॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

yah apnaya to swarth–paramarth donon baenge; lok–parlok sudhar jaega // 20/11/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam nirva param shital mashray param sacchidanand ghan Premand swaroop navnit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal chand pranaaradhy shri Priya pritam jo samasth hit parikkar nij parikar atma samarpan yah bhakti ki purnata hai. Atma vismaran yahi hamara bhari bandhan hai. Ham apne ko bhul karke deh bhav mein nana prakaar ke visham sansaar ke bhogon mein vihaar mein chintan mein jo hamara divya swaroop hai jo maha sukhmay hai usse vanchit hai.

hamara swaroop hai sukh rashi anandmay aur ham anand ki khoj vishyon mein kar rahe hain. Ab itni samarth nahi rah gayi ki ham apne buddhi bal se is vishay rupi daldal se hat pave. Ab hamen atma samarpan karna hai prabhu ko. Karunanidhan prabhu piche ke sare apardhon ko maaf kar dete hain. Unka swabhav hai aur yah siddhant bhi hai. Agar ham is janm mein apne sanchit karm bhasm nahi kar paye, kriyman bhagwat samarpit nahi kar paye. Praarabdh ko anand purvak nahi sah paye to bahut ghata ho jaega, hani ho jaegi kyonki aur kisi yoni mein yah karne ka adhikar nahi hai.

keval manav deh mein hi hai. Isliye prarthna hai bhogon mein aisa pramad bhara hua hai ki aap soch bhi nahi sakte ki hamko bhagwat prapti karni hai. Hamara lakshya nirantar bhajan hai. Sat chintan hai. Aapki soch hi nahi ho sakti. Itna malin hriday yah kar deti hai maya. Bade kripa patr jan hain jinko thodi chetna to jagrit hui ki ham satsang sune hamare jeevan mein gande acharno ka tyag ho aur sat aacharan achhche aacharan wo bhi bhagwat bal se bhagwat samarpit bas jeevan ki dhara anand ki taraf chal padi bada kathin hai nirantar naam jap karna aap dekh log bahut se upasako se mile wo kahte hain aur sab kuch mein hamara bhav banta hai ruchi banti hai par jahan ham naam nirantar japne ki sochte hain ghbarahat aa jaata hai bhay hone lagta hai aur man saath nahi deta hai sachchi baat manna bilkul aisa hi hai aur sab kuch karne mein man raji ho jaega dharmik cheshta punya dan tirth yatan sab kuch lekin yah naam mein nirantrta chalo nirantar nahi ghante do ghante ek hi naam bina kisi vikshep ke barabar chalana bahut kathin hota hai aur yahi naam hi hamko wo gyan shakti pradan karta hai ki hamara jo atma vismaran ho gaya wo smriti jagrit ho jati hai.

bilkul aap satya samjhiye. Naam ke bina na prem prapt hoga aur na brahm bodh prapt hoga. Naam bahut avashyak hai aur naam ke prati jinki ruchi hone lagi hai. Bahut badi manjil tay kar chuke hain. Samjh lo aap kyonki bina paap nasht hue anarthon ki nivitti hue naam priy lagega hi nahi. Jahan tumhari jibhya mein thoda bhi naam ka swad aaya to aisi ruchi aisa nasha chadta hai ki agar koi baat karne ki cheshta kare to us samay bilkul ashniya ho jaata hai. Nahi nahi hamen nahi baat karni. Hamare mein aisi bahirmukhta aa gayi ki ghanton koi prapanch ki baat karen.

ham kar rahe hain. Hamen chinta nahi hai ki mera amulya samay amulya svase jo bhagwat prapti ke liye mili hai. Jo param dhan naam rupi khajana pane ke liye unko ham kahan bhogon ki varta mein prapanch ki varta mein vyarth ke chintan mein laga rahe hain. Shripad kah rahe hain ham apne jeevan ko bech diya. Kal jaise charcha hui thi aaj main apne jeevan ko dham ke naam bech diya. Dham ki kripa se naam nirantar chalne lagta hai kyonki yah sab dham ke adhin hai. Priya pritam rup leela aur inka naam to yahan gunj raha hai.

hamari shravan mayakrit prapanch se aisi malin ho gayi ki sunai nahi de raha. Nahi to yahan ke pakshi yahan patton ki kharkan yahan vayu ke pravah mein Radha Radha Radha chalat phirat suniyat yah shri Radha vallabh lal aise vrinda vipin mein basat raho sab kal yahan naam pakdta hai sadhak ko yadi aparadh na kare hriday ki baat kah raha hoon bahar ham naam pakdne ka prayas karte hain to pakar mein nahi aata aur yahan phire swarth apne bhajan gahe phire ba naam pakdta hai sadhak ko yah dekha hai naam pakdta hai antar ki chetna se naam pakdta hai bada chamatkarik dham hai Vrindavan hriday ki baat kah raha hoon vishwas kijiye yadi aapko nirantar vas karne ka saubhagya na ho to jab kabhi samay mile aap bhagkar Vrindavan aie amog jeevan ka labh aapka amog jeevan param labh prapt ho jaega.

yah mog vyarth jeevan vyarth chintan vyarth kriyaen vyarth bhawnaen ye dham nasht kar dega. Yadi aparadh na ho to shripad kah rahe hain shri vrinda vipin maya sharir mein tad viktam ta khalendriyam sachitam shri Radha raman padarwind bhakti mulyan shruti vatsa dado kim bech diya apne aap ko bahut bahut mahimamay baat hai charon barabar samarthyshali hai dham naam rup leela to shripad ne dekha ki dham ke prabhav se naam chalne laga naam ke prabhav se rup ka prakash hua Rupa shakti leela mein pravesh kara diya.

bahut karunamay dham hai Vrindavan. Yah jad desh nahi hai. Param chaitanya ghan hai. Sacchidanand ghan hai. Yah prem anandmay hai. Bech diya apne ko. Jo akhand Vrindavan vasi hain. Dhanya hai unka jeevan. Bas keval ek baat se bachte rahe. Vaishnav aparadh na bane. Yah Vaishno dham hai. Phir piche aapne shravan kiya hai ki shripad kahte hain dham bhi kripa nahi karega jo sant aparadh vaishnav aparadh phir dham kripa nahi karta yah Vaishno dham hai. Agar ek aparadh se bach jae Vaishno dham mein vaishnav aparadh na ho to phir aap dekh lena sari aparadh pravrittiyon ka nash apne aap dhire-dhire ho jaega.

shri Vrindavan ka aisa prabhav hai ki hriday mein jo vikar badi-badi sadhna se nahi hatae ja sake wo kripa se aise sahaj mein hat gaye. Bilkul kah raha hoon. Badi-badi kathor sadhna se bhi jin vishyon ki nivitti jo sphuran andar ho raha tha use nahi kar paya gaya. Us shri dham ke ashrit hone par swabhavic malinta nasht ho gayi. Swabhavic sphurna nasht ho gayi. Maine bech diya. Vikreetam apne aap ko bech diya. Ab aap dekh lijiye becha hai ki nahi. Jahan atma samarpan shabd hai wo bechna hi hai. Shri dham Vrindavan ke hath ham bik gaye.

arthat shri vrindavpin maya sharir mein tad vikritam kharid liya Vrindavan ne hamen to kya aapko mila is bechne par apne ko bech diya Vrindavan ko bole shri Radha raman padarwind bhakti mulyan atyant durlabh baat shri shyama Shyam ke charnarvind ka prem prapt ho gaya jo bhakti ka swaroop hai wo wo prem hai. Apne sharir ko to ham chhote-chhote kshadra vishyon mein bhi bech chuke hain aur hath nahi laga. Kai log bolte hain ki jab bhagwan ki kripa se pahli bar manushya ka sharir mila to ham kaun se karmon ka bhog bhog rahe hain?

kyonki piche to ham manushya bane nahi. Nahi nahi asankhyo bar manushya ban chuke ho. Yah jo manav deh hai na asankhya bar prapt ho chuka hai. Tum bahut purane ho. Kitne yug kitne kalp bit gaye tumhen bar-bar janm maran ke chakra mein janmate marte lekin tumne wo karya nahi kiya jo karna chahiye tha. Bhagwat prapti bahut bar bhagwan ne kripa karke avsar diya hai. Abki bar satsang mil gaya. Agar aap sweekar na karen satsang ke vakya to phir jeevan bekar ho jaega. Jab bhagwan avatar liye the to ham kahin na kahin honge kyonki ham koi na koi sharir dharan kiye to rahe honge.

param pad mila nahi to hamara chakra to chalta hi raha na. Aur avinashi hai. Chaitanya ghan atma swaroop mukt hua nahi to iska matlab jab bhagwan ka avatar hua hoga tab bhi kahin na kahin kisi yoni mein hoga. Pakka samjho agar swikrati na ho to bhagwan samne hone par bhi bhagwan ke prati bhagwat bhav ya bhagwat darshan ka sukh nahi milega. Jaise Duryodhan, Dushashn aadi ko samne bhagwan hain. Par na bhagwan ki baat man rahe hain aur na bhagwan ko bhagwan man rahe hain. Satsang se yadi vivek jagrit ho jae, swikrati ho jae to koi kan aisa nahi jahan bhagwan tumhen dikhayee na dene lage.

ye maya ka parda hatte hi wahi hai wahi dusra koi nahi. Bhagwan ne apni vibhutiyon ka varnan kiya hai. Kabhi padh ke dekho trigun maya bhi wahi hai. Panchbhut bhi wahi hai. Kan-kan bhi wahi hai. Par hamen nahi dikhayee de raha kyon hamare andar bhagwat bhav nahi hai. Hamara hriday malin ho chuka hai. Ab hamen koi upay samjh mein nahi aa raha. To kah rahe hain ki dham ka aashray le lo. Bahut saral hai. Dham ka aashray le lo. Akhand vas to dham ki maharani jo ladli jo hai unki kripa se milega par aashray to le sakte ho jahan bhi ho wahin se Vrindavan ka aashray le lo he Vrindavan main aapki sharan mein hoon apne jeevan ko ham aapko samarpit karte hain.

matra Vrindavan ka jahan chintan prarambh hua to badi-badi sadhanao se jin papon ka nash karna bada kathin ho jaata hai wo nasht ho jaate hain. Vrindavan ko chintwan yah deep uti janm ke agam kaat kare ujiyar karodon janmon ke mahan papon ka Vrindavan ka aashray aur chintan matra nash kar deta hai. Aur itna hi nahi ujiyar prem prakash kar deta hai. Shri dham Vrindavan ko hamne apna jeevan samarpit kar diya. Ek bar danv khel lo na. Bahut jagah aapne khel ke dekha hai. Kabhi kisi sharir ke liye sharir ko bech diya.

kabhi kisi bhog ke liye sharir ko bech diya. Kabhi kisi ichchha ke liye sharir ko nasht kar diya. Dekho aap apne sharir ki kya keemat lagae ho. Ja raha hai tumhara jeevan mrityu ke gal mein. Tum kya le paye ho aur kisko jeevan de paye ho? Jhutha jeevan. Yadi naam jap nahi hai, bhagwat aashray nahi to kuch nahi tumhare paas hai. Sirf paap aur punya ye do karm hai. Donon vyarth hi hai. Punya se tumhen thoda achhche bhog milenge phir ksheen ho jaega. Wo koi sthai chij nahi hai. Isliye sthai vastu avinashi prabhu ka naam, dham, rup, leela isi ki prapti ke liye aae hain.

agar ham apna atma samarpan kar de to sari jimmedari hamare prabhu le lete hain. Sari jimmedari par hamen atma samarpan bhi karna nahi aata. Isiliye bhagwan kripa karke sadhu samagam dete hain. Sadhu samagam se pata chalta hai ki atma samarpan kaise hota hai. To aath bhakti jo hai atma samarpan karane ke liye hai. Shravanam kirtanam smrnam vishnupad sevnam archanam vandnam dasyam sakhya tab atma samarpanam aur jahan atma samarpan hua phir kisi sadhan ka varnan nahi hai. Pai ras bhakti ga jug jug jag durlabh bhav indrad vidhim atma samarpan se hi maha prem ki prapti hoti hai.

isiliye kah rahe hain ki maine apne aap ko bech diya. Bade bhagyashali jan hain. Koi nishtha to ave hriday mein jinke guru nishtha, naam nishtha, dham yahan vishay nishtha hai. Ahankaar ki nishtha hai. Manmani nishtha hai. Jo man kahega wahi ham karenge. Jo indriyan kaheng wahi sukh hai. Bahut bhul mein jeevan ja raha hai. Shri Radha raman padarwind bhakti mulyan shruti vachsa dadas no kyon maine suna hai ki prabhu ko atma samarpan kar de dham ko atma samarpan kar de to wo vakya mujhe yad hai ki uska nischit param kalyan ho jaata hai.

wah prem ko prapt hota hai. Yahi sunkar maine apne aap ko bech diya. Sunne se sharanagati hoti hai. Shravan sujas suni ayo prabhu bhanjan bhav veer trahi trahi aarti haran sharan sukhad Raghuvirr aapki mahima suni prabhu aa gaya aapki sharan mein traahimaam ab jaisa bhi hoon main aapka hoon. Shri hariram vyas ji kahte hain jiske hriday mein thodi bhi shraddha Vrindavan ke prati ai to kah rahe hain sab sandeh deh ke jah aru vishyan ko sang lage jo Vrindavan ko rang yadi Vrindavan thoda bhi pyara lagne lage rasikon ka to pran hai Vrindavan jeevan hai Vrindavan sarvasv hai Vrindavan sachchi maniye jis divya shobha divya leela param sukh ko kaha gaya sambhavya pavinch narad shiv swayambhay bade-bade ishwar koti ke mahapurushon ke liye agamya hai agar Vrindavan ko atma samarpan kar diya Vrindavan pyara lagne laga to aap dekh lena jahan sambhavya sambhavna nahi in ishwar koti ke mahapurushon ki wo aapke netr gochar ho jaenge.

yah ganv jaisa nahi hai. Yah brahma ka racha hua nagar nahi hai. Bada divya alaukik dham shri Vrindavan hai. Achanak drishya badal jaata hai. Na koi building hai na koi ye sansarik rod hai. Sachchi malna divya kunj nikunje aur galab yahan diye hue nikas kunj thade bhay bhuja paraspat hans shri Radha vallabh mukh kamal nirakh nayan Harivansh ye nahi yahan ki darshan keval hote hain. Nahi ek bar jisko netron mein Priya pritam ki jhanki padi ki sada sada ke liye Priya pritam ka sang prapt ho jaata hai. Chhin chhin bihrat sang vihaar mein wo karya warte hue dikhayee deta hai par wo vihaar mein nahi hota.

wah apne aradhya dev mein sthit hokar yahi bhagvatik shakti hai ki yadi vihaar mein hai to phir antarik kaise apne aradhya dev mein hai. Nahi yah buddhi ki kshamta se nahi hota. Jahan se samasth bramhandon ko buddhi prapt hoti hai, wah prabhu aisi samarth dete hain ki apne aradhya dev mein sthit rahte hue vihaar karta nazar aata hai. Ek bar keval wo Vrindavan pradan karta hai. Bilkul aksharsha satya samjho. Yah Vrindavan tumhare jeevan mein aisi ghatna prakt kar dega. Nihal ho jaoge. Bas agar hamare dham vas karte hue ya dham aashray lete hue bhav nahi badh raha to aap apne hriday ko dekhiye koi na koi nakaratmak bhav kisi na kisi ki ninda kisi na kisi vaishnav ke prati aparadh bhav hai.

apne log jaan hi nahi pate. Batchit mein aparadh kar dete hain. Sahaj mein aise bhari aparadh kar dete hain. Kisi bhi sant ki, kisi bhi vaishnav ki ham aisi he nindatmak baten karne lagte hain. Aap kya jano? Hriday ki sthiti ko kya jano. Bahari vihaar se kisi ki hriday ki unchai ko nahi dekha ja sakta. Bade-bade rishiyon se bhul ho gayi. Mata Shabri ki hriday ki sthiti ko koi nahi dekh paya. Unke Gurudev jante the kis mahan ras bhav mein yah devi virajman hai aur sab bade-bade brahm rishi he bhav se dekhte the bheelni hai aisa aisa bhagwan sacchidanand prabhu sabke netr khol diye keval Sabri mata se milne gaye wahan kisi ke ashram mein nahi gaye aap vichar karke dekhiye hriday ki sthiti ko wo brahm rishi jaan paye jahan ghor nishachar rahte hain jo jinda rishiyon ko khate hain.

apne tapobul se wah surakshit hain. Lekin unko bhi Shabri ji ke hriday ki sthiti ka gyan nahi. Wo samjhte hain ham bade mahan hai. Ye to stri sharir hai aur ye bheelni hai. Kahan? Bas agar kahin aaspas Sohni laga rahi hai to wo dur hatte the. Kahin Sohni se koi kan chu gaya to ham apvitra ho jaenge. Kya gyan hai? Kya sthiti hai inki? Kya jaan rahe hain Shabri mata ki sthiti ko? Bhakt ke hriday ki sthiti ko janna sirf bhagwan ya usi koti ke mahapurush jaise matang rishi jante the ki hamari ye jo Shabri ji hai ye kitni bhav ki unchi dasha mein virajman hai.

ham kisi vaishnav ya kisi sant ki bahari apni buddhi ki kalpna ke anusaar apni buddhi ke nirnay ke anusaar dekh pate hain. Bahari prakritik aur ham ninda kar baithe hain. Nahi hamen apne hriday ko pavan karke priyal ke prem mein prabhu ke prem mein yadi pahunchana hai to niyam lena hoga. Dham ki kripa aapko ras mein dubo degi bas aparadh na banne aur jaise hamare dwara kama aadi anya dosh hain to kah rahe hain ki sab sandeh deh ke jai hai aru vishyan kosh jahan hamare andar vishay purn ho rahi jahan hamen vishay purushan ki prerna se vishyon ke prati aasakt ho rahi ye Vrindavan maaf karke hamen age badha dega vishwas karo hoe vishay vinash hoe Vrindavan bas gati hoe sudridh satsang hoe ras riti agadha hoe sujas jag pragat hoe pad priti su Radha ye dham hai dham hoe vishay vish nash hoe Vrindavan bas gati hoe sudridh satsang hoe ras riti agadha hoe sujas jag pragat hoe pad priti su Radha dham ki mahima aapko nirvishay kar degi.

aapko mahat purushan ka sang pradan kar degi. Aapke hriday mein Vrindavan ras riti ka uday ho jaega. Aapke hriday mein gore charnarvind virajman ho jaenge. Maharani ji ke wah gore charnarvind jinke charnon mein mahawar swayam akhil koti brahmand nayak paraatpar prabhu rachte hain aur dhanya bhag mante hain jop shri Vrindavan dhan bhave param dhani hai jo Vrindavan dhan mein aasakt ho gaya hai. Vrindavan ka dhan ka kya swaroop hai? Vrindavan ke dhan hai shri Priya pritam Vrindavan ke adhikar mein hai. Jaise Vrindavan chahta waise inko khel khelnaa hota hai.

waise krida karte hain. Jaise ye krida karte hain waise hi vistar shobha ka Vrindavan tatkaal karta hai. Yah chidanand Vrindavan dham hai. Yah aapko param dhan pradan karta hai. Radha naam kahin nahi hai. Agam nigam agochar Radhe jaise koi kahta hai hamen to shastron mein to nahi ham khud kah rahe hain agam nigam agochar Radhe ye jo kishori jo ka sandranand ghan premay rup hai param ras sudhamay naam Radha naam hai yah dham ki kripa se aata hai. Hriday mein, vani mein ya shravan indri mein agar koi dham ka premi hai so hi Radha naam ka prichay aapko milega anytha nahi milega.

hamari rasmay vaniyan is baat mein bhari hui hai. Pyari ji ke rup mein pyari ji ke naam ki mahima mein to kah rahe hain jo pe shri Vrindavan dhan bhave ab main Vrindavan dhan payo avinashi dhan hai. Vinashi dhan tumhare saath ek sikka bhi nahi jaega. Chahe jitna bank balance kar lo. Chahe jitna badhiya makan bana lo, chahe jitni bhog samgri ekatrit kar lo, jana hai. Jana hai yahan se. Socho jara ek kshan socho. Yahan se jana hai. Kaisa mehsus hota hai? Aur jana hai param satya hai. Sabko jana hai. Kab jana hai yah bhi pata nahi.

par jana hai. Ghbarahat nahi paida ho jaegi. Socho jara. Ab hamen kisi kshan bulawa aa sakta hai. Har samay tayyar jo hain unko bhay nahi hota hai. Tayyari kya hai? Raah mein hamen koi kasht nahi hoga aur hamen pata hai ki hamen kahan jana hai. Bas do baat yadi aapke paas hai to mrityu aapke liye khilauna ho jaegi. Mrityu ka naam sunte hi aap bhayabhit ho jaenge. Kyon? Kyonki aapke paas na raah ka kharcha hai aur jahan jana hai wahan koi prichay nahi hai. Jahan jana hai wahan prichay nahi. Bas is baat se ghabra rahe ho ki jo prichay banaya hai jo dhan ekatrit kiya wo chhut jaega.

bas mrityu yahi bhay pradan karti hai. Nahi mrityu koi khas vastu nahi hai. Jaise aap balyvastha se jawan hue. Jawani se budhapa aaya. Aise budhapa se ek mrityu aur mrityu se phir naya janm ye kram chal raha hai. Par bhyawah isliye hai ki aap jine ki ichchha aur itna pyar faila chuke hain rupya se makan se sab jagah apni mamta rakh diye ab marna hai. Ye sab chhutega. Yah hai dukh. Bhayanak dukh jo antarik hota hai wah rag ka hota hai. Wah mamta ka hota hai. Jine ki ichchha ka hota hai. Aur jahan jana hai wahan prichay nahi hai.

jahan jana hai wahan ke liye raah kharcha nahi. Raah kharcha hai. Param dhan Radha naam adhar param dhani ho jaoge. Sachchi kahte hain yadi aap atma samarpan prabhu ko kar chuke hain to swapna mein bhi bhay dene ki takat nahi. Swapna mein jagrit ki to baat jane do. Kai bar dekha swapna koi bhayav ane wala hai. Aisa drishya upasthit hai. Usi samay kisi na kisi rup mein swapna mein bhay se rahit kar diya jaata hai. Jagrit ki to baat jane do. Agar naam aapke paas hai to aapko prichay mil jaega ki aapko jana kahan hai aur jisko jahan jana hai wahan ka prichay mil gaya to marne se sab jag dara mero man anand ye baat mrityu anandmay ho gayi ab kaun sa bhay hai sabse bada bhay to mrityu ka hi hai aur use aap bulaye hue hain.

yah maya ki chal hai aapke samay ko nasht karne ke liye. Bhogon mein nana prakaar ki asaktiyon mein itne bulaye hue hain ki aapko yah dhyan hi nahi aata ki apne ko jana hai. Socho jara ekant mein kabhi sochna. Jab aapko prapanch ke chintan mein man ghasit raha ho to sochna jana hai. Sab niras lagne lagta hai. Sab niras jana hai. Jana hai ye bhi chodna hai. Jana hai. Tab jahan jana hai uske prichay ki jignyasa dhanya hai wah jinke andar mrityu ka bhay lag gaya aur wah abhay hone ke liye bhagwan ki sharan mein badhe age jo sabhi hit aaya awa sharnai rakho tai pran ki nai bhagwan kah rahe hain yadi bhayabhit hokar meri sharan mein aa jae to jaise main apne prannon avashya pyar karunga use nirbhay kar dete hain to jo paise Vrindavan dhan bhave agar Vrindavan ka dhan aapko accha lagne lage.

Vrindavan ka param dhan Radha naam hai. Isi se sab prapt ho jaega. Radha naam jibhya pe chal raha hai. Sab kuch prapt ho jaega. Vishwas kar lijiye. Yah dham ka gupt dhan hai jo swayam bhagwan shri Krishna chandra jo apni bansi se Radha naam gate rahte hain. Apni jibhya se gate rahte hain. Tha kalindi tat kunj mandirto yogendhr vat pad jyoti dhyan para sada japtiya premas purn hari yamuna ke pavan kunj mein ekant mein baithkar Radha Radha Radha Radha wo ham to unke ansh hain. Unke charan sevak hain. Agar hamen Radha naam japne ko mila aho bhagya swayam hari japte hain.

ye param dhan hai aap koi kyon tark na karke aap kuch din shraddha vishwas bhav bane to jap lo aur na bane to aise hi jap lo bina shraddha ke aap dekhna Radha naam ka prabhav dekhna agar yah dhan accha lagne laga to kat swarth paramarth lag mudh man hi dohrave ai mudh man ab tu chinta mat kar tera swarth aur paramarth sab Radha naam bana dega dham ki kripa se Radha naam sunne ko milta hai. Dham ki kripa se Radha naam jibhya mein aata hai. Dham ki kripa se Radha rup hriday mein prakashit hota hai. Mahaprabhu Harivansh chandra jo kah rahe hain kahan ye mahmmahim Radha naam aur kahan mein tuchch aap vichar karo hit sajni jo hai avatar liye hain.

Radha naam ke data hain aur shri kishori ji ke charnarvind ki divya seva dene ke liye prakt hue. Wo kah rahe hain kwaah tachchha param madhma pran ho gar karma yatan naam mahima haresh vrindavnas ye Radha naam jo mere hriday mein meri jibhya ment ho raha hai sirf Vrindavan ki kripa hai nahi to kahan main tuchch adham aur kahan ye mahmmahim Radha naam bole tumhari mudhta nasht ho jaegi Radha naam se aur jo amudh purush hota wo param pad ko prapt karta hai. Mul purush isi jagat ke bhogon mein sambandho mein nana prakaar ke galat acharno mein phaskar apne manushya jeevan ko nasht kar deta hai.

yadi Radha naam chal raha dham ke ashrit ho to tumhen swarth aur paramarth ki chinta nahi karni. Apni itni alp buddhi ke hain. Sochte kaise hoga? Agar ham bhajan karne lagenge to hamse kam nahi hoga. Kam nahi hoga to hamara jeevan nahi chalega. Yah tumhen maya keval prerit karke aisa samjha rahi hai. Bhajan karte hue bahut sundar har karya hota hai. Aap kitna karya karte hain? Aap kitna karya? Kitne ghante mehnat karte hain? Jab yuddh karte hue naam jap ho sakta hai. Kaun sa aisa karya hai jisse bhajan vikshep pahuncha de?

naye-naye abhyaas ki kami. Naam jap karte hue bahut sundar har karya ho sakta hai. To tumhara swarth aur paramarth donon ban jaenge. Bhagwat prapti ho jaegi aur is lok mein samay ka intazar karo. Aapke keval paap nasht hone do naam jap se. Phir dekhna anukulta bichh jaegi. Dekh lena laukik sukh bhi jinke liye tum nana prakaar ke praytn karke nahi pa pa rahe ho. Us samay tumhare andar ichchha nahi hogi. Anakshit ave bariyai zabardasti lok ki sukh samgri aapke paas aa jaegi. Jaise samudra chahta nahi par nadiyan sab pravahit hokar wahin ja rahi hai.

aise sukh aur sampatti jo naam japak hai jiske paap nasht ho gaye. Apne aap gher leti hai. Harivansh mahaprabhu kahte yah parlok sakal sukh pavat. Hari Ram vyas ji kah rahe hain swarth paramarth sab hath mein aa jaega. Aapke andar ichchha nahi rahegi bhogon ki par aishwarya aapko gher lega. Aishwarya to laukik baat hai. Shri Radha kinkarna luthat charan rabhta siddhi koti karodon siddhiya par pehle paap nasht hone do. Jahan aap bhajan shuru karte hain aapke man mein jalan hoti hai. Man ashant hone lagta hai. Nana prakaar ki gandi spunaen dikhayee deti hai.

wo naam kam kar raha hai. Tumhare hriday ko pavan kar raha hai. Navnidhi asht siddhi van vaibhav swapne ant na pave. Jisne dham ka aashray liya, Radha naam ka aashray liya to kah rahe nau nidhiyan, asht siddhiya yah sab prapt to ho hi jaengi aur Vrindavan jo anant sukh pradan karne wala hai wo sukh aapke hriday mein jagrit ho jaega. In nainan sab sukh dekh apno janm suphal kar le. Ye parthiv netron mein divya prem netr jagrit ho jaenge. Aur ye building nazar nahi aayegi. Ye inki satta nahi hai. Navni nikunj bhasne lagega.

dikhayee dene lagega. Jaise abhi jagat aapko dikhayee de raha hai wo nahi. Ab wo aap wo kalpna nahi hogi. Wo satya hoga. Par pehle hamare paap nasht hone chahiye. Hamari anarth nivitti honi chahiye. Nav nidhi asht siddhi van vaibhav nau nidhiyan ye kuber ke paas hai asht siddhiya kai mahapurushon ke paas jaise hanuman ji ke bhi paas hai Janaki maiya ne asht siddhi nav nidhi ke data aswardeen Janaki mata van vaibhav Vrindavan ka maha prem jahan anantta hai ant nahi hai prati kshan vardhmaanam wo aapke hriday mein jagrit ho jaega jaega.

jis moksh ke liye gyan marg mein badi-badi kathor sadhna ki jati hai. To kah rahe hain yahan ghar ghar bhatkat mukti bavri. Yahan moksh ghar ghar ke darwaze par khada intazar karta hai. Ye kabhi chah le ki main mukt ho jaun. To moksh apne ka saubhagyshali samjhta hai ki yahan koi varan kar le. Par yahan koi moksh ka varan nahi karta. Dham premi Harivansh mahaprabhu kah rahe vibhem kaivalyata mujhe moksh shri rup ji maharaj rup sanatan rup ji maharaj kah rahe hain ye pishachini mujhe nahi chahiye moksh mujhe Priya pritam ka sanidhy chahiye moksh nahi yahan Vrindavan mein moksh bhatakta koi leta nahi bhagwan bhi kah rahe hain ki jo mere seva mein aasakt ho gaya to damanam na grahanti bina mat sevnam jana mere mere jo das hain, sevak hain, unko jo prem sukh milta hai to main moksh dena chahta hoon par wo sweekar nahi karte.

Vrindavan mein gharghar moksh darwaze par khada hai ki mujhe sweekar kar lo. Ye wo mahapurush bol rahe hain jinko prem netr prapt hai. Ye vishakha sakhi ke avatar shri hariram vyas ji maharaj hai. Kah rahe hain maha patit pavan Yamuna jal bhutla tap nashave. Yamuna jal ka darshan yamuna jal ka sparsh aur sparsh karke ai hui vayu jab hamare sharir par rakhti hai to nishpap ho jaate hain. Jinki bhavna yamuna ji ke prati aisi ban rahi ho ki ab to yamuna ji malin ho rahi hai. Yamuna ji ko malin kar de. Aisi maya mein takat hi nahi.

yamuna ji koi pani nahi bah raha hai. Yah priyal ke hriday ka uchchhalit prem hamare Vrindavan ki yamuna ji hai. Hamare Vrindavan ki Kalind parvat se ai hui Vrindavan ki yamuna ji mein mili aur wahi phir prayag mein jakar ganga ji se mili. Hamari yamuna ji kundlakar jaise Karna ka kundal aise Vrindavan ko ghere hue aap idhar yamuna ji idhar yamuna ji ye yamuna ji brajendra sonu Radhika hrid prapyo maharsa puryoti viregta hamare ladli lal ke hriday ka prem uchchhalit hokar Vrindavan ke charon taraf yamuna ji ke rup mein ras rani ke rup mein virajman hai.

jo Kalind Nandini hai wah patrani boli jati hai. Yamuna patrani ki jai. Yamuna patrani aake yahan mili hai. Sahachari hai ye hamari shri ji ki yamuna ji. Jo hamari yamuna ji hain Vrindavan ki ye rahasya hai. Bina rasikon ke ye rahasya samjh mein nahi aata. Bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina kuch samjh sake na. Bahar se hari avatar lekar aae the. Bahar gaye aur leela ki. Hamare jo lal jo maharaj hain wah kabhi ek kadam braj se bahar nahi gaye. Yahi hai. Priyal ke saath yahi hai. Aise hamari yamuna ji bhi alag hi hai. Ai hai wahan se inme mili hai aur age chali gayi.

hamari yamuna ji kundlakar Priyalal ko sukh pahunchane ke liye sahachari bapu hai. Itna pavan hai ki darshan matra se yamuna ji ke jo yamuna ji ka darshan karta hai, achman karta hai, bhav se snaan karta hai usko unke sambandh ke karan darshan ke karan kabhi Yamraj dekhte bhi nahi hai. Kabhi nahi dekhte hain. Yamuna ji ka sparsh Priya lal ke charnarvind ki priti pradan karne mein samarth hai. Kyonki moh ka nash karna bahut kathin hai. Aur ye durant moh bhanjni shri yamuna ji durant moh ka nash karke shri Priyalal ke charnon ka prem pradan karne wali hai.

yahi Radhika pate pda bhakti muttama mavasa dhruvam bhavet partr ta priyga yamuna ji kya kripa karti ki isi jeevan mein hriday mein shri Priya pritam ke charnarvind ki uttam bhakti aur phir bhav de priynuga sahcharya bhav ka pradurbhav aur Priya ji ke piche piche seva samgri lekar chalne wali divya sakhi jo kishori mahatmanam kishori ji ke samip kishori swaroop prapt karke seva mein ye yamuna ji pradan karti hai. Mahmmahim yamuna ji mahaptit pavan Yamuna jal bhutla tap nashave daihik daivic bhautik tino tapon ka nash karke Priyalal ka prem pradan karne wali yamuna ji hain.

aap aisa na soche ki amuk amuk ye sab gir raha hai. Nahi surashri mile so pavan kaise haan kuch bhi yamuna ji ko malin nahi kar sakta sabki malinta yamuna ji pavan kar rahe yamuna ji ko kaun malin kar sakta hai haan ham parthiv netron se yukt hai to hamare andar ye bhav aata hai ki ham kaise snaan karen kaise achman karen kaise ham ab wo yamuna ji nahi rahi aisa nahi bhav karo koi koi shravan indra se sun wo to yamuna ji wahi ko rok li gayi Delhi se to aisa aisa aisa nahi hamara bhav samjho hamari jo yamuna ji Vrindavan ki hai ye sakshat priyal ke hriday

se prakt hua prem uchlit hai kabhi dushit bhav mat karo aapka param mangal ho jaega ye maya ka swaroop aisa hai ki in pavan nadiyon par hamari ab bhavna bhi ye banti chali ja rahi ki ab to bade-bade nale gir rahe hain ab kahan wo yamuna ji nahi nahi nahi nale bhi gir rahe hain to unko pavan kar diya wo hamare ko apvitra nahi karega hamari yamuna ji ko apvitra karne ki samarth tribhuvan mein maya mein hai hi nahi hamare yamuna ji param pavan hai yah hamari drishti badal rahi tabhi hamara bhav ja raha hai agar aap bhav se to wahi kahin tumhen apne pavan pulin pe hi khelte hue Priya pritam ki jhanki kara denge hamen apne bhav se jaise ab wo Vrindavan nahi raha.

ab to aisa mat bolo. Aisa mat socho. Vrindavan ek ras hai. Parivartnshil sansaar nahi. Yamuna ji apne swaroop mein hai. Unko aise bhav se na dekho. Bhagwat premi mahatma apne swaroop mein hai. Unko aise bhav se na dekho to hamara param kalyan ho jaega. Nav nikunj rati punjan barsat haras Radhe gun gawe. Yah nau nikunj hai. Aisi aisi shobha Vrindavan ki kunj nikunjon ki hai. Par aisi leela bahari hai ki yahan tumhen kareeli agar kahin dikhayee denge to kareel aadi kamal aadi par aapko sachchi batave jo dham ki kripa se drishti gochar jab hoga to Vrindavan dwiti patr ki upma ko kachu na koti koti baikuth te sam kah jae jaise aap seva kunj jaiye to aapko kateeli latae dikhayee deng.

aisi nahi hai. Ye keval hamare netron mein dhokha prakt kar rahi hai maya. Ye jab aapka bhajan theek hone lagega aur dham kripa karega. Ek patte ki kant ke barabar mahmmahim dham Baikunth dham ko bhi itna kyonki usmen Priyaju ka pratibimb par raha hai. Badi sundar shobha bada nav nikunj rati punjan barsat haras Radhe gun gawe jo paisi Vrindavan dhan pave yadi aap kuch pad yad kiye ho aur Vrindavan ki galiyon mein gate hue dekho bahari swaroop ko to aap chhodie agar usko pakdoge to wahi fanse rahoge ek ek ye jo galiyan hai yahan ki jo bhumi hai ye mahan premion ke asuon se bheegi hui hai.

ise koi badal nahi sakta. Dekho wahi giriraj ji hai jinko prabhu ne uthaya. Yah wahi yamuna ji hai jahan hamare Priya pritam avgan karte the. Avgan karte hain. Avgan karte rahenge. Hamare aapki kya baat? Aaj bhi wahi yamuna ji hain. Yah wahi bhumi hai jahan mahan premion ne apne virah astr se prem astron se sampurn bhumi bhigoi hai. Chahe gopi janon se lekar abhi tak jitne ko bhi jitne mahapurush yahan prem ko prapt hue asuon se ya to anand ashru bah rahe hain ya virah ashru bah rahe. Aap yahan ghum rahe hain.

aapko yahan vichran karne ka saubhagya mila. Aap ek pad do pad jo yad kiye ho usi ko gungunate raho. Phir aap dekho us pad ki leela jhalakne lagegi. Thoda pavan hone do. Sada adhin rahat nit mohan man le priyah rijhave. Hamari maharani jo ke adhin shri lal jo maharaj ab aap ham Radha charnarvind ke sharngat ki thesak kaise jananenge? Are shiv veeranch jinke charan rakhne ki chauki ki vandna karte hain wah lal jo maharaj hai jah viranch umapti na tape ta ban phool bilae ham aisi maharani ji ki sharan mein to hamka matlab ham sab Vrindavan mein koi kisi bhi sampraday ka ho kisi bhi upasna ka ho yahan bolna padega jai jai shri Radhe ye maharani ji ka mahal yahan Radha gun gane par hi aap kisi bhi upasna mein ho aapki siddhi hogi.

aap agar atma gyan prapt karna hai to bolna padega Radhe Radhe. Yah mahal hai hamari maharani ji ka. Aapko koi bhi marg mein siddhvastha prapt karni hai to yahan jai shri Radhe bolna padega. Yah maharani ji ka mahal hai. Tabhi yah dham aapko uchh avastha pradan karega. Sada adhin rahat nit mohan mohan jinko kahin bhi moh nahi hota unka naam hai mohan aur mohan sabko mohit kar le in mohan ko Mohini Priya ji ne apne adhin kar liya hai prem mein te nij bhajan kanak tan jovan leo manohar mol Radha pyari tere nayan salol te nij bhajan kanak tan jovan leo manohar mol adhin mano bike hue lal jo shri hamari ladli ab hamen kya parvah anant bramhandon ka malik hamari priyaju ke adhin aur hamari Priya jo hamari swamini hai hamari priy sakhi hai hamari pran priy hai hamare prannon ki swamini prannath hai mere prannath shri shyama shpath karo trachh ab bolo kya maang aapki baki rah jaegi yadi shri Radha kishori ke charnon ka aashray shri lal jo maharaj sare nyay anant bramhandon ke inhi se hote hain anant bramhandon ke jitne bhi nyay tabhi wo kahte hain anukhya anantanit radhan madhapti jo Radha charnarvind ka ashrit Radha Radha Radha to maharaj uska register hi hata dete hain.

ye to priyaju ke charnon ka aashray le liya. Vyas swamini raas mandal mein chutkin piy nachave jo pe shri Vrindavan dhan bhave yadi Vrindavan ka aashray Radha naam ka ratan to sab kuch prapt ho jaega wo dekhne ko hari Ram vyas ji kah rahe main dekh raha hoon jaise Priya jo chahti hai waise lal jo nritya kar rahe hain hamare hriday mein yah jo jagat ka rang chadh gaya hai isse bachne ke liye samta atyant avashyak hai. Sukhdukh mein sam labh hani mein sam man apman mein sam jo ham kartavya karm kar rahe hain uske phal mein sam hue bina yah hamen karm bandh lenge.

hamare jeevan ka lakshya jo param sukh hai jahan kinchin matra dukh ki nishani nahi wahan ham nahi pahunch payenge. Shri bhagwan gita ji mein kah rahe hain dur havram karm buddhi yoga Dhananjay buddho sharan man vichchha kripna phal he tav ye jo jan sadharan hai jinko satsang prapt nahi hua inko itna bhi gyan nahi hai ki kaun sa karm hamen narak le jaega aur kaun sa karm hamen sukh pradan karega. Thoda jo satsang ya shastr swadhyay kar rahe hain wo yah baat samjhe ki koi bhi karm shashwat nahi hai kyonki uska aadi ant hota hai.

prarambh hua aur ant hua karm. Wo karm tumhen anant sukh ki prapti kaise kara sakta hai? Koi bhi karm ho uska aadi hai aur ant hai. Agar usmen yog nahi hua to wo karm tumhen sukh pradan karne wala shashwat sukh pradan karne wala nahi banega. Prayah ham kamnao se yukt hokar karm karte hain. To bhagwan kah rahe hain bahut hi dukhi hona padega. Kyonki safalta asflata jai parajay labh hani sukhdukh ye donon ka kram chal raha hai. Purv praarabdh se bana hua sharir hai. Wo praarabdh bahut prabal hua to tumhara jo purusharth karm ban raha hai wo prabal purusharth agar ho itna ki use rok pave to aap age badh jao.

nahi aap karoge karm sukh prapti ke liye lekin safalta nahi hone dega aapka purv ka karm prabal praarabdh kya hai jaise hamse koi mahat paap ban gaye hain ab ham prayas kar rahe hain ki nikle ham uttam sukh ki taraf badhe wo aapko badhne nahi dega agar aapke paas prabal purusharth ho jae prabal purusharth kya hai nirantar naam jap bhagwat aashray ye trigunnatt hai naam trigunnatt hai. Bhagwat aashray trigunnatt hai. Ye trigun par shasan kar sakta hai. Nahi trigun maya mein jo kiye hue purv ke karm hai.

isiliye dekha jaata hai ki koi bahut accha karm kar raha hai lekin use dukh pe dukh milta chala ja raha hai. Kyonki uska prabal praarabdh age nahi badhne de raha. Usko dukh pradan kar raha hai to kaise bache? Bhagwan kah rahe hain buddhi yog ke dwara. Buddhi yog kahte hain kshamta ko. Chalo samta ka agar prichay na prapt ho to aisa soch lo ki ham bhagwan ko samarpit hain. Ab jo bhi hoga bada mangal hoga. Bhagwan ne agar hamen dukh diya hai to koi hamare papon ka nash ho raha hai. Ham pavitra ho rahe hain aur ham age badhne ki tayyari pe kahin udas na ho, nirash na ho kyonki bhagwan mangal vidhan kar rahe hain.

to wo dukh sahaj mein bhog kar aap age badh jaenge. Kisi ne jaise prashn kiya ki hamne bhagwan se badi prarthna ki thi ki meri maa abhi padhare nahi aur khub mandir gaye aur aisa kiya par maa padhar gayi bhagwan ne to suna hi nahi do char sal aur de dete to kya chala jaata dekho bhai yah nischit samay hai bhagwan jitni svase di uske age nahi mahatma bhi nahi badha sakta apni ek swas haan ab wo apne pranayam ke dwara apni swason ko surakshit rakh rahe hain. To jitni sankhya mein swas hai aap chahe bhogon mein jaldi jaldi usko kharch kijiye ya aap yog ke dwara use rokie jaise 1400 varsh tak roka changdev ji maharaj bade yogi the shason ko rokna aur rok karke bhagwat chintan karna wo ek alag baat ho gayi par jitni svase aapki hai ab wo sampann hone ja rahi hai to mandir jane ki to baat jane do jo bade-bade bhajnanandi mahapurush hai raat din bhajan karte ek swas bhi age nahi badh sakti.

aap dhyan se baat sunna. Bhagwan ko mat koso. Jitni svase hain usse ek swas nahi badhegi. Unhee swason ko aap rok rok karke aap chahe jitna bada jeevan kar jaise kaha jaata hai ki amuk mahatma 400 varsh ke mante hain 400 varsh ke mante hain kyonki wo apni shwason ko rok rahe hain. Ek minute mein ham jitni svase lete hain ab wo pranayam ke dwara apne prannon ko itna sukshm kar liya bahut lambe samay tak shwas ko chadna phir chodna ek shwas itne mein hamari 100 200 svase nikal gayi wo agar ayu badh rahi hai to unki tapasya se nahi pran vayu ka sanyman karne se pran vayu ko unhone roka hai.

apni swason ko surakshit rakha hai. Nahi to ek swas kisi ki bhi nahi badh sakti. Agar hamara maran ka akhiri swas hai to tum bhog lagane ke baad ya mandir jane ke baad tumhare paas yadi tribhuvan ki rajya lakshmi ho aur aap den ki ek swas badha do to nahi badhegi. Itna kimti tumhara jeevan hai. Tum shraddha na karo to nana to mein phaaste hue aur durgati ko prapt hogi aur shraddha karoge to tumhen gyan prapt ho jaega. Are jana hai bhai chilla chilla ke kahte hain garb mein hi pran nikal jaate hain.

bahar nikal jaate hain. Yauvan avastha mein nikal jaate hain. Iske liye prarthna kam nahi karegi ki hamen ab akhiri swas hai aur abhi tak nahi kuch bana paye. Ab kya bana paoge? Pakki baat samjh lo. Isiliye savdhaan ho jao. Tumhara jeevan bada sankat purn jeevan hai. Mano deh yadyapi durlabh hai par kshanbhangura raha. Kisi bhi kshan nasht ho sakta hai. Aap yah na soche ki ham mandir gaye prarthna kiye to svase agar hai svase to rukte rukte bhi age badh jaengi aur nahi hai to chalte chalte ruk jaengi. Koi nahi inko bacha sakta.

svase bilkul gintin ki hai. Ek bhi swas nahi badh sakti. Vishwas maniye aur baat aap chhoti-chhoti baton mein kamna karke bhagwan ko aapki kamna purti nahi hui to uphash nahi karva rahe aap apne bhagwan ka. Aap kaise hain? Ham koi pad ga rahe hain ya koi chalisa ga rahe hain ya koi stotr ga rahe hain ki yah kam ho hi jana chahiye. Aur agar nahi hua to kya aapke andar astikta ki jo niv hai wo hil nahi jaegi? Kya aapke andar nakaratmak bhav bhagwan ke prati nahi aa jaenge? Yah samjhne ke liye buddhi yog chahiye.

yahan shri bhagwan kah rahe hain kah rahe ki jo phal ka hetu banane wale atyant din ho jaate hain. Yahan din wo bhakti wali danyata nahi yahan mudhta wali danyata hai. Ab ham soch rahe hain ki yah kam ban jae. Ab agar wo kam nahi bana ham sab milkar ke koi path karte hain us kam ke liye. Ab kya hoga? Uphash hi to karva rahe hain. Ek laukik tuchch karya ke liye ham hazaron log baithkar ke path kar rahe hain aur wah purn nahi hua kyonki bhagwan ne us vidhan ko dekha hai ki purn karna theek nahi hai. Hamen ye manna hai tumhari buddhi kya nirnay kare tum jano.

hamare prabhu ka uphash hamare prabhu ki avhelna yah theek nahi hai. Ham apne kalyan ke liye apne sataarg ke liye aur bhagwat prasannata ko janne ke liye sadhna karte hain. Maya ki kamnao mein phas karke ham apne aradhya dev ko hamen accha nahi lagta. Agar ham kasht mein hai to ham Radha nahi bolenge. Mukh se hriday se bolenge. Haan Radha ham nahi bolenge. Ham bhav mein aaenge to bolenge Radha. Dekho samjhna hoga ye praarabdh bhog hai joi joi pyaro kare soi moh bhave aur laukik kriyon mein ham abhyaas karte hain laukik kriyon ki pravinta unki kripa se prapt buddhi se ham prapt karte chhoti chhoti baton ko chhoti chhoti vyarth ki kamnao ko prabhu ke age rakhte hain aur jab nahi purn hoti to ashradha ho jati hai.

ye bilkul theek nahi. Bhagwan kah rahe hain yog ko samjho aur bhagwan ki avatar leela ko jab gaya jaata hai to kya bhagwan avtrit hue to unko dukh nahi para kya samasyaen nahi ai kya to aapka mrityu lok mein janm hua hai to samasyaon se ladne ke liye hua hai ab chhoti-chhoti baten aap prabhu ke jab kabhi aisi baten aati hai to hamen dukh hota hai hriday mein kyonki aapke andar ashradha ho jaegi wahi kartavya karm keval karo aap jo aapko karna parinaam bhagwan ke upar chhod do. Bada mangal hota hai parinaam hamari ab hamen jo ab kisani karni hai ab ham baith gaye aur ham koi path karen ki bhagwan hal chal jae bij bina boe jag jae ye ya to uchh koti ki itni avinashi sthiti ho aapki to ho jaega kartum akartum anytha kartum are hamko jo kartavya karm mila hai ham badhiya kheti tayyar karen badhiya bij boe uski uski raksha karen fasal ho jaegi.

haan bhagwan ke ashrit hain ham. Lekin ham chhoti-chhoti kamnayen agar karenge to hamare ashradha ho jaegi. Uphash karte hain phir log. Kya hua tumhare havan karne se? Kya hua? Kahan gaya tumhara bhagwan? Uphash karte hain. Yah bhagwat bhakti avidya ka nash karne ke liye hai. Dukho ka nash karne ke liye hai. Bhagwan ki prapti ke liye hai. Kamna to phir sangopang anusthan. Jab kisi mahapurush ne koi kamna ki hai to aap uski sadhna padh ke dekhiye. Kamna ka phal unko mila hai. Par uske liye kathor sanyam purvak aradhna hui.

bhagwan ka vidhan kamnao ke liye vaidik siddhanto se bhara para hai. Aap sweekar karen nahi wo siddhant bhi sweekar nahi. Aacharan bhi pavitra nahi. Jo kamna ka anusthan ka swaroop hai wo anusthan bhi nahi. Bas thodi ham jaise path aadi ke phir uphash log karte hain. Kya kahan gaya tumhara bhagwan? Hamare kano mein chubhti hai phir baat ki ham apne bhagwan ko apni upasna ko apni bhakti ko kya samjhe hue hain. In chhoti-chhoti kriyon ke liye laukik baton ke liye bhagwan ka prayog karte hain. Ye ho jae ye ho jae.

maang ke upar maang maang ke upar maang. Bhajan ek minute bhi man prabhu mein lagane ki samarth nahi hai. Thoda bhi priyata prabhu se nahi hai. Bas keval kamnao ki purti ke liye bhagwan kah rahe hain ki kripna phal het ye jan bahut hi da matlab danya ka tatparya hota hai. Bahut hi mudhta chaai hui hai. Dekho kitna uphash hota hai. Lakho ke beech mein uphash hota hai ki ham koi path kar rahe hain sab milkar ke ki aisa karya ho jae. Ab wo karya nahi hua to ab uphash ka patr nahi hua ki ab ham ye apne aradhya dev ka ye path kar rahe the.

itne log milkar nahi hua to koi nishtavan tikega nahi. Shraddha ho jaegi ki shayad iska phal nahi hai. Nahi wah amog hai. Satya vastu kabhi vyarth nahi jati hai. Par usko tum vyarth asatya kriyon mein tolne lage to kripna phal hetwa. Sakam bhav se karm karne wala sadaiv dukhi hi hota hai. Ab ham sab sakam bhav se hi lage. Dekh lijiye. Bade bhagyashali hai jo satsang ke prabhav se phal mein samta le aae hain. Agar labh mila to jai shri hari agar hani bhi ho gayi to jai shri hari kyonki hani hamari hani kar nahi paegi.

naam chal raha hai prabhu ke ashrit hai. Bada chhupa ke apni bhakti ko aise pradarshn mein mat lao. Nahi to uphash hota hai. Bahut buri tarah se uphash hota hai. Jao ye ho jaega. Ab hona hi chahiye. Agar kah diya jaban se ki ye ho jaega to phir hona chahiye. Ab kuch nahi palat sakta. Ab itni jitendrita, itni pavitra, itni tapasya, itni samarth, ab bhagwan ko bhi wahi karna hoga. Wahi hona tab to bole aur nahi to chup rahe. Uphash na karvawe apni bhakti ka apne ek hai ki itna abhyaas mein praveen hai ki abhyaas ke dwara wo labh ko labh par apna adhikar kar raha hai.

ham hai ki havan kar rahe hain. Uske abhyaas ki zaroorat hai. Is samay havan ki zaroorat nahi hai. Havan ki zaroorat hai bhagwan ko prasann karne ke liye. Wo muskurae aur hamari avidya ka nash ho aur mayakrit is jal se ham mukt ho. Ham kahan ki baat kahan laga dete hain? Abhyaas wahan chahiye. Wahan yah uphash mat kiya jae apni bhakti. Prayah aisa phir wo niradhar tumne path kiya sab milke kya mila tumhen? Ab wo nastikata aur pusht ho rahi hai. Kaise batave? Shri bhagwan kah rahe hain yah sakam bhav atyant nikrisht hai.

yah parinaam mein dukhi aur nastikata hi paida karta hai. Kyonki anusthan nahi hai. Kardam ji ko adesh hua srishti rachna karo. Unhone kaha ki iske liye to hamen patni chahiye aur kaun patni banega ab hamen pata nahi hai aur ham kisi ke paas yachna karne jaenge nahi. Ekant hokar ke 10,000 varsh tak tapasya ki. Bhagwan prakt hue aur kaha aadi samrat maharaj Manu apni putri dehuti ko lekar ke parso aaenge aur aapko pani grahan kara denge. Agar hamen chahiye bhi to phir is kot se chahiye. Anusthan aise 10,000 varsh tak unhone apni to ayu hi 80 70 hai.

are to 10 din to anusthan sanyam se ho jae. Kisi kamna ki purti ke liye keval aisa nahi hai ki aap thoda sa aur phir manmani aacharan kabhi aisa nahi hua. Kitne varsh tak brahmcharya rah ke Kashyap ji ne jab putr utpatti ki to bhagwan ke param vahan Garud ji maharaj prakt hue. Surya ke sarathi arun ji do putr prakt hue vita ji se Garud aur arun tapasya aur bhajan tap santan to aise mahan prakt hamari halat kya hai dharm ko ham jante nahi hai bhajan ka swaroop kya hai keval ham apni kamnao ki purti ke liye thoda sa aur hamare sarvagya bhagwan agar to phir aapko apne aradhya dev ka uphash karana ye accha nahi hai.

sachchi bhakti ka swaroop yahi hai ki bade se bade kasht mein ham aa kah sakte hain Radha nahi bolenge nahi bhulenge aapne hamen jo yah diya hai mahan prasad aajeevan isko hanste hue sahenge aur andar andar aapki muskurahat dekhna chaenge bas iske liye Radha nahi bolenge ki hai main bahut kasht mein hoon Radha ya ye vipatti dur kar do Radha nahi isse ladne ki samarth apne aap hamen prapt ho jaegi aur sachchi sachchi manna jab aisi nishtha mein aoge to byaj mein ye sab khatm ho jaenge. Ye jitne dukh dene wale karm hai mul to pyari jo aur pyare ju ka prem prapt hoga.

ye skamta hamari durgati kiye de rahi hai. Aur sab skamta ke bina ek kadam nahi chalna chahte. Yahi yahi hamare bandhan ka hetu hai. Sachchi mano aapko kuch nahi chahiye. Aap aise mahan hai andar se. Aapka jo swaroop hai kaise batave? Kyonki vani ka vishay nahi. Yah sharir ki asakti ke karan hi ham kamnao ke jal mein phas gaye. Isi jal se bachne ke liye manav deh aur satsang mila hai. Ye bhakti ye gyan ye yog ke marg inse bachne ke liye hai. Aur ham prayog karna chahte hain isi mein aur phasne ke liye. Kaise sarvagya bhagwan aapko phasne denge.

yadi aap vani se bhi bol chuke hain ki main aapka aashray leta hoon. Ye maya ke daldal mein aur aapko dhakel denge. Wo sarvagya aapko dhakel denge. Jab nahi to phir aapki mangi hui baat puri nahi hogi. Nahi puri hogi to aapki ashradha ho jaegi. Isliye kah rahe kripna phal hetwa ye bahut samjhne ka vishay hai. Ham log isi mein prayah prashan mein yahi aata hai. Bhagwan ne aisa kyon nahi kiya? Bhagwan ne bhagwan ne usko kyon nahi bacha liya? Bhagwan ne usko kyon? Teen leela wo apne aap se apne aap mein kar rahe hain.

aap apne aap ko jaan jao. Aap koi aur nahi hai. Srijan karna, palan karna, sanhaar karna tino barabar hongi. Barabar na tumhara anusthan rok payega na kisi ka anusthan. Aaj tak itne mahapurush hue ratri ko nahi rok paye ki din ke baad ratri aae hi na. Jo prakriti ka niyam hai wah paramatma ke dwara kanun banaya hua hai. Wah bhi apne kanun ki raksha karta hai. Jaise bharatiya samvidhan hai to jahan se bade-bade pad mein virajman hai agar us kanun ke antargat galti ho jae to swayam sweekar karenge.

aise hi prakriti ka kanun hai. Yahan srijan hota hai, palan hota hai, sanhaar hota hai. Rup koi bhi ho. Aapke rone dhone se aapke anusthan se koi fark nahi padne wala. Haan aap bhakti ka anusthan gyan ka anusthan in trigun maya se bachne ke liye nikal jaoge. Ab aapne mandir gaye prarthna ki aapka shubh lagu ho gaya. Kam ban gaya. Bole bhagwan hain bhagwan ne hamari kamna purti ki. Aur agli bar sab mein bhagwan. Bahut samjho. Bijli ka power jaise sab yantron mein aise sab mein bhagwan jo vinash kar raha hai wo bhagwan ki shakti hai.

usmen jo palan kar raha hai wo bhagwan ki shakti se palan ho raha hai. Jo srijan ho raha hai wo bhagwan ki shakti se ho raha hai. Tum alp buddhi ho. Sima mein bandh liya main mor tait to ek palan kar raha hai to jai ho aur ek vinash kar raha hai to uske haan theek hai. Vihaar kal mein aisa hoga. Wo to dharm ka palan karne wale adharm ka virodh karte hi hain. Par antarik mul baat agar chati se dharm prakt hua hai to sarkar ki pith se adharm prakt hua hai. Power donon ko wahi se mil raha hai. Aur ye baat samjhna bada kathin hai.

aap shastr padh ke dekho. Yahan se hriday se bhagwan ke dharm ka pradurbhav hota hai. To pith se bhagwan ke aur aap kidhar ho? Pith ki taraf. Bhagwan ke sanmukh ho gaye to dharmamay aacharan ho jaenge aur bhagwan se vimurkh ho gaye to adharm mein aacharan adharm ka parinaam racha hua hai nark aur dukh aadi nana prakaar ki chinta bhay aadi ye sakam bhav agar aap chhod pave to bahut jaldi kam ban jae koi pareshani chhorne mein nahi ham jo karm kar rahe hain use bhagwan ko samarpit karke phal bhagwan par chhod den je vidhi hoy nath hit mora karo veg das ismen kya pareshani hai aur sachchi ham mangna nahi jante hain agar hamen mangne ki baat ave na to jaise ek garib

aadmi kisi chakravarti samrat ke samne jae aur kah de mango aaj main tumhen de dunga to uski soch hi itni hai ki wo char gay ek bhens hai uska agar sal bhar ka chara mil jae aur parivaar ke liye bhojan mil jae aur ek lakh mil jae wo bahut jab itna sochega tab itna hi maang sakta hai aur agar usko uske ke upar chhod de ki maharaj ham kya mange ab aapka jo man ho to wo apni sthiti ke anusaar dega aise hi mahapurushon ne prayah ki ham prabhu mangna bhi nahi jante ki aapse kya mange aap apni ichchha se de to apni ichchha se bhagwan apni aviral bhakti di hai prem diya hai maya nahi di hai jab kripa karte hain to maya mukt karte hain bhagwan dwandon se mukt karte hain aur ham log maya ke hi kuch kanon ko mangte hain.

jab wo nahi dete hain to bole bhagwan bhaiya ham hath jodte hain. Mano jeevan ashradha ke liye nahi mila. Apna kalyan kar lo. Ye path ye naam jap ye havan ye bhagwat prapti ke liye hai. Iska prayog idhar mat karo. Pehle se hi ham itna phaaste hain vasnaon mein aur aashray mila hai. Ab kripa se agar ham un vasnaon se tolenge is bhakti marg ko gyan marg ko prashn karte hain ki paap karte hue dekha gaya pura jeevan paap kiya aur koi kasht nahi aur yahan bhajan karte hain kadam kadam par dukh aa raha hai. Ye kya hai?

bade aram se wo chain se marta hai. Ye bhai lamba hai safar uska. Lamba hai safar. Pata nahi abhi kitne kalp bhatakna padega. Aur yah jo sant mahatma ya dharm se chalne wale grihasth hain inko jo aap dukh dekh rahe ho na inka bahut kam mein nipta ke ye akhiri hai ye janm akhiri hai ab apne prabhu se milan ka bahut janm se tadpe hain daras bin dukhan lage nain ab avsar mila hai to ye jo kasht pe kasht dikhayee de raha hai ye bahut jaldi pura hisaab bahut thode mein aur saaf kanun ke anusaar bhi ki haan bhog mil mil gaya 100 ka ek mein nipta denge bhagwan.

dekho na bade-bade mahapurushon ye kasht ye kasht ye aur wo paap aacharan kar raha hai. Dharmaacharan kar raha hai. Pure jeevan mein akhiri mein aise sahaj mein mar gaya. Koi sadan nahi koi pareshani nahi. Iska matlab nahi hai ki ye vartman ki hai. Ab jo fasal usne ki hai bahut janm katna hai. Aur ab ye ja raha hai apne prabhu ke dham ko. Yah malin sharir fatafat bhog raha hai aur bade hisaab ko thode-thode mein to yah agyaan ke karan na janne ke karan kahte hain ki aisa kya bhagwan ka nirnay hai aisa ki paap aacharan kar raha hai.

bada sukhi dikhayee de raha hai. Dharm se chal raha hai. Bada dukhi aisa nahi agyaan ki buddhi se mat napo. Sampurn karm tumhen bandh hi rahe hain. Jo bhi tum kar rahe ho jaise dharivansh nark gati durbhari yam dwrae katiyat nak chheeke matlab yahan ek second bhi jo kriya kar rahe ho bina phal diye nahi jaega. Agar aap hosh mein nahi ho to aapki har kriya shastr virudh ho jaegi. Kyonki man aur indriyan keval yah maya se akarshit hokar adharmacharan ki priyata rakhti hain. Apvitra ho chuki hai. Inko wahi accha lagega.

jo nishedh kiya gaya hai wahi khana pina wahi aacharan accha lagega. Phir hamara marg bigad jaega. To kya karen? Bhagwan kah rahe hain yog buddhi yog. Agar har karm ham bhagwan ko samarpit karne ki bhavna karen kyonki samta ko samjhna bada kathin hai. Har karm bhagwan ko to hamare andar dar paida hone lagega. Jo dar gaya wo bach gaya. Samaj ka dar, kanun ka dar, shastr ka dar, bhagwan ka dar. Inme se koi bhi dar agar hamare andar aa gaya to ham bach jaenge papacharan karne se. Lekin aisi malin buddhi ho gayi ki na to bhagwan ka dar rah gaya hai na shastr ka dar rah gaya hai samaj ka bhi dar nahi rah gaya kanun ka bhi dar nahi rah gaya manmani aacharan karte chale ja rahe yahi bandhan yahi durgati dar aa jae bade bhagyashali jinko dar ane laga samaj kya kahega agar aisa kiya to aajeevan karavass ho sakta hai mrityudand ho sakta hai agar aisa kiya to bhagwan dekh raha hai hamari durgati ho jaegi shastr ka shastr mein likha hai aisa nahi karna chahiye.

agar dar aa jae to ham sudhna shuru kar den. Par malin hriday aisa idhar dar rahit ho raha hai aur prabhu ki taraf chalne mein dar lag raha hai. Ulta karmon ka parinaam janm maran nana prakaar ke dukh chinta ab udhar ki gunjaysh nahi rah jati. Yadi adharm rupi karm bante gaye na aur yog nahi bana to na soch rah jati hai udhar ki himmat hi nahi rah jati wo asmarth sa hokar agar ye baten jo ho rahi hain aur agar aap thoda pavitra hriday nahi to upar se sab nikal jaegi aur pavitra hriday to jaise chatak swati ke bund ko aise ek ek shabd uske dimaag mein pahunega takat hi nahi rah jati uski ye soch karne ki mujhe bhagwan se milna hai mera udhar ho jae.

yah sochne ki takat nahi rah jati. Agar yah kushalta aa jae samta ya bhagwat samarpan karm ka aur phal mein bhagwat ichchha pe agar samta samjh mein nahi aa rahi to bhagwat ichchha pe joi joi pyaro kare soi moh bhave. Bhagwat ichchha bahut avashyak hai. Tabhi aap karm bandhan se mukt honge. Yah bahut saral hai. Kai bar samjhaya hai. Isse aap mukt ho jaenge karm bandhan se. Subah uthe bhagwat smaran karen. Prabhu ka naam jap karte hue apni dincharya karen. Ek ghanta dincharya hui shauch snaan jo jo bhi ek he prabhu yah karm aapke charnon mein samarpit phir aur sevae shuru hui.

phir ek ghanta hua phir smaran kiya. He karunamay prabhu yah is ek ghante ka samay mein jo karm bana wo aapke charnon mein samarpit agar aapse bhul ho gayi hai to sham ke jab shayan karne jaen to subah se jagne se lekar shayan tak he karunanidhan bhagwan itne ghante se abhi tak jo seva hoti rahi wo aapke charnon mein samarpit hai aur mujhe aisa buddhi yog pradan karen ki ismen jo truti hui hai jo aapke virudh hamse aacharan ban rahe hain ya soch ban nath aap hamen savdhaan karke aisa bal den ki wo galti hamse bilkul sahaj hai bhagwat prapti ka koi karm

bandhan aapko bandh nahi payega beech-beech mein aapko smaran ho Radha Radha Radha ek bar kaha tha ki panch minute mein ek bar Radha bol do panch minute mein ek bar bahut sahaj hai panch minute mein ek bar bolna hai Radha ab char minute ke liye aap bilkul free dekho aap phir panch minute mein Radha Radha agar 24 ghante Radha Radha na chalne lage to hamen batana kyonki har char minute mein saikadon bar Radha hoga ki panchwe minute mein bolna hai Radha bolna to hai mukh se Radha lekin andar se chalne lagega Radha Radha kyonki panch minute mein bolna hai ye fasao na man ko man ne tumhen fasaya hai ye bhog ye bhog ye bhog fasao Radha naam pe aur mukt hone ka bilkul sahaj upay kah rahe tasmat shastram prmanam ye manmani nahi kah rahe nav Yogeshwar ne kaha hai swabhavash ah ahankaar vash cheshta jo jo bhi ho rahi hai wo param purush narayan ko samarpit kar de.

ise sahaj bhagwat dharm kahte hain. Jo bhi karm kar rahe hain yat karoshi bhagwan ne swayam shri Krishna chandra ji ne kaha ye bahut badhiya karm bandhan se mukt hone ka upay aaj tak jo hua radheshyam age ham galat na karen savdhaan rahe aur abhi se niyam le le ki koi bhi samay ham bina bhagwat samarpit kiye vyarth nahi jane denge. Niyam le lo. Bahut jaldi nishakmata aa jaegi. Bahut jaldi aapke hriday mein anand ane lagega. Par yah ek do din karte hain phir bhul jaate. Maya ka kam hai bhula dena. Pakar lo. Kuch to pakdo.

dham nishtha, naam nishtha, karm samarpan, nirantar bhagwat chintan kuch to pakdo. Ya char din karte hain phir bhul jaate hain. Ek din 20 mala, dusre din do mala, phir do din ek bhi mala aise nahi chalta. Agar ham do mala to do mala ham badhate chale jaenge phir age ghatna nahi chahiye ham log aise pramadi hai ki aaj sunenge aaj se samjh mein aa gaya haan karm samarpan karenge aur do din teen din baad phir wahi chalne laga bhul gaye ye apna kalyan karna hai Buddha sharan manwichchha samta jab buddhi mein aa jati hai to vastvik sharanagati ho jati hai.

ham fanse hue hain labhan sukhdukh mein hai nahi pakka samjho bole hamen to bhogna par raha hai tumhen kya tum to Baba ji ho swapna mein jaise aapko bhogna parta hai na sukhdukh aur hota kuch nahi hai aapse sachchi kah rahe hain bilkul aisa hi hai ye bilkul aisa hi ek bada sapna hai isi sapne mein sab kuch ho gaya satya kuch nahi hai kai bar aapko bataya hai mahapurushon ne bhagwan se kaha hamen apni maya dikhao. Jaise Markandeya ji jab bhagwan narayan prakt hue to kaha tumhari koi ichchha to unka prabhu aapke charan kripa prasad se koi chah nahi hai.

suna hai aapki maya badi prabal hai. Ye kya hai? Dikhao apni maya. Antardhan ho gaye bhagwan. Thodi der mein dekha ki samudra apni mariyada tod ke bah raha hai. Ye der na lagi. Pura brahmand jal mein bhari thapedon mein Markandeya rishi hahkar mach gaya kuch nahi bas brahmand mein jal hi jal aur kya kya aap padh ke bhagwat mein dekhiye bada jab vikal hue ekdam to us mahan jal rashi mein bat vriksh aur usmen patte par Govind bal Govind kya karwind padarvindm mukharvind vinantam vatas patras pun balam mukundam man bhagwan apne anguthe ko aise mukh mein le aise yah thodi shanti mili kyonki bhagwat darshan ho rahe par phir achanak itni lahren muskura diya bhagwan unke mukh mein udhar mein gaye wo phir wahan sab wahi brahmand wahi pralya bahut varnan iske baad jab traahimaam prabhu bachao to aankh khuli to kushasan mein baithe hain apne ashram mein ek bund pani nahi maha pralya ho gayi jal ki aur ek bund pani nahi aur yah dekha bahut kalp vyatit ho gaye aur do ghadi mein 48 minute mein bahut kalp bite ae ye wahi maya mein apne log fanse hue hain.

koi nahi hai na main na tu na mera na tera ya main hi main hai ya tu hi tu hai. Ye dvait ye bhed nahi hai. Ye swapna chal raha hai. Are ham nahi kah rahe kashi se bol rahe hain bhagwan shiv Uma ka hoon main anubhav apna sa hari bhajan jagat sab sapna hamari baat na mano to shiv ji kah rahe sapna mein hai chal raha hai odiya Baba se mahatma ne pucha to kya ham aapse baat kar rahe hain to swapna mein bole swapnik to ho hi main aur tu dikhayee de raha hai na aap baat karta hai hamse uttar le rahe hain to swapna mein to le rahe hain jagrit jab hoge to ek brahm dviti nast koi prashn nahi agar prashn hai to swapna purush ho swapna mein hoon main aur tu dikhayee de raha hai na uttar dene wala prashn karne wala do dikhayee de rahe hain na yah swapna chal raha hai aur swapna bada sukhad aur dukhad hota hai bina jage sukhdukh nahi hatta hai ye ham sab avidya rupi moh grasit hokar yahi sukhdukh ke pach mein bhagwan jaga rahe hain sharan mein ho jao bhagwan ki aur dukh sukh se bachne ke liye apne har karm ko bhagwan ko samarpit kar do agar agar hamse koi ashubh karm bhi ho jaata hai.

bhagwan bade kripalu hai. Jan avgun prabhu man na kaun din bandhuti mridul subhav bach jaoge nahi avashya mein bhoktuvi kritam karm Subha shubham jaise aag mein chandan dalo loha dalo vistha par jae to aag apna hi swaroop de deti hai yadyap tino alag-alag hai chandan sourabh param pavitra loha ekdam ghan aur wo nikrisht lekin aag tino ko swaroop de deti hai apna unka naam rup hata ke aag aag kar deti hai. Chandan bhi aag ban jaata hai. Loha bhi agam mein ho jaata hai aur vistha bhi agam mein ho jaata hai. Hamari sat asat bhawnaen sab param pavan ho jaengi.

yadi ham bhagwan ki sharan mein hokar phal ke hetu na bane. Ham phal par jo vichran kar rahe hain hamari agyaan ki dhara hai. Aur phal milega. Bahut accha milega. Are bhaiya bhog lagaoge to prasad aap hi ko pana hai. Bade kripal sab aapko hi milega. Pyare har karm ka bada uttam phal milega aapko. Par aap jo phal ki kamna kar rahe hain wo nikrisht hai. Bhagwan kah rahe hain dur havram karm buddhi yoga. Ye jo buddhi yog se bilag hai ye sakam bhav karne wale atyant nikrisht bhav ko prapt ho gaye. Nikrisht bhav ko yah nikrisht bhav jab kano mein parta hai tab lagta hai ki aap apne saath dhokha kar rahe hain.

shastr avhelna, santo ki avhelna, bhagwat avhelna ye aap apne saath dhokha kar rahe hain. Kisi ka kuch nahi bigad rahe hain. Phal avashya milega. Mahan phal milega. Chhote se karm ka dhyan dijiye. Bahut uttam baat hai. Chhota sa karm nishkam aapko mahan phal deke rahega. Bina diye wo ruk nahi sakta. Agar aapne kamna kar li to kripan phal hetwa phir aap vaisa hi anusthan karo jaisi kamna nahi to nahi milega aur agar aap nishkam hai anusthan mein truti hai vaisa purn bhi nahi hai par wo karm aapko uttam phal pradan karega bhagwat prasannata aur jiske upar thakur ji prasann hai phir durlabh kya rah gaya karm bandhan se mukt hone ke liye manav deh mila hai sab log bahut dhairya purvak raho sukh dukh ko saho nirantar naam rato bhagwan ka aashray le lo jana hai kal ham kuch sadhako se ekant mein ae bhai thoda socho jana hai kaun kya tumhara kaun kya tumhare saath ae jana hai kahan jana hai Priyaju ke paas jana hai tayyari kar lo jane ki Radha Radha Radha ye jo bhi aap parivaar mein karya kar rahe ho ye sab bhagwat swaroop hai yah srishti bhagwan hi bane hue hain.

aap unko karm apne agyaan ki nivitti ke liye vastut gunanugun warte aap karta hai hi nahi par itna uchh koti ka gyan aapko nahi hai to aap karm samarpan pe aa jao jo karm karo bhagwan ko samarpit kar do naam jap karo bhagwat ashrit raho jeevan dhanya ho jaega ye dukh sukh kshnik hai abhi dukh aaya hai phir sukh aa jaega sukh aaya hai to dukh aa jaega in dwandon mein mat faso aise maha sukh mein chalo chalo jahan anand samudra hai dukh ka lesh nahi hai bhay nahi hai nirantar naam shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi