sadhak ke chitt ki dasha kaisi honi chahiye ? / sharir, man aur pran ko pavitra kaise karen ? // 15/09/2025
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh vrinda Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam param shital mashyam shri Radha shri Radha shri Radha harat man Madhav kanchan gori kanchan gori shri swamini jo akhil lokamni saundarya madhur nidhi prem prem samudra shri lal ji ke man ka aphrn kar rahe hain. Jo muni man mohan vishv man mohan Madan man mohan aur suman man mohan hai. Shri Gauri Priya jo aise prem samudra prabhu ke man ka aphrn kar rahe.
phir apne jaise adhmon ka man aphrn ho jae. Kaun si badi baat hai? Harat man Madhav kanchan gori harat man Madhav kanchan gori Radha aniyare ratna re lochan so jab kachu bharori harat man Madhav kanchan gori pangupajni do charan mahawar kar dhan dhun Manu madhu ras ghori darpan kar sohat muktamni har hriday mridu hasan thagori mridu hasan thagori harat man Madhav kanchan gori chapal anire ratnare halki si arunima liye hue lajja bhare prem bhare tirchhi chitvan se jab akhil lok chudamani lal jo ki taraf pyari jo dekhti hai to thagori si dal deti hai prabhu ke man ka aphrn karke sada sada ke liye adhin kar liya.
aisi shri swamini ke shri charnon mein sundar napur gore charnarvind mein adbhut dhang se sakhiyon ne mahawar rachna ki. Kar dhani ki madhur madhur dhvani ho rahi hai. Ek sakhi kar mein darpan lekar dikha rahi. Muktamniyon ka har hriday mein virajman hai. Mandmand muskura rahe hain. Nain nibar anjan man ranjan chitt har nit bar jori nainon mein anjan virajman hai. Ye lal ji ke man ka ranjan karne wala anand mod badhane wala pyari ji ke netron ka anjan hai. Chitt rupi vitt ka aphrn karne mein badi praveen hai ladli jo chanchal chit akarshani neel basan sir bindu badan dati bendi sindur kesar ro nilambr dharan kiye hue hain.
karod karod shrad ke chandramaon ki chandni ko apne shri mukh ki shobha se mat de rahe hain. Bhaal par bedi maang mein sindur aur kesar ro aadi se adbhut shringar kiya gaya hai. Sahaj mathat man math man math man divya chhata vrishabhan kishori sahaj mein Kamdev ke bhi man ko mathne wale lalju ke man ka manthan kar rahi hai. Aisi shri vrishabhan ladli shri Radha kishori harat man Madhav kanchan gori hamari gori Priya jo shri lal jo ke man ka aphrn kar rahi is prem ras mein bade bhagyashali upasak hote hain. Chahe wah stri sharir dhari ho, chahe purush sharir dhari anant bramhandon mein bhatkte bhatkte param pavan bharat jaise desh mein janm hona wah bhi manushya yoni mein usmen bhi bhakti marg mein kartavya parayanta mein dharm mein hamari vritti buddhi lagna ahetu ki kripa usmen bhi bhakti mein bhakti mein bhi param kripalu prabhu shri Krishna chandra ji ki usmen bhi shri Krishna ki ahetu ki kripa unke hriday ka dhan shri Radha kishori ke charnon mein priti aur jugal bhav se Priya pritam ki atho pahar seva yah to atyant durlabh hai.
is prem ras ki prapti ki chah jiske hriday mein utpann ho gayi adbhut kripa adbhut kripa par ismen savdhani ye rakhni hai prem ami chahe piyo kare vishay sone vish vyape jahi kare jar jarit deh man vishyan mein ram raho karat prem ki baat so mithya badi sada jag mein aavat jat uska awaz gaman rukta nahi hai janm maran rukta nahi jo baten to gyan ki karta hai, prem ki karta hai aur swayam vishay ras ka rasaswadi bana hua hai. Vishay vish ka pan karta hai. Wo premamart ka kaise rasaswadan karega? Bhog vasna sab tajay taje man sammaan prem panth par jo chale sah hriday parman kuch ek vichitra dasha ho jati hai hriday baha baha ghumta hai dravit hriday jaise jara si thokar lage to chhalak pare matki aise hriday aisa dravit ho jaata hai jara sah hriday par baan ye prem mein aisa jo dukh prakt hota hai wo brahma ke pad mein sukh nahi hai jo virah mein dukh hai aur phir jo nirakhat nitya vihar pulkit tan romavli anand nain sudhar yah jo kripa Harivansh ki jo apne Priya pritam ke vihar ko dekhte hue anandra pravahit karte hain.
unke sukh ka varnan kaise ho sakta hai? Prem virhi mein jo dukh utpann hota hai us dukh ki samanta parmesthi pad ka sukh brahma ka sukh bhi nahi kar sakta. Phir premi ko jo apne priyatam ke nirantar sanidhy ka anubhav hota hai. Us anand sukh pravahit karne wale premi ki mahima ka kya varnan ho sakta hai? Jo nirakhat nitya vihar pulkit tan rumavli anand nayan sudhar yah jo kripa Harivansh ki ek bar himmat karke ye bhog vish ka tyag kar de panch gyanendrriyon ke dwara jo man prakriti mein vichran karta hai sukh ke hetu yahan varnan karte hain bhog vasna sab taje taje man sammaan prem panth par jo chale sah hriday parban prem panth soi chal sake jin chhadi sab chah ja kare birhagna mein par mukh nahi nik kare aah prem dagar soi chale agar magar de chhod vishay rag rakhe nahi sab so nata tori prem marg ka pathik hriday se keval apne aradhya dev ke hi sambandh mein sthit anya koi bal, bharosa, asha, chah, apnapan kahin nahi.
prem panth mein wahi chal pata hai jo yah tayyari kar leta hai. Ab chahe jitna kasht mile, chahe jitna sukh mile, na sukh mein phulna hai, na dukh mein bhulna hai. Ab is marg mein mujhe rukna nahi. Chahe shul hi shul kyon na bichhe ho. Kar par kadam piche nahi hatana. Aise dridh nishtavan upasak ke charnon mein para hua shul bhi phool ban jaata hai. Bas nishtha dridh rakhni hai. Jab kisi rasik mahapurush ka sang hota hai aur unke dwara unki vachan par vishwas aur di hui upasna paddhti se hriday prem rang mein rangta hai to ek beprvahi aati hai.
ek masti aati hai. Premion ka rona koi dukh se yukt nahi hota ki unko koi pida hai, dukh hai ya koi chah hai anya. Nahi swabhav ban jaata hai. Kyon ro rahe iska koi uttar nahi. Bas ek rone se shanti milti hai. Ro liye. Ek hriday shital ho gaya. Kyon ro liye? Kya chintan tha? Kuch nahi. Bas sah hriday par baan yah prem marg mein chahta man hai nit sanyog isi se lagta dukh viyog dhyan dijiye premi ki sthiti nahi par tanik sva sukh ki chah isi se mujhe na kuch parvah. Yadyapi mera chitt har samay aapse milna chahta hai.
isiliye bhari tadpan hai. Par itna hone par bhi yah susukh wanchha nahi hai. Yadi aap nahi milna chahte ho to kadpi kabhi mat milo. Par main aapke milan ke liye tadapti hui roti rahungi. Aur us rone mein susukh wanchha nahi beprvahi hai. Milo na milo lekin tumhare liye aa bhar ke to ham rote rahenge. Ismen tumhara bas kya hai? Tum na milo mere se. Aapki marji dekho yah masti hoti hai jab naam jap ke dwara upasna ke dwara prem ka pradurbhav hota hai. Milan ho ya ho nitya bichho kisi bhi sthiti mein raha na moh milo aapki marji na milo aapki marji par ab main kisi bhi sthiti mein mohagrasta nahi hoon.
har samay savdhaan hokar aapke sumiran mein aapko pukarta hua rota rehunnga. Milo ya na milo yah aapki marji. Upasak ko yahi nishtha dharan karni chahiye. Rahi bas ek lalsa jag badhe nit nau sumiran anurag bahut badi baat rahi bas ek lalsa jag badhe nit nau sumiran anurag aapki smriti mein main duba raha hoon har samay bas ek hi lalsa aap milo na milo pyare aap swatantr ho hatheele ho hamara bas nahi hai aapki yad kar ke main rota rahun sumiran mein naveen swad badhta rahe aapki yad mein dubta rahun bas yahi lalsa hai aap mein naveen anurag hota rahe naveen smriti navam navam sukh milta rahe aapke naam mein aapke smaran mein dukh guru ho ya sukh su vishal tumhare sukh se rahun nihal bada dukh ho guru ka tatparta bada yahan bada dukh ho ya vishal sukh ho tum mujhe jaise rakhoge main waise raji rehunnga kyonki tumhara vidhan hi mere liye sukh hai joi joi pyaro kare soi moh bhag upasak is baat ko pakar le dukh guru ho ya sukh vishal tumhare sukh se rahun nihal.
aapka kiya hua vidhan hai diya hua dukh ya diya hua sukh donon mein main saman bhav se raji hoon. Raho tum sada param sukh rup. Mujhe sam hai chhaya dhoop. Aap sukh mein raho pyare aap mujhe mahan dukh rupi dhoop do ya param anand rupi chhaya do mere liye barabar ho gaya hai kyonki aapke siva aapki smriti ke siva mujhe koi sukh sukh nahi lagta aur aapki vismriti se badhkar koi dukh nahi lagta aur aapki kripa se aapki satat smriti hai isliye ye sukh aur dukh ham par vyapt hi nahi narak ka dar na swarg ki chah na jati kabhi mukti ki raah ab mujhe swarg ki chah nahi hai nark ka dar nahi hai aur maine moksh marg ka tyag kar diya hai jisse moksh hota hai us marg ka tyag kar diya hai aapke prem ke liye aapki satat smriti mein dubne ke liye nahi pratikul na kachu anukul tumhara sukh hi sab sukh mul prem bandhan nit rahe atuut bhale sankat se mile na chhut mujhe anukulta pratikultaa nahi vyapt pyare kyonki main aapki smriti mein duba rahta hoon he anukul pratikul is maya nadi ke kinare inse hamen koi sambandh nahi rah gaya.
chahe kitni anukulta ho to mujhe usmen koi sukh nahi. Pratikultaa ho to koi dukh nahi. Kyon? Kahan rahte ho? Ham to prabhu ki smriti mein dube rahte hain. Hamara prem sambandh atuut ho gaya hai. Pyare aapse. Yah ab aapke bhi chhutane par nahi chhut sakta. Yah bhakt ki sthiti dekho. Tumhen yadi sukh ho he hridyashwar virah dukh dega dukh na lesh yadi aapko sukh milta hai mere tadpne mein mere rone mein to main jeevan bhar tadpata rahun rota rahun aap kabhi mat milna aapko sukh hota hai na milne se to aap kabhi mat milna par main jeevan bhar tadpata rehunnga jeevan bhar rota rehunnga.
aapki as kabhi nahi chhod sakta. Ise to aap nahi chhuda sakte. He nath tumhara badan prafulit dekh dukh ki nahi rahegi rekh. Waise meri chah to yahi hai ki har samay main aapke shri mukharvind ko dekhta rahun. Mere netr bhramar bankar ke aapke mukh Arvind ka prem makrand pan karte rahe. Mere netr chakor bankar ke aapke mukh chandra ka rasamrit pan karte rahe. Par yadi aapko na milne mein sukh lag raha hai to na milo. Par aapki smriti aapke virah mein main jeevan vyatit kar dunga. Karo tum apne man ki nath chhod do chahe rakho saath aap apne man ki karen aapko lagta hai mere yogya nahi to aap chhod dijiye ya aapko lagta hai ki hamara hai to apne saath rakh lo ye aapki mauj hai aapki masti hai par ham aapko nahi chhod payenge ham aapke chintan mein pura jeevan jalte hue vyatit kar denge.
aap apne saath rakho ya aap hamen chhod do. Lagega shital darun dah par nahi niklegi mukh se aa. Yadyapi yadi aapka chhod dena ho gaya sanidhy nahi mila to mera hriday har samay tadpata rahega main par kabhi kisi se shikayat nahi karunga ki pura jeevan ho gaya kabhi prabhu ne sukh nahi diya kabhi aisa nahi kahunga aur kabhi kisi ko janne nahi dunga ki yah bechara kitna dukhi hai aur prabhu is par karuna nahi kar rahe kabhi aah nahi niklegi gi ek anubhav yukt dridh vishwas mera ek anubhav hai. Main usi anubhav bal se bol raha hoon.
kya sada tum rahte mere paas mana ki aap rup prakashit nahi kar rahe par aapka naam aapki smriti sadaiv mere paas hai to main sadaiv aapko apne samip hi dekhta hoon. He nath dikhayee pado raho ya gupt kabhi hote na paas se lupt aap dikhayee do ya antardhya ki leela kar do maya ka parda laga do par mere se aap gupt nahi rah sakte kyonki mere paas guru mantr hai guru pradatt naam hai uske prakash se main har samay dekhta rahta hoon ki aap mere samne hain. Mere sanidhy mein hain. Chhaa rahi sukh ki mukh muskan yahi bas mere sukh ki khan.
main madhur madhur smaran karta hoon. Dekhta hoon he pyare jo pyare jo aap muskura rahe hain yahi mere jeevan ke sukh ka hetu hai dekh tum rahe sabhi sab kal sukhi main hoon ki nahi har hal tum dekh lo kaisi bhi paristhiti dete ho tum dekh lo tum dekhne mein samarth ho kya main sukhi nahi hoon kya main kabhi aapse shikayat karta hoon kya kabhi aapse koi prashn kiya nahi to bas bas aap khush raho, sukhi raho aur main jeevan bhar aapke liye tadpata rehunnga. Aapka hi smaran karunga. Anya koi asha bharosa nahi aa sakta.
ab hriday mein. Aisi prem ki beprvahi upasak ke hriday mein hoti hai. Par aisa prem tabhi hriday mein utpann hota hai. Jab anya aashray, anya chah, anya bhavna yah hamare hriday mein na rah jae. Aapse sachchi kahte hain. Yah sadhan se thoda adhyatma ki pavitra to aati hai par ye unchai keval inki kripa se aati hai. Unchai keval kripa se aati hai. Wo kabhi sadhan mein hamne sthiti aisi nahi pai. Kahin nahi dekhi aisi sthiti jaisi kripa se dekhi jati hai. Bhut vismrit bhavishya vismrit ye baad mein pata chalta hai. Vartman mein ek ajeeb sthiti na buddhi kam kar rahi na man kam kar raha hai na chitt kam kar raha hai na aham ka sran ho raha hai.
ek ajeeb alaukik sthiti wah keval keval kripa se prakt hoti hai. Jo madhur madhur bhagwat smriti nirantar hoti rahti hai. Aur us smriti ka main smaran kar raha hoon. Iski vismriti ho jati hai. Sushukh vasna ki jahan kalpna bhi nahi hai. Is susukh vasna ki kalpna ka jo tyag swaroop hai uske kuch sadhan bata rahe hain ki agar ham aise chale to hamare andar yah prem prakashit ho jae. Pahli baat yah bahut shodh karke likha hua hai ki agar yah sadhan ban gaya to prem bahut jaldi prakashit ho jaega. Pahla ahit asatya vyarth katu nindayut udveg vachan ka tyag leela bhagwan naam gunon ka gaan kare nit sah anurag sabse pahla vani se bhaykar aparadh ban jaate hain.
ghor narko ki prapti vani ke aparadh se hoti hai. Sabse zyada aparadh vani se banta hai. Sadhak ko vani par bahut sanyam rakhna chahiye. Pahla sadhan bataya ahit agar vani se aisa bola ki kisi ka ahit amangal ho nahi. Asatya jhooth nahi bolna. Dekho yadi prem prapt karna hai to kisi ka ahit ho aisa nahi bolna aur asatya jhooth nahi bolna kyon jhooth bole ham bhagwat marg ke pati kyon jhooth bole kya labh mil jaata hai jhooth bolne se par ek swabhav ban gaya jhutha hi lena jhutha hi dena jhuthe hi bhojan jhooth chabena aao kahan se aa rahe ho prasad nahi paya hai.
jab nahi paya hai to spasht bol do. Nahi pane ki ichchha nahi. Abhi nahi payenge. Paya hai kyon jhooth bole? Har baat mein jhooth nahi. Satya bolna sikho. Yadi bhagwat marg mein chalna chahte ho, prem prapt karna chahte ho to hamare prabhu satyanarayan hai. Sacchidanand hai. Satya vratam satya swaroop hai. Wo isliye vani se hamari prarthna hai har sadhak se jhooth bolne ka abhyaas chhodie jo bhi hona hoga hamse galti hui hamko dand de do kitna dand doge mrityu se badhkar koi dand nahi ham mrityu ko sweekar kiye hue bhagwat marg ke pratik hai ham jhooth kyon bole jhooth nahi bolna kapt bhare vachan nahi bolna ahit katu kadwe shabd parukh vachan ninda yukt kisi ki ninda nahi udveg bola samne wale ka hriday jalne laga aise vachan ka tyag karna hai pahla prem prapti ke liye yah niyam hai vani ek amol hai jo koi bole jaan he taraaju tol ke tab mukh bahran aisa mat bolo pehle vani ko tolo hriday mein vivek ke taraaju par yah jakar dusre ka hit mangal karegi ki nahi karegi agar hamari hamari vani pavitra nahi hai to ham upasna ke pehle hi sopan par phayl ho gaye.
jis vani se hamen naam mantr siddh karna hai wo vani ashudh nahi honi chahiye. Jhooth nahi bolna chahiye. Asatya bhashan ahitkari katu vachan parukh vachan ninda yukt vachan aur sansarik varta iska tyag kar de. Yadi prem marg mein jana hai to leela bhagwan naam gunon ka gaan kare nit sah anurag vani ko pavan karna hai bhagwan ke pavan naam ka jap naam ka kirtan aur leela gunon ka gayan jaise Shrimad chaturasi ji 42 leela Shrimad bhagwat ye jab ham leela gate hain to hamare hriday ke sare moh mal ka nash nash ho jaata hai.
paap ka nash karke ekdam hriday nirmal hone lagta hai. Sachchi maniye bhagwat charcha karte karte bhagwan ki jhanki ane lagti hai. Aap ekant mein kabhi Shrimad bhagwat padhie manan kijiye rona aa jaega. Ekant mein chaturasi ji ko bar-bar gaiye jhanki ane lagegi. Jo pado mein leela chupi hai wo prakashit hone lagegi. Shyam shyama pragat pragat akshar nikat pragat ras shravat ati madhur vani satya bolo hitkar bolo dusron ko sukh pahunchane wali baat bolo bhagwan naam jap karo bhagwan naam kirtan karo bhagwat leela gungan karo yah vani ki tapasya ho gayi vani ki pavanta ho gayi aur jo apavan baat kahi gayi wo vani ki tyag do gram katha lok katha rajniti ki katha bhog katha yah sab chhod den.
kisi se kisi bhi tarah ka rag dweshatmak varta na ho. Man se kam krodh lobh ke vegon ka karke parihar. Vani pahla. Ab dusra kah rahe hain ki man bada yogdan hai sadhna mein man ka. Vishyon mein laga hua man shatru hai aur prabhu ke charnarvind mein laga hua man mitra hai. Man prabhu mein lag gaya to vishv vijay ho gaye. Jiska man sav man Krishna padarwindo Priya pritam ke charnarvind mein ja raha hai man swabhavic bahut-bahut dhanyavaad. Anant janmon ki uski sukrit phlibhut ho gaye. Sadhna phlibhut ho gayi ki jo vishyakar man tha wah bhagwadakaar ho gaya.
jo vishyon ka avlamban liye tha wo naam rup leela ka avlamban lekar prem mein dubne laga. Man se hamari vrittiya kam ki utpann hoti hai. Kam mein badha pare to krodh aa jati hai. Purti ho to lobh ho jaata hai. Nana prakaar ke dosh utpann hote hain kam se. Yah man sadaiv kamna vasna isi mein bhramn karta rahta hai. Kamna vasna man te kar ati dur ati dur inka pravesh bhi na ho hamare man mein in vegon ka parihar kar de to kaise jab nirantar andar naam chalaya jaata hai dhyan sahit dhyan dijiye vani ko pavitra karne ka upay bataya gaya vani ko apvitra kaise kiya jaata hai wah baten bataai gayi unka tyag kar de ab man man sabse zyada kam bhog ka chintan karta hai.
uski kamna hi pradhan wah vritti hai jo hamen sansaar mein phansati hai. Kamna ki purti mein lobh hota hai aur bhoge aur kamna ki apurti se badha padne par krodh hota hai. Bade-bade chahe koi bhi ho krodh ate hi mudhta chhaa jati hai. Mudhta chhate hi smriti nasht ho jati hai. Smriti nasht hote hi buddhi bhrasht ho jati hai. Buddhi bhrasht hona hi sarvnash kaha gaya hai. Dhato vishay pusa sangte supte sangat sanjayte kama kamat krodho bhi jaate krodha bhavti samoha samoha smriti vibhrama smriti bhrasa Buddha nasho buddhi nashat prannasati sarvnash ho jaata hai isliye vishyon ka dhyan hi na ho pave vishyon ka chintan hi na ho pave to kaise andar dhyan sahit naam jap karo yadi rup ka dhyan ho raha hai to theek hai nahi to naam ka hi dhyan karo jo naam jap kar rahe ho usi ka dhyan karo Radha bar-bar dhyan karte hue naam jap karo leela bhagwat gun namon ka kare nitya chintan avikar avikar sthiti prapt karne ke liye hriday rupi gufa ke andhkar ko dur karne ke liye naam ka prabhu ke rup ka prabhu ki lilaon ka chintan karen.
jaise ham jibhya se lilaon ka gungan karte hain, naam kirtan karte hain, vachik naam jap karte hain ya upansh naam jap karte hain. To yah vani ki pavitra hui mangal hai. Par hriday rupi gufa mein jo kam krodh chor chhupe hue hain inko hatane ki abhi samarth nahi. Inko hatane ke liye utrna padega gufa mein. Naam ko utarna padega. Hriday rupi gufa mein. Ya to dhyan chal raha hai aur ya to naam dhyan sahit chal raha hai. Dhyan sahit naam jap ek ek akshar matra ka dhyan karte hue to wahi rup prakashit ho jaega.
leela gayan karen to hamen panch adhyay karne hain bhagwat ke aisa niyam na le. Panch shlok padhe par khub doob ke padhe ki kya kaha ja raha hai? Kaun si leela gayan mere prabhu kya leela kar rahe hain aise aur jo ras granth hai inke arth par vichar na karen inka keval gayan karen ye arth vichar karne ki samarth prakashit karenge gayan karte karte ratat ratat kahat kahat sunat sunat ras riti jani jab ratte rahoge kahte rahoge sunte rahoge to ye ras riti samjh mein aayegi kahat aur sunat ras riti jani tah taj kabahu gau na kabahu kachu pran ram rahi Harivansh vani aisi nishtha aisa bhav nirantar gayan to chintan ka adhikar prapt ho jaata hai.
jab man se naam ka chintan rup ka chintan hota hai to ye kam krodh lobh moh mad matsar andhkar mein hi tikte hain. Naam ka prakash hote hi ye sab bhag jaate hain. Param prakash raat din bana rahta hai naam ka. Aisa sundar sukh hai naam ka. Wo kaise vani mein samarth nahi ki varnan kiya ja sake. Jaise kai dino ke pyase aadmi ko shital jal mile to kaise gatakta chala jaata hai. Aise anant janmon se jis sukh ki khoj ham anant bramhandon ke bhogon mein karte hue marte rahe. Aaj tak nahi mila. Jab naam mein wo sukh mila to gatkat nirantar gatkat.
jaise ham rup ke pyase netr bhatkte rahe aur jab pyari jo pyare ju ko dekha to netron se rup ka pan ho raha hai. Jai Sit Harivansh nikat daseejan lochan chasak rasaso gatkat gatkat netron se rup ka pan kar rahe hain. Vani se leela gungan naam ka pan kar rahe hain. Shravendra se prabhu ke yash ka shravan karke pan kar rahe hain. Wo unmatt ho jaate hain. Rasaso gatkat ye ras asav hai yah asav unmatt kar deta hai to man nishkam ho gaya naam aur dhyan ye paddhti hai dekho chhanad manani man man dharbo wale pad mein aao to dekho kaise prabhu paddhti bata rahe japat hari vivas tab naam pratipad Vimal aur manas tab dhyan te nimish nahi tarbo ek saath donon bhag jap ho raha vani se to man se ek nim ke liye bhi dhyan nahi chhut raha dhyan nahi chhut raha hit sajni jo kah rahe pyari jo se pahli baat to pranat hai aapke ladli jo aapko man dharan nahi karna hai pranat sundar sugar pran vallabh naval vachan adhin soi to kat karbo aur sthiti japat hari vivas tab naam pratipad Vimal manas tab dhyan te nimish nahi taribo aur idhar hanuman ji maharaj shri Janaki ji ki sthiti varnan kar rahe hain.
Ashok vatika mein baithe naam pahru divas nish dhyan tumhare kapaat lochan nij pad jantrit jah pran ke hi baat aap kaise samjhoge Janaki ji ki sthiti ko prabhu aapka naam raat din phra de raha hai nahi to kab pran nikal gaye hote aur aapka dhyan kapaat ki tarah darwaza band kiye hue hriday mein Ram rup ka dhyan hai. Jibhya pe naam atho pahar chal raha hai. Isiliye Janaki ji ke pran nahi gaye nahi to kab chhut gaye hote naam paharu divas nij dhyan tumhare kapaat lochan nij pad jantit jah pran ke baad yahan is sajni jo lal ji ke liye kah rahi japat hari vivas tav naam pratipad Vimal manas to dhyan te nimish nahi karbo pyari jo vachan ain so hit to kat karbo jo aapki keval agyaa ho uska palan karne par tatpar hai unke saath aapko man uchit nahi jab tak naam hriday mein dhyan nahi kiya jaata.
rup ka dhyan nahi hota. To bahari naam japte hue bhi hriday mein vikar ate rahte hain. Vikaro ka khel hota rahta hai. Isiliye prem ka prakash nahi hota. To prem prakashit karne ke liye vani pavan aur man pavan. Ab pran pavitra karo. Pran kaise? Pran ahar se ashudh aur shuddh ho jaate hain. To ahar hinsa mein ashudh bhojan ka bhagwat marg mein chalne wale ko tamoguni ahar ka tyag kar dena chahiye. Yah sab abhaksh padaarth to dur hi hai. Pyaaj lahsun mein koi hinsmtk dosh nahi par ghor tamogun prakt karta hai.
isliye iska tyag kiya gaya hai. Jahan aloo prakt hoti hai. Jahan kand shakar kand prakt hoti hai. Jaise jaise muli gajar prakt hoti hai. Theek waise usi kheti mein usi jagah mein ye pyaaj lahsun prakt hota hai. Iski pra prakt hone ki prakriya koi apvitra nahi hai. Ye kheton mein prakt hota hai. Lekin yah ghor tamoguni hai. Yah bhajan mein bahut badhak hai. Jab tak aapka hriday, pran, man, vani ye pavitra nahi honge tab tak aap bhagwat sakshatkar nahi kar sakte. To pavitra ke liye iska tyag kiya gaya hai.
pyaaj lahsun ka bhagwat prapti ki pavitra ke liye tyag kiya gaya hai. Ye koi hinsmtk dosh wala nahi hai. Par yah tamoguni hai to tamoguni ka tyag karke satogun ka sevan karte hue wo gunatit avastha mein pahunchna hai. Isliye iska tyag atyant aniwarya hai. Aur kahin bhi kisi bhi thakur ji ko kabhi bhi koi bhi bhog nahi lagata pyaaj lahsum ka. Agar lagata hai to yah aparadh hai. Aaj tak kahin koi praman nahi hai ki kahin satvic purushan ne isko paya ho ya thakur ji ko bhog lagaya gaya ho. Isliye is tamogun pradan karne wale pyaaj lahsun ka bhi tyag kar de aur kah rahe hain kare chatorepan ka tyag.
pran ko shuddh karne ke liye yah bajaru chijon khane ki jo chatorapan ban gaya hai wah prem prapti ki theek vritti nahi hai ki aap bahari chijon aapko agar bhog hi lagana hai to aap apne ghar mein jo rukha sukha banaiye bhav se bhog ye keval ye do angul jaban ki baat hai gale ke yahan se gaya na wo khatta mitha sab bekar ho gaya wo mal ban jaega isi ki keval isko swad do hari naam ka Radha naam ka yah chatorepan ka tyag karo. Yah zyada chatorapan, rajogun, tamogun prakt karke bhog vasnaon mein bhramit karta hai.
aisa nahi bahut savdhani se satvic keval pet bharna hai utna jitne se hamare prannon ka poshan ho jae. To hamare pran pavitra ho jaate hain. Pani aur ann ye sab prannon ka poshan karne wale hain. Vayu pran poshan ann pran poshan jal pran poshan to hamara vatavran hamara jal hamara ann bahut bada prabhav karta hai bhajan mein. To kah rahe hinsa mein to koi satmarg mein chalne wala aisa ahar payega hi nahi jaise mans hai, machhli hai, anda hai. Yah kadpi nahi. Phir ashudh bhojan tamoguni bhojan pyaaj lahsun aadi pare hue ya ek bar jis rasoi mein mans ban gaya usmen khir puri bana ke aapko di ja rahi ki yah bada satvic bhojan ham nahi pa sakte us rasoi ka kyonki rasoi hi ashudh ho gayi jahan ek bar mansra gaya wo patr wo rasoi ab hamare yogya nahi rahi ashudh bhojan ka aur kare chatorepan ka tyag ye dekho shisha ke andar samgri bahut achchhi sundar dikhayee de rahi.
lekin jab banai gayi hai to banane ki prakriya aur banane wale ka bhav banane wale ki shuddta kahin koi shuddta nahi. Janwarpan swabhav mein baitha hua hai. Koi birla hai ki thoda satvic bhav. Nahi to ashuddhata hi ashuddhata hai. Aap dekh lo to aap khaoge nahi. Par wo aaj ka samay ho gaya hai ki keval buddhi rasd Jnendra ke bhogon mein tripti ka anubhav karne wali. Isliye pavitra pavitra ka to nirnay hi nahi kar sakti. Sada shuddh subhojan satvic kare swad ka taj kar rag sada bhojan ho satvic ho aur wo prabhu ko arpit kiya hua prasad ho aur alphar ho adhik bhojan nahi kyon daloge vyarth mein pet mein kyon vyarth mein daloge tumko koi kushti ladna hai kya jake are tumhen kam krodha aadi ko pachhadna hai to unke liye alp ahar itna alp na ho ki bhojan ka chintan ho aur itna zyada na ho ki pet mein wajan nazar ave.
satvic kam swad wala aur bhagwat prasad arpit kiya hua bhojan. Isse aapka prem marg pusht hoga. Pran pavitra honge. Ab tan pehle vachan phir man phir pran aur ab tan. Tan ki pavitra atyant aniwarya hai. Shauchachar ka gyan jinko nahi hai unki bhajan vritti nahi chalegi. Aap dekh lijiye laghushank jaiye bahut savdhani se laghushank hokar jalendra ka prakshaln karke hath ko ek do bar to raj jarur lagao. Bhale tum aap sabun aadi lagate ho to raj jarur raj ke bina pavitra nahi mani jati aur phir achman karen.
teen bar achman karen phir mantr japna shuru karen. Kabhi khali na rahe to jab laghu shanka jae tab jal ka prayog jarur karen. Shauch jae to utne hi vastr pahan kar jae jitne prakshaln dho sako aur pavitra vastr dharan karo. Sade vastr aacharan sidhe jeevan aadambar se hin avshyakta abhav virhit sada din seva mein leen sade vastr shauchachar ka purn gyan aacharan bahut pavitra aacharan saral sidha swabhav bhav pavitra aacharan aadambar se hin koi bhi banavti pana nahi hona chahiye. Upar varnan aaya ki koi is prem marg ka pathik aadambar na kare.
aadambar sakhi bhav ya gopi bhav ka natak na kare dikhava na karen. Ki idhrudhur shringar karke ham apne ko janae ki ham gopi hain ya sahachari aadambar hai. Gopi ya sahachari deh bhav chhut jane par prapt hota hai. Ye dehateet bhav hai. Deh ka shringar gopi nahi hai. Ye deh ka shringar sahachari nahi hai. Banita purush bhav mit jae seve lalitadik ke bhae. Deh shudhi kabhi smaran ho bata rahe hain na purv ki smriti na bhavishya ka koi bite hue na bhut ki smriti na bhavishya ki smriti vartman mein bhi main smaran kar raha hoon aisi smriti nahi keval akhand smriti ye bahari aadambar nahi hona chahiye mana kiya hai upar ki jeev apne vastvik lakshya se bhrasht ho jaata hai jab bahari aadambar karke dusron ko rijhane ki cheshta karne lagta hai isht ko rijhane ke liye deh bhav vismrit hona hai.
deh ko sajana nahi hai. Sada shuddh subhojan satvic kare swad ka taj kar rag bahut satvic bhojan waise hi satvic vastr aadambar se hin charitrvaan upasak avshyakta abhav vihit jaise mujhe prabhu rakh rahe hain main raji hoon. Mujhe koi avshyakta nahi na paristhiti badalne ki na sthiti badalne ki. Jaise mujhe prabhu rakh rahe hain joi joi pyaro kare soi moh bhave. Mujhe santosh hai. Jaise rakh rahe hain bahut accha hai. Hamen kisi se koi maang nahi. Hamen koi chah nahi. Hamen koi parivartan parivartan ki chah nahi.
ye parivartit ho jae ye badh jae. Nahi aur raat din tan ko seva mein le. Seva se bahut jaldi pavitra hota hai sharir. Mata-pita ki seva, budhe budhon ki seva, rogi ki seva, pashu pakshi ki seva, kisi ki seva, bhagwan ki seva, sant seva, gau seva, kisi ki bhi bhagwat bhav se seva ki jae to sharir bahut jaldi pavitra hota hai. Shauchachar ka gyan, pavitra vastr, aadambar hin, dikhavaheen jeevan koi avshyakta nahi. Jaise prabhu rakh rahe hain usi mein raji aur din bhav se seva vishay sansari logon ka sang chhod seve satsang jinke saath baithe se jinke vihaar se hamare andar nishakmata ave nahi chahiye mujhe bhog nahi chahiye mujhe sansaar ka sukh parinaam dekha jaata hai.
parinaam bhagwat premi mahatmaon ka sang ka parinaam kya hota hai? Khao piyo, hanso, khelo, baitho. Par uska parinaam hoga ki aapke hriday mein ane lagega. Mujhe nahi chahiye bhog. Mujhe nahi chahiye sansaar ka sukh. Mujhe prabhu chahiye. Main satya se chalna chahta hoon. Main dharm se chalna chahta hoon. Main jitendrita se chalna yah ane lagega ye sang ka prabhav aur bahut mithi mithi banavti baten bahar dikhava aadambar to sang se aapke andar bhog vasna badhegi sang se aapke andar sansaar priyata badhegi sang se aapke andar vastu vyakti sthan ka rag jagrit ho jaega isliye kah rahe hain vishay sansari logon ka sang chhod seve satsang vyarth anarth karya sab indri man ke taj kar rahe asang sadhu sang kare vishay kusang ka tyag kar de aur vyarth karya kabhi na karen kabahu kal vyatha nahi jai ek kshan bhi vyarth nahi jana chahiye naam jap chal raha hai gun kirtan chal raha hai seva chal rahi sadhu sang bhakt charit bhakt naam anytha hamara samay vyarth mana jaega.
ham seva karen kisi ki bhi seva ka avsar mile jagat mein sabke hriday mein bhagwan hai par hamara bhagwat bhav ho aur naam jap chal raha ho vyarth karya nahi hone chahiye aur anarth ye jitne papacharan hai sab anarth tumhara nash kar denge tumhari shanti ka tumhare sukh ka tumhare sharir ka tumhare vicharon ka nash kar denge anarthakari cheshta kabhi na karen yah indriyan shabd sparsh rup ras gandh ke liye bhagti rahti hai. Inko roko. Inko naam bal se roka ja sakta hai. Kal jaise charcha kar rahe the gyan sabko hai lekin apne gyan ka prayog karne ki samarth nahi hai.
samarth aati hai naam jap se. Jitna naam jap karoge utna hi samarth aapke andar aayegi. Jo chahoge prapt ho jaega. Hamare har prashn ka uttar naam jap hai. Kuch log kahte bhi hain ki inko to har prashn ka jab uttar denge kahenge naam jap karo. Isliye kahte hain ki chahe jitni badhiya bazar ho ghum aao puri bazar mein agar koi chij leni hai to aapke paas rupya chahiye. Rupya bazar mein ghum aao. Rupya chahiye. Rupya hai to uske anusaar saman le loge. Aise hi yah saaf shastr hain. Siddhiya yah wo jo chahiye ab jab chahiye to tumhare paas dhan hona chahiye wahan ek rupya dhan kam nahi karta wahan naam dhan kam karta Kabira sab jag nirdhna dhanvant nahi koi dhanvant soi janie jake Ram naam dhan hoe Radha Radha Krishna Krishna hari hari jitna japa jo chahiye kharid lo agar kuch aur nahi khareedoge to hari ko kharid loge sumir pawan sut pavan namo apne bas kar rakhe Ramu isiliye sab prashan ka samadhan batte batte ant mein yahi ki naam jap karo kyonki naam jap ke dwara amanglon ka nash hoga sukh ki prapti hogi gyan ka prakash hoga avidya ka nash hoga mahamangal ho jaega to vyarth anarth karya sab indri man ke taj kar rahe asang ye asangta ke liye naam jap zaruri hai bina naam bal ke aap asang nahi rah sakte jo man chahega karva lega jo indriyan chaheng karva leng aur bhajan utsah sada jaise ek garib aadmi ko rupya kamane ka utsah hota hai ki agar ham do ghante aur kar lenge to itna rupya hamko mil jaega.
aise bhajnotsah hona chahiye. Upasak ke andar jab bhajan ka utsah jagta hai to ratri mein nind nahi aati. Thodi der ek murcha se ai uthkar baithe kitna abhi to 11 baje hain nahi ghadi band ho gaye hue ham to aram se so chuke hain aur baith ke bhajan chal raha sab so rahe hain wo jag kar bhajan do ghante mein aae pura 24 ghante ka vishram ho gaya naam jap kar rahe naam se vishram ki prapti ho rahi bhajnotsah sada dekho apne andar kahan bhajan ke liye itni priyata hai ratri mein jo bhajan hota hai bahut jor ka anand milta hai.
ekdam shant vatavran aur ek khumari chadhi rahti hai. Usi mein chal raha hai mantr. Bahya chetna shunya andar se mantr chal raha hai. Keval sunte raho. Chahe lete ho chahe baithe ho. Par yah sthiti bahut abhyaas ke antargat hogi. Nahi to baithe-baithe bhi so jaoge. Letne mein to phir kya hai? Aap dekho savasan mein let ke kitni jaldi samadhi mein chale jaate ho. Nind mein pahunch jaoge. Naam ka abhyaas aisa naam ki khumari ki chahe lete chahe baithe baso chal raha hai. Bhajnotsah sada aur bhagwat astitva kripa mein dridh vishwas prabhu ki hamare upar bahut badi kripa hai.
naam jab chal raha hai isliye prabhu hamare saath hai. Bhale hamen dikhayee na de rahe ho. Naam vani jahan Shyam shyama tahan naam vani sunat Shyam shyama subas bas naam hai to prabhu hamare saath hain hamen chinta nahi karni bhajan sahayak jo bhajan mein sahayata karte hain wahi hamare mitra hain. Sansaar mein hamara apnapan usi se hoga jo bhajan mein sahayak hai. Chahe wah karm ho, chahe wah vyakti ho, chahe wah vastu ho, chahe sthan ho. Agar bhajan mein sahayak nahi to tajie tahi koti bairi sam jad param snehi jake priy na Ram vaideh shri bhagwat rishi ji maharaj kah rahe ki aae sang nahi sang gaye is baat ko bada dhyan se sunie.
hamara bhajnotsah tabhi badhega jab hamen bhajan ka sahyog mile. Bhojan bhajan sahyogi sang bhajan sahyogi khanpan pahnna odhna hamara har karya bhajan sahyogi kah rahe ki bhajan sahayak wo vyakti wo vastu wo sthan bhajan sahayak aur jo bhajan sahayak nahi hai to aae sang nahi sang gaye ye mag mein bhyo milap moh fas jag ban raho bichure karat vilap bichure karat vilap man sut pitu pati mata sasur jamai juvat surad guru shish dhan bhrata nij anubhav ki bhul vibhav bhagwat bir mae ko ham kahan ko jat kahan te lag aae bhagwat rishi ji kah rahe hain jo prani jo rishtedar jo sambandhi hamen bhagwan se vimurkh karen wo hamara nahi hai.
dekho koi sang nahi aaya tha aur koi sang nahi jaega. Beech mein mile hue log hain. Mile hue logon se apne kartavya ka palan keval karna hai. Sambandh keval prabhu se agar prabhu ka sambandh hata de to hamara aapka koi sambandh nahi. Tajo pita Prahlad vibhishan bandhu bharat mhatri guru bal tajo kant braj banitan bhed mangalkari is sansaar mein na koi hamare saath aaya hai aur na koi saath jaega baitha lo hriday mein akele aae ho akele jaoge pyare pakka vishwas sa kar lijiye. Duniya mein lakho ka mela juda. Wo hansa jab jab uda to akela uda.
koi sathi nahi. Chahe saath koi mrityu ko prapt ho par uski yatra alag hogi. Aapki yatra alag hogi. Kabhi milap nahi ho sakta. Yah khel aisa hai. Yah milap keval abhi abhi kuch samay ka beech ka hai. Isliye is duniya mein jo mamta ka jal phailakar maya fansakar bhagwan se vimurkh karke janm maran ke chakra mein fansa rahi hai nahi phasna uska jal hai pita putr mata sasur jamai patni mitra gurjan arthat bade budhe jan aur shishya ki mamta dhan ki bhai bandhuon ki yah sab maya ka jal hai fansane wala. Bhagwat rishik ji kahte hain nij anubhav ki kami hone ke karan sukh bhog mein in sambandho mein aise log phas jaate hain ki unke andar yah baat hi nahi aati ki main kahan se aaya hoon.
mujhe kahan jana hai? Main kaun hoon? Mera kaun hai? In baton ka koi prashn nahi rahta. Bas wo inke jal mein phas jaata hai. Shri pujya bhai ji maharaj kah rahe hain ki hamko bhajan sahayak jo hamare bhajan mein sahayata karen aise logon se prem karna hai. Agar hamara bhai hamare bhajan ke virudh hai to ham apne kartavya ka palan karenge lekin usse mitrata nahi rakenge. Agar hamare parivaar ka koi sadasya bhajan ke virudh hai to uske prati hamara jo kartavya uska ham palan karenge. Sambandh andar se nahi manenge.
aise hi vastu jo bhajan sahayak vastu jo bhajan mein badhak vastu hai uska tyag jo bhajan sahayak usko sweekar aise sthan jahan jane se jahan baithe se bhajan ksheen hota hai. Ham aise sthan mein nahi jaenge. Aise logon ke beech mein nahi baithenge. Ham wahi karm karenge jisse hamara bhajan badhe. Chhath dum shil virat bahu karma nirat nirantar sajjan dharma bhajan sahayak karmon mein hamari priti ho aur bhajan mein badha dalne wale karmon se ham aruci karen. Pravriti dhyan abhyaas hamari pravriti sansaar ke karya bhagwat dhyan karte hue bhagwat naam japne ka abhyaas karte hue mas yuddh apne kartavya ko karo par naam jap na chhutne pave bhagwat dhyan na chhutne pave yahi chaturta upasak ki prem prapti karne wale ki aur age ghor vipad mein dhairya mankar prabhu ka mangalmay suvida shyama Shyam prem ko hi bas man ek uddeshya mahan ayengi vipattiyan bhajan ka phal yah nahi ki koi vipatti nahi aayegi bhajan ka phal hai sanchit karmon ko bhasm kar dena age ke karmon ko nishphal kar dena aur praarabdh ke bhogne ki samarth dena praarabdh sharir nirman ke samay jo hamare sharir mein dukh sukh rakh diya gaya ki itne sal mein yah rog aayega, itne sal mein yah dukh aayega, hamen bhogna padega.
bhogne ki samarth milti hai bhajan se. Hamare sanchit karm jo janm maran karane wale wah bhasm ho jaate hain. Jo naye kriyaman hain wah akarm ho jaate hain. Kyonki bhagwat samarpit jeevan hai. Isliye shyama Shyam ke prem ka lakshya rakhne wala har vipatti ko har dukh ko prabhu ka mangal vidhan mankar sahte hue age badhta hai. Uska uddeshya ekmatra bhagwat prem hota hai. Jo upasak shri shyama Shyam ke prem marg mein agradsar hona chahta hai. Use yadyapi lal ji ke prati hamara bahut prem hai. Lal ji hamari pyari ji ke pran pritam par hamari jo thesak hai wo Priya ji ke charnon se judni chahiye.
jugal upasna mein ham jugal upasak hain shyama Shyam ke par hamari phasak hamari pradhan seva shri ladli ji ki isiliye sabse vilag hai. Kahin bhi pradhan seva hoti hai to pehle lal ji ko shringarit kiya jaata hai. Bhog lagaya jaata hai. Hamare yahan pehle Priyaju ko shringarit kiya jaata hai. Priyaju ko bhog lagaya jaata hai. Aur ye tasma shastram prmanam ke antargat hai. Shastr pramanit hai. Ye koi manmani nahi hai. Sahachari bhav ki siddhi hoti hai Priyaju ke charnarvind se. Yahan bhagwan mahadev ji se lal jo maharaj kah rahe hain shri Krishna chandra jo yo mamev prapnas mat Priya na maheshvar na kadpi sa chapnoti mamev te maditam tasmat sarv prayatnen mat Priya sharanam braje ashrit mat Priya Rudra mam vasi karsi idam rahasyam param mayate parikkeertitam taya petan mahadev gopneeyam prayatnata ye jo log bahari gyan ke dwara Priya pritam ko janna chahte to karod janm mein bhi janna asamabhav hai.
idam rahasyam param bhagwan shri Krishna kah rahe hain mahadev ji se idam rahasyam param mayate parkeertitam taya petan mahadev gopneeyam prayatnata he mahadev yah bada rahasya hai tumhen apna priy jankar ke main varnan kar raha hoon isliye he Rudra ise badi savdhani ke dwara tum gopneey rakhna kya yo mamev prapnas mat Priya maheshvar he mahadev jo log mere vaibhav mere yash meri kirti mere pratap ko mante hain meri sharan mein hote hain par meri Priya Radha ko wo bhav nahi rakhte ve kabhi bhi mujhe prapt nahi kar sakte.
sun lijiye yo mamev prapnas mat Priya na maheshvar meri priyaju ki sharan mein nahi hue meri priyaju ki aradhna nahi ki to na kada pishachapno mamev te mayitam main kabhi unko nahi prapt hota at tasmat sarv praytn mat Priya sharanam braje asit mat Priya Rudra mam basi kar marahsi he mahadev isliye meri agyaa hai ki jo mujhe prasann karna chahte mujhe prapt karna chahte hain mere prem ko prapt karna chahte wo meri Priya shri Radha ki sharan mein ho aashit mat Priya Rudra he Rudra jo meri priyaju ke ashrit ho jaate to mam basi karat marahsi wo mujhe apne adhin kar lete hain aur jo meri priyaju ki aradhna nahi karte meri priyaju ko mere se alag jante hain kabhi mujhe prapt nahi kar sakte mahadev ji se prabhu shri Krishna swayam kah rahe hain ab jo priyaju ke charnon ki upasna ka swaroop hai to andar hi andar wo aise naam jap karen aise chintan kare jaise uska koi priy ho wo bahut dur chala gaya ho aur uske bina wo ji nahi sakta to kaise sare karya shithil bhav se karte
hue andar hi andar uska chintan karta hai tadan bhav nityam gayat vinoti cha wo apne priyaju ke gunon ka priyaju ke leela ka gayan karte hue priyaju ke naam ka chintan karte ek ek pal vyatit kar raha hai. Is Radha charnarvind ki pradhanata rakhkar yugal sarkar ki upasna ke liye do sadhan batae ja rahe hain. Pahla sadhan hai ki shri lal jo maharaj kripa karen. Aur hriday dravit hokar ke Radha kishori ke naam rup mein lag jae to Radha kishori kripa karke jo dusra mahan balvan sadhan hai uski prapti kara de.
prayah aisa hi hota hai. Badi kripa hoti shri Krishna charnon mein hamari bhakti hoti hai. Phir shri Krishna kripa hoti hai. Radha charnarvind mein jaisi banti hai waisi priti Radha Radha japna Radha ab jaise bahut se log hain Radha maa kahte hain jaise durga maa bhadrakali maa to aise samjhte hain Radha maa badhiya hai bhav hai lekin yahan braj mandal mein aapko koi Radha maa kahte nahi milega agar Radha maa kahe to hansi ka patr bana Radha maa are nitya kishori Priya ji bina shri Vrindavan ki raj aur braj raj ka brajvasyon ke tukda khae bina yah bhi baat samjho bahut kal tak brajvasyon ki tuk khakar is raj ka sevan
karte hue jab aap rasikon ka sang karoge tab dekho kya upasna ka sadhan hai to bole Radha sukh ko dusro yah sadhan balvan pahla kya bataya koi kahin bhi ho bhagwan ki aradhna karta hai aradhna karne se shri Krishna aradhna milti shri Krishna aradhna brajendra nandan wo jab kripa karte hain to Radha charnarvind mein thodi Prita Radha naam sunna ab uska phal kya hua ki bole manjri ban seva kare samud jugal ras khan ab uske andar ye jab bhav aata hai ki main shri ji ki kinkri dasi sahachari bankar ke seva karun jugal sarkar ki to ismen sabse badi baat aati hai ki kisi sahachari bhavapanna mahapurush ka aashray nij sukh ko ranchak nahi kithu kalpna le sukh hit ladli lal ke sah samod kalesh seva sakal nikunj ki kare sada avikar sanyat indri man sada bas seva adhikar lakhan kunjli leela sukhi shyama Shyam lalam lahe param sukh badhe suchi seva ruchi abhiram ko manjri ko rahe anugat sada sachet manjri sam seva kare tako pai sanket upay bata rahe hain jo is ras ke rasik jan hai jo sahachari bhav manjri bhav kinkri bhav dasi bhav
mein dube hue hain ko manjri ko anugat sada sachet unse pehle diksha le unke anugat ho jae aur phir unke sanket ke anusaar apni dincharya baname ismen likha usmen likha hamse koi matlab nahi hamare Gurudev ne rasik shiromani Gurudev ne jo agyaa kari wo waise hi hamko aacharan karne tabhi priyal ke prem ras mein pahunch payenge. Bole nij sukh ko ranchak nahi kithu kalpna les sukh hit ladli lal ke sah samod kalesh rasik Gurudev ki sharan mein hokar unke ishare ke anusaar ham chal rahe hain. Apne sukh ka sarvasv tyag karke klesh sahte hue paramarth path mein is karya se mujhe sukh milega aur is karya se dukh milega yah nahi dekha jaata Gurudev ne jo agyaa kari bas usi marg mein ham chal dete hain parinaam aapko priyal milenge bas unki agyaa par kyon ma tark vitark ye sahi ye galat apni buddhi na lagave guru seva taj kare juban yah adharm yah sab hani kan na rachan mera hai.
agar wah adesh karte hain ki aap aise khade rahie to khade rahne se priyal mil jaenge. Kyonki aap unki agyaa mein hain. Yah priyal dekh rahe hain ki mere liye mere priyjan ki agyaa par jeevan samarpit kar diya. Isliye priyal aapko samarpit ho jaenge. Sukh hit ladli lal ke sah samod kalesh. Yah niyam bana lo ki hamen dukh sahna hai. Sab dukh se kampte hain. Kitne prashn hazaron bar log karte hain ki ab hamari shraddha nahi rahi prabhu mein. Kyonki ek to bhyo vridha mata ji ne prashn kiya akhri mein.
hamari to baat sun lo. Ji shankar ji ki upasna karti thi. Khub jal chadhati thi. Parvati ji ki upasna karti thi. Bade vrat hamare pati kyon mar gaye? Ab batao iska naam mrityu lok hai. 100 do00 lota hazar do hazar lota aap jal chadha diye ho to kya koi marega nahi yahan mrityu lok mein bhaiya yahan jab bhagwan bhi avatar dharan karte hain to antardhya ki leela karte hain to yahan marna to padega to bole ab hamara man nahi lagta bhagwan mein ashradha ho gayi budhi maiya kah rahi thi ki unke pati chale gaye hain pati padhar gaye to ham aapko sachchi batave pati putr mitra patni mata pita bhai bandhu sab marenge yahan jantur kam nahi karega kalava kam nahi karega hamari baat thoda subah subah ki
lag rahi hogi bahut kadvi iska naam mrityu lok hai bhaiya ham bhi aur tum bhi donon sharir chhodenge aaj nahi to kal tayyari kar lo to malamaal hokar chalo aur nahi to aise hi jana padega zabardasti tumko ghar se bahar nikal ke le jaenge ham tum sabko jana hai jane ki tayyari kar lo jo pehle se tayyar na the pachta pachta kar chale gaye ham tum sabko jana hai jane ki tayyari kar lo kya Radha Radha Radha Radha sab kuch sahenge kisi se kuch na kahenge bas Radha Radha Radha badhe chalo ek ek kadam badhe chalo har dukh sankat
ko raundte hue Radha Radha Radha bade dhani ho jaoge jab yahan se jaoge to vip vyvastha hogi agar vyvastha mein tumhari ye dhan nahi hua to asutte hue le jaenge bund bhar pani nahi piyenge dakshan ki taraf ek yojana ka matlab char kos hota hai. Itna marg to tapta hua jajolyaman jalta hua aise marg mein kode barsate hue wahan jo marna hai nahi wahan jo pitai hoti ye rasta mein jo chor ko raste mein dande padte hain wo to free ke hote hain. Special swagat to thane mein hota hai aur iske baad jo uska parinaam hota hai wah to jaj deta hai.
ye bahut khtre ka khel hai. Agar aapke paas naam rupi dhan hai to badhiya viman par jaoge. Naam rupi dhan hai to bhagwan ke paas jaoge. Naam rupi dhan hai to bhagwat seva ka anand milega. Narak jana hi nahi padega. Isliye klesh sahna sikho. Klesh mein naam jap ko mat do. Naam jap ko bachao. Kai bar hamne kaha Brahmastra ka prayog machchar marne ke liye nahi kiya jaata. Naam jap ka prayog ye aae hue dukh mitane ke liye nahi dukh ko bhog lo aur naam jap ke phal se bhagwat prapti karo. Sukh hit ladli lal ke sah samod kalesh jo bhi kal ek bhagat kah rahe the ki bahut hamen dukh hota hai.
log hamari ninda karte hain. Kyon karte hain? Ham kisi ko kuch kahte nahi. Tilak lagate kanthi dharan kiye aapne diksha di main bhajan karta hoon par jidhar niklo parivaar rishtedar sab hamara uphash karte hain kyon karte hain ye kyonki unke andar asuri pravriti hai daivi sampada ko dekhkar asuri pravriti apne aap jalne lagti hai yah hai Shastri uttar aur sadhnatmak uttar hai kyonki bhagwan aapko majbut banana chahte hain aap bahut kamzor ho dusre ki gali sunkar ro dete ho ye bhagwat marg dekho ladli lal ke hit sahai samod kalesh bhagwan aise logon ko jarur bhejte hain aise logon ko jarur bhejte hain ki aurat ki taraf dekhe chahe na dekhe uski taraf bhakt ko dikhwate hain aur sunwate hain to kyon sunwate hain kya wo majak kar rahe hain nahi apne bhakt ko paripakva karna chahte are to bina sunwae paripakva kar de nahi hota matki ko dhoop se sek ke pani dal ke aap surakshit nahi rakh sakte.
usko ave mein rakhna padega. Keval dhoop ki sek se nahi pakegi. Use ave mein pakana pare. Ye awa hai. Uphash karna, ninda karna, marpeet bhi kar dena. Aisa bhi hota hai. Marpeet bhi kar dete. Bade-bade santo ko bade-bade santo ko. Char baje subah yamuna snaan karke ek mahapurush aa rahe the. Teen char log aae. Bole rupya lao. Unhone kaha ham to bhiksha se jite rupya to mar dande mar dande jaang mein pindri mein aise bade dande mein lathi jaise badi jor ki Radha vallabh Radha vallabh Radha vallabh shri hari kai dande mare jholi tholi to kuch nahi wahi kapda langoti kamdal aa jao accha wahan bura bhala lagne ki thodi baat hai ghatna hai prabhu isko bhagwa rahe prabhu de rahe bade prabhu bahut badhiya inam de rahe abhi to are pujan kar raha prabhu ka chintan kar raha hai 4:00 baje yamuna snaan karo danda upar se chalwa rahe yahi yahi
paripakwata hai agar danda sah gaye to Yamraj ke dande se bach jaoge itne paap jama hai sab kat jaenge do char dande mein kat jaenge vishwas kar lijiye pakka samjh lo bahut kripalu hain bhagwan ek aae bole bahut varsh sab ye khate pite the aapka satsang suna chhod diya par dukh nahi hat raha hai kitna dukh chhotamota dukh nahi lakho murga kha dalege to lakho bar murga banke tum chaku ke niche ana parta aaj Radha Radha shuru kar diye ho to thoda jukham bukhar aur aise do char idhar udhar ki ghatna se wo sab kat jaega tumhen dikhayee nahi de raha hai nahi lakho bar jo kha chuke ho na jeewo ko machhli ko tal tal ke waise tle jaate waise lakho bar kate jaate hain pakka samjho ek ek bar janm hota hai ek ek bar katte yah to kripa hai ki ek hi jhaatke mein tumhara hath pair tod ke tumhen mukt kar rahe hain.
prabhu kripa manao ki bhari paap ko chhote se dand mein nipta rahe hain. Bura mat socho ki bhagwan ka bhajan kar rahe hain to hamen kasht kyon mil raha hai? Sukh hit ladli lal ke sahai samod kalesh kisi sahachari bhavapanna mahapurush ka sharanagat hokar aur jo jeevan mein klesh ave unko sah ladli lal ke hit mein hi rahe arthat unke kabhi pratikul na soche seva sakal nikunj ki kare sada vikar ab aap kahoge hamara nikunj tumhara ghar nikunj hai tumhare ghar mein jo ladli lal hai pura nikunj hai ghar usi bhav se Sohni laga usi bhav se pocha lagao ki ye ladli lal ka nikunj ghar hai.
deepak jalao, Priya lal ko snaan karao, bhog lagao. Puri nikunj ki seva ho rahi. Chahe jahan ho Delhi Kolkata jahan bhi ho desh videsh tumhare yahan ladli lal virajman wo mahal hai. Wo ladli lal ka nikunj hai. Usi bhav se aradhna karo. Sanyat indri man sada bas seva adhikar. Bas seva ke liye aapki indri man uthe. Bhog ke liye nahi. Agar grahasti mein ho to santan utpatti bhi bhagwan ki seva hai. Aisi bhavna karni chahiye. Lakh nikunj leela sukhi shyama Shyam lalam jab nikunjadhipti dekhenge aapki aisi bhavna ki sahachari bhavpanna mahapurush ki shishyata sweekar kar unki agyaa ke anusaar nirantar man aur indriyon ko seva mein lagae hue har dwandon ko sah rahe ho to sidhe wo nikunj ka life shuru kar denge.
tumharit mein Priya pritam ki rup madhuri Priya pritam ki divya leela to lahe param sukh badhe such seva ruchi abhiram lakh nikunj leela sukhi shyama Shyam lalam aur lahe param sukh badhe such seva ruchi abhiram isliye sadaiv naam jap karte hue rasik mahapurushon ke batae hue upasna marg se apne chitt ko priyaju ke charan ki pradhanata rakhte hue jugal seva mein tanmay rakhe. Bahut durlabh vastu adbhut nikunj vihar ras ki prapti hogi. Jo bade-bade rishi muni jan vanchhit pad hai wo Priya lal ki seva ka pad prapt hoga.
dhairya purvak sune na kan ki kahi aur kahe na apni baat narayanwa rup mein magan rahe din raat na kahu so bolbo na koi vihaar bas apni kunwar kishori ko jit nihar nihar shri Radha vallabh lal ki jai jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…