॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Bhagvdanand, brahmanand, samadhi aur leela-pravesh ki anubhutiyan kya hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se yugal leela ka ras — upar video mein sunen.

pura pravachan

gopal chandra jai shri har maharaj ji bhagavtanand anubhuti leela mein pravesh anubhuti samadhi ki anubhuti brahmanand ki anubhuti kya hai aur ise kya shabdon mein yah alag-alag margo se hai aap jo ucharan kiye ashtang yog se samadhi ka anubhav hota hai aur vedant se atmaswup brahm bodh anubhav hota hai aur shri Krishna charnanuragiyon ke sang se sharanagati se vaishnav janon ko bhagwan ke leela ras ka rasaswadan hota hai. Bhagwan ki nitya leela mein pravesh hota hai. Ye aapne alag-alag ashtang yog aur sankhya yog aur bhakti yog ye tino ke alag-alag parinamon ko aapne varnan kiya.

jo brahmanand hai wo vedant darshi marg se prapt hota hai. Jo samadhi hai wo ashtang yog se prapt hota hai. Aur jo leela pravesh hai ye bhakti yog se prapt hota hai. Jo bhakti yog ke siddh mahapurush hai unke jab ham charnon ki dasata sweekar karte hain aur wo apne hriday ka marg dete hain. Tab ham shri Krishna leela aasakt chitt hokar ke sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir tino shariron ke rag ka tyag karke bhav deh se leela mein pravesh pate hain. In dehon se nahi. Wo deh satchidanandmay hoti hai.

chidanandmay deh hoti hai. Jo guru prasad se jaise gopi bhav ya sakha bhav ya sahachari bhav. To jo gopi hai ya jo sahachari hai jo bhagwan ka sakha hai wo chidanand swaroop hokar shri Krishna se milta hai na ki in parthiv shariron se panchbhuton ki samarth nahi ki shri Krishna ka aalingan kar le wo chidanandmay deh tumhari vigat vikar jaan adhikari maharaj ji agar kya brahm gyan na ho to wo agar wah vyakti swayam ko aham brahmasmi bolna chahe to aham brahmasam ka yah galat hai. Pradhanmantri kahne se koi pradhanmantri man lega kya?

power bhi to hona chahiye na. Samjh rahe ho? To bhai isiliye sadguru ki mahima hai ki powerful sadguru dev ka aashray le aur unse anusandhan karen. Dekho ek baat tumhen bata den. Vishv ke jitne brahm rishi hain ye sab milkar ke bhi chahe to shri Krishna jo karna chahte hain uske viparit nahi ho sakta. Shri Krishna shri Krishna hai. Ham brahmas bhi kah ke tarang samudra mein leen ho jati hai. Wo man sakte hain. Lekin koi shri Krishna nahi ban sakta. Shri Krishna advitiy hai. Par brahm hai. Adwateey hai. Unki samanta koi nahi kar sakta.

haan abhed bhav ki ek bhakti hai vedant darshan uske dwara par shri Krishna agar koi brahm rishi apne mukh mein agni ko rakh sake to batao munja tavi mein aag lagi bhagwan shri Krishna bal Govind ne puri aankh ko apne muhn mein rakh liya apne sakhaon se kaha aankh mund lo puri aag ko pi gaye Kaliya ka jahr bhara dah kud karke uska mardan karke ramnak dweep bheja kuch sat din sat sat raat sat varsh ke gopal ji ne aise giriraj dharan kiya. Koi bhagwan ke jaisa nahi ho sakta. Bhagwat bhav karke ham bhagwan mein leen ho sakte hain jaise tarang samudra mein leen ho gaye.

lekin samudra se aisi karodon trange niklti hain. Lekin tarang se samudra nahi nikal sakta. Shri Krishna ke pratap se karodon mahapurush ho sakte hain. Lekin shri Krishna shri Krishna hai. Wo adwati hai. Unke jaisa koi hai nahi. Prakriti ka parivartan kar sakte ho. Hamare shri Krishna ne jo vidhan prakriti ka rach diya usi ke antargat aapko sahna padega. Haan yah bhav hai. Is bhav ke dwara abhed shri krishnatmak abhed ekatva mein shri Krishna mein leen ho gaye kyonki wahi parbrahm ki sthaapna hai. Wo baat gurujanon se sikhe jake jo jis marg ka anuyai hai us marg mein chale.

bhagwan ne sankhya yog, ashtang yog, karm yog, bhakti yog inki sthaapna isiliye ki hai ki alag-alag bhav wale log alag-alag bhav se upasna karke unhin bhagwan shri Krishna ko prapt hote hain. Gyani log jinhe brahm kahte hain. Yogi jinhe paramatma kahte hain. Bhakt jinhe bhagwan kahte hain. Premi jinhe apna ladla kahte hain. Wo wahi hai. Dusra koi nahi. Tatv ek ek brahm dviti naste wahi hai par aise ham shuru kar de ki aham brahmasam to aise nahi guru ke charan shastriya adesh hai mahapurushon ki sharan mein jae unse gyan yog ka marg sikhe aur phir uske anusaar chale aur bhagwan kripa karen to wo siddhi ko prapt ho jo nirvigghn marg nirvah kar liya jae wo keval param pad prapt kar leta hai aur shri Krishna ki seva matra mein itna sukh ki daman grahan vina mat sevan jana ye bade-bade moksh kaivalya aadi dene par bhi bhakt sweekar nahi karta.

bhagwan ki charan dasata mein wo sukh hai. To hamen lagta hai kalyug hai aham brahmasam to siddh hona bada kathin hai. Hamen lagta hai ki agar shri Krishna dastv le liya jae Priya ji ka dastv le liya jae to par ho jaenge. Kyonki karo sada tinke rakhwari jin balak rakhe mhatri ismen bhagwan raksha karte hain aur gyan mein swayam aap brahm hai to jo gyanan kar chit apar bariyai vimoh bas kare maya itni vichitra hai itni prachnd hai ki shiv viranchika moh ko hai buran to hamen lagta hai bachchha Krishna Krishna kaho Radha Radha kaho prabhu ki dasata mein raho prabhu ki katha suno prabhu ka chintan karo prabhu ke bhakton ki sharan mein raho to hamen lagta par ho jaoge maya se brahm chintan bahut kathin ho gaya hai aisa nahi wo marg hai mante marg hai lekin bahut kathin hai bachchha jo nirvigghn panth nirwahi so kaivalya param pad lai yahan ham chhoti chhoti chijon mein to aasakt ho jaate hain sampurn charachar jagat se vairagya hona lok parlok se apne shariron se vairagya hona shariron se vairagya hona shariron se teen sharir hai sthul sukshm kal tino shariron se vairagya hona.

tab atma swaroop ka bodh guru kripa se hona. Ye bada kathin marg hai. Hamen lagta hai agar Radha Radha Krishna Krishna kahe to abhi pran nikal jae to abhi param pad mil jaega. Ajamil ne putr ke bahane se narayan bulaya to use param pad mil gaya. Jeevan bhar galat acharno mein raha lekin antim samay narayan bhagwan ka mangalmay naam nikal gaya. To hamen lagta hai ki kalyug mein naam maharaj ki jai hai. Isliye naam ko pakar lo to mangal ho jaega. Hari naam hari naam hari naam kevalam kal naste naste naste gat anta to chahe Radha bolo shiv bolo Ram bolo hamari drishti mein sab ek hi hai wahi hari hai unhin ke vivid naam hai jo naam priy lage khub japo mangal ho jaega ka hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi