॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

dukh ho ya sukh, labh ho ya hani, yah ek baat kabhi na bhulen ! // 17/12/25

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tvai padarvindm prema makrand raso purnam hapitam madhupte smarta mogram nirvai param shital maya nirvai param shital mashray param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugalchand pranaaradhy shri shyama Shyam jo samasth hit parikar nij parikar deh rag hi samasth dukho ka mul hai aur ham manav deh deh rag se mukt hone ke liye aae hain. Yah malin buddhi aisa nirnay hi nahi kar pa rahi. Aisa bhram ka jal bicha hua hai avidya ka ki ham apne ko sharir mankar nana prakaar ke aise karm kar baithe hain jo bahut hi lok aur parlok mein dukh dene wale hain.

jai shri hit Harivansh nark gati durbhar yam dwrae katiyat nak chhake arthat chhote se bhi karm ka bada dand prapt hota hai jo shastr virudh arthat adharm aacharan paap aacharan koi kah sakta hai chhote se karm ka aisa dand kyon hota hai to dekho hamare bharatiya kanun mein hi dekh lo aap kuch minute aparadh karenge aajeevan saja payenge kyonki aap kanun ke virudh aacharan kar diye to bhagvatik kanun siddhant ke virudh aacharan karte hue ham is divya manav deh ko aise gart mein girate ja rahe hain jahan se nikalne ka koi upay nahi milega kyonki upay to manav deh mila aur ismen ham aur girne wale aacharan kar diye isliye shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain yasha prapti bharnam vi mahand kashya charan ha mu maha vinishtamay se stri sang naam sangta shodha narakyatna kati navta matra saha kim Vrindavan vas bhasan mahananday mandase are mand buddhi are mudh bahut badhiya tujhe avsar diya shri hari ju ne ki aise aacharan kar ki tu divya ban ja divyta ko prapt kar par nahi tu apne sharir mein itna

aasakt ho gaya hai antahkaran mein itna aasakt ho gaya hai ki jo yah maang karte hain apni maang kar girta chala ja raha hai fansa chala ja raha hai dukhi hota chala ja raha hai tune apna patan kar liya shripad kah rahe hain mano sabse unchi ye yoni bahut unchai par ham chadh gaye. Yadi manav deh prapt hua ab ham niche gir rahe hain. Kyonki isse unche uthne ke liye sat marg ka aashray adhyatma marg ka aashray nirantar pavitra chintan pavitra aacharan pavitra ahar vihar to aap divyta ki taraf badhenge. Apvitra aacharan, apvitra ahar vihar, apvitra vichar to aap pashuta ki taraf asuri bhav ko badhenge.

prayah ham deh bhav se yukt hokar apna patan karna hi sukh mante hain. To ashwa prapos bharnam papacharan karke apni indriyon ko jo santusht kar rahe ho udar ko bhar rahe ho to tumhen yah pata nahi hai yah kisi kshan nasht ho jaega sharir ashwa abhi ho sakta hai ya kuch samay baad ho sakta hai par hoga nischit ye sharir nasht nischit hoga shripad kah rahe hain vidbhand kasya aacharan tum is sharir mein rag karke jis aacharan ke liye aae the us aacharan ko bhul gaye. Garb mein bhagwan se vada kiya tha. Kaisi durgati purn sthiti garb ki hoti hai.

yahi paas mein hi malashay hai. Mutrashay hai. Maa ki dahni kokh mein virajman wo shishu use bhagwat prerna se gyan hota hai. Aur wo bhagwan se prarthna karta hai. Ek bar mujhe ek bar prabhu is nark se nikal do. Bada bhayav kashtprad hota hai garb mein pasi malashay mutrashay usi ke beech mein jaise kide ki tarah chhataptata hua kashtprad aur mukh niche ki or kiye hue kundlakar aise aram se saiya nahi hai har vyvastha nahi hai ab ye vyvastha tumhen mili hai ki tum bhagwat prapti kar lo par tum avyvastha ko sweekar kar rahe ho adharm aacharan papacharan karke chahe jitna dhan ekatrit kar lo bhog ekatrit kar lo parinamta patan vinash chinta shok bhay likh lo yahi milega pashchatap ke siva kuch nahi hath lagega

mahmmahim shri surdas ji maharaj kah rahe hain te din biri gaye yahan aae bhumi parat bhabar pani tim jeevah maya laptani wo samay tum bhul gaye jo garb mein tumne kasht paya tumhen yad hai nahi yad hai ham sab garb mein rahe maa ke sachchi maniye yah vismaran karane wali maya pratiphal hamen hamen vismaran karati chali ja rahi hai aur dukh ki jahan sima nahi hai aisi jagah hamen pahunchati chali ja rahi hai aur bhakti prati pal smaran karati chali ja rahi hai aur sukh ki jo charm sima hai wo shri bhagavtanand Premanand vigyananand ye anubhav karati hai.

surdas ji maharaj kah rahe hain te din biri gaye yahan aae ati unmat mohammad chhakyo phirat kesh bagrae te din bir gaye yahan aae jin divasni janani jathar mein rahat bahut dukh paye ati sankat mein marat bhata lo mal mein mudh gaye buddhi vivek bal hin chhin tan sab hi hath saath parae tab dho kaun saath rahie tere khanpan pahunchae tah na karat chit adham ajhu lo jivit jake jae sur sumrig jaan sahit nit vishay vyyadh ke gaye te din biri gaye yahan aae jaise sundar nirmal jal bhumi par girta hai wo mitti se lagte hi malin ho jaata hai.

aise hi nirmal gyan maa ke garb mein shri bhagwan ne diya. Kah rahe tum bhul gaye us baat ko jab maa ke garb mein the to jahan malashay mutrashay wahi tumhari khopdi thi ati sankat mein marat bhata lo mal mein mudh gadae aise tange hue the malashay mutrashay ke beech mein aur kundlakar the tum kitna bhayanak tumhen pida ho rahi thi rahat bahut dukh paye. Apaar dukh mil raha tha. Bhagwan kapil dev ji mata devti ko sunate hain jeev ki durdasha jo maa ke garb mein hoti hai. Us samay kaun tera mitra tha? Kya teri khanpan ki vyvastha thi?

ek nal ke sambandh se hi tera bharan poshan ho raha tha. Wah Vishvambhr bhagwan tumhen kripa karke vivid dukho ko dene wali yoniyon mein na fansakar manav deh ab kripa kar lo apne upar. Aapke upar sabki kripa hai. Kisi se kripa mangne ki zaroorat nahi. Aapko apne upar kripa ki zaroorat hai. Aapke upar bhagwan ki kripa hai. Kabahu karuna nar dehi det i bin het snehi. Kripa karke bhagwan ne bina kisi hetu ke tumhen manav deh diya hai. Sanskriti chakra ko rok ke beech se manav deh tumhen de diya. Bhagwan ne kripa karke sadhu sang diya.

aap dham aae aap shravan kar rahe jis raj mein baithe hain brahma Uddhav sanakaad is raj ki vandna karte hain. Aapko is param pavan Vrindavan ki bhumi mein baithkar mahan durlabh bhagwat yah siddhant sunne ko mil gaya. Agar ab nahi sudhar kiya to hamen lagta hai ki so partr dukh pav sir dhun dhun pachtae kalah karm ishwar mithya dosh lagae jinko bhagwan ne aisi kripa ka sanyog bana diya aur wo bhagwan ke bhajan se rahit hokar apna samay nasht kar rahe hain bhogon mein pachtana padega phir yahi utare hamare paas samay nahi tha ki bhajan karen aur nana prakaar ke karm jal mein phaskar ye divya manav deh nasht kar deta hai.

ati unmat moh mad chhaa jaise jaise avastha badi waise waise abhiman moh badhta chala gaya aae the ki ab ham apna udhar karenge manav deh mein phir aise aacharan kar liye jinse aur buri tarah bandh gaye vishwas maniye bahut badhiya avsar hai kah rahe hain kaun tumhare saath jaega dhairya purvak dekhiye koi vastu koi vyakti koi pad koi sthan koi degree kuch aapke saath nahi yah aap chahe jitna sharir saja lo savar lo yadi ise sat kamai nahi ki to bilkul vyarth chala gaya agar aapne naam jap nahi kiya dusron ko sukh nahi phuchaya is sharir se bhagwat bhav se sabke prati aapne maitri bhav nahi rakha karuna bhav nahi rakha to dhikkar mano deh ko kya prapt kiya aapne?

yah to sab pashu bhi karte hain. Bachchha wo bhi paida karte hain. Bhojan pate hain. Wah bhi nind lete hain. Wah bhi jite hain. Kya itna hi manav deh ki durlabhta hai? Are adham ab bhi avsar hai. Chet ja. Jiske siwai sampurn brahmand jita hai. Us hari ne tere upar kripa karke bhajan ka avsar diya hai. Pujya pandit gaya prasad ji giriraj wale Baba kahte hain mere lala ne yadi aapko bhajan karne ka samay de diya hai to ab kuch mat mangna. Isse badhkar koi labh nahi hai ki aapko bhajan karne ka avsar diya. Bahut bada labh hai.

sachchi maniye abhi aapko dikhayee nahi deta. Baad mein jab pachhtaoge to hath kuch nahi lagega. Aisa jal buna hua hai main mor taur ka avidya ka ki yahi satya lagta hai. Yahi sukhad lagta hai. Yahi bas mil jae mujhe. Main yah prapt kar lun. Yah bhog bhog lun. Aisa pad prapt kar lun. Main main yahi avidya hai. Pyare keval aap mukt hone ke liye aae ho. Aho bhagya hai. Bhagwan shankaracharya ji kahte hain hazaron janmon ke sukrit aur sadhna ka phal hota hai ki use koi vishuddh satsang mil jae aur phir wo nischay kare ki main isi janm mein bhagwat prapti karunga.

yah hazaron janm ke shukra to sadhna ka phal hota hai. Mumukshta main mukt ho jaun. Main bhagwat prapt ho jaun. Main samasth dukho se dwandon se chhut jaun. Lekin ham ulta karya kar rahe hain. Jisse dukh milte hain aise aacharan kar rahe hain aur dwandon mein phaaste chale ja rahe hain. Harshit hona, sukheet hona, sukhi hona, dukhi hona hamare hriday ko bar-bar pida pahuncha rahe hain. Kab tak bhogte rahoge? Utho jago. Re sath binu Govind sukh nahi shri surdas ji maharaj tero dukh dur karbe ko Riddhi siddhi phir jahi ye bhog to baat jane do riddhiyon siddhion ki takat nahi ki tere dukh ko mita sake bina bhagwat prapti ke dukh ka mul avidya nasht nahi hoti ye ridhiyaan siddhiya bhi mayakrit hi hai.

chidanand nahi hai. Goswami ji ne likha hai jis samay sadhak ki sadhna unchai par chadne ko hoti hai adhyatma ki sthiti par to ridhiyaan siddhiya aa jati hai. Agar prayog kar liya to patan upar nahi chadh payega. Riddhi siddhi pere bahu ai buddhi lobh dikhave bhai hoe buddhi jo param sayani chintan chit na anhit jaan nahi yah hamara bhagwat prapti ke marg mein anhit kar de amangal kar denge nahi chahiye bade-bade bhagwat premi mahatma Vrindavan braj mein the hain rahenge kyonki ye Vrindavan premion ka khet hai aur aap dekhenge bahut hi dainya nahi koi bhi chamatkar nahi bahari kyon chhote-mote mantro ka anusthan karen to dusre ke man ki baat jaan lena dur ki baat dekh lena ye sab bahut saral baten hain sadhak ke liye vishay purush ke liye nahi lekin sabke antahkaran mein virajman sacchidanand bhagwan ko janne ki jo adhyatma marg mein vritt hai usmen koi bhi chamatkar koi bhi siddhiya sweekar karne ke liye nishedh kiya gaya hai.

tabhi yah param siddhi vasudeva sarwamti samatma sudurlabha sarvatra mera bhagwan virajman hai. Aisa anubhav ho gaya. Jeevan mukt ho gaya. Apne log samjhte hain ki ye siddhiya ye ridhiyaan ye param sukh hai. Surdas ji kah rahe hain jinke samne Govind baithe rahte hain. Baba pad sunao. Baba gaan kar rahe hain jinka wahi prabhu samne baithe rahte hain. Hriday mein vihar karte hain. Samne baithkar pad sunte hain. Atho pahar surdas ji ke saath rahte hain Govind. Wo kah rahe hain tero dukh dur karbe ko Riddhi siddhi phir jahi.

yah chahe jitni siddhi aa jae tere dukh dur hone wale nahi. Accha siddhi kya hai? Prakritik hai. Dekho dur ki baat dekh lena. Dur ki baat sun lena, man ki baat jaan lena, ek hi samay kai sharir kai jagah virajman ho jana, patthar mein bhi pravesh kar jana, akash mein vicharna. Bahut prakaar ki ye siddhiya kya hai? Hai to yah prakriti rajya hi sara ka sara prakriti ke antargat hi hai. Aur adhyatma kya hai? Paramatma swaroop mein sthit ho jana. Brahmavi brahm bhavti yah bhi ek uchh koti ki divyta maya ki hai jo riddhiya siddhiya hai lekin jise bhagwat prem chahiye ya swaroop bodh chahiye wo idhar aankh utha ke bhi nahi dekhta kyonki yah bhi vikshep dal deti hai jab ridhiyaan siddhiya hamare dukh ko dur nahi kar sakti to laukik bhog kaise dur kar sakte hain mujh avinashi ko prakriti kaise sukhi kar sakti hai dekh dekh lo bhog karke bahut janm se bhog rahe ho aur bhog lo.

yah sukh tabhi aapko prapt hoga jo khoj kar rahe ho jab aap apne aap ko jaan jaoge ya prabhu mein tanmay ho jaoge. Do hi baten hain. Chahe ashtang yog karm yog se chalo chahe bhakti yog se chalo chahe gyan yog se chalo. Apne aap ko jaan gaye to brahm vid brahm bhavti janat tumh tum ho jae. Purnata hai. Koi sanshay ismen nahi. Aur prabhu ko man liya phir jaan gaye to purnata hai. Bhakti se prabhu ko mankar jankar ek hi sthiti aati hai. Bina iske beech ke jitne bhi kuch hai ye sab dwandon mein hi fasane wale hain.

isiliye shiv biranch sankaadik munijan inki gati avgahi bhagwan shankar naam jap karte hain. Bhagwan shankar charanamrit dharan karte hain. Bhagwan shankar leela gayan karte hain. Dekh lo. Charit padh ke dekh lo. Bhagwan ke sakshat swaroop hain. Brahma ji har samay bhagwan ka smaran karte hue srishti rachna karte rahte hain. Chatu shloki bhagwat bhagwan ne unko updesh ki yah tumhen maya mein nahi phasaegi. Ye jo bhagwat chatu shloki ye agar tum smaran rakhoge to maya tumhen nahi phasaegi. Brahma ji ko brahma ji maha bhagwat parmesthi pad mein virajman hai.

shri shankad hari sharanam hari sharanam bhagwat leela gayan karte rahte hain. Bhagwat darshan ki vyakulta rakhte hain. Kaun phir bacha? Shri surdas ji kah rahe hain shiv viranch sankaadik muni jan nirantar jinke naam rup leela ka rasaswadan karte hain inki gati shri hari jo hai Govind jo hai jagat pita Jagdish sharan binu sukh teeno pur na re sath binu Govind sukh nahi tino loko mein kahin tu chala ja tere dukh ka nash nahi hoga. Jaise jab sukho ki baat aati hai to swarg ka sukh bahut mahimashaali varnan kiya gaya hai. Wahan bhi dukh hai.

ek accha swapna hai. Aapko ek viman mile. Bhagwat mein varn viman milega. Sukh suvidhae jahan chaho wahan viman se ghumo. Bahut sundar kalp taru ke niche baitho bahut sundar sundar parijat aadi vrikshon ki sundar sugandh aa rahi apsraen hain. Nrityagan vilas ek accha swapna tumhare bagal se hi dusra viman lekar ja raha hai jo tumse bahut accha hai. Bahut sundar apsraen hain. Bahut bada vaibhav hai. Jal raha hai. Aur pratiphal ek bhay laga hua hai. Pata nahi mere kitne punya rah gaye hain. Aur jahan punya ksheen hone ko hua to ek mala pahnai jati hai.

wah kumlane lagti hai. Bas viman se dhakka dekar gira diya jaata hai. Kyonki aasakt ho jaata hai un bhogon mein us viman mein un apsraon mein jaise yahan kal aaya aur prhar kiya sabko chhudrva diya. Patni putr parivaar bank balance pad sab ek kshan mein chal. Ab wo asaktit jinme aasakt tha wo sab chhut raha hai. Bhari dukh unhee ka chintan phir durgati aise hi swarg gaya. Jahan jahan usko jo jo mila wo sab asakti aur us asakti mein jahan uske punya kshan hue phir yahan punya chhin mrityu lok vish kya sukh mila ek accha swapna jaisa nikal gaya.

kuch nahi mila. Isiliye jitne bhi lok hain inme kahin bhi tumhen jo sukh khoj rahe ho wo nahi milega. Srishti mein sabse bada kam sukh rakha gaya hai. Kam sukh accha khane ko mile, pahne ko mile, makan mile, pad mile, suvidhae mile. Yahi kam kamna har indri mein kamna hai. Isi sukh ko rakha gaya hai. Agar kamna kam mein sukh hota to Devraj indra ke jaisa kaun sukhi ho jaata? Samasth apsraon ke Swami samasth vaibhav devta jinki agyaa mein hai. Agni dev vayu dev bade-bade lokpal jinki agyaa unko lekin wo bhi sukh ke se bahut dukhi hai ki hamen sukh mile.

tum dukhi ho jin sukho ke liye usi sukh ke liye bahut hamen glani hoti hai. Jab wah vishay chintan karte hain ki ek mahatma muni apne sanyam se chal raha hai. Uske yahan Devraj indra usi muni ka rup rakh ke jaate hain aur bhrasht aacharan karte hain. Aur jab Gautam rishi jante hain to shraap de dete hain patni ko bhi ki ja pashan ho ja Ahilya ji aur unko ek sahasra yoni tere sharir par prakt ho jae Devraj indra ko tujhe bahut priy lagi 1000 yoni ho jab charnon mein gire bar-bar kshma yachna ki to kaha jab bhagwan Ram rup mein avtrit honge aur tum darshan ki ichchha karoge to yahi tumhare shastr netr ban jaenge kahin sukh nahi hai jab aap shastron ka swadhyay karenge to ek baat nikal ke aayegi bina bhagwat bodh ke bhagwat prapti ke kahin sukh nahi hai.

jahan jahan dekha gaya man aiseise vaibhav mein hote hue bhi asantusht paya gaya. Vichar karke yah charcha isliye ho rahi hai. Kahin sukh nahi. Yadi hari ko nahi bhaja to kahin sukh nahi. Aur hari ko bhaja to dason dishaein isi mrityu lok ki parmanand pradan karne jidhar bhi drishti jaegi anand hi anand bhav kubhav ankhalashu naam japat mangal dashu dason dishaon mein aapka mangal hi anand hi anand is mrityu lok mein aapko parmanand ki anubhuti ho jaegi yadi aap naam japak hai bina shri hari jo ki sharan bhay bina bina shri hari ka bhajan kiye kahin kisi lok mein sukh tino pur nahi tino loko mein sukh nahi hai aur sakal mein dekhe dhundhe baad ki si chhahi surdas bhagwant bhajan binu dukh kabahu nahi jahi badi badi vichitra gati hai man ki.

bade-bade uchh koti star ke jahan bhajan chhuta maya aakraman karte pai gayi. Tab ye hriday mein aata hai jo mahaprabhu Harivansh chandra ji kahte hain daro daro yahi dar hi darap Harivansh sahit jino bhram gun sal par je naman mangal lok ta suhar pad bhajan vilumb kar darte raho naam chhut gaya to prapt kar diya jaega jo sadhak bhagwat marg mein chale hain hamari prarthna man le. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar jab tak bhagwat sakshatkar nahi hota tab tak ye sphurrit hote rahte hain. Kabhi bhojan ashudh ho gaya to apna zyada prabhav dete hain.

kabhi kusang ho gaya mobile se vyakti ka aisa drishya ya shravan to hamare andar vikar ki ekdam vridhi ho jaegi. Anytha vishwas maniye yadi aap naam jap kar rahe hain aapka ahar vihar sahi hai bhojan sang sahi hai aap kusang nahi kar rahe hain kisi bhi tarah ka to sphuran hota hai aur shant ho jaata hai jab ham bahut hath karte hain kisi bhi khilone ke liye to bhagwan sarv samarthshali hote hue dikha dete dekh kya ismen sukh hai par hamara man hamari indriyan prabhu mein na lagne ke karan bar-bar vikshep ko prapt hoti hai aur buddhi yahi nirnay karti hai bhogon mein sukh hai.

prarthna man lijiye aapke upar bahut kripa hai. Aap abhagi nahi hai. Ham manmani nahi kar pa rahe. Ye abhagi nahi hai. Abhagi jante ho kise kahte hain? Sunhu Uma te log abhagi hari taj ho vishay anuragi balihar tumhen saubhagya manana hai ki bhagwan ne hamen nirvishay karne ka marg diya hai. Jab sadhak vishyon par sukh buddhi karke uski koi kriya karega, koi cheshta karega tab sahan karna asamabhav hai. Devrshi narad ji kahte hain pehle tarang ki tarah aata hai aur jab aap uska sahyog kar dete hain to samudra ki tarah hriday mein baith jaata hai.

vikar vastut iska astitva nahi hai. Yah tik nahi sakta. Yadi naam japak ho bhagwan kahte hain agma payno anityas thodi der dhairya purvak sah jao kuch mat karna koi cheshta mat karna koi drishya mat dekhna kisi se kahna mat ki hamare andar amuk vikar hai kyonki uski satta ho jaegi shant ekdam wo apne aap chala jaega tas bharat sah jao keval sah jao to yam heete pursham purush sam dukha sukham swat kalpte wo amrit pad ka adhikari ho jaata sahan karne wala sahan karo sahan karo nahi sahan karoge to bhog bhogne se shanti nahi milegi aur bhog ki lalsa aag badhti chali jaegi grihasth dharm mein to apni mariyada mein rahkar bhogon ko sweekar karo naam jap karo dusron ki seva ki bhavna karo age badh jaoge virakta marg mein keval sahna hi sahna hai jo sah gaya wah sadhu haan kachhwach man nishchal rakhe dhan dhan janani teri re bas dhyan dene ka vishay hai ham koi bhi kriya na karen andar ki spurna ke anusaar sabko prerit karta hai aisa nahi hai ki aapka hi hriday keval kam ya krodh lobh moh se pidit hai.

nahi jab tak bhagwat sakshatkar nahi ho jaata tab tak ye sabko prerit karta hai. Ekmatra shri bhagwan ya bhagwat prapt mahapurush bas nahi to puri srishti charachar jeev in vikaro se grasit hai. Sadhak ko ghabrane ki zaroorat nahi, darne ki zaroorat nahi, kahne ki zaroorat nahi, bas sahne ki zaroorat hai. Sahoge kuch kshan mein nasht ho jaega. Kriya koi kar di wo apna adda jama lega. Bar-bar tumhen harata rahega. Tum bar-bar kleshit hote rahoge bilkul apne us samay jis samay koi vikar hriday mein apna tandav kar raha hai us samay uthao manjeera aur shuru kar do chaturasi ji bhajal nidhi ko nav kam pavak ko pani akele aur rote hue dekho kam ki jagah preman ho jaega prem bhakti ko mul mod mangal sukhdani usi samay jo hriday kam jala raha tha usi samay hriday shital ho jaega hamare hriday mein kisi se sahyog ki avshyakta nahi hai.

aradhya dev ke siva kisi ko apni kami nahi batani. Bas dhyan dijiega. Hamari prarthna anubhav ki baat kah raha hoon. Hamari jo kamia hai hamare aradhya dev Gurudev jante hain. Hamare andar jo spanaen ho rahi unko hamko sahna hai. Kisi se nahi kahna hai aur na un par hamen dhyan dena hai. Agar ham isi mein doob gaye ab to hamare hriday mein kam aa gaya. Ab to hamare hriday mein yah aa gaya to ham uski satta dur kar rahe hain. Usko dridh kar rahe hain. Nahi nahi yah janm tumhen prabhu ne jo bhagwat prapti ke marg mein lakar ke sudridh bhav diya hai.

ismen phislo mat. Agar aap apni kamzori bar-bar apne man mein dridh karte rahoge ki mere andar kam mere andar kam bas aap ye samjh lo harna padega aapko. Kuch nahi Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha manna hi nahi hai. Ham bilkul wo yukti bata rahe hain jisse aap haroge nahi. Manna hi nahi ki mere andar kam hai. Ye man hai ganda hai. Abhi kam soch raha hai. Thodi der mein vairagya sochega thodi der mein amuk sochega thodi iski kya satta. Ham dar jae iske sochne se. Nahi Radha Radha Radha Radha vishwas kijiye.

shripad kah rahe hain haha mudh maha vinashta may se stri sangna sangta ai mudh hai hai ye jo jeevan tumhen sacchidanand sukh ke liye mila tum kahan nasht kar rahe ho yahan ham stri ka bhav buddhi se lete hain tumhari buddhi malin ho gayi isliye bhogon ki bar-bar prerna de rahe inko bhogo to sukh milega nahi iska sang mat karo stri sang naam sangta aur jo aisi kubuddhi ke aacharan karte hain aise logon ka sang tyag karo sangam tat naam muksha jinke sang se hamari buddhi nana prakaar ke bhrasht acharno ki taraf badhne lage rok dena chahiye buddhi ko chhut nahi deni chahiye aisa koi yantr mein ham nahi dekhenge aise kisi vyakti se nahi milenge aisi koi ham bhavna se nahi milenge hamari jo bhavna andar chal rahi dushit ho rahi ham use apni nahi manenge.

hat bar-bar vikshep deti bas shant Radha Radha Radha nasht na ho jae hamen batana ek kshan mein parivartan ho jaega. Par aap kya karte hain? Use saja ke rakhte hain. Saja ke rakhne ka jaisi prerna ho rahi hai. Aap usmen sukh le rahe hain ya dukh le rahe hain. Baat ek hi hai. Rag purvak ya dves purvak baat ek hi uski satta dridh kar rahe hain aur kahin koi cheshta kar li. Kahin koi kriya kar li phir to tumne usko achhche se bhojan pawa diya. Ab kahe ko jaega? Tumhare hriday ko jalata rahega. Bar-bar prerit karta rahega.

haha mudh maha vinashta mayse yah apne mahan nash ka kyon sanyog prapt kar rahe ho? Arthat tumhari man buddhi jo tumhen galat prerna de rahi aap kyon sweekar karte ho? Aapki swikrati hi aapko parast karti hai. Yah swikrati na ho to parast koi kar hi nahi sakta. Aapki swikrati hi hai. Swikrati hi bhagwat prapti hai. Swikrati hi maya hai. Aapne sweekar kar liya main stri, main purush, main karta, main bhogta. Aapne jab sweekar kiya main prabhu ka das ya aham brahm. Swikrati swikrati satsang ka param labh swikrati.

aapko sachchi yukti santo dwara anubhut nikle hue mahapurushon ki baat is man buddhi ko aap soche ki vishyon mein nahi jaega to jaega jaega jaega aapko swikrati bhar nahi deni bas mujhe nahi chahiye yah jeevan muktata ki yatra hai aur mujhe yah chahiye yahi bandhan ka swaroop hai ja hi na chahiye kab kachu to tum san saad sane hamara man buddhi kah raha hai hamen chahiye hamari prerna ho rahi hai andar hriday mein chahiye par hamen dekhna hai hamen chahiye kya prabhu chahiye sacchidanand sukh chahiye brahm bodh chahiye kya chahiye bhog ye to bahut janmon se bhoge hain bhai ya to aisi sthiti ho ki chitt bhagwadakaar hai ab purna hi nahi hai to grihasth mein aise kitne bhagwat prapt mahapurush hue?

pehle sthiti banao. Ab hamari sthiti to deh mein hai. Ham usko sukh bhav se dekh rahe hain. Phir gyan baghare to nahi chalega. Maya nasht kar degi. Maha vinashta nasht hi nahi maha vinashta arthat kitne janm baad phir hamen bhagwan kripa karke manav deh denge pata nahi. Isliye savdhaan shodha narak yatna kanwa hantan matra saha tum jise manoranjan samjh rahe ho yah aisa paap hai ki tumhen narak yantrana mein bhogna padega. Narak yatna bhogni padegi tumhen. Jise aaj khilwad samjha jaata hai. Hamara jo dharm kahta hai ki aap apne usi siddhant se chalo jo aapke liye bana hua hai.

agar aap manmani vibhchar manmani aacharan to yahan kah rahe hain show narakyatna kanwa hant matra a matra bhi karm tumhen dand dekar rahega. Phir tum to pahar jaisa paap ekatrit kar rahe ho. Manmani aacharan kar rahe ho. Kya karen? Bole shri dham Vrindavan aa jao. Yahan mahananday manday se tumhari mand buddhi ko theek karne ke liye mahanand pradan karne ke liye Vrindavan satsang pradan karega. Bhagwat premi mahatmaon ka sang pradan karega. Yahan ka darshan, yahan ki vayu, yahan ki raj aapke paap ko nasht karke paramatma ki taraf prerit karega.

satya ki taraf prerit karega. Maha sukh ki taraf prerit karega. Jeevan ka param lakshya hamare jitne kartavya karm hai unko karte hue prabhu ki prapti isi janm mein ho jae. Aisa dridh bhav. Agar hamen yah dridh bhav ho jae ki mujhe isi janm mein bhagwat prapti karni hai phir hamen koi parvah nahi. Chahe phir kitne janm hamen iski koi parvah nahi. Shri bhagwan kahte hain he arjun niytam kur karmatam karm jayo hakarma sharir yatra pachte prasiddh karmana piche iski vyakhya hui thi. Yahan bhav yah hai ki jab koi sadhak satsang sunta hai, bhagwat marg mein chalne ki baat dridh karta hai to uske man mein ane lagta hai ki ab mujhe yah sab chodna hai.

jaise arjun ji ko aisa laga ki niyat karm jo yuddh hai yah na karke mujhe sanyaas lena theek rahega. Main bhikshan se jeevan gujarunga. Yuddh nahi karunga. Bhagwan ise mana kiye nahi tum galat ho is samay niytam kur karmatam niyat karm upasthit hua hai. Bahut bar sandhi ki bhi prarthna ki gayi samjhaya gaya par wo kah raha hai Duryodhan ki sui ki nok ke barabar bina yuddh ke nahi dunga. To kshatriya ho aur tumhara hi rajya hai. Maharaj pandu ka rajya tha. Ab wah adharm se chhal karke panch ganv bhi dene ke liye tayyar nahi.

to is samay niyati kah rahi hai yuddh karo. To param kartavya upasthit hua yuddh karna. Isi bhav ko bhagwan kah rahe hain parmarth marg ke sadhak mein jab paramarth ki baat sunta hai bahut dhyan dena. To usmen ek bhul paida ho jati hai. Bhul mitane ki bhavna mein ek bhul paida ho jati hai. Uske andar ichchha hoti hai ki sab chhod dete hain. Ab aur kahin ekant mein chalte hain. Aram se khub bhajan karenge aur jeevan mukt ho jaenge. Dhyan dena. Manchahi paristhiti ka varan anukulta ki maang sukh aram ki maang yah badhak nahi samjha usne usne apne kartavya karm ko badhak samjha jo aapko kartavya karm mila usko wo badhak samjh raha hai paramarth mein aur andar kya hai ekant mein aram se koi jimmedari nahi anukulta milegi sukh buddhi yah jo tyagna tha yah to kartavya karm se hi tyag hota hai.

iska bina kartavya ka palan kiye iska tyag nahi hota. Agar aap virakta marg ke pathik bachpan se hain bhagwat marg to aapke liye kartavya hai. Aap grihasth marg mein to aapke liye kartavya hai. Donon apne apne kartavya ki bilkul bilkul nishtha purvak ek ek vritt dharan karen bhagwat prapt ho jaenge. Jo sadhak aisa sochta hai ki ab ham sansaar ko chhod dete hain. Ab ekant mein chalte hain. Kisko le? Sansaar ko le. Yah sharir sansaar hai. Ab sugamta purvak wahan bhagwat prapti karenge. Wo sugamta dhundhta hai ki koi jimmedari nahi.

yahan to bahut kam hai. Bahut kartavya ham nahi kar rahe hain. Ekant mein chalenge mala chalenge. Aisa use yah hota hai ki andar se wah sukh ka ragi hota hai. Yah andar ki baten hain jo aap bhi nahi dekh pa rahe apne na ki use bhagwat prem hai na ki use sadhna se prem hai. Kyonki sadhna se prem hota to jo kartavya karm mila tha yahi uski sadhna thi. Mata pita patni putr parivaar inki mamta prabhu ke charnon mein samarpit karni bhagne ki zaroorat nahi. Aur bhag gaye ho mamta sharir mein hai wo kahin na kahin phir fansa degi jaise hiran mein fansa di agla janm hiran ka jo yah soch leta hai jaldi se bhagwat prapti ho jae koi aisi baat ho bas aram use bahut janm ragadna padega bahut dhyan de le ka vishay use har kadam par kathinata rok degi wo tatv prapti sahaj nahi kar payega use bahut vilumb hoga jo aisi aisi dharana wala hai.

ye andar ka adhyatma hai. Bahut sukshta sugamta sukh sheeghrata ye kya karegi ki sadhan par ruchi nahi paida hone degi. Phal par drishti rakhegi. Teen sal ho gaye abhi ye to nahi mila. Pata nahi ye mantr theek hai ki nahi theek hai. Ye sadhna theek hai ki nahi theek hai. Hamen lagta hai unka varnan karen. Wo bahut accha bol lete hain. Accha wo bahut accha samjha lete hain. Unko guru rup se varan aath mahina ho gaye abhi kuch labh to hua. Hamen lagta hai wahan bas wo sthit nahi ho payega. Samjho uski drishti phal par rahegi.

sukh par rahegi. Sadhan par nahi rahegi. Sadhan karte hue utsahat hogi. Sadhya ki prapti uske liye bahut kathin ho gayi. Bahut dhyan de le. Jiska yah dridh nischay hai ki yah janm sirf satya aur sadhna ke liye hai. Bhajan ke liye hai. Chahe prabhu mile ya na mile. Main kabhi adharm aacharan nahi karunga. Apne kartavya ka tyag nahi karunga. Ek kshan bhi prabhu ko nahi bhulunga. Bhagwat prapti bahut jaldi aur sahaj andar se dekho kya hai. Joi joi pyaro kare soi mohi bhave. Jaise rakhoge waise rehunnga. Par ek baat mein main kabhi samjhauta nahi karunga.

bisri ho na bisari ho. Na main aapko bhulun na aap mujhe bhulenge. Bisri ho na bisari ho yahi dan mohi dev shri Harivansh ke ladle mohi apni kar le. Main aapka hoon. Aapke liye mera jeevan hai. Koi sthiti badle na badle. Ham bhul karke bhi aapke pratikul aacharan nahi karenge aur nirantar aapki agyaa mein rahenge. Aise ko bhagwat prapti aise ho jati hai sahaj mein. To log aisa kaise ho gaya? Kyonki siddhant hai jo yah niyam bana leta hai ki mujhe apne kartavya ka palan karna hai use bahut jaldi bhagwat prapti ho jati hai kyonki kartavya aur sadhna mein uski purn dridta hai aur jo phal par drishti rakhta hai to pujya shri Swami Akhandanand ji maharaj ke paas ek shishya aae unke aur kaha bhagwan ek baat ham aapse kahna chahte the par ekant mein kahna chahte hain unka kaha ekant hi hai yahan to sab premi jan baithe hain.

aap bolie. Bole kahin kisi ki ashradha na ho jae isliye ham ekant mein kahna aapne jo hamen naam diya na 18 varsh ho gaye jab se hamse koi pucha jae to koi labh hamko nahi hua. Wahi hriday mein waise hi sab haan koi labh nahi hua. Theek hai? To aaj ke baad ham tumhen kasam dete hain apni agar mujhe Gurudev mante ho ki wah naam mat japna. Phir aa jao kal wah naam denge jo tumhen bahut jaldi bhagwat prapti kara dega. Bade ashcharyachkit hue. Gurudev ne aisa kah diya chale jo chale so naam 18 varsh ka abhyaas aur sidhi nahi utar paye laut ke aae ro ke kahe maharaj ji aapne apni kasam di hai isliye kah raha hoon mar sakta hoon.

ab naam nahi chhut sakta. Bole ye mila. Yah mila tumhen 18 varsh mein ki tum mar sakte ho lekin naam nahi chhod sakte. Ab tumhare liye durlabh kya rah gaya? Ae bhai yahan wahi baat kahi ja rahi hai. Tumhari andar ki sthiti mein koi parivartan ho ya na ho janch mat karo. Tumhara ek keval kartavya hai ki tumhare andar bhagwat chintan na chhutne pave. Leela gayan karke thakur seva karke naam jap ke naam kirtan se jo bhi aapko kartavya hai unko karke khana pina bhi bhajan hai sona jagna chalna phirna bhi bhajan hai kyon ab hamne apne aap ko prabhu ke charnon mein arpit kar diya hamari har cheshta bhagwat arpit sachchi maniye ye jo alag vibhag kiya ja raha hai yahi hamen duri pahuncha dega bahut dur kar dega hamari hamari har cheshta bhagwat prapti hai.

har cheshta bhajan hai. Jo tatparta apne kartavya aur sadhan par rakhta hai wo manaswi uddeshya ki prapti ke liye har kasht sah sakta hai. Aur jo har kasht sahta hai wahi dukh ko mitakar maha sukh bhagwat prapti karta hai. Ek bar phir dhyan dijiye jo tatpar tatpar mane jo hamen guru ji ne sadhan diya hai, jo hamen shastr siddhant pata chala hai, pran chhut chahe jae, ab wah ham nahi chhorne wale aur jo nishedh kiya gaya hai, wah kabhi nahi karunga. Ab hamare andar koi parivartan ho ya na ho hamari dincharya mein koi parivartan nahi hoga.

hamare sadhan mein koi parivartan aise ko bahut jaldi bhagwat prapti hoti hai. Manaswi karyarthi naganti dukham nach sukham jo manaswi bhagwat prapti ke marg mein chal diya wo dukh sukh ki koi ganna nahi karta. Raund deta hai dwandon ko aur age nikal jaata hai. Bahut kamzor ho rahe hain apne log. Chhote se bimari chhote se dukh chhoti si viparit paristhiti chhut gaya bhajan zyada anukulta aa gayi chhut gaya bhajan sadhak ki ek visheshta hoti hai wo sadharan manushyon ki tarah dukhi aur sukhi nahi hota hai. Sadhak ki pehchan prayah dekha jaata hai thode se dhan ki lalsa wala bhi pasina aa raha hai.

bhookh pyas bhi lagi hai aur samne wala katu vachan bhi kah raha hai. Par uski dhyan vritti keval is baat mein hai ki aath ghante kam karne ke baad ₹00 milenge. Are chodo yar gali de raha hai koi baat nahi. Dhoop hai koi baat nahi. Haan bhojan to ham baad mein pa lenge par ₹00 milenge jisse parivaar ka poshan hoga. Wo sah leta hai. Tum bhagwanand param pad prapti ke liye chale ho. Tum sah nahi sakte. Ek aath ghante kam karne wala aadmi apne thekedar ki gali sah sakta hai. Dhoop sah sakta hai, kasht sah sakta hai. Kyonki sham ko uska phal milega ₹00 tumhen phal milega sacchidanand bhagwan anant bramhandon ka Swami tumhare ko tumhare ko apne aap ko dan kar dene wale hamare shri hari jo hain.

uske liye tum kasht nahi sah sakte. Itni unchai ke liye tum dukh sukh ko sah nahi sakte. Lobhi vyakti ki tarah sadhak ki nishtha sadhya mein hoti hai. Usko lobh hai ki agar bigad gaya bhi bhaga dega sham ke ₹00 nahi milenge. Aise hi hamen lobh hai ki hamare Priya pritam milenge. Ab unke upar ham jor nahi dete ki aap kab milenge. Ro sakte hain. Hamara rona dharm hai. Ro sakte hain. Kab miloge? Rud susham rajan Krishna darshan lalsa. Lekin yadi ham yah jor denge to ham phir bhajan mein ruchi nahi kar payenge.

are itna samay ho gaya. Ham to socha tha ki bhajan karenge to sukhi honge. Yahan to yah dukh de diya. Yahan ye vipatti de di. Yahan ye prati phir nahi chal paoge. Haan yahan ek hi baat hai. Narayan ati kathin hai. Hari milan ki batiya mein pag piche dhare pratham shish de kaat. Wo aapko sachchi batayen. Is marg mein chalne wale pathik ke marg mein ka har shul phool ban jaata hai. Koi bhi kasht koi bhi vighna usko sparsh nahi kar sakta. Ye marg mein dikta jarur bada bhayavna hai ki o ho itna kasht lekin aapko wo nahi dikta ki hriday mein kitna sukh dete hain hari aur ab koi bhay nahi rahta kyonki yahan se jana hai to kahan jana hai?

jahan hain wahin jana hai. Pura pata hai pura prichay hai aur pran priy ke paas jana hai. Ab jane ka koi bhay nahi raha. Aapne tayyari nahi ki. Pran priy yahan bana liye. Ab jahan jana hai wahan pata hi nahi hai aapko kahan jana hai. Isiliye mrityu se bhay lagta hai. Isiliye dukh aapko pareshaan kar rahe hain. Bahut badhiya baat hai. Lobhi vyakti ki tarah sadhak ki sadhya ke naam mein sadhya mein priti honi chahiye. Radha Radha Radha Radha Radha kal 100 japa aaj 150 japenege aur phir 200 zyada adhik se adhik se adhik naam jap dhani ho jaoge.

sab nirdhan hai. Wahi dhani hai jiske paas param dhan Radha naam adhar naam rupi dhan hai. Sadhya ki prapti ke bina hamare jeevan ka astitva nahi hai. Par sadhya ke upar hamara dabaw nahi hai. Ham sadhan par drishti den. Hamare sadhan mein truti nahi hai to sadhya ko zabardasti naam ghasit ke le aayega. Naam Swami hai. Naam hi sevak hai. Jahan Swami aa jaata hai wahan sevak ko ana parta hai. Naam Swami hai. Dekh lo sevak bhagwan ko kaha gaya. Kaise aap kah rahe ho ki kitni chhoti baat kah rahe ho. Trilochan ji ke mukh mein naam hai aur sant seva hai to hari jo naukar bankar ke wahan aae.

antarjami naukar bankar ke. Jin jin mahapurushon ne naam ko apni jibhya pe haan dekho madhvdas Baba ji bade-bade santo ki aise gupt rup se paricharyaa wo to jaan gaye isliye santo ki paricharyaa thakur ji swayam akar karte hain par wo aise karte hain itne leela bihari ki baad mein pata chalta aisa nahi ki pata nahi chala o ho ye to aur koi nahi tha to hari hi the bahut unki leela hain apne das ke saath wo chhupa chupi ka khel khelte rahte hain. Har samay drishti mein rakhte hain. Jeevan hamara prabhu ke liye hai.

har kartavya prabhu ke liye hamara khana pina aram karna jo bhi karya wo sab prabhu ke liye hai. Bhala aisa jeevan hai paap hi nahi hoga. Jab hamara khana pina sona jagna bhogna sab prabhu ke liye hai to utna hi hoga jo prabhu ke anukul pratikul aacharan usse ban hi nahi sakte jab ham apne sukh ke liye karte hain to yah sukh buddhi itni badh jati malin ho jati hai ki dusre ki hinsa karne mein bhi bhay nahi lagta ye sadhak ke andar baat nahi honi chahiye ki bahut jaldi bhagwat prapti ho jae bahut jaldi ka kam aadi dosho se rahit ho jae bahut jaldi ham tatv ka bodh prapt nahi ham wo jo sadhan batae gaye hain usmen truti na karen phal

kya aayega karmani vadhikaraste ma phaleda hamen bhagwat prapti rupi phal ke liye bhi uktahat nahi paida karni kitni jaldi ho jaenge kitni sankhya mein ho jaenge kya karna padega ho jaenge naam hamara sadhan hai naam hamara sadhya hai leela gayan hamara sadhan hai leela gayan hamara sadhya hai jab aapko lage to mil lena aake ham aapki bat jo rahe hain bas yah jeevan aapka hai aapke liye hai aapki aise ko bahut jaldi bhagwat prapti man lijiye man lijiye nahi bahut sa ab ham nahi chal payenge hamare andar bahut ashanti hai bahut klesh hai kyon ab bhagwat prapti nahi ho rahi ho hamen bahut vighna satar hai bhai nahi nahi aap kyon dar rahe ho koi vighna nahi.

bole is samay kya vighna hai? Kisi ko vighna hai? Kyon nahi? Kyonki apit bhagwat baat mein diye ho. Bhagwat charcha mein diye ho. Agar ekant mein aisa kar lo kaun sa vighna hai? Aap ekant mein vighnon ko nimantran dete hain. Bulawa bhejte hain. Swagat karte hain. Tab wo vighna aapke upar nahi koi vighna nahi. Vani ji mein likha hai jite Vinayak shubhshubh. Vighna kare nahi koi. Kaise ham aapki baat man le ki aap parast ho rahe hain. Aap vighna se yukt aap vighna ka nimantran dete hain. Unko bulate hain. Aap unka swagat karte hain.

kaise? Aap unka chintan kar rahe hain. Uska ras le rahe hain. Unke sankalp mein sahyog de rahe hain. Ab kahe ko jaenge? Wo aapke hriday ko jalaenge. Aapko parast karenge. Nahi. Jis samay hamare andar koi aisa vighna aa raha hai to Radha Radha Radha Radha pad gayan karna satsang sunna kuch satsang aise rakhne chahiye kam ke vishay ke satsang krodh ko shant karne ke satsang man bhag raha hai to uski chanchalta dur karne ke satsang alag-alag vishay ke kuch agar aap aise yantr se nahi dekhte to diary mein jab man chanchal ho to kya karna chahiye jab hriday mein kamna ho to kya karna chahiye jab hamen krodh aa raha ho to hamen kya karna chahiye?

jab hamare saath koi kadva vihaar kar raha ho to mujhe kya karna chahiye? Ye ek diary nahi do diary hai. Ek sanyaas ki hai aur ek is marg ki prarambh mein saaf sadhako ke paas diary hoti hai. Aapki kya dincharya aur usko roz jaise bhagwat granthon ka path aise amuk sant ne amuk baat bataai. Amuk sant ne amuk vishay mein baat bataai. Usko padha gaya. Usko manan kiya gaya. Un yuktiyon se bahar nikla jaata hai. Ek baat ye, ek baat ye, ek baat ye, hamko teen baat pakar mein ai. Hamko do baat pakar mein ai.

hamen panch baat pakar mein ai. Hamen ek baat kuch to pakdo. Roz satsang ho raha hai. Ek satsang bhagwat prapti kara sakta hai. Ek satsang agar sweekar kar le to maya mukt kar sakta hai. Ek prashn ka uttar aapke samasth prashan ka samadhan kar sakta hai. Par aacharan mein utar le. Shrota soi param sujan sunat chit rati kare utkantha hona alag baat hai kab aisa hoga bhar netr aapko dekhuga par Swami na mere mein aisa tap hai na gyan hai na sadhan hai kabhi aapki karuna ho to aa jana prabhu main dava pesh nahi karta ki main aapke darshan ka adhikari hoon par prabhu aapke siva main ji nahi sakta ab aap dekh lijiye ye vinay ye prarthna ismen astikta badhti chali jaegi.

utkantha shighr milan ki sadhak kare koi dosh nahi hai. Par jab aapko aisa anubhav ho raha hai ki hamare hriday mein dosh hai, vikar hai to kya labh mila? Yah aapko sadhan se gira dega. Ham sab chalte isi bhav se hain ki aaj ki sham prabhu hamen shayad swapna mein aa jae. Raat ki raat ho sakta hai aaj din mein kisi rup mein aa jae mujhe sambodhan kar de wo bat jo hota rahta hai daras bin dukh lage par wo saras hota hai wo aisa nahi hota ki aaj ke raat aur din bit gayi aap aae nahi aur aisa nahi hai uske andar nastikata nahi aa jaegi aur yahan jo kaha ja raha hai ki uktahat ki jaldi se bhagwat prapti ho jae kyonki bahut vikar jala rahe hain bhagwat prapti ho gayi to sukh chain aram se uske liye bahut duri hai sadhan mein badha bardast nahi karni.

sadhya jab man ave tab aa jae. Sadhan ko pakde rahna hai. Bhajan ko pakde rahna hai. Bhajan nahi chhutna. Prabhu jaenge kahan? Yahi baithe hain. Yahi prakashit ho jaenge. Aur prem purvak jo sadhan karta hai usko rona ane lagta hai. Pehchan hai. Dekho abhi hamara hriday itna naam se yukt nahi hua ki hamare hriday mein dravan kriya hokar ekant mein ar bhav se rona ane lage. Yah hamari siddhi hai. Bin roye kin pya prem pyara men hriday vikal ho jae aur ekant mein ro-ro kar Priya jo se haan ladli meri samarth kahan jahan bade-bade mahapurush aapko dhyan mein nahi dhar sakte wahan main adham kaise par ladli jo aapke bina ab hamara jeevan roen ham to prarthna aapse kahte hain ki hamare prabhu ki bhet hai aansu bacha ke rakho chahe jitna kasht ho rona mat.

chahe jitna aapko koi dukh de rona mat. Asuon ko sirf hari Priya ke liye rakho. Priya lal ke liye rakho. Ye bahut badi bhet hai. Yah bhet mein bik jaate hain thakur ji. Sachchi manna jab sab gopijan ek saath rone lagi. Hriday se rone lagi. Aisa lagne laga ki ab pran nikal jaenge agar prabhu nahi mile. Kyonki sab upay karke dekh liya tha. Usi samay unhin ke beech mein prabhu prakt ho gaye. Chahe jitni saras charcha ho rahi ho phir aansu nahi aaenge. Ham kai aise ko dekha hai ki prabhu ki baat karne par bilkul koi fark nahi hai.

aur jara si dant jara si pratikultaa bhai itne mote mote hamen to lalach lagta hai ki ye aansu to prabhu ko de dete to bahut badhiya rahta. Ekant mein unko apne samne dekhte hue chavi rup vigrah rup mein aur phir rote prabhu chalo banavti sahi haan jhutha khele sancha ho inse to banavti ro de to satya man lete hain bade kripalu hai par inke nimit prabhu ke nimit yadi ham aise jhutha rona shuru kar de to ek din sacha rona wo de denge aur jahan rudan prarambh hua hriday nirvikaar ho jaata hai prabhu phir ruk nahi sakte.

bahut karuna varunalay hai. Prem purvak sadhan karne wale upasak ke jeevan mein ar bhav se rone ka swabhav ban jaata hai. Ye badhiya baat ai. Isiliye kah rahe chhataptahat mein wo wali nahi ki jismen sadhan mein aruci ho jae ki ab isse to nahi to koi aur aise mile. Ye marg, ye marg, ye marg, ye marg abhi tak to samjh mein nahi aaya. Ab aap bata do hamari bhi baat samjh mein nahi aayegi. Kyon? Tum samjhna hi nahi chahte ho. Bhai granth padhne se, guru badalne se, bar-bar sadhan badalne se kuch nahi hone wala.

ek baat pakar lo aur usko apne jeevan, apna pran, apna sarvasv man lo. Aapko anubhav ho jaega. Ram Krishna hari jo ek baat koi pakar lo bas bar-bar badalne se sadhan bar-bar guru badalne se granth badalne se panth badalne se ye nahi haan Bhagvati kram ek alag baat hai jaise apne jeevan ko aise prabhu lete chale aae hamara koi sankalp vikalp nahi ham to age ka rasta bhi nahi jante ki hamko kahan chalna hai bhagwan Vishveshwar aise lete chale aa rahe hain hamara koit asavdhan nahi koit mein prashn nahi koit mein lalsa nahi lalsa aur sadhan aur path wo sab dete chale ja rahe hain ar bhav se rona ane lage

to bahut badi labh vritti aa gayi hriday se prabhu ke liye rona ane lage bada mushkil hai prabhu ke liye rona kabhi-kabhi lagta hai prabhu ke liye ro raha hai kya ek bar sunaya satsang mein Radha vallabh ji ke darshan kar rahe the to age jo mahanubhav khade the wo to aise Radha vallabh ji ki bahut ro rahe to aise dekha to hriday mein lagta hai lalach lagta hai na he kabhi prabhu ke samne rona aisa hai aho bhagya dhanya bhag bar-bar uske charnon ki taraf dekhte rahe kya bhav hai grahasti mein hai aur prabhu ke samne ro raha hai aise phir bar-bar jab nazdik aur phir jab wo bolna shuru kiya stuti to prabhu ki nahi thi wo kuch aur thi haan aapne aisasa phir nahi phir phir wo nahi prabhu ke liye rona tumhara koi kam ban gaya tumhara koi priy vyakti mil gaya tumhara koi priy vishay mil gaya phir aap hamare hriday mein uska koi prabhav nahi swarthi swarth ke aansu to sab bahate hain pyare ke liye rona aapki itni kripa ki prapanch mein fanse hue mujhko ghasit kar aap apne samne khada kar diya balihar mere ladle

main sadaiv aapka hi rehunnga. Aapne ghasit liya aur wah ro raha hai unke prati phir charan chumne ka man hota hai. Prabhu ke liye aansu jara dekhna prabhu ke liye aansu kabhi-kabhi aisa hota hai prasang prabhu ka chalta hota hai wo andar se sansarik koi viyog koi dukh koi samasya phir aisa to nahi hamare hriday mein prabhu hi ho chintan ka vishay aur phir ham ro rahe ho prabhu ke samne phir to bahut badhiya baat yah bahut bada labh hai. Andar kuch aur chal raha ho phir bahar aansu to uska zyada andar prabhu ki baat prabhu ke liye rona prem purvak sadhan karne wale sadhak mein ar bhav se rone ka swabhav banne lagta hai.

aur utkantha prabal hone lagti hai. Andar hi andar jaisi jaisi utkantha badhti hai waise waise sadhna mein priyata badhti chali jati hai. Dekho jab yah nischay ho raha hai ki sharir to chhutega ab lobh badhta chala ja raha hai. Ki pata nahi kis din chhute isliye jitna adhik ho naam sangrah karo. Naam sangrah karo. Jab aapko lagta hai main jiunga abhi to bahut samay hai bhajan kar lenge aur jab yah ki ab jana hi hai to bhajan aise bhajan hota hai narayan Swami ne kaha do ko saath rakho ek to mrityu ka aur ek shri bhagwan ka chintan kiya sharir chhutega sab chhutega sar baat naam hai bhajan hai sadhak sukh vidhan sukh suvida anukulta inko dekhkar ke nahi chalta hai.

prayah ab yahi kami apne logon mein hai. Bhagwat marg mein chal rahe to kya kya yahan suvida milti hai? Kamra ye wo bhaiya bhagwat prapti ka lakshya banae ho to aisa nahi. Bhagwat prapti ka lakshya hai. Hamen yahan satsang milta hai. Hamen yahan sadhan milta hai. Bhagwat prapti ke marg ka prichay milta hai. Bas itna chahe hamen footpath mein rahna pare, maang ke khana pare, galiyan khani pare, apman khana pare to bhi ham bhagwan ko nahi chhodenge. To bhi ham unka bhajan karenge. Har kasht sahenge. Aise sadhak age badhte hain.

suvida lakshya ban gayi to bhagwat prapti lakshya ban hi nahi sakta. Jiska bhog aur suvida pe drishti hai bilkul bhagwat prapti ka lakshya nahi banega. Hamara lakshya prabhu hai. Ab jaise rakhe ho unki baat hai. Lakshya hamara bhog suvida ye nahi hona chahiye. Sukh suvida anukulta aram yah sadhak ke jeevan mein bahut ghatak hai. Phal ki or drishti rahna sadhan ka anadar ho jana yah sadhak ki bahut truti hai. Utkantha hriday mein hona sadhan hi hamara jeevan hai. Hamara vishram aram suvida sab sadhan hai. Agar sadhan chhuta naam jap chhuta bhajan chhuta hamare liye koi mahatva nahi anya ka isse badhiya aur kya ho sakta hai isse badhiya sthiti kya ho sakti hai atah sadhak ko chahiye sugamta mile ya kathinata bhagwat prapti shighr ho ya deri se man lage ya na lage anand mile na mile hamare jeevan ka lakshya ham apne kartavya ka palan karte hue nirantar bhajan ka abhyaas karenge.

bas jit gaya. Yahi jeevan ka lakshya raha hai. Gurudev bhagwan ne pehle hi bachpan mein sanskar dal diye. Nirantar bhajan ka abhyaas bhajan na chhutne pave. Bas sab kuch prapt ho jaega. Ye saralta purvak hamare dimaag mein baithaal diya tha. Bhajan keval bhajan bas sanyaas swaroop mein sthit unhone kaha bas jeevan ka lakshya ek ek vritt jo tumhen mantr diya jo tumhen bataya usi mein lagate rahna bas sab ka sar yahi hai koi bhi labh koi bhi bodh prem uske liye durlabh nahi hai jo sadhan se prem karta hai dincharya se dekho amba ji kah rahi hai janm koti lag ragar hamara barhu shambhu nat raho kunvari tajau narad kare updeshu aap kah sat bar maheshu main apne Gurudev ke vachno ko nahi taal sakti chahe swayam isht dev akar mahadev akar mujhe kah de main karod bar janm lungi aur har janm mein sadhan tapasya karke unhin ko prapt karne ki lagan rakhungi.

yah hai mata ji Parvati ji hamen sadhan par prem karna sikha rahi hain. Apne Gurudev ke vachan ka kabhi ullanghhan nahi karungi. Chahe swayam isht dev akar kah de taj narad kar updeshu aap kah sat bar maheshu aur karod bar janm lungi aur har janm mein sadhna karungi mahadev ki prapti ke liye yah hai sadhak ka swaroop hamara isht ke prati jo sadhan mila hai Gurudev se aap kuch labh dikhayee de ya na dikhayee de hamare jeevan ka uddeshya usi mein hai yah dridta kisi birle sadhak mein aati hai. Nahi to jahan pratikultaa ai kasauti par kasa gaya wo bikhar jaata hai.

indri man aise vishyon mein bikhre hue hain ki Gurudev ki baat ko samjhta hi nahi. Yahan bahut nishtha ki zaroorat hai. Wo pujypad odiya Baba ji ne bataya ki ek saral bhagat the. Bilkul sahaj swabhav Odisha mein to kali mata ki upasna unke hriday mein bhav tha to unhone aise guru ki khoj ki to pata chala ki ek the par wo dosh yukt arthat madira aad ye sab pan karna wo bhula bhagat usko pata nahi tha gaya sashtang dandvat kiya aur kaha maharaj ham aapko guru rup mein varan karte hain aur hamen maa ke darshan chahiye.

kali maa ke darshan chahiye. To unhone sharab ke nashe mein ashudh bolkar mantr diya. Jo shuddh mantr wo ucharan nahi kar paye kyonki wo madira ke avesh mein the. Wo sidha bhagat mantr. Ab bade niyam se rahta ek varsh japa to ambaji kali mata prakt ho gayi. Wo to bada ashcharyachkit hua. Darshan kiye charnon mein bole main tumhen batane ai hoon ki tumhara jo guru hai na wo theek nahi hai. Wo madira pe hue tha aur usne ashudh mantr diya hai. Unka kaha maa bas yah baat mat bol dena aap. Ham yah sah nahi payenge.

jin Gurudev ki kripa se mujh adham ko ek varsh mein aap darshan de diye. Aap unki ninda karti hain. Maa aap bhale chali jae main apne Gurudev ki ninda nahi sun sakta. To unhone kaha main shuddh mantr apna batati hoon. Unka nahi zaroorat hai hamen jo Gurudev ne diya main uska phal dekh raha hoon. Aap ek varsh mein samne khadi hain. Mujhe nahi tab bahut prasann hui ki main tumhari guru nishtha odiya Baba ji ke usmen tumhari guru nishtha par prasann hui. Baad se meri siddhi ka yahi mantr hoga tumhare Gurudev ne tajo narad kar updeshu aap kahe sat bar maheshu bhagwan arjun ji ko kah rahe hain yagyat karmanotra lokyamm karm bandhan tadartham karm kaute mukt sang samachar he arjun pratyek manushya ko yagya ke liye hi karm karna chahiye.

yagya kartavya karm ko kahte hain. Jaise wo vridh mata-pita hai. Ab putr ke liye param yagya hai. Wo apne mata-pita ke vihaar ko na dekhte hue seva karen. Mata-pita gali de, ninda karen. Nahi hamen vihaar nahi dekhna. Hamen saubhagya mila hai ab seva ka par bahut kathin hai yagya karna yagya karna kathin hai jaise yuddh karna bhi yagya hai ran yagya hai banon ki ahuti hoti hai jo jaise bali di jati hai aise sampurn ranangan mein shatru paksh ka adharmiyon ka vinash karna ye ran yagya sab yagya hai yahan yagya ka tatparya bataya gaya aapko jo prapt niyati se karm hai kartavya karm usko yagya nishiddh karm ko nahi kahte nishiddh jo papacharan jo nana prakaar ke adharmacharan jismen dusron ko dukh diga jaata hai yah karm to bahut nindniy nishiddh karm hai.

he arjun kartavya palan ke liye jo kiya jane wala karm hai use yagya kahte hain. Bahut bade yagya hai. Shravan kumar apne mata-pita ko aise kandhe par idhar maa idhar pita tirth yachan karate bhiksha mangkar unka poshan karte kaisi kaisi sevae wo mahabharat mein ek prasang aata hai ki yadyapi wo mans bechte the par apne mata-pita ko bhagwan mante the wo dharm vyyadh shayad unka bahut bade gyani bahut shastron ke divya gyata tab Kashyap rishi ne unse pucha tha aapko aisa gyan kaise ho gaya kyonki aapka karm bole mera kartavya karm hai ye aur aao ham tumhen dikhae apni sadhna ghar le gaye dekha to budhe matapita shwet vastr dharan kiye hue jaise bhagwan ko simhasaan par aise uttam unka asan aur kaha ki ham atho pahar bhagwan ki tarah inki seva karte hain.

inke seva ke pratap se mujhe sara gyan prapt hai. Apne pati ko sakshat bhagwan manne dekhkar yah yagya hai. Yagya hai. Isiliye kahte sab yagya nahi kar pa rahe hain. Wahi yagya kar sakta hai jo pavitra vichar wala hai. Savitri ji ne Yamraj ji ko bhi ascharya mein dal diya. Ascharya chakkar mein dal diya. Itna tap bal unke andar prakt tha. Apne pati ko brahm mankar bhagwan mankar patirat dharm dharan karna ki akash marg mein unke saath chal diya wo sukshm swaroop satyavan ka le chal rahe piche charit hai akhirkar har gaye dharmraj ji aur jit gaye savitri ji kitne aise charit hain apne apne kartavya ka shri Anusuya ji atri muni ko sakshat bhagwan mankar patirat dharm brahma Vishnu Mahesh tino gaye the.

chha mahine ka balak bankar palne par sula diya devi Anusuya ne. Kitni badi samarth unki. Kahin bhi jahan ham apne kartavya ka palan karte hain use yagya kahte hain. Alag se ghee aur havishyanya ki ahuti na de paye. Koi baat nahi. Aapko jo kartavya karm mila hai, aap jis pad par hain, aap kisi ke bhai hain, kisi ke putr hain, kisi ke pita hain ya aap kisi ki patni hai, kisi ki bahu hai, kisi ki maa hai, kisi ki bahan, apne kartavya ka palan yagya hai. Anya jo karm kiye jaate hain, wah sab bandhkar durgati ko pradan karte hain.

sirf yagya karm hi tumhen mukt karega. Yagya karm kartavya karm akartavya nishiddh anya karm tumhen bandh lega isliye he Kunti nandan asakti rahit hokar keval yagya karo yagya arthat keval apne kartavya karm ko karo iski vyakhya age shri Radha vallabh lal ki jai hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi