yamuna ji ka prakty, mahima aur aradhna ke phal // 23/10/2025
shri dham Vrindavan par pujya maharaj ji ke vachan — upar video mein sunen.
pura pravachan
jai jai Radha vallabh guru Harivansh jai jai guru Vrindavan guru van chandra jai jai Radha vallabh guruvar jai jai guru guru Vrindavan guru ban chand jai jai Radha vallabh shri Harivansh jai jai shri Vrindavan shri van chandra jai jai Radha vallabh shri hariv shri Vrindavan shri vrindavnshvri tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam nirvapay param shital mashyam param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy pran priy yugal sarkar shri shyama Shyam samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi parikar priyal ki param priy sakhi shri yamuna ji jab tak yamuna ji ki kripa nahi hoti tab tak durant moh ka nash hokar shyama Shyam ke prati priti nahi hoti.
yamuna ji kripa karen swamini ji ke charnon mein rati sahaj ho jae. Badi kripalu yamuna ji hain. Inka pradurbhav krishnavay krishnay shatam namah namah shri Krishna rup krishnabhyam namo namah yah paap pank kalank kutsita kam kusuklim karoti Vrindavan dham dadadda tasmai nadan milindad Kalind Nandini Krishna sakshat Krishna Rupa twamev vega varte vartase mats rupi urma umma kur rupi sadate vido vido bhati Govind deva ye yamuna ji bhagwan sacchidanand shri Krishna chandra ji ke baye kandhe se prakt hui jaise ganga ji prabhu ka charanamrit wahi ganga ji bani.
jab vaman bhagwan ne shri charan brahmlok tak padhraya to brahma ji ne dekha bade-bade munio ke dhyan ka vishay jo charnarvind hain wo brahmlok mein padhare to agwani kari aur charanamrit utar ke kamdal mein virajman kiya. Wahi charanamrit bhageerath ji ne tapasya ke dwara bhagwan shiv ko prasann karke is bhutla par ganga rup se aur yamuna ji bhagwan shri Krishna ke baye kandhe se prakt hui. Isiliye inka naam ek krishna hai. Inme turant moh nash karne ki bahut badi samarth hai. Jo moh prabhu ke prem marg mein bhakti marg mein bahut hi badhak hai.
moh gaye bin Ram pad ho na dridh anurag. Anurag mane prem. Prabhu ke charnarvind mein dridh prem tabhi hota hai jab moh ka nash ho jaata hai. To yamuna ji to jad se moh ka nash kar deti hain. Isiliye shri Krishna swarupni hai. He yamuna ji aapko barambar namaskaar hai. Koi kitna bhi bada papi kyon na ho, paap pankh mein duba hua ho, kutsit ho, kalanki ho, kami ho, kubuddhi ho, sant purushan se sambhshan karne yogya bhi na ho, wah bhi yadi yamuna ji ka snaan, achman, vandna karen to shri yamuna ji use bhagwan Govind se mila dete hain.
prabhu se mila deti hain aur Vrindavan dhamam dadti tasmai use Vrindavan ka akhand vasi bana deti hain jo papi nich kalanki bhagwat swaroop santo se sambhshan karne yogya bhi nahi aise ko paramdhaam Vrindavan aur Govind se mila dete hain. Isse badi baat kya ho gayi jo bhagwan se mila den yamuna ji samasth moh ka nash kar den param pavan Vrindavan dham ka vas pradan karen he Krishna he yamune tum hi sakshat shri Krishna swaroopa ho arthat swayam bhagwan shri Krishna hi yamuna ji ke rup mein pravahit hai. Aap hi mahapralay mein matsya rup dharan karti ho.
aap hi kur rup dharan karti ho. Tumhare bindu bindu mein Govind ka prem chhupa hua hai. Aa bindu bindu bhati Govind deva yamuna ji ko aisa na dekho ki malin ho gayi. Yamuna ko malin kar sake. Aisa tribhuvan mein koi malinta hi nahi hai. Hamare netr malin hai. Hamara vihaar yamuna ji se malin hai. Isliye ham yamuna ji ki pavanta par sandeh karte hain ki ab wo yamuna ji nahi rahi. Nahi ham bahar se ane wali yamuna ji ki baat nahi karte. Ham Vrindavan ke yamuna ji ki baat kar rahe hain jinke kan kan mein Govind prem chhupa hua hai.
bindu bindau bhati Govind deva yamuna ji kripa karen bahut jaldi bhagwat prem prakashit ho jae. Yamuna ji ka ek naam tatni hai kyonki Vrindavan ke charon taraf ghere hue hain. Kundlakar kanknakar idhar dekho to yamuna ji idhar dekho to yamuna ji yamuna ji Vrindavan ko ghere hue hain. Ghaneebhut jaise Shyam sundar ke shri ang ki kant aise hi shri yamuna ji ki ang kant hai. Bilkul jaise prabhu ke shri ang ki kant aise shri yamuna ji ki hai. Sampurn brahmand mein jitni bhi jal rashi hai sabse pavan prem pradayni vija nadi ko bhi piche karke jo Golok mein virajman hai.
bhumandal par shri yamuna ji pravahit ho rahi hai. Bade-bade bramhandon mein, dev nagron mein, parvaton mein bahut se pavitra sthan hai, tirth sthan hai mangalmay. Lekin Vrindavan mein virajman jo apni tarang malaon se Priya pritam ko sukh pahuncha rahe hain. Aisi yamuna ji ki koi samanta nahi kar sakta. Prabhu ke baye kandhe se prakt hokar Kalind parvat par giri aur Kalind parvat se pavan karte hue Vrindavan mein jo yamuna ji hain inme akar mili jo Kalind parvat se pavan karte hue aati hain. Wah dwarikadish ki asht patraniyon mein ek hai kalindi ji.
jo Vrindavan mein virajman yamuna ji hai sahachari hai shiv Priya pritam ki jo ek kadam bhi Vrindavan se bahar nahi jati jo Kalind parvat se Kalind Nandini ji akar mili to isliye yahan bhi Kalind Nandini kaha jaata hai unko aur yahan se phir jakar prayag mein ganga ji mein mil jati hai lekin hamare Vrindavan ki jo Priyaju ki sahachari yamuna ji hai wo yahi virajman hai mandalakar Vrindavan ko charon taraf se ghere hue Priya pritam ko sukh pahunchati hain. He yamune aap badi divya hain. Aapka naam jab yamuna yamuna yamuna aise kan mein parta hai to paap ke samuhon ka nash ho jaata hai.
Yamraj kabhi uske samip nahi aa sakte. Lok mein yamuna ji ka pradurbhav bhagwan surya ki putri ke rup mein bhi hai. Vivid anant kathayen hain. Jaise ganga ji ko janwi kaha gaya to janm rishi pi gaye aur unko phir prakt kiya to unki putri ke rup mein janwi bhageerath ji laye bhagirathi kaha jaata hai ganga ji ko. Aise shri yamuna ji ke bhi vishay mul praag durbhav bhagwan shri Krishna ke vamang se hua. Phir surya ki putri surya ke do santan judwa hue. Yam yami yam Yamraj aur yami yamuna ji. Isiliye surya Nandni bhi kaha gaya.
he yamune tumhara bhutla par divya rup hai. Jo aapka naam kirtan karta hai, sunta hai uske sare paap nash kar deti hain. Aur uska jeevan param pavitra, vani pavitra, hriday pavitra. Ek bar jo vani se yamuna ji bol deta hai to use Yamraj kabhi dand nahi dete. Aaj badi mahima hai ki agar bhai bahan vishram ghat yamuna mein snaan karte hain bada mangal hota hai. Papon ka nash hota kabhi Yampuri ka unko darshan nahi hoga. Kabhi Yamraj unko dand nahi denge. Aaj yamadti kahi jati hai yamuna ji lochna aur yahi palat kar dakshina mein bhet mein Yamraj ji dete hain ki jo tumhara pujan karega snaan karega achman karega tumhara naam lega chahe jitna bada papi raha ho use kabhi mera bhay nahi rahega ye bhet di hai dwiteeya mein aaj jo yam dwiteeya kahi jati hai yamuna ji ne bhai rup mein jab hai hi bhai to unka pujan kiya to bhet mein diya jo aapka darshan karta hai smaran karta hai wo kitna bhi dandniy paap kiya ho wo adandneey ho jaata hai use kabhi Yamraj dand
nahi dete tumhare bhai surya putr Yamraj ke nagar mein tumhara ek priy naam hai prachanda ghar ke jaise naam nahi hote to yamuna ji ka naam prachanda arthat itni prachnd hai ki Yamraj bhi darte hain aur ati dandniy ko bhi jo yamuna ji ki sharan mein chala jae ek bar yamuna naam kan mein pare ek bar yamuna ji ki dhara ko dekha achman kiya avgahan kiya wo Yamraj kabhi use dand nahi denge kyonki wahan prachanda naam se mahima vikhyat hai shri yamuna ji ki Yampuri mein jo vishay rupi andhkar ke kue mein pare hue hain jise kal rupi paap rupi chuha nigalne ke liye kali nagin ki tarah avidya use grasit kar rahi hai.
andhkar sansaar ke kue mein para bhogon mein kal uski ayu ko nasht kar raha hai. Paap usko nigalne ke liye avidya aise vistar rup dand pradand vipatti dukh chinta shok bhay aise purush ke bhi bchane ke liye aap mano jaise kue mein para hua koi to use rassi chahiye niklne ki to aapki veni usko bhavkup se niklne mein samarth hai. He Nilmani ki mala surekhi yamuna ji bhagwan shri Krishna ki tum Vallabha ho ati durlabh ho param saubhagyavti ho aur shri Radha kishori ki priy sakhi ho he yamuna bhutla mein wah manushya dhanya hai jo aapki aradhna karte hain.
aapka avgahan karte hain. Gaun ke samuday ke sahit gop gopiyon ke sahit aap sukh pradan karte gaun ko gop gopiyon ko gopiyon ke saath bhagwan jal krida karte hain. Yamuna ji ke pavan tat par hi bhagwan ki madhur madhur divya leela hoti hain. He Krishna prbh yamuna ji ka kya naam Krishna prbh Krishna ka prabhav hriday mein prakashit kar de. Tumhare tat par jo golakar aapka swaroop hai wah taal trangon se kalkal karta rahta hai. Wo sada jeevan ki durti ka nash karta hai. Yamuna ka pravah darshan papon ka nash karna hai.
tum durgam kunj nikunjon ke samip durgam jahan bade-bade rishi munio ke dhyan ka bhi pravesh nahi wahan pravahit ho rahi. Aapke samip par gunjaron mayuron ki keki dhvani kokila ki dhvani aur prabhu shri Krishna ki barshi dhvani aapke pavan tat par gunjti rahti hai. Sharir mein jitne rom hain ya jitne rom hai utni jibhyaen ho dharti mein jitne kan hain bade-bade sant mahatma se lekar bhagwan shesh ji tak jin shri Krishna ki mahima ka gaan nahi kar sakte purn rup se wo shri Krishna tumhare adhin hai yamuna ji ke adhin hai he Kalind giri Nandini yamuna ham aapka stavan karte hue aapko bar-bar namaskaar karte hain.
jo prat kalin brahm muhurt mein uthkar yamuna ji ka chintan yamuna ji ka stavan to is bhutla mein wo sarvottam gati ko prapt hoga. Lok mein bhi unnati aur paramdhaam Vrindavan ki prapti. Mahaprabhu shri Harivansh chandra ji ne jab Vrindavan aae to yamuna ji ki shobha ka jo darshan hua shri ji ki kripa se jo yamuna ji ki mahima prakashit hui to phal stuti mein kaha yahav Radhika pate pda bhakti muttama pragat sharir mein shyama Shyam ki uttam dasata prakt hogi aur phir sharir bhav rahit hone par sahachari bhav ka pradurbhav kar denge yamuna ji yahi Radhika pate pda bhakti muttama mava dhruvam bhavet partr ta priynuga priyga shiv priyaju ki dasi sahachari param dhruv satya baat hai ki jis Yamunastaka ki phal stuti mahaprabhu kah rahe hain agar ise teen bar roz gaya jae to uttam Radha vallabh lal ki prem lakshna bhakti prakt hogi aur use deh bhav rahit bhav deh ki prapti arthat sahachari swaroop ki prapti ho jaegi.
keval teen bar karna hai. Mahaprabhu shri yamuna ji ki mahima ka gaan karte hue kahte hain brajadhraj nandna buda gat chandna nale gandh vahini bhava bij dahni jagat aswani las sudha payashni bhaje Kalind Nandni durant moh bhanjini shri yamuna naveen megh ke saman kant wale shri Brajraj nandan ke sharir mein aur shri Priyaju ke shri ang mein laga hua angrak chandan jab priyal snaan karte yamuna ji ka avgahan karte hain to priyal ke shri ang mein laga hua angrag chandan usko lekar pravahit hoti hai. Kitna param pavan brajadhiraj nandna shri Priya pritam vrishabhan ji bhi brijadhiraj hain aur nand Baba bhi hai donon ke ladle shri ladli lal jo braj leela aur shyama Shyam jo nau nivraat nikunj leela Priya pritam ke shri ang ka ang angrag chandan lekar apne pravah mein pravahit hone wali jagat yashaswani tribhuvan mein jinka yash prakashit hai ya jo inki aradhna karen to tribhuvan mein yash ko prapt ho jae bhava bij dahiyni agla janm hone ka jo karm bij sanskar jama usko yamuna na ji bhasm kar dete hain.
are ham kahte 10 20 50 bar bhagwat prapti honi hoti to apne logon ko ho jae. Itna bada power apne paas hai. Par ham apne upasna ko bhulkar apne bhav ko bhulkar jagat ke bahut bahut galti ho rahi hai. Bahut truti ho rahi hai. Priya pritam ke shri ang ka angrag chandan lekar pravahit hoti hai. Samarth itni hai. Bhava bij dahni jo Yamunastaka teen bar Yamunastaka kitna samay lagta hai kitna samay lagta hai panch sat minute bolo sat trik 21 21 minute de do janm nahi hoga agla bhagwan apne vachno se zyada apne premi mahapurushon ke apno paran visar bhagat ko purv paran nibhau phir ye to acharya jinke adhin bhagwan hai wah kah rahe hain agar teen bar Yamunastaka ka gaan hua to isi janm mein Radha vallabh lal ki uttama prem lakshna bhakti aur Priya dasi ka thesak sahachari bhav ki prapti chalo yah nahi chahiye to mukt ho jaoge bhava bij dahni jo janm maran ka sanchit karm jama hai bhasm kar dengi yamuna ji agla janm hi nahi hoga.
vishwas karo bhagwan apne se zyada apne premi mahapurushon ke vachno ka palan karte hain. Bhishma ji ne jab kaha ki main ganga putr shantan putr Bhishma nahi kahlaunga. Yadi kal tumhen ranbhumi mein astr lene ke liye vivash na kar du. To bhagwan muskura kar bole mujhe apna pran chhorne mein aur apne bhakt ka pran palan karne mein koi sankoch nahi lagta. Main vaisa hi karunga jaisa tum kah rahe ho. Lekin kal tumhen pandavo ke bad layak nahi rakhunga. Tum apna pran visar dunga. Tumhare pran ka palan karunga.
lekin apne bhakt sharanagat pandavo ka bal banka nahi hone dunga. Apne priyjanon ke vachno ko bhagwan kabhi talte nahi. Kaisa bhi ho agar teen bar Yamunastaka ka path karega agla janm nahi hoga. Bhava bij dahni jagat last sudha tino loko mein uska yash prakashit ho jaega. Jo yamuna ji ka avgahan archan vandan stotr gayan last sudha paysim shri yamuna ji ka jal amrit hai. Amrit jal agar aap yamuna ji ka darshan karte hain. Do bund hi achman karte hain. Ab ham kaise aapko wahi yamuna ji hai jo priyal ko sukh pahunchati hain.
apna apna bhav hota hai. Aapko jo dikhayee deta hai wah dekhte ho. Us din yamuna ji ke jab lal ladli ko snaan kara kar baithe aisa lag raha tha ki kitna durbhagya hai main roz yamuna ji ne ka darshan aur avgahan nahi kar sakta bhid abhi niklo abhi bhid ye yash kirti koi bahut mangalmay baat nahi hai ye to bhagwan ki leela hai swatantrata ka nash ho jaata hai ekant baithkar ke Priya priyal ka chintan yamuna ji ke jal mein yahan tak khade hokar kabhi nij mantr jap ke dekho kaisa lagta hai. Aise pran vyakul hone lagte hain.
anand mein pran vyakul hone lagte hain. Par phir koi aaspas apna nahi hona chahiye. Yani bar-bar vikshep wo khada hai. Wo chilla ke rone ka man hota hai. Aisa anand dhara yamuna ras rani hai. Aise hi bhav mein argh de rahe the. Acharya charan ka jo hit sajni swaroop hai. Yamuna ji mein hi khade khade aise purv ki baat yamuna ji badi samarthyamai hai. Amrit jal pravahit last sudham aisi yamuna ji ka jo statra gayan karega yah durant moh ka nash karke Kalind Nandni yamuna ji use priyal ka prem pradan karte hain.
hai kaun? Rasai shi Radhika pda bhakti sadhika tadang rag pinjar prabhat punj manjula swaroop shanti shobhitam kritam janadhna bhaje Kalind Nandni dar moh bhini ras ki sima hai hamari swamini ji Priya jo ras ki samudra hai shri lal jo maharaj ras ghan mohan murti ghni bhut ras ka swaroop aur ras ki sima hai charm sima hai hamari pyari jo yadyapi jise ved kahte hain ras raso vai rasam landi bhavtu wahi paramatma do rupon mein prakt hua shri Radha aur lal jo Radha lal ke rup mein ek hi param tatv hai raso yah parmanand ek ev sada shri Radha Krishna rupabhyam tas tasmai namo namah do rup dharan kiye hue wo parmanand ras tatv jise ved kahta hai raso vai ras swaroop hai rasam landi bhavat jo us ras ko prapt kar leta hai wo anand anand mein dubta rahta hai to ras ki murat do ye rasik ladli lal donon ek hi ras hai prem prem donon ek dusre kit ko churate rahte hain.
nagri nau kishor mithun manas chor nagri priyaju nau kishor lalju donon ek dusre ke man ko churate rahte hain. Chitt ko churate rahte hain. Koi kam nahi kyonki donon ek hi tatv hai. Do chakor do chandrama do al pankaj do aisa rup gun ubhay gungan matra badhta hi rahta hai rup gun inka rup inka lawanya Lalaju ka lawanya lawanya ki had rup ki had ladli aur badhta rahta hai ladli ju ka rup Lalaju ka lawanya ne Lalaju ke lawanya mein Priyaju chakori bani hui hai. Priyaju ke rup mein lal jo chakor bane hue hain.
lal markat man chhabeelo tum jo kanchan gat bani shrihit Harivansh jori ubhay gungan mat aisi samanta hote hue bhi ras ki pipasa lal ju mein aur ras ka dan shri ladli jo isiliye dan dari naval kishori mangat lal ladlo nagar pragat bh din ki chori maharani jo dan deti hai prem ras ka aur uska upbhog karne wale bhokta shri lal jo maharaj hain. Isliye rasik seem Radhika jin bhagwan shri Krishna chandra ji ke charnarvind ka dhyan brahma shankar aadi sadaiv prayatnsil hokar karte rahte hain. Aur jab dhyan mein inke charnarvind ate hain to un dasha prem ki ho jati hai.
dem sada paribhgashta doham teethas padam shiv natam sharanyam yah hamare bhagwan ke charnarvind ki mahima aise shri charan wale prabhu pyari ke charnon ko kar kamal mein Pitambar dharan karke aise darshan karte hain. Mastak par chhuvate hain aur hriday mein arpit karte hain. Hriday mein arpit karte hi unke smar tap ka saman hota hai. Hridpitam madhupte smar tap mugram nirwapat param shital mashray ek tatv hote hue bhi lal jo maharaj pyari ke charan chap rahe hain. Ye nikunj jahan yamuna mandalakar kundlakar pravahit ho rahi yahan ki rasaeek Shri ma Radhika jinke swayam charan chap rahe lal chapat charan mohan lal kunwar Radhe palang paudhi sundari nau bal kabahu kar gaye nain lavat kabahu chhuavat bhaal nanddas prabhu chavi vilokat priti ke pratipal dhan dhan Radhika ke charan subhag shital ati sukomal kamal ke se varan dhan dhan Radhika ke charan nakh chandra Charu anup rajit vivid shobha dharan kit napur kunj bihrat param kautuk tar nand sut manmodkari virah sagar taran das parmanand chhin chhin Shyam jinki sharan dhan dhan Radhika ke charan rasaeek seem Radhika ras samudra lal jo jahan ras ki yachna karte hain mangat lal ladlo nagar pragat bhai din ki chori dan deri naval kishori jake adhin sada hi sanvro ya braj ko sirtaj hamare mai shyamaju ko raj aisi maharani ke charnon mein prem ye kisi sadhna se nahi ho sakta sadhna se nahi ho sakta.
ye kripa se hota hai. Yah kripa shri yamuna ras rani pradan karenge. Rasik seem Radhika pda bhakti sadhika ras ki sima shri ladli jo maharaj ke charan kamlo ki prem lakshna bhakti pradan karne mein samarth hai yamuna ras rani. Tadang rag pinjar prabhat punj manjulam unhee shri kishori jo ke kapol par virajman patraavli vaksha tal mein virajman kasturi angon mein virajman angrag isko lekar pravahit hoti hai. Tadang rag tadang shri ladli ji ke ang ke rag jo chandan hai angrag hai kasturi hai patraavli jab avgahan karti hai to yamuna ji ye pravahit hoti hai surach shobhitam kritam janadhganjna jo apni prabha se Priya pritam ko lubhayaman karti hain yamuna ji aisa sundar nirmal sugandhat jal kyonki shwet neel arun swarnnim aise kamlo ki samuh ke samuh aur unka parag jab to lahron se tarangayman vayu mast karti hai.
Priya pritam ki ghendra ko akarshit karti hai. Aisi samarth wali ki jo prabhu ko akarshit karti hai. Aur jo yamuna ji ki sharan mein ho jaata hai yamuna ji ka yah stotr gayan karta hai kritam janadhanjnam jan ke samasth dukho papon vipattiyon ka ganjan kar deti nash kar deti hai shri yamuna rasurani jo durant moh ka nash karke Priya pritam ke charnon ki prem lakshna bhakti pradan karti hai. Aisi yamuna ji ka main bhajan karta hoon. Brajendra su Radhika hadi prap mano mahsa puyo riva teevr vegta bah samo chalan nav pravah rupni maham bhaje Kalind Nandni durant moh bhanjini brajendra sun aur Radhika shri Lalaju aur priyaju ke hriday mein jo purn rup se bhara hua prem hai wahi uchchhalit hokar yamuna ji ke rup mein yahan pravahit ho raha hai samjhe shri Krishna vamang sambhuta kalindgiri mein girna aur wahan se pravahit hokar akar hamari Vrindavan ki yamuna ras rani mein milna hamari yamuna ji kaise prakt hui Vrindavan ki brajendra son Radhika hrid prapyo mahsa pur rivavegta shri Priya Priya pritam ji ke hriday mein jo purn prem hai wah jab ullasit hua to wahi bahar shri yamuna ji ke rup mein Vrindavan mein hi virajman hai.
ye bahar nahi jati. Bahar se jo yamuna ji ai hai wo bahar nikalkar prayag mein milti hain. Jakar yah nitya naveen nutan prem pravah shri yamuna ji ladli lal ke hriday ka prem uchchhalit hua wahi hai. Shri yamuna ji kathin moh ka nash karke shri Priya pritam ke charnon mein prem pradan karti hain. Apne veg se mahasagar ki tarah ullasit hoti rahti hai. Aisi yamuna ji ka main bhajan karta hoon. Vichitra ratna bas sa tata shri jala vichitra hans sarsa jan paksh sankula vichitra mekhla krita din palita bhaje Kalind Nandni durant moh bhini donon tat bade ujjwal hai ujjwal prem prakashit karne wale waise bhi swaksh yamuna ji bhagwat rishi ji ne likha hai kahin koi kuda karkat kichad nahi jab Priya pritam jal ke liye karte hain to sampurn yamuna ji raksha sthal se divya aur jab jal vihar nauka vihar karte hain to atha agadh wahi jal ho jaata hai.
jaisi ruchi yugal sarkar ki waise yamuna ji rachna rachti hai. Badi vichitra hai vichitra ratnabaddha satva shri ujjalam vichitra jo parthiv buddhi se nahi samjha ja sakta priyal kripa karen hamari buddhi unke charnon se jude to wo pavitra buddhi jo yog ko prapt hai wo yamuna ji ki mahima ko dekh sakta hai jaan sakta hai jinke donon tat ujjwal kant fail rahi hai aur divya ratnnon se abaddha hai. Ye koi kahavat nahi hai. Badshah Akbar jab Swami haridas ji ke charnon mein pranam kiya taj rakha tab kaha hamari ichchha hoti ki ham aapki koi seva karen.
unka kya seva karoge aap jo aap agyaa karen dekha isko badshah hone ka ahankaar hai jao kesi ghat yamuna ji ki ek sidhi tuti hui hai usko theek karva do haan maharaj aap samrat Akbar se baat kar rahe hain pure Vrindavan ko naya nirman are pehle sidhi theek karo jake jab gaya to Swami ji ke pratap se divya Vrindavan ki sidhi ko dekh jo dekha ghabda gaya laut ke aaya bola hamari samarth nahi kyonki aise ratna vishv mein hai hi nahi jin ratnnon se badh seedhiyan hai wo ratna hi nahi to unko theek kaise karae ahankaar choor ho gaya badshah hone ka vichitra ratna vichitra ratna badh satva jalam divya vichitra ratnnon se bandhi hui ghat seedhiyan gumbaj adbhut kant fail rahi hai aur vichitra hans sarsa anant paksh sankulam anant pakshi ke samuday shri yamuna ji ka sevan kar rahe hain hans mandli saras mandli bahut se pakshi aur machhliyan to rang birangi swarnnim rang ki arun rang ki vivid rang ki machhliyan uchhli kyonki kyonki Priya pritam ko sukh pahunchane ke liye hai na to vichitra meen
melam jo kahin brahma ki rachna mein machhli nahi hai wo sab yamuna ji mein jahan hamare Priya pritam keli karte ye parthiv rup dekh rahe ho inka ek chidanand rup hai vichitra meen melam kritati din palitam jo dainya hokar ke yamuna ji ko pukara sharan mein gaya uska palan kiya yamuna ji ne uski janmjanm ki daridrata mita di aur moh ka nash karke Priya pritam ke charnon ki prem lakshna bhakti pradan ki aisi shri yamuna ji ka main bhajan karta hoon vika Shri yaa hare muda kripa swarupni vishu bhaktila pare rasatmika vidu sudha sutaukik parevar rupni bhaje Kalind Nandni dur moh bhajni shri yamuna ji vahantikam Shri ma hare muda kripa swarupni shri hari Lalaju maharaj jaisi Shyam ka waise shri yamuna ji ki yamuna ji lal ji ke shri ang ki shobha swarupini hai aur sakshat ye krishnamay hai Krishna swaroop hi hai yamuna ji ka jal bhi Krishna ji ke shri ang ki kant jaisa paresh varn rupni aur swayam hai bhi Krishna swaroop jo param rasmei hai ujjwal vishuddh bhakti swaroopa hai jo premamart ki alaukik
dhara hai vika shri hare muda kripa swaroop vishuddh bhakti mujjalam swayam vishuddh bhakti hriday mein dharan karti kyonki Priya pritam ki sahachari hai aur jo inka sevan karta hai use vishuddh bhakti pradan karti hai. Alaukik shri yamuna ji durant moh ka nash karke Priya pritam ke prem lakshna bhakti pradan karti hai. Shri yamuna ji ka ham bhajan karte hain. Surendra vrind vandita rasadte vane sadolab madhwa bhut tadam ativlo chal tarang do lata bhaje Kalind Nandni durant moh bhanjini bade-bade devta indra aadi shri yamuna ji ki dhara ko pranam karte hain stotr karte hain vandna karte hain aur shri Krishna ke saman rasonmat hai yamuna ji Priya ji ki param kripa yamuna ras rani par hai.
dekho kal charcha mein suna tha shri ji ne kaha ham bhutla par tabhi chaleng jab yamuna ras rani aur hamara pran priy Vrindavan hoga agar Vrindavan nahi giriraj nahi yamuna ras rani nahi to ham bhutla par nahi chalenge shri Krishna ke saman raso mat hai madhwa bhut sadas madam shri Krishna ke saman prem unmad mein rahti hain yamuna ji aur rasbhumi shri Vrindavan ki adbhut ras ki prapti karane wali hain. Shri yamuna ji apni tarang rupi bhujaye uthakar will hokar mano Priya pritam ko pukarti rahti hai. Jo durant moh ka nash karke shri Priya pritam ke charnon mein prem lakshna bhakti pradan karte hain.
shri shri yamuna ji ka ham bhajan karte hain. Praphul pankjanna lasan kshana rathangna yugmak tani mudar hansika nitam char rosha hare Priya rasol bhaje Kalind Nandni durant moh bhanjini praphulla pankh jalna shri yamuna ji mein khile hue kamlo ki adbhut shobha to shri yamuna ji ka mukharvind bhi neel kamal ke saman hai. Khile hue neelakmal ke saman aur unke netr jinke netron mein Priya pritam samae hue hain un yamuna ji ke netron ka kya varnan koi kar sakta hai? Adbhut vishal netr neel kamal ke saman chikne kapol adbhut rup yamuna ji ka chakwa chakravat aadi pakshi jodi ki jodi wahan khel rahe yamuna ji ke pavan tat par hans krida kar rahe hain.
donon tat hi mano yamuna ji ke nitam hai. Shri hari Priya shri kishori ji ke prem ras se ujjwal bani hui shri yamuna ras rani jo durant moh ka nash karke Priya pritam ki prem lakshna bhakti pradan karti hai. Aisi shri yamuna ji ka main bhajan karta hoon. Samasth ved mastak ragamya vaibhava sada maha mundra Narda sadaiv bhavita atulya pamre rapi shatam pum sharda bhaje Kalind Nandni durant moh bhajini samasth ved mastak ragamya vaibhwam sada vedon ke mastak swaroop Upnishad bhi jahan pravesh nahi pate aise prem ras priyal ki prem ras krida vaibhav ki swamini shri yamuna ji maharani hai jinka vaibhav samasth upnishdon ke liye bhi agamya hai kyonki priyal ka jo prem ras hai wahan vedant ka bhi pravesh nahi hai.
nardad mahammuni indra jan jiska dhyan karke gaan karte hain par pravesh unke liye bhi nahi. Dev brahma har bhaktada Radha madhupati sudhitam jahan bade-bade devta aur bhakton ka bhi pravesh nahi keval sahachari bhaap mahapurushon ka wo shri navni nikunj Vrindavan ki ras ki datri shri yamuna ras rani apna aashray lene wala chahe kitna pamar nich purush kyon na ho use prem pradan karte hain. Priyal ki nitya leela mein pravesh pradan karte hain. Durant moh ka nash karke shyama Shyam ki uttama prem lakshna bhakti pradan karne wali shri yamuna ji ka main bhajan karta hoon.
yadkam budh trikal matha pathe Kalind Nandni hada vich vishv vandita ivra pate pda bhakti muma mava dhruvam bhave par ta priyag jo budhas wahi viveki buddhiman hai jo is baat ko pakar le ki yamuna ji ka ye ashtak teen bar ham jarur path karenge. Budhas trikal madta pathe jo is yamuna stotr ko wo mahan buddhiman mana jaega jo prat madhyan sayam teen kal path karega. Shri yamuna ji vishv vandit hain. Inka dhyan karte hue teen kal mein Yamunastaka ka path karne wala isi janm mein Radha vallabh ji ki uttam prem lakshna bhakti aur bhav deh ki prapti deh bhav ka tyag kar pancho bhule deh sudhi deh sudhi ka tyag karke apne bhav deh mein priyal ki nitya leela mein pravesh pa jaega yamuna ji ki yah dridh paddhti hai ki jo din hokar ke ar hokar ke agar koi thoda bhi abhiman rahega to baat nahi banegi.
shri ruplal goswami ji kahte hain i vidhi so nahi bhakt kahave agar yah baten hain to phir rang nahi aayega. Aapko lagega ham Yamunastaka ka path kar rahe hain. Chaturasi ji ka path kar rahe hain. Par ham mein prem kyon jagrit nahi hota? To kah rahe hain i vidhi so nahi bhakt kahave hari puja kari apni man badhai kam kamna bhave kam ki gandi cheshta karta hai puja dikhave ke liye karta hai ki log hamari man badhai karen ham bhagat hain. Ham uchh koti ke bhagat hain. Aisi andar bhavna rakhta hai. Man badhai chahta hai aur kamna ke dwara kam ka upbhog karta hai.
malin anttakran padh padh granth nigam agam sab tha gal bajave ja rup lal hit karni kathni ek kare apnave i vidhi so nahi bhakt kahave shastron ki baten dusron ko sunakar apne ko bada gyani sabit karte hain aur uska uddeshya man badhae rupya paisa bhog samgri to tho ga bajave anubhav kuch hai nahi keval padh ke vyapar matra rupya paisa man badhai ke liye to bole uske andar kuch bhi paramarth ka ek bhi unnati nahi hogi. Ek bhi bhumika nahi jagrit hogi. Bhumika uske hriday mein jagrit hoti hai. Jo shastr mein likha hai wahi aacharan mein hai.
wahi hriday mein wahi vani mein hai. Karni kathni ek kare tu apnave. Phir Priyalal apna lete hain. Isliye hamen prarthna karni chahiye. Priyal se ki aho ladeti dijiye Vrindavan raho nahan pan jal Ravi suta tum kripa jo chahbo Priya jo mujhe Vrindavan ka vas do vas hi keval nahi rahne bhi do rah raho kaise Vrindavan raha jaata hai khub Vrindavan mahimamrit mein suna jaban se maun raho kisi ki ninda na karo netr se kisi ke dosh darshan mat karo kan se kisi ki ninda mat suno akhand bhav rakho shri Vrindavan dham mein kaise bhi pran nikal jae par ham dham se bahar nahi jaenge khand khand hoe jae tan ang ang satuk Vrindavan nahi chhado chhadbo hai badi chuk bhajan bhi nahi ho raha to hamen koi chinta nahi.
ham Vrindavan nahi chhorne wale. Vrindavan mein swartho ulat bhajan ho jat yahan swarth ke khel bhi bhajan ban jaate hain. Roz yamuna ji ka darshan achman avgan Vrindavan ki rahne se Vrindavan ka vas aur in sab ka phal ho. He ladli aap muskura do. Aap prasann raho. Aapki kripa chahna aap prasann raho. Raj ko sarvas manbo matiyan na bahbo yatha labh santosh kari kunjan ko gahbo roz apne sharir par raj lagave aur Vrindavan ki raj ko hi apna sarvasv mane kisi aur se batchit karke dham nishtha raj nishtha isse are mati lagae ghum rahe ho bahre se bhakti hoti hai kya upar se mati thope ho dikhava kar rahe ho aise log bolenge upar se pura kapar range ho ma ye shabd hamne sune hain isliye kah rahe hain kya jane tu raj lagakar kya hota hai are bade bade siddho ne manga hai jai shri bhatt dhul dhar tan ye asha udhar ye to rajogun tumhen raj se lagne dega raj ko sarvas manav yah isliye kah raha hoon ki aap bahar bhi jaoge raj lagakar tilak laga ke to bahar ke log bhi jo hai aa gaye kapar rang ke dekho ye bhagat bante hain saubhagya hai jo raj shiv sanakaad yaach wo raj ham mastak pradhan kiye mahatva isiliye kaha ki raj ko sarvas manbo mati an na bahbo dusron ki baten sunkar bade-bade shraddhaalu ki shraddha tik jati hai hamse kaha ki office jaate hain to raj laga ke log aisa to sukhi wali batti le aise kar le.
accha ek patni apne pati ke suhag ko garv se dharan karke bazar mein ghumti hai. Suhag dharan aur tum akhil lok brahmand nayak ke suhag ko dharan karne mein sharm karte ho. Maya thappad aayegi nahi aur kya karegi? Maya phasaegi nasht karegi. Raj ko sarvas manbo mat an yah baat man lo thesak rakho kai bar sunaya hai Akbar Agra office thi uski yahan aaya to wahan dekha ki sab braj mandal ke kanthi tilak dharan kiye hue to kya uske dimaag mein aaya usne adesh kar diya kal se koi bhi sabha mein kanthi bandh ke tilak laga ke nahi aayega agar agar tilak laga ke aaya to garam lal lohe se uska mastak dag diya jaega.
pharman likhat jari dusre din jitne bhi wo sab bilkul tilak ne bhaiya raja raja kya badshah chhote-chhote rajaon ka saikadon hazaron rajaon ka wo Swami tha. Madhukra shah hariram vyas ji ke shishya hain. Unhone kaha yah jeevan bhagwan ka guru pradatt tilak mitar de keval is baat se ki wo badshah hamen lohe se dag dega. Bhagwan ke tilak ko to nahi mitaenge. Chahe gardan utar de. Waise angkha pahan kar kaise jaate the? Upar ke sare vastr utar diye. Moti kanthi aur dwadash tilak bade-bade Madhukra shahi tilak usi samay se kaha gaya bade-bade mote tilak jo dur se dikhayee de rahe the talwar khoskar sabha mein raja to the hi mahabhagvat Madhukra shah ji chhoti moti bhakti mein itni takat nahi thi ki prannon ab wo to badshah hai hukum kar dega kalam kar diya jaegi gardan gaye je dekha badshah ekdam aag babula ai Madhukra shah pharman jari kiya tha tumne suna nahi talwar khinchi aur kaha pharman aapka ek mulka ke badshah tilak anant mulkon ke badshah ka dekhte hain
kaun mitata hai mano bhagwan narsingh ka bal aa gaya ho wo tej aur phadakti hui unki bhen wo bhagwat tej madhukarsa ki jai dhanya hai tumhara jaisa tilak dharan karne wala tilak hai ye sab dikhava se tum satya ho yahi dekhne ke liye maine bolo kya chahte ho ye tilak ko tumne khilwad samjh liya hai bhagwan ke dastv ko rajko sarvas maniv kuch log hain mati acharya adesh kar rahe hain Vrindavan ki raj ka mastak par dharan karne ke liye rajosevi hariv vansh jori sumiran vachino rajosevi raj sevi Vrindavan vihar chandan leno adesh kiya hai patr mein Harivansh mahaprabhu ne Vrindavan vihar raj aur chandan prasadi shri Priya pritam ko arpit kiya hua chandan aur Vrindavan raj vihar ye kuch log shri lagate hain wo jo kali-kali bindi aati hai shri ki bindi wo bahar se kahin se aati hai hamare gurujanon ka mat ki acharya ne kaha Vrindavan raj aur chandan le lo dusri chij mastak pe nahi dharan hogi jo Vrindavan ki hai aur Priya pritam ko prasadi ki gayi wahi dharan karte to ek raj ki bindi aur ek chandan ki bindi niche raj aur
upar shri ji ka prasadi chandan yahi hamare gurujanon ne sikhaya raj ko sarvas raj lagae ho pujya Radha Baba ki vani hitam mein board mein likhi thi ki samasth shastr aur santo ki anubhutiyon se aur apni anubhutiyon se Vrindavan ki raj ka kan ek bhi jiske sharir mein laga hua sharir chhutega to Priya pritam ki prapti hogi. Ye hirenu par mareeb mangal aae wo raj ham lagae hain. Ham mare ki mitti sathe rakhte hain. Hamen kisi aur ki zaroorat nahi ki hamara pind dan karo. Hamara tarpsn karo. Sathi hai hamare charanamrit raj chandan laga bhi sharir chhute bina bhagwat smriti ke bhagwat prapti kyonki raj rani virajman hai raj saath rakho bhai jo Vrindavan se jude ho Vrindavan ke upas tumhari jholi ki talashi ho to teen chijon jarur nikalni chahiye charanamrit raj aur vani vani ji agar vani nahi hai to jaise veer hai yuddh ke liye ja raha ho astr nahi hai phir kya hoga aise hamare astr hai vani sevak vani sudha nidhi chaturasi ji yah to bilkul samip jholi mein hona chahiye kai bar kaha hai ye jholi mein hona chahiye kyon chati se vani ji lagi naam vani jahan Shyam shyama tahan raj hai charanamrit hai kahin bhi sharir chhute usi samay shri ji ko prapt honge yatha labh santosh kar kunjan ko gaho jaise jaise Priya pritam rakhe mahlo mein rakhe chahe jhopdi mein bans de raji raho aandit raho rup Priya pritam ka jab prakashit hoga na to unmattata chhaa jaegi aur ye rup prakashit karne ke liye naam vani raj charanamrit bahut zaruri hai.
roz prat kal utho pehle kulla karne ke pehle hi charanamrit pan karo. Phir jal piyo phir shauch kulla snaan aadi karo yah paddhti hai sharir svasth rakhne ke liye shauch ke pehle bina kulla kiye jo pani piya jaata hai wo udar ke rogon ka nash karta hai aur kahin raat mein tambe ke patr mein rakh le to aur uttam baat hai to pehle charanamrit sirane rakhe hain alag-alag botal unmein likha hua barsane ka charanamrit Radha vallabh ji ka charanamrit banke bihari ka charanamrit Gurudev ka charan charanamrit santo ka charanamrit brajvasyon ka charanamrit aise botle rakhi dhakkan bye dhakkan jai phir iske
baad apna dincharya chalu agar ye charanamrit aap man lo na ham kah rahe hain dod bund kahin se mil jae ek ek liter pani mila ke rakh lo phir khatm hone phir pani mila lo charanamrit ka prabhav thodi chala jaega charanamrit to charanamrit hai roz charanamrit piyo raj lagao aur Priya pritam ka naam jap unki leela ka gayan to ras rupi kautuk charit vani kath kahbo chhin chhin prem jo bheejbo tum milan umbo chaturasi ji ki mahima jo likhi hui hai ek bar 24 ghante mein chaturasi ji ga lo kabhi 84 lakh yoniyon mein nahi jaoge aur itna hi nahi sirf Priya pritam ka sakshatkar hoga sharir chhute chhute roz chaturashi ji ga kitna samay lagta hai bhav samudra se mukt hone ke liye 24 ghante mein agar 45 minute de do raftar se gaya jae to 45 minute nahi to ghanta sava ghanta aur sangit aadi se gaya jae to paune do ghanta 45 50 minute mein to ho hi jati hai nahi haan aur dekha hai jaise raftar se to 40 45 minute aur zyada masti mein agar agar gaya jae to ghanta sava ghanta 24 ghante mein ek bar chaturasi ji ga lo jitne din
abhi jinda ho tumhen kabhi 84 lakh yoniyon mein nahi jana padega chhuti chaurasi bhramte nirakh jugal kishor ye acharya jan phal stuti likh rahe hain. Ye koi bana ke nahi likh rahe hain. Yahi hai. Bilkul aksharsha satya hai to gao bhai 24 ghante mein ek bar ga lo chatura ji jeevan mukt aap karo to arth se matlab nahi ki samjh mein aa raha hai ki nahi aa raha hai. Bahut se aise mantr hote hain jinka arth samjh mein hamen nahi aata lekin hamare upar unka prabhav par jaata hai. Phir wo mantr to kahin na kahin kisi devi devta ke antargat ate hain.
ye to shri Priya pritam ka mahan jas hai. Mahan mangalmay gaan hai. Chhuti chaurasi bhramte nirkhe jugal kishor aisi masti nirkhe jugal kishor bhor ren na jane piy rup ras mat bhyo kachu manah hi na ane prem lakshna bhakti ho hi anandkari aru Vrindavan vas sakhi sukh ke adhikari aap khud dusron ko sahachari bhav dene ki samarth rakenge sakhi sukh ke adhikari bole jaise ye bhandare ke adhikari hain ya amuk ke adhikari wo sakhi sukh ka adhikari dusron ko sakhi sukh dene wala ban jaega jo chaturasi ji ka roz pad gayan karega sampurn chaturasi ji ka kunj mahal ki tahal sukh dampati sampatti pai hai jaisi rup lal hit priti so jo chaurasi gai hai deh janit dukh sukh sab apni krit sahbo bahut sundar sundar siddhant hai.
jaise rakhe waise santosh karke raho. Raat din naam vani mein raho. Sharir par raj lagae raho. Charanamrit piyo aur jaise tumhare sharir mein dukh ave ya sukh ave use priyal ka diya hua mat samjho. Apni krit hamare kiye hue karmon ka phal aa raha hai. Priyal hamko dukh denge. Priyal hamko ye maya denge to phir kya ye maya to papiyon ke paas bhi hai to hamare bhajan ka phal ye maya tapasya ka phal ye hua nahi ye sab punya aur paap ke antargat ate hain aise aise bhajnanandi mahapurush hue raat din bhajan pane ko bhojan nahi bhagwan ka jo prem hai jo ras hai jab usmen chitt jud gaya to hriday nishkam ho gaya unke andar koi chah hi nahi rahi jaise jaise ek bar Rukmani ji bhagwan ko paros rahi hain aur pawa rahe hain to je pratham kal to rok diya ekdam ekaagr Rukmani rukh samjhte chitt ki baat unka bhagwan aisi dasha to tab hoti hai jab aapka bhakt koi bhukha hota hai aur wo kai din se hota hai kaun bhakt hai prabhu jo aap itne tanmay ho rahe hain aur wo bhukha hai aur main aapki sevika hoon.
mahalakshmi adesh kijiye kis bhakt ko lok ki lok ki sampatti de du. To unhone kaha hamara priy pran priy Sudama par uske andar koi kamna hi nahi hai. To kya karun? Jab tak mere bhakt ki swikrati nahi hoti. Main use kabhi maya nahi deta. Mere bhakt ki swikrati ho jae to lok ke lok ka vaibhav de du. Par wah aise akinchan bhakt hain unki chah nahi. To bole prabhu ham roz yah nahi dekh sakte ki aap prasad ke samay aise ho jae. Kuch upay karo. Wahan kamna paida karni padegi jake. Unke hriday mein to bhi nahi ham kamna prakt kar sakte.
bhagwan kah rahe unki patni ke hriday mein kamna prakt karenge. Yah bhagwan apne bhakt ko raji hokar tribhuvan ka maya khel nahi dete. Bhagwan prem dete hain, vairagya dete hain, nishakmata dete hain, param pad dete hain. Phir yah yah purv ke punyeon ka hota hai. Punya jagrit hai. To ek sadharan aadmi kuch dino mein unnati ko prapt karke bahut bade pad mein pahunch jaega. Paap jagrit hai. Bahut graduate, padha likha, buddhiman, sharir, svasth, balvan kisi kam ka nahi. Char rupaye bhi kamane layak nahi.
aise kitne dekhe gaye hain to yahan kah rahe hain deh janit dukh sukh sab apni krit sahbo Vrindavan hit rup bhajie alabh jabo agar sharir sukh aa raha hai laukik ye punya ke bal se aa raha hai agar dukh aa raha hai to paap ke bal se aa raha hai aap bhajan ke bal se paap aur punya donon ko nasht karke ke sacchidanand prem ras ki prapti karo. Yah alabhya labh hai. Isi ko laho. Khub raat din naam jap karo. Prabhu ke ashrit raho. Paap karm se daro. Agar paap karm ho jaega to bhajan ka tar tut jaega. Bhajan ki swad buddhi khatm ho jaegi.
hamen aur agar bhajan sahi ho raha hai to kabhi kisi se kaho mat. Kabhi-kabhi bhajan ke nashe mein upasak ke andar se nikal jaata hai. Dhruvdas ji kah rahe hain Priya pritam ke bhajan prem leela jorit to man hi mein rakh agar kahin anmil se bhaakh diya to chali jaegi. Agar kabhi charcha ho to ek do aur wo bhi usi koti ke nahi to thappa ho jaega. Bhutkal mein aapki sthiti rahi aise bolie. Vartman ki sthiti ko bola to vartman ki sthiti thap ho jaegi. Vartman ki sthiti sadhak ko bahut chhupa ke rakhni chahiye aur saho jo dukh sukh aa jae saho aur khub naam jap karo bas jeevan mein laukik parloulik sab sukh aapke charnon ko chu chumenge man lijiye bahut badi samarth bhagwan ke naam jab bhagwan langoti dho rahe hain soch bhari hui madhvdas ji ki jinke anant parsad hai to kaun sa vaibhav rah jaega jiske bhagwan dasata karne lage bhajan ke prabhav se to kaun si baat rah jaegi isliye aap chahe grihasth ho chahe virakta khub naam jap karo papon se daro koi asat aacharan mat karo phir
aap age chal ke dekhoge lekin ek baat aur aapko bata de kal ek prashnta ne kaha kahte ho bhagwan ka naam bahut mitha amritmay lekin samosa chatni khao turant swad aata hai Ram Ram kaho kuch swad nahi aata 70 75 ke honge 70 ab kitna itna lajwab prashn tha nahi haan to hamare paas shastr hai wo har chij ka uttar hai usmen padhe ho chahe na padhe ho bhagwan sab shastr mein hai yad tagya vish pariname amritom tat sukham satwikam smritam yad tagya amritomam pariname vish ta sukham rajsam smritam jiski iski shuruaat amrit jaisi lage.
samosa, chatni, gulab jamun, ye wo har bhog bole uska parinaam mrit aur vish jaisa mrit vish aur jiski shuruaat vish jaisi lage 2:00 baje raat se uth ke bhajan aur satsang aur ye sab bole parinaam amrit. To jaise mishri pitt ke rogi ko khavai jae aur baad mein pucha jaega kadvi hai kyonki pitt badha hua hai aur thode din anupan se wahi mishri pavai jae to uske pitt ka saman hokar ke mishri mithi lagne lagegi Radha naam sudha rasam ras tumla ye amrit ras hai Radha naam rom rom pulkit hokar sudhara pravahit kar de vaisa prem chhupa hua aisa anand chhupa hua hai.
par prarambh mein vishwavat lagega. Prarambh mein kyonki ham trigun maya ke rog se grasit hai. Jaise wo pitt ke rog se naam accha nahi lagega. Isi naam ko niyam purvak japa jae to yahi naam trigun ke prabhav ko hata ke trigunnatt karega tab aap bologe Radha aur romach ho jaega. Ashwadhara chalne lagegi. Aisa lagega Radha naam se badhkar hamare jeevan ka kuch nahi. Bas Radha Radha Radha Radha Radha isliye naam mein swad mile ya na mile labh dikhayee de ya na dikhayee de kuch log turant labh chahte hain.
samay ka intazar karo. Samay mein har vastu hoti hai. Samay ke bina kuch nahi hai. Samay ane do jo aap abhi fasal bo rahe ho. Phir nihal ho jaoge. Piche jo boya hai na chahte hue bhi katni par rahi hai. Kaun chahta hai dukh? Sab sukh ke liye praytn karte hain. Parinaam mein dukh milta hai. Isliye bhai thoda vishwas karke shastron aur sant janon par bina bhav, bina shraddha ke hi sahi, bina swad ke hi sahi naam jap karo aapka mangal hoga. Dason dishaein aapke liye anandmay ho jaengi. Shesh charcha ki shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…