॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya naam jap se man ka bhay samapt ho sakta hai ?/maya-moh ke bandhan se chhutkara pane ka saral marg kya hai?

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand ras show purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital Shyam nirvai param shital mashyam shri Radha pyari ke charnarvind shital sukhdai koti chand mand karat nakh vidhu junai saap tap rog shok darun dukh hari lal isht dusht davan kunj bhavan chari Shyam hriday bhushan jit dushan hit sangi shri Vrindavan dhar dhar raas rasik rangi sharanagat abhay virad patit pa van bane vyas se ati adham atur ko na samas se ati adham atur ko ko na samane Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai jai param sacchidanand ghan Premanand swaroop navnit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugalchand pranaaradhy shri shyama Shyam jo samasth hit parikkar nij parikar upasak asakti pradhan chitt wala hota hai.

apne aradhya dev ke naam mein rup mein leela mein leela sthal dham mein atyant asakti hoti hai. Tabhi uski upasna paripakva mani jati hai. Naam chahe jitna bhayanak dukh ki paristhiti ho ya bhari se bhari anukulta ho naam chhute na to naam nishth kaha jaata hai. Ab dekhiye hriday ko bhari se bhari sukh anukulta prashansha man sammaan naam nahi chhuta bhari se bhari dukh vipatti apman ninda tiraskaar naam nahi chhuta to aap naam nishth upasak hain. Kitna bhi sansaar ka priy sambandhi ho hamare hriday ke dhyan ka vishay shri shyama Shyam priy sambandhi ka milan sambhshan uska chitra hamare pe nahi hona chahiye ya pri sambandhi ka vichhdan hamare hriday mein kinchin matra uski yad karke shok nahi hona to rup nishth upasak hai prabhu ki leela, prabhu ki mahima, prabhu ke gun inme itni asakti ho jae ki swayam padhkar mahapurushon ke shri mukh se sunkar raat din unhin ka chintan karna.

hamare isht ka swabhav kaisa, gun kaise, mahima kaisi, leela kya-kya? Inheen ka chintan karna wo leela shravan gayan chintan paraayan upasak hai wo leela nishth hai shravan bhakti uski nishtha ban chuki hai aur dham nishth ye tino dham nishth mein apne aap aa jaate hain. Naam nishtha, rup ki nishtha aur leela ki nishtha. Chahe jitna bhagwan ka aur sundar rup par upasak jo rup nishta hai usko suhaega nahi. Usko guru pradatt jo aradhna jis rup ki mili hai usi mein asaktit ho jaata hai. Chahe jitni mahimanya naam mantr ki sune par wo apne guru pradatt naam mantr mein nishtha dharan kar leta hai.

vivid aishwarya madhuryamay leela prabhu ki par wo apne guru pradatt leela upasna mein aasakt ho jaata hai. Aisa upasak jarur dham nishth raha hai. Piche ya vartman mein bina dham ki kripa ke ye naam nishtha, ye rup nishtha, ye leela gun nishtha bada hi asamabhav hai. Ye tino apne aap prapt ho jati hai. Jo dham nishth hota hai. Shripad Prabuddhanand ji maharaj dham nishth mahapurush hain. Kah rahe hain dur vidya sindhur vidya sindhur mahadbhutam saram chirma Radhe Radha krishnam viharojlam vipinam avidya samudra se bahut dur avidya samudra kya hai ye sansaar ye nanatma main mor toor stri purush jad chaitan ye sab avidya ke karan hi hamen bhed bhashit ho raha hai nahi to ekmatra chid chid lakshanam sarvam Radha krishnamyam jagat chetan achetan stri purush sab Priya pritam hi virajman hai.

yah hamen avidya ke karan bhaash raha hai. Isliye shripad kah rahe hain dur vidya sindhur yah avidya sindhu bhav hai. Sansaar hai. Isse bahut dur hai kya yah prem nishtha jo naam nishth rup nishth leela gun shravan nishth dham nishth ye sampurn charon ko ek mein bandh ke bole to prem bole ye jo prem hai is bhav samudra se bahut dur hai aur vidya sindhur mahadbhutam saram jo vidya samudra ved hai puran hai nigam hai in sabka jo sar hai wo raso vai rasam hawa labdh Anandi bhavtu wo paramatma ras swaroop hai usko keval itna sambodhan kiya wah ras swaroop hai par rasikon ne jo ved ved neti neti kah ke ga rahe hain.

unko dular kiya hai. Jaisi jaisi ichchha rasik jan karte hain waise Priya pritam leela karte hain. Jaise Priya pritam leela karte hain rasik jan vaisa hi gaan karte hain. Jo ras neti neti shruti bhakhyo tako te adhar sudha ras chakhyo yahan wah kah ke nahi hai. Yahan yah hai ban milaye meri nij jori yah nij jori har samay netron mein hriday mein viharan karti rahti hai virajman rahti hai rasik mahapurushon ki to bole vidya samudra ka sar ved Upnishad puran sab ka sar kya prem chirmara hai bahut kal tak aradhna karne par iska prichay milta hai.

kiska? Prem ka. Prem ka rup kya hai? Bole Radha Krishna ye prem ke khilauna do khelt hai prem. Yah jo prem khel hai vrinda vipin mein is prem khel ke jo khiladi shyama Shyam hai inka prichay kisko prapt hota hai? Bole jo dur madad sindhur dur srishti aadi varta bilkul sansaar sambandh rahit ho chuka hai aur wo agam nigam puran aadi veda aadi se bhi namaskaar karke dur ho chuka hai. Vedan sunasta sa kevalam avan anuragam labhte ye bahut anandmay baat hai. Avidya se to dur ho gaya hai par vidya mein phas chuka hai.

aise bahut is fasav se nikal pana jaise piche aapne suna tha ki sansaar to dhai gram uljha hua kacha sut hai. Lekin shastr jal 100 man arjha hua sut hai. Isko sujha pana bada kathin. To guru kripa is avidya samudra se purn rup se tyag aur vidya samudra ka bhi namaskaar karke tyag. Lok aur ved donon reetiyon se pare ras riti hoti hai. Priti riti hoti hai. Is priti riti ka chirkal tak dirgh kal tak jab ham aradhna karte hain tab guru kripa se prichay milta hai. Chirmara hai to us prem ka swaroop kya hai?

bole shyama Shyam sakshat prem hi murtiman hokar shyama Shyam ke rup mein raas vilas ka ras apne janon ko anubhav karate hain. Viharojjavlam vipinam yah ujjwal ras hai. Tribhuvan mein kinchit matra susukh wanchha hona ye malin hai. Wo vishyand hi hai. Wah vishay ras hi hai. Yahan se lekar brahmlok tak jo prem hai ise ujjwal kaha gaya hai. Jo kamna hai use malin kaha gaya hai. Agar hamare hriday mein Priya pritam ki premay upasna ka kinchin matra prichay mil jae to susukh vasna bhasm ho jae. Premagnna mein aise swakh vasna bhasm hoti ki dhua bhi nahi uthta.

arthat wo vishesh vishesh matra ka tyag karne wala tyag ka bhi smaran kho deta hai. Yah hai dhua bhi na uthna. Tyag aur tyag ki smriti ka bhi tyag. Aur apne aradhya dev ke tat sukh bhav mein magan. To bole kahan prapt hoga? To viharojjalam vipinam jahan vrinda vipin dham mein yah vihar mahan ujjwal prem prakash karne wala ho raha hai. Aise vrinda vipin mein almah vitark jal saswa chhid moh jalani ab band karo ye tark vitark ye bada sukshm vishay kah rahe hain. Yah tark vitark band karo. Mujhe yah karna hai, yah karna hai, aisa aisa bada bhagwan ka vichitra khel hai ki ham aae hi hain keval bhagwat prem prapti ke liye.

manav deh mila hi bhagwat prapti ke liye. Manav deh prapt hokar satsang mila. Bhagwat kripa. Iska phal hai bhagwat anurag, bhagwat prem. Apne jan chahe wah virakta marg se chale ya grihasth marg se donon ka lakshya bhagwat prapti hi hai. Par bada visham bhav jagrit ho jaata hai. Jab sunne ko milta hai to hriday mein lagta hai ki yah maya ka bhram kaise baith gaya. Bahut achhche sadhak mein ek naveen vasna jagrit hoti hai. Main jagat ka kalyan karunga. Yah bahut bada bhram hai. Bahut bada bhram hai. Bhagwan kripa karen ye bhram kabhi jagrit na ho.

kyon? Kyonki jin jin ko samarth mili un un ne sampurn jagat ko pranam kiya namaskaar kiya apne isht bhav se Siya Ram main sab jag jani kar pranam jo jug pani kiska udhar karna hai apni buddhi ka jo bhram mein doob gayi hai main aisa karunga gaa ahankaar vimudh atma karta ham mante wo yah nahi samjh pa raha ki yah mudhta mera pind nahi chhod rahi hai. Sachchi maniye jab samarth aati hai jagat kalyan ki to koi dikhayee hi nahi deta jiska kalyan karna ho kyonki apne kalyan data ka hi darshan karta hai.

nij prabhu mein dekhe jagat nij prabhu mein aa so anannya gati jake as mati na tare Hanumant main sevak aur sachrachaar rup Swami bhagwant kiska udhar karna hai tab andar se lagta hai ki bina Gurudev ki kripa ke sadhak bhram ko nahi tyag pata hai ja su kripa sab bhram mit jae guru prasann sah anukula miti sakal kalpit bhasula ye kalpnatmak kyon mere mein samarth hai kisi ka kalyan karne ki kiska kiska kalyan aradhya dev ka agar aradhya dev nahi dekha to samarth hi nahi aur jab samarth ai to koi bacha hi nahi jiska kalyan karna ho bas wo ek leela chalti rahti hai kabhi guru bankar ke kabhi updeshta bankar kabhi shishya bankar jaise bhagwan avatar lekar leela karte hain.

aise bhagwat prapt mahapurush ki leela chalti rahti hai. Uski drishti mein koi aisa nahi bachta jiska udhar karna ho. Kyonki wo apne aradhya dev ko dekhta hai. To alam yah vitark jal band karo. Ye tark vitark ki baten aisa nahi vaisa nahi vaisa nahi band karo. Shri baat kah rahe hain jaise acharya charan Shrimadd Radha sudha alam vishay vartaya narak kotiv bhatsaya band karo ye sansaar ki varta ye tumhare ko nark pradan karne wali ye bura ye bhala ye uttam ye adham ye drishti maya deti hai bhakti nahi deti bhakti to deti hai drishti jad chetan jag jeev jat sakal Ram jaan yah bhakti ki drishti hoti hai.

yah maya ki drishti hai. Yah adham hai. Yah uttam hai. Yah gunvan hai. Yah gun rahit hai. Ye sab mayam ye vishmata hai. Aur upasak bhakti ke prabhav se jit visham sansaar kirti jag vistar hai. Is sansaar ki vishmata se mukt hokar wo sam ho jaata hai. Samdarshi tabhi samasth kamnao ka nash ho jaata hai kyonki kuch bacha nahi bhogne yogya to kamna kiski sab kuch aradhya dev aisa anubhav ho jaata hai tabhi samdarshi ichchha kachu nahi to al i vitark jal band karo tark vitark vad vivad ka jal kya karna hai bole sahas vachhid moh jalani tumhare hriday mein yah jo moh jal maya ne phailakar tumhen bandh liya ki yah apne yah parae yah main kar sakta hoon.

yah main karunga yah maine kiya. Yah tumhen agyaan avidya ka jal bandh chuka hai. Tum ise sahsa kaat nahi sakte ho. Shri dham Vrindavan aao aur bhagwat premi mahatmaon ka sang karo to tumhare hriday ka ye moh jal nasht ho jaega. Binu satsang vivek na hoi Ram kripa bin sulabh na soi hoe vivek to moh bhram bhaga. Satsang se vivek aur vivek se moh jal ka nash. Phir kya karo? To bole pakshi ki tarah udkar Vrindavan mein aa jao aur aisa vichar karo ki ab mere pankh nasht ho gaye. Ab yahan se main udkar le ja sakta.

uv vihanga pat vrinda kannam ruchiram aa bhav ye hai ki jaise koi pakshi udkar ke Vrindavan aaya aur uske pankh jal gaye. Ab wah ud ke nahi ja sakta. Aise ham Vrindavan ka vas sweekar kar le. Pankh kya hai? Yah jo hamari vivid kamnayen hain chhoti chhoti chhoti yahi milkar pankh banti hai aur yahi hamen sansaar mein uda rahi hain. Hamen vishram nahi mil raha. Bin santosh na kam na sahi aur achat kam sukh sapne nahi jab tak hriday mein bhagwat aashray rupi santosh nahi aa jaata tab tak ye kamnayen aisi bhagati rahti hai daudati rahti hai wo samjh nahi pata hai aur jahan kamnao ka shaman hua to vishram mil jaata hai jaise goswami ji kah rahe jaki kripa lavlesh te mati mand tulsi das hoon aa ha payo param vishram Ram saman prabhu na kahun jinki lavlesh kripa matra uday hui hriday mein param vishram prapt ho gaya ye vishram sthiti kuch chah nahi rah gayi kuch janna baki

nahi raha kuch pana baki nahi raha isi ko prapt karne ke liye ye manav deh mila hai alam i vitark jalam band karo ye tark vitark vad vivad aur satsang ke dwara prapt vivek se kaat do is moh moh jal ko aur shri dham mein pakshi ki bhanti gir pado pat udi ev vihanga pat ki ab to bas mere pankh jal gaye main to udne layak hi nahi raha arthat ab main Vrindavan ke bina ji nahi sakta Vrindavan hamara jeevan hai pran hai sarvasv hai ja vishay durish vanam chhin ab Vrindavan mein aae ho to vishay van ko katna padega.

yah jo vivid indriyon ke dwara vivid bhogon ko bhogne ki lalsa hai iska chhedan kiye bina koi parmanand ka anubhav nahi kar sakta. Bhagvdanand ka anubhav nahi kar sakta. Akhandanand ka anubhav nahi kar sakta. Chhind durasa mahapashan jah vishay durnam ye ek do ped nahi hai. Ye durwasnaon ka bagichi ka bagichi hai aur pura katna padega. Bole kuthar chahiye. Agar kulhad tej yukt ho to kaat ke phenk do bagichi. Kiska? Bole durwashay van ka gandi bhogon ka. Kaat dalo. Jo dhar hai kulhad ki wo hai gyan.

jo kulhad hai wah hai upasna. Accha agar bet na ho to kulhad ka wah kam jo hona chahiye nahi uska bet wo bet hai satsang sadhu sang rupi bet mein gyan rupi jiski teekhi dhar ho gayi hai upasna ka paripakva nishtavan sampurn vishay van ka nash kar deta hai. Is tan ka phal yahi hai ki ham durvasan ka nash kar pave. Agar durvasan nasht ho gayi to isi bhutla par mrityu lok mein tum kaalatit avastha ko prapt ho jaoge. Je kal bas na pare samujh je aae sharan te darat na kal dar abhay ho jaata hai abhay nishan bajayo jeh tan hari ke bhajan kiyo to yah lok parlok suphal ho tako dhanya jio jeh tan hari ko bhajan kiyo sant samagam shri guru seva ye amrit ras jo piyo surdas dhani bhag tah ko jo hari charan chit diyo jeh tan hari ko bhajan kiyo dhanya hai uska manav sharir jisne har kriya bhagwan ko arpit karte hue naam jap kiya wo is lok mein aur parlok mein mahan aadar aur sukh prapt karta hai.

param shanti ko prapt hota hai. Dhanya ho gaya uska jeevan uska jeena dhanya ho gaya sant samagam shri guru seva yah amrit ras piyo he bhai ye manav jeevan is amrit pan ke liye mila hai. Kis amrit pan ke liye? Bole Sadgurudev ki sharan hokar unki seva mein rahna. Sadgurudev ka pratap jab uday hoga to sadhu charnon mein priti ho jaegi. Guru soi jo sadhu sevave aur sadhu soi jo vishay chhudave. Hari Ram vyas ji kah rahe hain. Gurudev ka prabhav kya hoga? Pratyek santo ke charnon mein tumhari apaar shraddha ho jaegi.

yah guru pratap uday hota hai. Wahi guru hai jo santo ki seva mein apne shishya ki rati paida kar de. Jaise apne acharya aur jin jin rupon mein acharya rupon mein bhay to das dasoham ki hi paddhti sthaapit ki. Agar santo ke prati dastv bhav nahi hai. Kuch aise jan hote hain jo apne Gurudev ka to aadar karte hain par anya santo ki avhelna karte hain. Ninda karte hain. Wo yah nahi samjh pa rahe ki main apne Gurudev ki hi avhelna kar raha hoon. Kyonki samasth hridyon mein Gurudev hi virajman hai. Kabhi wah sache Gurudev prasann hi nahi ho sakte jo anya bhakton vaishnnon ki santo ki avhelna karen aur soche hamare Gurudev ham par prasann kabhi wo Gurudev prasann nahi ho sakte.

kabhi nahi ho sakte. Sab santo ki jai. Sab sant bhakton ki jai. To Gurudev apne aap par prasann ho jaenge. Sato sam jag dekha mote adhik sant kar lekha jaan sant anant samana bahut mahima varnan ki gayi to sant samagam shri guru seva yah amrit ras piyo yah amrit ras hai kabhi ek kshan bhi jo Gurudev ke charnon ki seva mein ya sant samagam mein vyatit kiya wah kshan tumhen is bhav samudra se bacha lega. Nikal lega. Vishwas karo wo kshan kabhi vyarth nahi jaega jinki guru seva ban gayi. Bade bhagyashali jinko guru charnarvind ki agyaa mein rahne ko mila.

sant samagam ye durlabh vastu hai. Sant samagam hari katha tulsi durlabh do. Agar roz hamen sant samagam satsang mil raha hai. Aap bahut bade bhagyashali aur dhani hain. Surdas dhan bhagya tah ko jo hari charan chit diyo guru seva sant samagam iska vishesh phal hai ki aapka chit ha hari Radha Priya pritam ke charnon mein nirantar ke liye jud gaya. Bade bhagyashali hain jo jibhya se naam ratne lage. Yah sant kripa guru kripa ka phal hai. Naam re man Radha naam ka leeje Radha naam ka leeje guru ke vachan atal kari mano sadhu samagam kije re man Radha naam kah lijiye padhie gunie bhakti bhagwat aur kaha kath kije Radha naam bin janm ba hai vritha jeevan ka jeeje shri surdas ji ke ai man bahut tune vishay chintan kiya bahut bhogon mein bhaga ab Radha naam ka chintan kar sachchi kah rahe hriday ki baat kah rahe hain.

man lijiye man lijiye bas. Jaise bhakt mal ji mein likha hai ki lakh bar hari hari kaha hai. Agar lakh bar hari hari japo aur ek naam kisi bhagwat premi mahatma ka le lo to lakh bar hari hari ka phal mil jaega. Lakh bar hari hari hari hari hari aisa japa aur ek bar kisi premi mahapurush ka naam le liya shri nagri das ji ki jai shri bihar dev ji ki jai shri bhatt devacharya ki jai harivyas devacharya ki jai shri Harivansh mahaprabhu ki jai Swami haridas ji ki jai lakh bar hari hari kahe ek bar haridas jo hi bhagwan ke kisi premi premi bhakt ka naam smaran kiya.

lakh bar hari hari kahne ka phal mil jaata hai. Aur samasth premion ke hriday mein jahan se prem prakashit hota hai. Wo hamari ladli jo prem data hai. Prem ki dhvaja upasna marg mein sarvshresht gopi jan hui. Aur gopi janon ko prem kahan se prapt hua? Shri Krishna anurag bole yat pad padm nakh chandra man chhataya vijitam kimap gop vadhu swadarshi purn ras sagar sar murti saradhika mai kadpi kripa karo jinko narad ji kahte hain yatha braj gopi ka naam premi ho to braj gopiyon jaisi prem bhakti ki charm sima ka udaharan braj gopi kahan se prem aaya bole y pad band nakh chandra mani chhataya jin swamini jo ke charnarvind ke nakh ki kanti ka kinchit prakash gopiyon ke hriday mein hua to gopi bhi prem ki dhvaja ho gayi.

kahin kisi ke bhi hriday mein prem prakashit hota hai to avyakt rup se ya vyakt rup se hamari Priyaju ki hi kripa hoti hai kyonki Priya jo prem samudra ka sar prem data hai jahan prem ke samudra lal jo swayam yachna karte hain prem ki wo hamari ladli jo hai mangat lal ladlo nagar pragat bhai din ki chori dan dari naval kishori prem ki pipasa prem samudra lal ji ke hriday mein prem samudra ka sar ladli ji se yachna karte hain. Priti ki yachna karte hain. Ladli ji ke sakhiyon ki charan vandna karte hain.

priti kripa prasad prapti ke liye dhanya hai unka jeevan jinki jibhya pe Radha naam ratne ka saubhagya ruchi bhav ban gaya hai. Ye maha saubhagya hai. Re man Radha naam kah lijiye. Ye shri dham Vrindavan ki rasikon ki kripa hai jo Radha naam ka prichay Radha naam japne ki prerna Radha naam japne ki ichchha hamen prapt hui guru ke vachan atal kar manhu man lo guru ke vachno par atal vishwas kar lo sab baat ban jaegi tark vitark ki zaroorat nahi hai. Yah bhav ka vishay hai. Vishwas ka vishay hai. Prabal shraddha ka vishay hai.

agar man lo to nihal ho jaoge. Khud dekh lena. Guru ke vachan atal kare manhu sadhu samagam ki jai. Sant samagam se jab tumhara hriday pavitra hoga tab kramash utthan hota hai ya sidhe utthan yah to aradhya dev jane ki kramash utthan karate hain ya sidhe sthiti pradan karte hain. Ye unke upar hai. Wo kisi patit ko sidhe mahan jeevan mukt bana sakte hain. Logon ki dharnaen hoti hai. Jaise kisi se koi galti ho gayi. To jeevan bhar is baat ko dekhte hain ki yah wahi hai jisne wah galti ki thi. Nahi kal galti hui thi.

aaj aradhya dev ki kripa ho gayi to jeevan mukt ho jaega wo. Isiliye kabhi kisi ki galti ko dekhkar sadaiv use doshi nahi manna chahiye. Kyon? Kyonki yah phislan ka marg hai. Kisi se bhi phislan ho sakti hai. Iska matlab wo gira hi para rahega. Aisa nahi. Guru kripa patr hari kripa patr aise nahi hote. Ek bar pujya shri mama ji baksar wale unse ek ekant mein prashn kiya ki sharanagat gir kyon jaata hai jab bhagwan ka sharanagat hai bhagwan ke vachan hai kar sada tin ke rakhwari jim balak rakhe mhatri to wo gir kaise gaya sharanagat gir kyon jaata hai bole sharanagat hai wo kaha pakka to bole phir wo bal hai khiladi ke hath ka wo gira nahi hai.

wah niche patka gaya hai. To girna hi to hua na. Bole nahi nahi nahi. Jab khiladi apne hath ka gend niche marta hai to niche fenken ke liye nahi lakshya chumne ke liye. Niche aisa patka mara ki apne lakshya par pahunch gaya. Ekdam hriday shital ho gaya. To laga ki bina sant samagam ke samadhan ho hi nahi sakta. Kaun ye ek sadharan udaharan aur asdhran prasannata prapt hui. Hriday prafulit ho gaya. To jam sadharan ke hriday mein rahta hai. Agar kisi sadhak se galti ho gayi to jeevan bhar us galti ko yad karke uske chehre par dekhta rahe.

ye wahi hai jisne galti ki thi. Nahi ye wo nahi hai jisne galti ki thi. Jo galti ki thi wah ek vritti thi aur ishwar ne aradhya dev ne use aisi sthiti pradan kar di apchet suduracharo bhagwan ke shabd jara gaur se sunie kah rahe apchet suduracharo bhajte mam anannya bhag sadhu samantavya mano ye sadhu hai sadhu ko kabhi kaha nahi jaata ki ise mano sadhu hai wo sadhu nahi tha. Usne durachaar kiya sangopang. Ab usne meri sharan le li. Main banaunga sadhu. Ab use sadhu mano meri agyaa hai. Sadhu samantavya samyakta aisa kyonki usne nischay kar liya ki bhagwan ke siva mera koi saath dene wala nahi.

mera koi udhar karne wala nahi. Usko main sadhu banaunga aur bana diya bade-bade hinskon ko. Brahm rishi bana diya. Isiliye kabhi kisi upasak par agar kahin koi truti ho jati hai to jeevan bhar ke liye lanchhan shabd na dekhen. Nahi pata nahi hari kab kripa kar de aur usko ek vishay se ek mahan yogi bana de. Bas yahi ham prarthna karte hain sabse ki ye sansaar hai. Bakhashta kisi ko nahi. Agar truti ho gayi na bhi truti ho to jal mein phasa ke nicha dikhane ke liye truti sabit kar di jati hai. Yah maya hai.

isliye kisi ko apna mitra nahi aur kisi ko apna shatru nahi. Ekmatra mitra prabhu shri hari aur shatru ekmatra mera durvasan se bhara hua man. Isse bada koi dushman nahi. Ham sadaiv man par shatruvat vihaar rakhen. Yah dusht kabhi bhi fansa sakta hai aur mera sacha mitra ekmatra hari isse bada koi mitra nahi. To hamari atal vishwas sthiti guru ke vachno par honi chahiye. Surdas ji kah rahe hain guru ke vachan atal kar manhu sadhu samagam kije re man Radha naam ka lijiye samay kaise vyatit karna hai padhie gunie bhakti bhagwat aur kaha kath kije sevak ji maharaj kah rahe hain Radha vallabh bhajat bhaj bhali bhali sab hoe bhir mite bhat jaman ki bhay bhanjan hari soe bhay bhanjan hari soe bhram bhulo bhtak kat kat sevak ji maharaj kah rahe mahan rasik kah rahe hain bhagwat bhakti vichar ved ved bhagwat priti rati ved bhagwat priti rati bhakt charan dhar bhav tart bhav sindhu agadha bhakt ke charnon ka dastv bhav rakhkar

ved bhagwat puran samasth shastron ka usko jab gyan hua tab priti ka mahatva jagrit hua shri sevak vani jo ati agad mat ga birlo koi samjh hit hit marg arudh ye hit marg arudh bhav bhagwat mile sab char ved susmriti jo char avgah le jab tab pave sevak hriday ye apni baat samjhte rahe hain shri sukh mukh jo vachan sunavhu sevak ji maharaj shri shukacharya ke dwara gaye Shrimad bhagwat ka samyak gyan tab usko samjh mein aayega shri Krishna kya hai ye priti kya hai kishori jo kya hai tab samjh mein aayega aise thodi hota hai to bole hamko to koi shastr aata nahi to guru ke vachan atal kar manhu sadhu samagam ki jai ab tumhen padhne ki zaroorat nahi jaise pure sharir ke rakt ko dukh mein badal ke bhagwan us naveen balak ke poshan ke liye utna hi gam mitha aur power yukt dugdh maa ka kahin bhi sharir mein operation karke dekho safed dugdh nahi milega lekin us karunanidhan ne pure maa ke sharir ke rakt ko utna jitna se balak ka poshan ho doodh bana diya aur utna hi garam utna hi mitha utna hi power

yukt jitna jitna wo balak pcha le aur wo balak pusht hota hai. Aise sadguru sampurn shastron ka sar dugdh rup vachan ekatrit karke apne shishya ko pradan karte hain. Use mehnat karne ki zaroorat nahi hai. Shastron purannon ki vivid vrityio ko dhundne ki zaroorat nahi. Unko khoj karke anubhav karke Gurudev de rahe hain. To guru ke vachan atal kari manhu sadhu samagam ki jai. Santo ka sang karo aur Gurudev ke vachno par atal vishwas karo. Parinaam tumhara param mangal hoga. Ab vartman mein tumhen thoda kadva lag sakta hai.

ek hatao, aise karo, aise nahi aisa karna, nahi to aapko lagega ki aisa kyon kahte hain? Jab aapko parinaam milega to aap isi baat ke liye roenge ki agar Gurudev mujhe kripa na karte to main is ras ko na prapt kar pata. To atal vishwas unke vachno par aankh mund kar ek bar ek bar is jeevan ko Gurudev ko de do. Aapko aisa karna hai bas vachnam karish to aap bolo main wahi karunga krito main bika hua das hoon mera koi sankalp nahi meri koi ichchha nahi bas aap agyaa kijiye ye param pad hath mein aa jaega je guru charan Renu anuragi te lokhu vedhu bhbhagi je guru charan Renu sir dharah te jan sakal vibhav bas karah shri guru pad nakh manigan jyoti sumirat divya drishti hoti bando guru pad padam paraga suruch sus saras anurag Gurudev bhagwan ki charan raj mathe pe chadhi hui hai.

unki agyaa ka palan ho raha hai aur unke charnarvind ke aashray vritti hriday mein jagrit hui to divya drishti prapt ho jaegi. Divya drishti jis drishti se ham Priya pritam ka sakshatkar karenge wah divya drishti jis divya drishti se brahm bodh hoga wo divya drishti guru ke charnon se prapt hoti hai. Hamara samay bhagwat chintan bhagwat charcha bhagwat leela gun gayan mein vyatit ho kartavya karm karte hue Radha naam bin janm baad hi vritha jeevan ka jeeje yadi naam nahi chal raha Radha Radha Radha jibhya mein to bekar ka jeevan hai chahe arabon rupya jama kar lo asankhyo maroge to ek pai nahi yahan se le jaoge lekin da bar bhi Radha Radha ka hai to tumhara pind nahi chhodega lok mein jahan bhi jaoge ye bhari padega 10 bar bhi Radha naam iska hisaab brahma bhi nahi de sakte.

Radha naam mein swayam thakur ji bik jaate hain. Aur kya Radha naam ras bhyo jat hai tashavant hue peeje Radha naam sudha rasam raseet tum jimela ai rasdri tune bahut ras chakhe ab Radha naam ras chakh ke dekh amrit hai tu tript ho jaegi Radha Radha Radha Radha naam ras baho jat hai tashavant hoe peeje jaise pyase ko pani mil jae to kaise pita hai aise tum janm janmantar se anand ke pyase ho sukh ke pyase ho prem ke pyase ho to ye Radha naam tumhari pyas bujhaega Radha Radha Radha Radha naam ras bhyo jat hai trishavant hoe peeje surdas hari sharan taki ye janm safal kar lijiye re man Radha naam kah lijiye surdas ji kahte hain Priya pritam ki sharan mein raho nirantar naam jap karo jeevan ko sarthak kar lo isiliye isliye shripad ji kah rahe hain bekar ke tark jal mein kyon phaaste ho?

shastr jal mein kyon phaaste ho? Bas bhagwat aashray lekar Gurudev ke vachno par vishwas karke jo unhone naam mantr diya hai aapke liye sarvopri hai. Ab kisi bhi sadhan ki taraf hamen aankh utha ke nahi dekhna. Yah hai chitt ka samadhan. Mere Gurudev ne mujhe jo upasna di usi mein purn rati bas sarweshwari reshwari nitya nikunjeshwari dekh lena inki karuna kaisi hoti hai swabhavic aapke netron mein jhalakne lageng hriday ment hone lageng shri surdas ji maharaj kah rahe hain nishtha kaisi ave yadyapi sahi baat yah hai ki ham prabhu ke layak nahi hai.

kahan satchidanandmay aur kahan parthiv dehabhmani manmani aacharan karne wala kaise unko ham kah sakte hain dava kaise pesh kar sakte hain ki main aapke yogya hoon. Aap mujhe sweekar sachchi baat nahi. Unhone apni kripa se hamen sweekar kiya hai. Hamare andar koi sadgun nahi hai. Koi aisi vastu nahi hai jisse ham dava pesh kar sake. Bade-bade bhakt to prabhu se kah sakte hain. Jaise gopi janon ne kaha prabhu se dava pesh kiya. Aapke liye maine sab kuch tyag diya. Sab kuch tyag diya aapke liye. Ab aap kahte hain wapas chale jao.

shrutiyan kahti hai ek bar jo aapki sharan mein aa gaya aap use chhote nahi. Maine aapke liye sarvasv tyag kiya. Aapke liye agar aap ab dobara bole ki wapas chali jao to aapke samne abhi is sharir ko bhasm kar dungi. Yah dava pesh kiya. Kyon? Vastvik tyag. Vastvik tyag. Ai brajnar sunat banseero grihapti bandhu vishare. Darshan Madan gopal manohar man se tap atyant asakti prabhu shri Krishna se samasth asaktiyon ka tyag lekin ham aise nahi hai ham aisa dava pesh nahi kar sakte ek taraf prabhu hai ek taraf vishay to ham vishay mein gir jaate hain prabhu se hat jaate hain ek taraf prabhu ka naam hai ek taraf sansaar ka lobh hai to ham sansaar ke lobh ko mahan samjh lete hain aur naam ko gaur kar dete hain agar dekho dekho apne jeevan ki dhara ko to ek taraf prabhu aur ek taraf sansaar to prabhu ki taraf pith hai.

sansaar ki taraf mukh hai. Phir bhi ham garv se kahenge hamare mai shyama ji ko raj kyon? Bole shri Radha vallabh bhale bure to tere ye ye khas baat hai is shyama se ham agar bhale hain to aapke hain bure hain to aapke hain hamen koi bhala kahe ya bura kahe ab hamko piche nahi hatna kyonki ham apne ko bhale mankar chale hi nahi hai. Ham achhche sadhak hain. Ham prabhu ke layak hain. Aisa mankar to ham chale nahi. Ham to waise hi jaise nali ka kida nali mein anand manata hai. Waise hi sansaar mein anand manane wale man wale hain.

hamko to ghaseeta gaya. Jab ghaseeta gaya tab samjh mein aaya to ab ham bol pare ki jab aapne mujh jaise malin ko chun liya to ab ham shri Radha vallabh bhale bure to tere ab ye to pakki baat ho gayi ki ham bhale hain to aapke hain bure hain to aapke hain. Vastvik ab aapke siva hamara aashray data koi na tha na hai na rahega kyonki aapne chayan kiya thoda socho kya hai ham agar ham apne andar ke register ko swayam padhe to ghrna ho jaegi ham wo hain ghrna ho jaegi ham par itni kripa ham itne nich aacharan wale andar se dekh lijiye andar se sab apne hriday ko dekhiye bahar se to ham apne ko kuch bhi kah sakte hain.

lekin andar agar ham apna register padhe to kuch kahne layak nahi hai. Bolne layak nahi hai. Phir keval kripa hi nazar aati ki ham to is kabil nahi the. Bas aapki kripa ne aapki karuna ne mujhe sweekar kar liya. Jab aapne karuna karke sweekar kar liya to ab ham thesak se bolenge abhiman se bolenge ki ham aapke hain aap hamare hain. Bhale bure jaise bhi hain aap nahi ab dusro na koi ab ye sweekar nahi kar sakte kyonki jis samay main kisi yogya nahi tha us samay aapne keval sweekar kiya hai. Koi manne ke liye tayyar nahi tha ki ye mera hai.

us samay aapne ab jab aapne sweekar kar liya to pura vishv kahta hai mera hai to ab mujhe vishv ki taraf nahi dekhna vishwatma ki taraf dekhna hai ye khas baat upasak ko apne hriday mein pakdni bhale bure ham jaise hain nath aapke hain tum hi hamari laj badhai vinati suno prabhu mere shri Radha vallabh bhale bure to tere anya dev sab rank bikhari dekhe bahut ghanere hari pratap bal ginat na kahu nidar bhae sab chere prabhu dekha hai jab aapne sweekar nahi kiya tha na to dekha hai goswami ji kah rahe hain jab samrat Akbar ne taj utar kar charnon mein rakhkar pranam karke jab wapas gaya to goswami ji ke ankhon mein aansu aa gaye to nij janon ne pucha samrat ne taj rakh diya isliye aansu aa gaye anand ke bole nahi jab tulseeram ka nahi tha tab kaura kaura ke liye bhtak raha tha jis darwaze par khada hota to yah abhagi hai.

aisa kah kar hata diya jaata. Swayam bhagwan shankar ki Priya annapurna akar ke tulsidas ji ko bhojan deti thi. Bole aaj Ram ka hoon to badshah utar kar taj rakhta hai. Jab Ram ka nahi tha to ek tukde-tukde ke liye darwaze par bhatakta. Log abhagi kah ke bhaga dete the. Satya baat hai. Koi apna nahi hai. Aap logon ki swarth ki paraspat purti ho rahi isliye aapko lag raha hai ki mera bhai mera mitra mere mere amuk amuk amuk aur jeevan mein dekha gaya jab kisi ke swarth layak nahi to kisi ne nahi kaha ki tu mera kisi ne nahi kaha.

ascharya hoga aapko. Kisi ne nahi kaha. Aur jab hari Priya ne kah diya ki mera to pura vishv kah raha hai ki mera ab keval prabhu prabhu ye sab bikhari hai swarth ke bikhari kaun mere ko saath dega kaun sachchi badi kripa hoti hai jab pratikultaa milti hai tab jaise netron mein parda par jae to kuch dikhayee nahi deta par operation ho jae to theek dikhayee deta hai. Yah pratikultaa ek mahmmahim operation hai. Aankh khol ke dekha gaya koi nahi. Paristhitiyon ko nakaratmak bhav se na dekha jae. Wo prakash paida karne ke liye pratikultaa hoti hai.

na koi mitra hai aur na koi shatru hai. Bas ek bhagwan ka aashray hai. Ye wo pratikultaa bhagwan isliye dete hain. Ki antar mein keval unka adhikar rah jae dusre ka nahi. Yah mera Swami bulva raha hai kyonki pehle bulvaya anannya aashray ke liye aur ab bulva raha hai ki dekh mera dular main kahin bhi baithkar tujhe aise shikhar par chadha sakta hoon jahan sab vandna karte hain. Mukam karo divachalam pangum lagte giri. Ae kabhi kisi par dosharopan karke pratikultaa ko pratikultaa mat manna. Wah pratikultaa keval shikhar par chadne ke liye hoti hai.

aisi unchai par chadha di jati hai ki ascharya hota hai ki kal yah raj ham pairo se daba rakhe the. Aaj ye mukut par kaise baith gaye? Wo vayu ka sanyog, anugrah ka sanyog. Isliye manushya ki to baat kya? Kisi ka bhi sahara nahi lena apne aradhya dev ke siva kadam kadam par yahi to anubhav ka jeevan tab hota hai jab kisi ka sahara nahi hota ham chahe bhi sahara lena to koi banta nahi hai sahara koi nahi banta uska kaun sahara banta hai jiska sansaar mein kisi bhi gun se sambandh nahi hai kaun sahara koi nahi sachchi maniye bada bhram hai ki hamara hamara koi mitra hai aur ya hamara koi sahyogi hai.

is bhram ko mita dijiye. Sacha mitra keval ekmatra aradhya dev hai. Ye samjh mein aa gaya to chati phool jaegi aur chaudi chati karke vishv mein seem ki chachap sake ko tasu bal rakhwa Ramapati jasu. Ye ham kripa ki baat kah rahe hain. Kabhi kisi ko nicha mat samjhna. Wah malik ka ek diya hua part hai. Wah us samay ki leela hai. Keval wo kuch kshan uske abhiman ko raundne ke liye wo dainyta pradan karne ke liye leela hai. Iske baad aisa uthga ki koi chu nahi sakta. Bilkul hriday mein jab pratikultaa bahar se mile to prasann hona ki ab unchai par chadne ki sidhi mil gayi aur aisi unchai par chadaya jaega.

sachchi aapse kahte hain bhagwan ke siva agar kisi ka sahara man mein hai to dhokha hi milega aur jise keval ek matrishta ka sahara use bahar se koi pehchan nahi sakta. Aur wah ek kshan mein itni unchai de sakte hain ki jo karodon janmon ki sadhna se nahi mil sakti. Sachchi vana jab ascharya hota hai aisa kaise ho sakta hai? Wo kartum hai wo akartam hai. Wo anytha kartum hai. Wo sarv samarth ishwar hai aur yah uska das hai. Das ki udasi ko dekhkar hansna mat. Kyonki wah us mahan ka sevak hai ki jis din nazar ghum gayi us din sabki najren wahi lag jaengi jisko wo udasin bhav se dekha jaata tha.

hari pratap bal ginat na kahu nidar bhae sab chere jo vastvik bhagwat dastv ki thesak mein aa gaye wo nidar ho jaate hain unko kal ka bhi dar nahi hota isliye sab taji tu sharanagat aae dridh kar charan gahe re surdas prabhu tumhre mile te paye sukh jo ghanere he prabhu aapne mujhe apna sharanagat bana liya ab to main dridta purvak aapke charnon ko hi pakar liya surdas ji kahte hain ki he prabhu tumhare milne se jo mujhe sukh mila milne ka matlab aapke charnon ka aashray liya aapka naam ka aashray liya. Bole yah ghanera sukh hai.

ghaneebhut jismen dukh ka pravesh hi nahi ho sakta. Aap bahari dukho ko lekar pareshaan rahte hain. Usne ye kah diya, usne ye kah diya sharir rog se grasit hai aur vyvasthaye theek nahi. Yah sab bahari baat hai. Ek bar tu pariksha de de aur paas ho ja. Har paristhiti mein prabhu ke priyaju ke charan na bhule phir aap parinaam dekh lena paye sukh jo ghanere aisa ghaneebhut sacchidanand sukh ye parlok piche ke pad mein tha mahaprabhu Harivansh chandra ji ne kaha hai ki is lok mein bhi parlok mein param sukh ka nischit vishwas karo isliye shripad kah rahe hain ye jo almah vitark jal ab tark vitark ka jal chodo moh jal ke katne ke liye bhagwat kripa se satsang milega usse vivek milega vivek se moh ka nash karo aur uddi vihanga pat vrinda kannam ruchram Vrindavan mein aa jao jitne ghante vas karo bahut mahan hai jo shabd puriyon mein aajeevan vas karne se prapt hota hai.

wo yahan 24 ghante vas karne se prapt ho jaega. Ye shri pad ne kaha ek bar yahan ke pushp ko sungh le prasadi ek bar bihari ji se netr mila le Radha vallabh lal se aur ek bar is bhumi mein mastak rakh de wo kabhi nark nahi jaega. Shripad kah rahe hain aur yah bade bade mahanubhav kah rahe hain shri dham Vrindavan ki ek kan raj ka agar tumhare sharir mein lag gaya hai jeevan mein kabhi to yamdoot tumhen sparsh nahi kar sakte ye braj raj ye Vrindavan raj hai iski mahima kahin bhi raj ki mahima aap nahi sunenge lekin ye braj raj ki mahima sampurn shastron mein jayghosh ko prapt ho rahi phir Vrindavan raj ye to maharani ji ke charan chinnon se yukt bhumi hai.

ek se ek premi maha bhagvato ke asuon se bheegi hui ye bhumi hai. Ye prem bhumi hai. Jahan pravesh karte hi Uddhav ka gyan dhul dhasrit ho gaya. Jo Brihaspati ke saman gyani kyonki guru apne shishya ko saman gyan pradan karta hai. Brihaspati ji ke shishya shri Krishna ke mitra yahan ate hi unka gyan ghasrit ho gaya aur prem pipasu ban gaye. Piche prasang chal raha tha kastarti kastarti maya maya se kaun tarta hai kaun tarta hai to uttar hua tha yo sangajti yo mahanubhav sevte nirmamo bhavti do ki vyakhya hui thi sansta jati vishay sang bogi purushan ka sang jinke sang se hamari mati vyasan mein phas jae gande aacharan mein phas jae gandi baton mein phas jae aise logon ka sang nahi jo hamari antarik vritti prabhu se vimurkh kar de priyal ke chintan se rahit kar de us vritti ka sang nahi yah hua sangati dusra mahanubhavam sevte mahapurushon ka sang maya se tarne ke liye amog baat hai.

jiska antim janm hota hai use sant samagam prabhu pradan karte hain. Yo mahanubhavam sevte par mahapurushon ki seva mein mamta bahut badi badha hai. Isliye nirmam bhavti mamta rahit hona atyant avashyak hai. Yah mamta ek aisi badi badha hai ki bhagwat kripa se jo mahatmaon ka sang milta hai to yah mamta se bandhan yukt hua man unki avagya kar deta hai, avhelna kar deta hai. Bahut sukshm vishay hai. Jeevan mein wo avhelna jo tumhari mamta tumhen har kadam niche giraegi. Kabhi unche nahi utha sakti. Aur agar guru ki mamta to mamta ka bhi poshan hota aur samta ka bhi poshan hota aur Priya lal ki prapti mein koi badha pahuncha de aisa paida nahi hua tum khilwad samjhte ho guru kripa hi kevalam bhagwan apno pran visar bhagat ko purv paran nibhau agyaa par jeevan bhasm kar dena mahatva apna mita dena bhagwat prapti ke prem rang mein khelnaa hota hai khilwad samjh rakha hai is marg mein bhagwan ki kripa se jab yo sangati satsangon ka tyag karta hai guru kripa se tab mahanubhav sevti mahanubhavon ka sang milta hai.

phir sampurn srishti ka malik apna pran bhul sakta hai lekin apne jan ka pran nahi bhul sakta. Tumhen sirf agyaa palan karna hai. Baki ka sab hamara aradhya dev dekhega. Nahi aap mamta ka poshan karke dekhte raho. Tum apni mamta ki suraksha bhi nahi kar paoge aur paramarth ki samta ko jhaank bhi nahi paoge. Pure jeevan ki unnati mein aag laga di. Ab kadam piche nahi age badhega. Aur jab age badhega to dhruv ji ne kaha meri maa ka kya hua prabhu? Main to divya simhasaan par ja raha hoon. Bole age jo chamkta hua viman ja raha hai us par tumhari maa virajman hai.

aa putravti juvti jag soi kul dhanya ho jaata hai. Dhanya se janani dhanya sutat samjh mein nahi aata. Ye mamta ye mera sharir iska adhikari main hoon. Yah meri maa, yah mera parivaar, yah mera ghar, mere paas paisa. Ab mujhe kiski zaroorat hai? Ek chhote se simit mamta ke kue mein gir gaye. Asim mamta Priyalal ke charnon mein samarpit karke. Yah mamta ek bahut badi badha hai. Usi mein bhagwat bhav karke chalne se aap wahan paas rahte hue nikal sakte ho. Aap vishwas kijiye agar vachan de diya hai ki is log parlok mein tumhen kuch sochne ki zaroorat nahi to tum dekh lena guru pratap age se age sab hota chala jaata hai aap samjh nahi pa rahe ho tum rok paoge kal ke thappad ko na maa ko bacha paoge na pita ko bacha paoge na parivaar ko bacha paoge aur agar unhin mein bhagwat bhav kar liye to sabka kalyan kar loge apna bhi aur unka bhi kalyan rahasya ko samjh jao jao nirmamo bhavti ye ek mamta ye mera ghar mera sharir mera parivaar meri maa mera pita meri sambandhi mera makan meri jamin ye mahanubhavon ka sevan karne se vanchit kar deta hai nahi mere Gurudev hai mere jeevan ke mere sarvasv ke adhikari hai unke adesh par apna pran samarpit kar dunga unke adesh ka ullanghhan nahi karunga ye hua yu mahanubhav bhav sevte mahapurushon ka sevan kiya ja raha hai.

yah jo maya ka bandhan hai ise Gurudev ki kripa kataksh se kata jaata hai. Aur sahi pocho to katna nahi hai. Prakash hua ki tumne dekh liya ki kabhi bandha hua hi nahi tha. Agar wah guru kripa ka prakash na ho to chahe shiv biranch sam ho guru bin bh nidhi tare na koi jab aap sataarg mein chalte hain to kusangi janon ka sang de diya jaata hai fasal abhi ug rahi hai jab fasal katne ka samay aayega tab shayad tum dekhne layak nahi rahoge aur koi samjh nahi payega ki fasal kya fasal to shuru ho gayi ugna pratikultaa ki fasal to shuru ho gayi ab aisi prat pratikultaa jeevan mein aayegi ki phir tumhen traahimaam bolkar kyon sharanagat ka kabhi nash nahi ho sakta isliye tumhara bhi nash nahi hoga tumhen laut kar ke phir usi gali par chalna hoga ye bhagwat marg ka pathik hai kyonki tu bhula hua hai par wo bhula hua nahi hai use bhul sudharna aata hai.

bhag tu kitna bhagega jahan bhagega. Ek tang badhai mere malik ne to brahmlok tak chhota par gaya. To bhag kitna bhagega? Usi charnon ke paas hi tumhen ghasit ke layenge jahan se bhaga hai. Lekin samay barbad hoga. Tumhare samne aisi paristhitiyan paida hongi ki tramam bolna padega. Mat dekho ki wo mauj mein hai. Mauj mein nahi hai. Adharm aur avagya karne wala kabhi unnati ko prapt nahi hota. Uski unnati avnti ka mul karan banegi. Iske rahasya ko samjhiye. Mamta ke bandhan mein bandha hua upasak mahapurushon ka apman kar deta hai.

satsang aur santo ki seva rupi divya gyan mani ke prakash mein wo dekh pata hai ki main kabhi bandha hua hi nahi tha. Jeevan mukt hota hai. Par wo mani prakash usi ke hriday mein hota hai. Gyan mani ka prakash jo mamta ke bandhan se rahit hota hai. Mamta ek andhkarmay ratri hai jismen dikhayee hi nahi deta mujhe kya karna chahiye. Andhkar mein pehle satsang mein jane ke liye bhagwan ne thodi mamta kam ki. Phir iske baad use chhod diya. Siddhant dekho. Ab tum mamta rahit hokar dikhao. Pehle satsang mein sadhu sang mein jane ke liye bhagwan ne kripa ki sadhu milaya aur mamta ko kam kiya.

mamta ke dabaw ko kam kiya aur je hi tum chale to bhagwan ne chhod diya. Jaise chhota bachchhe ko maa chalati hai aise. Jab wo ladkhda ke chalta hai to girne na pave aur jab wo chalne laga to hat gayi. Ab chalke dikha. Phir jo mamta ka rang chadha phir wah nasht kar deta hai. Kyon? Kyonki wo yah dhyan nahi de paya ki asli meri maa kaun hai? Asli mein mujhe pyar karne wala kaun hai? Wo kishori jo vatsalyamai wo ladli jo karunami unko bhul gaya. Man ko prasann karne ke liye us mahan ko tyag kar diya. Tyag kaise hota hai?

apne man ki baat manna aur Gurudev ke man ki baat manna yah do marg ho gaye. Gurudev ke man ki baat manna priyaju ki prapti ka marg hai. Apne man ki ye beiman man na jano chhin kaun buddhi ghat prakashit abhi to kah raha hai paramarth thodi der mein yahi man kahega bhog ham kya kya iski baat manenge nahi ham wo baat manenge jo Gurudev kah rahe hain. Sansaar mein wahi dhanya upasak hai jisne is mamta rupi beni ko nasht kar diya guru kripa se. Nirmamo bhavti bhagwan ne bhi kaha hai ashta bhut naam mait kar nirmamo nirhankar agar ham nishtha se bhagwat charnarvind mein hai to meri maa ko param pad nahi milega are 21 peedhiyon ko param pad milta hai phir kyon nahi milega ham agar mamta se bandh gaye to hamari bhi durgati aur wahan bhi durgati ye nirmamo bhavti yah nirmamta kaichi keval guru ji ke paas hai.

he tum baat nahi karoge. He tum phone nahi karoge. Tum nahi miloge. Jab tumhara koi milne wala hai ham milenge. Ham swagat karenge. Lekin tum nahi tumhara keval laksh shyama Shyam katti chali ja rahi hai har dori. Sabki mamta tag batori aur mam pad man hi bandh var dori. Yah baat yah Gurudev kripa karke karte hain. Har jagah ki mamta ka nash tum samjhte ho yah nirmohi hai. Nahi nahi sache pyar karne wale Gurudev hi hote jo tumhen us param pad pe bar-bar to banat nahi ya sanjog anup manush tan vrinda vipin rasikan sang virup rasikan sang virup Priya pritam ki upasna rasikon ka sang aur ab bhi kalyan na ho to jab apni manmani nahi hamko ab hamare jeevan ka astitva samarpit karna hai Gurudev ko yo mahanubhavam sevte to apne aap wo tumko nirmam kar denge.

mamta rahit kar denge. Jahan mamta rahit hue to jahan se mamta ka sagar lahrata hua tumhari taraf ufan karte hue aa raha tha usmen doob jaoge. Wo dasi vatsala kar hi Radha phir dekhoge swamini jo swamini jo ka pratap phir dekhoge swamini ji ka prabhav dekhoge mere prabhu ka dular dekhoge narsi ji ke bete ka byah hai wo prabhu ke samne baithe kirtan kar rahe prabhu suno dekho sandhi se chati jo milai jati hai bas uske liye tum tayyar ho jao sab ham sambhal lenge bole prabhu hamse nahi hone wala.

ham to bas aapki aradhna mein lage. Bachchhe ka byah ho ya na ho prabhu ham nahi kar paye. Suno to ae akhil lok ke brahmand layak kya kar rahe? Tum sapha bandh lena. Naye kapda tumhare pahna denge. Bas samdhi se chati mila dena. Barath mein tum bhar bane raho. Sab ham dekh rahe hain. Ye mamta rahit mahapurush ki vinati kar rahe hain ki tumhare ladke ka byah samdhi ka milan tum beti ka bhat bharna hai. Mauj masti mein wahi phate kapde aise hi pahunchte hain. Sone ki varsha kar di thakur ji ne. He mamta aise sthan par laga do ki sab parivaar ka mangal ho jae aur jeevan anandmay ho jae.

yah satsang ke dwara hota hai. Apne logon ko kripa prapt hai. Chuk mat karo. Mat karo. Wo dhanya hai maa jo lakshman ji ki maa ki tarah vachan kahti hai ki tumhara Ayodhya mein koi kam nahi. Yadi Ram vanvas jaate hain to tumhara jahan Ram wahi Ayodhya tum saath jao beta. Aaj main putravti kahlaane yogya ho gayi. Kyonki lakhan tere jaisa Ram bhakt putr paida hua. Maa wahi suneeti ji ne kaha ki teri maa jo vimata suruchi hai na wo theek boli maharaj to mujhe dasi bhi sweekar karne mein lajja karte hain.

yadyapi wo tumhare pita hain aur wo hamare pati hain. Lekin theek unhone jhidak diya. Jao bhagwan narayan ko rijha aur aisa pad prapt karke tumhare bap Baba ko hi nahi prapt hai. Wahi mata ke vachan dhruv ji ke hriday mein himmat paida kiye atal padvi par baithe hain. Maa pratham guru dhikkar us maa ke updesh ko jo sataarg se niche gira de. Wahi maa jo sataarg mein upar chadha de. Bhagwan ki prapti kara de. Wahi maa madalsa ne apne putro ko brahm gyan ka updesh karke jeevan mukt banaya.

raja se kaha apne pati se ki is garb mein jo bhi aayega use jeevan mukt banaungi. Kabhi maya mein nahi phasne dungi. Hath jod ke kaha ek putr meri rajgaddi ke liye ek putr. Ab jo santan hone wali hai is par mera adhikar. Theek hai. Thoda sayana hua. Ek shlok jeevan mukt avastha ka likha aur anguthi mein band karke kaha beta jis samay tujhe koi samasya lage to main pata nahi rahun ki na rahun anguthi mein ye sutra likha hai tab tak na khol jab tak vipatti na ave aur jab tujhe koi samasya ave to khol je hi us maa ka ye sankalp bhari mansik vipatti upasthit hui kya ye rajya satya kya yah bhookh satya hai?

kya yah deh satya hai? Jab yah satya nahi to satya kya hai? To anguthi kholi ekant mein je shlok apne swaroop sthiti ka para mukut rakha aur ekant sevan karte hue jeevan mukt. Unhone kaha tha ki mere garb mein jo aayega use bhagwat prapt mahatma banaungi aur bana diya. Jo putr hue jeevan mukt ho gaye. Aaj unka charit gaya jaata hai. He ye char din ka jeevan hai. Ismen chahe paap kama lo ya punya kama lo ya bhagwan ki prapti kar lo. Uttam to yahi hai ki har karm bhagwan ko samarpit karte hue naam jap karte hue jis marg mein jahan kadam rakh diya vaisa jeevan vyatit karo.

ham un bhagwan ke das hain ki jo rup sweekar karte hain waise hi aacharan karte hain. Agar Varah rup dharan kiya to prithvi ko graan se sungha aur apne thune par dharan karke laye. Matsya rup dharan kiya to jal mein kachchhap rup dharan kiya Ram rup dharan kiya Krishna jo swang racha waise hi to tum unhee ke das ho. Yadi grihasth ho to vaisa aacharan virakta ho to vaisa aacharan aisa nahi ki apni sima ko lang ke idhar ya idhar se idhar age badha ja sakta hai piche nahi hata ja sakta is marg mein jo piche hata usko ram diya maya ne likh lo kaagaz mein ye ham kisi avesh mein nahi kah rahe is marg mein jahan charan rakho waise rakho atal pran nikal jaen age badhe badh na paun lekin piche nahi hatunga nikal gaye o are age to bahut aanch hai.

piche hat gaye to phir itna piche hat jaoge ki kabhi jeevan mein age badh hi nahi paoge aur janm janmantar mein ye kis yug mein avsar aayega apne ko pata nahi. Isliye bhagwat ashi to hosh thikana rakh ke seva sumiran savdhaan kal ki chal badi vikral hai. Jeevan jine ke liye bhagwan ka bharosa atyant avashyak hai. Kahin aisa na ho ki jeevan dhan ko bhul karke phir maya mein aasakt ho jao. Nahi aise aise tandav hone wale hain jinko tum dekhkar sah nahi paoge. Yah maya ka tandav hai. Dekh lena age chalkar abhas hota hai.

yah maya ke aise tandav hone wale hain jismen pis jaoge bachna mushkil ho jaega. Janm janmantro se piste chale aae hain. Agar ab ek minute bhi ham Radha bol rahe to hamara koi kuch nahi bigad sakta. Samjh jae aae sharan te darat na kal dar. Kya samjhte ho tum avinashi? Sharir ko lekar ke. Are prakriti itni balvan hoti chali ja rahi hai aur itna adharm badhta chala ja raha hai ki jab yah apne kes fatkar kar nachna shuru karegi na to iske bahut bade-bade dant hain pees jaoge. Yahi panchbhut jo ham aham mane hue hai ki main sharir yahi tumhen nasht karenge.

agni, jal, prithvi, vayu, akash inhi se tumhara vinash prarambh ho jaega. Inheen panchbhuton se tumne paap kiye hain. Inheen se tumhen dand milega. Kabhi bhukamp, kabhi jal apni mariyada ko chhod dega. Kabhi aisi aag ka tandav hoga bhasm ho jaoge. Kabhi aisa akash se ulkapat aise varsh honge jisse tumhara nash prarambh ho jaega. Kabhi vayu apna swaroop tufan rakhegi. Ye tumhen nasht bahut bhayav jeevan hai. Yadi sacchidanand bhagwan ka aashray nahi hai te ubre tah kalam je rakhe Raghuvirr bhayanak paristhitiyon mein bhi uska bal banka nahi hota jiska rakshak Govind hai bhagwan hai isliye hari sharanam bhagwat ashrit hokar naam jap karo jahan tumhari kami hai jiski bhi ye kisi ek ke liye nahi hai sarvbhaum hai wahi pitai hogi jahan tum kamzor ho aur ek din tum balvan bankar maya par vijay prapt kar loge Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi