ahankaar ki chal, sahna hi sadhuta/hans rup se sankadikon ko updesh/keval naam jap se sampurn bhakti ki prapti
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavan swari taiv padarvindm prema mrtak makrand ras purnam hadar pitam madhupati smar tap mu gram nirva pay param shital ma Shyam param shital ma Shyam param sacchidanand ghan Premanand swaroop nav nivrit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle prana pran priy shri yugal sarkar Priya pritam ju samasth sachar vrind khag mrig pashu panchhi taru lata shri yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein koti sah pranam koti sa naman namaskaar abhiman ek aisa shabd hai jo pure sansaar chakra ko bandhe hue hain abhiman vidya ka abhiman ka abhiman jati ka abhiman kul ka abhiman jawani ka abhiman aur bhi bahut prakaar ke dhana abhiman jana abhiman yah abhiman hi janm maran ka hetu hai sans mul sul prad nana sakal shokh dayak abhimaan yah kabhi sukh pradan nahi karta y shok dukh bhay yahi pradan karta hai par agyani janon ko ismen bada sukh lagta hai jati ka abhiman dhan ka abhiman to ek sukh ki anubhuti unko hoti hai agyani hon ko isi abhiman vritti ka tyag kar
diya jae to bhagwan hriday mein jo hai wahi s phurit hone lage hamari maang vishn nahi hai bhagwata and hai vishyon mein anand ki khoj karna mano jeevan ko barbad kar dena hai pure jeevan ko vyarth kar dena par hai bada kathin sahaj pravah man aur indriyon ka prakriti ki taraf hi hota hai paramatma ki taraf to sadhna ke dwara lagaya jaata hai aur sadhna karte hue bhi yadi ahankaar ho jae to bhi va sadhna vyarth ho gayi to yah ahankaar jo hai yah bhagwan ki jab vishuddh kripa hoti hai tab iska nash hota hai nash do prakaar se hota hai ek gyan ka pradurbhav hokar ahankaar ka nash karna aur ek paristhiti aisi paristhiti prakt kar dena sarvnash ki leela uska ahankaar choor choor ho jaata hai agar bhakt mein kahin thoda bhi ahankaar ho to bhagwan ko bardasta nahi hota tate karen kripa nidhi duri sevak par mamta ti bhuri bhuri mane bahut badi sevak par bahut badi mamta rakhte hain prabhu to jahan bhakt koi abhiman karta hai to usi abhiman ka naam na karne ki leela karte ho badi kadvi hoti hai gyan ke dwara abhiman ka
nash ho jana thoda saral hai sahaj hai lekin leela ke dwara paristhiti prakt karke phir abhiman ka na suna hai bada kadua hai itna kadua hai ki dev rishi narad ji ne bhagwan apne isht shri hari ko saap de diya jao jaise main stri ke viyog mein dukhi hoon waise tum dukhi ho jo tumne hamen bandar ka swaroop diya wahi tumhari sahayata karen dekho kitna abhiman gira diya ki apne isht ko saap de diya ham jinki charan raj ki aradhna karte hain unko dukh dene ki baat kah di aur prabhu ne sweekar kar liya
isliye upasak ko chahiye abhiman se bache guru kripa se abhiman nasht ho ho jaata hai jab sadhak apne aap ko guru ke charnon mein samarpit kar deta hai to uska dhire-dhire abhiman galit hote hote wah phir dekhta hai ki bhagwat kripa se sare karya ho rahe hain main nahi kar raha hoon karta aur bhogta bhav hata ki va jeevan mukt avastha ko prapt ho jaata hai isiliye shripad prabodha and ji kah rahe hain jati pran dhana atu suy so raas pareekshita sad dharma vilay prayan satatam sarv nirbharta adhi vyadhi sate na jeerat va pulu to prati kaat vrinda vi pinam tathapi na mana tum mama smati sadhak ko kabhi sharir sambandhi abhiman karna hi nahi chahiye ki main amuk jati ka hoon mere paas itna dhan hai main itna balvan hoon buddhiman hoon gyani hoon bahut sadhan paraayan hoon aise abhiman ko bilkul kar dena chahiye sharir sambandhi smriti ka tyag hi sadhna hai hamko apne sharir ki shuddh na rah jae aisi bhagwat smriti ek tar chale ki isht ke chintan mein itna ham doob jaen ki sharir ka chintan hi na ho yahi sadhna hai main kis jati
mein paida hua hoon main kahan paida hua hoon main rupvan hoon main jawan hoon main gunvan hoon dhanvan hoon balvan hoon yahi abhiman hamen bhakti maharani se bahut dur kiye hain jaise koi raste mein jab koi mahan aata hai to foolon ke pavne bichhate hain to tumhare hriday mein mahan bhakti padarpan karne wali hai aur tum abhiman rupi bade-bade kante bicha do to tumhare hriday mein kaise aayegi vidya rup mahatva kul dhan jovan abhiman sat kantak dekhe jahan raan bhakti nidan jahan vidya ka rup ka kul ka dhan ka Yavan ka yah sab abhiman rupi kante pare hain uske hriday mein bhakti maharani kaise padhare sat kantak dekhe jahan raan bhakti nidan phir raan bhakti nidan swang sab nagar nar ke nagar nar kahte hain vaishya bas wo vaishya ki tarah jaise vaishya shringar karti hai par purush se raman karne ke liye aise wah bhakti ka swang karta hai vishay purushan ko rijhane ke liye bhartar bhagwan shri hari ke rijhane ka uddeshya hat jaata hai vishay purushan ka bhakti ka aadambar karke natak karke vishay purushan ko rijhane ka nahi
rivan bhatar ke isliye upasak isse dare sharir chintan indriy man ke dwara bhog chintan garv ghamand abhiman yah bahut bhakti mein badhak hai to shripad kah rahe hain ki shri dham Vrindavan mein mujhe akhand vas karna hai ab jati paksh ko mita dena hai hamen yah nahi dekhna ki ham kis jati ke hain y jati pati kul karm dharm vrat sanskriti hetu avidya nasi sevak ji maharaj ka sab avidya hai ye yah koi satya vishay nahi hai piche ham suvar rahe is janm mein manushya ban gaye phir age jakar ke bigad jaegi to nali ke kida ban jaenge bhut pret ban jaenge badhiya punya ban gaya to devta ban jaenge aur bhajan ban gaya to bhagwan ko prapt ho jaenge to kapde badte rahte hain atma to wahi rahti to kapton ki kya jati isliye jati paksh ko sadhan bhav mein nahi lana chahiye aur chahe pran chale jaen ab apne aradhya dev ki aradhna nahi chhodni prannon ka moh bhi chhod dena chahiye pran ke moh mein bhookh pyas jine ki asha inka tyag kar de chahe aaj hamen bula lo chahe 50 varsh baad bulana jana to hamen
aapke paas hi hai ham to aaj hi tayyar hain ab aap dekh lo kab bulana hai aur rahi prannon ke poshan ki baat to jo aap vyvastha kar denge usi mein ham raji rahenge to jati pran aur dhanani dhan aadi ismen sab vishay aa jaate hain hamko wahi vishay chahiye jo prabhu dete hain hamen kisi vishay purushan ki chatukarita karke dhani maniyo ke piche dol karke unse bhog samgri ekatrit karna yah to narak ka rasta hai bane to raghuvar te bane bigre to bhrpur tulsi auran te bane ta ban be pe dhur agar bane to hamare isht dev se isht dev kah rahe yogakshemam vamam main tumhare yog kshem ka vahan karunga tum to nishcint hokar keval mera anannya chintan karo anannya chint to mam lakho bar yah baat sun chuke hain anannya chint to mam kya aisi sthiti aa rahi hriday mein ki apne shyama Shyam ke siva ham aur kuch sunna na chahe dekhna na chahe aur kisi se kuch pana na chahe de to shyama Shyam de kaise jananenge ki shyama Shyam de raha hai kaise jananenge mera prabhu de raha hai jab ham koi kamna na karen aur ayachak vritti
se aparichit vyakti ke dwara hamari seva ho tab samjhna chahiye bhagwan se prerit hokar kar raha hai jatha labh santosh sada kahu so kachu na chaho isse dhan ka abhiman dhan ki priyata nasht ho jaegi jati ki priyata prannon ki priyata aur dhanani dhan aadi ki priyata ka nash jatha labh santosh sada kahu so kachu na chah yaan suso rash pareekshita abh is sharir ka bada yash ho raha hai badi pratishtha ho rahi hai bada man hai sweekar mat karo agar yash pratishtha man sweekar karoge to deha bhiman pusht ho jaega aur bhagwan ki bhakti ya shuddh gyan prapt hona kathin ho jaega sammaan kalya ghor galam yah sammaan bada jahr hai mitha jahr hai ise maang kar piya jaata hai sammaan ki priyata pratishtha itni jor ki ho jati hai ki bade-bade achhche sadhako mein bhi irshya mat sarta aur man priyata yah bhagwan se dur kar deti hai kanchan tajna sahaj hai sahaj tiya ka ne man bada irshya durlabh taj naye bade-bade achhche santo sadhako mein bhi jab dusre ki yas kirti hoti hai to apne hriday mein jalan hone lagti hai usi
jalan ka naam irshya hai mat sarta hai mahapurush jan kahte ise tyagna bada kathin hai kyonki apni man pratishtha ka jab bhog hota hai tab ye rog paida ho jaata hai irshya aur ma sarta mere se age badha ja raha hai man pratishtha ko bhi dhul dhu sarit kar de na sweekar karen wah chal chale jisse man pratishtha na ho jisse log sayas karke bhid laga kar ke bhajan ki vritti hatate hain to aisi chal sadhak ko chalna chahiye ki koi uske piche na pare man pratishtha se dur rahne ke liye siddh mahapurushon ne paaglon ka sa natak kiya hai jad bahre gunge viksipt aisa swang kiya ki viksipt hai yah pagal hai yah bahra hai yah gunga hai aisa kyonki bolenge to vidvta prakt ho jaegi sunkar uttar denge to log piche par jaenge aur agar pravinta dikhange to phir pratishtha pusht hoti chali jaegi isiliye wo jad dikhayee dete hain pa jaise mukh bahre yah bhagwan ki prapti ke liye kan hote hue bhi bahre ban gaye jawan hote hue bhi maun ho gaye aur vidvan hote hue bhi viksipt pagal ka savar role karte
hain isliye shripad kah rahe hain sayas rashi pareekshita sayas hamara ksheen ho jae sad dharma vilay prayan agar ham prem dharm ke palan karne wale hain to anya dharmon ka tyag ho hi jaata hai bhagwan kah rahe hain tumhen koi paap nahi lagega mata-pita bandhu parivaar nana prakaar ke kitne lok dharm hai yadi aap virakta hai bhagwat marg ke pathik hai to aise sat dharmon ka bhi tyag kar dena chahiye sarv dharmamam ekam sharanam braj aham tavam sarv pape moksh sham ma such main tumhen samasth papon se mukt karke param pavitra kar dunga keval tum meri sharan mein ho jao sab dharmon ka tyag karke to sad dharma vilay prayan satatam aur sarv nirbharta bahut log tiraskaar karte hain jinme asuri pravriti ho hoti hai wah santo ki bhagwat cheshta hon ka virodh karte hain swabhavic santo ka to kisi se virodh nahi hota swabhavic virodh unke hriday mein prakt hota hai yah unka swabhav hota hai jahan tanik bhi asuri pravriti hogi to santo ki mangalmay cheshta hoti hai naam kirtan karna bhagwat katha varta karna to
unka jalta hai aur us jalan mein wah santo ka virodh karte hain santo ka tiraskaar karte hain jo asuri pravriti hoti hai usko virodh accha lagta hai shripad kah rahe hain satatam sarwasya nirbharta to yadi koi apman kare tiraskaar kare to use sahna jhuk jana har jana yah hamara dharm hai bhrashtachara sab sansara dharm sune nahi kana kalikaal bihal kiye manuja nahi mane ko anuja tanuja abhi samay aayega age dekh lo abhi kalyan kar lo apna bhajan karke nahi age na satsang milega aur na bhagwat charcha milegi vyapar satsang bana liya gaya updesh vyapar bana liya gaya jo jo jo jo dhire-dhire satya vastu ka aphrn hota chala ja raha aur jaha satya vastu hoti uska virodh hota hai unke dwara kiye hue apman aur pratikultaa ko anand purvak sah lena is shripad prabhu nand ji kahte hain sarv char bharta sab log milkar ke yadi ninda karen sab log milkar tiraskaar karen to bhi apne marg mein sthit rahe kabhi vichlit na ho adhi bahar davi prakriti ke dwara jo kasht milta hai use aadi kahte hain sardi hai garmi
hai pratikultaa hai tiraskaar hai ninda hai y sab aadi ke antargat ate hain aur vyadhi sharir ke rog ke antargat ate hain is marg ke upasak ko bahut paripakva rahna chahiye jati ka abhiman nahi prannon ka moh nahi dhan sukh ki asha nahi suy pratishtha isko mita de aur ka rahe sad dharmon ka tyag karke sat dharmon ka tyag karke bhagwat dharm prem dharm sweekar karen aur koi apman kare tiraskaar kare sab milkar ninda karen to bhi vichlit na ho apne marg mein chale aur adhi daivi apda sardi barsat pratikultaa tiraskaar yah jab mile to inko chupchap saho aur vyadhi sharir ke rog aadi jab ave to bhi inko yah paramarth bahut kathor hai bahut kathor hai tab hriday dravit hokar Priyalal ki taraf bahta pehle in kathor niyamon ka palan karen vyadhi satan saikadon rog ho jae to chupchap unko sahe rayat vapu lupt pratikar ta koi pratikar na kare inka virodh na kare tumhara virodh ho raha hai use sah jao sharir mein hai usko sah jao bahar se apda ra usko sah jao koi apman ninda tiraskaar chupchap sah jao aur
sahna bahut kathin hai sahai sa sadhu aise samarth shali mahatma rahe hain par pit gaye hain pandit Ram Krishna Baba ke mathe par danda mara ki halwa khwa bole nahi hai to mathe par sah gaye sahna bahut zaruri hai is marg mein prem marg mein to sahna bahut zaruri hai agar jo jitna sah gaya utna hi wah mahan Priyalal ka kripa patr ban jaega isiliye kah rahe jati ko mita do prannon ka moh mita do dhan ke dwara prapt sukho ka tyag kar do man pratishtha ka tyag kar do sad dharmon ka tyag kar isht mein purn anannya ho jao yadi sab log milkar tumhari ninda karen apman karen to use sah jao adhi ko sah jao vyadhi ko sah jao aur pure jeevan kisi ka pratikar mat karo aisi vyvastha mat karo apne bal ka prayog mat karo ki jisse tumhara virodh band ho jae nahi aur virodh hone do aur usko saho jitna sa hoge utne mahan bante chale jaoge rakshti sansaar bhaya sadosh map shesh deh bhad vandam Vrindavan miti ten pranam tano ma kannam ki map chahe jitna dosh yukt prani ho ek aparadh se bach jae keval vaishnav
aparadh se to shri dham Vrindavan use Priya pritam ki prapti kara deta hai rakshat sansaar bhaya sadosh dosh yukt hai Vrindavan vas karta hai par vaishnav sant janon ke charnon mein koi aparadh nahi karta bas ek aparadh sant janon ka koi aparadh nahi karta to shri dham Vrindavan use nischit Priya pritam ki prapti kara dega Vrindavan miti ten pritam tanam kanam kim jo Vrindavan ka aashray liye hai prat hai to shri dham Vrindavan chahe jitna wah doshi ho use parmanand ki prapti kara dega yadi ek aparadh na
bane kabhi vaishnav aparadh na bane sant aparadh na bane shri sitaram omkar nath ji maharaj bahut sundar naam premi mahatma naam hi wah sadhan hai keval naam ko pakar le to sampurn bhakti hriday mein prakashit ho jae man lo kalyug hai aur koi sadhna chalne wali nahi hai 10 pach din bhale kuch chala iske baad phir wahi aa jaoge agar aapko unnati prapt karni adhyatma unnati to naam ko pakar lo jo guru prdat naam hai bar-bar naam jap karo usi se sab ho jaega sitaram das ji maharaj kah rahe naam hi wah sadhan hai jise pakar lene se sampurn bhakti prapt hoti hai sirf sirf naam lene se kal pidit jeevan ko mukti mil jati hai keval isi karan was sabhi log kalyug ko sarvshresht mante hain ki jo badi-badi sadham se padvi prapt nahi hoti kalyug mein keval naam jap se prapt ho jati hai anya yug ke bade-bade mahapurush kalyug mein janm lene ki ichchha rakhte hain jo log naam ka aashray lete hain bhagwan ko naivedya lagakar pate hain aur apne aacharan theek rakhte hain wah bahut jaldi jeevan mukt ho jaate
hain samjhiye jo log naam jap karte hain bhagwan ko bhog laga ke hi prasad pate hain itne se hi unke aacharan to pavitra ho hi jaenge kyonki ahar pavitra aur naam jap hai bole nischit bhagwat prapti ho jaegi sitaram das ji maharaj kah rahe bina bhagwan ko bhog lagae kuch khao mati shuddh satvic ahar bhagwat arpit ahar aur naam jap isi se ho jaega do baten shuddh satvic bhagwat arpit ahar aur naam jap isse aacharan bhi pavitra ho jaenge kyonki jab ahar pavitra hai aur naam jap se buddhi pavitra hai to sab pavitra ho jaata hai jo vyakti sadaiv naam smaran karta hai aur parai matao bahno ki taraf gandi drishti nahi rakhta pavitra bhojan karta hai uchit brahmcharya ka palan karta hai va nischit parmanand swaroop bhagwan ka sakshatkar kar leta hai pran prayan pathey sansaar vyadhi bhe sa jam dukh shok paritran shri ramer davam hari Krishna Radha Ram ye jo do aksaron ka bhagwan ka naam hai sharir rahte yahan sukh pradan karega aur sharir chhutne ke baad yah pran pathe hai jo hamara rasta hai sharir chhutne ke baad
usmen sukh pradan karte hue bhagwan ke dham tak pahunchane ki mahima naam mein hai sansaar rupi rog ki achuk aushadhi hai naam jas naam bhav bheshaj bhav bheshaj sansaar rupi rog ki achuk aushadhi aur dukh shok paritran dukh se shok se raksha kar lene ki samarth keval naam mein hai dekho sab dukhi hai jo bhagwan se vimurkh hai agar dukh se bachna hai shok se bachna hai to bhagwan ka naam swayam japo yah jab tak apni jivya se nahi japoge tab tak tumhara vastvik shok dur nahi hoga dukh dur nahi hoga aur ismen kya mehnat lagti
hai Radha Radha Radha Radha shok dukh inse sadaiv sadaiv ke liye chhutkara sab log chahte hain ki kabhi sakhat na ho kabhi dukhit na ho lekin aisa chahte hain ki ham kuch le de ke hamari aisi sthiti ho jae ki main shokh aur dukh se bach jaun to kadpi nahi vastvik shok aur dukh se bachne ka upay ki apni jivya se naam jap karo jab aap naam jap karoge to shok dukh paritran ye do akshar Radha Radha ye do akshar hari hari ye do ra Krishna Krishna ye do akshar Ram Ram ye sab aapke dukh aur shok ka nash kar denge aur bhav samudra se aapki raksha kar lenge deh tyag ke pashat jo naam jap nahi karta to yamdoot marte hue le jaate hain mar kodon ki mar se ab jisne kabhi yahan paula nahi khola pani nahi pilaya kisi ko bhojan nahi paya rasta mar mar mar ke va pyas se vyakul hai to ek bund pani nahi milega kyonki tumne kabhi pilaya hi nahi kisi ko bhookh se vyakul hai kabhi bhojan nahi pavaya dhoop lag rahi kabhi tumne chhattar dan nahi kiya niche kankar kante aur tapti hui balu jaisi bhumi tumne kabhi paduka dan
nahi kiya sharir mein bade teekshan vayu lag rahi kabhi vastr dan nahi kiya yah manushya jeevan mila hai bahut sukh prapt ke liye khub dharm purvak mehnat karo apni char roti mein se ek roti kisi ko de do wah tumhare liye bahut bada kam karegi to jo parlok mein mahayatra ke samay sukh pradan karne wala hai wah naam hai agar yahan se naam jap ke nahi gaye to durgati pakki aur naam jap karke gaye to bahut suvida purvak agar aise paap bane hain ki tumhen narak bhi jana padega naam dhan japne wala ek to narak
jaega nahi agar kahin aise bade paap ban gaye hain to wahan suvida bhi milegi usko bahut jaldi mukt ho jaega nar ki gati se ek to jaega nahi agar wah kahin pramad was naam ke bal se paap karta raha tab to jana padega kyonki naam japak jo narak jaega to va wahi jaega jo naam ke bal se paap karta raha hai ki are Ram Ram sham ke kah lenge din bhar khub paap karo to naam ke bal se jo paap kiya jaata hai va phir narak mein hi dhulayi hoti uski abalo nasani abna na sayo aaj tak paap ki aap nahi karunga aur naam jap karo tab to paap tumhare sab nasht ho jaenge lekin naam jap bhi kar rahe ho khub paap bhi kar rahe ho to wah paap narak mein jakar tumhen dhona padega wahan jo dand milega usse tumhara paap ka prachit hoga lok mein kisi bhi yatra se pehle tu uski kitni sukshm tayyari karte ho puri satarkata se phir sharir chhutne ke baad yatra ki tayyari kyon nahi karte ho kahin jana ho to badi tayyari karte ho raste ki tayyari wahan kahan jana hai sab vyvastha aur sharir chhutne ke baad tumhen kahan
jana hai iski tumhen fikr nahi sharir chhutne ke baad yatra mein jo aapko khanpan vyvastha chahiye uski fikr nahi to yah naam hai paath sharir tane ke baad naam tumhara sathi hoga tum naam le lo aaj tumhari deh mein pran hai pata nahi kal rahe ki na rahe kal ka bharosa nahi hai aaj abhi isi kshan bhagwan naam ucharan karo ek din aisa aayega ki tum jivit to rahoge lekin naam lene layak nahi rahoge abhi naam le lo hath pair chal rahe hain buddhi kam kar rahi indri kam kar rahi hai nahi shithil behosh sthiti mein varsho vyatit ho jaate hain charpai mein pare bhagwan naam ucharan karne ki himmat nahi rahti bhav nahi rahta samarth nahi rahti kal ka bharosa nahi tumhare jeevan mein ek din aisa aayega ki tum hath pair nahi hila sakte apni jivya hilakar Ram Ram Krishna Krishna Radha Radha nahi bol sakte tumhari drishti ksheen ho jaegi ankhen dekh nahi paengi aur tumhari jivya bol nahi paegi isliye abhi naam le lo abhi tum bol sakte ho abhi tum dekh sakte ho to tumhara jeevan mangalmay ho jae
isliye bhagwan ka naam jap karo bhagwan ke naam mein apaar samarth hai jaise shabd ucharan kiya Radha yah sidhe gaya aur bhagwan ke paas jama ho gaya ab ek bar naam liya hai to jab register khola jaega to ek bar naam hai iska kitna punya hai kitna labh hai kitna mahima hai ki aap narak nahi jaoge ek bar naam se ek bar jin naam li hit so hoy ati din ta ko sang na chhan hi dhruv apno kar leen pran tumhari deh ko chhodkar jab jaega to pran hin deh ko to yahi bhasm kar diya jaata hai ya phenk diya jae
to shaga kutte kha jaate hain gad diya jae to kide ban jaate hain par pran pran to gaye ab panchbhut deh to yahan nasht ho gayi aur pran ke jane ke liye tumne koi tayyari nahi ki to bada kasht pate hain pran prannon ki tayyari kar lo jab pran chhute uske baad ki tayyari kar le to use marne ka bhay nahi rah jaata har shwas prannon ka kam hai shwas ka ana aur ja na swaso chha vas kahte ise har swas mein ane jane mein yadi naam jap kar rahe ho pratiphal pratikshan pratdin to tum samjh lo apni mahayatra ke liye sab suvida jama kar rahe ho yadi tum har swas naam jap kar rahe ho to mahayatra jab sharir chhutega to uske liye tum suvida kar rahe ho ab adhik samay nahi bacha aaj se hi apni har swas mein hari hari Radha Radha yah pran prayan ka samay uttam pathe hai naam ikttha kar lo lekin samjh mein nahi aata jo saath nahi jana jo age sukh nahi milega tumhari is kamai ka yahi rah jaega usmen to ji jaan lagae hue ho lekin jo tumhen akhiri mein sukh pradan karega uske liye tum shant ho uske
liye koi upay nahi kar rahe yah tumhara sab saman tumhare swajan sambandhi tumhare stri putr tumhara ghar dwaar yah kuch bhi antim samay kam nahi aayega bhagwat naam antim shwas ke baad tumhara kam shuru karega bhagwan naam maha sukh pradan karega yatra badi sukhmay hogi aur lakshya bhagwat prapti nischit prapt ho jaega yadi naam jap kar rahe ho sharir chhutne ke baad tumhara koi sathi nahi koi sampatti nahi koi ghar nahi koi mitra nahi keval naam hi tumhara mitra hoga ab yar meri baat man jao chup mat baitho naam le lo ham tumhen puran sankhya Upnishad ved vedant sab shastron se pushti karke bataya Baba kah rahe hain sitaram das ji maharaj ab to naam jap kar lo yar ab to naam ko pakar lo ek rasta pakar lo ki aaj se mujhe keval naam jap karna hai bahut shastron ka gyan hai naam jap nahi to bekar hai bahut satsang sun rahe ho bhajan mein priti nahi ho to satsang ka labh kya mil raha hai shastr anant hai kahan tak padhoge marg anant hai kitna jankari loge ab chupchap baith
jao bahut jaan sab shastron ka sar aur sab sadhna hon ka sar naam jap hai khub naam jap karo jo tatv gyan hai va isi naam jap se prapt ho jaega jo kalyug ki kuchalak tumhen bacha lega kim karishya sankhe kim yog nar nayak mukti michchha sa Rajendra kuru Govind kirtanam sankhya shastr ko khub gyata ho usse kya ho jaega kim prayojanmulak ki karo mukti prarthna karke tumhen varn karna chahegi hath jodkar mukti aa jaegi yadi naam jap kar rahe ho yadi tumne sagun darshan ki ichchha ki to naam jap karo pran chhutne ke samay tak bhagwan ke darshan ho jaenge ubo mat khub naam jap karo pran chhute chhute bhagwan ka sakshatkar ho jaega naam is kalyug mein sarvshresht sadhan hai yah to maine kai bar bataya dekho tatkshan maine naam lena prarambh kar diya to hamara updesh karna sarthak ho jaega aaj se tumne naam mahima suni aaj se khub naam jap karo har kshan naam jap karo to hamara satsang karna safal ho jaega sansaar ko agar koi udhar kar sakta hai prakashit kar sakta hai to bhagwan ka naam he
pritam sansaar mein rog shok dukh nana prakaar ke sab prapanch bhara hua hai tum keval uran karo bhagwan ka naam is sabse dur ho jaoge sansaar aisa nahi jaisa tum dekh rahe ho sansaar bahut sundar hai bhagwan ka swaroop hai lekin naam jap karoge tab y anubhav mein aayega bogi nirantar naam jap karne ka prayas karen to rog se mukt ho jae pralap karne se kuch nahi hona ki main dukhi hoon main bahut pareshaan hoon main aisa bas meri akhri prarthna hai rupya man sammaan safalta vijay swasth aur agyakari naukar sab kuch
mil gaya hai tumhen par naam jap nahi to sab bekar ho jaega tumhara isliye tum naam jap karo chahe Ram bolo chahe hari bolo chahe Krishna bolo chahe kali bolo chahe durga bolo chahe Radha bolo jo tumhen priy hoe khub naam jap karo chatura panchanan sanatan vyas Valmiki narad in sabke dwara nirnay kiya gaya hai ki naam ek aushadhi hai jo tumhen sansaar rog se bacha legi brahma ji char mukho se naam jap karte hain bhagwan shiv panch mukho se naam jap karte hain bhagwan shesh 2000 jivya se naam jap karte
hain aur Saraswati ji ki na to jhan kati hi rahti bhagwat mahima aur bade-bade mahatma vyas Valmiki narad vashishta ye sab bhagwan naam premi hai amog aushadhi bataya hai bhagwan naam ko ekdam tum nihal ho jaoge aandit ho jaoge yadi naam jap kiya anek bhau rog pidit svasth ho gaye arthat bhav samudra se par ho gaye khud naam jap karo aur char ko aur karao jo tumhare rishte natedar hain putr aadi hain parivaar ke jan unko prerna karo pyar se prerna karo shastr sammat prerna karo ki wah bhi naam jap karen aap jap karo aur dusron se jap karao to bahut jaldi tumhara mangal ho jaega chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran bhagwan shri Krishna chandra jug se Uddhav ji prashn karte hain aur bhagwan updesh dete hain bhagwan shri Krishna chand ju kahte hain priy Uddhav satogun rajogun tamogun ye tino prakriti ke gun hai atma ke nahi satogun ke dwara raj aur tam in do gunon par vijay prapt kar leni chahiye tadnantar satogun ki shant vritti ke dwara uski daya adhi vrityio ko bhi shant kar dena chahiye jab
satogun ki vridhi hoti hai tabhi jeev ko mere bhakti rup swdharm ki prapti hoti hai nirantar satogun vastuon ka sevan karne se satogun ki vridhi hoti hai satogun ke dwara rajogun tamogun ko nash kar do satogun se hi bhagwan ki bhakti hoti hai aur satogun vastuon ka sevan karne se satogun hota hai bhojan alphar aur zyada pakwan aur yah sab rajogun bhojan ho jaega thoda bhojan pao satvic bhojan satvic jal sattwik granth satvic chintan satvic sang to satogun badhega agar rajsik tamsik hai to rajogun tamogun badhega jab satogun badhta hai to mere bhakti rup swdharm mein pravriti hone lagti hai jis dharm ke palan se satogun ki vridhi ho wahi sabse shreshth hai dharm rajogun aur tamogun ko jo nasht kar de aur jab tamogun rajogun nasht ho jaata hai to adharm uske sharir se nahi hota adharm hota hai rajogun tamogun se satogun mahapurushon ke sharir se kabhi adharm papa aacharan nahi hota shastr jal aaspas ka vatavran samay desh karm janm dhyan mantr sanskar ye agar satvic ho to bahut jaldi
satogun aa jae shastr satvic ho pe padaarth satvic ho aaspas ka vatavran satvic ho ham jis desh mein rah rahe va satvic ho samay satvic ho karm satvic ho janm satvic ho dhyan satvic ho mantr satvic ho sanskar to phir satogun aa jaega agar rajogun hai to phir bhog vasna tamogun hai to nidra alasya praman inme se shastragya mahatma jinki prashansha satvic hai mahatma jan jinko rokte hain ve rajsik tamsik hai jab tak apni atma ka sakshatkar na ho jae sthul sukshm karan sharir se vairagya na ho jae tab tak upasak ko chahiye ki satogun vridhi ke liye satvic shastr bhojan aadi ka sevan karen kyonki usse dharm ki vridhi hoti hai aur dharm ki vridhi se ant shuddh hota hai aur antahkaran shuddh hone se atma gyan hota hai jaise vason ki ragad se aag paida hoti hai aur sare van ko jalakar shant ho jati hai waise hi yah sharir gunon ke vaishamya se utpann hua hai vichar dwara manthan karne par ismen gyanganj hai Uddhav ji ne kaha bhagwan praya manushya jitne bhi wah is
baat ko jante hain ki vishay bhog vipattiyon ka ghar hai phir bhi ve kutte gadhe aur bakre ke saman dukh sahan karke bhi unhin vishyon ko bhogte rahte iska kya karan hai bhagwan shri Krishna ne kaha priy Uddhav yah bhog isliye hota hai k agyaan vash apne ko jeev man liya apne ko sharir man liya isliye jeev jab agyaan was apne swaroop ko bhulkar hriday se sukshm sthul aadi shariron mein ahankaar kar baithta hai jo ki sarvatha bhram hai tab uska satva pradhan man ghor rajogun ki or jhuk jaata hai usse vyapt ho jaata hai bas jahan man mein rajogun ki pradhanata hui ki usmen sankalp vikalp ka tata bandh jaata hai ab wo vishyon ka chintan karne lagta hai aur apni durbuddhi ke karan kam ke phande mein fas jaata hai jisse phir chhutkara hona bahut kathin hota hai y kam vasna itni buri hai ki aadmi ko ek bar phasa le to phir nikal pana bahut kathin hota hai ab wah jo karm karta hai wo kamna ke vashbhut hokar karta hai indriyon ke adhin ho gaya jabki yah janta hai ki main jo karm kar raha hoon uska phal dukh milega
kyonki papa aacharan ka phal dukh hai par wah rajogun se itna mohit hota hai ki wah janbujh kar ke bhi apne ko nahi bacha pata aur kam krida mein kam ki vedna se yukt hokar va papa aacharan karta hai yadyapi yah baat to kabhi-kabhi viveki purushan mein bhi jagrit ho jati hai kam aadi ki bhavna par wah rajogun aur tamogun ke veg se viksipt nahi hote unki dosh drishti bani rahti hai isliye badi savdhani se apne chitt ko ekaagr karke apne ko bacha lete hain kama aadi ki bhavna to viveki purushan ke andar
bhi aa jati hai par unki dosh drishti bani rahti hai isliye vivek ke dwara apne aap ko bacha lete hain sadhak ko chahiye asan par baithe ka abhyaas jarur karen bahut zaruri hai aasnan par baithna isse indriy aur man nigrh mein badi sahayata milti hai jinka sharir svasth hai jawan hai asan mein baithna sikho me dand sidhi jawan ho brahmachari ho sadhak ho bilkul sidhe sukhasan mein baitho to sidhe Padmasan aur siddhasan mein to sidhe hi baitha jaata hai bhagwan adesh kar rahe hain ki kam vijay pra prapt karne ke liye
sadhak ko asan par baithna chahiye kuch ghanton ka to niyam le lena chahiye ki asan par vyatit karenge naam jap mantr jap karte hue chahe Padmasan lagao chahe siddhasan lagao chahe sukhasan aur pran vayu par vijay prapt karen alphar aur pran sanyam do teen pranayam to batae hi the bahya kumbhk antarik kumbhk rechak pura kumbhk sadhak ko chahiye ki asan par baithna sidhi merudand se aur vayu ko jite pran wa isse bahut labh milta hai ek nasha chadta hai mantr jap ka 9090 pranayam karte the 90 pasina pasina aisi sardi mein ho jaate the aur ekdam saay machta tha dimaag mein mantr ki ekdam dhoom machti thi use karna chahiye 15 20 minute pranayam ham to lal chate hain baithe ko hi nahi milta kidney ke karan bahut der nahi baith sakte 10 minute baitho phir thoda tahal phir baitho phir leto aise tumhara saubhagya ki tum do ghante teen ghante ek asan par baith sakte ho apni pran vayu ka sansodhan kar sakte ho badi savdhani se asan mein baithkar pran vayu par vijay prapt karke apna man dhire-dhire mujh mein laga gawe bahut
dhyan se suno yadi asflata dikhayee de to abhyaas na chode asflata dekhkar tani kube nahi balki aur utsah ke saath abhyaas badhave priy Uddhav mere shishya sanka param rishiyon ne yog ka yahi swaroop bataya hai ki sadhak apne man ko sab or se kheenchkar virat aad mein nahi saksha mujh mein hi purn rup se laga de to Uddhav ji ne kaha ki he shri Krishna aapne jis samay jis rup se san kaad param rishiyon ko yog ka updesh kiya tha us rup ko main janna chahta hoon bhagwan shri Krishna ne kaha priy Uddhav sanak sanan sanatan Sanat kumar ye param rishi brahma ji ke man se prakt hue hain manas putr hai sanak sanan sanatan Sanat kumar unhone ek bar apne pita brahma ji se pucha yog ki sukshm aur antim sima kya hai yog ki sukshm kam antim sima kya hai san kaad param rishiyon ke poochne mein brahma ji shat baithe phir sa kaad ne kaha prabhu chitt gunon mein vishyon mein hi laga rahta hai bahut sundar baat hai par adhyatma ki hai hamara chitt sadaiv maya ke gunon se prabhavit hai satogun rajogun tamogun se aur ye
vishyon ka chintan karta rahta hai chhod do dekho abhi vishay chintan karega yah tino gun aur vishay chintan chitt ki ek ekak vritti mein sama gaye hain chitt aur gun aapas mein mile jule hi rahte hain aisi sthiti mein jo purush is sansaar sagar se par hokar mukti pad prapt karna chahta hai wah chitt ko vishyon se kaise alag karen bhagwan shri Krishna ne kaha priy Uddhav yadyapi brahma ji sab devtaon ke shiromani hai swayambhu hai aur praniyon ke janmadata hai phir bhi san kaad param rishiyon ke is prakaar poochne
par wah bahut dhyan karte rahe lekin lakshya nahi jaan paye ki yog ka sukshm aur antim swaroop kya hai chitt vishay mein ghuse rahte hain vishay aisa lagta hai ki hatenge hi nahi to koi upay hai ki chitt ko se hataya ja sake do prashn hai yog ki sukshm kam aur antim avastha kya hai aur vishay chitt mein aise ghuse hain ki ek ek vritti vishay menhi hai to kaise chitt ko nirvic karen brahma ji ne bada dhyan kiya lekin wah prashn nahi samjh paye uttar ki to baat jane do prashn nahi samjh paye kyon kyonki unki buddhi sansaar mein pravat thi karm pravat thi karm pravat hone ke karan va prashn hi nahi samjh paye jab brahma ji prashn ka bhav nahi samjhe uttar nahi diye tab brahma ji ne bhagwan ka chintan kiya bhagwan ka chintan kiya ki he bhagwan mere in putro ko prashn ka uttar aap dijiye to usi samay sabha mein dekha ek hans prakt hua shri bhagwan hi the hans ka rup dharan karke samne prakt hue mujhe dekhkar sanka brahma ji ko age karke mujh hans swaroop ke paas aae bhagwan shri Krishna
Uddhav ji se kah rahe mere charnon ki vandna ki phir hath jodkar brahma ji aur sanka ne pucha ki aap kaun hai priy Uddhav san kaad paramarth tatv ke jignyasu the jab unhone pucha ki aap kaun hai to bhagwan ne uttar diya bhagwan ne kaha brahm rishiyon yadi paramarth rup vastu nanav se rahit hai paramarth vastu mein nanav nahi ek brahm wahi atma hai to phir aapka prashn kaise ban sakta hai ki tum kaun ho ghor agyaan ki baat hai athva main uttar dene ke liye bolu to kis jati se kis gun se kis kriya se kis sambandh se aapko uttar du kyonki devta manushya pashu pakshi aadi sabhi sharir panch bhauton se bane hain to abhinnn hai vihaar rup se dekho to abhinnn hai kyonki sabke sharir panch bhauton se bane kisi alag se nahi aur adhyatma rup se dekho to abhinnn kyonki sabke hriday mein atma hai to aapka prashn kaise banta ki aap kaun hai iska matlab hai ki yah aapka prashn keval vani ka vihaar hai aapne vichar purvak prashn nahi kiya isliye nirrathak ho gaya aapka prashn bahut sundar sab sharir panch
bhauton se bane brahma ji ne aur sanka di ne pucha jab bhagwan ham swaroop ke aap kaun hai to unka panch bhauton ke karan sab sharir abhinnn to banta nahi puchna va atma ek hai sab rupon mein prakashit ho rahi to puchna nahi banta aapka vyarth hai prashn yah keval vani ka vikar matra hai man se vani se drishti se indriyon se jo kuch grahan kiya jaata hai itna samjh sab main hi hoon mujhse bhinn aur kuch nahi hai yah siddhant aap log tatv vichar ke dwara samjh lijiye putro dusra uttar yog ki antim sthiti kya hai pucha to uska bataya kya main hi main hoon sarvatra bhagwan ka darshan hona yog ki antim sthiti hai dusra uttar ki chitt mein vishay ghuse hue hain chitt vishay ho gaya hai yah kaise param pavitra vasudeva akar ho bole jab chintan ham karte hain vishyon ka to gadh chintan hone se wah sab vishay chintan chitt mein ankit ho jaata hai satya baat hai ab aap bhajan karne baithoge to wahi vishay chalega wahi gandi baten wahi sansaar kyonki wahi tumhare andar bhara hai vishay aur chitt donon hi mere
swaroop bhut jeev ke deh hai upadhi hai atma ka chitt aur vishay ke saath koi sambandh nahi hai isliye bar-bar vishyon ka sevan karte rahne se jo chitt vishyon mein aasakt ho jaata hai wah vishay chitt mein pravesht ho jaate hain in donon ka apne vastvik se abhinnn mujh paramatma ka sakshatkar karke tyag dena chahiye arthat ham bhagwat ashrit hai agar hamara chitt vishay chintan karta hai to use hata hata karke bar-bar vishyon se bhagwan ke naam ke rup ke leela ke gunon ke gungan mein rakhna chahiye bahut
sukshm vishay hai bhagwan ka naam gun leela chintan ho raha hai to ek ek chittritti mein jo vishay chintan hai wah nikal jae tabhi bhagwat prapti hogi vishay chintan na hone pave shastron mein hamne padha kriya utni badhak nahi jitna chintan badhak hai jagrat swapna susupti yah tino avasthaye satogun rajogun tamogun ke anusaar hoti hai buddhi ki vrutiya sacchidanand ka swabhav nahi in vrityio ka sakshi hone ke karan jeev un se vilakshan hai yah siddhant shruti yukti aur anubhuti se yukt hai jab hamari buddhi theek nirnay nahi kar pati aisa lagta hai sansaar mein sukh hai to khub nirantar chintan hota vishyon ka andar se dekho ab har vriti ko Radha naam se katna hai aapko Radha Radha ab wo andar se vishay chintan kar raha hai andar se vishay purna phenk raha hai vishay sankalp har vriti katni jab ek ek vritti bhagwan mein ho jaegi usi din bhagwan ka darshan ho jaega murari pada arpit chitt vritti ek ek vriti buddhi vrityio ke dwara hone wala yahi bandhan hai atma mein trigun may vrityio
ka dan karta hua jo har avastha mein naam jap karta hai aur y anubhav karta hai ek hi atma jo mere hriday mein wahi sabke hriday mein hai phir buddhi ke bandhan ka partyag karke va vishay chintan chhod deta hai bacha chitt jab chitt nirvic ho gaya buddhi ka nirnay ho gaya ki paramatma mein sukh hai is baat ko jankar wo ghor vairagi ho jaata hai accha hi nahi lagta sansaar aur wah apne ko satogun rajogun tamogun se alag turi avastha mein dekhta hai aur sansaar ki sari chintaen chhod deta hai bhagwan ke updesh ka aashay hai ki tumhen aur kuch samjh mein ave chahe na ave har vritti ko naam se katte raho pavitra bhog lagakar bhojan pao aur kisi mata bahan ya ganda aacharan na karo jo bhagwan hans rup se updesh kar rahe hain wahi aapke anubhav mein aa jaega bas apne ko bandh lo zyada phailao mein mat phailao dekho shastr to roz sunne ko milenge naye-naye sadhan milenge apne ko anya sadhan mein nahi lagna man buddhi chitt indri jitni bhi gandi ho hamen chinta nahi karni hamen naam jap karna hai har naam ek ek kshan aapki
chittritti ko pavitra kar raha hai agar ham bhagwad aashit hokar nirantar naam jap karen aur bhagwan ki leela katha sune leela katha gaen aur jo bhi samne ave use bhagwan ka jan mankar pranam karen to bahut jaldi hamara hriday nirvikaar ho jaega satogun rajogun tamogun ke pare triguna sthiti aa jaegi jis sthiti mein kabhi bhi koi vichita nahi hoti triguna sthiti mein kabhi koi vichal nahi hoti kabhi koi vishay chintan hi nahi hota dekho gopi jan triguna hai to wo kahna chahti dahi le le dahi muhn se nikal raha hai koi ba le le koi Govind le le koi Damodar le le isliye khub naam jap kijiye trigun maya ke parabhav se bchie koi bhi khanpan ganda na kijiye jisse aapke hriday mein rajogun tamogun na ave satogun badhta rahe satogun se bhagwan ki aradhna hoti tatv gyan bhi ho jaata hai satogun hi hamen sevan karna chahiye khanpan vihaar mein bhi shesh charcha ki shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…