॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1075 · 27 october 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki sagurudev bhagwan ki jai vinod kumar ji Haryana se shri Harivansh maharaj ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapne satsang mein sandhya ke samay kuch bhi khane ko nishedh bataya tha.

aapse nivedan hai ki sandhya ka samay kya hai aur is samay hamen kya karna chahiye? Kya nahi karna chahiye? Haan 45 minute age aur piche surya bhagwan ke ast hone ke usko 48 samjh lijiye. Do ghadi 24 24 minute 24 * 2 = 48 do ghadi ka samay sandhya ka samjh lijiye ki jaise is samay pau:45 baje dubta hoga din pau:45 baje to pau:45 baje ke 24 minute ghataie 5:21 5:20 haan to man lo 520 se sandhya lagu ho gayi 61 24 minute idhar aur phir ast hone ke baad 24 minute pau:45 ke baad 24 minute jodie 10 610 610 matlab 610 ke ye 5:20 se lekar aur 610 tak beech mein jaise bhojan hai, swadhyay hai, sahwas maithun hai.

ye sab kriyaen mana ki gayi hai. Us samay shant bhav mein bhagwan surya ko argh dekar Gayatri jap hai, guru mantr jap hai, naam jap hai. Us samay jap pradhan rahna chahiye. Sandhya kal mein yah 48 minute ka samay beech ka 24 minute idhar 24 minute idhar donon ko chhod ke phir iske baad pale ya pehle pale lekin sandhya ke samay bhojan mana kiya gaya hai. Ek ghanta ki baat hai. Chhota-mota 48 minute matlab agar ham karya kar rahe hain koi aur naam jap karte haan haan bilkul wo us samay naam jap jarur karna chahiye. Ab man lo kisan hai to apna kam to karega.

vyapari hai to apna kam karega. Par us samay jaise sandhya ka samay to dhyan aa gaya na sandhya ka samay ab bhagwan ka smaran prarambh kar de apne karya karte hue kyonki jeevan mein karya kabhi samapt hone wale hain nahi. To ham bhagwan ka bhajan thodi chhod denge. Bhagwan ka bhajan to karna hi chahiye. Ji Sanjay Yadav ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji jab bhakt bhagwan se kuch nahi chahta to bhagwan kya dena chahte hain phir kya denge apne aapko apne aap ko yah bada powerful chintan hai jab ham kisi ka bhajan karen ya sevan karen kuch chahe na ismen bada power hai jaise aap koi seva kiye to hamara man hoga aap kya lenge?

kuch nahi. Phir aap seva karen. Phir poohe kya loge aap? Kuch nahi. To jitna aap kahoge kuch nahi utna hi ham aapke prati samarpit hote jaenge. Aapke prati ham yahan tak samjh lo ki kamzor hote jaenge. Ham itna kamzor ho jaenge ki ek din aapke samne ham sakuch jaenge. Jab aap kuch nahi lenge to aapki adhinta ho jaegi. Aapki adhinta ho jaegi. Dekho sarvlok maheshvar akhil bramhandon ke Swami bhagwan shri Ram hanuman ji se kahte hain kitni sakuch hai is baat mein dekhna prati upkar karo ka tora sanukh hoe na sakat man mora main aapki seva ke badle mein kya karun matlab itna man sakuch gaya hai ki tumhare samne nahi ho raha hai.

sanmukh ho na sakat man mora sun sut tat purin main na kar vichar dekha man ma he tat he putr he vats main tumse kabhi u nahi ho sakta bhagwan adhin ho gaye nishakmata mein jab ham seva karte hain kisi se aur kuch nahi lete to wo adhin ho jaata hai wo sab kuch jaata hai. Yahi sabse badi baat hai. Seva ka swaroop yahi hai ki Swami prasann hokar ke aisa soche ki main kya du aur sevak mujhe kuch nahi chahiye. Yah sevak aur aise Swami birle hain. Aise Swami sirf bhagwan hai aur aise Swami sirf bhakt hain.

jo akinchan aur nishkam bhakt hain. To bhagwan apne aap ko de dete hain. Jo kuch nahi mangte hain unko bhagwan apne aap ko de. Un bhakton ke piche piche bhagwan dolte hain. Kahin koi vipatti kahin koi kasht na ho jae. Jahan mera bhakt charan rakhe wahan rakhun main hath. Piche piche main phirun kabhi na chhanu saath bhaktan pache yo phirat jo bachhra sang agar thoda bhi koi sankat ka avsar aata hai wahan bhagwan turant bhakt ka sahyog kar dete hain bhakt kyonki wo nishkam bhakt hai na jahanjahan bhaktan ko kachu parat hai sankat aae tahan apun beech hoe us sankat mein turant uski raksha karte hain to bahut uttam bhakt bhakti hai jismen bhagwan se manga na jae par ham log aise mangta hai ki bhakti thodi hai aur maang bahut zyada hai matlab bahut vichitra sansaar ka swaroop hai aur bhagwan ne 10 bar aapki baat purn kar di hai aur 11vin bar purn na karen to shraddha khatm aisi bhakti hai 11vin bar agar hamari baat na purn karen to shraddha khatm ho jae aisi aisi bahut najuk bhakti hai.

bhakti bahut balvan aur pusht honi chahiye. Wo nishkam bhakti hoti hai. Ham aapse pyar karte hain. Aap hamari taraf na dekhen. Aap hamko kabhi sukh na pahunchae to bhi main aapse pyar karunga. Yah balvan bhakti hai. Aur yah de do bhagwan ye de do bhagwan yah de do. Aur jab bhagwan ne dekha ki yah chij iske liye theek nahi hai aur nahi diya to bhagwan se ashradha ho gayi. Hamari patni bahut mangte rahti hai bhagwan se. Waise hamen lagta hai mange kyonki pita hai, sarveshwar hai, sarvlok maheshvar hai. Par un par yah chhut de de ki tumhari ichchha ho to purn kar dena aur tumhari ichchha na ho to purn mat karna.

ham mangte rahe hamara mangne ka swabhav hai. Lekin jisse hamara mangal ho wahi baat purn karna. To ham bhagwan ko chhut bhi to de de. Ab yah hona hi chahiye. To aisa bhi nahi bhagwan sevak thodi hai wo Swami hai wo dekhenge jaise chhota bachchha maa se kahta ham chaku se khelnge to chaku se thodi wo bahut viraj jae kyonki wo janti hai ki chaku se khelnaa chalega apne mar lega aise hi bhagwan se yadi ham maya mange aur bhagwan dekh rahe hain ki isse iska mangal ho jaega to phir denge nahi chahe jitna ro kyonki bhagwan mangal bhavan hai wah apne bhakt ka mangal hi karte sarwashakti upadhyay ji Radha vallabh shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji Gurudev jab mere jeevan mein pratikultaa thi tab naam jap nirantar chal raha tha parantu jab se jeevan mein anukulta ai hai evam maya ke prabhav se samaj mein prashansha rupi sammaan mila hai kabhi-kabhi tab mera bhajan nahi ban pa raha maharaj ji isiliye sammaan ko vish kaha gaya hai.

apman ko amrit kaha gaya hai. Anukulta ko aur pratikultaa ko donon ko saman karke bhajan kiya jae to baat ban jaegi. Dekho anukulta rahegi nahi. Jab pratikultaa nahi rahi thi to anukulta kaise rah jaegi? Jaise din hai to raat aayegi. Raat hai to din aayega. Aise hamko anukulta mein dat ke bhajan karna chahiye ki pratikultaa ko sahne ki samarth aa jae aur pratikultaa mein bhajan to hota hi hai bhakt ka kyonki wo bhagwan ke siva aur koi aashray nahi rahta anukulta mein thoda man manoranjan mein lag jaata hai to usi ko sambhal lo anukulta mein sambhal lo to badhiya baat agar hamara anukulta mein bhajan ban raha hai dat ke to pratikul lata mein swabhavic bhajan banega.

kuch logon ka kahna hota hai ki anukulta mein bhajan hota hai. Pratikultaa mein chhut jaata hai. Par siddhant hai yadi anukulta mein bhajan karoge to pratikultaa mein aur gadh bhajan hoga. Kyonki bhagwan ke siva koi hamara aashray data hai nahi. To ham aur bhagwan ka bhajan karte hain. To jahan sukh samgri aati hai wahan bhagwan ko bhul jaate hain. To aisi asavdhani na karen. Sukh mein aur bhajan karen. Niyam purvak bhajan karen to ham vipatti par vijay prapt kar lenge. Jo kal ane wali hai us par ham vijay prapt kar lenge.

Gurudev bhagwan kripa karen ki mera naam jap hona chahiye. Aap khub naam jap mein ji jatin saini ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji main pichle 4 sal se ekantik vartalaap sun raha hoon. Naam jap se jeevan mein bahut parivartan aaya hai. Par jab dusron ke man ki baat sunne ko milti hai ki unke hriday mein gande vichar aa rahe hain. Mere man mein to ate nahi hai maharaj ji. Kahin main galat marg par to nahi hoon. Yahan ahankaar mat karo. Ahankaar ahankaar mat karo ki mere man mein gande vichar nahi ate.

aise ahankaar na karo. Alag-alag dhara hai. Mano jaise ye bhajan kar rahe hain. Inko char sal hue lekin aap 10 sal purv janm mein bhajan karae hain. Aur is sal mein abhi sunav jagrit ho gaya. Bhajan shuru ho gaya. To aapka 10 sal piche ka hai na? To jud gaya na to aap age chaloge to aap aaj se age thodi chal rahe hain. Piche bhajan hua hai wahi jagrit hua hai. To piche jo ladaeeyan ladi wo aaj lad raha hai. To wo jab aaj ka anubhav bataega to aapko lagega ki hamare to aapka 10 sal ka piche ka stock hai. Samjh pa rahe hain aap?

to ahankaar na karen. Dainya bhav se rahe ki bhagwan ki badi kripa hai jo hamare andar koi vikar nahi aa rahe aur naam jap mein badi priti ho rahi shant bhav se chale aur jo jap raha hai aur jiske man mein vikar aa rahe hain bhagwan un par bhi kripa karenge aaj nahi to kal unka bhi hriday nirmal ho jaega kyonki naam jap chal raha hai to nirmal to ho hi jaega to aise ahankaar kabhi na karen ki mere hriday mein koi dosh nahi hai. Mamta rani ji Radhe Radhe Radhehe maharaj ji maharaj ji manushya jeevan mein ane wali paristhitiyon ke samay bhi jab use charon taraf andhkar hi dikhayee de to naam sumiran bhajan aadi us samay kaise sambhav hai maharaj kyon nahi us samay to bilkul aise sambhav hai jaise tufan aa jae pahar ka aashray le le tufan aa jae aur pahar ka aashray le le to aise hi jab koi aashray nahi dikhayee de raha tabhi to chakacha aashray bhagwan ka hota hai tabhi to samasth shadra dridh aashray hota hai ki he bhagwan he nath ab aapke siva koi nahi hai.

he nath aap sambhalna he bhagwan aap sambhalna wahi to sharanagati ke liye theek avsar hai jab koi sahyog na de tab sachchi sharanagati hoti hai bhagwan ki koi ab nahi hai na charon taraf andhera aapke siva koi nahi to aisa kaise ho sakta hai ki sansaar hamen saath nahi de raha aur bhagwan ki yad hamen na ave aisa kaise ho sakta hai ham bhakt hain kahin na kahin satsang sun rahe hain kahin na kahin santo se mil mil rahe hain to hamare hriday mein ek baat to hai ki jab koi sahara na dega to bhagwan to hai na to bhagwan ka aashray vipatti mein bahut jor ka hota hai he nath ab aap hi bachao he prabhu ab aap hi izzat rakh sakte ho he bhagwan ab aap hi hamara sahyog kar sakte ho us samay to aisi prarthna pratiphal hoti hai aur ekdam tadatma ho jaata hai bhagwan mein jeev jab sankat aata hai jab vipatti aati hai par wo jo bhagwan ka bhajan kar raha hai jo bhajan nahi karega mara ghumega usse phone milaega usse baat karega usse baat karega nirash ho jaega zyada nirash ho jaega to ki soch lega wo bhagwan ki taraf jane ki nahi sochega jisne

bhajan nahi kiya jo bhagwan se nahi juda hai usko rasta nahi pata hai bhagwan ka nahi to jo thoda bhi bhajan karta hai to jahan vipatti ai to ekdam samit gaya aur ekant hokar bhagwan ka sumiran karta hai aur uske vipatti ka nash nischit hoga jo vipatti ke samay bhagwan ka sumiran karta hai. Hari smriti sarv vipad vimokshana bhagwan ki smriti samasth vipattiyon ka nash kar deti hai. Pakka khub naam jap karo aur kabhi bhi sankat ave to keval bhagwan ka aashray lo. Keval bhagwan se prarthna karo. Keval bhagwan ko pukaro.

karnal rupendra pathak ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji life mein sab accha chal raha hai bhagwan ki kripa se mushkil wakt mein bhi bhagwan nikal dete hain par ek bhavna rahti hai ki samay nikla ja raha hai bahut kuch karna baki hai aur aisa na kar paye aur antim samay aa gaya to kya hoga aisa kya kiya jae ki sab khushi se samapt ho dekho ye life sukh purvak kat rahie. Yah koi khas baat nahi hai kyonki sharir chhutega aur aap jis karya ke liye pradhan aae hain us karya ko yadi kar nahi rahe hain to bade bhagya se manushya sharir mila hai.

abhi sharir chhut jae iske baad hamko kis yoni mein jana padega. Koi hamen pata nahi hai. Pashu pakshi kida makoda suar kutta gadha kya banaya jae kuch pata nahi hai. To hamko sadhan dham moksh kar dwara pai na je parlok samara so partr dukh pave sir dhun dhun pachtae manushya sharir se aisa sadhna kiya jae ki kam se kam mujhe agla janm phir manushya ka to mile anya yoniyon mein to na jana pare kitna itna dukh hai anya yoniyon mein bahut dukh hai. Apne to thoda kahin dard ho jae, pida ho jae to doctor se mil sakte hain.

lekin janglon mein pashu pakshi hain. Ghav ho jaata hai, kanta lag jaate hain, beemariyan aa jati hain. Unko kaun dekhta hai? Man lo paltu pashu ki to aushadhi palne wala karva diya. Lekin jo janglon mein hai jo bahut si aisi yoniyan hain. Bahut accha ham khanpan rupya paisa makan ekatrit sab kar liye lekin jab sharir chhutega to kuch saath nahi jane wala to jo saath jane wala hai us par ham dhyan den ki wah bhi hamare jeevan mein hona chahiye jaise yah bhi avashyak hai to wah bhi ati avashyak hai. Hamara parivaar hai uske poshan ke liye dhan chahiye.

dhan ke liye hamen rashtr seva rupi nokri mili hai. Usse hamen dhan milta hai. Parivaar ka poshan hota hai. Aur ek sammaniay nokri hai. Koi sadharan nokri nahi hai. Jo army ki hai. Yah bahut sammaniay hai. Jo sainik apne prannon ko balidan karke border par har kasht sah raha hai. Usse bada ham do hi ko sammaan karte hain. Adhik sant aur sainik jo sant tapasya purvak jeevan vyatit karke apne jeevan ki tapasya samaj ko dete hain. Aise hi sainik apne parivaar ka prem chhodkar rag chhodkar sukh suvida chhodkar wo border pe ham chain se sote hain.

wah raat mein jagta hai. Wo goli khane ke liye tayyar hai. Isliye ham uska sammaan karte hain. To bahut shandar aapki nokri hui hai. Bahut sammaniay nokri hai. Bas naam japna shuru kar dijiye. Agar naam chal jae to parlok sambhal jaega naam se aur is lok mein to bhagwan ne bana hi diya. Ab agla hamara jo janm ho ek to hona aur agar ho to phir mujhe bharat mein manushya sharir mile aur phir main sadhna karke bhagwan ko prapt ho. Apne rashtr ki seva karun. Isliye naam jap jarur kijeyega. Bhagwan ka naam jap keval agar chal raha hai to aur puja path na bhi hoga to sab theek ho jaega.

naam jap se sab theek ho jaata hai. Naam jap se antim samay apne putr ko pukara Ajamil ne narayan to uska kalyan ho gaya. Ham janbujhkar narayan narayan japenege hamara kalyan nahi ho jaega. Pakka ho jaega. Isliye naam jap kijiye. Jo aapko naam priy ho bhagwan ka wo naam jap kijiye. Ayush ji nepal se Radhe-dhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera swabhav thoda hasy priy hai. Mujhe logon ko hansana aur unhen khush dekhna accha lagta hai. Isliye main unhen hanseezak ki baten batata hoon. Lekin kai bar log mere is swabhav ko halke mein le lete hain.

ve majak mein kuch bhi kah dete hain aur main kuch nahi kahta kyonki mujhe lagta hai ki agar jab tum majak karke hansate ho wo majak kar de to kya pareshani hai? Tumko bhi hans dena chahiye. Nahi bura nahi manna chahiye. Dekho agar hamara vinodi swabhav hai to ham kisi na kisi ka uphash karenge na tabhi to hansi hogi. Kisi na kisi vastu vyakti sthan uska uphash karenge. Agar koi hamara uphash kar deta hai to maharaj ji main kisi ka uphash nahi karta hasane ke liye baten mein jo wo sichueshan ke anusaar hoon.

ye kah rahe hain meri baton ko phir wo halke mein le jaate hain. Un koi vedant ki baat thodi ki aapki bahut gahri baat hai. Halki baat to hai hi hansana halki baat to hai hi na. Vedant ki baat jo shastr ki baat hai wo halki baat nahi hai. Use gahrui se samjhna chahiye. Hansi majak ki baton ko gahrui se thodi lena chahiye. Aap gahrui se le rahe ho. Isliye aapko lagta hai samne wala halki baat hamari karke hamko nicha samjh raha hai. Aap gahrui se le rahe ho. Aapko nahi lena chahiye. Samne wala yadi hamara vinod kar raha hai.

hamara majak uda raha hai to hamko bhi hans dena chahiye. Apne ko apni masti mein rahna chahiye. Dusra hamen kya kah raha hai aisa dekhoge to mast nahi rah paoge. Dusra uski mati hai. Uski buddhi uski khopdi hai. Wah apna kam kar rahi hai. Hamari khopdi jo kam kar rahi hai, hamko apne mein mast rahna chahiye. Theek hai na? Naam jap karte ho? Haan bahut sundar hai. Prabhat ray ji Varanasi se. Radhe-Radhe maharaj ji. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji maine pulis ki seva mein ane se purv shri Ramcharitmanas par hath rakhkar kasam li thi ki jeevan mein rishwat nahi lunga.

abhi tak nirwahan bhi kar raha hoon. Parantu anekon log samjhate hain ki agar koi vyakti khushi se de raha hai to lene mein kya jaata hai? Ham ek sainik hai jo samaj ke suraksha ke liye hamen hamen sarkar vetan deti hai. Khushi se koi hamko de de to koi ham tirth purohit thodi ki koi khushi se de diya. Ham ek sainik hain. Khushi se wahi dega jo dosho ko chupana chahta hai. Aur nirdosh ko phansana chahta hai. Wahi khushi se dega. Nirdosh kabhi aapko paisa nahi dega. Dega to doshi hi dega. Kyon? Aap vichar karke dekho.

jab ham nirdosh hain to ham aapko paisa kyon denge? Lekin jo doshi hoga na wo aapko wo aapki buddhi ko bhrasht kar dega aur wo aapke parivaar mein bada kup prabhav laaega. Kabhi nahi. Jaise aap bole na aise ek officer the pulis officer to unhone kaha ki maine jab se aapka satsang suna tab se main kasam le liya hoon ki kabhi ghas nahi lunga aur mere adhikari mere upar jor dalte hain to ham kaha ye video par jaega aapka jaisa bole mujhe iski koi parvah nahi kaha saspend kar de jao bole teen bar ho chuka hoon saspend bole mujhe iski koi parvah nahi hai ab main kasam khata hoon ki aajeevan kabhi ghas nahi lunga to aise hamare vandneey raj karmchari hote hain jo aisa niyam lete hain.

jaise aapne kaha Ramcharitmanas par hath rakhkar bahut dhanya hai. Jeevan dhanya hai. Aap apna jo kartavya karm kar rahe hain na yahi puja hai. Par aise logon ko pyar bahut kam milta hai. Kyonki sansaar mein aap jaise log bahut kam paye jaate hain. Aap logon ko uphash zyada mil sakta hai. Neechapan dikhaya ja sakta hai. Aajkal jaisa hawa chal rahi ho waise baho tab to log sammaan karenge lekin aisi sthiti mein lekin aisi sthiti mein bhagwan sammaan karega aur jisko bhagwan pyar deta hai wahi vastvik pyar hai ye chhal kapt log kapti log pyar karen to usse kya fayda bhagwan pyar karen yahi ek sabse badi baat hai to aap achhche se chaliega koi khushi se devi to nahi lena chhote adhikari jo hote hain unko bade adhikariyon se bahut dabna parta aur bade adhikari jaisa adesh karte hain aur na chahte hue unko palan karna parta hai.

lekin wah bahadur hote hain jo swayam kabhi ghas nahi lete. Swayam kabhi adharm ka paisa nahi lete. Dhanyavaad hai. Aise bahut se hi honge. Ham unko dhanyavaad dete hain jo dharm se chalte hain. Kabhi ghas nahi lete. Kabhi nirdosh ko dand nahi dete aur doshi ko bakhashte nahi. Yah bahut adhikar apne adhikar ke anusaar chale to bahut samaj ki seva ho sakti hai. Bahut donon ke phal mein kya antar hoga? Ek nahi le raha khushi se de raha hai aur ek le raha hai. Iska aur iska kya hoga? Haan jo le raha hai ab ham kaise tumhen batayen?

chalo ke parivaar ke pure sadasyon ke photo lijiye aur unke parivaar ki jankari kijiye kaise chal rahe hain aur jo nahi le rahe hain aap unke parivaar ki jankari kijiye. Parivaar ke liye hi to arth liya jaata hai. Ham prayah dekha hai bade-bade adhikar ke pado mein agar aapne ghas adhik li hai to aapko ant mein rona padega aur ant mein aapko vinash apni ankhon se dekhna padega. Apni ankhon se sab kuch nasht hote hue aapko dikhayee dega. Isliye bahut hosh mein rahna chahiye. Ghas beimani adharm ka paisa parivaar ko bahut hani pahunchata hai aur apne to jalenge hi kyonki apna karm hai isliye bahut dhanyavaad hai aap namak roti khao bhale saikil se chalo lekin jo hamari sarkar fees deti hai payment deti hai usi se apna gujara karo anya paise lene ki koshish mat karo to aajeevan tum badshah rahoge apne man ke badshah rahoge tumhen kabhi apna man tumhen glani mein nahi laaega tumhen mein rahega.

theek hai. Ham apne bachchon ki kamnayen purn nahi kar sakte. Ham apne parivaar ko vip nahi de sakte bhog samgri. Lekin main dharm se chala hoon. To yah aapko ek andar pushta pradan karenge aur bhagwan aapke sahyog mein rahenge aur jiske sahyog mein bhagwan rahte hain uska mangal hi hota hai. Maharaj ji inka bhi sem similar prashn hai. Ye kah rahe hain ki anaitikta se arjit dhan prapt karta hoon. Pata hote hue bhi kahin na kahin galat kar raha hoon. Lekin man sanket deta hai ki sab kar rahe hain wah to sahi sahi chal raha hai.

nahi nahi aisa aisa nahi hai. Sab kar rahe hain to sab bhog bhi to rahe hain. To mujhe lagta hai thoda apni avashyaktaon ko kam karke yadi ham dharm purvak chale to zyada accha rahega. Ham beimani ka dhan na len. Ham anaitikta ka dhan na le to accha hai aur jo aa chuka ho usko gaushala hai beemaron ki jahan free davaen di jati hain aisi jagah mein usko de dena chahiye apne ko dharm purvak kamana chahiye dharm purvak khana chahiye jisse aapke bachchon ka bhavishya bada ujjwal ho aapka parivaar sukh purvak ji sake aaj aapka mahaul bahut badhiya ho sakta hai kal jab iska parinaam aayega wah theek nahi rahega.

isliye hamen sabse prarthna hai ki aap apne dharm ki kamai par nazar rakhiye. Adharm se bachne ki koshish kijiye. Pehle pata nahi tha lekin ek sal se aapka satsang sun raha hoon. Phir pata chala tab tak deri ho chuki thi. Yah pata chala ki jo ghatnayen mere saath ghat rahi hai na wo kahin na kahin ye anaitikta se aae hue paise se kahin na kahin ho rahi hai. Ji lekin aap ek bar bhi bol do nahi lunga abhi kabhi nahi lunga. Haan ham to bar-bar prarthna karte hain ki aap bas ab nishani ab nashay anaitik dhan ko bilkul vish samjho.

jaise vish hai na wo wo mar hi deta hai mar hi deta hai vish hai uska swabhav prabhav mar ye to 100% aap samjh lo adharm ki kamai vish hai wo mar hi degi pakka mar degi ek raste mein kuch asashphiyan ki thaili padi hui thi to ek sant ja rahe the to wo raj se dhaki hui thi aise to unka pair laga to unhone dekha ki ye to asharphi hai to shishya na dekh le isliye aise phir se dhaka to unhone kaha guru ji yah to kuch hai daud ke usne khola do asharphi kaha isse jakhma de ye jahr hai mat utha aise to unhone kaha guru ji jahr hai ismen kya bole mar daalegi ye ye maya apvitra hai to guru ji hamen is baat par vishwas nahi ho raha mar kaise daalegi to unhone kaha isko yahi rakhi rahne do chalo udhar jhadi mein chupchap baitho chal ke ham tumko dikhate hain ki maya kaise mar daalegi apvitra maya hai jahan jaegi uski buddhi bhrasht kar degi apvitra maya ka adharm ka swaroop yahi hota hai to char raj sainik ghodo par chadhe hue us samay wahan se nikle to ek ki drishti padi are bole yar

ismen to saikadon sarphiyan hai bole yar ye to aaj hamare bhagya khul gaye charon ped ke niche baith gaye kaha char hisse laga liye jae. Bole char hisse baad mein lagaenge. Pehle isse char asharphe nikalo. Jaate hain badhiya bhojan banva ke late hain aur apne charon log pate hain aur phir iske char hisse kar liye jaenge. To nazdik mein hi bazar thi. Char asharphi lekar bazar mein gaye. Un donon ne vichar kiya jo bazar gaye ki yar uske char hisse kyon ho? Do ho ham aur tum bole to bole bhojan mein vish mila do aur phir le chalte hain donon mar jaenge do hisse ho jaenge theek hai wo swayam to accha bhojan paye aur do ke liye jahr yukt bhojan banva ke laye udhar donon ne vichar kiya ae iske char hisse honge bole to bole ate hi goli mar do do ko aur iske do hisse kar lete bole theek hai.

jo ye donon bhojan lekar ke aae so donon ko suit kar diya. Unhone kaha yar mar to diya hi bhojan pa lete hain aram se. Phir hissa karke chalte hain. Bhojan nikala do paye donon mar gaye. Baba ji ne apne shishya se kaha dekha mar dala na. Bhag yahan se isko mat uthana. Jo adharm ka paisa hai wo buddhi dushit hi kar deta hai. Agar buddhi dushit na karte charon log badhiya bhojan pate. Char hisson mein bant lete lekin adharm ka paisa to buddhi ko dushit kar diya charon mar gaye kisi ke hath mein nahi thaili wahi padi rahi ye adharm ka paisa kabhi sukh pradan nahi karta patni putr parivaar mein kahin na kahin ashanti kahin na kahin vikshep kahin na kahin vichchhed prem vichchhed ye sab karta hai isliye hamen lagta hai namak roti khae aur bina tablet ke sona sikhe chain se so jae aur adharm ka paisa laye aur maansikta viksipt rahe so theek nahi aap sabhi ko aman ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji naam jap keval bhagwat prapti ke lalach se kiya jae to bhagwat prapti ho jaegi.

bhagwat prapti ki ichchha bahut janmon ki pavitra ke baad hoti hai. Ya to kisi mahapurush ka sanidhy mil jae to isi janm mein bhagwat prapti ki ichchha prabal ho jae. Bhagwat prapti ki ichchha nahi hoti. Bhog aur aishwarya prapti ki ichchha hoti hai. Man sammaan ki ichchha hoti hai. Bhagwat prapti ki ichchha to kisi birle ke hriday mein hoti hai. Bahu naam janm na mante bahut janmon ke baad kahe usko yah mumukshta prapt hoti hai ki main mukt ho jaun main sansaar se mukt ho jaun main bhagwan ko prapt ho jaun ye anek janm sansiddhi anek janmon se jiski sadhna hoti rahe nahi to Bhogeshwar prasatta naam taya parat chetsha vyavsayatmika buddhi samadho na vidhte jo bhog aur aishwarya nit ka aparn kar liya hai wo wah kabhi sankalp hi nahi kar sakte ki mujhe bhagwat prapti ho.

unki buddhi mein aata hi nahi ki main bhagwat prapti karun. Marna hai to sabko ek din lekin maut se ji lete hain. Unki buddhi aisi rahti hai aur jo pavitra buddhiman hote hain ki ek din marna hai. Marne ke baad pata nahi kis yoni mein jana pare. Mujhe isi yoni mein apne udhar ka upay kar lena chahiye. Kyonki anya yoniyon mein sadhna nahi ho sakti. Keval manushya yoni mein hoti hai aur bhagwan naam se nischit param pad ki prapti ho jaegi. Nischit bhagwat prapti ho jaegi. Yadi ham kum mano yog se naam jap karen.

ekmatra naam ka aashray le lo sab par ho jaega. Kalyug keval naam adhara sumir sumir bhav utar para keval naam adhar hai. Krityuge dhate Vishnu tretaya yajat makh Dvapar paricharyayam kal dhar kirtan kalyug mein siddh baat hai ki bhagwan ke naam kirtan aur naam jap se bhagwat prapti ho jati hai. Khub naam jap kar arijeet ji Himachal se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Radha naam jab ham jor-jor se bolte hain Radha Ram jab ham hoth band karke jibh se bolte hain aur Radha naam ham jab man se bolte hain kaun sa sarvshresht hai?

dekho pehle sadhak ko sarvshresht ke chakkar mein nahi padna chahiye. Ham Radha naam le rahe hain. Yahi hamare saubhagya ki baat hai. Chahe ham jor se bol ke le rahe ho, chahe ham upansu le rahe ho, chahe mansik le rahe ho. Yah to pahla uttar. Dusri baat yah hai ki jab ham man se japte hain to hamen anand ki dhire-dhire anubhuti hone lagti hai. Jaise ham Radha Radha Radha Radha Radha to man kahin bhag raha hai. Vani se naam ucharan kar rahe hain ya upansh mein jap rahe hain. Mansik jab jab vastvik mansik hone lagta hai to samne Radha naam likha hai aur usi Radha naam mein to usko ek anand milta hai.

jab anand milne lagega to phir wo dubne lagega aur jab dubne lagega to sthiti ane lagegi. To mansik jab to sarvshresht hai hi. Usko kahna hi kya hai? Par apne ko abhi is chakkar mein nahi padna chahiye. Apne ko abhi yah dekhna hai ki naam chal raha hai ki nahi. Kabhi mansik chal raha hai, kabhi upansh chal raha hai, kabhi vachik chal raha hai. Kyonki hamari ek jaisi sthiti nahi rah sakti. Hamari sthiti abhi naveen sadhak hain. Maya malin swabhav hai to kaho panch minute man lage aur phir hat jae. Jab hat gaya tab ham jaban se shuru kiya Radha Radha Radha Radha Radha to hamen naam mein rahna hai hath purvak hamko naam jap karna hai ye baat pakdni hai hamen ye nahi dekhna hai chahe man se japna pare upansh japna pare vachik japna pare chahe jaise ho hamen naam mein lage rahna hai pahla agar aisa swabhav bana loge to age phir mansik to swabhavic chalne hi lagega pratima ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji chahe kitni bhi pratikul paristhit sthitiyan ho kitni badi samasya ho use kaise anukul banain taki ham us paristhiti se bahar nikal paye.

bhajan jab tak bhajan nahi karoge to baton se vipattiyon par vijay prapt nahi kiya ja sakta. Uske liye adhyatma bal chahiye. Dhairya chahiye. Jab chitt bhagwan se juda hota hai to ham sab kuch sah sakte hain. Aur jab chitt sansaar se juda hota hai to ham sah nahi pate. Ham vyathit ho jaate hain. Ham vyakul ho jaate hain. Bade se bade dukh ko sahne ki samarth bhagwan ke bhajan se milti hai. Dekho guru arjun dev ji ne bhajan ka pratap dikhaya. Unko tapte hue tave par bithala gaya. Upar se tapt balu dali gayi.

phaphole par rahe hain. Pura sharir jal raha hai. Aur waheguru waheguru waheguru wo kah rahe tera kiya mitha lage tera kiya jal rahe hain kasht sah rahe hain aur jai ho aapki jai ho. Vah guru vah kahin shikayat nahi bhagwan se koi rosh nahi na marne walon ka jo unko kasht de rahe unke prati bhi rosh nahi bhari se bhari dukh mein bhagwan ki kripa ka anubhav hona tera kiya mitha lage aapka kiya accha hai wahguru ka vidhan mitha thakur haridas ji Yavan kul mein prakt hue the aur hare Krishna hare Krishna ye naam mahamantr japte the.

isi se wahan ka kazi naraz ho gaya aur badshah se shikayat ki unko bandi bana ke le jaya gaya. Prashn uttar hue to unka main bhagwan ke naam ko nahi chhod sakta. Aap dand de dijiye. To dand hua 22 bazaron mein bet mar mar ke mar dalna. 22 bazaron mein bet mal mar jahan bet lagta to kode par kode bet pe bet to hari bol hari bol hari bol us mahapurush ke muhn mein shikan nahi ai wahi hari bol hari bol phir mara hua mankar ganga ji mein dal diya to ganga ji ke pavan jal se unko chetna ai aur dheeredheere wo kuliya namak gram mein jakar unka sharir laga to wahan ke logon ne dekha yah to jinda hai.

matlab kitna bada se bada kasht ab samjho is koti ka kasht aur hari bol hari bol to bhakton ke jeevan mein dekha gaya bhareebhari vipattiyan bhareebhari kasht ab dekho cheedar chidrani ji naam ke ek mahan bhakt the. Peepaji raja the. Unhone vairagya dharan kar liya tha. Unki patni thi rani Sita sahachari. Bade siddh mahapurush hue. Dwarikadish ke sakshat darshan kiye. Jab dwarikadish ke darshan karke to unke man mein bhagwan ke mahan bhakt prashansha suni thi cheedar chidrani ji ki to unke darshan ke liye gaye. Wah aise mahan bhakt the ki sant kabhi darwaze se wapas nahi laut sakte.

kuch na kuch khwa aur dhire dhire dhire dhire itni garib ki darwaze aur khidki bhi bik gayi thi sant seva mein. Matlab ghar mein kuch nahi tha jisse becha ja sake. Aur itne bade sant pipa ji aur Sita sahachari pahunchi. Chadar ji ghar gaye chidrani ji se kaha ki bazar mein koi hamko udhar deta nahi hamare paas kuch vastu hai nahi aur aaj bahut bade sant aae hain ki aaj bhukhe chale jaenge aur aaj tak aisa nahi hua ki sant darwaze se bhukhe jae kya kiya jae unki patni ne kaha Shridhar ji ki ki hamare are sharir ka jo vastr hai ek ek vastr dharan kiye the sari accha hai ye isko bech lo ek rupaye ka to bik hi jaega to kuch daal chaval mil jaenge usi ko bandh karke sant ko pawa denge aisa hi kiya sharir ka vastr bhi

patni ne to resham ka tha pehle jamane mein to ek bika aise bika to kuch daal chaval mila banaya bana ke chij ji bahar le gaye baithe the pipa ji Sita sahachari to Sita sahachari ji inka bhakta hai inko bhi bulao yahan pa len to unko wahi theek hai aap pa lo to wo rani thi bahut praveen thi to unka aisa kyon bhakt hai inko to lana chahiye aur swayam gaye to wo wo unki jo dasha thi aansu chal rahe the bhagwan ka naam chal raha tha wo kah rahe the bhagwan aap kitne kripalu ho dekho aisi paristhiti mein kripa ka anubhav kar rahe kitne kripalu ho ki aaj sant ko bhukha nahi jane diya aapne vyvastha kar di samjho wo bhagwan ki kripa Sita sahachari ji gayi unhone kaha bhakt ji bhagwan ke prem mein doob rahe to kaha aap rasoi mein nirvastro baithe hain.

to unka hamne socha tha ki jab aap miloge to shri Krishna ki charcha karoge kyonki dwarikadish ka sakshat darshan karke aa rahe ho. Kya smaran dharma sharir ki baat kar di. Sita sahachari ji pipa ji ke paas gaye. Bole inke yahan ek dana ann khane ke liye nahi vastr bechkar ham logon ko bhojan padhaya hai. Dekho ek hai ki kodon ki mar beton ki mar sahakar bhi hari naam bol rahe hain. Ek hai ki ek tarah se unke sharir ko bhayanak pida dekar ke to bhi wah bhagwan naam bol rahe hain. Ek hai ki khane ko nahi hai.

sant aa jaate hain to bhi wah apne sharir ke vastr bechkar itni bhayanak viparit paristhitiyon mein bhi jo aandit hain bhagwan naam jap kar rahe hain wo keval bhagwan se hi hai. Agar ham bhagwan ka bhajan nahi karenge to vipattiyan dukh nana prakaar ki viparit bhawnaen ye hamen nasht kar denge. Bhagwan hi hamen bacha sakte hain. Bhagwan hi hamen takat dete hain. Har dukh sahne ki takat dete hain. To hamen lagta hai hamen bhagwan ka bhajan karna chahiye. Naam jap karna chahiye. Ismen bhi raji hai bahut sharir is samay krash ho gaya hai.

aap hi nahi rahe kya ekdam sharir ab munda aa gaye bula rahe hain. Abhi pehle ham jaenge wahan jakar vyvastha karenge. Shri ji shri ji ke sakhiyon se milkar vyvastha karenge. Tab phir aap ana swayam shri ji ka barsane ki ladli hai. Ek bar aur ichchha thi. Ek ichchha thi. Ji bas kya ichchha hai? Ek bar dekh le aap. Accha vatsalya hai aapka. Aapki kripa hai ki aap darshan dene aae hain. Hamare pujya Baba aur pujya babu ji donon ki kripa patr aap hain. Donon par haan ye ladli ji ka Barsana ke ladli ji ka lahanga hai.

shadi mein rakhiye. Shri pooch babuji ki accha unke charan lagana chah raha hai. Mere paas kuch nahi hai. Isse badi koi vastu ho sakti hai kya? Isse badi koi vastu ho sakti bahut kripa ke aap darshan de aa ke main tarasti hoon lekin ab main aa nahi sakti bahut krit sharir ho gaye bahut krit sharir ho gaye aap to paas hi rahte paas rahte dur thodi nahi jahan babuji hai Baba hai unke unhee ka pyar ab hamen mil raha hai unhee ka bada pyar bada dular mila adbhut adbhut prakriti se atit meri kripa se aapke darshan ji bas ant mein unko dekhti dekhti yahi aapse kamna karti aapko dekhne se aisa lagta hai ki bhai ji aur pujya Radha Baba ki kripa hi murtiman aapke rup mein virajman hai.

is samay is dhara dham mein pujya babu ji aur Baba ki kripa ka aap sakshat swaroop hain. Jo bhagvatik sthiti mahapurushon mein dekhi jati hai, wah aap mein vidyman hai. Is samay vartman mein vidyman hai. Jeevan mein aise mahapurushon ka jo aashray aur dular mila na usi se Bhagvati ki sthiti aisi jagrit hoti hai. Maharaj ji 17 18 sal ki ayu se lekar ji ji unhone ji 71 tak to pujya babu ji ji viraj aur 92 tak pujya Baba virajman apne aaspas se rakhte dhanyavaad 24 ghante 24 ghante khula darbar hanste khelte unki god ke bachchon ki tarah ji sab sadhako ko shri ji ka prasadi vastr dijiye.

ek chunri are ji aap nikunjra ji hain. Bhai ji ka ek pad sunana chahte hain. Suna Radhe jo muhn pe aaj daro haan muhn pe aaj dharo Radhe jo muhn pe aaj dharo nij nij priyatam ki pad raj rati nij nij priyatam ki pad raj rati moh pradan karo Radhe jo moh pe aaj daro bhakti mukti ki sakal kamna bhakti mukti ki sakal kamna satwar nash karo Radhe jo moh pe aaj dharo nij chakar chakar chakar ke nij chakar chakar chakar ki seva pradan karo moh pe aaj daro shyama pyare moh pe aaj daro rakho sada nibhat nikunj mein rakho sada nibhat nikunj mein jhadudar baro Radhe jo moh pe aaj dharo shyama pyari moh pe aaj dharo bahut kripa kari.

bahut kripa kari. Ab ham is kripa ke rni hain. Aap kyon kya kahun kaun hoon aapki seva mein rahte hain bahut sambhate hain ji ki vishesh kripa patr hain jo aapki seva mein sal se bahut-bahut saubhagya hai jo abhi seva ka phal lut lo bas jitne din sanidhy ka hai bahut aapko chune bhai badi mushkil mein anant nadiyon ka jahan sangam hota hai. Somnath ka jal maa Gangajal hai. Accha maa Narmada ji ka jal hai. Mata Sita jahan pe tribhuj rup mein teen khand mein bhumi vitri hai. Wahan ka unke charan sada suhagan ke charan ka rajya hai.

bahut shri Krishna ji ki bahan jo thi ashtabhuja swaroop lekar wahan gayi thi. Ji to ye mata vasni ka yah prasad hai. Aadi shakti mata sati is havan kund mein 96 hazar bigha jamin to wahan havan kund tha daksh Prajapati ka wo unhone apne yog agni se apne aap ko swaha kiya tha. Ye uske bhasm hai. Accha ji to ye logon dwara jis sthan par hanuman ji ko banda gaya tha wo wo sthan aur ye usi vriksh ka patr hai. Bahut aur yah Valmiki ji ne jahan baithkar ramayan likhi hai us vat vriksh ke niche ki mirchi aur yah uska ye piche patr hai.

bahut bhagwan naam smaran karte rahiyega. Manushya jeevan ki sarthakta seva aur sumiran se hai. To bahut badi seva bhagwan ne aapko di. Rashtr ki seva sumiran karte rahie. Seva aur sumiran yah nischit bhagwat prapti kara dete hain. Aur manushya jeevan mein yadi bhagwat prapti na hui to sadhan dham moksh kar dwara yah manushya sharir hai. To laukik karmon se maya par vijay prapt nahi ki ja sakti. Adhyatma ke dwara hi maya par vijay prapti ki ja sakti hai. To maya mein yah pad mila hai aur maya ke dwara hi seva hai.

par mayapati ka agar smaran banta raha to donon kam ban jaenge. Isliye smaran karte rahiyega. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha mere Bengal mein ek kahavat hai sant log kahte hain ganga par jo pashat pavan darshan pavitra karo mein ki ganga ko ham parsa karte hain to ham pavitra hote hain aur sant ke darshan se ham pavitra aapke darshan se ham pavitra hote kripa jo aapne darshan diye akar Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itna to kabahu

hasi ho itna to kabahu has de sunhu kripalu kishori Radhe sunhu kripa kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripa gopal kishori Radhe avasi kripa ki kol chit ho kitnon ko tum hi milo milo na kripa moh ko dhundt to bhatakya Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai sant hari bhaktan ki jai Vrindavan dham ki jai bolie bhagwan ki jai jai shri Radhe Shyam jai jai shri Radhe Shyam jai jai shri Radhe Shyam jai jai shri vansh

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…