kya swaroop bodh ke baad atma aur paramatma ek ho jaate hain? Nikunj mein ek hokar seva kaise hogi?
pujya maharaj ji ke Shrimukh se yugal leela ka ras — upar video mein sunen.
pura pravachan
Arvind ji Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab jeev apne swaroop ka bodh kar leta hai to atma aur paramatma ek ho jaate hain ya alag rahte hain shisha aise rakh dete hain to ham do ho gaye na shisha rakh diya to ham do ho gaye ek ham aur ek pratibimb aur shisha palta diya ek bache na to jab tak deh bhav jeev kise kahte hain deh bhav ko prapt hua aur jahan deh bhav mukt hua atma swaroop ko prapt hua to maya rupi darpan hata to bacha kaun ek use atma kaho ya paramatma kaho ya brahm kaho isiliye ved kahta hai brahmvid brahmav bhavti jo brahm ko jaan leta hai wo brahm swaroop ho jaata hai kyonki wah brahm swaroop tha wo brahm swaroop hai wo brahm swaroop rahega par apne swaroop ko bhul ke maya ke pratibimb mein phas gaya.
ab sab imandari se batao apne ko yahi mante hain ki nahi mante? To yahi hai pratibimb. Ye hata ki aap wahi dekho goswami ji badi pravinta se likh rahe hain swai janah jeh dehu janai janat tumah tum hi hue jai he prabhu jisko aap jana chahte ho wahi jaan pata hai aur jo aapko jaan pata hai wo aapka swaroop ho jaata hai wo brahm swaroop rup ho jaata hai to phir wahan do nahi rahte. Sawal hal tabhi mana jaega jab ek rahega. Chahe bhakti se chalo, chahe karm yog se chalo, chahe ashtang yog se chalo, chahe sankhya yog se chalo.
sawal hal mana jaega jab ek ek ko brahm dviti nasti jab yah nirnay tumhara aayega to sadhna sahi hai agar nirnay mein do hai to sadhna sahi nahi hai sadhna ka parinaam ek ek hi hai soham jahan dasoham chahe jis marg se chalo dasoham se chale to kai bar suna chuke hain brahm nahi maya nahi jeev nahi kal apni hi sudhi na rahi ek raho dasoham mein main ka vismaran hai aur soham mein tu ka vismaran hai aur maya mein main tu ka smaran hai main tu main aur mor tor te maya aur main shuddh main brahm aur main ka vismaran shuddh keval tu hi tu jit dekhta us tu hi tu to yahan bhi tu tu hi tu bacha ek main tu nahi jab tak main tu tab tak maya bhakti prarambh hoti hai to bhed se hoti hai sthiti jab hoti hai to abhed hoti hai gyan abhed se hi prarambh hota hai abhed mein sthit hota hai aur bhakti bhed se prarambh hoti hai abhed mein sthit ho jati hai baat samjh mein aa rahi hai maharaj jaise nikunj mein jaate hain jaise nikunj mein jaate hain to haan to seva karte hain thakur ji ki haan wo to phir do alag
hi ho gaye na jeev hoke jaate hain kya nahi nahi wo to to us samay ki sthiti ko tum jante ho kya ek ek Vrindavan ek prem sahachari ka swaroop prem Priya pritam ka swaroop prem main shyama Shyam ki seva kar rahi hoon yah bhav nahi rahta seva ho rahi keval shyama shyama Shyam man shyama Shyam buddhi shyama Shyam tan shyama Shyam rom rom shyama Shyam main kho gaya keval shyama Shyam tabhi to kahte jab tak sthiti nahi tab tak buddhi se aklan nahi kiya ja sakta buddhi ek simit prakritik hai aur prabhu ki leela chidanandmay hai to prakritik buddhi chidanand ka kaise anuman kar sakti hai wo to jab usmen pravesh pave tab baat samjh mein aayegi na ab jaise thoda bhav desh mein pravesh pave to hamare ishare ko samjhte chale jaenge.
aisa lagega aisa kaise main seva kar raha hoon aur mujhe yah bodh nahi ki main seva kar raha hoon. Yantravat seva ho rahi hai. Shyam shyama virajman hriday mein Shyam shyama buddhi mein virajman Shyam shyama man mein virajman Shyam shyama chitt mein virajman aur ye mata-pita janit paida hua jo deh hai ye Shyam shyama ki seva yogya nahi hai. Wo bhav deh jo hai wo chidanandmay hota hai. Jo shyama Shyam ka chidanandmay shri ang waise hi sahachari ka shri ang hota hai. Wo sab wahan ek hai. Itna samuday hone par sab ek hai.
khaag, mrig, pashu, panchhi, Vrindavan, Priya, pritam, sahachari sab prem. To, unka hi vistar hua wah. Bas wahi prem jo thakur ji ke hriday ka prem hai, wahi kishori jo aur kishori jo ke rom rom se sab sachariyo ka pradurbhav aur thakur ji ka prem hi Vrindavan ho gaya. Sab kuch prem, prem, prem to ek hi bacha na prem. Vrindavan prem dham hai to yahan sab kuch prem hi prem hai. Yahan do nahi hai. Prem galiyti sa tame do na samae do ka pravesh nahi hai. Samjh pa rahe hain aap? Shripad anant prabhu desai ji Radhe-Radhe shri Radhe-Radhe maharaj ji.
maharaj ji teen sal se YouTube ke madhyam se aapse juda hoon. Maharaj ji aapka prashn hai ki parbrahmma atma kam hai. Unko kuch bhi ichchha nahi rahti. To maharaj ji main anek ho jaun. Aisi ichchha srishti ke arambh mein kaise hui? Maharaj ji baat yah hai ki unke hriday mein ichchha kyon hui? Yah ham prashn nahi kar sakte kyonki wo Swami hain. Wo srishti ke rachyita hain. Wo apne aap se apne aap mein khel rahe hain. Wo kisi aur se khalne ki thodi ki ichchha. Apne aap se apne aap jab khalne ki ichchha karta hai to srishti rach jati hai aur jab khel karke shant ho jaata hai to srishti sab mit jati hai.
use mahapralay karte hain. Isiliye usne racha wo khel raha hai. Wo khel raha hai. Ab wo kyon khel raha hai? Ab ye prashn to nahi ho sakta. Usne ek ham bahut shyama aisa kyon bola? Main ek se bahut ho jaun. Aisi ichchha kyon ki? To ham aapko batayen jhutha hai. Usne kiya hi nahi. Usne ichchha ki hi nahi. Wah bahusyama hua hi nahi. Wah ek hi hai. Dusra hai hi nahi. Aap hamari baat ko samjh pa rahe ho jahan se ham bol rahe hain. Kaise? Jaise swapna mein aap anek the. Aapka man hi bazar bana hua tha. Aapka man hi shatru bana hua tha.
aapka man hi mitra bana hua tha. Aapka hi man dukh bana hua tha. Aapka man hi sukh bana hua tha. Lekin jab aap jage to kya tha? Aapke siva kuch tha kya? Bas aapke siva kuch hai kya? Yah sab maya kathan Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna yah jo bahut tum dekh rahe ho yah swapna hai. Yah jo bahut dekh rahe ho wah swapna hai. Usi swapna ko mita do to ek brahmavi brahm bhavti dusra koi hai hi nahi. Agar dusra dikhayee de raha hai to swapna hai. Jagrit avastha mein aoge to vasudeva sarwamti sarwamti maya hai keval Vasudev sarvam khalmidam brahm sarvam ye maya hai khalmidam brahm wo keval ek hai wo ek hi anek rupon mein bhas raha hai.
jaise surya ek hai aur ek karod ghade rakhe hain. To ek karod ghade mein ek karod surya bhas raha hai na ki surya ek karod ho gaya. Ghade phod dene par surya par koi fark nahi parta. Wah ek hi hai. Satya bodh hone par aisa anubhav mein aayega. Jab tak aisa anubhav mein nahi aayega tab tak prashn uth jaega. Aur wo nahi hai. Yah hai wo nahi hai. Wo yah hai jo tum ho. Tumne hi apni ichchha ki ichchha mita do to tum wahi ho. Tum dusre thodi ho. Tat tamam tat jise tum wah kah rahe ho tam as tum hi ho yah baat jab tak bhajan nahi karoge sadhna nahi karoge to kyon ka ant ho sakta hai kya hamen kyon ka ant nahi hota hai isliye aap sujh karke samjhiye wo paramatma hi jab khelnaa chahta hai yah maya mein shabd hai kyonki maya se yukt hokar hi khel hota hai jab wo khel khelnaa chahta hai to apni yog shakti se vistar kar leta hai.
jad chaitan anant brahmand wo sab ban jaata hai aur jab wo shant sahay karna chahta hai to sabko samet leta hai. Yah bhi mayamay uttar hai. Lekin maya mukt uttar yah hai ki aisa kabhi hua hi nahi. Ab ham jo shabd bolenge wo sabki samjh mein hai. Ye srishti kabhi hui hi nahi. Yog vashishta yah srishti kabhi hui nahi. Yah tumhen bhas rahi hai. Kyon? Kyonki agyaan se yukt ho aur gyan se yukt ho jao to keval brahm dusra hai hi nahi. Ek ko brahm dviti nast. Yah shastriya uttar
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- santo ki 6 alaukik leela — bahut janmon ki sadhna ke baad yah anubhav hota hai ki ek bhagwan hi sab rupon mein virajman hai. Meri atma hi sab rupon mein virajman hai. Jo unche darje ke tatwagya gyani jeevan mukt mahapurush…
- Bhagvdanand, brahmanand, samadhi aur leela-pravesh ki anubhutiyan kya hain? — gopal chandra jai shri har maharaj ji bhagavtanand anubhuti leela mein pravesh anubhuti samadhi ki anubhuti brahmanand ki anubhuti kya hai aur ise kya shabdon mein yah alag-alag margo se hai aap jo…
- Indresh ji ne sunai vivah se purv Giridhar lal ji ki leela aur maharaj ji dwara sundar charcha — haan maharaj ji dhanyavaad jai jai shri Radhe jai jai shri Radhe ab Radha Giridhar ho gaye ji maharaj sab parikar ko maharaj ji aa ke wahan sukh pradan kar gaye maine ek bar maharaj ji ko haan Radha ke lal…
- jab aap sab mein bhagwan ko dekhte ho to kis rup me dekhte ho aur kya wo leela bhi karte hain? — suneeta ji Radhe Ram maharaj ji aapka prashn hai ki jo yadyapi aapke liye likha hai bat kah rahe hain ki jo bhagwat sakshatkar mahapurush jan hote hain unko jaise wo sab mein bhagwan ko dekhte hain to kis…
- pujya bihareedas ji maharaj aur pujya maharaj ji ka milan aur sundar nikunj leela ka varnan — bila prabhu prabhu ji ye pujya apne giriraj ji wale pandit ji pandit shri gaya prasad ji ke ladle thakur hai. Accha aur abhi vartman mein jahan Ram mein satsang bhavan mein katha hoti thi wahan ji…
- Amogh Lila Prabhu aur pujya maharaj ji ke beech kya vartalaap hui ? — ji maharaj ji ki jai pahna Radha rani ka hai aapke darshan hue maharaj Kartik mas mein bahut bada saubhag hai maharaj aap kripa karke darshan dene aae hain prabhu ham adham ham kahin ja nahi sakte to jo…