॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

adharm se kamae dhan ka parinaam — savdhaan rahe ! / shrikrishna prem ka adbhut prabhav // 05/10/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smar tap mugram nirvapay param shital mashryam param shital mashryam sundar sundar Radha mohan ki jo sundar Radha mohan ki jo nirkhit thkit bhai ankhiya meri nirkhi thkit bhai ankhiyan meri ang ang shobha ras bori sundar Radha mohan ki jo chavi ke sagar nagri nagar chavi ke sagar nagri nagar chitvan mele man chit chori chitvan mele man chit chori sundar Radha mohan ki jo sundar Radha mohan ki

jo gaur Shyam ki chavi nirkhi jin bandhe prem ras hare dori shri gaur Shyam ki chavi nirkhi jin bandhe prem ras hare dori ali madhuri haras magan bhai yah adbhut chavi aur na chhori yah adbhut chavi aur na chhori sundar Radha mohan ki jo mangal jai jai shyama Shyam Vrindavan rajah ras anurag umang rahas sukh sar hi jai jai shyama Shyam nitya krida kare kunj nikunjan mahi prem ras le bhare jai jai shyama Shyam raas ras ram rahe nit nutan adhikay rasik jan sukh lahe jai jai shyama Shyam aand ahladini prem rang mein range do sukh sadhini nau niv nikunj mein Priya pritam shri Vrindavan dham ki shobha nirakhte hue paraspat chitvan karte hue galbiya di hui sakhiyon ke madhya mein chal rahe hain.

kahin-kahin van ki shobha dekh ke ek dusre se prem rasmei varta karne lagte hain. Aur aisi rasmei varta mein uljh jaate hain. Ki donon ko apni deh shuddh hi nahi rahti. Band Radha vallabh pyare jo baat ras do na prem agani donon Radha aur vallabh inki vandna karte hain ki aapas mein baat karte karte aga hi nahi rahe hain. Sakhiya dekh rahi hain. Paraspat kuch baten vani se hoti hain aur kuch netron se hoti hain. Kar so kar mukh so mukh jore nain nisho vibhi rup lubhane kaise chal rahe netron se netr mile hue hain.

kapol se kapol mile hue hain. Aur ek dusre luhane kaisa rup prabhu ka hai aur kaisa rup Priya ji ka hai ki donon anadi kal se rup darshan kar rahe hain. Phir bhi aghae nahi. Aisa prem ras barasta hai rup ras mein ki donon nahi aghae. Chakori ki bhanti ladli jo dekhti hai chakor ki bhanti shri lal jo aur donon ke mukh chandra ko sakhiya bharbhar netron se pan kar rahi ang ang shobha ke sagar gaur Shyam chavi ek samane batras do na prem aghane priti paraspat do unke pran jeevan dhan rahit bhulane donon donon ke pran jeevan hai donon donon ke dhan hai donon dhan se dhani hai aur donon ek dusre par aise nyochhavar hai apne tan man pran pritam moh so hare kaisi adbhut Vrindavan ki divya latae hain.

pyare prem bhumi yah shri Vrindavan yahan ke jad sab chaitanya sab premi inke bhav bhare rasmay tan pyare bhumi ye shri Vrindavan yahan ke sab vriksh chaitanya ghan swaroop hai jad nahi hai jab pyari jo pyari pyare jo baat kar rahe hain to sab latae sunkar aandit ho rahi. Jaise sakhiya dekh aur sunkar aandit ho rahi aise latae aandit ho rahi. Shripad Prabuddhanand ji kah rahe jab priyaju ki drishti lataon par gayi maha madhur gulmak dhumalta maha madhuri dhuri dharni talam sumdhurali pitsa mrigam maha madhurta dhur dhuraswa sarit bhudhram maha madhur bhavdham madhurmai Vrindavan mahan madhury se yukt aisi hare hare patte aise rang biringe pushp lade hui latae mahadhury se mandit bhumi mahadhury se mandit bhramar pakshi mrig mayur parvat sarovar aisa divya Vrindavan jahan hamare Priya pritam ban vihar kar rahe divyant rasatmak priy phal pushp Divya mod divya parag divya madh divya khag naam kul divya pallav kakadap shri Radhika krishnayo santosham samparyam tro bhut Vrindavan divya divya anant rasmay phal lage hue hain.

har samay Vrindavan mein basant ritu ka prabhav rahta hai. Yahan kabhi patjhad nahi hota. Yahan kabhi patte pushp phal ye purane nahi hote. Navam navam isliye divya anant rasatmak priy phal divya anant ras ka rasaswadan karane wale phal hain. Aparseem sugandh chaai hui hai. Divya divya parag ko lekar vayu jaise dhul ko lekar bahti hai. Aise parag ko lekar bah rahi sugandhat rasatmak aur us parag se sampurn bhu pat rahi hai. Mano gadi bichhai gayi ho parag ki divya kokila aadi vrikshon par baithkar ke gayan kar rahe hain. Priyaju ki drishti gayi ya Radha vartan nakti matre nritya shri ji ne kaha latao nritya karo ya radhaya vartanu natakti matre nritya chalo sab nacho sab latae aise nritya kar rahi hai mano koi varangna ho vishisht vishisht kalaon se yukt nrityangna ho aise latae nritya karne lagi jhumjhum karke phir shri ji ne adesh kiya gayatwa Madhukra rut vigyanam tanoti chalo gaan karo sab latae gaan karo to lataon se rag ragniya prakt ho rahi hai.

sangit prakt ho rahe hain. Jo Priya pritam ke man ko bahut mod prakt kar rahe. Donon yugal sarkar dekh rahe adesh hua to nritya karne lagi aur adesh hua to rag raginiya prakt ho gayi lataon se kande visajti madhutlita sya dhaseti tum rudan karo to ha Priya ha Shyam aisi lataon se awaz aa rahi aur madhukan baras rahe mano ashv pravah ho raha ho phir hansati chalo hanso to sab pushp ek saath khil rahe hain lataon ke aur aisa lag raha hai latae hans rahi hai prokta dhamit gira sasrishta guchchha shri ladli ji ko sukh pahunchane ke liye har lata vriksh ka aalingan kar rahi har lata vriksh ka aalingan karke pulkit ho rahi phir shri ji ne adesh kiya mat pransham aa nigdite tya patav bhuma mere prannath ko samasth latae pranam karen tatkaal sampurn Vrindavan ki latae bhumi ko jhuk ke sparsh kar rahi aur aise jhankrit hokar pushp shri lal ji ke charnon mein samarpit mat pransham nam nigad tetya bhuma ye shri ji ki sakhiya hai latae ye jad nahi mere prannath ko pranam karo to sampurn latae kampayamaan hokar ke aise bhumi par jhuk jati hai.

kampayamaan hone se sare ke sare pushp lal ji ke charnon mein mano pushpanjli arpit karti hui pranam kar rahi ho. Vim tat dwachan vasga Shyam kavli is prakaar Vrindavan ki latae shri ji ki agyaa vartani hai. Jaisi shri ji ki agyaa hoti hai waisi hi latae jaise shri yugal sarkar kisi lata ke niche baith gaye. Shri ji ne drishti dali ki yahan kisi ki drishti nahi padni chahiye. Latae fail ke aise saghan rup se kunj ban gayi. Age parda par gaya lataon ka. Saghan vriksh latae lipti hui ki wahan vayu bhi pravesh nahi kar sakti.

shri ji ki agyaa ke bina koi jharokha nahi. Usi saghan kunj mein shri ji ki ichchha gayi. Yahan divya prakash se prakashit ho jae. Sab latae upar uth gayi. Pura bhavan ki tarah aur divya prakash se yukt latae ho gayi. Wahi latae andhkar paida karke rajni ka sukh prakt karti hai. Wahi latae divya prakashmay hokar din ka sukh wahan din aur rajni ye surya aur chandra se nahi hai. Shri ji ki ichchha se hai. Shri ji ki sakhiyon ke dwara hota hai. Shripad kah rahe hain shri radhaya swar kar vihit shamb sevika pushta shri ji apne hath se jal late hain aur prasann hokar ke tum meri agyaa ka palan karti ho lataon ko yamuna jal pan kara rahi sakhiya bhar bhar ke jal la rahi ghade mein shri ji apne kar kamal se lataon ko jal pawa rahi aur apni amritmai drishti se saanp ko dular kar rahi hai.

sabke upar kar kamal fer rahi hai. Kya main kabhi Vrindavan ki aisi lata banungi ki shri ji ki agyaa ka palan karun. Shri ji ke kar kamal se sinchit ho. Shri ji ki kripa drishti se posit ho. Phir kya hota hai? Bole mudit harina datt kamta varashi lal jo itne rijh jaate hain itne rijh jaate hain ki har lata ko kamta ki tarah alanghan karte hain. Shripad kah rahe mujhe bhi aisi lata bana lo ki mere Priya jo mujhe adesh karen mere lal jo itna ham par baras jae kripa kar de. Ye bahut divya latae hain Vrindavan ki.

