shri Radha mohan ju ki rasamyi prem varta / janie — papatma, punyatma aur mahatma kaun hai ?//14/10/25
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavan tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital mashray he karunamay swamini hamari vinay aapki shravan indri tak pahunchni hi chahiye kyonki aapke siva hamari baat sunne wala koi nahi kyonki ham mein koi gun nahi ham mein koi sadhna nahi ham mein koi tap pavitra nahi jisse hamari koi baat sune isliye mam swamini keval aap hi hamari baat sun sakti hai isliye kan dekar hamari baat sune hamari vinay sune kishori sunie yah dan moko charan sharan ma leeje ab nahi dijiye jaan kishori sunie yah dan tum ho dukh mitavan shyama tav saman nahi aa karuna sindhu dayamai swamini main hoon bahut ayan kishori sunie yah hriday kan he dukh mitane wali he shyamaju aapke saman udaar karunamay koi nahi hai.
he dayamai swamini main bahut agyani hoon. Hit anhit kachu janat nahi tohu banat sayan mera hit kis mein hai ahit kis mein hai ye mujhe koi gyan nahi hai phir bhi swamini main bahut apne ko gyani samjhta hoon sab sadhan ko mul charan tav sakal sukhan ki khan bina kripa koi maram na jane yatha ullu kah bhan jaise ullu ko kabhi surya ka prichay nahi milta aise hi mujh agyani ko aapki kripa ke bina aapke shri charnon ka Radha naam ka marm pata hi nahi chal sakta. He swamini samasth sukho ka mul aapke charnarvind hai.
yah baat hamare man ko, hamari buddhi ko, hamare chitt ko, hamare aham ko samjh mein hi nahi aata. Bar-bar ye bhogon mein vishyon mein sukh khoj raha hai. Ab to ek sharan hai teri na dekht ko aa ladli mujh jaise nich adhmon ka udhar ho sake. Aisa koi upay nahi dikhayee de raha. Wah keval aapki karuna aapka aashray aapki kripa kor tumhre charan sharan je aavat pavat nirbhay dan sharanagat abhay virad patit pavan bane swamini jo suna hai aapka bana hai jo aapke charnon ki sharan mein aa jaata hai. Use aap abhay dan deti hai.
kishori sunie yah dan ab jo dheel karogi ladli hovegi mamhan. Pakka yadi aapne chhod diya aapne sweekar nahi kiya to nischit mera patan ho jaega. Nischit mera nash ho jaega. Mam hani ho jaegi. Kyonki koi sambhalne wala nahi. Swamini ji aap agar dheel de diye, chhut de diye to yah man hamen nasht kar dega. Ab jo dheel karogi ladli hovegi mamhani lakh chaurasi pheri milegi jo ab de ho jaan yadi aapne chhod diya to phir 84 lakh yoniyon mein bhatakna padega he swamini sunhu kripalu krishu ri swamini he gaurangi sukh khani kunj biharini main sharan tahari kripa karo jan jaan kishori sunhu vinay de he ladli li yah meri vinay kan dekar sun lijiye ki main kisi yogya nahi hoon.
bahut adham hoon. Aapke charnon ka aashray liya hai. Yadi aapne chhod diya to nischay mera nash ho jaega. 84 lakh yoniyon mein bhatakna padega. Swamini keval aapka hi bharosa hai. He kripalu he dayamai he karunami he kishnodri he gaurangi Priya jo samasth sukho ki aap khan ho. Ab aap kripa karke kunj biharni jo main aapki sharan mein hoon. Mujhe sweekar kar lo. Swamini jo bahut karunamay hai. Vinay to aaj kar rahe hain apne log. Bina vinay kiye unhone karuna kar di. Aaj ham maang rahe hain ki aapke charnon ki sharan mil jae.
bina mange unhone charnon ki sharan de di. Bina mange Radha naam ka prichay de diya. Jiski jibhya pe Radha naam hai. Hriday mein gore charnarvind ka aashray hai. Param pad uske liye koi khas baat nahi. Vishwas kijiye. Jaise kamal ke parag se lubhayaman hokar bhaura us pushp mein band ho jaata hai. Yadya pushp mein kore kath mein bhi chhed karne ki samarth hai. Aise anant bramhandon ke Swami prabhu Radha naam lene wale ke adhin ho jaate hain. Jo Radha charnarvind ki dasta sweekar karta hai to adbhut kripa varsha karte hain ki mere praneshwari swamini ki nij sahachari hai.
iske karan wo adhinta sweekar karte hain. Wo pranati hote hain. Wo naman karte hain. Radha naam japak aur Radha charnarvind ki sharan mein jo hai apne logon ko pata hi nahi tha ki itna durlabh vastu shri dham Vrindavan ka aashray vas mahima jiski bade-bade divya mahapurush gaan karte hain wo hamen vas karne ko milega. Hamen ismen ane ko milega. Hamen yahan kuch kshan bitane ko milenge ya jeevan bitane ko milega. Yah to ahetu ki kripa keval kishori ruu ki jo bina vinay bina prarthna ke pehle hi de di.
shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain nitya krida mein tanu tanuma neelpeetam vibhaj jambu nad markat jyotira neelam ashcharyamai Shyamta neelima ye param brahm ki hai ashcharyamai aur hamari gori Priya jo sarwamay aise donon yugal sarkar jis shri dham Vrindavan mein virajman hai shripad kahte hain ki main us adbhut Vrindavan ka nana narma pras maha kautuk yatra nand tyanda rati vda vrindavnant nana pushpo se khile hue aise divya Vrindavan mein jo parbrahm neelima Shyamta shri lal jo anant bijliyon ki kant wali Priyaju ye donon khel rahe hain.
vivid pushpo se khile hue kunj mein krida kar rahe hain aur marm bhedi parihas kar rahe hain. Jo hriday mein adbhut prem ka pradurbhav paraspat varta se ho raha hai. Aaspas sakhiya hain. Shripad Prabuddhanand ji aisi shobha dekh rahe hain. Rang biringe bahut hi lubhavavne pushpo ke dwara jo achchhadit latae hain un lata bhavan mein Priya pritam aise parihas kar rahe hain jisse prem vardhan ho raha hai aur samasth sakhiya ghere hue Priya pritam ki ek ek akshar jo ras se bhare hue unko sun rahe hain.
adbhut anand shri Priya kya varta kar rahe has parihas karte hue apna prichay bhi de rahe sakhiyon se kah rahe sakhi ham ek pran dwaga ye ham aur Shyam sundar kahne ko do hai he sakhiyon sakhi ham ek pran dwa gat yah atyant asakti ka vishay hai. Jab hriday mein kahin koi kisi se apnapan nahi rah jaata. Sari mamta keval priyal ke charnon mein hoti hai. Tab yah sukh ka pradurbhav hota hai. Apne prabhu hain. Apni shyamanu hai. Jab yah hriday mein baat aati hai to inki jara si baat bhi hriday ko anand ufan mein dubo deti hai.
pran man chitt sarvasv samarpit kiye hue sakhiyon se priyaju kahti hai he sakhi ham aur Shyam sundar kahne ko do tanu hain. Ham ek pran hain. Arthat ham hi shyama hain. Ham hi Shyam hain. Kahne ko keval shyama Shyam hai. Shyam rang shyama rangi shyama ke rang Shyam. Shyam hi shyama hai. Shyama hi Shyam hai. Do nahi jo do dekhte hain unke netron mein dosh hai. Abhi jaise ek chandrama do dikhayee de to netron mein dosh hai. Nirdosh netron mein yadyapi do netr hain phir bhi drishti ek hai. Lakshya ek hi hai.
do netr hain par drishti ek hai. Aise hi shyama hi Shyam hai. Shyam hi shyama hai. Sakhi ham ek pran dwa gat ek rang mein range page do chhin bichure na suhat sakhi ham ek pran dwagat he sakhi ham ek hi hain. Anurag rang mein mano shyama Shyam anurag hi shyama Shyam ka rup dharan kiye hain. Hit hi prem hi prem ke khilauna do prem vapu shyama jo prem vapu Shyam sundar isiliye inko yahan bhagwan shabd se nahi kaha gaya ladli lal Radha vallabh lal Radha banke bihari lal Radha raman lal bahut dular bhara shabd hai ladli lado pyari aise kaise yahan bhagwat aishwarya sab prem ke age sab dhul dushit ho jaata hai.
dekho kaisa prem akhil koti bramhandon ke Swami ko unke sahibi ka vismaran kara ke din apan ko manat yadyapi sakal lok chudamani din apan ko manat jab tak yah danyata nahi aati tab tak hamari pyari jo pyare ju ke prem ras ki baat ek pardesh ki si baat lagegi kya khas baat hai yah to bahut bar sun chuke hain. Aisa lagega jab apni shyama ji ki baat hogi to wahi baat navam navam sukh pradan karti hai. He sakhi ham ek hi rang mein donon range hain. Prem rang ham ek kshan ke liye kabhi donon vilag nahi ho sakte.
hamari pyari jo pyari jo na paraspat vilag hote hain na premi janon se vilag hote hain ye sadhna nahi dekhte tapasya nahi dekhte ye apnapan dekhte hain iska apnapan kaha hai bas wo paraspat kabhi vilag nahi hote aur kabhi apne janon se vilag nahi hote unke jan chhin chhin vihrat sang chhin chhin chhin nirakhat prem bhari chhin jas kahat abhang yah jo kripa Harivansh ki pratiphal unke naam jas mein dube rahte hain aur bhav desh mein har samay apne pyari jo pyare ju ke saath rahte hain kabhi ek pal ke liye jaise Priya pritam nahi bichhadte aise sakhiya nahi bichhadti rah na sakat pal palkan antar jaise jalte meen ho nij sakhiyan ki balhari.
ek palak jhapakne ke liye bhi sakhiya Priya pritam se bilag nahi rah sakti. Priya pritam vilag nahi rah sakte. Badan niharat nayan paraspat mile rahe har sat sakhi ham ek pran dwaat pranan hote te pyaro mohan pyari jo kya kah rahi mere tan man pran hoon te pritam priy mere tan se mere man se mere prannon se bhi adhik priy mere pritam hai to pritam apne kotik pran pritam mo so hare apne karodon prannon ko pritam mere par nyochhavar kiye hue he sakhi pranan te pyaro mohan ye ras batiya baat raat ye jab dainya hokar ke rasmay baat karte hain to hamare prannon ka sinchan hota hai.
pyari ju ki yah baat ras suni pyaro man muskat pyari ju ki baat sunkar pyare anand magan ho rahe aur sakhiya pyari ju aur pyare ju ko anand magan hokar dekhte hue ashish deti hai apne bar-bar prannon ko jo samarpit pran hai unko nyochhavar karti hai shripad kah rahe hain aise ham yugal sarkar ki baat sun rahe hain jo nau nivatt nikunj mein pushpo se achchhadit lata bhavan mein khel rahe hain. Paraspat has parihas kar rahe hain. Ham unki baat sun rahe hain. Dhanya hai jo aise shri Vrindavan dham ka aashray liye hain.
aise shri dham Vrindavan ka vas sweekar kiye hain. Jinke upar ladli ji ki mahan kripa hai unka pran ho chuka hai Vrindavan. Agar kahin akhand vas mil gaya hai to bas savdhani banae rakhiye. Rahne na bigdne pave to wah gati hogi jo brahmad bhi yachna karte hain par unko mili nahi. Uddhavad yachna karte hain. Sachchi maniye pata nahi kaun se avgun par ladli jo rijh gayi. Gun to kah hi nahi sakte ki ham kisi gun se yukt hain jisse ladli rijh gayi. Hamen lagta hai hamare avgunnon par daya kar di ki ye nich kaise aisi unchai par pahunega.
to unhone kripa ki anugrah ki vayu chala di. To jaise tinka vayu ke prabhav se mandir ki choti par jakar baith jae. Aise kripa hui aur samasth dhamo ka sirmaur Vrindavan dham apne ko mil gaya. Ab Vrindavan dham mujhe bhane lage. Ab iske bina hamari koi gati nahi hai. Sachchi maniye koi gati nahi. Ji nahi sakte. Pehle suna karte the. Ki jab koi Vrindavan vas hath purvak karta hai to phir Vrindavan use pakar leta hai. Phir samjh mein nahi aata tha ki Vrindavan kaise pakdta hai. Jab Vrindavan ne pakda tab samjh mein aaya ki ab to ji nahi sakte Vrindavan ke bina.
pakar liya Vrindavan ne. Jako shri Vrindavan ras bhave. Nit navkeli Priya pritam ki sun suni kah harsave sabse badi uplbdhi kya hai Vrindavan vasi ki roz bhagwat charcha sunne ko milti hai tribhuvan mein sabse durlabh vastu hai satsang wah bhi shyama Shyam ke leela ras se bhara bhara hua aur siddhant se bhara hua shuddh satsang jismen kisi bhi tarah ki swarth ki milavat na ho ye sabse durlabh hai. Sab kuch sulabh ho sakta hai. Lekin satsang hari Ram vyas ji ne kaha ki param pad kise kahte hain? Bhagwat premi mahatma ka sanidhy mil jae bole ise hi param pad kahte hain.
param pad jane ke samay bhi santo ne man ko ruksha kar liya. Wahan mujhe satsang nahi milega. Nahi chahiye. Wo mujhe param pad nahi chahiye. Jahan aapke premi jan na mile aur wo aapki charcha nahi. Jahan aapki charcha nahi wahan mujhe nahi param pad chahiye. Param pad kahe se kahte? Bole sadhu samagam ko param pad kahte hain. Jab Vrindavan bhaya kripa bhai to bole nit nav keli Priya pritam ki sun sun hi sarsave bina prayas ke amrit pan karne ko mil raha hai. Dekho samudra manthan kitna prayas kiya gaya. Padh ke dekho jaan ki baji laga di aur jaan kho di thi wo to bhagwan ne punah dali jab mandrachal ukhad ke la rahe the devta daitya sab pees gaye bhagwan ne amrit drishti se jivit kiya mandrachal ko samudra mein to phir wo dubne laga to kachchhap rup dharan karke rok liya shastrabahu rup dharan karke upar se pakar liya daivi shakti rup se devtaon mein sanchrit asuri shakti asron ke andar nidra shakti Vasuki nag ke andar swayam manthan par bade hi kasht purn sthiti prarambh mein halahal vish nikla use bhagwan shiv ne piya phir kya-kya pralobhan nikle alag-alag janon ko pradan kiya baad mein amrit nikla wo amrit pi ke bhi devta nirwasnik nahi hai nirbhay nahi hai.
lekin jisne tav kathamritam bhagwan ke katha amrit ka pan kar liya to jie kal bas na pare wo kal se adhin nahi wo kaalatit sthiti ko prapt ho jaata hai. Wo nirwasnik hi nahi swayam nirwasnik hi nahi dusron ko vasna rahit karne ki samarth rakhta hai. Jo bhagwat katha amrit ka pan karta hai. Aho bhagya jinko Vrindavan ka sanidhy mila vas mila aur bhagwat charcha sunne ko mili. Prem pravah rasik jan pyare tinko sang suhave taki rahni kahni raseeli hari hi lakh har save kahin kripa ho jae ladli ji ki aur Vrindavan ke rasik janon ke sang mein hamara man ram jae agar rasik sang hamare hriday mein suhane lage to ladli lal ke darshan durlabh nahi durlabh hai rasik sang pakka nehi pavno durlabh hai bhagwan ne kaha vasudeva swarmit sa mahatma su durlabh sarvatra bhagwan Vasudev aisa anubhav karne wala gyani mahatma bada durlabh hai.
lekin dhruvdas ji kahte hain aisa mil bhi sakta hai lekin nehi pavno durlabh Priya pritam ke prem mein matvala rasik milna bole ye to atyant durlabh hai ma sangas to durlabh ho par jaise samudra manthan mein pratham vish nikla amrit pan ke liye aise hi rasik sangh ka nirvah kar pana bahut kathin hota hai kyonki jab hi manthan prarambh hota hai to andar se pehle vish nikal chalta hai. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar ye bhagwan shiv ne vish ko piya. Arthat kalyan moksh bhagwat prapti ki prabal lalsa is vish ko pi sakti hai.
kam krodh lobh moh mad matsar ki vyatha ko sah jana hi vish ko pi jana hai. Yam hi nathte pursham purush sab rasik sang aur har vikar ko sah gaye aur kisi pralobhan mein fanse nahi to nischit kah rahe agla kadam kya hoga ki raseeli si Priyaju aur hari jo ye netron mein jhalakne lagenge dur nahi vishwas kar lijiye ye dur usi ke liye hai jo aur kuch sun raha hai aur kuch dekh raha hai aur kuch bol raha hai. Shri bhagwat rasik ji kahte hain ki jo Vrindavan ka aashray lekar rasikon ka sang karke nain dekho aur nahi shravan suno nahi aur ghaan na so aur kachu rasna kaho na aur aisa kab hoga rasna kaho na aur tvacha parso nahi aur re kunj bihari keli jheli indrin sab thore bhagwat rasik anannya kok updeshon seni bainan main jaga lagae ren din dekho nainni kah rahe ki hamara niyam hai bade uchh koti ke mahapurush nain dekho aur nahi kisi aur ko netron se nahi dekh sakta to bole kya wo netr band rakhte hain nahi jidhar dekhte hain udhar apne shyama Shyam ko dekhte bas dusra koi hai nahi.
sachchi maniye pure ke pure prabhu hi sab kuch bane hue hain. Kai bar anubhuti prakt hoti pure ke pure kuch bhi aur hai hi nahi. Keval wahi wahi bane hue hain. Par wo buddhi ladane se nahi hota hai. Kripa se hota hai. Jab guru kripa hoti hai to apne aap spurit hota hai. Netron mein keval apne isht ka bhav karke aap dekhna prarambh karen. Jidhar dekhen isht ka bhav. Yah siddh purush hai inko to aur dikhayee hi nahi deta hai. Nainan dekho aur nahi jidhar dekho apni priyaju ka sab vaibhav mere Priya pritam sahcharya dusra koi hai hi nahi par aisi divyta pehle parthiv netron se hi bhavna karo ki in sabke hriday mandir mein Priya pritam viraj sachchi kah rahe keval Priya pritam sachchi kah rahe hain kuch milavat nahi kuch milavat nahi.
bhagwan jo kah rahe hain wahi satya hai. Matta partram na kinchit dast Dhananjay mere siva aur kuch nahi. Bilkul aisa hi hai. Kuch nahi hai. Wahi wo hai. Bada ascharya hota hai ki are chhupa chupi ka khel khel karke kaisa phansate ho? Kaisa aap daudate ho. Vastvik aap hi sab kuch bane hue ho. Ye padhne likhne se guru pratap se aata hai. Moksh mulam guru kripa. Guru kripa jab hoti to ye sab isiliye dhanya hai jo apne Gurudev ke charnon mein aasakt hain unhin ki kripa kor ke pyase hain. Isht ki kripa kor to Gurudev ki kripa kor se dikhayee deti hai.
isht ki kripa kor tabhi anubhav mein aati hai jab guru kripa kor ka bhajan ban jaata hai. Guru kripa ka bhajan nahi bana to isht kripa ka anubhav hi nahi kar sakta hai. Isliye vah guru vah guru dhanya hai Gurudev dhanya hai aapne nihal kar diya fateh kar diya is asat sansaar se vijay dila di sachchi kahte hain sachchi kahte hain koi sadhan bal ismen nahi keval kripa isliye jo ye jai jaykar hai Gurudev ki shastr karte hain sant jan karte hain ye baad mein pata chalta hai jab ahankaar hota hai tab sadhan paksh dikhayee deta aur jab ahankaar wo chhin lete hain tab keval kripa paksh dikhayee deta hai.
second mein doob jae. Second mein shunya ekdam shunya main kaun kahan kaisa sab khatm second mein ye gun sadhan te nahi hui tumhari kripa pav koi koi to pehle aisa niyam bana le nain dekho nahi shravan suno nahi aur kano se aur ye banana hi padega rasna kato jo an rato nirakh an phato nain shravan phuto jo an suno shri Radha jas bain kisi sansarik prem ki uchh avastha ko prapt kisi premi se dravit hokar jo ha pyari ka naam lekar ro raha tha to uske bhagwan prakt hue aur kaha main apni taraf se tumhare is artanad ko nahi sah pa raha hoon.
ek bar mujhe aankh khol kar dekh le sab tera moh nasht ho jaega. To unhone kaha yadi mere bhagwan ho tum aur aap mujh par kripa karna chahte ho to jisse main pyar karta hoon wo rup dharan kar lo aap tab main netr kholunga anytha nahi mujhe aapke rup ki nahi main jis rup se pyar karta hoon us rup ko aap bhagwan dharan kar sakte hain wahi rup dharan karke prem bahut anannya hota hai. Prem ka swaroop hi anannya hota hai. Wah aur dekhna hi nahi chahta. Koti janm lag ragar hamari bharhu shambh nat raho kunvari. Prem mein ek adbhut ananyata apne netron se main kisi aur ko dekh nahi sakta.
kano se koi aur baat sun nahi sakta. Ghan se koi sugandh jo Priya pritam ko arpit nahi hai usko le nahi sakta. Rasna se aur kuch chakh nahi sakta. Uchchishta bhaktav he Priya pritam jo aapko arpit hai wahi swad legi wakendra bolegi to sirf aapki hi charcha bolegi rasna kaho na aur tvacha parso nahi aur re aapki seva mein aapke shri ang ka sparsh ya aapki seva mein aapke premi rasikon ka sparsh anytha asang rehunnga meri tagendra indra kisi aur ka sparsh nahi karegi. He kunj biharini kunj bihari jo aapki keli ko dekhkar meri indriyan prem ras mein dubi rheng.
jahan upasak ke andar yah ananyata jagrit hoti hai ki na aur sununga na aur dekhuga na aur boluga na aur chakhunga na aur kisi tarah ka bhi sang karunga. Keval he Priya pritam aap hi aap naam vani seva leela chintan leela gayan isi mein duba to phir wo chain se baith sakte hain Priya pritam nahi phir parda laga ke nahi baith sakte age bhagwat rishik ji karte parda phare kapt ke jhapat ladli lal pragat bhae mam mansar shyamal gaur maral ye sadhna se nahi hua prem ki jehi ananyata priyal se apnapan hua to khud yugal sarkar ne hata diya trigun maya ka parda daud kar are mere liye ye vyakul hai to parda phare kapt ke jhapat ladli lal pragat bhae mam mansar shyamal gaur maral mere man rupi man sarovar mein gaur Shyam rupi hans hansini prakashit ho gaye yahi hriday mein shyamal gaur maral indra jali nat jaise drishti band kar dure siddh loka ka anjan taise bhagwat rasik anannya hare tan man ke darda dhare nirantar ai Shyam shyama taj parda jaise koi jadugar netr bandh ke nana prakaar ke chamatkar dikhata hai.
aise bhagwan ki jadugarni maya hai. Yah nanatwa ka darshan karati hai. Lekin jab upasak rasik sang se apne aradhya dev ka anannya ho jaata hai to use shyama Shyam parda mein nahi dikhayee dete. Parda hata ke siddhanjan laga le aur jadugar jadu dikha raha ho to uska jadu nahi chalega. To siddhajan kya hai? Rasikon ke dwara di hui naam vani mantr upasna isi se jadugarni maya ka koi jadu nahi chalta aur spasht Priya pritam sarvatra use dikhayee dete hain. Spasht apne aradhya dev ko upasak dekhta hai.
jahan aradhya dev ka darshan hua to tan man sabki janmjanm ki thakavat aur pida mit gayi. Payo param vishram param vishram adbhut anand bole dare nirantar ai Shyam shyama taj parda parda chhod ke hriday mein prakashit ho gaye ye tabhi tak parda hai jab tak tumhare andar ananyata nahi hai sachchi vani inko kuch nahi chahiye ye aarti puja phool mala kala itr bhog samgri yah sab bhav banane ke liye hai. Priya pritam ke shri ang ki sourabh ke samne ye tribhuvan mein koi aisi sugandh nahi hai jo unke ang mein lep karen aur unko sourabh sukh mile unke shri ang mein jo sourabh uske samne sourabh kuch nahi hai.
pure tribhuvan mein jitna saundarya hai sugandh hai sab ek ansh matra se mayakrit wo chidanandmay hai. Keval bhav badhane ke liye sab baten hain. Bhav badh jaata hai. To ab dekho datun kar rahe hain bihar dev ji. Din bit gaya, raat bit gayi, din bit gaya, raat aise samay vyatit aur wo usi mein dube hue hain. Sharir kya kriya kar raha hai kuch pata nahi. Bhav de se apne Priya pritam ke samip hai. To bole jinko shri Vrindavan dham ki kripa se rasikon ka sang mil gaya to prem pravah rasik jan pyare tinko sang suhave kripa patr ko rasikon ka sang suhata hai aur jo dehabhmani hote hain unko rasikon ka sang accha nahi lagta kyonki ahankaar kar ko swatantrata achchhi lagti hai.
maya ki partantrata achchhi lagti hai aur dainya ko adhinta achchhi lagti hai. Aur priyaju ko dainya pasand hai. Aur yah dainya rasikon ke sang se aata hai. Yah bazar mein nahi milta hai. Sadhna se nahi milta hai. Taki rahni kahni raseeli hari hi lakh harsave jahan rasikon ka sang mila ab nitya vihar darshan dur nahi aap kram padhiega kripa aur akripa prakaran mein to pehle hai akripa phir hai kripa prakaran kripa prakaran mein jab rasikon ke sang ki baat karte hain nitik dharman sang to rang badhat nit nit saras nit nit prem abhang ye jo kripa hariv iske turant baad hai nirakhat nitya bihar pulkit tan romavli anand nain sudhar yah jo kripa Harivansh ki rasikon ke sang se nitya naveen pratikshan vardhmaan prem ka pradurbhav hona aur prem ke prabhav se nitya bihari shyama Shyam ka avlokan hona unki keli ka avlokan hona bilkul nikat se darshan hota hai.
aisa nahi ki koi akash mein ya koi dur jaise hit Harivansh nikat dasi jan lochan chasak rasa so gatkat nikat dasi jan bilkul samip se to gaur Shyam ko naam rup gun prem magan hoe jo gawe kaise Priya pritam ki rasikon ki kripavatta pahchani jae ki ham par rasik kripa hai to bole gaur Shyam ko naam rup gun prem magan hoe jo gawe to harijan hari ke pyare sunit hari charcha batrave jab dekh lete hain rasik jan ki Priya pritam ka anannya ho gaya jab dekho tab vani ji mein naam jap mein unhin ki leela gun gayan seva mein rat hai tab wo antarik rahasya uske samne prakashit kar dete hain.
kai log aise ate hain kahte hain apne sachar swaroop ke darshan karao. Priya pritam ka sakshatkar aur sahachari vapu ka sakshatkar do nahi hai. Kyonki jab sahachari dekhoge to Priya pritam samip honge. Jab Priya pritam ko dekhoge to sahachari samip hogi. Sahachari rup ka darshan ka tatparya priyaju ki samipita ka darshan aur uske liye sampurn chittavatta aham ka purn samarpan aradhya dev mein tab ye hota hai. 24 varsh lage the harivyas devacharya ji ko apne guru ji ke swaroop darshan mein kaha dekho hamari god mein koi dikhayee deta hai.
bole nahi bole jao giriraj ji ki puri parikrama lagao 12 varsh tak Radha Radha naam rat karo parikrama lagao koi prashn ya tark nahi kiya 12 varsh tak aisa kiya phir aae dikhayee de raha hai kuch bole nahi Gurudev jao phir 12 varsh phir 12 varsh tak 24 varsh Radha naam jap aur giriraj ji ki parikrama brajvasyon ki tuk paye phir aae bole dikhayee de bole haan guru ji aapki god mein shri shyama Shyam virajman sahachari vapu Gurudev aur unki god mein unke ladle naval kishori naval kishor jo virajman wahi mahavani jaise ras granth ke rachyita shri harivyas devacharya hue jo guru agyaa mein pran samarpit to dekho Priya pritam ka adbhut ras unke hriday mein prakashit hua jis samay gaur Shyam ke naam gun ka hi keval aashray rah jaata hai.
aap vani ji ko pakdie. Aapko vani ji pakar legi. Jaise hamne suna tha Vrindavan vas aap pakdie. Nishtha purvak Vrindavan aapko pakar lega. Aap ja hi nahi sakte. Aap ji hi nahi sakte. Aise hi aap vani ji ko pakdie. Vani ji aapko pakar legi. Vani ji kaise pakadti hai? Karavat badla chal raha hai. Koi pad chal raha hai. Uthe shayan karke koi pad chal raha hai. Aap chala nahi rahe. Apne aap vani ji spit ho rahi hai. Apne aap mantr chal raha hai. Apne aap naam chal raha hai. Yah bilkul nazdik pahunch rahe hain aap Priya pritam ki leela ke.
bilkul nazdik jab bina prayas ke baithe hain apne aap doob gaye. Koi pad ki pankti dubo di, koi leela vilas dubo di. Ye achanak ghatna ghatti rahti hai. Uske nainan so nit darshan karke bhav chav ujhave. Jinko lagta hai ki pata nahi kalyug mein bhagwan ke darshan hote hain ki nahi hote hain. Gaur se sun lijiye. Darshan hi nahi hote. Adarshan hi nahi hote. Kabhi wah jaate hi nahi, jaate hi nahi. Na hriday se, na netron se kabhi nahi jaate rasikon ke. Wo bas jaate hain. Dekha na parda faad diya maya ka aur man rupi mansarovar mein akar ye hans hansni saval gaur khalne lage.
abhi sunana bas gaur Shyam ko naam rup gun prem magan hoe gawe to harijan hari ke pyare so nit hari charcha batrave naam gun ka gayan aur bhagwat premi mahatmaon ke dwara gai hui charcha sunna paraspat varta karna iska phal kya hua bole nainan so nit darshan kar ke bhav chav urjhave raat din darshan hota hai darshan ek minute ka nahi hota wo koi bhav nahi hota wo koi dhyan nahi hota wo samne hote hain ban raj lata patr ki mahima sun hi yo umga ye durlabh uske liye nahi hai jo raj laga raha hai Vrindavan ka sevan kar raha hai Vrindavan ki lataon ka aalingan karta hai.
rasikon ka sang karta hai. Gaur Shyam ke naam gun ko gata hai. Uske liye durlabh nahi. Priya pritam ka sakshatkar ya unka nirantar sevan darshan. Kyon? Kyonki isi ke pratap se man bhanvra ko kunjan kunjan ki chavi ma basave shyama Shyam prem ras bhine ko nit lad ladave man rupi bhavra jo abhi gande phool sansaar ke bhogon mein mara raha tha rasikon ki kripa se naam vani ki kripa se ab shyama Shyam ke charan Arvind mein charan rupi kamal mein prem parag ka pan karte hue kunj nikunjon mein dol raha hai.
unki divya lilaon ka darshan kar raha hai. Unki seva lal charon bhav se khub dular kar raha hai. Nishiva rasna rat ras mein Radha Radha naam chhakave. Yah bada durlabh Radha naam hriday ki baat tumse kahte hain. Pata nahi kaisi kripa hui dham ki ki Radha naam ka mahatva aur prichay mil gaya. Amog jinko sunkar bhi Radha naam mein rati nahi ho rahi to aisa samjh lo paye ratan chheenne nahi deeno karte dar ye maya shri Krishna ki moh sab sansaar bole jinko shyama Shyam ki kripa prapt ho gayi. Uski pehchan kya hai? Nishivasar rasna rat ras mein Radha Radha naam Radha Radha naam shwas prashwas Radha Radha Radha Radha ye siddhi hai sadhna nahi Radha naam ye swayam hari japte hain yah param siddh vastu hai.
para vidya hai. Jisko Radha naam ratne ka saubhagya mil gaya. Para vidya hai. Bade-bade mahapurush jan jinki charan raj ki akanksha karte hain unka naam Radha hai. Kishori mohi apni kar lijiye aur de kachu bhavat nahi Vrindavan raj dijiye. Kyonki is raj ke prabhav se hi Radha Radha ham bol payenge. Koi bhi vishv brahmand mein jahan Radha bol raha ho kisi Vrindavan ke rasik ki kripa se hi anytha Radha bolne ki samarth hi nahi hai. Kyonki Radha ke jan sang jo Radha ke jan hai rasik jan unke sang se is Radha naam ka prichay Radha naam ka kirtan Radha naam ka shravan karne ka saubhagya milta hai.
kano ko anytha nahi. Aur bade bhagyashali hain jo Vrindavan ki raj ka sevan karte dham vas karke gungan sunte hain khub Radha Radha Radha Radha naam jap karte hain to saral swabhav rahe sab hi so Radha naam japak ka swabhav kaisa hota hai bada mrid bada lujluja hriday ho jaata hai ekdam dravit hriday ghumta to saral kathor hriday mein crurta hoti hai papacharan hote hain. Saral dravit hriday mein karuna hoti hai. Nishpapta hoti hai. Wahan damb pakhand ka pravesh hi nahi hota. Saral swabhav sab so hit avgun sab basrave pad parikrama de shri ban ki raj ko shish chadhave raj ko shish chadha.
Vrindavan ki raj mathe par dharan karna sharir par lagana samay mile pradeekshana kar lena nahi apne thakur ki char pradeekshana kar liya raat din naam gungan mein dube hue Radha naam ka japak saral swabhav sabka hit koi avgun hriday mein nahi jag prapanch aru asadwarta taake nikat na jave jako shri Vrindavan ras subhave asad varta karne wale nazdik ja hi nahi sakte aise premi jan ke paas koi prapanchi wahan ja hi nahi sakta bole prapanchi to sava jinke mukh mein Radha naam hai wah prapanchi kaise ho sakte hain amog vastu hari ke hriday ka gupt dhan Radha naam is samay kripa hai vayu chali hai kripa ki Radha naam ki kal beech mein ekdam bhav rone ka ho gaya.
jab nau nauj javano mein se saikadon ki sankhya mein Radha Radha Radha aise to dekh ke ekdam kaisi karuna swamini ki hai ki aisi avastha udand avastha mein manmani aacharan hote hain aur ye Vrindavan akar marg mein khade hoke Radha Radha Radha ho gaya kam itne se inka ho gaya kyonki shri dham Vrindavan mein kai bar Radha Radha bol rahe sakshi vrinda sakhi hain aur swamini ji ke mahal mein aur rasikon ke samne ho gaya inka kam. Ab inka kabhi bhi kisi bhi sthiti mein narak ka muhn nahi dekhna padega kyonki Radha Radha bol diye.
ye hamara vishwas hamari shraddha aur vani ji ke prabhav se ek bar jo Radha naam bol liya hari uske adhin ho jaate hain. Pakka ek bar jin naam li hit so hue ati din tako sang na chhanah dhruv apno kar leen ek naam trilok hi tare jo na le so janm hi hare ek Radha naam tribhuvan ko tarne ki samarth rakhta hai. Dekh lena tumhare is pure jeevan ke register mein ek bar yadi Radha naam likh gaya hai to iska kyonki parinaam na to tum batane aoge aur na tum rah jaoge batane layak kyonki jab iska parinaam milega to anand samudra mein doob jaoge isiliye rasik janon ne ise mahan param gupt dhan kaha hai Radha naam bahut kripa hai ladli ji ki jo ham sab ki jibhya pe Radha jis Radha naam ke liye Harivansh mahaprabhu kah rahe hain tachchha param madhma pran ho garma y naam mahima hare vrindavnas kaha main tam aparadh karne wala mudh mati kahan hai Radha naam bole ye to Vrindavan ki mahima hai jo Radha namit ho raha hai wo ham jaise adhmon ke mukh mein Radha naam ye shri ji ki apaar kripa aise hari pyare hari jan nit ali madhuri ri gawe jako shri Vrindavan ras bhave shri Vrindavan ras jisko accha lagne laga usko yah uplbdhi milti hai rasik jan ka sang shyama Shyam ke gunon ka gayan Radha naam ka nirantar ratan Priya pritam ka dular bhari seva to netron mein hriday mein keval shyama Shyam jhalakte hain.
kunjan kunjan kel karat nit nij ghar pyari peeko basbo shri Vrindavan ko ni ko ghar mein rakh liya ye kunjnik kunjan ki keli karte hue shyama Shyam pata nahi kaun si karuna kar di apne ghar mein bulakar are moksh kalyan ye to sab yahan Sohni lagai jati hai iske upar koi mahatva nahi iska Vrindavan adbhut prem ras kaun si padvi Uddhav ji ko nahi mili hai? Shri Krishna ke nitya sakha gyan ke samudra Brihaspati ji ke shishya aur kya kya lekin jab Vrindavan aae to sab phika lagne laga. Gopiyon ki charan raj mein laut ke yahi akanksha ki main koi tinka ghas lata aushadhi ban jaun jisse in braj gopiyon ki charan dhul mere upar pare.
kunjan kunjan kel karat nit nij ghar pyari peeko basbo shri Vrindavan ko neeko ye rasik janan ko prem akho sarvas jeevan ji ko ye rasikon ka prem akhada ek se ek rasik mahapurush ye pyari jo pyare ju ka nij ghar hai yahan ladli lal ladavat harijan le ras kunj kuti ko ghar ghar prem bhakti ki mahima archan shyama ali ko yahan ghar ghar shyama ji ki jai ho rahi hai Vrindavan mein Mathura mein jao jai shri Krishna shuru ho jaega lekin yahan ye nij mahal yahan jai shri Radhe jai jai shri Radhe ghar shyama ji ka archan vandan hai ladli lal ki seva yugal seva hai.
premi jan mukh suniyat jata ras mein naam lali ko Radha Radha Radha yahan patta patta bolta hai. Vrindavan ke vriksh ko maram na jane ko yahan dal dal aur pat pat mein shri Radha Radha Radha Radha yasho mukhar mat khagavli ke yahan ke pashu pakshi sab Radha Radha shravan indri dushit hai isliye sunai nahi de rahi premi jan mukh suniyat jahan ta ras mein naam lali ko ja dekho Radha Radha ladli ladli shyama shyama hari bhakt tan so bihrat poohe milbo prem gali ko ya hari ke premi janon se pocho ki wo prem gali kaun si jismen shyama Shyam milte hain wahi bata sakte hain prichay nitya vihar nirantar nirkhe kyonki ye ras mein raas sthal ko ye raas bhumi hai kitna aho bhagya pyari ke nij ghar raas bhumi mein ham vas kar rahe ham baithe raas bhumi mein gaur Shyam ko sakhi rup jan kar sang bhav rali ko ye raas bhumi sahachari bhav pradan karti hai sahachari swaroop se apni pyari jo pyari jo ki divya leela mein pravesh pa jana gavat Radha naam to rup ras leela to bihran kunj gali ko jiski jibhya pe Radha naam hai netron mein Radha rup hai to uska viran nitya nivat nikunj ki kunj galiyon mein hota hai.
ye ras marg hai bhave jo jako meetho naam lali ko ye ras marg hai ye usi ko prapt hota hai jisko ye mitha Radha naam priy lag gaya Radha naam sudha rasam raseetam jiha mein bihla Radha Radha Radha jab man lage yugal rup chavi dhan chhinwah ghri ko kashi mein bhi rahe, ganga kinare bhi rahe aur dham mein bhi rahe. Badi kripa bhagwan ki hui ki bada aise ghuma ke laye. Yahan ek ajeeb sthiti hai. Yahan ek alaukik sthiti hai. Ye vani ki samarth nahi ki bata. Ek second mein khatm. Sab khatm. Sab khatm. Ek second mein sab khatm na buddhi ki pravinta rah gayi na koi shabd hai na koi sankalp hai na koi chintan jo dala ja raha hai bas wahi rang chhaa raha hai kahin koi karta nahi bacha koi bhogta nahi bacha ek second mein aisa ho jaata hai yahan bada siddh bhumi hai ye sachchi kahte hain wo vani ki samarth nahi ki bata sake badi siddh bhumi hai ye Vrindavan badi siddh bhumi hai jab man lage yugal rup chavi dhan chhinwah ghri ko jin ras chakhyo vipin raj ko to sab jag lage pheeko bole jisko Vrindavan ras chakha diya
Vrindavan ne sab phika lag yahi ek second mein dubo deta hai ek second mein banraj ki mahima bahuvid so gawe so hai rasik bhali ko payo phal avli madhuri ye guru sharanagat hi ko ye Gurudev ki sharanagati ka phal mila Vrindavan ras chakhne ko mila isiliye shripad karuna karke kah rahe hain ki shri gandhwa rasik charan dwaand madhik gandha gandha nityam mati Madhukra Shri la vrinda he bhai gandhwa shri ji ka naam hai hamari shri ji aur rasik shekhar shri lal jo in donon ke charnarvind ki prem madhuri ka pan karke ye prem madhuri kaisi kahti bole mugdh karke andha bana deti andha arthat kuch nahi dikhayee deta keval shyama Shyam ye prem madhuri aisi nainan piy murat base te ras rahe samae yah lakshan sun prem ke aur na kachu suhaye kuch nahi keval Priya pritam ye sadhna nahi hai ye siddh bhumi hai sampurn prem ki vibhalta vikalta madandh kar deti hai usko jo gandhwa rasik shekhar se lal ji ke charnon ka aashray lekar Vrindavan ka sevan karta hai.
em braa ras bhara bihla dasha naam padte mein bilat mur bhakti bhave murdha jo aise Vrindavan mein vibhal hokar pyari jo pyare ju ke liye rokar pukar rahe haan kishori ha Radha ha ladle shripad kah rahe main matha rakh ke unke charnon ki vandna karta hoon jo gadgad sur Naina sajal dampati ras rah bheen i gati vrinda vipin mein phire prem tan leen kanth se awaz shuddh nahi nikal pa rahi kyonki bhav purit kanth ho gaya romach ho raha hai ankhon se ashru bah rahe ha kishori ha shyama jo ar bhav se pukar rahe aisa mahan bhagwat shri Prabuddhanand ji kahte main matha rakhkar kar unke charnon mein pranam karta hoon.
sat trati sat trati salokti chalte hain sant mahapurushon ki amritmay vani ka pan karte hain sthan naam smaran mudha sarv shastr vivarjita sarv papa mukt sagachchha param padam jo sva naam apne aradhya dev ke naam ka nirantar jap karta hai. Kuch gyan usko nahi hai. Kah rahe hain sarv shastr vivarjita kisi bhi shastr ki koi baat nahi janta hai. Aur mudh mul purush hai. Aur sarv paap karne wala hai. Sab paap kiye hain. Bahut dhyan se sunie. Mul purush hai. Bilkul shastron ka gyan nahi aur sab paap kiye hue hain.
lekin satsang se usne naam mahima sun li. Ab shuru ho gaya naam jap karna. Jaise kisi ko shabd kahe jaate hain ki bina guru ke naam japne se wah param pad mein nahi jaata hai. To aap khuli baat samjh lo. Koi bhi naam aisa nahi jo guru ne na ucharan kiya ho. Agar Ram naam hai to lakho santo ne Ram Ram ucharan kiya hai. Sun lo kahin se bhi aur man lo ki ye guru ke mukh se hi aa raha hai. Radha naam lakho bar ucharan kiya. Pakar lo na. Kan mein tumhare naam gaya to guru ke dwara hi to nikla. Use pakar lo.
ab pakdo na to kan phukwa ke bhi thodi bhagwan mil jaenge. Agar aap pakar lo to baat pakdne ki baat hai. To bole sva naam smarnan ab usne naam pakar liya ki bhai ham zyada padhe likhe nahi hamko koi shastr ka gyan nahi bahut papacharan hue ham to mudh buddhi ab raat din hamko to ek hi baat samjh mein ai keval naam japna hai Radha Radha Radha to bole sarv papa murya sagachchha param padam wah samasth papon se mukt hokar param pad ko bhagwat prapti ho jaegi uski bahut kripa shri ji ki bahut kripa agar naam japne mein aapki rati ho jae sarwavedas naam sarthom yam naam smrnam kriyte paap tarkam main tumhen samasth vedon aur itihason ka sar siddhant varnan karta hoon.
yadi tumne naam japna shuru kiya, naam smaran shuru kiya to tumhare sare paap nasht ho jaenge aur tumhen bhagwat prapti nischit ho jaegi. Ye sab shastron ka sar bata rahe hain. To bole chhote-mote paap to nasht ho jaate honge lekin jaise garb hatya hai, bhrun hatya ye mahapapon mein hain. Inko sadharan mat samjhna. Jaldi prayashchit kar lo. Nahi durgati kara denge tumhari. Yah jo ghar grahasti parivaar wale hain yah jo bhrun hatya agar hatya ko khilwad samjhte hain yah shastr mein mahapap varnan kiya gaya hai.
phir tumhare yahan jab karm ka phal tandav karega tab kahoge ki bhagwan raksha nahi karte aur hamne kaun sa paap kiya hai. Phir aise hi bolte hain dekho apna register piche. Isi janm ka register dekho kaise-kaise paap kiye hain tumne. To bole yadi kahin aise paap ho gaye brahm hatya paap ho gaya inka kya inko kaise mitaaye ye to bade papon mein hai to bole tavat garajti papani brahm hatya samanach nayavat prote naam Ramchandra tavtam he prabhu jab tak usne aajeevan naam japne ka niyam nahi liya tabhi tak ye paap uska sarvnash karne par tul jaenge aur jahan nischay liya ki aaj se ek bhi shwas naam ke bina to use aur koi prayashchit karne ki zaroorat nahi naam sankirtan yas sarv paap pranashnam sare papon se uski mukti mil jaegi bole ta naam garjanam shratwa maha patak kunjra palayte maharaj putr chit sthan lipsaya he prabhu aapka naam jab upasak japne lagta hai to mano sinh ki garjan hai.
naam japna sinh ki garjan hai. To mahapatak garjaj hai. Bhari sinh ki garjan sunkar jaise garjaj chhipne ke liye bhag parta hai. Aise paap nasht ho jaate hain. Paap bhag jaate hain. Uske hriday mein apna sthan nahi banate jahan naam chalta hai isliye tavat paap bhasha katrana supap naam yavte vacha Ram naam manohram he prabhu jitne paap hai wah sab kampayamaan hone lagte hain. Jab koi upasak yah nirnay kar leta hai ki ab to sab sadhan ek taraf ab to ham keval naam jap karenge. Sab paap tharra jaate hain. Kai bar kaha hai ki aur sab sadhan karne mein man lagega lekin nirantar naam jap karne ka man sweekar nahi karen.
naam jap ka niyam liya to paap thar jaenge. Tavat paap bhiya kaat sup naam yavte vachar naam manohram he man ka haran karne wale prabhu aapke naam ka jap karne ka jab tak niyam nahi liya ucharan karne ka bhav nahi kiya tabhi tak ye paap hai nahi to tharrakar kampayamaan hokar ye sab nasht ho jaenge jab naam kirtan hoga jab naam jap hoga yah mahapurushon ki vani hai. Papi kise kahte hain? Bole ye lok dwo murkha kumargh buddhaya te rajan durjana yeya sarv dharm bahishkrita papi kaun hai? To bole jo apni buddhi se sada gandi baat sochta rahta hai.
galat baat sochta rahta hai. Shastr virudh dusre ka dhan aphrn kaise karen? Dusre se bhog ka aphrn kaise karen? Jo dusron se sukh lene ke liye hi paap buddhi sochta rahta hai. Kumargh gami hai jo har kisi ko dukh dene ke liye tayyar hai. Sukh bhogne ke liye dusron ko dukh dene ke liye tayyar hai. Aur jo murkh hai shastr virudh aacharan karta hai. Koi bhi dharm sweekar nahi karta. Aise sarv shastr sarv dharm bahishkrit purush ko papi kaha gaya hai. Wo papi purush hai jo samasth loko se dves karta hai.
samasth loko ke janon ka shoshan karta hai. Kumargh gami hai. Buddhi keval dusre ka dhan aphrn karna, bhog aphrn karna, galat chintan karna isi mein lagi rahti hai. Jo shastr aur dharm se bahishkrit hai use papi kahte hain. Ab punya atma kise kahte hain? Kah rahe ki dharma dharm viveken ved margusaran sarwok hitasakta punyatma parikkeertita wahi sadhwa parikkeertita punyatma kaun jo bole jiski buddhi dharm aur adharm ka nirnay karne mein badi praveen hai. Nahi yah adharm hai. Yah main bhul kar nahi kar sakta.
yah dharm hai. Ise main bhulkar bhi nahi chhod sakta. Jiski buddhi dharma dharm vivekan ved margarna jo shastr ke anusaar buddhi nirnay karti hai ki dharm kise tasma shastram prmanam te karyakar vyvasthit karya aur akar ki vyvastha shastr mein ki gayi jo shastr ke anusaar chalte hain jinka vivek ye kam karta hai ki ye paap aacharan main kabhi nahi karunga ye punya aacharan dharmaacharan isko kabhi nahi chhodunga jo sab logon ka hit sochta hai. Jo dusron ko sukh pradan karta hai, parhit karta hai, use hi punyatma kahte hain.
sadhu jan use hi punyatma kahte hain. Papi kaun? Punyatma kaun? Ab bole mahatma kaun? Mahatma kise kahte hain? Bole sarwokta sadhwa parkeertita hari bhakti karam yat sad parinjitam atmana priti jankam tat punyam parikkeertitam jo samasth logon ke liye bhajan karta hai apne liye nahi samasth log sarve bhavant sukhina mahatma kise kahte hain punyatma tmaa suna papatma mahatma kise kahte hain? Bhajan apne liye mahatma nahi karta. Sabke liye bhajan karta hai. Isiliye sab use namaskaar karte hain. Sab prannon se adhik pyar karte hain.
kyonki wo apne bhajan ka sarvasv wo logon ko dan karta hai. Sarve bhavant sukhina. Sab nirog ho. Sab svasth ho. Sabki buddhi anandmay bhagwan mein lage. Kabhi koi papacharan na kare. Kabhi koi rog shok kisi ko na ho. Aise mahatma bhajan karke apna bhajan jo janhit ke liye dete rahte hain unhen mahatma kahte hain. Jo sampurn jagat bhagwan ka swaroop hai aisa mante hain unhen mahatma kahte hain. Jo nirantar bhagwan ke smaran mein magan hai unhen mahatma kahte hain. Jo vidhi purvak bhagwan ki puja shraddha bhakti karte hain unhen mahatma kahte hain.
aur jo samta shatru mitru vitam cha tatha yadachchha labh santushti sati parkeertata wahi mahatma hai jo shatru aur mitra mein saman bhav rakhta hai jo apni indriyon ko bas mein rakh ke kabhi bhulkar bhi koi papachran nahi karta aur bhagwan ki ichchha se jo dukh sukh mil jae use gambhir bhav se sah jaata hai. Aisi param shanti sthiti jisko prapt ho chuki hai use mahatma kahte hain. Ab kah rahe hain sanyasi kise kahte hain? Papatma kise kahte hain? Punyatma kise kahte hain? Mahatma kise kahte hain? Aur sanyasi kise kahte hain?
bole tatha vich dhan kalatra paribar sang sneh paas vadh parijti samashta kanchanwarga pravatt Buddha amitra daseena tully darshana sthavar andaj uja bhut naam wa man karm bhar na drohi niketa sanyaas kise kahte hain jo sanyaas dharan kiye use kaun hai jo sanyaas dharan kiye hue yahan lakshan varnan kar rahe hain jo kabhi bhulkar bhi stri sparsh nahi karta sanyasi jo bhulkar bhi kabhi dhan sparsh nahi karta agni sparsh nahi karta. Bhulkar kabhi apne parivaar se nahi milta tatha jo ghar grahasti ki bhog samgri hai usse bahut dur rahta hai.
tyag karke samasth vishakti ke bandho ko tod karke jis jo aniket hai jiske vas ka hi thikana nahi. Aniket koi apna ghar nahi. Dhele patthar aur sone ko jo saman samjhta hai arth dharm aur kam tino ka tyagi hai shatru mitra udasin sabke prati saman drishti rakhta hai sthavar andaj pindaj shwadaj ud samasth praniyon mein man vani aur karm se kabhi droh nahi karta jo param swatantr sacchidanand rup mein sthit ho chuka hai agar kisi ganv nagar aadi mein gaya to kisi dev mandir mein tike ya nagar ke bahar kisi vriksh ke niche ganv mein bhiksha ke liye ek raat ek din bhiksha le bahar ganv ke tike nagar mein panch raat panch din bhiksha le sakta nagar bahut bada iske alawa bina mange, bina prayas kiye yadi mil jae to usse gujara kar le.
kam, krodh, darpa, lobh, moh, kripanta, damb, ninda, abhiman, hinsa aadi se jo purn dur hai use sanyasi kahte hain. Jo bhulkar bhi dhan ka sparsh nahi karta, stri ka sparsh nahi karta, parivaar se sambandh nahi rakhta. Samasth bandho ko tod ke param swatantr samdarshi hokar vichran karta hai. Ganv mein ek raat ek din bhiksha nagar mein panch raat panch din bhiksha. Ganv mein tikna hai to ganv ke bahar vriksh ya mandir mein nagar mein to nagar ke bahar kabhi kisi ke gharo mein tikne ke liye shastr agyaa nahi deta ki unki saiyaon par aisa hamne dekha hai mahatmaon ko school mein tik gaye ya bahar koi aisa nivas sthan hai ekant sevan aur ratri mein kab nikal gaye pata nahi chala sache santo ko dekha wo yah bhi nahi batte the ki subah chale jaenge aram se sahan kiye jab dobara dekha gaya to takhta khali mila the hi bade hi veetrag parman sanyaas dharm bahut uchh koti ka hai.
samasth ashraomo ka guru dharm hai. Jaise brahmcharya grihasth vanprasth aur sanyaas ye chaturtha har ashram ka guru ashram mana gaya hai. Sanyaas ab ismen jo paddhti hai uske anusaar chale tab wo uchh koti ki us swaroop sthiti ko prapt hota hai. Jo sampurn dabha vikar deh pashyatini sharir ke chhah vikar hain. Yah mera swaroop nahi hai. Kal ek prashn karta ekantik mein prashn kah rahe the ki koi kahta hai main brahm hoon. Koi kahta hai main bhagwan hoon. Koi kuch kah raha hai. Ye sab theek hai kya? Mujhe to sab theek nahi lagta kyonki mujhe to kahin anubhav nahi hota ki mere andar bhagwan hai, mere andar brahm hai.
ab aise logon ko kya batave? Itne log baithe ho apne ko dekha hai tumne aaj tak? Imandari se batana. Dham mein baithe ho. Bhagwan ko dekha hai. Brahm ka anubhav kiya. Ye to bahut hi baat unchi hai. Aap apne ko dekha hai. To kahoge haan dekha hai. Kahan dekha hai? Bole shisha mein dekha hai. Yahi kahoge teen hath ka sharir hai. Koi 10 20 50 hath nahi hai. Ek kamra mein hota dhundna hai to bahut samasya thi ki bhai bada kamra hai. Bahut chhota kamra hai ye. Sadhe teen hath ka apne hath se nap lo. Yah is kamre ke andar ek aur kamra hai.
us kamre ke andar ek aur kamra hai. Aur usse alag aap baithe hue ho. Bolo aapne dekha apne aap ko? Pehle kamre ko dekha hai bahar wale jaise ghar bada makan phir uske andar ek kamra. Phir uske andar niche ki taraf ek gufa. Us gufa mein baitha hua hai nirlep rup se tu dekha apne ko tat tam ati dekha bole nahi dekha to phir tum kya brahm ko dekhoge kya bhagwan ko dekhoge apni chamdi ko dekho ki gori hai ki kali hai bas isi samne dekho aur kya dekhoge baat karte ho brahm rishiyon ki baat ki avhelna karte ho koi bhi marg thodi galat hai ki bhala jeev brahm kaise ho sakta hai to brahm jeev ho sakta hai na brahm jeev ho sakta hai to jeev brahm kyon nahi ho sakta brahm brahm bhavti agyaan ki baten mat
karo jahan ho wahan se bahut unchi jagah ki baat karte ho ye brahm rishi aise majak thodi karte hain aham brahmasam wahi hai wahi kahin se bhi dekho wahi hai dusra nahi wo khel kar raha hai wahi sevak Swami khel kar raha dusra nahi bilkul dusra nahi dusro na koi jab main tha tab hari nahi ab hari hai main na hari aur main kabhi ek saath nahi ho sakte dhyan rakhna hari aur main ek saath nahi ho sakte jab main tha tab hari nahi ab hari hai main nahi brahm nahi maya nahi jeev nahi kal apni sudhi na rahi ek raho Nandlal bhakti ek gyan ek wo brahm dviti nast ek akhri mein phucho ek sawal hal hoga ek dusra nahi jab tak anek to sawal mein ho hal nahi hua.
aise baten sunte hain avhelna kar dete hain. Kabhi zindagi mein bhakti nahi aa paegi yadi ninda karoge kisi brahm rishi ki, kisi mahatma ki bhagwan ke siva koi nahi hai. Man lo hamari baat to sawal mani sankhya bhagwan ke siva koi nahi. Hal ho jaega. Vasudevamit yah sharir bhagwan nahi hai. Bole D bhava vikar deh pashyati atmani ye atma nahi hai. Ye jo aap dekh rahe ho ye chay vikar wala hai. Kya janm lena satta ki hai dikhayee de raha hai. Badhna, badlna, ksheen hona aur nasht ho jana. Ye chhah hain iske dikar deh pashyatma jo janm hota hai aur hai yah sharir dikhayee de raha hai aur badh raha hai phir badal raha hai aur phir nasht ho jaata hai use sharir kahte wah main kabhi nahi ho sakta main avinashi hoon to main sharir nahi ho sakta chhah vikar ye sharir ke hain mere nahi hai lekin birthday kiska manaya jaata hai?
atma ka. Kiska? Nashvan sharir ka. Khushi mana rahe. Ek aur manaya jaata hai. Aae the hamare paas. Donon ko mala pahna do. Aaj hamara din hai kaun sa? Ab ham angrezzi nahi bol pate. Shadi ka din shadi ka salgirah aisa. Ab batao. Are bhai ham kah rahe kisi ne utsav manao 24 ghanta kirtan rakhwa lo dhanyavaad tum roz manao ham roz malao kah rahe roz birthday manao lekin naam kirtan karo is sharir ko tum itna mahatva diye ho aur swaroop ko bilkul nahi jo gyan bagate age aise ate hain bilkul brahm hi bodh ho chuka hai aise baat karte hain sthiti nahi hai kakara ki sachchi mano.
ab jaise apne log ko pata chalta hai na jaise aap baat kar rahe to pata chal raha hai aapki sthiti kya wahan buddhi se thodi wahan to sthiti pata chal raha hai bhaiya sugandh hoti hai aur ek hota hai nakli phool to nakli phool ko chahe jitna nak mein sungho nahi nak mein phir bhi galad ane wali asli phool dur se pata chalta hai kya ismen gandh hai aise hi brahm bodh sampann ya brahm bodh ki varta karne wale ka alag swaroop hota hai pakka samjh lo yah jo janm leta hai jo yah hai sharir badalta kaise badal raha hai ek din muchchha nahi thi phir muchchha ai ek din kuch nahi kaisa iska khel hai kaisa iska khel hai aur isi ko main mane hue hain.
he bhai yah jo sharir hai yah chhah vikaro se yukt hai. Yah nasht ho jaega. Yah tum nahi ho pakka. Age kah rahe iske chhudha trisha sukh dukh bhay aur mrityu ye hona hi hai ye vikar tumhen sukham bhay dukham pran Buddha nireekshate ye jo sharir hai iske chay ye hai aur antim suno ye bhookh se pyas se sukh dukh se bhay se jo vyakul rahte hain ye pran hai tum nahi ho na tumhen bhookh bhookh lagti hai na tumhen pyas lagti hai na tumhen bhay hai na shok hai na tumhari mrityu hai tum alag ho sansarik dharm tere ko sparsh nahi kar sakte agar tu guru ki sharan mein hokar yah baat jaan jae to tu kya hai samjhiye bole pashyti sarv guham tam chitam satyam anantam alepkam sarwagtam varanyam te seetya bas tu chidgan swaroop hai chidanand hai chidgan mein koi prhar nahi ho sakta tu satya swaroop hai tere mein kabhi kam krodh nahi ho sakta tu anant mahimamay hai tu anant ka bachchha hai anant mahima tu ek hai tu nirle lep hai aur tu hi sarwagat hai.
tu hi stutya hai. Stuti teri karne layak is sharir ki nahi. Aisa to parmeshvar swaroop hai. Ab aap samjh lijiye. Jab aap khojoge to khojne wala nahi rah jaata. Jiski khoj ki jati hai wahi rah jaata hai. Bhav iska samjh lo. Jab darpan tha to do dikhayee de rahe the. Main aur main ka ek pratibimb aur darpan jab khinch liya to keval main bacha pratibimb gayab ho gaya. Bas ye shuddh gyan ki baat samjh lijiye. Maya pratibimb mein yah bhas raha hai. Sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir aur iska pratibimb main main purush, main stri, main vidvan, main dhanvan, main rupvan, main gunvan bahut vichitra koi pashyti sarv guhashyastham.
abhi aap ko bataya ki bahut guh sthan mein baitha hai. Sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir pura bada makan phir ek kamra kamra ke niche bhai dhara usmen gufa mein hai. Wo param tejomay baitha hua hai. Kaun bole tam chidgham satyam anantam ekam tu ek hai anant mahimashaali chidghan swaroop tu hi wahan baitha hua hai. Dekho apne ko phir yah prashn khatm ho jaega ki log aisa kahte hain ki main brahm hoon aisa kahte hain aisa tu wahi baitha wahi wahi alepkam tere mein koi vikar sparsh nahi kar sakta sarwagtam varenyam wahi tu hi stuti karne layak hai kyonki tu paramatma swaroop hai ye kaise hoga bole nirantabhyas dridh kritma naam tat seva parinishtha naam ta naam keerta kalamshas naam jo log nirantar ye abhyaas karte hain naam jap kar rahe hain sharir ke sukhdukh ko apna nahi mante sah rahe hain bahut sachchi baat samjh lo nach
padoge itna anand aa jaega bhagwat anand abhi paya hi nahi isiliye vishyand mein man ja raha hai jis din tumhen vastvik anubhav hoga ki are mrityu sharir ki hoti teri nahi vikar antahkaran mein ate tere mein nahi bhookh pyas prannon ka dharm tera nahi usi samay tu parmanand tha parmanand hai parmanand rahega ek apaar masti aa jaegi ek apaar masti aa jaegi jaise ek ek rupya mangta footpath mein aadmi ghum raha ho achanak usko uska mitra aake bata de tu to yuvraj hai chakravarti samrat ka nahi nahi main yuvraj kaise ho sakta chal abhi prichay dilata hoon aur deeenae check karwaya raja ka aur uska yuvraj ka mil gaya deeenae aur tatkaal usko yuvraj pad jo tha wahi mila ab bolie us footpath ke bhikh mangne wale rajkumar ki padvi jab prapt hui to usko kaisa anand hoga hamara aur hari ka deeenae ek hai nahi hai dekho na mamai vanso bhagwan kah rahe na eeshwarans jeev avinashi aur chetan amal sahaj sukh rashi jo anand sindhu sukh rashi sukh rashi sukh rashi deeenae mil gaya avinashi avinashi deeenae mil gaya hamara
bhagwan ka ab ham bhagwanand ka samrajya prapt kar liye samjh lo sachchi baat samjh lo bahut gadh vishay hai swai jaan jeh dehu jana nai age wali baat to janat tum hue jai kuch nahi natak manch pe natak mila tha aur natak ki jagah ham satya man gaye bas ye baat ho gayi natak manch ke pehle kaun tha bole main to jab natak manch pe pehle jo main tha usko tumne yad kyon nahi kiya natak manch mein jo joda gaya us main ke saath kyon kyon jod liya? Bole kya jod liya? Bole main stri natak manch mein stri bheja gaya to main mein keval rahta stri bhav ke liye aaya.
main ke saath jo joda gaya wo sab bandhan main vidvan main dhanvan main kulvan main stri mein purush main amuk main main shuddh brahm aur main ke saath joda gaya wah shuddh maya. Bas yahi hatane ke liye sadhna mili hai. Chahe sevak sev bhav se hatao, chahe naam kirtan se hatao, chahe bhajan se hatao, chahe gyan se hatao. Baat ek hi hai. Maya hati to ek hi bacha jo shuddh Buddha bhagwan ka swaroop hai. He prabhu jo nirantar abhyaas karta hai chitt ka aap mein lagane ka jo sarvda charan seva mein laga rahta hai aur jo aapka naam jap karta hai to aapka nivas grah ka prichay mil jaata hai.
kahan aap nivas kar rahe hain? Bole pasant ye sarv guha sastam dhara ke andar yah makan makan ke andar kamra sukshm sharir aur kamre ke andar bhai dhara karan sharir aur uske andar baitha hua hai wo paramatma tatv wahin se pura ka pura sanchan ho raha hai sthul sukshm karan sab kar param prakashak joi kuch antar nahi kuch antar nahi samudra aur samudra ki tarang mein koi antar nahi. Vayu vikar hata to samudra hi samudra. Jab pehle keval prabhu the baad mein bhi keval prabhu rahenge to beech mein keval prabhu hi hai. Koi hai nahi.
tu apne sharir ko main mankar prabhu se alag samjh raha. Nahi isko hata aur dekh tu bhi usi ek samudra ki lahar hai aur kuch nahi hai. Jiske prabhav se maine aapko jana main un Gurudev ke charnon ki apaar mahima ko namaskaar karta hoon. Bas guru charan kripa se hi jana ja sakta hai. Isliye khub naam jap karo. Koi adharmacharan na banne pave. Is jeevan mein mujhe bhagwat sakshatkar ho jae. Priyal ke liye rona aa jae. Priyal mere netron ke samne aa jae. Yahi param labh hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…