॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

maharaj ji kya aap hamen pyar nahi karte ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

alok kumar ji hathras se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan aap kahte hain ki hamare camera mein ek bhi photo nahi rahti sab delete ho jati hai to Gurudev bhagwan aapke alawa hamara kaun hai phir hamen nikunj mein kaise jagah aap in rupon ki baat karte ho ham aap sabko bahut pyar karte hain lekin aapke kurta paijama ko pyar nahi karte aapke pa shirt ko pyar nahi karte aapko pyar karte hain aise aapka kurta paijama jaise aapke sharir ke liye aise ye sharir sharir kurta paijama atma ka hai. Samjh rahe ho na hamari baat?

atma ki poshak ye sharir hai. Jaise ham pahla baniyan pahnte hain. Phir uske upar shirt pahnte hain. Phir uske upar kot pahnte hain. Puri poshak hoti hai na. Aise atma ki puri poshak hai. Karan sharir, phir sukshm sharir, phir sthul sharir, sthul kot sukshm sharir shirt karan sharir ban lekin ye tino vastr hai na ki main hoon to wastron ki photo nahi aati aapse pyar hai jo aap hai wahi aap hai jo aap hai wahi aap hai hamari baat samjh mein aa rahi jo aap hai wahi aap hai jo aap hai wahi aap hai aur aap hi mere pritam hai to wo wo to base hue hain.

ab dusri photo kahan se samae? Dharmashala jab bhar jati hai to yatriyon ko wapas kar diya jaata hai. Pi murti nainan base te rasrae samae. Ye lakshan sun prem ke aur na kachu suhaye. Jab Priya pritam manas patal par chhaa gaye to aap hi aap hain. Aap hi aap hain. Isliye ham aapse bahut pyar karte hain. Na ki aapki poshak se. Yah sab poshak hain aur yah sab mitne wali hai. Yah na pehle thi na age rheng. Beech mein kuch dino ke liye hai. Iske baad nasht ho jaengi. Mante ho ye baat ki nahi? Isiliye in poshakon par ham pyar nahi karte.

in poshakon ko jo pahne wale aap hain aapko bahut pyar karte hain. Aapse pyar karte hain. Aur jo aapka swaroop hai wo aapka swaroop hai. Jo aapka swaroop hai. Wahi aapka swaroop hai. Bas ye samjh mein nahi aaya. Isiliye aisa laga ham to apne aap ko jante nahi. Haan yahi yahi kaha na ye samjh mein nahi aaya. Isiliye laga ki maharaj ji to kisi ko pyar hi nahi karte. Nahi ham sabko bahut pyar karte hain. Sacha pyar karte hain. Kisi swarth se pyar nahi karte ki aap kuch den to main aapko pyar karun. Bilkul niswarth pyar aapse hai aur aap sabka kalyan ho.

aap sab sukhi rahe. Aap sab svasth rahe. Bas yahi hamari bhavna hai. Ye jo ham baithkar ke pravachan karte hain, iska hamara uddeshya yahi hai ki aap sab svasth ho. Mansik aur shareerik aapke andar buddhi ka vikas ho. Aap chinta shok se bache. Aap bhagwan ke pyare bane. Bhagwan aapko pyar karen. Aapko dular karen aur sab sukh aapko prapt ho. Wo isliye charcha ye vihaar karte hain. To agar ham pyar na karte hote to aapko samay kyon dete? Samay ki koi fees hai aur samay bada kimti hai to apna ham kimti samay aapko de rahe hain to aapke mangal ke liye aapke kalyan ke liye aapke sukh ke liye to aapko pyar karte tabhi to samay de rahe hain aapko ham apna samay chhod ke apne prabhu ka nij chintan chhod ke ham aapse baat kar rahe hain.

aapko samay de rahe hain. Chahe sharir kashtprad ho chahe jaisi paristhiti ho to ham aapse pyar hi to karte hain. Tabhi to aapko samay de rahe hain. Ham bahut pyar karte hain aapse. Par aapki poshak se nahi aapse pyar karte hain. Bas ye baat samjh lo. Aapki shariron se nahi atma swaroop haan ham atma swaroop se pyar karte hain. Sharir rup se pyar nahi. Sharir rup se pyar karenge to ham mein tum mein antar kya rah jaega? To maharaj ji jaise hamen agar apni atma ka bodh ho jaega to ham aapse mil lenge.

bilkul aap apne paas hi dekhenge. Aap apne paas hi de yahi to bhed hai. Shariron ka hi to bhed hai. Sharir hi to dvait mein bandhe hue hain. Isliye khub isse mehnat karo. Dharm purvak rashtr ki seva karo aur naam jap karo to aap apne swaroop 24 ghante ka samay ek minute mein bit jaata hai. Bas itna bilkul bilkul bilkul aap lage raho. Aap chinta na karo lage raho. Haan lage raho. Karat karat abhyaas ke jadmat hot sujan rassi aavat jat hi sir par hot. Aur jab patthar par chinh ban jaata hai to hamari buddhi bhagavdagar kyon nahi ho jaegi?

yadi ham Radha Radha japenege to hamara mangal kyon nahi ho jaega?

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…