isliye kabhi bhi Vrindavan ki lata ka tiraskaar mat karo. Yah dekh lena hamare prakriti ke saath jo khilwad kiya ja raha hai aaj ye bahut mahnga padega. Jahan dekho vrikshon ko katna jahan dekho wo niche paip jana hai isliye bada vriksh hai 100 dedh sau varsh ka neem ka ukhad ke phenk diya. Kabhi lagao. Phir dekho ek vriksh ka poshan karne mein kitna ek putr ki tarah vriksh ka palan hota hai. Tab wo jakar samarth banta hai. Samarth ho gaya phir sinchan karo na karo wo jal leta rahta hai. Hamare liye bahut avashyak hai vriksh.

wah hamen oxygen pradan karta hai. Karban daioksaid leta hai. Wah aisa vatavran prakt karta hai jisse samay par varsha hoti hai. Bahut tarah se hamara hit hai prakriti ke dwara vrikshon ke dwara. Phir ye to Vrindavan ki latae hain. Jahan dekho bas building hi building lataon ka nash building hi building ban rahi. Itna log lobhi ho gaye. Chand rupaye ke liye bagiche ke bagiche katwa dale. Ganv mein dod kilometer ke bagiche hote the aam ke. Jinke ek bhi vriksh nahi hota tha. 10 panch kilo aam roz unko khane ko milte the.

gadiyon mein bharbhar karke aam ate the. Kya ho raha hai? Aam, jamun, karauda, amrud ye to ganv gali ke vriksh aise bade-bade vriksh free free jholi bhar bhar karke amrud hai, aam hai, jamun hai ye sab kahan sab chand rupaye ke liye lataon ko utha to niche jamin ke pani sukhta ja raha hai. Prakriti aisa dand degi ki dekh lena kahan rah gaye? Kue. Yatra tatr kahin khojne par mil jae. Nahi kue ka jal is samay jaise aap fridge ka jal le rahe hain yah hanikarak hai. Kue ka jal aisa thanda hota tha ki bhishan garmi mein bhi snaan karo to shital ho gaya.

aisa thanda jal aur sardi ke samay bilkul vashpa nikalta hua ekdam aisa jal ki anukul jal bada hi paushtik jal haind paip ka samay aaya dhire-dhire ab kahan dikhayee de raha hai? Wo bhi gaya. Ab itne niche jal hota chala ja raha hai. Pocho mat. Ab jal hai bisalri wala. Paisa kharch karo to ganv mein budhe log jab baithe the to bole dekhna age samay aayega pani bikega. To buddhi kharab hai inki. Pani kahin bikne wali chij hai. Aaj samjh mein aa raha hai ki pani bik raha hai. Har aadmi pani paise se pi raha hai. Wo neeli neeli botlen jati hai.

sabke gharo mein wahi kahan pani ki vyvastha? Kyon? Prakriti ke saath khilwad kiya ja raha hai. Kabhi hamne philtar ki baten nahi suni pani ki aur philtar wale pani mein wo dum nahi hai jo kue ke pani mein dum hoti thi. Wah hamen rogon se ladne ki samarth pradan karta tha. Sidhe akash se jo jal gire to amrit jaisa jal sarovron ka jal, nadiyon ka jal, ek ganv mein ek aisa usse sroton se jal nikalta tha. Gay charane jaate the. Bas kapda aise dalo aur chhap ke piyo. Bahut balshali jal wo prithvi se nikal sab khatm.

kyon? Jahan dekho lataon ka nash jahan dekho building ka nirman ho raha hai. Jahan dekho wahan pashu pakshi ka hatan raaksasi swabhav badh raha hai. Yah prakriti hamare liye bahut avashyak hai. Chalo kam se kam jeevan mein jaise sabko ye lagta hai ki hamare ek putr ho. Aise hi sabko chahiye ki ek vriksh jeevan mein to laga do aur use palpas ke bada karke chhod do. Ek vriksh tumhari sadgati kar dega. Dhyan rakhna ek vriksh tumhen uttam loko ki prapti karane ka samvidhan bana dega. Ye koi sadharan nahi hai latae.

vriksh sadharan nahi hai. Phir Vrindavan braj dham bhagwat dham ki to ye alaukik divya vibhutiya hai. Mat kato yar. Bahut buddhi bhrasht ho gayi. Jisko dekho bas sabse pahla karya lataon ko kaat hit dham mein rahte the paas mein ek ashram mein aise sundar sundar bilv ke ped aise jeseebi bhulai gayi panch minute mein ukhad ukhad ke sab rakh di yahan ek lata laga ke to dekho usko sinchan karke kitna samay lagta hai dhire dhire dhire dhire dhire 50on varsh mein jake wo tayyar hoti hai jo vat vriksh hai peepal hai aise bade bade-bade vrikshon ko dekho na paas mein hi sab hatan kar diya rupya rupya kya karoge tumhen nark se rupya bacha lega tumhen ashanti

se rupya bacha lega nahi nahi rupya se suvida kharid sakte ho shanti nahi kharid sakte rupya se bhog samgri ekatrit kar sakte ho lekin rog se jo chinta se shok se pida hogi wah tum nahi bacha sakte ho isliye dhanya dharni tle tantam datum maho cham padam dhanya hai dhanya hai is prithvi tal par ye Vrindavan dham ye braj dham jo yahan thodi bhi seva kar do pashu pakshi lata sant jan brajvasi jan ki to uchh pad pradan karta hai mahochcha padam datum mahochcham padam man lo prarthna man lo tum grihasth dharm se yukt ho 100 gaj jagah khareedo bhaiya ek ped laga lo ek lata laga lo har shringar ki laga lo zyada bada nahi hota ek tamal ki laga lo agar aapki udarta ho to kadambad ki laga lo aur aisa lagao ki koi jeevan mein kaat na pave usko koi bech na pave aise jaise ham kuch hai ki jagah kharid kar latae laga de.

phir vichar hota hai kahin aisa ho gaya ki inke jane ke baad use dusra adhikar mein le kaat dale. Kyonki aaj paise ka jamana hai. Jo jamin chand rupaye ki milti thi wo aaj karodon rupaye ki hai. Kal wo aur badhegi. To logon ki buddhi jinki rupaye pe hai wo lataon ka nash kar denge. Isliye agar ek lata lagao to pehle vichar karo ki hamare baad iska adhikari kaun banega jo adhikari bane wah kabhi isko ukhad na pave nasht na kar pave jaise latae lagi hain to satya adesh hai ki hamara sharir bhi pura ho jae kabhi yahan koi nirman nahi hona chahiye jitna hai bas hai aur ye latae aajeevan aise hi bani rahni chahiye hamari agyaa ka palan kiya jae lataon ke liye jo priyata hriday mein rakhta to kah rahe datu mahochcham padam yah latae uttam pad pradan kar deti hai.

vishwas kijiye yah putr ki tarah jaise putr hai pitr tarpsn gaya shradh nana prakaar ke dharm karm karke apne pita kukarmi bhi rahe ho to bhi unka udhar karne mein samarth ho sakta hai. To putr se to chuk ho jaegi lekin vriksh ye Vrindavan ka chuk nahi karega. Aapka kalyan kar dega. Aapne lagaya seecha pala posa bada kiya ye bahut kathin hai vrikshon ko tayyar karna achhche se achhche tayyar hote hain deemak lag jati hai nasht ho jaate chati mein bahut kasht hota hai are kai varsh se inka sevan kar rahe hain dekho ye to sukh gaye ye to chale tab lagta hai kitna kimti hai jo hara bhara ek vishal vriksh tayyar hota hai ye log kitne mand buddhi ke hain chand rupyon ke liye jeseebi se ukhadwa wa kar phenk dete hain.

yah chaturta tumhari bhagwan ke age kam nahi karegi. Pradurbhut mati prabhut madhurananda Vrindavan sansaar rupi mahag mein kitna bhi gira hua nich aadmi ho. Shri dham Vrindavan ka aashray lekar yahan ek lata laga lo. Ek lata ki aradhna kar do. 50 gaj jagah kharid do. Tum bhale mat rahna. Ek bar 50 gaj jagah mein do-teen latae lagakar unka palan poshan karva ke wo aapko divya Vrindavan dham pahuncha denge. Vrindavan mein lataon ka Vrindavan vasi jo bhajnanandi sant jan hai unke vas ka bhojan ka ye ye bahut bada param labh hai.

koi saubhagyshali inki seva kar pata hai. Nahi to bahut jagah sab arth ka dan aur badi vyvasthaye hoti hai. Bahut hriday chubhta hai. Lataon se jo Priya pritam ko sukh milta hai wo phlaiton se nahi milega. Aaj jagah jagah jahan jagah khareedi jati hai sabse pehle latae khatm ki jati hai. Raste mein itna bada vriksh ban raha tha vishal nav kishor dekh ke hriday aandit hota. Ek din dekha wo gira in logon se pucha kyon ye andhi to chali nahi gir kaise gaya? To nazdik jakar dekha to jeseebi se uske niche ke sab bade chatur hai ki koi hamari report na kar pave waise ek din aise para raha dusre din pura gayab ho gaya kisi ki report karne ki zaroorat nahi parmeshvar hai ishwar hai wo tumhari report har kshan likh raha hai ek ek vritti ki likh raha hai wo jab dand dega na to koi sahyogi bhi nahi milega pakka samjh lijiye aisa wo dand deta hai bahut vichitra chitra dand deta hai.

man lijiye kaise kaise kasht milte hain. Abhi tumhen pata nahi hai. Keval paisa dikhayee de raha hai. Yah paisa kisi kam ka nahi hai. Agar dharm ki purti bhagwan ki prapti hriday ki shanti ke karya mein lag jae tab to theek. Nahi to ye keval bhul bhulaiya hai jo manav deh ko vyarth karti. Bhagwat rishi ji maharaj kah rahe ki parmeshvar pratiti nahi pasan ki pratiti binu bhagwat bhav nidhi par geh kaha atit geh kaha atit Shyam sir vasudhan bhule kanak kamini dekh rahe nish basar phule din das ki prabhuta pai kahe ham hi sarveshwar maha moh mad piye jie kaise parmeshvar parmeshvar pratiti nahi pasan ki pratiti ye aise log hain jinko parmeshvar par vishwas nahi bhagwan par vishwas nahi hai bhi ki nahi unko aisa hai ye keval rupya rupya aisa rupya ka natak hai akarshan ka ki yahi kaha atit chahe grihasth ho chahe virakta rupya pratit rupaye pe hai ye bhatgiri shuru ho jati hai wo pati patni aae aur jaymala pahna rahe hain bas he bhagwat rishi ji parmeshvar pratiti nahi to kya bura hai kisi ka sammaan karna are waise hi abhiman mein nasht ho raha hai.

tum aur petrol dal rahe ho aag mein to kya hoga wo? Sant jan dhaniyon ka man kyon nahi karte? Kyonki unko ye lagna chahiye ki jeevan mein jo maine kamaya wo kisi kam ka nahi hai. Jo Ram ka nahi wo kisi kam ka nahi. Ye samjh mein ana chahiye. Agar bhagwan ke daso ko bhi aise abhimaniyon ka sammaan karna pare to dastv mein kya mahatva rah gaya? Bhut bhavishya lok 14 mein bhay hoe hari pyare tin tin so vihaar hamaro abhiman inte nyare nahi to bhatgiri karni padegi sadhuta nahi bhatgiri dekh lo saikadon aise udaharan pare dekh lo bhatgiri karni padegi unke piche piche chalna padega hari ke piche chalne wala jab rupaye ki pratiti ho jati hai to dhaniyon ke piche chalna parta hai unke piche chalna nahi dhani dhani tumhare piche chale to uska kalyan ho jaega.

tum dhani ke piche chaloge to tumhara aur uska donon ka nash ho jaega. Ye jinko dhan par vishwas ho chahe grihasth ho chahe virakta sab ke sab bhavsagar mein le dubte hain samaj sahit bahut hosh mein. Tabhi dusron ka kalyan kiya ja sakta hai jab apne hriday mein kanchan, kamini aur kirti tino se koi sambandh na ho. Agar tino se sambandh hai to nautanki natak ho sakta hai. Bhagwat prapti nahi ho sakti. Bhagwat prapti ki baat nahi ho sakti. Pakka samjh lijiye jo kanchan kamini kirti tino se nirapeksh hai wahi mahatma lakho ka prant ke prant ka lok ke lok ka param kalyan kar sakta hai.

mad bhakti yukto bhavnam pun is baat ko log bhule hue hain. Ekmatra sab kuch dhan chahte ki dhan are shyama kunj bihari na mile to chahe jitna kanchan ikttha kar lo chahe jitna kamini ka sang kar lo ye bhautik bhog raat din bhogte raho to bhi tumhen kabhi shanti aur vishram milne wali nahi bhakti ye hai ki ham sabke sevak hain. Sara charachar jagat hamara Swami hai. Siyaram main sab jag jani karo pranam jor jug pani he bhagwan ye mahamoh ki aisi bhishan madira rupaye ki pi liye hain ki inko kuch samjh mein hi nahi aata hai.

bada ascharya hota hai. Nritya keval apne isht ke liye hai. Rupya ke liye netr nahi hai. Isiliye kah rahe chahe gehi ho chahe atit arthat bairagi sab rupya ke piche ghum rahe parmeshvar ki parteeti nahi kaise kalyan hoga kaise mangal hoga yah jo paap ka paisa hai yah buddhi bhrasht kar deta hai paisa papi sadhu ko paras lagave paap vimurkh kare guru isht te upjave santap ye papi paisa pehle likha hai papi hai kaun sa jo adharm aacharan se kamaya hua dhan hai paap karm se kiya gaya paisa hai wo paap hi prakt karega isht aur guru se vimurkh kar dega ye dekha hai are bhai bhagwan ka yash gane ki jagah pakka pakka bilkul jaise raja ke paas bhaat gata hai waise shuru ho gaya hai.

manmani chhandon ki rachna karke unka naam usmen laga ke unka yash gaya ja raha hai. Kahe ke liye? Rupya ke liye. Adharmacharan adharm pravriti se kamaya hua rupya isht aur guru se vimurkh karke bhrasht kar deta hai. Pakka paisa papi sadhu ko paras lagave paap vimurkh kare guru isht te upjave santap aise kursiyon mein baithe hue badhiya aisi chal rahi hai aur wo sab mala bal mein bandhe aise kiye aur aisa sab nritya kar rahe samne jaise nrityangna nritya log taliya baja yah sadhuta bik rahi hai keval rupaye mein.

tabhi bhagwat rishi ji kah rahe ki geh kaha atit grihasth kya virakta sab paise mein mare ja rahe hain. Paisa mar raha hai sabko vimurkh kare guru isht te upjave santap upjave santap gyan vairagya bigare ye paap ka paisa hriday ki jalan badhaega gyan vairagya nasht kar dega. Isht aur guru se vimurkh kar dega. Aur kam, krodh, mad, lobh, moh, matsar shringar kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar ye sajne lagte hain hriday mein. Jabki inko nasht karna hai. Ye sajne lagte hain. Sab drohin mein sire bhakt drohi nahi aisa bhagwat rasik anannya bhul jin parso paisa bhakt ka bhakti bigadne wala drohi vishv mein aisa koi nahi jaisa paisa hai.

isliye adhami adharm aacharan karne wale logon se bhet lena. Unse paise ki asha rakhna mano apne jeevan ka nash kar lena itna samjh lo lekin kuch nahi samjhna bhaiya jis samay hari hari gaddi ai samne to himmat nahi poochne ki ki kahan se kaise kyon himmat nahi poochne ki kyonki himmat dusri jagah de dega pehle phatkaro yahan kyon de rahe ho chalo dusri jagah do jake jab wo 100 bar dhakka lagane par phir tab samjho iski shraddha hai. Phir kyon dena chahte ho hamen? Kya karan? Nahi aise to shri ji ke samne chal aur rakh aur bol ki ke aise hi de raha hoon to tera koi bhi kamna ka prabhav nahi padega.

chal aise kar bilkul nirapeksh dene wale ka aadar nahi. Jiske paas dhan nahi hai, aansu hain aur wah ₹1 nikale to aise aadar se le jaise karodon arabon rupya de raha ho. Ye hamne santo ko dekha hai. Ek bar gurujanon ki baat hai unke paas ek bade paddhikari aise gamchhe mein laye the. ₹1 lakh aaj ke 40 varsh pehle ₹1 lakh garv se aise wo to bilkul dehateeti bhashaon mein bolte the kyon re kahe ko dare kaagaz sarkar kahe laga dena haan haan Baba ji isiliye bane ki ham ye tum udhar se lao paap kama ke ham lagate rahe chal utha aur itne mein kisan aadmi aise ₹1 lao lao bhai lao thakur ji ki seva mein lagenge.

santo ki seva mein aise utha ke apne paas aise 16 lakh fatkar ke wapas kar rahe aur ₹1 bade aram se sammaan se wo aadmi dekh ke dimaag kam nahi kar raha ki Baba ji ki buddhi kharab ho gayi. 10 da rupya kitna jode tab jake 16 lakh hoga 16 lakh phatka sab drohin mein sir bhakt drohi nahi aisa bhagwat rasik anannya bhul jin parso paisa aise adhami aise gande aacharan garibon ko choos karke un kamane wale rupaye ko agar aap lenge to keval aapke andar bhog chintan chalega likh lo kam, krodh, mad, lobh, moh, matsar shringar isi ka shringar hoga.

Priya pritam ka shringar nahi hoga. Priya pritam ki mansik chintan vritti hi nahi rah jaegi. Vimurkh kare guru isht te upjave santap. Bhajan chhut jaega, guru nishtha chhut jaegi, rupaye hath rah jaega aur phir rupya tumhare ko nasht karwaega. Pata chal jae na ki itna rupya le phir dekho kaisa tumhare saath maya jal rachti isliye bahut savdhaan ye rupaye ke liye jo latae kati ja rahi hain ye rupaye ke liye jo shri dham Vrindavan ka swaroop bigada ja raha hai bahut savdhani se tanu vatam datum mahochcham padam aha tanudhari ko maha uchh pad pradan karne ke liye Vrindavan yah Vrindavan keval bhajan ka kshetra hai.

par bhagwan ki badi vichitra leela hai. Ise bhi aisa sthan banaya ja raha hai ki lakho log nahi yahan keval Priya pritam ki chah wale ane pave. Piche tha aisa yahan sabki karen nahi aa sakti thi. Idhar to koi aata hi nahi tha. Parikrama marg mein din mein kabhi koi parikramarthi ya subah bas yah rasta hi nahi tha. Jidhar se apne log ate hain na krishna wahan to din mein koi nahi jaata tha. Yah abhi 202 varsh pehle ki baat itna kacha rasta jhumjhum ke latae aisi ek gali matra thi jahan se rod se apne log ate hain na sidhe rod hi nahi tha gali itna sundar latae ka sab latae sab kaat di gayi bada vichitra khel ho raha hai kaise kaise ham Priya pritam ki aradhna kar paye yahan jahan dekho wahan bhog vilasita ki vritti badh rahi jahan dekho wahan bade-bade bhog samgri yon ke sab nahi yah wo desh hai keval Priya pritam ke bhajan aur anurag se jo yukt hai unke liye ye bhumi kahan rah gaya bhajan ke liye bhumi bolo jahan hamare santo aur bhajnanandiyon ke gadh hai wahan sab paryatan banae ja rahe hain jahan rahe vishay purush dhan ke bal se aur vishyon ke wahan paramanu chhod rahe hain khub bhoga shakti ke khel khel rahe rupaye ke bal par koi bolne wala nahi kahin bhi chale jao ek lakh rupya do tumse koi bolegaa nahi tumhare AC kamra har vyvastha samay se chai aur bhojan aur pahuncha diya jaega.

hath aur jodenge ki jo zaroorat ho aap ghanti bhar baja dena. Yah rupaye mein dum hai. Koi poochne wala hai ki tum rukoge kya karoge? Kyon aae ho Vrindavan? Bhajan karne aae ho ya bhog karne aae ho? Tapasya karne aae ho ya dalit duraen phailane aae ho? Yah punya dham hai. Yah prem dham hai. Yah bhajan dham hai. Kaise samjh mein aayega? Rupaye ka sara khel isiliye yah atyant vishay vishto brahm nishthae mata prakshande murchhati sak Vrindavan darte the log Vrindavan ane mein aisa tha yahan ka lata pata saanp bichhi hamare samne tak hit dham mein ham shayan kar rahe hain upar se kala saanp aise thanda thanda ekdam aankh khuli to dekho aise phankar yahi chhoti kutia mein ab prabhu padharo jao man mein aaya kal se andar hi kyonki bijli thi nahi to garmi mein bahar barande mein nikal chalo log shanka karke phir andar andar gaye to kushasan mein baithe the kahan se ghus gaye.

pata nahi wah prabhu Vrindavan vas karna hai nath sachchi mani bahut har pashu pakshi mein bhagwan baithe hue aap hriday se kaho kuch nahi koi danda nahi ki aise koi ghbarahat nahi aram se nikle aram se chale gaye. Bade sarp the yahi Vrindavan mein hit dham mein aise sarp dekhe ek sarp dusre sarp ka ahar kar raha hai aise lataon mein aise ham phool bin rahe hain aur niche fas aise are ye to sarp aisa yahan sabko dar lagta tha Vrindavan mein koi aise sahaj thodi aa jaata tha aur khanpan ki itni avyvastha thi ki Mathura tera aise durdur jakar ke tukde-tukde mange jaate the tab bhajan raat din Priya pritam ka ye atyant vishaywishta itna vishay mein avishta hai.

ab dekho kahan ab to sukh suvida ka bhog ho raha hai. Priya pritam ke viyog mein rona tadpna ye sab sisakna ye sab baten likhi rah gayi. Koi birla hi thoda sa bhakti bhav jagrit hota hai. Bas sab rupon mein aradhya dev hai. Yah ham jaan paye. Ye hamare upar guru kripa hui. Ham logon ka udhar karenge. Iska matlab abhi tumhen durgati bhogni hai. Pakka tumhen durgati bhogni kyonki tum kiska udhar karoge samne brahm hai sarvam khaldam brahm ne nanast kinchan matta partram namat kinchit Dhananjay jad chetan jag jeev jat sakal rammay jaan ye janne ke liye hamara paramarth hai udhar kiska karna hai chata sukhay tulsi Raghunath gatha apne anand mein barkar jab prabhu ka gaan karte hain sarv mangalmay hamare dwara kisi ka udhar nahi hona hamara udhar hona hai kyonki sab hamare aradhya dev hai yahi siddhi hai yahi antarik vritti hai ye atyant

vishaywishta jisko dekho vishay avishta ye teen khaiya itni jor ki hai ki bade bade kud jaate phesal jae to baat alag hai phisalna hai ki bhai ab ham par hona chahte the lekin phesal gaye ye itni itni manohar ghatiyan hai ki kud jaate hain kanchan ki kamini ki kirti ki inhi ghatiyon mein hari Ram vyas ji kahte hain ye lambi talwar ek kanchan ek kamini ye lambi talwar aae the hari bhajan ko beech inhi mar aisi hai mar ke gira diya lekin bhakti ki jo uchh koti ki avastha hai maha adbhut anand pradan karne wali jo brahm nishtha ko prapt mahapurushon ke liye bhi durlabh hai.

wah Vrindavan pradan karta hai. Uske liye savdhaan. Yah manushya jeevan bhogon ke liye nahi hai. Yah girne ke liye nahi. Bahut bhul bhulaiya hai. Bahut bhul bhulaiya. Prabhu bahut bhul bhulaiya. Abhi koi bhi sthiti nahi hai. Ek aae the parso. Bole hamen atma ka gyan ho gaya hai. Darshan kiya atmajnani ke darshan karna durlabh hai. Netr tarste hain. Atmajnani atma bodhwan. Bole hamen atma sakshatkar ho chuka hai. Bas aapse yah puchna hai ki jab ham dhyan karte hain atma ko to bahut ghbarahat paida hoti hai.

atma ka dhyan aur atma ka gyan pehle kisi mahapurush ki langoti dho. Salo pehle unki agyaa mein rahe tab samjh payega ki atmjyan ka marg kya hai. Atma ka main dhyan karta hoon. Main atma ka gyan prapt kar chuka hoon. Main atma ka jab dhyan karta hoon to mujhe ghbarahat hoti hai. Ye sare ke sare shabd gavarpan ke hain. Dhyata dhyan dhey is triputi ka jahan lay ho jaata hai wahan se atma bodh shuru hota hai. Ab jab tak thyorikal to bahut hai. Ab praiktikal nahi hai. To wahi wahi kadam har kadam par rok diya jaata hai.

har kadam pe thyorikal bahut badh chuka hai. Kalikaal mein are pooch thyorikal ki itni puja ho rahi ki praiktikal ki pehchan hi nahi. Praiktikal wala baitha hai uske samne koi baithe ke liye tayyar nahi. Thikal wale hi sabko ghasit lete hain. Praiktikal wale ke paas kahin ek do jo pahunch pate hain wahi ras ko samjh pate hain. Jo gayo Harivansh ras birlo samjhanhar ek doi jo pa khoji sab sansaar bahut savdhaan shri dham Vrindavan bhagwat prapti ke liye hai. Priya pritam ke bhajan ke liye hai. Priya pritam ki prapti ke liye hai.

pyare kripa karo dham ko dushit mat karo. Yahan bhale aap mat aao lekin bhavna karoge to tumhara kalyan kar dega. Dham yahan aake bahari gandagi mat phailao. Kripa karo. Yahan aao upvas karo. Sanyam se raho, brahmcharya se raho, naam jap karo, bhajan karo, bhag jao. Ek din ruko, do ghanta ruko, do din ruko, 10 din ruko, mahina bhar ruko, jitni kshamta ho, jahan tumhara galat kam karne ka man kare bhag jao. Dham ko ganda mat karo. Dham mein aparadh mat karo, savdhaan raho. Aur jo aajeevan Vrindavan vas kiye chinta mat karo.

akhand Vrindavan vasi ko chinta ki baat nahi. Jaise maa ki godi mein balak soch kar deta hai to report nahi likhai jati. Hamare ishare samjh rahe honge aap. Hamne aajeevan Vrindavan ko amran vrat le liya. Ab hamari koi parvah nahi. Mera man kahan jaata hai? Tan kahan jaata hai? Meri buddhi kahan jati hai? Shyama Shyam jane. Ham shyama Shyam ke bhrose pare. Yah baat alag ho gayi. Lekin tum ek do din ke liye aae ho to aisa kama ke jao. Tumhara mangal ho. Gva ke mat jana. Aisa kama ke mat jana jo tumhare liye pahar ki tarah badha khadi kar de.

yah Vrindavan ka paap kahin dhulne wala nahi. Chahe prayag mein jakar raat din khade raho to bhi nahi dhulega. Prayag ka kiya hua aparadh to yahan kshma ho jaega. Dham hai. Isliye savdhani purvak Vrindavan ka sevan karo. Yahan ki lataon ka sammaan karo. Priya pritam bade kripalu hai. Aapke sare aparadh kshma karke param mangal karenge. Sant vani pujya shri jeev goswami ji kim bhay mulam drishtam bhay tumhen kaun de sakta hai bole adrishtam jo ahankaar purvak tumne karm kiya hai wo karm tumhen bhay dega wo tumhen bakhshega nahi kisi ko nahi bakhashta bade-bade bhajnanandiyon ko bhi nahi bhogna padega bahut hosh mein abhi abhi abhi sambhal lo.

abhi avsar hai. Abhi aag lag jaegi. Bhagwan sambhal sakte hain. Hamare bas ki baat nahi. Bhajan karke bhagwan se prarthna karo. Wo adrishta ka nash kar de. Adrishta jaise aapne galat karm kiya. Socha koi nahi jana. Wo adrishta ho gaya. Wo virajman hai. Ab wo apna pura jal lachega aur aise faila ke aapko vidhvans karega ki khatm. Ab hamen roz chintan hota hai apne us sadhak ka jo kamre mein band hai jisko galit kushta hai na kisi se hansi na majak na bolna aap socho kaisa dukh hai sharir mein pida hai vihaar mein koi paas nahi he adrishta karm bakhshega nahi bahut hosh mein bahut hosh mein pujya shri ji goswami ji kah rahe kim bhay mulam bhay ka mul kya hai bole tumhare adrishta karm jo karm kiye antardhya ho gaye wah samarth ho rahe hain balvan ho rahe hain tumhara nash karenge wahi tumhen bhay pradan karenge us adrishta ko mitane ki samarth sirf shri Krishna mein hai tumhare sadhan bhajan mein nahi hai isliye traahimaam sharanagat bade-bade jan bade-bade acharya mahapurush jab prarthna karte hain main papi hoon main nich hoon main adham hoon nath aap kripa karo wo gidgida ate hain prabhu ke samne.

kyon? Kyonki daya karke wahi us adrishta ko nash kar sakte hain. Nahi avashya mein bhoktuvi wo bhogna padega. Kim sharanam is adrishta ke nash ke liye kiski sharan mein jae? Bole shri hare bhakt hari bhakton ki sharan mein ho jao. To hari bhakt kya karte? Sidhe hari sharanam. Yah siddhant hai. Bhagwan ki charnarvind ki priti sidhe kisi ko prapt nahi hoti. Isliye mahaprabhu Harivansh chandra ji kah rahe hain jaise dharivansh prapanch vanch sab ye kal vyal ko khayo yah jie jaan Shyam shyama pad kamal sangi shanayo. Shyam shyama ke charan kamlo ke jo premi jan rasik jan hai unke charnon mein samarpit ho jao.

wo Shyam shyama se priti kara denge. Shyam shyama tumhare sare adrishton ka nash kar denge. Kim prartham kya mangna chahiye prabhu se ya prabhu ke bhakton se? Bole tad bhakti prabhu ki bhakti prem lakshna bhakti aur dusri baat mat maang lena nahi fas jaoge ghata ho jaega. Kim prartham kya mangna chahiye? Mangne yogya vastu kya hai? Bole Priya pritam ki bhakti prem lakshna bhakti kim saukhyam param sukh kya hai to bole tatpar prem parat par prem prabhu se jo prem hai isse bada koi sukh nahi hai shri jeev goswami ji kah rahe hain Riddhi siddhi braj vijyita satya dharma samadhi brahmanando guru rup chamatkar kar tavat yavat premna madhursi kar siddhodh naam gandhota karan sarni pata na prayati inki gandh bhi pravesh nahi kar sakti kisi Riddhi siddhi ki ekdam alpgya ki tarah tab shri Krishna prem kan hota hai isiliye kuch samay ke liye abhi piche bola tha ki achanak mahapurushon ki kripa se Radha Baba ka sanidhy man ka tadatma bhav bahut unchi sthiti Baba ki bahut unchi sthiti kal kah rahe the unse ki bhuto na bhavishyati sadhna se kripa se to ek se ek mahapurush sthiti mein pahunch jaate hain.

kripa to lift hai. Kisi ko god mein uthakar kahin bhi pahuncha sakti hai. Lekin sadhna se Baba ki sadhna mein aisi uchh koti ki sthiti pai gayi. Pocho mat jo parso hi satsang mein parso ya narson hi haan bata ye achanak aisi uchh koti ki yahan kah rahe Riddhi siddhi braj vijayta satya dharm samadhi ye ye bahut chhoti moti baten hain. Jinko bada mahatva sansaar mein chamatkar ka diya jaata hai na man ki baat jaan lena yah baat jaan lena unka naam jalana unka naam man man ki ruchi jaan neh vidhi anusare Priya pritam ke man ki baat agar janna hai seva mein jana hai kisi bhi siddhi Riddhi ko sweekar nahi kiya jaata kah rahe shri Krishna ko vash mein karne ke liye kisi bhi Riddhi siddhi vaibhav sukh sampada inko andar se sweekar na karen.

antahkaran mein inki gandh bhi nahi honi chahiye kisi Riddhi siddhi ki. Aap bataiye raat din bhajan karne wale mahapurush raat din aur koi chamatkar nahi. Bade saral bas ek hi chamatkar tha ki aansu chal rahe hain, ro rahe hain. Balram ji se puchna brajvasi Shridhar Baba raat din bhajan aap ascharya manenge. Ratri ke 12 ek baje baith jana aur din ke 1:00 baje tak vayovriddh hone par bhi aaspas aise kambal waise aise bas ek baje tak aise hi chal raha hai haddi asthi matra hue ek baje ke baad uthao unko parikrama mein gaye laut gaye aae thakur ki char parikrama ki charanamrit aur agar charanamrit khatm ho chuka hai phir khatm kuch nahi khana pina ab phir dusre din ek baje din wahi din chal raha phir charanamrit mila tab thoda prasad aur jante ho unki vani kya jab sham ke katha aise charcha ho rahi hai koi bhagwat suna raha hai

to aansu chal rahe ho jab kabhi koi vaishnav aaya to charnon mein fouran pranam kiya yahi kahte the mujh adham se kuch bhajan to hota nahi pata nahi Radha rani kitni kripalu ki hamare jaise adhmon ko Vrindavan vas de rahi yadyapi ham Vrindavan vas layak nahi aap vaishnav kripa karo tab lagta tha he bhagwan kya hai inka dimaag mala do mala ho ja raha hai to chati chaudi kiye ghum rahe bhajnanandi aur raat din bhajan kar rahe hain aur ro rahe ki bhajan nahi ho raha shri ji ham jaison ko kaise Vrindavan rakh rahi wo antim samay jante ho kaise gaya hai Radha Radha Radha ladli Radha aise sharir chhuta hai Baba ka koi chamatkar nahi bhaiya ek anguchha laga liye ek chhadi le liye jholi tang liye ja rahe Mathura das ji ki katha sunne raste mein koi radheshyam nahi kah raha aise siddh mahapurush kitne siddh mahapurushon ko dekha shri Krishna prem mein matvale hain lilaon ka smaran ho raha hai pujya Jagannath das Baba pooch ke latha ae chora dekho gay ja rahi hai ae kanhaiya aise wo apne sakha bhav mein aise nazdik jae to aise samjh mein aaya ki

jaise koi bawra ho na aisi sthiti nazdik gaye dhire se unke charan the aise chora ko dekha chora ko unke jo sant jan the aap bilkul shant rahe chora ko dekha mila chora phir hath chhod diya aisi unki aisi sthiti unki are apne pujya Chandrashekar Baba raat din bhar koi chamatkar dekha laung nikal diya ilaychi nika kuch kaha tumhare man ki baat kabhi kabhi bataya koi siddhi aur shri Krishna aur Priya jo raat din unke saath khelti thi kahi suni baat nahi dekhi baat kah rahe hain kitne aise maha hamare guru ji hain

koi samjh hi nahi payega ki matlab koi charcha prati charcha koi varta koi kabhi bol de mauj mein to amrit kabhi kuch shabd bol de to ham Riddhi siddhi braj vijayta satya dharma samadhi satya dharmaacharan samadhi Riddhi siddhi brahmando guru rup chamatkar bada bhari maha sukh hai brahmanand aur bade chamatkar in sabka jo tyagi hota hai to wo premna madhur vaseekar siddh aushadhi naam wo madhurip bhagwan shri Krishna ko prem rajju se bandh leta hai. Shri jeev goswami ji kah rahe hain jitne bhi chamatkar hain in sab se namaskaar karke bilkul apne ko chhupa karke tab prem ka uday hota hai.

tab shri Krishna ki rup madhuri milti hai. Isliye shripad Prabuddhanand ji jaise kah rahe ki bhrate ki nischay vidhita swasant kal tum janas mahaman balavto mrityu gati stambhne he bhaiya tum bahut dusron ki man ki baat jante ho lekin tum apni baat jante ho kab maroge tam janas maha Manu balavto mrityu gati stambhne ye gurjan hai kah rahe hain aapko bahut gyan hai dusre ki man ridhiyaan siddhiya lekin tum ye jaan paye ho ki tum kab maroge nahi jante bhat kim nischay vidhita swasant kal kim tumhen apne ant kal ka yad hai nahi yad hai mrityu karam tumhen koi mantr aisa hai ki mrityu ko vash mein kar sakte ho pratiksha wo tumhari pratiksha kar rahi hai.

tum ve kim vayto kya tum aisa samjhte ho ki mrityu tumhara intazar hi keval karti rahegi nahi prhar kar degi isliye isliye hosh mein ho jao. Sab chodo ye baval. Bhaiya itni badi siddhi thi ki mrityu ate the aur samadhi mein ho jaate the aur mrityu nikal jati thi. 1400 varsh ke the aur kore kaagaz the na bhakti tha na brahm bodh tha zaruri thodi ki ye sab chamatkar ho to isi ko bhakt are itna bada chamatkar sinh par savar hokar saanp ki chabuk leke aise bhakti ka chamatkar ek adbhut chamatkar hota hai.

Gyandev ji maharaj ne ishara kiya to jad chabutra chal para. Ek din Gyandev ji aur namdev ji donon mahapurush braj mandal ke darshan karne aae. Pyas lagi to Gyandev ji ne kaha pani ka intazar thodi karna hai. Sukshm rup rakha kue mein gaye aram se pi ke aa gaye. Bole ham to pi ke aa gaye. To namdev ji ne kaha ki itni bhi zaroorat nahi hai sukshm sharir dhar ke kua mein jane ki. Bole to bole dekho abhi vittha vittha vittha vitthal pani upar uthne laga vitthal vitthal samne se pani nikla chhulu bhar bhar ke pi le naam ki mahima ek se ek chamatkarik mahapurush bhagwan ke anurag rang mein dube hue dikhaya naam ki mahima prabhu ke charnon ke aashray ki mahima shripad kah rahe hain bhul bhulaiya mein ye siddhiya bhi bhul bhulaiya goswami tulsidas ji kah rahe isht siddh ye jo riyan hai ye apne isht siddhi mein bahut badhak hai isliye Riddhi siddhi pere bahu ai buddhi lobh dikhave bhai hoe buddhi jo param sayani tan chit na jani kyonki isht siddhi nahi ho paegi isi mein fas jaega kabhi tumhare man ki baat puri hone lage to ghabra jana Priya ji se prarthna karna ye gadbad na hone pave aur upasak khushi hoga ki hamne jo chaha wahi hoga.

pakka samjho jab man bhajan mein chalne lagega, satvic hone lagega to jo chahoge wahi hone lagega aur jo chaho wo hone lage to rona ki prabhu band karo ye kabhi nahi hona chahiye. Nahi to hamara Priya pritam se milan nahi ho payega. Ye yahi fansa denge beech mein. Kya karen? To kah rahe bhat tle tle vitapna grame bhikshat swachchhandam pavya munam jalamlam chi suktham kur samanam kalya ghor garam nicha apmanam sudha shri Radha Murli dharo bhaj rasadavnam majaj he bhai vriksh ke niche vishram kar lo agar kahin kahin vasna mile aur brajvasyon ke tukde maang kar kha lo.

phate purane kapton se tan dhak lo. Koi jaan na pave ki aap mein koi chamatkar hai. Sammaan ko ghor vish ke saman samjho. Nich purushan dwara kiye hue apman ko amrit saman samjho. Aur he sakhe shri Radha murleedhar ka nirantar bhajan karo. Ek kshan bhi bhajan na chhute aur Vrindavan ka aashray dridh ban jae to isi janm mein param labh prapt ho jae. Are chet krodhat kapt kutnati bharkhar ksharan mutr das kathatma kahe ko kapt karte ho kahe ko pakhand karte ho damb karte ho kya chahiye tumhen are bhai yah kapt ye chhal ye dum ye pakhand gadha ka mutr ke saman apvitra hai.

isko tum dharan karoge to tumhara man buddhi sab apvitra ho jaega. Sada tum gandhwa Giridhar pad prem vilsat Priya pritam ke prem ras vilas mein agar pravesh pana hai to gadhe ke mutr se snaan karne wala apvitra jaise pravesh nahi pata seva mein aise hi chhal kapt pakhand damb karne wala kabhi bhagwat prem mein pravesh nahi pata he bhai tum gandhwa Giridhar pad prem vilsat gandhwa ladli rup aur Giridhar shri lal ladli lal ke prem ras mein sudha bodh snatwa swap nit mam cha sukh inka naam kirtan karo inki leela gayan karo ye hai inke premamart mein snaan karna aur ye chhal kapt da pakhand karke logon ko bhulwe mein dalna bole ye gadhhe ke mutr se snaan karna chharan mutr snaan das kathatma kahan tum pavitra gadhe ke mutr se snaan da kapt pakhand chhal kar rahe ho to kaise tumhare andar bhakti jagrit hogi jeevitam sakh patam maya kim gurudasme bhay labhte yadi kashyava bhay late yadi kaswa bhay aa bahut sundar baat sakhi maine to prabhu ko apna jeevan man liya liya.

apne jeevan ki baji prabhu ko saump di. Ab mujhe sage sambandhi se koi bhay nahi. Wo chhod de to mujhe koi bhay nahi. Aur agar Shyam sundar chhod den. Bole yadi wo milte hain to mujhe to koi bhay hi nahi. Aur agar nahi milte hain to mujhe koi bhay nahi hai. Kyonki maine apne aap ko unke charnon mein samarpit kar diya. Main bhay ka tyag kar chuki hoon. Bahut mrityu hogi. Phir janm hoga. Phir bhajan karungi aur inhi ko prapt karungi. Ab bhay mere mein nahi rah gaya hai. Labhte yadi kashyava bhay agar wo mil jaate hain tab to bhay hi kya hai?

aur labhte na yadi to kashyava bhay yadi nahi milte to mujhe kya bhay? Kyonki maine apna sarvasv prabhu ko samarpit kar diya hai. Murunga phir janmunga aur phir Radha Radha ratunga aur phir inko vash mein karunga. Yah ab bhay naam ki chij nahi hai. Ab dar naam ki chij hamare andar nahi. Pakar lo. Jeevitam sakhi pritam maya. Maine apne jeevan ki baji saump di prabhu ke hath mein. Kim guru sudas mein bhayam. Ab mujhe kisi gurjan mata pita bhai bandhu suhad ka koi bhay nahi rah gaya. Aur agar wo mil jaate hain is janm mein to mujhe bhay phir kya hai?

agar nahi milte to bhi bhay nahi. Kyonki maine jeevan samarpit kar diya hai. Ab jab jab janm hoga tab tab inka hokar rehunnga. Inhi ka bhajan karke inko vash mein karunga. Madhwo yadi nihant hyata bandhav yadi jahat heeta sadho yadi has hasta madhwa sva mur krito maya yadi Madhav ke main charnon mein samarpit ho chuki hoon aur unhone ek bar kah diya hai ki tu meri hai phir iske baad wo wo mere saath pratikul vihaar karte hain. Dusre se hanste hain, dusre se bolte hain lekin mujhe dhikkarte hain, tiraskaar karte hain, marte hain to to main bade anand ke saath unke dwara di hui pratikultaa ko sweekar karungi.

yah bahut jor ki baat hai. Aur yadi wo chahte ki main tadap-tadap ke mar jaun to kabhi milna nahi chahungi. Main tadap-tadap kar mar jaoongi. Yah yah bahut apne apne liye kam ki baat hai. Ekaki prem hona chahiye. Yadi shri Krishna se apnapan karne par mujhe sab sansaar tyag deta hai to main sahas is baat ko sweekar karungi ki shri Krishna ke siva mera koi nahi hai aur yadi ye sadhu purush bhi meri hansi udave ki dekh le shri Krishna ne kitni vipreetta pratikultaa vipatti tiraskaar diya parivaar ke tujhe chhod diye aur wo meri apni hansi udate hain to main unka uphash ka patr banungi.

par mere hriday mein koi antar nahi padega. Ye Radha vallabh pyare Shyam sundar mere hriday ke mandir mein sadaiv rahenge. Chahe wo khud hamare ko apmanit karen, tiraskaar karen, vipatti de de ya unke jan mera uphash karen. Ye ye chala hai prabhu se prem prapt karen. Kisi layak nahi. Chahe pura sansaar mera tyag kar de. O ho vina biloti lunchti dhairya mar bheeti bhinti paraptit naam y kalitam shravno kantho drashta sakhim nurta sakh vidhanam sakhi meri dasha to tab badal gayi thi jab keval naam mahima suni thi ab to rup jhalak gaya hai netron ab tumhen dasha kaisi batau?

pura sansaar khilaphat karen. Swayam shri Krishna hamko mare, tiraskaar karen, apmanit karen. Bahut yahan tak ki mujhe age se likha mujhe mar dale to main mar jaoongi. Par kabhi unka chintan nahi chhodungi. Ab tu kaise tut sakta? Jab naam suna tha tab itni himmat aa gayi thi. Naam jap naam sunkar ke naam mahima sunkar itna tyag kar diya tha. Ab to rup jhalak gaya. Ab kya hoga? Ab wo swayam meri ankhon ke samne base rahte. Ab main koi abla nahi rah gayi. Ab main sab ho chuki hoon. Yah hai prem. Jab naam suna tha tab itni samarth aa gayi thi ki vipreetta, dukh, vipattiyan sahne ki.

ab to rup jhalak gaya sakhi mere netron ke samne. Ab to koi parvah nahi hai. Yah prem shri acharya Madhusudhan Saraswati ji main bade chain se apne anand mein duba hua tha. Brahmanand mein pata nahi kya hua. Ye gopi lampt kahan se aa gaya aur hamara sara anand bhang kar diya. Ye dhyanabhyas vasi manasa nirgun nishkriyam jyoti kin yogino yadi param pashya pasantu mein asmakam tadev lochan chamatkar bhuyam kalindi pulne y neelam mahodhavti dhyanabhyas se man ko vash mein karke nirgun nishkriya param jyotirmay atma swaroop mein sthit tha.

anand mein magan tha. Aisa dekh raha tha. Aur jo dekh rahe hain wo bhi sun le. Madhusudhan Saraswati ji kahte hain pata nahi kya hua ki yamuna ji prakt hui unka pavan pulin aur ek alaukik neelima Krishna naam dhari aisi jyoti daudti hui samne se dikhayee di. Phir to meri ankhon ke hosh ud gaye. Kya dekha? Bansi vibhushit kara navneeda bhat peetambra daru bimb fala dharo purn sundar mukhavind netra krishna param kimap tatwaham na jane dekha ki kar kamal mein bansi hai naveen megh shri ang ki abha hai Pitambar dharan kiye hue arun arun adhar hai.

purn chandra ke sadasya sundar khila hua mukh kamal nayan o aise shri Krishna se badhkar koi tatv hai. Ab ham nahi jante pehle jante the. Pehle jante the manasa tan nirgunam nishkriyam. Lekin pata nahi kya hua is gopi lapat ne pavan yamuna ka pul adhro par bansi madhur madhur bajaate mere chitt ka aphrn kar liya ab wo kahte hain waise to chitt swabhavic kathor tha gyani ka chitt jo hota hai wo bahut hi paripakva ho jaata hai usmen dravan kriya jaldi nahi hoti kyonki dvait se dravan hota hai jab ek hi hai to dravan kis pe daya karuna maitri nahi kis par daya kis par karuna kis par maitri wo apne aap mein apne aap se isliye sabse nirpekshit dravyam hi jat swabhavat kathinatmakam tap vishay yog dravtam pratipadte yahit naam ki aisi jad dhatu ban gayi thi badi kathor par ab nahi rah gayi kathor bhagwan parmanand swaroop swaymev hi manogatkar rasta mein push swayam parmanand swaroop bhagwan shri Krishna jab mere chitt mein pravesh kar gaye to ab chit mera rasmay ban chuka hai.

swayam matdan Saraswati ji kah rahe hain bhagwantam vibh nityam purn bodh sukhatmakam y ganitam kimanyad vashishte ab jabitta pighal gaya sarwavyapak nitya sarvatha purn sacchidanand ghan bhagwan shri Krishna ka akar pighle hue chitt mein chhap gaya. Ab kuch baki nahi rah gaya. Ab jidhar dekho wahi Krishna wahi Krishna krishna param kim tatv maham na jane dhatit pravishtaya Govinda karat sthita ye bahut mahima ki baat kah rahe sa bhakti vihita vishesh tadhnote bhakti ka vishesh bhav ye prakt hua kit dravit hua nitya sarwata purn sacchidanand agar bhagwan shri Krishna usmen akar virajman ho gaye to ab govindakarat sthita abit nahi rah gaya man man nahi rah gaya govindmay ho gaya man krishnakar buddhi krishnakarit krishnakar vishesh baat yah ho gayi ki drashta drisht fala bhakti sukh vyakt vidhap nida dehas ganga snaan kriya y tha jaise bhakti ka phal pratyaksh hai.

parmanand jane mori chati Meera ji kahti iska ye nahi ki ye bhakti kar rahe hain. Iske baad iska phal aayega. Iska drisht aur adrishta do phal hai. Drisht romach hona. Anand mein doob jana vartman ka aur adrishta param pad prapt hona. Jaise koi tap se tapta hua Gangajal mein gaya to shital Gangajal snaan kiya to uska tap dur hua sheetalata prapt hui yah drisht phal hua aur adrishta phal paap nasht hue uske sukrit badhe aise hi bhakti ka drisht phal hai aandit ho jana daihik daivic bhautik tapon ka vismaran hokar nitya anand mein dube rahna aur adrishta phal hai bhagwat prapti hona param pad ki prapti hona isliye sarvopri brahmanand ko bhi phika kar dene wala krishnanand hai prabhu ki bhakti hai isliye sada sarvatma bhave smavya swabhya yadsha mahta punta tumhen sada sarvatma bhav se ekmatra prabhu ka smaran karna chahiye aur yah sochte rahna chahiye ki ham log jaise bhi ho wo mahan hai prabhu wo hamen pavitra karenge aur kabhi nahi chhodenge.

yah baat pakdo ham log kaise hain? Ye hamen nahi sochna. Hamare prabhu kaise hain? Bade udaar hain, karunamay hai, mahan hai, pavan hai. Wah hamen pavitra kar lenge. Wah hamko nischit apne samip bulaenge. Isliye sada sarvatma bhaven bhajni brajeshwar haris evahikam parlaukikam isliye sarvatma bhav se braj ke ishwar prabhu shri Krishna ka hi bhajan karna chahiye. Wah hamare deh ke dwara hue jitne paap hai unka haran karke ve hamen param pad pradan kar lenge. Bade karunamay hai. Sada sarwatmana Krishna syaa kalad dosh tad bhakt nirdosh bhave nishthemadra kala aadi ke jo dosh hain bhagwan ka jab koi sharan hokar ke aashray lekar naam jap karta hai to dar kar bhag jaate hain.

ye uske upar lagu nahi hote. Jaise kalikaal chal raha hai. Kalikaal ke bade dosh hain. Koi bhi devi devta grah nakshatra vighna ye sab nahi aa sakte naam japak ke paas. Aur sevak ji maharaj kah rahe Radha vallabh bhajat bhaj bhali bhali sab hoe. Jitte Vinayak shubh ashubh vighna kare nahi koi vighna kare nahi koi dare kalikaal kasht bhay are naam jap ke to dekho haras hari naam japat kalyug ke dosh kal ke dosh je bhi ham bhagwan ki sharan hokar naam jap karte hain sab nasht ho jaate hain. Bhakton mein nirdosh sthiti bhagwan shri Krishna prakashit kar dete hain.

sachchi kahte hain. Jin bhogon ko chodna bada kathin hai. Janm janmantar isi mein beette chale aa rahe hain. Aap bilkul chinta chhorne ki mat karen. Ye ham hriday ki baat kah rahe hain. Tum bhajan ki vritti ko badao. Agar ulti na ho jae un bhogon ko soch ke to hamen batana. Ghrna na ho jae to batana. Bas bhajan badao. Bhajan badao. Jab tak aap bhajan karte hue bhogon mein parast ho rahe hain tab tak samjh lijiye ki abhi aapka bhajan ekatrit utna nahi ho paya ki aap bhogon par vijay prapt bhajan badhate raho harna mat bhajan badhate raho bilkul chinta mat karo wo sab bhasm ho jaenge ek din aisa aayega ghrna ho jaegi bhogon se sachchi man lijiye sachchi ulti ho jaegi ye baat soch ke purani ki yar mera man in bhogon mein ja raha tha he bhagwan Radha Radha Radha Radha aise man karne lagega jo man lalayat hai lacha raha hai idhar udhar video dekh rahe ho photo dekh rahe ho aap nana prakaar ke gande chintan ki bhavna kar rahe ho aap dekh lena inheen baton ko dekhkar ghrna ho jaegi ulti ho jaegi he bhagwan kya soch rahe the ham naam jab badha do hamari baat man lena andar ki baat kah raha hoon harna tumhari baat nahi bade bade maharshiyon brahm rishiyon ko harane ki takat rakhte hain.

kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar naam japak naam bal se inko ghrna ho jaegi. Ghrna rama vilas lam anuragi tajat baman jim jan bhbhagi bhbhagi Bhajnandi bhagwan ke jan baman ke saman inka tyag kar dete hain. Ye sachchi sachchi kin bhogon ke liye pareshaan ho? Socho ekant mein baith ke socho kin bhogon ke liye chhi aise man karega. Chhi kin bhogon ke liye pareshaan naam jap nahi hai to bhaiya chahe chhi karo chahe chhah karo wahi pahunchoge wahi wahi jaoge ghanta do ghanta char ghanta chha ghanta 10 ghanta 12 ghanta phir wahi pahunch jaoge naam jap naam jap badhate jao naam jap badhate khud dekhna ghrna ho jaegi isiliye kah rahe samasth dosho ko nivaran karne wale bhagwan shri Krishna ka nirantar bhajan bhagavte shatam sthapneey man swayam kaloyam kathinopi shri Krishna bhakt na badhte jo sadaiv apna man bar-bar shri Krishna naam mein shri Krishna rup mein shri Krishna

leela mein shri Krishna dham mein sthaapit karta rahta hai to kali ke kam krodh aadi jitne dosh hain yah kuch bhi bigad nahi sakte bhakt ka ganth bandh lo kuch nahi bigad sakte sarv sadhan shunya ham sarv samarthavan bhavan shri Gokul prannath na tyajoham kadpi Madan ter mein tamal vriksh jahan hai bahut ekant wahan kisi jana nahi tha sidhe let gaye thodi der mein ek tandra si ai usmen mein bade mahapurush prakt hue prichay ke jo the antardhya ho chuke the unka do baat pakar kabhi braj mat chodna aur kabhi bhog mein brajvasi ka ann jarur ho bina uske bhog mat pana dekh lena ek din tu nishcint ho ja ye aisa nahi tha ki swapna jaisa tha ham so bhi nahi rahe the kyonki din ka samay tha 11:30 ke lagbhag koi bhojan aaj bhi nahi paye the ki chain se so gaye aur andar ashanti bhi thi.

do shabd aae the. Braj mat chodna aur brajvasi ka ann mat chodna. Do chijon guru kripa se chal rahi donon. Brajvasi ka ann bhi milta hai. Apne aap shant ho jaenge. Is dham ki aisi mahima hai ki bhajan kiye bina raha nahi ja sakta. Aur brajvasi ke ann ki aisi mahima ki buddhi ko bhrasht hone degi nahi. Bada lamba ghaseetta. Koi aisa na samjhe ki kam, krodh, lobh, moh, matsar aise chhote-mote yodha hai. Aise nahi hai. Bade unchai tak marte hain. Badi unchai tak marte hain. Bhagwan ke nij jan hai. Dekho Aniruddh pradyumn Balram shri Krishna ye jo chatur sankarshan rup hai usmen jo pradyumn hai.

shri Krishna Balram pradyumn ye kam devta hai. Sakshat kam devta hai. Dusra koi nahi hai. Sakshat murtiman kam hi pradyumn ji hain. Bhaiya dekh lo itni unchai mein hai. Chaturah mein wo swayam baithe hue hain. Matlab bhagwat swaroop hain. Hamne to dekha hai ki ye sharanagati pusht karane mein bahut bada sahyog karte hain. Jab in vikaratmak sthiti hoti hai tab apne upar ghrna hoti hai ki apne ko bahut mahatma samjhte ho. Gyani samjhte ho. Dekho kya tab he bhagwan he priyaju he sharanagat rakshak daya karo hamari sthiti aisi nahi ki ham aapke layak he prabhu kripa karo ye gandi baten andar se jae rona parta hai phir wo jab kripa kar dete sachchi mane he bhagwan kahan man kahan sacchidanand prabhu aur kahan mal mutr ke bhand sharir ka rag samjh lo ham ishare se kah rahe hain is bar mano maa mili hai agli bar pata nahi kaun si maa mile mile bahut hosh mein bhagavte satatam sthapneey man swayam bhagwan shri Krishna mein hi man ko sadaiv sthaapit karna hai.

unke naam mein unke rup mein unke leela mein aur yah bhav rakhna hai ki main sarv sadhan shunya hoon aur he Priya pritam aap sarv samarthshali hain aur mujhe pata hai ki aap mera kabhi bhi kisi bhi sthiti mein tyag nahi karenge. Aap nahi tyag karenge ham to chhod sakte kisi bhi bhog ko sweekar kar sakte hain aur suno prabhu yadi tashto sishto vamev sharanam maran dharan wa dina naam prabhu gati aap chahe santusht ho jao aur aap chahe naraz ho jao maharaj to mere to aap hi sab kuch ho main aapki sharan mein hoon naraz hoke chahe ko maro aur santusht hokar chahe dular karo bap ke siva hamara koi nahi yah bahut jor ki baat pakdni hai yadi tashtosi to dular karo aur yadi rushtosi to maro marne dharan dina naam na prabhu gati he din bandhu aapke siva hamari koi gati nahi aapko chhorne wale nahi chahe naraz ho jao aur pitai karo prasann ho jao aur dular karo.

donon sthiti mein aapko ham chhorne wale nahi. Yadi dyam tat kripa hetu tad ma tam kripa kur Radhe yatha danya maya suna hai prabhu aapko dainya bahut pyara hai par wo dainya mere andar hai nahi to he radhesh he Radha vallabh lal he Radha nath aap kripa kijiye aur apni kripa se mujhe sweekar kar lijiye. Mere andar danya nahi hai. Agar dainya chahiye to aap danya de do mere ko. Tam kripam kur radhesh aap kripa karo ham par aur dainya mapyam dainyta de do kyonki suna hai aap dainya se reejte ho wo dainya mere mein hai nahi to he radhanath he Radha vallabh lal aap kripa karo mujhe dainya pradan kar do dinata man datt shila maha bhaktaval palya shravna dasech savdhaan bhakton badi ye bhakti ki lata sukumar lata hai ye santo ki kripa se utpann hoti hai bhakti ki lata agar aapke hriday mein satsang ke prabhav se bhakti lata aa gayi to bahut suk sukumar hai bhakti lata.

ise dusron ko man dena aur dinata iski baadh lagao. Lata ko kaise surakshit rakhna hai? Kabhi man sweekar nahi karna kabhi ahankaar nahi karna. Nahi lata sukh jaegi. Man sweekar karne se ahankaar karne se bhakti lata sukh jaegi. To bole dainyta aur nirhankarta man shunya dusron ko man dena ahankaar rahit hona mano lata ko aaspas se baadh laga dena hai ek hathi hai matvala jo is lata ko hi keval ukhadta hai wo hai vaishnav aparadh sant aparadh ye matvala hathi ta sanraksha sata maga kunjra tat prasad ja ye kunjra bahut bada hathi mat wala hai.

vaishnav aparadh sant aparadh ye is lata ko hi kha jaata hai. Bhakti lata ko isliye is hathi se dur rahna. Bhakt aparadh mat karna sant aparadh mat karna. Dusron ko man dena swayam man na lena. Koi ahankaar na karna. Yah lata ko ghere mein rakhna hai. Aur kah rahe hain ki shravnam se chai bhagwat charcha sunte rahna bhagwat katha bhagwan naam kirtan karna isse bhakti lata ka sinchan hota rahta hai. Satsang sunna, bhagwat charcha sunna, bhagwan naam kirtan karna, bhagwat lilaon ka gayan karna isse is bhakti lata ka sinchan hota hai.

sant aparadh, vaishnav aparadh rupi hathi se bachhae. Satsang shravan bhagwat charcha shravan bhagwan naam shravan bhagwan naam kirtan karna bhagwat leela katha gana mano is bhakti lata ka sinchan karna hai is lata ko jo surakshit badha liya to isi lata bhavan ke niche Priya pritam mil jaenge lata bhavan sukh shital sa shri Harivansh dhaat nit jaha ta na bhavan ki to is bhakti lata ka vardhan karen isko surakshit rakhen isi mein Priya pritam ka sakshatkar ho jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi