॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

maharaj ji koi udaharan jab bhagwan ne Seconds mein aapki suni ho

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

ham aapko batayen aaj tak ki baat second mein baat suni gayi hai. Second mein minute nahi second mein kyonki bhagwan ke siva hamara koi hai nahi. Bachpan se bhagwan mein lage hain. Bhagwan ke siva koi hai nahi. To ham minute ki baat nahi kahte. Second mein baat suni gayi hai. Ar bhav hokar je hi connection hua te parinaam turant dikhayee diya. Turant parinaam badte dikhayee diya hai. Bhari se bhari samasya aise nikal gaye. Aise ek udaharan bataiye na maharaj ji. Ham ja rahe the ganga kinare age daldal hi tha aur upar papdi padi hui thi.

bhagwan ka smaran kar rahe hain. Masti se chhadi ghumate hue chintan karte hue. Bada sundar jeevan tha ganga kinare ka. Achanak awaz ai. Ae age daldal hai. To hamne aaspas dekha koi nahi hamare kano mein avajen kaise ai je hui chhadi aise mari to puri chhadi chali gayi upar papdi hai aur niche dal ab batao agar wahan ham phas jaate phas jaate to kya dusra udaharan mahoba se ham Banaras ja rahe the hamare paas chhoti si ticket thi wo jo de diya tha ham zyada padhe likhe hain nahi angrezzi hamen bilkul nahi aati to wo aise general ki ticket de aur hamko baithaal diya tha AC wale usmen achhche wale usmen to ham to ticket hai yah baat se ham baithe the Baba ji hamen kya

fark itne mein wo pura batch aaya jab char chhah station nikal gaye to hamare kaha ticket to hamne bade garv se dikha diya to kaha ye kya hai ye pahli baat to aap koch mein baithe hue ho iski ticket nahi aapki aur dusri baat ye general ki ticket aur teen station ki ticket hai aap kahan ja rahe ho ham kaha Banaras to bole aapke paas ticket hi nahi ab wo wo jo do char sabki shraddha santo par thodi hoti to wo galiyan bakne lage bole khade ho ham khade ho gaye bas bhagwan ka chintan kiya ki hamko to prabhu kuch pata nahi hai na hamare paas paisa hai turant upar se ek aadmi utra angrezzi se unse baat ki turant hamko itna bada kaagaz jaisa unhone diya aur usko rupaye gin ke diye aur kaha maharaj ji aap baith jaiye ham aram se baith gaye Varanasi mein utar gaye kaun tha.

kisse hamara prichay tha? Ek second mein bhagwan ne aise ek jagah nahi hamne hazaron bar dekha ki hamare bhagwan hamari ek-ek baat sunte hain. Hamare paas hain. Hamare saath hain. Ham agar ehsan anubhav na ho to ham Baba ji log jie kaise? Roti daal ke liye thodi ji rahe hain. Bhagwan ke pyar ke liye ji rahe hain. Unka sambandh hai. Unke siva hamara koi hai nahi. Bhari se bhari samasya ko mitate hue bhagwan ko dekha. Bhari se bhari. Ek bar ham aa rahe the giriraj ji ki parikrama dekh ke ratri ke 2:00 baje ke lagbhag aur wo jo upar aise bane hote divaidar divaidar mein gaadi chadh gayi wo so gaya driver jo ye aise chadhi wo gaadi ekdam palatne wale Radhe Shyam gaadi band waise khadi ho gayi ab driver ekdam utra aur kaha maaf kar dijiye maaf kar wo matlab bhayabhit ho gaya ki log marenege ham kaha nahi nahi usne kaha ham so gaye pata nahi kaise maaf kar dijiye kabhi nahi soe ham kaha bilkul na to piche se koi gaadi ai na apni gaadi palti sab surakshit bhagwan ka ek ek pal ek-ek pal apne bhakton ka saath dete dekha gaya hai jahan mera bhakt charan rakhe wahan rakhun main hath piche piche main phirun kabhi na chhanu saath bhagwan bahut kripal hai.

hazaron ghatnayen aisi jeevan ki hai jinme dikhayee diya mere bhagwan ne turant turant vyvastha ki turant sambhala turant nahi to ghatna ghat jati hai. Maharaj ji aap parikrama marg pe batte the ki ek sidha motorcycle haan wo sharab piye motorcycle se sidhe aaya aur hamare donon pairo ke beech mein uska motorcycle ka pahiya ham kaha Radha motorcycle band ham kaha ae bhaiya to wo nashe mein tha ham kaha ae bhaiya ye kya hai to hamne kaha ae Baba tu bata motorcycle band kaise ho gayi ham kaha aapne nahi band kiya kya bole nahi to ham kaha hamare thakur ji ne agar Radha wo band shri ji sab kitni baten bhagwan sab pura jeevan hi bhara hua hai.

55 se 11 varsh se lekar ke aaj 55 56 varsh ki ayu unhin ki sharan mein to vyatit ho rahi hai. Unhin ki sharan mein accha lagta hai. Aap

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…