॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jo prabhu ke ho gaye, unke jeevan mein kaisa adbhut parivartan aata hai ? // 14/05/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

vrindavnshvri tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvapay param shital mashryam nirvapay param shital mashray param sacchidanand ghan anand samudra prem samudra gyan vairagya bhakti aishwarya anant shaktyon ke Swami prabhu shri Krishna chandra guru kripa karke aise amritmay vachno ka updesh kar rahe hain. Shraddha vishwas purvak yadi shravan kiya jae aur mahatva buddhi rakhkar manan kiya jae aur apne aacharan mein utara jae to isi janm mein samasth karm bandho se mukt hokar bhagwat prapti ho jae.

prabhu karuna karke kah rahe hain ki tapasweeyon se bhi shreshth aur gyanyon se bhi shreshth karmakandiyon se bhi shreshth yogi hai. Un yogiyon mein sabse shreshth yogi mere mat mein wah hai jo keval mere charnon ka aashray lekar nirantar mera bhajan karta rahta hai. Maiya shakta mana Parth yogam yanjan madashray ye bahut mahima ke shabd hai. Bhagwan ka jo samgr rup hai gyan rup tatv bodh prem rup mahadhury ras tak yah sab us bhakt ko prabhu swayam hriday mein baithkar anubhav kara dete hain jo prabhu ke ashrit ho gaya hai.

khas baat dhyan dene ki hai ki ham vartman mein sadhan bhajan kar sakte hain. Bhagwat aashray lekar ke hamara janm isiliye hua hai. Par hamare jo purv sanchit karm hai wo surakshit hai. Unko ham nasht kar sake aisi samarth nahi hai. Hamara sadhan nasht kar sake aisi samarth nahi. Jaise kal mahapurush ke vachan mein sun rahe the ki koi bhi purntya nishpap ho jae aisi kisi bhi mahatma mein samarth nahi. Purntya nishpap to bhagwan shri hari karte hain. Aham tam sarv papabhyo sarv shabd purv sanchit paap age kriyman mein jo chuk ho jae wo vartman mein jo hamse truti ho gayi ho rahi un sab ka sudhar keval prabhu ki sharanagati se hota hai.

hamari buddhi kitni hai? Brahma ne in bramhandon mein anek jeevan ki rachna ki hai. Unmein se ek chhoti si khopdi mein ek chhoti si buddhi hai. Usi buddhi ki prerna se man, chitt aur ahankaar main yah kar sakta hoon. Maine yah kiya, main yah karunga. Yah vimudhta dhote hue hamen janm ke janm vyatit ho rahe hain. Bhala us agadh gyan samudra ko ham apni seep jaisi buddhi se kaise anubhav kar sakte hain? Wo agadh gyan samudra kripa karke hamari buddhi mein akar virajman ho jaata hai. Hamari buddhi wahan tak nahi pahunch sakti.

isliye bhagwan adesh karte hain. Yah badi unki kripa hai jo aisa adesh karte hain. Wo kah yogam yajan madashray tum keval mere ashrit ho kyonki tum mere ho. Yogam yanjan kahte hain ki main shri bhagwan ka ansh hoon. Pakka ismen kisi sadhna ki zaroorat nahi hai. Hoon to hoon unka ansh hoon. Ismen kisi sadhna ki zaroorat nahi. Ab yah jo ham prabhu ke bhav se vilag hokar deh bhav sweekar kar liya. Ab galti ho gayi. Ham prabhu ke ansh hote hue bhi deh bhav ko sweekar kar liya. Main stri, main purush, main karta, main karunga, main aisa kar sakta hoon.

yah vimudhta chhaa gayi. Ahankaar vimudh atma aur param pad bhagwat sakshatkar usi ko prapt hota hai jiski ye mudhta nasht ho jae. Gachchha mudha padamyam tat avyay pad ka wah adhikari hota hai jiski mudhta nasht ho jati hai. Wah gyan prabhu dete hain. Jisse hamari mudhta nasht hoti hai. Prabhu hi hamare sanchit karmon ko bhasm karte hain. Prabhu hi hamare kraman ko nishprabhavit kar dete hain. Wah hamen agle janm mein bandh nahi sakta. Praarabdh ko bhogne ki samarth bhi bhakt ke man mein prabhu hi de dete hain.

matlab vichar karke dekha jae to sara ka sara prabhu ke charnon ke aashray se hamara kam ban jaata hai. Hamen bilkul chinta nahi karni. Bas ye ahankaar ko prabhu ke charnon mein samarpit karna hai. Yah jo dehabiman hai yahi hamari durgati ka karan hai. Pura antahkaran isi se prabhavit hai. Ahankaar se wah jaisa prerit karta hai, buddhi waise nischay karti hai. Man waise sankalp karta hai. Indriyan waise vihaar karti hai. Isi ahankaar ki jagah bhagwat swaroop acharya Gurudev shastr vani iska adhikar ho jae to pura antahkaran bhagvatik ho jae.

bhagvatik antakran nirlep hota hai. Jo hi nirlep hua te hi swaroop sthit ho gaya. Deh bhav khatm ho gaya. Deh bhav khatm hua. Ab bhagwat bhav mein jo bhav chahe sweekar kar le. Sakha bhav sakhi bhav gopi bhav kuch bhi acharya kripa se jo bhav ab wo tayyar bhumi hai wo bhav uske andar prakashit ho jaega. Jab upasak prabhu ki is baat ko sweekar karta hai ki sabse bada sadhan sabse bada yog hai. Maiya shakta man Parth yogam yajan madashray keval mere ashrit hokar keval mere mein man samarpit kar de. Isse bada koi sadhak nahi.

isse bada koi siddh nahi. Piche charcha hui thi ki hamari vritti bigad gayi, swabhav bigda hua hai. Bigde ka tatparya hota hai bhagwat vimurkh karyo ki ruchi hona. Shastr virudh aacharan mein sukh buddhi hona. Ise bigda swabhav kahte hain. Bigdi vritti hai, bigda swabhav hai. Par tumhen chinta nahi karni. Tum bhagwat ashrit ho chuke ho. Tumhen chinta nahi karni. Iska bhav samjh rahe hain. Bhav bigad gaya hai, vritti bigad gayi hai. Par kriya nahi bigdi. Kriya bigad gayi to sadhak hi nahi raha.

bhagwan yah nahi kah rahe ki tum bhrashtachar karo, manmani aacharan karo. Tum mere bhakt ho. Dhyan se samjhiye. Aapki vritti bigdi hui hai. Ek lakshya par nahi hai. Aapka bhav bigda hua hai. Aap apne Gurudev pradatt bhav mein sthit nahi hai. Aapka swabhav prakritik hai. Chalega. Chalega. Kyonki aap ashrit ho. Ek na ek din yah ahankaar choor ho jaega aur bhagwat kripa marg pusht ho jaega. Par kriya nahi kriya ke liye adesh nahi hai. Bhav bigad gaya hai. Vritti bigad gayi par wah sah raha hai. Wo kumarggami pravrittiyon ki prerna se kukarma nahi kar raha.

shastr virudh aacharan nahi kar raha. Yah baat samjhni hogi. Bhagwat ashrit ke dwara bhul na deh kumarag paun. Kam vritti aa rahi hai. Krodh bhi aa raha hai. Lobh bhi hai, vishay bhog mein sukh buddhi bhi hai. Par bhagwat ashrit hai. Bilkul nishcint ho jao. Sab sambhal lenge. Hari kriya nahi karni. Kriya kariya agar aap to phir bhagwat ashrit nahi mane jaoge. Ye baat dhyan rakhna. Vritti kharab hona alag baat hai. Kharab vritti ki prerna se kriya kar dena. Yah baat galat ho gayi. Yah sadhna ke antargat nahi hai.

purv janm ke sanskaro se hamari chittritti malin hai. Bahut se janm ho gaye. Ho sakta hai. Hamare andar pravritti vishay bhogon ki bani rahe. Koi ascharya ki baat nahi. Ho sakta hai. Ye hamara deha abhiman hamko girane ki prerna karen. Aisa bhi ho sakta hai par ham gir jae ya bhogon mein bah jae aisa nahi ho sakta usko sahta hai upasak sahit sahit baadh bhagti grih tanu guru hitgar apne man ko apne sharir ko guru agyaa mein guru agyaa ka ghar hai ye Gurudev ke bike hue ham hai ham aise aacharan kaise kar sakte hain prerna ho rahi man ki vrittiya kharab hai.

swabhav theek nahi hai. Bhajan mein ruchi nahi hai. Koi bhagwat bhav nahi hai. Phir bhi hamara kalyan ho jaega. Dhyan se sunie. Phir bhi ho jaega. Kyon? Ham bhagwat ashrit hain. Andar ki ye baat hai. Bahar kriyon mein utar gaye to phir bhagwat ashrit kaise rahe? Baat samjhni hai. Ye chhut nahi ho rahi ki aap jo chaho kar lo aur bhagwat ashrit ho. Nahi nahi aisa nahi bhul na de kumargh pau yadyapi kumarggami pravattiyan hai durvasan mam sada parikarshati wo siddh nahi ho gaya hai upasak hai usse galat prernaen hriday mein aa sakti hai lekin galat prerna ke anusaar aacharan wo nahi kar sakta kyonki upasak hai kyonki wah sadhak hai kyonki bhagwat marg ka pathik hai aisa pathik agar kahin usse koi paap ban jaata hai, asavdhani hai, chuk hai.

yah bhagwan andar ki baat jante hain. Priyalal andar ki baat jante hain. Wo hriday ki baat dekhte hain. Bahar ki baten nahi. Aapke hriday mein bhagwat prapti ki prabal lalsa hai. Aap apne ko balheen mankar prabhu ke ashrit hain. Andar se aur aapse koi chuk ho gayi. To swapa mulam bhajat priyas ty bhavas hari paresh vikarma yatam kathit dhano sarvam had aa bade amritmay vachan hai upasak ne shri bhagwan ke charnon ka sahara le liya hai. Ye andar ki baat hai. Andar ki vani ki baat nahi. Hriday se usne dekh liya. Main kisi yogya nahi.

he hari aapke charnon ka ye andar ki baat he Radha vallabh lal main nich adham aap tak nahi pahunch pata. Meri aisi vritt nahi ki main pahunch jaun na vrittiya pahuncha pata na main swayam pahunch pata nath aapne ghaseeta hai ab chhod mat dena aur ghasit lo prabhu ye maya prapanch mujhe kahin ghasit na le ekmatra prabhu ke charnon ka swapad mulam bhajat priyas taktanya bhavas khas baat samjhiye usne anya bhavon ka aashray tyag diya hai dhan bal, tap bal, gyan bal, buddhi bal, jan bal, mahatva yah sab kuch chhodkar keval bhagwat ashrit hai.

to bhagwan ka priyas, wo bhagwan ka pyara hai. Yah charnarvind hi hamen par kar sakte hain. Dusra koi bal nahi. Apaar sansaar samudra madhya yah aisa sansaar samudra hai ki hamen lagega ki ham to yahan kilole kar rahe hain. Aandit ho rahe hain. Paas mein hi aise bhayanak kam krodh aadi magarmachch ye lil jaate hain. Is sansaar samudra ki apaar thapeede trange aa rahi. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar, irshya, dves, pratishtha, man ye badi-badi trange hain. Kaun mujhe par kar sakta hai? Ho dayalu sharanam brajama.

main aisa kaun dayalu hai jiski sharan mein jaun aur mujhe bacha le sansaar samudra se. Kyonki tairne ki mere mein samarth nahi. Mere mein aisa buddhi bal nahi hai. Main kaise par jaun is sansaar samudra ke? Guru kripalu kripya vadet shri Vishveshwar padaj dirgh nauka sadguru bhagwan ne kripa karke jo updesh kiya Vishveshwar bhagwan shri hari ke charnarvind ki ashraywritti ko sweekar kar lo. Aisi sudridh nauka hai ye tumhen par kar degi supad mulam bhajtam priyas jo bhagwan ke charnon ka aashray lekar bhajan karta hai mana uski vrittiya theek nahi hai swabhav theek nahi hai bhav theek nahi hai par wo bhagwat ashrit hai.

usne niyam le liya hai hriday mein ki prabhu ke siva hamen kisi ka aashray nahi lena. Kisi vastu, vyakti, padaarth, dhan, tapasya kisi ka ekmatra mere aashray data prabhu hai. Jahan aisa bhav liya ab usse jo chuk hogi to vikarma vikarma kahte hain shastr viruddhachran. Bole yat patitam kathit dhan sarvam had sanwishta usko bhagwan patit nahi hone dete uske hriday mein baithkar ke jaise arjun ke rath mein baithkar ligam sambhal li aur ghodo ko theek marg par le gaye aise hi man rupi ligam ko bhagwan shri hari sambhal lete hain.

indriy rupi ghodo ko theek satmarg par le jaate hain. Andar se apvitra vichar hain. Pavitra cheshta hain. Ye shastr virudh baat hai. Bhakt ka hriday aisa hota hai ki jaise ush mein kitna bhi khad pani laga do usmen ankuran nahi ho sakta kisi bhi vastu ka. Chahe aap anaj boie ya kuch bhi na ghas ugegi na aise ush varshan nahi jama sant hriday ji upaj na kama ham prabhu ke das hain sinh sinhni ka bachchha bhukha mar sakta hai ghas char ke nahi jiega hari Ram vyas ji kahte aise hi bhagwan ka das har kasht sah sakta hai par vishay bhog kar nahi jivit rahega aisa nahi ki bhookh se vyakul hai to ghas cha le.

nahi aisa nahi ki use bahut vikar satate to bhogon mein utar jae. Aisa nahi wo haridas hai. Bhagwan ka nij jan hai. Usmen apaar samarth aa jaegi. Sahenshilta aa jaegi. Kyonki usne apaar samarthyshali shri hari ke charnon ka aashray liya hai. Jab upasak bhagwat aashray leta hai to uske hriday mein jalan paida hoti hai. Sabke sabke jo asat vrittiya hai usi jalan se bhasm hoti hai. Yadyapi ahankaar us jalan ko rokne ki koshish karta hai. Nahi nahi par wo bhagwat ashrit thi isliye wo jalan badhti chali jaegi aur uski asat vasna asat vrityio ko bhasm kar degi yadi bhagwat ashrit hai to chain se nahi rah sakta jab tak bhagwat prapti nahi ho jaegi tab tak wo jalan use ghere rahti hai girarath jal bit sam kahiyat bhinn na bhinn bando sitaram pad jin param priy khinn wo khinn rahta hai udas rahta kuch accha nahi lagta hai.

jitna sadhan karta hai usse asantosh rahta hai. Jise lagta hai na ki main jo sadhan kar raha hoon bahut theek hai sab chal raha hai. Ye keval tumhare ahankaar ka poshan hai. Bade-bade bhagwat sadhan karne wale mahapurush vyakul hue hain. Unke shabd nikle hain ki he vaishnav jan kripa karo. Mujhe bhagwat prem prapt ho. Mera jeevan vyarth ja raha hai aur ham kah rahe hain hamara sadhan hamen santosh pradan kar raha hai. Nahi bhakti usi ki shuddh hai jo asantosh se yukt ho chuka hai. Bhajan ki taraf se aur bhogon ki taraf se purn santosh hai.

kyonki samasth kamnayen santosh se shant hoti hai aur samasth bhagvatik vrittiya asantosh mein prakt hoti hai. Use apni sadhna mein asantusht rahta hai. Nahi nahi abhi wo bhajan kahan jo bhagwat premi mahatmaon ne kiya hai jis bhajan mein Priya pritam ke prati tadpna aa jae vyakulta aa jae ahankaar nasht hokar unki agyaa par chalna aa jae kwaham tachchha param madhma pran ho ga karma acharya Harivansh mahaprabhu kah rahe ekmatra prabhu ke charnon ka aashray aise upasak ke hriday mein ek baat rahti hai Priya pritam mere hain aur main Priya pritam kahun bas in donon bhavon mein aisa dridh sambandh rahta hai ki beech mein aur koi jagtiik sambandh pravesh hi nahi kar sakta.

mata pita bhai bandhu rishte nate rupya paisa buddhi mahatva man yash kirti sab ye sab bah jaata hai is sambandh mein main priyal ka Priyalal mere prabhu mere hain. Isliye unka har vidhan mujhe sweekar karna hai. Apni anukulta ki maang nahi karni hai. Agar anukulta ki maang hai to abhi aap prabhu ko samarpit kahan hue kyonki aap alag hai na tabhi to anukulta maang rahe hain aap mera sharir meri man buddhi ki anukulta mere man pratishtha ki anukulta to aap alag hai na abhi aapka samarpan nahi hua na baat jhuthi nikal gayi ki aap prabhu ke prabhu aapke ye aap keval vani se kah rahe hain hriday mein nahi agar hriday mein hai to prabhu ka kiya hua vidhan vidhan aapko usmen mangal bhav dikhayee dega.

jai ho aapki prabhu. Aapne jo vidhan kiya hai mere yogya hai. Anukulta ki maang aur ichchha ki purti ye donon baten khatm ho jaengi. Jis upasak ke hriday mein yah sharanagati utri ki main priyal ka priyal mere. Apni anukulta ki ichchha jab tak rahti hai, apni maang jab tak rahti hai, tab tak ye tanwang manobhal soham ta vaash ye sharanagati nahi hoti jab tan samarpit hamara man samarpit hamare pran samarpit mere prannath shri shyama ab hamen chinta kya hai ab hamen anukulta ki maang kyon? Ab hamari ichchha ka astitva kya?

kyonki to sab prabhu ko samarpit hai. Shyama Shyam jaisa theek samjh rahe hain vaisa vidhan wo karte hain aur karte rahenge. Hamen nishcint hokar unke gore sanvle charnarvind ki thesak hriday mein rakhte hue dainya bhav se age badhna hai. Upasak ko chahiye ki apni marji ko mitiya met kar de. Bhagwat marg hai. Jivit mar jae ultiya aap mein samae. Yah dilgiri hai. Yah bhagwat prem ka marg hai. Aapki marji nahi aapki marji chalegi. Jo joi pyaro kare soi moh bhave upasak jab tak hat karke apne aradhya dev se anukulta ki maang karta rahta hai tab tak wo bhagwat kripa ka prichay nahi prapt kar pata.

bhagwat kripa prapt karne ke liye upasak ko ab uske paas kuch chinta karne layak rah hi nahi gaya yah dekhna chahiye. Chinta sharir ki hoti to tanu chinta man ki hoti so Manu chinta hamari kriyon ki hoti ki koi asat kriya na ho jae aisa pura samarpit tan vang manobheer amal soham tavata main swayam sharir manwani sahit cheshta sahit he priyaju he Lalaju aapke charnon mein samarpit hoon matlab bik gaya ho jaise rup lal hit hath bika nahi ab mera adhikar nahi abhi Paramhans ho ho jaoge. Abhi parmanand ki anubhuti ho.

sachchi maniye iske liye samay nahi hai. Iske liye koi sankhya nahi hai ki itne karod naam jap kar lo ye sthiti aa jaegi. Baat samjh lo. Yah sthiti aapke samarpan ki hai. Swikrati ke ek second mein kar sakte ho. Par ham itna jor se fas chuke hain. Swayam sharir bhav mein antahkaran dharm mein tadatma aise ho chuke hain ki ye baat hamari samjh mein nahi aati. Isiliye lamba samay jaata hai. Sadhan karo. Ahankaar ko mitao tab ye baat samjh paoge. Yah baat abhi samjh mein aa jae to bina sadhan ke abhi aapki sthiti ho jae. Bhagwat ke ekadshi skand mein titakshu brahmin ki katha aati hai.

usko ek kshan mein sthiti prapt hui hai. Kabhi jeevan mein koi sadhan nahi kiya tha. Sab usko thukra diya. Sab nasht ho gaya. Ab use vichar aaya mera jeevan kis kam ka? Tatkaal antar se aaya. Samasth devta sakshi hai. Jitni svase bachi hai ye sab main bhagwan ko samarpit karta hoon. Aaj se main sansaar ka sambandh aashray tyag kar ekmatra atma swaroop bhagwan mein usi kshan uski sthiti aisi hui ki swayam jagatguru bhagwan shri Krishna uski mahima gaan kar rahe logon ne use mara use bandh liya us par thuka us par muta par wo kabhi kisi ko palat kar jawab nahi diya aur gyan vigyan se sampann hokar vichar karta hai nahi nahi yah sab bhram hai wo apne atma swaroop mein sthit ho gaya koi sadhna nahi ki bhagwan updesh kar rahe hain usko udaharan dekar Uddhav ji ko ki koi tumhen gala pakar ke mare pite bandhe thuke apman kare to tum apni atma drishti se apni vivek drishti se apne ko bacha lena kisi aur ka saath ya aashray mat lena ye bhagwat marg hai.

apni chintaen prabhu par chhod di to phir chinta kyon karte ho? Tumhen yah bhi hath nahi karna ki prabhu darshan den. Prabhu hamari sthiti badhave. Prabhu hamen aisa mahan baname ki sara sansaar kahe. Jai ho maharaj. Aap bade Bhajnandi sant ho. Aapki marji. Aapki marji mein apni marji mila di. Use bilkul samit jana hai. Bilkul ajat pakshayu matram khga jaise ghonsle mein baithe hue pakshi ke pankh hi nahi ki ud sake. Ye shuddh sharanagati ajat paksha keval maa ki bat jo hota hai wo aise aise hi keval prabhu ki bat jo raha hai Radha vallabh Radha vallabh Radha vallabh kya sthiti kya darshan kya prem kya leela pravesh aap jano maharaj hamko to keval ek baat guru kripa se mili ki aapka sumiran nirantar karna hai aapke charnon ke siva koi bharosa nahi koi aashray nahi koi bal nahi jaise kumhar mitti ko phavde se khod ke lata hai.

kuch nahi boli mitti. Phir lakar apni marji se use kutta hai. Maheen karta hai. Kuch nahi boli mitti. Jal dal ke use phir pairo se raundta hai. Kahin itna bhi kankar nahi rahe. Agar itna raha to matki kharab ho jaegi. Wahin se wo leek karne lagegi. Pura ka pura ekdam komal malai jaisa. Phir wah apni marji se chak par chadhata hai aur uski jo marji hoti banata hai. Wo ghada baname, sakora baname, matki baname wo mitti kuch. Phir iske baad use aag ke ave par rakhta hai. Tab jake wah dravit padaarth rakhne yogya mitti banti hai.

aise hi sadguru ka sharanagat shishya unki marji mein apni marji mila deta hai. Agar ahankaar rupi thodi si bhi ganth rahi wahin se prem ras leek kar jaega. Jaise matki mein thodi si kahin bhi agar ek maheen sarson ke barabar bhi thos mitti rah gayi to wahi phool karke wahin se chhed ho jaega. Wahin se kamzor ho jaegi. To chatur kumhar aisa nahi hone dega. Koot koot ke usko maheen karega. Use malai jaisa banaega. Ekdam kahin komal aise hi hamara jo ahankaar se kathor hriday ho gaya hai. Ye Sadgurudev hi koot sakte hain isko dusra nahi.

tum nahi koot sakte. Tum to kahoge bahut badhiya kyonki manmani chal raha hai. Hamare man mein jaisa ham sadhan hi to kar rahe hain. Shri ji ke ansh se prakt hue sevak ji maharaj hai. Kah rahe guru seva taj karej ban yah adharm ya sabhan kan na rasan mera guru Govind na bhed karae. Kya hai guru seva? Pair dabana kapda dho dena bhojan de dena. Ye ek ang hai seva ka. Sampurn seva ka ang hai. Ab jo kahe karen ham so par yah ahankaar thos chij hai. Yah bardast nahi karegi. Yah bardast nahi kar sakta. Aur yahi mita to aap mahatma ho gaye.

yahi mita to parmanand ka marg khul gaya. Aise hi sharanagat apni marji bilkul nahi rakhta. Apne man ki baat bilkul nahi rakhta. Wo nishcint nirbhay ho jaata hai sharan mein hokar ke aa use kripa koot koot karke anukul banati ye kutna sahna padega isiliye sahsat bagti tumhare abhiman par jab prhar hoga to phir jaise koi thos chij par prhar ho to dekhte ho prhar hote chhitakta hai phir use gila karke phir raundte hain aap gila hi nahi karne dete jo hi prhar hua chhitak gaye mar se dur ho gaye. Are yah mar aur tribhuvan mein koi de hi nahi sakta tumhen.

tumhen to maya waise hi mar rahi thi. Jahan marna chahiye wo wahan mar nahi pati. Wo tumhen phansati rahti. Tumhare ahankaar par mar keval ek kar sakta hai. Sadguru dev dusra nahi. Isliye moksh mulam guru kripa wo marg kripa se khulta hai. Sadhan se nahi. Sab ang gunheen ho tako jatan na koi ek kishori kripat te jo kachu hoe so hoi so kripa ati sulabh nahi so kripa ati sulabh nahi tako kaun upay charan sharan Harivansh ki sahaj bane chavi virajman kar lo chavi aapko dantegi chavi aapke jeevan chyaa mein kami nikalegi kya nahi nikalegi aur Gurudev khada kar denge sabha mein khade ho.

tumne aisa cheeka kyon? Galti mano. Ab tumhara ahankaar sabha ke beech mein ekant mein bolte to bol dete. Bada sukshm vishay hai. Nardanand Saraswati ji maharaj naimisaran ke jahan 88,000 rishiyon ki param tapobhumi hai. Wahan satsang karte hain. Lakho ke satsang premi jan the. To unke shishya Swami shri Vivekanand ji maharaj bade achhche gyani mahatma wo naye kapda pahnkar ekdam aae Swami ji ke satsang mein hi drishti padi niji jan ko bulaya bole jao gaushale mein gobar jitna use gila karo pani dal ke aur unko bulaya Vivekanand jao ek chhaviya mein wahan gobar bhara milega use utha ke lao aur yahan satsang mein khade raho jab tak satsang ho gobar rakh ke khade raho ji agyaa ullanghhan nahi ho wahan gaye to pehle pani dal ke gobar gila karke chavi mein rakh de utha ke sir mein

aise satsang ke bagal mein tap tap tap unke jitne naye kapde pahan ke aae the sab sab shant satsang jao wahi akhri mein wahan ke mahant bane maharaj ji ki jo gadi thi usi ka sanchan kar ahankaar ka metiya met gurujanon ki drishti ahankaar pe hoti hai sadhan pe nahi hoti sadhan to unka diya hua khud jaan rahe hain na tumhen jo doodh pila rahe to pata hi na unko tumhen batane ki zaroorat nahi par wo jo tumhara paramarth marg ka virodhi shatru tumhare hriday mein baitha hua usko tum nahi raund paoge usko radne ke liye bhagwan Gurudev rup mein ate hain guru Govind hai Govind hi guru hai wo kripa karte hain.

is ahankaar ko mitane ki keval ek hi dawa hai. Bhagwat premi mahatmaon ke charnon mein apni marji ko mila dena. Bhagwan ke rahte hue aaj tak hamara udhar nahi hua. Anant janm ho gaye. Lekin jab sant ka milan hua tab udhar nischit ho gaya. Isiliye more man prabhu vishwasa Ram te adhik Ram kar dasa. Bhagwat kripa utna hi adhik aapke upar utarti chali jaegi jitna aap ahankaar samarpit kar diye. Jo thoda bhi apna bal manta hai to aati hui bhagwat kripa intazar karti hai uska samay lagega bahut kyonki ashrit hai nasht nahi hoga na bhakta prannasati bhag le bahut bada maidan hai bhag kab tab bhagega jab thak jaega to phir laut ke dekhega aur jab laut ke dekhega to wahan akpa nahi milegi yahi hamare prabhu ka swabhav hai.

vimurkh bhae nimish na akripa jab chit tab waise balihar hai jab chit tab par itna samay to barbad ho raha hai na unko wo to agadh gyan samudra hai unki taraf thodi ye hoga ki ab wo rosh nahi jab chit tab waise vimurkh bhay nimish na akpa jab chit wo intazar karegi kripa tumhare manmani aacharan jab band ho jaenge jaenge ashrit ho jaoge har jaoge phir utha degi na bhakta prasti samay lag sakta hai janm ke janm vyatit ho sakte hain par ab durgati nahi hogi sharan mein ho chuke ek bar sharan mein ho gaye durgati nahi hogi lekin pramad sthiti mein samay nasht karna ye buddhimani nahi hogi sharanagat hone par badi vilakshan chittritti ho jati hai aa akhand atuut kripa use dubo deti hai to aap apne ahankaar ko beech mein lakar kripa ki us aati hui dhara ko modie mat.

aap keval ashrit rahie. Dekho dheevar machhuara machhliyon ko pakdne ke liye jal phenkata hai nadi mein. Jitni jal ke antargat aaenge sab machhliyan phaseng. Lekin jo dheevar ke charnon ki taraf badh gayi jal use nahi fansa payega. Jal samne phansata hai. Yah jal hai ahmta mamta ka maya ka jal. Yah aisa faila hua hai. Har jeev isi mein fansa hua hai. Ek ahmta mamta ye jag mein hai dukhdai. Par is jal ko dalne wala kaun hai? Mayapati shri hari. Aa jao inke charnon mein. Sansaar samudra se inke charnon ki taraf aao. Jal nahi fansa payega.

jaise chakki chalti hai har dana pis jaata hai par jo kil ke paas aa gaya dana wah surakshit rah jaata hai aise bhagwan kahte hain mame prapaddyate maya mentam tar ekmatra upay aja meri sharan mein kahan se aja hriday ke ahankaar se hatkar aja do hi kshetra hai ek bhagwan aur ek ahankaar sara ka sara srishti ka khel isi aam se chal raha hai yahi aam teen rupon mein shatah rajham aur tamham isi se Rakshash devta pashu pakshi manushya sab isi se srijan hua hai. Mahat tatv ke baad sidhe ahankaar hai. Ahankaar se hi sari srishti hui hai.

brahm mul prakriti aur trignatmika ye prakriti aham se yukt isi se sampurn srishti ka srijan hua hai. Iska lay hone ke liye buddhi ka nischay mahatatwa buddhi ka nischay bhagwat charnarvind mein bas sidhe pahunch gaye brahm ke samip bahut nazdik ye bandhan bahut bada hai sanskriti mul shul prad nana sakal sukh ye bada sukshm ahankaar hai jab ahankaar hoga aur aap ye baat sunenge to aapko jalan shuru ho jaegi. Ham aapko pehchan bata rahe hain aur andar aapke aayega main kahan ahankaari hoon. Main kya ahankaar karta hoon?

kis baat ka ahankaar wo ahankaar hi aapko savdhaan kar raha hai ki main hoon chinta mat karo main hoon. Aur jab aapke andar yah baat na ave aur aapko rona aa jae ki vastvik bhram ho gaya to aap samjh lena ki sahi marg par aap chal rahe hain. Aapka marg sahi jab aapko rona ave bhagwat baten sunkar kab meri aisi sthiti hogi? Kab main ahankaar rahit hounga nath mein apne aap sudhar shuru ho jaega. Sansaar aur prabhu ke charnarvind yah do kshetra hai. Sansaar ke jo sanmukh hai wo prabhu ki baten kar sakta hai par sthiti nahi aayegi aur sansaar se vimurkh hokar prabhu ke jo sanmukh hai wo bole na bole sthiti prajya ho jaega.

yahi khas baat hoti hai. Bolna, sunna, sunana yah sahaj hai. Lekin sthiti ana yah bahut kathin baat hai. Sthiti aati hai samarpan se samarpan se. Jab aap samarpan ki baat nahi samjh pate tab sadhan ki baat kahi. Aisa karo, aisa karo, aisa karo. To karte karte tum har jaoge. Jab har jaoge to bhakti ka akhiri swaroop hai atma samarpan. Ab yahan se prarambh hogi. Pai ras bhakti ga jug jug jag durlabh bhav indrad vidhim kaise pai atma samarpan se atma samarpan kaise hua sadhan se chalo is sadhan mein chalo khas baat hai atma samarpan yadi abhi vivek kam kar jae aap atma samarpan to abhi ras bhakti ka pradurbhav ho jae khas baat ye ahankaar atma samarpan nahi hone deta sansaar aur prabhu do pragat mein marg rakhe hue hain.

sambandh ghor sansaar se hamara lag gaya. Dekh lo andar ki vritti dekh lo. Hamen kya kami kisi ke aashray ki zaroorat hai. Hamare paas rupya hai, vyvastha hai, makan hai, log hain sab kya hamen? Sambandh kiska hai tumhare hriday mein? Is ras ko wahi prapt kar sakta hai. Chakravarti samrat ambereesh ji hai lekin sambandh keval bhagwan ka hai. Na apne bhajan ka hai na apni pavitra ka na apne rajapne ka hai. Ek mahatma apne tap ka bal dihakar unko bhayabhit karna chahta hai. Durvasa ji ek kadam piche nahi hate. Aise hath jode khade rahe waise hi aur unka prabhav shri hari ka sambandh hai.

to sambandh ne sambandhi ki raksha kar li. Sudarshan chakra unko pata bhi nahi hai. Ye sambandh bhakti ka khas vishay hai. Sansaar ka sambandh tumne mana hai. Prabhu ka sambandh hai. Mano ya na mano ham unke hain. Man loge to sansaar ka mana hua sambandh hat jaega. Nahi manoge to bhi wo aapke hain. Jab aapko samjh mein ave tab man lena. Kisi baat ko lekar ke apne mein kuch jo visheshta dikhti hai usi ka naam ahankaar hai. Yadi tumhen vidya ka, buddhi ka, dhan sampatti ka, jan ka, tyag ka, vairagya ka, bhajan ka inka abhiman hai to aap abhi paradheen hain.

abhi aap mein bal wo bhagvatik jagrit nahi hua kyonki aapki shuddh sharanagati nahi. Kan ke bal bhajan ko kan ke achar yah sharanagati vyas bhrose kunwar ke keval keval hamare mai shyama jiu ko raj raat din unhin ka chintan hai par bal unka hai. Yah chintan unhin ki kripa se ho raha hai. Dhan ko lekar agar visheshta hui to dhan ki dastaen prabhu ki nahi. Sansaar ke kisi bhi jan vyakti vastu padaarth ki sambandh vritti uski dasata hai. Yah tumhari heta hai. Tum apne param pad se dalit ho chuke ho. Parantu jo bhagwan par nirbhar hai.

prabhu par nirbhar hai. Yah swatantr param pad hai. Shastr sadguru bhagwat vani ki paradheenta swatantr param pad hai. Maya mukt karne ka hai. Prabhu chahe usko apna mukut mani bana le malik bana le ya usko sabse nich ghoshit kar de usko koi fark nahi parta jo prabhu ko samarpit hai haan dekho bade-bade siddho ko pitva diya thakur ji ne pehle to bhejte hain sundar bhog ki thal kha pi ke thal laga dete bahar dho ke rakh dete samudra ke phir bhejte hain apne paas. O tumne thal churai pitva diya. Donon mein saman hai.

kyonki donon mein prabhu ki madhur leela dekhte hain. Prabhu ka hamara sambandh jo dridh hai usmen anukulta pratikultaa ka prashn hi nahi uthta. Agar apne mein bhakti ki bhi visheshta dikh rahi hai to ye abhiman hi hai aapko. Kyonki jinme vishesh bhakti jagrit hui wo dainyta ki murti hue. Tumko kaise anubhav ho raha hai ki tum vishesh bhakt ho? Jo vishesh bhakt hai wah apne ko kaise bol rahe ham tachchha param madhma bhakt mein jo vilakshanta utarti wo is tarah utarti hai ki uska sharir indriyan man buddhi sab bhagwat swaroop hai par wo sadaiv is baat se galit rahta hai hriday ki main nich dharm kisi yogya nahi wo bhagwat swaroop sthiti hai.

phir unke sharir mein aur unke swaroop mein antar nahi rah jaata. Sharir ko panch bhautik kaha gaya. Swaroop ko chidanand kaha gaya to unka sharir bhi chidanand ho jaata hai. Gyani ka sharir chidanand nahi hota. Kyonki mithya bhav karke brahm satya mein sthit hua hai. Lekin bhakt ka sharir chidanand ho jaata hai. Sakshat viman mein sadaiv paramdhaam shri Tukaram ji gaye. Param bhakta shri meerabai ji sadaiv prabhu mein leen ho gayi. Shri mahaprabhu chaitanya dev sadaiv Jagannath ji mein leen ho gaye. Kitne se bhakton ke charit ate hain.

gyan marg mein sharir Chinmay nahi hota. Kyonki gyani asat se sambandh vichchhed karke sat mein sthit hota hai. Parantu jab bhakt prabhu ke ashrit ho jaata hai to uska sharir bhi indriyan bhi man bhi pran bhi sabhi bhagwat swaroop ho jaate hain. Isliye keval prabhu ki sharanagati hi hamen. Ek bar pragya chaksu sant shri manav seva ashram ke Swami ji ka sharnanand ji maharaj agre ja rahe the yamuna ji ke kinare kinare to the nahi bahar ke to antarik netr to khule khule hue hi the unko pata nahi chala marg se lathi se aur pragya chaksha janon ko kuch Bhagvati aisi drishti hoti hai ki hamne dekha hai ki age gay hai aur wah ghum ke nikal rahe to phir bataya ki Baba dekho ye bat vriksh aa gaye na mod wale aa gaye na ba va bat vriksh inki bhi parikrama karni kaha aap sachchi batao to Vrindavan mein tumhen dikhayee deta hai ki nahi to kaha Baba bilkul nahi hamari to ankhen wo to kaha tumhen pata kaise chala bole hamen ek-ek pag se pata hai ki is samay ham yahan aa chuke hain ek-ek pag matlab andar aise hi wo agre ja rahe the.

akele the. Lathi liye hue lathi ke sare ekdam darar phat gayi aur yamuna ji mein gir gaye. Girne se lathi bhi chhut gayi. Accha pragat mein aankh ho to pata ho ki ham kahan hai kidhar hain. Jal mein hai keval aur to ab hath pair mare to kuch samjh mein nahi ki kidhar ko mare. Bhai pata ho ki idhar kinara hai to kuch hath pair lathi dikhayee nahi de rahi thi. Ab ek baat keval ai ki bhagwan hi sahara hai. Chhod diya apne ko. Agar mrityu ka samay aa gaya to sharir chhut jaega. Agar bhagwan ko bachana hai to wahi bacha sakte hain. To bas he prabhu he hari ham aapki sharan mein hai.

antim mein ekdam bhagwat smaran aisi aisi ek lahar si ai jaise kisi ne hath pakar kar ghaseeta ho aur lathi bilkul nazdik aa gayi. Lathi pakda ekdam kinare aa gaye. Usi din se unhone apna naam sharnand rakha. Are prabhu ne yah to baat sunne mein saral lagi lekin unki baat thi unki hriday ki ki ab to pran ja rahe hain. Tarna aata nahi hai aur kidhar hath pair mare kuch dikhayee nahi de raha. Kinara kidhar hai pata hi nahi hai. Aur jo lathi ek sahara tha wo bhi chhut gayi. Ab unka hriday bhav mein prabhu o o ye chamatkar prabhu ne kripa ki.

lathi swayam aa gayi nazdik. Swayam kya ho gaya? Hath pakar kar nikal liye. Wo sarv samarthyshali hai. Par chhod do. Hath pair marna chhod do. Tumhen dikhayee nahi de raha ki tum bahut samudra se kidhar jaoge. Kinara kahan hai? Hath pair marna. Ahankaar chodo. Aise ashrit ho jao. To pakar karke lathi de di. Sadhan de diya. Lathi kya hai? Sadhan. Ye pakar sadhan. Chal is sadhan se chal. Aur ye kinara hai. Tairne ki zaroorat nahi. Ye kinara hai. Aur ye chal. Yah bhagwat kripa se prapt ham log andhe hain. Hamen pata nahi ki hamara kya sadhan hona chahiye jisse ham bhagwat prapt ho sakte hain.

wo prabhu hi sadhan dete hain. Prabhu hi hamen sansaar kinare le aae. Dekho na shri dham mein aa gaye ho. Sharanagat ho gaye ho. Kinare lag gaye ho. Haan lathi mil gayi. Sadhan chalo ab isi ke sahare chalo aap pahunch jaoge. Apne bhavan tak pahunch jaoge. Swamini jo badi kripalu hai. Hamari keval bhagwat charnarvind ki nishtha jagrit ho jae. Aham shunya. Ismen sant jan udaharan dete hain ki ek bakri charane wala bakri chara raha tha. To ek bakri hari hari pattiyan chunne mein khub magan thi. Aur sandhya kal hua to sab bakriyon ko lekar chala gaya.

na us charane wale ko hosh raha uska aur na charne wali bakri ko hosh raha. Ab sandhya andhera ho gaya tab use chetna ai. Dekha aaspas koi nahi. Ab wo dar gayi. Ab wo chali to samne ek jalashay dikhayee diya to socha ab jo hoga pyas lagi pani pi lete hain. Ab jo hoga pani pine gayi to pani pite hi usko wahan geele mein aise panje dikhayee diye. To kisi balvan ka panja hai. Dekhti hain prayog karke baith gaye. Wahi bhed aaya to uski dular tapakne lagi. Bakri hai khane ko accha milega. Bakri ne kaha ae ye panja dekh rahe ho ham iske sahare sinh ka panja bhag gaya bhediya ki are agar sinh ne iski raksha to wo hamen mar daelga.

bhag ab usko aur vishwas ho gaya. Anubhutiyan bhagwat charnarvind ki samarpan vritt ko aur badhati hai. Usko aur vishwas re bacha liya mujhe. Aise jo bhi jeev aata aur uski taraf gurata to bade thesak mein kahte ae ye panja dekh rahe ho o ye to sinh ki prichay bhag jaate. Sinh aaya aur dahad mari. Ae sham ke andhere se lekar abhi tak isi panje ke sahare mein bachti rahi hoon. Is panje ko dekh lo. Ne kaha accha yah to mera hi panja hai. Bole ab ham to is panje ke sahare se abhi tak bachti rahe. Ab unhone kaha phir tum chinta mat karo.

panja to hamara hi hai. Hathi ko kaha ki agar hamse virudh chaloge to ham tumhen nasht kar denge. Jhuko soond se uthao isko. Apni pith par baitha lo. Aur pure jangal ki komal komal pattiyan isko charao aur apni pith par rakhna. Koi bhi isko chherd na sake. Samjhe iska aashay? Sansaar van mein ham bhogon ki vishay chat mein bhul gaye. Aur jo kal rupi charwaha hai wo hamko chara raha tha. Vishyon mein hamare samay ko nasht kar raha hai. Ab charte hue ham bhul gaye. Apni maddata mein, apne swad mein ham bhul gaye. Ab dhyan aaya ki are yah to ratri ka samay hai.

ab to mrityu ka samay aayega. Mujhe kaun bacha sakta hai? Ekmatra hai gehre panje jinke hain. Shri hari charnarvind aashray le liya to jie kal bas na pare jo in charnon ka aashray samjh jae aae sharan te darat na kal dar. Phir log kahte hain ki mahatma log to badi mauj le rahe hain yar. Ye sinh ki sharan mein hue. Uska hukum hua ki komal komal pure jangal ki pattiyan lakar isko po. Kyon? Kyonki meri sharan mein hai. Meri sharan mein vishv brahmand ki samasth siddhiya samasth sampattiyan uske charnon mein lutti hai jo bhagwat ashrit ho jaata hai.

ekmatra bhagwan ka vaibhav hai sab anant brahmand aur unhin vaibhav pati ki sharan mein ab uske liye kya kami jake Ram dhani vakya kaun kami? Ham prabhu ke charnon ka aashray le lenge to wah hamen jana denge ki main kaun hoon. Hamen pata nahi kaun prabhu hain. Roz wo dekhte hain hamse milte hain. Roz ate hain hamare paas hamse milte hain. Par kaun se rup mein ate hain ye ham pehchan nahi pate. Par wo jab roz dekhenge na ki tum usi panje ke sahare baithe ho. To ek din bata denge ki yah mera hi panja hai aur ab dekh mera samgr aishwarya samgr gyan samasth samgr prem main tujhe purn kar deta hoon.

ab kisi anya ki zaroorat nahi. Isliye bhagwan kah rahe hain gyanam teham savnandam vakshamya sheshta yaj gyatwa ne bhu yaj gyatavya mashishyate he Parth tere liye ab main gyan ka varnan karunga vigyan sahit asheshta sampurnatya gyan ka varnan karunga yah gyan aisa hai jiske jaan lene ke baad tujhe kuch janna baki bhi nahi rahega. Anya kuch bhi shesh nahi rahega. Sab kuch prapt ho jaega. Aur main swayam is gyan ko tumhen pradan karta hoon. Gyanam teham savnan vid bhakshamya sheshta bhagwan kahte hain he arjun yadyapi yah gyan maine mahatmaon ko bhi diya hai.

unke jo anubhav mein aaya wo vani mein nahi aaya. Kyonki vani alag hai anubhav alag hai. Jahan anubhav hua wahan vani nahi hai aur jo vani hai wah anubhav mein nahi hai. Abhas matra bolti hai aur prabhu aur prabhu ki vani aur anubhav tino ek hai. Hamara sharir, hamara anubhav, hamari vani tino mein antray hai. Hamara swaroop alag hai, sharir alag hai. Vani se jo nikal raha hai wah anubhav ki keval abhas vritti hai. Wah bola hi nahi ja sakta. Anirvchaniyam brahm swarup prem swarup anirvchaniyam wo anirvcni hai lekin jab brahm hi bole to uske liye anirvcni nahi hai kyonki uski vani bhi brahm hai uska swaroop bhi brahm hai uska anubhav bhi brahm sakshat brahm bol raha hai to prabhu isiliye kah rahe hain gyanam te aham savnandam bhaksham sheshta asheshta baki nahi rahega jo main bol raha hoon suno aur aur koi bolegaa to baki rah sakta hai kyonki jo anubhav mein aa raha hai wo vani mein nahi aa raha.

jin netron jaise dhruvdas ji kahte hain jin netron ne dekha unmein vani nahi hai. Jo vani bol rahi usne dekha nahi. Antray isi mein ho gaya. To jo anubhav mein aa raha hai wo vani mein nahi aa raha hai. Lekin prabhu ka aisa bhed nahi hai. Unki vani bhi shri Krishna hi hai. Ek rom bhi shri Krishna hi hai. Shri Krishna ka ek rom bhi shri Krishna hai. Satchidanandmay hai. Wo kah rahe main te aham main swayam savigyan midam vigyan ke sahit anubhav ke sahit tumhen gyan ka varnan kar raha hoon. Ashta kuch baki nahi rahega aur janna baki nahi rahega.

tumhen kahunga main khud kahunga sampurnata se kahunga waise to bahut mahatmaon ne bhi varnan kiya hai mere swaroop ka kyonki unke anubhav mein main hi aaya hoon aur usse wahi anubhav labh bhi hota hai parantu is samay main swayam kah raha hoon swayam kaun samgr paramatma wo main swayam tere liye varnan kar raha hoon jaisa main anubhav karke varnan kar raha hoon vaisa dusra nahi kar sakta pakki baat hai bhagwan kah rahe. Ab jitne bhi bolte hain to us anubhav ko buddhi se vichar karke shabd mein late hain. To shabd ki ek sima hoti hai.

lekin prabhu ki buddhi bhi prabhu hai. Prabhu ki vani bhi prabhu hai. Prabhu ka anubhav bhi prabhu aur swayam prabhu bol rahe hain. Ab wahan bhed nahi ho sakta. Jaise idhar bhed hai prakritik aur aprakritik ka. Prabhu ki buddhi samashta buddhi ka swaroop hai. Aur kisi bhi mahatma ki buddhi samashta buddhi ka ekansh hai. Wah kitna jaan sakta hai? Uski buddhi kitna jaan sakti hai? Jitna prabhu jala diye. Lekin prabhu kitne hain? Bole na neti isliye ved bhi neti neti kah ke varnan karte hain. Par main sada hi purn hoon.

isliye mera gyan purn hai. Jaan tha ab mujhe gyan hua hai. Anajan ko jo gyan hota hai jitna diya gaya utna hi hai. Lekin prabhu gyan samudra hai. Isliye dhyan purvak tu sun. Prabhu ka jo sagun swaroop hai nirgun swaroop janna saral hai sagun swaroop janna kathin hai nirgun rup sulabh ati sagun jaan nahi koi sugam agam nana charit sun muni man bhram hoi waise prayah kaha jaata hai ki nirgun nirakaar ki anubhuti karna bada kathin hai lekin wahan kah rahe hain ki sagun sakar ki kathin hai. Nirgun nirakaar ki nahi.

prabhu ka jo rup hai, aishwarya hai, prem hai, mahima hai. Wo nirgun mein aasakt janon ko bhi aasakt kar liya. Aisa dekha gaya. Janak ji maharaj nirgun nirakaar gyan ke siddh mahapurush hai. Raja hote hue bhi bada ascharya hai. Raja hote hue bhi bhog ishwar sampann mahlo mein rahte hue bhi jinke sharir mein langoti bhi nahi hai. Aise virakta jo janm siddh vairagi hain. Aise mahapurush shri Sukhdev ji ke guru hain. Kaun? Maharaj Janak ji raja padvi pe hain. Raniyaan hain. Bhogeshwarya sampann hai. Aur inke chela kaun hai?

shri Sukhdev ji maharaj nirgun nirakaar ki anubhuti se tript mahapurush hai Janak ji jab Ram ji ko dekhte hain to unka brahmaakar man aasakt ho jaata hai Ram ji mein nirgun nirakaar mein wahi siddhi prapt karta hai jo shabd sparsh rup ras gandh ka vijeeta hota hai. Koi bhi tribhuvan ka shabd ya rup ya ras ya gandh akarshit nahi kar sakta. Isiliye gyan ke panth krpan ke dhara hai. Jo nirvigghn panth nirhi so kaivalya param pad lai. Aur yah to siddh gyan ki murtiman swaroop hai videhraj Janak. Jab Ram ji ko dekha to aise lubhayaman hue ki bar-bar apne gyan ki vritti ko sambhal rahe hain.

nahi sambhal pa rahe. Tab vishvamitra mahammuni gyani apni baat ko apni sthiti ko vishvamitra ji se netron hi netron mein pucha. Mano wo kah rahe ho ki sahaj virag rup man mora mera man to sahaj bairagi par inke rup ko dekhkar jaise chakor chandrama mein aasakt ho jaata hai. Aisi sthiti ho rahi in vilokat ati anurag barbas brahm sukh man tyaga nirakaar brahmaakar vritti mein anand rahne wala man aaj Ram rup ka gulam hota ja raha hai. Zabardasti is rup ne nirakaar brahm ki anubhuti mein chhake hue man ko aasakt kar liya.

ye kya ho raha hai? Ye kya ho raha hai? Mahammuni gyani vishvamitra ji se param videhraj Janak ji maharaj prashn karte hain. Vilokat ati anurag barwas brahm sukh yah brahm sukh se bhi shreshth sukh hai prabhu ke sakar rup ki upasna prabhu ke aur is sakar avatar leela se bhi maha shreshth prabhu shri Krishna ki ye prem leela braj leela aur is leela ko prakt karne ke liye nikunjeshwari nikunjeshwar jo padhare to jo nikunj mein anadi kal se anant kal tak wo rup wo saundarya wo prem yah atyant durlabh baat hai.

bhagwan ke gyan rup ko tatv rup ko jankar sab mukt ho gaye. Bhagwan ki bhakti karke saj Swami prasaru aadi ya bhagwan ke ishwar seva mein pahunch gaye. Par nau nikunj biharni shri shyama ji ke charan bhavna mein magan hokar pritam shri lal jo sahit Vrindavan rang mein rangna yah samgr rup prabhu ka hai. Ise samjh pana atyant kathin hai. Nahi to phir yah shabd nata sambhavya winch narad shiv swayambhya in bade-bade mahapurushon ki bhi sambhavna nahi ki shri ji ke charnon mein mahawar lagane ki soch sake. Isiliye yah hamari buddhi ke bahar ki baat hai.

parantu jo prabhu ke charnon ka is ras ke data shri Krishna hi hai. Dhruvdas ji ne likha lal ranghilo gaiye tate priti rangili pai. Matlab apne logon ke upar shri hari ki kripa baras gayi. Kyonki unhone apne hriday ke agadh prem ka dwaar khol diya. Hriday ka agad prem shri ladli jo shyama jo hai ladli jo kaun hai shri hari ke hriday ka agad prem samudra ka sar rup priti murti mati ras sindhur sar sampad vimla ab inko sugamta se samjh pana bahut kathin hai. Isiliye bhagwat gita shastron ka swadhyay kara ke siddhant mein sthit karke uske rag ahankaar ka nash karke uska hriday dravit karke saras bhakti ke marg mein gurjan rasik jan khada karke phir usko dekhte hain.

haan ab iska deh bhav galit ho jae. Banita purush bhav mit jae seve Lalita adik ke bhae tab uska pravesh hota hai. Ye kisi anya sadhan se nahi hota hai. Anya sadhan se to shiv viranch jaisi sadhna kaun kar sakta hai? Yah Narda sugamyam inse badhkar koi sadhak ho sakta hai kya to kaise aaya yah hare man ras sang bin ranch upje prem rasik mahapurushon ki kripa se rasik mahapurush kab milte hain jab lal ji maharaj bahut kripal ho jaate hain tab apni shri ji ki nij dasiyom ka sang de dete hain. Jaise Swami shri haridas ji maharaj mahaprabhu Harivansh chandra jo hariram vyas ji jo ye sab shri ji ki charan dasiyan hain.

ye ai hain us ras ka anubhav karane ke liye jo agam nigam puran agochar hai. Yah vedon mein bhi nahi dekha gaya. Yah swaroop vedon mein bhi nahi hai. Ved hai raj siddhant kanun. Raj siddhant kanun aur yah hai nij mahal ka ras. Yahan vedon ki bhi pahunch nahi hai. Jo ras neti net shruti bhako te adh sudhar ras chakyo alaksham Radha nikhil nigam rapat Ram samjho kahan tumhara sir jhuka hua hai samjho aisi jagah jahan sab upasnaon ke kendra shri hari hai aur shri hari bhi jahan wahan tumhen avsar mil gaya hai. Ab anya aashray nahi kisi sadhan bal ka bhi aashray nahi ekmatra ladli ji ke charnarvind ka aashray bharosa Vrindavan ki raj ka sevan to prabhu kahte main tumhare hriday mein baithkar sab prichay de dunga tumhen chinta nahi karni wahi to guru hai wahi to acharya hai wahi to ras samudra hai wahi to ras hai wahi to rasik hai bhed samjho wahi ras hai wahi rasik hai jaise Harivansh rasik navrang piy kaun hai yah pritam rasik navrang piy ye rasik bhi hai aur rasbhan mohan murti bhi hai yahi ras hai yahi rasik hai yahi Gurudev hai yahi acharya hai bas baat man lo inke charnon ka dridta purvak aashray le lo jaise sone ke gahne hain.

parantu un sab mein ek hi tatv hai sona jo yah jaan jaata hai ki sone ka hai to uske banne bigdne par use koi fark nahi parta dhyan dena ab sona pehle tha jo akar nahi liye hue tha to sona tha akar liya to sona aur akar bigad jaega to kya hoga sona hi to rahega uski keemat mein koi kami aa jaegi kya aise hi jab tum prabhu ko jaan jaoge to tum in akaron ke chakkar mein nahi padoge. Yah prakriti janny jab tak hamara in akaron mein akarshan hai tab tak hamara tatv mein akarshan nahi. Jaise kangan kada banne ke pehle sona tha.

kangan kada akar bigdne ke baad bhi sona rahega. Ismen koi fark nahi parta. Keemat wahi rahegi. Uski keemat pehle bhi wahi thi. Beech mein bhi wahi baad mein bhi wahi kyonki sone ki keemat hai. Akar ki nahi. Aise hi is sampurn prapanch ko tum sakshat bhagwan ka swaroop samjho. Ab khatm prapanch pehle samjho is baat. Ab jahan yah samjha sarwanasta nireeksh param swadhya buddhimam dehabiman khatm ho gaya. Dehabiman prakriti mein mat buddhi karke usko apne mein dharan karna yah pusht hona hai. Jaise prakriti janny vidya prakriti janny dhan prakriti janny sharir prakriti janny rup prakriti janny pratishtha man ye sab is akar ko sweekar na karo.

is akar mein jo virajman tatv hai wah hamare Radha vallabh lal hai. Ekmatra dusra nahi khatm puri srishti khatm ek sutra se hatao sab jaise abhushan banne ke pehle sona tha abhushan bigdne ke baad sona rah gaya to beech mein kya hai sona hi to hai na uske akar ka mahatva nahi hai. Wo swarn kaha hai. Wo swarn hi hai. Aise jitne akar inka mahatva nahi hai. Inme virajman jo kimti vastu hai wah shri hari hai. Prabhu hai. Itna aapko janna padega. Itni aapki anubhuti honi padegi. Yah nahi karoge to age nahi badh paoge.

chahe krur ho, papi ho, dusht ho, nich ho. Wo mere prabhu Radha vallabh lal hain. Yah anubhav karo. Hazaron bar ye charcha hui, suni lekin aapne anubhav kiya. Nahi wahi rag, dves, chhota, bada, uttam, adham, main tu isi mein to bhramit ho rahe ho. Sadhak kis baat ke ho? Gun dosho ko lekar vichar rahe ho. Tatv ko lekar vichar rahe ho. Akar ko lekar vichar rahe ho. Ye accha ye bura ye uttam ye nich koi bura uttam nich nahi. Samjho pehle wo ek tatv jitna ek nak ki chhoti si ek aise abhushan mein viraj wahi bahut bade har mein bhi virajman hai.

aise chinti mein bhi wo bade aram se sampurn tatv prabhu virajman hai. Waise anum koi dusra nahi. Yah anubhav karo. Yah tumhara rag dves, tumhari uttam adhamta, tumhari yah hamen prabhu se nahi milne degi. Ise chodo. Yahi hai agyaan jise ham sansaar mein prayog kar rahe hain. Nahi aap bhagwat marg ke pati ko zyada samay nahi hai. Aaj aapko ye baten sunne ko mil rahi. Kal aur aisa kalikaal badhega ki aapko baten sunne ko nahi milegi. Jaise ab hamare santo ka para niche gir gaya. Ek samay tha ek se ek mahabali bhagwat bhajan ke sant jidhar dekho udhar mahapurushon ki baadh thi Swami ji maharaj hitju maharaj hariram vyas ji shri rup sanatan ji bhid lagi thi jis prant mein dekho ramanandacharya ramanujacharya Kabir das ji raidas ji jidhar dekho Meera ji maharashtra to bhara hua tha ek se ek siddh ma bhid lagi thi aise mahapurushon ki bhid lagi thi jo anubhav aur brahm shabd se bhi jinka prichay tha.

shabd brahm ke pargami vidvan aur param tatv ke anubhut se chhake hue mahapurush gir gaya para. Dekho kalyug ka prabhav ab aise mahapurush sakhi aankh tar ko aavat nahi. Keval kori baton se anubhutiyan nahi hoti hai. Haan ab hamare paas baten baten rah gayi. Wah bhi shastr sammat anubhuti yukt jab vachan hote hain tab bahari prabhav parta hai. Kahan rah gaya? Udbhat mahapurush jo raat din bhajan mein lage. Aap dekho kahan aise chand anguliyon mein gine ja sakte hain. Aise mahapurush kahan rah gaye jo apni anubhutiyon se jagat ka mangal jo hai wo chhupe hue hain.

jo karna chahte hain ham agar anubhuti nahi to wo bolna keval ek vani ka vilas matra hoga. Agar anubhuti se chhakep hue nahi to vachno ka kya prabhav padega kisi par? Nahi padega. Aaj hamari yah durbhagya vritti badh rahi ki bade-bade bhajnanandi anubhut mahapurush antardhya hote chale gaye. Ab to nai pidhi mein bhagwan hi jane kaise tayyar karenge wo wo to kartum anytha kartum hai. Par baat yah hai ki kalikaal tabhi badhega jab ye mahatma antardhya honge. Agar ye bane rahe to bhagwan bhi nahi aisa chaenge ki kalyug badh pave.

unki bhi samarth nahi kyonki unse zyada samarth naam mein hai. Naam japak upasak nammi ko apne adhin rakhta hai. Sumir pawan sut pavan naam apne bas kar rakhe Ramu agar unka naam kirtan chal raha hai. Naam ki mahima ka gaan ho raha hai. Naam mein dube hue bhakt jan hai to kalikaal kya bhagwan bhi wahan koi vighna paida nahi kar sakte. Bhagwan ke samarth se badhkar samarth naam mein hai. Bhagwan ne avatar lekar jitnon ko Tara uton ko naam ne aise tar diya. Aise naam ne tar diya. Isiliye Swami naam hai sevak naam hi hai.

ab aise naam ke dhani mahapurush birle hi koi. To abhi aapke paas samay hai. Agar aap pramad mein samay khatm kar diye to hamen lagta hai agar agla janm hoga to aisa hamen sanyog milna kathin hoga jaisa abhi hai. Jaisa aaj ke 40 varsh pehle sanyog mahatmaon ka wo antardhya hote chale. Ganga kinare dev ek se ek brahm bodh sampann mahapurush jidhar dekho ek se ek maha wo antardhya hote chale aae. Ab ham nai pidhi ke mahatma tayyar ho rahe hain. Wo waise wala mobile haan jo bhi ho usko nahi aur dusre shabdon mein smart phone wale hamari siddhi gugal aise ki zaroorat nahi search karo gugal mein hamari siddhi lakh sava lakh ka smartaphon jeb mein siddhiya bhagwat prapti are bhaiya isse bachne ke liye tum Baba ji bane the ki koi vikshep na ho koi chintan na ho aur jahan mala guru ki chavi rahti thi na chati mein hriday desh se wahan hriday desh mein smart phone milega upar se cha yahi aise tanga milega chati mein ku se hua kaun aaya kiska number aaya jaise hriday mein vritti aati thi ki bhagwanand kaun si vritti ai leela ki ai ki rup ki ai chhak raha hai upasak wo prichay dikta hai kiska message hai gayi bhaiya jo vritti antarmukh mein duboni thi dekh lo kalyug ki chal har ek ki jeb mein milega.

Baba ji hain. Agar jeb mein mobile nahi to silendar kaise milega? Nahi milega silendar. Usmen adhar card duniya ka suvida hai. Le phas gaye. Ab wo kunna kunna karega aur mummy kaisi ho? Wo papa kaise ho? Wo phupha kaise hain? Yahi ghar baithe baat karo. Aur wo ek usmen aur chala system. Sidhe baat karo. Hain video kol. Haan jo hamara video kol prabhu se hona chahiye tha ki samne pi murti nainan base te ras raha samae ye lakshan sun prem ke aur na kachu suhaye aur na kachu suhaye phir apne madam mato ab kinke madmate ye lo baithe leela chintan kar rahe wahan search karke baithe nautanki natak dekh rahe kyonki ye hai smart jamana aaj ka age wala age wala jo aayega wo mal bhul jaoge aur age aap dekh lena shastr ki baat ki avhelna abhi ho rahi phir shastr ko nahi mana jaega nahi bol sakte tum kyon kalikaal ka ek

swayam ka dharm hai bhrashtachara sab sansara dharm sune nahi kanha uska rajya hai nahi tum chala sakte varnashram dharm nahi tum chala sakte shastr sammat shasan aaj ka shasan abhi dekh lo manmani aacharan manmani aacharan bhaiya kaise bhagwat prapti hogi bhagwan ka milna kaise saral ho sakta hai abhi samay hai abhi nikal chalo abhi samay hai abhi aap ga sakte ho naam aap satsang kar sakte ho ek samay aayega aap bol nahi sakte aap satsang bol nahi sakte dekh lena ek samay aayega aap bol nahi sakte aap aisa nahi kah sakte ki tumhara yah dharm hai tum aiseise chalo aise chalo nahi bol sakte abhi samay hai abhi shastr hai ek samay aayega aapko shastr hi nahi milenge.

aayega samay age tabhi to sansaar mein bhagwat vimukhta phailegi. Bahut fail rahi. Kaun bhagwan par vishwas karta hai? Chand birle log hain jo aise bhagwat bhav mein chal rahe hain. Kripa patr jan isliye age ke liye mat chodo ki bhagwat prapti age ho jaegi. Are man buddhi ke vilas ko chodo aur prabhu ke leela vilas ki taraf age aao. Inke charnon ka aashray le lo. Isi janm mein bhagwat prapti ho jaegi. Ham tumhen sahaj saral anubhut mahapurushon ki baat bata rahe hain. Bhagwat prapti keval bhagwat aashray se hoti hai. Bhagwat aashray se andar se har karke prabhu ke charnon ka aashray le lo.

wo gyan vigyan sab tumhare andar aa jaega. Kyonki hai sab kuch wahi sab kuch bane. Wo aa gaye to bakaya kya rah gaya. Ab unko pukaro raat din ye jo ham naam jap karte hain pukarte hain Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh kyonki hari guru charan sevanus shastr ka adesh hai to acharya aur isht ka naam pukar pukar ke ham unko bula rahe hain aa jao hamare hriday mein aa jao prabhu main aisa yogya nahi hoon ki main apne hriday ko aap mein laga sakun mera man buddhi itna samarthshali nahi ki aap aap aa jao karuna wo karuna samudra hai aa jaenge bas bas yah janm vyarth nahi jana chahiye.

prabhu ke charnon ka aashray lekar ke unke dwara bataai hui upasna paddhti se apne man ko nirantar prabhu mein lagate raho aur na lage to chinta mat karo sahare prabhu ke ho. Ek din charcha mein kaha tha na ki kisi bhi kam wale ko yadi ham late hain bhaiya kitne log aath ghanta? Bole 500 chalo aur ham liva ke le aae aur kam nahi karwaya to 5:00 baje wo kahega ki bhaiya hamen ₹500 do to ham kis kam ke rupaye tumne to kam kiya nahi bole tumhara vishay tha karwaya ki nahi karwaya hamen 500 do use sarkari nyay se ₹500 dena hoga aise hi ham logon ko lai hai shri ji chalo bhajan karo aur nikunj chalo ab hamen chalna nahi aata na nikunj ki taraf bhajan karna aata hai to karva lo par aur kuch karna nahi ana chahiye baith jao shri ji aa jao to aapko payment milegi jeevan ki sham hote hi aapko aisi karuna varunalay sarkar hai aa jaenge chal le jaenge vishwas karo guru ji ne Shabri ji ko kaha tha bhagwan aaenge milenge roz Sohni lagana pushpo se pavde bichhana hazar varsh tak unki ashradha nahi hui guru vachan pe ki hamen lagta hai phaslane ke liye to nahi kah diya itna lamba samay ho gaya bhagwan nahi aae.

vishwas mein kami nahi hui. To ek din dekha ki bhagwan aae aur Sabri ko nihal diya. Tum vishwas karo prabhu ka aashray lekar keval aashray se bhagwat prapti hoti hai. Wo ye nahi dekhti tum kaun ho. Unko kabhi gussa nahi aata. Badi udaar hai. Ham logon ko ye sochna hai ki hamen shri ji ne bulaya. Ham kya jane ham kya jane shri ji sahachari bhav Vrindavan nitya viharas aur abhi kya jal gaye kya nahi wo ghaseete chale ja rahe pata nahi kaise ghasit rahe hain wo shri ji jane to bole ham mein to koi yogyta nahi bhaiya na pehle yogyta tha nahi abhi hai to kya hamen shri ji milenge to bulaya kahe ko hai are ham lage the sansaar ke bhogon mein prapanch mein wahi fanse rahne dete jab idhar bulaya to beech mein chhod denge kya aisi kripalu hai wo aise chhod hamen payment milegi kam karvawe ya na

karvawe bhajan karvawe to unka aur na karvawe to ham unke to hamen payment kya milegi haan kunj mahal ki tahal sukh dampati samp bhrose par baithe raho man lo hamari baat ham bar-bar is baat ko isliye kahte hain ki ham log kalyugi hai phisaddi swabhav hai kshan mein kisi bhi vishay mein phesal jaate hain bhagwat prapti bahut kathin hai to kya karen agar ham phesal ke bhi ja rahe to Radha Radha bole bharosa na chodna unka naam na chodna aur vachan par vishwas rakhna shri ji milenge bas bharosa aur ka na hone pave na apna na kisi aur ka bharosa keval ladli ka aur jitna bane khub naam jap karo chodo ye sab jhanjhat man ki ye sab bhaga daud chodo Radha Radha Radha ladli ke bhrose aur sukh purvak raho anand purvak mast raho ye manushya jeevan ye ashanti klesh chinta dukh iske liye nahi mila hai are itne bade ke ho yar mast st raho Radha Radha Radha Radha man ki kumarggami pravrittiyon ko bilkul aadar mat do aur Radha Radha Radha abhi kam ban gaya ye jo kam nahi ban raha na hamara ye hamari soch se hamari soch bahut

chhoti hai itni kup manduk ismen dum nahi unki unke sahare ho jao Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi