॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ye 3 baten karegi aapki sharanagati pakki / ye 4 baten samasth shastron ka sar hain // 09/06/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

shri Vrindavan dham ki jai Vrindavaneswari tvai padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashryam nirwayat param shital mashyam shri bhagwan kah rahe hain devi hasha gunmai mam maya duratya mamev prapaddyate maya menta tarte meri ye gunmai davi maya badi durat hai arthat ise par kar pana bada kathin hai jo keval meri hi sharan mein hote hain, bas ve hi is maya ko par kar pate hain. Jo keval meri sharan mein hote hain. Devi harsh gunmai mam maya duratya yah gunmay hai maya satogun rajogun tamogun in teen gunon wali devi arthat paramatma ki maya badi duratya hai.

jab iska prabhav chadta hai to keval bhog aur bhog sangrah yahi ichchha jagrit rahti hai. Yah bhog lun aur in bhogon ko ikttha kar lun. Manushya is maya se sambandh vichchhed nahi kar pata. Maya ka swaroop kya hai? Bhog bhogne ki ichchha aur priy bhogon ka sangrah karna yahi maya ka prabhav hai. Isse wo sambandh vichchhed nahi kar pata. Isliye bhagwan kah rahe hain duratyay par pana bada kathin hai. Iska prabhav parta hai. Apne ko kabhi sukhi manta hai, kabhi dukhi manta hai, kabhi bahut samajhdar manta hai, kabhi besmajh manta hai, kabhi nirbhal manta hai, kabhi balvan manta hai.

yah maya ki vrittiya uske hriday mein aati jati rahti hain. Aur wah isi mein pura jeevan vyatit kar deta hai. Is tarah ane jane wale prakrit bhavon aur padartho mein tadatma ho gaya. Mamta kamna karke unse bandh gaya. Apne ko inse alag nahi dekh pata. Yahi maya ka duratyay pana hai. Main bhog bhog raha hoon. Priy bhogon ka sangrah kar raha hoon. Parivaar se mamta hai. Naveen naveen kamna hai bhogon bhogon ki. Bas isi ko nahi chhod pa. Main bahut besmajh hoon. Main bahut samajhdar hoon. Main balvan hoon. Main nirbhal hoon.

main buddhiman hoon. Aise ye maya bhav prakt karti rahti hai. Bhagwan kahte hain maya ka sabse bada bandhan kya hua? Chaitanya ki taraf dhyan na jakar ke jad ki taraf dhyan kar lena. Maya ka bandhan ka swaroop kya hai? Chaitanya jo apna swaroop hai ya param chaitanya swaroop jo bhagwan hai unki taraf na dhyan jakar jad jagat ki taraf dhyan nirantar rakhna yah maya ka karya hai. Jad sharir ko main man lena aur apne swaroop ko bhul jana yahi maya ka karya hai. Aur jab swaroop ko bhul gaye to stri purush ismen tadatma ho gaye.

ab iske anusaar bhog shuru hue, sangrah shuru hue, asakti, mamta, parivaar yah sab prapanch bhagwan kah rahe hain mame prapaddyate maya menta tarte jo keval meri sharan ho jaata hai wahi is maya se tar pata hai. Yah jagat guru bhagwan mayapati bhagwan swayam kah rahe hain is maya ko wahi tar pate hain par kar pate hain jo keval meri sharan ho gaye hain. Unki keval meri sharanagati hai. Puri drishti bhagwan par hai. Gunon ki taraf nahi hai. Jagat ki taraf nahi hai. Jad ki taraf nahi hai. Keval bhagwan ki sharan kahte hain ki sharan hona sun lena bahut saral hai.

lekin yah bahut unche darje ki baat hai. Kathin hai. Sharan hona kathin hai. Ismen jo ahankaar hai, apnapan hai, yah sharanagat nahi hone deta. Apnapan, ahankaar, algav, astitva alag rakhna. Aur yahi bhagwan ki sharanagati mein badhak aur bhagwan ko yahi accha nahi lagta. Bhagwan ki ham mahima kahte hain, sunte hain, sochte hain par ham bhagwan ke ho nahi pate. Kyon? Kyonki hamara ahankaar nahi bhagwan ki sharan mein hone deta. Hamara algavpan, apnapan, apni mange, apni kamnayen, apna sukh, apna aram yah bhagwan ki sharan nahi hone deta.

jahan koi hamari stuti kare to priyata aur ninda kare to dukh, anukul baat ban gayi to aandit, pratikul ban gayi to shokit. Yah sharanagat ke lakshan nahi hai. Yah sharanagat ki baat nahi hai. Sharanagat hone ke liye teen baten avashyak hai. Agyaa palan, sanket ke anusaar chalna, ruchi mein ruchi mila dena. Teen baten chahiye. Sharanagati ke liye agyaa palan. Sanket ke anusaar chalna aur ruchi mein ruchi mila dena. Pahla hai agyaa palan sankoch labh drishti kartavya in sab mein nahi hamara kartavya hai agyaa palan karna hamen labh milega agyaa palan karne se ya sankoch ho agyaa palan karne mein hamen yah nahi dekhna ki agyaa kya kar rahe hain isse hamara labh hoga ki nahi yah dharmamay hai ki nahi ya kartavya hai ki nahi kuch nahi aap jo bole vachnam karat aap jo bolenge wahi main karunga ab yah badi baat sabse badi baat hai samarpan sharanagat bhagwan kah rahe mamev ye prapadte maya menta tarte koi prashn hi nahi rah jaata bahut anand ka marg hai agyaa palan mein teen baten hain.

sankoch nahi, labh drishti nahi ki labh hai ki hani hai aur kartavya drishti nahi. Bhai ham hamare guru hain. Ab agyaa palan agyaa ki to hamara kartavya karna. Nahi yah bhi buddhi nahi. Utsah sampann hokar jo agyaa kari wahi hamne kar diya. Yah hai samarpan. Isiliye jo nij parikar kaha jaata hai wah ek alag ho jaata hai. Bole hamara parikar hai aur bole yah nij parikar hai. Nij parikar mein kya tum hamare thappad maro? Wo bina vichar ke jad dega. Kyon mara? Aapne kaha marna chahiye tumko? Galti padi. Phir maro phir mar dega.

wah hai jaise jai vijay bhagwan ke nij parsad bhagwan ko lalkaar karke yuddh mein ranbhumi mein bhagwan ke upar prhar kar rahe hain. Sarvagya ek bar jo bhagwat tatv ka gyata bhagwan ko prapt ho gaya uski buddhi kabhi maya dhak sakti hai kya lekin leela ke liye adesh kiya tum shatru paksh mein ho to hirnakashyap Hiranaksh Ravan Kumbhkaran Shishupal dantwak wahi jai vijay bhagwan ko lalkaar karke pachhadne ki koshish kar rahe ye nij parikar hai nij parikar mein ye nahi ki ye kya prashn nahi aapka jawab chalo chalo aisa karo yar wo shubh hai ki ashubh hai hani hai ki labh hai kartavya hai ki akartavya hai is par koi drishti nahi keval agyaa palan sharanagati ke liye jise bhagwan kah rahe keval meri jo sharan mein aa gaya wo maya se tar gaya ismen itna sweekar karna hoga pehle agyaa agyaa mein teen baten sankoch nahi labh drishti nahi aur kartavya drishti bhi nahi ki mera kartavya nahi agyaa hai.

agyaa agyaa ka matlab jaise hamara hath wo kuch soch raha hai kya? Hath kuch soch raha hai kya? To aap hamare hath ho. Sochne ki jagah tumhen nahi hai. Jo agyaa hui bas wahi ham karne lage. Dusra baat sankoch palan karne mein ek majburi hoti hai tab tak sharanagati nahi mani jati. Jab tak labh drishti hoti hai tab tak sharanagati nahi mani jati. Jab tak kartavya drishti hoti hai tab tak sharanagati nahi mani jati. Jab ham agyaa palan mein purn ho jaate hain sankoch, labh aur kartavya tino ka tyag karke tab aata hai sanket ke anusaar chalna.

sanket ishara unka sakhiyon ko agyaa bahut kam hoti hai. Unke hriday hriday mein mile hue hain. Age jo ruchi ruchi hai wo sthiti rahti hai. Sharanagati ki sarwopar sthiti man man ki ruchi jani neh vidhi anusare man man mein mil gaya. Ruchi ruchi mein mil gayi. Ab jo Priya pritam ki ruchi wahi sahachari ki ruchi to sanket ke anusaar chalne lagta hai sadhak jab agyaa ka palan karta hai to usmen yogyta aa jati hai sanket samjhne ki aur ishara samjh ke hi karya kar deta hai phir ismen isht ki ruchi prakt hoti hai. Jo isht ki ruchi wahi uske dwara hogi.

sab kuch isht ki ruchi ke anurup hone lagta hai. Iske phal swaroop bhagwat bhav ko prapt ho jaata hai. Agyaa sanket ke anusaar chalna ruchi mein ruchi mila dene se parinaam kya mila? Bole bhagwat bhav ko prapt ho jaata hai. Kyonki bhagwan ki sharan mein hua na to bhagwan ka swabhav prabhav sadgun sab uske andar ane lage. Usko apne isht ke man ki swatah baat pata chal jati hai. Jaise nabhaji maharaj apne guru ke sharanagat hain. Bilkul purn sharanagat hai. To guru ki ruchi Siyaram ji ki seva mein to unki ruchi ko dekh rahe hain.

ruchi mein ruchi mil gaya. Man mein man mil gaya. Wo dekh pa rahe hain apne guru ki sthiti ko. Prayah shastron mein paya gaya ki guru shishya ki sthiti ko dekhta hai. Lekin shishya guru ki sthiti ko yah hai sharanagati ka swaroop. Apne guru ko sparsh karte hi pata chal jaega is samay Gurudev mere kis bhav dasha mein hai. Yadi aap kisi ka sparsh nahi karte apne guru ke anannya hai aur agyaa sanket ruchi tino mein hai. Paas ho chuke hain to aapko sparsh karte hi pata chal jaega ki Gurudev bhagwan is samay kis leela mein dube hue hain.

is samay kya sthiti sparsh karte hi amir khusro ji ko aisa tha. Apne guru ka sparsh karte hi pata chal jaata tha ki hamare Gurudev kis sthiti mein hai. Kyonki purn samarpan tan man dhan sab kuch Gurudev ko samarpan pehle jeevan ko anukul banana parta hai. Phir wo bhagwat swaroop ho jaata hai. Uske baad uska man bhagwan ka man uski ruchi bhagwan ki ruchi yah sab aaj hi sambhav ho jae aisa nahi hai ki aaj hi ham purn sharanagat ho jae ho sakte hain agar bahut badi chah prakt ho jae bhagwat prapti ki to ek hi upay hai maya se tarne ka mame prapaddyate to ahankaar ekdam chhod ke sharanagat ho jae agyaa agyaa sanket aur ruchi agyaa ke anusaar sanket ke anusaar chalna aur ruchi mein ruchi mila ke chalna par yadi aapki teevr akanksha hai to asamabhav bhi sambhav ho jaega matlab bahut jaldi ho jaega nahi to janm ke janm bhi lag sakte hain.

sharanagati purn sadhan bhi hai aur purn sadhya bhi hai. Ise adarsh rakhkar ke ek kadam to tum badao. Ek kadam tum badhaoge to ek kadam prabhu badha le. Prabhu ka kadam kitna bada ek kadam badhaya to brahmlok pahunch gaya. Matlab bahut jaldi bhagwat milan ho jaega. Ham ek kadam badhaye sharanagati ki taraf ki agyaa par chalenge, sanket ke anusaar chalenge, ruchi ke anusaar chalenge. Hamari koi bhi buddhi ismen nahi lagegi. Jaisi agyaa vaisa ham chalenge. Jab tak asli mein chah nahi prakt hoti tab tak nakli hi sahi. Dhire-dhire shuru to karo agyaa palan karna.

dhire-dhire is marg mein jo nakli chalta hai wah asli ho jaata hai. Jhutha khele sacha ho. Tum tayyar ho bahana mat banana. Ki hamse to ho nahi pata. Tum tayyar ho. Kam se kam itni chah rakh lo ki ab chahe marne ki agyaa ho to ham usko bhi nahi talenge. Mar jae. Agyaa kari shri ruplal goswami ji ne kaha pad sunao. To Vrindavan das chacha ji ka khagh ye sab padhe nahi the. To unka kaha jai jai ham to padhe nahi hai. To bole mar jao jake. Bole kahan? Bole Yamuna ji mein bole jo agyaa uthe aur yamuna ji ki kagar se chhalang laga di ab guru agyaa pe chhalang lagane wala amar hota hai marta thodi hai to yamuna ji ne apne mahal mein le gayi Priya pritam ka usht pavaya aur yamuna ras rani hai kaha jao aaj se vani tumhare hriday mein sphurrit hogi aa gaye aur itne pad gaye hain lakho ki sankhya mein pad gaye jo aise pad gaye jinka arth samjhna bade-bade phd walon ke liye bhi mushkil hai.

kartum akartum anytha kartum sarv samarth Gurudev bhagwan ki agyaa agyaa par pita ne agyaa kari nachketa ko jao Yampuri ko chale jao mar jao Yampuri chale gaye brahm vedta hokar laute brahm bodh sampann hokar nachiketa laute Yamraj ji ne purn unko brahm ka gyan brahm vidya ka gyan diya jahan agyaa palan hai wahan amritwa hai aur jahan manmani hai wahi mrityu hai. Jab aap agyaa palan karenge to gupt rahasya aapke samne apna prakashit kar denge. Aisa gupt rahasya prakashit karenge jis rahasya mein aap doob jaoge.

kauthal hoga aapko ascharya hoga. Aisa bhi hota hai. Main aise ek bhakt ko janta hoon ki jinhone sharanagati sweekar ki to unko gupt rahasya sab malum ho gaye. Bhai ji maharaj kah rahe hain main janta hoon aise sharanagat sharanagati mein itni samarth hai ki gupt rahasya prakashit kar den. Ham to keval itna kahenge ki adhik se adhik pehle sharir ko agyaa mein rakho. Bahut gandi vastu sharir hai. Agar yah agyaa mein rah gaye to param pavitra ho jaegi. Phir man ko agyaa mein rakho. Phir swayam ko man alag hai aur ham swayam alag.

swayam ko adhin kar diya. Hazaron hazaron kupra pravritti nasht ho jaegi. Keval sharanagati se tark karne ki zaroorat nahi hai. Rasaswadan karne ki zaroorat hai. To bhagwan kahte hain mamev ye prapaddyate maya menta tarte bhagwan ki sharan kaise hua jae? Teen baten bataai. Agyaa, sanket, ruchi. Ab agyaa aur sanket aur ruchi mein chalne ki yogyta kaise ave? To bole do baten hain. Pahla nirantar bhagwan ki smriti mein dubna. Leela gayan karke, mantr jap karke jaise bane bhagwan se jude rahna. Aur dusra pehle se bhi uttam naam jap jibhya ke dwara bhagwan ke naam ka jap ye bahut shreshth saral sidha upay hai sharanagati ka bhagwan ka smaran leela smaran rup smaran bhagwan ke wo thoda age chalkar hai naam jap pehle se bhi uttam hai sidha hai saral hai sarvshresht sadhan hai jibhya se har samay kabhi hriday se naam jap hota hai aap logon ko aisa mehsus hota hai.

bar-bar naam uchal raha hai hriday mein. Yahan ka karyakram band ho gaya. Yahan se shuru ho gaya. Yahi chal raha hai. Yahi likh raha hai. Bas use padh rahe hain. Yahan nahi. Yahan ka system band ho gaya. Hriday se. Dekhna kabhi dekhna shant ekdam koi cheshta nahi kar rahe ab andar mantr chal raha hai ki nahi yah tab chalega jab jibhya se chalana shuru karoge pehle jibhyase ko andar andar rasaswadan lete raho ab iski badi sukshm uttam uttam avasthaye hain. Ek hai dekho hamari adhi jibh puri hil rahi hai mantr mein aise chal rahi ab ek hai jibh ko talu mein chipka diya ab ham swas ko dhakke se swas jaise gungunaya nahi jaata awaz bahar nahi nikal rahi chalna man jibh nahi hilegi phir iske baad yah bhi band gale se halka sa ishare phir yahan se hriday se chal jab hriday se chalta hai to romach hota hai.

ashwadhara bahne lagti hai. Ek vikalta hoti hai. Hriday se kabhi ek minute chalega to dekh lena. Jis din hriday mein ankit hokar chalega romach chune laga. Rone ka man hoga. Chilla chilla kar roye. Aisa man hoga. Itna anand ki rone ka man hoga. Ismen kisi prakaar ki koi apattijnak baat nahi hai. Keval jeev se abhyaas dal lena hai. Prabhu ka jo bhi naam Gurudev ne diya hai agar guru na banaya ho to jo ruche jeev se nirantar ratan karo. Jeev ke dwara bhagwan ke naam ki avritti nirantar hoti rahe. Usse kya hoga ki jitne purv ke paap hain, mal hai, durvasan hain, wo sab nasht ho jaenge.

khuli baat samjh lo. Bhagwat marg mein age tabhi badhoge jab pehle tumhare paap nasht ho. Tumhari durvasan nasht ho. Ye kaise nasht hongi? Jeev ke dwara zabardasti naam jap karo. Yah badi avashyak baat hai jeevan mein utarne ki aur karne ki aur karane ki. Swayam naam jap karo aur dusron ko bhi prerit karo. Pahla smaran, dusra naam jap. Ab avashyak baat yah hai ki donon karte hue kripa ka dridh bharosa rakhna. Smaran bhagwan ka ho raha hai. Naam jap ho raha hai aur prabhu ke kripa bal par prabhu ki prapti mein asandigdha vishwas koi mujhe sanshay nahi is janm mein mujhe priyaju milenge.

pakka vishwas kar lo. Isse priyaju milenge. Smaran naam jap aur prabhu ke kripa ke bal se mujhe nischit prabhu ki prapti is janm mein hogi. Yah to pakka man lo. Man liya hai na mana ho to abhi man lo is janm mein apne sadhan bal se nahi apne sadgun se nahi apni tapasya se nahi prabhu ke kripa bal se nischit mujhe prabhu ki prapti hogi man lo bhagwan ki prapti isi jeevan mein ho jaegi kripa bal par avashya avashya avashya ho jaegi man lo mahapurush jan kah rahe hain bhagwat kripa bal se mujhe bhagwat prapti ho jaegi.

ye tisri baat hai. Pahli do baten samjho. Smaran aur nirantar naam jap aur bhagwat kripa bal se bhagwan ki prapti nischit. Bhagwat prapti mein bada bal hai. Bada anand hai. Badi samarth hai. Tabhi dekho kisi ke cancer, kisi ke kida pare, kisi ke bade-bade muskurate hue par kar gaye. Kyonki bhagwat sambandh hai, bhagwat chintan hai, bhari se bhari kasht. Ab kal kya nikal ave? Kya pata chale? Yah shareeram vyadhi mandiram sharir rog ka ghar hai. Kal kaun si paristhiti aa jae? Tayyar raho. Bhogne ke liye tayyar raho.

yadi apne mein asmarthta, apni ayogyata aur apna anadhikarpan yah baat baith jae. Main ayogya hoon, asmarth hoon, anadhikari hoon. Par bhagwan ki kripa se mujhe bhagwan ki prapti ho jaegi. Nischit ho jaegi. Are ye sab hamari baten hain. Apne logon ki baten hain. Ayogya hai, asmarth hain, anadhikari hain. To kah rahe hain ki tum nischay karo ki bhagwan ke kripa bal se isi janm mein bhagwat prapti ho jaegi. Bhagwan ka kripa bal aparmit hai. Asim hai. Itna prabhavshali hai ki aashray lene matra se sare dosh sare vighna sari archane apne aap uske kripa prabhav se tal jati hai.

mat sarv durgani mat prasada trati bhagwan ki ghoshna hai ki mere kripa prasad se mere anugrah se tum maya ke sare ke sare vighnon ko par karke hamare paas pahunch jaoge mat prasad trati apne aap ko chhod do kripa par kripa ke bhrose chhod do aaj se hamare jeevan ki dor bhagwan ke hath mein ab jaise chalave bhagwan kabhi kisi ko asat marg mein nahi chalate dhyan rakhna bhagwan satit anand ghan hai man asat marg mein chalata hai bhagwan nahi aur bhagwan ko chhod do man ko pakar lo to kabhi sataarg mein nahi chal sakte aur bhagwan ko pakar lo aur man ko chhod do chhod diya ab tere dekho bhagwan ke sahare wo kabhi hamen asat marg mein nahi le ja payega.

dridh vishwas rakho. Bas tum keval ek kam karo bhagwan ki kripa par apne aap ko nyochhavar kar do. Bhagwan kah rahe hain meri kripa par nyochhavar ka lakshan kya hai? Mat chitta sarv durgan mat prasada trati mere mein chitt lagao. Bar-bar naam jap karo bar-bar bhagwat smaran karo. Yah hoga aapka samarpan age ka mat prasadat sarv durganti meri kripa se tum samasth durgunom se par ho jaoge. Sabse bada anubhav hamara yah hai ki jisne kripa ka bharosa kiya wo nischit par ho gaya. Yar bharosa karne mein kya jaata hai?

bharosa mein bahut bal hai. Lekin bhagwan ka bharosa hona bahut kathin hai. Yah ham aapko pakki baat kah rahe hain. Ganga kinare bhramn kar rahe the. Bhagwan ka bharosa tha. Purn aisa lagta tha. Ek din ganv hi nahi mile. Dasiyon kilometer chale ganv hi nahi mile. Andhera ho gaya sardi ka samay. Ab yah laga ki ganga ke kinare ya to koi mandir ya kuch aisa milna chahiye jisse hawa se bache nahi din bhar hawa aur ratri mein phir bhishan sardi mein hawa kaise sah payenge aur andhera ho gaya ab ek bhay savar ho gaya matlab kahan jaen kidhar jaen kaise jaen to dur ek prakash dikhayee diya tim tim tim tim yar bharosa ho gaya koi hai wahan wahan wahan koi hai kyonki prakash hai.

bahut bura laga hamen ki yar hamare bhagwan hamare paas hai. Unka itna bharosa nahi hua jitna ham jante nahi wo vyakti hai ki kya hai lekin torcha ya lalten jaisi jalti nazar ai to hamen bharosa ho gaya ki koi hai aur hriday shital ho gaya. Bahut dhikkara ki bhagwan par bharosa. Yah baat samjho. Bhagwan par bharosa. Yah bahut kathin baat hai. Kahne ko to baat jaban se apne log bhagwan ka bharosa jaise Prahlad ji ko kahan hai tera hari bandh diya khmbe mein abhi tak sab marne ka prayas karte rahe nahi mar paye aaj dekhta hoon main marunga aur tera hari tujhe kaise bach kahan hai tera hari kaha aap mein is talwar mein is khambe mein khambe mein hai tera hari haan ghusa bandh ke khmbe par prhar karne ko hua bhagwan ka wah vikral rup jo kahin vedon mein nahi varnan hai.

vedon mein varnan nahi hai. Kabhi kisi bhakti ki bhavna mein nahi aaya hoga. Ek alaukik divya rup bhagwan ka narsingh avatar bhagwan ka ho gaya. Khambha faad karke sacchidanand prabhu prakt ho gaye aur use utha ke mar dala. Dridh vishwas Prahlad ji ka koi kan aisa nahi jahan mere bhagwan na ho. Abhi zyada varsho ki baat nahi. Radha Baba kala saanp nikla gita vatika mein. Baba ne kaha ki dekho hamen aapse koi dar nahi. Yah sab log bhayabhit ho rahe hain aur yah bhay ke karan aapko mar dalenege. Isliye ham rasta banate hain.

aap aa jao. Aise ek lakdi aur saanp ke nazdik se aise kobra saanp jaise Baba lakdi khinchte ja rahe the waise hi ja rahe the. Kyon? Baba saanp nahi dekh rahe. Bhagwan dekh rahe hain. Aao Baba ko koi bhay nahi. Koi Baba ke upar unhone bhay wala karya nahi kiya. Aise lakdi se rasta khinchte gaye aise chhod aae. Ek kutastha naam ke mahatma the. Himalay ki taraf bhramn kar sinh dahad karke dauda to aise chhadi khadi karke aise dadi mein se aur muskurate hue bole dekho yadi sharir ka praarabdh hai tumhara ahar to zyada gurrane ki zaroorat nahi kha lo aur agar praarabdh nahi hai to jao ham tumse darne wale nahi.

chala atma swaroop bhagwan ko jo sarvatra dekhta hai jaise Ratanavati ji dasi ne kaha maharani sinh to unka sinh nahi narsingh aur thal lekar ke jangli sinh ke tilak lagaya aarti ki puja ki gay ki tarah khada raha ye dridh bhav aur wahi bhi chhalang markar jo balakni mein sab raj sainik the mar giraya sabko bhav dridh bhav hamara dridh vishwas mat chitta hone par hoga. Bhagwan mein sadaivit ko lagao. Bhagwat naam smaran, bhagwat leela gayan, bhagwat leela shravan bhagwan ki kripa ka bharosa sabse bada sadhan hai. Yah sadhan hai.

isse badhkar koi shakti nahi. Isse badhkar koi dusra upay nahi. Vastut vishwasneey baat hai. Hai tulsi pratit ek prabhu murt kripa mai hai. Kripamay murti aapki kripa se hamara is janm mein beda par ho jaega. Aapki kripa se mere mein asmarthta aur anadhikari pan yah bana rahna chahiye. Ayogyata yah andar bani rahni chahiye ki nahi hogi. Par bhagwan ki kripa se mujhe nischit bhagwat prapti hogi. Tulsidas ji kahte hain mere man mein bas ek yahi vishwas hai aur apne mujhe vishwas par vishwas hai. Apne is vishwas par vishwas hai.

mujhe sadhan par nahi. Mujhe indriyon ke vijay par nahi. Yah sab prabhu ke vimurkh hain. Inka ham kya bharosa rakhen? Mo man kabahu tum na lago ja chhal chhar swabhav nirantar rahat vishay anurag halat yah hai ki moh man kab tumhen nahi la aap mein aise nahi laga jaise chhal chhan karke kapt tyag karke nirantar sahaj mein vishyon mein lagta hai aisa aap mein nahi laga jab man nahi laga indriyan nahi lagi to bhagwat prapti ho jaegi bole haan bhagwat kripa kripa se ho jaegi kyonki hai tulsi pratit ek prabhu murat kripa mai hai.

yah mera anannya vishwas hai. Yah mere ekant bhajan ka vishwas hai. Ab aap samjh lo mahapurushon ki baten. Yah meri ek nishtha ka vishwas hai. Prabhu kripamay hai. Kripa se hi prabhu bane hain. Ab hamara jo kuch banega wah kripa se hi banega. Wah karva lenge jaisa unko karvana hai. Main kaisa bhi hoon apne prabhu ka hoon. Ab unki jaisi kripa hogi jo jo kuch unko karna hoga wo kar denge. Mujhe ab koi parvah nahi. Main keval prabhu ka hoon. Koi badha, koi vighna, koi bhatkav ab hamare jeevan ko prabhu se alag nahi kar sakta.

ye dekho mahapurushon ki nishtha hoti hai. Ab koi badha, koi vighna, koi bhatkav mujhe prabhu se alag nahi kar sakta. Sari adachnen ek saath aa jae to bhi mujhe prabhu se alag nahi kar sakta. Koi main prabhu ka prabhu mere. Bhagwan ki kripa shakti se bhakt ke hriday mein baat aa jati hai. Bhagwan ki kripa bal isi jeevan mein isi janm mein wo unchai pahuncha degi jo kisi sadhan se nahi hoti. Main yah baat pehle bhi kah chuka hoon ki pratyek prani bhagwan mein hi vas kar raha hai. Bhagwan hi jeev rup se baithe hue hain.

bhagwan hi hai. Yah samjh lo. Ye nischay kar lo. Apne man mein apne vihaar mein sab mein bhagwan ko dekhne ki cheshta karo. Bhagwan hi bane baithe hain. Is jeevan mein baat utar lo. Main phir dohrata hoon kyonki bahut kimti chij hai. Tumhara putr samne aae to turant bhavna karo ismen bhagwan hai. Patni samne aae bhagwan hai. Naukar samne aae bhagwan hai. Koi bhi samne ave pehle bhagwat bhav karo. Aur man se pranam karo aur phir vihaar karo. Phir dekho tumhara vihaar paramarth ho jaega. Aapka swang waise hi chalna chahiye jaise jagat mein bhagwan swang kar rahe hain.

ye jagat ka rup dharan kiye bhagwan swang kar rahe hain. To jiske saath jaisa vihaar ho vaisa swang karo par sab mein bhagwat bhav karo. Yatha pravatt bhut naam ye sarwadam tat sukarna tamabh siddhi vati manwa jitna bhi sansaar hai ye jagat prapanch hai yah charachar jagat hai. Ye sab ka sab mere se prakt hua. Main hi bana hoon. Main hi bhara para hoon. Main hi hoon. Vasna vasudevas vasitam bhatra sarv nivas Vasudev namostute bhagwan sab samay sab jagah sabke rup mein hai aisa anubhav char baten bhagwan ka smaran bhagwan ka naam jap bhagwan ki kripa se hamen is janm mein nischit bhagwat prapti ho jaegi aur jo bhi jad chaitanya samne ave jisse bhi vihaar ho wo sab bhagwan ka swaroop hai.

yah baat man le aur jo karm kar rahe ho bhagwan ki puja hai. Swakarmana tamabhya siddhim vati manwa nischit siddhi ko prapt ho jaega. Sab mein bhagwan ko dekhkar aur apna jo swakarma hai jaise ham thakur seva kar rahe hain rasoi bana rahe hain Soni laga rahe hain aise hi tum vyapar kar rahe ho nokri kar rahe ho kisani kar rahe ho bhagwan kah rahe swakarmana jo tumhen seva mili jo tumhara karm hai tamabhyach uske dwara meri aradhna karo siddhim viti manwa us manushya ko nischit siddhi prapt ho jaegi apne apne apne karm ko bhagwan ki puja samjhkar karo aur bhagwan ko samarpit kar do.

yah char baten bahut jor ke hain. Nirantar bhagwan ka smaran, jeev ke dwara bhagwan ka nirantar naam jap, bhagwan ke kripa bal se isi janm mein bhagwat prapti aur sab jagah bhagwan ko dekhkar vihaar karna. Yah jeevan mein agar utar jae to aap bahut jaldi siddh ho jaenge. Yah char baten vihaar mein kahin gadbadi rahegi nahi. Kabhi gadbadi nahi hogi. Kyonki bhagwan dekhkar to ham vihaar kar rahe hain to gadbadi kaise hogi? Is kasauti par kaso. Tum sadhak ho to ye char baten tumhare jeevan mein hai ki nahi? Phir sun lo bhagwan ka smaran nirantar bhagwan ka naam jap bhagwan ke kripa bal se isi janm mein bhagwat prapti aur bhagwan ko dekhkar vihaar karna patni putr parivaar aadi mein ya jo bhi jad chaitanya samne ave jo jo ham baten kah rahe hain yadi unko sweekar kar loge aap to phir aur kuch janne ki zaroorat nahi banegi.

sab kuch apne aap aapke hriday mein aa jaega. Pakar lo. Bas ye char baten bahut jor ki pure shastron ke sar baten hain. Kabhi bhagwan se aap alag nahi rah sakte. Agar bhagwan ko dekhkar vihaar karoge to bhagwan kahte yomam pashyati sarvatra sarvam cha pasti tasyah na pranasyami sach mein na prannasati wo mujhse ojhal nahi ho sakta. Aur main usse ojhal nahi ho sakta jo sarvatra mujhe dekhkar ke vihaar karta hai. Itna sundar baat bata di ki ab isse badhkar aur koi baat hai nahi. Har samay bhagwan ka smaran, nirantar naam jap ka abhyaas aur bhagwan ke kripa bal se isi janm mein bhagwat prapti aur sab kuch bhagwan hi hai.

yah dekhkar ke hamen vihaar karna shesh charcha age. Shri Radha vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi