savdhaan ! Shuddh bhakti ke raste mein ye sab akarshan ghatak hain
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital maya param shital mashray sakhi ye mere netr gaur Shyam chavi par anannya ho gaye hain. Atak gaye aise ki ab tribhuvan mein koi vastu vyakti sthan aisi samarth nahi rakhta ki hamare netron ko hamare aradhya dev shri shyama Shyam se hata sake. He sakhi yugal chavi nirakhat nain sirat kaha kaho sakhi mere bas nahi dampati pad laptat yugal chavi nirakhat nain sirat ye ananyata hi bhakti ki sadhna ki upasna ki paripakva avastha hai.
apne aradhya dev ke siva anyatra kahin man hi na jae. Yahi ham sadhna karte hain. Yahi upasna karte hain ki hamara man bhramar bankar gaur Shyam ke charan kamal mein sadaiv prem rupi makrand ka pan karta rahe. He sakhi gaur savre ang ang par jae tahan marane charan kamal ki sundarata par ye bin hi mol bikane gaur Shyam charan kamal par mere netr rupi man rupi bhanvre sadaiv laptane rahte hain. Aisi rup madhuri ka rang chadha hai ki bina hi mol ke ham bik gaye. Bina mol ke moksh kalyan koi labh anukulta sukh kirti pad pratishtha sab kuch nahi.
jaisi bhi paristhiti ho usko ham sahenge. Radha Radha kahenge. Aapke siva anya kisi ki taraf aankh uthakar bhi sahyog ke liye nahi dekhenge. Yah bahut kripa se samet pata hai upasak nahi faile so jamana samite so ashik aisa samet pana guru kripa patr bhagwat kripa patr mein hi yah dekha jaata hai ki apni antahkaran ki vrityio ko samet kar yugal sarkar ke charnon mein samarpit kar diya. Jaise bhramar anya pushpo mein marakar bhatakta hua jab kamal par pahunchta hai to parag ki adhikta aur kamal ki priyata yah donon bhramar ko ashakta kiye hue hote hain aur bhramar apak hokar ke usmen band ho jaata hai.
aise he sakhi mere netr mere man gaur Shyam charnarvind mein purn rup se aasakt ho gaye hain. Kal na pare pal avloke bin chhin chhin sakhi akulane mere rang chhayo rahe tan man din apan ko ane sakhi agar kahin kisi bhi karan ek kshan ke liye bhi vismaran ka abhas bhi ho jae to pran vyakul ho jaate hain. Aisa man aasakt ho gaya hai ki din hokar ek hi baat mangta hai ki ek palak jhapakne ke liye bhi kabhi ham aapka vismaran na karen. Ek lagan lagi rahe nishdin sunat na aur bakhane tan dhan dham kachu nahi sujhe ye surti rup ras sane jab Priya pritam ke charnarvind ki lagan lagi to bole na tan ki sudhi phir aur laukik sambandh laukik bhogon ki to baat kya ekmatra keval anand samudra rup chhaya hua hai ye gaur sanvre ang ang par jae tahan marane nakh sikho ang ang madhuri shyama Shyam ki nak sikhon ang ang madhuri mein he sakhi hamare netr hamare man purn samarpit ho gaye kaisa upasak ka man ho gaya.
kaise netr ho gaye. Shyama Shyam ki rup madhuri par anannya bina mol ke bik gaye. Rup madhuri pan karat rahe tabhu rahat lubhane. Har samay rup madhuri ka pan to koi pooch sakta hai ki kya unko yah stri purush jad chaitanya nahi dikhayee deta kya har samay shyama Shyam to satya maniye keval shyama Shyam hi dikhayee dete hain kyonki keval wahi hain. Yah jo hamen jad chaitanya dikhayee de raha hai. Stri purush dikhayee de raha hai. Accha bura dikhayee de raha hai. Yah maya krit chashma hai abhi isliye hamen trigun ki drishti prapt hone ke karan trignatmika maya dikhayee de rahe lekin mayapati mayadheesh jo virajman wo nahi dikhayee de rahe jab guru pratap se divya drishti jagrit hoti hai.
ye guru pratap se hoti hai. Shri Gurudev ki charan nakh Chandrika ka dhyan karne se hriday ke divya netr khul jaate hain. Shri guru padnakh mangan jyoti sumirat divya drishti ta hoti usi hriday mein divya drishti ka pradurbhav hota hai jo Gurudev bhagwan ki charannak Chandrika ka dhyan karte rahte hain. Bando guru pad padam paraga surach suvas saras anurag Gurudev ki charan raj jab vandna ki jati hai aur unke nakh chandra mani ka dhyan kiya jaata hai tab divya drishti hriday mein shri guru pad nakh manigan jyoti sumirat divya drishti hi hoti hriday ke netr khul khul jaate hain.
je guru charan Renu anuragi te lokhu vedhu bhbhagi wo lok mein aur ved mein sarvatra unki prashansha hoti hai. Aise mahan divya bhav ko prapt ho jaate hain. Sadguru kripa patr hai. Guru prasann sahab anukula miti sakal kalpit bhay shula kalpnatmak bhay shul sab nasht ho gaye kyonki Gurudev prasann to savnukul ho gaye savnukul ho gaye to maya ka bhav khatm jahan maya khatm to jidhar dekhe udhar Priya pritam hi dikhayee dete bhagwat rasik ji maharaj bade divya mahapurush ye kah rahe hain yadi aap maya ke vashbhut hai to aapko stri purush jad chaitanya yah jagat dikhayee dega aur yadi bhakti ke vashbhut hai to aapke hriday mein sadguru shabd ke prabhav se isht ka chintan isht dikhayee denge maya jeev bas kare agar stri purush jad chaitanya dikhayee deta hai to abhi maya ka prabhav hai.
bhakti ka abhi rang nahi chadha. Maya jive bas kare bhakti kare bas eesh bhed batave bhagwat gawe sapta 30 gawe sapta tees sune samjhe nahi prani jhagri kare mat baad hi ayu bihani sut vit bata sadan kiyo nischay nij kaya te kyon pave par pare bhagwat ki maya bhagwat rishik ji maharaj kah rahe hain jab jeev maya ke adhin hota hai to usko stri pran priy putr pran priy sharir pran priy makan pran pran priy rupya pran priy aise maya ke vashbhut hue jeevan ko sakshat samne bhagwat swaroop virajman par bhi wahan drishti nahi padti keval sharir par drishti rahti hai.
sharir aasakt rahta hai. Bahya drishti rahti hai. Isliye wo prabhu ko nahi dekh pata hai. Sari ayu pure ke pure shwase jo amulya hain inheen ke beech mein nasht kar deta hai. Meri patni, mera putr, mera sharir, mera mitra, mera bhai, mera makan, meri sampatti. Ab ye kar liya, ye kar lunga, ab ye pa liya, yah pa lunga. Yah maya. Bhakti kare bas eesh. Jab bhakti ka rang jagrit hoga to bhagwan adhin ho jaenge. Uske andar samasth bhagwat gun aa jaenge jo Shrimad bhagwat mein varnan kiye gaye hain. Shrimad bhagwat mein jo dharm ka swaroop 37 lakshan batae gaye wah usmen jagrit ho jaate hain.
yah naye-naye jhagde karke naye-naye vad vivad karke bhakti sambandh mein bhi jo ek dusre se dves karte rahte hain, ghrna karte rahte hain. Yah becharey hain, jante nahi hai. Ek hi paramatma swaroop hai. Jab bhakti ka rang aata hai to jad chetan jag jeev jat sakal Ram main jani bando sabke pad kamal sada jor jug pani isiliye bade kripa patr hain jo sujha hua satsang prapt ho jae nahi to bhakti bhi uljh uljha deti agar shuddh bhakti ka bodh nahi hai to un vachno mein aisi aisi mayakrit asakti hoti hai ki samne wala uljh jaata hai.
wah samjh nahi pata ki satya ka marg kya hai. Jab satya ka marg nahi samjh pata hai to aparadh ban jaate hain. Aparadh ban jaate hain to maya waise hi phir apna prabhav dikahti. Kuch labh nahi milta. Jeev ke hriday mein jab bhakti ka rang chadega to vasna pheeki lagegi. Sansaar mein sab koi apna prabhu aisa bhav ane lagega to janna hamari shuddh bhakti aa rahi vaishnav jan ko dekhne se to zyada hamara bhav banna chahiye sato sab mohime jag dekha par mote adhik sant kar lekha par bada vichitra hai ham dekhte hain ki man ki vritti ko aisa fas diya jaata hai ki wo kamzor upasak jisko shuddh gyan nahi hai wo shuddh bhakti ki taraf badh hi nahi pata vair virodh kar leta hai aur guru soi jo sadhu sevave sadhu soi jo vishay chhudave tas shastram prmanam guru kaun jo sa santo mein bhagwat buddhi kar de sant kaun jo sansaar ke vishay rag ko mitakar bhagwan ka anurag prakt kar de ye maya mein fanse hue jeev aise maya ke laddu kha rahe hain ki pocho mat aur pet kabhi bharega nahi kyonki maya ke laddu hain.
khave nahi pachtae so bhut ke laddu kaise khave nahi pachtae so aur khave so pachtae ye jag ladu bhut ke do bhati dukh paye jab vairagya marg mein chala jaata hai na aur jab koi apne parivaar ke sahit utarta hai na wo kai kai din bhiksha nahi mili. Thokre khaya hua prakriti ka kasht sahta hua jab udhar dekhta hai ki hanste khelte hue baat karte to unko lagta hai kya zindagi sukhmay hai bhut ke laddu aur wo itni samasyaon mein antar se jal rahe hain. Itni vasnae unki badi hui hain. Wo bhi pachta rahe hain. Kitne aise satsangi kahte hain agar pehle satsang mil gaya hota na ham sansaar mein hi nahi phaaste nikal jaate sansaar se nikale ja rahe hain wo udhar dekh rahe hain chhup ke dekh rahe hain bhut ke laddu bahut vichitra vivek ka prayog asat vasnaon ko rokne ke liye na ki badhane ke liye hai use vivek kahte hain.
buddhiman bahut log hain lekin apne ko nasht kar rahe hain. Buddhiman bankar ke khave nahi pachtae so khave so pachtae yah jag ladu bhut ke dubha dukhday du bhati dukhdai khaaj jo nakhan khujavat bhog sukh kitna hai bole jaise nai daad hui ho Prahlad ji ne bhi varnan kiya hai bhagwan bhagwan narsingh ji ki stuti mein yah bhog sukh kam sukh kitna sukh deta hai bole jaise nai daad hui ho naye danedar daad aur phir khujlao phir iske baad jo phabadta hai phir jo jalan hoti hai du bhati dukhdai khaaj jo nakhan khujavat ye rog bhog te hoe sh ras na hit dhavat shri bhagwat udhari bhakt kare man ko dave guru agyaa anukul rahe to na vedan pave bahut divya mahapurush bhagwat rishik ji bhagwat rishi ji kahte hain bhog kya hai bole bhut ke laddu jo kha rahe hain wah pachta rahe jo nahi kha rahe wo pachta rahe hain ye jo bhog rahe hain unke hriday se pocho raat din usi ke chinta tan mein jal rahe hain.
svase nasht kar rahe hain. Aaj tak tripti nahi. Ab ye bhog lun isko bhog lun. Usko bhagwan bachave. Aisa nashvan khel, aisa ghrinit khel, aisa dhikkar yukt khel ki divya parmanand se vimurkh kar deta hai. Jeev ko soch hi nahi rah jati ki mujhe bhagwat prapti karni hai. Ant mein koi satya vastu to hath nahi lagi to pachtana hi rahta hai. Jo nahi bhogta hai wo jab bogi purushan ko dekhta hai to lagta hai bada sukh hai inke. Bhagwan aajkal to aur hi kripa kiye hue hain. Bahut hi kripa kiye hue hain. Pehle to mariyada se uthna baithna chalna hota tha.
ab to chalna bhi aise ho raha hai ki vastrad ka dharan karne ka jo purv paddhti un paddhatiyon ka tyag chalne ki mariyada ka tyag vihaar bada hi apvitra aur ashudh aur jeb mein mobile to wo ashudh darshan ashudh shravan manmani chittritti bhag rahi sansaar ki taraf ye jo tyag ke marg mein chal chal rahe hain aur ye jo bhogon ka akarshan bahut bada bhari maya ka dukh hai wo samjh nahi pata bas wahi chintan bana rahta hai aur jo bhog rahe hain wo aur bhogon ki lalsa mein jal rahe hain. Bole ye maya ke bhut ke laddu donon ko dukh de rahe hain.
jo nahi bhog rahe unko bhi aur jo bhog rahe hain unko bhi. Ye jo nahi bhog rahe hain inko kaise bachna hoga? Bole tan se to chhod rahe man se grahan kar rahe hain isliye inko donon hi dukh hoe rasbal chhute jo vishay tab hi to sukh hoe Radha Radha Radha Radha naam sudha rasam yah rasbal hai jab naam jap karoge to ghrna ho jaegi kaun sa aisa sthan hai jo bhagwan ke naam rup leela dham se bhi adhik mahatwashali hai are vaman ho jae aise ghrinit ang ulti ho jae aise ghrinit ang badbudar ang mal mutr ke bhand is sharir ko priy is sharir ko priy ismen sukh bhagwan buddhi shuddh karen kripa karen nahi chahe jitna pravachan kar
lo chahe jitna pravachan sun lo agar bhajan nahi hai na to sthiti wahi hogi jinki aap ninda kar rahe ho unhin mein nak ragdoge ye maya ka aisa vishuddh jo jal hai usse nikalne ke liye jab tak purn bhagwan ki sharanagati nahi hogi tab tak koi upay nahi hai natak se nahi nikal sakte gunmai mam maya datt mame prapaddyate maya menta tarte 50on varsh ho jaate hain phir bhi wahi narki bhogon ki trishna mitana kathin ho jaata hai aur jo bhagwan ki sharan ka rasta pa gaye kam samay mein is maya par vijay prapt kar lete hain kah rahe hain bhagwat rishik ji bhagwan shri hari sabke hriday mein virajman hai.
par jab tak bhagwan ke charnarvind ka aashray lekar vishuddh bhakti nahi hogi tab tak kuch labh nahi milne wala. Labh kya hai? Yahi labh hai. In vikaro par vijay prapt karna. Jo updesh aur ko khuli baat kah rahe hain khuli baat jo updesh aur ko so nahi mane aap dekho jagat pravinta thage aapko thage aapko aap vishay swarth nahi chhute paramarth pad het bake par dhan ko lute pandit sant mahant gosai Paramhans jo lobh grase sab log nahi bhagwat sahai jo bade hi virakta phakkad mahapurush kisi ki kuch bhi an kan na rakhne wale bole jo updesh ke anusaar aacharan nahi karta hai.
main use kuch nahi manta hoon. Bhagwat rishi ji kah rahe jo vani mein wahi man mein wahi aacharan mein to tumhara pravachan theek hai. Pravachan kuch aur man mein kuch aur aacharan kuch aur to pandit sant mahant gosai Paramhans jo lobh grase sab log nahi bhagwat sahai jo updesh aur ko so nahi mane aap dekho jagat pravinta thage aapko aap bhagwat rishik ji maharaj kah rahe hain vidvan panditya se yukt sant bhesh mahant padvi gosai padvi Paramhans aadi padwiyon ko prapt jo hain jo dhan ka lobh man mad ka tyag karke nirantar apne swaroop mein ya bhagwanand mein mast hain to dhanya hai wah jagat pavan karne wale sant mahant pandit gosai Paramhans jan ye jagat pavan karne wale hue yadi yahi vesh dharan karke vidvta karke keval dhan man pratishtha bhog samgri to bole jo updesh aur ko ye sab maya hai chhodie aap narak jaoge aisa karoge aur aap maharaj aap jo karoge aapko kabhi aap laut ke apne hriday mein dekho jo dusre ko kah rahe ho ki isse narak jaoge to kya yah aap mein agar hai to aap bhi soch lijiye aapke liye viman nahi aayega.
aapko bhi narak jana padega. Pujya pad shri odiya Baba ji maharaj ke paas ek bahut vidvan purush hai. Unki vani ji mein updeshon mein amrit barasta hai. Baba se kaha Baba aap siddh purush ho batao mujhe bhagwat prapti hogi. Bade sammaan nidhi the. Pujya Swami shri Akhandanand Saraswati ji lekhni mein likhte the jo Baba bolte the. Baba ne kaha tumhen sat janm tak bhagwat prapti nahi hogi. Ek janm ke baad kya kamp gaye? Kyon Baba? Bole hamse puchte ho kyon? Jo updesh dete ho, aacharan mein utarte ho, shubh gati kabhi vyabhchari purush ko prapt nahi ho sakti.
bhagwat rishi ji aise siddh mahapurushon mein hai jo kisi ki kahani nahi rakhte kisi ki pandit sant mahant gosai Paramhans jo kaun se bole lobh grase sab log nahi bhagwat sahai jo isliye dusron ko paramarth updesh karne ka adhikar usi ka hai jo swayam paramarth ka pathik hai jo bole wahi wahi aacharan mein hona chahiye. Wahi man mein hona chahiye. Vachan, man, aacharan ek hone chahiye. Tabhi updesh sarthak mana jaata hai. Jo swayam paramarth ki baten karta hai aur vishay bhogon mein rati hai, rupya mein rahti hai, man pratishtha mein rahti hai.
bhagwat rasik ji maharaj kahte hain chahe koi bhi ho inse hamari bhagwat sahayata hone wali. Hamne nahi kah rahe. Bhagwat rishik ji bol rahe hain unmein pehle bola hai ki jo updesh kar rahe hain aur apne acharno ko usi ke anusaar chala rahe hain. Updesh ke anusaar wo jagat pavan karne wale hain. Chahe pandit ho chahe sant ho chahe mahant ho chahe gosai ho chahe Paramhans ho satar satar sa lokonti he bhai updesh ke anusaar chalo bhagwat updesh ke hamare sant jan hamare mahant jan hamare pujya gosai jan hamare pujya vidvan jan jagat ka sadaiv mangal karte rahe mangal karne wale ye keval vishay pravachan ka ya dhan lene ka ya man pratishtha ka nahi yah jagat mangal ka vishay hai.
iska uphash na banaya jae. Aaj lakshya ko uddeshya na rakh ke uska uphash banaya jaata hai. Sachchi maniye wo sab vyakhya karne se samjh mein hi nahi aayega. Bas itna samjh lijiye ki jo updesh hai aur ko so nahi mane aap dekho jagat pravinta thage aapko aap jinke updesh se aacharan na milte ho jinka man aur ho updesh aur ho aacharan aur ho to duri bana ke rakhna chahiye Radha vallabh shri Harivansh khub bhajan karo sang karo to manas se kam vachan se kam jinka man wahi vachan wahi charit wahi to baat banega nahi to nahi banegi.
bole ye dusron se dhan aithna man pratishtha ye bhagwat sahayata kya kar sakte hain ki hamare ko bhagwat prapti kara de. Nahi bhai nahi sadachar ka palan aur man ko nirantar bhajan mein lagate hue jo updesh uske anusaar swayam aacharan mein nahi to bahut lajja ka vishay hota hai. Ham dusre ko tyagi banana chahe aur swayam bogi aisa asamabhav ho hi nahi sakta. Aisa ho hi nahi sakta. Vidya rup mahatva kul sab ki dhajhiyan udae mahapurush hai. Jaise upar mein varnan kiya ab niche kah rahe hain vidya aaj unka pujan hai.
isiliye unki vani waise prayah hoti hi rahti hai. Vidya rup mahatva kul dhan joban abhiman takantak dekhe jahan rahe na bhakti nidan rahe na bhakti nidan swang sab nagar nar ke vishay hath bikae nahi rijwan bhatar ke jag banchan ke het sab gun sikhe vidya bhagwat bhakti bihae kaha keeno padi vidya ek bar yamuna ji ke pavan pulin par baithe kisi pad ka chintan ho raha tha to thodi der baad awaz sunai dene lagi pyare bahno aur bhaion maharaj aise aise to hamne kaha tep chal raha hai kya waise jhaank ke dekha to ek vidyarthi bhagwat ke rihalsa kar raha tha riyal pyare bahno aur bhai wahan koi nahi hai.
wo keval seekh raha hai ki mujhe kaise samaj mein bolna hai. Ye bhagwat ye bhagwat shastr sikhne wali chijon nahi. Aap trikal sandhya kijiye. Khub naam jap kijiye aur bhagwat ka shuddh shloko ka gayan kijiye. Apne aap bhagwan Sukhdev ji aapke hriday mein baithkar ke bhagwat ka rahasya vistarit karne lage. Agar hamara lakshya bana dhan hamara lakshya bana ki samaj jodkar ke vasnaon ki purti to in shastron ka rahasya ham nahi jaan payenge nahi jaan payenge sachchi maniye apne kisi shishya ko bhagwat ki shiksha nahi di bhagwan vyas dev ji ne rachna karke tab tak gupt rakha ki iska adhikari chahiye jab dekha ki ham mein bhi aasakt nahi hai mera putr to bole yahi yahi hai adhikari Shrimad bhagwat ka jab swayam pukar rahe hain putr tanmay tave bhined tam sarvabhut hriday muniman to ha putr ha putr lekin
bhagwan Sukhdev ji piche mudkar badi prasannata hui ki Shrimad bhagwat ka adhikari mera yahi putr hai par wo anashakta hai mera hi rup laut ke nahi dekha apni maa ka rup nahi dekha to ye rup leela ka gaan kya karega ye to swayam bodh sampann sukoham sukoham vrikshon se nikalne laga hai tanmayata mein tanmaytayat je hi tanmayata to har vriksh se nikalne sukoham main Sukhdev hoon main sukh itni unchi sthiti ka brahm bodh sampann mahatma kahe ko bhagwat yad karega ek shlok rup madhuri ka kan mein para barha peedam natvar aasakt ho gaye shri Sukhdev ji aise shri Krishna chandra ji ki rup madhuri gaan karke aur pakka Shrimad bhagwat mein itni samarth hai hriday se kah raha hoon ki sango paang paddhti se ek bar saptah ki shlok kan mein par jae 18000 to mahapapi bhi param pad ka adhikari ho jaega iska praman dhundhkari swayam usi mein hai ki dhundhkari sat din bina kuch khae piye 18 hazar shlok shravan karta hai manan karta hai to viman aata hai aur baithkar ke chala jaata hai aur koi sadhan nahi.
keval sat din bhagwat sunne matra se bhagwat prapti. To yah nahi ki sab bhagwat keval dhan ke liye hi karte hain ya man prati nahi bhuda jana bhagwat yash gaan karne wale jagat bandhni hote hain jo Ram Krishna hari ki charcha karke jagat ko nishpat karte hain sant jan mud mangalmay sant samaj jo jag jangam tirth raju ye chalte phirte tirth hai Tirtharaj prayag hai teerthi kurwant teerthang ye jahan charan rakh de wahan tirth ban lekin yah unke liye hai jo bhagwat chintan mein nirantar dube hue ekmatra jagat mangal ke liye unka vachan nikalta hai.
unke charan chalte hain jagat mangal ke liye. Yahan jo nishedh kiya ja raha hai unko jo natak baji ke liye bhash dharan karte hain pakhand karte hain rupya paisa ke liye keval damb karte hain unke liye unki khinchai kar rahe bhagwat rishi ki koi bhi ho jo mahapurush sant jan hote hain unko kisi ki parvah nahi hoti satya ka varnan aur satya ka shravan wahi kar sakta hai jo satya mein chal sakta hai anytha nahi kah rahe vidya ka rup ka badappan ka, kul ka, dhan ka, yauvan ka abhiman jiske andar hai, yah bade-bade kante hain. Badi sukomal bhakti maharani uske hriday mein kadam nahi rakhti.
ek bhi koi ahankaar ho to bhakti nahi rakhti. Phir chhayo ahankaar ho to bhakti kahan se jagrit ho jaegi? Vidya ka main vidvan hoon. Bhakti nahi aayegi. Main bada rupvan hoon. Bhakti nahi aayegi. Bada dhanvan Yavan bada jawan balvan shat kantak dekhe jahan rahe na bhakti nidan bhakti maharani wahan aa hi nahi sakti vidya aadi par ahankaar karne wale vyakti ka sara ka sara khel keval nat ka khel hota hai. Jaise nat pradarshn karke logon ko rijhata hai. Aise hi jaise nagar nari nagar nari kahte hain vaishya ko. Jaise vaishya pura shringar karti hai sab to apne pati ko rijhane ke liye nahi logon ko fasane ke liye aise hi vishay manushyon ko rijhakar unke hath se dhana aadi labh aadi ki akanksha rakhne wale ye bhartar shri hari ko rijhane ke liye nahi karte ye vishay purushan ko rijhane ke liye bhagwat rasik ji kahte hain o ko kabhi shri hari ki bhakti prapt nahi ho sakti in sabka ahankaar tyag karke jo bhagwan ki sharan mein hokar ke jagat mangal ke liye naam gun leela rup ka gayan karta hai wo mahan vishuddh bhakt hota hai.
sadguru shabd suswad jal seep shishya hi hoe. Sakuch meen takkar lage tab wah mukta hoe. Bole sache sadguru ka shabd jo hai wah mantr ke saman kam karta hai. Ek bhi shabd kan mein par gaya to parivartan hoga hi hoga. Jaise swati ka varsha ka bund chatak pita hai na to jeevan ban jaata hai aur jab sheep mein parta hai na to wahi bund moti ban jaata hai aur jab kela mein parta hai na to wahi kapur ban jaata hai aur jab saanp ke mukh mein parta hai to bhaykar vish ban jaata hai. Wahi uski vish ki vridhi karta hai.
sadguru ke shabd to ek hai par adhikar anusaar alag-alag ab jab aise logon ke kan mein shabd padenge to vish ki tarah lagenge apne ko bahut bada samjhta hai dusron ko aise aise aur agar dainya bhav se to jo kuch kamia hai sab nikal karke ham apne ko bhagwat marg ka sacha pathik banain isliye in santo ka updesh hai isliye kah rahe hain ek hi bund hai wahi sipi mein para to moti ban gaya. Kele par para to kapur ban gaya. Chatak ki chonch mein aa gaya to jeevan ban gaya uska. Kyonki wo usi se apni pyas bujhata hai.
saanp ke muhn mein chala gaya to vish ban gaya. Sadguru shabd suswat jal seep shishya hi hoe. Sakuch meen takkar lage tab wah mukta hoe. Tab wah mukta hoe sajati sangati jaise na tar toe ko toe hoe nahi mukta aise bhagwat rasik anannya vadhu navag garb dhare u sada sahayak sasu swamiya jano satguru sache satguru ka jab shabd nikalta hai to mantr ki tarah kam karta hai baan ki tarah amog baan vedh deta andar ki kachchai ko bhasm karke sacha bana deta hai. Agar shishya ke hriday rupi sipi mein wo shabd tik jae aur wo sakucha karke apne sare dosho ko andar jo dekh raha hai dhikkar hai hamare andar aise dosh hain.
inko main tyagunga. Guru charnon ke bal se main nirvikaar banunga. Bole je hi uske hriday mein aisi baat to mano shaktachi rupi meen ka takkar laga to wo divya moti ban gaya. Moti divya tejomay priyal ke bhav ko prapt ho gaya. Bhav rupi moti bhavotsaven bhajta ras kamdhenu agar sajati sadhu sang na mile Gurudev ki baat par puri shraddha na ho pave to shabd shabd matra rah jaata alag prabhav de deta hai wo gaye the satsang mein sabko lalkaar rahe the sabko lalka ye gaya saanp ke bhi muhn mein saanp ke muhn mein vish ban gaya aur wo vish ugal raha hai are apne ko to mahapurush samjhte dusre ko ghaspat samjhte hain.
hamne suna tha pravachan mein kuch nahi aur wo bund gaya mahapurushon ke vachan hai. Wahi vachan shraddhaalu ke hriday mein gaye to bhav rupi moti ban gaye. Wahi vachan ashraddhalu aisa nahi hai bhagwan sab par kripa karte hain. Kabhi-kabhi ashraddhaluon ko bhi satsang milta hai. Khalau kare bhal pai susangu aur mite na malin swabhav bhangu chahe jitna amrit piya ho saanp ke muhn mein jakar vishay banega aur kuch nahi banega. Wo satsang mein baithe keval yah sunte hain ki kaun sa point mile jiska ham negative bhav prastut kar sake. Wo kaun sa point mile jisse mera jeevan sudhar kar bhagwan mein lage aise bhav wale nahi hote khalau kare bhal paay susangu miten malin subhav bhangu bhagwat rasik ji kahte hain jab koi apne Gurudev ka anannya hota hai badhu jaisa jaise bahu nahi hoti bas pehle ke bhav the mera pati mere liye bhagwan hai aur jis ghar mein main ai mere bhagwan bhagwan ka mandir hai.
ab is dehri par hi mere pran samarpit hai. Yah pehle ki bandhuon ka dridh niyam bole aise hi mere Gurudev mere sarvasv hai. Bas yah dehri jo inke charnarvind ki rekha se yukt hai. Yahi mere liye paramdhaam hai. Inke updesh hi sab shastron ka sar hai. Bas jo pakar liya so nipat gaye. Maya se nipat gaye. Bole jo yah rasik anannya Gurudev ke ho jaate hain. Badhu hriday wale hote hain. Inke hriday mein apne aap Gurudev ki jo vishuddh bhav bhari bhakti hai uska transfer ho jaata hai. Wo apne aap wahan adhar ho jaata hai.
sache guru ka shabd jakar uske hriday mein prem rupi bhav rupi garb prakashit kar deta hai. Yahi hriday mein bhagwan prakashit ho jaate hain. Bole jo swarth ras hai vishay ka poshan karta hai to navdha bhakti ka natak karta sachchi bhakti uske hriday mein jagrit nahi ho pati aavat bhagwat bhakti nidhi jahan main meri na posat apno jaan sab bandhe na kan mahi bandhe na kahu ma Shyam shyama gun gawe an ichchhit jag riti priti ras riti ladave gun te nyare rahat sahit jo Shyam sahavat vallabh jeevan jugal bhakti bhagwat jab aavat jo vishuddh bhagwan ki prapti ke marg wale santo ka sang pa jaate hain.
shri hari bhakti rupi param nidhi unhee santo ke paas hai jo vishuddh bhav mein hai. Ye ahankaar aur mamta yukt jo hai ye us bhakti ki chhaya bhi nahi chu sakte. Meri patni, mera putr, mera parivaar bhagwat rishi ki mahat jahan main aur meri ka poshan ho raha hai. Thode kadwe shabd hai neem jaise par neem bahut rogon ka nash karne wali hoti hai. Sahi maniye. Yah jitne shabd hai amrit se bhare hue hain. Sabke mangal ke liye hai. Bas sudhar jae baat man ke bura na mane in mahapurushon ki baton ko ki aise kaise kah rahe hain.
aise aise kah rahe hain. Imandari se thakur ji ko sakshi karke apne hriday mein dekho to tumhen pata lagega kaise kah rahe hain. Bhagwan ko sakshi karke dekho. Agar bura kah rahe ho to batana. Sachchai se dekho. Aur sachchai to lakho kos dur hai to dekhe kaise? Ham apne ko bahut sundar mante hain. Lekin asliyat darpan ke samne pata chalegi. Jab shisha lagakar dekhen tab lagega kitne sundar hain. Yah sant vachan shisha ki tarah hai. Inko samne rakho. Phir dekho tolo apne ki aapka swaroop kya hai? Aapka bhav kya hai?
aapki sthiti kya hai? Aapke gun kya hai? Aapki mahima kya hai? Tab aapko pata chalega. Aavat bhagwat bhakti nidhi jahan main meri na yah shri hari bhakti rupi param nidhi unhee santo ke sang se milti hai jo vastvik bhagwan ke prem mein magan hai jahan ahankaar nahi aur mamta nahi sant kisi vesh vishesh ko nahi kahte sant sthiti ko kahte hain dhyan rakhna sthiti kya udaar charita naam vasudh kutumbkam pura vishv mera parivaar main pure vishv ka pura vishv mera parivaar ye sant ka parivaar hai aur jahan panch chhah log hamare parivaar ke shesh sab bahari wo main meri ta teri bhakti nahi iska naam maya hai main aur mor tor ta maya je bas ki ne jeev nikhaya bada vichitra khel hai.
main meri ka poshan ho raha hai. Main aur mor tor tay maya. Main meri ka poshan ho raha hai. Updesh ho raha hai maya tyag ka. Jinke man mein main aur meri arthat ahmta aur mamta hai. Wo bhagwan ki bhakti ki chhaya ko bhi nahi chu sakte. Yah ahmta mamta jag mein hai dukhdai yah jab shri ji ki or lage to hot param sukhdai mat tat sutdar dar deh mein mati arja hai mati manda hit kishor ko hai chakor to lakh Vrindavan chanda to kaise ham is main meri ko prabhu ke charnon mein samarpit karen bole rasik mandli mein ya tan ko ni ke dhang lagao dampati yashas gao harsavo hitso rij rijhav devan ko durlabh ya dehi tene sahaj ji pai man bhai nidhi pai phir kyon janbujh birai ye ek ahmta mamta jag mein hai dukhdai ye jab shri ji ki or lage tab hot param sukhdai bada vichitra khel hai bahut sambhalne ki zaroorat hai ye jeevan hamara vyarth na jae isliye savdhaan aise rasik bhakt is charachar jagat mein sabko apna mante sabko apna mante hain.
jo main meri ka tyag kiye hue vishuddh bhakti mein hai unki pehchan hai. Wo sabko apna mante hain. Pura vishv hamara hai. Aapko dhyan hoga piche varnan hua tha ki sansaar ka uljha hua sutra to aap ye samjh lo ki 100 gram hai aur sampraday ka uljha hua sutra ek man hai uljha hua sutra ek man uljha hua maya ko suljhane ke liye to bahut badhiya sutra hai agar sache sant mil gaye to bahut jaldi sujh jaega ye. Lekin ye jo bhakti sambandhi lekar aham baith jaata hai sampradaywad ki aisi me baith jati hai ki dusre ke prati ghrna nafrat irshya kabhi sampradaywad ki me ko nahi sweekar karna chahiye.
pakki acharya hamare Gurudev hamare upasna isht dev ki bas khullam khulla pure jagat mein apne isht dev ka bhav aur khub naam vani ka gungan aur acharya nishtha bas iske age nahi jisko yah baat samjh mein aa gayi wo kabhi kahin nahi fansa hai nahi to aise uljh jaate hain ham tumhen kaise batayen ham ye batana chahte hain ki yadi med ke andar rahe to samudra ka ugahan nahi kar paoge. Ham jin mahapurushon ke prerna bhav se age badhte hue aae unki yahi prerna rahi. Kabhi kisi me mat bandhna. To kabhi kisi me bandhe yahan pujan hota hai pure vishv ke mahatmaon ka aur sabka hoga.
jo bache hain na jahan jahan tak prerna hogi sabka hoga. Har sampraday, har dharm, har sab hamare isht ke hain. Jad chaitanya sab isht hai. Hamko kisi ka is baat ka support ki zaroorat nahi ki aisa karoge to tum hamare nahi tumhare bane nahi kabhi nahi aae the aur badi kripa rahi ki bachpan se nikle. Bahut hi waise swabhav raha hai. Jangli kuch nahi. Kisi ke support ki zaroorat nahi. Bachpan se jis swabhav se nikle aur jis bhav se nikle jo sametta chala raha hai usi ke liye jeevan hai. Kisi me ke liye nahi kisi me ke liye jeevan nahi hai.
kabhi kisi talab ko apna dhey nahi mana. Samudra ko mana hai. Samudra se hi akarshan hokar barasta talabon ka poshan hota hai. Samudra hai shri bhagwan. Wahi hai sab rupon mein. Ab is khopdi mein aur kuch samjhane ki kisi ki takat nahi ki aur samjh mein aae. Wahi hai ham mante hain. Ham unko nahi dekh pate lekin shastr kahta wahi hai bas dusra koi nahi. Dusro na koi pakka. Bhagwat rishik ji kah rahe hain charachar sare jagat ko jo apna manta hai wahi siddh sant hai. Wahi bhagwan ka priyjan hai. Kuch aur samjh mein ane wali baat nahi.
kaun hamara nahi ab hamare acharya ki agyaa ye krura papino jo krur hai papi hai jo sada sambha jo mahapurushon se bhashan karne yogya bhi nahi hai wo swadhya buddhi mam mere Radha vallabh lal hai baat ban gayi jo sarvam khalmidam brahm ne nanast kinchna ved kahta hai wahi acharya charan kahte hain bas mujhe acharya ki baat manani phir piche nahi sidhe acharya ki baat manani vishwambh bhar sab jag abhas jas barno Harivansh vilas hamara Harivansh vilas kaisa hai Vishvambhr sab jag abhas ye bahut kripa hui bahut kripa hui jo med mein nahi banda vyas nandan jagat adhar jagmag jag jas sab jag bandni jag bhay vihandan jag shobha jag sampada jag jeevan sab jag mandan jag mangal jag uddharan jag nidhi jagat prashans charan sharan sevak sadasu jai jai shri hariv ye hai swaroop bolo yah hai swaroop me deevale ladai jhagda ninda sthiti kahan hai ismen nahi manna nahi manna kisi vad vivad ko nahi manna kisi me ko nahi manna baadh ane do sab bah jaega ek hi rahega keval ek baadh ane do andar ki baadh ane do keval ek rahega Yamuna hi Yamuna
jidhar dekho Yamuna Yamuna ae ba prem ki baadh lene do jo sarita savan jalmag sanam sindh sidharare jo nad de man de kurangan pragat pardhi mare ye hamare acharya ki vani priti na kan ki kan bichare sarvatra sam avastha mein ek paramatma virajman kintu yah main meri ka poshan karne wale is baat ko nahi sweekar karte hain. Bahut vichitra khel hai. Bahut vichitra khel. Nahi samjhaya ja sakta kisi ko apne samjhne ke liye keval hai paramarth. Jo sansarik vihaar jagtiik prem isse alag hokar bhagvatik bhav se sampurn charachar jagat ko shyama Shyam ka rup dekhkar unke naam rup gungan mein magan hai.
wahi rasmay kshetra mein pravesh pate hain. Ladli lal ko dular kar pate hain. Jab bhakton ke jeevan se yugal sarkar ki rasmei bhakti mein pravesh pate hain to tino gunon ka sparsh khatm ho jaata hai. Trigunnatt sthiti wahi shri shyama Shyam ke prem ras ko pate hain. Jahan na kuch accha hai na bura hai. Aur jaisa shyama Shyam sahate hain wo sab sahte jaate hain. Pyar to tab hota hai jab footpath par para aur koi uthane wala na ho use pyar kahte hain. Utha ke upar rakh diya. Sab pyar karen use pyar thodi kahte hain.
Shyam sundar jo sahave sahe aur shyama Shyam ke gun gawe aur kisi ko apna na mane sabko shyama Shyam mein mane bas puri zindagi ho gayi kabhi kisi ne Rakhi nahi dibba aur Rakhi kabhi nahi bandhi yahi rahte hue ab kyon bandhi yahi baten hamko thoda kam achchhi lagti hai Rakhi to tab jab roti mangne ke liye nahi milti thi tab koi baat nahi aao bhaiya ji hamen lage ki koi mujh jaise nich adham ko bhi pyar karta hai. Aapka pyar koi pyar hai? Nahi nahi usko nahi mante. Isliye Shyam shyama ke siva kahin apnapan karoge bandhe jaoge.
hukum karo ji. Itna bada parcha aa gaya. Ham dekho bhakkad Baba ji hain. Okhli mein sir dal diya. Kutne ka bhay nahi rahta. Mare ko kya marna? Ham isliye kahte hain pyar keval prabhu se nahi to dhoke ke siva kuch nahi milega. Aur prabhu ka pyar shri guru charnon ke unke shabd se prakashit hota hai. Wo jo mila mantr bas usi mein apni chittritti laga do. Bahari vihaar to sirf swarth ka vihaar hota hai. Swarth nahi to koi poochne wala nahi. Koi poochne wala nahi. Sansaar ka sachchi baat man lijiye.
agar aapko hamari baat kan tak pahunch rahi ho, hriday tak pahunch rahi ho, tum bahut dhoke mein ho jo lag raha hai ki tumhen koi pyar karta hai. Jo pehle pyar karte the wo aaj bhi pyar karte hain. Wo kal bhi karte rahenge. Unka naam hai shyama Shyam. Unka naam hai keval shyama Shyam. Jab koi nahi mila tha tab bhi wah the. Dhyan dena ham isiliye jab ghar se nikala tha to kaun tha? Shyama Shyam. Prabhu. Kadam badhae the to kaun tha saath? Prabhu. Jab guru se milaya to kaun tha? Prabhu. Jab guru ne updesh kiya to kaun the?
prabhu. Wahan se hata ke kashi ki yatra karai. Prabhu kashi mein kaun tha prabhu kashi se Vrindavan kaun laya prabhu Vrindavan mein hath kaun pakda prabhu ab kaun chala raha hai prabhu jana kahan hai prabhu ke paas ye inke siva aur koi nahi hai kaun prabhu hi prabhu prabhu se alag kuch dikhayee de to bas phir nahi manna phir main meri ka sambandh nahi rakhna bas isi baat se hatna hai isi baat ko katna hai ki kuch mere mere paas hai. Isko dekhkar agar dular kiya jaata hai to main use pyar nahi manta. Jo mere ko pyar karta hai wo keval sadguru aur isht hai.
bas sadguru aur isht bas iske alawa nahi. Wo sadguru tatv Gurudev ne jo naam diya mantr diya bas usi ko pakar lo. Vihaar ko mat pakdna. Vihaar mein phir main meri ta teri ka pravesh ho jaega. Aur daro mat. Bhagwat rishi ji kahte hain kisi bhi sthiti mein dham ko chodo mat aap apne jis marg mein ho kisi bhi sthiti mein dagamgao mat jo kachu likhyo lalat mein dukh sukh de sang bhugat jahan jaego ye siddhant abhang yah siddhant abhang tajat kyon dhiraj prani Vrindavan parihar Priya pritam rajdhani bhagwat nit nitya vihar Shyam shyama ko gail chu bhookh pyas sahi rahe aadi bite sir jo kachu kahe ko kisi ke age gidgidate ho bhagya mein jo kuch likha hai dukh sukh is sharir ke saath juda hai tum jahan jaoge wahi tumhen bhogna padega mat bhago mat kisi ke age hath jodo is baat ke liye ki tum mera sahyog kar do jab tum uske bhrose mein pare rahoge to wo hath jodkar kar tumhare paas aayega kyonki tumhen pyar karta hai.
wahi keval pyar karta hai. Sachchi manna ye jeevan bhar ki aapko baat kahte hain. Kisi ko apna mat man lena andar se. Apna keval prabhu ko manna wahi uthata hai. Gire hue ko wahi uthata hai. Lekin gire hue ki taraf koi nahi dekhta. Uthe hue ko girane ki cheshta bhale koi kar de ya uthe hue se hath milane ki cheshta kar de. Gire hue ko koi nahi pahchanta. Aap pahchane nahi hamen ji ham to nahi jante ham wahi hai wahi amuk amuk amuk pehle ki pehchan ab ki pehchan koi mahatva nahi rakhti pehchan prabhu ke sambandh ki rakhti hai ye hamari baat aap likh lena dimaag mein agar tumne kisi ko apna mana to rona padega baad mein rona padega tumhare bhagya mein jo dukh sukh likha hai wo koi met nahi sakta tumhen bhogna hai isliye kisi ke age gidgidane ki zaroorat nahi.
jis samay jo dawa unko bhejni hai jo doctor bhejna jo vyvastha bhejni hai ham khub dekh rahe hain kadam kadam pe dekh rahe hain har baat aap kahoge ki aap Baba ji ho isliye aapki vyvastha hoti hai nahi jo bhagwan ko gali dete hain bhagwan ko nahi mante unki bhi vyvastha hamare bhagwan karte hain aise udaar hain dekh lijiye aap bhajan karen tab to kya baat hai bhajan na jo kar rahe hain unki bhi vyvastha bhagwan kar rahe hain aap dekh lo na nahi papiyon ke ek second mein sab pure bharat ya vishv mein dil phayl ho jae. Khatm ho gaya na paap.
wo jante hain papi kaun hai. Ek kshan mein dil phayl kar de lekin nahi karte. Wo sabko sukh pradan unka swabhav hai mangal bhavan mangal hari sukh pradan karna. Kiske age tum gidgidaoge? Yahan kaun hai? Sab apne dukh mein dukhi hue hain. Tumhara kaun sahyog karega? Prabhu chal chala chal raah mein anubhutiyon ka le sahara. Kaun tera saath dega vyarth mein kisko pukara kiski taraf dekh raha hai vyarth mein teri anubhutiyan tere upar kitni bar kripa prabhu ne ki tujhe yad hai jo kachu likho lalat dukh sukh de sang bhagte jaygo mat bhag naam dham leela rup ko mat chhod bhogna padega jo karmon ka bhog sharir mein likha hua hai yah siddhant abhang ise koi taal nahi sakta bade-bade siddho ko bhi sharir bhog bhogna parta hai jo praarabdh mein hai isliye tajat kyon dhiraj prani dhairya mat chhod bhakti marg ko aisa mat samjh ki jab se bhakti mein aae badi pratikultaa shuru ho gayi Vrindavan parihar Priya pritam rajdhani ye Priya pritam ka nij mahal hai agar kahin tumhen yahan vas mil gaya tum mat chodna chahe jitna kasht mile chahe jitni pareshani ho sah jao to samasth pareshaniyon se mukt kar denge Priya pritam yahan ka ek prabhav dekha hai bhari se bhari bura bura praarabdh bhi bahut kam hokar ke aata hai.
bahut kam ho pakka samjh lena anubhav ki baat hai. Bura praarabdh bhi aakraman karta hai. Bahut kam hokar aakraman karta hai. Isliye bhagwat nitya vihar Shyam shyama ko gail ye gail hai Shyam shyama ki. Kabhi to galvaiya aake dekh lenge mere darwaze mein para tadap raha hai. Nihal kar denge. Par keval Shyam shyama ka aashray lo aur bhagwat premi vishuddh bhaktiman rasikon ka sang karo. Nahi to age jo varnan karen bahut hi vishuddh mahatma hai. Wah kahte hain na main kisi ka guru na main kisi ka chela main shyama Shyam ki ananyata mein hoon.
main deh mani guru chela nahi manta. Bahut vichitra mahakoti jo hamari shri ji ka sab kuch vichitra hai to shri ji ki sahachari vichitra nahi hogi. Bahut vichitra suno jara andhe ke sir sampada nakte so panth thaga thagi sansaar mein samjh lago sab kanth samjh lago sang kanth kaho jab Bhamini aise nij pratap bal chahe bhalai ubhay na taise ras swadi ko mile jah gun dosh na bandhe bhagwat drashta hoe karo sevan taj andhe thodi himmat rakh ke sunna kah rahe hain prem vihin nitant bahirang ek bahut sadhvi pativrata apne pati se kah rahi ki kant ja to rahe ho sant sang mein sun lo kaisa sant sang karna bole ye prem vihin nitant bahirang sampradaywad aison ka sang mat karna bole jaise andhe ke piche andha chale to wah bhi gireega hi jake.
bahut pareshaan ho gaye the ki yah nahi hota ye nahi hota. Agar sadguru na milte to yahi lagta tha ki sanyaas ki khopdi kaise rang mein rang paegi. Bas sadguru ka ek kripa prasad wahin sambhal liye. Nahi to satya marg pradarshit karne wala milna kathin hai. Bole sampradaywad prem vihin nitant bahirang aison ka kabhi sang mat karna. Pritam unke piche chalne se andhe ke piche chalne se jaise andha girta hi hai. Donon girenge aise gireega. Ismen likha hai wah padh rahe hain. Isliye ki yah na ho ki Baba kah rahe hain.
aise to sampraday jo bane hain wo sidha jeeti rod hai Priya pritam ke milne ka. Sidha chalo. Ye chalne ke liye hai. Ye ladne ke liye nahi hai. Bole jaise ek koi nak kata ho. Ab wo samaj mein kaise kare? To usne ek naya riti bana li. Kya bole idhar itni nak katwa de to ye hamare to bole isse kya hota hai? Paramatma prasann ho jaata hai. To panch aur nak kata liye to chhah ho gaye na kata. Chhah ko dekh ke 60 hi ho gaye. 60 ko hokar ke 120 ho gaye. Wo badhta chala gaya. Bole kya hua? Bole naya panth hai nakshedan naya panth hai wo kah rahi pritam aise nakton se bachna jo keval bahari baton ko lekar ke antarik paramarth ka swaroop na samjhkar jo sab apni nak katwa kar nakta ban rahe hain.
aise nakton ke panth se bachna. Swami hamara matlab samjh gaye na? Yah jo niras hai jo sampradaywad ke jhagde hain jo shushk hain aur jo thag hai yah hai na kate inse backar ke soch samjh kar ke in duragrahi logon se jo keval vasna ka ullu sidha karne ke liye sang karte hain. Updesh karte hain. Aison se bachna. Inke panthon se bachna. Inke guru shishya donon narak jaate hain. Donon ka bhala nahi hota. Isliye pritam yadi sant sang karne ja rahe ho to suno rasaswadi se karna jo Priya pritam ke ras swad mein duba ho jise sansarik trigun dosho ne bandh na rakha ho satogun rajogun tamogun jo gun dosho se pare ho jo keval jugal rup madhuri mein aasakt ho jo keval shyama Shyam mein nimgn rahta ho aise santo ki sangati karna andhe aur naktu ko tyag karke to tumhen bhagwat prapti ho jaegi.
andhe ke sir sampada na kato panth thaga thagi sansaar mein samjh lago sang kanth kanth mane priyatam samjh lago sang kanth kaho jab Bhamini aise patni ne bataya nij pratap bal chahe bhalai ubh taise ras swad ko mile jah gun dosh na bandhe bhagwat drashta hoe karo sevan taj bhagwat rishik ji maharaj kah rahe hain aise sant ke sang se jeevan nihal hota hai. Kaise jinke sang matra se hamare hriday mein shyama Shyam ke sidhe anurag rang ki baten bahut ghuma ke rupya paisa bhog samgri nana prakaar ke padaarth pratishtha aadi ki chah yah sab bhram hai.
ham aapse khuli baat kahte hain. Dan punya ek marg hai. Paap alag marg hai aur paap punya donon keval bandhan hi bandhan pradan karte hain. Aur bandhan mukt karne ke liye bhagwat marg hai. Wo sirf bhajan hai. Ab is bhajan karte hue hamare paas kuch da rupya zyada hai. Dekha koi bhukha hai bhojan pawa diya. Kisi kapda nahi kapda de diya. Wo to dum vastu Govinda ty mein usse kuch lena dena nahi neki kar dariya mein dal bhagwat prapti ka marg hai nali ke pani se gande hath kabhi saaf nahi hote hain adharm ke dwara kiya hua dan adharm ki vridhi karega kaise jaise aapne paap karm kiya aur ₹00 paap karm se nikal ke aapne hamen diye to jab ₹00 ka ham uska prayog karenge bhojan aadi mein ya kisi mein to wo ₹00 hamari buddhi ko paap karm ki taraf akarshit karega hamare bhajan bhajan mein vighna daelga to aapko bhajan mein vighna dalne ka aur paap lag gaya.
paap se paap hi hota hai. Punya nahi hota. Mehnat ki kamai pavitra kamai ki panch diya. Panch ka namak laye roti mein laga ke sab log khae. Khub dat ke bhajan hua. Tumhara bhi kalyan hua. Hamara bhi kalyan hua. Paap karm se dan karne par kabhi mangal nahi ho sakta. Ye baat baitha lo. Jahan ye ho ki dashansh vait to matlab sam ho barabar ho tabhi gara mase ko guru tako shishya sab koi jis samay bhagwat rishi ji pad rachna kar rahe hain us samay 11 masa shuddh chandi ka ek masa anya dhatu mishran ka hota tha jo sikka chalta tha to bole jo guru 11 ma se shuddh ka arthat sirf rupya ka ab hota hai tabhi to varnan karte hain sirf rupaye ka guru shishya narak jae kya kar raha hai koi matlab nahi hai to bole 11 mase ko guru tako shishya sab koi sare sansaar mein rupaye ka sara khel hai rupaye ka khel jahan bhagwat pradan karne wala guru tumhari dhajhiyan ud jaengi.
bilkul koi manyata nahi rahegi. Pakka ye pakka ham aapse kahte hain ki rupaye ke bal se aise guruon ko tum kharid nahi sakte. Aise guruon ki muskan prapt nahi kar sakte. Rupaye ke bal se. Bole jab aise guru hote hain to unke chela bhi aise hote hain. Guru ka rupya dekhkar chela bante hain. Taki as aur phir upasna kare nirantar soe. Taki as upasna kare nirantar soe. Nirantar wahi upay karte hain ki hamko guru ji yahan ka paddhikari baname. Kare nirantar soe aur nahi ave man mein keval aradhna upasna rupe ki aur man mein koi nahi bhagwat prapti bhagwat charcha koi nahi keval dhan ki asha iske atirikt bhagwat sakshat karna bhagwat prem prapt karna nirantar bhajan karna in baton ka to kahin wahi pravesh hi nahi hai.
balak vridh stri purush jo ave sab koi bhed pranami hi to rakha nahi pranam kar diya tumne nahi bhai tumne kiya tumne kiya ae chhotu ko chhotu ko bhejo pranami pranami karke chhotu haan chhotu aae aur wo chhoti ko usko bhej do ham ye dekhi baat kah rahe hain are wo matha jhuka diya aur kaun si pranami chahiye rupya pranami hota hai kya pranami to hota hai antahkaran se man man vachan karm se Gurudev ke agyaa ka palan isse bada kya jab sir jhuka diya to ab kya rah gaya sab kuch de diya stri purush balak vridh dhan dhan ki trishna bhagwat rasik ji kahte hain bhagwan ke premi vishuddh santo ka milna bhagwan ki vishuddh kripa iske alawa ye trishna dain sabke hriday mein dhan ki trishna ka dera dale kya grihasth kya virakta kya guru kya chela sabke andar yah sab mahapurush hai bilkul kadwe shabd isliye bol rahe ki hosh mein manushya jeevan keval bhagwat prapti ke liye koi pakhand dum nautanki natak mat kar satya marg mein agar tum Gurudev ka varan karke aur bhagwat marg mein sahi dhang se chale to kya
hoga ye to nakaratmak sochon ki baat kahi ab kah rahe hain ki tumhen yahan sakshat prabhu dikhayee dene lagenge sab mein yah siddh guru kripa se bahut jaldi prapt ho jaegi kyonki bhagwan hai yah sweekar tum kar chuke ho aur naam jap kar rahe ho aur sachchai se chal rahe ho to sachchi maniye sachchi maniye ye akal nahi ladani padti ki khamba hai ismen bhagwan hai ye purush hai ismen bhagwan hai ye to sadhan avastha mein sidhe bhagwan jad chaitanya kachu nahi dekht jit dekht tit Shyam khade bole jako darshan it mile tako jako darshan ut aur jako darshan it tako mile na ut yahan tumhen shyama Shyam nahi dikhayee de rahe to kahin shyama Shyam nahi milenge chahe mandir chale jao chahe dham aa jao chahe jahan chale jao bhajan karo guru updesh ke anusaar chalo sachchi mano bhagwan ko tum he rupya paisa bhog samgri bhagwan ne tumhen di hai tum bhagwan ko kya doge yahi shri bhagwan sab mein vira agar yahan bhagwat sakshatkar nahi to kahin bhagwat sakshatkar nahi bhagne ki zaroorat nahi.
dekho ek bhagat ji aae the kah rahe the hamen chavi mein vishwas nahi hai. Ye hamko yah samjh mein nahi aata ki jab tatv gyan ki taraf ham badhte hain to sarvatra bhagwan hai to sarvatra hai to hain. Sarvatra hai to hain. Hamko aur baten samjh mein nahi aati. Ek baat mano shastr ki. Guru vani ji mein bhi bada ghat ghat mein wah vyapt hai koi kan aisa nahi jahan Ram rama nahi ab iske age kuch batao hai kuch age nahi to vedant bhi to yahi kahta hai sarvam khalmidam brah to bhakti bhi to yahi kahti hai charachar jagat ko ishtkar de to achar mein jad aa gaya achar mein chaitanya aa gaya ab aap ek chaitanya mein kahte ho ki main aise aap mein bhagwan ko man sakta hoon guru rup se lekin ham chavi mein bhagwan ko nahi man sakte.
to jad mein tum bhagwan ko nahi dekh rahe ho. Chaitanya mein bhagwan ko dekh rahe ho. Adhura gyan tumhara waise hi hai jab jad chaitanya donon mein bhagwan dikhayee de. Dekho ab jaise kisi kisi ka tark rahta hai ki agar tum murti mein bhagwan mante ho to bhojan lagao aur wo pa ke dikha do. To dekho tumhari bhavna andar se hai ki mere prabhu ki yah murti hai. To waise hi bhagwan bartaav karte hain. Agar sachchai se tumhare andar bhav aa jae to kya namdev ji ke hath se dugdhapan nahi kiya? Kya dhananna jaat ke hath se murti mein hi bhojan bhagwan ne nahi paya.
kya sakshi gopal ke rup mein murti chalkar Odisha nahi gayi. Par chahe jitna samjhao apne bhav mein baitha hua ki yah murti hai to waise hi vihaar prabhu karte hain. Kya khambha khambha nazar nahi aa raha? Kya ismen bhagwan nazar aa raha hai? Ham bhavna ka arop karte hain lekin Prahlad ji ko bhagwan nazar aa rahe the to khambha faad ke prakt ho gaye. Dekho agar aap ek baat shastr ki man loge to sab sanshay khatm ho jaenge. Koi kan aisa nahi jahan prabhu na ho. Ham donon pakshon ko guru kripa se swad li karke chale hain.
ek nirgun nirakaar sarvvyapi antarjami paramatma aur ek sagun sakar bhagwan ka swaroop aur phir ek sagun nirgun donon se pare prem ka swaroop jo Vrindavan mein hai. Ye sagun nirgun donon se nyara swaroop hai. Isliye hamari baat prarthna sahit samjh lijiye. Koi kan aisa nahi jahan mere prabhu na ho. Jab sarvam khalmidam brahm to murti mein brahm nahi hai kya ki kyon kahte ho nahi karna chahiye adhura gyan pura gyan ho jaega to tumhen samjh mein aayega sab guruon ke guru bhagwan shankar hai na aur kahin kaun aisa hai gyani jo bhagwan shankar ki aradhna na karta ho jo Vishveshwar vishvanath ji mein jakar matha na pranam karta ho jal na chadhata ho kaun aisa hai isliye kaun aisa hai jo apne Gurudev ko murtiman mankar pranam na karta ho.
hamen kuch baten aisi lagti hain ki agar ye adhurapan chhod diya jae to pura gyan ho jae. Bhagwat rishi kahte jako darshan it mile tako darshan ut jab chavi mein aise Radha Baba ne ye bhi atmajnani mahapurush hai aur je hi chavi muskura ke Govind ne je netron ki banki chitvan mari ki hosh kharab ho gaye Radha Baba ke aur chavi liye chati se lagae dole padh ke dekh lena. Are wah chavi mein bhi hai, wo surya mein bhi hai, chandra mein bhi wo kan kan mein hai. Man lo meri baat to jaan jaoge. Jako darshan it mile tako darshan ut aur jako darshan it nahi tako mile na ut tako mile na ut phire bhatkat sab tharni man ko mail na jae khaat ghar ghar ke koni bas bahut isiliye ham kahte hain theek se chalo to tript ho jaoge.
aae the aisi aisi gyan ki baten kar rahe the. Wo bhai havaon lekin yahan to tatiya lagana aata hai na guru kripa se. Tum chahe jitni hawa udao ham tumhare age tatiya wahi rang ki lagaenge. Pakka samjho Premanand ka rang kaisa? Tumne jaisa dekha vaisa pakka samjho. Jaisa tumne dekha vaisa kashi se aoge vedant ke niche nahi utrenge Ayodhya se aoge Siyaram ji ke niche nahi utrenge jahan se ho jaise Premanand kaisa sabka rang sabka anand sab gyan mein bhi atma rati Ayodhya mein Siyaram rati Vrindavan mein Priya pritam ki rati Premanand kaisa Premanand kiska bole Premanand ko jo bhaje uska Premanand kaisa jaisa jaisa dekho vaisa jaisa dekho vaisa ab dekh lo tum par Premanand kaisa ye to koi janega birla hi guru kripa patr par tum dekhoge jaisa vaisa hi tumhen dekhne ko milega tako mile na ut phire bhatkat sab tharan man ko mail nan jae khaat ghar ghar ke koran badi tatiya laga ke unko jab bahar aae to gir gaye wo paise mein dakshina dijiye jab suchna mili to unka haan yahi yahi ham samjh rahe ye gyan ke pharrate bharna alag ki baat hai.
ye kanchan kamini kirti ki trishna ko mita dena hi gyan ka prayog hai. Keval pharratedar shlok bolkar bhashan dena gyan ka prayog nahi. Guru kripa patr is gyan ka prayog kam krodh lobh moh mad matsar in shatruo ke nash ke liye prayog karta hai. Na ki aham ka poshan karne ke liye. Kitni der bhi bolo panch hi shabdon mein pata chal jaata hai ki aap kahan kitne gehre pani mein ho man ko mail na jae khaat ghar ghar ke koran bhagwat rasik sang mukur lo maje tako tab nij badan dikhae Shyam shyama ko jako bhagwat rasik ji kahte hain pehle rasikon ke sang se unke updesh ka sabun lekar apne man ka marjan karo to man mein shyama Shyam mil jaenge shyama shyama Shyam ka je bhi swakh jagrit hua bhav shyama Shyam wala unhee ki seva sukh unhee ke naam sukh nahi to jidhar dekhoge shyama Shyam
mein nashe nashe mein netr rahte hain rasikon ke jaise koi nasha piyo na to ghit netr aise bojha mein prem ras bojha mein bhare netr rahte hain bhagwat rishik ji maharaj kah rahe hain Gurudev ke charnon ka aashray lekar keval asha Priya pritam ki kar lo bhai kauva mat bano kauva dhoe hans nahi hoe na bachhra swan raas sab te hai hoe nahi jo dhove bhagwan bahut mast baat hai kah rahe ek kauva ko chahe hazar bar sabun laga do sasur hans nahi ho jaega kutta ko chahe hazar bar ek se ek badhiya wo kya the jo aise karke karke lagaya jaata hai bal saaf kar le shampu shaimpu kutta ko chahe jitna shaimpu lao bachhara le ho jaega bole bole gadha ko chahe jitna naha ke ghoda nahi ban jaega aur jo dhove bhagwan haan samjho kauva dhoe hans nahi ho bachhra sthan raas te hai ho nahi jo dhove bhagwan kaisi baat kah rahe mahatma hokar bhagwan dhona chahe to are bhagwan kar tu kartum anytha kartum to bole Duryodhan ko dho to rahe hain dho paye pura yuddh hua jo dhove bhagwan saakh dekho Duryodhan bhagwan jakar samjha rahe hain ki waise to
Hastinapur ka chakravarti samrat pad maharaj yudhishthir ko hi milna chahiye kyonki maharaj pandu ka aishwarya hai aur swayam apne dhanush ki pratyansa ke bal par gandeev dhanudhari arjun ne jeetkar ke indraprastha ka nirman isliye unka aisa nahi ho sakta. Bole aadha rajya de dijiye. Hastinapur pe aap baithiye indraprastha pe maharaj yudhishthir bole aisa bhi nahi hoga. To bole panch ganv de dijiye. Panchon Pandav ek ek ganv ka adhipatya sweekar karke shant ho jaenge. Main aisa kah dunga. Bole sui agren ke sui ki nok bhar nahi denge.
to bole dhanyavaad. Phir to tayyar ho jao gala katwane ke liye. Bole raas te hai ho nahi jo dhove bhagwan jo dhove bhagwan sa dekho Duryodhan hari aae bal dut gaye phir bhyo na bodhan usko prabodh nahi ho raha aur kya hua bhagwan ko bandhwa lene ki koshish ki isne jab prarthna pehle aise banavti ki ki aao dekho Dushashn ke mahal mein aapke swagat ke liye kya-kya vyvastha ki bhagwan ne kaha avshyakta nahi kyonki bhojan do hi bhav mein paya jaata hai. Yadi bhojan ka abhav badi bhookh ho to mere ko bhookh nahi ya samne se bahut priti ho tere mein priti nahi mere mein bhookh nahi tere mein priti nahi isliye mujhe pehle hi plan kar liya tha ki inko bandi bana bhagwan ne virat rup dikhaya tharthar kanpne lage sab phir bhi buddhi nahi badli bole ye natak hamare samne nahi chalega indrajal main janta hoon kuch fark nahi bada hi bhagwan ka vichitra jab virodhi tayyar karte to phir pakka tayyar karte hain.
to bole dekho bhagwan bhi dut ban ke gaye nahi to hari aae ban dut gaye phir bhyo na bodh bhagwat rasik anannya hoe nahi gun swabhav nahi mite hans sangati kar kaua bole hans ki kitni bhi sangati kare kauva swabhav wale badte nahi hai ye mahapurushon ke baat hai aur baat kah rahe hain bole kante kukar bavarro jag jako lage bhut kare amal tap apno da parayo pu pahli baat to jisko pagal kutta kaat liya ho phir aur usi ke upar bhut chadh gaya ho phir batao uski halat kya hogi bahut buri halat hogi ek to bhut hi chadh gaya dusra pagal kutta waise bhut bana deta hai wo kutte ki tarah bhagta hai jiske upar kutta kaata hai jisko pagal kutta kaat leta hai wo kutte ke saman hi bhaukne lagta hai.
dekha hai vihaar uska kutte ke saman hi hone lagta hai. Aur jab bhut chadh jaata hai to uski chal dhal bol sab aise paaglon jaisi bhut jaisi hoti hai. Aise hi hote hain. Ek to prem mein pagal dusre kripa patr Gurudev ke aise santo se bachna chahiye. Pagal kutte ka ek swabhav hota hai na. Wo jaise jaise dekh liya tumhen to ab hazaron agal-bagal khade honge. Nahi kateega. Wo tumhen hi kateega. Accha itna bhag jao aap tumhare piche hi lagega. Bhagwat rasik ji kahte hain ek to prem ka bhut chadha hai inke upar aur dusre guru kripa patr guru kripa rupi aison se bachna.
upar batae hain abhi tak. Bole aison ki badi vichitra gati hoti hai. Premavishta mahatma jan jo hote hain yah jinke piche lag gaye unka udhar karke chhote pakka samjho ma sang durlabho agamya amogas bhago simit sansaar hai asim ishwar ke wo jan baad tu kahan bhag ke jaega asim ishwar ki samarth se wo yukt hai aur ek bar jo drishti mein chadh gaya bas chadh jane ki baat hoti isiliye santo se prarthna ki jati hai ki nazo se girama chahe jitni saja dena aur nazo se jo gir jae to mushkil hi sambhal paye.
par inki nazar bhi aisi hoti ek bar jo par jae phir wo sidha usi ko usi ka piche karte jis par nazar padi aur kate bina nahi chhote. Aur yah samjh lo kutte ke kate hue ka agar tumhen kaat le to kutte ne jisko kata tha usko vilumb se chadega. Lekin kutte ke kate hue ka jab aapko kateega to jaldi chadega. Ismen jaise kutta kata ho to kabhi badal badal garje tab usmen rang aata hai. Matlab guru kripa jisko to kabhi bhav ki baten hui to ekdam bhav un ai lekin jisko premi janon ne sweekar kar liya hai wo bahut jaldi bhagwat premi ban jaate hain.
bhagwat rishi rupak ke rup mein samjha rahe bole sachchanand rasik wahi jo keval Shyam shyama ka prem bhut chadha hua bas sune na kan ki kahi kahe na apni baat narayan rup mein magan rahe din raat shyama Shyam ke nitya vihar rup anand ras mein wo ek ras rahta hai to karal kal bhi usko bhay nahi de pata hai. Wah jiske piche parta hai uski samasth vasnaon ko chinn-bhinn karke ek bhai board lekar khade hote ravivar ko kahte hain maharaj pata nahi kaun sa bhut chhod diya pehle klab jaata tha nachta tha sab accha lagta tha jab se aapka pravachan suna pata nahi kaun si ghadi thi ki wo age hamare video aa gaya aur wo dekhna shuru kiya tab se dekhte hi rah gaye aur jab dekhna shuru kiya to dekho Vrindavan khade tilak lagae sab band ho gaya hai.
ab batao kya karen? Kaun sa bhut chhod diya hai ki ab hamen kuch accha hi nahi lagta hai. Bachna bachna bahut jaldi rang chadega. Isliye upasak bade kripa patr hain. Jinko bhagwat premi mahatmaon ka sang mila. Aaj shri pujya maharsik shekhar bhagwat rasik ji ka jaise nitya pujan santo ka hota hai unmein se isiliye unki vani ka gayan kiya bhagwat rishik ji ka uddeshya kisi ka apman karna ya kisi ki ninda karna nahi hai lekin satya baat ko janana hai ki he bhai tum satya marg ke pathik bano in amulya swason ko satsang ke dwara Priyalal ki prapti mein lagao kyonki antim parinaam hi tumhare jeevan ka mangalmay ho to jeevan sarthak antim parinaam Radha Radha kahte hue hamari swas puri ho ab wo swas kab puri hogi hamen pata nahi aaj ho jae ki kal ho jae isliye har swas mein Radha Radha japo aur dekho Priya lal ke charnon mein anant shaktiya hath jode khadi hai aap chinta mat karo uchit bharan poshan ki vyvastha charachar jagat ki bhagwan karte hain phir ham log to sharanagat hai hamen kya chinta hai hamen sadaiv inki chinta karni karni chahiye shyama Shyam ki aur wo hamari chinta jab wo hamari chinta karenge to ham nihal ho jaenge.
bas khas baten aap apni chinta karoge to theek nahi. Aap chintan karo shyama Shyam ka aur wo kah rahe hain yogkshem bahamyam main tumhara yogkshm karunga. To in mahapurushon ke vachno ko kabhi katu na mana jae kyonki inka uddeshya pakhand damb aur asat ka tyag karva ke satya marg mein sthit hone ka hai. Shesh charcha age shri Radha vallabh lal
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…