Vrindavan ka vas aise dega labh / shri chaitanya mahaprabhu ka jeevan charit - bhag - 9 // 22/03/2025
pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital maya param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri shyama Shyam ji samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi taru lata shri yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein kotish pranam kotish naman namaskaar manushya jeevan ki sarthakta hai ki hamari antim shwas bhagwan ke chintan mein chhute.
ant mati soti yadi hamne jeevan mein bhajan ka abhyaas nahi kiya to antim samay ham bhajan nahi kar payenge. Jo pehle se abhyaas karte hain unka chintan bhagwan swayam ban jaate hain. Jaise antim samay mein murcha avastha hoti hai. Bahut dukh ka samay hota hai. Us samay hamari indriyan man buddhi bhagwan ke chintan karne ki yogyta kho deti hai. To jeevan bhar bhagwan ka aashray liya. Jeevan bhar bhagwan ka bhajan kiya to antim samay mein bhagwan ki kripa bhagwan ka smaran ban jati hai aur uske hriday se je bhi bhagwan ka smaran karte hue pran chhuta wo bhagwan ko prapt ho jaata hai.
yah sansaar bada dukhmay hai. Yahan sukh ki lalsa se bhatkte bhatkte anant janm vyatit ho gaye. Aaj tak sukh nahi mila. Ab man lo jitni svase bachi hain Radha Radha Radha ratte hue prabhu ke aashray mein jeevan vyatit kar do to bhagwan bade kshamasheel hain. Bade karuna samudra hain. Wo hamare apardhon ko kshma kar denge aur hamara jeevan dhanya ho jaega. Jaise bhagwan ne maya ki rachna ki. Aise hi maya se mukt hone ki rachna ki. Maya ka itna bada prabhav hai ki wah sukshm hai. Wah hriday mein apna prabhav dalti hain.
parivaar ka moh, sharir ki chinta, nana prakaar ke bhogon ka akarshan ye hriday se hota hai. Aur mukt karne ke liye bhagwan ne apni puriya apne dham ki rachna kar di. Yadi aap nirantar bhajan nahi kar sakte, aap vishyon ka tyag nahi kar sakte, aap yog ko dharan nahi kar sakte, to aap dham mein akar pado. Vrindavan dham ka vas sweekar kar lo. Dham apni kripa se aapko param pad ki prapti kara dega. Jaise kashi mein koi marta hai to use bhagwan shankar tarak mantr dekar udhar kar dete hain. Aise Vrindavan mein jab koi marta hai to shri ji ki sakhiya vrinda sakhi yahan ki adhishthat devi hain.
wo uske kan mein Radha naam sunakar param pad pradan kara deti hai. Isliye chahe jaise ho hamen chahiye ki ab hamara yah janm vyarth na jane pave. Yadi ham dham vasi nahi ban pa rahe hain to ham dham ka bharosa karke Radha Radha naam rakhte hue jahan bhi rahe bhagwan ke hokar rahe paap karm na karen kisi ko dukh na den chhal kapt se dur rahe nirmal man jan so mohi pava mohi kapt chhal chhidr na bhawa bhagwan kah rahe mujhe kapt chhal jo dusron ke dves bhav dosh dekh yah sab accha nahi lagta to khub naam jap karo bhagwat ashrit raho aur kahin dham ka vas mil gaya hai to niyam le lo ki pran jab tak nahi nikal jaenge tab tak ham kathor vrat lete hain ki dham ko nahi chhodenge bas isi janm mein tumhen bhagwat prapti ho jaegi andar se maya prabhav dalti hai parivaar ka moh satata hai bhale wo gali dete ho bhale wo aapko marte pigte ho lekin aapka man unhee ke prati akarshit hoga.
yah maya hai. Koi buddhiman purush apne antim avastha ka vichar karke apne parivaar ke moh ka tyag karke sab mamta bator ke bhagwan ke charnon mein samarpit kar deta hai to mukt ho jaata hai. Bas yahi kathinata hai. Janani Janak band sut dhara tan dhan dham suhad parivara sabki mamta tag batori mam pad manah bandh bar dori yah sabse kathin kam hai sabse pyar sneh mamta samet kar ekmatra bhagwan ke charnon mein laga de har samay naam jap kare bhagwan ke ashrit para hai mukt ho gaya pakka vishwas karo jiski jibhya mein naam chal raha hai wo nischit bhagwan bhagwan ko prapt hota hai.
ab shripad Vrindavan dham ki rahni Vrindavan dham mein rahne walon ki nishtha ka varnan karte hain. Kimno bhupai kimnu devad bhava swapnashwarit kinch mukt shunyamb vaishnav vam Shrimadd vrinda kan ka bhaja jab ham Vrindavan vas kar rahe hain to hamen dhani purushan ki chatukarita se kya matlab matlab hai chahe wah raja ho chahe zamindar ho chahe jitna dhani ho jab ham Vrindavan bihari ji ki sharan mein ho gaye to dhaniyon ke piche dolne ka dhaniyon ke age hath phailana dhaniyon ki chatukarita karna yah theek nahi hai shripad Prabodhanand ji maharaj kah rahe hain bharosa bhagwan ka rakhen manushya ka nahi sab bikhari hai data to ek bhagwan hai sab pareshaan hai pareshani mukt mukt karane wale to ekmatra bhagwan hai.
isliye jab aapne bhagwan ke dham ka bharosa kar liya to chinta mat karo. Sab kamnayen purn ho jaengi. Bhagwan ka dham kalptar hai. Dhamwasi ki har kamna ko purn karne mein samarth hai dham. Isliye dhamwasi ko chahiye kisi dhani purushan ki chatukarita na karen. Unke piche piche na dole. Unke age hath na phailave. Are kitna jeevan hai. Apni sharanagati par kalank karen. Aise anant bramhandon ke Swami bhagwan ko chhodkar sansaar ke bogi purushan ke samne babuji kah ke hath phailave to mar jana accha hai. Mangbo bhlo na bap so jo prabhu rakhe tek.
agar bhagwan ka bharosa hai to kisi se mangne ki zaroorat nahi. An mange age avego jo pal lage pal ko. Jaise palken swayam girti hain. Aise tumhare age dhan swayam aayega. Yadi tum bhagwan ke bhrose mein ho aur sansarik bhrose mein ho to bhatakna padega. Isliye kah rahe hain ki no bhupai mujhe in bade-bade dhani purushan ki chatukarita ki zaroorat nahi. Hamne Vrindavan dham ka bharosa kar liya. Bahut apman sahna parta hai. Jab dhan ki lalsa se kisi dhani purushan ki chatukarita karen. Hriday mein shul ki tarah chuhne wali cheshta samne se hoti hai.
isliye ekmatra bhagwan ka bharosa rakhen. Devad bhi na mujhe in devtaon se bhi koi tatparya nahi. Kyonki devta bhi ek dukan ki tarah hai. Hamare punyeon ka phal de sakte hain. Iske age nahi devta de sakte. Udaar to bhagwan hai. Jo chahe wah kar sakte hain. Devta nahi kar sakte ki jo chahe wah kar de. Devta to niyam mein bandhe hue hain. Jaise rajkiy karmchari utna hi kar sakta hai jo uske kanun aur vidhan ke anusaar hai. Devta moksh nahi de sakte. Devta prem nahi de sakte. Devta hamare karm bandhan nasht nahi kar sakte.
devta hamare sanchit karm bhasm nahi kar sakte. Devta hamen kshma nahi kar sakte. Yah sab ekmatra shri bhagwan karte hain. Isliye kahte hain mujhe devtaon se kya prayojan? Aur jo mukt ho gaye hain ab unse kya prayojan? Kyonki wo to mukt ho gaye hain. Wo to brahm swaroop hai. Unse kisi se matlab nahi. Unki drishti mein dvait nahi. Aur jo baikuntha abhilashi hain unse bhi mujhe kya matlab? Mujhe matlab unse hai jo Vrindavan vasi hain. Jo Priya pritam ke prem ke pipasu hain. Jo har samay Radha Radha ratte hain.
mujhe aise premi bhakton ka sang chahiye. Sam sarwesh prayase datri kant prem patr patri anandatma shesh satri shri vrindavyasta dhatri Vrindavan mein aise rahe jaise maa ki god mein raha jaata hai. Param pavan dham hai. Yahan ham malmutr ka tyag karte hain. Yahan ham thukte hain, nahate hain. Aur Priya pritam ka nij mahal hai. To jaise ham maa ki god mein soch kar dete hain koi aparadh nahi. Maa ki god mein laghu shanka kar dete hain. Koi aparadh nahi. Aise ham vrinda bhi maa ki god mein rah rahe hain.
aur andha ban ke rahe. Yahan andha kisi ke dosh darshan na karen. Kisi ki ninda na karen. Kisi ke aacharan na dekhe ki are yah to Vrindavan vas karte hue aisa karta hai. Yadi aap kisi ke dosh dekhenge to wah dosh aap mein aa jaenge aur ninda karne ka aapko paap lagega. Isliye kah rahe hain anandatma shesh sani dhatri shri vrindavasta mein andhas dhatri dhatri mane maa andhas mane andha main andha putr hoon kuch nahi dekhta kisi ki baat nahi dekhta bas apni baat dekhta hoon mere mein kya kamia hai yah dur karna hai dusre mein kya kami hai bhagwan jane bhagwan usko jaise chala rahe hain wo chal raha hai hamen kisi ki ninda karne ka adhikar nahi hai.
agar ham ninda karte hain to par ninda ke kiye te aavat nahi kachu hath. Murkh parvat paap ko le chal apne saath. Jo dusre ki ninda karte hain wo dusron ke paap ki gathri apne sir par bandhkar narak ki yatra karte hain. Isliye Vrindavan rahna hai to andha ban ke rahna hai. Aankh hote hue bhi hamen sab mein bhagwat bhavna karni. Kisi ke dosh darshan nahi karne. Aur jab ham is tarah Vrindavan vas karte hain to Vrindavan wah sukh pradan karta hai jo kisi sadhna se nahi milta. Kya Priya pritam shyama Shyam ke charnon ki priti Vrindavan apni taraf se pradan karta hai.
aur Vrindavan prabhav sun apno hi gun det. Jaise balak malin ko maa tu god bhar let. Jaise malin balak ko maa god mein utha leti uski malinta nahi dekhti. Aise Vrindavan vasi ko Vrindavan utha leta hai aur Priya pritam ke charnarvind mein pahuncha deta hai. Isliye kah rahe hain nikhil jeevan ko anand pradan karne ke liye dwaar khula hua hai. Shri dham Vrindavan bas Vrindavan ki rahni aa jae. Chup raho shant raho. Kisi ki ninda mat karo. Jo mil jae khao piyo aur raat din Radha Radha Krishna Krishna japo. Jeevan pura ka pura mangalmay ho jaega.
agar akhri ban gayi to pure jeevan ki ban gayi. Pure jeevan paap hua Ajamil se vaishya gaman karta raha. Hinsak jeev ki hinsa karne wala nana prakaar ke paap rupi mal se bhara hua. Par antim samay nikal gaya. Bete ke bahane narayan bhagwan ki prapti ho gayi. Antim ban gaya to pura jeevan ban gaya. Isliye sabko chahiye apni antim sudhar le. Chalte hain param pavan charit shri Krishna chaitanya mahaprabhu ka. Mahaprabhu chaitanya dev ka byah shri Vishnu Priya ji se ho gaya hai. Byah hote hi mahaprabhu ki dasha badal gayi.
mahaprabhu unmad avastha ko kabhi ekant mein baithe hue kuch bol rahe hain. Kisi ki samjh mein nahi aa raha hai. Kabhi hunkar markar prithvi par laut jaate hain. Kabhi kai kai ghante bhav dasha mein baithe hain. Aisi dasha chaitanya mahaprabhu ki rahne lagi. Bade-bade vaidya bulaye gaye. Vaidyon ke bas ki baat nahi ki is bhav dasha ko jaan sake. To koi kahta dimaag mein garmi chadh gayi hai. Koi kahta bhut pret ka avesh hai. Koi kahta bhagwat avesh hai. Par koi nirnay nahi kar paya. Mahaprabhu swatah hi svasth ho gaye. Mahaprabhu ne ichchha jatai ki ab ham tirth yatra karna chahte hain.
jab ham tirth yatra karte hain to hamara hriday pavitra hone lagta hai. Pavitra hriday hi bhagwan ka bhajan karta hai. Pavitra jab andar pravesh karegi to aapke andar khud dosho ke tyag ki baat aa jaegi. Ek bhagat ji roz paper padhte hain aur jab Vrindavan aae khud unhone kah diya ki mujhe ab paper nahi padhna. Jeevan bhar ho gaya niyam purvak padhte hue bole ab mujhe nahi padhna. Jab Vrindavan aaya hoon to mujhe bhagwan ka bhajan karna hai. Bhagwan ki baten padh kya hua? Itni badi asakti paper ki hoti hai ki log subah se intazar karte hain jaise bhagwan ke darshan ka intazar.
aise wo intazar karte paper aaya bas pura us sansaar mein kya ho raha hai? Moti heding mein to ek bar pura par jae aur wo pura jeevan padhte rahe. Chhoti-chhoti baton ko apne log dekhte hain. Dham ka prabhav kyon? Unhone kaha nahi. Ye sab kya hai? Yah bhagwan ki kripa hai. Yah bhagwan ki kripa se jab ham dham mein aae to dham pavitra itni pradan karta hai ki dhire-dhire sare dosh, durgun, mamta ye sab nasht hoti chali jati hai aur jeev anant janmon se bichhda hua bhagwan ko prapt kar leta hai. Ashwin, shukla, dashmi ka divas hai.
aaj hi ke din bhagwan shri Ramchandra ji ne lanka par vijay prapt karne ke liye chadhai ki thi. Gharghar anand manaya ja raha hai. Aaj ke hi din varsha kal ki parismapti samjhi jati hai. Vyapari aaj ke hi din vanijya ke nimit videshon ki yatra karte hain. Raja gan aaj ke hi din dusre deshon ko digvijay karne ke nimit apnipani senaon ko sajakar rajya sima se bahar hote hain. Char mahine ek hi sthan par rahne wale parivrajak sanyasi jan aaj ke hi din phir se bhramn karna arambh kar dete hain.
tirth yatra karne wale bhi aaj ke hi din yatra ke liye prasthan karte hain. Ab ki navadweep mein bahut se yatra gaya dham ki karne ja rahe the. To Gaurang mahaprabhu ke mausa pandit Chandrashekar bhi gaya dham ko jana chahte the. Unhone apni ichchha nimai ko jatai. Sunte hi nimai badi prasannata prakt ki aur sachchi mata ki agyaa lekar chaitanya mahaprabhu bhi apne snehi chhatron ke saath gaya ji ki yatra ka nischay kiya. Sab saman jutakar anya logon ko saath lekar ye gaya dham ke liye chal pare.
is prakaar apne sabhi saathiyon ke saath anand manate aur prem mein shri Krishna kirtan karte hue mandar namak sthan par pahunche. In sthan mein pahunchkar inhe bade jor se bukhar aa gaya. Inke sathi inki aisi dasha dekhkar bahut adhik chintit hue. Bhanti bhanti ke upchar karne lage. Kintu inhe kisi prakaar bhi labh nahi hua. Ant mein inhone apni aushadhi apne aap hi bataai. Inhone kaha meri vyadhi in prakritik aushadhiyon se nahi jaegi. Yah rog to asadhya hai. Ekmatra iski aushadhi hai bhagwan ki kripa.
bhagwan ki prasannata se hi yah rog jaega. Yadi bhajan karne wale vaishnnon ki puja ki jae to bhagwan ki kripa prapt ho jati hai. Jo brahm rishi jan hai jo vaishnav jan hai yadi inki charan seva ho to bhagwan prasann ho jaate bhagwan prasann ho jae to sab rog dosh mit jaate hain. Bhagwan ne swayam kaha hai ki agni aur brahmin ye mere do mukh hai. Naham tatha agni yajman veer vitane ach to ghatap lut Madan dat bhang mukhen agni mein khub ahuti dene se main utna prasann nahi hota jitna badhiya khir aur ghee tapatpata hua halwa brahm rishi aur vaishnav jan ko pavaya jae to main jitna prasann hota hoon utna agni mein ahuti dene se nahi prasann hota to chaitanya mahaprabhu ne kaha ki agar yahan ke vaishnav aur brahmano ki puja ki jae unki charan raj hamare sharir par lagai jae to hamara rog dur ho jae.
mahapurush wahi aacharan karate hain jinse jagat ka mangal hota hai. Ek vidyarthi ne prashn kiya guru ji jo brahmin nahi hai keval brahm bandhu hai arthat keval brahmin kul mein janma hai aur brahmano ke aacharan nahi karta. Sandhya Gayatri shastr kyonki mariyada ke anusaar brahmanatwa nahi dharan karta. To kya unka bhi itna hi aadar hai jitna aap kahte hain ki vaishnav aur brahmano ke charan raj mil jae to hamara sharir nirog ho jae. Ham to samjhte hain jo brahmin kul mein janme hain aur brahmano ka aacharan nahi karte to kath ke hathi hai.
unmein brahmanatwa hi nahi hai. Jaise kath ke hathi se hathi pane ka koi kam nahi chalne ka. Usi prakaar jo dharm karmaheen brahmin hai wo naam matra ka brahmin hai. Aadar ka patr nahi ho sakta. Thodi der chaitanya mahaprabhu chup rahe aur kaha ek prakaar se tumhara kathan theek hai. Jo apne dharm karm se rahit hai. Wah to doodh na dene wali vadhya gau ke saman hai. Usse sansarik swarth koi sad nahi sakta. Phir bhi jo kam ham bhav se karte hain usmen labh milta hai. Jaise wo karm dharm nahi janta lekin ham bhav se puj rahe hain ki ye brahmin hai ye vaishnav hai to hamko hamare pujan ka labh milega kyonki hamne us par bhav kiya wo dharm karm hin hai to wah bhogega hamne bhav kiya to hamara mangal ho jaega jo shraddha ke saath shastron ki agyaa ke anusaar apne ko hi sudharne ka sada praytn karte hain unko chahiye ki aisi baten na karen dusre dusre mein dosh darshan na karen.
sansaar mein koi aisa nahi jismen gun dosh na ho. Jad chetan gun dosh mein vishv ki kartar sant hans gun gahe pe parihri vikar sab gun dosh mein sansaar hai. Kya karen? Jaise doodh aur pani mila ke rakh de to hans doodh pi lega. Pani chhod dega. Aise hi jo sant swabhav ke log hain, wah dusron ke gun grahan karte hain. Dosh darshan nahi. Isliye apni buddhi ko sankuchit bankar jaise ham gay doodh de ya na de. Ham uski seva karte hain. Gau mata mankar. Aise hi brahmin apne karm se bhrasht hai. Wah jane. Ham use brahmin mankar sammaan karte hain.
ham use vaishnav mankar sammaan karte hain. Wah jo karega wah khud bhogega. Ham jo bhav kar rahe hain usmen hamara mangal ho jaega. Sarvshresht bhav apne ko sudharna hai. Samne wale ke gun dosh dekhne nahi hai. Uttam baten hain. Sun tat maya krit gun dosh anek gun ya ubhay na dekhi dekhi swivek kisi ke gun dosh na dekhe. Sab mein bhagwan ko dekh ke upasna kare to mangal ho jae. Dekho bhagwan ne swayam brahmano ka kitna aadar kiya. Bhrigu ji maharaj bhagwan ki chati mein jakar lat mara brahm rishi hain.
to bhagwan gussa nahi hue. Bhragu ji ke charan pakar liye aur dabane lage. Ko bole ativ komlau tat charno te mahamune he mahammuni aapke charan to bahut komal hai hamari chati to bahut kathor kahin aapke charnon mein chot to nahi lag gayi to vichar karo bhagwan wahan saap bhi de sakte the ki hamne tumhara kya bigada akar chati mein lat mar diya lekin nahi wo brahm rishi hain agar unhone chati mein lat mara to bhagwan ne har avatar tak mein wo charan chinh dharan kiya bhrigu charan chinh ham bhagwan ke ansh hai to hamko yahi chahiye agar hamare saath koi bura kare to ham uske saath bhala karen bura na karen karat je anhan nindak ti anugrah kiyo yah bahut unche sadhak ke bhav hain jo sansari man pratishtha tatha dhan vishay bhogon ki ichchha ko sarvatha tyag kar ekmatra bhagwan ki kripa ko hi apne jeevan ka charm lakshya samjhkar sabhi karyo ko karte hain.
wahi yah dharan kar sakte hain. Anytha nahi. Jo purush Vasudev buddhi rakhkar samne se vaishnav ya brahmin gali de raha hai. Ham usmen bhagwan ki buddhi karen. Apne mukh se ham usko kathor vachan na bole. Wah hamko kathor vachan bol raha hai. Yadi aisa vihaar kiya to bhagwan ko aap prasann kar lenge. Aur agar ulta vihaar kiya to phir bhagwan ko prasann karna hai to vaishnav jan ke samne jhuk ke raho. Wo gali de to sun lo tumhare paap nasht ho jaenge. Tumhara mangal ho jaega. Aisa chaitanya mahaprabhu kah rahe hain.
aisa shastron mein bhi likha hai. To inki agyaa pakar do teen vidyarthi gaye aur shuddh vaishnav janon aur brahmin janon ki charan raj laye. Charamodak laye. Inhone charamodak piya aur charan raj lagai. So hi bukhar khatm. Charamodak pite hi achhche ho gaye. Sabhi vidhyarthyo aur sab logon se kaha dekha brahmano ke charan raj aur charanamrit mein kitna prabhav hai ki hamara itna pida dene wala jwar bukhar ek bar charanamrit pine se chala gaya aur jo bhagwan ka ya bhakton ka roz charanamrit pite hain bade bhagyashali hai akaal mrityu harnam sarv vyyadh vinashnam shri Krishna padodkam peeva punarjanma nate jo bhagwan ka charan charanamrit ya bhakt ka charanamrit pite hain.
unki kabhi akaal mrityu nahi ho sakti aur bade se bada rog sharir par hone par bhi pida nahi de sakta aur ant mein bhagwan ki prapti hogi. Yah charanamrit pine ka mahatva hai. Vrindavan mein bihari ji Radha vallabh ji thakur virajman inka charanamrit milta hai. Kisi patr mein charanamrit le ave do bund roz pan karen. Akaal mrityu harnam sarwyad vinashnam shri Krishna padomitwa punjanma vidyate uska punarjanma nahi hoga jo roz charanamrit pita hai ab apne saathiyon ke saath chaitanya mahaprabhu age badhne lage pun Puna tirth ye gaya dham mein hai.
wahan pahunchkar sab logon ne punpun naam ki nadi mein snaan kiya aur sabhi ne apne apne pitro ka shraddha aad karya karaya. Iske anantar sabhi shri gaya dham mein pahunch gaye. Brahmakund mein snaan kiya. Dev pitra shraddha aad karke chaitanya mahaprabhu apne saathiyon ke sahit chakraveda ke bhitar Vishnu pad padmon ke darshanon ke nimit gaye. Brahmano ne pad padmon par mala pushp chadne ko kaha. Yah apne vidhyarthyo ke dwara gandh, pushp, dhoop, deep, mala aadi sabhi pujan ki bahut si samgri saath levate gaye the.
gaya dham ke tirth panda joron se pad padmon ka prabhav varnan kar rahe the. Ve uchh swar se kah rahe the. Inhi pad padmon ke dhavan se jagat pavni muni man harni Bhagwati bhagirathi ganga utpann hui hai. Inheen charnon ka lakshmi ji badi hi shraddha ke saath nirantar sevan karti rahti hai. Inhi charnon ka dhyan yogi jan apne hriday kal mein kamal mein nirantar karte rahte hain. Inheen charnon ko prabhu ne gayasur ke mastak par rakhkar use sadgati pradan ki thi. Asankhya logon ki bhid hazaron aadmi pad padmon ke darshan kar rahe the aur bichbich mein jai ho jai ho ke Gosh ho rahe the.
panda log unse bhet chadne ka agarh kar rahe the. Bar-bar pad padmon ka punya mahatum sunaya ja raha tha. Pad padmon ka mahatum sunte hi chaitanya mahaprabhu atma vismrit ho gaye. Unhen sharir ka hosh nahi raha. Mahaprabhu ke bhavavesh aa gaya. Sharir tharthar kanpne laga. Arun oshtha komal pallav ki bhanti hilne lage. Ankhon se ashwadhara bahne lagi. Unke chehre se bhari tej prakashit ho raha tha. Ve ektak bhagwan Vishnu ke charan kamal ki or nihar rahe the. Aur wahan kaun hai? Kya kar raha hai? Yah sab kuch nahi.
bhul gaye. Kisne sparsh kiya? Kaun pakde hue in sab baton ka pata nahi. Ve sangya shunya se hokar kamp rahe hain. Unka sharir unke vash mein nahi. Ve murchhit hokar girne wale hi the ki isi beech mein ek sabha ko cheerte hue tejasvi sanyasi aae aur unko pakar liya. Girne se bacha liya. Phir unke saathiyon ne sambhala. Bhid se hatakr bahar le gaye. Bahar pahunchkar kuch kuch hosh aaya. Ve nidra se uthe hue manushya ki bhaant charon or aankh utha uthakar dekhne lage. Sahsa unki drishti ek tejasvi sanyasi par padi jo girte hue se pehle unhone sambhala tha.
unhen dekhkar chaunk uthe. Unke anand ka vara par nahi raha. Inhone daudkar ke sanyasi ji ke charan kamal pakar liye. Apni ankhon se astr vimochan karte hue sanyasi ne inhe uthakar gale se laga liya. Inke sparsh matra se sanyasi mahashay behosh ho gaye. Donon hi sharir sudhi se pare mahapurush donon ko hi sharir ka hosh nahi. Donon hi prem mein vibhor hokar ashra vimochan kar rahe the. Yatri in donon ke aise alaukik prem ko dekhkar anand sagar mein gote khane lage. Bahut se log ekatrit ho gaye.
charon or se logon ki bhid lag gayi. Kuch kal mein sanyasi ji ko kuch kuch chetna hui. Unhone bade hi prem se inka hath pakar kar ek or bithaya aur atyant prem purn vani se kahne lage nimai pandit aaj mera bhagyoday hua jo sahsa tumhara darshan ho gaya. Navdip mein hi mera hriday tumhari or swabhavic hi khacha sa jaata jaata tha. Mujhse log kahte hain nimai pandit kore pothi ke hi pandit hain. Bade chanchal hain. Devta tatha vaishnnon ki khilliyan udate hain. Aap unhen apna shri Krishna leelamrit sunakar kya labh uthavenge?
koi koi to yahan tak kahta aji ye pure nastik hai. Vaishnnon ko chhedne mein inhe maja aata hai. Main un sabki baten sunta aur chup ho jaata. Mera antahkaran in baton ko kabhi sweekar hi nahi karta tha. Ye ishwar Puri ji maharaj main bar-bar yahi sochta tha nimai pandit jaise saras saral sahriday aur bhavuk purush bhaktiheen kabhi nahi ho sakte. Inke mukh ka tej hi inki bhavi shakti ka prichay de raha hai. Aaj aapke bhav darshan ke rup ko dekhkar anand ki sima nahi rahi. Main kritkrit ho gaya. Bhagwat darshan se jo anand milta hai usi anand ka main anubhav kar raha hoon.
main apne anand ko prakt karne mein asmarth hoon. Itna kahte kahte sanyasi mahashay ka gala bhar aaya. Age ve kuch aur bhi kahna chahte the kintu kah nahi sake. Unke netron mein se ashtradhara bhi purwavat bah rahi thi. Sanyasi maharaj ki baten sunte sunte inhe kuch chetna ho gayi thi. Isliye rudhey hue kanth se kuch aspashta swar mein inhone kaha prabhu aaj main kritarth hua. Meri gaya yatra safal hui. Meri asankhyo peedhiyon ka udhar ho gaya. Jo yahan ane par aapke darshan ka saubhagya prapt hua.
tirth mein shradh karne par to pitro ki mukti hoti hai. Jinke nimit shradh tarpsn aadi karm kiye jaate hain. Kintu aap jaise param bhagwat sant ke darshan se karodon peedhiyon ka swatah udhar ho jaata hai. Aa aap jaise sant bhagwat vaishnav ke darshan se karodon peedhiyon ka udhar swatah ho jaata hai. Sab logon ko aapke darshan durlabh hai. Jinka bhagyoday hota hai unhin ko aapke darshan hote hain. Yah kahte kahte inhone phir se sanyasi mahashay ke charan pakar liye. Sanyasi ji ne hat purvak apne charan chhudae aur inhe prem vakyo se ashwasan diya.
samjh gaye honge ki sanyasi mahashay kaun hai. Yah ve hi bhakti bij ke ankurit karne wale Shri man madhwendra Puri ji ke sarv pradhan priy shishya shri ishwar Puri ji hain. Jinhe antim samay mein Gurudev apna sampurn tej pradan karke is sansaar se tirohit ho gaye the. Navdip ke pratham milan mein hi yah nimai pandit ke alaukik tej aur advitiy rup lawanya par mugdh hokar inhe ektak dekhte ke dekhte rah gaye the. Inhe is prakaar bhaleebhanti dekhte rahne ka suvsar prapt ho sakga. Isliye nimai pandit ne hanskar kaha aaj hamare ghar hi bhiksha kijeyega aur din bhar dekhte rahiyega.
unki prarthna par yah sanyasi ji unke ghar bhiksha karne gaye the aur kuch kal tak apne swas sampadit granth shri Krishna leelamrit ko bhi unhen sunate rahe. Tabhi se puri mahashay ke hriday patal par inki premay manohar murti khinch gayi thi. Aaj sahsa bhet ho jane par donon hi anand mein doob gaye aur anand ke udyog mein uparyukta baten hui. Puri mahashay ki agyaa lekar nimai pandit apne sthan ke liye vida hue. Jahan ruke hue the wahan pahunchkar inhone saathiyon ko sang lekar gaya ke sabhi mukhyya tirthon ke darshan kiye aur wahan jakar yathavidhi shastriya riti ke anusaar shradh aur pinddan aadi karke pitr karm kiye.
ant mein Bhagwati phalgu nadi mein jakar inhone pitro ke liye baluka ke pind diye. Phalgu ka pravah gupt hai. Uska jal niche hi niche bahta hai. Upar se balu dhaki rahti hai. Balu ko hatakr jal nikala jaata hai aur yatri usse snaan sandhya aad krit karte hain. Pret gaya, Ram gaya, yudhishthir gaya, bhim gaya, shiv gaya aadi 16on gaya mein nimai pandit ne apne saathiyon ke saath jakar pitro ke pind aur shradh aadi karm kiye. Sab sthano mein darshan tatha shradh karke ye apne thaharne ke sthan par laut aae.
sansaar mein unhee manushyon ka jeevan dharan karna sarthak kaha jaata hai jinke hriday patal par har samay Murli manohar Mukund ki manjul murti nritya karti rahti ho. Jinke kan bhagwan ke manohar Murli ka bhagwan ki leela katha ko shravan karte rahte ho. Unke kan dhanya hai. Jinke netr bhagwan ka darshan sant darshan karte hain unke netr dhanya hai. Jo man bhagwan ke bhayari charnarvind ka nirantar madhurati madhur makrand pan karta rahta wo man dhanya hai. Aur jo tan bhagwan ki seva mein bhagwan ke dham mein bhagwan ke liye hai wo tan dhanya hai.
sampurn sansaar ko apni padar se wo pavan bana deta hai jo har samay bhagwan ka bhajan karta rahta hai. Jo har samay bhagwan ka naam jap karta hai uski vani mein samarth hoti hai. Jo bol de to jeevan ka kalyan ho jae. Wo dekh le to jeevan ka kalyan ho jae. Satar satar sa lukan tarti wo swayam tar jaata hai. Swayam tar jaata hai. Loko ko tar deta hai. Nimai pandit ki hriday kandra mein se jo trailokya pavan prem se srot umadne wala tha jiska sutra pat chirkal se ho raha tha advaitacharya aadi bhaktagan jiski lalsa lagae varsho se pratiksha kar rahe the us srot ka prithvi par parispat hone ka suhavna samay sanikat aa pahuncha jagat vikhyat gaya dham ko hi uske prakt karne ka akhand yash prapt ho saka yahi yahi pavan prithvi iska karan ban saki aha vasundhra purnavteen sachmuch wo vasundhra badi bhagni hai jiske sansarg mein kisi mahapurush ki lok vikhyat ghatna ke saath ho sake wahi sansaar mein pavan tirth ke naam se vikhyat ho jaata hai.
nimai pandit apne nivas sthan par anya saathiyon ke saath bhojan bana rahe the. Daal saag bankar tayyar ho chuka tha. Chulhe mein thodi agni nikaalkar daal ko uske upar rakh diya. Saag dusri or chauke mein rakha. Chulhe par bhat ban raha tha. Nimai use bar-bar dekhte chaval tayyar to ho chuke the kintu unme thoda sa jal aur shesh tha. Use jalane ke liye us bhat ko shushk banane ke liye chaitanya mahaprabhu use dhak diye. Thodi der baad ve katori ko bhat par se utar hi rahe the ki itne mein unhen dur se ishwar Puri ji mahashay apni or ate dikhayee diye.
katori ko jev ki te prithvi par patak kar ye unke charan vandna karne ke liye daude. Ishwar Puri ne prem purvak inka aalingan kiya. Hanste hue bole apne sthan se kisi shubh muhurt mein chala jo theek tayyari ke samay bhojan ki tayyari ke samay aa pahuncha. Namrata ke saath chaitanya mahaprabhu ne uttar diya jis samay bhagyoday hota hai aur punya karmon ka sanskar jagrit hota hai. Us samay aap jaise santo ka darshan hota hai. Aap jaise santan ke darshan karne ka saubhagya hota hai. Prabhu bhojan bilkul tayyar hai.
hath pair dhoie aur bhiksha karne ki kripa kijiye. Hanste hue puri maa se bole khub kahi apne liye banae hue ann ko hamen hi khila doge to tum kya khaoge? Namrata ke saath nichi nigah karke inhone uttar diya ann to aapka hi hai. Main to keval banane wala pachak matra hoon. Agyaa hogi to aur bana dunga. Ishwar Puri ne dekha hai bhiksha bina karae manenge nahi isliye bole accha phir se banane ki avshyakta nahi jo bana hai usi mein aadha aadha bant kar kha lenge kyon manjur hai na kintu ham thahre sanyasi aur aap thahre grahasti hamari bhiksha hogi aur tumhara bhojan hoga is prakaar kaise kam chalega tum thodi der ke liye bhiksha kar lo sanyasi ban jao kuch hanste hue nimai pandit ne kaha thodi der ke liye kyon samay aayega to pure jeevan ke liye sanyasi baenge par abhi aap jaisi agyaa kar rahe hain vaisa hi karenge pehle hath pair dhoe phir puri ji ke pair dhoe aur unhen ek sundar asan par bithaya ishwar Puri mahashay baithkar bhojan karne lage jab chaitanya mahaprabhu jaise parosne wale ho tab bhala phir kiski tripti ho sakti hai?
dhire-dhire inhone agarh kar kar ke sabhi saman puri mahashay ko paros diya aur ve bhi prem ke vashbhut hokar ke sab pa gaye. Agni to jal hi rahi thi. Kshanmar mein hi dusri bar bhi bhojan tayyar ho gaya. Mano annapurna ne swayam bhojan tayyar kar diya ho. Bhojan tayyar hone par inhone bhi bhojan kiya aur phir paraspat baten hone lagi. Hath jode hue chaitanya mahaprabhu ne kaha bhagwan ab to hamen bahut din is baav vritti ke jeevan ko bitate hue ho gaye. Ab hamen apne charnon ki sharan pradan kijiye. Kripa karke thodi bahut shri Krishna bhakti hamen bhi dijiye.
inki baat ka uttar dete hue ishwar Puri mahashay ne kaha sahi batave aap to swayam hi shri Krishna swaroop hain. Aapko bhala bhakti kaun pradan kar sakta hai? Aap swayam hi sampurn sansaar ko prem pradan kar sakte hain. Dinata ke saath inhone kaha prabhu aisi baten bankar meri vanchna na kijiye. Meri prarthna sweekar kijiye aur mujhe shri Krishna mantr pradan kar dijiye. Ishwar Puri ne saralta ke saath kaha aap shri Krishna mantr pradan karne ko hi kahte hain. Ham aapke kahne par apne pran pradan kar sakte hain.
kintu ham mein itni yogyta ho tab to ham to swayam adham hai. Prem ka rahasya ham swayam nahi jante. Phir aap jaise kuleen aur vidvan brahmin ko ham mantr pradan kaise kar sakenge? Badi saralta ke saath ankhon mein aansu bhar ke chaitanya mahaprabhu ne uttar diya prabhu aap sarv samarthyavan hain. Aap swayam ishwar hain. Aapka shri vigrah hi prem ki sajeev murti hai. Aap chahe to sansaar bhar ko prem piyush mein plavit kar sakte hain. Kuch vivashta dikhate hue ishwar Puri ne kaha sansaar ko prem piyush ke punya payodhi mein dubane ke liye to ekmatra aap mein hi samarth mujhe dikhayee de rahi hai.
kintu aap apne guru pad ke gurutar gaurav ka saubhagya mujhe pradan karna chahte hain to phir main vivash hoon. Aapki agyaa ko taal hi kaun sakta hai. Jaisi aapki agyaa hogi usi prakaar main karne ke liye tayyar hoon. Itna kahkar puri mahashay mantr diksha dene ke liye tayyar ho gaye. Usi samay patra dekhkar ke diksha ki shubh tithi nischit ki gayi. Niyat tithi aa gayi. Chaitanya mahaprabhu naveen ullas aur anand ke saath mantr diksha lene ke liye tayyar ho gaye. Inke sabhi saathiyon ne us din deeksha utsav ke uplaksha mein khub taiyariyan ki thi.
niyat samay par ishwar pur mahashay aa gaye. Unki pad dhali inhone mastak par chadhai aur swasta vachan hua. Bhagwan ke madhur manjul namon ka sankirtana karne ke anantar puri mahashay inke kan mein mantr ka updesh ishwar Puri ji ne chaitanya mahaprabhu ko diya. Mantr shravan karte hi chaitanya mahaprabhu hunkar mari. Aur murchhit hokar gir pare. Sharir ka hosh hi nahi. Saathiyon ne bhanti bhanti ke upchar karke phir inhe savdhaan kiya. Bahut der ke anantar inhe kuch hosh hua. Tab to inki vichitra dasha ho gayi. Ye khub jor jor se rote haan Krishna haan gopi jan vallabh.
kabhi hansne lagte kabhi phir chillate. Haan Krishna haan mere Swami aisa kahkar joron se rudan karte hain. Kabhi yah kahte hue ki main to shri Krishna ke paas braj mein jaaunga aur bhagne lagte. Inke sathi inhe pakar pakar kar late. Kintu ye paaglon ki bhanti unse apne sharir ko chhuda chhudakar braj ki taraf Vrindavan ki taraf bhagte. Phir jor-jor se prap karne lagte. Jab saathiyon ne pakar liya. Rote-rote kahte pyare he Krishna mujhe chhodkar tum kahan chale gaye? He mere Krishna mujhe apne saath le chalo. Itna kahkar phir joron se rone lagte.
kabhi rote-rote apne vidhyarthyo tatha saathiyon se kahte bhaiya tum sab log apne apne ghar jao. Ab ham laut kar ghar nahi jaenge. Ham to Vrindavan jakar shri Krishna ke paas rahenge. Hamari mata ko hamara hath jodkar pranam kahna aur kah dena tera nimai pagal ho gaya hai. Inke sabhi sathi inki aisi alaukik dasha dekhkar chakit ho gaye. Bhanti bhanti se prabodh karne lage samjhaya kintu ye kisi ki mante hi nahi the. Is prakaar rudan tatha pralap mein ratri vyatit ho gayi. Sabhi sathi tatha shishya gan sukh ki nind mein so gaye.
kintu chaitanya mahaprabhu ko nind kahan sukhi sansaar sukh rupi moh nisha mein sahan kar sakta hai. Sansaar jo ekdam murkh pravriti mein fansa hai wah to chain se hai. Thoda bhi gyan hoga to is asat sansaar mein rati nahi ho sakti. Sukhiya sab sansaar hai. Khave aur soe dukhiya das Kabira jage aur rove jo premi jan hai wo ratri mein unko chain kahan hai kyon tang pasar ke sove wo to ha Krishna ha Radha puri raat bhajan karte hue vyatit hota hai sukhiya sab sansaar hai khave aur soe dukhiya das Kabira jage aur roye apne prabhu ko ekant mein premi jan pukar pukar kar samay vyatit karte hain jinke hriday mein virah ki vedna ki teevr jwala uth rahi hai.
unke nainon mein nind kahan? Sabke so jane par ye jaldi se uth khade hue aur ratri mein hi rudan karte hue braj ki or daudne lage. Inke pran shri Krishna se milne ke liye chhatapta rahe the. Inhone sathi tatha shisyo ki kuch bhi parvah na ki. Ghor andhkar mein akele hi bhagne lage. Thodi dur hi chale honge ki inko ek vani sunai di antarwani mano bhagwan ne kaha tumhara braj jane ka bhi samay nahi hai. Abhi tum kuch kal dhairya dharan karo. Abhi apne satsang se navweep ke bhakton ko aandit karke prem dan karo.
yogya samay ane par tum braj mein jana. Akashvani ka adesh pakar turant laut pare. Apne sthan par aa gaye aur asan par par gaye. Prem mein pagal hue un mat wale janon ki mahima ka kya varnan karen? Agar swapna mein bhi kabhi aise premi ka darshan ho jae to jeevan badal jae. Ve sansaar mein bhbhagi hain. Jinhe aise bhakton ke nirantar satsang ka saubhagya jinhe prapt ho saka hai. Bhakton ka sang bada durlabh hai. Vastvik jo bhagwan ke bhakt hain, premi jan hai aise santo ka sang bada durlabh. Sa mahatma su durlabh unke bhagya ki to bhala sarahna kar hi kaun sakta hai.
isiliye to maha bhagwat vidur ji ne bhagwat daso ke daso ka das banne mein hi apne ko krit krit mana. Sachmuch bhagwan ke bhakton ka sang bada hi madhumay anandmay rasmay hota hai. Bhagwan ke bhakton ka kshan bhar ka sang bahut unchai par chadha deta hai. Isiliye kaha gaya tat swarg apvarg sukh dhari tula kang tulan ta sakal mili jo sukh lav satsang ek kshan mein itni unchai par chadha deta hai bhakton ka sang ki aap soch nahi sakte ki mere bhagya kya the aur kya ho gaye bhakton ke sang se unke darshan matra se unke milan matra se anand umadne lagta hai chaitanya mahaprabhu ko mantr diksha dekar shri ishwar Puri ji vichran karne chale gaye.
shayad mahaprabhu se dobara nahi mile. Kyonki jagat pujya prema avatar lok shiksha ke nimit guru mankar hamen pranam karenge. Yah hamare liye asah nahi hoga. Isliye ab is sansaar mein prakt rup se hi rahna chahiye. Isliye usi samay antardhya ho gaye. Phir kahan rahe kahan kab antadhya koi pata nahi usi samay se unke guru ji ishwar Puri ji antardhan ho gaye matlab pata hi nahi chala ki ishwar Puri ji kahan gaye idhar prat kal chaitanya mahaprabhu uthe logon ne dekha unke sharir ka sara kapda asuon se bheega hua tha ve kshan bhar ke liye bhi ratri mein nahi soe raat bhar ha Krishna mere pyare o prannath mujhe chhodkar kidhar chale gaye?
isi prakaar virah yukt vakyo ke dwara rudan karte rahe. Inki aisi vichitra avastha dekhkar ab saathiyon ne gaya ji mein adhik thaharna uchit nahi samjha. Inke shishya ne badi savdhani ke saath inke sharir ko sambhate hue navdip ki or chale. Yah hosh nahi hai. Shisyo ke sahare se chal rahe hain. Sharir ka kuch bhi hosh nahi. Kabhi-kabhi hosh mein aa jaate aur phir joron se chilla uthte. Haan Krishna kidhar chale gaye? Haan prannath raksha karo. He patit pavan is papi ka bhi udhar karo. Is prakaar ye shri Krishna prem mein beshuddh hue.
saathiyon ke sahit kumar hatta naam ke gram mein aae. Ye kumar hatta jinse inhone shri Krishna mantr ki diksha li hai. Jinhone inhe pandit se prem deevana bana diya. Unhee ishwar Puri ji ke janm sthan ka naam kumar hatta namak gram hai. Prabhu ne je apne Gurudev ke ganv ko dekha to dur se us nagri ko sashtang pranam kiya. Mere Gurudev is ganv mein prakt hue hain. Dur se us nagri ko pranam kiya. Phir guru mahima ka mahatva batane ke liye gram ki dhul raj lekar ke apne sharir par mal rahe aur saathiyon se kaha ki yah wo ganv hai jismen hamare guru ji prakt hue to kabhi na kabhi to unke charan pare honge is dhul mein aur us dhali ko lekar apne mathe par apne sharir par dharan karte yah raj hamare liye atyant pavitra hai.
isse badhkar triloki mein koi bhi vastu nahi ho sakti. Jis ganv mein hamare guru ji prakt hue is ganv ka kutta bhi hamare liye vandneey hai. Chaitanya mahaprabhu ne kaha kumar hatta ka kutta bhi hamare liye vandneey hai. Jis sthan mein hamare guru ji ne janm dharan kiya. Jahan ki pavan bhumi mein unhone balwash avastha mein krida ki wo hamare liye lakho tirthon se badhkar hai. Is prakaar Gurudev ke janmabhumi mein lotpot hokar pranam karke Gurudev ka mahatva pradarshn karte hue age badhe aur thode dino mein navdip pahunch gaye.
inke gaya se laut ane ka samchar sunkar sabhi isht mitra, snehi tatha chatra inke darshanon ke liye ane lage. Koi akar inhe pranam karta, koi charan sparsh karta, koi gale lagkar milta. Ye sabka yathochit aadar karte. Kisi ko puchkarte, kisi ko ashirwad dete, kisi ke sir par hath rakh dete aur jo avastha mein bade the aur inke mananiye the unhen swayam pranam karte. Ve inhe bhanti bhanti ke ashirwad dete. Sachchi mata tatha Vishnu Priya ke anand ka to kuch thikana hi nahi tha. Ve man hi man bahut prasann ho rahi thi.
us bhari bhid mein ve donon ek aur chupchap baithi thi. Sabse mil lene par inhone prem purvak sabhi ko vida kiya aur swayam snaan aadi mein lag gaye. Inka bhav vichitra tha. Sharir ki dasha ekdam parivartit ho gayi thi. Mata ko inki aisi dasha dekhkar bada ascharya hua. Kintu ve kuch pooch na saki. Tisre pahar jab yah svasth hokar baith gaye. Tab shriman pandit Sadashiv kaviraj murari gupt aadi inke antarang snehi inke samip akar gaya yatra ka vritant poochne lage. Sabki jignyasa dekhkar inhone kahna prarambh kiya.
puri ki yatra ka kya varnan karun. Main to pagal ho gaya. Jis samay pad padmon ka mahatva mere kano mein para. Jab maine suna ki prabhu ke pad padm sabhi prakaar ke praniyon ko pavan aur premay banane wale hain. Papi se papi manushya bhi bhagwan ke charnon ka sahara pakar apaar sansaar sagar se sahaj mein hi tar jaata hai. Jin pad padmon ke dhavan se trilok pavni ganga ji prakt hui. Unhee charnon ka darshan karne se kise param shanti na mil sakegi. Itna sunte hi main behosh ho gaya. Prabhu antim shabdon ko theek theek kah bhi nahi paye the ki beech mein hi behosh hokar gir pare.
logon ko inki aisi dasha dekhkar mahan ascharya hua. Sabhi bhauchakke se ek dusre ki or dekhne lage. Teen mahine pehle unhone jis chaitanya mahaprabhu ko dekha tha. Aaj unhen is prakaar prem mein vihal dekhkar unke ascharya ka thikana nahi raha. Chaitanya mahaprabhu lambi lambi sans le rahe the. Unki ankhon mein se nirantar ashru nikal rahe the. Sharir paseene se lathpath ho raha tha. Thodi thodi der mein haan Krishna ha Krishna ha prannath o pyare o mere jeevan dhan mujhe chhodkar kahan chale gaye? Yah kahte kahte bahut joron ke saath rudan karne lage.
sabhi log shant karne ki cheshta ki kintu parinaam kuch bhi nahi hua. Inhone rundhe hue kanth se kaha bhai aaj hamara swasthya theek nahi hai. Kal ham swayam shuklambar brahmachari ke nivas sthan par akar apni yatra ka samchar sunaenge. Itna sunkar inke sabhi sathi apne apne sthano ke liye chale gaye. Ab to inke is adbhut nutan bhav ki navadweep mein sthan sthan par charcha hone lagi. Hanste hanste shriman pandit Shrivals aadi bhakton ne kaha aaj ham aap logon ko badi hi prasannata ki baat sunana chahte hain.
aap log sabhi sunkar param ascharya karenge. Gaya mein jakar nimai pandit ki to kaya palat ho gayi. Ve shri Krishna prem mein vibhal hokar kabhi rote hain, kabhi gate hain, kabhi hanste hain aur kabhi joron se nritya karne lagte hain. Unke jeevan mein mahan parivartan ho gaya hai. Aaj tak kisi ko swapna mein bhi aisi asha nahi thi ki unka jeevan is prakaar ek sathi itna palat jaega. Param prasannata prakt karte hue Shrivals pandit ne kaha sachmuch aisi baat hai. Tab to phir vaishnnon ke bhagya hi khul gaye. Vaishnnon ka ek pradhan aashray ho gaya.
nimai pandit ke vaishnav ho jane par bhakti phir se sanat ho gayi. Aap hansi to nahi kar rahe kya yatharth mein aisi hi baat hai. Jor dekar shriman pandit ne kaha main shpath purvak kahta hoon. Hansi ka kya kam? Aap swayam jakar dikhaie. Ve to balkon ki bhanti foot foot kar rudan kar rahe hain. Kal sada shiv murari aadi sabhi logon ko shuklambar brahmachari ke sthan par bulaya hai. Wahan apni yatra ka samasth vritant sunaenge. Is baat ko sunkar Shrivals aadi sabhi bhakton ko param santosh hua. Kintu Gadadhar pandit ko ab bhi kuch sandeh hi bana raha.
unhone nischay kiya ki brahmachari ji ke ghar mein chhipkar sab baten sununga. Dekhen unhen yatharth mein shri Krishna prem utpann hua hai ya nahi. Yah sochkar ve dusre din niyat samay ke purv hi shuklambar brahmachari ji ke ghar mein ja chhipe. Niyat samay par sada shiv pandit murari gupt nilambr chakravarti tatha Shri mal pandit aadi sabhi mukhya mukhya ganmanya bhadra purush chaitanya mahaprabhu ki yatra ka samchar sunne sunne shuklambar brahmachari ke sthan par ganga teera aa pahunche. Thodi der mein chaitanya mahaprabhu bhi aa gaye.
ate hi inhone wahi rag alapna shuru kar diya. Bhaiya mujhe shri Krishna se mila do. Mera pyara Krishna kahan chala gaya? Hai re mera durbhagya mera shri Krishna mujhse bichd gaya. Mujhe bilakhta hi chhod gaya. Itna kahte kahte murchhit hokar gir pare. Inki aisi dasha dekhkar bhitar ghar mein chhipe hue Gadadhar bhi prem se vibhal hokar murcha ane ke karan prithvi par gir pare aur joron se rudan karne lage. Kuch kal ke nantar prabhu ki murcha bhang hui. Ve kuch kal ke liye prakritistha hue. Kintu phir bhari vedna uthne ke karan joron se chitkar markar rudan karne lage.
inke rudan ko dekhkar wahan jitne bhi manushya baithe the sabhi foot foot kar rone lage. Sabke rudan se akash gunjne laga. Krandan ki dhvani se akash mandal bhar gaya. Bahut se darshanarthi akar khade ho gaye. Unki ankhon mein bhi aansu bahne lage. Is prakaar shuklambar ka ghar rudan ke karan kolahal purn ho gaya. Kuch kal ke nantar phir mahaprabhu susthir hue. Kuch kuch bahya gyan hone laga. Sthir hone par prabhu ne shuklambar ji se pucha brahmachari ji ghar ke bhitar kaun hai? Prem ke saath brahmachari ji ne kaha aapka Gadadhar hai.
Gadadhar itna sunte hi phir foot foot kar rone lage. Roterote kahne lage Gadadhar bhaiya tum hi dhanya ho. Manushya janm ka yatharth phal to tumne hi prapt kiya. Ham to waise hi rah gaye. Hamari to ayu waise hi barbad hui. Itna kahkar phir wahi ha Krishna ha asran sharan ha patit pavan kahan chale gaye? Phir adhir hokar logon ke pairo par apna sir rakhkar kahne lage bhaiya mujh dukhiya ke upar daya karo. Mere dukh ko dur karo. Mujhe shri Krishna se mila do. Mere prannath unhin se milne ke liye pran tadap rahe hain.
prabhu ke in dinata bhare vakyo ko sunkar sabhi ka hriday phatne laga. Sabhi premavesh mein akar rudan karne lage. Sabhi apne aap ko bhul gaye. Is prakaar rudan aur vilap karte hue sham ho gayi aur sabhi apne apne ghar laut aae. Dusre din svasth hokar mahaprabhu apne vidya guru shri gangadas pandit ke ghar gaye. Unhen pranam karke baith gaye. Gangadas ji ne inka aalingan kiya aur yatra ka sabhi vritant pucha. Ve kahne lage tumne to teen char mahine laga diye. Tumhare sabhi vidyarthi atyant dukhi the. Unhen tumhare path ke atirikt kisi pandit ka path accha nahi lagta hai.
isliye ve log tumhari bahut pratiksha kar rahe the. Accha hua. Ab tum aa gaye. Ab to padhao. Mahaprabhu ne kaha haan praytn karunga. Shri Krishna kripa karenge to sab kuch hoga. Un sab unhin ke upar nirbhar hai. Is prakaar unhen ashwasan dekar phir aap Mukund Sanjay ke chandi mandap mein jahan aapki pathshala thi wahan aae. Sanjay mahashay bade hi anand ke saath prabhu se mile. Unke putr Purushottam Sanjay ne prabhu ke pad padmon mein shraddha bhakti ke saath pranam kiya. Prabhu ne use aalingan kiya. Is prakaar donon pita putr prabhu ke darshanon se param prasann hue.
striyon ne jab prabhu ke aagman ke samchar sune to badi hi aandit hui aur paraspat bhanti bhanti ki baten kahne lagi. Koi kahti ab to nimai pandit ekdam badal gaye. Koi kahti bade bhagya se bhagwan ki bhakti prapt hoti hai. Yah saubhagya ki baat hai ki nimai jaisa vidvan bhagwan ka bhakt ban gaya. Is prakaar sabhi apni buddhi ke anurup bhanti bhanti ki baten kahne lage aur sabse miljulkar nibhai ghar laut aae. Age phir mahaprabhu ko prem unmad hota hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…