॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kam aur prem mein antar / jane kya hai prem ka swaroop / prabhu prapti ki tadap kaise ho // 23/02/25

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavan Shabri taiv padarvindm prema mrtak makrand raso purnam radar pitam madhu pate smar tap mugam nirva pay param shital ma Shyam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop nav nivat nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle yugal sarkar prana aradhya pran priy shri Priya pritam ju samasth sachar vrind khag mrig pashu panchhi taralta shri yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein koti sh pranam koti shah naman namaskaar shri lali lal param kripalu maha udaar ham par kripa ki varsha kar rahe hain jahan narkeey pravrittiyon wale log rahte hain unke beech mein jinko rahna parta hai bhagwan se vimurkh hai kya unki durgati hai vichar karo aur aapka kya saubhagya hai mahmmahim tribhuvan mein sarvshresht shri dham Vrindavan ka vas aur bhagwat kripa ka sakshat swaroop satsang bin satsang vivek na hoi Ram kripa bin sulabh na soi yahi saravat ati kathinai Ram kripa vinu ai na jai jis par bhagwan ki kripa nahi va satsang mein nahi baith sakta wah bhaga vishay

chintan karte hue vishay bhogon mein ratri din vyatit karte hue nidra aadi bhojan ahar bas isi mein saubhagyshali ho hai jo nidra har maithun ko shasan mein lekar shri Priya pritam ki rasmei baten sunna Priya pritam ki rasmei lilaon ka chintan karna Priya pritam ke rasam dham ki mahima sunna Priya pritam ke ras mein naam ka chintan karna yah saubhagya ka vishay hai hamare upar shri ji ki apaar kripa hai ye ham pratiphal anubhav karen aur us kripa ka anadar na karen kripa ka anadar hai bhagwat vimurkh samay jana jo minute jo kshan prabhu ke chintan se Priya pritam ke chintan se vilag ja raha hai wo durbhagya hai wahi hani hai wahi vipatti hai hani Harivansh ke namantar pare labh Harivansh urat vani tab sukh Harivansh gun naam rasna tat aur bahuvchan ati dukh dani jab tak hamari vani Priya pritam ke jas ka gaan karti hai shravan indr shravan karti hai netr indi sab mein bhagwat bhav karti hai hamara samay sarthak hai ham jeevan mukt hain abhi jab netr nana stri purush jad chaitanya pradosh darshan aadi karte hain vak idri

gandi gandi baten bolti shravan idri prapanch sunti hai to hamara durbhagya hai abhi abhi ham narak tully bhogon mein sukh man karke apne samay ko nasht kar rahe hain shripad prabhu dan ji maharaj kah rahe kada ba sva chhandam din rajni Vrindavan bane charan ne kaha svasth adbhut nav nikunja su visan aksmaat deva laukik madhur kaishor suya i to na twam yaya it mridu gira war yatima kada wa kabhi aisa saubhagya milega din rajni raat din vrinda van bane Vrindavan ki naveen naveen kunj nikunj mein baran karta hua swand na lok lajja na ved ke shasan ka bhay swachhand beparwah hokar shyama Shyam shyama Shyam shyama Shyam gadgad sur Naina sajal dampati ras rahe bheen i gati brinda vipin mein phire prem tan leen Priya pritam ki rup ma ri netron mein chaai hai aansu tapak rahe hain jawan Priya pritam ke gunon se bhare hue pado ka gayan kar rahe aur pair Vrindavan ki galiyon mein bhramn kar rahe kabhi aisa mujhe jeevan milega ki mere jeevan ka pratyek kshan Vrindavan mein vyatit ho vani Priya pritam ke gunon ka gayan karen

din raat naveen naveen kun nik mein swand bhramn karun aur jab kunj nikunj mein bhramn kar raha hu to aksmaat deva laukik madhur kaishor suya aksmaat awaz sunai di i to na tom aaya idhar mat ana jab akh utha ker dekha to hamare pran pyare Priya pritam bol rahe the tu idhar mat ana shripad prabhu dan ji ka iti mridu gira rati mam itna amrit bhare vachan the oho kya mujhe dobara va sunne ko milenge ki Priya pritam galya diye hue aksmaat kunj mein dikhayee de aur bole tu idhar mat ana va amritam vachan mere liye kab pun sunne ko milenge kada wa tushi kaha sithil samasth yoti tajan dirgh swas katham pa grihit kavla sada jagrit praya kshan mudit tandra madhuram tada loke Vrindavan bhu nij pran mithun kab aisa hoga kada wa tushan ka sithil samasth ti samasth sansarik vihaar ke karyo ko chhota hua aur vani se maun dharan karke Vrindavan ki bhumi mein lambi lambi shwas lete Radha Radha Radha aur ati kasht purvak jeevan vyatit karta hua keval ek galas pran poshan ke liye ann pata hua ek gras ek kaval shi

odiya Baba ji ne jab sadhna ki to ek galas lete the dusra daal roti chaval sab aise ek muhn mein jitna jae 24 ghante mein ek muhn keval aise dal lete muhn bagar bas wahi kha ke pani pi lete wahi kah rahe hain kathan nap grihit kavla ek kaval keval pran poshan ke liye darte hue aisa kab hoga param pavan shri Vrindavan bhumi ka vas ho vani se maun hai bolte hi nahi sansaar ka koi vihaar vyapar sharir ka vihaar vyapar sab shithil ho gaya hai lambi lambi shwas lekar Radha Radha Radha aisa pukar hai aur pran poshan ke liye ek galas keval ann aur nind ka tyag sada jagrit praya sadaiv jagta hi rahta hai nind hi nahi hai agar thode samay ke liye tandra ai to usmen dekha prannath yugal kishor sarkar uske saath baat kar rahe us tandra mein tada loke Vrindavan bhum nij pran mithun mithun shri Priya pritam pran mere prannath Priya pritam us tandra mein dikhayee diye ki hamse baat kar rahe aisa kab hoga mere jeevan mein jab prem prakt hoga jab prem prakashit hota hai to phir sharir ki parvah nahi

rah jati prem bada alaukik tatv hai yah kripa se jagrit hota hai jiske hriday mein moksh tak ki abhilasha nahi hoti wo prem ka adhikari hota hai arth na dharm na kam ruchi gati na chaho nirwan janm janm rati Ram pad yah vardan nan Prayagraj ji se maha premi bharat ji maharaj yachna kar rahe hain yadyapi mera dharm kahta hai ki main mangu nahi kshatreey kul mein janm hua hai to arat kah na kare kukarma mango bhikh tyaaj nij dharm main art mein hoon kasht mein hoon to kuch bhi karya ho sakta hai yadyapi

mujhe mangna nahi hai par main aaj maang raha hoon char padaarth bhara bhandaru dharm arth kam moksh aapke bhandar mein bhara hua yah mujhe chahiye nahi arath na dharman kam ruchi gati na chaho nirwan arth mein dharm mein kam mein meri ruchi nahi hai aur main moksh pad chahta nahi hoon yahi chahta hoon ki bar-bar janm ho aur har janm mein Raghunath ji ki bhakti se yukt hoon aisa bharat ji ne mana jo bhagwan ke premi nij maha bhagwat hai wah kahte hain na param na mahendra dharm na sarvbhaum nar sadhi patya na yog siddhi ra punar bhav ma arpita mein chhati mad bananya jo mahan bhagwat hai unko nahi chahiye brahma ka jo param pad parmesthi pad hai indra ka jo pad hai sampurn prithvi ka sarvbhaum pad hai patal aadi loko ka rajya yog ki samasth siddhiya aur moksh ki abhilasha bhi bhagwat premi mahatma nahi chahte to bhagwat prem prapt karne ke liye na brahma ka pad chahiye na indra ka pad na prithvi ka rajya na rasatal ka rajya na yog ki siddhiya tab prem ka pradurbhav hota hai jab bahut dhyan se sunna jab chitt

se sab karm keval bhagwan ke arpit karne ke liye kiya jaata hai to sansaar se nitya viyog ho jaata hai sansaar ke saath kabhi sanyog hua hi nahi yah sharir yah sambandh sab swapak hai chir sthai nahi hai koi na pehle na baad mein beech mein jo hai wah nahi hai agyaan ke karan bhas raha hai jaise swapna dekhne wala swapna ko swapna mein satya manta hai par jab jagta hai ta use mithya nazar aata hai swapna aise hi jagrit avastha ka vihaar agyaan mein satya lag raha hai par jab gyan jagrit hoga to u ma kah main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna yah sapna hai sansaar to jab har karm chitt se bhagwan ka chintan karte hue kiya jaata hai dhyan dijiye jab har karm chitt se bhagwan ka chintan karte hue kiya jaata hai aur wah karm bhagwan ko samarpit kar diya jaata hai to aavagaman mitane wala ban jaata hai wah sansaar chakra ke nash ka karan ban jaata hai ya aisa kah lijiye ki wah purush jag jaata hai jahi jane ja jae hirai jage jatha swapan bhram jai jiske janne se sansaar hi nahi rahta jaise jaga hua purush swapna ka

astitva nahi manta aise hi jaga hua gyani mahatma sarvatra Vasudev bhagwan ko dekhta hai wah sansaar ki satta hi nahi manta sansaar se nitya viyog kabhi sanyog hua hi nahi sans ka yah anubhav ho jaata hai jad chetan granthi par gayi jadapi mrisha chhutti kathinai nitya viyog bahut sukshm vishay agar dhyan se sunoge to pakar paoge jab chitt vritti se bhagwan ka chintan karte hue har karm kiya jaata aur wah karm bhagwan ko samarpit kar diya jaata hai to wahi samarpan aur bhagwat chintan aavagaman ke chakra ko nasht kar deta hai sansaar se nitya viyog aur bhagwan ke paraayan hone se bhagwan se nitya yog kabhi bhagwan se viyog hua hi nahi bhagwan ke bina hamari satta hi nahi hai to bhagwan se kabhi jo viyog nahi hua jo nirantar bhagwan ka naam jap karta hai bhagwan ki leela katha sunta hai bhagwan ke paraayan rahta hai use bhagwan ka nitya yog prapt ho jaata hai yahi se prem prakt hota hai prem kab prakt hota hai jab sansaar se nitya viyog aur bhagwan se nitya yog isi nitya yog mein prem prakashit hota hai aur

jab prem prakt hota hai to char prakaar ka bhav hota hai prem mein yog aur nitya yog mein vi yo aur viyog mein nitya yog aur viyog mein viyog y char avasthaye prem ki prakt hoti hai phir samjh lijiye jab chitt vritti se bhagwan ka chintan karte hue nirantar karm kiya jaata hai aur wah karm bhagwan ko samarpit kar diya jaata hai to usse sansaar ka nitya viyog ho jaata hai jo hai hi nahi kabhi us sansaar ka swapak jo satya bhas raha tha gyan ho jaata hai ki brahm satyam jagan mithya ab use nitya bhagwan ka yog hota hai usi yog se use prem prakashit hota hai us prem ki char dashaen hoti hain yog aur nitya yog mein viyog viyog mein nitya yog aur viyog mein viyog y char dashaen prem bhakt ke hriday mein prakashit hoti hai jaise udaharan mein Priya aur pritam ka paraspat milan hota hai to kya yah bichhre the kya nitya yog mein yog Priya pritam ka kabhi bichhu nahi hota tan manso bichd nahi chah badhe din ran yah jo tan man se bichhre hue nahi hai phir bhi inka milan hota hai Priya

pritam ka milan ise nitya yog mein yog kahte hain nitya yog mein yog kahte hain milan hone par bhi ank sthiti pa date kim pa pralap ha moh neti madhuram vidat kasma lal ju ki god mein virajman hai lal ju ki ank mein virajman hai par shri ji kaisa bhav aa gaya pritam kahin chale gaye ha Krishna ha Shyam sundar ank sthiti pa date kim pa pralap ha moh neti madhuram vidat kasma ha pritam tum kahan chale gaye ha pyare tum kahan ho kahan baithe hai pritam ke ank mein to nitya yog mein viyog nitya yog mein yog kya Priya pritam ka naveen milan bichd hain kya nahi tan man ke bichd nahi nitya yog mein yog aur gale se lagi hui ank mein aur ekdam bhav prem vacha ai ki pritam kahin chale gaye aur pukar uthi ha pyare ha pyare aise hi kishori ji ke samip ekdam bhav dasha badli ha Radha Radhika pukarat nirakh Madan gaj dhal ha Radha kwaas kwaas bras Bhanu Nandni bil pat vipan adhir nitya yog mein viyog pahla nitya yog mein yog phir dusra nitya yog mein viyog ek dusre se mile bhi prem vai chi dasha mein

ek dusre ke bichd jane ka bhay bichd jane ka bhav aur pukar uthna ha kishori ha Radha ha vrish Bhanu Nandini ya ha Shyam sundar ha Krishna aisa Shyam sundar samne nahi dikhayee diye gadh chintan unka ho raha hai man mein wah samae hue hain man mein wah samae hue hain parav paas nahi dikhayee de rahe nahi viyog mein nitya yog viyog samne hai nahi dikhayee nahi de rahe par bhav mein Shyam sundar samae hue hain to viyog mein nitya yog prabhu virajman hai aur aisa dikhayee diya ki priyaj nahi hai bahut samay tit ho ho gaya priyaj nahi mil rahi kya karun kahan jaun vikal ho gaye chale kin manani kunj kutir to bin kuvar koti banita jut math Madan ki peer chale kin mani na kunj kutir ye nitya viyog mein viyog nitya viyog mein viyog man mein prabhu virajman hai aur prabhu ke upsthi nahi to nitya viyog mein yog man mein bhi aisa aa gaya ki prabhu dur hai ya Priya jo dur hai aur tan se bhi dur hai aisa bhav ekdam bhar gaya to viyog mein nitya viyog mein viyog viyog mein viyog ye char prem ki dashaen prakt

hoti hai nitya yog mein viyog mile hue bhi milan ki chah aur viyog mein nitya yog aisa pratit ho raha hai ki wo kahin dur chale gaye hain hai unhin ke samip to viyo nitya yog mein viyog nitya yog mile hue mein viyog nitya yog mein viyog viyog mein nitya yog aur viyog mein viyog nitya yog mein yog Priya pritam ka naveen milan aur nitya yog mein Priya ju lal ju ki god mein hai par kahin chale gaye aisa bhav aa gaya to nitya yog mein viyog aur samne dikhayee nahi diye manas patal par bhare hue hain aur unko pukar rahe hain to viyog mein nitya yog aur samne bhi nahi hai aur manas patal par bhi nahi hai hahkar hriday mein macha hua hai y viyog mein viyog vastav mein koi bhi ek avastha aisi charon mein nahi jismen prabhu ka sanidhy anubhav na ho raha ho nitya yog ka jav ka tyun bana rahta hai isliye har samay bhagwad akar vritti rahti hai premi ki chahe wo nitya yog mein yog ho ya nitya yog mein viyog ho ya nitya viyog mein viyog mein viyog ho use har samay bhagwad ka vritti bani rahti hai kabhi

viyog vastvik hota hi nahi hai premi ka hone ki sambhavna bhi nahi hai ise prem kahte hain prem mein premi aur prema spad do nahi rah jaate abhinnn ho jaate hain bhinnata kabhi ho hi nahi sakti prem ka adan pradan karne ke liye bhakt aur bhagwan do dikhayee dete hain nahi to ek hi ho jaata hai tasm tajne bhed bhawa bhagwan aur bhakt mein abhed sthiti ho jati hai bhed ka bhav ho jaata hai bhakt aur bhagwan sanyog aur viyog ki leela hua karti kabhi sanyog sukh mein kabhi viyog ke virah mein parav sthiti

hoti bhagwata ka vritti rahti hai aur prem ki khas baat hai yah prem pratikshan vardhmaan hai pratikshan badhta rahta hai jab premi aur prema spad paraspat milte hain tab pritam pehle chale gaye the unse viyog ho gaya tha ab kahin ye phir na chale jae is bhav ke karan prema spad ke milne mein bhi tripti nahi hoti santosh nahi hota itna pyar hota hai ki mile hue mein bhi anmal dasha rahti hai mile hue mein bhi itna pyar hota hai ar barat milwe ko aur nis din mile rah mano kabo mile na ye to premi

hi jaan sakta hai buddhi ka vishay nahi isliye ka bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina koi samjh sake na gale se lage hue hain ab kahin ye phir na bichd jae is bhav dasha mein milan ki tripti hi nahi ho rahi santosh hi nahi ho raha yah chale na jae yah hriday jala raha hai milne par bhi vastav mein yah swad to koi premi hi janta hai prem pratikshan vardhmaan bataya gaya hai prem ye char prakaar ka ras prakt karta hai prem char prakaar ka ras prakt karta hai das ras sakhya ras vatsalya ras aur madhury ras in rason mein das se sakhya sakhya se vatsalya vatsalya se madhury ras shreshth hai kyonki inme kramash bhagwan ke aishwarya ki vismriti hoti chali jati hai das ko bhagwan ke sampurn aishwarya mahima vaibhav bal ka chintan hota hai sakhya ko vismaran ho jaata hai mera dost hai bas vatsalya aur bhi smaran ho gaya mera lala hai purn asmarth hai mere dwara hi posit hai aur madhury mera pritam keval mera pritam kramash aishwarya ka vismaran hone se prem aur prakashit hota chala jaata hai to das se

shreshth sakhya hai sakhya se shreshth vatsalya hai vatsalya se shreshth madhury hai aur madhury se shreshth maha madhury ras Vrindavan nitya viha chachri bhav koi ek ras aa jae to jeev purnata ko prapt hota hai jaise das ras sakhya ras vatsalya ras madhury ras koi ek ras aa jae to purn ho jaega va purnanand ko prapt koi kami nahi rahegi usmen aisa nahi ki dusre ras wala purn hai wo purn nahi sakhya purn hai to purn hai das hai to purn hai vatsalya hai to purn hai madhury hai to purn hai par rasaswadan sarvshresht madhury ras mein usse bhi shreshth tin gopan te durlabh mai nitya bihar sahaj sukhdai anya rason ke vishay mein yahi samjhna chahiye ek ras koi aa jae Bhagvati sab rason ka ras s vadan karne ki yogyta aa jati hai kyonki bhagwan purn hai to unka prem bhi purn hai paramatma ka ansh hone se jeev bhi swayam purn hai apurnata to keval sansaar ke sambandh hone se hi ai hai sansaar ka sambandh sweekar karne se apurnata ai hai nahi jeev purn bhagwan purn prem purn

is vaste bhagwan ke saath kisi bhi riti se rati ho jae prem ho jae to purn ho jaata hai usmen koi kami nahi rahti das rati mein bhakt ka bhagwan ke prati bhav rahta hai ki bhagwan mere Swami hain aur main bhagwan ka sevak hoon mere par unka pura adhikar hai ve chahe jo karen dhyan se suno das rati bhakt ka bhagwan ke prati bhav rahta hai ki bhagwan mere Swami hain main inka das hoon sevak hoon mere upar bhagwan ka pura adhikar hai ve chahe jo karen chahe jaisi paristhiti mein rakhen aur mere se chahe jaisa kam karvaaye mein mere par atydhik apnapan hone se hi ve bina meri sammati liye mere liye sab vidhan kar rahe aur main unka das hoon jaisi paristhiti sab mein bhagwan ka vidhan dekhkar aandit rahta hai mere Swami ka vidhan hai sakhya sakhya rati mein bhakt ka bhagwan ke prati bhav rahta hai ki bhagwan mere dost hain priy sakha hai aur jaise bhagwan waise hi main hoon main bhi unka sakha hoon ve mere pyare main unka pyara hoon unka mere par pura adhikar aur mera un par pura adhikar hai is vaste main

unki baat manta hoon meri baat mante hain kahin bhi aishwarya ki baat nahi mera sakha mera sakha koi sankat aayega to das se sakhya hai na to usmen das bahut jagrit ho jaega he Krishna ab to tum hi hamare rakshak ho kyonki hamari gaye aur ham sab gwal bal davanl mein fas gaye hain ab tum hamari raksha aa gaya das se bhav sakhya mein das se bhav ishwar prakashit ho gaye he Krishna tum hamari raksha karo to bhagwan ne kaha sab akh mund lo aur aag ko apne mukh mein pi gaye yah sakhya bhav sakhya bhav bhagwan mere sakha hai main unka sakha hoon ve mere pyare hain main unka pyara hoon unka mere par pura adhikar hai mera un par pura adhikar hai is vaste main unki baat manta hoon ve meri baat mante hain yah bhav isse bhi saras bhav vatsalya vatsalya mein apne mein Swami bhav rahta hai aur prabhu mein dular bhav rahta hai main inka pita hoon main inka mata hoon main inse bada hoon inka dular karna inka palan poshan karna ya main guru hoon yah mera bachchha hai ya mera shishya hai iska palan poshan karna mera kartavya hai har

samay unki nigrani rakhna kahin apna nuksan na kar le nand Baba Yashoda maiya kanhaiya ka khyal rakhte hain kanhaiya ke upar har samay nigrani rakhte kuch aisa kar na le jisse isko kasht ho jae suraksha ke liye daud ji ko bhejte savdhaan rahna hai bada natkhat hai kuch bigad na kar le apna kahin ahit na kar le sarv lok maheshvar bhagwan ko abodh balak ki tarah dekhna asmarth dekhna apne adhin dekhna yah vatsalya ras mein rahta hai ismen aishwarya nahi unko snaan kar unko pawa unko shayan karana vatsalya dular madhury madhur rati mein bhakt ko bhagwan ki aishwarya ki purn vismriti rahti hai is vaste is rati mein bhakt bhagwan ke saath apni abhinnn ka anubhav karta ghanishtha apnapan abhin hota manne se va apne pritam ke sukh mein sukhi rahte pritam ko kaise sukh pahunchae isi baat mein sukhi rahta hai unko aram pahunchana unke anusaar chalna unko sukh pradan karna unko kisi tarah koi bhi kasht na hone pave mere pran pritam mere kant hai mere sarvasv hai par aishwarya ka vismaran hai ki ye bhagwan hai sarv lok

maheshvar hai anant mahima shali hai aise keval pyar hi pyar madhury mein aur maha madhury mein Priya pritam madhury mein Priya pritam hai pritam maha madhury ras mein Priya pritam shyama Shyam aur unki main dasi hoon isliye charon bhav apne aap rahte hain maha madhury ras mein charon ras virajman rahte hain jo ham hamari sakhiya seva kar bade gun vishay hai ye ye charcha sunne ko bhagwan ki kripa se milti hai maha madhur ras jo sachar bhav ismen charon bhav virajman rahte hain sakhiya jab Priya pritam ki agyaa ka palan aur unki dasata mein to das bhav rahta hai aur jab has parihas karte hai to sakhya bhav rahta hai jab snaan aur bhog aadi pate to vatsalya bhav rahta hai aur jab van vihar bahula to madhury ras rahta hai aur jab saiya vihar tab maha madhury ras rahta hai panchon ras virajman hai das sakhya vatsalya aur madhury aur maha madhury ras bada adbhut maha sukh hai shachar bhav mein ab abhi deh bhav se upar uthe tab to baat samjh mein ave par yah baten agar dimaag mein daloge na to age kam aaenge ye

bahut sukshm gun baten hain bada chint manan karke baten hain agar inko sunoge hi to tumhari buddhi pavitra ho jaegi dhyan purvak sune yah prem ras alaukik hai Chinmay hai iska aswadan karne wale keval bhagwan hi hain dusra nahi priti ki riti ranghilo i jane prem ka rasaswadan bhagwan karte hain to jab bhagwat swaroop jeev ho jaata tabhi wah prem ka rasaswadan kar pata hai jeev bhav mein prem ka rasaswadan nahi hota ishwar bhav mein hota hai jab abhinnn sthiti bhagwata ka vritti ho jati tab va

prem ka adhikari hota hai prem mein premi aur prema spad donon hi Chinmay tatv hote hain kabhi premi prema spad ban jaata hai kabhi prema spad premi ho jaata hai is ek Chinmay tatv hi prem ka aswadan karne ke liye do rupon mein ho jaata hai prem tatv ko na samjhne ke karan kuch log sansarik stri purush ke kam sambandh ko prem ucharan kar dete hain inka inse prem hai kam sambandh ko stri purush ke sambandh ko prem sangya de dete hain unka ek kahna bilkul galat hai kyonki stri purush ka sanyog sharir ko dekh ke hota hai rup ko dekh ke hota hai bhog vasna ki chah ko lekar hota hai isliye wah 84 lakh yoniyon mein sampurn jeevan ko bandhta hai aur adhik kami purush ki bhut yoni pret yoni pisach yoni adhik kam sukh bhog ki ichchha hone ke karan unko nich yoniyon mein jana parta hai jise prem sangya di jati hai par prem ka adhikari jeevan mukt mahapurush hai yahi sarvam lamdam brahm ka anubhav hone ke baad hi prem jagrit hota hai sarwa vastu taya niri param swad

buddhi mam sab mere isht ka swaroop hai jab tak y anubhav nahi hoga prem jagrit nahi hota kam mein bhogne ki ichchha hai lene ki ichchha hai prem mein dene ki ichchha hai samarpan ki aa hai prem hamen aapse bahut prem hai to ham apne aap ko aapke hawale kar dete hain jaise chaho waise varto tabhi to bhakt joi joi pyaro kare soi mohi bhave kam mein apni indriyon ko tript karne unse sukh bhogne ka bhav rahta hai aur prem mein apne prema spad ko sukh pahunchana seva paraayan rahne ka bhav rahta hai kam sharir ko lekar hota hai sthul drishti ko dekhkar hota hai aur prem Chinmay tatv se hota hai kam mein mudh bhav hota hai prem mein divya bhav hota hai moh ki gam nahi rahti kam mein sansaar aur sansaar ki bhog samgri rahti hai prem mein moksh aur moksh se vilakshan prem pehle moksh dwanti hue gunateet hue maya ta hue kaalatit hue bina prem nahi prem koi khilwad nahi char bund asu dal diya to premi ho gaye aisa nahi kam mein sharir aur indriyon ke sanyog ka naam kam hai jadta

prem mein chaitanya ghan paramatma ke sanyog ka naam prem kam mein rag hota hai bhogne ka prem mein tyag hota hai prema spad ke prati kam mein partantrata hoti hai prem mein swatantrata hoti hai kam mein yah mere kam aa jae aisa bhav rahta hai prem mein main inke kam aa jaun aisa bhav rahta hai kam mein bhogya vastu ka gulam ban jaata hai prem mein swayam prema spad uska sevak ban jaata hai bhagwan gulam ban jaata us premi mahatma kam mein samne wale ka gulam ban jaega aur prem mein sacchidanand bhagwan uske sevak ban jaate hain kam niras ras ras hai par kaisa niras aur prem sacchidanand swaroop pratikshan vardhmaan kam bhogne ke baad khinnta nirasha udasi pan prem pratikshan prasannata akhand prasannata kam mein apne sukh bhog ka uddesh prem mein prema spad ke sukh bhog ka uddeshya bhagwan kaise prasann honge yah cheshta prem mein kam mein main kaise khush hounga yah kam narak ka dwaar narak le jaata hai prem bhagwan ko ghasit lata hai bhagwan ko samne prakashit kar deta hai kam do

mein hota hai prem do se ek kar deta hai prem gali ati sakri ta mein do na samae prem ek mein hota hai prem ek kar deta do nahi rahne deta shuru do mein hota hai aur uska vishram ek mein hota hai aur kam sadaiv do mein hota hai do tan mein kam hota hai aur jab do tanon ka vismaran ho jae ek bhav keval rah jae donon ke andar man man mil gaya ek drishti ek vay ek swabhav ek chah ek pran do tan ise kahte prem to ek sheeghrata se hamen bhagwat prapti ya prem prapti kaise ho to kah rahe hain sadhako ke samukh do baten vishesh rup se aati hain sansaar ki or aur bhagwan ki or yah do marg dikhayee dete hain ek sansaar ka akarshan manoranjan bhog samgri aur ek bhagwan to sansaar ko jab sadhak nashvan samjhta hai bahut vivek teekshan hota hai koi bhi bhog samgri jaise akarshit karti hai to tatkaal va kaata hai kitni der bhogo iska kya sukh hai iski satta hi nahi hai sab bhog rahe hain ek kshan mein uski dhajhiyan uda deta hai itna vivek badha hua hota hai sadhak ka bhajan ke prabhav se ki kisi bhog

mein samarth nahi ki use aasakt kar sake ek kshan mein udasi chhaa jati hai iske baad kya hoga phir wahi phir wahi nahi hamko aisa sukh chahiye jo pratikshan vardhmaan aur anant mahima se yukt ho sadhak kabh bhogon mein lalayit hokar aasakt nahi hota udasin rahta hai kyonki sansaar nashvan hai paramatma avinashi hai sansaar ke sambandh se dukh hi dukh hai aur paramatma ke sambandh se anand hi anand hai dukh ka les bhi nahi hai sansaar ka bharosa tikta nahi hai aur paramatma ka bharosa mitta nahi hai donon baten chal rahi hai sadhak ke samne ek sansaar hai aur ek paramatma hai sansaar nashvan hai paramatma avinashi hai sansaar ke sambandh se dukh hi dukh hai aur bhagwan ke sambandh se anand hi anand hai dukh ka lesh bhi nahi sansaar ka bharosa tikta nahi aur bhagwan ka bharosa mitta nahi satsang mein kai bar kaha hai bhagwan ka bharosa agar kar lo to ek bhagwan ka swabhav apne bhrose ko kabhi nahi todte bhrose ko nahi todte in baton ko ham sant mahapurushon se sunte hain ved puran shastron mein padhte hain aur jo mante hain

wahi bhakt kahlate jo nahi mante hain wahi sansari kahlate hain to hamara dukh kyon nahi ja raha ham bhagwan ke hain bhagwan hamare hain ham bhagwan ki sharan mein hai dukh dur kyon nahi hota hamen param anand ki prapti kyon nahi ho rahi hamen bhagwan ka sakshatkar kyon nahi ho raha to kah rahe abhi hari sharanam nahi hue hari sharanam hari sharanam y jab tumhare mukh se chalega tumhare hriday mein rahega tab tumhare dukh dur ho jaenge anand ki prapti ho jaegi bhagwan mil jaenge ek do bar apne log bhi kirtan karte hain hari sharanam hari hi sharanam hari hi sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharan sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari sharanam haran shri bhagwan hari ke charnon ka aashray le ne se sab dukh dur ho jaate hain kyonki sansaar ka bharosa karoge kisi stri kisi purush rupya jamin pad pratishtha

yah tikega nahi nashvan bharosa hai aur bhagwan ka bharosa tikega yah avinashi hai yah baat sunte hain samjhte hain par log mante nahi samjhte bhi aisa nahi ki nashvan sansaar samjhte hain par bharosa bhagwan ka na karke rupaye ka karte hain apne bal ka karte hain pad pratishtha ka karte hain vihaar ka karte hain shri bhagwan ka sidhe nahi bade-bade bhakton mein kami hoti hai dekho Draupadi ji ne sidhe bhagwan ka bharosa nahi kiya pehle pandavo ka panch patiyon ka phir bheeshma aadi ka phir apne hath ka phir dant ka bharosa baad mein bhagwan ka kiya to kahte hain ki samjhte hain sunte hain samjhte hain par mante yadi man lo bhagwan ka bharosa to dukh dur ho jaega yah sansaar ki uljhi hui gutthi isiliye sujh nahi rahi gambhirta purvak vichar karna chahiye anek baten sant mahapurushon ne kahi parantu ek baat par hamen vishesh dhyan dena hai wah yah hai ki sunne se padhne se buddhi mein to baat aa gayi jo baten sun rahe ho padh rahe ho buddhi mein to baat aa gayi par aacharan mein nahi utara sab bekar ho gaya aacharan mein utare bina

jitna suna gaya padha gaya wah sab bekar ho gaya sun kar ke padh kar ke par updesh to bahut ho rahe lekin aacharan mein utara jae tabhi to paramatma darshan ki yogyta ave bhagwan ki prapti ki utkat abhilasha yah bhajan se aayegi padhne likhne se keval nahi aayegi khub padh liya shastr khub sun liya satsang aur bhajan nahi kiya to bhagwan ki prapti ki chah nahi hogi aur bhagwan ki prapti ki chah nahi hogi to phir bhogon ki chah hogi bhogon ki cha hogi to padha likha suna sab bekar ho gaya batuni jan se bhagwat prapti nahi hoti aajkal batuni gyan bahut hai par updesh kushal bahu tere batchit ka gyan y kah batuni gyan se bhagwat prapti nahi hoti bani gyan se maya par vijay prapt nahi kar sakte bani gyan se kam krodh lobh mat par vijay prapt nahi kar sakte jis din ham is gyan ko apne hriday mein le jaenge aur apne aacharan mein mein utar lenge usi din sansaar kadua lagne lagega aur bhagwan bahut pyare lagne lagenge aur pyare bhagwan ki prapti ki chah prakt ho jaegi sab aisa sunte

hain aur samjhte bhi hai ki sansaar asatya hai par chhod nahi sakte asatya hai par chhod nahi sakte dekhlo Ram naam satya hai satya bolo mukti hai sab kahte hain jab sharir chhutta hai nav satya bolte hain unki mukti hoti hai usi asat sansaar mein fanse hain aisa mante hue bhi yadi ham sansarik sukh bhogon ko bhogte rahenge to hamare batuni gyan ka koi labh nahi hoga paramatma satya hai paramatma ka naam satya hai aisa updesh dene se bhi koi labh nahi hai jab tak swayam naam nahi jap karoge kisi ko updesh dene ke pehle apne aacharan ko unhin updesh ke anusaar paripakva karna chahiye tab updesh ka rang aata hai bahut dhyan se suno bhagwan satya hai bhagwan ka naam satya hai aisa kahne matra se koi labh nahi milne wala khub pravachan kar lo khub sun lo uljan ja ki tyun bani rahegi uljan tabhi mitegi jab ham naam jap karenge jab bhagwan ke leela gun gaenge bhagwan ki agyaa ke ke anusaar chalenge yah baat samjh lo hamari vartman mein yahi samasya badhti ja rahi hai ki batuni gyan bahut badh raha hai aacharan mein utarne wali baat

nahi rah gayi hai paramatma ki prapti ki chah usi ko prakt hoti hai jo apne gyan ko hriday angam karke apne aacharan mein utarta hai chahte hain tatv gyan chahte hain bhagwat prapti moksh bhagwan ke darshan bhagwat prem parantu aacharan nahi hai bhajan nahi hai to kuch nahi hamari sabse badi badha hai manyata hamari manyata baith gayi hai rupaye mein pranam namaskaar mein sansaar mein bhavishya mein ham bhagwat prapti kar lenge abhi to bhog bhog le prayah yahi baitha hua hai abhi isi samay inko nasht kar do to pura jeevan

nihal ho jaoge yah mat socho ki abhi bhog lete hain to phir budhape mein ham nahi nahi phir ye waise hi bane rahenge jaise tumne inko khurak dekar pusht kiya hai waise hi vasna bani agar khurak nahi doge pusht nahi karoge to nasht ho jaenge bhavishya mein bhagwat prapti vartman mein bhog praya har dimaag mein yahi baitha hua hai dekh lo bhavishya mein bhagwat prapti aur vartman mein bhog kaise hoga bhagwat prem samay lagega kaise hoga bhagwat darshan samay hoga kaise hoga tatv gyan samay lagega kyonki tumne tatv gyan bhagwat prem bhagwat prapti vartman mein na chah karke bhavishya ke liye chhod diya aur vartman mein bhogon ko chaha yah jo bhavishya ki asha hai yah paramatma prapti mein sabse badi badha hai yahi praya har dimaag mein bhari hui hai sansarik padartho ki prapti ke liye bhavishya ki asha karna uchit hai kyonki yah sansarik padaarth sada sab jagah vidyman nahi hai parantu sacchidanand bhagwan vartman mein virajman inko bhavishya ke liye mat chodo pehle bhagwat prapti phir sab ka paramatma

to sampurn desh kal vastu aur vyakti mein virajman hai uski prapti ke liye bhavishya ke liye kyon taal rahe ho wah yahan hai jab sab jagah hai to yahan hai wah sab mein hai to ham mein hai sab samay hai to is samay bhi hai sarvatra hai to hamare paas bhi hai sadhako koi baat dhyan rakhna chahiye va man baithe hain ki abhi ham bhog bhog le bhavishya mein aisi tejaswita aayegi ki ham bhagwat prapti kar lenge badi murkhta hai aur dhyan ham itna sadhna kar lenge to bhagwat prapti kar lenge aisi vrittiya bana kar ke ham itni sadhna karenge ki antahkaran shuddh hoga vairagya hoga phir bhagwan se prem hoga bhagwat prapti hogi yah bhi theek nahi kyonki ismen tumne jo jo man rakha yah sab baten rukavat dalenege kya ham sadhna karenge badi jor ki to tumhari pariksha hogi sadhna dikhao tum jor ki antahkaran shuddh karenge to dikhao kam krodh lobh moh mad matsar par vijay prapt karke ham ghor vairagi to dikhao tumhara vairagya kitna jor ka hai kyonki tumne man liya hai na ham sadhna karenge antahkaran pavitra

hoga vairagya hoga phir jakar bhagwat prem bhagwat sakshatkar tatv gyan yah sab rukavat wali baten sadhak chun leta hai jis din utkat abhilasha jagrit hui ki he bhagwan na mere mein gyan hai na sadhna hai na vairagya hai keval main rokar aapko pukar sakta hoon aap kripa karke abhi darshan dijiye nath vilumb saha nahi ja ho gayi baat hamne koi rakha hi nahi jisse hamari pariksha ho sake ham hai hi nahi na bairagi hai na sadhak hai na hamen tej hai na tapasya hai nath main to aapka hoon prabhu jaisa bhi ho aapka hoon aur aapki hi kripa se aapko pana chahta hoon aur yah baat tab aayegi jab khub naam jap karoge khub naam jap karoge tab ahankaar rahit sadhna aapki jagrit hogi aur usmen vyakulta hogi mujhe abhi chahiye yah baat mujhe abhi chahiye paramatma prapti abhi chahiye abhyaas ke bal par nahi aapki kripa ke bal se bahut sundar baat hai agar samjh mein aa jae khuli baat kah rahe sadhna ke abhyaas ke bal par paramatma ki prapti ho jae asamabhav paramatma ki prapti keval utka abhilasha tumhari aur kripa prabhu ki utkrisht

abhilasha aapki aur kripa prabhu ki hamare andar utkat abhilasha nahi bhagwan ki kripa to hai isiliye hamen paramatma prapti nahi hoti sagun bhagwan ya nirgun bhagwan sakar bhagwan ya nirakaar bhagwan jo bhi mante ho bas aapko apne prabhu ke bina raha na jae yah baat aa jae din nahi bhookh rain nahi nidra chhin chhin vyakul hot hiya chitvan mori tumse lagi piya chhin chhin vyakul hot hiya chitvan mori tumse lagi piya din nahi bhookh rain nahi nidra raat mein nind nahi din mein bhookh nahi bas netr aplak dekh rahe kahan se aae Priya pritam kaise unke darshan karo Priya pritam ki prapti ke bina din mein bhookh nahi lagti raat mein nind nahi aati aapse kaise milu kya karun hriday chhad chhad vyakulta badh rahi hai aapke siva aur kuch accha nahi lagta narayan hari lagan mein yah panchon na suhat vishay bhog nidra hansi jagat priti bahu baat yah vishay bhoga panchon chij us upasak ko suhati nahi jisko bhagwan ki lagan lag gayi hai lagne lagti alam vishay war taya narak koti vibh saya band karo y bhogon ki charcha

jo karodon nar ko se bhi ganavli hai vivas hai ghrinaspad hai vishay bhog nidra nind kaise aayegi hriday jal raha hai prabhu ke milan ke liye to chain se kaise panv pasar ke so sakta hai aur hansi majak kaise ho sakti hai jab prabhu ke liye hriday jal raha hai to hansi majak kaise ho sakti hai aur sansaar mein priti kaise ho paegi jab Jagdish se priti than li aur bahu baat prabhu ki charcha ke siva prapanch ki baat nahi suhai degi jab bhagwan ke viyog ka hriday mein dah ho raha hai to hansi majak nind bhookh pyas jagat priti bahu baat ye achchhi nahi lagegi prabhu mil jaen bas prabhu mil jaen yahi rat kashi mein aisi bhagwata ka vritti thi ki aaj bhagwan shankar mile pakka dridh vishwas phir aaj bhagwan shankar aaj bhagwan shankar nitya praya prat kal se lagan lag jati aaj milenge aaj milenge itne pyare bhagwan itne pritam bhagwan jinke saman koi pyara hua nahi hai nahi hai aur hoga nahi ho sakta nahi aise apne pyare prabhu ke viyog mein ham din bita rahe hain unke mile bina hi ham sukh se ji rahe hain yah dhikkar

hai hamare jine ko sansaar ke sukho mein vyaktyo mein kam chala rahe ho aur bhagwan ke nij jan bante ho bhagwan ke bina hamara kam na chale bhagwan ke bina jab se tum bichd pa pyare kaban payo chain daras bin dukhan lage nain chah puri nahi karte chah badhate hain wah tadpata hai bhagwan ke liye vyakul hota hai dukhi hota hai itna dukh ki bhagwan ko bhi dukh vyap jaata hai uske milne ke liye unke mile bina jab hamen nind nahi aati hamen aram accha nahi lagta hamen bhog achhche nahi lagte hamen wo sam kala

samay lagta hai to phir bhagwan ko vikal hota ho jati hai aur bhagwan us bhakt ke samne prakt ho jaate hain bhagwan usi samay use mil jaenge unke milne mein deri nahi hai bhakt ka bhagwat prapti vishyak dukh bhagwan nahi sah sakte bhagwan kripa ke samudra hai par agar tum sukh se ji rahe ho to bhagwan nahi aaenge jab tum jiya na jae prabhu ke bina vyakulta paida ho jae kaise jiu aapke bina sansaar dukhi hai sansaar ki prapti ke liye bhagwan ki prapti ke liye nahi ham log vesh bhi dharan karte hain to uddeshya ki prapti se gir jaate hain kanchan kamini kirti teen mein hi santusht ho jaate hain aise bh bhan darshan nahi dete jab jiya na jae bhagwan ke bharat ji ke liye bhagwan shri Ram kah rahe he Hanumant lal tum jakar suchna de do nahi agar ek kshan bhi avadhi se upar ho gaya to bharat lal ke pran nahi tenge dev mein kitna priti hai bhagwan ko pata hai ki agar ek kshan bhi vilumb ho gaya avadhi ke upar to bharat lal ke pran nahi tiken isliye hanuman ji ko bhed diya vipr rup dhar kar ke hanuman ji

bharat ji ko jakar suchna dete hain agar aapke hriday mein bhagwan ke prati aisi vyakulta aa jae ki ab jiya nahi ja raha to usi samay bhagwan darshan de denge sansaar sansaar ke liye dukhi hai bhagwan ke liye nahi ham chahte hain sukh lekin sansaar se to sansaar mein to dukh khale ham astam nashvan dukh bhara hua hai sukh kahan se milega are aphat hai ye sab kuch dhan bhog nana ye sab aapas hai ye sab vipatti hai ye sankat hai agar bhagwan ka thoda bhajan bhi banta hai to beta chahiye bete ka beta ho jae rupya paisa makan sab

inheen ankhon se bete ka jo beta pota hai uski bahu dekh lun phir bhagwan bulana bhagwan ko dekh lu nahi inheen ankhon se he bhagwan he sant bhagwan aisi kripa karo ki pota ka byah ho jae kahin pota ke ladka khilane ko mil jae tab to bahut badi baat ho gayi yahi nati pota ladka bachchha rupya paisa yahi maang hamari rahti yah kabhi maang nahi rahti he bhagwan bahut kripa ki ab aap mil jao aapke bina jiya nahi ja raha bhagwan ke liye agar dukhi ho jae to bhagwan turant mil jae tumhare hriday mein hi baithe kahin bahar nahi ek matra lagan chhatapta ha bhagwan akarshan karte hain aur maya apna akarshan karti tum bhagwan ke akarshan ki taraf khinchte ho ki maya ki taraf tum bhagwan ko chahte ho ya maya ko chahte ho tum jab maya ko pakdte ho to bhagwan use tikne nahi dete kitni kripa kar rahe hain ki bar-bar wo hamko samjha rahe ki meri taraf aja mere sanmukh aa ye sab parivartnshil hai aap brahm bhuna loka punravartan arjun mam petit kaute punarjanma na vidyate he arjun brahm lok paryant sab lok

punravartan se yukt hai parantu kaute jo mera bhajan karke mujhko prapt ho jaata hai wo punarjanma ko prapt nahi hota bhagwan ka bhajan tatparya hai ki bhagwat prapti ke bina manushya kahin bhi tik nahi sakta chahe jahan jae brahm lok jae swarg lok jae kahin bhi kab tak daudte rahoge kab tak ghumte rahoge bhagwan ko prapt kar lo tik jaoge yad gatva na nivat tad dham param mam jahan jane ke baad phir ana nahi hota tik jana hota hai wah mera param dham hai aap chahe kitni bhi shakti laga lo na tum ra sharir sada rahega na tumhare kutumbi sada rahenge na tumhara bank balance rahega na y se ek pai le jaoge chahe jitne takatwar ho sansaar ki koi bhi vastu aapke paas sada nahi rahegi karan yahi hai ki bhagwan nirantar aapko khinch rahe hain yah unki ham par mahan kripa hai at yadi aap sansaar se vimurkh ho jaoge to bhagwan ki prapti pakka ho jaegi aur bhagwan se vimurkh sansaar ki prapti to pakka dukhi ho jaoge pakka aavagaman tumhara ho gaya ab tum janmate mante rahoge punarpi janam punarpi maranam

punarpi janani jathre sanam yadi sansaar mein hi rache pache rahe to dukh ka ant kabhi aayega hi nahi nitya naya naya rup rakh kar ke sukh akarshan dukh bhogwata rahega naya naya rup rakh kar ke sukh akarshan ki ismen sukh hai jab bhogo to parinaam mein dukh milega yah bade dukh ki baat hai ki manav jeevan bhagwan ne diya bhagwat prapti ke liye sant samagam diya bhagwat prapti ke liye dan punya aadi kiya bhagwat prapti ke liye lekin ham mangte hain bhagwan nahi sansaar hi manav jeevan bhagwat aradhna sant sang dan punya in sabka phal ho hamara byah ho jae sundar patni mil jae sundar beta mil jae sundar makan sundar dhanda yah sab goswami ji kahte hain yahi tan kar phal vishay na bhai swarg swalpa ant dukh dai nar tanu pai vishay man dehi palat sudha sath vis lehi yah sharir ka phal vishay bhog nahi hai he bhai swarg ke bhi bhog bhogne ke baad punah mrityu lok mein ana hota hai isliye jo manushya sharir prapt karke nashvan sansarik bhogon mein chitt dete hain mano amrit ka tyag karke vish pan kar rahe hain isliye manushya jeevan ka

param phal bhagwan ka aashray bhagwan ka nirantar naam jap aur tadap bhagwan ke liye ek bar Priya pritam mere netr gochar ho jao ek bar main aapko dekh lun mere jeevan ki chah hai sab kuch dekha sab kuch paya ek bar prabhu aapko pa lun yah hamare hriday mein lagan jag jae ye agan hamare hriday mein lag jae ki ashniya ho jae prabhu ke bina ab main jivit nahi rah sakta aisa ho jae usi din bhagwat sakshatkar ho jaega iske liye khub naam jap karo pavitra aacharan karo pavitra bhog lagakar bhojan pao jisse buddhi pavitra ho tab pavitra param pavitra bhagwan mein buddhi jahan yog ko prapt hui tahan phir yah prem leela shuru ho jati shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi