin sampurnatya to bhagwan hi samjhave to samjh paoge na soi jane je dev janai ninda sthiti ke vishay nahi hai par yah baat hai ki pujya shri Swami Ram Sukhdas ji maharaj itni saral bhasha mein geet gita ji ka swaroop prakashit kiya ki mujhe lagta hai ki apne jaise mand buddhi walon ko bhi bhagwan ki divya vani samjh mein aae.

Swami ji ka avatar isi baat ke liye hua tha gita ji ke liye shri Swami Ram Sukhdas ji ki sadharan se sadharan aadmi gita ke gadh shabd ko rashtr ko jaan jae. Itna bada vistar se amrit de diya gita ji ke bhav ka aur Gyandev ji maharaj, Eknath ji maharaj, aadi guru bhagwan shankaracharya jo bahut se bade-bade mahapurushon ne gita ji ki thi. Hamen lagta hai in mahapurushon ki tika ke baad ab hamko aur kaun sa gyan janna baki rahega? Ek bar ek sevak vani shri Damodar das sevak ji ki naye-naye ham the to hamko kisi ne diya tha ki padhna maharaj ji ko hamara ye kam tha guru ji se janch karvaaye bina ham kisi kyonki pata hai ki jis vishay ke hamen to hamare praman lag to kaha maharaj ji ye vani ji prapt hui wo kisi aur maharaj ji ne ye dekho aise vani li kisi ki bhi likhi hui hai aise lao aur turant aise phool mein lapeta bole jao yamuna ji padhra ke aao aur phir ye bani aajeevan ke liye wo basta mein bandhi lekin yahi ye tika jo likhi hui hai ye paas Gurudev se isiliye ham jitne bhi sadhak apne hamare Gurudev ne jo paas kiya hai arth ye pujya ji acharya charan ka bas koi bhi ho guru se jo paas bas wahi to yah dhyan rakhna ki mahapurushon ne jo tika ki hai wo aise arth nahi likha hai.

gurujanon ki drishti bahut pahni hoti hai. Apne bachchhe ko kaise bachhate hain? Ye un granthon ka arth nahi padhna jinko brahm prapt bhagwat prem prapt mahapurush pramanit nahi karte un granthon ko nahi padhna bahut hi bhatkav hai aapko sachchi bata den vani ji ko apne anukul karke arth kiya jaata hai wo mahapurush jo kshamta ko prapt hai chahe gita ho chahe bhagwat ho hamara kisi se apnepan wala baat ki baat nahi kah raha hoon aaj tak pujya shri hanuman prasad podar ji maharaj ke sampadn ke kiye hue vani granth mein ek shabd par kabhi kabhi sanshay nahi hua.

aaj tak pujypad odiya Baba ke updesh mein kabhi ek shabd par sanshay nahi hua. Pujya shri Swami Ram Sukhdas ji maharaj ke ek shabd par sanshay nahi hua. Jaise pujya Swami ji ka ek chhoti si patrika nikli thi granth mein guru ke bina mukti. Swami ji ne jo kaha uske antar ki baat samjh lo. Swami ji ke paas itni shikayten pahunchi. Itni shikayten pahunchi rona dhona aur bada vichitra kotika us samay jinke prati shikayat hui thi tab Swami ji ne sabha mein kaha tha ki tum jo sun rahe ho ye jagatguru shri Krishna ki vani sun rahe ho isko mano isi se tumhen param pad mil jaega aise banane ki zaroorat nahi hai jahan aisi shikayten aa rahi Swami ji kis lakshya ko le bole the Swami ji kisi sampradaywad ko nahi kate Swami ji kisi guru parampara ko nahi kate Swami ji ke shabd the us banavteepan ke liye jo banavteepan se thag

kiya ja raha thaga ja raha hai logon ke jo chitton ki shraddhaon ka mardan kiya ja raha tha jab Swami ji ke paas shikayten pahunchi tab Swami ji ne wo baat kahi ki ye jagat guru ki vani hai gita ji isko suno sweekar karo jao param kalyan na ho jae to batana guru ke bina bina mukti guru banane ki zaroorat nahi vachan suno mano aur jao koi ek shabd mein usko ghaseeto mat idhar udhar sidhe jis prasang se mahapurush bole us baat ko samjhna to hamko aise granth nahi padhne aisi kitaben aise shastron ki vyakhya aise kissa kahaniyan aise drishya aise chitra ye sab na dekhen jo bhajan mein bahut badhak hai pancha kisi bhi bahane se jismen mahilaen nritya karti ho wo drishya na dekhiye bhale kirtan ho raha hai bhaje bhajan ho raha hai lekin jismen matayen bahne nritya kar rahi bairagi ko dekhne ki zaroorat nahi hai phir aur nautanki tamasha aur serial aur veb series veb series inki to zaroorat nahi hai bilkul nahi ki khali samay hai ham bada bada mobile hai smart chahe jitne smart bano maya se zyada

smart nahi ho aisi smart giri mein fansa degi tumhen ye sari smart giri chali jaegi bahut hosh mein chetak natak nach tamasha ye sab paramarth ke liye bahut hanikarak hai kisi bahari sadhak se pucha ki mobile mein aao bole bas gem khel lete hain are yar gem khelnaa hai to naam ka gem khelo mantr ka gem khelo haan vani ji ka pura gem khelo kya shuru karo ulta chaturasi ji aaj wah dekh to pyari rang bhari chhan de manani man man dhar nagarta ki aao ulta gem khelo abhi dekho aansu ane lagenge to ye

gem kheloge agla sutra prem prapti ke apni nirakh parkh swayam karte hue Gurudev se janch kara le apni antar ki vrityio ko dekh lo. Jahan kuch sanshay lage to janch karva le ki yah vritti sahi hai ya galat. Jaise bahari log akar karate hain. Ab sab khade na ho jae wahan jake ki ekantik va se rone lage. Roz satsang mein yahi to janch parkh hoti ki aap apni janch kar lo. Nahi to ek bar kaha ki apni dincharya bana ke aao to itne kaagaz aa gaye. Ham kaha kab tak ham inko dekhenge? Dincharya janch indriyon ka jab vishyon ke prati aakraman hota hai ek vev hota hai ek akarshan hota hai ek aisa jise tum rok nahi sakte us samay tumhen jarur sant sang mein ho jana chahiye us samay buddhi kam nahi karegi aur jis samay tumhara keval bura chintan ban raha hai ye us samay ki baat hai ki aakraman ho chuka hai ab tum bach nahi sakte ab isko sant sangh use mitao turant tum akele nahi mita paoge aur agla jo hai wo kah rahe jab tumhara chintan galat ho raha to noch ke phenk do mita do us chintan ko jo ganda ho raha hai nahi to age phir wahi dasha aa jaegi ekant mein indriyan aur man sadhak ke upar shasan karte hain.

us samay sadhak ko apne indriy aur man ki rakhwari karna hai bas. Isliye ekant mein bhajan bahut zaruri hai. Dawa jaise pareeksharthi pariksha ki tayyari karta hai. Aise parmarathi dwandon ki tayyari kar le. Man, apman, ninda, stuti, labh, hani, sukh, dukh yah ane wale hain. Tumhen saman rahna hai. Tayyari karo pariksha ki. Aur yah pariksha jab hoti hai tab aap samjh nahi pate ki aapki pariksha ho rahi hai aur samjhne nahi diya jaega pariksha ho rahi hai. Kam se kam pariksha mein to bataya jaata hai ki kal se paper shuru hai.

savdhaan tayyari kar leo. Apne yahan par bataai hi nahi jati. Bahar nikle se shuru ho gayi pariksha. Ab tumhare dimaag mein nahi ki pariksha hai to tum usse lad pare. Phayl ho gaye. Number kat gaye. Bilkul har samay kabhi bhi kahin bhi pariksha ho rahi. Yah bahut bade mahapurush hain. Kah rahe hain ki jaise pareeksharthi ko apni pariksha ki tayyari karni hoti hai. Aise parmarathi ko apni pariksha ki tayyari karni kya? Stuti, ninda, man, apman, labh, hani, shatrutha, mitra ye dwaand aaenge. Aapko uttar dena hai inka.

tabhi aapki dwandatit avastha aayegi. Tayyar raho. Rone ki zaroorat nahi. Usne hamko aisa kah diya, usne aisa kiya, usne tayyar raho. Pariksha ho rahi hai. Par us samay yad nahi rahta ki pariksha ho gayi aur jisko yad rahta hai bach ke nikal jaata hai. Bade-bade mahapurushon ko ye pariksha deni padti hai. Bade-bade mahapurushon ko ye mat samjho. Haan ye dwaand aaenge aapko inko pariksha deni. Parmarathi ho. Aur 11wa itna bhajan kar lo ki tumhare hriday mein maut ka dar khatm ho jae. Mrityu ka dar khatm ho jae.

do prakaar ka dar hota hai. Ek vichar dar hota hai aur ek hota hai sahaj dar. Sahaj dar sabko hota hai. Sahaj dar jaise apne log satsang mein ekdam koi chikh de. Ekdam aise ise sahaj dar kahte hain. Ye bade-bade gyanyon ko jeevan mukton ko bhi hota hai. Pakka hota hai. Jaise abhi koi kik ekdam nikle to ekdam aise ho jaenge. Are surakshit ho koi aisa par yah sahaj dar hai aur ek hota hai vichar dar bhakton mein gyani mahapurushon mein vichar dar nahi hota yahi baat jo yahan likhi hai ek bar Swami magnanand Saraswati ji senpur mein bat vriksh ke niche kar rahe the to ek virakta mahatma aae the gyani kaha Swami ji sahaj dar kaise ho sakta hai jab sahaj swaroop mein rahta hai gyani deh bhav mein rahta hai nahi to sahaj dar kaise ho sakta hai ham ham aapki baat nahi mante.

vichar dar to hota hi nahi lekin sahaj dar bhi nahi hota. Koi sansari aadmi wo deh bhav se upar uthe. Mahatma ko chauki lagao. Wo bade siddh purush the. Bade dekho jo bhagwat prapt hote hain bade mast rahte hain. Bade mauje unko kisi ki parvah nahi hoti. Ek masti unchi chauki mein baitha. Kaha are nahi maharaj aap niche baithe hain. Bole aap itna sundar gyan ki baat kah aapko chauki na mile virajo baith gaye. Ab unko kya pata ki siddh mahapurush leela ho rahi hai. To jo shuru kiye to jo geed hai ya jaise cheel hai ye bade pakshi hote hain.

to ek cheel aise baitha bargad ki sukhi dal pe wo khar khar khar aise karti jo aise aae wo aise hue chauki ke niche gire chauki aisi hui aise gire are are bhai chauki sambhalo sambhalo baitho baitho maharaj ye kaun sa dar tha bam to nahi gir raha hai na accha dar gir rahi to koi bahut badi to gir nahi rahe ho aap dehateet mahapurush se dar kaun sa tha hans diye unhone kaha accha accha accha accha achhche to kaha accha accha pariksha ho gayi bole ise sahaj dar kahte hain. Ye sabke upar hota hai. Sahaj dar sabko hota hai.

pakka sahaj dar achanak koi awaz sabko pata hai. To wo ekdam dar jaata hai. Wo dar dar nahi hai. Wo sahaj dar hai. Aur ek hai vichar dar. Bhakt ko vichar dar nahi hota. To kah rahe itna bhajan karo ki mrityu ka dar khatm ho jae. Khatm ho gaya. Mrityu ka dar. Marne se jo darne ka bhay hai wah khatm ho jae tab jano ki ab hamara thoda bhajan rang laya hai. Sabse pehle mrityu ka bhay khatm ho. Dekh lo parkh lagao. Mrityu ka dar kaise? Agar aaj sham tak doctor kahe cancer ho gaya to kaisa lagega? Mrityu par agar vijay prapt karni hai to mrityu ko yad rakhna padega.

yah baat dhyan rakho. Jisne mrityu ko yad kiya wo bhagwan se chitt joda aur jisne bhagwan se chitt joda wo mrityu par vijay prapt kar liya. Mrityu aisi lag rahi hai. Ab uska udaharan to kuch hai nahi par aise bata rahe jaise byah ki tayyari hoti hai to kaisa hota hai? Har dost se hath milata hai. Hansta hua phula ghum raha hai. Kyon? Kyonki uska byah hoga. Laukik udaharan paramarth mein fit hi nahi hota. Par wo kuch fulan jise kahte hain, utsah jise kahte hain wo aisa kuch samjho jaise maa ke iklaute bete ka byah tay ho gaya aur barath ki vyvastha bilkul phir tayyari ho rahi usse dekho nai sari pahne mar phuli phuli jo ghumti hai nahi ghumti.

isse asankhya guna sukh supasak ko hota hai. Jisko mrityu ka dar khatm ho jaata hai. Bhajan se yah aisa ki jaise ki kab wah din aayega jab shringar karke ham apni priyaju ke paas honge aur is sharir ka vihaar khatm priyaju ke paas dhanya hai wo ghadi jis din priyaju ki pragat samipita seva ki aur pragat vihaar khatm iska aisa anand hota hai jaise us maa ko apne bete ke byah mein us bete bete ko apni patni ke milan ki chah mein jo sukh ki ek fulan hoti hai wo to ek prakritik hai. Isse anant guna fulan upasak ke hriday mein hoti hai.

isht se milne ki mile hue bhi anmil ab wo jo milan hoga wo nirantar ka hoga. Isliye kitna anand thodi der socho abhi abhi abhi baat aa jae ki chalo bhai nikunj chalo kaun-kaun tayyar hoga abhi chalne ke liye tatkaal mein tayyar wo hai jinhone sarvasv tyag karke ekant mein roya hai priyaju ke liye wo kah denge abhi abhi le chalo isi kshan kyonki unke siva mera koi hai nahi aur main unhin ke liye tadap raha hoon ya tadap rahi hoon ye hai mrityu ke dar par vijay prapt karna. Nahi to sachchi kahte hain ki agar abhi aa jae bhagwan ki dekho bahar viman Radha keli kunj ke bahar chalo baitho pehle maro phir chalo kaun-kaun tayyar hoga to bahut kam tayyar honge asliyat mein mrityu ka dar khatm ho jaega.

dekho hath jisne uthaya himmat se uthaya hai aur dekh lena agar aap dare to kachu rahoge nahi sache hai shri ji ke liye mujhe shri ji chahiye ye sharir to chhutna hi aaj nahi to kal chhutega pyare shri ji ke liye pakka aur jisne hath uthaya hai bas himmat rakhna chaloge saath hi dekho ek Premanand aise yahan sofa mein baitha aur ek Premanand tumhare dimaag mein baitha hai. Dekh lo. Tumhare dimaag wala Premanand tabhi mukt hoga jab tumko mukt kar dega. Yah baat pakar lena. Ek Premand ye baitha hai jo tumko sofa mein dikhayee de raha hai aur ek Premand tumhare hriday mein tumhare dimaag mein baitha hai jiski baat par aap chal rahe ho.

wo tabhi mukt hoga jab tumko mukt kar dega. Ye baat dhyan rakhna. Sacha guru kabhi apne ko mukt nahi hone dega jab tak tumhen mukt nahi hone dega. Guru bandi ban jaata hai shishya ke hriday mein. Jab shishya ko bhagwat prapti kara deta hai tab wo mukt hota hai. Ye guru balla koi khilwad nahi hai. Guru pratap se guru ka. Ye jo tumhare hriday mein Premand baitha hai. Dekho hai ki nahi? Tumhare dimaag mein jo hai tumhare hriday mein wo tumhen jeevan mukt karne ke liye bandi ban gaya. Tumhare hriday mein wo tabhi mukt hoga jab tumhen mukt kar dega.

to jitni jaldi tum mukt hoge utni jaldi wo mukt hoga. Wo guru moksh hi sweekar nahi karta. Pehle shishya ka kaun sa guru dhyan rakhna jo tumhare hriday mein baitha hua hai. Ye ham jante ho kiski baat kar rahe hain? Shri Gyandev ji ki. Shri Eknath ji ke. In bade-bade mahapurushon ke vachno mein jab swadhyay purv mein kiya tha tab pakda tha ki Gurudev shishya ke hriday mein tab tak bandi ban ke rahte hain jab tak uska param kalyan nahi kar dete. To mrityu ka dar khatm ho jae to jaan lo ki ab ham nikunj mein itna bhi dar nahi hai.

itna itna ki ab sharir chhutega. Sharir ka dar nahi. Dar ek hai hamare andar. Wo hamne phir bataya tha ki kabhi koi aisi baat na ho ki dham se bahar ho jaun ya pyari ji ko bhul jaun. Bas yahi ek dar hai aur koi dar nahi hai. Aur isi dar ke liye acharya aur guru se bhikh mangte rahte hain, yachna karte rahte hain. Ham sab jis samay sandhya aarti hoti hai to ek do bar nahi kahte bisar ho na bisari ho yahi dan mohi de shri Harivansh ke ladle mohi apni kar le kabhi main aapko bhulu nahi aur aap bhi kabhi-kabhi yad kar le ki meri dasi hai mera nij jan hai bas yahi apne log sandhya aarti mein roz prarthna karte hain bas ho na vishari ho yahi dan de pahla nirantar naam jap prabhu se prarthna karna ki kisi ke prati hamara dosh darshan ho dusra apne guru prdat nitya dincharya ko yathavat karna alasya pramad na karna tisra kusang se dur rahna chautha buri kitaben kissa kahaniyan ya aisi teekaen na padhna jo hamare andar bhram paida kar de pancha nach tamasha chetak natak chitra aur aise drishya aise series aaj na dekhe jisse hamara man vishyon mein chala jae.

chhathwa apni nirak parkh karke Gurudev se apni janch karate rahna. Satva indriyon ko jab dekhe ki ye bure aakraman mein bilkul ab phasa hi denge to tatkaal kisi sant ka aashray le turant kyonki us samay tumhara vichar tum par havi hai. Ab koi mahapurush hi tumhen bacha sakta. Us samay jaise aap sant ke sang mein nahi ho to aap satsang shuru kar do aur bade dhyan se sunne lago to shayad aapki buddhi bach jae. Nahi koi satsangi ho to uske samip chale jao aur usse varta karne lago aapka man batna chahiye.

us samay ekant nahi hona chahiye. Athwa jab bura chintan uthe ismen jo shabd hai use noch kar nikal ke phenk do. Uska astitva mat rakho. Nauva ekant mein vishesh mano indriyan havi hoti hain. Isliye sadhak ko ekant mein bahut savdhani purvak bhagwat chintan karna chahiye. Dawa jaise vidyarthi ki pariksha ki tayyari hoti hai. Aise parmarathi ko apne har samay dhyan rakhna ki tumhari kabhi bhi pariksha ho sakti hai aur hamko utteerna hona hai. Jab utteerna hoge to bhakti ki bhumikaen ya gyan ki bhumikaen jagrit hone lageng.

11wa maut ka dar khatm ho jana chahiye. Bhajan ke pratap se mrityu ka dar khatm ho jana chahiye. Shesh charcha shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi