hanuman tekri se aae sant bhagwan ne sabhi ke liye kya prashn kiye ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
bhagwan ki shri hari shri hari Om shri hari shri mahapurush ji aapke charnon mein vinati hai jaise guru kare jaan ke pani piye chhan ke to kuch apne sadhak apne shishya ban jaate hain mahapurushon ke to ya jaise nahi ban paye ya jaisa banna chahte rahe vaisa nahi ban paye to thoda duriyan ho jati hain us samay mein shishya ka kaise kalyan ka marg prashasth ho athva kuch sakam sakamak log mahapurush ka bhash dharan karke unki pratishtha kamna aadi unke shishya prashish ban jaate hain. Aur us samay mein aise mahapurush ya gurjan log pad pe hain.
unka kaise kalyan ka marg jo pahli baat to jinhone apne guru ko sakshat param brahm mana wahi shishya hai aur to dhong hai natak hai pakhand hai Gurudev param brahm paramatma sirf mere liye manushyakar rup dharan karke wo aae hain kripa karke jab hamare andar yah bhav ho goswami ji kah rahe bando guru pad kanj kripa sindhu nar rup hari maha moh tam punj jas vachan rakar nik jinke vachno ke prakash se agyaan andhkar ka nash ho jaata hai wo kripa sindhu bhagwan shri hari jagatguru bhagwan shri hari hi hamare Gurudev ke rup mein aae hain.
yah dridh vishwas hona chahiye. Kinchit matra bhi Gurudev mein manushya buddhi, sadhak buddhi ya sant buddhi nahi honi chahiye. Gurudev mein sakshat parbrahm buddhi honi chahiye. Aur jo sakam bhav se Gurudev ke charnon ka aashray lete hain. Ham unki bhi vandna karte hain. Par wo guru ko param brahm mankar apni kamnao ki purti sirf guru se karna chahte hain. Unka to kalyan ho jaega. Aur jo guru ki agyaa ka ullanghhan karke aur guru jaisa vesh dharan karke aur apne ko pujwane aur pratishtha pane lage unka rasta dusra ho jaata hai.
wo guru avagya ke karan aparadh karte hain aur aparadh ke karan wo narkgami hote hain. Wah bhagwan ki kripa ka patr nahi ban sakte kyonki Gurudev ki agyaa ka palan ham sakam bhav se kar rahe hain to hamari kamnao ki bhi purti ho jaegi aur nishakmata bhi aa jaegi kyonki guru tatv kripalu hai wo hamari skamta ko purn ya nasht karke donon bhav mein jaisa uchit samjhega purn ya nasht karke hamko utha dega aur aisi bhumika par la dega jahan se bhogon ki ruchi aruci mein badal jaegi guru kripa ham sab skamta se hi guru ke charnon mein lagte hain.
lekin guru ki avagya karke wo guru jaisa vesh dharan karke aur apne ko guru sabit karke anya shisyo ko anya bhule hue praniyon ko apni taraf akarshit karke aur apni vasnaon ki purti karna. Aise log narak mein jaate hain aur jo aise logon ka anusaran karte hain wo bhi narkgami hote hain. Kyonki guru bahut samjh karke karna chahiye. Guru hamen kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar se uthata hai. Kyonki bhagwan usi ke hriday mein prakashit hote hain. Kam, krodh, mad man, na moha, lobh nobh rag nahi droha.
jinke kapt damb nahi maya tinke hriday baso Raghuray. To bhagwan wahan prakashit hote hain jahan chah mit gayi, kamna mit gayi, vasna mit gayi. Wahan bhagwan prakashit hote hain. To guru apne shishya ke hriday mein bhagwat tatv ka prakash karne ke liye hi sab sadhna batata hai. Lekin ahankaar ahankaar bardast nahi kar pata. Guru ke dwara di hui kripa jo pratikultaa rupi kripa hai usko bardast nahi kar pata. Agar bardast kar le to sare dosh nasht ho jae. Wo bhag parta hai. Unki avhelna karke bhag parta hai.
aur manmani aacharan karke bhrasht hokar phir jagat se aur Jagdish se donon se chala jaata hai. Jagat mein bhi ninda hui aur Jagdish ka aashray chhut gaya to wo nasht bhrasht ho jaata hai. Guru mein bhi dosh buddhi dekhne lagte hain. Haan jab tak ham guru avagya nahi karenge tab tak hamara nash nahi ho sakta. Bhale ham kami hai, bhale ham kroadhi hai, bhale ham lobhi hain. Andar dosh hai par ham guru avagya nahi kar rahe to ek din wo nirdosh drishti ho jaegi kyonki guru aur prabhu ka swabhav ek jaisa hota hai. Gurudev aur matlab jo sharir ho jaate hain log kahte hain guru dusra badlna chahiye lekin guru badlna chahiye nahi.
guru badalne wali chij hoti hai kya? Guru to badalne wali bolte hain guru ji nahi rahe. Hamare guru ji hai guru mantr to wahi rahta hai bilkul guru ji nahi rahe to guru ka updesh aur guru ka naam guru ka mantr badalne ki zaroorat kya hai guru nahi badlna ki kripa ek anubhav ki baat hai haan guru guru kripa se hi sab baat banti hai haan ek baat ismen thoda sa dekhna hai ki class bye class jaise hamare panch ke class mein guru dusra rup dharan kiye the ab chhah ke class mein dusra rup dharan kiye sat ke class mein dusra rup dharan kiye hai guru guru hi hai wahi hai unka rup badal jaata hai jaise hamen Gayatri mantr mila to guru aur the aur jab hamko panchakshari mantr mila to guru aur the jab hamen mahavaakya mila to guru aur the aur jab sanyaas mila to guru aur the aur jab radhav sharanagati hui to guru aur jab nij mantr virakta vesh mila to pujya maharaj ji to itne guru ham nahi badle guru wahi hai raste raste par apna rup badalkar hamen pakar kar Priya lal tak pahuncha diya.
ham aise hain. Ab wo kis rup mein akar hamen pakdta hai? Yah uski baat hai. Guru mein dosh drishti karke inse purnata nahi hogi. Ab inse hogi to kabhi purnata kahin bhi nahi ho sakti. Kyonki apne guru mein dosh drishti jo kar liya wo kahin purnata nahi. Kisi ke pravachan sunkar, kisi ka prabhav dekhkar, kisi ka bhav dekhkar ham prabhavit ho gaye aur apne guru ko halka halke mein le liya ki are wo to aur ye bahut unchi koti ke mahatma hai aur ham unse diksha le lenge to hamen bhagwat prapti hogi hi nahi.
kyonki hamne mul mein aparadh kar diya guru ka. Ab hari kabhi prasann ho hi nahi sakte. Wo Gurudev adesh kar de. Wo Gurudev adesh kar de ki ab hamara hi wah swaroop hai. Aap haan aap age badho to koi hani nahi hai. Lekin apne Gurudev mein dosh drishti karke kisi sant mein mahatum buddhi karke yadi ham aisa karen to us sant siddh sant ke samip mein rahne par hamara kalyan nahi hoga. Kyonki hamne apne guru par he buddhi kar li. Laghu buddhi kar li. Anand aaya. Maharaj ji aapka swasthya thoda bahut kripa hai.
bahut swasth bahut theek hai. Bahut kripa mahapurushon ke madhyam se aapka darshan bhi ho jaata hai. Abhi bahut kripa aap hamen bhav isiliye ekdam aa gaya ki bhagwan itne rupon mein mujhe darshan dene aae. Puja anadhikari ko bhagwan itni kripa karte hain. Itne sant kyon wahan kona pehle darshan karte the? Tab sant kripa karne ate hain. Aapka aap madhyam ban jaate hain. Sab sant kripa karne ate. Hamara hriday bhar jaata hai. Jab sant ate hain to mujhe lagta hai bhagwan mujh par anugrah kar rahe hain. Jitni bar santo ke darshan karate hamara hriday utne pusht aur balvan hota hai.
sant drishya se hamen maha sukh milta hai aur lagta hai aaj mere bhagwan mujh par kripa kar. Jis din hamari ekantik mein sant nahi ate us din hamen dukh hota hai ki aaj pata nahi kaun sa durbhagya ki aaj koi sant nahi aaya. Par kripa karke ate hi rahte hain. Par jis din kabhi kabhi aisa hua ki sant bhagwan ke darshan nahi hue to hamara man nirash ho jaata hai ki aaj hamare upar prabhu ki vishesh kripa nahi. Nahi to sant darshan hote. Roz sant ham baithe isi lobh se ki isi bahane se sant ate hain to unke darshan unka sambhshan prapt hota hai.
ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…