॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1101 · 22 november 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki jai shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai umakant tripathi ji Kanpur Radhehe maharaj ji maharaj ji lagbhag 11 mahino se aapka ekantik vartalaap va satsang donon tv ke par sun raha hoon.

tab se main shri shankar ji va shri Radha ji ka naam barabar naam jap karta hoon. Jab se maine aapse yah suna hai ki naam jap kisi ek bhagwan ka hi karna chahiye. Main apne man se yah tay nahi kar pa raha ki mujhe kiska jap karen yah samadhan aap hi kar den to theek rahega. Agar aap hamse karate hain to bhagwan shankar ki kripa se hi hamko ye marg mila aur Radha naam japne ko mila. To man lijiye bhagwan shankar ab aap par kripa kar rahe hain aur Radha Radha naam jap kijeyega. Ji ritu ji Radhe-Radhe ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji shubh aur ashubh karmon ka phal to insaan ko bhogna hi parta hai.

phir naam jap karne se ashubh karmon ka phal kam bhogna parta hai athva na hi bhogna parta hai. Ya kya iska vidhan hai? Naam jap karne se sanchit karm bhasm ho jaate hain. Jo hamare godam jama hai. Sanchit karm matlab ek karmon ka godam jo anekon janmon ke paap punya hai. Wo bhasm ho jaate hain. Usi se hamara bar-bar janm maran hota hai. To jab ham naam jap karte hain do char naam se nahi khub lambe samay tak to dhire-dhire wah nasht hone lagta hai. Naam jap se praarabdh bhogne ki samarth aati hai. Naam jap se age paap karm nahi honge.

agar ho jaate to tatkaal bhasm ho jaate kyonki naam jap chal raha hai to naam jap se kraman pavitra sanchit bhasm aur praarabdh ke bhogne ke samarth prapt ho jaate hain. Jitendra sinh ji Radhe-dhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jo anjane mein hue paap aacharan hue hain uska is janm ke dwara kaise dur kiya jae ki agla anjana anjana aur jana ismen antar hota hai. Jaise ham ja rahe hain aur achanak pair ke niche cheenteechi mar gayi. Ham chah nahi rahe the. Anjane mein ho gaya. Jaise ham gaadi mein ja rahe hain.

kitne jeev niche gaadi ke pahhie ke niche mar rahe hain. Ham chah nahi rahe lekin hamen yatra karni hai to ab chalna hi padega. To chhote-mote jeev usmen mar jaate hain. Jaise kisan fawda chala raha hai. Wo chah nahi raha par koi jeev kat jaata hai. Ise kahte hain anjane ka paap. To yah jo anjane ka paap hai yah swapna aadi mein nasht ho jaata hai. Jaise swapna mein bhayanak aapko pida di ja rahi hai. Aap bhayanak dard se yukt hai aur jage to kuch nahi. Wah anjane ke paap swapna mein bhog le. Lekin jankar jo hamse paap hue unko phir sharir ka dand bhogna parta hai.

phir shareerik dand se use bhogna parta hai. To anjane mein hamse paap to jo hote hain wo swapna swapna mein sukshm sharir ke dwara bhog liye jaate hain aur jane mein jo paap hote hain wo sthul sharir ko bhogna parta hai. To anjana pan ham aisa nahi kah sakte ki jo pragat mein janbujhkar paap kah rahe hain unhen anjana kah sakte hain. Anjana wahi jise hamen pata nahi hai. Wah achanak ghatna ghat jati hai. Ham gaadi se ja rahe hain. Koi janvar aaya aur lad ke mar gaya. Ab wo control gaadi kartekarte wo mar gaya.

ab hamen pata thodi tha ki wo aa jaega. To wah anjane ka paap hai. Lekin janbujhkar gay baithi hui hai aur hamne gaadi chadha di. Yah janbujhkar ke paap hai. To isko aap dekh lijiye. Anjane ka paap swapna mein nasht ho jaata hai aur janbujhkar jo paap kiya jaata hai shareerik dand ke dwara phir pavitra to is jeevan mein aisa kya karen ki aap jaise mahatma agle janm mein ban jae ham bhagwan ka naam jap karo bhagwan ke naam jap se hai purv janm mein ham kahin na kahin bhajan karne wale hi the tabhi hamen bachpan se bhajan marg mein laga diya gaya 13 varsh ki avastha thi usi avastha uske iske pehle bhi ham chalisa padhte the.

chhote bachchhe the tab chalisa aur bhagwan mein shuru se hamen yad hai jab jitni hamari smriti hai ki hamen bachpan se bhagwan se apnapan tha aur ek bhayanak pida thi ki mujhe bhagwat prapti honi chahiye. To purv ka bhajan tha tabhi to aisa tha. Hamen kisi ne sikhaya nahi hai ki satsang mila ho. Satsang ke baad hamen gyan hua ho. Phir ham Baba ji bane ho. Aisa nahi. Hamen akarshit kiya gaya hai. Matlab purv janm ka bhajan hi hamko bhagwan ke marg mein lagaya. To agar ham is janm mein bhajan karen to isi janm mein bhagwat prapti ho jaegi.

agar nahi hui to agle janm mein phir aisa avsar mil sakta hai. Aisa avsar mil sakta hai. Par bhajan karna padega. Bhajan se hi aisa ho sakta hai. Bhajan ke bina aisa rahega. Doctor apeksha ji Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki jaise hamen moksh ki prapti karni hai aur ham kisi bhagwan ki vigrah se priti kar lete hain ya unke prati rag utpann ho jaata hai to phir yah kahin moksh mein badha to nahi ban payega. Are nahi nahi nahi bhagwan se prem kahin badha pahuncha sakta hai.

are moksh prapt hi bhagwan ki kripa se hota hai. Bina bhagwan se prem kiye moksh prapt ho hi nahi sakta hai. Wahi bhagwan Gurudev hain. Dekho moksh mulam guru kripa dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam moksh mulam guru kripa hari kripa hi to moksh pradan karti hai to bhagwan se prem bhagwan ke vigrah se naam se prem dham se prem yahi to moksh pradan karta hai ya shuddh brahm gyan ho jae to moksh prapt ho ya hari ki kripa se moksh prapt ho agar moksh ki abhilasha rakhkar bhagwan ka bhajan kiya jae to bhagwan moksh pradan kar dete hain.

lekin jahan bhagwan ka bhajan shuddh rup se hota hai to prem ki abhilasha jag jati hai. Moksh ki chah mit jati hai aur lagta hai aise sundar bhagwan se prem karen. Aise kripalu bhagwan se prem karen to phir hriday prem ki taraf jab badhta hai to phir moksh marg band ho jaata hai aur wo bhagwan ke divya dham mein jakar bhagwan ke saath rahta hai. Bhagwan ki divya lilaon mein sammilit ho jaata hai. Pranjlal pande ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main ek vidyarthi hoon to mujhe kya Saraswati ji ka naam jap karna chahiye ya Gayatri ji ka?

hanuman ji ka ya shiv ji ka? Kyonki unke naam mein mujhe zyada prem kiska hai? Yagyapit ho gaya hai. Haan to Gayatri anusthan karo. Prat kal argh dete ho surya ko kabhi-kabhi nahi nai avastha hai. Prat kal utho snaan karo. Aadha ghante vyayam karo aur iske baad bhagwan surya ko argh dete hue Gayatri anusthan karo. Gayatri mantr jap karo. Man lo na trikal sandhya sahi to do kal ki sandhya to kar hi lo prat kal aur shayam ki phir dekho gyan prakt hota hai ki nahi haan Gayatri jap karo aur bichbich mein naam jap karo Gayatri jap pavitra avastha mein hota hai snaan aadi karke aur shesh samay bhagwan ka naam jap karo jo naam priy ho Swami karunanand ji Ramkrishna math Prayagraj maharaj ji pranam maharaj ji main Ramkrishna math prayara se hoon.

Ramkrishna mission mein seva karya sadhna ka ek ang hai. Maharaj ji is seva karya ke beech anavrat bhagwat chintan bana rahe. Iske liye hamen kya prayas karna chahiye? Pahla to lakshya banna chahiye ki mujhe isi janm mein bhagwat sakshatkar karna hai. Jab lakshya ban jaata hai to usmen dridta hoti hai. Dusra hamara ahar pavitra hona chahiye. Tisra hamara vichar pavitra hona chahiye. Chautha nirantar naam jap chalna chahiye. Pancha kisi mahapurush ki vani ka nitya swadhyay hona chahiye. Shri Ramkrishna Paramhans ji hai ya Vivekanand ji hain.

inheen ki vani ka nitya swadhyay hona chahiye. Vichar shudhi mein yah dhyan rakhna hai ki jaise Ramkrishna mission mein seva mission hai to ismen marij ate rahte hain. To inme bhagwat bhavna mrijon mein karte hue aur unki jo seva achhche se achhche ho sake dawa doctor aadi ki suvida jutana aur unki seva karvana aur wah sab seva bhagwan ko samarpit kar dena aur nirantar naam japne ka abhyaas karna. Yadi ham nirantar naam jap karenge to hamari vritti bhagwadakaar ho jaegi. Bhagwat jaise jaise bhajan badhta hai waise waise vairagya badhta hai.

jaisejaise vairagya badhta hai waise waise shuddh gyan hota hai aur shuddh gyan ke dwara hi maya ka nash karke avidya ka nash karke jeev atma bodh prapt karta hai. Atma swaroop ka bodh hi moksh pad pradan karta hai. To hamara lakshya hona chahiye bhagwat prapti ya moksh tab hamare andar wo prabalta aati hai bhajan ki dridta aati hai bhajan ki jo hamara lakshya nischit ho jae to aise hi jab hamara lakshya bhagwat prapti ho jaata hai to hamara man aur indriy jo bhogon ki taraf ja rahe hain yahi sabse bada vighna hai.

sadhak ka sabse bada vighna hai. Indriy aur man ka bhogon ki taraf jana aur agar kahin bhogon ko bhogne laga tab to sadhna hi nahi rah gayi. Phir kis baat ka sadhak wo to manoranjan kar raha hai maya mein jo indriy aur man ko apne adhin karke shastr sadguru dev ke batae hue sadhna marg mein bahut kal tak chalta hai. Wah siddhvastha ko prapt ho pata hai. To yah dhyan rakhen ki indriy aur man bhogon mein na jae. Nirantar naam jap karen. Mahapurushon ki vaniyo ka swadhyay karen. Pavitra ahar karen aur pavitra vichar rakhen to seva karte hue bhi bhagwat prapti ho jaegi.

samjh pa rahe hain aap? Ji Ashutosh Vikram sinh ji Lucknow se. Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aap hamesha bhagwat prapti ka ullekh karte hain to maharaj ji kripya karke batayen ki bhagwat prapti ka asli arth hai kya? Aavagaman se mukt hokar ke bhagwan mein leen ho jana ya bhagwan ke samip pahunch jana. Jaise apna mrityu lok hai na ismen bada dukh hai. Yah janm, maran, labh, han, sukh, dukh ismen dukh hi dukh hai. Jo sukh bhi hai wah bhi dukh rup hai. Bhagwan ka dham hai. Jaise Vrindavan, chidanand dham, vaikunth dham, saketpuri dham, Kailash dham inme marna nahi hai.

inme budhapa nahi hai. Inme rog nahi hai. Inme sukh hi sukh hai. Param anand hai. To ham bhajan karke aise lok mein pahunche, aise dham mein pahunche jahan aisa nashvan sharir na mile. Avinashi sharir mile aur divya bhagwan ke naam rup leela gun ka anand lete hue wahan jeevan ham anant kal tak vyatit karen. Ek to yah hai sakar upasna aur nirakaar upasna mein bhagwan mein sama jana. Leen ho jana, moksh ho jana, apna astitva mit jana yah hota hai. To yah zaruri hai. Agar nahi karte to phir bahut kit patanga, pashu pakshi 84 lakh yoniyan hain.

in yoniyon mein hamen jana padega. Aaj hamen koi pareshani to ham doctor ko dikha sakte hain. Lekin pashu pakshi yoniyon mein ham doctor ko to nahi dikha sakte. Accha marna nischit hai. Pata nahi jawani mein mar jae aur mar gaye to manushya jeevan mein kar kya paye. Agar naam jap nahi kiya, achhche karm nahi kiye to phir hamen 84 lakh yoniyon mein bhatakna padega. Isliye ham sabse prarthna karte hain kyonki sab koi bhagwat prapti nahi kar sakta. Ka adhikar hai kar sakta hai par ruchi nahi hai. Bhogon mein itni ruchi ho gayi hai ki agar bhagwan bhi chahe to wo usko bhog de de wo yachna karega.

wo bhagwan se nahi mangega ki aap mil jao ya mera moksh ho jae. Aise bahut kam log hote hain jo bhagwan ke marg mein chalkar bhagwan ko prapt karna chahte hain. Dekho kitne log ek ekantik mein aae ho. Aap vichar kijiye. Bahut kam log hote hain jo achhche marg ka anusaran karte hain aur gande marg ka anusaran karne wale lakho log hain. Sharab ki party ho phir dekh lo aap kitne log ekatrit hote hain. Koi aisi party ho jismen ganda khanpan sharab ho yah sab manmani manoranjan ho dekho lakho ki bhid ho jaegi aur bhagwan ka pravachan hona hai to wahi aaenge jinke achhche vichar hain jo pavitra bhavna wale hain jo apna kalyan chahte hain apna mangal chahte hain isliye santo ka karya hai jeev ke andar bhagwat prapti ki jagrti karna ki mujhe bhagwan chahiye bure acharno ka tyag karwakar achhche acharno mein lagana isiliye ham do kam jyadatar kahte hain naam jap karo aur pavitra aacharan rakho aur bhagwat prapti ka lakshya bana lo.

samjh rahe hain? Ji eesha ji Lucknow se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji vyatirek paddhti ke anusaar brahm satyam jagan mithya to phir jagat mein rahte hue lok vihaar seekh ke anusaar aacharan karna sikhna kyon avashyak hai? Kyonki hamen ek natak mila hai na. Natak bhi to mithya hota hai. Jo natak hota hai matlab jaise film hai koi ya koi natak hota hai to wo bhi to jhutha hota hai. Lekin usmen role perfect kiya jaata hai ki nahi kiya jaata? Perfect role nahi hoga to nikal diye jaoge. To is jagat natak mein tumhen ek perfect role karna hai.

par ham to isi ko asli man ke hi chal rahe hain. Isiliye to durgati ho jati hai. Isiliye durgati ho jati hai. Iske director hain bhagwan. Aapko role diya hai. Kisi ko patni ka role diya, bahan ka role diya, maa ka role diya. Bahut se role diye hain. To jo jo jahan jaisa hamen role mila hai, swang mila hai, vaisa ham perfect karen to hamen director ki prasannata prapt ho jaegi aur wo hamko is role se bahar kar dega. Apne saath rakh lega. Apni divya leela mein le jaega. Divya anand mein le jaega.

to hamko yahan role karna hi padega. Jhutha hai par hamko role karna padega. Jo swang mila hai, jo natak mila hai, pati ka natak, bhai ka natak, guru ka natak, shishya ka natak, jo natak mila hai, usmen perfect aap role ada kijiye to bhagwan prasann ho jaenge. Jagat natak vaibhava gopal shastr naam mein ek bhagwan ka naam aata hai. Jagannatak vaibhava. Ye jagat rupi natak ka vaibhav wo swayam prakashit kiye hue hain. To tumhen jo natak mila hai jo role mila hai vaisa kijiye. Usko agar theek se nibha le gaye to badhiya aur agar galat kar gaye to phir narka aadi ki prapti hogi.

veena pandit ji Pune Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ghar mein ke mandir mein virajman devi devtaon ki puja archan karne aur unhin devi devtaon ke tirth sthalon par jakar puja archan karne mein kya antar hai? Bhavna ka antar hai. Ghar ki devi jab virajman hai to utni bhavna nahi banti jitna ham kasht sahakar jab Vaishno devi jaate hain. Tap karna parta hai. Tap usmen hota hai. Kasht hota hai. Aap pahar pe chadh ke dhakkamukka kha ke aur nana prakaar ke shram kasht sahakar jab gaye to aapki bhavna bani.

wo bhavna ghar mein nahi banegi. Jaise aap thakur ji virajman kar lo ghar mein to wahi Murli manohar lalit tribhangi thakur ji ghar mein virajman hai wahi bihari ji virajman hai jab aap chal ke paisa laga ke aur yahan Vrindavan aae aur yahan jab darshan karenge to aapke bhav kuch aur ho jaenge aur dusri baat hai ki ghar mein utni pavitra nahi hai jitni dham mein pavitra hai. Ghar ke thakur tumhare bhav ke anusaar hai aur yahan thakur ji sakshat rup mein virajman hai. Bihari ji koi murtikar ki rachna nahi swayam prakt thakur virajman hai.

to kai karan hote hain jisse hamko jana chahiye aur darshan karne chahiye. Pahla karan hota hai ki hamare sharir ke paap nasht hote hain. Kyonki hamen kasht milta hai. Tap hota hai hamare dwara pavitra. Dusri dham aadi ka vatavran alag hai. Aap apne ghar ka vatavran dekhiye aur haridvar jaiye. Wahan ka vatavran dekhiye. Vrindavan ka vatavran dekhiye. Kashi ka vatavran dekhiye. Jo bhagwat dham hai jo tirth hai wahan ka ek bhagavtikta aapko dikhayee degi. Ek divyta dikhayee degi. Hriday mein ek ullas hoga. Ek-ek kadam chalne par bade bhid hai, dhakka lag raha hai.

lekin aapke hriday mein anand hai aur uchak karke ek jhanki hui to aapko laga aaj maine bhagwan ke darshan kar liye. Aaj thakur ke darshan kar liye to ati uttam hai. Apne ghar ke thakur ke bhi darshan karen, seva karen lekin avsar mile to tirthon mein bhi jae. Usse mahan labh prapt hota hai. Ek ek kadam jo aap tirth ke liye chal rahe ho, thakur ke darshan ke liye chal rahe ho, wo vishesh labhdayak wo vishesh punya prad hai. Usse aapka paap nasht hoga, aapka mangal hoga, aapke dukho ka nash hoga, aapko sukh ki prapti hogi.

aisa karna chahiye. Neera pradhan ji bhuvneshwar jai jai shri maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji aapke pravachan satsang va ekantik sunkar jeevan ko ek arth aur ek uddeshya mil gaya hai. Aapka bahut-bahut abhar. Maharaj ji ek baat aapse janna chahti hoon ki vani ka maun hi kafi kathin lagta hai. Agar wah thoda bhi kar lun to man ka maun kaise sambhav hai? Matlab vani se to chup hai bat andar to vichar chale ja rahe hain maharaj. Usko rokne ke liye pahli agar break hamari sahi lag jae na to dusri sahi lag jaegi.

vani ka maun agar sahi dhang se ham nirvah kar pave. Vani ka maun ka matlab ekdam mookh ho jana nahi hota hai. Vichar purvak bolna bhi maun ke antargat hi aata hai. Jaise ham bhagwat charcha kar rahe hain. Ye maun se badhkar labhdayak hai. Bodhta parsparam kathyant cha mam nityam tashyant cha ramant cha bhagwan ke rup ki leela ki bhagwan ki gun mahima ki charcha ham kar rahe hain vani ke dwara to maun se bhi pavitra hai. Ham kisi se baat kar rahe hain. Uske hit ki baat kar rahe hain. Mridu baat kar rahe hain. Uske hriday ko sheetalata pahunch rahi.

ye vani se maun se bhi badhkar ke hai. Ham bhagwan ka naam kirtan kar rahe hain. Naam jap kar rahe hain. Satya bol rahe hain. Ye sab zaruri hai. Vani hai to bolne ke liye to hamen lagta hai bolna chahiye. Radha Radha bolo, bhagwan naam kirtan bolo, bhagwat charcha karo, accha bolo. To iski sarthakta hai. Adhiktar maun rahe aur jab bole to vichar purvak bole aur isse dhire-dhire kya hoga ki jo ham bolte hain uska prabhav hamare man par parta hai. Man dhire-dhire jab hamara pavitra hone lagega to pavitra man shant aur sthir hota hai.

apvitra man chanchal aur ashant hota hai. To dhire-dhire ek ek indriy agar hamari pavitra hoti jae to man hamara pavitra ho jaega. Kyonki indriyon mein hi man aa sakta hai. Indriyan vishyon mein aasakt hai aur man indriyon mein aasakt hai aur buddhi man mein aur jab ulta ho jae buddhi man ko adhin kar le. Man indriyon ko adhin kar le to sadhna ban jati hai. Abhi ulta hai. Vishay indriyon ko adhin kiye hue indriy man ko adhin kiye hue man buddhi ko adhin kiye hue hain. Isliye hamara man chanchal hai. Dhire-dhire ham naam jap karen.

bhagwan naam kirtan karen aur bhagwan se prarthna karen. Prarthna se bahut jaldi labh hota hai ki he nath agar ham man ko rokna chahte to aur bhagta hai. Aap kripa karo. Aap aisi kripa kar do ki aap mein man lag jae. To goswami tulsidas ji kah rahe hain hari jo mero man hath na taje main to prayas karta hoon hatheela man vishyon mein bhag jaata hai ho haro kar jatan vivid vidhi atishay prabal ajay tulsidas bas hoe tab jab prabhu perak barje hari jo mero man hat na taje he hari hamne bahut prayas karke dekh liya mera man shant aur achal nahi ho pa raha isliye ab aap kripa kripa karen.

iski dori aapke hath mein hai. Aap isko rok den. Aap iski chanchalta ko nasht kar den. Yah shant aur sthir ho jae. Aap mein lag jae. To vani ke maun se aur bhagwan ki prarthna se naam jap naam kirtan bhagwat leela katha shravan se hamara man dhire-dhire shant hone lagta hai. Anil kumar Jain ji ujjain se maharaj ji shubh aur ashubh karm phal bhugne ki avadhi ka nirdharan purv janm mein kaise hota hai ki koi vyakti apne achhche bure karm kitne samay tak bhugtega isko keval vidhata jante hain dusra nahi janta suno bharat bhavi prabal bilakh kaho muni hani labh jeevan maran jas apjas vidhat to jo hamara praarabdh bhog hai wah kya-kya hai?

kitne samay mein kaisa hai? Ise pura vidhata janta hai aur yah itna hi nahi hai. Godam bhara hua hai jise sanchit karm kahte hain. Sanchit karm se kuch hissa nikala jaata hai shubhshubh ka jisse sharir ki rachna hoti hai use praarabdh karm kahte hain. Aur jo naya karm kiya jaata hai use kriyaman karm kahte hain. To godam to abhi pura bhara hi hai. Jab tak bhajan bal ke dwara, gyan bal ke dwara, tap bal ke dwara usko nasht nahi kar doge tab tak bhogna padega. Bar-bar janm, bar-bar maran aur manushya yoni mein hi nahi suar, kutta, gadha na jane kin-kin yoniyon mein hamen jana padega.

to isiliye manushya yoni ki mahta hai ki ham is janm mein itna bhajan karen ki hamara sanchit bhasm ho jae aur praarabdh ko bhog len aur kraman pavitra achhche aacharan ho aur bhagwat samarpit ho to hamen isi janm mein bhagwat prapti ho jae. Hamara aavagaman chakra ruk jae. Lekin log jahan sansaar mein chakachaundh maya ki dekha to bhagwan ko bhul jaate hain aur apna manushya janm pura ka pura isi maya mein vyatit kar dete hain. Ab ye ho jae ab vaisa ho jae vaisa ho jae pura jeevan isi mein chala jaata hai. Maharaj ji jaise kisi ka uday teen mahine ka hai.

karm teen mahine tak usko pareshaan karega. Kisi ka chha mahine to ye ek karm karan kaun sa kara hua? Kis karan se ye iski avadhi ki kaun kitna bhugte hai? Haan usi usi aparadh ke anusaar hai. Ye aparadh ke anusaar hai na. Jaise aparadh bada hai. Ab jaise kisi ko bukhar aaya teen din mein theek ho gaya. Ab praarabdh chhota tha nipat gaya. To yah praarabdh bhog hota hai. Ab bada praarabdh hai to aajeevan bhogna padega. Chhota praarabdh hai to thoda sa aaya aur nipat gaya chala gaya. Ab isko to na ham jante hain aur na koi jyotish acharya janega.

yah brahma ji hi jante hain. Jinhone racha hai ki isko kitne din kya kitne minute kahan kaisa bhogna hoga wo wahi jante hain. Mayank Tiwari ji Radha vallabh shri shri Harivansh maharaj ji Gurudev surdas ji ke pad mein aata hai ki bharoso dridh in charan ke ro. Maharaj ji is pad mein atyant adbhut evam mahima mein ah mahima ka varnan kiya prabhu ki par maharaj ji ismen bharo kis bhrose ki baat kar rahe hain wo bharosa kaise ho aur kaise hamare andar aae jab an koi thor nahi aur nahi tab bharosa ek hota hai kahin hamen thaur nahi koi hamara aur nahi bharoso dridh in charan kero shri vallabh nakh chandra chhata bin sab jag ma andher usi mein uttar likha hua hai shri vallabh mane Vallabhacharya ji ke liye wo kah rahe hain acharya guru ke liye kah rahe hain aur shri vallabh bhagwan

ko bhi kahte hain Radha vallabh shri vallabh shri vallabh waise wo acharya Vallabhacharya ji ke liye kah rahe hain Gurudev ke liye kah rahe hain ki shri vallabh nakh chandra chhata bin sab jag maah andhero bhar karo so dridh in charan kero yah kalikaal aisa malin hai ki bole ismen aur duja koi sadhan nahi hai jisse ham mukt ho sake maya se mukt ho sake aur surdas ji kahte hain sur kaha duvidh andhro bina mol ko bhagwan mein bik jana koi kamna na hona bhagwan ke siva hamara koi hai nahi aisa in mahapurushon ne jo bhagwan ko pyar kiya wo ham log jaan hi nahi sakte kyonki mayakrit malin man hai aur wo nirantar dekho shabd dekho kah rahe sur das duwidha dharo bahar se to andha ho andar se bhi andha ho mere to aur koi sadhan hi nahi jiska bhav bada gambhir bhav hai surdas duwidha dharo bahar se ankhen to pehle se janm se hi andha hoon aur andar gyan gyan ki ankhen bhi nahi hai.

donon tarah se andh mein to bina mol ka bika hua aapka das hoon. Surdas duwidha dharo bina mol ko chero bharoso dridh in charan ke hamare koi aur sadhan nahi. Keval aapke charnon ka bharosa hamara koi aur nahi prabhu keval aapke siva aur koi nahi. Jab yah bhav hota hai to dridh bharosa bhagwan bas yahi sadhna ka phal hai bhagwan mein dridh bharosa ho jana jaise hamare yahan hariram vyas ji kah rahe hain kan ke bal bhajan ko kahu ke achar vyas bhrose kunwar ke shri ji ke bhrose vyas bhrose kunwar ke sovat pav pasar ab ham to ladli ke bhrose hokar nishcint ho rahe hain kisi ko bhajan ka bal hai, kisi ko pavitra jitendrita ka, pavitra ka bal hai.

hamen to shri ladli ji ke gore charnarvind ka bal hai. Yah bhakti ki charm avastha hai. Jab bhagwan ke siva koi apna nahi hota. To wo jo anand hota hai uska varnan vani ke dwara nahi hota. Bharoso dridh charan ke jaise goswami tulsidas ji kah rahe hain ek bharoso ek bal ek as vishwas ek Ram Ghanshyam he chatak tulsidas jaise chatak swati ke bund ke siva aur koi jaban par apna pani nahi rakh sakta chahe mar jae aise hi apne isht ke naam isht ke rup isht ke aashray mein jo hai uska dridh bharosa ho jaata hai.

yah siddh purushan ki baat hai. Bharosa dridh ho jana matlab siddh ho gaya. Yahi to sab khas baat hai. Hamen prabhu par vishwas nahi hai. Prabhu se bharosa dridh nahi hai. Agar dridh bharosa ho gaya to bhagwan das ban jaate hain. Dekho na jitne bhrose wale bade-bade bhakt hue bhagwan unki sevkai mein lag gaye. Bhagwan unke sevak ban gaye. Prerit ji Radhe-Radhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwan aur devi devtaon ka alag-alag manyata mani gayi hai par bachpan se aisa sunte aae hain ki devtaon ki bhakti se sansarik sukh mil sakte hain par bhagwan ki bhakti se asli anand ki prapti hoti hai.

par mera man ek devi devta ke bhakti mein laga hua hai. Aise mein kya mujhe wo anand ya us mauj ki prapti nahi usi mein bhagwan ki bhavna kar lijiye kyonki koi karan aisa nahi jahan bhagwan na ho to kya devi devta mein bhagwan nahi hai kya jab ham charachar jagat mein bhagwan dekh sakte hain to devi devta mein bhi bhagwan dekh sakte hain. Yadi hamare andar yah bhavna aa jae ki ye devta sakshat bhagwan hai to anand ki prapti hone lagegi. Kisi bhi devta ya kisi bhi devi mein yadi hamara bhagwat bhav ho jae jaise Ram Krishna Paramhans ji ne maa kali mein hi bhagwan ka bhav kar liya ki param brahm paramatma hi maa kali ke rup mein to sab sakshatkar ho gaya.

sab kuch prapt ho gaya. Aise hi yadi ham kisi bhi devta mein bhagwan ka bhav kar lete hain to bhagwan hi to devta bane hue hain. Mul mein to sabke bhagwan hi virajman hai isliye bhagwan par hamari shraddha bhagwan mein honi chahiye. Jaise ham surya bhagwan, chandra bhagwan, indra bhagwan ham bhagwan mein laye ki ye swayam bhagwan indra bane hue hain. Swayam bhagwan chandra bane hue hain. Swayam bhagwan surya bane hue hain. Swayam bhagwan hi ganapti bane hue hain. Swayam bhagwan hi samasth devi devtaon ke rup mein. Aisi ham bhavna karen to bhagwat prapti ho jaegi.

maharaj ji hamare ismen jaise nakoda Bhairav manibhadra veer aise dev devi devtaon ko ham pujte hain aur teerthankar use batte hain ki unko pujne se hi moksh hota hai. Unhen bhagwan ki bhavna ke bina to phir agar devi devtaon ko bhagwan ki bhavna ke bina pujoge to moksh nahi pradan kar sakte. Moksh pradan karne ka adhikar ya parmanand pradan karne ka adhikar sirf bhagwan shri hari aur bhagwan shankar ko hai. Dusre ko nahi hai. Shri hari aur bhagwan shankar hi moksh aur parmanand pradan kar sakte hain.

aur samasth jitne bhi devta aadi hain ye ek sima tak aapko sukh de sakte hain. Laukik parmanand nahi. Agar unhin mein ham bhagwan ki bhavna kar le to wah aapki vritti bhagwan tak pahuncha denge jisse parmanand ki prapti ho jaegi. Bhagwan ki prapti to dekho ek bhut se ho gayi tulsidas ji ko kashi mein ganga par karke soch jaate the to jo shauch ka bacha hua pani hota tha aise phenk dete the aur us ped par ek pret rahta tha aur pret apvitra pani pita hai to kai din pine ke baad wo tript hua aur prakt ho gaya tulsidas ji se kaha ki ab aap jo chaho hamse maang lo.

to unhone kaha aap kaun ho? Unhone kaha main pret hoon. To bole maine to aapki aradhna ki nahi. To unhone kaha aradhna nahi hui par anjane mein aradhna ho gayi. Aapne jo apvitra pani fenka usse meri tripti ho gayi. Ab aap batao kya? To unhone kaha Siyaram ke darshan kara do. To kaha itni samarth nahi. Hamari itni samarth nahi hai ki main Siyaram ke darshan kara du. Upay bata sakta hoon. Upay se pakka Siyaram ke darshan ho jaenge. To unka batao to bole tulsi ghat mein jab ramachritra ka gayan kiya jaata hai bhagwan ki katha hoti hai to us samay Mahavir param mahabhagvat bajrangabli hanuman ji maharaj ate hain unke charan pakar lo wo Siyaram ji ke darshan kara denge to unka ham pahchanenge kaise bole sabse pehle ate hain aur sabse baad ke jaate hain aur malin vastr hota hai vridh swaroop hota hai tulsidas ji us din gaye to je katha katha suni to sabse pehle akar hanuman ji maharaj baith gaye.

malin kapda pahne aise vridh rup mein tulsidas ji drishti rakhte rahe aur jab sab chale gaye to wahan pranam karke wo jo hi chale so piche lage piche lage to bhage wo to tulsi ghat se lekar sankat mochan jo kashi ke hain wahan tak hanuman ji bhage tulsidas ji jakar charan pakar liye unka kya chahte ho to unka prabhu itne din ho gaye bhajan karte hue main apne prabhu ko dekhna chahta hoon. Kaise hain mere Siyaram ji? To unka yahan kashi mein nahi Chitrakoot mein chalo. To phir hanuman ji ki kripa se shri lakshman ji aur shri Ram ji ka sakshatkar Chitrakoot mein shri tulsidas ji ko hua.

par mul prerak pret hua. To agar ham shraddha aur bhavna bhagwan ki karen to jab pret bhagwat sakshatkar kara sakta hai karan to bana na to aise koi bhi devi devta ho wo hamen tatkaal bhagwan se jod karke hamara kam bana dega to ham imandari se sampurn bhavna se bhagwat bhavna se yadi seva karen to kahin bhi seva karen wo bhagwan ko hi pahunchti hai kyonki mul mein sabke bhagwan virajman hai. Ji Jagannath aroda ji Haryana se rani ki sharir ki jai maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji paramarth purusharth va pratiksha tino ka santulan kaise banain taki apne sadhak jeevan va sansarik kartavyon ka achhche se palan kar paen aur tino ko karte hue paramarth na aae pratiksha ka tatparya kya aap le rahe hain Gurudev jab paramarth ki or lagte hain to lagta hai ki maharaj ji aap kah rahe hain ki jab paramarth ki or dekhte hain to phir aisa lagta hai ki abhi vyavahrik karya kuch der pratiksha kar lete hain taki phir ekdam paramarth mein ho to iska santulan kaise banaya ja sakta hai maharaj nahi pure jeevan man isi tarah atkae rahta hai ki yah kam ho jae phir ham bhajan kar lenge yah ho jae phir ham bhajan kar lenge aisa nahi pehle bhajan karo phir kam hoga ham kam karte hue bhajan karen jo hamara sansarik karya hai usmen ham bhajan ko piche nahi talte hain kyon kyon?

kyonki kal ham jiyenge ki nahi hamen bharosa nahi hai. Hamari ayu kitni hai mujhe pata nahi hai. Mujhe har shwas bhagwan ka smaran karte rahna hai. Pratiphal paramarth mein hamen sthit rahna hai. Paramarth hi purusharth hai. Agar paramarth nahi to aur purusharth kis kam ka? Paramarth hi purusharth hai aur paramarth purusharth karte hue bhagwan ke darshan ki pratiksha na ki kisi kam puri hone ki pratiksha nahi kisi kam puri hone sab kam theek hai. Jaise prabhu rakh rahe hain waise bahut badhiya rakh rahe hain. Manushya jeevan in labhon ke liye nahi mila.

yah koi labh hai. Aap pure jeevan 50 arab kamae aur mar gaye ₹ jaega kya to labh kahan mila hani to ho gayi itna badhiya manushya jeevan aur le jane layak kuch kamaya hi nahi jaise socho kisi desh mein aapko bheja jae aur wahan aapko sab suvida de di jae makan de diya gaya patni de di putr ho gaye rupya paisa man pratishtha sab ab wahan se apne desh mein lautna hai lekin kuch nahi la sakte wahan se to bolo aise desh mein jana pasand karega koi jahan se ham kuch wapas nahi la sakte apne desh kuch la hi nahi sakte aise desh mein rahna koi pasand karega wo yahi desh hai sharir bhi chhoda diya jaata hai sharir bhi hata diya jaata hai kuch apna hota nahi to jo apna hai wah hai paramarth.

to hamen apne purusharth ko paramarth mein hi lagana chahiye aur pratiksha karni chahiye paramarth ke parinaam ki prapti ki na ki sansarik bhogon ki na ki sansarik labhon ki. Yah to an mange age avego jo pal lage pal ko jaise pal ke bina prayas ke chalti rahti hai aise hi praarabdh bhog se sukh aur dukh aata rahta hai jaise koi dukh nahi chahta phir bhi dukh aata hai aise sukh na chahe to bhi sukh aa jaega iske liye zyada prayas na karen prayas karen bhagwat prapti ke liye prayas karen parmarathi ki purti ke liye pratiksha karen bhagwan ke darshan ki pratiksha karen bhagwan ki kripa ki pratiksha karen moksh ksha ki na ki sansarik bhogon ki.

shashi kumar ji mainpuri Radhe-Radhe Gurudev bhagwan Radhe-dhe maharaj ji Gurudev bhagwan kripa aur sharanagati mein kya antar hai? Ek hi baat hai. Kripa se sharanagati hoti hai aur sharanagati se kripa ka prichay hota hai. Bhagwan ki kripa se hi sharanagati hoti hai aur sharanagati se hi kripa ka prichay hota hai. Jab ham bhagwan ki sharan mein hote hain to hamen pata hota hai bhagwan hamen kitna dular kar rahe hain. Bhagwan hamen kitna pyar kar rahe hain. Bhagwan ki ham par kitni kripa hai. To kripa se sharanagati aur sharanagati se kripa ka anubhav hota hai.

bhagwan bade kripalu hain. Yah baat sharanagati se hi anubhav mein aata hai. Kashish ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan bhagwan sant jan sant vani shastr vachan par sadhak ka vishwas din pratdin badhta jae. Iske liye sadhak ko kya prayas? Naam jap karna chahiye. Naam jap karne se hriday pavitra hota hai. Pavitra hriday mein pavitra shraddha aur dridh vishwas hota hai. Wah pavitra shraddha aur dridh vishwas jab sant vani aur shastr mein ho jati hai to uska paramarth pusht hone lagta hai aur paramarth pusht hota hai to bhagwat prapti ho jati hai.

sant vani se hi bhagwat prapti hoti hai. Agar sant vani aur bhagwat vani ka shraddha vishwas purvak sevan na kiya jae to phir bhagwat prapti ho hi nahi sakti. Kyonki yahi marg batte hain. Jab marg hi mein nahi chalenge to bhagwat prapti kaise ho paegi? To sant vani aur shastr par pragadh shraddha aur dridh vishwas hona hi bhagwat prapti ka lakshan hai ki bhagwat prapti kar lega. Bhawani shankro vande shraddha vishwas rupno yabhyam bina na pasant siddha stameshwaram bina shraddha vishwas ke hriday mein virajman paramatma hai par kahan anubhav ho raha hai to ham sant aur shastr par purn shraddha aur vishwas kar pave iske liye hamen khub naam jap karna chahiye naam jap karne se hriday pavitra ho jaata hai neeteesh pandit ji Pune sone se haan ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji atma mrityu ke baad kya anubhav karti hai agla janm kaise tay hota hai is prakriya ko tay karne wali niyamavli kya hai maharaj ji ham waise jo atma hai in sab baton se ekdam alag hai unka isse koi tatparya nahi kabhi janm maran na atma ka hota hai na hoga na hai.

atma nirlep nirvikaar sacchidanand swaroop hai. Ye sukshm sharir ko hota hai. Jo man hai jo buddhi hai jo chitt hai ahankaar hai antahkaran chatushta hai. Panch gyanendriay panch karm indriyan ye jo sukshm sharir hai isi ko janm maran hota hai. Atma to ismen aham karke bar-bar jo janm maran ho raha hai us aham karke ismen wah bhogta karta bhav se yukt hone ke karan nirlep hone par bhi use bhogna parta hai. Nirlep hone par nirvikaar hone par bhi use bhogna parta hai. Antahkaran par mamtv hone ke karan aam hone ke karan par janm maran jo hota hai us samay janm maran ka matlab yahi samjho jaise so gaye gadh nidra yah mrityu aur jage yah hai janm aise janm mrityu hoti rahti hai gadh murcha mrityu phir agli yoni mein pahuncha phir chetna jagrit hui phir usmen khalne kudne laga phir waise sab phir gadh murcha aise aise bahut janm ho gaye.

ab ham apne ko sudhar le. Manushya janm mila hai janm maran ke chakra ko rok kar paramatma ki prapti ke liye. Ab ham aisa bhajan karen datkar ki ham janm mrityu ke chakra ko rok den. Par log idhar dhyan hi nahi de rahe hain. Isi jagat ki chijon chahta hai. Wo bhagwan ko nahi chahta hai. Kyonki buddhi hamari malin ho chuki hai. Isiliye ham sabse kahte hain naam jap karo. Naam jap karne se jab buddhi pavitra hogi to sahi nirnay niklegaa. Abhi to bada dhul padi hui hai buddhi par maya ki. Jab ham naam jap karenge tab nirmal buddhi sahi nirnay kar pati hai.

abhi to bahut malin buddhi hai isliye khub naam jap karen. Yah baat samjh lo atma ka kabhi janm nahi hota. To mrityu kaise ho sakti hai? Atma ko koi dukh nahi vyaptata. Nainam chhinti shastraan nain dati pavka na chainam kledo na shoshti maruta atma ko astr chhed nahi sakte. Vayu sukha nahi sakti. Ki jal gila nahi kar sakta. Wo akledhya hai, ashosh hai, aday hai, wo bhagwat swaroop hai, chidanandmay hai. Par aisa chidanandmay hone par bhi wo antahkaran mein mamtv rakhne ke karan karta aur bhogta bhav rakhne ke karan wo na janmane par bhi janmata hai.

na marne par bhi marta hai. Yahi bhagwan ki maya hai. Asha ji Haryana se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji yadi kisi manushya mein koi gun bhakti bhav na ho aur jo sada hi paap karmon mein lipt ho to prabhu kya aise manushya ko bhi bhagwat prapti ya sant guru rup mein prapt hokar use diksha pradan kar sakte hain sadguru dev ki prapti ke liye kya prayas kar sakta hai aisa ji bhagwan se prarthna karen aur kisi sache sant ka sang mil jae to ghor papi bhi mahatma ban sakta hai bhagwan swayam kah rahe hain apichet suduracharo bhajte mam anannya bhag sadhu samantavya samyak vyavtasa ghor durachari ho sango paang paap karne wala ho apchet su durachaar matlab khub sundar dhang se paap karne wala ek hota hai ki paap kar liya nahi khub rachpach karke paap karne wala ho ghor papi mahapapi agar wah bhi sadhu sang se ya kisi ghatna se prerit hokar ke bhagwan ki sharan mein aa jae to bhagwan kahte hain main use sadhu bana dunga.

bhagwan kahte ap suduracharo bhajte mam anannya bhag sadhu samantavya samyak vishita aisa sabko use sadhu hi manna chahiye kyonki wo kal papi tha aaj meri sharan mein aa gaya ab main karun sate sadhu samana chhipam bhavti dharmatma wo bahut jaldi dharmatma mahatma ban jaega to avashya avashya ghor papi bhi bhagwan ki sharan mein jae aur khub dat ke bhajan shuru kar de to mahatma ban jaega. Bhagwan use mahatma bana dete hain. Sere ki nirash pe utar aaya chaand pava mathe ma mor ko kesar ki bhav suhaye kamal nayan kae gaj chitvan chet churae makra kundal ka nihar sava mano dharti prem utaro sakhi pava bina bulaye sang guru ke janakpuri mein aae kab nain ke mar samo pe utar aaya Shyam paag so Pitambar janta jan Ram aae kamal nayan kar aae chit mein dulwa sa po dharti pe utar aaya Shyam arun sakhi pava rup jab se aae hain raghuvar sarkar jab se aae hain raghuvar sarkar kab se utsav hi utsav Mithila jane kab kya zaroorat par jaegi kab kya zaroorat par jaegi khula rahta hai har dum bazar mein khula rahta hai har kis chij ki bhi hogi kisi ki bhi hogi jarur hai pura karne ko har da tayyar Mithila pura karne ko har da tayyar sarkar aur kuch bhi leve athva de nahi chahe aur kuch le athva de nahi shanti pane ko hardam tayyar Mithila shanti pane ko haram tayyar Mithila aae hain raghuvar sarkar Mithila waise mithilaj mein pauna ji ko sab kuch pasand hai.

aise Mithila mein bhavna ji ko sab kuch pasand hai. Lekin sabse pasandi ki bauchhar Mithila sabse pasandi ki bauchhar Mithila se aae hain raghuvar sarkar Mithila yad Mithila bhi sunate hain wahi yad bhi sunate hain wahi yad dulha ji uchhle barambar Mithila yad ji uchhle barambar Mithila jab se aae hain raghuvar sarkarla utsav hi utsav lagataar Mithila sarkar nivedan ka pad hai sudhi meri bhi lena girdhri sudhi meri bhi lena girdhri girdhri tumne ganika jami ko Tara ko Tara dhan sena girdhri dhan sena girdhri girdhri apni bagiya ka kuch bhi bana lo phir apni

bagiya ka kuch bhi bana lo chahe to taya maina girdhri chahe to tana girdhri sudhi meri bhi lena girdhri sudhi teri girdhri girdhri ham narayan gun gayak girdhri ham narayan gun gayak nahi tujh binu chaina girdhri nahi tujh chaina girdhri girdhri jane shravan mein kab tak padenge shravan mein kab tak amrit se bahna girdhri amrit se bahna girdhri sudhi meri bhi lena girdhri sui meri lena girdhri ab tanna lagli karo sab bhati manohar piyas ka lagta bade najon se pala hai kuch kasar agar to bas itni ki dulha thoda sa ab channa lag ke naam bina dulha ba gayi lekriya ke amavasya ke raat jaise adhriya ke amavasya ke sanman kareti sami keriya hari samriya utar unkar par deti phariya lahanga utar unkar par deti phariya phra unke chhoti ghagraghriya hai phra unke chhoti si gagriya hai angna mein nachti unke bana ke banriya hai angna mein nach un ban Mithila ke ubtan bante bada chamatkar kar aae Mithila ke uban bate bada chamatkar kar aae kshan bhar mein hariyar ho hai dashrath ji ke hariya mein har har ho ke hariya

mori siyajui Janak ke dulriya hai mori siyai Janak ke dulriya hai dulha ke gor ban nahi hai baithe gagriya hai dulha ke ban hai baithe hai upar se unke chela banav le Baba ji baksariya hai chela banav le Baba ji baksariya pehle se pakka guru baye pehle se pakka guru paye neh nidhi narayan sun sun ke makriya neh nidhi narayan prabhu sun sun bas kar mand mand muske ka ke ti najriya aae mand mand muske ke ti najriya aae dulha sarkar ki jai pujya Baba sarkar ki jai maharaj niti pande ji Varanasi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jaise bhakt bhagwan ko pukarta hai kya bhagwan bhi kabhi bhakt ko pukarte hain bhagwan hi bhakti ki pukar bante hain.

bhagwan pukarte nahi bhagwan hi bhakti ki pukar bante hain. Bhakt ke hriday mein jo bhagwan ke prati bhav aata hai wo bhagwan hi bante hain. Bhakt pyar kya kar sakta hai? Bhagwan ka pyar hi bhakt ka pyar banta hai. Bhagwan ki karuna hi bhakt ka hriday ban jati hai. Bhagwan ki prerna se hi wah yantravat cheshta karta hai. Wah jo pukarta hai ha Krishna Radha to sahi mano hriday mein wah baithkar ke pukar rahe hain. Wahi pukar rahe hain. Wahi bhav de rahe hain. Wahi karuna kar rahe hain. Bhakt to rai ke saman pyar karta hai.

bhagwan samudra ke saman pyar karte hain. Bhagwan ko jab koi apna man leta hai tab ye prichay jaan pata hai. Nahi to maya ka aisa malin prabhav hai ki sharir sharir sambandhi rishte nate yah sab priy lagte hain aur bhagwan parae lagte hain aur jab bhagwan ka bhajan kiya jaata hai bhagwan ki kripa se shuddh gyan hota hai. Phir bhagwan se jab prem hota hai tab hriday ki dasha badal jati hai. Wo bhagwan hi uske andar pukar bante hain. Aap ek bar Krishna bolenge wo hazar bar aapka chintan karenge. Unke jaisa premi hai kaun?

priti ki riti ranghilo hi jane. Aap vichar karke dekho. Bhakton ke charan chap rahe. Kya anant bramhandon ke ishwar ke paas itni shaktiya hai, itna power hai. Wo kisi ek parsad ko bol sakte hain jakar ke ki dekho mera bhakt kasht mein hai. Uska sahyog karo. Lekin nahi swayam apne hath se madhvdas Baba ki langoti dho rahe hain. Swayam arjun ka rath haak rahe hain. To bhagwan ki karuna aur bhagwan ke pyar ko to keval bhakt hriday hi janta hai. To bhagwan hi bhakt ke hriday ki pukar bante hain. Aur usi pukar mein bhagwan ka sakshatkar hota hai.

ab is baat ko samjhna. Bhagwan hi bhakt ke hriday ke pukar bante hain. Wah karuna wah ar bhav bhagwan hi dete hain. Aur usi pukar mein bhagwan ka sakshatkar hota hai. To bhakt aur bhagwan abhinnn hai. Tasmit jane bheda abhav bhagwan aur bhakt ke beech mein bhed nahi rahta. Agar bol raha hai Radha to shri ji uske hriday mein hi baithe use pyar kar rahe hain. Uske hriday mein hi baithe use dular kar rahe hain. Bahar bhitar charon taraf wah apne bhagwan ka sanidhy anubhav karta hai. Koi prem karke to dekhen par hamara prem bikhar gaya hai.

sansaar mein bikhar gaya, bhogon mein bikhar gaya, vyaktyo mein bikhar gaya, shariron mein bikhar gaya. Agar yahi prem samet kar bhagwan mein ho jae mere to Giridhar gopal dusro na koi to ab abhi samjh mein ave ki bhakti ki pukar hi nahi rah jati bhagwan hi uski pukar ban jaate hain. Bhakt to bhagwan mein leen ho raha hai. Tanmay ho raha hai. Ab bhagwan jaisa use nacha rahe hain vaisa wo nach raha hai. Wo pukarwa rahe hain to pukar raha hai. Rula rahe hain to ro raha hai. Hansa rahe hain to hans raha hai. Khila rahe hain to kha raha hai.

bula rahe hain to bol raha hai. Chala rahe hain to chal raha hai. Wo swayam mein kuch nahi hota. Swayam to bhagwan mein leen ho gaya. Bhagwan mein tanmay ho gaya. Ab is sthiti ko wahi samjh sakta hai jiski sthiti hai. Anytha keval baton se yah anubhav mein nahi aa sakti. Ye samjh mein nahi aa sakti. To bhagwan hi bhakti ki pukar bante hain aur bhagwan hi usko sampurn rup se chalate hain. Bhakt ka aham to bhagwan mein leen ho jaata hai. Isliye bhakt keval kahne matra ko rahta hai. Wahan swayam bhagwan ka shasan rahta hai. Wahan swayam bhagwan virajman rahte hain.

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha kitnon se ab Radha vallabh shri hariv Radha shri hari bol Radha shri hari bol Radha shri hari bol Radha hari bol Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha kabahu suno kripa kishori Radhe

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…