॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1123 · 14 december 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai ajit chahar ji Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji agar hamari mehnat se kamaya hua dhan koi dusra hadap leta hai. Phir un logon se man kharab ho jaata hai.

us samasya se kaise niklun maharaj? Agar aapne uska purv mein hadpa ho to aaj to mehnat ki kamai tumne dekha ki usne hadap liya aur kal tumne uski mehnat ki kamai hadpi ho. Aaj wo apni beimani ka badla le raha ho to tumhen vivek lagakar bach jana chahiye na. Nipat gaye. Aapko sochna chahiye nipat gaye. Usse var kyon kar rahe ho? Purv praarabdh purv ka kiya hua karm aaj tumhari safalta ko lut raha hai to wah lut nahi raha wo apna hisaab le raha hai wo apna hisaab wo tumhara putr bankar tumhara mitra bankar ke tumhara rishtedar bankar tumhara sahyogi bankar wo tumhare saath aisa karya karega jisse tumhari hani hogi isliye hani hogi kyonki tumne hani ki thi wo apni hani ka badla le raha hai waise uski buddhi ho jaegi waise wo karya karega to hamko ko ye samjhna chahiye jab hamare saath beimani ho ki maine kisi ki beimani ki thi mera hisaab barabar ho gaya.

Radha Radha ab mujhe age chalna chahiye. Isse dves nahi karna chahiye. Nahi to naya karm ban jaega. Agar usse dves ki, nafrat ki, ladai ki to naya karm ban gaya aur aapko bhogna padega. Isliye mujhe naya karm nahi karna. Radheshyam tumhara hissa jitna tha tum le gaye. Ab theek hai. Agar hamara hai to use koi nahi le jaega. Aur kisi ka karja nahi rakhna chahiye. Agar apni jankari mein kisi ka karja ho to kisi ka karja nahi rakhna chahiye. To hamen kisi ki beimani nahi karni. Lekin koi hamari beimani kar leta hai to Kabira khud ko thagaie.

jao khao jake. Tumhara kuch ham liya hoga to tumne hamara le liya. Nahi hamari chij padi rahegi. Koi utha nahi sakta. Wo hamare hi prayog mein aayegi. Abhishek pande ji ghaziabad. Shri harich Radhe-Radhe maharaj ji. Mahara ji hamari adhyatmik parampara mein kaha gaya hai ki guru shishya ka chayan swayam karte hain. Par yadi guru ko prapt karne ki man mein paida ho keval aisa hi nahi hai. Ek paksh nahi hai. Donon paksh hai. Kabhi-kabhi sanskari purv janm ke bhajan kiye hue shishya ko guru pakdte hain. Aur kabhi-kabhi shishya ko guru ki khoj karni padti hai aur guru ki sharanagat hona.

donon paksh ek paksh nahi hai ki guru hi shishya ki khoj karta hai. Usko kya lena dena hai? Wo aapka kam mahapurush hai. Usko shishya ki zaroorat kya hai? Wo to bhagwat prerit hokar ke purv sadhna jiski bhrasht ho gayi hai aur wo janma hai to jakar ke usko ae uth aur chal. Jaise hamare janm hone ke samay jab hamara janm hua to naimish sarni ke ek sant aae. Hamare pitaji se pucha chilwa aaya hai kya? To kaha maharaj ji koi sant to aae nahi. Nahi bole tumhare ghar mein kuch hua hai kya? Bole haan ladka hua hai.

bole haan chilwa aaya hai. Ham samay aayega tab nikal lenge. To purv janm ka hamara jo bhajan bacha hai ham use nahi pura kar paye to guru akar khoj leta hai aur wah wahan se nikal deta hai. Nahi to prayah shishya ko hi guru ki khoj karni padti hai. Guru apta kam hote hain. Unko kisi ki zaroorat hoti nahi hai. Wo purn kam hote hain. Unko shishya ki kya zaroorat hoti hai? Aap prashn kijiye. Maharaj ji aap kah rahe hain ki pramanik guru ka chayan karte samay kin-kin baton ka dhyan rakhna chahiye age? Dekho pahli baat to yah hai ki adhyatma hai.

adhyatma chidanand hota hai aur ham gun aur dosh prakritik dekhte hain. Prakritik gun dosho se guru ki pehchan nahi ho sakti. Kyonki prakritik gun ka natak to ek film mein bhi karne wala jo sadhu ka role karta hai wah samyak role karta hai. To agar gun ham dekhenge to samyak natak kar raha hoga. To us pakhandi hai lekin wah role pura samyak sadhu ka kar raha hai to aap lakshan milaenge aapko mil jaenge lekin wah sadhu hai nahi wo to role kar raha hai sadhu ka to bahari gunon se ham sadhuta ko nahi pehchan sakte waise kuch lakshan bahari varnan kiye gaye hain titwa jo mahan sahnseel ho garmi sardi barsat labh hani man apman dukh sukh sabko sahne wala ho karunika wo sab par karuna karne wala ho.

uska swabhav sab par daya karna ho. Sarvabhut hate rataha wo samasth bhauton mein hit ki bhavna rakhta ho aur swayam bhagwan ke charnarvind ki bhakti se yukt aur jo uske samne pahunch jae usko pahunchte hi shanti ek aisa apnapan lage ki inko maine dekha pahli bar lekin lag raha hai ye mere apne hain aur unke vachno se hamara adhyatma jagrit ho jae. Yahi koi bahari lakshan hai. Bakaya antarik lakshan ko to pahchana hi nahi ja sakta. Jaise nirmoh ab moh rahit hokar ke karuna karna hai. Yahi mahapurushon mein hota hai.

wo pyar ka natak karte hain. Sabse pyar ka natak karte hain. Lekin unka kisi se pyar nahi hota. Ekmatra paramatma se pyar hota hai. Wo paramatma mein apnit ko rakhte hain. Karunika karuna karni hai lekin nirmamo nirhankar karuna karte hue mamta aur ahankaar na ane pave. Wo siddh mahapurush nirmoh hote hain. Wo siddh mahapurush nirman hote hain. Wo siddh mahapurush ka kisi ka sang unke upar rang nahi la sakta. Chahe jitna koi bhog samgri bogi vastue ho unkit kabhi chalayman nahi ho sakta.

wo sang dosh nirantar atma swaroop mein sthit rahte hain. Dwandon par vijay prapt kiye hote hain. Sukhdukh mein saman bhav rakhte hain. Aise mahapurush bhagwat prapt hote hain. Aise bhagwat prapt mahapurushon ko guru banana chahiye. Par ham nahi jante ki wo role kar rahe hain ya vastvik hai. Bhagwan to jante hain na to hamen sarvpratham bhagwan ko guru banana chahiye ki bhagwan shri Krishna hi hamare guru hain aur phir unse prarthna karen ki yadi aapko pragat rup mein guru dene ki avshyakta hai to aap hamen pahuncha do ya unse mila do.

