sharir-sansaar ki asakti manushya ko kaha le jati hai ?/ du:kh kyon ate hain ? Unse bachne ki yah baat samjh lo !
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hrid pitam madhupte smarta mugam nirvai param shital maya nirvapay param shital masya param sacchidanand ghan Premand swaroop navnit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal chandra pran aradhya shri Priya pritam jo samasth hit parikkar nij parikkar upasak ki vritti ko akarshit karke sansaar ko satya bhashit karana anubhav karana yah maya ki prabalta hai. Bahut dhyan se shravan karna. Jab hamari buddhi maya grasit hoti hai to apna sharir dusron ka sharir nana prakaar ke bhog shariron dwara kiye hue vihaar anukul pratikul yah sab satya lagte hain.
isi ke prabhav se hamara yah janm maran ka chakra chal raha hai. Isi ke prabhav se ham nana prakaar ke dukh aur bhramtmk sukh ka anubhav kar rahe hain. Na hote hue bhi bade kripa patr hain jinko satsang mila aur unhone buddhi se nischay kiya ki yah sansaar keval mukt hone ke liye mila hai. Ismen sabke hriday mein chahe jad ho ya chaitanya ekmatra prabhu virajman hai aur hamen jo bhi seva samgri mili hai buddhi mila hai bal mila wah sab ham ghar parivaar samaj ko bhagwat swaroop mankar seva karenge koi bhi papacharan nahi karenge nirantar naam jap karenge bas yahi se aapki wo unnati prapt hogi jo anant anant janmon mein aap prapt nahi kar paye.
yah sab to bahut bar aap prapt kiye hain. Nana prakaar ke bhog, padvi, aishwarya, vilasita yah bahut janmon mein prapt kiye hain. Par abhi tak wo prapt nahi kiye jisko ek bar prapt karne ke baad phir kuch prapt karna baki nahi rahta. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain vrindanya mag pushp niv dhanyag hrida dharm praptavat toh kuyo yadi madhav ta chintamnimev pad hatibhar duram nirasya swayam hastagre patti swapak bhavne bhakshaya braah he bhai ye anant shobha se sampann mahmmahim samasth kamnao ko purn karke prem ras pradan karne wala Vrindavan dham hai.
ladli ji ki kripa se yadi aapko yahan ane ka saubhagya mila, darshan karne ka saubhagya mila, kuch samay vyatit karne ka saubhagya mila to is saubhagya ko vyarth mat jane dena. Vyarth jane dene ka matlab hai ki jo divyta hamare jeevan mein ani chahiye wah ani hi hai kyonki mujhe Vrindavan dham ane ko mila satsang sunne ko mila hamare upar ladli lal ki kripa ho gayi to ab agar ham sahi marg par nahi chalte to shripad kah rahe ta chintamani mein padwi duram niras swayam swayam kripa se prapt hui chintamani ko thukra karke kanch batorne mein lag gaye.
yadi aapko satsang mila aur aapne apni buddhi se satya vastu ka nischay nahi kiya, bhajan nahi kiya, aacharan theek nahi kiye to iska matlab hai chintamani to mil gayi par aapne thukra diya use aur bator kya rahe hain? Kanch. Arthat bhajan chhodkar bhagwat aashray chhodkar vishyon ka aashray rakhkar papacharan karna mano ham chintamani ka tyag karke chintamani hai naam chintamani hai dham goswami ji kahte hain payo naam char chintamani u karte na khas ho bahut kripa hui mujhe Radha naam mila ab bhulenge nahi Radha Radha Radha Radha Radha yadi ham pramadwash bahut pramad hai.
aap dekh lijiye prayah satsang mein naam ki mahima dham aashray ka prabhav satsang ka prabhav varnan kiya jaata hai. Par ham apne man ko yah abhyaas nahi dila pa rahe ki har kshan wo naam [gala saaf karne ki aawaz] ka manan karen, chintan karen. Bilkul ghanton naam ko bhul jaate hain aur koi pashchatap nahi hota aur ham vairagi kahlate hain, sadhak kahlate hain, bhakt kahlate hain, vaishnav kahlate hain. Aap vichar karke dekhiye kya vaishnavta hai. Tad smaran param vyakul teti aradhya dev ka thoda bhi vismaran ashniya ho jana chahiye.
tabhi jeevan ki divyta prakashit hoti hai. Yadi aap naam par mahatva nahi de pa rahe to kam ka mahatva hateega hi nahi. Nana prakaar ki bhog vilashaen, abhilashaen, kamnayen, spraha yah aapke hriday ko jalati rheng. Durvasan mam sada parikarshati. Yah durvasan hamko sada khinch karke papacharan karati hain. Agar tumhen kheenchne se bachna hai to mahabali naam hai jo bhagwan ko bhi adhin kar leta hai. Phir ye kamad dosh rahitam kur mansam yah sab naam mein samarth hai. Shripad kah rahe hain yadi tumne jo kripa hui hai isko thukra diya to phir aisa samjh lo ki kalptar ka aashray chhodkar chintamani ko thukra karke nich purushan se apni kamnao ki purti chah rahe ho.
bahut savdhani ki baat kah rahe hain. Are tum prabhu ke ansh ho. Tumhen bhagwat aashray lene ke liye manav deh mila hai. Pashu thodi bhagwat aashray le sakta hai. Pashu thodi naveen karm kar sakta hai. Tum mein wah samarth hai ki tum bahut uttam karm karke bhagwat samarpit hokar mukt ho sakte ho. Bhakt ho sakte ho. Premi ho sakte ho. Jeevan ko maha sukh mein nimgn kar sakte ho. Dheyam praptavat hi kuyo yah tumhari buddhi hi dhey se lakshya se aapko hata rahi hai. Bahut janmon se yah apne param laksh param pritam prabhu se dur kar rahi hai.
yadi madhav kab tak tum bhagte rahoge is dusht buddhi ke ishare mein? Dhyan dijiye. Kab tak bhagte rahoge is dusht buddhi ke ishare mein? Ismen sukh hai. Ismen sukh hai. Ismen sukh hai. Are agar sansaar mein sukh hota to bahut janm ho gaye. Hamko mil gaya hota. Ya isi janm mein hamen kahin na kahin tripti to ho jati par nahi vasna ki aur baadh aa gayi hai aur trishna aa gayi hai kahin shanti nahi mil rahi wo shanti jab ham bhagwat aashray lenge bhagwan naam jap karenge papacharan ka tyag karenge tabhi prapt hone wali hai.
shri bhagwan gita ji mein kah rahe hain ki yadi aap keval apne liye kamate hain. Bahut dhyan dene yogya vishay hai. Apne sharir ke sukh aur bhogon mein hi lage rahte hain. Aap na to gurujanon ki seva karte hain. Pujya janon ki na bilkul samaj seva aur apni vasnaon ka poshan karna hai. To bhagwan kah rahe hain bhaten evsa wo chor hai use dand milega iski charcha pragat mein kal bhi hui thi thoda parso bhi hui thi bilkul satya samjh lijiye aap kahoge ham kamate hain ismen kya kisi ka adhikar hai to aap kamate ho agar hamari bharat sarkar ki jankari se alag us paise ko rakhte ho kar nahi dete ho to to aap chor ho aapka paisa jabta ho jaega aur aapko saja milegi aise hi yah jeevan ishtan bhog deva daste yagya bha dattan prada yote vasa tumhare paas jo sharir hai jo antahkaran buddhi hai jo bahari samgri hai wah bhagwan ki di hui hai tumhen jo parivaar mila hua hai use bhagwat bhav se uski seva karo.
swayam bhogne ke liye nahi mukt hone ke liye tumhen manav deh mila hai. Uchit dharm ke anusaar vishay ka sevan karte hue parivaar ki seva aur jitna ban sake jab kabhi koi seva ka avsar mile samaj ki to usmen piche mat hato. Dhan se, buddhi se, bal se jo bhi avsar prabhu ne diya hai, seva khojni nahi hai. Swabhavic jo tumhare samne seva aa jae yadi aap nahi karte hain keval apne liye karte hain to kya karen? Yo bhaten sten evsa sten mane chor. Wo chor hai. Use sarkari dand milega. Bharat sarkar ki jaise vivid ejensiyan hain.
jankari karke phir aapko bandi bana lenge. Aise hamare bhagwan ki hai agni devta vayu devta bhumi bahut aise devi shaktiya hai aapko nasht kar denge aag lag jaegi aapke ishwar mein aag lag jaegi aapke sharir mein jal jaoge jinda kyon kyonki aapne papacharan kiya aapko jo sharir mila aapko jo samgri mili wo mukt hone ke liye mili thi aap bhokta ban ke Swami ban ke aparadh kar rahe ho sarkari vastu par aapka adhikar nahi yah sharir bhi aapke adhikar ka nahi. Isse uchit karm karane ki chhut di gayi hai. Anuchit karoge to uska dand milega.
shri bhagwan kah rahe hain he arjun yagya shishta santo mute sarv kil vishay bhanjte te tagam papa ye pachatyatma karan jo apne kartavya ka palan nahi karta hai ye sab shastron ki sar baat hai aapko jo kartavya mila hai usko sangopang palan kijiye. Alag se aapko bhagne ki zaroorat nahi hai ki main sansaar ko chhod du. Ekant mein jakar ke bhagwat prapti kar lunga. Asamabhav kahan jaoge? Sansaar mein hi rahoge. Gufa mein bhi jaoge to bhi sansaar hai kyonki sansaar tumhare hriday mein basa hua hai. Bahar ka sansaar utna vikshep nahi deta jitna hriday ka sansaar vikshep deta hai.
antahkaran mein sampurn chittakash mein na jane kitne janmon ka sansaar bhara hua hai. Yah bhutakash se ekant ki aap sthiti kisi gufa mein kahin ekant chale bhi gaye par andar ka prapanch wo ekant nahi mana jaega. Yahan bhagwan adesh kar rahe hain. Apne kartavya karm ko dusron ka adhikar ki raksha karte hue karo. Jaise mata-pita hai ab vridh ho chuke hain. Unke sharir ki seva hai. Aapko seva karni aur unke adhikar ki raksha karni hai. Wo aapko katu vachan bol sakte hain. Wo aapka tiraskaar kar sakte hain. Unka adhikar hai.
aise hi agar ham pure parivaar ka samaj ka jahan kartavya ave usko karke unse anukulta na chahe prashansha na chahe man na chahe yahi aapke sare papon ka nash kar dega mute sarv kilwishay ye bhagwan ki baat hai kilwish mane aparadh paap malinta koi usne naya sadhan nahi kiya bhagwat bhav se kisi ki seva mili nishkam bhav se kar diya mere prabhu iske hriday mein virajman hai bas wah hamare prati kya karta hai uska kya kartavya hai yah sadhak nahi dekhta sadhak dekhta hai aisi bhi paristhiti mein mera kya kartavya hai wo samasth papon se mukt ho jaata hai yadi aisa nahi keval apni vasnaon ki purti ke liye pujya janon ka apman keval apne ka bharan poshan rasd Jnendra aadi ka poshan karne ke liye dusron ka shoshan to kahte hain bhanjte tagham papa wo papi jan keval paap ka bhakshan karte hain.
ye pachatyatma karan wo papi log mahan dand prapt karte hain. Ye sarvlok maheshvar jagatguru bhagwan shri Krishna chandra jo kah rahe hain jo apne kartavya ka palan nahi karta aur papacharan kar raha hai. Dekho jab tak aap bhajan nahi karoge to aapki buddhi yah nirnay nahi kar paegi ki aap paap kar rahe hain. Koi galat kahega to aapko krodh aa jaega. Aapki buddhi apvitra hai. Isliye aapko lagta hai main kaun sa paap kar raha hoon? Kama raha hoon, kha raha hoon, apne parivaar ka poshan kar raha hoon ya koi paap kar raha hoon.
to aap kaho sarkar se ki maine kamaya, maine vyapar kiya. Mera paisa hai. Mehnat ka paisa hai. Main koi paap kar raha hoon. Tumhari koi sunega? Kar nahi diya. Cura ke rakha. Ab tumhen dand milega. Paisa bhi japta ho jaega. To ye sharir jitni bhi samgri tumhen ek swatantrata di gayi hai. Tum bura se bura kar sakte ho aur achhche se accha kar sakte ho. Bure se bure ka bahut bura phal hai. Achhche se achhche ka bahut accha phal hai. Aap kya chahte ho? Ye aapke liye chhut hai manushya sharir mein. Aapko roka nahi jaega.
aap papa aacharan kar rahe hain. Bilkul nahi roka jaega. Wahi jo aapko shakti mili hai. Jab aap asat aacharan mein chalenge wahi aapko bal degi. Aapke andar jo shakti hai aap achhche aacharan mein chalenge wahi aapko power mile. Aapko power mil gaya. Ab aap use bura karte hain ya accha ye chhut hai. Parinaam aapko milega. To jo papacharan karte hain. Papacharan kise kahte hain? Theek baat samjh lo. Papacharan ka koi ek vishesh rup nahi hai. Dharm ke virudh, shastragya ke virudh aacharan karna aur jo jeevan ka lakshya hai samaj seva, rashtr seva, parivaar seva, bhagwat seva aur naam jap karte hue jeevan vyatit karna.
agar ye nahi kar rahe hain to kuch bhi kar rahe ho. Tum aparadhi mane jaoge. Kyonki tumhare ko bhagwan ne kripa karke manav jeevan bhagwat prapti ke liye diya hai. Uttam yoni yah mahan mukt hone ke liye mili hai. Ye keval bhogon ke liye nahi mili. Yas dehas shaan bandhas durmati dhravan mante moh ga kshetra ye jo bhagwat vimurkh jeev hai inki badi durgati hoti hai. Kaise janoge ki aap bhagwat vimurkh ho? Pehchan kaise hogi? To bata rahe hain yah bhagwat vimurkh jeev bas keval indriyon ki sukh ki abhilasha karte hain.
bahut dhyan se sunna. Yah dekh lun, yah sungh lun, yah chu lun, yah bhog lun, yah kha lun, yah pahan lun, aisa ghum lun, aisi vilasta bas itna hi chakra chalta hai. Jo jo main chah raha hoon kaise prapt ho? Wo dhan se prapt hoga. To dhan kaise prapt ho? Ab jaise prapt ho dhan. Yah hai papachari bhagwat vimurkh purush ke antar ki vritti. Yah log keval sukh ki abhilasha se vicharte rahte hain. Arthat andar ka chintan aur bahar ki kriyaen keval indriy jan sukh, atma sukh, bhagwat sukh, nitya sukh iska to prichay hi nahi hai.
yah bade se bada kasht uthte hain dhan prapti ke liye. Aur dhan bhog samgri ke liye. Iska karan hai yah mand buddhi apne swaroop ko bhul gaye bhagwansh ko aur is nashvan sharir ko apna swaroop man liya aa janturwa bhavtasmin yam yam yoni Manu brajet tasyam tasyam chalte nivatt na virajte wo kya is sharir pe aham ho jane ke karan iske sambandhi ko apna manta hai. Keval jo sambandhi ghar, khet, dhan, vastu jo jo bhi unko keval apna manta hai aur nitya manta hai matlab avinashi manta hai. Ye sab bana rahega kyonki buddhi bhagwat vimurkh hai.
is sansaar mein jo bhi aap bade se bade kasht sahakar ekatrit karenge ek samay aayega kal bhagwan sabko nasht kar denge kuch bhi tumhare saath nahi jaega par mandbuddhi hone ke karan yah sanket use samjh mein nahi aata ki balyvastha gayi jawani aa gayi wo bhi vriddhavastha ki taraf ja rahi iske age ki avastha ka naam mrityu hai wo nahi samjh raha hai is sansaar mein yah jeev jis sharir mein janm leta hai, usi usi ko pakar leta hai. Main aur usi mein sukh dhundne lagta hai sharir mein. Chinti bhi pryasrat hai pet bharne ke liye.
chinti bhi apne sukh ke liye bhayabhit jara sa aisa karo bhayabhit hokar bhagegi. Har jeev sharir ki raksha aur is sharir se khub bhog bhogna arthat jine ki asha aur nashvan bhogon mein sukh khojana. Wo kabhi yah soch hi nahi pata hai ki ye sharir mujhe kuch samay ke liye mila hai. Dekho kaisa lag raha hai. Main sharir hoon. Aur main yah kar sakta hoon. Maine bhoga, main bhog sakta hoon. Bas yahi ganit andar chalti rahti hai. Yah bhagwan ki aisi vichitra maya se mohit ho raha hai ki narak jaise bhogon mein sukh khoj raha hai. Narak jaise bhogon mein yah dwaar jo sharir ke hain malmutr ke dwaar hain.
andar sab malmutr gandi vastue bhari hai. Keval ek baat ke liye shreshth hai manav jeevan Radha Radha Radha apne kartavyon ka palan ab wo jis yoni mein jaata hai wahan ke bhogon ko amrit manne lagta hai. Jaise vistha ka kida hai uske liye vistha amrit hai. Nali ka kida uske liye wahi sukh hai. Wo wahan ke sukho ko kabhi nahi chodna chahta aur un shariron ko nahi chodna chahta. Chahe jis yoni mein jae jaise dekho apne log is sharir mein kitna bane yah murkhta vishesh rup se manushya mein jagrit hoti hai kya sharir ke liye sab kuch karna apne sharir ke aur wo udhar ke liye rakhi gayi thi aur usne usi buddhi ka durpayog karke patan kiya ab wo itna aasakt ho gaya stri sharir mein purush sharir mein putr mein ghar mein, pashu mein, dhan mein, bandhu bandhon mein, rishte natedaro mein ki wo yah bhul gaya ki mujhe jana hai yahan se aur akele jana hai.
ye baat wo manorthon mein, sambandho mein apne ko bhagyashali man ke wo itna harshit ho raha hai. Putr hua khub utsav mana raha hai. Aur jab putr bada hua, bhajan to kiya nahi. Adharmacharan se dhan ekatrit kiya tha to unhee ko ghar se nikal diya ya unhee ko vishesh dand vishesh klesh ab wo unhin par moh karke wahi ro raha hai usko ab bhi rasta nahi dikhayee de raha ki Govind hai na bhagwan hai na ek bar to bhagwan ne ham par kripa karke mano de diya main fas gaya tha aaj mere netr khul gaye mera koi nahi ab main bhagwan ka aashray le lun par nahi wo unhee mein aasakt hokar kar unhee ki chinta karke unhee ke sang ke liye rota hai jalta hai.
agar kisi se nivedan bhi karta hai to yahi ki wo mujhe rakh le wo mera bharan poshan kar le. Use yad nahi aata Vishvambhr bhagwan samasth jagat ka bharan poshan karne wale mere ko avsar diya tha bhagwat prapti ka aur main bhul gaya. Chalo mujhe koi pyar nahi karta. To bhagwan ki kripa hui ki mujhe marg mila bhagwat sharanagati ka. Aisa nahi durvasan itni badh jati hai ki avastha to budhi ho gayi hai par ab bhi wo unhee bhogon ko bhogne ke liye phir papacharan ki vritti badhata hai ye nahi sochta ki meri avastha dhal gayi age mrityu ane wali hai kuch kama le bhagwan naam jap bhagwat aashray bhagwat dham yatra bhagwat bhakton ka sevan sang agar usmen thodi bhi cheshta hai to paap hi sochta rahta paap hi karta rahta hai.
bilkul aisa hi hai. Jab tak bhagwat aashray nahi to ye indriyan ye man usko raundte rahte hain. Chahe sharir ki koi avastha ho. Wo dhan ke dwara sharir bechne wale janon ka ekant mein pradarshit kiya hua bhog sukh. Wah sarvopri sukh manta hai. Apne aap ko mitata rahta hai. Yah shastr hai. Aapke andar ki vritti jo chal rahi wo mahapurush jan likhe. Chhote-chhote balkon ki mithi mithi baton mein itna man phas jaata hai ki usko yah aata hi nahi ki main ab rag rahit hokar bhajan karun. Ab indriyan aur man itna fas jaate hain ki yadyapi uska parivaar usko pida pahunchata hai.
katu vachan bolta hai. Tiraskaar hota hai. Par wo moh ke karan usi mein lipt hokar rahna pasand karta hai. Mukt hone ka marg nahi. Pura sansaar use sukh mankar bas yahi chintan chalta rahta hai. Aisa sharir dhari purush hinsavatti vybhchar chori ismen bilkul nahi sakuchata. Wo in upayon dwara apne parivaar ka poshan parivaar ki priyata prapt karne ke liye aisi cheshta karta hai jinke parinaam mein use ghor nark milta hai. Kutumb bharna kalpo mand bhagya shiya vihin kripno dhas mudhi wo apne parivaar ke moh mein jalta hua tiraskrit hokar usi ghar mein rahta hai.
jo kuch mil jaata hai wahi kha ke apne samay ko nasht kar raha hai. Bar-bar wo aisa purush praytn karta hai ki mujhe pyar mile par yahi sansaar ka nahi milta. Lobh kam yah sab badh jaate hain. Mand bhagya koi praytn uska safal nahi hota. Wo rota hai, chintit hota hai, apne kutumb ke prati vishesh mamta rakhta hai aur unhin ke dwara uska apman hota hai. Tab lambi lambi sanse chhota hai. Koi to mera sahyog kar de. Iske is asmarth avastha ko dekhkar na uski patni na putr aur na koi rishte natedar koi bhi use pyar nahi karta.
jo uski maang hai. Jaise kisan budhe bail ko wo pyar nahi deta jab wo hal jotta tha to achhche-achhche padaarth milakar khady padaarth use chara dete the hara hara chara aur balishth na aad mila ke lekin jab budha ho gaya hal jotne layak nahi raha to usko chara jante ho ganv mein kaun jab sab janvar kha lete jo bachta hai wo dal diya jaata hai khae khae nahi mar jae kyonki ab kam layak to nahi raha to kah rahe hain ki evam swabhna kalpam tat tatha nagte yatha purwam ki nasa i gojam jaisa pehle use pyar milta tha nahi milta wo usi pyar ke liye rota hai lekin jaise kripan kisan budhe bail ki upeksha kar deta hai aise rishte natedar parivaar sab wo sochta hai koi to akar hamse baat kar le koi baat nahi karta phir bhi use bhagwan yad nahi ate yah durdasha hai jo apne kartavya ka palan nahi karta, papacharan karke dhan kamata hai, bhagwan se vimurkh hai, uski baat ho rahi hai.
use phir bhi bhagwan yad nahi ate hain. Jisne pure jeevan bhar kama karke jinke liye wahi uska apman tiraskaar usko dukh dete hain. Yah karm hai. Ham dosh dete hain putr dosh dete hain bahu dosh dete hain parivaar yah karm hai tumhara tumhara karm hi unki buddhi mein baithkar tumhen dand baad mein rote beta aisa kar raha hai tumhara kartavya kya tha bete ke liye bachpan se use agar dharm shastron ki shiksha dete use satmarg mein chalate uski pavitra buddhi ka marg batte kabhi aisa nahi karta lekin aapki hi buddhi pavitra nahi thi vasnaon mein nana prakaar ki moh jal mein fansi hui to uska dand milega.
vriddhavastha ke karan uska rup bigad jaata hai. Bahut dukh hota hai usko. Kitne log hain pura jeevan keval apne sharir ko bigdne na pave. Aise aise upay sarjari aadi ke dwara bhi ab gal mein bilkul lalima nahi rahi. Phir bhi upar se lalima lagana. Kyonki hamko apna rup bachega ye rup. Mitti mein mil jaega. Ye panchbhuton se bana hua hai. Koi sacchidanand rup nahi. Hosh mein asliyat dekho aur isse rag chodo. Kaisa kaisa nikrisht sharir hai yadi bhajan na ho. Garmiyon mein kabhi-kabhi pasina se aise yahan se yahan se aise badbu aur niche to badbu ke sthan hai.
kaun sa ismen sundarata hai. Chamdi thodi chikni hai. Usi ko dekhkar garv kar rahe ho. Wo tumhara rup hai nahi. Ye mayakrit hai. Ek din nasht ho jaega. Wo vriddhavastha ke karan rup bigad jaata hai. Sharir rogi ho jaata hai. Pachan tantr mand par jaata hai. Na koi purusharth ho pata hai. Na bhojan pach raha hai aur akankshaen waise hi sab. Ab usko jo jalan hoti hai wah usi ka hriday janta hai. Yah baat andar ki dekho bhog bhog nahi pa raha bhog bhogne ki prabal ichchha hai. Nana prakaar ki bhog samgri pane ki ichchhae agni mand par gayi hai.
ab rup uska bigad gaya hai. Sharir mein samarth nahi. Koi purusharth karne ki yogyta nahi rahi. Wo baithe-baithe jalta rahta hai. Marnonmukh ghar mein para stri putra aadi ke dwara apman purvak diye hue tukdon se jeevan nirvah karta hai. Anand satya marg mein chalne se milta hai. Dharm purvak aacharan karne se milta hai. Bhagwat aashray se milta hai. Naam jap se milta hai. Papacharan se nahi moh mamta se nahi. Mrityu ka samay jab ane ko hota hai to bhayanak uske andar kasht prakt hota hai. Janmat marat dusa dukh hoi apne log bhi bahut bar mar chuke hain par maya ka aisa khel wo vismaran kara deti hai.
jaise isi sharir mein kitni peedaen hui vismaran ho gaya. Vayu bigad jati hai sharir ki. Shas prashwas ki nalikaon mein vayu use bhishan kasht dene lagti hai. Kaph avrudh hone lagta hai. Bada bhari kasht milta hai jab uske pran nikalne ka samay hota hai. Kanth mein ghurghurahat hai. Shwas theek se li nahi ja rahi kyonki kap avrudh kar raha hai. Nas nadiyon ko. Koi bhi use pyar nahi kar raha. Para bistar pe netron se dekh raha koi to mujhe dhandas batae koi pyar de sacha sacha vishay hai dekha hai ye ab bhagwan ka to smaran jeevan mein kiya nahi to usko lene ke liye bhayanak yamdoot ate hain jinke darshan matra se shauch laghu shanka nikal jae aise bhayanak hote hain jo mul purush indriyon se keval apne hi bharan poshan mein laga raha.
dusron ka shoshan karke wo sab ki taraf dekhta hai. Koi pyar, koi bchane wala, koi dukh nivitti wala nahi. Aur yamduton ki mar bhaykar padti hai aur unka sharir se jeev ko nikaalkar ek yatna deh hai. Jaise sthul de, sukshm deh, karan deh. Aise dand bhogne ke liye deh milti hai. Jaise jab aapko jail milti hai to aap apne kapde nahi pahan sakte. Jail ke alag kapde hain. To yah sharir nahi milega paap is sharir se hai. Ab bhogna padega tumhen jo deh milti hai uska naam yatna deh hai. Log sochte hain yahan sharir chhut gaya to kahan narak hai?
kahan dand milega? Yatna deh mein usko dala jaata hai. Ab bhaykar rosh wale kroadhi yamdoot jo do hote hain wo usko pida phuanchte hain. Bhayanak tras wo to jaise yahan chori aur ye sab karne mein lagta hai. Are kahan aur jab fansa hai hamare sarkari vibhag mein jab pitai hoti tab usko pata chalta hai. Agar main yah na karta to ye aaj dand na milta. Bar-bar wo murchhit hota hai. Par yatna deh mein na aap murchhit rah sakte hain na mar sakte hain. Sthul deh mein to yah hai ki aapko kata gaya aap mar gaye. Goli mari gayi mar gaye.
jahr kha liya mar gaye. Lekin yatna deh mein nahi na murchhit rah sakte ho aur na mar sakte ho. Yamdoot yatna deh mein dalkar us aparadhi ko bahut pigte hue bahut tras dete hue gale mein rassi bandh ke yamlok ki lambi yatra karate hain. Jo gita ji mein kaha bhagwan ne ki agar aisa nahi karte to papi hain aur un papiyon ko dand diya jaata hai. Yamdoot bar-bar usko pida phuanchte hain. Uske angon mein yatna deh mein uska sharir tharthar kampta hai. Marg mein jin jin jeevan ka yahan mans khaya hai. Waise hi bhayanak rup dharan karke wo jeev uske mans ko nochte hain.
marg mein ye vyvastha hoti hai. Kabhi kisi ko bhojan nahi karaya. Kabhi pani nahi pilaya. Dusron ko dukh dete rahe to unko marg mein bhayanak kasht milta hai. Us samay wo apne papon ka yad jaise aapko jo dand milega to aapko yad aayega yah kiya uska yah phal hai. Ek bhi dand koi mithya nahi hoga. Par yah hai ki thode se paap ka bahut bada dand milta hai. Jaise yahan panch minute galti karo aajeevan karavass. Wah vyakul bechin ho uthta hai. Na use pani pilaya jaata hai. Na use kuch khawaya jaata hai. Niche ki bhumi aag jaisi jalti hui aur vayu jaise aag ki lapte aise marg se le jaya jaata hai.
na koi vishram sthal tapt marg jahan ek kadam rakhne ki shakti nahi. Wahan pith par usko pigte hue kude barsate hue bhayanak krodh yukt hokar usko dabkate hue use kasht dete hue us marg mein chalate hain. Wah jahan tahan thak kar gir jaata hai. Murchhane ko hoti hai. Phir usko chetna mein lakar pitai karte hain. Dukhmay andhere marg se atyant krur yamdoot prati pag marte hue Yampuri le jaate hain. Yamlok ka marg yahan se mrityu lok se 99 hazar yojana dakshan ki taraf niche hai. 99000 yojana ek yojana ka matlab char ko 99000 yojana itne lambe marg ko do ya teen muhurt mein itni daud marte hue usko le yatna de marna hai nahi jo log ab ye narko ka varnan nahi kar rahe ho ye keval yatra ka varnan kar rahe hain use yam ke samne pesh kiya jaata hai ek second mein pura hisaab ho jaata hai.
wahan thodi ki ghanton line lagni padegi. Amuk nark amuk nark amuk nark itne samay tak itne samay tak wahan usko jo yahan kisi pashu ko bhoon kar khate hain. Dhakti hui lakdiyaan ke beech mein dal ke use jalaya jaata hai. Pashu ka bhagya to yah hai ki wo ek do char minute panch minute mein tadap kar mar gaya. Lekin uska durbhagya yah hoga ki wo marega nahi aur uska lamba hisaab hota hai. Ek aparadh ka phal aajeevan karavass aisi ek pashu ko bhoon ke khaya to kitne varsho tak tumhen bhuna jaega pata nahi. Are yah sab baten hain.
jab milega tab tumhen pata chalega ki baten hain. Hamen mile the ek ganga kinare jo daku the unhone bataya dikhaya tha ungli tuti hui nakhun aise sab ukhde hue aise to ham ko bataya ki aisi pida di jati hai maharaj ganv ka koi aadmi panch juta roz mar le sah le lekin kabhi aisa aparadh na karen jail jane par jo dasha hoti hai haan ye abhi gaye nahi wo swagat nahi hua isliye aapko lagta hai jo likha hai bhagwan bhagwan shri Krishna dapan vyasdeo ji likh rahe hain aur jo gaan kar rahe hain param satya mein sthit bhagwan Sukhdev ji kar rahe hain.
uske sharir ko dhakti hui lakdiyaan ke beech mein dal ke jalaya jaata hai. Jo dusre pashu ko kaat ke mans khate hain. Unka kaat kaat karke mans unhin ko khawaya jaata hai. Yah prakriya 10 20 minute nahi chalti. Uska hisaab hota hai itne varsh ab aap socho barabar kaat kaat karke aap aur wahan bhishan pida hi pida hai marna nahi hai Yampuri ke gir jinki chonch vajr jaisi kathor unko chhoda jaata hai jo yahan dusre ke mans ko khate noch noch kar unki anten unki ankhen unke sharir par marna nahi wahan saanp bichhu daas bade bade vishaile jeevan se uske sharir ko pida di jati hai jo yahan anya jeevan ko pida di hai.
abhi to masti mein ho. Tabhi ham sabse prarthna karte hain. Mans mat khao sharab mat piyo. Tumhara manav deh tum koi Rakshash nahi. Hinsak pashu nahi ho. Sharir ko uske kaat kaat kar tukde kiye jaate hain. Par marta nahi. Phir kasht phir juda. Jo yahan dusre adamiyo ko dhokha dekar ke unko marte hain jaise vish khila dena ya anya vishvasaghat karte hain. Unko parvat shikhar ke niche dabakar chaknachur kiya jaata hai. Marte nahi hai. Unko jahreeli gas ke gadhe mein band kar diya jaata hai. Band hai. Kitne varsh kitne kal vishal balvan yamdoot ke hathiyon se unko chirwaya jaata hai bar-bar.
yah yatnaen tamis tantr tamis tar aadi narko mein bahut bhari yantrana di jati hai. Jo stri ya purush yahan paraspat dharm virudh bhog karta hai. Wahan waise hi akriti ki aag jalti hui stri sharir ya purush sharir usko usi kitne minute do minute nahi ab kitne varsh ka adesh hoga waise hi jaloge marna hai nahi. Yahan kahte manoranjan hai tasma shastram prmanam te hosh mein yah koi kahani nahi varnan kar rahe yah hai bhogna padega koi nimantran deta hai kya cancer ka ya nana prakaar ke rogon ka paap parinaam aata hai na yah to byaj hai mul bhogna padega jaise aap kahoge byaj kyon hai to jab aap galat aacharan mein pakde jaoge to pitai hogi byaj mein phir nyayadhish isse jo aapko vastvik dand milega ki bhai 20 sal ki saja phansi ki saja ya aisa aur uske saath jurmana bahut chhota aparadh danda chale gaye yahan ka hai ganv mein jisse hai na log juaa khelte hain to 10 20 log dekhne mein khade hote hain aur jab sarkari aadmi pahunchte na to juaa wale ko baad mein pakdte pehle unke dande chalate wo kahte ham to khel hi nahi rahe the to dekh kyon rahe the yahan khade kyon the asat kriya dekhna asat kriya chintan karna asat kriya ke kisi bhi tarah se sanyog mein ana waise hi dand milega.
bahut savdhaan manav jeevan savdhani ke liye hai. Bhagwan kapil dev ji kahte hain mata ye jo log kahte hain na ki are narak swarg yahi hai. Ye byaj ka hai. Mul to tumhen bhogna padega. Ye aap isko mithya na samjhe. Nark swarg ko punya atma jaise swarg jaata hai to papatma nark jaata hai. Yah bhogna padega. Karm kiya hai. Yah dand avashya hai. Haan mithya unke liye hai jo bhagwat prapti ke liye kamar kas liye na nark aur na swarg aa brahm bhan lukan punravartan arjun wo marg alag agar aapne karm kiye hain papa aur punya to aapko bhogna padega.
donon kshan hokar ke phir janm lena padega. Isliye hosh mein is prakaar mata ji wah jeevan ek kasht bhog karke phir wah janmane ke liye prerit hota hai. Isliye savdhaan ye kutumb bhagwan ka swaroop hai. Iski seva karna mamta rahit hokar iski seva ke liye dhan kamana adharm rahit hokar bhale namak roti khao bhagwat chintan karo. Parivaar sukhi rahega. Aap sukhi rahoge. Aapki uttam gati hogi. Ab jab nark se uske paap nasht hue kuch bache jo sanchit karm jama hai usi mein wo phir jama hue. Ab usko janm lene ke liye prerit kiya jaata hai.
jab bhagwan ki kripa hoti hai tab jeev ko manushya janm lene ke liye prerit kiya jaata hai. Isko avsar dijiye phir bhagwan ki prerna se varsha ke dwara wo ann mein jeev aata hai. Wahi ann mata-pita ke udar mein jakar ke phir rakt aadi phir usmen virya aur raj aadi wo banta hai. Phir mata-pita ke sanyog se jo purush mein virya shakti stri mein raj bana wo jab us jeev ko janm lena hota hai. Agar utne mein hi vyarth ho jana dusri on mein jana hai to vyarth ho jaega. Agar usko janm lena hai vidhan ke anusaar to ek ratri mein milkar wah ek budbuda jaisa banta hai.
phir 10 din mein maa ke garb mein ber ke saman uska rup hota hai. Phir uske baad uski mans peshiyan badhne lagti hai. Ek mahine mein uske sir prakt ho jaata hai. Pehle mans ka aise pind jaisa do mahine mein hath pair aadi ang nikalne lagte hain. Teen mahine mein nakh rom asthi charm aur stri purush ke chinh aur anya chhidr ye prakt ho jaate hain. Char mahine mein mansad sato dhatuen prakt ho jati hain. Nas nadiyan rakt sanchar panchav mahine mein use bhookh pyas lagne lagti hai. Garb mein chhathe mahine mein wah jhilli se lipta hua maa ki dahni kokh mein wo ghumne lagta hai.
ab bhaykar usko kasht hota hai. Bhookh pyas aur jahan wo hai wo mal mutr ka kund hai. Ye malashay mutrashay usi ke beech mein uski khopdi hai. Aise kundlakar us samay mata ko khatte charaphre aise khane ki ichchha hoti hai kyonki usko dand mil raha hai. Ab wo jab aise padaarth khati hai to uske sharir mein bhaykar jalan hoti hai. Jaise krami mane kida aise chhataptata hai. Us malmutr ke gadhe ke beech mein yah gadha hi hai. Malmutr ke beech mein kide ki tarah chhataptata hai. Bhaykar kasht sete vin mutr yoragte sajantu jantu sambhwe bhari kasht ko prapt hota hai.
ab sukumar tvacha hoti hai to wahan ke chhote-chhote kide jo anna aadi pachate hain uske sharir ko kasht dete hain. Wo bhaykar klesh se bar-bar murchhit hota hai maa ke garb mein. Mata kadwe, teekhe, garam, namkeen, rukhe, khatte yah padaarth pasand karegi kyonki usko dand bhogna hai. Yahi padaarth pasand karegi. Ab uske sharir mein pida, uska hriday jal raha hai. Yah ham sab bhog ke aae hain. Mata ke garbhashay mein lipta hua mahan dukh. Pet pith gardan aise kundlakar aise wo pinjre mein band pakshi ke saman paradheen itna kasht hota jara sa hilaya mata ko prasannata hoti hai hila wo bhaykar pida mein hai kasht mein hai asmarth hai isi samay bhagwan ki kripa hoti hai har jeev ke upar pehle kripa hui manav deh mein janm lene ab kripa hui.
bhagwan kapil dev ji kahte hain he mata devti ji se bhagwan ki prerna hui to uske andar smaran shakti jagrit hui. Ab use saikadon janm ke paap karm apne yad aae. Garb mein bechin ho gaya. Are mujhse bahut galti hui. Bahut galti ho gayi. Ab uska dum ghut raha hai. Bhaykar klesh aur smaran barabar. Pichle janm mein ye kiya. Uske janm mein yah kiya yah kiya yah kiya ashant satva mahina arambh hone par yah smaran shakti jagrit hoti hai. Uske andar gyan ka unmesh hua kyonki bhagwan ka ansh hai. Parantu andar ki pida andar ki durgandh sthiti usko chain nahi lene de rahi hai.
saptam dhatu mein sthul sharir se bandha hua wo bhagwan ka ansh atyant bhayabhit ho jaata hai. Jab usko saikadon janmon ki yad aati hai aur wo hath bandhe hue aise uske hath bhi nahi jod sakta hriday se bhagwan ko pukarta hai jo bhagwan ne use gyan shakti di ab wo kahta hai prabhu ek bar kripa kar do mujhe is nark se nikal do maa ke garb se prabhu yadyapi aapne jo mujhe gati dikhayee hai ismen mera param dosh hai kyonki maine aapki agyaa ko ullanghhan karke har janm mein jab jab manav deh diya tab tab paap karm kiye sharir aasakt hokar maine aapke virudh aacharan kiye yah dand mere yogya hai par prabhu ab mera koi sahyogi nahi hai aapke siva soham brajam sharanam hato bhay mein ab mujh bhayabhit ko keval aap hi bacha sakte ho.
aap hi raksha kar sakte ho. Prabhu main aapke charnarvind ka aashray leta hoon. Mata ke deh ke andar yadyapi main bhayanak kasht pa raha hoon. Badh hoon arthat bandha hua hoon. Par prabhu ismen mera dosh hai. He akhand bodh swaroop paramatma ek bar ham par kripa kar do. Ek bar is maa ke garb rupi nark se mujhe bahar kar do. Prabhu ek bar yadi nikal gaya to main jakar itna bhajan karunga ki ab kisi maa ke garb mein na jana pare. He vidya shakti sampann param purush bhagwan aapki is maya ne meri swaroop vritt ko nasht kar diya.
swaroop smriti main kaun hoon? Nasht kar diya. Abki bar nahi nasht hone dunga. Bas kripa kar do. Swami aap bade dayalu hain. Jaise udaar prabhu ne mujh garbhsth shishu ko yah gyan diya. Prabhu yah gyan bana rahe. Kahin aisa na ho ki nasht ho jae. Nath main aapke is mahan kripa ka kabhi badla nahi chuka sakta. Mujhe mano de diya. Mujhe yah smriti di saikadon janmon ki ki main kitne galat karya kiye. Ab main galat karya nahi karunga. Prabhu yah sansaar ke pashu pakshi bhale mudh ho par mujhe aaj pata chal gaya.
main gyan swaroop aapka ansh hoon. Main ab sam dum niyam sadhna karke aapki prapti karunga. Apne ko mukt karunga. Prabhu bhay lag raha hai. Prarthna to kar raha hoon ki is bhayanak kasht mein bahar chala jaun. Par prabhu mujhe bada bhay lag raha hai ki agar main bahar gaya to phir aapki maya hamko bhulwa degi. Yah jo gyan aaya hai waise bilkul mujhe bahar jane ki ichchha nahi hai. Par yahan raha bhi nahi ja raha. Prabhu aap kripa karo. Sharir mein bahar nikelte hi ahankaar buddhi pusht ho jati hai. Parinaam mein phir wahi stri putr ghar parivaar mein mamta dhan ki avshyakta bhogon mein sukh buddhi phir wahi sansaar chakra chal parta hai.
atah main aapke charnon ka aashray leta hoon. Mujhe aisa gyan dena ki ab main dobara is sansaar mein na janmu. Bhagwan kapil dev ji kahte hain mata ab wah jeev 10 9 10 mahine ke beech mein itna uske andar gyan prakt hota hai wo bhagwan se prarthna karta hai garb mein tab bhagwan ki adesh shakti se prasav vayu ke dwara wo bahar is jagat mein aata hai. Jo hi bahar nikla bahut hi kashtprad nikalna bhi hota hai. Maa ke mutr dwaar se prakt hona hota hai. Tabhi kaha gaya hai ki aisa bhajan kar lo ki ab aur maa ke rin se un hone ka upay keval bhagwat prapti hi hai.
ghar mein rahkar mata-pita ko bhagwan mankar unki seva karte hue naam jap karo. Unka bhi mangal ho. Aapka maa ke rin se un hona bahut kathin hai. Mahaprabhu chaitanya dev ne sachchi mata se kaha tha maa yah shri Krishna ka adesh hai. Isliye main virakta hokar ke sansaar ka mangal karne ke liye nahi to main aapse kabhi un nahi ho sakta. Apni tvacha ki yadi jyoti banau chamdi ki to bhi main aapse un nahi ho sakta. Maa kitna kasht maa ko hota hai balak prakt aajkal bhi to dekho wo operation prakriya pura apne udar ka achchhedan karakar aur aajkal balak kaise prakt hote hain ki maa ki aur pita ki wo aadar vritt hi nahi samjhte hain.
ab wo jo hi bahar aaya te sara gyan khatm jo bhagwan ki taraf se diya gaya tha. Ab wo rota hai kahan kahan? Wah gyan kahan gaya? Wah anand kahan gaya? Wah smriti kahan gayi? Yahan bole thali bajao balak hua hai ya kanya hui? Wo bhul gaya. Wo smriti gayi. Prithvi mein mata ke rudhir aur aise ghrinit padartho ke beech mein chhataptata hua. Sara garb ka gyan nasht ho gaya. Aur viparit paristhiti paida ho gayi. Dehabiman deh bhav. Ab wo jor jor se ro raha hai. Wo isliye nahi ro raha hai. Wo isliye ro raha hai.
kahan hai wo gyan? Kahan hai wo smriti jo abhi thi. Kitna anand tha us smriti mein. Wo bahar aa gaya. Jo log is rone ka abhipray nahi samjhte hain. Un logon ko bada harsh hua. Balak hua, santan hui. Ab usmen koi bhi pratikultaa ka nishedh karne ki samarth hoti nahi. Sab samgri uske andar hai. Bahut purana hai. Sab gyan hai. Jaise chhote bachchhe ke bilkul abhi kisi ne shiksha nahi di. Par jab dugdh pan ke liye mukh mein to pine lagta hai. Matlab purwabhyasi hai. Agar aise to bhayabhit matlab purwabhyasi hai.
dular wo prasann hone lagta hai. Matlab purwabhyasi hai. Koi naya janm uska nahi. Ab dhire-dhire uski avastha badhni shuru hoti hai. Shishu avastha mein maile kuchele mein jo jeev chhote-chhote hote hain wo usko jaise machchar hai ab wo kaat rahe hain. Ab uski samarth nahi ki hata sake. Jo bhi kasht usko balyvastha mein milta hai. Nishedh karne ki shakti nahi rahti. Sharir mein khujlahat hoti khujlane ki bhi samarth nahi. Uthne ki samarth nahi. Karavat lene ki samarth nahi. Laghu shanka sau jahan jaisi sthiti mein aisi sthiti mein maa ne hamari seva ki hai.
[gala saaf karne ki aawaz] he sharm ani chahiye un navyuvkon ko jo apne mata-pita ko katu vachan bolte hain jo mata ko apmanit karte hain jo ghar se nikal dete hain ya aisi jagah bhej dete hain. Vriddhashram are us samay maa ne tumhare liye kitna kasht sa kitni seva ki. Us balak ki tvacha bahut komal hoti hai. Use us tvacha mein jo bhi jeev kaata hai vishesh kasht hota hai. Ab garbhavastha ka jo gyan tha wo to nasht ho gaya. Ab jab kumar avastha ai phir wahi shuru khilone mein khel mein thodi avastha badi mitron ke saath khel mein yuva avastha ai kam ka prachnd tandav prarambh phir wahi durgati ka marg ye bahut savdhani bhagwan kah rahe hain savdhani se nahi ye papacharan tumhara phir sarvnash kar dega ye manav deh nash ke liye nahi mila.
udhar ke liye mila hai. Ham sab ye bhog ke aa rahe hain. Lekin yah vichitra maya hai. Yad nahi hai. Socho agar tumko ek gadha aur usmen sab aisa bhar ke chhod diya jae. Kaise rah paoge tum? Ek kshan rahna pasand wahan mal mutr ke beech mein ham rahe. Maa ke garb mein rahe. Maya ne smriti nasht kar di. Agar wo smriti jagrit ho jae to bhayabhit ho jae. Kitni bar mare hain wo mrityu ka bhay abhi bhagwan ki taraf badha de lekin iska kam hai maya ka vismriti bhagwan ne sampurn gita sunai jab arjun ji ko to kya mila smriti nashto moha smriti labdha ye bhakti kya pradan karti smriti ye tumhen kyon sunaya ja raha hai tum savdhaan hokar samjho tum kaun ho kis liye aae ho kya kar rahe ho kya bhoga hai kya bhog rahe ho kya bhogna padega savdhani ke liye yah bhagwat kripa hai jo shuddh bhagwan ki charcha sunne ko mil rahi tasma shastr pramante is samay jab jawani ai to kisi ki kuch nahi sunna ye tuphani avastha hai is samay koi bhi agar bhagwat aashray liye tab to baat theek hai agar bhagwat aashray nahi liye to koi bhi apni sima mein nahi rah sakta jo jwar kah balkava wo madad ho jaega.
papacharan phir shuru ho gaya. Agyanwash kamnao mein badhna. Agar kamna mein bhinn par jae to krodh karke hinsad bhi kar dena. Ab uske phir wahi paap hone lage. Jinse uski durgati hui thi. Aur bhagwan se vada karke aaya tha. Bas ek bar hamen nikal do is garb rupi nark se. Main nirantar bhajan karunga aapka. Ab deh jaise jaise badhta jaata hai, abhiman badhta jaata hai, kamna badhti jati hai, krodh badhta jaata hai. Phir apne nash ka wahi wahi shringar kar liya. Wahi kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar wahi sab phir karm.
khoti buddhi hone ke karan panch bhauton se rachit nashvan, pratiphal parivartnshil deh mein wo abhiman kar baitha main. Ab phir uska kram jawani vyatit hui phir budhapa aaya phir wahi kasht phir mara phir anya yoniyon mein janma tarhatrah ke bhayanak pida karm usko dete rahte hain karm tarhatrah ki pida wo sansaar chakra mein aise para hua bhatakta rahta hai bhagwan kripa karte hain to santo ka sang dete hain y sadbhi path punah shishnodar kritam bhagwan use sant sang dete hain jis par vishesh kripa kar di. Ab kya hota hai wah sant sang mein bhi jaata hai to ek manoranjan matra chalo ghanta adh ghanta sunna chahiye sun liya par jibhya Jnendra in do bhogon mein lage hue vishay purushan ka sang vishay drishya vishay varta vishay chintan satsang se inhi ko chhoda jaata hai.
wo inhe chhota nahi hai. To satsang ka labh nahi milta. Phir wahi anugman karta hai. Pehle ke saman phir wahi narak yoniyon mein jana. Jinke sang se hamara sadwichar satsang mein jo suna hai wo aacharan utarne ka jo utsah bana hai wo utsah nasht hota hai. Aise hamen logon ka sang nahi karna. Aise drishya nahi dekhna. Aisa bhojan nahi karna. Vani ka sanyam, hriday mein daya, buddhi ka yah nischay ki ekmatra bhagwan mein sukh hai. Wo ye sab nahi dharan karta. Satsang bhi sunne ate hain. Khalau kare bhal paye susangu mite na malin swabhav abhangu.
haan wo apne swabhav ke anusaar hi bartar. Yah satsang jante ho. Yah jo apne ko karne aur sunne ko mil raha hai kathan shravan ko bhagwan atishay prasann hai. Jab drav din dayalu raghav to sadhu sangati pai bade bhagya hain jo aapke kadam idhar chalkar aae bade bhagya hain ki aap sone se aap nidra se apne aap ko bacha ke satsang mein baithe hue nahi is samay gadh nidra jisko puri raat nind nahi aati usko is samay nind aa jati brahm muhurt mein aa jati hai wah apne sare sadgun in kusangiyon se milkar nasht kar deta hai kai tarah ka kusang hota hai.
ek andar ke vicharon ka kusang hota hai. Ek bahar drishya ka kusang hota hai. Ek bahar vyakti ka kusang hota hai. Bacho. Jo tumhare sataarg se tumko alag kar de. Aise logon se bacho. Aise drishya se bacho. Aisi baton se bacho. Aise vichar se bacho. Andar ke vichar se. Wah atyant sochneey hokar phir kam ka khilauna ban jaata hai. Kam ka khilauna jaisa chahe vaisa nachave. Ashant mudh dehatmadarshi kami purushan ka sang karke apne ko nasht kar leta hai. Kyonki jeev ko bhari durgati kusang se prapt hoti hai.
jaisa bandhan kusang se hota hai vaisa bandhan aur kahin nahi hota. Kushang kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar mein jo bhare hue jahan baitho wahi gandi baten, gande drishya dikhana, gande drishya dekhna, manmani wo gandi kriyon ka chintan karna yah sab badi durgati ka karan. Tabhi kabhi-kabhi ekantik mein kahte hain ki chinta ka vishay hai. Aaj hamare charit ki raksha ka vishay nahi rah gaya. Buddhi mein charit ki dhajhiyan udai ja rahi hai. Manmani aacharan karna yah hamari swatantrata ho rahi hai. Pyare tum dekh nahi pa rahe ho.
tumko kam krodh partantra bana rahe hain. Swatantr to tab hote jab indriy aur man ko adhin karke tum vikaro se rahit hote ya wahi bhog dharm purvak bhogte. Jo ek hamara shastron ka vidhan hai. Yah bhagwan ki vichitra maya ko to dekho aaya tha vada karke bhagwat bhajan kar le par in digvijay vikaro ne usko phir nasht kar diya. Ab aap kahenge ki bhagwan ki shakti se vikar hai to phir bhagwan ki shakti aapko di hai. Jaise bolne ki to aap mridu bolo satya bolo Radha Radha bolo bhagwat charcha karo dekho tumhara mangal ho jaega dekhne ki aap kahe ko kam bhav se dekhte ho bhagwat bhav se dekho aapko hath diye karne ke aap achhche karm karo duston ki seva karo kyon bura karya karte ho jo bhi aapko samarth mile aap achchai mein lagaiye lekin nahi achchai kar nahi sakte ho bura karenge iske baad kahenge bhagwan ne hi to banaya hai to bhagwan varnan kar rahe ki aur kuch bhi bana hua hai uska vidhan ke liye tayyar raho.
jo purush isi janm mein bhagwat prapti karna chahta hai, meri seva ke prabhav se mere samipita ko prapt karna chahta hai ya atma anatma ke gyan se mukt hona chahta hai use chahiye aise gande vicharon ka srijan karne wale jo bhi log hain hamara sang nahi ho tajo re man hari vimukhan ko sang jake sang kumti mati upjay karat bhajan mein bhang jake priy Ram vaidehi taj tah koti bairi yadyapi param snehi jo yah savdhani nahi rakhta to narak ka khula hua dwaar hai ye kam krodh lobh triwidh narkasdam dwaram nasan matmana kam krodha tatha lobha tasma det tajet bhagwan kah rahe hain yadi aap kamavashta hokar parai mata mata bahno ki taraf gandi drishti dosh vritti narak ka pura aapko sartiphiket mil gaya hai.
krodh purvak pujya janon ki hinsa ya dusron ko pida pahunchana vachan se man se stan se narak ki yatra pakki lobha dhan ke lobh se dusron ko chhalna shoshan karna adharm vritti se dhan kamana yah narak ka aur ek aur hai jo tino ko badhata hai wah ahankaar hai mad hai bhagwan ki rachi hui yah maya usi ko bhram paida karti hai jo bhagwan ke ashrit nahi hai jo naam jap nahi kar raha ye nischit man lo bachna hai anand mein pahunchna hai janm maran ke dukh se mukt hona hai to bhagwan ka smaran bhagwan ka chintan bhagwan ke ashrit hokar sare kartavya karm karna yadi aap kisi sharir mein aasakt hue to aapka chintan bigad jaega.
wahi chintan aapki durgati kar dega. Sabke beech mein rahna durgati ka karan nahi hai. Aapka chintan galat hona durgati ka karan hai. Agar aapka chintan bhagvatik hai to vishv mein jaise jal se hi kamal prakt hota hai. Jal mein hi rahta hai lekin bilkul asang rahta hai. Aise parivaar mein samaj mein lakho karodon ke beech mein rahte hue bhi aap jeevan mukt mahatma yadi bhagwat adesh ka palan karte hue bhagwan naam jap to indriyan aur man ye dharm yukt vishay sevan karte hue bhagwat prapt ho jaenge. Yah bhagwan ki maya ka bhramtmk swaroop hai.
dhan mein pyar ho jana, putr, ghar, patni, pati ye yahi maya phasati hai. To ham pyar na karen. Bhai priti karo aur adhik karo. Swarth bilkul mat rakho. Bhagwat bhav se karo. Param pavan bhagwan sabke hriday mein hain. Jinse pyar karne par mamta, asakti, rag ye karm, bandhan ye nasht ho jaate hain. Agar aap prabhu ko nahi dekha to ye nashvan sharir kabhi bhi nasht ho jaenge aur aapka chintan asakti ka hua aapki durgati ho jaegi. Ek charit mein pujya Radha Baba ke bahut bade dhani mani wo ek do bar satsang mein bhi aae hue the wahan Baba ke par kabhi naam japnaya bhagwat ashram to Baba ke paas hi kahin ek kutiya ne bachchhe diye the pehle wo ke ke aise hote Baba ki drishti gayi Baba ne dekha apni divya drishti seth ji jo usi ghar ke samne ki banna padega.
makan mein priti hogi. Chhipkali ban ke usi mein chipkoge. Durgati karne wali asakti hai. Agar usi asakti ko bhagwat bhav se kar lo to wahi moksh pradan karne wali yukti kyonki bhagwan hi hai sab mein. Sachchi maniye aap anjane mein bhagwan se hi pyar karte hain kyonki bhagwan ko jante nahi hai sharir ko jante hain samne dekhte hain sharir ko pyar karte hain lekin jab bhagwan antardhya ho jaate hain to sharir ko nasht kar dete hain isse pramanit hua aap sharir ko pyar nahi karte the par jinko pyar karte the aap unko mana nahi unko jana nahi aur sharir ko pyar kiya sharir ko mana aur usko nasht hona hi hai pratiphal nasht ho raha hai parinaam iska nash hai hosh mein ho jao sab mein bhagwat bhav karke jo kartavya karm karo naam jap karo yah mukt kar dega.
jab jeev praarabdh karm ka bhog aata hai to sabse pehle buddhi par aakraman karta hai. Buri dasha ane ke pehle buddhi badli jati hai. Buddhi par praarabdh karm aakraman karta hai. Kiski? Jo bhagwat vimurkh buddhi hai agar man aat buddhim nivash he praarabdh karm buddhi par na ane pave sharir par aa jae to koi fark nahi parta hamari buddhi bhrasht na hone pave chahe sukh ka praarabdh ho ya dukh ka agar hamari buddhi param sacchidanand sukh prabhu ke naam smaran mein lagi bach jaoge sansaar ki chakki mein pisne se bach jaoge ye sukh dukh labh hani harsh shok janm mrityu yah chakki hai dwandon ki pees rahi hai prani sabse bada bhayanak dukh mrityu hai isse bachne ke liye jo abhi tak durgati ki baat suni isse bachne ke liye ek hi upay hai shri bhagwan ka aashray jab tak koi bhi purush bhagwan ke abhay charnarvind ka aashray nahi leta sharanagati nahi leta tab tak kitna bhi dhan ekatrit kar le chahe jitne mahal banva le chahe jitne parivaar sambandh badha le wo kabhi bhay shok lalsa dinata lobh mrityu inse bach nahi sakta ye vishwas kijiye kuch nahi hai tumhare paas agar naam jap ho raha hai bhagwat ashrit ho to to tumhen jo shanti milegi tumhen jo anand milega wo kisi pad mein nahi hai.
bhakton ko jab Bhagvdanand mila to unhone jo kaha hai bada ascharya ki baat wo kah rahe hain na parmeshtham mahendra dum chhoti moti baat brahma ka pad nahi chahiye itna anand mila ki us anand mein kah rahe mujhe brahma ka pad nahi chahiye phika dikhayee diya brahma ka pad Devraj indra ka pad phika dikhayee diya na sarwabhaumam samrat pad phika dikhayee diya Swami ji ke liye likha surapti narpati lokapti jinke bhave ghas matlab tirke ke saman anya dikhayee dete hain. Jab bhagwat anand aata hai aur yahan kah rahe hain bhay, shok, lalsa, dinata, lobh, mrityu yah dukh kabhi dur nahi kar payenge.
na dhan, na makan, na mitra, na bandhu bandhav. Isliye ekmatra bhagwan ka aashray samasth dukho ko mitane ki samarth bhagwan ke sharanagati mein hai. Sab loko ka sab prakaar ke amanglon ka nash karne ke liye bhagwan naam kirtan hai. Karo ghar mein karo. Agar 20 minute aap apne ghar mein bachchon ko baithaal kar ek samay nikal lo 24 ghante mein kirtan karo. Jaise kahte hamare ghar ko kisi ne kuch jadu tona kar diya. Upari chakkar kar diya. Are tumhare karm hi tumhare chakkar mein dale hue hain. Koi aisa nahi naam kirtan karo jahan naam kirtan naam ki gunj hoti hai.
koi Vinayak shubh ashubh wahan pravesh nahi kar sakta. Jite Vinayak shubh ashubh vighna kare nahi koi. Jo satya marg hai usko to aap sweekar nahi karte. Pehle bhagwat chhaviya lagai jati thi. Darwaze par bade mangalmay shabd likhe hote the. Ati dev bhav swagtam aap jante ho juta chappal tange jaate hain. Nahi tange kya yar buddhi juta bacha lega tumhen ulta juta makan banaya ulta juta tang diya matlab wo tumhare swabhav tumhari sthiti ka prichay bata raha hai tumhara ghar bole nazar kisi ki nahi lagegi are bhai ye juta chappal nazar to kaise tumhen batayen haan ek aae se to unhone kaha ki yah bahut mahatwapurn lohe ki jo ham pahne na aapke kya ki kya ray hai yah ghode ki nal ki hai aur usne kaha kabhi Shani bhagwan jo hai aakraman nahi karenge tab to ghode ko param pad milna chahiye
jiski nal ki [gala saaf karne ki aawaz] anguthi ka itna are bhai hosh mein hari sharanam hari sharanam bhagwan ka aashray bahut bilkul samjh lo sab loko ka sab logon ka sab prakaar ka mangal nasht karne ke liye ekmatra bhagwan ka naam kirtan naam sankirtan yas sarv paap pranashnam jahan naam kirtan hota hai dekho ek mahal tha jismen bahut se bhut pret rahte the khandhar jaisa Meera ji ko Meera ji ne jo hi kartal uthakar naam kirtan bhagwat aarti bhagwat dhoop sab pret param pad ko prapt ho gaye agar koi amangalkari grah naksha unka bhi mangal ho jaata hai naam kirtan karne se.
kai bar aisa charitra mein para hai ki santo ke paas bade bhayanak pret aae. Wo isliye nahi ate. Unki takat nahi ki darwa de ya unko kasht de. Wo apna kalyan karane ke liye ate hain ki aap karunamay hain. Aap bhajan ke prabhav se ham par kripa karen hain aur ham pret yoni se mukt ho jae. Aapke ghar mein koi bhi amangal koi bhi amangal chu nahi sakta. Yadi naam kirtan ho rahi aur kahin 10 20 minute bhagwat charcha char shloko ka arth bhagwat ka char chaupaiya bhagwat charit ki aapne ga di wo ghar nahi wo tirth hai bhai lekin aajkal madira pan karke jo tandav hota hai to phir wahan vighna ave ya na ave tum khud hi vighna ho kahan rah gaya hai ganv mein pehle dekha jaata bijli to thi nahi na to deepak na itni badi sheeshi mein kapde ke aise laga ke aur usmen kerosin aur jala dete aur usmen raha 10 20 log aise baithe ramayan sun rahe hain.
bhagwat sun rahe hain. Vichar pavitra ho rahe hain. Roz sham ke aap agar pure ganv mein pehle aisa tha ki agar aap ghume to 10 20 jagah kirtan ho raha hoga. Haan koi shri Ram jai Ram jai jai Ram koi bhagwan naam aise kirtan milta. Aaj pehle dekha jo subah subah milte the Ram Ram bhaiya jai Ram ji ki yah ek swabhavic prakriya thi pujya jan hai to paay lagu kitna pavitra hai aaj ka aaj ka milan kaise hota hai ki hai tumhara darshan ho gaya subah subah tumhara darshan ho gaya aur pehle hota tha jai Ram ji ki bole Ram Ram bhaiya do bar bhagwan ka naam liya haan bhagwan naam kirtan agar aap mangal chahte ho apna apne parivaar ka aur apne ghar ko nirvigghn chahte ho to 10 20 minute kirtan karo kuch nahi aata sabse bada sangit bhagwan
ne diya hai Radha Radha aise tali bajao naam kirtan karo ye bahut bada sangit hai aur iske liye koi sikhne ki zaroorat nahi sa re ga ma pa dh ye to apne hath ka sangit hai char log milke aise aise Radha Radha naam sankirtan yas se sarv paap pranashnam apni indriyon ko pavan karna apne grah ko pavan karna parivaar ke janon ki buddhi shuddh karna he parmanand mein nimgn ho jaoge ye baat man lo thodi der bhagwat charcha karo aajkal to yantron ki suvida hai mobile ko virajman kar diya aur bhavna kiya ki sakshat sant bol rahe hain baithkar aur anand se baithkar suno 10 minute 20 minute apne bachchon ko baithaal ke sunao.
aise prasang sunao jinme unki sanyam, pavitra, charit mangalmay ho. Man hi man unke andar lalsa hoti hai. Jo suna jaata hai, jo dekha jaata hai, jo bola jaata hai. Dhyan dena. Ab wo bachchhe samaj dekh rahe hain. Gande drishya. Sanyam ka abhav, man mein wahi manan, wahi gandi baten [gala saaf karne ki aawaz] bolna to dushkarm ke siva aur kuch nahi ho sakta. Phir baad mein rote hain ki hamare bete aise, hamare aise. Aapne kartavya kiya jo karna chahiye tha. Bhookh, pyas, baat, pitt, kaph, sardi, [gana gane ki aawaz] garmi, varsha, janm, mrityu ye kitne chakra hain.
kitne pravah hain. Are kabhi tumhara man nahi ubta inse nipatne ke liye ki niklu inse manushya indriy aur vishay sanyog indriy aur unka vishay sanyog yahi jeevan man leta hai bhagwan se vimurkh ho jaata hai sansaar ki chakra ki nivitti ka ekmatra upay bhagwan ka aashray naam jap naam kirtan bhagwat leela gayan shesh charcha ke shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…