॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

agar galti se bhagwan ka Shri vigrah tut jae to iska kya sanket hai ? Iske baad kya karen ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

aman ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji yadi ghar mein bhagwan ji ka vigrah swaroop galti se tut jae to iska adhyatmik arth kya hai maharaj ji kuch nahi kuch nahi kasta ashtam dhatu pashan mitti inhi ki to murtiyan hoti hai aur ye sab mayakrit hai aur ye sab nashvan hai to agar kabhi murti gir jati tut jati hai to usko lekar ke ham yamuna ji ya ganga ji pavitra nadiyon ke samip khod ke aur samadhi de dete hain aur nai murti le ate hain. Bhavna mein upasna karni hai. Yah murti to aaj nahi to kal ek samay hai.

ek samay hai agar hamse chuk ho gayi ya phesal gaye to ye to tut jaenge. Ye tutne wali hai. To usmen koi vishay vishesh vishad karne ki baat nahi. Naveen vigrah virajman kar le aur unko samadhast kar de. Aisi baat aisa kuch nahi ki bada amangal ho gaya. Murti kahan tut gaya ya murti tut gayi to bada kuch nahi. Gochar jahan lag man jai so sab maya jano bhai. Ab jaise aag lag jae to ye sab jalenge ki nahi? Jalenge ki nahi? To kya bhagwan jalne wale hote hain? Kya to yahi baat samjh li. Ham bhagwan ka pratik man ke virajman kiye hain.

to agni bhi to bhagwan hai to bhagwan bhagwan mein leen ho gaye. Zyada vishad ki baat nahi hai. Abhi aag lag jae to jitni murtiyan chhaviya hain ye sab antardhya ho jaenge. Ye rakh ho jaega sab. To jahan tak hamari indriyan jati hain. Jahan tak hamara man jaata hai ye sab mayakrit hai aur mayakrit hai to bhai gireega. Ab baadh ai mandir bah ke chala gaya. Bhukamp aaya mandir dhah gaya to bhai yah to leela honi hai kyonki ashasvatam ye parivartnshil nashvan sansaar parivartan hota hi hai ismen chinta ki koi baat nahi koi amangal ham Shaligram bhagwan snaan kar hath se gir gaye bole koi amangal kuch nahi phir uthao phir snaan karo koi aisa nahi bole murti jal gayi wo amangal kuch nahi aisa bhavna nahi karna chahiye mangal bhavan bhagwan ko koi jala nahi sakta.

aag mein jo dahika shakti wah unhin ki di hui hai. Unko aag chu nahi sakti. To jo mayakrit hai wo to jal jaega. To jo jalne wala hai wahi jalenga. Jo jalne wala nahi wo nahi jalenga. Baat samjh mein aata hai? Jaise is sharir ko jala diya jae to sharir jal jaega lekin atma nahi jalegi. Kyonki wo jalne wali hai hi nahi. Wo avinashi hai. Avinashi ka vinash nahi ho sakta. Vinashi ko bachaya nahi ja sakta. Aaj nahi to kal kal nahi to parso yah sab jitna aap dekh rahe hain yah sab parivartnshil hai. Isliye vivek ka bhi aashray rakhna chahiye.

ham kam astha wale hain to hamen thoda sanshay ho jaata hai ki bhagwan aisa kyon wo to sarvshaktiman hai. Unke samne hamare saath aisa ya unke saath aisa kyon ho gaya? Yah hai wo hai. Bahut sare vichar. Nahi nahi aise nahi karna chahiye. Aisa bhav nahi rakhna chahiye. Ab kai sinhasnon ko jalte hue dekha hai agar wo aarti ki aur rakh diya aur dhyan nahi diya wo parde parde mein hawa jara si lagi aur parde mein aag lagi aur main bhagwan se sab to khel hai unka wo naya apne ko virajman karna chahte ab naya parda aur naya thakur virajman karo aarti karo puja karo bhagwan ko to kai bar bijli ka wo tar aapas mein wo us ka tar se haan haan usse pura mandir ka sab jal gaya aise kai jagah aise paye jaate aisa bhagwan avinashi hai unko koi vinash kar nahi sakta aur maya vinashi hai isko bachaya nahi ja sakta ismen jo aap dekh rahe ho hamari bhavna hai ki hamare bhagwan hai nahi to kaagaz aur rang se akriti bhawnatmak ki gayi hai to ismen bhagwan hai to aag mein bhi to bhagwan hai isliye zyada pareshaan hone ki zaroorat nahi rahegi hai.

hamma.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…