jeevan ka param kartavya kya hai ?/ bhakti aur jeevan ko badal dene wale mahapurushon ke updesh // 24/10/2025
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashray param shital maya kunwar do aise baso drig mere aise baso drig mere aise baso drig mere kunwar [gana gane ki aawaz] do aise baso drig mere ek ras magan raho ya chavi pe ek ras sumgan raho ya chavi pe gino na saajh savere gino na saajh savere [gana gane ki aawaz] kunwar do aise baso drig mein sundar sukhad manohar jo ha mein karahu basere kunwar do ha mein karahu basere mand mand muka ka ladle mand mand muskae maha chavi de de bah gare re kunwar du aise baso drig mere aise baso drig mere kunwar do aise baso drig mere ya chavi ma fase do ankhiya tari na tare re ya chavi ma fase do ankhiyan tari na tare re bhori nain daras ras pyase daras ras pyase bhori nain daras ras pyase bas karahu apne chere kunwar do karahu apne chere kunwar do aise baso drig mere ek ras magan raho ya chavi pe gino na saajh savere gino na saajh savere kunwar do aise baso drig mere upasak itna apni buddhi mein nischay kar le ki ladli lal ke
siva yahan kuch satya nahi hai. Yah panch bhauton dwara rachit mrityu lok pratiphal nash ko prapt ho raha hai. Akash, vayu, jal, agni, prithvi yah mayakrit hai. Yah avinashi nahi hai. Tikau nahi hai. Aur jis lok mein ham aandit hona chahte hain, iska naam hai mrityu lok. Sab marega. Pratiphal sab mar raha hai. Tumhen dikhayee nahi de raha. Pratiphal sab nash ki taraf ja raha hai. Savdhaan upasak jitni shase hain wah apne aradhya dev ladli lal ke chintan mein jo laga raha hai wahi sarthak jeevan kar raha hai. Wahi sarthak svase ho rahi hain.
usi ko bhagwan ki kripa ka anubhav hoga. Jo manav deh pakar ke is mrityu lok mein kuch bhi apna na mankar ekmatra ladli lal ko rijhane mein apne samay ko vyatit kiya. Anytha sab vyarth tum sajate raho maya ujadti rahegi. Tum sangrah karo kal nash karta rahega. Phir sangrah karo phir nash karta rahega. Aisa sangrah karo ki kal ki bhi daal na gale jie kal vash na pare wahi jo samjh ja aae sharan te darat na kal dar diyo dan tin abhay jab abhay dan mil jaata hai shri charnon ke aashray se wo kal se bhi bhayabhit nahi hota dwaand dukh sab ghate dhan na bhay dwaand dukh sab ghate nit nit navan prem karm bandhan kate aa kate karm bandhan sansari sansaar mein bar-bar janm maran karane wale samasth karm bandhan chinn bhinn ho jaate hain.
jinko abhay dan mil jaata hai. Abhyad bhuj dand mul peen shashanukul sampurn vishv ko abhay dan dene ke liye jinki bhujaye phadak rahi hai un prabhu shri hari shri priyaju shri Gurudev acharya ye sab abhay dan dene ke liye hi apne sharngat ke liye hi prakashit hote hain. Dham se padharte hain. Kripa karne ke liye agar ham prabhu ka aashray na lekar prabhu ka chintan na karke samay ko sharir aur sharir sambandhi bhog aur sharir sambandhi ke sukh dukhatmak chintan mein vyatit karte hain to ham bahut agyani hain aur apna jeevan vyarth nasht kar rahe hain.
shripad Prabodhanand ji maharaj kah rahe hain nishkino nitya vivikta sevi Vrindavan davat vrind vande aha kitni mahima hai jisne keval priyal ko apna mana hai bas age kuch nahi dhan vidya rup mahat kul Yavan sharir sambandh kuch nahi mere to Giridhar gopal dusro na koi bahut badi sthiti hai kah rahe hain davat vrind vande samasth devi lok swarg lok tap lok janok marg lok brahmlok ye sab wahan ke vasi namaskaar karte hain kinko nishkinchno nitya vivakta sevi vrinda Vrindavan jo Vrindavan ka aashray lekar Vrindavan vas sweekar karke akinchan bhav se rahta hai.
akinchan ka matlab daridra nahi hota. Garib nahi hota. Jiske hriday mein Priya lal ke siva kisi se bhi apnapan nahi hai use akinchan kahte hain. Jinke jeevan mein keval ladli lal hai, shyama Shyam hai use nishkinchan kahte hain. Wo chahe chakravarti samrat hi kyon na ho. Yadi ek kamdal ek langoti par bhi aa sakti hai to wo nishkinchan shabd se sammant nahi ho sakta. Aur chakravarti samrat hai lekin hriday mein Priya pritam ke siva anya kahin apnapan nahi hai to nishkinchan kaha jaega. Nishkinchan nitya vivikta seve jo nitya ekant bhakti mein rat hai.
ekant ka tatparya hai hriday mein aradhya dev ke siva aur kisi ka chintan nahi use ekant bhakti kahte hain. Aise mahapurush ko devta jan bhi namaskaar karte hain. Pranam karte hain. Shri Radhika Madhav naam dham dwayam kada bhav bharen seve shri Radha Madhav unka naam unki seva nishkinchinta yah hai ki keval Priya pritam ka naam Priya pritam ki seva Priya pritam ka aashray Priya pritam ka chintan aise mahapurush ko sadaiv bade-bade brahmad devta bhi namaskaar karte hain. Isliye he bhai janyamrit vihae garam bhanje swayam bandham pyavat nibandhnam dridh taram kur sud andhwat shri vrindav matra kam mava swayam yam sneham vikrishya janta swakam samash he bhai tum jankar ke bhi vishpan kar rahe ho tum jankar jab vishpan kar rahe ho to tumhen kaun bacha payega jaan boojh nar sangrah karo umate kahe na marah janbujhkar vish ka vishay ka sevan kar rahe ho to maroge nahi tumhara patan ho jaega janbujhkar ke kar rahe ho dhoke se ho jae to kshma hai janbujhkar to phir dand ke patr ban jaoge jaan amritam vihae garlam bhanje swayam bandham jante ho Radha naam sudharsam Radha naam amrit hai.
Krishna naam amrit hai. Hari naam amrit hai. Isko chhodkar ke vyarth varta bhagwat sharanagati ko chhodkar ke bhogon ka aashray, samuday ka aashray, dhan ka aashray yah vish pi rahe ho janbujhkar. Bilkul satya maniye. Bahut kimti jeevan hai. Aashray se bhagwat prapti hoti hai. Agar andar andar se aashray shyama jiu ka ho gaya hai to bhagwat prapti nischit hai. Andar se aashray bhogon ka hai, vyakti ka hai, dhan ka hai, apne bal ka hai, sadhna ka hai to dhokha hai. Swayam bandhnam janbujhkar tum bandhte chale ja rahe ho. Pyar vaat nibandhnam dridhatram kurwe sudwat tum andhe nahi ho lekin andhe ban rahe ho tum apne bandhan ko dridhtar kar rahe ho jisse maha dukh milta hai aise aacharan karte chale ja rahe ho pyar vrat nibandhnam dridh taram jahan bandhan mukt hone ke liye tumhen manav deh mila wahi tum aise papa charan kar rahe ho ki tumhare bandhan aur dridh ho jae to bole phir aise ke liye kya upay hai kaise kalyan hoga kaise mangal hoga to bole jo mata se bhi adhik sneh karne wali Vrindavi hai shri Vrindavi mate majeevasta swayam yat sneham was janta swakam samanesi yadi tum ab bhi apne jeevan ko sudharna chahte ho to maa ke saman atyant karunamay yah vrinda tavi hai.
aa jao. Yah tumhare sare papon ka nash karke sare dosho ko mitakar tumhen Priya pritam ke samip pahuncha degi. Pakka. Bina Vrindavan raj ka sevan kiye, Vrindavan ki kripa ke bina rasikon ka sang nahi milta. Rasikon ke sang ke bina prem rang nahi chadta aur prem devta mile bina siddhi hoe naj bina prem prapt hue samasth paap nasht nahi hote bhagwat tatv ka bodh nahi hota bhagwat prem nahi hota isliye shripad kah rahe hain shrantam nij kant mandal muksha rahle tark neelam kanchulika param mapanya priy vismate yataya navke kunj shayanam shri radhikaya pari hasha sant mude mamati hasita leebh bahasta dasha yadi tumne Vrindavan ka aashray le liya to tumhare hriday mein Priya pritam ke prati aisa prem prakt hoga ki leela jhalakne lagegi.
ek adbhut leela ka yahan ek shlok mein darshan kara rahe hain. Jaise Shrimad chaturasi ji ke pad mein aaj nikunj manj mein khelt. Satwan pad hai. Aaj nikunj manj mein khelt naval kishor naveen kishori. Ati anupam anurag paraspat sun bhut bhutla par jori aaj hamare naval kishori naval kishor priyal khel rahe hain. Anupam anurag hai. Anupam anurag Shyam rang shyama rangi aur shyama ke rang Shyam ye anupam anurag hai. Shri Priya pritam anupam anurag mein range hue donon khel rahe hain. Kaisi sundar bhumi hai vidum phatik vivid prakaar ki manyon se jatit shwet rang ki sphatik bhumi hai alag-alag kunjon ki shobha waise sampurn Vrindavan ki bhumi hemai kahi gayi vidum phatik vivid nirmit dhar nav karpur parag na thori jaise kapur peeskar bicha diya gaya ho aise ekdam shwet bhumi sphatik mani jaisi aur yah chidanand bhumi hai aur atyant sukomal hai kyonki ati sukumari ladli pi kishor sukumar inke atyant sukumar shri charan hai to Vrindavan ki pratyek kunjon ki bhumi atyant sukomal hai.
sphatik mani jaisi shwet bhumi mano kapur peeskar bicha diya gaya ho. Aisi is kunj mein jismen aaj Priya pritam khel rahe hain aaj nikunj manj mein khelt naval kishor naveen kishori vidum phatik vivid nirmit dhar nau karpur parag na thori komal kislel sayan supeshal tapar Shyam niveshit gori sundar sundar komal komal naveen patte Vrindavan ke jo arun varn ke hain thoda haritab abha nikal rahi bahut hi komal aise sakhi ne komal patton ki saiya lagai hai. Usmen priyal virajman hue. Ab mithun has parihas paraayan peek kapol kamal par jhori gaur Shyam bhuj kal manohar adbhut has paryas achanak ladli ji ki drishti padti lal ji ke indra Nilmani vaksha sthal par vishal vaksha sthal mein atyant divya sundar apne rup ka pratibimb dekhti hai.
hari ur mukur bilok apan ko vibhram vikal man jut bhori Priya jo ekdam man dharan kar leti hai ki ye to kapt karte hain hamse prem ki varta karte hain hriday mein koi naveen sundari virajman 64 kala praveen tadap bhori hamari Swami ji rup rashi ati chatur shiromani ang sukumari aisi priyaj par ati bhori bhorapan dekho apne pratibimb ko Lalaju ke vaksha sthal mein indra Nilmani ka prakt ho rahi usmen dekha gori Priyaju ne apne pratibimb ko to man kar gaye to chipak sucharu praloi prabodhat lal jo dular karke kah rahe priyaju ye aur koi nahi aap hi vyat neti neti vachnamrit bolat pranay ko malaval yahan ulta ka varnan kar rahe hain.
sankrantam nij kant mandal mudaksha sthale tark ladli ju ke gaurav vaksha sthal ki kanti mein Lalu apne swaroop ka pratibimb dekhte hain. Yadyapi nagar shiromani samasth kalaon ke acharya gyan samudra lekin prem mein itni samarth hai. Aise param praveen pyari aur pyare ji ko bhorepan mein sthit kar deta hai. Yah hai prem ka swaroop. Bade bado ko prem bhora bana deta hai. Prem ke karan hi bhagwan shankar jo bodhamyam nityam guru shankar jo nitya guru bhagwan shankar hain. Sabke sabke guru hain. Kyon sabke guru hain?
tribhuvan mein aisa kaun hai jiske main na ho? Main brahm hai. Us main ke adhishthat devta ye aham ke adhishthat devta shiv hai. Isliye sukshta se dekhen to sab ka main yahi hai. Vaishnavacharya hain. Vande bodhamyam nityam guru shankar rupnam. Lekin isi prem ke karan unko bhana kaha gaya hai. Bhola bahut bhole hain. Gopi ban ke maang jataon mein beech aise maang karke lal ji ki raas mein kaisa prem ka swaroop gyan samudra shiv kaise to ye to yahan kinchin matra prem prakashit hota hai. Sare gyan ka aphrn karke bholapan phir ye to prem ke khilauna do khelt hai.
prem khel to aaj ascharya hua ki chatur shiromani samasth vidyaon ke acharya shri lal jo maharaj pyari jo ke sandranand ghan ghni bhut hriday mein apna pratibimb dekha vaksha sthal mein tan neelam kanchulika param mapan asaktaya priy vismate yah nav kishor pyari jo ke hriday mein kaise vas kar raha hai jaise nij pratibimb dekhkar priyaju aise lal jo apne pratibimb ko sankrantam nij kant mandal mudra sthale tark aur ek nahi do rup tasmai namo bhavan mohan mohnay shri ladli jo ke vaksha sthal mein apne do prati ascharya chakit ho rahe do nav kishor ek hi kant wale aur maine to aaj tak kabhi aisa sundar rup nahi dekha.
sankrantam bade ashcharyachkit ho rahe hain. Sankrantam nij kant mandal mudakshara sthale tark hai. Upasak dekh raha hai. Vrinda tavi ki kripa se rasikon ki kripa se dekh raha hai. Pyari jo sundarata ki sima lal jo jo lawanya ke samudra lal jo pyari jo ke vaksha sthal mein apne do pratibimb dekhkar itne ashcharyachkit ho rahe hain ab ashniya ho gaya bhorapan neelam kanchlika param mapan asaktaya priy vismate vismrit hokar ke aur wahan aapka hi pratibimb yataya navke kunj shanam shri Radhika parihasa us naveen saiya par viraj Priyaju hans rahe kitne bhore hain Lalaju sant mude mamati hasitali bhi bahasta dasha aur kunjandhon mein dekh rahi samasth sakhiya bhi hans deti to Lalaju ko ascharya hota ki sab hans rahi hai.
kya baat ho gayi? Bole jahan prem aise has parihas ki charm sima mein badha hua hai. Aise yugal sarkar jahan khel rahe hain. Yah ras Vrindavan pradan karta hai. Jo bade-bade dhani gyani mahatma jan hain. Jahan unki pahunch nahi hai. Wahan raj ka sevan karne wale rasik charnon ke ashrit janon ko yah prapt hota hai. Pyaro kshamte sukhad naam dhyanam isliye ai upasak nirad krityala kaditwa samasta jagat pravish Vrindavan mat sang tadi sa varta ne tumhare liye ab koi kartavya nahi hai. Tumhen manav deh keval ek kartavya ke liye mila bhagwat prapti ke liye.
prayah is baat se koi koi jante hain ki hamare jeevan ka lakshya kya? Nahi. Sab anbhigya hain. Lekin kai bar kaha yah aisa desh hai yahan se vastr bhi utra liya jaata hai. Yah deh rupi vastr bhi utra liya jaata hai. Phir tumhare liye kya kartavya hai? Ab ham agli yoni mein na jaen. Ek sant bhagwan padhare the. Unko ye agyaa di gayi. Wo bade sanshay mein the. Rudan kar rahe the ki aapka satsang suna to dridh nischay ho raha hai ki bhagwat prapti karna ati avashyak hai. Lekin hamko gurujanon ne kaha hai ki aisa kuch nahi aur aise aise aisa aisa karo aur ham aise bilkul wo balkon wali baten thi ya wo bol nahi pa rahe the ya wo samjh nahi pa rahe the ya wahan balkon jaisi hi baten ho rahi ye balkon ki baten hain.
yah gyan vriddhon ki baten nahi hoti. Jaise kaha jae ki aapko is parampara ki raksha karne ke liye yahi prayas karna chahiye aur phir janm lo isi mein to tumhen pata hai kya ki tum phir vign manushya sharir prapt karoge aur phir sadhu banoge. Phir isi parampara ko chalaoge. Are pata nahi chuk ho gayi. To hiran wo ban gaye to jo bhagwan Rishabhdev ji ke putr bharat ji kahe jaate hain to aap nali ka kida ban jae to kaun si badi baat hogi hosh mein ye sab parampraen bhagwat prapti ke liye bani hai in parampraon ka uddeshya chalana nahi chalna hai aap chalie aur bhagwat prapt ho jaiye yahi parampara hai jitne bhi acharya parampraen hain wah jeev ko bhagwat prapti karane ke liye parampraen chalane ke liye nahi hai.
parampara mein chalne ke liye hai. Bas yahi bhul ho jati hai. To bole age kaun chalaega? To tumhari chalai hui parampara hai. Ishwar acharya rup mein avtrit hokar ke parampara chalata hai. Wahi nirvah karta hai. Wah vivid rupon mein akar ke jahan dekha ki ab is parampara ka hraas ho raha hai. Wo tatkaal kisi na kisi vibhuti ke rup mein uday hokar phir prakash kar deta hai. Hamare tumhare chalae parampraen hain. Hamen tumhen parampara mein chalkar bhagwat prapti karni hai. Bahut samjhne ka nirwiddha krutya dikhla kadaham [gala saaf karne ki aawaz] Sadgurudev bhagwan kabhi-kabhi jab anand mein bahya dasha mein hote tab baat karte the to ek din prasad pa ke aise baithe hue the kaha suno ye ham sunte hain prachaar prasar karna tumhara kya ismen vichar hai ek ek shabd Gurudev bhagwan ka bhavishya ke liye aisa bola ja raha tha jo main kabhi samjh hi nahi paya.
achanak aise yah prachaar prasar ka aapke hriday mein aapki buddhi mein iska kya vichar hai? Ji hamne to kabhi is par socha hi nahi. Nahi bole jaise sampraday hai, acharya parampara hai, log prachaar prasar karte hain. To is vishay par aapka kya hai? Hamne to kabhi vichar hi nahi kiya. To tumhara vichar kya rahta hai? Hamara vichar to keval bhagwat prapti nirantar brahm chintan bhagwat chintan yahi vichar haan haan yahi to parampara ka lakshya bhi yahi hai aur isi se parampara ka prachaar hota hai. Jo log apni parampara ka prachaar karna chahte pehle unhen bhagwat chintan paraayan hokar bhagwat prapt ho jana chahiye to apne aap mein hota hai.
ek din darwaze par aise baithe ladli jhuke bole suno kabhi-kabhi karuna aise is par kya vichar kiya bistare sab jag Vimal kirti sadhu sangati na tare bas itni pankti kya vichar hua hai ji bistare sab jag Vimal keerat sadhu sang to spasht arth likha hua hai is par vichar tumhara kya hua aisa to kabhi vichar hi nahi gaya jo isht aur acharya mein sadaiv sthit rahta hai. Uske dwara isht aur acharya ki Vimal kirti ka sampurn jagat mein vistar hota hai. Antarik bhav hai. Uska yash to swayam ho jaata hai kyonki das hai lekin uske dwara isht ka yash vistar hota hai.
Gurudev bhagwan sadaiv vastu ki prapti ke dwara uska vistar ki baat ki hai. Pehle vastu ki prapti aur jahan vastu tatv ki prapti na karke wo bilkul bilkul nahi bilkul mananiye baat nahi hai. Koi bhi bole pehle bhagwat prapti kal aap sun rahe the ki updesh dene wale ki kaisi yogyta yahan shripad jo kah rahe bahut unche mahapurush hain. Unche ka matlab hota hai jo adhyatmik ki unchai par bole nirwi krutya dakhilat kadahitwa samasth jagat apeksha jitne kartavya karm hai sab maya ke natak hain Shrimad bhagwat dharmam bhajas satatam taj lok dharm ye jitne lok dharm hai so sab dharm karm jar jau Ramcharitmanas jaan Ram pad pankaj aao samjhna hai.
bahut phd padh liye. Arabon bank mein jama ho gaye. Bahut badhiya premi parivaar hai aapka. Bahut anand mein jeevan mar gaye. Ab kya tumhare saath gaya? Kya gaya tumhare saath? Kuch nahi. Sab kartavya dhul dhasrit ho gaye. Nirwadhya mane vairagya. Nirwed kahte hain vairagya ko. Dridh vairagya. Nirwi krutya dakhlat kada jitne kartavya karm chhitwa samasth jagat apeksha ye sab jagat ki apeksha rakhne wale hain. Sab kartavya karmon ko chhinnabhinna karke nirwiddha vairagya dharan karke bhagwan ki prapti karna hi is manav jeevan ka param kartavya hai.
Vrindavaneswari shri shyama ji ki kripa se sahaj ho jaata hai. Bhagwat prapti kate karm bandhan sansari pragtit prem prakasham sakal jantu siri krititam gat kal timir samuham nirmal aklank udit jag chandram aisa prem chandra prakashit hota hai hit tatv hriday mein samasth kalyug ke dosh nasht ho jaate hain prem mein aa barkar ha shyamaju ha priyaju khatm sansaar ka jitna akarshan isliye he bhai tum jeevan ka param kartavya nischit karo ki mujhe bhagwat prapti karni ek kisi ki baat mat mano. Sab fansane wali baten hain.
sab fansane wali bhagwan ki prapti karne ke liye manav deh mila. Shastron mein hazaron jagah varnan hai. Ye jo is baat ka aadar na kare wo hamen fasane wala hai. Chahe koi bhi ho koi bhi ho hamen nahi manna. Is janm mein mujhe bhagwat prapti karni. Shripad kah rahe hain janbujhkar janan nap amritam vihay garam bhanje swayam bandham janbujhkar amrit tyag rahe ho naam rupi amrit ka tyag karke vishay bhog rupi vish pi rahe ho aur swayam apna bandhan dridh kar rahe ho ise kartavya kahte ho kartavya hai amrit ka pan karke amar ho jao aur sansaar ke sare kartavya bhagwan ko arpit karke apeksha rahit ho jao jagat apeksha nirpekshm muni shantam niram sam darshan yah sthiti lao kisi ki koi apeksha nahi na vastu ki na vyakti ki na sthan ki namdev ji
maharaj ki kutia mein bhagwan agni rup se padhare aag lag gayi ganv ke log daude kuch samgri bahar nikal ke rakhi namdev ji ko suchna pahunchi dhyansth the aapki kutia mein aag lag daud kar aae to ek do kambal kuch samgri thi nikala tha uthaya phir aag mein dal logon ne kaha bavare ho itni mehnat karke nikala are bole bhagwan aae agni rup mein swagat karna atithi aata hai to uske mukh ka nivala nikala jaata hai ki diya jaata hai are ye kiski laukik samjh mein aayega sampurn vastue sab jal gayi jo dincharya ki thi bade anand thandi ka samay tha 12:00 baje tak tab shant rakh keval usi rakh mein let gaye.
vitthal vitthal vitthal vitthal ab sharir kanpne laga sardi mein bhagwan ke siva kuch hai nahi na pehle tha keval dekhne mein tha. Ek baat samjh lo andar se aashray bhagwan ka hai to pai bhar fark nahi padega. Chahe samrat pad mil jae aur ya sab chhin jae. Koi fark isse nahi parta. Yah santo mein jo siddh mahapurushon mein sthiti pai gayi ratri ke sardi ke bhishan vatavran mein shri bhagwan Garud par arudh hokar Rukmani ji ke sahit aae vitthal bhagwan dwarikadheeshi hai. Rukmani ji parwa mein virajman apna Pitambar odha dete hain.
Garun ji se kahte hain vishv ki sabse sugandhat taran laye jae. Ek se ek sugandhat latae aur raat bhar mein kutia aisi chhaa di ki kilomeetron tak vatavran divya sourabh se yukt vitthal vitthal vitthal aankh khuli to dekha adbhut sourabh adbhut kutia aur bhagwan ki sundar kamri ude hue hai waise unko pata hai yogkshm bamyam jinki jimmedari wahi sab karte ganv ke log ki dekho kitna thandi mein namdev ji ki kutia jal gayi the. Wah sab pareshaan honge. Jab dekha to ekant kshetra mein aisi kutia Vishvambhr ke hath se banai hui pocho mat.
sab log ganv ke daud daud ke aae. Mar sourabh mein matvale ho rahe the. Bole namdev ji ye kareegar kahan milega? Kitna rupya lagta hai? Ratonrat tumne aisi kutia bana li. Bole kareegar free aata hai. Samgri free aati hai. Bole ham sab kutia ek ek hi kutia nahi jai jai kutia ham khub banwaenge. Are hamare ghar bekar is kutia ke age itna sundar bangla sundar namdev ji ne kaha ki hamara kareegar ek awaz denge aa jaega. Sab samgri pehle aisa karo ghar se bahar niklo sab aur aag lagao apne apne ghar mein kuch nahi bachna chahiye sab jala do tab hamara kareegar free aa jaega kutia koi kisi ki himmat nahi padi samjh rahe ho jiska hari ke siva kuch nahi hota wahi hari ke prem ko hari ki maha mahima kripa ko samjh pata hai dusra nahi isliye kah rahe nirwi krutya kaditwa samasth jagat apeksha jagat ki apeksha ko kaat to jeevan ka param kartavya bhagwat prapti hai.
har kartavya lok dharm ke antargat hai. Aur hamara paramarth pusht nahi hua to lok dharm bahut janm kar chuke hain. Bahut janm pati ban chuke, patni ban chuke, pita ban chuke, putr ban chuke. Sab ye karm kiye lekin aaj tak sadgati nahi hui. Aaj sadgati hone ka hamen phir avsar mila hai. Ab ham bhajan ke dwara, naam jap ke dwara, satsang ke dwara bhagwat prapti karenge. Ki jeevan ka param labh bhagwat prapti. Sant mahapurushon ke vachno ka dhyan se shravan karke manan karen. Jeev ka swabhav hota hai prem karna.
wah prem kiye bina nahi rah sakta. Jeev ka swabhav hai prem karna. Wah prem kiye bina nahi rah sakta. Jo is baat ko nahi samjh pata wah prem kar baithta hai sharir se sharir ke sambandhi bhogon se sharir sambandhi se isliye vivekvan apne prem ki dhara premay prabhu ki taraf jodta hai aur aviveki prem ki dhara jagat ki taraf jod deta hai jo durgati ko prapt hota hai. Gyani apne prem ko vairagya ki baadh mein sametkar swaroop mein sthit kar deta hai. Atmarti bhakt apne prem ko vairagya ki baadh mein sametkar charnon mein samarpit kar deta hai prabhu ke to Krishna rati Priya rati aur sansari apne prem ko faila deta hai.
stri putr parivaar ghar makan dhan sampatti jahan kam rupi shatru uska sarvnash kar deta hai. Isliye apne prem ko yadi bhakt ho to keval prabhu ke charnon mein aur gyani ho to apne swaroop mein agyaan ka nash karke apne prem ko sarthak jagah mein laga do. Nahi to yahi jo prem tumhen maha sukh pradan karne wala jab jagat mein laga doge to dukh pradan karne wala tumhari durgati ka karan ban jaega. Isliye dekho tumhara prem kahan lag chuka hai. Yadi sharir mein hai sansaar mein to hatao. Hatao isko is prem bandhan ko kato.
phado is agyaan ke parde ko aur dekho jahan ki Priya pritam ki man lijiye bilkul aisa hi hai. Koi aur prem naveen paida nahi hota. Yahi prem jo phailae hue sameto sabki mamta tag batori aur mam pad mane bandh bar dori ho gaya. Samdarshi ichchha kachu nahi haras shok bhay nahi man mahi as sajjanam ur bas kaise lobhi hriday base dhan jaise bas yah baat dhyan rakho jo prem ko paramatma ki taraf mod deta hai uske hriday mein aag lag jati hai kaise darshan ho kaise darshan ho wo bhav bandhan se chhutne ke liye vyakul ho jaata hai kanchan kamini kirti koi uske marg mein badha nahi dal sakti.
jo bhav bandhan se mukt hone ke liye vyakul ho gaya hai. Use ab koi bhagwan se dur nahi rakh sakta. Jiska rup shastron mein bahut thode shabdon mein sanket kiya gaya hai. Wah jab samne hota hai to upasak ko jo sukh milta hai anant janmon se bichhda hua apne pyare se jo milne mein sukh mila wo kahin tribhuvan mein nahi jaise kevat ji ko mila ab kachu nath na chahe purn ho gaya prabhu jaise goswami tulsidas ji payo param vishram Ram saman prabhu nahi kahun aaj main param vishram prapt kar liya bole kisse se jaki kripa lavlesh te mati mand tulsidas ho payo param vishram Ram saman prabhu nahi ko jaise aaj bhagwan shri Raghunath ji ka pradurbhav avdh mein manaya
jaata hai to aise hi sabke hriday mein bhagwan hai jab tak aap apni in da 10 indriyon ko bahirmukh karke vichran karte rahoge tab tak hriday rupi angan mein bhagwan nahi khelnge aur jab dashrath in dason indriyon ko ghasit kar bhagwan ke charnon mein panch gyanendra panch karmendra to jakar naam sunat shubh hoi more grih awa prabhu so yahan bhagwan ka pradurbhav ho jaata hai hriday mein hriday rakh kaushal pur raja yahan bhay pragat kripala din dayala yahi prakashit ho jab tak yahan prakt nahi honge tab tak anand ka anubhav nahi hoga upasak emin man ten bhagwan jaisi tumhari manosthiti waisi tumhen yah srishti dikhayee degi.
agar tumhara man bhagwadakaar hai to sab bhagwan dikhayee denge. Tumhara man kami hai to sab kami dikhayee denge. Ain man tin bhagwan jaisa tumhara man waise hi tumhen bhagwan ka anubhav. Jaki rahi bhavna jaisi prabhu murat dekhi tan taisi. Isliye apni bhavna ko sudharo bhakti ka phal hai bhav shuddh ho jana. Nidra, tandra, alasya, vikshep, sanshay yah jiske jeevan mein adhikayat hai, uska sarvnash nischit ho jaata hai. Sadhna ka. Nind par kabu pao. Nidra ke adhin mat ho. Ye bahut badi shatru hai. Ye bhajan ka nash karne wali hai.
isko mat yah socho ki abhi to nai avastha hai. Nahi isi avastha mein isko kabu pa lo. Nahi to kuch nahi hota. Jahan dekho ham dekha hai bh vridh janon ko jinko kaha jaata hai ki ab bhajan ki avastha hai. Wahan dekha hai baithe baithe baat karte karte baat karte karte jab dekho tab aise muhn baga diye. Lal tapak rahi hai. Jab dekho dekha hamne kyonki hriday malin hai to tamogun ka hi rajya rahega. Satogun thodi aa jaega. Yavan avastha mein nidra ko shasan mein le le. Ye vijay vijay abhyaas vijay kar deta hai. Nidra tandra na nind hai na jagrit avastha hai.
beshuddh avastha si rahti hai. Alasya kisi bhi satkar ke liye andar utsah na rahna. Vikshep bar-bar bhogon ka akarshan hona sanshay yah baten bilkul sadhak ke jeevan mein nahi pakki baat samjh lo bhagwan ko prapt karna kathin nahi hai sansaar ka rag tyagna kathin hai aur wo satsang shuru hai bhagwan ne satsang de diya hai ye roz kaat raha hai tumhare sansaar rag ko pakka manna nidra tandra alasya vikshep sanshay yah jeevan mein sadhak ke nahi hone chahiye shraddha, bhakti, namrata, utsah, dhairya, thoda bhojan aur pavitra aacharan, pavitra vastr, pavitra asan.
kal ek upasak prashn kar rahe the ki aasnan ka bhagwat prapti mein kitna yog hai? Bahut zyada yog hai. Par siddhasan aur Padmasan mein baithe ki wah bhul na karen jiska brahmcharya theek nahi hai. Bhul na karen nahi sharir pida aur rog se grasit ho jaega. Yah vayu ko sanshodhit karke charbi ko bhasm karke sharir ko shant karke aur man ko ekaagr karke prannon ko sukshm karke bhagwat prapti karane mein bahut hi sahyogi asan hai Padmasan aur siddhasan. Lekin uske pehle brahmcharya brahmcharya ka niyam nahi hai to in aasnan par baithe ki bhul na karen.
grihasth sukhasan par baithe palthi altheepalthi mar ke aise aram se sukhasan par abhyaas karen. 30 minute 40 minute 48 minute shant bhav se mantrakaar vritt karne ka yah sab sahi hai. Lekin dedh ghante do ghante dhai ghante teen ghante siddhasan aur Padmasan mein grihasth dharm mein jo brahmcharya ka theek palan nahi karte aur virakta dharm mein hi aasnan ka vishesh prabhav parta hai. To agar grahasti mein brahmcharya ka palan kar raha hai to baith sakta hai. Yog koi aisi chij nahi hai ki jo chahe jaise chahe aise manmane aacharan nahi guru ke samip nahi to sharir rog se grasit hone ki sambhavna rahti hai.
pranwayu bigad jae to kai prakaar ke rog utpann ho jaate hain. Upasak ko chahiye ki aasnan ka avashya abhyaas karen. Isse urdha reta hone mein bahut sahyog hota hai aasnan se brahmcharya ka jaise aap shant aise baithe hain Padmasan ya siddhasan se ab aapke andar vayu bigdegi bhishan dard shuru hoga janghon mein dard shuru hoga sharir mein vishesh harkat paida hogi vishesh bijli daudegi ek shakti shant ekdam mantr mein puri vritti ab wo bijli jo power paida ho rahi wo aapki sushmana nadi ko jo sidhe 90 ansh ke kon mein sadhan mein baitha jaata hai sidhe merudand sidhe sidhe aise yahan se napa jae to sidhe aise 90 ansh ka wo aise nahi hona chahiye jitne minute sava ghanta dedh ghanta do ghanta sidhe aise agyaa chakra par drishti ho antarik ya nasagra drishti ho aur usmen bar-bar mantr likha ja raha ho chuk nahi honi chahiye.
mantr ki chuk nahi. Bahut jaldi labh prapt hota hai. Par iske liye purn brahmcharya ki avshyakta hai. Jara bhi chuk nahi. Jaisa kah rahe hain vaisa pran sukshm hone lagenge. Man ekaagr hone lagega. Sharir shant hone lagega. Chanchalta rahit par ek bar pasina pasina ek bar bhishan kasht pratdin jab tak shunya avastha nahi aati sharir ki tab tak sadhak ko yahi papon ko bhasm karta hai. Yahi asan usko divyta pradan karte hain. Ab itni heet paida hoti hai uske andar. Agar sanyam se nahi hai to vyabhchari ban jaega.
bahut dhyan dene yog baat. Us samay uski kundalini, uski sushmana nadi, uski har nadi ektiv hoti hai. Us garmi se adhyatmik shakti se agar wah vybhchar ki jara bhi galti karega to kundalini ki adhogati ho jaegi. Adhogati niche ki taraf koi bhari vyabhchari ban jaega. Ye urdhagami je hi sushmana marg sanchari sushmana marg se sanchran hua aaj jeevan ke liye kam rupi vedna se mukt ho jaega. Je hi udhweta brahmachari hua sankalp hi khatm kam ka nasht ho jaega. Ek aisi paramanandmay sthiti yogi ki wahi sab bina kuch kiye ye swabhavic ho jaega.
yadi naam jap swas prashwas se kiya jae. Dhyan rakhna ek itna kathor aur ek itna sahaj shwas prashwas par dhyan hai. Har samay naam chal raha hai. Wo sab bade shital prakriti se jagrit kar dega. Kundalini jagrit ho jaegi. Sushmana marg sanchari sanchran hone lagega. Naam jap mein sab samarth virajman hai. Ye keval pravachan ki baat nahi kar raha. Anubhav ki baat kah raha hoon. Pure sharir ko jhakjhor ke rakh deti hai. Jis samay kundalni jagrit hoti hai. Yogik kriyon ke dwara aur naam ke dwara jab jagrit hoti hai to pata hi nahi chalta kab jagrit ho gayi.
ye dhyan rakho. Wahi naam se aise sahaj mein jagrit ho jati ki usko pata bhi nahi chalta ki hamare andar kundli jagrit ho gayi kya sushmana marg khul gaya hai kya khub naam mein priti sadachar purvak aasnan ka sevan ye to sad grihasth bhi kah sakte 45 minute aap sukhasan par baithe ka abhyaas karen agar thoda bhi paramarth pe kam se kam 24 ghante mein do bar asan mein baithe ka to abhyaas sukhasan aise palthi markar aise aram se ya ardh Padmasan ek tang ke upar bai tang ke upar dai tang aise chadha karke aram se ye aram asan hai jo vayovriddh hai thoda kursi ya sofa ya jaise bhi baitho par aisa nahi ki ek ek minute mein idhar udhar thoda sa shant baithe ki koshish karo jaise nirantar vishay purush vishay chintan karta hai to use vishay ki asakti prapt ho jati hai.
aise bhakt jab bhagwan naam chintan karta hai to use bhagwan mein asakti prapt ho jati hai. Jaise vishay purush vishay chintan karta hai to vishyon mein asakti ho jati hai. Jismen hai hi nahi kuch ghanit ghanit sthano mein asakti ho jati hai. Phir sacchidanand ka jab chintan hota hai to usmen asakti ho jae to kaisa anand hoga? Bhagwan mere samip hai. Anubhav ho raha hai. Bhagwan mere ko aise hazar hathon se aise ghere hue hain. Bhagwan nischay mere ko sweekar kar chuke hain. Aisa teen baten upasak ko anubhav hone lagti hai.
jiski sharanagati pusht ho gayi hai. Bhagwan mere samip hai. Dekho mahapurushon ke vachan bhagwan sahastron hathon se mujhe ghere hue hain. Bhagwan mujhe sweekar kar chuke hain. Ye teen baten sharanagat ke andar aa jati hain. Dekho aapko anubhav hota hai bhagwan mere samip hai. Agar nahi ho raha to abhi aapka koi hai isiliye nahi ho raha. Pujya shri Radha Baba kahte hain hamare shri Krishna mein ek swabhav aisa hai. Wo dusriya pasand nahi karte. Wo jisko sweekar karte hain usse ananyata ki chah rakhte hain. Maun anya cheshtaheen sharir man vani keval aradhya dev mein to anubhav hone lagega kaise prabhu hamare samip rahte hain.
ye kitne bade mahapurushon ki khuli hui baat hai. Bhagwan mere samip hai. Bhagwan mujhe shastron bhujao se dhke hue hain. Meri raksha kar rahe hain. Bhagwan mujhe sweekar kar chuke hain. Aisa sharanagat ko anubhav hota hai. Aapko yadi anubhav nahi ho raha to maun sari cheshta bhagwan ke liye sharir man aur vani prabhu ke charnon mein samarpit to aapko anubhav hoga. Prabhu mere samip hai. Anubhav hota hai. Har upasak ko jivit kaise rahe? Jo bhogon se jivit hai unki baat alag jo prabhu se jivit hai unki baat koi soch sakta hai yah to virakta kar sakta hai grihasth kaise kar sakta hai to bole grihasth sambandhi jitne karya wo sab prabhu ko arpit karo niyam se bhajan ka samay rakho itne samay thakur seva itne samay path itne samay bhajan itne samay duty itne samay apne karya samay se sab karya sansarik karyo ko bhi samay se karo aur bhagwat arpit karo jab tak dusron se krodh karte ho, dves karte ho, kapt rakhte ho, swarth bhara vihaar karte ho, abhiman bhari vani bolte ho aur lok mein dusron ki ninda karte ho, tab tak hriday mein vidyman bhagwan hone par bhi tum yah anubhav nahi kar sakte ki wo mere samip hai.
bahut amritmay vachan hai. Pata nahi aapko kaise lag rahe ho. Bilkul andar ka operation hai. Jab tak dusron se krodh karte ho, dves karte ho, kapt bhara vihaar karte ho, swarth rakhte ho, abhiman bhari baat bolte ho, dusron ki ninda karte ho to hriday mein vidyman rahne par bhi bhagwan ka anubhav nahi kar sakte ki wo mere samip hai. Brahmcharya jeevan param purusharthamay jeevan hota hai. Brahmcharya hi brahm ki prapti ka mukhya hetu hota hai. Yah mukhya hetu hota hai. Man lo jiske tyagne mein itna sukh usko rokne mein kitna sukh hoga man lo man lo.
ye daktron ki ye baat hamari samjh mein nahi aati jo ye kahte hain ki aisa karna theek hai. Hamko un logon ki baat samjh mein nahi aati jo kahte hain sarvnash ka khel khelo aur tum svasth rahoge. Bhagwan aison ki buddhi ko bachayein. Jo praman dena chahiye ki hamari nai pidhi hamari nai samaj kaise sanyam mein rahkar upar uthti hai. Koi bhi ghade mein chhed kar do bhar jae. Aisa kaise ho sakta hai? Chalni mein gaya hai. Dosh da ko de hari guru kaho na maa nahi. Kaisa kalyug badh gaya hai ki praman diya jaata hai serial nautanki natkon se aur daktron se kaisi buddhi bhrasht ho gayi hai updesh dene walon ki.
dharm shastron ki avhelna karke aise updesh dene walon ko narki gati prapt hogi. Koi bhi ho. Kyon? Kyonki wo jab aisa updesh kar raha hai to swayam uski aisi dharana hai aur vyabhchari ki gati kabhi shubh nahi ho sakti. Vyasni dhan shubh gati vyabhchari kabhi nahi ho sakti. Shastr mariyada ka nash karne wale aise log praman dete hain natkon, nautanki aur filmon ka ki aisa karna us film mein kaha gaya. Aisa karna us doctor kya hai? Sharir sambandhi angon ka gyan rakhne wala hai na ki wah paramarth ka paramarth vijay yodha hai.
wah kam, krodh, lobh, moh, mad inka operation karna janta hai kya? Itna chahe jitna tum degree le lo. Is sharir ka tum gyan rakh sakte ho. Lekin man ka aur buddhi ka paramatma tatv ka gyan prapt karne wale mahapurushon ki brahm rishiyon ki vaniyo ka khandan karne ka adhikar nahi hai. Unhin ki baat se hamara paramarth shuddh hota hai. Sharir mein jitni power shaktiya hai wah sabka antim rup virya hai. Sabka antim rup saptam dhatu ka antim rup banta hai jakar virya aur us power ka nash karne wala kabhi svasth rah sakta hai.
kaisi buddhi hai? Kaisa updesh hai? Yahan kah rahe hain ki paramarth ki shuruaat hi brahmcharya se hoti hai. Isliye chahe grihasth ho chahe virakta grihasth to sanyam se santan utatpatti ke liye bhagwat pranam karke bhagwat aradhna karke dishaon ko namaskaar karke tithi aur samay ki yogyta dekh ke santanotpatti ke liye bhagwat puja bhav rakhkar wo sanyog kiya jaata hai. Sahwas kiya jaata hai aur bhagwan ki prapti ke marg mein chalne ke liye iska sanchay kiya jaata hai. Brahmcharya param jeevan param purusharth brahmamay hai.
10,000 varsh tak brahmcharya rahkar ke Kashyap ji ne jab santanotpatti ka sankalp kiya to vinta ji se bhagwan Garud ji ka pradurbhav hua. Bhagwan arun ji ka jo surya ke sarathi aur jo hari ke vahan Garud ji arun ji phir 1000 varsh tak rahkar to bhagwan Vasuki bhagwan shesh anant phandhari inka jab jab wo sahwas karte to hazaron varsh brahmcharya rah ke to balishth devta balishth daitya sab unhin se prakashit hue Kashyap ji se brahmcharya purvak jeevan kai varsh vyatit karke naam jap karte hue phir santan to chahe balika ho chahe balak wo jagat mangal karne wala ho gaya pashu jaise aacharan se nahi brahmcharya jiska theek hai wahi chahe grihasth ho chahe virakta wahi paramarth par vijay hua hai aaj tak sadbhashan sadwachar sadbhavna nyay nishtha aadambar pakhand ka tyag wahi jakar ke dharmatma mahatma banta hai isliye bhakt ko chahiye ki brahmcharya par vishesh dhyan den aur ratri ke sone ke samay zyada savdhaan rahe.
us samay vedna kam ki jarur jagrit hoti hai. Us samay jarur dhyansth rahe. Kirtan paraayan rahe. Naam jap karte hue shayan karen aur shesh bhag ratri ka bhajan mein vyatit karen. Madhya bhag shayan ke liye shesh bhag prarambh bhajan aur uthne ke samay bhajan. Ab aap logon ki to dincharya hai ki ardh ratri se shuru ho jati hai. Shesh bhag ane hi nahi pa yah jo brahm muhurt samay kaha ja raha hai is samay to satsang ho raha hai aapka. Kitna saubhagya hai ki aap uthna chaho ya na uthna chaho aapki dincharya aisi ki aapko agar dhai teen baje nahi uthoge to aap apni dincharya nahi kar paoge.
kitna saubhagya ki shri ji ne aise hamko vivash karke sadhan mein laga diya hai. Vivash na chahe to bhi upasthit hona padega. Jo jaban ka khub lobhi hai bhojan ka swad lene wala wah tamoguni swabhav ka ho jaata hai. Wah kabhi jnendriay par vijay prapt nahi kar sakta. Kabhi brahmachari nahi ho sakta. Lekin yah baat jitendra mahapurushon mein pariksha nahi ki ja sakti. Sandhya ke samay bhojan karne se bhajan mein aruci paida ho jati. Isliye sandhya ke samay kabhi bhojan na karen. Bhojan ke samay naam jap jarur karen kyonki ek ek kaval mein jitna bar naam jap karoge sharir mein ras jaega.
wah ras aapko bhajan mein badhaega. Tv chala ke bhojan na pave. Kyonki tv ka drishya dekh ke chintan karte hue bhojan paoge. To tv mein chal raha hai wahi tumhare chintan mein chalega. Tumhen paramarth se rahit kar dega. Agar bahut kuch dekhne sunne ki aadat hai to us samay santo ke pavan charitra ki charcha suno. Koi katha chalao. Katha sunte hue bhojan pao. Agar ekagrata purvak bhajan karne ki ruchi nahi jagrit hui to satsang suno. Santo ke charit suno. Bada prabhav parta hai. Santo ki chhaviya samne rakhni chahiye.
jahan bhojan pane ka ho. Kuch sadupdesh samne rakhne chahiye. Apne yahan to bada mangalmay Radha Radha aisa naam chalta rahta hai. Ek din sabke beech mein paya bada sukh mila ki naam chalta rahta hai. Aap logon ke kan mein naam gunj raha hai. Bhojan ke pehle hath aur pair achhche se dho lena chahiye. Lang boot pahan ke bhojan pate hain to pair kya dhoenge? Hotel mein gaye aise juta pahne aise. Are pavitra jitna rakhoge utni buddhi shuddh hogi. Ab tum khade ho border pe wah baat alag hai sainik rup mein lekin sab sainik thodi hai.
bhojan pehle kaise pate the ham aapko kaise batayen aap hansoge ganv ki baat sunkar ke jab bhojan pane jaate the to upar ke vastr utar diye jaate the jo purane jan ganv ke bhale jante ho aaj ke aadhunik kya jananenge niche dhoti kanch pair hath dhokar kulla karke pata lakdi ka usko dho ke niche aise chauka laga hua hai phir ate the steel ke patr prayog nahi ho sakte rasoi mein ya kahin bhi nahi kanse ke phool ke aise patr hote jab prasad aise bhog samne aata to phir thoda sa angar rakh ke panch kaval wahan swaha swaha aur phir usko tab jakar ye kisan ki baat kah rahe hain ghar grahasti ki baat kar koi sadhu mahatma ki baat nahi kah rahe ghar grahasti ki us samay koi bol nahi sakta koi chu nahi sakta aise pavitra tab vichar pavitra tra hote tab unke chintan mein satya dharm aise achar hai pashuta ka kaun bana raha hai kaisa bana raha hai koi matlab nahi khae ja rahe hain bas charbi badi ja rahi hai pet jo hai jhukne layak nahi rah gaya hai char sidhi chadhe to aise naye-naye bachchhe naye-naye bachchhe hosh mein ye zyada motapa
jo charbi ka hai ye bahari hotlon wale bhojan sab nahi har sadhak ko do char kilometer daud lagni chahiye. 40 minute vyayam karna chahiye. Vyayam zaruri sharir ko thakana brahmcharya ke liye avashyak hai. Ab na mano to bhagwan jane. Aap kya karen? Kah hi sakte hain. Rasaswadan ke lobh se jo bhojan kiya jaata hai, wah brahmcharya mein bada hanikarak hota hai. Indriyan vash mein nahi hoti. Tamogun badh jaata hai. Sandhya ke samay bhojan nahi karna chahiye. Bhojan ke samay bhashan nahi karna chahiye. Hath pair dho ke pavitra bhav se uttar ya purv ki taraf mukh karke naam jap karte hue bhojan prasad pana chahiye.
uttar ya purv ki taraf mukh karke jo bhojan pate samay aap chintan karoge uska 24 ghante prabhav rahega. Isliye naam jap jarur karen. Kuchinta kupravritti kusang yah bhojan se badh jaate hain. Bhojan ke samay kisi dweshi purush ka chintan karke jalte hue pa rahe ho pura 24 ghante vikshep paida karega. Isiliye kaha bhakton ke charit jarur ya koi satsang ya bhagwan naam kirtan ya aise koi bhagwat bhakton ki andar se chintan vritti rakhte bhojan ke samay bahut savdhaan bhojan 24 ghante ke liye rakt banane wala padaarth ja raha hai.
us samay bahut badhiya chintan karte hue pana chahiye. Jo ek dusre se hansi majak karte hain. Jo serial tamasha nautanki ke aise dekhte hain jo chhal bhari baat karte hain. Jo dusron ke saath gande vihaar karte hain. Aise logon se bhakti karne walon ko bachna chahiye. Dusron ki charcha karna bhakti marg mein bahut hi hanikarak hai. Par charcha kisi ki nahi honi chahiye. Nahi to ninda jarur ho jati hai. Jo har samay naam jap karte hain unke sharir mein paramanu namakar paida hone lagte hain sharir se. Aise janon ke saath baithna, sambhshan karna, unke saath bhojan pana ya unki charan raj ya unka ishta ya unka kuch diya hua padaarth mile to naam jap mein badi ruchi badhti hai.
jo shant rahta hai, vad vivad nahi karta hai, bhagwat chintan paraayan hai, use hi shantakar purush kahte hain. Shakarkar shant ras wahi se jo tirthon mein bhramn karta hai uski chittritti bahut jaldi shuddh hoti hai. Par kubhavna aur paap aacharan ka tyag karke tirth bhramn yah baat tumhare man mein kabhi nahi ani chahiye ki main durbal hoon. Main grihasth hoon. Ye nahi ani chahiye. Jab koi kahta main grihasth hoon to usi samay yah bolo main bhagwan ka hoon par grihasth dharm se yukt hoon. Yah bolo adhi baat kyon bolte ho?
tum grihasth ho adhi baat hai. Puri baat hai tum shri bhagwan ke ho par tumhara grihasth dharm hai. Jaise ham priyaju ke hain par hamara virakta dharm hai. Aap priyaju ke ho aapka grihasth dharm hai. Donon apne apne dharm ka palan karke priyaju ko prapt honge. Main bahut nich hoon, durbal hoon, apvitra hoon. Yah sab baten keval bolne ki baat hai. Andar se baat rahti hai. Main priyaju hoon, jaisa bhi hoon, priyaju ka hoon. Zyada inka prabhav na padne pave andar nahi to phir nirotsahit ho jaoge.
nahi jaisa bhi hoon priyaju ka ho. Yah man ki durbalta bhajan se hatti hai. Dhairya evam utsah badhne lagta hai. Jiska naam jap chalta hai. Bhakt wahi jo keval Gurudev vakya aur bhagwat vakya par vishwas rakhta hai. Anya nahi Gurudev ke vachan aur bhagwan ke vachan. Bas yah kam, krodh ki trange man mein uthti hai. Chinta mat karo. Naam jap karo. Gurudev ke vakya par vishwas rakho. Shant ho jaengi. Dekho tumhen main bade anubhav ki baat batata hoon. Maine apne prabhu ke naam se jo prapt kiya wah hamko aur kisi sadhan se nahi mila.
main is samay mast ho raha hoon. Mahatma shri harnath thakur ji naam ke bahut bade sant hue. Main tumhen apne jeevan ke anubhav ki baat batata hoon. Main is samay bahut mast ho raha hoon naam jap ke dwara. Kabhi bhi maine suchi aur asuchi ka vichar nahi ane diya. Suchi mane hota hai pavitra. Asuchi mane hota hai apvitrata. Ki apvitra hoon ki pavitra hoon iska vichar nahi ane diya. Har samay naam jap chalta raha hai. Tumhen sachchi batave yahan na kuch pavitra hai na apvitra hai. Dekho kaisa man ka natak hai.
upar se naha liya ham samjh rahe pavitra hai aur yahi mal bhara hua hai. Yahi ek bas chaval bhar chamdi ka dhakkan hai dhaka hua nahi to yahan malashay mutrashay sab yahi hai. Bola kya pavitra ho gaya upar se pani dal resham ke thaile mein bithe bhar leo aur upar se usko naha do pavitra ho jaega kya agar tumhen pata hai ki ismen bithe bhara hai chhuoge use aur ismen bhara hai ye kitna is sharir se pyar karte ho hai kya ye ye thaila hai aur kuch nahi hai yahan bhagwan baithe yahan bhagwan baithe aur yahi pura niche sab narak kund bhara hua hai.
bhagwan se hamara koi sambandh hai jinki ham khoj kar rahe hain. Kabhi stri mein, kabhi putr mein, kabhi parivaar mein, kabhi mitra mein. Ham unhin ki khoj kar usi pyare se pyar karna chahte par samjh nahi pate. In shariron ki aad mein wo baitha hai shariron se pyar kar baithe hain aur wo jo baitha hai usse koi matlab nahi rah jaata. Isliye har bar khali hath ho jaate hain. Is bar guru kripa se pata chala ki shariron se nahi shariron ke andar baithe hue paramatma se pyar karna hai. Dekho bahut bade mahapurush ke anubhav hai.
sarvda maine apne isht ka naam jap kiya hai. Usse main mast ho gaya. Bhala kaun apne anubhav aise batata hai? Sant hi kripa karke batte hain. Kabhi bhi maine suchi asuchi ka vichar nahi kiya kyonki yah kabhi pavitra ho hi nahi sakta. Aur dusri baat main kabhi apvitra ho hi nahi sakta. Dusri baat swaroop mein hai aur pahli baat sharir mein hai. Yah kabhi pavitra ho hi nahi sakta aur main kabhi apvitra ho nahi sakta. Ishwar ansh jeev avinashi chetan amal mal rahit ye mal yukt jad mal yukt vinashi parivartnshil yah kabhi pavitra nahi ho sakta.
main kabhi apvitra nahi ho sakta. Isliye chinta ki baat nahi har samay Radha Radha Radha Radha maine is naam se wo suchitam sthiti prapt kar li hai. Suchitam mane param pavitra sthiti. Jisko main vani se nahi bata sakta. Main is naam se ek sthiti prapt ki hai jo sayan mein, swapna mein aur jagrit mein mujhe har samay duboe rahti hai. Pakdna mahapurushon ki baat pakdna. Yah Radha naam hi nahi hai. Yah mahmmahim para mantr hai. Para vidya hai. Yah naam hi tantr ka sar hai. Yah naam hi mantr ka sar hai. Ye naam hi ishwar shri Krishna ka sar hai.
Radha naam ved mantr aur yantr tantr mein sab sar ko sar tate shri sukh prakt kiyo nahi jaan sar ko param dhan Radha naam adhar is Radha naam se badhkar ke aur kuch bhi nahi hai. Shri Krishna bhi isi naam ka jap karte hain. Aur shri Krishna hi inko guru mante hain. Kinko jinka naam Radha hai. Pi ko nachan sikhwat pyari. Kai aisi Swami haridas ji maharaj ne pad likhe. Kai aise mahapur 16 chauko 64 char guna param praveen pyari jo lal jo se 16 kala shri lal jo to 64 kala param praveen shri pyari jo is naam ke ucharan se bhavar rog nivaran ho jae to sadharan baat hai.
daihik vyadhiyon ki to puchna hi kya hai? Koi bhi chinta tumhara sparsh nahi kar sakti. Koi bhi badha sparsh nahi kar sakti jiski jibhya par Radha naam hai. Meri baat man jao. Namochcharan karo. Sara sansaar tumhara hi ho jaega. Tum dekhoge sara sansaar tumhen pyar karega. Tum chidanand ras mein magan rahoge. Niranand ki chhaya bhi nahi chu sakti. Tumhen aadi bhautik aadi daivic adhyatmik koi bhi bhay nahi rahega. Sabhi bhay bhayabhit hokar bhag khade honge. Sada ke liye tum nirbhay aur nishcint ho jaoge.
isliye meri baat man lo. Naam lo naam jeev ka ekmatra kartavya uddeshya naam. Naam bhul jane par indra ka indratwa bhi narak ke saman lagne lagega. Yadi naam jap karoge to kya hai indra ke indrat mein ek bhari swapna hai accha bas jago to kuch nahi dekho naam bhulne se maya ke das ban jaoge aur naam chalne par jeevan mukt ho jaoge badi badhiya baat kah jitne kshan jio keval naam mein jio naam mein naam lekar jit jitne second tumhari svase sarthak kar lo tum bhagwat prapt ho jaoge. Naam ko bhul jane par brahmatwa aur shivatwa bhi kuch nahi hai.
sukh dukh kshan sthai hai. Isliye kisi ki fer mein mat pado. Keval naam naam lekar bhagwan shiv vishpan kar gaye. Aaj bhi gale ke niche nahi utra. Yahi hai naam nami ki apeksha naam adhik shaktishali paya gaya naam param shanti dayak hai yah mahan jaga hua samarthyshali hai naam Radha Radha dridh vishwas karo aur ye naam ratte raho bina shraddha ke bhi naam loge to tumhen bhagwat prapti kara dega. Shraddha ki baat kya? Ek kshan is sansaar mein kahin bhi shanti nahi hai. Ek kshan bhi isliye kisi ke is bhulwe mein mat pado ki amuk jagah shanti hai.
shanti tumhare hriday mein hai aur wo tumhare bhajan se hogi. Bhajan se sarvatra chir sthai shanti. Sarvatra chir anand wo keval bhajan se milega. Keval bhajan yahi ham samjhate hain. Jab ekantik mein prashn hota hai to yahi kahte hain. Kahin bhag ke chale jao shanti mile to batana tum kitna bhagoge? Yahan bachpan se bhag rahe hain. Shanti yahan mili hai. Yahan chati mein chati mein shanti mili hai. Kab? Jab gurujanon ne jo mantr diya, naam diya uska prabhav. To bole aap to Vrindavan ki mahima varnan karte rahte ho.
to hamare u Vrindavan aur yah aur yah donon ek ho gaye tabhi anand ka anubhav nahi to yahan aap dekh lo agar bhajan nahi hai to tumko kya dikhayee dega yahan bihari ji maharaj khade hain bihari ji ko dekhne wale kam milenge aapko kam milenge bahut phool dekh loge bahut idhar udhar bihari ji se aankh milane wala to koi birla hi hoga jo sidhe gaya unse aankh milaya ankhon mein bhara uchal diya wo to koi birla hoga jab tak tumhare hriday mein naam nahi chal raha puri prithvi mein ghum jao kahin shanti nahi milegi ye mahapurushon ke vachan hai chirkal tak kahin bhi tum ghum aao kahin tumhen shanti nahi milegi yadi naam jap nahi karoge tab lage kushal na jeev kah sapne man vishram jab lag bhajat Ram ko shok dham abhi samay hai abhi mrityu tumhare upar aakraman nahi kar rahi isi kshan naam jap kar lo Radha Radha Radha bhagwat prapti ho jaegi hamari baat ko achhche se samjh lo bhagwat prapti kal ke liye nahi hai aaj se hai bhagwat prapti abhi se hai narayan bola putr ke bahane se bhagwat prapti ho gayi tum janbujh ke Radha bol
rahe tumhen bhagwat prapti nahi hogi are vishwas karo bhai isliye main kahta hoon hamen hamen bahut din jine ki asha nahi rakhni. Do minute jiu, do din ji, do mahine ji, Radha Radha kah ke jiu. Isi se bhagwat prapti ho jaegi. Ab kya chinta hai? Marne ka bhi dar nahi. Abhi mar jaun Radha gaye shri ji ke paas. Jo janmajanma muni jatan karae wo abhi kam ban jaega. Main bar-bar isiliye naam jap ki baat kahta hoon ki hamari antim shwas naam mein jae. Dayamay prabhu se ham yahi prarthna karte hain ki hamari baat samjh mein aa jae sabko ki wo naam jap karna shuru kar de.
he naam jaisa apna koi mitra nahi hai. Naam sada ke liye hamare jibhya par virajman hai. Sukh dukh putr parivaar ye sab bhul bhulaiya hai. Koi hamara nahi hai. Naam hamara hai. Radha Radha Radha naam na bhulna. Shri Krishna ki sari shaktiya isi naam par virajman hai. Yah adhar hai. Yah bij hai swaroop. Yah naam vishv ka bij hai. Kay mano vakya se naam ko grahan karo. Param kartavya ki purti ho jaegi. Sare rinon se mukt ho jaoge. Naam rupi dhan se. Radha Radha Radha. Ai mitra yah naam tere nikat hai to ishwar tere saath khada hai.
mukh mein ho Ram naam tere hath mein bande tu akela nahi Ram tere saath mein naam vani jahan Shyam shyama naam jaisa koi mitra nahi. Koi bhi aisa bandhan nahi jo naam kaat na sake. Isliye param pavitra param mitra param swachchhand kar dene wala Radha Radha naam ko apna param kartavya samjho naam ko apna nij ang bana lo naam prannon se bhi adhik priy lagne lage he prannon se adhik priy keval naam hona chahiye aur kuch nahi shri Krishna ka pran hai yah naam. Jis par shri Krishna bahut prasann hote hain, usko yah naam pradan karte hain.
Radha Radha lal ranghilo gaiye tate priti rangili paie. Ae chahe jitna kasht ho tum naam mat bhulna. Chahe jitna bhay ho tum naam mat bhulna. Sansaar ka mul karan paramatma hai. Paramatma ki prapti ka mul karan naam hai. Prem mul ya naam hai. Bilkul akshar sa satya. Prem sabka prem ishwar ka prem naam. Jaise vriksh ki jad mein jal dal do pure vriksh mein pahunchta hai. Aise ishwar ka mul prem. Prem ka mul naam. Naam arthat sab kuch ho gaya. Ishwar ka mul prem kaise sarvvyapi paramatma tatv virajman hai koi kah raha tha kahan chalun bhagwan ko kaise pukaru bada atyachar ho raha hai pratyek samaj girja mein rah rahe avsar paye vachan ek kah hari vyapak sarvatra samana prem te pragat ho main jana he girja us samaj mein main bhi tha maine kaha kahin jane ki zaroorat nahi yahi prem se pukaro bhagwan vyapt hai yahi prakt ho jaenge prem se prakt aur prem kahan hai prem mul yah naam hai premi rasik japat yah naam prem magan nij ban vishram shri Harivansh jahan rahe prem mul yah naam hi prem ka mul hai aur prem se hi paramatma sakshat to sabka mul naam aaya jiska naam mitra hai uska sthavar jangam sab kuch mitra ho jaata hai isliye karanon ka bhi param karan shri Krishna aur shri Krishna ka bhi param karan Radha tatv aur Radha tatv ka sar Radha naam agam nigam puran gochar se bhi alag sahaj madhuri rup nidhi jo hai uska sar varnan kar rahe hain.
ye ham sab shastron ka sar tumhen kah rahe hain ki jo manushya shri Krishna kripa ka bhajan ban chuka hai wah bada chatur Radha naam japak ho jaata hai. Jo shri Krishna kripa ka bhajan jo shri Krishna kripa patr hai wahi Radha Radha japta hai. Dekho shastron mein bahut se bhagwat prapti ke marg batae gaye kintu yah mera anubhav kuch ko thoda apna bhi anubhav ki sab sadhan durgam aur sugam sadhan naam jo sahaj mein bhagwat prapti karata hai aur kalyug mein to aur bhi anya koi sadhan purn hona bada kathin dhyan dharana samadhi yagya aadi ke dwara vivid prakaar ke aur sadhan lekin naam jap nirvigghn bhagwat prapti kyonki is yug mein dushtata ka prachnd tandav rahta hai kalyug mein dushtata hi dushtata bada mushkil hai bhagwat prapti ke sadhno ko samyak rup se kar pana jo shastron mein upay batae gaye is kalyug mein purn hona bahut kathin hai kyonki dusht shaktiya raaksasi shaktiya bahut badh chuki keval naam hi in dusht shaktyon ko nash karke bhagwat prapti kara sakta hai.
dayalu paramatma se bhi badhkar dayalu naam shri kishori ji ka Radha Radha Radha hamen naam lene se matlab hai age ki bilkul koi chinta nahi karni. Anya kisi vastu ke liye naam ka prayog yadi na karen to jaldi labh mil jaega. Aapke paas naam hai. Aap jo chaenge uske anusaar aapko prapt ho jaega. Par naam ka jo vastvik labh anubhav mein nahi aayega. Isliye ham aapse prarthna karte hain ki vastu ke liye mehnat kar lo. Jo naam jap kar rahe ho uska kharch vastu ke liye mat karo. Iska kharch ham bhagwat prapti ke liye karenge.
naam ko cura ke rakho. Yah kimti dhan hai. Aap nahi jante hain ki naam ka kitna mulya hai. Ham sadaiv aapse yahi prarthna karte hain. Bhagwan aapki buddhi ki raksha karen aur aap naam ko cura kar rakhen, bacha ke rakhen, kharch na karen. Yah aapki bhagwat prapti ke kam mein aayega. Jo naam ko bechte rahte hain, wah prem prapt nahi kar pate. Khareedna hota hai naam se. Yah chij chahiye, naam gaya vastu ai. Kya karoge? Vastu to mehnat se kamae hue dhan se le lo. Jo andar andar naam jap kar rahe ho use bhagwan ko khareedo.
use prabhu ko prapt karo. Apne man mein jo bhagwat smaran kar rahe ho usko bacha ke rakho. Wah tumhen bhari dukho ke samay apne prabhav se dukh mita dega. Kharch bhi nahi hoga. Wo uska prabhav hai naam ka. Jaise surya ka prabhav andhkar mitata hai. Aise naam ka prabhav hai. Naam japat mangal dashu apne aap amanglon ka nash hota hai. Keval hamare dukho ka nash hi nahi mahan sukh prabhu ko pratiphal ghasit raha hai. Jaise bole Radha Radha Radha to mano kishori ji ko ek ek kadam hamari taraf badhata chala aa raha hai.
Radha naam hamare samip kishori ji aa rahi hai. Jaise ham rassi ghaseete ja rahe hain to patang aa rahi hai to patango yatha man bhrama naam jap rahe hain mano prabhu hamare nazdik aa raha hai bahut sundar par yah baat tabhi hogi jab satsang milega naam mein ruchi naam ko bchane ki yukti naam ko badhane ki yukti satsang ka itna bada prabhav hai to kusang apne aap mein koi kam nahi hai jahan aap naam ki mahima sun rahe hain. Jahan aap satsang sun rahe hain wahi aapko maya buri sangat bhi bhejegi. Apni bhakti ke virudh bolne wale, apni bhakti ke virudh bhog dene wale, apni bhakti ke virudh sikhane wale yah maya ke parsad hai.
bhakti ke nahi bahut sambhal karke. Isliye bhakt ko chahiye ki pehchan kar le ki yah maya ka parsad hai ya hari ka parsad hai. Yadi bhajan chhut raha hai sabse badhiya pehchan bhajan chhut raha hai. Prabhu ki yad bhul rahe hain to maya ka parsad hai. Koi bhi ho us kusangti se dur raho. Satsang karne wale ko kusangti ka parhej rakhna hai. Kusang ki pehchan jake sang kumti mati upjey karat bhajan mein bhang tajo re man hari vimukhan ko sang wo chahe vastu ho chahe vyakti ho agar hamare hriday mein bhajan ruk raha hai uske sang se to nischit wo maya ka parsad bhagwan ka parsad hoga to uske sang se bhajan ek tar chalne lagega aise logon se kabhi mitrata na karo jinke sang se tumhara bhagwat vismaran ho.
sadacharan chhute. Upasak sache sukh ka rahi hai. Is raah mein kusangti usko milegi. Dusht sangati aayegi. Dusht sangati ki baten na dhyan se suno na. Unko apna mitra mano. Dur se hi jake priy Ram vaidehi tajie tah koti bairi sam jad param sneh chahe wo rishte natedar ho chahe koi bhi ho jo priy mitra ka bana dhar ke kusangti aati hai yah bahut buri tarah nash karti hai isse dur rahna chahiye yadi sadhak kusangti mein apne man ko laga diya ki ab thoda rishtedar hai inse to baat karni padegi yah mitra hai aisa wo koi na koi shabd aisa dal denge jo aapki bhakti ki hani kar dega.
keval kusangi ki baton ka smaran karne se chitt mein achhche vicharon ka nash ho jaata hai. Buraian bahut shaktishali hoti hain. Achchai se bhi adhik. Kyon? Kyonki ham abhi tak zyada burai ka hi mahatva rakhte rahe hain. Isliye isliye jo abhi naam ki mahima sunai, naam ka prabhav sunaya, kusang se backar satsang ka anusaran karte hue khub naam jap kiya jae. Nidra tandra alasya pramad parcharcha par ninda in sab baton se apne ko bachakar ham vartman mein jo Radha Radha bol rahe hain hamari bhagwat prapti abhi hai hamen kal ki bilkul chinta nahi karni kal jivit rahenge to kal ka vartman bhi Radha Radha mein 100 varsh jivit rahenge to 100 varsh Radha Radha aur agar hamara ek second hai to Radha ham gaye shri ji ke paas hamari bhagwat prapti nischit hai yadi naam chal raha hai isliye savdhaan hokar satsang ka manan karo naam jap karo laukik labh koi labh nahi naam chal raha hai yah sabse bada labh hai hamari baat man jao prarthna man jao har karya karo par naam jap karte hue apne kartavya karm grihasth ke karo par naam jap karte hue naam jaisa koi labh nahi naam chhuta koi hani nahi naam chal raha hai to koi vipatti nahi aur naam chhuta to koi sampatti nahi bhari vipatti ban jaegi kaha Hanumant vipatti prabhu soi jo to sumiran bhajan hoi isliye har samay naam jap karte raho shesh charcha aa gayi shri Radha vallabh
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…