॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

is baat ko sun loge to kabhi nirash nahi honge // sanatan dharm ke 30 lakshan // 06/10/2024

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh shri Vrindavan shri van chand Radha vallabh guru hari shri Vrindavan shri van chand Radha vallabh shri Harivansh shri brindavan shri van Vrindavan swari taiv padarvindm prema mrit makrand ra sagh purnam had pitam madhupati smar tap magramas ma Shyam param shital ma Shyam param sacchidanand ghan Premanand swaroop nav nivrit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle prana aradhya pran priy shri yugal sarkar shyama Shyam samasth sachar vrind khag mrig pashu panchhi taralta yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar badi vidambna bahut dur tak upasak ke hriday mein yah bani rahti hai ki bhogon mein sukh hai ya prabhu mein yah prashnavachak chinh man khada kar karta rahta hai jab wo dridta purvak bhajan mein chalta hai to bhog akarshan karte hain jab bhogon mein girta hai to phir jalan hoti hai bhajan ki taraf badhna chahta hai aise janm ke janm nikal jaate hain yadi wah dridta dharan kar le ki sukh hai ki nahi hai mujhe isse matlab nahi par wo mera marg nahi hai mujhe nahi bhogna to

nikal jae par yah dridta nahi rahti bade bado ke hriday mein yah phislan ke liye jagah bacha ke rakhi jati hai wah chahta nahi hai par na chahte hue bhi zabardasti yah man aur indriyon ki adhinta use vishay sevan mein laga deti hai vishay sevan se bhajan ka utsah nasht ho jaata hai aap dekho 10 din nirvic rahkar bhajan karo 10 din matra to aapke bhajan ki utsah vritti badhegi aur jahan phir galat kiya phir baith jaegi phir na wo kram rahega na wo josh rahega na swad aayega bhajan mein ek khinnta si udasinta si bhajan ki taraf aa jaegi ab bhog aur bhajan puri srishti ko do bhag mein ek taraf bhoga akarshan aur chalna hamen bhajan ki taraf hai ab bhajan mein abhi anand nahi mila priyata nahi hui aur bhogon mein janm janmantar se ham anand khoj rahe hain priyata hai isliye bar-bar ham bhog ki taraf hi phisalte hain bhajan marg mein ham sudridh khade nahi ho pa rahe bhagwan ki aashray vritti hi yahan bachaegi jin aradhya dev prabhu ki aap hriday se sharan mein hue hain isiliye bhakti sarvshresht hai kyonki ismen bhagwan ka bal hai bhagwan ka

bharosa hai bhagwan ka sahara hai gyan mein swayam ka bal hai agar aap gir gaye to gir gaye phir kisi janm mein tayyari karna lekin bhakt mein gir kar ke bhi bhagwat prapti ho jati hai wo bhagwan ke bhrose hota hai bhagwan ka aashray liye hota hai bhagwan se phir vinay karta hai bhagwat bal milta hai aur wo bhagwan ko prapt hota hai bhagwat bal se hi bhagwat prapti hoti hai isliye jisko aisa lagta hai ki main tair kar ke bhav samudra par ho jaaunga gyan aadi sadhno se dekh le bade-bade mahapurushon ka anubhav santo ka anubhav bina bhagwan shri hari ki sharan hue is durant maya par vijay prapt karna bahut kathin hai do char 10 din theek chaloge phir gir jaoge phir utho phir gir gaye bar bar aisa hone par sadhak nirash ho jaata hai kab tak yah nirasha yadi sharanagati hai to purn bhagwan ke charnon mein samarpit kara degi agar ahankaar shesh raha to phir girna padega isliye pehle se hi ahankaar sahit bhagwan ki sharan mein ho jae to is sab vishyon par vijay prapt karke isi janm mein va gaadh bhajan ke dwara bhagwan ki prapti kar le

phir ham to priyaj ki sharan mein hai jinki sharanagati ka jinke charnon ka bada pratap hai purn mahima charnon ki to Vrindavan aur lal ju jante hain Priya ju ke shri charnon ki shripad prabodha and ji maharaj kah rahe hain Radha pada arwinda nandam Vrindavan hare had pa purv saiv dhat parat harip yate balati shri Priya ju ke charnarvind ka anand purn rup se to do hi karte hain Vrindavan aur lal ju maharaj shri Vrindavan ki raj mein hamari pyari ju jab chalti hai to charan chinh bante hain 19 charan chinh aur jab pyari ju chalte hain to lal ju ka hriday aisa hota hai ki wah bhumi lal ju ka hriday banta hai aur ladli ju ke charan lal ju ke mano hriday par par rahe hain Shrimadd chaturashram taruni kadam mukut mani shyama aaj bani is pad mein akhiri ke do lainon ke upar line pad ambuj javak jut Bhushan pritam ur avni nav nav bhaay bilo bhi bham bh viharat var karni braj nav tarun kadamb mukut mani shyama aaju bani pad ambuj javak jut bhushan shri Priya ju ke charan kamal jinme mahawar laga hua hai mehdi se chitrakari ki

gayi hai aur payal napura aadi bhushan dharan kiye hue hain kahan virajman hai bole pritam ur avni pritam ke hriday se lage hue ismen varnan karte hain purv saiv dhatra parat harna pate bla teey shri charnon ke samip baithkar shri Krishna chand ja shri lal ju bal purvak shri ladli ja ke charnon ko lekar apne se hriday se lagate hain Shrimadd Radha sudha nidhi mein hadar pitam madhupati smar tap mugroldi ashraya shri lal ju ladli ke charnon ko jab aise apne vaksha sthal par rakhte hain to unke hriday ka jo smar tap hai uska saman ho jaata hai param sheetalata param shanti ham aise Radha charnarvind ke ashrit hain jinki mahima do hi jante hain sampurn mahima Vrindavan aur ya lal yug aise ham gore charnarvind ke ashrit hai hamara bal shri vrindavan adhi swari ke charnarvind hai hamen harna nahi hai chahe jaisi paristhiti ho hamen bhagna shri ji ke charnon ki taraf hi hai hamen kabhi nirash nahi hona yah maya nirash karegi bar-bar hamse aisi galti hongi aise aacharan honge ki lagega ki ab ham shri ji ke layak nahi hai aisa lagega yah

bada nich man hai yah kabhi vishwas yogya nahi hai bahut accha support karega ekdam virodh karke gira dega aur jab sadhak girta hai to usko lagta hai main lagta hoon nahi chal paunga is marg mein yah bar-bar mujhe gira deta hai man nirash nahi hona hatash nahi hona phir bhago shri ji ke charnon ki taraf bahut udaar charnarvind hai bahut karunamay hai prem ki ajasra dhara sharanagat par barsati rahti hai bat jo ho kab varsha hogi hamare upar prem ki jab ye kam krodha aadi dosh sab dhul jaenge aur ham nirmal bhav se apni pyari ja pyare ju mein hi tanmay bane rahenge durbhagya hai shri ji to kripa karti hain par ham us kripa ki avhelna karke phir bhogon ki taraf chale jaate hain meena jale na da sai sarsi mrig ganava gura vishwar hins sansaar hari vimurkh nara mayaya moh paas karagare suga dhat nati bhat taskara shrankhla bhar vrinda vayam chaad bhut ras balit st guna gayi nirba jaise sarovar mein jal dal kar ke khelti hui anandmay machhliyon ko pakar leta hai pakdne wala jaise krur vyyadh bana ki dhvani mein mugdh karke

hirnon ko paas bulata hai aur banon se bed deta hai aise hi yah kal bhogon ki dalkar jal dalkar hamen phasakar pura jeevan nasht kar deta hai aise hi nana prakaar ki madhurta sunakar is lok mein yah sukh parlok mein apsraen milengi yah ye hamko kal apne adhin kiye hue hai nana prakaar ki bhog samgri bhogne ki ichchha rupi jal mein ham fas karke anand samudra prabhu se bilag ho gaye nana prakaar ke bhogon ki mahima sunkar ke ham aise bandh gaye jaise vyyadh Veena sunakar mrig ko banon se bedh deta hai ab aisa lagta hai ki ham prabhu ke marg mein hi nahi chal sakte hamen to bhogon ne parast kar diya aur bhogon ke bina ham ji nahi sakte yah bahut badi durgati hai isi ka naam durgati hai shripad kah rahe hain aise maya chakra mein wahi phasta hai jo hari sharanagat nahi jo jo vriti hari se vimurkh hai wahi phasa degi agar hari ke sanmukh har vrutiya arpit ki jae har aacharan arpit kiye jae to phir maya ki takat nahi ki hamen phasa sake isiliye kahte nirantar naam japne ka abhyaas karo Radha Radha Radha Radha jo Priyalal

se vimurkh hai wah bandhan mein bandhega hi bandhega kaha Hanumant vipat prabhu soi jab to sumiran bhajan na hoi jis samay sumiran bhajan nahi hota to vritti maya mein phasa hi deti khel khel mein phasa deti hai na chahte hue bhi phasa deti hai bahut dur rahne ki baat hai ham prabhu se dur rahte hain bhogon ke nazdik rahte hain jabki hamen prabhu ke nazdik rahna bhogon se dur rahna hai jaise asadha raja ko uske anuchar usi ke anuchar gan bandh lete hain aur use parast karke swayam adhipati ban jaate hain usi prakaar man aur indri bhogon ki lalsa dikha kar ke nirbhal hue atmjyan rahit jeev ko ye bandh lete hain aur adhipati ban jaate hain ab jo chahe wah karave man buddhi indri y aise jeevtma ko jo atmjyan rahit hai usko adhin kar lete hain jaise mantri aur senapati mil jae aur raja ko bandi bana le aur swayam raja ban baithe husain shah ne apne raja subuddhi ray ke saath aisa hi kiya tha waise to raja yadi praveen ho to y nahi bandh sakte praveen atmjyan bhagwat sharanagati par ye bhagwat sharanagati aur atmjyan

se rahit jeevtma man aur indriyon ke adhin hokar parast ho gaya pure hath utha diye ki ab main bhogon ke bina nahi ji sakta bahut badi kami bahut badi hani he Vrindavan dham jab yah sab bandhne mein samarth hai to aap bandhne mein samarth nahi ho kya aap Priyalal ke prem ras rupi janjeeron se hamen bandh lo ye chhote-chhote bhog ye chhote-chhote chhal kapt ye jab bandh lete hain aur hamare janm ke janm barbad kar dete hain to he Vrindavan dham adbhut ras se aap hamen kyon nahi bandh lete aap adbhut Priyalal ke rup se kyon nahi bandh lete aap adbhut Priya lal ki seva sukh se kyon nahi bandh dete kripa karo aap bhi apne prem jal ko phailao aur sansaar samudra mein khelte hue hamare man aur indriyon ko apne adhin kar lo bhavan mati su tum chhem Vrindavan ha maya tah hari hari tatr mama bhu dwaand pya chal sen Vrindavan aapke liye to ye sansaar bandhan tuchch bandhan hai ise katne mein koi der lagegi kya aur yahi mahima sunkar main aapki sharan mein aaya hoon he Vrindavan dham he hari he hari maine suna

hai ki Vrindavan ne ishwar ko adhin kar liya hai Vrindavan mein Priya pritam aasakt hai Vrindavan se Vrindavan parityajya padam kam na gachati ek kadam bhi Priya pritam Vrindavan se bahar nahi ja sakte jahan kisi premi upasak ko darshan dena hota hai to pehle Vrindavan prakashit hota hai phir Priya pritam to he Vrindavan dham hari hari maine aisa suna hai ki aapne ishwar ko adhin kar rakha hai Priya pritam ko aapne Priya pritam ko adhin kar rakha hai to kya mujh jaise nich man aur indriyon ko adhin nahi kar sakte aapki apaar samarth hai jab aapne Priya pritam ke man buddhi ko adhin kar liya Vrindavan parityajya padam kam na gachati to mujh jaise nich ke man aur indriyon ko adhin nahi kar sakte arthat hari hari main bahut dainya hoon main bahut nich hoon main bahut adham hoon meri man aur indri bhogon ki taraf ja ra hain aap apne mein aasakt kar kar lo he Vrindavan dham kami milit yuvati madi Ram patav pan sanyut adhanpur ko kamini mil jae to harshit ho jaata hai jaise nashebaj ko madira mil jae to wah

ulsat ho jaata hai jaise kisi daridra ko mani mil jae to anand se nach parta hai aise hi main Vrindavan ko pakar param sukhi ho gaya hoon shripad kah rahe aise hi main Vrindavan ko pakar param sukhi ho gaya hoon param matvala ho gaya hoon param tript ho gaya hoon Vrindavan ko pakar abhi Vrindavan aae hain abhi paye nahi hai jab Vrindavan pa jaenge dham ki prapti ka matlab hai swaroop bodh apne sachar swaroop se Priya pritam ke samip rahna yah Vrindavan pa gaye aap bole unko Vrindavan ki prapti hui hai arthat Priya pritam ke samip pahunch jana sharir rahte hue bhi sharir rag ka tyag aur apne sachar swaroop se se seva bhav mein aradhya dev ke samip pahunch jana ye Vrindavan ki prapti hai bole main Vrindavan ko prapt ho chuka hoon shripad kah rahe hain isliye main aisa sukhi hoon jaise kisi vyasni ko madira mil jae kami purush ko kamini mil jae nirdhan ko mani mil jae aise mujhe Vrindavan mila main ab tript hoon kritkritya hoon param vishram ko prapt hoon ab mujhe koi chah nahi apne logon ke bhi hriday

mein aisi lalsa honi chahiye ki ham Vrindavan ko kab prapt karenge ek upasak bade achhche upasak the jab ekant mein milte to kahte hamen Vrindavan jana hai to ham kahte Vrindavan mein to hohi bole hamen Vrindavan jana hai hamen Vrindavan jana hai jab hit dham mein ate the to to us samay aisa lagta aisa kyon kahte hain to na Vrindavan mein lekin wo divya Vrindavan ki baat karte mujhe Vrindavan jana hai mujhe Vrindavan jana hai jahan hamare Priyalal khel rahe hain mujhe us Vrindavan mein pravesh pana hai yah lagan lage jaise vyasni ko nasha ki kami ko kamini ki garib ko dhan ki chah hoti hai aise hamen divya Vrindavan Priya pritam ki chah ye janmna marna ye man apman sukh dukh bhogte hue bahut janm ho gaya ab nahi khelnaa is khel ko lekin vani se kahne se nahi rukegaa ye hriday se cha ho jae ki ab is khel ko nahi khelnaa chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran prasang aapne shravan kiya bhagwan narsingh dev ka pradurbhav hiran Kashyap ka udhar Pralhad ji ki pavan stuti bhagwan ki vishesh kripa Prahlad ji

par phir bhagwan mahadev ji ke dwara jo maya sur ne teen puron ki rachna ki aur vishv ka sanghar karne mein lag gaye daitya log bhagwan pinak pani ne baan sandhan kiya to arabon asankhya ek baan se baan prakt hote hue Tripura mein vas karne wale samasth daitya ka vinash kar diya par maya sur ne un sab daitya ko usi pur mein ek amrit kund tha usmen dal dalkar sabko jivit kar diya phir wah viman par arudh hokar ke vishv ka sanghar karne lage to bhagwan shri hari bane gay aur brahma ji bane bachra aur

chupke se jakar ke pura amrit kund ka amrit pi gaye phir mahadev ji se kaha aap sandhan karo pinak pani mahadev ji ne punah sandhan kiya baan tino puron ko bhasm kar diya isliye bhagwan shankar ka naam tripurari para shri devesh narad ji rajas yagya mein maharaj yudhishthir ko ye katha suna rahe hain ganga ji ke pavan tat par shri Sukhdev ji maharaj parikshit ji ko suna rahe hain yudhishthir ji ne pucha narad ji se bhagwan ab main aapke shri mukh se varn aur ashraomo ke sadachar ke saath manav dharm ka sanatan

dharm ka mahmmahim swaroop sunna chahta hoon kya sadachar hai kya varn dharm hai kya ashram dharm hai aur kya manav dharm hai aur kya sanatan dharm hai kyonki dharm se hi manushya ko gyan hota hai adhami ko agyaan gharta hai dharmatma ko hi gyan hota hai aur gyani purush hi sansaar ke bhogon ka tyag karke bhagwat marg ka anusaran karke bhagwan ka sakshatkar karta hai he devesh narad ji aap swayam Prajapati brahma ji ke putr hain aapki tapasya yog evam samadhi ye itni sarvshresht hai ki aapki samanta koi nahi kar sakta aap saman bhav wale narayan paraayan dayalu sadachari shant aur bhagwat dharm ke gupt se gupt rahasya ko janne wale hain isliye aap jaisa varnan karenge dusre ki samarth nahi hai aap kripa karke hamare prashn ka uttar dijiye varn dharm kya hai ashram dharm kya hai manav dharm kya hai aur sanatan dharm kya hai narad ji ne kaha yudhishthir ajnma bhagwan samasth dharmon ke mul karan hai jitne bhi dharm hai sabke mul karan parmeshvar hi hai bhagwan hi hai chahe jis naam se pukara

jae sabke mul karan bhagwan hai wahi prabhu charachar jagat ke kalyan ke liye dharm rup se avtrit hue jo sanatan dharm hai wo ved swaroop hai jo ved hai wo bhagwan hai isliye bhagwan shri hari hi sanatan dharm hai jo bhagwan shri hari ke tatv ko janne wala mahatma hai wah sanatan dharm hai jo smritiyan hai va sanatan dharm hai dharm purvak jab karm kiya jaata hai to kabhi atma glani nahi hoti sadaiv anand prapt hota hai aur jab dharm se vimurkh aacharan kiya jaata hai to atmaglani hoti hai hamare sanatan dharm ke 30 lakshan hai ye devesh narad ji kah rahe sanatan dharm kya hai ved ved kya hai bhagwan ka sakshat swaroop shri hari hi ved rup se hain to sanatan dharm ved sanatan dharm shri hari aur sanatan dharm sakshat bhagwan ka swaroop hai aur yah 30 lakshan hai sanatan dharm ke yah jo sanatan dharmavalabi jan hai dhyan den hamare sanatan dharm ke 30 lakshan hai ye sabse pahla hai satya ye jo jhooth bolte hain apne ko sanatan dharmavalabi kahte hain yah dharm ka ullanghhan kar rahe hain aur ab 100 mein kam sankhya hogi hazar mein

koi ek ho jo is baat par vichar karta ho ki main jhooth na bolun hazar mein 100 to nahi par payega 100 mein 99 bole to nahi chalega hazar mein ek koi hoga jo yah vichar van ho ki main satya bolun jhooth na bolu ham log bade garv se kahte hain ham sanatan dharmavalabi hain to sanatan dharm ka pahla lakshan hai satya aur satya kya hai bhagwan sab koi janta hai marne ke baad jab sa yatra hoti to sab bolte hain Ram naam satya hai jaise apne braj mein bola jaata hai Krishna naam satya hai gopal naam satya hai Govind

naam satya hai agar bhagwan ka naam jap nahi karte to kis baat ke sanatan dharmavalabi satya nahi bolte to kis baat ke sanatan dharmavalabi raghukul riti sada chal ai pran jae par vachan na jai ek bar kah diya to pran chale jae par apne vachan nahi jhuthe hone dete the aur yahan subah vachan dete hain sham ke bhul jaate hain subah kasam khate hain sham ke to aur hamen garv se kahte hain ham sanatan dharmavalabi hamare sanatan dharm ke 30 lakshan hai agar yah lakshan nahi hai to aap kaise kah sakte ho pahla hi lakshan hai satya satya hai bhagwan narayan hari Ram Krishna satya narayan sacchidanand rupay vishwapti aad he tave tap vinashay shri krishnay vayam nam jab bhagwan kans karagar mein prakt ho rahe hain to samasth devta karke jab stuti karte hain to pahla shlok hai satya vratam tr satyam trikal mein jo satya hai wo bhagwan satya naam jap nahi karte satya nahi bolte sat marg par nahi chalte kis baat ke sanatan dharmavalabi satya ko samjho dusra daya yah hamare sanatan dharm ke 30 lakshan hai daya sab par daya daya karne ki samarth usi

ke hriday mein aayegi jo daya ka ulta kya hai yad jise yad hai ki main kaun hoon mera kartavya kya hai main sanatan dharmavalabi hoon kartavya sab par daya karna aur sadaiv bhagwan ki yad mein rahna aur satya bolna satya aacharan karna doe hue tisra hai tapasya sanatan dharm ka lakshan tapasya kise kahte hain jo apne dharm mein chalne par kasht prapt hota hai use anand purvak saha jae use tapasya kahte hain jo bhi apne dharm par chalne par kasht mile kam aadi jlate hain krodh aadi jlate hain bahut prakaar ke tap hain jaise ab prat kalin bela par uth kar ke snaan karke apni dincharya par ana bada kathin hai 8 baje tak khub sona to kahan va 8 baje tak sona aur kahan do baje ratri ke jag kar ke apni dincharya karna to apne dharm ke palan mein jo hamen kasht milta hai use tapasya kahte hain hamare sanatan dharm ka tisra lakshan hai tap tapasya chautha hai soch soch mane pavitra sharir ki bahari pavitra aur hriday ki antarik pavitra yah sanatan dharm hai khade khade laghu shanka karte hain pure kapde mein chhatti padti hai

apvitra shauchalay ki seet par baithkar la shanka karte hain uthe chal diye apvitra sau chhue vase hath dho liya chal diye nahi bahari aur bhitri donon pavitra honi chahiye laghu shanka aise sthan par karo jahan lautkar tumhare upar chitti na pare hath dhoe pair dhoe achman kijiye soch utne hi kapda pahan kar hoiye jitne prakshaln dho sako aur sabun matra se pavitra nahi mani jati sabun se ek bar hath dho lo to ek bar raj se jarur hath dho thodi raj le lo man lo aajkal badi adhnikta hai ki naliyan jam ho jaengi to thodi raj le lo aur raj ka sparsh hi pavitra karta hai jal mitti raj aadi se bahari pavitra aur chhal kapt gandi baten sochna gandi baton ke sankalp banana ye sab andar ki apvitra iska tyag kar de chhal kapt gandi baton ka chintan gandi baton ka sankalp tyag karne se antarik pavitra hoti hai aur bahya aur antarik donon pavitra purn rup se surakshit rahegi yadi dharm ka pahla lakshan satya satya hai hari satya hai hari naam yadi naam chal raha hai to bhitar aur bahar donon se pavitra ho gaye sava

abhyantar suchi vaay abhyantar suchi jo naam japak hai us andar aur bahar donon se pavitra rahta hai jab tak pavitra nahi rahoge tab tak aap uchh koti ke vichar wale nahi banoge pakki baat samjhna jitna aap pavitra hoge utne hi aapko daivi sampada ke vichar aaenge utne divya mahapurush aapse milne aaenge avyakt rup se ab aap samjho yah baat ham kah rahe hain ismen kitne percent log bach rahe hain pavitra bahut zaruri hai pavitra ye jo aaj ke log hai na bole man pavitra hona chahiye sa bahari sab kya to dikhava hai to man kaise pavitra hoga bahar hi to tumhara man apvitra hua hai bhogon mein sharir mein sansaar mein to yahi se pavitra shuru hogi tab tumhara man pavitra hoga bahar se pavitra hote hote andar pavitra ho jaoge bahar apvitra hai to hamara sanatan dharm ka lakshan chautha hai pavitra pah satya phir daya phir tapasya phir pavitra 30 lakshan hai yah sanatan dharm hai isko samjho pavitra bada kathin hai pavitra rahna aap dekho bada kathin hai pavitra rana pavitra atyant aniwarya hai sab sadhak ke

dhyan pavitra agar pavitra nahi to aapka vichar uttam nahi ho sakte aap mahapurushon ka jo chintan shaili hai wahan nahi pahunch sakte kal ek aae the bhagat ji ekantik mein unhone kaha aapne satsang mein aur ekantik mein kaha ki man ki phd ki hai to ham bhi man ki phd kar rahe hain to ham aapse baat karna chahte hain hamara man aapka man kyonki aapne bhi phd ki hamne bhi ki tu padh ke ki bole haan tum ham padhe thodi phd hamara to vinod mein kaha tha ham to man ko padha hai hamne man ko padha hai

aap man ke vishay mein padha hoga hamne man ko padha hai to bole hamara aur man aapka saman hua tumka tumhare man ko dekhne ki hamari ruchi nahi hai aur hamare man mein pahunchne ki tumhari samarth nahi tumhare man ko dekhne ki hamari ruchi nahi hai kyonki man man ki ruchi jaan ne vidhi anusare aur tumhara man hamare man tak pahunch jae itni samarth nahi aaj jaegi mano deh hai Harivansh sharanagat ho kisi sachar ki kripa ho jae to bhale nahi aise anuman se thodi jaan sakte ho titiksha pancha hai sahenshilta titiksha yah sanatan dharm hai dekho maharaj shivi ne kabutar ki raksha ke liye apne deh ke manas ko kaat ke titiksha dusron ke hit ke liye dusron ke mangal ke liye bhishan se bhishan kasht se jana bhari se bhari kasht dharm ke liye sah jana shri guru Govind sinh ke donon ladle rajkumar pran priy diwal mein chuna ja rahe hain lekin dharm ke age na unke hriday mein shok hai na unke hriday mein moh hai dharm ke liye balidan titiksha har kasht ko sahakar apne dharm ka palan karna dharm ka

tyag nahi karna dharm bhagwan ka sakshat swaroop hai agar aap dharm ke liye kasht sahenge to phir kasht rahi nahi jaenge adbhut anand aayega titiksha har kadam dharmatma purush ke samne kasht rupi kante bichhae jaate hain aur jab un par va chalta hai to har kanta uske liye phool ke saman ho jaata hai par itni himmat honi chahiye dharm rupi marg mein chalne par y sul phool ban jaenge par pehle sul pehle sul isiliye dharm par chalna bada kathin hota hai titiksha sahenshilta har paristhiti mein sahenshilta aur uchit anuchit ka vichar chhava hai yah vivek sanatan dharm ka chhatha lakshan vivek sat asat ka vichar uchit anuchit ka vichar uchit kya hai anuchit kya hai sat kya hai asat kya hai iska vichar yah vivek se hota hai yah vivek kahan milta hai buddhi to sabke ho sakti hai par vivek nahi vivek satsangi hon ko milta hai bin satsang vivek na hoi na hoi bina satsang ke vivek ho hi nahi sakta aur satsang bina bhagwan ki kripa ke nahi milta bin satsang vivek na hoi Ram kripa sulabh na soi Ram kripa bin sulabh na

soi uchit anuchit ka vichar satva man ka adhin karna ye sanatan dharm man ka adhin karna sanyam mein lena jo man chahe wo thodi nahi jo dharm kah raha hai uske anusaar man ko chalana ye man ka sanyam karna bada kathin hai man ka sanyam karna baten bana lena adhik baat bade-bade gyan ki baten akar jab karte hain phir jab man ke sanyam ki baat karte hain imandari se Vrindavan mein baithe ho satya batao to phir chup ho jaate gyan tabhi sarthak hai jab satendra Shraddhavan labhte gyanam tatpara sahit indri jo tumne gyan jana tatpara uske paraayan ho aur apni indri man ko sanyam mein lo tab to tumhara gyan sarthak nahi to bakwas hai gyan thodi hai yah baten banana alag baat apne log pura jeevan isi mein chal rahe hain pura jeevan ka nirnay bata rahe bhagwan ki kripa ke bina ek kadam nahi chal sakte bhagwan ki kripa ke bina ek din bhi pavitra nahi rah sakte ek din bhi y hath utha kahte hain koi mu chhate to bhai alag hai kabhi hamen mile aisa koi ki bhai bakaya ham jaise bata rahe hain ki ek din bhi sadhna paraayan hokar

purn pavitra jeevan to y bhagwan ki kripa se nita pura jeevan to bahut badi baat hai man ka sanyam aur phir indriyon ka sanyo phir agla hai ahimsa man se vachan se sharir se kisi ki bhi hinsa na karna yah sanatan dharm hai ahimsa vani se aise kathor shabd mat bolo kisi ka dil dukh jae aapko bola ho to uska swabhav hai aap sana natan dharmavalabi aap aisa na bole sharir se kisi ko pida pahunchae aisa hamara aacharan na ho man se kisi ka bura soche aisa hamara man na ho to hamara tan man vachan tino hinsa rahit ho tabhi ahimsa is sanatan dharm ka lakshan hamare hriday mein aae phir hai brahmcharya y sanatan dharm ka lakshan satya daya tapasya soch titiksha uchit anuchit ka vichar man ka sanyam indriyon ka sanyam aur nava ahimsa aur daswa brahmcharya yah brahmcharya sabke liye hai bahut ghatak hai bhogon ka akarshan brahmcharya ke bina pura ka pura khokhla ho jaata hai man se vachan se aur sharir se tino se brahmcharya hota hai man ka brahmcharya vishyon ka chintan na karna yahi se nash prarambh hota hai patan yahi se hota

hai dhyayto vishayat sangat san jayte kam kam krodh ho bhi jayte krodhat bhat sammoha sammoha smriti vibhram smriti bhram sat buddhi naso buddhi nashad pranati sabse pahla patan jo hota hai wo vishyon ka chintan hota hai dhyayto vishn punan jab ham bhogon ka chintan karte hain to hamen bhogon ki asakti prakt hoti phir sang karne ka man hota hai Sanga sate sup jayte jab ham vishyon ka chintan karte hain to vishyon ka sang karne ka vishay bhogne ki ichchha prakt hoti hai jahan vishay bhogne ki ichchha prakt hui kamraj hriday mein chhaa gaya sangat sanjat kama aur kamna jab badi to sab madhta chhaa jati hai smriti nasht ho jati hai ham kaun hai hamara kya kartavya ham kya kar rahe sachchi maniye bahut nikrisht bahut nikrisht kam vachan se hamen kabhi bhogon ki baten nahi karni aur sharir se hamen kabhi bhog kriya nahi karni adharm yukt kriya ka tyag dharm yukt kriya ki swikrati yah grihasth dharm aur sampurn taya virakta dharm jo brahmcharya rahta hai use sharir bal manobal buddhi bal vachan bal yah sab jagrit ho jaate

hain vachan bal jo bola wahi lagu ho gaya zabardasti aapko manna padega aur manobal jo sankalp kiya andar wahi bahar kriya prarambh ho gayi wahi dikhayee dene laga deh bal raat din mehnat karo phir bhi thakan nahi aap kuch samay tak vihaar karke dekhiye brahmcharya ka phir aapko khud pata chalega ki kitna anand pradan karta hai brahmachari brahmachari ko vishay bhog jahr hai aisa manna chahiye jaise kitni bhi sundar khir ho aur koi hamare kan mein akar visni kah de ki ismen jahr para hai tum bilkul nahi khaenge hamare shastr kah rahe hain Maharshi jan kah rahe hain ki vishay bhog jahr hai mahan vishay hai yah pure jeevan ke jeevan ko nasht kar deta hai to yah jab gyan ho uska phal hai virti jab hamen gyan ho gaya to ham vairagya hona chahiye par nahi yah gyan to hai ki bhogon mein sukh nahi hai bhog dukh rup hai bhog jahr ke saman hai kaisa gyan hai vachik gyan updesh dene ke liye lekin jab bhog samne ate hain tab yah gyan kam nahi karta yadi upasak bhogon se bhayabhit ho jae to bach jae bahaduri nahi bhagna padega

ismen ek bar pujya pad sh odiya Baba ji ne swapna dekha swapna mein bhi kitne savdhaan hain bhiksha madhi ek ghar mein awaz lagai narayan narayan to ek mai nikli sundar Apsara hire jahara se ratnnon se bhari hui thal awaz ek ghar mein lagai saikadon gharo se nikal ai aur sab ek se ek sundar aur charon taraf se gher liya aur muskurana hav bhav prakt kar Baba bhage aur bahut jor ke bhage aur kai kilometer tak bhagte rahe phir piche mudkar jab dekha ki koi nahi dikhayee de raha tab khade hokar sans li jab sans le rahe the to aankh khul gayi aankh khul gayi to narayan narayan narayan accha hua ki swapan mein bhi bhage bhagne se hi bachoge yahan jitne ki chakkar mein mat padna bahut dhokha hai yah man bahut dhokebaaz hai yadi koi vishay se aisa bhay rakhe jaise saanp bichhu ya sinh koi saanp akar gale lagna chahe to aap kya karoge bhagoge na aur baagh dekh lo sinh dekh bhagoge na aise hi vishay bhog ki ichchha wale koi sharir tumhare nazdik aa raha hai aur tumhen bhay nahi lag raha hai iska matlab hai marna chahte ho bhrasht hona

chahte ho nasht hona chahte ho singh aa raha tumhe bhagna nahi suvai diya saanp daud raha tumhari to bhagna nahi suvai diya aise hi bhog tumhari taraf aa raha tum bhage nahi marna chahte maroge tum kova madandh madnanand mein bada andha kaun hai bole jisko kam sata jae jo kam se yukt ho gaya kam se vyakul ho gaya va sabse bada andha hai wah kuch nahi samjh payega aap bade maje se bhog ko dekhte hain aur bhogte hain aur phir vichar karen brahmcharya asamabhav jaise jalebi hai ek bar chakh liya to jalebi naam lete hi va kurkura hat va muhn mein aa jaega nahi aa jaega ise kahte hain trishna bhog bhoga ab wah trishna jahr ki tarah tumhare hriday mein bas gayi ab wah bhagwan nikale to nikale nahi to pura jeevan bhar mar degi bhogon ka jahr trishna trishna anant janmon se ham bhogte chale aa rahe hain isliye hamari pavas ho gayi hai pavas indriy aur bhogon mein viv sata ham har chuke hain lekin moksh ka rasta jitendri se judta hai par vata se nahi isliye aapko ek indriyon ke bhogon se jitna padega ladna

padega bhatkte rahne se yah janm bhi chala jaega jaise aur janm chale gaye bahut bar y sab bhoga hai Devraj indr bhi bane honge kabhi na kabhi bahut bar bahut bar sa lekin bhagwan ke prem bhakt kabhi nahi bane zindagi mein pakki baat is bar avsar mila hai bhagwan se prem karne ka koleji alla ji ke charit mein nahi aata ki bachpan se bairagi aur ek raja ki upvan vatika mein va shayan kar rahe the wahi wah sab rajkumar sab vaibhav sab dekh kar ke unke man mein aisi lalsa aa gayi ki yar yah sukh to bahut badhiya hai to bhagwat prapti ruk gayi aur unka agla janm hua aur rajkumar se mitrata i aur sare bhog unko mile agar koi vasna lekar is marg mein to phir pehle vasna purti hoti hai yah man makdi ke jale ki tarah vasna banta rahta hai chhod do ise bas ye apna kam karta hai aur hamko phasa hai jal ye bunta hai aur phasa hamko hai isiliye upasak man ke jal ko banne hi na de Radha Radha Radha Radha wo kahega nahi suno aise se Radha Radha wah aapko phasa nahi payega yah tamogun raaksasi ahar vihar karke aap sacchidanand

bhagwan ko nahi nahi man jao jahan pyaaj lahsun jaise ye tamogun hone ke karan bahut pavitra vastu ki tarah prakt hote hain koi apvitra vastu thodi hai aap dekho jahan aloo prakt hoti hai shakarkand prakt hoti hai theek usi khet mein waise hiya pyaaj lahsun prakt hote hain yah koi aisa thodi ki hatya wala dosh ya kisi tarah galat tarah se banaya gaya padaarth ho yah to prakritik hai par iska gun ghor tamogun hai bas tamogun ke karan iska tyag kiya isiliye sant mahatma jan iska tyag karte tamogun ahar isko nahi pate phir jahan aur raaksasi paravti ke ahar vihar hai to phir wah yah man makdi ki tarah jala bunta aur hamko phasa hai yah chhah hamko har samay fasaye rakhte hain kam krodh lobh moh mad matsar yadi brahmcharya rahna hai to hamen bahut sambhalna hai teen ko vani se hamko kabhi bhi brahmcharya hinta wali baten nahi karni bahut y bilkul anubhav ki baat kah rahe hain agar aapko jam jae to nikal jaoge kisi bhi tarah se ashleel baat gandi baat bani se nahi nikalni maun ho jao mat bolo bahut chijon aisi hoti

hain jo anubhav karke boli jati hai vani se aap roz kisi se kaho jhuthi aise main aapke bina nahi ji sakta main aapke bina nahi ji sakta ek din aapke man mein aa jaega main aapke bina nahi ji sakta ek din aap swikrati swayam mein kar lenge ki main aapke bina nahi ji sakta vani se bolte raho tum dekh lena ek din kisi ek se bolte raho main aapke bina nahi ji sakta phir dusre din bolna main aapke kuch din mein man se aa jaega main aapke bina nahi ji sakta phir swayam mein aa jaega main aapke bina nahi ji sakta jab ham vani se gandi baten karte to turant man uska chintan karta hai aur wah lasit ho jaata hai isliye vani se pahla brahmcharya hamen rasna kato jo an rato an baat jo Priyalal se vimurkh karne wali baat jo kutsit baad vikar hai jo vikar badhane wali gandi baat hai wah hamen nahi karni niyam le lo nahi karni aaj se niyam le lete jitne log katha sun rahe hain koi ismen paisa lagne ki baat nahi vani se ham gandi baat ashleel ba baat galat baat nahi bolenge vani ka brahmcharya vani se

gandi baat nahi bolenge ashleel baat nahi bolenge jo bhagwat vimurkh karne wali baat hai ham nahi bolenge niyam le lo koi kasam khane ki baat thodi niyam le lo jahan aisi baat ave maun ho jao dusri baat shravan idri se ham kabhi ashleel baat nahi sunenge gandi baat nahi sunenge bahut prabhav parta hai bahut prabhav parta hai shravan idri se jo ham sunte hain uska tatkaal man pakar kar ke manan karta hai aur wah usi taraf chal parta hai jis taraf ki baat ham sunte hain aur netr idri se jo ham dekhte hain va bahut turant prabhav parta hai dekho netr idri se aisi koi granth mat padho kopi aisi pustika jo brahmcharya hinta wali hai aise koi drishya mobile se mat dekho jo brahmcharya hinta wale hain aise koi drishya bahar mat dekho pashu pakshi aadi maithun karte hue aise kabhi mat dekho iska bahut bada prabhav hota hai agar in teen ka sanyam kar sako to aapke brahmcharya mein bahut labh milega pahla vani se dusra shravan idri se tisra netr indr se aur khas baat ye hai ki jisse hamara brahmcharya nasht hota

usse sanidhy na de kabhi aisi koi kriya aise koi vyakti ka sanyog jo hamare brahmcharya ka aghat kare bahut bahut savdhani par ye aisa daldal hai ki ek bar jo fas gaya bhagwan nikal sakte hain jis samay man apne swaroop mein aaya wo sab karva lega bahut vichitra hai bahut vichitra hai bahut vichitra man ka khel hamen aisa koi rishta nata koi sambandh jo hamare brahmcharya ko nasht kar raha hai duri banani chahiye aur bhojan ka brahmcharya par bahut bada prabhav hai yadi aap adhik mirch wali ghar mein hi bana ker kah adhik mirch wali adhik tel ghee wali yah padaarth payenge to brahmcharya swabhavic nasht ho jaega bina kisi kriya ke brahmachari ko ek bimar ki tarah bhojan pana chahiye jaise moong ki daal hai ghiya ki sabji roti bas kyonki use power ki zaroorat nahi hai use adhik power ki zaroorat nahi hai swayam mein samarth surakshit hai isliye bahari padartho se badam chava rahe kaju chava rahe hain haluva kha rahe hain aur bahut prakaar ke mitha aad mitha to brahmcharya mein thoda bas le le iske baad adhik mitha

bhi wah jahr ka kam karega swabhavic brahmcharya ko nasht kar dega jo bhojan kabjiyat banati hai agar aisa bhojan paya jaega to brahmcharya apne aap swapna dosh ke rup mein nasht ho jaega satvic bhojan pet saaf bahut avashyak halka bhojan kam matra mein pet udhar to bahut sundar aapke bhajan ki vritti badhegi aapka brahmcharya bahut lambe samay tak abad chalega bazar ki vastu to brahmachari ko brahmachari hokar bazar ki vastu to mujhe samjh mein nahi aata bazar ki vastu to nahi khani chahiye bani hui bazar ki vastu bani hui ek hi chij ko aap gaur se pa karke kisi ek chij ko bajar ke phir dekho aapke andar sphu kya hoti hai pehle kaise ho rahi thi phir kaise ho rahi aur aap pavitra bhog laga ke shri ji ko pawa ke pake phir dekho kaisi smarna ho rahi bhajan ki bhajan param pavitra vastu aise thodi hota jahan tahan ann khaat sakhi kahat aapka sakal divas dwaand jat raat sarv su sh sevak ji maharaj jahan tha ann kha bazar ka bhojan ho bole brahmachari ji hain nahi ho payega bhai brahmcharya nahi ho payega

naam likh sakte ho taital to ban sakta hai lekin sahi mane mein aapka brahmcharya jab tak aapka ahar shuddh agar apne dharm ko surakshit rakhna chahte ho to bazar ka bhojan aur chhote-chhote bachchon mein bahut si galtiya aisi aa chuki hai jo unke jeevan ko nasht kar rahe hain hamen aise kai bachchhe mile hain to mata-pita ko chahiye ki chhote bachchon se bhi mitrata ka vihaar karen unko itna free karen ki wah aapse apni baat bata sake aur aap unko sahi disha de sake nahi jaise 13 14 varsh ke bachchhe hain aur yah gandi kriya kar rahe hain inka jeevan bahut buri tarah nasht ho jaega ye grahasti layak nahi rahe virakti to bahut badi baat rah gayi y grahasti layak nahi rahenge santan utpann karne layak nahi rahenge isliye mata-pita ko chahe ki apne bachchon se friend ki tarah dost ki tarah baat karen unko itna utsah de ki unke andar jo galti hai wah pakar le aur pyar se samjha de agar ham bar-bar bachchon ko samjhaenge naye-naye bachchhe abhi galat marg mein jo ja rahe hain wah sudhar jaenge hamare sanatan dharm ka lakshan hai

brahm phir hai tyag dusron ko sukh dene ki vritti ka naam tyag hai apne sukh ko dusron mein bantna gyan sukh hamare paas sampatti sukh jo bhi sukh hai sabko bhav se dharm ke anusaar sukh dene ki bhavna hi vastvik tyag hai shastron ka nitya swadhyay karna y sanatan dharm ka lakshan hai swadhyay Ramcharit manas hai gita ji hai Shrimad bhagwat hai gita prash bahut si bade-bade mahapurushon ki chhoti-chhoti granth hai jaise pujya Radha Baba ke bhai ji pujya jayadyal ji pujya Swami ramsukh das

ji maharaj in mahapurushon ki chhoti-chhoti pustikaen hain unko le lena chahiye ek ek pej roz padhna chahiye roz apne ghar mein chahe 10 minute hi kaho Shrimad bhagwat ya ramayan in gathaon ko gao jisse tumhara ghar pavitra ho tumhare parivaar ke janon ke kan mein pare to mangal ho yah sanatan dharm hai phir saralta bahut saral swabhav hota hai sanatan dharm ka avlamb ka yah mukh mein kuch aur hriday mein kuch aur aacharan mein kuch aur yah chhal kapt nahi saral swabhav na man kutila sanatan dharm bhagwat swaroop hai phir santosh

jismen bhagwan prasann ho hamen bilkul waise hi raji rahna hai hamen indriy aur man ke anusaar aise aacharan nahi karne jo bhagwan ke vimurkh ho jaise bhagwan hamen rakh rahe hain ham usmen santusht hain jaisi paristhiti mein rakh rahe par sachchi santusht bhagwan ke vidhan mein rat hokar ke bhagwat aacharan karne se hogi bhagwat vimurkh nahi jismen bhagwan raji wahi hamare shri Krishna anukul pratikul visarjan santosh aa jaega hriday shital ho jaega aur samdarshi sant mahatmaon ki seva sanatan dharm sant mahatmaon ki seva lekin shart rakhe samdarshi jo bhagwat ke gyata sarvatra bhagwan ki anubhuti karne wale mahatma hai unki seva dhire-dhire bhogon ki nivitti ka abhyaas sanatan dharm manushya ke abhiman ka phal bada ulta vinaskaari hota hai aisa vichar karke abhiman ka tyag aur maun vani se adhik na bolna sanyam purvak bartaav karna ya maun rahna bhagwat chintan dekh lo yah sanatan dharm ke 30 lakshan mein har samay bhagwat chintan paraayan nahi to sanatan dharmavalabi nahi mane jaoge praniyon ko uttam uttam bhojan padaarth bant

kar ke khana agar ghar mein bhi accha padaarth bane to sabse pehle budhon ko rogi bachchhe phir agar naukar chakar hai to unko bhi de yah baat dhyan rakhna agar koi naukar dekh raha hai aap achhche padaarth pa rahe ho aapne usko nahi diya yah aparadh hai aapka aapke liye va hanikarak ho jaega pehle ham itna hi de de ek done mein thoda accha padaarth le jao pao jakar ke aur phir aap koi aisa na ho ki aap achhche padaarth pa rahe ho uska hriday dekh kar ke lacha gaya to uske hriday mein bhi bhagwan virajman hai wo bhojan tumhare liye hanikarak ho jaega achhche-achhche padaarth dusron ko bant karke pawa karke pana sab jeevan mein khas karke manushyon mein apne isht dev ka bhav rakhna aur bhagwan ke naam gun leela ka shravan kirtan smaran bhagwan ki seva puja namaskaar bhagwan ke prati das sakhya atma samarpan yah 30 sanatan dharm ke lakshan hain satya daya tapasya soch titiksha uchit anuchit ka vichar man ka sanyam indriyon ka sanyam ahimsa brahmcharya tyag swadhyay saralta santosh samdarshi mahatmaon ki seva dhire-dhire

sansarik bhogon ki cheshta se nivitti manushya ke abhiman purn prashan ka phal ulta hi hota hai vinaskaari aisa vichar maun aur bhagwat chintan praniyon ko anna aadi padartho ka vibhajan karke pana aur vishesh karke sampurn charachar jagat mein manushyon mein isht dev ka bhav rakhna sab jeevan mein rakhna par vishesh karke manushyon mein aur bhagwan jo param karuna unke naam gun leela aadi ka shravan kirtan smaran seva puja namaskaar das sakya atma samarpan yah 30 sanatan dharm ke lakshan hai jo manav inka palan karta hai wah sidhe bhagwan ko prapt ho jaata hai yah dharm hai hamara yah hamara sanatan dharm hai jo in 30 lakshan ka palan kare to dhanyavaad hai aur koi lakshan na ek lakshan pakar lo naam 29 aa jaenge apne aap naam jab pakar lo ho to 29 lakshan apne aap aa jaenge aur 29 lakshan ka phal mil jaega apne aap nati yad rahe aapko to ek yad kar lo bhagwan ka jo naam priy ho khub naam jap karo isi se sab sav punam paro dharmo yato bhakti adho jisse bhagwan adho mein bhakti ho jae wahi param dharm hai to naam jap karo

naam jap se sab dharmon ka apne aap purnata ho jaegi sab dharmon ki jo 30 lakshan dharm ke hain wo apne aap purn ho jaenge shesh charcha aag shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi