॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

maharaj ji ki pujya santajnon se bhajan mein savdhaniyon par charcha

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

aapke darshan se thoda rom rom khil jaata. Aap darshan dene ate hain. Aap darshan hamen pata hai ham adham jeev hain. Ham kahin ja nahi pate. Sharir aswasthata karan to bhagwan apne parsado ko prerit karke bhejte hain aur wah hamko darshan dekar kritarth karte hain. Yah sabse khas baat hai. Kyonki ham adham kahin ja nahi pate. Tere din dialysis hota hai to bhagwan apne janon ko bhej dete hain kripa kar dete hain jo prabhu moh anugrah kina to tumhari dar sach dina prabhu ki vishesh kripa tab manani chahiye jab sant sang mile santo ka sang agar nirantar mil raha hai to phir kya kahna phir jeevan dhanya hai santo ka sang mil gaya matlab bhagwan ham par prasann hai dayalu karunanidhan bhagwan sant sang dete hain usi ko jiska antim janm janm hota hai sant samagam mila matlab sanskriti karta bade bhag pa satsanga bin prayas ho bhanga

santo ka sang matra is sansaar samudra se par kar dene ka hota hai bas yahi hai ki ham logon ko chahiye ki ek bhi second apne prabhu ko bhule na hamari kasauti yahi hai sadhna ki ki sab sadhan kar yah phal sundar prabhu pad pankaj prit nirantar bas uthte baithe chalte phirte khate pite vihaar karte ya ekant mein har samay bhagwan ka jap aur sadhu ka ekant jitna pavitra hota hai utna hi wah accha bhagwan ke marg mein chal pata hai samaj mein to ham sab pavitra rahenge hi koshish karenge ki pavitra rahe lekin ekant pavitra hona chahiye ekant shuddh hona chahiye the.

ekant mein chintan hona chahiye ki mere isht aur guru mujhe dekh rahe hain. Hamara ekant jo agar pavitra ho gaya to hamara jeevan dhanya ho jaega. To hamen ekant par jarur dhyan dena chahiye ki hamara ekant prapanch mein na jae. Ekant vishay chintan mein na jae. Ekant vishay krida mein na jae. Bas hamara ekant bhagwan ke chintan mein. Vihaar karya mein to udasin hokar jo bane vihaar kar le aur jahan ekant ho to bas shant chahe baitha ho chahe para bas har samay bhagwan ke naam mein apne ko dubo de to dhanya ho jae jeevan ye jo jeevan mila hai ye bhagwan naam jap ke liye mile sab sadhna ka yahi sundar phal hai har samay naam chalta rahe naam nahi to maharaj sab shunya hai naam maharaj jiski jibhya par virajman hai jai hai uski jai hai par naam maharaj ko pakar lo.

kalyug keval naam adhara khub naam jap karo. Naam jap se hi anand ki anubhuti hogi aur Ram kahkar sharir chhuta Ram ji mil gaye. To ham abhyaas karen har samay Ram Ram Ram Ram Ram Ram Ram itna amritmay naam hai. Pocho mat. Itna sudha sukh hai ismen naam mein ki iske age matlab ek taraf bhagwan Ram ji virajman hai. Ek taraf naam ji virajman hai to sadhak pahla naam maharaj ko aadar karega aur dusra bhagwan Ram ji ko aadar karega. Pehle naam maharaj ko kyonki aapki kripa se aap tak pahunchna hua. Isliye dhanya hain aap. Naam jo hai goswami tulsidas ji ne ek vinay patrika mein likha hai ki jise bhagwan se bhi badhkar priy hai bhagwan ka naam Ram naam so priy jah hi na ramo Ram naam se badhkar jise priy Ram ji bhi nahi hai itna naam mein priti ho jae to bas sabse badhiya baat hai ki har samay jibhya se naam jap karte rahe aur sharir se sadhu seva samaj seva jo bhagwan ne di hai bas aur ekant hamara hamara pavitra rahe ekant bas is baat ki ganth bandh le ekant hamara pavitra hona chahiye.

ekant mein hamse galti ho jati hai to hamari sadhuta jo hai wo danv par lag jati hai. Hamara ek jab ham dekhte hain koi nahi hai to mobile se ya chintan se ya kisi kriya se jab hamara ekant ganda ho jaata hai to hamara jeevan ganda ho jaata hai. Hamara ekant sahi hona chahiye. Isliye naye sadhuan ko sadhuan ke beech mein asan lagana chahiye. Akela kamra nahi hona chahiye. Santo ke beech mein hona chahiye. Jisse sabki nazar hai na to ham bach jaenge. Ham sahi ho jaenge. Kyonki ekant mein man havi hota hai. Aur jahan havi hua to agar wo savdhaan nahi hai to phir wo aise kriya karne lagega jaisa man manmani kriya hamen sadhu marg se vichlit kar degi.

hamen sadhu ke virudh aacharan karva degi. Sadhuta ke virudh ye bilkul pakki baat kahte hain. Sadhu ko apna ekant pavitra rakhna chahiye. Ekant bilkul surakshit rakhna chahiye. Samaj mein to apne aap surakshit rahoge. Samaj mein to apne aap sahi rahoge. Ekant mein chitt ko bhagwan mein lagane ka abhyaas bana le. Jahan ekant ho bas us samay koi soch na ho pave. Jo hamari dincharya hui uska bhi chintan na hone pave. Bas vartman keval prabhu mein laga de. Naam chal raha hai. Chupchap baitha hai ya leta hai. Naam naam se hi sab kuch prapt ho jaega.

kuch durlabh nahi. Sab kuch prapt ho jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…