jab aap sab mein bhagwan ko dekhte ho to kis rup me dekhte ho aur kya wo leela bhi karte hain?
pujya maharaj ji ke Shrimukh se yugal leela ka ras — upar video mein sunen.
pura pravachan
suneeta ji Radhe Ram maharaj ji aapka prashn hai ki jo yadyapi aapke liye likha hai bat kah rahe hain ki jo bhagwat sakshatkar mahapurush jan hote hain unko jaise wo sab mein bhagwan ko dekhte hain to kis bhavna se dekhte hain Krishna swaroop mein ya unke bal swaroop apne aradhya apne aradhya apne aradhya mein jo hamen guru ne aradhya ka swaroop bataya jaise hamare aradhya dev hai nau kishori nau kishor shri Priya pritam 16 varsh ki avastha adbhut saundarya adbhut madhury donon jugal sarkar ka to ham jaise aapke to aapke hriday rupi mandir mein mere Priya pritam virajman hai.
ham sab jagah jaise goswami ji kahte Siyaram main sab jag jani wo sab mein Siyaram ko dekh rahe hain. Aise ham sab mein shyama Shyam ko dekhte hain. Chhidchhid lakshanam sarvam Radha krishnamyam jagat chetan achetan sab Radha Krishna mein hai. Sab mein Radha Krishna virajman to upasak jis bhav se upasna karta hai usko apne upas dev ka wahi darshan hota hai. Ab ham dekhte hain nau kishori nav kishor Priya pritam unmad paida ho jae. Itne sundar hain hamare Priya pritam paagalpan chadh ab isi ke to ji rahe hain na nahi kisi se koi matlab nahi to unhin ke bal se har kadam ham chal pate hain.
unki taraf unhin ke kripa bal se chal pate hain. To ham apne bhavna mein jab dekhte hain to sab mein shyama Shyam virajman hai. Nau kishori nau kishor. Ab jo bal bhav ka upasak wo bal bhav ka dekhega. Jo jis bhav ka upasak hai wo apne isht dev ko usi rup mein dekhega. Maharaj ji jaise leela karte hue bhi dikhte hain yahan baithe hue leela karte hue to bahut age ki baat hai. Jab bhagwat sakshatkar ho jaata hai prem mein tanmayata hoti hai to bhagwan jab kripa karte hain to apni leela mein pravesh de dete hain.
ab wo pratiphal bhagwan ki lilaon ka darshan karta rahta hai. Jaise koi pad aaya bas usi pad mein doob gaya. Usi pad ke arth ki leela mein chala gaya. Jaise mano aavat shri vrishabhan dulari rup rasi ati chatur shiromani ang ang sukumari ab chal vrishabhan Nandni padhar rahe uske dhyan mein shri shyama padhar rahe ang ang se sukumarta tapak rup ki rashi hai chatur shiromani wo pura jhanki dekh raha hai jo pad mein likha hua hai wahi wo jhanki dekh raha hai wo siddh purush hota hai use leela mein pravesh mana jaata hai jo leela mein pravesh pa gaya hai wo aise wo ek ek kshan bhagwan ki divya rup madhuri divya kabhi dekh raha hai Priya pritam ki hansi leela kabhi jal vihar leela kabhi jhula leela kabhi basant leela kabhi varsha ritu ki wo alag-alag lilaon ke bhagwan bhagwan ka rasad are isiliye to mahan sukh hai.
bhakti mein koi sadharan sukh hai. Sab sansaar ke sukho ka tyag karke jo bhagwan ke marg mein chalta hai wahi to us ras ko prapt kar pata hai. Ji bhai ji aur Radha Baba ke prasang mein aata hai ki 18 ghante samadhi laga to wo us leela ke andar usi leela mein dube hue sharir ka koi bhan nahi hai. 18 18 ghante haan haan haan bilkul bilkul usi leela mein bihareen dev ji to datun karne ke liye baithe hain. Teen din datun hi karte rahe. Teen din datun hi karte rahe. To unhone bihari ji ko goswami parikal ko de diya ki ab hamse seva nahi hone wali.
teen din ho gaye parde nahi khola. Ab unki leela mein hi dube rahe. Teen din ho gaye. To aise bhagwan ki leela jab chalti bahari aadmi thodi koi jaan pata hai. Ab wo baithe hain to tumhen laga ki baithe hain. Ek bar shri Swami haridas ji yamuna kinare baithe hue the. To koi dhani mani purush us samay aaj ke 5 600 varsh pehle 1 lakh ka itr laya bihari ji ke liye ₹1 lakh ki wo sheeshi mein badi ab wo dhyan mein baithe the aur wo jake itr de diya puri sheeshi kholi aur aise mari balu mein aise puri bikher di usko bada dukh hua ki 1 lakh ka itr laye aur ye balu mein phenk diye to Swami ji ne dhire se aankh kholi aur kaha jao Nidhivan raj mein bihari ji ke darshan karo agyaa mankar Nidhivan raj mein jo hi ghusa to usi itr ki khushbu aur jab wahan gaya to bihari ji
pure bhi hue the itr mein tab wo Swami ji ke charnon mein akar dandvat kiya ki Swami ji hamen kshma kijiye hamen dosh drishti ho gayi thi ki aapne ek lakh ka itr balu mein phenk bole tum nahi samjhte us samay Holi leela ho rahi thi aur sanyog se lal ji pakar mein aa gaye the aur pyari ji ke paas rang khatm ho gaya tha to tumne itr diya hamne pyari ji ko pakda pyari ji ne pura itr bihari ji ke upar dal diya ab ye leela chal rahi aur bahar dikhayee de raha hai ki itr jo hai balu mein phenk diya gaya to siddh santo ki jo bahari leela hoti hai wo hamari samjh mein nahi aayegi to antarik leela ki to baat jane do leela mein pravesh bahut kathinata se hota hai aise sahaj mein nahi ho jaata ki do char varsh mala ghumae leela pravesh ho gaya yah aise
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- santo ki 6 alaukik leela — bahut janmon ki sadhna ke baad yah anubhav hota hai ki ek bhagwan hi sab rupon mein virajman hai. Meri atma hi sab rupon mein virajman hai. Jo unche darje ke tatwagya gyani jeevan mukt mahapurush…
- Bhagvdanand, brahmanand, samadhi aur leela-pravesh ki anubhutiyan kya hain? — gopal chandra jai shri har maharaj ji bhagavtanand anubhuti leela mein pravesh anubhuti samadhi ki anubhuti brahmanand ki anubhuti kya hai aur ise kya shabdon mein yah alag-alag margo se hai aap jo…
- Indresh ji ne sunai vivah se purv Giridhar lal ji ki leela aur maharaj ji dwara sundar charcha — haan maharaj ji dhanyavaad jai jai shri Radhe jai jai shri Radhe ab Radha Giridhar ho gaye ji maharaj sab parikar ko maharaj ji aa ke wahan sukh pradan kar gaye maine ek bar maharaj ji ko haan Radha ke lal…
- pujya bihareedas ji maharaj aur pujya maharaj ji ka milan aur sundar nikunj leela ka varnan — bila prabhu prabhu ji ye pujya apne giriraj ji wale pandit ji pandit shri gaya prasad ji ke ladle thakur hai. Accha aur abhi vartman mein jahan Ram mein satsang bhavan mein katha hoti thi wahan ji…
- kya swaroop bodh ke baad atma aur paramatma ek ho jaate hain? Nikunj mein ek hokar seva kaise hogi? — Arvind ji Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab jeev apne swaroop ka bodh kar leta hai to atma aur paramatma ek ho jaate hain ya alag rahte hain shisha aise rakh dete hain to ham do ho gaye na…
- Amogh Lila Prabhu aur pujya maharaj ji ke beech kya vartalaap hui ? — ji maharaj ji ki jai pahna Radha rani ka hai aapke darshan hue maharaj Kartik mas mein bahut bada saubhag hai maharaj aap kripa karke darshan dene aae hain prabhu ham adham ham kahin ja nahi sakte to jo…