is maya thagni ke chhal–kapt se savdhaan kaise rahe // 01/09/2025
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital masya jai jai nitya bihareeni rani jai jai nitya bihari nirani nitya bihar nirantar jako priti param ruchi mani jai jai nitya bihari rani nitya bihari rani jai jai nitya bihari rani aand ahladini mil do prem priti ras thani jinke padnup pur kal roso shabd brahm pragtani pyari ju ke shri charnon ke napuru ki jhankar se shabd brahm ka pradurbhav hua.
aa u ma Om isi se samasth tribhuvan ka vistar hua hai. Aa brahm hai. Jaise brahm sarvatra vyapt hai. Aise har akshar par yapta hai. Yah pyari ji ke napuron se prakt hua hai. Ka kh ga aa sarvatra brahm ki upsthi hai. Pyari ji ki shri charnon ki nakh kant ka tej aisa prabal tej hai. Jis tej mein yogi jan dhyan karte hue leen ho jaate hain. Par pyari ji ke charan tak nahi pahunch pate. Brahm tej ko jyoti jahan Yogeshwar dhare dhyan tahi ko awran tha nahi pave ko jaan us tej ko bhed kar tejo rup nikunjav kalay netrad pindasthitam ye acharya sahachari swaroop unki kripa se is tej ko bhedne ki jo samarth hai wo wah mantr se prapt hoti hai.
kalyan ho jana, bhagwat prapti ho jana yah sahaj hai. Naam jap karte hain, satdharma se chalte hain. Par Priya pritam ke sahachari bankar unki seva mein nirantar rahna. Samasth sukho ki khan moksh sukh ko bhi tyag kar lok ke sukh to moksha abhilashi hi tyag deta hai. Lekin priyal ke prem sukh ki abhilasha moksh sukh ki abhilasha ka bhi tyag kara deti hai. Ye keval nikunj se jo aae hue acharya rup sahcharya hain unhin ke pradatt mantr mein itni samarth hai ki tej ka jo awran hai usko bhi cheer kar usko bhi par kar pyari ji ke gore charnarvind tak pahunch pave.
isliye yahan kah rahe hain anand ahladan mili do prem priti ras thani jinke padnu pur kal ro shabd brahm pragtani bhagwan shankar trikalgya hain. Unhone dekha ki anek mantro ka pradurbhav pyari ji ke napuron ki jhankar se hua. Radha kripa kataksh mein padh lena anek mantr nad manju haan napuron ke ra napuron ki dhvani se jo skalit hota hai anek mantr pradurbhav pyari jo ke charan napur se hue jaki mahima pragat ved mein neti hi neti bakhan tako vaibhav pragat nikunj mein yahan adbhut khel kahani jai jai nitya biharni rani jise ved nitya nitya kahta hai ishara karta hai raso vai rasam hawa landi bhavat wah param brahm paramatma ras swaroop hai.
par uski kaisi raskeli hai? Kaisi ras bhumi mein wah raskeli karta hai? Kaisa ras swaroop hai? Yah varnan nahi kiya. Iske liye neti neti kaha hai. Iska varnan rasikon ne kiya hai. Vrindavan nitya vihar ras ke rasikon ne jo ras hi ki murat do rasik ladli lal ras so hi bilsat rahe ras bhare nain vishal inko dekha neti neti nahi inko dekha inki raskeli ko dekha rasbhumi Vrindavan ko dekha aur apne bhi ras swaroop ka anubhav kiya isliye bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina ko samjh sake na kyonki ved jise neti neti kahta hai nikunj mein uski jo ras keli ho rahi hai uski pehchan jab ved wahi Bhagvati keshwar ko neti neti kahta hai to mahadhury ras tak to pahunchi hi nahi jo ras neti neti shruti bhakhyo tako ta adhar sudha ras chakhyo shakha kha patr phool phal sab dekht hi sukh dani Vrindavan ki lata Vrindavan ke phal phool khag mrig pashu pankshi inke darshan matra se maya dukh ka nash ho jaata hai.
ali madhuri sab hi ki mul yah shri Radha maharani maha madhury ras prem ras uttam bhakti ras aur mahashakti ye sabki mul hai shri ladli jo anant shakti apaar samarth mul prakriti adya shakti sab inhi ke ansh hai. Sab inhi ke ansh kaise tumhen bata apni jo maharani jo hai ye sabke mul hain. Ali madhuri sab hi ki mul shri Radha maharani mahaprabhu ne likha hai Shrimadd Radha sudha ye jo shlok hai na premnas madhuras hriday shringar leela kala vaichitra parmavadh bhagwata puj kapi sata eeshani jaschi maha sukh tanu shakti swatantr para shri Vrindavan nath pat mahsi Radhe syaam meri sevya shri Vrindavan nath pat mahsi aur inhi ke ansh se sab maha shaktiya prakt hui sabki mul shri Radha maharani bade bhagyashali jinko shri kishori ji ki daya drishti se shri dham Vrindavan ka aashray mila rasikon ka sang mila aur jugal naam jugal mantr jugal upasna jugal seva yah adbhut saubhagya hai.
shripad Prabodhanand ji maharaj kahte hain ki jo dridta purvak rasikon ka sang aur Vrindavan ki upasna ka rang to bole ye nitya nirwikara wo nitya swaroop ko prapt hote hain. Roz ka roz vikar dhire-dhire nasht hote jaate hain. Yah jo vikar hain, yah unmad paida karte hain. Pramad sthiti pramad kahte hain karne yogya karya ko na karna aur na karne yogya karya ka utsah ho jana. Ise pramad kahte hain. Bahut khtrnak hai. Karne yogya karya mein utsahheenta na karna aur na karne yogya karya mein prabal utsah ho jana.
yah bade-bade buddhiman vivekiyon ko bhi nich aacharan mein utar deta hai. Pramad yah tabhi rahta hai jab bhajan ka kram tutta hai. Aap dekh lena na karne yogya karya ka jab aapke hriday mein prabhav chhaa raha ho tab aap us samay to dekh hi nahi sakte. Agar dekh le to sambhal jae. Us samay naam nahi chal raha hoga. Us samay bhagwat vismaran ho raha hoga. Bahut accha sadhak hai to uhapoh ki sthiti hoti hai. Karun ki na karun? Accha hai ki na karun? Kaise wo man bar-bar vishyon ki taraf akarshit sunna dekhna, bhogna, chakhna ye khaun ki na khaun?
nahi khana uchit hai. Baad mein to phir bhajan se sab theek hi ho jaega. Wo accha jo sadhak hai wo uhapoh mein fansa hai us samay. Lekin jo naam japak nirantar hai kabhi pramad ki sthiti us par ana bhi chahe to tikti nahi hai. Jo rasikon ka sang karte hain shri dham Vrindavan ki upasna ke rang mein hai to yah nitya nirwikara wo apne nitya swaroop ki prapti ke liye ya nitya swaroop mein sthit hai. Isliye nirwikara rasik mein koi bhi vikar nahi hota. Phir bhi aap bhojan rakho to anukul pratikul usmen ye hatao ye rakh lo aisa ye nahi pata ye pa lenge.
iska matlab kya abhi unke andar koi priyata hai? Koi tyajya hai nahi swabhav sadhna ka hai. Swabhav hai sadhna ka. Sadhna se swabhav us koti ka paripakva ho gaya hai ki sadhna aur sharir ke anukul hi vishay ko grahan karenge. Pratikul ka tyag kar denge. Ye unki swabhavic sthiti hai. Swaroop se iska koi lena dena nahi. Ye swabhav ban chuka hai. Jaise jiska swabhav sadhan kal mein koi vyasan karne ka to siddha avastha mein bhi wahi vyasan karega. Sadhan avastha mein jo priy ruchik kar pata raha hai wahi siddhvastha mein bhi uski ruchi usi padaarth mein hogi.
yadyapi uski koi ruchi nahi rah gayi. Phir bhi samne padaarth ane par usi padaarth mein ruchi hogi jitni ruchi piche rahi hai. Paripakva avastha mein swabhav aisa hi ban jaata hai jisse aap prichay nahi pa sakte hain ki sthiti prajya hone par aisa kaise ho sakta hai? To yah nitya jo swaroop mein sthit hai nirwikara unmein koi vikar nahi hota wo vishay grahan munchu wa vishyon ka tyag karen to koi fark nahi parta koi labh nahi agar vishay sevan kar rahe to koi hani nahi kyonki vastvik wo vishay sevan ho hi nahi raha hai nirwikara jo swaroop mein kinchin matra bhi sthiti hui hai in vikaro ki satta nahi rah jati nahi swatma ramm vishay mrig trishna bhramti mrig trishna agyani ko dauda sakti hai ki jal hai lekin gyani ko nahi jo vivekvan hai atmaram hai usko nahi kyonki uski acha swabhavic sthiti hoti hai.
pujya Radha Baba ne ek bar bhai ji se pucha ki mitha ko dekhte hi hamari ruchi ho jati kya abhi mitha mein priyata hai kya? Hamen lagta hai kya yah kami bakaya rah gayi hai? Abhi pujya bhai ji ne kaha nahi is sharir ki kami hai. Sharir ko agar mithe ki maang hai to mitha samne ate hi abhyaas purvabhaas wo accha lagne lagega. Siddh purushan mein bhi yah rakh do ya hata do iska matlab unke liye koi priy priy nahi hai par wo swabhav sadhan kal ka waise hi chalta hai ye nitya wo swaroop sthit nirwikara wo nirvikaar sthiti ko nirtishay guna asmodh gun usmen prakashit ho jaate hain.
jo shri bhagwan mein gun hai, wah ansh se utarte hain apne janon ke antargat. Nishprapanch swabhava unka swabhav prapanch se atit hota hai. Kitna bhi updesh kar lo jo adhed avastha tak prapanch mein rahe hain. Bhajan ka abhyaas nahi kiya. Ham dekhte hain unke andar keval keval prapanch varta hi rahti hai. Keval prapanch matlab shuddh prapanch milavat wala prapanch nahi ki thoda prabhu thoda prapanch shuddh prapanch prapanch ki varta hi unse niklegi. Lekin jo bachpan se bhagwan ke bhajan ka abhyaas kiye hain to adhed tak pahunchte hue unki kaisi sthiti hoti hai?
bole ye nitya nirwikara nirtishay guna nipanch swabhava swabhav mein nahi rah gaya prapanch ke nisar baten log karte rahte badi andar se pida hoti hai ki are ek ek second kitna kimti hai tum usmen vyarth ki baten biti hui baten aur na jane kya kya prapanch ka swabhav pakka pakka samjh lijiye budhape mein paripakva ho jaata hai. Jinko yah bhav ho na ki abhi ham sab kama kha ke budhape mein parbrahm ki prapti kar lenge. Budha tota Ram Ram nahi ratta. Usko balyvastha se sikhaya jaata hai.
jo sikhaya jaata hai wahi bolegaa. Aise hi tumhara man jo hai jeevan mein yadi prapanch mein laga liya to prapanch swabhava agar shri bhagwan mein lagaya to dekho kitna badhiya nishprapanch swabhava bhakton ke paas baitho wahi prabhu ka naam wahi rup madhuri wahi leela madhuri wahi siddhant ki charcha kitna mahan jeevan ho jaata hai bole nirtishay guna asmoradh bhagvatik sare sadgun prakashit ho jaate hain aur nirdosha kisi bhi prakaar ki dosh vritti bhakton mein nahi rah jati. Paripakva avastha mein nitya mukta wo nitya jeevan mukt mahapurush hote hain.
kaun jo Vrindavan ka aashray Vrindavan ki prem ras upasna rasikon ka sang naam vani ment lagae hue hain. Bole nigam gan samudat ved jiski mahima ka gaan karte hain wo usmen sthit rahte hain. Ras sindhu prabhu mein divyanubhava wah divya divya bhav mein vichran karte rahte hain. Shripad likh rahe hain anand par apaar anand mein ve dube hue samid ras ghan push sacchidanand ghan swaroop unka sahachari bhav swaroop prakashit ho gaya to shri ladli jo Krishna lal jo bhavik magna Priya pritam ke bhav mein hi ekmatra wo magan rahte yah sthiti hoti hai rasik mahapurush ki yah nitya nirwikara nirat guna nipanch swabhava nirdosh nitya mukt nigam gan samadgeet Divya anand par sam rasagh shri Krishna bhav magna vande shil Vrindavan aise Vrindavan vasi rasik mahapurush ki vandna karta hoon.
aise Vrindavan ke khag mrig pashu panchhi nirvikaar swaroop lataon ki vandna karta hoon. Sarwartha daat yadi inka sang ho jae to samasth purusharth sahaj mein prapt ho jae. Arth dharm kam moksh ya prem jo chaho rasikon ke sang se dham ke vas se lata khag mrig pashu panchhi ki kripa se sab kuch prapt ho jaega. Dharm arth kam moksh isliye shri Vrindavan mavni praktam prak parat param sursam Radha Madhav nitya ma santaj sarwashrayat he bhai prithvi mein param pad prakashit ho raha hai. Vrindavan Vrindavan vas kar rahe hain.
mano ham param pad mein vas kar rahe hain. Shri Radha Madhav ki ye nitya krida sthal hai. Iska aashray pusht tabhi hota hai jab har aashray tyag diya jaata hai. Sharir ka bhi aashray. Ab mrityu ka varan kar lenge lekin dham nahi chhodenge. Aapko sachchi batayen sab theek ho jaega. Nahi aapko to amuk jagah jana padega tabhi aap theek honge. Nahi jaaunga. Mujhe theek nahi hona. Mujhe marna hai. Kuch nahi bigdega. Kuch nahi bigdega. Jo aushadhiyon mein samarth hai, yantron mein samarth hai, wah anant samarthyshali bhagwat dham Vrindavan hai.
yahi vyvastha bana dega. Bahut sahaj mein sarv dukho ka nash kar dega. Thoda nishtha paripakva honi chahiye. Vrindanya mag prabhav manubhavan maha bhavam gaur shyamal dampatya vichal kandap ke bhajet avsendriyam mam sakal vidhato sansyam angi karo Radha kevnam che maha kritartho jo Vrindavan mein vas sweekar karke ya aashray lekar Priya pritam ka bhajan karta hai to agnit prabhavsheel maha prem ras bhav ka dan Priya pritam uske andar kar dete hain. Maha prem ras wo Priya pritam ki avichal kandarpa keli ko inheen netron se dekhta hai.
kandap ke liye prem ke liye aaj ban kreedat shyama Shyam subhag bani nish shrad chandni ruchir kunj abhiram aaj ban kreedat shyama Shyam dekh raha hai upvas khandan adhar karat parimbhan ait jaghan dukul ye ye jo ras hai ye samasth vikaro ka nash karke ke ati uttam maha prem prakashit karta hai. Yah keval sharir bhav ka nash hone ki deri hai. Inheen pado ke gayan se sharir bhav nasht ho jaega. Mahaprabhu ne bataya sharir bhav kaise nasht hota hai to kaha the the vachan mithun mukh nisrat sun sun deh dasha kin bhul pyari jo pyare jo adbhut raas kar rahe hain vilas kar rahe hain iska aap jo gayan karoge iska jo shravan karoge to aapki deh bhav nasht ho jaega shravan sunat praptak rati Radha padambaj sukumar adbhut prem prakashit hoga to prem ka prabhav hota hai.
deh kutumb te jae chhut sab vidhi to dehateet sthiti pe phir dekho khandandhar karat par chat jagan dukul uk pat tichh chitvan dampati ras samtul ve bhujpeen payodhar parat vam pahar ye jo iski vyakhya nahi ho sakti ye jo sthiti hai ye pyaro kshamte sukhad naam dhyanam itni uchh koti ki dasha hai. Jahan Priya pritam ki is raskeli ka smaran hua to darshan karne wala hi nahi rah jaata. Main darshan kar raha hoon aisa nahi rah jaata. Kel mein ho jaata hai. Isiliye ise atyant durlabh ras kaha gaya hai. Ballavi suknak ballari tamal Shyam sang lagi rahi ang ang manobhramini badan jyot mano Mayank alak tilak chavi kalank chhapat Shyam ank mano jalad damini ye dekhne ki samarth vigat vas hem kambh mano bhavang beni dand pi ke kanth prem punj punj kamini jaisi shobhit Harivansh nath sat surat alaswant uj kanak kalash Radhika sunamini yah samarth keval acharya kripa se prapt hoti hai.
yah kandap keli gaur Shyam jugal jori ki ye dan karti hai. Ye bhumi ye rasik mahapurush ye sthiti dan karte tab wo uska pan karta hai. Ati vashendriy mapi indriyan atishay vashbhut swabhavic ho jati hai. Jab yah raskeli prakt honi hoti hai na to indriyon ki chanchalta apne aap shant hokar antahkaran mein antarmukh hokar priyal mein aasakt ho jati hai. Panch gyanendriay hain jo shabd sparsh rup ras gandh ka gyan deti hain. Ab wo prakritik gyan shunya hone lagti hai. Wo shabd to priyal ka sparsh sukh to priyal ka gandh to priyal ke shri ang ki uske sunne ki dekhne ki sunghne ki sparsh ki rasaswadan ki ye sab vrittiya keval priyal mein ho jati hai.
at vasendriy mapi mam sakal vidhatop sanshochyam par sochneey vishay yah hai ki ham indriyon ke vashbhut hain. Indriyon ke bhogon ke vashbhut hain. Mujhko shri Radha kevan Vrindavan yah samarth pradan karen ki main maha kritarth swaroop hokar priyal ke raskeli ko dekhun. Asta durmati koti dushtha koti rapyastam paribhuti kotistu shri vrindaranya mastute virha bahut unchi baat kah rahe hain koti koti durbuddhi hai hamare andar karod karod gandi cheshta hain hamare andar karodon log hamara apyash kar rahe hain par yadi yadi hamne Vrindavan ka aashray le liya Vrindavan ka vas sweekar kar liya to ye kuch nahi bigad payenge kyonki Priya pritam ke prem ka virah jo virah prem wo Vrindavan hamen dega nischit dega isliye shripad kah rahe hain meri prarthna hai koti koti durbuddhi ho koti koti dushthaen ho koti koti tumhari ninda ho rahi ho to nirash mat hona ye mano dev bhagwat prapti ke liye aa jao Vrindavan satsang karo.
priyal ki sharan mein ho jao. Ve tumhen atyant durlabh priyal ka prem jo virah hai yah Vrindavan pradan kar dega. Rasik jan pradan kar denge. Sabse zyada fasav man ka paraspat virodhi shariron par hota hai. Akarshan sharir bhog ki vritti yah prem ras mein dubne nahi deti. Pichle age ke shlok mein iske liye bahut ninda ki hai. Streenam dusht narke vimutra shlesh mapu yad purn gate swaant van niv Radhika rame ye jo sharir bhog ki ichchha sabke andar rahti hai. Chahe stri ho, chahe purush ho, chahe koi bhi ho.
yadi bhajan karke is bhav ko mitaya nahi gaya to chahe budha ho chahe jawan ho chahe koi bhi ho sabke andar ek ichchha jarur bani rahti hai bhog ki sharir bhog ki stri namni dusht narke bhi mutr shleshma puya ye dusht buddhi jo par sharir bhogne ki ichchha rakhti hai isko samjhao bhai kis dwaar ko bhogna hai bole narak dwaar ko niray narak dwaar usi se nikle ho wahi jane ke liye phir wahi rati kar rahe hosh mein mahapurush jan beparda hokar dant rahe kya hai vin mutr shleshma puya vistha ka dwaar hai aur mutr ka dwaar hai.
hai kya? Ghanit sthan durgandh yukt narak ka vishay isliye bhai purn gate karne kan khol ke sun lo swantan nivash Radhika rame shri kishori ji ke is raman upvan mein yadi aap apni antim sudharna chahte ho chahe jitne dusht rahe ho chahe jitne dusht aacharan kiye ho chahe jitni tumhari ninda rahi ho tumhen prem mil jaega par ek baat se vartman mein bacho sharir bhog se man tumhara ganda ho raha hone dijiye indriyan tumhari gandagi ki taraf ja rahi hai pareshani koi baat nahi sab theek ho jaega lekin gandagi karne ki cheshta mat karna.
is dham ki baat kah rahe hain ki agar aap Radha rame shri kishori ji ke is mahan prem ramneey van mein tumhen aashray mila hai, tumhen vas mila hai to sharir bhog se bach jao. Sharir bhog ki cheshta mat karna. Spasht kah rahe hain. Kuch nahi hai par bahut akarshan isi ka hai. Bahut akarshan hai. Vin mutr shleshma puja jin dvaron ko sparsh karne ke baad kai bar raj laga ke hath dhona hota hai. Usmen sukh khoj rahe ho. Hamen lagta hai inke sharir mein sukh hai. Inko lagta hai unke sharir mein sukh hai aur donon sukh rahit pura jeevan vyatit kar dete hain.
sukh ki khoj galat narki gati mein dusht narke ye swabhav dusht narak ki prapti karaega. Bacho. Aise sansarg se bacho jismen aisi bhavanon ki pushta hoti hai. Hari riti Vrindavan rati vivek virtish durmat kirti stri Rupa hari maya tadpar maya dur paya hari maya phasati hai sabse jordar sharir bhog mein aur dhamo mein tirthon mein to zyada kyonki paap bane tumhari durgati ho narak jao dekh lo jitne bhagwan ke param pavan dham hain, tirth hain, inme visheshta sharir bhog ki suvida aapko bahut mil jaegi.
bahut mil jaegi. Bahut savdhaan aae kis liye ho? Kya karna hai? Yah dhyan dena hai hari riti ye hari ki maya hai. Hari maya tad par maya dur to paya ye bhagwan ki bhakti mein bhagwat prapti mein bhagwat dhamo mein bhagwat tirthon mein sarvatra pai jati hai. Kyonki hari ki maya kisi aur ki nahi ki yahan pravesh nahi kar sakti. Yah to divya Vrindavan mein pravesh nahi kar sakti. Pragat Vrindavan mein khub dhoom hai. Haridvar chale jao kashi chahe jahan chale jao ye to khub dekha hai. Kashi ke ghato mein jahan akele baithe the.
wahan desh videsh ki jodiyan akar ke jodiyan ki jodiyan aise baithi hui vivid prakaar ke vyasan kar rahe hain. Dikhayee de raha tha. Apne ko sambhalo. Lanka nishchar nikar nivasa aur wahan vibhishan jaisa maha bhagwat hua. Agar bhakti karni hai to lanka mein bhi bhakti kar li aur agar bhakti mein dhilai rakhni to dham mein bhi nahi kar paoge. Yahan bhi bahutayat hai. Bahutayat ye bahut samjhne ka vishay hai. Bahut samjhne ka vishay. Chahe stri sharir ho, chahe purush sharir ho, bhagwat prapti ke liye badhiya danv lag gaya.
Vrindavan ka aashray vas mila hai. To ismen hari maya jal rachti hai. Bhakti mein, dham mein, tirthon mein aisa mat samjho ki bhakti mein maya ka pravesh nahi ho sakta. Nahi wo bhakti ban ke aa jaegi. Bhakti ban ke aa jaegi. Seva ka bhav prakt karegi. Bhakt rup dharan karegi kyonki janti hai bhakt hai aise to phasenge nahi to maya ka matlab kya hai jadugarni bas samjhna hai ki bhakti aur maya ka antar kya hai kaise pahchanoge ki maya hai ya bhakti jake sang kumti mati upjay kare bhajan mein bhang yah maya hai chahe wo vritti ho chahe wo vyakti ho chahe wo vastu ho chahe sthan ho jis vyakti vastu sthan ke sansarg se bhagwat vismaran ho jae.
niyam sanyam bhrasht hone lage. Aapka chintan tutne lage. Fouran pakdo wo maya hai. Wo koi bhi ho jiske sang se sanyam bane, bhajan banne lage, nitya dincharya Bhagvati khone lage, hamara jeevan ujjwal kantmay hone lage. Wah bhakti hai. Wo chahe kisi bhi rup mein ho. Vastu, vyakti, sthan kisi bhi rup mein isliye hari bhakti ki prapti ke liye hari maya se bachna hoga. Vivekvan vairagya rupi astr se kaat ke phenk deta hai. Aur iveki isi mein doob jaata hai. Badi kripa hui. Bahut badhiya zindagi bhar tarse hain.
ab mil gaya hai. Khanpan bhog samgri bhogo aur narak jao. Yog se bhog aur bhog se rog phucho narak bahut sambhalne ka khel hai bahut sambhalne ka spasht kah rahe hain chahe astam durmati koti dushta kotipyastam bahut dhyan se sun lo tumhari karodon prakaar ki durbuddhiyan rahi hai karodon prakaar ke dushkarm kiye ho karodon prakaar se tumhari ninda hui hai ab tum Vrindavan aa gaye ho. Ab hosh mein ho jao to tumhare andar virag Priya pritam ka prem prakt ho jaega. Ismen badha pahunchane wala kya hai?
stri naam dusht narke vimutra shlesh puja purn gate kan khol ke sun lo mal mutr ke dvaron mein bhog ki vritti rakhna durgati pana hai hari Vrindavan rati vivek vis dati stri Rupa hari maya tad par maya dur paya hari rati hari bhakti prapti ke marg mein chalne walon ko yah maya hari bhakti ka rup rakh ke aati hai. Bahut savdhani ki zaroorat hai. Bahut savdhani ki zaroorat. Dekho Putna ne aisa rup rakha tha ki himmat hi nahi hui Yashoda maiya ki ya aur kisi braj gopi ki pooch le ki tum kaun ho aur kahan se ai ho?
sab lal ji ki taraf hi ishara karti jati kyonki itni sundari vaibhavshali sakshat lakshmi ji mano aa rahi to bole apne pritam se milne ja rahe ishara kar diya kisi ki himmat nahi hui aise hi jab maya kisi bade bhakt ko chhalti hai jab uttam sadhak ko chhalne jati to aisa vaisa rup nahi ki aap aise rok sako har gyan har baat har uttar phir tumhari shraddha tumhari bhakti kis koti ki hai? Agar vivek vairagya ki talwar se kaat sako to kaat sako nahi to tumhen kaat ke rakh degi. Yadi hari ka bharosa hai ahankaar nahi kiye ho to bacha lenge.
agar ahankaar hai to muhn bhara giroge. Devrshi narad jaise maha bhagvato ko bhi parast karne ki samarth yah hari maya rakhti hai. Shiv viranchika moh kohe puran as jaan bhuji maya pati bhagwan jo gyan kar chit par bariyai vimoh bas kare agyaan ki to kaun baat isliye uttam kurte yodat drisht dusht madirev ati vasti rasakya ha vrind kin mein bhavita jab koi bhog drishti se kisi mata bahan ko dekhta hai to madira mein utna nasha nahi itna uski buddhi bhrasht ho jati hai is drishti matra se isliye goswami tulsidas ji ne kaha hai jo chahe aapan kalyana suj sumat shubh gati shubh nana shubh parnar leelar gosai tajau chauth ke chand ki nai
jaise chauth ke chandrama ko dekhne se kalank lagta hai aise hi kisi bhi mata bahan ki taraf kam drishti se dekhoge maroge maroge varna paramarth se bhrasht ho jaoge hosh mein ho jae jab bahut tirchhi chitvan se matao bahno ki taraf jo dekhte hain to lagta hai tum samjhte ho ham bade veer hai badi chaturi se dekh rahe hain are apne nash ka rasta pusht kar rahe unka kuch nahi bigad paoge wo hari maya balwant Bhawani wo itne bal se yukt hai tumhara ye chitvan muskan sab tumhari tumhare liye hi narak ka dwaar ban jaegi isliye hosh mein are aae ho apna kam banane ki kam bigadne aae ho jahan kam ban raha hai wahi kam bigadne aae ho to tumhen vishv mein kahan thor milegi dham mein satsang mein tum idhar udhar taak jhaank karoge are tumhen dhikkar hai duniya mein taak jhaank karte ho yahan to apni taraf jhaank lo yahan to apne andar jhanko ki tum kya ho wahi bahirmukh vritti wahi are jisko tum bhogne ki drishti se dekh rahe ho jagat bhogta hai uske andar wo dekh raha hai tumhara sarvnash kar dega aisi
jagah giraega jahan uthne ke layak nahi rahoge. Hamari baten thodi kadvi lageng samjh lo hamse hazaron galtiya hui. Hazaron galtiya ho sakti hai lekin kahan hui yah to dhyan rakho. Dham mein ho ya thoda dimaag sahi kar lo. Kah rahe hain unmattamev kurte yo drisht jab hari maya se aankh milaoge na itne mein to tumhara hosh uda denge. Dekh lo inki kah rahe hain unmattamev kurte yo drisht bhagwan kah rahe hain mat dekho udhar nahi kahte ham bade Shurvirr ham dekh rahe hain to unke paas baan kya hai ja dekh ab jao baithoge dhyan mein wahi muskurahat aayegi bahut savdhaan shastr vedta jo mahapurush kahte hain to kya shripad ne dekha hai kya sant jan jo kahte hain abhi ab wo prakriya kriya nahi pata hai.
man ko jod diya. Jod diya to jaisa tumhare man mein chal raha hai waise puri apne man ki baat kahte hue waise bata denge. Unmatt mein kurte yoshit drisht dusht madirev ye aur koi nahi hai. Wahi Mohini thakur hai. Jiske tum das banne nikle ho. Bade praveen bante ho. Wo kahte hain sambhal ke rakho drishti. Kaise sambhalo? Bole yom pasti sarvatra sarvam jam pasti tasya na pranasyam sach mein na prannasati ai mere sadhak ai mere das mere swaroop ko dekho ek bhi devta Mohini thakur se mohit nahi hua tha kyonki pata tha mera thakur hai jab kisi mai dai bahan ko dekho uske charnon ki taraf dekho gore gore charnarvind meri priyaju ke meri priyaju ki sakhiyon ke balhari hai prabhu aur agar tum Shurvirr ban ke aankh mein aankh milaye to kah rahe unat mein kurte yo drisht dusht mare aapki baat kya hai ham ek mahatma ki baat bata rahe hain itna bhajan kar rahe the ki sharir ki shudhi nahi thi pure sharir mein deemak lag gayi thi sharir hai yah dikhayee nahi de raha tha keval ankhen beech bichbich mein khol lete the to deemak jhad jati thi.
chavan rishi unka naam chevan rishi tha. Bahut samay ho gaya prasang nahi padhe to ek raja ki Rajkumari apni sakhiyon ke saath udhar se nikli. Tejomai ankhen aisi chhivarmai chamak rahi thi. Unhone kaha bahut chamakti hui kya hai yah aur upar se sab deemak lagi hui thi aise kanta taip liya aise ka aise aise mara unse rakt nikalne laga ab wo to kamp gaye ki rakt kaise nikla ab sabke malmutr band kar diye pure raja se lekar jitna parikar jitni sena sabke chavan rishi ne hahkar mach gaya to unmein kuch vidvan log saath the.
unhone kaha kisi brahm rishi ka aparadh hai. Dhundha gaya aparadhi kaun hai? Yahan van mein kisi rishi ka aparadh. Tab Rajkumari ne kaha ki agar koi aisi baat hai to mere dwara aparadh shayad bana hai. Ek deemak ka pind jaisa tha. Usse do jyoti jagamga rahi thi aur hamne usmen to use rakt sare bole chavan rishi ka ye pura kshetra hai kahin aisa to nahi kiya chavan rishi ko tumne chalo age gay aur brahmin karke chavan rishi se vandna maharaj sabki laghu shanka soch khol da band kar diya sabke ab kitni der bhai chha ghante aath ghante mein sabke maharaj shart kaise khulegi aap bas batao shart sukanya Rajkumari ka naam sukanya sukanya de Rajkumari se kaha ab Rajkumari na kaise aparadh tumne kiya rishi ki seva mein tumhen unmev kurte yo
drisht dusht madirav jao sabke laghu shanka soch khul jae jao ab sab yahan se wah tapasya ke dwara mahal vaibhav aur apna swaroop prakashit kiya jo Devraj indra ke paas bhi nahi tapasya ka prayog kahan hone laga kahan gaya tapasya ka maya mein aise hi maharaj hamare padosi saubhri ji maharaj savar lag gayi thi sharir mein aur yamuna ji mein samadhi machhli ko dekha khelte hue maithun karte hue dekh lo mobile dekhne walon jab maithun machhli ka dekha to maharaj ko laga ki hai koi sukh batao abhi tak jal mein hazaron varsh samadhi lagane wale mahatma brahm sukh ka hua anubhav aur machhli ke maithun sukh ko dekhkar socha ab to is sukh ka anubhav karenge to samarthyshali mahatma kahan jae to chhotemote ghar grahasti ke paas thodi gaye chakravarti samrat raja adhiraj mandhata ke paas durgandh aa rahi thi machhli kisi sharir se savar pani ke andar ki haddi haddi thi gal chapke hue ankhen tejomai dekh ke dar jae aadmi maharaj to mandhata bahut bade pratapi raja hue hain maharaj agyaa kijiye bole vivah karna chahte rahta hoon.
bole adesh kijiye kisse karaen? Bole aapki Rajkumari se 50 kanya thi. Ghabra gaye ki aise mahatma ke liye agar Rajkumari samarpit kar di to matlab Rajkumari ka jeevan kya hoga? Mahlo mein pal unhone kaha maharaj jo tumhen Rajkumari pasand ho pasand kar le aap use kyonki jante the na bole ki saanp to saanp kaun bhoge inko pasand hi kaun karega bole maharaj jo tumhen pasand kar le to samjh gaye shobhri ji tapasya ke dwara aisa rup banaya mantri ne jakar kaha maharaj shaubhri padhar rahe hain jo Rajkumari pasand karna chahe pasand kar le je padhare to khushbu se pura mahal bhar gaya tejo rup 50so ne kaha ham varan karenge bole chalo mandhata se kaha 50on putriyan tumhari ta
mandhata ke samne sobhri rishi aur unke samne divya rup mandhata ne kaha rahegi kahan bole kal aa jana yamuna kinare aise amravti nagar se bhi shreshth puri ki rachna ki seva khati ghoda ratna vaibhav sa phir 50 se 500 ho gaye dheeredheere to jab baithe the agal-bagal chhori chora khel rahe the tab unko dhyan aaya inhi se bachne ke liye to yamuna mein samadhi lete the tab unhone ek shlok gayan kiya sangam tajet mithun naam mukshatma bdiya ek charnit man se yuji vriti su sadhi suchet prasang ai moksh dharmavalabi
sadhu kabhi kisi jeev ko maithun karte hue mat dekh lena nahi jise hamari durgati hui tumhari pakki ho jaegi mobile wale kyonki aise thodi jaldi sahsa drishti nahi jaegi par mobile mein ekant mein chali jaegi chitak nahi band bole kya bole hamara ekant bhajan ka samay hai ab search karke jo dekh rahe to wah tumhara sarvnash kar dega. Machhli ki krida se meri ye durgati ho gayi. Bole tumhari kya hogi? Isliye sangam tajet mithunam vatna mumakshu jo maithun dharm se yukt prani inka sang tyag do.
inka drishya mat dekho. Inka sambhshan mat suno. Sarvatma bahir indran indriyon ko khula chhut mat de do. Antarmukh rakho. Ekas akele raho. It chitt man sit ko ishwar mein sadaiv lagao. Akele ka matlab antarik vritti se gufa mein bhi prapanchi bahut samaj mein hi rahta hai. Aur prapanch mein rahta hua sadhak bhi akela rahta hai. Sadaiv chitt ko apne isht mein lagate raho. Kisi ka sang na karo aur sang karo to kinka? Tadteshu jo bhagwat vrat dharan karne wale sadhu jan hai, bhakt jan hai unke beech mein raho. Yah baadh hai.
is baadh ke andar bach jaoge. Sadhu samaj ki baadh mein bahut bachat hoti hai. Agar ham girne ja rahe hain to dusra hamen thaam lega. Isliye kah rahe hain unme kurte yo drishtav dusht madirev drishti milana band kar do. Drishtav dusht madirev bas gaye patal ka rasta pakka. Panch baan hai uske panchon sandhan kar de to shankar ki samadhi bhang kar di tum to jeev ho. Shiv ki samadhi bhang kar di auron ki to baat jane do. Apne swaroop mein aa jae kam na haan to jo brahm mein dekht rahe dekh charachar nari mein je brahm mein dekht rahe.
abla vilok purushmay purush sab avlamyam dui dand bhari brahmand bhitar kam kautuk koi sadharan veer hai devdhidev mahadev ki samadhi bhang kar di tab unhone kaha ki tribhuvan mein aisa kaun to dekha aam ke ped mein chhupa baitha tisra netr khola rakh ka dher ho gaya ab wo to shiv hai tumhare hai tisra netr dui hai tisra to band hai to sabke tisra netr gyan netr gyan se kam bhasm ho jaega ya prem netr khule hriday mein ya buddhi mein gyan chaksu wo Gurudev ki kripa se khulte hain agyanas gyanjan salakya chakshur militam tasmai shri guruve namah he bhai man lo waise baat karo jab baat kar raha ho ye bahut hi savdhani ki prarthna kar raha hoon nij anubhav ye kahun khagesa pakka jara si bhi chuk hui to jeevan bhar pachtana padega.
ye aisa ghav hai ye aisa daldal hai. Ye aisi phislan hai. Ye aisi duban hai jisse nikal pana mushkil hai. Muskurahat to zindagi ki kho jaegi. Jo anand ki muskurahat ke liye nikle wo nasht ho jaoge. Isliye ise saubhagya mat samjhna ki bade bhag manush tan pava aur mil gaya saubhagya aise sikhata hai man zindagi ho gayi sukh nahi mila he prabhu tum kahan ho ye to dhundhtedhundhte thak gaya lekin ab sukh mila hai maya baha le jaegi aao pyare idhar aao kahan hamare pale mein aao kahan nikle ja rahe ho hari ki taraf idhar aao amma ab to hari ki taraf jane do accha accha to jao amma janani samjha nahi par nari jao jao jao amma to bach gaye aur amma ke siva aur kuch dekha to mare jaoge sab mein matra bhav jaise apni sagi amma ko aise dekho charnon ki taraf ati van sati rasagya ha vrindaran kin mein bhavita Vrindavan vas karna isiliye bahut kathin hai Vrindavan ab kya upay ho sakta hai jiski drishti kharab ho gayi hai sambhal jao satsang hai sambhal jao bahut khtrnak khel hai isse zyada khtrnak khel nahi hath jod ke muskura ke pranam karke pranam karva denge aisi prabal maya hath jodna padega, ghutne tekna padega, rona padega phir bhi kshma nahi hogi.
maya aati kaise jante ho? Jhuk ke aur jati kaise? Raund ke ye shabd yad rakho. Saubhagya mat man lena. Bade bhag manush tan pava sur durlabh sad granthan gava. Sadhan dham moksh kar dwara. Sadhan dham moksh kar dwara ati durwara indriy amad satatam mam bava bya dhakaraya hare paritrah yah pida dene wali dusht indriyan karagar ki tarah mujhe bandi banana chahti hain. Aisa hi hai. Sab koi dekh lo apni apneep indriyon ko. Yah durdant dushman indriyan nirantar pida dete hue mujhe bandi banana chahti bhogon mein.
naye aa hare paritrahe traahimaam aise bacha jaata hai. He hari mujhe bacha lo. Mujhe indriyan phasa rahi hai. Mujhe fansa rahi hai. Kand savikh niram dahmanas shikari Veena vadan karta hai. Haran pehle bulane itna madhur Veena vadan sadhu ban ke bajata hai. Hiran becharey nazdik aa jaate hain. Paas mein hi dhanush baan mara khinch ke wahi dher ho gaya. Kand savi yah sharir hai Veena ka Kamdev ki Veena vadan ka sharir ka akarshan karke aur niram da manas kam baan ka sandhan kiya dher kar diya bade bado ko itihas sakshi hai isliye pehle Veena vadan se hi bache shareerakarshan hone lage to traahimaam bhago bhago agar aapko apna sundar banana hai to param sundar shri hari ka dhyan karo Priyaju ka dhyan karo sanyam se raho tab to samjh accha hamari sundarata tabhi kam ki jab sundar shiromani prabhu hamen sweekar kar le ye maran dharma sharir deejenge to kya karenge kya karen kya de denge maran dharma isliye ati durwara indriy vaidti satatam mam gaur se dekho to prabhu dikhayee dene chahiye.
anytha kuch nahi hai. Inme kaun sa sundar rup hai? Kahan sundarata hai? Kahan sundarata rah gayi hai? Bahut vichitra. Aaj jo hamare samaj ka swaroop bigdta chala ja raha hai. Bura jarur lagega. Lekin Baba ji hain. Agar hamari baat nahi tumhen samjh mein aayegi to tumhari himmat nahi ki koi kahe. Isiliye himmat se kah rahe hain ae bhai yah ang pratyang dhakne ke liye hai. Ang pratyang dhakne ke inki pavitra inki ujjavalta isko aap bikhero mat. Aapka charit mahan to aapka jeevan mahan ho jaega. Isse aap mahan nahi ban jaoge.
isse mahan nahi ban jaoge. Nahi. Jitna pavitra ganv ke bade budhe se ab hamen to pata nahi lekin ham apne samne dekha hai itna turant ho gaya budhi budhi ka pani lana to ghar mein ghusenge to aise pura ghar savdhaan ekdam aise bade bujurg maryadaen thi pavitra thi usi ka parinaam rashtrabhakta bhagwat bhakt premi santan ne hoti thi. Chahe bachchha ho, chahe bachchi ho. Ek se ek ujjwal kirti wali. Aaj bachchha bachchi aise ho rahe hain. Apne mata-pita ko peet rahe hain. Apmanit kar rahe hain. Manmani aacharan kar rahe hain.
aur kah do to upar se ankush aa jae. Tum hote kaun ho kahne wale? Kaun hote ho kahne wale? Koi kisi ko kah nahi sakta. Nahi ham isliye kah sakte hain ki ham shastr sant gurjan inka adhikar hai samaj par aur samaj ka inke upar adhikar hai. Agar ham galat hai to pura samaj virodh kar sakte ho aur agar tum galat ho to ham pure samaj ka virodh kar sakte hain. Dharm ke marg ka updesh karne wala dharm jo dharm guru par baitha hua ya updesh karta hai. Agar galat hai to pura samaj uska virodh karne ka adhikar rakhti hai.
aur agar wah samaj ko sudharne ke liye to pure samaj ka virodh karne ka adhikar rakhta hai. Aisa nahi ki 10,000 ek paksh mein wo galat marg mein to wo akela brahm rishi 10,000 ka virodh kar sakta hai. Dharm shastr aisa adesh karta hai. Aap vichar karke dekho bhagwan shri Ram ji ko adesh hua tapas vesh vishesh udasi 14 varsh Ram vanwasi bhagwan nange pair sari lekin kaisi mariyada se siyajuko jahan nav par chadna hai to si chadhai chadhe raghurain age Janaki har vyvastha har soch thodi si chuk Janaki ji ki taraf se leela vistar ke liye lakshman ji ko upasthit vachan dila ke gaye the ki ek kshan ke liye Janak Nandini ko akela mat chodna par Janaki ji ne jao Ram ji sankat mein unhone kaha kal ke bhi mahakaal ka sankat kaun mata aap aise vachan mat bolo to unhone kaha mujhe samjh mein aa raha hai bhagwan koi leela karna aise rekha khinchi aur kaha maa is rekha ko cross mat karna is rekha ko kisi ki samarth nahi tribhuvan mein ki cross karke aapko chu le lekin lakshman rekha ko par nahi har samay aap in baton par dhyan dijiye Ramcharitmanas ki kaisi poshak honi chahiye chahiye.
kaisi vyvastha honi chahiye, kaisi chal dhal honi chahiye? Hamara jeevan kaise mangalmay ho sakta hai? Us pavitra ka hi prabhav tha ki itna tribhuvan ko bhayabhit kar dene wala Ravan Janaki ji ke samne netr nahi mila sakta tha. Aur Ashok vatika mein jakar rakha. Bar-bar manata raha aur jab uthaya tha to aise nahi uthaya tha. Sita charan bandi sukh mana. He jagat janani main janta hoon yadyapi main jo krit kar raha hoon apne vinash ke liye apne mangal ke liye kar raha hoon par main janta hoon ki aap kaun hai isliye mera pranam sweekar karen aur jab tak aap lanka nahi pahunchte tab tak ham asuron ka udhar hoga hi nahi isliye ham apne udhar ke liye aapko le ja rahe hain aur le jakar ke Ashok vatika mein rakha tha na ki jahan mahal mein aur raniyaan thi wahan bhi rakh sakta tha lekin nahi shuddh Ashok vatika mein aur rakshasiyon ka phra aur trijta ji ko janta tha.
wo koi sadharan nahi tha. Jis samay khar aur dushan mare gaye. Suchna pahunchi khar dushan mare gaye. Accha khar dushan mom balwanta mar sake ko binu bhagwanta bina bhagwan ke inko koi bhagwan aae to bhajan na hoi tamas deha main raaksasi swabhav ka tamsik vritt ka hoon bhajan to hoga nahi ab kaise inse ab inse man vachan karm se bair karunga aur bair ke dwara param pad prapt aur aisa dridh nischay ki jab gardan antim mein kati to kaha Ram ran hato pachari shraddha se nahi bair se pukara kaha Ram ran hato pachari jis samay janakpur mein yagya ho rahi thi dhanush yagya sab pahunche the ye bhi pahuncha basur bhi aae hue the kuch manglik guru charcha hui kyonki donon ke guru ek hi hai bhagwan shiv kaha aap bhi to dhanush uthane aae hain.
bole nahi is dhanush uthane mein kaun si baat hai? Jab 20on bar Kailash sahit bhagwan shiv aur Parvati ko utha liya to unka yah dhanush hai. Main dhanush uthane nahi aaya. Main dhanush uthane wale ko nimantran dene aaya hoon. Bole kaun hai yahan dhanush uthane wala? Bole pehle bhagwan shri Ram jab vishvamitra ji ke saath padhare Ravan ne drishti milai aur kaha yah neh nimantran nahi de raha hoon. Yah bair nimantran de raha hoon. Yah dhanush aap hi bhang karenge. Sita ji aapko hi milenge. Lekin main Sita ka aphrn karunga aur tumhen rulaunga.
aur tumko yah jo tange hue sarang dhanush isi se nikle hue banon se sampurn lanka ka udhar karna hoga. Bas yahi kahne aaya hoon. Bhagwan shri Ram se mano ishare ishare mein baat ki aur aarti ki ajgo ki aur Janak se kaha iska bhanjan to dur raha. Isko uthaunga bhi nahi. Yah mere guru ka dhanush hai. Pranam karke parikrama karke donon chale gaye the. Yah atirthi veer banasur aur mahan parakrmi Ravan yah aise uthae bhi nahi the. Aisa nahi ki uthane ki cheshta ki. Nahi aisa nahi vandna ki, parikrama ki aur chale gaye the.
aur bhagwan Ram ko kaha tha tumhen nimantran deta hoon. Akar puri lanka ka udhar aapko karna hai. Isliye Sita ji se byah to aap karo aur vas mere yahan kareng. Kyonki inhi ke charnon ke pratap se aisi apavan lanka pavan hogi. Unmatt mein kurte yo drisht dusht ma jo hamara shastr kahta hai usko dhyan do. Kabhi kisi bhi mata bahan se baat karni ho to charnon mein dekho bhagwan to sarvatra virajman hai. Jis samay bhagwan brahma ji ne srishti rachna prarambh ki to sanak sanandan sanatan Sanat kumar prakt hue.
unse kaha srishti racho. Bole shabd hi nahi. Yah shabd nahi hamari srishti mein hi nahi hamare chintan mein hi nahi har samay samadhast hari sharanam phir aur rishi prakt kiye sab apne swaroop mein sthit tab phir apne sharir ke do bhag kiye ek mein maharaj Manu aur ek mein satrupa phir ye paraspat aisa akarshan prakt hua jisse srishti vardhan nahi sab brahm swaroop sab Bhajnandi bhajan mein hi dubne ke liye tab brahma ji ne apne sharir ke do bhag kiye vang se shatrupa aur dahni bhag se maharaj Manu aur yahan se phir ye maithun srishti prakt hui jise bhagwat marg mein chahe wo grihasth ho ya virakta grihasth hai jisse pan grahan matra kiya hai usse virakta hai to sampurn charachar jagat mein apne isht ka bhav rakhte hue chalna hai nahi to ati durwara indra vai amadti satatam mam dekho jab accha sadhak kahin gadbad ho jaata hai to wah apne jeevan ko hi nasht kar deta hai.
yahi apne Vrindavan ki baat hai ki dar pani ghat ki taraf koi sadhak ekant vas karta. Abhi hamse kal prashn hua ki naye sadhak ko ekant vas karna chahiye ya satsang sadhu samagam to ham kaha naye sadhak ko satsang sadhu samagam karte hue thoda samay ekant vas karna chahiye. Jaise aap to ghante do char ghante chha ghante aapka ekant mein kamre mein bhi aur har samay aap ghere ke antargat ho akele rahne mein wo bhi sadhak ko sadhan mein ekant vas bahut savdhani ka karna hai mobile to bahut hi ghatak hai aur bahut hi sahayak hai agar man chanchal ho raha hai aap satsang laga lo man chanchal ko shant kaise karen saikadon satsang is vishay ke pare hue hain agar aap savdhaan nahi to phir man chanchal hokar vishay sevan mein le jae ab wo wo roz mobile ka galat prayog dekh rahe the.
unko ghrna hui apne jeevan se aur unhone apna jeevan shant kar liya. Yahi Vrindavan mein kya fayda hua? Jeevan shant hone se kya bhagwat prapti ho gayi? Agar satsang milta hota to kam se kam itni himmat to ho jati ki mobile ko int se kuchar dete. Apne ko kyon shant kiya? Apne ko to aap sudhara ja sakta hai. Apne ko to bachaya ja sakta hai vishay sevan se. Isliye bahut savdhaan nahi kabhi aapka man jo galat marg mein shiksha de raha wahi aapko nasht kar dega. Bahut savdhaan kalikaal hai aisa yantron mein ek kshan mein aap sansaar ki galat baten dekh sakte hain.
wo bahut buddhi ko nash karne wala hai. Bahut buddhi chhote-chhote bachchhe batte hain ki hamari durdasha isse ho gayi. Isliye kandap sakh niradh mam da manas jab koi kisi mata bahan ki taraf ya viparit sharir ki taraf dekhta hai to Kamdev usi samay vish apne banon ka sanchar karta hai. Hai kaise use shanti mil sakti hai jiske hriday ko kam ne bhed diya hai. Kyonki satat chintan uska chalu ho jaata hai aur badi durdasha ho jati hai. Badi durdasha ho jati hai. Matlab itna durdasha aur kisi vikar se nahi hoti jitni kam vikar se hoti hai.
isliye goswami ji ne bhagwan se priyata ke liye manga hai. Kam hi nari piya jim lobhi jim priydam. To upasak savdhaan rahe. Aaj satsang mein shripad Prabodhanan ji ne khastaur se Vrindavan ki baat bataai ki yahan ye nitya nirwikara nirwa guna prapanch se upar utha hua mahapurush nipancha samasth dosho se rahit bhagwat anurag se yukt hokar Priya pritam ki divya keli ko dekhta hai. Yahan kaisa bhi dusht swabhav ka aa jae use bhagwat prem milta hai. Par upasak ko yahan rahte hue yah savdhani karni ki vartman mein kabhi hamara koi viparit sahyog shariron ka akarshan hamen nasht na kar de kyonki Priya pritam ki mahan prem bhumi hai.
apne ko is baat ke liye sambhalna hai. Bahut janm ham log girte rahe. Bahut janm patit hote rahe. Ab thodi himmat kar le. Bhagwat marg mein thodi himmat se chale. Do minute sant vani ham le gaye. Kyonki isi prasang se milte hue vachan mahapurushon ke hain. Upasak ko savdhani ye rakhni hai ki jab tak tumhare sharir mein budhapa nahi aata koi asadhya rog nahi ho jaata. Tumhari indriyan balvan hai tab tak tum apni indriyon ko galat acharno mein mat utaro aur apne kalyan ke liye upay kar lo. Nahi budhape mein ya asadhya rog mein ya indriyan jab nirbhal ho jaengi tab tum kuch nahi kar paoge.
jo manushya dusre praniyon ke shariron ki hinsa karke ya hinsa karva ke ya hinsa ka anumodan karke apne sharir ko pusht karta hai. Se pashu ko lake kaat ke phir khana bole ham katte to nahi dukan se le ate hain to dusra ham late bhi nahi hai mangwa lete hain tino ko barabar narak milega karta prerak anumodan praniyon ki hinsa karna hinsa karvana hinsa ka anumodan karna yah swabhav bhagwat marg se bilkul viparit le jaega sant santo ki baten, bhagwat bhakton ki baten, shastr ki baten jahr jaisi lageng aise logon ko aur agar sun liya shraddha se to sudhar bhi ho sakta hai.
kisi bhi tarah se kisi bhi jeev ko mar ke khana jo hamare shastr ke virudh hai. Wo tumhare liye hinsa bahut bada paap hoga. Jeev to sab mein hai. Jeev bina jeev nahi. Muri mein bhi jeev hai. Gajar mein bhi jeev hai. Aloo mein bhi jeev hai. Arhar ke ped mein bhi jeev hai. Urda ke bhi ped mein gehun ke bhi ped mein. Lekin wo hamare khane ke liye shastr sammat hai. Lekin ye dusre anya jeevan ke markar khane ki baat manav sharir ke liye nahi. Raaksasi bhav ke liye jo Rakshash hai unke liye hai. Sansaar mein jitne bhi jeev hain man se, vachan se, sharir se jab kisi ko dand nahi diya jaata to apne sare paap nasht hone lagte hain aur use koi bhi dukh bhogna nahi padega.
uske dukh dene wale paap karm kshay ho jaate hain. Sabhi jeev ko chahiye ki yah baat samjh le. Sab yahan jeena chahte hain. Sab apne sharir ko sukhi rakhna chahte hain. Agar kisi bhi prani ko tum marte ho ya ubalte ho ya khate ho to tumhara nash nischit hai. Tumhari durgati nischit hai. Apne swarth ke liye kam se krodh se bhay se yadi kisi ko pida phuanchte ho kam se char log milkar kisi ke saath aisa abhadr vihaar karna ya mar dena ya aisa kar dena tum ye satya samjh lijiye ki tumhari durgati pakki hai.
ye mahapurushon ke vachan hai. Jo shreshth paropkari nischay purvak dusron ke dukh ko dur karne ki baat karne wale hain. Wahi manav jeevan dharan karne ka labh lete hain. Krodh se, lobh se, bhay se ya hasy se bhi papkari baat kabhi mat karo. Paap wali baat hansi majak mein bhi mat bolo. Jo sadhak atmjyan prapt karna chahta hai, use chahiye satya bole, parmit bole, thoda bole aur sanshay rahit bole, paripurn spasht bole, anubhut bole aur vani ko chanchal na hone de, mariyada se bole, aisa bolne wala sadhu paramarth ki unnati ko prapt hota hai.
satya bole thoda bole sanshay rahit bole paripurn spasht shastr sammat bole jo bole anubhav se bole vachalta rahit hokar bole wo paramarth ka pathik hota hai. Jo bhasha satya hai par kathor hai dusre ko dukh pahuncha rahi hai. Badi rukhi baat hai. Wo nahi bolni chahiye. Jise atma shodhan karna hai. Use brahmcharya rahna hi hai. Isiliye isko shuru kiya. Jise brahmcharya rahna hai use sharir ko chikna banana, shringar karna yah sab chhod dena chahiye. Kahe ko isko he abhi kuch din baad sharir chhut jaega. Phir lakdi mein jalenga bhai.
chahe jitna ise paudar laga lo, chahe jitna itr chhidk lo, aag mein jalenga. Kuch din bole kuch din kyon abhi to ham 30 40 30 40 sal aise nikal gaye aise ab pata nahi 30-40 sal hai ki nahi hai aise nikal jaenge brahma ji ke yahan kamal ki pankhudi mein jitne mein sui chhedo utne mein ek varsh ho gaya apne 100 varsh kitne hue 100 bar aise aise brahmlok mein karen to ho gaya apne sharir ko zyada shringar sukh suvida pyar mat do jitne se bhajan ban jae dharm bane utne hi do. Striyon ka kam bhav se sparsh karna, sambhshan karna, dekhna chhod den.
yadi atma shodhan karna hai. Stri sadhak ko purush sadhak se kam bhav se kaise? Kisi bhi tarah se bahut savdhani ke vishay se aapko khud nirvah karna hai. Koi dusra nirvah karne wala nahi. Dusre ko safai dene ki zaroorat nahi. Tisri baat pahla hai sharir ka shringar dusra hai striyon se sansarg sambhshan batchit aadi aadi tisra hai paushtik aur swadisht bhojan ye mahan bhaykar hai teen baten jo sadhak ko nasht kar deti hai sharir ka shringar karna matao bahno se kam bhav se yukt hokar ke is tarah ka vihaar batchit aisa aap safai pesh kar sakte hain.
bhaiya safai pesh karne ki baat nahi. Aap khud dekh lijiega. Aapka agar drishti theek hai, aapka bhav theek hai, aapka vihaar theek hai bhagwan ko sakshi karke to koi dosh nahi hai. Lekin yadi aap andar se doshit hain to aap bchie. Aur swadisht balishth bhojan atmashodhan karne wale upasak ko zaroorat nahi. Koi zaroorat nahi. Ye ghee, rabri, rasgulla, doodh aur yah badam, pista yah grihasth ke liye bane. Yah bhagwat marg ke pathikon ke liye le unke liye naam rupi bal brahmcharya ka mahan takat ek adbhut bal ek adbhut utsah ek adbhut tej bana rahta hai badam mein thodi hai halwa mein thodi hai badam halwa kha ke to bekar ho jaoge ye shuddh satvic thoda ann ek bar dal liya sharir poshan ke liye bas jal vyayam pranayam brahmcharya isse bahut bada bal prapt hota hai hamen nirantar man ko vash mein karna man ko vash mein karne ke liye ye shareerik bal ki zaroorat nahi hai.
shareerik bal to apne aap bana rahta hai. Utsah ek atmik shakti ek bal ek ek alaukikta rahti hai. Ye nikrisht aacharan karne se nahi. Swadisht aur paushtik bhojan ki koi avshyakta nahi brahmachari ke liye. Ki panch chamach usmen daal mein ghee dal ke aur sab phir kaise hajam karoge? Tapasvi upasak ko chahiye stri ke rup ki taraf, uske hasy ki taraf, uske mad vachan ki taraf, unke sanket ki taraf, unke havbhav ki taraf ya stri upasak ko chahiye purush ke. Aise paraspat chitvan ko na dekhe, na chintan karen, na dekhe, na chintan karen.
paraspat virodhi sharir ko rag purvak dekhna, unke ang pratyangon ka chintan karna. Unki baten karna yah brahmcharya kadpi nahi rah sakte jo aise aacharan wale log hain. Brahmcharya vrat mein rat rahne walon ko atyant savdhani purvak apni indriyon ko darshan sambhshan chintan se bachana hai. Jo bhikshuk brahmcharya ka anand prapt karna chahta hai usko achhche-achhche padartho ke swad pane wali jibhya par kabu karna hoga. Haan yah jawani jo hai yah vyatit honi chahiye. Tapasya mein jalne mein jalne mein vyatit honi chahiye.
to budhapa mein varsha ho jaegi. Garmi ke baad aati hai na jaloge tapoge to varsha ho jaegi aur agar pehle hi bhi bhogon mein pare rahoge to budhapa mein sadoge. Phir dhyan rakhna pakki baat samjh lo. Sadna jante ho kise kahte hain? Agar dhyan ho aapko hit hit dham mein ek 70 75 varsh ke vayovriddh veshdhari jo bol rahe the to ham dobara punravriti nahi karenge bolne ki wo bol rahe the aap logon ko dhyan hoga ki maharaj bacha lijiye 75 sal ka hoon aise se aisa aisa aisa isliye brahmacharyat bhikshuk ko chahiye kisi bhi viparit sharir se prichay na le ekant milan ki baat na ho.
kisi bhi tarah se apne man ki kamzori samne wala na jaan pave. Brahmcharya bhikshu ko chahiye ki vasna vardhak pusht karak bhojan pey varta drishya inka partyag kar de. Jaise bahut zyada indhan ho to agni utni zyada badhegi. Aise jitna paushtik ahar karoge utne kabagini badhegi. Sharir ka shringar, sharir ki shobha, sharir ko sukh aram dene ki bhavna wala kabhi brahmachari nahi ho sakta. Bahut savdhaan. Jab bhagwat marg mein chale to anguthi ki zaroorat kya hai? Jab bhagwat marg mein chale hain to kisi bhi tarah ke abhushan ki zaroorat kya hai?
bhagwat marg mein chale to kangha ki zaroorat kya hai? Bhagwat marg mein chale hain to chiknahat lagane ki zaroorat kya hai? Sajane ki zaroorat kya hai? Waise hi tejon mein saje rahoge. Do hi prakaar se bhagwat marg mein rahne walon ki paddhti hai. Ya to pure bal mudwa de ya pure bal rakhe rakhe. 10 20 varsh banae rakho phir mudwa do ya pure jeevan banae rakho aur ya phir dod mahine char char mahine ke niyam mein unka mundan karate raho yah kangha lagana ye seting karna phiting karna ye sab nahi hai bandh langota bacha ke indrik kabhi na dekha par nanari aur bhiksha ke tukde khakar ke chadhi paramarth ki tayyari aankh uthakar kisi ki taraf nahi dekha kanch vaach man nishchal rakhe dhan dhan janani teri dhire dhire phir age chalkar prakashit ho jaoge.
bahut savdhani ki zaroorat hai. Aur vyayam atyant avashyak hai. Yah nahi ki ham bahut seva karte nahi. Are brahmcharya ko bchane ke liye ek ghanta vyayam ki zaroorat hai. Dawa koi varjit se behtar nahi. Nukas kam kharcha bala nasen shakti badhe phurti la chot na adhik pilae ann pache changa rahe kasrat sada sahai kam se kam000 500 dand baithak mariyo. Phir do char chha ghante Padmasan siddhasan mein nas nadi ekdam shuddh tab wo brahmachari lagna chahiye ki brahmachari ja raha hai ye pani se shuddh ho jaoge pani se keval jaisa ghee lagta hai aisa pani lagega pranwayu ka sansodhan karke pranaya ye ham kah nahi rahe raha hai hafta hafta bhar bhojan nahi mila Gangajal se kam chalta raha jab kabhi kahin mil gaya to phir 30 35 haan ek bar ek ganga kinare kuti thi to radheshyam jhopdi thi vridh sant nikle aao aao ham jante hain ganga kinare bhramn karne walon ki
kya dasha hoti kyonki ganga kinare rah bhukhe ho gaye haan maharaj kai din se nahi mila kaha ho gaye honge 810 din bole baitho koi tyohar tha ganv se gaye puri kachori maang ke laye aap sahi mano itni wo puri la ke aise rakh di do do char aise sabji ke tukde honge bhiksha mein jaise hamen yah bhi dhyan nahi raha ki inke liye poohe pura radheshyam jab pa chuke Gangajal ham kaha maharaj aap bole hamen pata hai ham sham ke phir le aaenge bole hamen pata hai ganga kinare kaise hote kyonki phir pata nahi kai din mein mile kai din baad mila tha aur kabhi gas ki goli thodi hai ki gas kuch nahi Gangajal aur accha aisi sthiti mein roz aasnan par baith roz vyayam kar abhi pata nahi aajkal ke naye bachchhe vyayam mein kyon nahi lagte pranayam kyon nahi karte kyon sanyam se nahi chalna chahte bole samay nahi hai samay ye aadha ghanta ek ghanta to vyayam hona chahiye ye vyayam zaruri hai grihasth ho ya virakta aadha ghanta vyayam motorcycle bhi jab chalate hain na log to pehle res mein dalte hain nahi ekdam
dhuadhua karke res mein phir wo ekdam garam jab tum bhi res mein dalo subah uth ke do baje uthe chat mein chale gaye teen baje tak dand baithak vyayam pranayam karke ekdam fursat paye satsang mein aise baithe brahmachari matlab aag brahmachari matlab aag aap sachchi samjho aag pair aise pare jaise aag mein pair padte hain aag mein pair kaise padte hain aise brahmachari chalta hai kya hai jaise gilahri nahi ekdam chilchilati bhagti hai. Aise brahmcharya ka jeevan hota hai. Pata nahi tum logon ko baten samjh mein kyon nahi aa rahi.
haan sachchi baat kahte hain. Brahmcharya mein khanpan wali baat ki nahi ki rabri rasgulla ho tab chikna wo to pet chiknaega. Pet chikna milega ekdam. Aur brahmachari ke netr hote hain. Netr bolte hain. Jaise jangli sinh ke netr hain. Aise brahmachari ke netr hote uske netr mein ek power hota hai. Ek dabaw paksh hota hai. Wo jis par netr dale to ek bar jhuk jae samne wale ke netr. Brahmcharya ka aisa power devlok sahit samasth devta use nitya namaskaar karte hain. Jo brahmachari hota hai.
jo bhikshuk bheetrag shareerik aur mansik brahmcharya se paripakva ae shareerik brahmcharya aur mansik brahmcharya man aur panch gnyanedryo ke dwara kisi bhi vishay ka dharm virudh bhog nahi yah brahmcharya dharm hai. Yah dhrupad hai. Yah nitya hai. Ye shashwat hai. Purv kal mein kitne mahammuni isse siddh ho gaye. Isliye vartman mein aur bhavishya mein bhi jo shuddh brahmcharya ka palan karega wo param pad ka adhikari hoga. Hinsa, jhooth, chori, maithun aur parigreh aur ratri ka bhojan in jin jo inko chhod deta hai wahi bhikshuk siddh hota hai.
phir sun lijiye. Hinsa man vachan karm se kisi bhi jeev ki nahi. Jhooth bilkul nahi bolna. Chori kisi ki nahi karna. Chori ka tatparya hai. Agar kisi ka khet hai, kisi ki vastu hai, kisi ka adhikar hai. Ham bina poohe nahi chhuenge. Agar wo datun bhi leni hai, kisi ke darwaze par ped hai to hamen intazar karna hoga. Agar pata chal raha hai ki ganv samaj ki jamin hai, sarkari jamin hai, kisi ka adhikar nahi to ham us vriksh se bhiksha mangenge. Hamen ek datun de dijiye. Aise nahi hai ki ham kisi vastu ko swatah jaise ganga kinare bari hoti hai aur unse aise aap phal tod karke kha rahe to aap chor hain.
yah nahi kah rahe hamara nahi kisi ki koi bhi vastu bina bhiksha kiye nahi lena hai. Age hai maithun ka purn tyagi veetrag Paramhans bairagi. Kisi bhi tarah ke asht maithunon mein se ek bhi nahi aur parigreh dan nahi isiliye bhiksha shabd hai. Tum hamen de rahe ho nahi lenge. Hamen zaroorat hogi ham maang lenge. Ham bhikshuk hain. Yah upasako ki achhche jo upasak unki rahni hoti hai. Le ₹100 nahi zaroorat hai hamen. Aadha ghanta baad zaroorat hogi to ham kisi se maang lenge. Ae bhai agar hamen jahan lagega to ham panch logon se maang lenge.
agar zaroorat hai lekin ham tumhare dene par nahi lenge. Tumhare dene par dan hoga aur hamare lene par bhiksha hogi. Hamen jab avshyakta hoga jahan se shri ji prerit karenge ham maang lenge. Hamen nahi chahiye. Hinsa, jhooth, chori, maithun, parigreh aur ratri ka bhojan. Yah sadhak kabhi ratri mein bhojan na karen. Aur surya ast hone ke 30 minute pehle ya 30 minute baad bas iske age nahi jana chahiye. Jisko brahmcharya rahna hai sadhna mein rahna hai ek 9 10 11 baje aram se aapko batra batra ke achhche-achhche padaarth pa rahe ho.
ye sab sadhna ke khilaf baat hai. Agar is samay bhojan nahi hota char panch chha suryasta ke 30 minute pehle aur 30 minute baad tak phir aap pani pi ke kam chalao ya doodh le lo do 250 gram bhojan bharpet mat karo kyonki hamen ek baje ratri se jagna hai. 2:00 baje ratri se jagna hai. Hamen sadhna mein lagna hai. Aur wo thasa thas 11 baje tak yahan pa liye to 10 11 baje tak ke liye wo pramad sthiti paida kar dega. Ratri ka bhojan nishedh hai sadhu ke liye ya to suryasta hone ke pehle ya bas suryasta hone ke baad hi 30 minute baad tak matlab sat bahut adhik 7 aath iske age nahi 9 10 11 12 ye sab grihasth ki baat alag veetrag paramhansa ka hamne swabhav dekha hai suryasta hote hote jo kuch bas phir ke baad shant ye ratri ka bhojan to ekdam nishedh hai aath ke baad to pana ana hi nahi chahiye.
yah niyam bana lo kyonki apni dincharya mein ya to aisa kuch vidhan karo hamen lagta ho jaata hoga. Haan ye matlab ye savdhani ki zaroorat ismen mana kiya gaya hai aur ye waise bhi apni dincharya mein nahi ban payega. Ratri ke 12:30 1:00 baje jagna hai aur aapne 9 10 11 baje daba ke pa liya hai to kaise jag paoge? Phir nahi chal paoge. Yah panch karan hone par, updesh milne par bhi wah apne jeevan mein nahi utar pata hai. Abhimani hone se, kroadhi hone se, pramadi hone se, asadhya rogi hone se ya bogi hone se.
ye panch dosh hone ke karan gurujanon ke updesh apne jeevan mein nahi utar sakta. Abhimani hone se, kroadhi hone se, pramadi hone se, asadhya rogi hone se ya bogi hone se. Jo brahmcharya nahi rah pa raha hai, jo bogi hai wo guru ke updesh nahi dharan kar sakta. Jo asadhya rogi hai wo bechara asmarth hai. Aur jo pramadi hai wo nahi aur jo kroadhi hai wo nahi aur jo abhimani hai wo nahi. Jo guru ki agyaa ka palan karta hai, unke isharon ko samjhta hai. Unki agyaa mein apne pran samarpit kiye hain.
uske andar sampurn bhagvatik sadgun prakashit ho jaate hain. Isliye udrat na ho namr raho. Chapal na ho shanti sthir raho. Mayavi mat bano saral raho. Koi nautanki natak nahi. Kotahli mat bano. Gambhir raho. Kisi ka tiraskaar mat karo. Sabko sammaan do. Kisi se krodh varta mat karo. Kshma karo. Apne mitrata ka vihaar surakshit rakho. Shastr ka adhyan karo. Par shastr ke gyan ka ghamand mat karo. Koi bhi tumhare par krodh kare. Apni vihaar kare tum uski bhalai karo. Ishwar se prarthna karo ki uski buddhi shuddh ho.
aise upasak ko param pad ki prapti nischit hoti hai. Jo shravan kiya usko manan karo. Aacharan mein utaro naam jap karo jeevan is janm mein bhagwan ki sharan tak pahunch hi jae bhagwat prapti ho hi jae pakka jo bhi hasy vinod mein bhi satsang mein kahte hain wo keval shikshaspad kahte hain kisi ka kisi ka nicha dikhana ya kisi ka uphash karna hamara lakshya nahi lekin aap uphaspad aacharan na karen aap aisa koi pahnava aisa koi khanpan aisa koi natak na karen jo hamare sanatan dharm ke virudh hai jo hamare shastr ke virudh hai usse aapka patan ho jaega pakka samjho bahut bada prabhav hota hai satvic ahar satvic bhesh satvic chintan isse bahut unnati hoti hai aur asatwik ahar asatwik bhash asatwik man mane aacharan inse bahut patan ho jaata hai itna patan ho jaata hai aap socho jin mata-pita parivaar ko prannon se adhik pyar kiya jaata buddhi bhrasht ho jati hai.
kam se pidit hokar wo apne parivaar ke gale kaat deta hai. Bhag jaata hai dusre purush ke saath ya dusri stri ye kya buddhi bhrasht ho gayi. Jinki puja karni chahiye unki hatya kar dete hain. Jinko hamen shish par agyaa unke shish utar lete hain. Yah buddhi bhrasht ho jati hai. Aap dekh lo samaj mein dekh lo kya ho raha hai. Isiliye ham agar vinod mein bhi koi baat kahte hain to tumhare mangal ke liye kahte hain. Kisi ko kabhi kuch chubhe kabhi kuch koi shabd chubhe uska vichar karna wo bahut hi kadva hoga.
lekin aapko svasth karne layak hoga. Jaise kuch aisi ausdhiya hoti hai, kuch aise churn hote hain, bade kadwe hote, neem jaise lagte hain. Lekin wah aapka param mangal karte hain. Isliye pyare hamara kisi ko dukh pahunchana uddeshya nahi. Hamara uddeshya tumhen param sukh pradan karna. Par tum apni sthiti ko, apne dharm ko, apne acharno ko bhul gaye aur manmani aacharan kar rahe ho. Isliye tumhen jarur bura lag sakta hai. Jaise shastron mein bar-bar ye akarshan ki ninda ki gayi. Ab agyaan ke karan na janne ke karan us shastron ko kahte hain are stri ke sharir ki ninda ki to kisi ke sharir ki koi kaun si vandna ki gayi hai?
purush ka sharir chahe stri ka sharir hai to panch bhautik paraspat akarshan ki ninda ki gayi. Paraspat adharmacharan ki ninda ki gayi. Agar aap shastr sammat baton ko vichar karke dekhen to aaj jo hamari durdasha ho rahi hai wo shastr na manne se ho rahi hai. Shastr ki agyaa ka palan na karne se ho rahi. Prat kal uthkar ke bhumi ke charan chhukar bade bujurgo ko namaskaar karke bhagwat aradhna karke apni dincharya mein jaate hain. Unka dekho kaisa aacharan hoga. Jo subah se hi uthe gande acharno ka chintan gandi varta gandi kriyaen pashuta chhaa gayi hai isliye pyare aaj kisi bhi pralobhan se yadi hamara man lubhayaman hoga to ham shastr ki sahi baat tumhen nahi bata payenge aur agar hamara uddeshya aapko bhagwat prapti karana hai aapka mangal karana hai to nirbhay hokar dahadte hue aapse kahenge aur aap pyar se sun lena thoda kadva lagega lekin aapko bahut theek kar dega ye sudarshan churn churn hai.
bada kadva hota hai sudarshan churn. Lekin jiska bukhar na utarta ho niyam se sudarshan churn paye uska bukhar utar jaega. Aise ye jo maya ka bukhar hai na satsang rupi sudarshan churn paoge ye utar jaega. Naam jap karo satsang mein kabhi bura mat manna. Sadhu shastr aur gurujanon ki baten yah sadaiv paramarth ki unnati par chadne wali hoti hai. Ek bar hriday ko sunana aisa ki kadva sunkar ke mujhe vichar ho ki mere jeevan mein gandagi kya hai aur use dur karna hai to aapko accha lagne lagega. Shastr jab bolta hai to satya bolta hai.
dharm priy bolta hai. Usmen aapka param mangal chhupa hota hai. Isliye kabhi-kabhi koi baat aisi uphaspad ya kadvi lage to aapke mangal ke liye tasmat shastram prmanam aur jahan kabhi kisi ko sanshay lage ki aapne baat kahi thi kahan se pramanit hai to aap hamse hriday se pooch lena. Wo kahin na kahin likhi hogi. Aap dekh lena kahin na kahin likhi hogi. Satvic kaise vastr dharan karne chahiye shastr agyaa karta hai. Chahe purush ho chahe stri ho wastron ka bahut prabhav hai. Kaise aapko shringar karna hai?
shastr agyaa karta hai. Patirat dharm ka palan karne wali saubhagyavti patni apne pati ko rijhane ke liye shod shringar karti hai. Bahar nahi bahar wo gambhirta purvak kuch aise saubhagya chinh dharan karke saumy bhav mein rahti hai. Aise jo adesh hue unse hamare dharm ki raksha hoti hai. Unse hamari maansikta pavitra rahti hai. Lekin pativ vridh dharm ek patni vridh dharm jo shastragya karta hai ya brahmcharya vridh dharm ab granthon mein likhe rah rahe hain. Koi birla in baton ko samjh raha hai.
nahi videshi aacharan hamare desh mein padhar rahe hain. Ye jo dharm sthiyan hai videshi bhav aa rahe hain. To hamen lagta hai satsang hi hai ek jo tumhen dant sakta hai. Satsang hi hai ek jo tumhen jhakjhor sakta hai. Satsang hi hai jo tumhen gire hue ko shabd ke dwara utha sakta hai. Aaj guru kripa se shri ji ki kripa se hazaron log inhi kadvi baton ko sun sunkar uthkar khade ho rahe hain. Apne gande acharno ka tyag karke bhagwat marg mein chal rahe hain. Isliye sabse prarthna hai naam jap karo. Jo tumhen kadva lage use bar-bar manan karo.
wo tumhare man ki gandagi ko dur karke priyal se mila dega. Vishwas karo. Priyal se mile bina yah manushya jeevan bilkul vyarth jeevan hai. Phir aur yoniya dekho aisi garmi ho rahi hai. Pani jagah-jagah chhote-chhote sarovar jo hote the wo sukh chuke hain. Pani ki badi vyvastha hai. Socho un pashu pakshi ko jahan aaspas nadi nahi hai. Pehle to dharmatma log chhote-chhote aise pani ki vyvasthaye karte pashu ke liye saikadon jagah Vrindavan mein aisi nadi bani hui thi jinme shital jal bhara hota tha gaun ke liye ek jagah bhi khojana mushkil ho jaega pashu ke liye pakshi ke liye pani ki badi vyvastha hai tum to manushya bisalri ki botal kharid loge unko kahan se hai vichar karke dekho to agar ham anya yoniyon mein jaate hain to kitne bhayanak dukh hamare upar honge janglon mein pani sukh raha hai pani ki koi vyvastha nahi bahut se aise pashu pakshi hain jo chal ke jakar ke nadi mein pani nahi pi sakte unko wahi nazdik pani chahiye.
kahan pani ki vyvastha hai? Pehle hamne dekha isi Vrindavan mein bade-bade aise patron mein pani bhara hua hai pashu pakshi ke liye aur nabhi bani hui badi-badi unmein shital jal bhara hua hai gaun ke liye. Badi udarta rahti thi. 50on jagah log shital math ke liye jal pyau the. Sabko pilane ke liye sab dharm dheeredheere has hota chala ja raha hai. Isliye utho dharm ke marg mein chalo. Dusron ka hit karo. Sharir ke sukh ki zyada chinta mat karo. Yah lakdi mein rakhkar jalaya jaega ya gad diya jaega? Isse kama lo.
tapasya brahmcharya sanyam niyam naam jap shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…