॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kam rupi shatru se jitne ka gupt upay | kaunsa yagya karne se jeevan param sukhi ho jaata hai ? // 09/12/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam nirvapay param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal chandra pranaaradhy shri shyama Shyam jo samasth hit parikar nij parikar upasna marg mein upasya dev ke bal se hi maya par vijay prapt ki ja sakti hai. Nahi bahut prabal iska veg hai. Anya sadhno mein swayam ka bal hota hai. Vivek bal, vairagya bal aadi aadi lekin upasna mein bhakti marg mein shri bhagwan ka bal hota hai.

aradhya dev ka bal hota hai. Sahaj mein maya par vijay prapt aradhya dev ke bal se hi hota hai. Anytha nahi. Bahut savdhani aur aashcharyamay baat shripad Prabuddhanand ji kah rahe hain ki agar savdhaan hokar acharya Gurudev isht dev inka bal nahi sweekar kiya to ye jo kam aadi dosh hain ye parast kar denge. Inki bahut prabalta hai. Shripad kah rahe hain stri bhi ke vasi krita stri jagti prayo yasho chipso drishyate vishyasoptita sangan mahant to buddham pratibodhas na swartham karam tat tatra ahar nasham pramat hridyo Vrindavi mavas ai upasak tribhuvan mein aisa koi paida hi nahi hua jisko ye maya adhin na kar le bahut dhyan deni hogi baat koi aisa nahi devi hasha gunmai mam maya dritta aap jaan hi nahi payenge ki aap maya ke vash ho rahe hain.

aap bade aadar se bahut sahjta purvak yah phansi apne aap laga lenge. Aisi chaturta pravinta maya mein hai. Kah rahe hain vashi krita trijagto tino loko ko vash mein karne ki samarth maya mein hai. Prayo yashoso jinhone yash par vijay prapt kar li hai. Yash ki akanksha nahi hai. Drishyate vishya prasop patita wo bhi yah jo vishay hai yah jo drishya hai unko bhi bhrasht kar deta hai. Bahut savdhani ki baat kah rahe hain. Tino jagat ko adhin karne wali maya ka pratham swaroop hai kam. Kai shloko mein varnan kar rahe ho.

yah bahut hriday ko jalane wala vivash karke papacharan karane wala sadharan vishay purushan ko to kya jo sadhan marg mein chal rahe hain unko bhi bhrasht karne ki samarth rakhne wala hai. Kam bhagwan ne isse kaha hai ki bahut khakar bhi na khane wala hai. Yah gyanyon ka vairi hai. Agyani to parast hai hi. Wah jante hi nahi hai ki in par vijay prapt karni hai. Par yahan charcha ho rahi unki jo vijay ke liye kamar kas liye hain. Shripad kah rahe hain yah maya tribhuvan mein koi aisa nahi jisko parast na kar sake.

agar koi hai to naam japak bhagwan ka das hai. Kyonki kar sada tike rakhwari jim balak rakhe mhatri. Goswami tulsidas ji kam ke prabhav ka varnan kar rahe hain. Iska aisa prabhav hai brahmcharya vrat sanyam nana dhiraj dharm gyan vigyana sadachar jap jog viraga sabhay vivek katak sab bhaga jis samay ye parast karne ke liye apne dhanush par panch baan sandhan karta hai pushpo us samay koi bhagwan ka ashrit bhakt hi bach sakta hai. Koi dusra nahi. Jo brahmcharya ka naishthik aajeevan niyam liye hue hain. Jo bade-bade vraton ka anusthan karne wale hain.

jo sanyami arthat jitendra hain jo dhairyvan hain, dharm ka jinko gyan hai. Jinko dridh vairagya hai, jo sadachar paraayan hai, jo yogi hain, jo vivekvan hai, inko inko kshan mein parast karne ki samarth us kam mein hai. Jab kam apne avesh mein aa jae to vivek bhi dar ke bhag jaata hai. Bhagyo vivek sahai sahit susubhat sanjug mahire sad granth parvat kandneehu ja teh avsar dure vivek bhi aise bhagkar gufa mein chhip gaya mano yah vivek ki baten keval shastr mein jo likhi rahi wo yad bhi nahi rah gayi aur kam ne madda karke bhrasht kar diya.

bada balvan hai. Koi aisa nahi hai jo apne bal se kam par vijay prapt. Yah bahut sukshm vishay hai. Yah bhagwat shakti se sampann hai kam. Yahi kam bhagwan pradyumn ji ke rup mein avtrit hua. Dwarikadish bhagwan shri Krishna ke putr ke rup mein. Jab tak ham bhagwat ashrit nahi hote koi aisa jad chaitanya devta lok ka sadhak jo is par vijay prapt kar le isiliye trijag likha hua hai shripad prabhu danand ne je sajeev jag achar char nari purush as naam te nij nij marjad taji bhay sakal bas kam kitna balvan hai jagat mein jitne bhi stri purush sangya wale hain jo bhi char achar prani hain sab apni apni mariyada bhulkar is kam ke adhin hokar cheshta karne ke liye vivash ho jaate hain.

sabke hriday Madan abhilash lata nihari nav taru shakha stri purush ki kaun ka hai chaitanya ki kaun ka hai jab ye baan sandhan karta hai to jad bhi kam se yukt ho jaate hain latae vriksh ka aalingan karne ke liye vikal ho gayi nadi umgi ambudhi kahhu dhai sangam karah talab talai jad nadiyon mein bhi kam jagrit ho gaya chhote-chhote jo sarovar hain unmein bhi kam jagrit ho gaya wo milan ki akanksha kam bhav ye jadon mein kam aisa prakt ho jaata hai chaitanya ki to baat jane pashu pakshi nav jal thal chari bhay kam bas samay basari samay hota hai inka ritu kal aata hai lekin kam agar apne swaroop mein baan sandhan karke aakraman kar de to sab vismarit ho jaata hai ritu kal jo mariyada banai gayi wo sab bahut prabal Madan andh vyakul sab loka nishdin nahi avlok hi koka siddhant hai ratri mein chakwa chakwi nahi milte lekin kam agar apne swaroop mein akar aakraman kar de to raat din ka bhed mitkar wo kamand ho jae dev dhanuj nar kinnar byala pret pisach bhut betala koi aisa nahi na koi devta na koi Rakshash na koi manushya

na kinnar na koi sarp na pret na pisach na bhut na baital jo kam ke aakraman se paryapt na ho jae siddh virakta maha muni jogi te kam bas bhay viyogi ye to kam ke chehre hain upar jo varnan kiye gaye ye bade subhat yodha hai jo kam ko parast karne ki kshamta rakhte hain. Jo siddhion ko wah prapt kar chuke unko bhi kam parast kar dekho siddhi jal ko stambhit kar diya 5 minute jal ke andar rahna mano pran tyag dene ki sthiti aa jaegi panch minute nahi ruk sakte aur wo jal ko stambhit karke jal mein samadhi lagae hue hain machhli ki krida dekhi to 50 byah kiye bada vichitra samarthyshali kam siddh bade-badi siddhion ke Swami swamiyon ko bhi parast karke adhin kar le kam virakta bade bade vairagiyon ko mahaprabhu Harivansh chandra ji ne isiliye kaha hai na jano chhinant kav buddhi ghat prakashit chhat chetan jo achet te muni bhay vishwasit para sir sur indra kalap kamini man phandya par deh dukh dwaand kaun kram kal nikandya ye bade bade jo samadhi ko prapt mahapurush hai.

inko bhi kam ne apne adhin kar liya. Jap chaha sadharan manushya ki buddhi ki kya baat hai? Siddh virakta mahammuni jogi te kam bas bhay viyogi inke hriday mein bhi yog antar dhyan ho gaya aur bhog jagrit kar diya. Aisa mahabalshali kam bhay kam bas jogi tapas pamran ki ko kahe dekhah charachar nari mein je brahm mein dekht rahe kam jab apne krodhavesh mein hokar aakraman karta hai to bole yogi, tapasvi, gyani inko bhrasht kar deta. Sadharan ki to baat jane do. Ye yahan badi gadh baat ka hai. Jo brahm mein dekhte the ab wo itne kamsakta ho jaate hain jab kam ka aakraman hota hai ki jise bhul gaye the.

kya stri purush sharir punah smriti jagrit karke kam apna prabhav dikha deta hai. Lekin yah brahm bodh ko nahi. Brahm drishya nahi hai. Aur yahan varnan kahte brahm mein dekht rahe arthat abhi abhyaas chal raha hai. Jab brahm bodh ho jaata hai to sarvam gayab ho jaata hai. Keval brahm wahan pravesh nahi. Atma tatv par iska prabhav nahi kam ka. Jaise bhagwat tatv par iska prabhav nahi. Iska keval prakriti janny sthul sukshm karan tino shariron par hai. Par jab tak swaroop bodh nahi ho jaata bhagwat prem nahi ho jaata tab tak ki yahan baat kah rahe jaise kaha brahm mein dekht rahe to brahm drishya nahi hai.

brahm mein dekht rahe wo abhyasat hai. Abhi bodh ko prapt nahi hue. Avla bilokah purush mein jab purush sab avlayam kam ka aisa prabhav stri sharir mein abhiman hone ke karan purush sharir ka akarshan purush sharir mein abhiman hone ke karan stri sharir mein akarshan ya vivid bhavon dwara kam sabko parast kar deta hai. Dhari na kahu dheer sabke man man sij hare ye batana chah rahe hain ki je rakhe Raghuvirr te ubre tehu kalam koi aisa nahi sadhak jo dhairya dharan kar sake bole koi bacha hi nahi bole bache kaun bache je Ram Raghuvirr te ubre tahu kal mahhu jinko bhagwan ne bacha liya agar aap sharanagat nahi hai bhagwan ka aashray nahi liye hain to shripad Prabodhanand ji kah rahe hain ki aap mana prayo yasho chilipso aapne yash par vijay prapt kar li.

aapne akanksha par vijay prapt kar li. Par yah kam itna prabal hai ki akanksha paida kar dega. Kam itna prabal hai ki jo mahapurush kahlate hain. Sangan mahantop hi yadi wah bhi chuk kar de to yah apna prabhav chuk kya? Kahe Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan agar sumiran chhuta bhajan chhuta bahut vichitra iski gati hai shripad kah rahe hain patit hone mein der nahi lagti tab tak gunjaysh hai patan ki jab tak thoda bhi ahankaar bas aap itni baat samjh lo agar ahankaar prabhu ke charnon mein samarpit ho gaya to kisi ki samarth nahi hai kisi bhi vikar ki ki aapko bhrasht kar sake.

yah dehabiman hi wah mahal hai jismen kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar rahte hain. Yah abhiman agyaan ke karan hai. Jo antahkaran dharm ka abhiman hai, yah agyaan ke karan hai. Jab tak aap sadguru ka aashray nahi lete, unke batae hue upasna se nahi chalte, to kuch bhi kar lo. Piche aapne Shrimad bhagwat gita ji mein shravan kiya. Bhagwan ne bataya ki is lok mein hamne do yogon ka varnan kiya. Sankhya yog arthat gyan yog karm yog isi mein ashtang yog bhi aa jaata hai. Ye do yog hain. Par yah donon yog sadhak ke hain.

sadhak ko swayam dharan karna padega. Swayam bachna padega. Swayam param labh tak pahunchna padega. Lekin ek yog jise kaha gaya hai bhagwan nishtha prem lakshna bhakti yah sadhak ka samarpan prabhu ki taraf se hota hai. Bahut mahimamay baat hai agar samjh mein aa jae to vimurkh bhay nimish na akpa jab chit tab waise yah bahut hriday ki baat kah raha hoon. Agar ham aham grah upasna sadhna karte hain bahut lambi yatra hai kahin hamse bhul ho sakti hai chuk ho sakti hai aur wo chuk hui to aap gaye patit ho gaye bhrasht ho gaye lekin yadi bhagwan nishtha hai bhagwat ashrit hai yah kripa ka marg hai ismen name bhakt pranashyati bahut jor ki baat hai isliye ko ek pav bhagat ji mori yah aham ye nana prakaar ke shastr siddhant jo shastr jal hai inse nikal pana bahut kathin hota hai.

kisi ko bhagwat premi mahatma ke sang se ye bhav jagrit hota hai. Bhai na ham mein samarth hai ki ham kam krodh par vijay prapt kar sake. Na ham mein itna gyan hai ki maya kya hai? Main kaun hoon? Ye jagat ka prapanch sab he hari he prabhu main jaisa hoon aapka hoon aap mere ho aur bas naam chalne laga naam hamare mukh mein kanth mein hriday mein drishti mein shravan indri mein koi badha nahi parast kar sakti kuch bhi ho jae aap siddhant ko samjhiega ek bar satsang mein varnan kiya tha pujya shri Mathura das ji ne sunaya tha ki Jagannath ji ke ek sevak the.

vritti hai phesal gayi vritt to vaishya sang karne lage aur vaishya mein asakti ho gayi. Jab unke ang seviyon ko pata chala to unhone unko bulaya aur pyar se samjhaya ki aap bhagwat parsad ho. Swami Jagannath ji ke sevak ho. Bilkul yah aacharan aapka theek nahi hai. Aap do mein ek ko chayan karo ya prabhu Jagannath ji ko ya vaishya ko to unhone kaha vaishya ko bole abhi niklo yahan se dobara kabhi ab shri ang ki seva mein tumhen nahi liya jaega tum jao to kuch sampatti de di aur wo unhone vaishya ko dekar uske sang rahne lage kuch kal ke baad sharir ek simit hai swason se jab unka sharir pura hua ab ye bhag bhagwan nishtha ki baat kah rahe hain.

unhone kisi anya yogon ka aashray nahi liya tha. Prabhu ke ang se the. Man hai phesal gaya bhog mein. Prabhu ne adesh kiya apne pradhan parsad ko jaise mere parsado ki seva hoti hai. Antim sanskar waise uska kiya jae. To unhone kaha prabhu wah to vaishya ko sweekar kar liye the. Aapka tyag kar diye the. Unhone kaha wah tyag kar sakte hain lekin ham tyag nahi kar sakte. Ek bar jisko hamne sweekar kiya bhagwan kahte hamen tyagna nahi aata. Hamen chodna nahi aata. Vimurkh bhae nimash na akpa jab chit tab waise unko wahi gati Jagannath ji ne di jo nirantar ang seviyon ki hoti hai yah bas samjh mein aa jae bhagwan ki kripa se guru ki kripa se yah baat samjh mein aa jae nahi to tribhuvan mein koi aisa nahi jisko parast kar de maya bhagwan swayam kah rahe mamev prapad yah baat samjh mein aa jae sara ahankaar chhodkar ke ekmatra bhagwat aashray le lo koi bhi badha parast nahi kar paegi ham ye nahi kahte nahi aayegi parast nahi kar paegi uska nash nahi ho jaega wo patit nahi ho jaega jo yahan varnan kar rahe hain ki drishyate vishyaso patita ek drishya bhrasht kar sakta hai.

isliye koi kitna bhi maha purush ho naam jap nahi chhota hai. Sanakaad hari sharanam hari sharanam sanyasi mahatma jan narayan narayan narayan bhagwan ka naam koi bhi Ram Krishna hari sab naam bhagwan ke saman raksha karne wale saman samarth pradan karne wale hain. Ye baat samjh mein aa jae. Sampurn shastron ki sar baad ham vijay prapt nahi kar sakte. Aham bal se bhagwat bal se kuch durlabh nahi. Kartum akram anytha kartum hriday se bhagwat aashray par drishti rahni chahiye. Bhagwat aashray par drishti ho aur mukh mein naam ho.

shri surdas ji maharaj kah rahe hain jo bhagwan nishtha wala upasak hai pehchan. Jaise hamare prannon ka poshan ann, jal, vayu se hota hai. Vayu na mile, jal na mile, ann na mile to ye pran hamare nasht ho jaenge. Ann ke bina kuch din chal sakte hain. Kuch din jal ke bina bhi chal sakte hain. Par vayu ke bina nahi. Jo bhagwan nishth upasak hota hai wo naam ke bina nahi ji sakta. Baat pakdna hamari bhagwan nishtha sankhya yog gyan yog ki nishtha karm yog ashtang yog ki nishtha usmen sadhak ki baat hai yahan bhagwan nishtha mein ekmatra prabhu ka aashray us aashray ki pehchan aap bhagwat ashrit hai bole naam chhut nahi sakta kyonki jaise bahut tufan chal raha ho aur us tufan mein badi-badi trange aa rahi ho.

us mana ki aap bahut taik ho lekin trangon mein tumhara bas nahi chalega. Ab aapko koi adhar de de aashay ye rassi pakdo aur bahut sudridh nauka hai. Ab aap us rassi ko kaise chhod sakte hain? Chhodenge to lahren aapko gira dengi, mar dengi. Aise wah naam ko pakar leta hai. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar inki trange maya samudra se aisi aati hai. Chahe jitna bada taik ho usko dubo degi. Lekin usne adhar pakar liya. Kya pakar liya? Naam. Shri surdas ji kahte hain hai hari. Naam ko adhar.

bilkul sar baat shastron ki. Chhod do buddhimani yah wo daud bhag tark vitark man lo man loge jaan jaoge pa jaoge sab kuch ho jaega ham bhagwat kripa se jin jin shastron ka swadhyay hua santo se mile aur hriday ki baat mila ke baat aapko kah rahe hain. Sevak ji maharaj kah rahe hain Harivansh kripa Harivansh kahe aur Harivansh kahe Harivansh lahaen jo shri Harivansh shri Harivansh shri Harivansh use shri Harivansh prapt ho jaate hain. Sevak ji maharaj ekmatra naam gadha mein jab suna ki hamare Gurudev jinko maine man se varan kiya wo antardhan ho gaye.

ab kya aisa virah sataya bas shri Harivansh shri Harivansh shri Harivansh mahaprabhu wahi prakt hue mantr diya nij mantr aur nitya vihar ras pura Vrindavan aae to Vrindavan ko prapt hokar aae chidanand Vrindavan mein pravesh pakar tab prakt Vrindavan mein aae sevak ji maharaj chidanand Vrindavan gadha mein hi prakt ho gaya naam ke bal se Harivansh naam ka bal shri Harivansh naam bal ho apne man bhai sab kaho raho sharan Harivansh ki do baat raho sharan Harivansh ki aur apne man bhai shri Harivansh shri Harivansh surdas ji kah rahe hain hai hari naam ko adhar adhar kya hai aapka jaise aap khade ho to bhumi adhar hai is sharir ka agar aap paramarth par tik sakte ho maya ke tufan se to ekmatra adhar hai pakar lo kas ke naam agar naam chal raha hai aapko jo chahiye prapt ho jaega thoda dhairyvan baniye ye lok ki to mayakrit vastue hain.

jab mayapati hari adhin ho jaate hain naam se yah vastue kya yahan ki bhog samgri kya ye to lutti ghumegi aap thoda to dhairya rakhiye thoda to paap nasht hone dijiye thodi nirantrta naam ki banaiye aur sahi pocho to ichchha hi khatm ho jaegi jaise jaise naam ka rang chadega in asat bhogon ki ichchha nasht ho jaegi aur i kal kalikaal na raho vidhi vihaar hai hari naam ko adhar nardad sukhad muni mili kiyo bahut vichar sakal shruti dadi mathat payo ot sar hai hari naam ko adhar shri surdas ji kah rahe hain is kalikaal mein jo anya sadhan hai unse siddhvastha nahi prapt ho paegi.

iska prabhav yug dharm ka prabhav hota hai. Aap soche dhyan dhar le to dhyan ke liye pahla karya ashram siddh hona chahiye. Pranwayu sukshm honi chahiye. Man aur indriyan in par vijay prapt honi chahiye. Tabhi to dhyan dhar payenge. Pratyahar jaise indriyon ka sanyman asan pranayam pratyahar dhyan aap dekho kya dhyan mein aata hai aankh mund karke dekho kya dhyan mein aata hai thoda andhkar mein khojte kuch prakash dikhayee de de kitni der baithe rahoge kitni der aap Padmasan laga sakte hain kitni der siddhasan laga sakte hain aapki pranwayu kitni sukshm hui hai aap kitna yam niyam ka palan karte hain.

kalyug hai na ismen yagya ho sakti hai purn rup se wo sab samgri soch pavitra bahut durlabh ho gayi. Ekmatra adhar bhagwan naam ye bas baith jae. Har ekantik ka uttar, har shastr ka sar, satsang ka har vishram isi par hai. Naam tumhari naam mein ruchi ho jae. Ye aur sab sadhan bole raho vidhi vihaar. Ye vihaar mein fansa dega. Agar naam jap nahi to vihaar mein phas jaoge. Phas jaate hain. Apne log chalte hain paramarth mein par wo itni khadi chadhai hai. Bina naam ke adhar ke jaise upar se rassi koi pakda de bandh ke ab aap chadh sakte ho khadi chadhai mein wah rassi hai naam bade se bade paramarth ki unchai par jo pahunche wo naam surdas ji kah rahe hain meri baat par shayad aapko vishwas na ho to narad aadi narad aadi mahan acharya koti ke bhakt aur sukad sankadi Paramhans Sukhdev dev ji aur sanakaad brahm bodh sampann mahapurush in sab ne milkar ke sakal shruti dadi mathat payo ved puran shastron ka manthan kiya vichar ke dwara aur us manthan mein jo ghrit

nikla dadi manthan se ghrit nikalta hai to shruti puran shastr sabko math karke jo ghee nikla wo naam paya o ho ito dui ghrit sar yahi sar mila kya hai hari naam ko adhar dason diste karm rokyo meen ko ja sur hari ko sujas gavat jah mit bhav par hai hari naam ko adhar jaise machhli kitni bhi jal mein uski gati ho lekin aaspas se jal se gher li jae phir usko marna hi padega wo use naang nahi sakti aise hi kah rahe tu kitna bhi chatur sadhak hai maya ne dason dishaon se jal dal rakha kiska karm bandhan ka sthul sharir ka karm sukshm sharir ka karm karan sharir swabhav ke dwara karm kal karm swabhav gun ghera aaspas se jal dal diya hai jaise machhli jal mein phas jae tu phas chuka hai ab agar tujhe koi bacha sakta hai to hari pakka jaise piche shri gita ji mein shri bhagwan kah rahe hain ek kshan bhi koi karm kiye bina nahi rah sakta aur har karm apna phal deke rahta hai.

kaise ham mukt ho? Kaise ham dukh se bache? Yahan shri surdas ji maharaj kah upar niche daen baye samne piche charon taraf dason dishaon se jo kon bhi hai tu jal mein phas chuka hai. Kiske? Karm bandhan ke jal mein. Jaise machhli charon taraf se ghir kar jal mein aa jae. Ab wo fas jaegi ab maregi daso date karm roke meen ko jo ab kaise bache bachne ki koi sambhavna nahi rah gayi jahan koi sambhavna nahi hoti wahan kartum akram anytha kartum sarv samarthshali bhagwan hi bacha sakte jaise ek kabutar vriksh par baitha tha purv janm ke sanskar bhajan ke rahe honge karm vasata bigad gaya to kabutar ban gaya par bhajan ka sanskar chhutta nahi achanak upar drishti gayi dekha baj bilkul nishane pe mandra raha hai kabutar par drishti kabutar ne niche se udne ko dekha to baheliya bya

bilkul baan nishane pe lagae ab kya karen upar udta hai to baj niche ki taraf udta hai baheliya ab to koi bachne ka upay nahi purv sanskar jaise Gajendra ka ekdam hari ka smaran aa gaya aise smaran aa gaya usko hari ka he hari aap bacha sakte ho ab to koi dusra nahi bacha lo prabhu je hi aisa hari ko pukara paas ke bil se phadhari saanp nikla bahelie ko dasa baan ka nishana aur chhut gaya wo wo sidhe jakar baj ke laga baj bhi mara bahliya bhi mara kabutar swatantr ho gaya kar tum a kar tum anytha kar tum sarv samarth bhagwan fas gaye dason date karm rok panch gyanendriay panch karmendrriyan dason jal mein ham phas chuke hain hamara man panch gyanendra panch karmendra inhi se sansaar jal mein hamen phasa liya ab kya karen?

bole ek hi upay hai hari ka aashray lekar hari naam aur hari yash sur hari ko sujas gavat jah mit bhav par is bhav samudra se par hone ka sudridh upay nirantar naam jap kano se katha suno aur bhagwat charcha hi karo binu hari sumiran mukti na ho koti upay karo jo koi hari hari hari sumiro sab koi hari sumire te sab sukh hoi surdas ji kah rahe hain kar lo upay yadi aap naam jap nahi kiye to moksh pad bhi nahi prapt ho sakti prem nahi prapt ho sakta bina hari charnon ka aashray liye bilkul aisa hi hai. Yah bada sukshm vishay hai.

guru kripa se baat samjh mein aati hai. Naam sarvasv hai. Naam hi hamara jeevan naam mil gaya manushya sab mil gaya ab hamen kuch janna baki nahi rahega kuch pana baki nahi rahega binu hari sumiran mukti na hoi sabko dekha hai sab santo ko dekha hai chahe jis marg ke aur jinki jibhya parinaam nahi hai adhyatmik sthiti nahi pai gayi adhyatmik sthiti koi bhi naam ho koi bhi naam ho aur jab sanyasi mahapurush jan ate the to sabko baithata the ganv ke aise baith jaate aur shri Ram jai Ram jai jai Ram shri Ram jai Ram bachpan mein unhin ke mukh se suna hua ye shuru yahi se shuru hua tha bhajan bhajan ka jo prarambh hua tha yahi se hua tha kyonki sab sant jan ate the koi na koi bhagwat katha sunate aur ye naam kirtan karte sab naam kirtan pujya padu Baba raas mein baithe hari Baba Baba ke saath jahan naam kirtan wahan baithe aur Baba kisi bhi kshan aise khali nahi baithe the.

koi na koi sad granth ki charcha hoti rahti thi. Pata nahi kaun sa gyan jo bhagwat charcha bhagwan naam inka aashray nahi. Kah rahe surdas ji yadi hari sumiran nahi hai hari charnon ka aashray nahi to koti upay karo jo koi kar lo karodon upay tumhen mukt nahi hone degi maya bahut prachnd hai hari hari hari sumiro sab koi hari sumire te sab sukh hoi mahaprabhu Harivansh chandra jo kah rahe hain ki main apni shpath path dila ke kahta hoon tumhen yadi tumne Krishna Krishna Krishna ke gunon ka aghan kiya to is lok mein aur parlok mein sare sukh tumhen prapt ho jaenge.

lago to meri so bhaiya Krishna gun sanch kyon kasam khwa rahe hain? Tum mujhe agar tanik bhi mante ho to tumhen hamari shpath hai. Tum Krishna naam jap karo. Krishna ke gunon ka gayan karo. Jaisi dharivansh vichar ke manuj deh guru charan ga sak to sab parpanch taj Krishna Krishna Govind kahe Krishna Krishna Govind kahe Radha charan pradhan shri Radha kishori ji ke charnarvind ki apaar priti pradan karne wale aisa adesh kar rahe agar tumhen is lok aur parlok mein sada sukhi rahna hai to hari hari hari Krishna Krishna Krishna Radha Radha Radha Radha Radha kah rahe ki hari hari hari sumir jo jahan hari tah darshan deenyo tahan paas hi prabhu rahte hain.

narayan Swami mansarovar se lekar ke giriraj ji ki talti daud ae ruk ja koi samne nahi piche daudte ab pakda ab pakda aise bahari log unhen pagal samjhte the jab kisi mahatma ne pucha Swami ji kripa karke bataiye ye kya leela hai to kaha hamari aur lal ji ki pakda pakri ka khel ho raha hai wo jo kusum sarovar hai na giriraj ji wahan se mukharvind tak saath khelte hain chhin chhin bihrat sang chhin chhin nirakhat prem bhari chhin jas kahat abhang yah jo kripa Harivansh hamare Priya lal aise nahi milte ki ek jhalak di wo gayab ho gaye nahi sadaiv deh rahte hue bhi videh bankar apne bhav deh ko dekar sang rakh lete hain.

wo jeevan rahte hue jeevan mukt mahapurush hote hain. Shri surdas ji maharaj kah rahe jo prabhu ka sumiran karte hain hari hari hari sumiryo jo jahan hari tah darshan deenyo tahan naam vani jahan Shyam shyama tahan bahut vishwas ka vishay hai. Hari binu sukh nahi eehan na uha hari hari hari sumiro jahan tahan surdas ji kah rahe agar aapne naam jap nahi kiya to yahan bhi sukh nahi hai aur wahan bhi sukh ka anubhav nahi hoga agar aap naam jap kar rahe hain to yahan bhi dason dishaein sukhmay aur prabhu ke dham mein to aapka swagat hi hoga kyonki param dhani ho aap naam rupi dhan ekatrit kar liya shri prabodhanand ji maharaj kah rahe hain drishyate vishay spo patita sangan mahantop hi mahan sadhan se sampann ki baat kar raha hoon vishay purushan ki nahi ye maya itni prabal hai ki bade bado ko bhrasht kar deti hai isliye sumiran karo sumiran naam pahu divas nisi yadi naam ka phra hai to koi hriday rupi bhavan mein pravesh hi nahi kar payega.

naam ka phra gate se hai. Yah gate hai. Agar is jibhya pe yyaa ke warte naam tabhyam to is hriday rupi mahal mein kam krodh lobh ka pravesh hi nahi. He bhai man lo hath jod ke kahte hain dusra koi nahi hai aisa sadhan jo aapko unchai par chadha sake. Guru kripa se sadhno ko bhi dekha hai. Santo ke mahmmahim svaroopon ko bhi dekha hai. Aise naam mein lage wo koi bhi naam ho chahe Pranav ho hari naam ho koi bhi naam ho hamen ismen koi sanshay nahi ki yahi naam japne se hoga. Jo naam guru ji ne diya jo naam aapko priy ho wo sab naam aapko wahi pahuncha denge.

hamare hi prabhu ke naam hai. Koi antar nahi. Jal kaho, war kaho, toe kaho, angrezzi mein vatar kaho. Wah baat samjhne wala samjh jaega ki pani maang raha hai. Wo pani ki hi paryayvachi shabd hai. Aise anant naam hamare prabhu ke hain. Koi ek naam ek naam isliye ki priti hoti hai ek naam mein. Ek naam path karna hai to sahasra naam kar lo. Lekin nirantar agar japna hai to ek naam jo guru mukh se mila hai ya agar Gurudev ki prapti nahi hui to jo aapko priy hai aap use japna prarambh kar de buddham pratichchha chet swartham karam tat ai buddhiman tere hath mein aa gaya hai param pad chhin le jaegi maya param pad hath mein sadhan dham moksh kar dwara bilkul dwaar pe aa gaye ho.

jara sa kadam badhaoge moksh pad bhi age hai. Yah manav deh mil gaya. Bahut badi siddhi pahli to mil gayi ki mano deh satsang mil gaya. Mano ekdam moksh dwaar par khade ho gaye. Par ham moksh dwaar pe nahi khade hain. Ham narak dwaar par khade hain. Trivdham narkasdam dwaram nasan matma kam krodha tatha lobha wahi yahan sanket kar rahe hain. Chet swartham karastham tat swarth paramarth sab tere hath mein rakha hua hai. Lut le jaenge. Kam krodh lobh moh madad matsar teri hatheli par param pad rakha hua hai. Bas tu tayyar ho ja.

tathar ahar nisham raat din pramasta hridyo mast ho jaoge. Aisa anand ahar nish naam tal dharavat naam abhya bhajanat akhand bhajan samjha lo man ko shri surdas ji maharaj man toso kotik bar kahe karodon bar tumko satsang ki baten samjhai samjhi na charan gahe Govind ke u agul sahi agar tum shri hari ke charan Govind ke charan nahi pakar rahe ho to tumhare ko hi bahut jalna padega aur ham yah dekhenge dekh lo tum drashta nahi bante tum bhokta ban jaate ho wahi man jal raha jalne do usko bada dusht hai bahut isne galat galat aacharan karvaaye hain tum keval drashta ban jao jal mere mein jalan nahi par hota kya hai sadhak vivek na hone ke karan apne mein jalan man leta hai.

parast ho jaata hai. Ab to man bahut jal raha hai. Ab jo kahega wahi karna padega. Nahi paripakwata aati hai. Aag mein tapa ke jab lohe ke upar ghan chalta hai tab wo paripakva astr ka rup dharan karta hai. Ek sadharan jad vastu ko katne ke layak banane ke liye dekho kaise uski pitai hoti hai. Ghan par rakh ke hathaude se pitai hoti hai. Aag mein rakhkar usko garm karke uske muhn ko kuchalte hain. Tab wah teekhi dhar wala banta hai. Aise hi vivek teekhi dhar hai jo sampurn vikaro ko nasht kar dega par chot sahna sikho.

itni jaldi na tut jao nahi to kaat nahi paoge. Aur wo sahna naam jap se aayega. Kah rahe hain man toso kotik bar kahi. Tujhe karodon bar samjhaya ki bhagwat aashray lekar naam jap kar tere ko anand mil jaega. Nahi man raha jal ab tu u ag shul sahi tere ko hi mil raha hai aur main tere ko sukhi karna chahta hoon main to sukh sindhu ka ansh hoon mera kya bigad lega ye samjho yahi sutra aapke hriday mein nahi isliye durgati ho rahi hai jala raha hai nasht kar raha hai sachchi mast ho jaoge bas satsang ki baat ko samjh lo jis samay man malinta purvak jal raha ho us samay tum muska muskurao jal jal kah rahe the tujhse aisa mat soch aisa mat kar nahi mana na jal ham to Radha Radha Radha Radha par ye bahut pravinta ki baat

hai wo apni jalan aap mein phenk dega turant aur aap kahoge man bahut jal raha hai ab ham rah nahi pa rahe hain ab hamko aisa aisa nahi na charcha karni hai na manna hai aur muskurana hai jal kah rahe the tujhse bahut bar samjhaya man man to so kotik bar kahi karodon bar samjha nahi mana na ab jal tu ab bhog tu apne Radha Radha Radha drashta the ho rahoge tum bhul gaye ye yukti bhul gaye man ne phasakar tumhare ko kitna kasht diya hai thoda to dhairyvan ban jao tumhen koi nahi jala sakta agna astr nahi jala sakta chhoti moti jalan ki baat jane do tum ho kaun ab kah rahe ab bhi ek upay hai ai man sumiran dhyan katha hariju ki ek upay hai hariju ka aashray lekar unka sumiran karo unki leela katha suno kaho par ye ko na kari jab jab samjhao nahi manta ab bhog ja ke tu nahi jaaunga main tere anusaar nahi chaluga nahi jalunga tu jal ab bhala itna to kar le kahe ko tum pareshaan ho rahe ho kyon maa pakde hue ho is dukh ko chhod do bilkul ye aisa lagta hai bahut kathin baat hai aap pakde ho aap chhod dijiye koi

kathin baat nahi sachchi maniye aap agyaan ke karan aise man ko pakde ki tere bina main jivit nahi rah sakta to kah raha ham tumhen apna rang dikhange. Wahi rang dikhata chala aa raha hai. Ek bar chhod dijiye wo aapke adhin ho jaega. Ek bar chhod dijiye. Theek hai. Jal tu soch tu Radha Radha Radha Radha Radha nahi mere mein jalan na thi na hai na rahegi. Bhog tu apne aap theek ho jaega. Yahi ek upay mila hai jab bahut yah padhne likhne se nahi mila hai. Ye ganga ki reti ne diya hai hamko. Ganga ki renuka ne hamko upay diya.

jab ekant shant pradesh mein bhi man ashant hota. Tab lagta hai isko kaise shant karen. Ganga ji vairagya aur gyan ka swaroop hai. Unhee mein khade hokar ke ar prarthna ki ki ab iska kya upay ho sakta hai? Kai kai din bhojan nahi mila. Kashtprad jeevan phir bhi apni chal iski wahi sansaar ki gati kya karen? Yukti spit hui. Tab laga haan yahi to bachav ka paksh hai. Bas anand wah jala raha hai aur apne aandit ho rahe hain. Yukti mil gayi. Wo yukti jo bade kasht se mili ho aise free mil rahi hai aapko.

bilkul aapko na koi jala sakta hai na aapko koi kasht de sakta hai. Aap jalan aur kasht mein kud rahe hain. Is man ko pakde hue hain. Ye man jao. Isko jalne do. Bahut badhiya hai. Chamak padega, nirmal ho jaega. Jab tum isko pakar lete ho tab tum sah nahi pate ho. Jab tum isse alag hokar dekhoge to tum mahatma ban jaoge. Atma tatv mein sthit ho jaoge. Parmanand mein nimgn ho jaoge. Iske bachne ka upay yahi hai. Isse alag ho jana. Jal tu jal kar tu tujhe karna hai. Ab mere dwara ab tak jo tune kaha maine kiya ab nahi karunga.

man to so kotik bar kahe lobhi lampt vishay sohit yo teri nihi tu kabhi sadhu samagam karne ke liye hamara saath diya nahi kabhi baithkar ke nirantar naam japne ke hamara saath diya nahi tu saath deta hai lampt vishay purushan ka sansaar ke bhogon ke lobhiyon ka ye tere mitra hai to ja tu bhog dekh inme kya sukh hai chhadi kanak mani ratan amulak kanch ki kirach gehi hari jo prabhu jo ye mahamni swaroop hai man kabhi to inme nahi lag raha aur kanch batorta ghum raha hai vishay bhogon ka o tu hai chatur viveki taj piyat mah bada tu apne ko buddhiman samjhta hai.

are kamdhenu ka doodh chhodkar ke chaval ke dhavan pine ja raha hai. Sundar kamdhenu ke doodh ko chhodkar mahi pine ja raha hai. Arthat waise hi dikhayee deta hai. Chaval ka dhavan doodh jaisa par kamdhenu ka doodh to kamdhenu hai. Arthat prabhu ka naam, prabhu ka rup, prabhu ki leela inko chhodkar sansaar ke naam rup mein bhogon mein aasakt ho raha hai. Brahmaadik rudradik Ravi shashi dekhe sur sab hi surdas bhagwant bhajan binu sukh tahu lok nahi man to so kotik bar kahi brahma ji bhagwan shankar ji bade bade devi shakti sampann ishwar koti ke mahatma nirantar hari ka bhajan karte hain.

tujhe samjha raha hoon. Maine sab dekha hai. Kaun kah rahe hain? Antardrishti prapt shri surdas ji maharaj. Ab man le bina prabhu ke bhajan ke tino loko mein bhatakta ghumega nana prakaar ki yoniyon mein lekin tujhe sukh nahi milega. Yah utaptang karne wala man samjhane se nahi samjh raha aur hamara janm nasht hota chala ja raha hai. Dhoke hi dhoke dahkayo. Is man ne mujhe bar-bar salah di. Yah bhog lo to sukhi ho jaoge. Itna paisa aa jae to sukhi ho jaoge. Yah pad mil jae to sukhi ho jaoge. Yah vyakti mar jae to sukhi ho jaoge.

bahut chhalia hai dhoke hi dhoke ab vriddhavastha aa gayi jo jo sangrah kiya jo jo hamne ekatrit kiya uske bhogne ki samarth nahi rah gayi aur bhog vasna aur prabal ho gayi aur jis karya ke liye aae the ki bhajan karke bhagwat prapti karen wo to kiya nahi to budhape mein bhajan nahi hoga yah bhul jao ki sab kam karne ke baad budhape mein bhajan kar lenge nahi hoga abhyaas jeevan mein jiska ka nahi hota bhajan ka uska budhape mein bhajan nahi hota dhoke hi dhoke dahkayo hamko to bahut bulawe mein dalkar man ne dhoke hi dhoke mein pura jeevan nasht kar diya surdas ji maharaj kahe samjh na pari vishay ras geedho hari hira ghar maajh gavayo are mere hriday mein hari jo virajman aur unse vimurkh hokar vishay vishay bhogon mein janm aisa bhi ho raha hai.

vriddhavastha hai. Jahan naam jap karna chahiye vishyon ka rag tyag kar wahan paise ke bal se phir vishyon mein sukh bhogne ki lalsa. Kya hoga? Are bhai pura jeevan vyatit ho gaya. Nahi kuch khoj paye sukh. Ab phir wahi samay barbad kar rahe ho. Ab to chet jao. Par nahi ye man aisa dhokebaaz hai aur isse itni ghanishtha mitrata hai. Man jo kahega wahi karega. Nahi hamara man nahi manta. Sachchi maniye ek bar man se thoda hatkar dekhiye. Kah rahe tumhari durdasha aisi hai jo kurang jal dekh Yavan ko pyas na gayi chahudha janm janm bahu karm kiye hain.

tin mein aap badhayo. Kai bar udaharan de chuke hain. Jis samay prat kalin surya uday hota hai. Yah drishya dekha hai aur wah ganga ji ki reti par aise parta hai. Aisa lagta hai nirmal jal bhara hua hai. Kai bar bhram ho jaata hai ki idhar to jal bhara hua hai. Age dur dikhayee de raha hai. Kidhar se nikle jab wahan gaye ek bund pani nahi. Jo kurang jal dekh avan ko pyas na gayi chahu dis dhayo. Wo dauda hai durdur jal dikhayee deta hai pyas bujhane ke liye lekin pyas nahi bujhti kyonki jal hai nahi aise hi ham daudte hain apne man ko saath lekar is sharir ko bhoge is sharir ko bhog le is vastu ko bhog le aisa aisa kar le sukhi ho jaenge pura jeevan ho gaya pyas nahi bujhi are hosh mein janmjanm bahu karm kiye hain.

yah jo karke bhog karke sukh pana chahte ho bole yah janmjanm pehle kar chuke ho ab bhi wahi kar rahe ho aap bandhayo tu apne aap ko bandhan mein dalta ja raha hai kaise tujhe sukh milega shri surdas ji kah rahe kyon apna janm gva de rahe ho bhaje na charan kamal yadupti ke raho bilokat chaai janm gavayo uva bai uva bhai utaptang ke karm karte hue oot patang ke bhog bhogte hue pura ye manushya janm gva diya. Yah dhan ye tumhara joban mad o o takat nari parai ya paraspat akarshan lalat chhubdha sthan juthan jo so hath nai dekh itna samay tere ko vyatit ho gaya ye ganda aacharan karte hue kuch hath aaya kuch mila haan kya aur vasna prabal ho gayi aur hamare andar jalan paida ho socha tha ki agar ham amuk amuk bhog bhog lenge to man shant ho jaega.

lekin jitna un bhogon mein aur aag paida ho gayi aur ichchha paida ho gayi to kah rahe ab mudhta chhod do. Surdas prabhu chhan sudharas vishay param vish khai. Ye jo vishay vish kha rahe ho isko chhod do aur amrit pan karo. Naam amrit Rupa amrit leela amrit shripad Prabodhanand ji kah rahe hain tahar ahar nisham pramat hriday Vrindavi mavas aa jao Vrindavan dham ane matra se tumhare hriday pavitra ho jaega aur satsang yadi aapko prapt ho gaya to vishesh kripa aur satsang mein yadi shabd aapko prapt ho gaye sunte to sab hain.

shabd kisi kisi ko pakar mein ate hain. Agar shabd pakar liye to pakka wah aapko chadha denge aisi unchai par jahan na durwyasan hai na duryvhaar hai na durwachar hai parmanand ka anubhav kara denge. Bhagwan shri Krishna chandra jo maharaj arjun ji ko updesh de rahe hain ki tum keval yagyartha karm karo. Yagyat karmatra lokam karm bandhna tadartham karmate mukt sang samachar bahut sundar baat hai. Yagya kise kahte hain? Kartavya karm ko yagya kahte hain. Jis samay aapko jo kartavya samne aaya hai, wah aapke liye yagya hai.

yagya shabd keval ahuti se hi nahi hai. Yahan kah rahe hain ki shastron mein jo yagya shabd ucharan kiya gaya wo kartavya matra ka naam yagya hai. Yagya shabd se yagya karna, dan dena, tapasya karna, havan karna, tirth yatan karna, vrat karna, shastr swadhyay, veda adhyan karna, shareerik vihaar mein kisi ko dukh na dena, parmarth vihaar mein nirantar rahna, vichar mein yah yagya hai. Kartavya mankar kiye jane wala vyapar, nokri adhyan, adhyapan, kisani sab yagya hai. Ye samjho yagya ka matlab keval swaha bolna hi nahi.

yahan varnan kar rahe hain. Yagya, dan, tap, home, tirth sevan, vrat, veda adhyan, shareerik vihaar mein kisi ko kasht na dena. Parmarth aapka chintan parmarth ho. Kriyaen vyavahrik ho rahi to dukh kisi ko nahi pahunega. Kartavya mankar kiye jane wala vyapar, nokri, adhyan, adhyapan, kisani jo bhi karm aapko shastrit mila hai wah sab yagya hai. Bhagwan kah rahe hain yagyartha kiye jane wala karm mukt sang samachar aapko mukt kar dega. Aur agar anyatra karm kiya wah aapko bandh lega. Anyatra karm hai swakh vasna.

main sukh bhog lun. Ab isi mein jo bhi karm aap vyapar kar rahe hain. Bahut adhik jhooth bolkar chhal kapt karke adharm purvak dhan kama rahe hain. Aap chori hinsa aadi ye sab nishiddh karm ye anyatra karm ye aapko bandh lenge. Arthat dukh par dukh vipatti par vipatti aapko dete jaenge. Agar aapne yagyartha karm kiya to aapko labh kya milega? Bole yah yagyartha karm aapke purv sanchit karm ko bhasm kar dega. Karm samuh ka nash kar dega. Yagyartha karm kartavya karm. Aapko dikhayee de raha hai koi tadap raha hai.

ab aapke liye yagya hai. Ab aap uska sahyog kar dijiye. Sharir bal se, dhan bal se, buddhi bal se, sahyog lekar dusron ka kisi tarah uska hit ye yagya ho jaegi aapki. Koi bhukha darwaze par aa gaya. Jaise ek mahapurush kah rahe the yadi aapne kutia nahi banai hai to aap par koi adhikar kisi ka nahi. Yadi aapne kutia bana li hai to aap chahe virakta marg ke pathik kyon na ho yadi darwaze par koi aa gaya aur kah raha hai mujhe bhookh lagi hai to chahe aapki rasoi ban chuke ho sab pa chuke ho. Ab aapka kartavya banta hai tatkaal uska aadar kijiye aur banaiye aur usko pavaie.

agar nahi to aapke sukrit nasht ho jaenge. Kuch aisi vastu rakhiye usko pawa dijiye. Prarthna kijiye. Aap virajman hoiye. Tatkaal lag jao chai roti sabji bankar usko pawa do. Yagya hai ye prapt yagya ka tiraskaar nahi. Agar prapt seva kartavya karm aaya hai. Aap are nahi ab to samay khatm jao. To shayad tumhara samay ab lut raha hai. Pakka dhyan rakhna. Ek roti Ram Baba bahut siddh sant hue hain. Udhar unhone bahut bade yagya karae aur apne niji sevkon ko adesh kiya tha kisi ka apman na hone pave aur koi rahne na pave aisa jiska swagat na ho.

kyonki hamare bhagwan padharenge yagya mein. Bade siddh mahapurush the. Bade pratapi purush the. Jab purn ho gaya to kaha ki maharaj ji sabka swagat hua hai. Hazaron ki sankhya mein unke sevak the. Sab lakho log ganv ke sab aise unka nahi abhi hamare bhagwan ka swagat nahi hua. Mere bhagwan jo aae hain unka swagat nahi. Wah uthe aur dekha jake to ek vriksh ke kinare par ek vayo vridh jo hai aise tandra mein jaise baithe apne sevkon se kaha inko pavaya bole hamari drishti hi nahi gayi to gaye pranam kiya maharaj prasad paye haan haan ham thoda chal nahi pate yahi le aie unko pavaya hamen dekhna hai prasad agar pane ja rahe hain agar grihasth hai to ek bar kartavya banta hai dwaar par akar dekh koi bhukha to nahi agar kutta bhi baitha hai to pehle ek roti dal ja karke koi gay hai to usko pehle de ya koi vyakti hai ye

dharm kahta hai yah yagya hai aap jaise koi bhi sandhya hamen bhookh lagi bhojan milega haan avashya milega wo chahe raat ke 10:00 baje ho chahe din ke kisi bhi samay mein ho jis samay aapki rasoi nahi tayyar hai us samay bhi aap tayyar kijiye chahe kharid kar laie chahe bankar pav unka aadar kijiye yadi anadar kar diya to wo yagya nahi hua phir to udhar bharan poshan wali baat hui bhagwan kah rahe yagya ka tatparya abhi aap suno aapki paristhiti ke anusaar prapt kartavya karm kabhi-kabhi aisa hota hai wo chuk nahi honi chahiye wo chuk ho jae to phir kai bar aise jeevan mein ate hain.

jahan ham log chuk kar dete hain. Wo tumhare mukt hone ke liye avsar diya bhagwan ne. Aajkal aisi swarth buddhi ho gayi ki shisha khola video bana liya nikal gaye. To ye pashuta hai. Manushyta nahi hai. Yahan yagya agar koi aisi paristhiti hai to us paristhiti mein ham sammilit hote hain. Jo dukh sukh padega dekha jaega. Wo kya karega? Mukt sang samachar wo aapke samasth karm bandho se mukt karne wala karm mila tha jo bhagwat prasad se yagya ki tarah tha. Apne log chuk kar dete hain apne kartavyon ka.

jaise ham khub chikh chikh kar kahte hain vayovriddh jo asmarth mata-pita hai bhari yagya hai unki seva jahan jiski seva ka avsar jo hamara kartavya karm dekho satsang ka matlab hi aapka sudhar hona chahiye. Aapke parivaar mein priti nahi, aapke parivaar mein shanti nahi, kalah, ashanti, var, vigrah, ladai, jhagda to aap kya manushya ho? Char log priti se nahi rah sakte ho. Kya tumhari buddhimani hai? Dekho vastav mein yagya hamen chah nahi karni. Agar hamen seva prapt ho jati hai, paristhiti prapt ho jati hai to ham uska anadar nahi karenge.

vyapari ka pradhan uddeshya jaise dhan kamana hai. Yah uski yagya hai. Kab? Jab jhooth nahi, chhal nahi, kapt nahi. Phir bole vyapar mein labh kaise prapt hoga? Haan. Hamen pata hai ham 100 ki vastu laye hain. Ham 150 ki denge. Tumhara man ho to le jao. Nahi to nahi. Jhooth nahi. Yar ham kasam se kahte hain ki matlab 70 ki mili thi. Ab aapko ham 120 ki de sakte hain. Aise log ek minute mein kasam ek minute mein jhooth aise man lo subah subah ham bol rahe hain. Aise ham sune hain baten nahi jhooth kyon bol rahe ho?

jaise aapse poohe kitne ke hai? Itne ke hai nahi itne ki to nahi to aap aur kahin le lo. Hamara vyapar hai. Ham itne ki denge. Jhooth nahi bolna hai. To ek din jab aap achchhi vastu bhale aap usmen labh le rahe ho to aapke dukan ka ek swaroop ho jaega. Yahan mul bhav nahi hota aur vastu achchhi milti hai. Haan thoda mahnga milti chalega. Aapko usmen chhal kapt ab to daal mein bhi rang karke aata hai. Hari kishmish dekho pani mein dalo to hara rang nikalta hai. Matlab itna chhal kapt chal gaya ki ab pata nahi chalta ki vastu ka asli swaroop kya hai.

jaise dhan kamana vyapar mein wo yagya hai. Bada pavitra hai. Par aap jhooth chhal kapt vastu kuch aur dam kuch uska aur bol kuch aur rahe isse nahi hoga. Aap ekatrit kar lo dhan. Sukh shanti parivaar ki subuddhi ye sab nasht ho jaegi. Adharm ke dwara kamaya hua dhan sab ki buddhi ko bhrasht karta hai. Wo shanti nahi. Jab ashant hai to sukh kahan? Ashantas kuta sukham. Aise yagyartha karm yogi jab karm karta hai to vyapar karta hua bhi paramatma ko prapt ho jaega. Kisani karta hua paramatma ko prapt ho jaega.

jab yuddh karte hue paramatma ko prapt ho jaega to aur kaun si baat rah gayi? Nishkam bhav se apne kartavya ka palan karna yahi param swdharm hai. Nishkam bhav se samne wala kya bartaav hamare saath karega? Wo gali de dega ya wo katu bole ya ninda bole hamen isse matlab nahi. Hamare vayov vridh mata-pita hamara kartavya seva karna. Hamare pati hai hamara kartavya seva. Hamari patni hamara kartavya hai uske anukul chalna. Yah sab apnep kar abhi anand aa jae lekin sab apne kartavya ko bhulkar samne wale ke kartavya ko dekhna chahte hain.

aisa kaise ho sakta hai? Aap kartavya bhrasht ho aur samne se kartavya ki maang karo kabhi nahi prapt ho sakti. To yah skamta yahi adharm ho jaata hai. Samne se hamen chahiye. Nahi anukulta mili to ham krodh kar baithe. Bade ladai jhagde, hinsa aadi mein utar gaye. Jitni bhi skamta hai yah nishiddh karm karvaaye bina nahi rahti. Pakka agar chhoti moti seva bhi bani udhar se pratikultaa mili to phir nishiddh karm ho jaega. Unko marna, unko gali dena ya apman kar dena. Yah sab bandhan pradan karne wale karm hai.

sab ke sab yah tumhen dukh pradan karenge. Agar chhota sa chhota karm bhi nishkam bhav se karm tavy mankar palan ho to wahi tumhara yagya ho jaega aur bhagwat prapti mein arthat dukho ka nash karke parmanand pradan karne mein wo sahayak ho jaega. Isliye nirantar savdhaan rahkar apne kartavya karm ke liye utsahit aur jagruk raho. Jaise koi hamare ghar aaya hai ya ham kahin sabha mein kisi ka aadar kar rahe hain aur hamare andar yah skamta hai ki main khada ho jaaunga hath jod ke aie aie aur unka swagat karunga to ye 10 log kahenge ki bade danya hain.

dusron ka bada sammaan karte hain. Ab ye aapka kartavya karm yagya nahi bana. Ye aapki skamta aa gayi to anyatra karmon mein chala gaya. Arthat abhiman pusht hoga. Patan ka marg khul jaega. Kya karte ho? Khade ho gaye, aadar diya hai, hath joda hai. Par 10 vyaktyo par hamare is aacharan ka prabhav padega. Hamari prashansha hogi. Skamta aa gayi. Ye bade dhanya hai bhai. Dekho kitna aadar kiye. Ab ye baat dekhne mein achchhi lagi lekin andar se aapko giraegi. Kahin yahi ekatrit hokar hamko pusht karegi aur gira degi.

dusra jaise aap sant ke samip gaye. Aapka koi bhagwat prapti se matlab lena dena nahi. Yah dekhna hai ki kitne gehre pani mein hai to aap nahi dekh payenge. Aap dosh darshan karenge. Aur aapka wo dosh darshan nishiddh karm mein akar aapka patan kar dega. Dusra aapko shastron ka gyan hai. Aap janbujh karke wahan yah prashn kar rahe hain ki char log yah kahe ki kya bhai prashn kiya hai uchh koti ka aapki sthiti nahi. Aapka sadhan mein pravesh nahi keval padh ke aap kisi mahatma se jag bahut log samay barbad karte hain.

bahut samay barbad karte hain. Koi matlab aise aise prashn karte hain jinka koi astitva nahi hai. Naam jap karo aap sab sahi ho jaega. Vyarth mein samay yah sab anyatra karm ke antargat aata. Prashn wah kiya jaata hai jaise ham sadhan mein lage hain. Ab hamen pareshani ho rahi hai. Jo antar mein hamen badha lag rahi hai wah ham sant sadguru dev ke paas jakar nivedan karte hain. Ar bhav se danyata purvak aur jo uska nirnay karte hain. Tatkaal sweekar karte hain. Phir us par chalte hain. Phir us par jo badha aati hai ham phir prashn kar sakte hain.

tatparya yah hua ki kartavya karm usi ko mana jaega jismen aapka kisi bhi tarah se sakam bhav na bane. Use yagya kahte hain. Wahi karm bandho ka nash karke bhagwat prapti karaega. Sadhak ka yah bhav aham pusht karne wala kabhi nahi hona chahiye. Kisi bhi karya ke jaise koi pyasa hai ham pani pila rahe hain kisi ko aushadhi de rahe hain kisi ki seva kar rahe hain is bhav se karen bhagwan inke andar virajman hai aur yah seva bhagwan ki ho jaegi ham par bhagwan prasann ho jaenge hamare ko naam japne mein ruchi bhagwat charnarvind ke dhyan mein ruchi yah phal prapt hoga yadyapi samne aapke koi sharir hai chahe pashu pakshi ka chahe manushya ka lekin uska parinaam bhagwat prapti hoga agar skamta nahi lokoyam karm bandhna kartavya karm karne ka adhikar keval manushya ko hi hai pashu pakshi ko ya anya ko nahi hai isiliye bhagwan kah rahe ki srishti chakra se mukt hone ka upay keval manushya ke paas hi hai.

tum ab is lok mein bandhne wale karm mat karo. Bandhne wale karm sakam bhav abhiman purvak prani matra ko yadi sukh pahunchane ka tumhare hriday mein bhav aa gaya to har karm tumhara kartavya karm ban jaega aur yah kartavya karm tumhen samasth bandho se mukt sang samachar parmanand mein dubo dega kitna sundar hai. Par ham aisa nahi kar pate. Dusron se sukh lene ki bhavna mein ham bandhte chale ja rahe hain. Tad karm kaute mukt sang samachar tatparya karmon mein padartho mein aapka adhikar nahi hai. Yah bhagwan ki shakti se karm ho rahe hain.

bhagwan ke diye hue padaarth hai. Hosh mein apne sharir ka bhi poshan main man ke nahi karna. Is sharir ko bhi to yah par hai. Yah swas thodi hai. Is par ka bhi seva waise karni jaise dusre ke sharir ki. Hamare paas jo seva samgri is sharir sharir ke sambandhi aur prapt kabhi kisi ki seva par hamen yah bhav nahi karna ki iska hamen phal milega. Agar phal ki akanksha rakenge laukik to bandh jaenge. Yahi ki hamare prabhu ko yah karm samarpit ho. Hamare jeevan mein ekmatra prabhu ki maang rah jae. Prabhu ka naam japna, prabhu ke charnarvind ke prem mein magan hona.

yah laukik sampatti to apne aap badhti jaegi. Sachchi mano na jo dusron ki seva mein prapt sampatti prapt sukh ka tyag karte hain. Iska phal yah hota hai ki bahutayat sukh samgri unke paas hoti hai aur uska rag nahi hota hai aur jo seva ki jati hai usse shri bhagwan prasann ho jaate hain. Wo mukt ho jaata hai. Aaj ke satsang ka sar hamara jeevan bada sankat purn hai. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar, pratiphal aise sankat mein dalne ke liye tayyar hain. Pocho mat. Yah man, buddhi, chitt, ahankaar, panch gyanendriay, panch karmendirya, trigun maya se prerit hokar mujhko bandh liya hai.

yadyapi bandha hua nahi hoon. Ab ek hi upay hai manushya jeevan mein. Hamari buddhi shuddh rahe. Hamse papacharan na ho. Hamara jeevan anandmay ho jae. Bhagwat ashrit hokar naam jap har satsang ka sar bhagwat ashrit hokar naam jap karo yah sab kuch aa jaega andar wo hriday sa dravit ho jaega ki apne aap aapse wahi karm honge jab bagdor prabhu pakar lenge to kahan rath le jana hai kahan khada karna hai yah sab unko gyan hai. Aashray ka matlab hai apne jeevan ki bagdor de dena aur naam jap ka matlab hai apne jitne bhi hriday mein vikar jitne bhi hriday mein chahte sabki sabki vrityio ka shaman karke parmanand mein sthit kar dena do baten bahut jor ki hai sab shastron ka sar bhagwan ka aashray lekar naam jap karna har shwas naam jap karo sab gyan uday ho jaega aapke sab karm theek ho jaenge jo bandhankari hai wah sab nasht ho jaenge.

Radha Radha har samay jibhya se ratte raho. Bas savdhaan raho. Koi asat karm na banne pave. Shesh charcha age Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi