॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bahut jor ki baat hai ekant mein padha to laga aapko batayen

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

aap suniega dhyan se. Bade mahapurush ka vachan hai jo siddh mahapurush hain. Unhone apne kisi ek shishya ke liye likha shri hari sharanam pad bahut jor ki baat hai. Ham bada ekant mein padha to laga jo chij jaise apne ko mithi lage na to phir apne janon ko parosi jati hai. Aise hamko accha laga. Isliye baat ham isi mein aapka uttar bhi ho jaega. Manushya jeevan ka charm aur param ekmatra uddeshya hai moksh, bhagwat prapti ya bhagwat prem prapti. Teen baten rakhi gayi. Moksh prapti ya bhagwat prapti ya bhagwat prem prapti yah manushya jeevan ka charm aur param lakshya hai.

jis manushya jeevan is mahan uddeshya ki purti ki sadhna mein laga diya gaya. Wahi manushya jeevan dhanya hua, sarthak hua, anytha bekar gaya. Manushya jeevan mein jo bhi aapke paas mila hua hai pratyek samgri jaise buddhi, man, indriyan, dhan, parivaar, samay, vidya, vivek yah sab keval bhagwat prapti ke liye mila hai. Manushya jeevan mein aapko jo kuch bhi mila hua hai wo keval bhagwat prapti ke liye mila hua hai. To aapko pura praytn karke in sabka prayog bhagwat prapti ke liye hi karna chahiye. Yahi manushya jeevan ki sarthakta hai.

ab bhagwat prapti ke liye inka ham prayog kya karen? Man buddhi dhan jo bhi hamen mila hai to bole man se nirantar shri bhagwan ke naam ka rup ka gun ka chintan karo vani se bhagwan ke naam ka kirtan karo bhagwan ki leela katha ko kaho gao aur sharir se jitne bhi karya hote hain jo bhi karya hote hain wah sab bhagwan ki ham puja kar rahe hain. Aisi bhavna se us karm ko bhagwan ko samarpit kar do. Prani matra mein chahe wah stri ho ya purush ho, jad ho ya chaitanya ho sab mein bhagwan hai. Aisi bhavna se achchhi tarah jo tumhare samne aa jae uski seva karo.

jo tumhare samne aa jae achchhi tarah seva karo. Jaise koi aapse baat pooch raha hai bahut achchhi tarah uttar dijiye. Koi bimar hai ho sake to aap uski achchhi seva kijiye. Sab mein bhagwan virajman hai. Koi pyasa hai pani lakar de diya. Ham yatra mein ja rahe hain. Baithe hain ham apne seet par. Rijarwa seet hai. Lekin koi hamen vridh dikhayee de raha hai. Ham khade ho jaate hain. Use baithaal dete hain. Sab mein bhagwat bhavna karke ki hamare bhagwan sab jeevan mein virajman hai. Jahan jaisi jisko avshyakta ho achchhi tarah se seva karo.

samasth jeevan mein bhagwan virajman hai. Aisi bhavna karke yadi seva karoge to tumhare hriday mein bhagwan prakashit ho jaenge. Jab sabke hridyon mein bhagwan dekha jaata hai to apne hriday mein bhagwan dikhayee dene lagte hain. Sada sabki yatha yogya seva karni chahiye. Par kisi se apni seva nahi karani chahiye. Jab tak sharir apna kam kare tab tak apni kisi se seva nahi karani chahiye. Apne pair dabwana, apne kapde dhulwana ya apne liye koi bhi karya apni seva swayam karen aur dusron ki seva karne ka utsah rakhen.

sada sabki yatha yogya seva karni chahiye. Apni seva nahi karani chahiye. Agar bhagwat prapti karna hai to man dena chahiye. Dusron se man lena nahi chahiye. Satkar karna chahiye. Dusre se satkar karane ki ichchha nahi rakhni chahiye. Apne liye jo kuch prapt hua hai usmen se dusron ke liye jaise apne ko ₹100 prapt hue hain dharm se prapt hue hain to ham ₹90 apne parivaar aur apne liye kharcha ₹1 ham kahin gau seva, sant seva, beemaron ki kisi ki seva mein laga de. Dusron ko udarta purvak apni vastu ka prayog karana chahiye.

udarta purvak apne paas char roti hai. Ek roti li, chidiya, gay, kutta kisi ko de diya. Yah roz ka niyam rakhna chahiye. Apne paas jo kuch hai sab bhagwan ka hai. Yah jaan ke bhagwan hi mere samne is rup mein aae hain aur unki hi di vastu unko ham de rahe hain. Ismen mera koi kahin bhi kinchin matra abhiman jagrit nahi hona chahiye ki maine kisi ko vastu di. Bhagwan ki di hui vastu bhagwan ko hi de. To dum vastu Govinda ty samarpay bahut sundar baat hai. Adhyatma ki hai. Agar ham dusron ka upkar karte hain, dusron ko vastu dete hain, dusron ki seva karte hain to ham mein namrata badhni chahiye.

abhiman nahi namrata badhni chahiye. Abhiman nahi hamne unko ye diya, hamne wo seva ki, hamne itne beemaron ki seva ek tarah ka aham pusht ho jaata hai. Ismen bhi to kah rahe abhiman nahi ana chahiye. Namrata ani chahiye aur har samay prasannata badhni chahiye ki hamara jeevan bhagwan ki taraf ja raha hai. Kisi ko koi vastu dekar uske badle mein lene ki koi kamna nahi honi chahiye. Kuch bhi nahi aapki vastu thi. Aapko de diya hamen. He bhagwan to niyam vastu Govind to samarp kuch badle mein lene ki chah nahi honi chahiye.

apne logon ki chah hoti hai. Itni to hoti hai ki wo muskura ke hamko dhanyavaad kahe. Sansaar ke bhogon mein sukh hai. Yah baat dhire-dhire mita do. Agar bhagwat prem prapt karna hai, moksh prapt karna hai ya bhagwat prapti karna hai. Yah dharana jab tak nahi mitegi tab tak sansaar ke bhog hamen akarshit karenge aur wah kriyaen banag jisse bhagwat vimuktata rahegi na bhagwat prapti hogi na moksh isliye sansaar mein sukh hai ye dheeredhi dharana hatao bhagwan ke naam mein sukh hai bhagwan ki leela mein sukh hai bhagwan ke gunon mein sukh hai bhagwan ke dham mein sukh hai aisi bhavna karo ye sansaar sar dukh kha le bhagwan ne kaha hai ismen sukho ki level laga ke dukh bikta hai lagta hai sukh hai lekin hota dukh hai ashukham dukhalayam dukh yonya yah shabd sansaar ke liye kahe gaye asukham ismen sukh nahi hai dukhalayam yah dukh ka alay hai dukh yonya ismen jo bhi bhog bhogoge parinaam mein dukh hi prapt hoga is vichar se bhagwan mein sukh hai.

yah andar bhavna baitha lo. Tabhi bhajan banega. Nahi to jiska sukh buddhi sansaar mein hoti hai to wahi man jaata hai. Wahi chintan jaata hai. Bhajan nahi banta. Dusron ke adhikar ko mat chheeno. Dusron ke kartavya ki raksha karo. Aur apne kartavya ka palan karo. Indriyan bahirmukh mat rakho. Antarmukh rakho. Savdhani purvak nirantar bhagwan ka naam jap karo. Man mein pramad mat lao. Naam jap karo. Sada usko zabardasti bhagwat chintan mein lagae rakho. Man ko. Man ke dwara jiska bhagwan naam jap hota hai, sharir ke dwara jiski bhagwat seva hoti hai, wah nischit bhagwat prapt ho jaata hai.

asakti, kamna, mamta aur ahankaar isi se paap aur dukh bante hain. Kisi bhog mein asakti, kisi vyakti mein asakti, koi bhog ki kamna, kisi pad ki kamna, dhan ki kamna, parivaar ki mamta, sharir ka ahankaar, vidya ka ahankaar, dhan ka ahankaar inheen se paap bante hain. Ate ho bahut savdhani purvak sansaar ki asakti kamna mamta aur ahankaar ka bhagwan naam jap aur satsang ke dwara inka nash kar do. Inka nash karne ki sadhna karni chahiye. Hamari kamna nasht ho jae. Hamara ahankaar nasht ho jae. Hamari mamta nasht ho jae.

hamari asakti nasht ho jae. Yah sab kuch nasht ho jaega bhagwan ke naam jap se. Kamna bhagwat prem ki karo ki he bhagwan aapse hamen prem ho jae. He bhagwan aap hamen mil jao. Mamta keval bhagwan ke charnon mein karo. Ahankaar is baat ka karo ki main bhagwan ka hoon. Main bhagwan ka das hoon. Main bhagwan ka sakha hoon. Bhagwan mere pita main unka putr hoon. Bhagwan mere Swami main unka sevak hoon. Aisi dushit asakti hai, kamna hai, mamta hai, ahankaar hai, jab tak iska nash nahi hoga tab tak na bhagwat prem prapt hoga, na moksh prapt hoga, na bhagwat prapti hogi.

dhan, pad, swasthya, unchi jati mein janm lena, vidya lena, vidvan hona ye sab ahankaar paida karte hain. Jinme ahankaar na ho aur apne ko sabse chhota samjhe. Ye hone par bhi wo bhagwat prapt ho jaega. Kisi bhi prani se kabhi dves to karo mati. Tumse jo dves kare usse mitrata ka vihaar karo. Bada kathin hai bhagwat prapti ka marg. Kisi bhi prani se dves karo mati. Wah tumse dves kare to tum mitrata ka vihaar karo. Wah hamse dves kar raha hai aur ham usse mitrata ka vihaar karen.

tabhi bhagwat prapti hogi. Tabhi bhagwat prem prapt hoga. Jab tumhen dukh de yah bilkul ulta hai. Jab tumhen koi dukh de to karunamay bhagwan ka mangal vidhan samjho hamare paap nasht ho rahe hain. Aur ban jae to usko sukh dene ki cheshta karo jo tumhen dukh de raha hai. Karat je anhan nindak top anugrah kiyo. Dekho sharir se pran kab chale jae pata nahi. Isliye puri tayyari kar lo jisse isi janm mein jitna hamara jeevan hai isi mein bhagwat prapti ho jae. Yadi bhagwan ki prapti nahi hui to na jane kis yoni mein jana padega.

na jane kahan-kahan hamen ghumna padega. Nark swarg apvarg kahan-kahan bhagna padega. Tumhen ham niyam batte hain. Avashyak ho to bolna nahi to maun rahna. Bhagwat prapti ke liye kabhi kisi ki ninda ho rahi ho to kan mein anguli dal lena. Ninda mat sunna. Tum to ninda karna mat. Par dusra agar koi ninda kar raha ho to kan mein ungli dal le. Kisi ki ninda na sune. Katu bhashan mat bolna. Krodh mat karna. Kisi ka tiraskaar karte hue koi aacharan mat aisa karna. Abhiman ki bhasha mein na bolna. Jahan tak bane kam bolo ya maun raho.

kam bolo vichar ke bolo ya maun raho. Tumhara vihaar namr hona chahiye. Yadi bhagwat prapti karna hai. Sansaar se vairagya bhagwan ke charnon mein anurag ye do baten abhi ulta hai hamara bhagwat charnon mein prem tabhi utpann hota hai ham savdhani purvak apne ek ek second samay ko jo bahut mulyavan hai wah bhagwan mein lagaen prayah ekantik mein yahi sab baten hoti hai. Ek ek second ko bhagwan ke chin pata nahi mrityu kaun se second mein aa jae. Pata nahi kab hamari mrityu aur agar hamara bhagwan ka naam chal raha hai to ham bhagwat prapt ho jaenge.

atah jeevan ka ek kshan bhi pramad alasya mein prapanch ki baton mein nahi vyatit karna chahiye. Savdhani purvak naam jap karna chahiye. Hamko jo baat jo vihaar bura lagta hai vaisa baat vaisa vihaar kabhi dusron ke saath ham na karen. Bhagwan se sadaiv mangte raho. Yah prabhu tumhari jaisi ichchha ho hamare liye vaisa vidhan karo. Par is janm mein aap mil jao. Chahe hamen dukh ka vidhan karo chahe sukh ka vidhan karo. Par is janm mein aap mil jao. Prabhu aapse vilag hone wali main kamna karun to kabhi puri mat karna.

aapse milan wali kamna purti ho jae. Hamara itna hi kam ab keval rah gaya hai. Sharir se jitni cheshta karen wo bhagwan ke liye man se bhagwan ka chintan, mukh mein bhagwan ka naam jap bas isi se sab kuch ho jaega. Sansaar se vairagya ho jaega, bhagwan mein anurag ho jaega, bhagwat prapti ho jaegi. Jeevan ka antim samay ate-ate pata nahi kaisi sthiti ho. Cancer ho jae ki kidney phayl ho jae kya? Aaj svasth hain. Aaj hi ham bhagwan ki prapti ka niyam le. Vani se kam bolenge. Kan se kisi ki ninda nahi sunenge.

sharir se dusron ki seva karenge. Sab mein bhagwan aisi bhavna karenge. Nirantar naam jap karenge. Isi se hamen bhagwat prapti, bhagwat prem aur moksh jo chaenge wah prapt ho jaega. Ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…