॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Amogh Lila Prabhu aur pujya maharaj ji ke beech kya vartalaap hui ?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se yugal leela ka ras — upar video mein sunen.

pura pravachan

ji maharaj ji ki jai pahna Radha rani ka hai aapke darshan hue maharaj Kartik mas mein bahut bada saubhag hai maharaj aap kripa karke darshan dene aae hain prabhu ham adham ham kahin ja nahi sakte to jo prabhu moh anugrah kina to tumhari daras ati dina bhagwan apne nij janon ko tabhi bhejte hain jab kripa hoti hai to bhagwan ki kripa hui Krishna kripa se Krishna daso ka darshan hota hai maharaj aap to shuddh bhakt hai Radha rani ke aur aapke darshan karna hamara saubhagya hai hamne aapki tasweer dekhi aapka swas theek nahi raha tha wahan badi-badi chinta hui haan thoda kidney phayl hai na to ab wo dialysis hota hai to kabhi pani badh badh jaata hai to sujan aa jati hai.

kabhi aisi pareshaniyan hoti par wo bhagwan ki kripa se sab theek hai. Bhagwan ki kripa pichle main charan doosh bhi leke aaya tha aapke liye ki aapka aisa swasth rahe aur aapse sabko itni prerna milti hai. Pura jagat aapke dwara jo hai labhanwit ho raha hai. Aapke sang se aapki vani se bahut-bahut dhanyavaad. Matlab hazaron lakho nahi karodon log hain jo ki aapse prerna le rahe hain. Karodon logon ka kalyan ho raha hai aur meri badi ichchha thi ki aapke main darshan karun aur jane jane mere se koi agar aparadh hua hai aapke charnon mein main aapse kshma mangne ke liye aaya tha.

aparadh ki to koi sambhavna hi nahi. Vaishnav se aparadh kaise ban sakta hai? Jo nirantar bhagwan mein laga hai aparadh banne wahi Radha hai. Wahi Krishna hai. Krishna apne aap mein khalne ke liye wo Radha rup banae hain. Dusra raso ya parmanand ek dudha sada shri Radha Krishna rupabhyam tas tasmai namo namah wo ras swaroop paramatma apne khalne ke liye apne aap ko hi Radha rup mein prakt kiya bhagwan ka jo alahad hai bhagwan ki jo atma hai wahi to priyaju hai. Shri Krishna hi priyaju hai. Priyaju hi shri Krishna hai.

par priyaju ki kripa se hi shri Krishna prem prapt kiya ja sakta hai. Kyon? Kyonki sandranand ghan prem murti kishori shri Krishna ka sandranand ghan jo swaroop hai premay swaroop hai wo kishori jo hai agar shri Krishna ka koi rasaswadan kar sakta hai wo hai kishori ju aur kishori ju ki kripa se hi shri Krishna ka rasaswadan ho sakta hai jaise purnima ke chandra ka yadi ham darshan karna chahe to sirf purnima ko hi kar sakte hain. Pratipda ko nahi, dwiteeya ko nahi. Aise hi agar hamko shri Krishna prem prapt karna hai to kishori ji ka kripa kataksh atyant avashyak hai.

bina Radha kripa kataksh ke shri Krishna ke prem ka avgan ho hi nahi sakta. Jaise hamari pujya mahmmahim gopi jan to aadha murdhan yada purdar gopya kamyam padam priy gu rapachchha male bhavatsaven bhajta ras kam dhenu tam Radhika charan renu mahamrami shri ji ki charan raj ke prabhav se anant anant saundarya madhur nidhi shri Krishna ko rijha liya gopiyon ne yat pad padm nakh chandra man chhataya vijitam kimap gop vadhshi purn anurag ras sagar sar murti saradhika ma kadpi kripam karot wo kishori jo ham par kripa karen inki nakh chandra mani ki chhata ka lesh matra prabhav gopi janon par para to gopi prem ki dhvaja ho gaye to shri Krishna ka purn rasaswadan sirf ladli jo kar sakte hain ladli jo agar koi kar paya to Radha bhav se agar koi purn rasaswadan kar paya to Radha bhav se to Radha bhav milega kahan se Radha kishori ji se hi to milega.

to jab ham Radha bolte hain to shri Krishna muskurakar aasakt ho jaate hain hamse. Jai ho. Aur ladli jo jab dekhti hai shri Krishna is par aasakt hai to wo ham par kripa kar deti hai. Isliye kahin paksh nahi hai. Ji jo Radha aur Krishna mein paksh sthaapit karte hain. Abhi wo samjh nahi paye. Hamari donon ankhen hain. Lekin drishti ek hai. Ankhen do hain. Drishti ek hai. Tan do hai, pran ek hai, man ek hai, swabhav ek hai, wah ek hai, ruchi ek hai, krida ek hai. Hamare Radha Krishna ki tan do hai, lekin man ek hai, ruchi ek hai, swabhav ek hai, drishti ek hai, uy ek hai, krida ek hai, ras raas ek hai.

unhee ka hai. Wo do hai hi nahi. Do hai aap Krishna bole to hamara man aapke charan chumne ko karega. Jab Krishna bole to laga meri Priya ji ko bahut sukh milega kyonki Krishna bolta hai. Jab ham Radha bolte hain to lal ji ko sukh milta hai. Isiliye prayah Vaishno jan Radha Krishna bolte Radha Krishna to koi bhed nahi. Pyar mein jab ham utarte hain to bhed khatm ho jaata hai. Prem galiy sakri tame do na samae. Prem mein do nahi hote. Itni sakri gali hai do nahi. Brahm nahi maya nahi jeev nahi kal apni hi sudhi na rahi.

ek raho Nandlal ek pyare ke rup mein ek pyari ke rup mein jahan pyare hain wahan pyari hain. Jahan pyari hai wahan pyare hain. Ye donon alag nahi rah sakte. Nahi rah sakte. Nahi rah sakte. Jai ho. Meri na sistar ai thi aur meri mata shri ai ham ashirwad de denge hamara naam bhajan mein man lage kahan hai mata ye meri donon bahne hain aur wo meri mata shri piche mata ji dhanya hai aap maa jinke aisa putr prakt hua jo bhagwan naam prachaar prasar karke kalyug mein soe hue jeevan ke hriday mein bhagwan naam jagrit kar rahe hain.

bhagwan ki mahima sthaapit kar rahe hain. Devalyon ki bhagwat vigrahon ki puja seva ki mahima sthaapit kar rahe hain. Dhanya wahi janani dhanya wahi pita dhanya jiske aise putr prakt ho. Pranam hai aapko aapse aap jis mahapurush se milke aaj main bilkul dhanya ho gayi. Main bilkul unke piche padi thi. Mujhe unko milna hai. Mujhe milwa do. Ji. Unhone bahne bahut chahti thi aapke darshan karne ke liye. Aur aapke achhche swasthya ki kamna karte hain. Hamne aapki jab tasweer dekhi na intarnet pe to bahut ham dukhi ho gaye the.

to bas bhakti ka ashirwad de dijiye bas maharaj hamara bhajan man lage ham bhakti mein age badhe hamara Radha rani ke charnon mein rati ho maharaj ek bar phir se kshma prarthi maharaj are kaisi baat karte aap hamari atma ho aap hamari atma ho aap bilkul aap hamari atma ho aap aisa aisa bilkul nahi aap mahan maharaj Radha rani shuddh bhakt hai aap hamari atma ho aap kshma dhanyavaad Premanand ji maharaj ji ki jai shrimti Radha rani ki jai hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi