॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

santo ki 6 alaukik leela

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se yugal leela ka ras — upar video mein sunen.

pura pravachan

bahut janmon ki sadhna ke baad yah anubhav hota hai ki ek bhagwan hi sab rupon mein virajman hai. Meri atma hi sab rupon mein virajman hai. Jo unche darje ke tatwagya gyani jeevan mukt mahapurush hote hain. Wah abhinnn bhav se dekhte hain. Abhinnn bhav se akhand bhav se meri hi atma hai. Wah apne swaroop mein rahte hain. Agar ham aapko apni atma na mante ho to aapko hamse pyar na ho. Ham pyar karte hain to aap hamse pyar karte hain. Ham pyar na karen to aap hamse pyar kar hi nahi sakte. Shri ji hamse pyar karti hai isliye ham shri ji se pyar karte hain.

shri ji pyar na karen to ham shri ji se pyar kar hi nahi sakte. Hamari kshamta hi nahi hai. Jo jeevan mukt tatv isiliye likha maha sang durlabh ho durlabh ke baad phir likha hai agamyo agamya mane nirvah karna kathin hai. Ab usi nirvah karne mein apnepan ka itna hamara badha hua swaroop hona chahiye ki unki har cheshta hamen anand deni chahiye. Cheshta mein dosh darshan ya dukh nahi hona chahiye. Kai bar hamne Sandipni ji ka charit sunaya ki unko Gurudev ne phunka muta mara pita sab lekin wo Gurudev ke prati kabhi dosh darshan nahi kiye aur Gurudev ki seva mein lage rahe.

uska parinaam yah hua ki aur sab vidyarthi bhag gaye. Sabki kshamta to ek jaisi hoti nahi to aur vidyarthi sab bhag gaye. Sandipni ji se pucha tum kyon nahi bhage kaha Gurudev aapko bhiksha kaun padhata hai snaan kaun karata aapki seva ko to kya tumhare upar hamne virudh bartaav kiya to kaha Gurudev ye to sab aapka hai ye jeevan aapka hai virudh bartaav kya kise kahte hain aap jo karen jaise karen ye sab aap to unka kaha beta main to apne bhajan ke prabhav se paramdhaam ja raha hoon lekin lekin paramdhaam vunthadhipti sarv lokadhipti bhagwan swayam tumhare shishya baenge aake to wahi Sandipni jo guru bane aur bhagwan dwarikadish unke shishya bane unche darje ke jo tatwagya jeevan mukt mahapurush hote hain ve abhinnn bhav se akhand bhav se bhagwan mein sthit hokar sabko abhinnn dekhte dekhte hai sabko apna unke jeevan se unke darshan se unke chintan se unke sharir se sparsh ki hui vayu hi jeev ka param kalyan kar deti hai.

jinse sparsh ho gaya, jinka darshan ho gaya, jinko sambhshan karne ko ho gaya, us jeev ka kalyan ho jaega jo aise mahapurushon se [nak se ki jane wali aawaz] bas dosh drishti nahi honi chahiye. Jab ham bhagwat marg mein chalte hain aur jahan judte hain to us connection ko katne ke liye maya aadmi lagati hai. Wo aapke kan mein aapko baat bata keval guru bhav ki drishti mein aapka connection kat jae jisse aapki durgati ho jae. Wah to khud durgati mein jane ke liye tayyar hai. Lekin hazaron saikadon dashon jahan tak uski pahunch hogi.

wo us durgati mein le jane ke liye unko kateega. Agamya isiliye agamya likha hai ki nirvah karna kathin hai. Amogas yadi aapki shraddha paripakva bani rahi to aap bhagwat prapti nischit ho jaegi. Bhagwan aur bhagwan mein sthit mahatma mein koi antar nahi hota. Jagat ke log sampurn gunon mein pani pherkar kisi ek dosh ki abhas matra ko pahar bana dete hain. Usi mein jo agyani aur durgati ko prapt hone wale hote hain us pahar mein dhak jaate hain. Aur jo sadnani aur bhagwat prapt hone wale hote hain wo apne guru se aise pyar karte hain jaise mata se pyar karte hain.

maa bahut kadvi bolne wali hai. Maa to maa hai. Maa bahut buri hai to bhi meri maa hai. Maa achchhi hai to bhi meri maa hai. Jaise meri maa aise mere Gurudev mere Gurudev mere param brahm hai. Tum yahi nahi jaan pa rahe ho. Mere ho. Tum apne ko alag man ke mere ko alag man ke dekh rahe ho. Isiliye bas paramarth ka swaroop khandit ho raha hai. Tum hamari atma ho. Jin jin ko dosh darshan jahan jahan bhi santo par hue unhone na to apne aap ko unka mana na apne tan ko mana na apne dhan ko mana keval bahari manyata ko dihakar ke main inka hoon.

antarik manyata agar hoti to inka main hoon aur mera sab kuch inka hai. Ab dusre koti ke mahatma pehle uchh koti ke mahatma ka swaroop varnan vasudeva wo apne swaroop mein apni atma mein raman karte hain. Wo kabhi bahar nahi hoti. Atma swaroop se unki cheshta kuch bhi ho sthiti vasudeva sarv mein rahti hai. Akrur ji se mantak mani lekar bhagwan se alag ho gaye to kya bhagwat bhav unka kam ho gaya kya? Bhagwan mein to sthit hi rahna. Usi tarah bhagwan mein sthit rahe. Jis tarah bhagwan mein Mathura se Vrindavan ate samay ek bar sthiti aa jati to kya sthiti hat jati hai?

kya andhkar thodi chhaa jaata hai? Vihaar ki cheshaon se adhyatma mein andhkar ka pravesh nahi hota. Adhyatma apni sthiti mein rahta hai. Adhyatma wah surya hai jismen kabhi ast shabd nahi aaya hai. Wo prakashit rahta hai. Ab dusre jo mahatma hain jo manushya un mahapurush ki mahima ko nahi jante to wo mahatma jan pehle mahatma hai ki tum mano ya unko mahatma na mano. Dosh darshan karo ya gun darshan karo unko tumse koi lena dena nahi apni atma mein raman karte hain unko jaisa vihaar jaisa dusre hain ki jo un mahapurushon ki mahima ko nahi jante unke liye wo apni sthiti se niche utarte hain.

apne bhavon se niche utarte hain. Phir wo unko updesh dete hain. Kah dete hain. Dekho tumhen aisa karna chahiye. Tumhen aisa nahi karna chahiye. Tum aise chalo, tum aise chalo, tumhara aise acharno se chalo. Wo apni sthiti se utar ke bol rahe hain. Matlab ham par vishesh kripa kar rahe hain. Bhagwat kripa se jo unke vachno ko unke adeshon ko man leta hai wo labh le pata nahi to agamyon tisre jab wo dekhte hain ki updesh se bhi kam nahi ban raha. Tab usse bhi niche utarte hain. Pahli sthiti se updesh nichi sthiti hai.

niche utre updesh kah diya agyaa updesh kiya. Phir tisri sthiti mein usse bhi niche aur phir wo special agyaa dete hain. Aap aisa karo. Updesh sarvjanik aur agyaa personal hoti hai. Aap hamare liye aisa karo. Aap hamari agyaa ka aisa palan karo hamare liye aap aisa karo aap aisa karo to wah usmen prasann hokar jab lage to wo wahi pahunch gaye kyonki param tatv bhagwan hi guru rup mein hai tumhari shraddha ya shraddha se tumhare andar fark padega wahan thodi koi fark padega ham kahte hain aankh mund liya Radha ke kunj nahi hai to aapne aankh mund liya to aapki drishti mein nahi Radha ke kunj to hai hi to guru sakshat param brahm wo to hai hi bole ham nahi mante haan to durgati ka marg hai durgati ka marg wo prashasth ho raha hai wo to hai hi param brahm usko tum kaise tum [gala saaf karne ki aawaz] aankh mund lo to kya mahal khada hai wo hat thodi jaega shastr param brahm paramatma tatv hi hamare Gurudev ab tisri sthiti mein wo agyaa karte hain aisa karo jo unki agyaa ka palan kar gaya.

wo bhagwat swaroop ko prapt ho gaya. Chauthi sthiti mein wo uske saath vidhan rachte hain. Aisa vidhan rachte hain jaise sadharan se sadharan sthiti mein akar ke saath mein rasoi man karvana. Odiya Baba ko ek mai ai. Bola Baba hamare yahan bhojan palo to sabne dabkaya usko maharaj ji aap kya pane jaenge maharaj ji ne drishti dali aur ek ko bulaya pucha iska ghar jante ho bole haan kamdal uthaya thodi der baad aur kahan hai soch lagi hai to arhar ke khet mein pehle aise jana hota tha to arhar ke khet mein gaye aur jo shishya sathi bole yahi khade raho jab tak soch ho ke na ave ghuse khet se udhar gaye ganv wale usse pucha uska ghar kahan hai wahan gaye wahan gaye to bole jaldi la roti.

bole maharaj tayyari to kuch hai nahi. Bole ata ham laga rahe hain jaldi tu chulha jala aur jab wo gaye to Baba masala pees rahe the. Wo log bhi pata laga ke ki itni der soch mein nahi lagti. Jarur Baba aa gaye. Masala pees rahe the. Chauthi sthiti mein mahapurush utar ke swayam waise aacharan karne lagte hain. Unko apnane ke liye unko apna banane ke liye unki chitt vritti ka aphrn karne ke liye unke man ka aphrn karne ke liye. Panchvi sthiti mein ve isse aur niche utar jaate hain aur ekdam unke jaise hokar ke vihaar karne lagte hain.

agyani purush jaisa vihaar karne lagte hain aur unko apna sang dekar apne rang mein dheeredheere rangte hue wo uthakar wahin pahuncha dete hain jahan unki sthiti thi. Isliye santo ki agyaa mein, [gala saaf karne ki aawaz] santo ke siddhant mein, santo ke vichar mein keval aapke prati kalyan ki bhavna bhari hui hai. Aapke prati keval mangal ki bhavna bhari hui hai. Unki agyaa palan ke bina unke siddhant ka palan karne walon ka kalyan jo unke siddhant ka palan nahi kar unki agyaa ka palan nahi kar sakte.

kaise ho sakta hai? Mahatma agyaa ke rup mein jo kuch kah de usmen ek vilakshan shakti hoti hai. Agar aap dosh darshan us baat par na karen jo agyaa kar rahe hain. Ab bada vichitra khel hai. Shraddhaluon ka ek khel hai. Chadhar chidrani ji ke prasang mein aata hai jab chidrani ji ne apna lahanga bech ke ek vastr hi pahne thi aur Sita se chari pipa ji ka swagat kiya jab yah baat Sita se chari pipa ji ko pata chali to aap padh ke dekh lo jo sune honge aur jante honge unhone kaha tum nachne wali bano to us paise se char chidani ji ki seva karenge ek jagah to Sita sechri ji ko sajakar pipa ji le hi gaye jab pehle sant seva ki baat ai aur le gaye the ki nahi ye jab hamara bhav pakka hota hai ki mere Gurudev ya wo to sant seva ke liye Gurudev ek vilakshan shakti hoti hai santo ke agyaa mein unke aacharan mein unke vihaar mein yadi dosh darshan na kiya jae to wahi vilakshan shakti kalyan kar deti hai wah usko param pad pradan kar deti hai.

aap socho 10 panch din koi sharanagat ho 10 panch din kya hamen lagta hai ek hi do din hue honge sharanagat hue Sugriva ji ko jab Bali ne kaha mujhe kyon mara to bhagwan ne kaha tum jante ho mera sharanagat hai mera sharanagat hai aur tum ise marna chahte ho to jo sharanagat ka mitra wo mera mitra jo sharanagat ka shatru mera shatru to jab apne log sharanagat hai to apne anath to hai nahi ki jaisa chahe vaisa karen. Kyon? Paramatma bhagwan satchidanandmay shri ji rasmay shri ji wo hamari swamini hai. Vaisa jo pyaro kare soi bhave kab laoge kab laoge?

sun sun ke kan gande man gande to phucho gandagi mein aur sun sun ke kan pavitra man pavitra mere param brahm paramatma kab dekhoge pratikultaa kare tab parbrahm paramatma dekho aise to param brahm paramatma hai hi pratikul aacharan karen aur phir par brahm paramatma dekho tab to baat samjh mein aa jaegi agyaa palan karne wala bina parishram ke param pad par swabhavic arudh ho jaata hai jo santo ki agyaa ka palan karta hai. Chhathav ab wo mahapurush ka chhatha sthiti ka varnan kar rahe hain. Jo unki agyaa ka palan nahi karte nich darje ke sadhak hain.

unko kahin-ka wo unka kalyan karne ke liye do baton ka prayog kar dete hain. Saaf [nak se ki jane wali aawaz] ya vardan. Dekha ki aacharan to anukul karne ki cheshta karta hai par kar nahi pata hai to vardan de jao bhagwan tumhen samarth pradan karen tum age badho aur dekha hai khula virodh karta hai to shraap de diya ja to aise dand ko prapt ho to usse uska marjan hokar wo pavitra ho gaya jaise yamlarjun ko shraap de diya ja to jad vriksh ki yoni ko prapt ho to unka us saap se marjan hua aur wo nandalay ke yamlarjun bane ne aur bhagwan shri Krishna ka sakshatkar hua.

muni ka krodh mukti datar santo ka krodh bhi mukti ko pradan karne wala hota hai. Accha ismen yah nahi hota ki aaj hi aapko dand mil jaega. Nahi samay samay se har chij phlibhut hoti hai. Samay se phlibhut hoti hai. Is parampara mein chhah santo ki sthitiyon ka varnan hua. Pahla apne akhand swaroop mein sthit. Dusra apni mahima ko jalane ke liye apne bhavon se niche utarte hain. Tisra niche utar ke wah updesh dete hain. Chautha wo agyaa dete hain. Pancha wo aacharan karte hain aur chhathwa phir wo shasan karte hain.

saap ya dand ke dwara pavitra karte hain. Is parampara se jab ham dekhte hain to in chhahon mein bhagwat swaroop ki sthiti mein koi antar nahi parta. Wo apne swaroop bodh ki sthiti mein rahkar ke chha aacharan karte hain. Apne nij swaroop mein sthit rahte hain. Jo kuch nahi karte wo nirantar swaroop mein sthit rahte hain. Wo bahut unche darje ke mahapurush hain. Pare hain ajgar ki tarah. Kuch na bolna na updesh karna na kisi se koi sambandh rakhna jo kuch inse utar kar kripa karte hain wo shastron mein aisa sant mahatmaon ne kaha is tarah ka sanket karne lagte hain aur tisre sant mahatmaon ki agyaa ka palan karna chahiye aisa kah kar ke wo agyaa dene lagte hain.

chauthe aisa karna chahiye aur aisa nahi karna chahiye. Pura vidhan batane lagte hain. Panchwe tumko aisa karna hi hoga. Aisa kah karke unko sat marg mein laga. Chhathwa sat saap ya vardan aadi ke dwara pavitra karke unko lagana. In sab darjon mein wo mahapurush apne bhav se niche utarte hain na ki unke mahapurushon mein koi kami hoti hai. Wo apne bhav se niche utar jaise gira hua purush para hai to waise hi girne ka natak karke utha ke usko upar par dosh darshan hua to aap nasht ho jaoge. Phir nahi chadh paoge.

agar dosh darshan nahi hua aapko laga ki ye hamare girne ki sthiti mein hamko uthane ke liye jhuke hain na ki ye swayam gire hain. Ye hamen uthane ke liye jhuke hain. Ismen sabse badi dayaluta santo ki hoti hai jo hamko agyaa karte hain. Hamen updesh dete hain. Hamen apna mante hain. Aisa karo. Aisa na karo. Hamen tadna dete hain. Hamen dand dete hain. Un santo ka darja yadyapi niche ki taraf kaha jaega par bahut uchh koti ki sthiti mein hote hain. Unka adhyatmik koi tyag nahi ho jaata. Wo jeewo ke udhar ke liye nana prakaar ki cheshta karte.

unka les matra bhi koi swarth nahi hota. Aise bhagwan bhi apne swaroop mein nitya nirantar sthit rahte hain. Jaise bhagwan nitya nirantar apne swaroop mein sthit rahte hain. Jaise mahatma jan bhi nitya nirantar apne swaroop mein sthit rahte

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi