॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

guru mein bhagwan dekhen to kya bhagwan naraz to nahi honge ? Mataain-bahne is ek baat ko dhyan se sunen !

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

dhyanashwar ji bengaluru maharaj ji mere Gurudev mujhe unmein hi bhagwan dikhte hain. Kya guru ko hi sab kuch man lene par swayam bhagwan naraz to nahi hote? Nahi bhagwan hi guru hain. Bhagwan koi aur thodi hai bando guru pad kanj kripa sindhu nar rup hari nar rup hari hari ne nar rup dharan kiya mere liye. Mere liye personal avatar hai. Mere liye Gurudev ne bhagwan ne Gurudev ka rup dharan kiya. Gurudev ne jo hamen sharan li wo sakshat param brahm waise bhi kaha jaata hai gurur brahma gurur Vishnu gurur dev Maheshwara guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah aur shastron mein varnan aaya hai jo guru hai wo brahmandam param sukhdam kevalam gyan murtim dwandateetam gagan sadsam tatwasya laksham ekam nityam Vimal achlam sarwadh sakshi bhutam bhavateetam trigun rahitam sadguru tam namami sadguru koi trigun rup thodi hai maya mein wo to trigunnatt hai wo to param brahm paramatma hai to hamen Gurudev bhagwan mein bhagwan ki buddhi karna ye sarvottam bhav hai.

apne guru ko sakshat bhagwan man ke jo pujte hain unke upar bhagwan ki vishesh kripa hoti hai. Bhagwan naraz thodi hote hain. Bhagwan ne kaha mote adhik guru hi jie jani jo mere se bhi badhkar guru ka aadar karte hain main unke adhin ho jaata hoon. To isliye guru mein bahut mushkil hai bhagwan ki buddhi hona kyonki guru hamare jaise manushya sharir dharan karte hain. Hamari jaisi cheshta hoti hai to koi khas baat nahi lagti. Bhagwan jab avatar lete hain to unmein ye hamari buddhi rahti hai. Bhagwan hai. Lekin guru jab avatar liye to manushya rup mein liye na unki cheshta manushya jaisi hoti hai.

to unmein parbrahm paramatma bhav hona bada kathin hota hai. Aur guru mein paramatma bhav ho jae tab to badhiya baat hai. Phir isse badh ham murti mein to bhagwan ko dekh sakte hain. Lekin guru mein bhagwan ko dekhna bada kathin hai. Aur jo guru mein bhagwan ko dekh le wo sadhak kya kahna hai wo to jite ji mukt ho jaega. Guru kripa se uska sab kam ho jaega. Par guru mein bhagwan vastvik hamen koi aur bhagwan ki zaroorat nahi. Mere bhagwan bol rahe hain. Main apne bhagwan se mil ke aa raha hoon. Main apne bhagwan ko dekha hai apne netron se kyonki guru sakshat param brahm mere Gurudev param brahm aisi bhavna hona thoda kathin hai.

asamabhav nahi hai par kathin hai. Aisi bhavna ho jae to beda par ho jae. Maharaj ji jo bhi is marg mein sadhak chal raha hai chahe wo gyan marg mein chal raha ho ya bhakti marg mein uske guru hi hai chahe wo kisi bhi sampraday mein hai maharaj ji hamare apne Gurudev mein bhagwat bhav hona ye to sarvopri hai hi hai maharaj ji jaise gurjan batte hain par maharaj ji hamare guru ji bol nahi pa rahe matlab wo gyan par dusre guru ji aisa to hamari is bhavna mein yah bhavna dridh dekho ek shlok aur hai akhand mandlakar vyaptaman characharam tat padam darma tasmai shri guruve namah wahan se bhi guru bol rahe hain.

ek jagah guru maun hai to wahan se guru mukhar hai. Wahan se guru bol rahe hain. To hamen jahan bhi bhagwat charcha sunai de to vishwas karna chahiye. Mere Gurudev hi inke rup mein bol rahe hain. Par apne Gurudev par sab mein Gurudev ki bhavna aur apne Gurudev par brahm drishti sakshat paramatma mere Gurudev hain. Lekin sab rupon mein Gurudev hi bol rahe hain. Jaise mausi aur maa masi aur maa yadyapi ba ke saman hi unka ham aadar karenge. Par maa maa to meri maa hai na aise hi Gurudev ke saman ham har sant ka aadar karenge par Gurudev Gurudev to hamare param brahm hai aisi bhavna karni chahiye maharaj ji ismen ek aur sansh jaise aap kahin-kahin isi baat ka aashray leke matlab koi matayen bahne aur to maharaj ji us kyonki aisi bhavna hogi to samarpit hai to aise mein kya savdhani ismen ye savdhani rakhni hai ki hamen santo ki baat to sunni hai par agar hamare guru ki baat se alag hai to hamen unki baat manani nahi hai.

manani apne Gurudev ki hai. Sunni sabki hai. Sunni sabki hai. Manani apne Gurudev ki hai. Agar hamare Gurudev ne hamen jo updesh kiya hai uske virudh kisi sant ki baat aati hai to ham nahi sunte. Ham nahi mante. Suna baith ke pranam kiya chal diya. Manenge ham apne Gurudev ki. Aur dusri baat Gurudev se lekar ke har sant ke liye ham yah baat kah rahe hain. Yadi wah hamare sharir ka shoshan karna chahte hain to na wah Gurudev hai aur na wo koi sant hai. Wo vyabhchari purush hai. Wo pakhandi hai. Wo natki hai.

guru ek pita ke saman hai. Guru ek mahan tatv hai. Jo maya mukt hai wo maya ke in bhogon ko kaise sweekar kar sakta hai to agar koi stri ya koi bhi kisi sant ke sanidhy mein aa raha hai aur wo sant uske prati galat harkat kar rahe hain. Sharir shoshan ki baat kah rahe hain. Aisi kuch baten hain to duri bana leni chahiye. Wahan guru nahi hai. Wahan pakhand hai. Wahan natak hai. Wahan maya hai. Haan, kabhi-kabhi bade-bade achhche sadhako se chuk ho jati hai. Wo ek alag chij hai. Chuk hona alag chij hai aur pakhand karna alag chij hai.

chalte-chalte ham phesal gaye. Phir sambhlo age badho. Lekin guru guru to pahuncha hua tatv hai. Wah koi sadhak nahi hai. Isliye hamen chahiye ki aisi jagah se thoda duri bana leni chahiye aur guru dwara diye hue naam mantr ka hi jap karna chahiye. Unki ninda nahi karni chahiye. Par unse duri bana leni chahiye. Jisse hamari pavitra bachi rahe. Pahli harkat mein agar duri bana lo to bahut accha hai. Jisse wah bhi bach jaenge aur aap bhi bach jaoge. Nahi to bahut jagah is baat ka pakhand hota hai ki tan man pran sab kuch samarpit kar dena chahiye.

ab wo samjh nahi pate sadhak to unko lagta hai ki jaisa guru ji kahe ab wo bechara kisse apni baat vyakt kare ki kahin main galat to nahi hoon. Kahin main andar uske aata hai main kahin galat to nahi ja raha hoon par wo sahi ka nishan kisse lagwave. Jab kabhi use accha satsang mila tab wo nirnay kar pata hai ki hamare saath to galat ho gaya. Hamare saath to dhokha ho gaya. Tab tak bahut der ho chuki hoti hai aur hamare utsah, hamari shraddha, hamari pavitra itni negative ho jati hai ki achhche santo mein bhi hamen dosh darshan hone lagte hain.

pata nahi yah bhi natak to ham satya se bahut dur chale jaate hain. Isiliye hamne kaha unhin guru ke dwara diya hua mantr aur naam jap karo aur Gurudev ke ashrit raho. Andar se bahar se sampark chhod do to tumhara mangal. Unki ninda mat karo. Unka apman mat karo. Unse duri bana lo. Duri banana hi uchit hai. Kyonki ninda apman se aapka patan ho jaega. Ninda apman kisi ka bhi mat karo. Lekin jahan lage ki yahan shastr ke sammat karya nahi hai, shastr virudh aacharan hai, wahan se duri bana leni chahiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…