unko hamare paas pahuncha do ya ham unke paas pahunch jaen to bhagwan jahan jodenge wo sahi judenge. Ham kisi ke pravachan se prabhavit hokar, kisi ki mahima se prabhavit hokar to purv janm ke punya se bhi hota hai. To aap bahut log salam kar rahe hain. Unko salut kar rahe hain, namaskaar kar rahe hain. To bahut logon ka namaskaar karna koi sadhuta ka lakshan nahi. Bahut accha pravachan kar lena. Ek se ek lakshyadar bhashan dene wale log hain ki aap shabd par mohit ho jaenge. Aise aise bolne wale to kya wo sadhu ho gaye kya?

to kya ham sadhuta ki pehchan mane? Yahi man rahit hona, moh rahit hona, sang dosh ka prabhav na padna, atma swaroop mein sthit rahna, samasth dwandon par vijay prapt karna, sukhdukh mein saman bhav yah to bahari dikhayee nahi denge. Jitne ham lakshan bata rahe hain sab antarik hai aur antarik lakshan ka bahya natak to koi bahut achhche dhang se kar sakta hai. Jo natak karta hai wo bahut achhche dhang se kar sakta hai ki sahi mahatma mein truti ho sakti hai. Lekin natak karne wale mein truti nahi milegi kyonki wo natak kar raha hai.

isliye bachchha ye sadhuta ka bhash aisa hai jaise ganga ji mein sab kuch sama jaata hai. Chahe jo nala dalo chahe dalo susar mile so pavan kaise aise is bhash mein asli nakli kai prakaar ke hote hain to aap pahchane nahi ja sakte ki asli kaun hai kyonki bahari gun maya janit hai aur maya janit gunon se wo mayatit hota hai wo gunatit hota hai to mahatma ko kaise pahchana ja sake jaise bhagwan apne aap ko jana de to koi jaan jae aise mahatma apna prichay khol de to koi jaan jae nahi mahatma ko janna bada kathin hota hai Madhusudhan Mishr ji ji jai shri Radhe Radhehe maharaj ji maharaj ji mrityu ke uprant jeev ke swaroop aur uski yatra ke vishay mein janne ka ichchha hai karmon ke anusaar uski triwidh gati hoti hai aur uski vivid gati hoti hai.

shabdon par dhyan dena. Uski triwidh gati hoti hai aur uski vivid gati hoti hai. Triwidh gati mein adhik paap karne wala yatna deh mein dalkar ye panch bhautik deh to chhut jaata hai. Yatna deh mein dalkar use narak bhogwaya jaata hai. Adhik punya karne wala dev deh mein dalkar swarg aadi mein use sukh bhogwaya jaata hai. Aur donon ke jab paap punya ksheen ho jaate hain to trivadh gati manushya yoni ya ismen mrityu lok mein uska janm hota hai aur vivid gati 84 lakh yoniyon mein 8399 yoniyan aur ek manushya yoni plus mila ke manushya yoni to triwidh gatiyaan aur vivid gatiyaan ye sadharan hoti rahti hai.

asdhran wah hai jo bhagwan ka bhajan karke tino gunon ko parast karke kam, krodh, lobh, moh, mat ko jeetkar wo bhagwan ke dham ko jaata hai. Ram upasak hua to Saket Puri ko jaata hai. Shiv upasak hua to Kailash Puri ko jaata hai. Krishna upasak hua to Golok dham ko jaata hai. Priya pritam ka upasak hua to Vrindavan dham ko prapt hota hai. Ye uski jeev ki gatiyaan hoti hai. Ab kaun se karm ke anusaar wah suar kutta banta hai yah alag-alag vibhag uske wahi nyayadhish Yamraj ke paas hai. Wah lista wo hamare paas nahi hai.

ji saumy ranjan kumar ji Odisha se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan ek aur hai parikrama jo do ghante mein puri hoti hai aur dusri aur hai naam jap jo baithkar karne ko mile to kaun sa zyada parikrama karte hue naam jap parikrama aise thodi ki jati hai ki sansaar ka chintan karte hue parikrama karen phir parikrama ka matlab kah raha hai wo to chalna raha keval parikrama ka matlab hai aradhya dev ka naam ya mantr sumiran karte hue parikrama karna. Maun parikrama karna. Naam jap karte hue maun kisi ki ninda, kisi ki stuti, kisi ki baat karte hue parikrama nahi.

parikrama karte hue apne aradhya dev ke taraf laghushank na karen. Jaise ham Vrindavan ki parikrama kar rahe hain to hamare dahni taraf aradhya dev Vrindavan hai. To ham bai taraf laghu shanka karen. Agar ham thukte bhi hain to bai taraf. Agar karanwash hamen aise thukna bhi pare to bai taraf. Agar ham prasad bhi paye to hamare donon pattal bai taraf. Jaise giriraj ji ki parikrama hai. To agar aise parikrama karen to bahut labh milta hai. Aradhya dev ki pradeekshana se sarv paap nasht ho jaate hain. Isliye hamen chahiye ki ham naam jap karte hue parikrama karen.

sarvshresht hai. Agar aap nahi chal pate hain to baithkar naam jap kijiye. Koi baat nahi to parikrama jarur deni chahiye. Anuradha Sharma ji bengaluru se. Shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji apne pyare ko pane ki lalsa aur unhen pane ki ichchha se bhakti karna karm hai ya akarm? Sarv dharmon ke upar karmon ke upar virajman bhagwat dharm hai aur bhagwat dharm ke upar virajman prem dharm hai. Yah prem dharm hai. Yah na karm hai na dharm hai. Ye karm aur dharm donon se bada bhagwat dharm to bhagwat dharm se bhi bada prem dharm.

bhagwat dharm jit ke nij prema thahrant. Apne pyare se milne ke liye yah prem dharm sweekar kiya jaata hai. Lekin kaun chahta hai pyare se milna? Bahut kathin baat hai. Sansaar ka pyar mita pana bahut kathin baat hai. Sansaar ka pyar hata pana bahut kathin baat hai. Jo sansaar ka pyar hata deta hai wahi bhagwan se pyar kar sakta hai. Sab koi nahi kar sakta. Jo maa se, pita se, bhai se, bandhu se, rishte natedaro se, sampurn sansaar se apne pyar ko hatakr aur Govind mein laga diya. Wahi Govind ka premi hota hai.

bhagwan ka ashik aisa nahi hota. Yahan ananyata chahiye. Ekmatra mere to Giridhar gopal dusro na koi. Shuddh prem mein keval apne bhagwan se sabko bhagwan ke bhav se man lo grahasti bhi hai to apne mata pita bhai bandhu parivaar mein sabko bhagwan dekhkar puja kar raha hai to aur pyar badha lekin mamta nahi hai wo bhagwat bhav se hai aur apne bhagwan ke hi bhav mein nirantar jo nimgn rahta hai phir uske andar ek vyakulta paida hoti hai ki itne din ho gaye aaj tak maine bhagwan ko dekha nahi daras bin dukhan lage nain jab se tum bichure pe pyare kab na payo chain ab wo vyakulta uski virah ban jati hai aur virah mein phir rota hai tadpata hai bhagwan ko pukarta hai tab bhagwan uski virhagi ko shant karne ke liye uske manas patal par darshan dete hain hriday mein usko darshan dete hain phir bhi tasalli nahi hoti phir rota rahta hai tab bhagwan pragat darshan dete hain agar utne mein tasalli ho gayi to phir utna hi anubhav hoga aur agar usse bhi vyakul ta badhti rahi to jaise ham aapko dekh rahe hain aise bhagwan dekhne ko milte hain.

bhagwan hai bhagwan koi ashcharyamai aisi baat nahi hai ki nahi hai. Koi kan aisa nahi jahan bhagwan na ho. Bas ascharya yahi ki maya ka parda kal laga ke hain. Agar parda hata de to keval bhagwan hi bhagwan hai. Dusra koi hai hi nahi. Kishan ji ujjain shri Harivansh maharaj ji maharaj ji main main jajman ke liye jap karmkand ityadi karta hoon. Agar main aapke dwara nirdishta nitya path aur naam jap karta hoon tab bhi mujhe sandhya karna avashyak hai. Agar aap dixit hain to nahi agar dixit nahi hai to haan. Kyonki diksha jab ham nikunj ki le lete hain to jis samay sandhya hoti hai us samay hamari sandhya aarti hoti hai thakur ki us samay sandhya vandan hota hai jis samay mangala prabhat hoti hai us samay mangala aarti hoti hai thakur ji ki mangala prabhat unka uttapan hota hai hamare paas samay nahi hai sandhya karne ka samay nahi hai aur sandhya jinki hoti hai unhin ki to ham aradhna kar rahe hain to phir hamare yahan uska lop ho jaata hai lekin jab tak diksha na le tab tak sandhya karta hai tab tak use na

trikal sandhya to do kal ki sandhya to karni chahiye prat aur sayam do kal ki sandhya karni ke baad bhi main jo karya kar kar raha hoon wo karta rehunnga to use karm kand haan karm bilkul brahmin ka wahi kartavya hai adhyan karna adhya adhyan karana dan lena dan dena yagya karna yagya karana satkarma brahmin ke hai lekin jitna anusthan le usko jajman janta ho ya na janta ho apne ko pura karna chahiye nahi dosh lagta man lo aapne rudrashtadhyay ke path ka anusthan liya ab wo to janta nahi kitne rudrashtadhyay kitni der mein hoti hai aap aadha ghanta mein nipta diye aur jajman se pura paisa liye wo aapke liye aparadh ban gaya aur wo aapko dukh dega jajman jane ya na jane jo anusthan le use pura karen phir dakshina le to wo theek rahta hai pehle ke brahm rishi aajkal log jaise nahi kah rahe are niptao jaldi niptao aisa jaldi niptao to ham tumhara kam nahi karenge.

ham karenge to anusthan pura karenge. Aap ko karvana hai to karwaie nahi to na karvaaye. Jaldi hai koi khilwad thodi hai. Shastri vidhan aur isiliye aajkal koi Shastri vidhan manta kahan hai? Ab kahan girlfriend, boyfriend, liv in relation ismen Shastri vidhan kahan kam karega? Shastri vidhan to pavitra jeevan mein kam karta hai. Apvitra jeevan mein kaun manta hai? Bula bhi liya to ek nimit matra hai. Dakshina de diya. Chale gaye wo bhi. Ab shakhochar sahit pura byah vidhi se puri raat lagta tha.

pandit jan puri raat ved mantr ucharan karke tab ladka ladki ka byah pura hota tha. Aajkal kahan gudiya Dube ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwat marg par chalne ke liye kya sadhna karna zaruri hai? Agar zaruri hai to sadhna kaise karen? Maharaj ji prarambh kaise karen uska? Kisi bhi karya ko karne ke pehle hamara lakshya dridh hona chahiye. Lakshya dridh hone mein itni takat hai ki ham lakshya tak pahunch sakte hain. Pehle hamara lakshya to bane. Hamara lakshya hai bhog dhan nana prakaar ki man pratishtha to ham bhagwat marg mein chalne mein samarth nahi hai.

yadi hamara lakshya hai sirf bhagwat prapti to na laj teen lokan ki na ved ko kaho kare na shankh bhut pret ki na dev jachchhate dare sune na kan aur ki dase na aur ina koi is tribhuvan mein aisa paida hi nahi hua ki hamare lakshya ko badha pahuncha de raat din apne lakshya ke prati dridh rahna yahi sadhna hai. Dekho bina kiye kuch nahi hota. Agar koi bhojan bana banaya bhi de de to aapko chabana padega. Tabhi wah pachega jake to bana banaya bhojan bhi aapko parishram karna padega. Chabana padega. Aise param pad sukh prapt karna chahe aur kah de bina sadhna ke ho jae asamabhav sadhna karni padegi.

sadhna kya hai? Ham jahan fanse hain usse mukt hona. Jaise ham kam mein fanse hain, krodh mein, lobh mein, moh mein, ahankaar mein, matsarta mein, irshya mein, dves mein. Ham ismen phas gaye hain. Isi se hamen mukt hona hai. To kam, krodha aadi shatruo par vijay prapt karne ke liye Radha naam samarth hai. Radha Radha Radha aap ratie aur kam krodh aadi shatru jab aap kraman kar rahe ho us samay sahie. Matra sparshastu kaute sheetosh sukh dukhda agma pano anityas tas bharat he bharat he arjun ye kam krodh dukh sukh labhhani ye ane jane wale hain inse vyathit mat hoiye inko sahae aur naam jap karne se sahne ki samarth prapt hoti hai to bina sadhna ke bhagwat prapti nahi aur bina bhag bhagwat prapti ka lakshya dridh kiye hamari sadhna nahi hoti aur jab tak bhogon mein priti hai tab tak lakshya dridh nahi hota.

bhogashwarya prasakta naam tayat chetsam vyavsayatmika buddhi samadh na vidhte jiski bhog aur aishwarya nitwatta aprit kar li hai wo kabhi bhagwat prapti ka nischay hi nahi kar sakta. Haan yadi satsang mile aur vivek jagrit ho to wah kar sakta hai. To aap log bade saubhagyshali hain. Aapko satsang mil raha hai. Aap nischay kijiye isi janm mein papacharan ka tyag kar, gande ahar ka tyag kar, gande vichar ka tyag kar, gandi kriyon ka tyag kar ham ek achhche vyaktitva wale bane. Na bhagwan ko prapt kar sake to hamara agla janm suar kutta ka to na ho.

hamen punah manushya janm mile aur ham phir apne rashtr ki seva kar pave samaj ki seva kar pave bhagwan ko rijha pave aisi sadhna jarur karni chahiye. Sandip mi ji Indor se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya sharir mukti aaj bhi sambhav hai? Dusre shabdon mein kahe to jite ji moksh prapti haan jite ji hi to adhiktar moksh hota hai jo sant kam krodha aadi shatruo par vijay prapt kar chuka hai jiske samip vishay bhog rahne par bhi bhogne ki ichchha nahi hai jo nirantar bhagwan ke chintan mein duba hua hai jis par sardi garmi man apman haan nilap ka koi prabhav nahi parta.

wo jite ji jeevan mukt hai. Wo jite ji bhagwat prapt ho gaya hai. Ek jeevan muktata hoti hai marne ke baad aur ek jeevan muktata hoti hai jite ji jise kaha jaata hai videh jeevan mukt jo jeevan rahte hue jeevan mukt hai wo vishesh labhdayak hai ki wo jeevan muktata ka swad to liya jo marne ke baad moksh ho gaya wo to baat alag ho gayi. Samudra ki tarang tarang ban ke jo alag khel rahi thi ab wo samudra mein mil gayi ho gaya moksh lekin jite ji mukt hokar akhand gyanand bhagwanand Premand ka jo anand le raha hai usse badhkar saubhagyshali kaun ho sakta hai isliye do prakaar se moksh hota hai ek sharir chhutne ke baad aur ek sharir rahte jo sharir rahte sharir rag tyag kar diya aur samasth st shatru par vijay prapt kar li kamad shatruo par wo jeevan mukt mahapurush hai wo lok ke lok ko tar sakta hai itni samarth usmen hoti hai mam bhakti yukt bhavan pun Sanjay saini ji jhansi se Gurudev bhagwan ye sakshi bhav kya hota hai ise apne andar kaise utare sadhak naam jap karo sakshi bhav hota hai meri man sthiti kahan hai?

indriyon ke saath bhogon mein ja rahi. Isko main dekh raha hoon. Main indriy nahi hoon. Main man nahi hoon. Jaise mere netr aapke rup ko dekhna chahte hain. To netr ke saath man ho gaya. Aur man ne kaha main dekhna chahta hoon. Uske saath buddhi ne dastakhat kar diya. Dekh lo. To ulta main gulam bankar ke unka yah bolta hoon ki haan maine rup dekha. Maine rup nahi dekha. Main drashta tha. Netrendar ne rup dekha. Man uska sahyog kiya. Buddhi ne dastakhat kar diye. Nischay kara diya. Main uska drashta hoon.

main bhogta nahi hoon. Main dekhta nahi hoon. Main karta nahi hoon. Main sunta nahi hoon. Main sunne, karne, dekhne, chakhne aur bhogne ka drashta hoon. Jo aisa gyani hota hai wo bahut jaldi maya mukt ho jaata hai. Lekin drashta banna khel nahi hai. Man ke ham gulam ho chuke hain. Jo man chahta hai wahi main apna man leta hoon. Jaise man ne chaha ki aaj mujhe samosa chatni khani hai. Rasd ke saath milkar ke wo tayyar ho gaya. Ab ham ye man lete hain ki mujhe khana hai. Bas gaye. Drashta bhav nahi dekh sakte agar usi samay ki Rasendra ne maang ki man ne sahyog kiya buddhi ne nischay kiya aur iska drashta main hoon iska sakshi main hoon isliye main nahi khane dunga khatm khel nahi bolte hi tumhari samarth se tumko paryapt karne wala man tumhare adhin hone lagega ek bar nahi saikadon bar na bolna hoga nahi nahi main yah nahi karne dunga khatm khel us samay ham yah nahi dekhte ki man aur indriyan karya kar rahi.

us samay meri chahat hoti meri. Main bhogna chahta hoon. Main dekhna chahta hoon. Main sunna chahta hoon. Yahi agyaan hai. Aur main dekhna nahi chahta. Dekhne wale ko main dekh raha hoon. Main drashta hoon. Main inka sakshi hoon. Ye andar gyan prakt hota hai. Tab jab ham pavitra bhojan karen, pavitra aacharan karen aur khub bhagwan ka naam jap karen. Tab hamare andar aisa gyan prakt hota hai. Drishtabhav ho jana jeevan muktata ki yatra hai. Abhi pura nahi hua yatra hai. Aur jab sarvam khalmidam brahm tab purnata hoti hai ki sab brahm hai.

aisa anubhav ho gaya tab wo purn ho jaata hai. Srishti Sharma ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main bade se bade aur chhote se chhote nirnay mein bhi duwidha mein rahti hoon. Isi karan main koi nirnay nahi le pati. Maharaj ji nirnay kaise lena chahiye? Maharaj ji naam jap karo to tumhare andar sukshm bhav ko sunne ki samarth aayegi. Koi bhi nirnay lene ke pehle ek minute shant ho jao aur andar aao. Phir dekho andar awaz aa rahi karo ya na karo. Waise sabko yah baat anubhav hogi. Jab aap galat karna chahoge to ek awaz aati hai andar se.

yah galat hai. Nahi karna chahiye. Par ham log bahirmukh hote hain. Us awaz ko raund karke ham manmani kar lete hain. Sabke andar sakshi paramatma baitha hua hai. Ek bar usse pocho karna chahiye ki nahi? Aur antarmukh hokar suno to uttar aa jaega haan ya na. Par antarmukh hona to bhi aata ho. Abhi to bahirmukh ham ghum rahe hain. Antarmukh hona kahan aata hai? Antarmukh ho gaye to ek second mein uttar mil jaega. Kisi bye se poochne ki zaroorat nahi. Sarvagya paramatma sabke hriday mein virajman hai. Wo uttar dene mein samarth sabko uttar deta hai.

lekin sab log sunkar bhi ansuni karte hain. Uski nahi mante. Apne man ki baat mante hain na ki paramatma ki. Yadi ham maun hokar ek minute shant hokar antarmukh hokar dekhen to hamen uttar mil jaega aur us uttar ka jo palan karen wo bhagwan ko prapt hoga. Usse adharm ho hi nahi sakta. Ye sab koi dekho. Jab aap galat karna chahoge to aapke andar aayega galat hai. Aap bhayabhit hone lagenge. Aap darne lagenge. Lekin aapka man aapko utsahit karke punah galat karya karva deta hai. Aur jab ham phas jaate hain tab kahte yar mere man mein to aaya tha ki galat hai na karun par pata nahi kya ho gaya.

main karna nahi chahta tha. Mujhse mano kisi ne zabardasti kara liya. Yah hai vasna. Durvasan mam sada parikarshati durvasan sadaiv hamko gande acharno ki taraf kheenchti hai aur naam jap satsang shastr swadhyay paropkar ye hamen unnatisheel banata hai hamen age adhyatma ki taraf badhata hai to adhyatmvan bano vishay nahi jitendra ji madhya pradesh se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji viparit paristhitiyon mein shareerik ho ya mansik ho ya bahya ho kaise pareshaan na hokar prasann rahte hue use jhujhe. Maharaj ji jab hamen bhagwan ka aashray hota hai aur bhagwan ka naam jab ham bahut adhik matra mein karte hain to hamare andar ye samarth aa jati hai ki ham mrityu jaise kasht ko bhi hanste hue sweekar kar lete hain.

har samay apne kartavya ka palan karte hue dharm purvak chalne ki cheshta kar rahe hain aur sharir pida kai tarah ki bahut si viparit paristhitiyan sharir mein hai lekin unko kuch na ginte hue ham age badh rahe hain. Kyon? Kyonki bhagwan hamare saath hai aur bhagwan ka naam jap hamare saath hai. Bhagwan aur bhagwan ka aashray yah hamko har samay bal deta rahta hai. Ham usi bal se garjan karte hain. Har samay ham utsahit rahte hain. Kisi ne ek bar pucha ki kaisa utsah rahta hai? To kaha kaise batave aisa samjho jaise naveen ladke ka kisi sundari stri se byah tay ho gaya ho to usko kaisa lagta hai?

wah har samay phula phula ghumta hai. Usse karod guna fulan hamare hriday mein rahti hai. Kyonki Priya pritam ke charnarvind ka aashray liye. To aapka jo prashn hai ki har vipattiyon se ham kaise lad sakte hain? Naam jap aur bhagwat aashray aap khud dekhiyega jab sharir pareshaan hota hai tab gyan nahi sujhta hai. Dhyan rakhna na updesh sunna accha lagta hai aur na updesh dena accha lagta hai. Aur yahan usi sthiti mein updesh ho raha hai. Pratiphal ham tatpar rahte hain. Jaise naujawan aadmi apne kartavya par aise ham kartavya par tatpar rahte hain.

to hamare udaharan se aap apne aap ko balvan bana sakte ho ki hamara bhi sharir panch bhautik hai. Ham bhi manushya hain lekin bhagwan ka aashray liye hain. Radha naam jap karte hain to dahadte rahte hain. Koi pareshani nahi. Bilkul koi dukh nahi. Koi chinta nahi, koi shok nahi. Har samay hamare andar ek naya josh rahta hai. Wo josh tum bhi bharo. Avinashi ke bachchha ho. Jara se dukh mein bil aa gaye. Jara se sukh mein phool ke ahankaar se yukt ho gaye. Ye nahi aise mahan bano ki chahe jitna sukh ave ahankaar na ave aur chahe jitna dukh ave ham kabhi shok se udas na ho jae ham raundte hue dukh ko chale kyonki bhagwan ke bachchha ho avinashi ka bachchha ho ke in vinashi baton par ro rahe ho chhoti chhoti baton par shok kar rahe ho negative baten vichar karke depression mein ja rahe ho ye kya hai are tum bhagwan ke ansh us bhagwan satchidanandmay hai.

us anand ka ansh anand hi hota hai. Ishwar ansh jeev avinashi chetan amal sahaj sukhrashi apne swaroop ko jagao. Jago kahan so rahe ho bhogon mein dekho koi bhi dukh tumhen pareshaan nahi kar sakta. Koi vipatti tumhen chu nahi sakti. Tumhara swaroop hai nain chhin shastraan nain dati pavka na chain klapo na shosh marta agnay astr ki takat nahi ki hamen chhed sake jala sake vayu astr ki takat nahi ki hamen uda sake varunastra ki takat nahi ki mujhe gila kar sake jal mein dubo sake main avinashi hoon sharir vinashi hai ye marega main amar hoon vichar karo tum avinashi ho ke vinashi is sharir ke thodeth thode sukho aur dukho mein bhule pare ho.

jago apne swaroop ko jagao aur anand mein doob jao. Chinta sukh bhay se mukt ho jao. Pratham Gupta ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji yah prashn adhiktar aajkal ke jo college ke student hain unka hai. Maharaj ji jaise aap likh rahe hain ki guru ji main har gaya hoon. Teen sal pehle ek college ka naam likha hua hai. Maharaj ji wahan gaya aur wahan jaate hi ganja, cigret, daru, hukaap sab shuru ho gaya. Maharaj ji abhi aisi sthiti hai ki do-teen bar su bhi kar chuka hoon. Nikalna chahta hoon bat nikal nahi pa raha aur maharaj ji main bahut kamzor ho gaya hoon.

nahi nahi bilkul nahi. Pahli baat to bachchha Vrindavan mein baithkar kasam khao kis nahi karenge. Kabhi ab dobara prayas nahi karenge. Kasam khao pehle tab ham uttar denge. Maharaj ji main kasam khata hoon ki age se aisi koi haan bilkul ab hamare hriday ke vichar ko waise hamse jab koi puchta hai ki sanatan dharm ke liye aapke kya vichar hain? To ham sidhe unko uttar dete hain ki agar dharm ko sthaapit karna hai, samaj ko bachana hai to do hi karya sambhalne honge. Kuch dene se nahi hoga. Rupaye se shanti nahi, usko suvida se shanti nahi, uske vicharon se shanti hogi.

uske vichar shuddh karne ke liye vyasan aur vybhchar do se mukt kara do. Hamari samaj ko dosh se mukt kara do. Vyasan aur vybhchar se hamari samaj aandit ho jaegi. Aaj chhote-chhote bachchon mein aap school mein jahan jis college mein hain aapne to ye vyasan ki keval baat ki. Yah naye bachchhe hamare school ke bachchon mein yah kahan se aa gaya? Ye kahan se gandagi ghus gayi? Yah ham kah rahe hain ki sudharna chahiye nahi. Hamare bharat ke naveen jo bhavishya hain ye sankat mein par jaenge. Aur vybhchar aap dekho na bachchon ki halat kya hai kis karna chahte hastmaithun girlfriend boyfriend ye sab duniya ki jo gandagi chali hai ye hamare sanatan dharm ki nahi hai ye hamare bharat desh ki nahi hai ye vah hai logon ka anuran karke ye girlfriend boy ham kah rahe dosti karo lekin vybhchar kyon karo gandi adte kyon badao aapka jeevan school ka jeevan hai aap hamare bharat ke bhavishya hai.

aap mein se koi emaelae banega. Aap mein se koi phauji banega. Aap mein se koi nyayadhish banega. Aap mein se koi vakalt karne wala banega. Agar aap swayam bhrasht hain to aap hamare desh ki kya raksha karenge? Aap hamare samaj ki kya sudharak vritti rakenge? Jab aap swayam vyasan karte hain, vybhchar karte hain, bhrasht aacharan wale hain to aap samaj ka shoshan karenge, poshan nahi karenge. To hamare bharat ka bhavishya sankat mein hai kyonki hamare bachchhe school mein jakar ke sudhrane chahiye aur wahan jakar ke khud ye bachchha praman hai.

ye to isne vyasan ki ki kitne aise bachchhe ate hain jo vybhchar ki baat karte hain. To vybhchar aur vyasan se hamare bachchhe dur rahe to hamare bharat ka bhavishya mangalmay hoga. Iske liye mata-pita ko bhi prayas karna chahiye. Teechron ko bhi prayas karna chahiye aur dharm updeshkon ko bhi prayas karna chahiye ki ham to ja nahi pate. Hamara sharir svasth hai. Nahi school school mein jakar ke panch minute samay maang karke bachchon ko adhyatma ka updesh dena chahiye. Dharm ka updesh dena. Agar hamara sharir svasth hota aur Vrindavan ki nishtha na hoti to ham ye prayas karte.

har school mein jakar hath jodkar mangte ki hamen 10 minute bolne ka samay dijiye. Ham apne bharatiya bachchon ko sudharne ke liye adhyatma ki shiksha ke vishay mein unko jarur batayen kyonki aadhunik shiksha jeevan ko utthan ki taraf nahi le ja rahi patan ki taraf le ja rahi ab ye bade-bade hostal mein bachchhe rah ke yadi vyasan karenge to ye kya hamare desh ki unnati karenge inko jab paisa nahi milega to mata-pita ke paizon ki chori karenge jab wahan se paisa nahi milega to marenege mata-pita ko agar mata-pita nahi to dusron duson ke saath ye galat harkat karenge.

aaj dekho koi mai bahan agar ja rahi hai aram se sone ki chain pahne to motorcycle se pakar kar nirdai bachchhe aise ghaseete hain ki wo muhn bhara gir jati hai. Usko kya chot lagi usko koi fark nahi hai. 3000 4000 ke sone ki chain ke liye lakho ki keemat wale prannon ko wo koi parvah nahi karta. Kitna nirday hinsak swabhav bana diya nashe ne kyonki usko chahiye usko chahiye to ye jo nasha hai vybhchar hai ye hamare sanatan dharm ki jad ko khokhla kar raha hai isliye mata-pita ticher dharmopdeshak inko chahiye ki ye samaj ka sudhar karen vyasan rahit aur vybhchar rahit dharm yukt adhyatma ki sthaapna karen badi daya kar dhanya dhanya ek chunri lal sanchari balkon ne tayyar ki hai param pujya babu ji param pujya Baba aur divshi shri narad ji maharaj aur yugal sarkar shri Radha Madhav ji jai shri Radha

Madhav sarkar ki jai shri Radha vallabh lal ki jai ye hamare yugal shri Radha Madhav ji aur babuji Baba devrshi jai yugal sarkar ki jai jai jai sacha sunae sir jai ye balak kanhaiya par kal isne mujhe mujhe ek baat kahi param pujya Baba ka tirodhan divas tha to tirobhav divas ke din hi aur balkon ne kaha kuch Baba ko kuch bhavanjli bhaiya aap kuch kahiye to aise hi do panktiyan likh di aur mujhe aansu aa gaye wo bhav aise the usmen kuch ek shabd ek akshar ka prayog ho gaya ki wah nitya yugal chavi ai ji ek Baba the ek bhai ji rasikan yah jodi bhai ji rasikon ko jodi bhai ek Baba the ek bhai ji to jaise thesh shabd ka prayog kiya to Baba bauji to nitya hai sada vartman mein hai sada sarwakal mein hai sarwadesheey hain to the lekin jaise hi ki ham pragat rup se unhen dekh nahi pa rahe aur aise man mein bhav aaya bhai ji mamta murat the to Baba unki surat the ek bap bane ek mai ji ek Baba the ek bhai ji prgate jan nain ke tare the bhai ji mein nand dulare the aur Baba ban Radha ai ji ek Baba the ek bhai ji gita

vatika pe hamne kavitra likha hamare gita vatika pe ham kya hamari bhavdhara mein ham kahte hain puja kamal didi mujhe kahte bhaiya isko ek bar dobara kahiye to ham ham wahan pe mahabhav ras raj swaroop mein yugal sarkar ko mante hain aur in yugal dwai mahapurushon ko inko bhi ham yugal sarkar ke swaroop mein hi mante hain. To kyonki Baba aise kahte the ki kisi ne pucha Baba aapka sampraday kya hai? To kah rahe hamara to chita sampraday hai. Wah kahte the yah bhasm chita ki rakh nahi. Chinmay Vrindavan hai priyatam.

ye Chinmay Vrindavan hai. To hamare man mein ek baat ai ki tirthon ki teerath si faili jag ki rath si prem bhumi batika so kaun anjani hai prem ki dhara jahan par prem hi disha gagan prem hi hai thakur aur prem thurani hai prem ki hisaab sadhna aur prem hi param siddhi usi prem dham ki yah prem kahani hai rasraj jahan prem murat shri bhai ji hai mahabhav prem ko mere Baba Radha rani hai mahabhav prem ko mere Baba Radha rani rani hai. Ab sarkar ye the shabd pe baat ai to is balak ne mujhe kal ek baat pooch li parso ji usne kaha aapke vishay mein baat chali aap kya batau jo Baba babuji ko prem karen aur anayasi aapki chavi aise hriday mein aati hai.

pujya kamal didi ne aise hriday pe hath rakh ke mujhe kaha bhaiya main kya kahun Baba jo kar rahe hain na is samay antar jagat prakt hokar nritya kar rahe hain. Prakt hokar nritya kar. Mujhe lagta hai ki bhumandal mein is samay mein ek aisi leela chal rahi hai. Ek sthan par baithe ek mahapurush ke paas sare sant aa rahe hain. Ye antar jagat ne ek mela lagaya hai. To is balak ne kaha ki bhaiya jab Baba nahi honge to kya hoga? Badha to phir mere man mein bhav aaya man ke unhone bola phir maine kaha iska ek samadhan hai mahapurush kabhi nahi hoge ka to ho hi nahi sakta wo sada sarwakal mein sada rahte hain jaise Priya priyatam shyama shyama waise to aise ek bhav likha maine kal ratri mein maine kaha tujhe iska ek kavitwa mein uttar dunga ki jinki yashogatha sara bhu lok gata unko Bharti mata dharegi shish gahnon mein maa Bharti ke kya batayen jo ab shish ke abhushan sabse sarvshresht hota hai mukut oo jinki yashogatha

sara bhulok gata unko bharatiya mata dharegi shish gahnon mein kahe madhuri sanand hamare Baba Premand hai aise sant nirdwand Sikh hindu bauddha jainon mein aa ha hota nahi ant jinka unko kahte sant rahenge Baba to anant yugo tak rasikon ke bahno mein jab jab rasik baat karenge ras vartaen hogi Baba ki charcha hogi punashcha punashta hota nahi ant jinka unko kahte sant rahenge Baba to anant yugo tak rasikon ke bahno mein sakhi rup dhari phir dikhegi o pyari priy Vadini hamari Priya lal ju ke nainon mein sakhi rup dhari phir dikhegi o pyari priy Vadini hamari Radha vallabh ju ke nainon mein Priya lal ju ke nainon mein to sarkar anant yugo tak jo is marg par chalenge aise ye dhara aur aise sadhak ye sab balak mujhe nahi pata kaun kis bhavdhara ka hai par sab ne poshan paya hai aur saanp Ram sindhugan sajjan dheera chandan taru hari sant sameera kya baat mahapurush kya hote hain ek bar aisa danka baja Baba babuji ke baad wo abhav hriday mein tha ki aisa kaun jo sabko poshe jismen koi kis kisi koi vani

mein na sampraday ka na koi bhedbhav nahi jo priyal ke pyare jo bhagwan ke pyare koi agar shankar mat se chalta ho Radha vallabhi ho shyamanandi ho ramanandi ho bhagwan sabka aise aise sabki bhav ko poshan karne wale sarkar thoda sa isko ek halki si baat mein kyonki hriday bada bhari ho gaya pichli bar ek hansi ki baat kah deta hoon pichli bar ek baat kahi thi ye balak log sab milte hain to kahte jo bhi milte ek bar wo sunana Radha naam tablet maine kaha dekho uske age ka maine ek stainja likha tha us samay to suna nahi paya tha uske age ka bhi suna deta hoon usmen tha asal mein usmen bhav yah tha ki vrinda vipin ke kunjon mein lagi nai nem plet doctor bani hai ek sakhi na zyada koi ret bas bas bhav rakho man mein prabhu ke uske itne bhav wo bantti hai sabko Radha naam tablet wo bantti hai sabko Radha naam teble ab uska age ka bhag kya tha abhineta ho neta ho chahe koi phauj mein abhineta ho koi abhineta ho chahe neta ho chahe koi phauji aae abhineta ho neta ho chahe koi phauj mein jhat se

laga dete unhen ishwar ki khoj mein kar dete hain ilaj sabka ek doj mein kar dete hain ilaj sabka ek doj mein peshent jo jaata hai wahan aata mauj mein peshent jo jaata hai wahan aata mauj mein ye baat hai Priya priyatam yugal sarkar ki kya leela hai to aisi aisi baat hriday mein chhapi hai ham kritkrit hone ek aisi muskan dekhne dur se dekh ke kumudni sarwar base chanda base akash jo jahi ke man base so tahi ke paas gal sarkar ki jai sarkar maine itna samay bol diya ab aapki is shri vani ko sunne ke liye sare balak jai jai ham to bas itna kahenge ki bhagwan se hamari pahunch nahi hai wah avyakt hai.

kan-kan mein virajman hai aur antarjami rup se sarvatra sabke hriday mein bhi virajman hai. Phir bhi ham chinta, shok, bhay aur dukh se aaj tak dur nahi hue. Lekin jab unhin bhagwan ne kripa karke sant rup dharan kiya. To hamare chinta, shok, bhay, dukh sab dur ho gaye. Bhagwan swayam gita ji mein bole utna labh nahi hua. Lekin jab usi gita ji par sant jan bole to karodon ka labh ho gaya. Arabon log asankhyo log bhagwan ke bhakt ban gaye. Jaise pujya bhai ji ki vani bhai ji hi virajman hai. Pujya Baba ki vani Baba hi virajman hai.

pujya Swami ji ki vani Swami ji hi virajman hai. To ham logon ko chahiye ki idhrudhur chittritti na dete hue aaj tak kabhi bhai ji ki vani mein ek bhi shabd mein hamen yah mehsus nahi hua ki aisa kyon likha? Ek shabd mein matlab atha vani hai, agad vani hai. Lekin ek bhi shabd mein aaj tak ye prashn nahi utha ki bhai ji ne aisa kyon likha? Bilkul sateek shastr aur bhagwat vakya swayam bhagwan baithkar sampadn karte the. Ye koi jaan nahi paya. Yah koi jaan nahi paya ki apne hi dharm ki raksha ke liye bhagwan jaise kahte hain yada yada dharmas glanirbhat bharat to swayam bhagwan baithkar sampadn karte the aur un bhagwan bhai ji dwara bhagwan bhai ji dwara ki hui jo sampadn ki vani hai aaj bhi hazaron lakho karodon sadhako ko shuddh marg dikhayee de rahi jahan pakhand ka jal bichhta hai jahan vivid sampradayon ke jal bite hain.

wahi un jalon ko tod ke sidhe Priya pritam se milane ke liye bhai ji ki vani aur Baba ki vani hamko idhrudhur kahin bhatakna nahi hai. Bas jo rasta bhai ji ne dikhaya jo pujya Baba ne dikhaya jeevan usi ko samarpit kar diya aur usi usi ka prabhav hai. Pujya babu ji aur pujya Baba ji inki vaniyo ne hi hamare jeevan ka parivartan kiya. Hamare jeevan ko ek naya rasta diya. Hamare us raste mein swayam hath pakar kar chale aur jahan pahunchana tha hath mein hath dekar ke aur jab dekha to jo hath pakde the wahi jinme hath diya wahi hai.

dusra koi hai hi nahi. To hamen bhagwan se bhi zyada jo bhakt swaroop bhagwan ne dharan kiya usko aadar dena hai. Kyonki bhagwan sarv antarjami rup se hriday mein rahe. Lekin ham kabhi sukhi nahi hue. Kabhi ham chinta shok se rahit nahi hue. Kabhi ham kam krodh ki jwala se jalte hue shant nahi hue. Lekin jab ham in mahapurushon ki vani ka aashray liya to taal thok karke nikal gaye aur ye sab dekhte rah gaye. Jahan ham jalte the wahin ham anand purvak nikal gaye. To mahapurushon ki vani ko chodna nahi. Mahapurushon ke charan ka aashray lekar ke ham bhagwan ko bhi adhin kar sakte hain.

bhagwan ko bhi adhin kar sakte hain. Kyonki bhagwan ka ek naam premadheen hai. Bhaktan pache yu phire bara sang bhagwan kitna pyar karte hain. Ismen hamara kuch nahi hota. Sirf unki karuna hoti hai. Sirf unki kalikaal ke kuchal mein man ko sansaar se hatakr bhagwan mein lagana bahut durlabh baat hai. Par wo khinch lete hain. Kab khinchte hain? Jab koi mahapurush ka aashray le liya jaata hai hamari baat ganth bandh lena bhagwan usi ko ghaseete hain jo mahapurushon ka aashray leta hai aur jo swayam sadhna karta hai uska phal hoga use mahapurush milna aur jab mahapurush ki kripa hogi tab bhagwan usko sweekar karne aaj tak kisi ko bhi sweekar kiya ho swayam se to hamen batana uske beech mein kisi mahapurush ka kripa prasad hoga agar Prahlad ji bhaktaraj hain to devrshi narad ji ka varad hast hai.

agar dhruv ji atal padvi mein hai to devrshi narad ji ka varad hast hai. Aise jagah-jagah bina mahapurush ke koi bhagwan ka ladla nahi ban sakta aur bhagwan ki apaar kripa baras rahi hai. Priya pritam aise ras barsa rahe hain. Bas hamen aise pina hai. Ham aise hain. Mahapurush jan zabardasti karke aise kar dete hain. Tab ham pan kar pate nahi. Ham pan karne bhi chalte hain to aise pan karte hain. Aham yukt aur ye aham se pan nahi hota. Ye dainya se pan hota hai. Wo dainya aham ka nash sirf mahapurush jan karte hain. Tniki sangati rahat jat kul mad sab unki vani sunte hue unka sang karte hain.

unke darshan matra se hamara ahankaar galit ho jaata hai aur bhagwat prem ka pradurbhav ho jaata hai. To sadaiv mahapurushon ki vani ke aashray rahe aur naam hamara jeevan hai. Brahm Ram te naam ba vardayak vardan is baat par vichar karna chahiye. Ram charit shatak koti liye Mahesh ja jaan 100 karod ramaynon ka avgahan karke devdhidev bhagwan shankar ne yah hriday mein paya ki brahm Ram te naam brahm Ram se bhi badhkar ke unka naam hai aur jo naam hai agar us naam ko sweekar kar le to vardayak vardan ham naam ke bal se hi apne acharya ko ashirwad dete hain apne ladli lal ko ashirwad dete hain.

vardayak vardan naam aa gaya to hamen itni samarth de di. Itna dular de diya ki apne Priya pritam ko bhi chir jeewo bhutla chir jeewo bhutla hajori unko ashirwad dete jaise Harivansh vipin bhutla par santat avichal jo ladli jo tharo avichal raho jo suhag aapka sab suhag chal to ye vardayak vardan bhagwan ka naam var dene walon ko bhi var dene ki samarth pradan kar deta hai. Isliye ham sadaiv do hi baat hai. Mahapurushon ki vani ke adhin rahe aur unke dwara pradatt naam unke dwara pradatt naam sadaiv hamara jeevan bana rahe.

hamari jibhya pe bana rahe. Hamare hriday mein bana rahe. Hamen aur kuch nahi chahiye. Isi se sab kuch prapt ho jaega. Isi se sab kuch prapt ho jaega. Shri ladli lal ki jai. Jai jai jai shri Radhe sarkar aapka swasthya bahut pratikul hai. Aisi avastha mein aap itna shram kar rahe hain. Yah baat hriday mein aisi lagti hai ham yah dharti mata aur yahan pe jitne is is samay is sansaar mein jo log hain jo dekh rahe hain raste mein jinhone Ram ji ko dekha aur Ram ji ne jin din ko dekha jo Baba ko dekh rahe hain aur Baba ji ne dekh rahe hain adbhut leela ho rahi hai antar jagat ka adbhut aisa pyar lutaya ja raha hai aapke madhyam se Baba ham yahi chahte hain aap svasth rahe aap svasth rahe waise jaise shareerik kasht aur pida ye hamen parast nahi kar pati.

maharani ji ki daya hai. Hamen naya utsah naya bal ek naya tej unke pyar ke age kuch rahe. Anant logon ka bal aapse aapse anant ka bal hai. Jai jai. Yugal sarkar ki jai. Aap bahut karuna karke aae ho. Priya pritam ke prem ras ka ek kinka mil jae. Bas yahi asha hai aapke upar to bhai ji ki apaar kripa hai. Apaar kripa hai. Aapki aapka aise hath pakdna aur aise ye bhai ji apaar hai. Jai jai jai shri Radhe. Jin charnon ke niche panwe pe hue bade ham hue khade un charnon ki hi chhaya mein rajragi mein rahe pare jin charnon ne ham deenon ko Radha jo kada sat diya ve hi shat dal charan hamare hriday patal par rahe jade hriday patal par rahe jade hriday patal par rahe jade ve hi shatdal charan hamare hriday patal par rahe jade ham to hamare hamare bhai ji ke bhai ji hamare hain ham to hamare Baba ji hain.

Baba bhi hamare hain. Jai babu maa jai babu ji ki gunj rahi dhvani mein ve hi bhai ji Baba aradhya hamare jeevan hain. Shri ladli lal ki jai. Yugal sarkar ki jai. Jab dard vyasan aur vichar in do par ankush nahi hoga tab tak dharm ki raksha kar pana bada kathin hoga. Aaj hamari naveen pidhi do par phisalti ja rahi hai. Vyasan nasha aur vybhchar koshish karo. Naveen pidhi ko adhyatmik shiksha mile jisse vyasan aur vybhchar se mukt ho to hamara samaj nirdosh aur nishkalank ho jaega. Bas yahi hamari maharaj ji aapke darshanik jo aapke vichardhara jo adhyatmik gyan hai mere jaise na karodon logon ke jeevan mein parivartan la raha hai aur vastav mein aapse darshan karne ke liye pura desh hi lalayit rahta hai 80 sal se ham sab bhai bahan seva mein lage hain desh ke ek chhota sa prashn aapse man mein bahut din se vichlan hai.

man lijiye koi sakratmak bhavna se aur ek nirantar achhche kam mein laga ho aur usko rukavat mil jae to use kya karna chahiye? Use apni sakratmak bhavna ko pusht karke rukavat ko raund karke age badhna chahiye. Kyonki hamari sakratmak bhavna mein dum hai. Aur rukavat hoti hai negative. Hamari negative vritti itni ham par havi na ho pave ki ham udas nirash hatash ho jave. Hamen apni sakratmak vritti itni badhani chahiye ki use ham agle kadam mein use parast karke age nikal jae. Hamen bhagwan ka bharosa aur apna prayas sakratmak soch iske bal se usko parast kar dena chahiye.

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itna to kabahu hasi de itna kabahu hans de sunhu kripalu kishori Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe avasi kripa ki kol chitt itnon to abhu has ho

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…