ekantik vartalaap evam darshan #1136 · 27 december 2025
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai udit Sharma ji nai Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki maine aapke ekantik vartalaap mein aapko kahte suna hai ki har pratikul paristhiti ko hamesha sahna chahiye magar gita ji mein bhagwan shri Krishna ne arjun ji ko anyay ke khilaf ladne ke liye bhi kaha hai to mera prashn hai ki kya hamen kis sthiti mein sahna chahiye aur kis sthiti mein virodh do baat samjhni hai ek hai virakta marg aur ek hai grihasth marg is samay bhagwan chatra dharm ka updesh kar rahe hain.
arjun kshatriya kul mein prakt hue chatra dharm ka ki jo adharmacharan karta hai tum rajkumar ho. Tumhara adhikar hai dand dena isliye unko dand do. Lekin agar yahi ek sadhu ki baat ho to bhagwan use dekho agar koi bhagwat padhta ho ekadash skand mein tituksha brahmin ki katha bhagwan sunate hain ekadash skand mein us samay kahte hain he Uddhav yadi koi gardan pakar kar daba de bandh de pida de pitai kare to bhi kuch nahi bolna chahiye chupchap aap sah jana chahiye. Bahari koi sahyog na lekar apni vivekmay buddhi ke dwara atma swaroop mein sabko dekhte hue sah jana chahiye.
to Uddhav ji ne kaha sahna to bahut kathin hai. Tab titu brahmin ki bhagwan ne katha sunai. Jab ham virakta marg ka anusaran karenge, bhagwat marg ka anusaran karenge to kshma Uma sant kah yah bai mand karat jo kare bhalai wo bura kar raha hai. Ham uska bhala kar rahe hain. Ye hamara sadhu marg hai. Lekin us samay arjun ji chatra dharm se yukt yuddh bhumi ke beech mein hai. To bhagwan chatra dharm ka updesh kar rahe hain. Aur jab gyan marg ka bhagwat marg ka updesh hota hai to ye krura papino nata sambha drishya sar vastutya nireeksh param swadhya buddham jo ghor papi hai dusht hai nich hai sambhshan yogya bhi nahi unmein bhi mere shri Radha vallabh lal virajman hai aisi drishti rakho ghor papi mein bhi bhagwat drishti rakhne ki baat virakta marg bhagwat marg mein bhakt marg mein ai hai to yah baat donon donon ka milan nahi ho sakta.
donon ka isliye milan nahi ho sakta ki jahan inko maro wo us samay chatra dharm ka updesh hai aur jahan ye saho wahan bhagwat marg ka updesh hai. Bhagwan ki hi vani se alag-alag jagah to hamko ye samjhna hoga is samay kiske liye kya updesh ho raha hai. Usko dusri jagah se nahi jod sakte. Alag-alag prasang hain. Unka alag-alag uddeshya hai. Are ji gasth jeevan mein kin baton ka matlab virodh kar sakte hain aur kin baton ko sahna chahiye? Grihasth dharm mein hamare upar jo sirf hamare sharir ke upar agar koi gali deta hai, apman karta hai, ladai karna chahta hai to ham nahi ladenge.
lekin hamare parivaar ke upar, hamari patni ke upar, hamare dharm ke upar, hamare rashtr ke upar agar baat aati hai to jitna hamare mein bal hai uska prayog karenge. Nahi to bade bal ka sarkar ka sahyog lenge aur uska virodh karke usko dabaenge. Uske adharm ko rokenge. Uski buri cheshaon ka nash karenge. Ab aisa nahi hai ki jaise mano kshma shabd hamare liye hai. Aap hamen gali de do. Aap hamesha lekin wahi agar ek din bhiksha mangne ja rahe the to jab laute bhiksha lekar to ek gay ja rahi thi aur piche se ek gadasa liye hue aadmi to hamne dekha hamne kaha ye to mar dega jor se awaz ki roka use ruk wahi ye kya hai to kaha hamare thela mein kela rakhe hue the ye ham kuch lene chale gaye gay ham kaha dekho gay ka dharm hai apna pet bharna wo ye nahi janti ki tum bechne wale ho ya kya ho?
usko to keval apna pet bharna hai. Lekin aap isse mar dete hain. Aap aap usko aise kaise mar sakte hain? Aur is samay tum bahut dhairya se bol rahe ho. Us samay bilkul krodh se bol rahe the. Tabhi wo ruka tha jab krodh se bole. Kitne rupaye tumhare ke liye abhi ham vyvastha kar dete aap aisa to jab kabhi apne dharm ke upar kisi aise deenheen ke upar koi atyachar ho raha ho to wahan hamen sadhuta nahi dharan karni hai. Wahan hamen bal Vikram dharan karna hai. To dharm ka alag-alag swaroop hai. Grihasth dharm mein itni sahenshilta rakhni ki ham ja rahe hain.
hamen koi bina galti ke gali de raha hai. Ham sah rahe hain. Koi jhagda karna chahta hai ham bacha lete hain. Aap apne ko bacha lete hain. Nahi karenge. Jhagda char gali de de sun lenge. Lekin dharm ke prati parivaar ke prati izzat ke prati rashtr ke prati yadi koi baat ave to maun dharan karna aparadh hai. Us samay maun dharan nahi karna. Us samay mukhar hona hai uska virodh karna hai. Aisa hai ravash kumar ji Haryana se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji shastron mein kaha gaya hai ki ant mati so gati kripya maharaj ji ye spasht karne ki kripa karen ki ant mati ka vastvik nirnay kis adhar par hota hai?
kya wah keval mrityu ke antim kshan ke tatkaal chitt vichar se tay hoti hai ya phir jeevan bhar ki sadhna naam jap aur antahkaran mein bane sanskaro se? Sahi baat to pocho to jeevan bhar ki sadhna ka jo parinaam hai wo final ant mein milta hai. Aisa nahi ki jeevan bhar vishay bhogta raha papachran karta raha. Ant mein wo Radha bol dega ya Ram bol dega. Aisa nahi hai. Haan, aisa hai ki achanak kripa bhagwan ki ho jae. Wah papi raha hai. Jaise Ajamil aur usko apne putr ke bahane nikla narayan aur sharir chhutne ka samay tha.
to bhagwat parsad aa gaye yamduton ko tiraskrit karke use bhagwat dham ki yatra ki Ajamil ne. Bakaya aisa siddhant nahi hai. Siddhant yah hai ki jo jeevan bhar bhajan karta hai, bhagwan ka chintan karta hai, yadi wah antim samay bhagwan ka chintan nahi kar pata, behosh koma mein chala gaya. Ab wo bhagwat chintan karne layak hai nahi. To us samay phir bhagwan uske andar chintan dete hain kyonki siddhant siddhant hai. Anta mati sogti to ab wah to kama mein hai behosh hai. Ab us samay uske andar spit hoga Radha Radha kyonki jeevan bhar usne bhajan kiya hai.
ab antim final na bigde to uske hriday mein bhagwan swayam spurit karte hain. Bhagwan naam ya apna rup prakashit karte hain. Ya antim samay kisi mahatma ki kripa ho jae. Jaise pujya Radha Baba ki kutia thi to samne ek budhi mai akar ke Sohni lagati thi roz uthte baithe kabhi Baba ki drishti chali jati thi to kai varsh se Sohni laga rahi thi niyam purvak phir do-teen din nahi ai to Baba ne pucha ki wo mata ji jo aati thi wo nahi hai aisa na samjhe ki santo ki drishti nahi rahti Baba kabhi bole nahi kuch kaha nahi lekin drisht drishti mein to bole mata ji ne bole maharaj wo to bahut bimar do teen din se thi hamen lagta unka sharir pura ho jaega bole are sharir pura ho jaega chalo hamen le chalo kahan hai mata ji aur le gaye to wo padi hi thi behosh sthiti mein aise jakar mathe par hath rakha aur kaha mata ji kuch dikhayee de raha hai bole haan Radha Madhav khade hue hain muskura rahe hain aur kah rahe hain chalo hamare saath Baba uthe aur chal diye aur mata ji ka sharir pura ho gaya to kisi siddh purush ki antim samay kripa ho jae.
bhagwan ki kripa ho jae ki koi bhakt sanidhy mil jae aur use naam kirtan man lo behosh hai lekin uske vatavran mein naam kirtan shuru ho gaya jahan sharir behosh para hai to usko bhagwat gati prapt ho jaegi ya jeevan bhar bhajan kiya hai antim samay bhagwat smaran ho jae ya bhagwan antim samay smaran karva den gati uski wahi hogi jo jeevan bhar bhagwan ka aashray liya hai ya kisi sant ka aashray liya hai aisa nahi ki papacharan kar raha hai. Wah ek Ajamil udaharan mein aae hain. Baka aisa prayah bahut kam hai ki koi jeevan bhar papacharan karta aisa sambandh se ho sakta hai.
to yadi hamara koi sambandhi bhagvatik hai aur wah us samay kripa kar de hamen bhagvatik vidhan mila de ya bhagwan kripa karke swayam aisa koi samvidhan kar de andar hriday mein ya phir jeevan bhar bhajan karta raha hai. Par khas baat jeevan bhar bhajan karne wale ki hai ki jo jeevan bhar bhagwan ka bhajan karta raha antim samay bhagwan ka smaran kar wah bhagwan ka vishesh ladla hoga. Kalyan ho jana aur bhagwan ka prem prapt hona yah donon alag baat hai. To kalyan to do-teen gatiyon se ho jaata hai. Jaise kisi bahane se bhagwan naam smaran ho jana ya behosh sthiti mein aaspas bhagwan naam kirtan hona, charanamrit pawa dena, raj laga dena.
koi daya karke aisa karuna karke sant ya koi grihasth bhi aisa kar sakta hai. Man lo koi prani mar raha hai. Ham uske mukh mein charanamrit dal diya, raj dal diya, raj laga diya, Radha suna diya. Ab uska kalyan ho jaega ya antim samay bhagwan ki kripa se koi sant bhagwan kripa kar de. Yah bhagwan waise prem aur vishesh kripa usi par karte hain jo jeevan bhar bhajan karta raha. Wo bhagwan ki phir divya leela mein sammilit ho jaega. Kalyan hona ek alag baat hai. Kalyan to itne mein bhi ho jaega ki in in ghatnaon se lekin antim samay prayah jo jeevan bhar bhajan nahi karte unko aisa manglik sanyog nahi milta.
aisa mangalmay sahyog nahi milta. Par kripalu bhagwan kab kis par kripa kar de yah bhi nahi kaha ja sakta. Bhagwan kripalu hai. Kab kis par kripa kar de kaho jeevan bhar papacharan karta raha aur ant mein sant samagam ho jae. Ant mein bhagwan ka smaran aa jae. Ghabrakar bhagwan ko pukar pare. Ant mein to baat ban jaegi. To final mein to jaisi mati hoti hai waisi hi gati hoti hai. Ab mati bhagwan ki prerna, sant, prerna, bhakt, prerna, sanyog inke dwara banti hai ya pure jeevan bhar bhajan karta raha unke dwara banti hai.
iska nirnay bhagwan hi kar sakte hain. Sonu ji ludhiyana se Radha vallabh shri shri Harivansh maharaj ji Gurudev bhagwan guru kripa se mile bhajan ko karte hue agar ham satgun rajogun aur tamogun ko par karne ki charm sima par hain uske kya lakshan hain? Hamara mantr nahi rukegaa. Chahe tamogun ave chahe rajogun ave pata chalta hai ki ab tamogun aa gaya. Ab rajogun aa gaya. Ab satogun hai. Jo bhajan karte hain achhche se. Par uska sabse pahla lakshan hai ki hamara ektar bhajan mein jaise tamogun aaya to dves ka chintan hone lagega.
krodh ki vrittiya, hinsa ki vrittiya matlab galat vrittiya rajogun aaya to kam ki vrittiya ye sab bhogon ki vrittiya ane lageng. To ab wo bhogon ki vrityio mein bhajan uska nahi ruk raha. Vritti chal rahi. Vritti to chal rahi par Radha Radha Radha Radha to wo vritti delete hoti ja rahi. Wo sanskar nahi dal pa rahe to ab rajogun par aap dhire-dhire vijay prapt kar rahe hain kyonki rajogun bhog pravritti aa rahi hain aur aapka bhajan nahi ruk raha hai. Aise tamogun ki vrittiya aa rahi par aapka bhajan nahi ruk raha hai.
satogun ki vrittiya aa rahi par aapka bhajan nahi ruk raha. Ek tar bhajan chal raha hai aur gun ke prabhav se prabhavit hokar koi kriya nahi kar rahe aap. Jaise jab tamogun hoga na to jara si baat mein gussa aa jaega. Aapko nahi ana hai kyonki pata hai is samay hamare andar tamogun hai Radha Radha aur bahut banavti hi sahi lekin ham bahut muskurakar mrid bhashan karen rajogun bhog pravritti badh rahi stri akarshan dhan akarshan purush akarshan duniya ka akarshan hamko vyakt nahi karna Radha Radha Radha aur duri bana ke rakhna to ham rajogun par vijay prapt kar liye daya karuna milna julna yah sab satogun ki vrityio mein aati hai usko bhi andar se nirmamo nirhankar sam dukha sukhami jo nirmam hota hai wo satogun par bhi vijay prapt kar leta hai koi kisi se mamta nahi sab par hamari bhavna hai ki sabko sukh mile lekin mamta sharir se kisi ke nahi to satogun par bhi vijay prapt kar leta hai aur bhagwan ka bhajan chhuta to gun ne prabhavit kar diya aur aap aisi phir kriya kar lenge aur bhajan nahi chhuta to gun tumhen prabhavit nahi kar payenge.
apni kriyon mein nahi le ja payenge. Apna sanskar nahi bana payenge. Tabhi to kabhi accha bhajan hota hai. Kabhi bhogon ki pravriti hoti hai. Kabhi nana prakaar ke rag dves ka chintan krodh hinsa alasya tamogun pramad aaj nahi karte. Bhajan aisa to yah sab gunon ka prabhav prabhavit kar raha hai aur ek tar hamara bhajan chal raha hai aur gun ate jaate rahte hain phir dhire-dhire shant ho jaate hain. Phir gunon ka prabhav antahkaran par nahi parta. Wo bilkul bhagwat swaroop mein sthit rahta hai. Par abhyaas ke dwara aisa aur khanpan agar hamara khanpan rajoguni hai to bhajan ek tar nahi chal payega.
tamoguni hai to nahi ek tar chal payega. Satogun wala hamare bhajan mein sahyog karega. Yadi satoguni bhojan hai to hamare bhajan mein sahyog karega. Lekin satogun bhi fansane wala hi hai. Maya mein mukt karne ke liye tino gunon se upar uthna parta hai. To naam jab pradhan pehchan bhagwat chintan na chhutne pave. Bhagwat chintan chhutna to matlab phir in gunon ka prabhav ho jaega. Yahi dar hi darap Harivansh hit jino bhrav gun saleel par je naman mangal lok tahu su hari pad bhajan vilumb kar der mat karo jinka naam tino loko ka mangal karne wala hai unka bhajan karo unke charnon ka aashray lekar bhajan chhuta to gun pravah jo gun saleel hai saleel mane pani pravah jo hai wo aapko gira dega gun ka ek pravah aata hai wo jise pravah mein kaat ke tarna bada kathin hota to aise gunon ke pravah ko katne ke liye keval naam bhagwan ka naam bhagwan ka aashray wahi gun pravah se par kar payega.
to bhagwat bhajan hamara chal raha hai. Tino gunon ka apna prabhav aata jaata rahta hai. Koi fark nahi parta. Dhire-dhire aap vijay prapt kar lenge. Pradhan drishti bhajan par rakhni hai aur jaise hamara bhajan bane wah khanpan wo drishya jaise rajogun aaya mobile mein aap galat baten dekhne lage to ab aap nasht ho jaoge gun aapko nasht kar dega tamogun aaya aap waise pramad sthiti nidra alasya ladai jhagda to aap ka bhajan chhut jaega chintan bigad jaega to hamko ye karna hai ki bhajan na chhute hamen men men point par rahna hai ki hamara bhajan na chhuta to koi bhi dosh koi bhi vikar hamen parast nahi kar payega aur bhajan chhuta to to phir rah hi kya gaya phir wo gira dega theek hai na khanpan satogun hona chahiye hamara dekhna sunna bolna padhna likhna ye sab satogun hona chahiye tabhi ham age badhenge deepti bishta ji dehradun se dehradun se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya man ka bhatakna lakshya ki spashtata na hone ke karan hota aur man ko ek lakshya par tikae rakhne ka sahi lakshya bhi ban jane par man bhatkega.
kyon bhatkega? Purvabhaas. Jaise hamara lakshya hai ki ham bhagwan ko prapt karen aur usmen badhak hai sansarik bhog. Ab ham nahi chahte. Hamara lakshya prabhu hai. Par purvabhaas jo hamare man ka purvabhaas bhogon mein jane ka raha hai wo rahega. Ab usko katna hai naye abhyaas ke dwara. Hamare naya abhyaas bhajan ka aisa karna hai. Ismen nahi mana jaega ki tumhara lakshya theek nahi tha isliye tumhara man chala gaya. Nahi galat baat. Lakshya uska theek hai. Par purvabhaas bhogon ka jo man ka hai wo man chala gaya aur wo sambhal nahi paya aur waisi kriya kar baitha.
tumhara lakshya theek nahi tha. Isliye tumhen aisa nahi ho sakta. Uska lakshya theek hai par purvabhaas galti kara sakta hai. Ya kusang matlab bilkul lakshya theek hai lekin thodi der ke liye kusang ho gaya galat stri galat purush galat aisa sang ho gaya aur wo bhrasht ho gaya to khas baat hai man ke purvabhaas ko naye abhyaas ke dwara kaat karke hamen prabhu mein lagana aur sansarik lakshya ho koi ki main yah banunga main doctor banunga ya main matlab sansarik drishtikon ye to sadhak ki drishtikon to usmen usmen bhi us usmen bhi sanyam ki zaroorat hai.
bhai hamen koi unchai prapt karni hai to hamen sadhna karni padegi. To agar sansarik pad bhi chahiye to tapasya karni padegi. Sadhna karni padegi. Agar aap unche pado par hain to purv mein aapne tapasya ki hai. Dan punya kiya hai. Uske bal se aaj hain. Aaj karoge to age aapko prapt hoga. Bakaya sanyam aur punya aur sanskar apne achhche banane ke liye sabko tatpar rahna chahiye. Ham sanyam se rahe, ham achhche adte baname aur bhagwan ki taraf ham badhe to hamara param mangal hoga. Yah nischit hai. Koi aisa ki ham bhrasht aacharan karen aur ham unnati ko prapt ho to ho sakta hai ki aap bhrasht aacharan kar rahe ho.
aapke punya hai piche ke jordar to aap aaj unnati ko prapt hoge. Lekin wo unnati tikau nahi hogi kyonki aapka jis din wo punya kharch ho jaega us din aap bilkul dhamma se gir padenge nasht ho jaenge kisi kam ke nahi agar hamko unchai par tike rahna hai unchai par pahunchna hai to hamen punya karna hai hamen tapasya karni hai hamen sadhna karni hai aur bhagwan tak pahunchne ke liye to divya sadhna karni hai usmen to tanik bhi dhulmul nahi usmen to purn laksh to hamen purwabhyasi jo vishay sahi man hai use bhagwat abhyaas hi banana padega.
yah hamari pakki baat hai. Agar ham purvabhaas mein hi lage rahe to ham phir lakshya tak nahi pahunch payenge. Purvabhaas ko katna hoga aur purani aadat ko katna bahut kathin hota hai. Chhoti-chhoti chijon purvabhaas agar hamara hai to hamko hara deti hai. Hamko vivash kar deti hai. Phir bade-bade bhogon mein aa sakti. To isiliye bhagwan ki prapti kathin hai ki purwabhyasi man hamko bhogon mein laga deta hai. Hamko use katna hai. Sadhna kis baat ki hai? Isi baat ki hai ki purwabhyasi bogi man ko yogi banana hai.
sharir mein yog chinh dharan karne se yogi nahi hota. Man ko yogi banana hai. Jo man vishay hai, bogi hai, use yogi banana hai. Bhagwan se jodna hai. Bhagwan se judna hi to yog hai. Chittritti ko rok kar paramatma mein lagana hi yog hai. To isliye purwabhyasi man ko bhagwat abhyasi banana aur lakshya dridh hai. Par purvabhaas mein agar lag gaye to phir bhrasht ho jaoge. Ye baat hai. Anurag ji ujjain se Radhe-Radhe maharaj. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji pichle ek varsh se ekantik vartalaap sun raha hoon aur naam japne ka bhi prayas kar raha hoon.
prabhu abhi to bhog keval hamen lubhane ka prayas hi kar rahe hain aur ham chitt unmein laga dete hain. Chahe wo koi vyakti, vastu ya anya suvidhae ho. Prabhu jab bhog bhogne ke liye purn rup se anukulta prakt karegi to tab hamara kya hoga? Maharaj ji dar lagta hai. Use dar lagta hai to achchhi baat hai lekin sahi dar lag jae to ham bach sakte hain. Abhi sahi mayne mein dar nahi hai. Upar se ham kahte hain dar andar se sukhad lagta hai. Bhogon ki taraf hamari ruchi kyon hai? Kyonki wo sukhad lagte hain. Sukh dene wale lagte hain.
lagta hai ki bhog lete hain to sukhi ho jaenge. Upar se dar lagta hai. Andar se sukh buddhi hai. Andar se dar lagne lage to bachat hamari ho jae. Wo hoga jab thoda gyan ho. Thoda hamko adhyatma ka gyan ho tab baat samjh mein aayegi. Yah bhog aap to bachchhe ho. Bade-bade sadhako ko, bade-bade achhche parmarthiyon ko bhi lubhayaman kar lete hain. Matlab gyanyon ko bhi lubhayaman kar lete hain. Aap to abhi balak hi ho. Gyan naam chet devi Bhagwati hasa balada Krishna mohay Mahamaya prekshati bade-bade gyanyon ke chitt ko balat aphrn karke moh mein dal dena.
yah Mahamaya ki samarth hai. Kuch chhoti moti par yadi ham dainya bhav se bhagwan ka aashray lekar naam jap karte hue chale to ham bach sakte hain. Agar hamen gyan ho jae to phir accha nahi lagta. Bhogon mein sukh nahi hai. Sukhakarshan hai. Sukh nahi. Jaise ham jo chintan mein sochte hain na ki aise se aisa aisa khaenge. Aise aisa wo jab ham kha rahe hote hain to wah sukh nahi milta. Jab ham bhog rahe hote hain to wah sukh nahi milta jo chintan mein tha. Dhyan se hamari baat samjhna ye adhyatma hai. Jaise ham kisi bhog ka chintan kar rahe hain to us samay jo hamen sukhanubhuti ho rahi hai jo ekdam lag raha hai ab mile aur jab wah bhog mila to thodi der mein man usse khinn ho jaata hai.
wah sukh nahi rahta. Iska matlab bhogakarshan mein sukh hai. Bhogne mein nahi. Agar hamara chintan na ho aur phir koi bhog kriya ho to dekh lo sukh nahi hoga. Jaise kisi ko bol diya jae ki aaj tum khub vishv ke jo bhog chaho bhog lo. Kal 12:00 baje tumhen phansi de di jaegi. Ab hamen batao kaun sa bhog use sukh de sakta hai? Kyonki uska chintan hat gaya. Uska chintan lag gaya. Ab batao ab use kaun sa bhog sukh de sakta hai? Sundar stri, sundar bhog, sundar khanpan, wo kapda alag. Usko kisi se koi swad nahi milega.
kyon? Kyonki chintan hat gaya. Chintan mrityu mein lag gaya ki kal 12:00 baje tumhen phansi de di jaegi. To jismen sukh hai to usmen hai chahe jis paristhiti mein hai, paramatma mein sukh hai to phansi ki saja sunne par bhi muskurahat hogi. Jaise shri Ram naam ke ek bhakt the. Wo bade karunasheel the. Bhakt mein karuna hoti, daya hoti to wah badshah ke khajanchi the. To jaise koi gaya ho maharaj main garib aadmi hoon. Beti ka byah hai to khajane se wah de dete. Yadyap chahiye ki raj agyaa lekar khajane se den.
par raj agyaa kyonki wah itna dayavan karunavan to tha nahi ki sab garibon ke liye wah agyaa kar de. To isliye wah kar dete the. Dhire se kazi ko pata chala, janch hui to baat pakki mili aur unhone sweekar kiya ki ham bina raj agyaa ke khajane se ham de dete hain to aparadh banana. To unko raja ne badshah ne phansi ki saja sunai. Tumhen phansi de de. Wo bade bhakt bhagwan ka bhajan karne wale bade karuna mein matlab wo raj agyaa mein rahte the. Lekin wo sant the. Unka charit aaya shri Ram ji ka charit hai.
wo muskura diye. Jab phansi ki agyaa hui to muskura diye. Aur unke aradhya dev the maharashtra mein jo virajman vitthal bhagwan hai. Vitthal bhagwan aradhya dev the. To kaha jaisi vitthal ki kripa. To unhone kaha tumhari antim ichchha kya hai? To unhone kaha ek bar vitthal bhagwan ke samne se mujhe nikalva do. Matlab ek bar aankh milwa do. To unko bandhan mein dal ke aur vitthal bhagwan ke samne gaye. Kaha aap raji ho chal diye aap raji ho ki mujhe phansi ho to ham raji hain joi joi pyaro kare soi moh bhave yadi pyare tumhen aisa lagta hai ki ab mera sharir ant ho phansi ke dwara to koi baat idhar bhagwan pahunche badshah ke paas 15 16 varsh ki avastha bhagwan to kitna bhi aag ko kitna bhi chhupa chhupte thodi kamal nayan aur muskura karke salam kiya kyonki wah is tarah wah pahli baat to rupaye dekh kar ke uska hosh ud gaya.
unhone kaha suno hamare malik ko tumne phansi ki saja sunai khajane ke karan aur aise Pitambar se chode wo hire bole hire ratna aise hain ki tera khajana kuch nahi hai aur dekha ki wo bade kimti ye le aur turant mere adesh kar mere malik ko chhoda jae. Bole malik bole shri Ram mera malik hai. Main unka naukar hoon. Bhagwan to bole Shri ma ne to kabhi bataya nahi bole itne gupt hai ki pocho mat hamne mana kiya ki tumhari nokri na karen tumhare paas aise khajane mein hai hi nahi ratna aur hire jaise hamare malik ke paas hai ab wo turant adesh karne mein laga jao turant unko roko wo vadh sthan ki taraf le gaye kahin unko phansi na de di jae to ghudaswar daude unko roko itne mein bhagwan antardhyan ab wo pagal badshah kahan gaya wo kahan gaya shri Ram ko badshah hath jodkar bole ek bar apne naukar ke darshan kara do deedar kara do bole hamare kaun naukar ham to aapka naukar hai bole nahi uska naam bitthu tha bitthu bola tha aur wo itni avastha ka lagbhag tha aur ye hire dekar unke ankhon mein aansu aa gaye are bole ye naukar nahi akhil bramhandon ke malik bhagwan vitthal hai jo hamari raksha ke liye aapke samne aise aae the.
to agar bhagwan se sambandh hai to kisi bhi sthiti mein man vichlit nahi hoga. Aur agar bhagwan se sambandh nahi hai to phansi ki saja ya mrityu ki ya cancer ya badi baat sunte hi hamara chitt ab usko bhog achhche thodi lagte hain. To hamara chitt bhagwan mein jaise jaise lagta jaega bhogon mein sukh nahi hai. Yah pakki baat hai. Akarshan hai. Bhogakarshan hai. Bhogon mein sukh nahi to aap sab grihasth to sukhi ho jaate na. Bol dete ab kachu nath na chahi more mil gaya sukh lekin aaj tak kisi ko nahi mila. Wahi bhogne ki lalsa wahi phir khane ki lalsa dekhne ki lalsa sunne ki ye indriyon ke shabd sparsh rup ras gandh jo hai na ye akarshan matra hai.
inme koi sar baat nahi. Sar baat bhagwan mein hai. Man sab kuch prapt karke bhi ek ashant rahta hai. Ek kuch khoj karta hai sukh ki. Man mein wo prasannata nahi. Kyonki wo prasannata tabhi puri hogi jab bhagwan se ham judenge. To hamara chitt bhagwan mein lage aisa prayas karo to bhogon se man hat jaega. Dweta bhesh ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ishwar smaran naam bhajan se atyant rudhan shuru ho jaata hai ek tadap si hoti hai ashe rudhan chalu hi rahta hai rudhan ko nirantrit karne ke liye niyam se 11 bar durga saptashti shuru kiya hai maharaj ji bat maharaj ji ismen kaise man ashant ho jaata hai phir ishwar prapti ka marg aise ye ye baat sahi nahi hai bilkul sahi nahi hai kyonki kyonki ham usi marg ke pratik hain.
man ashant ho jaata hai rudan karne par. Bhagwan ke naam par, bhagwan ke chintan par jab rudan aayega na to man nach padega. Anand mein doob nahi shabdon ka sara khel hai. Baten hathi paiyo baten hathi panv baat mein hathi inam mein mil jaega. Baat mein hathi ke pair ke niche kuchla diye jaoge. Man ashant ho jaata hai. Yah shabd path path karte karte man ashant ho jaata hai. Durga saptash kis baat ke liye? Man alag-alag vicharon se bhar jaata hai. To kahan bhagwan mein prem hai? Jab prem ho jaega bhagwan mein yahi to hota hai na ki hamari baat samjho.
adhyatma ka prashn hai, adhyatma ke uttar hain to thoda kadwe lag sakte hain. Hamen har samay rudan hota hai bhagwan ke naam ka chintan karke aur hamare vicharon mein parivartan hota hai aur hamara man ashant rahta hai. Donon bilkul viparit hai. Abhi naam jap karo. Dat ke naam jap karo aur ek marg pakdo. Ek marg koi pakdo. Ham kah rahe hain maa ko pakdo to maa ko pakdo. Prabhu ko pakdo to prabhu ek ko pakdo aur chalti raho aur jo anubhutiyan unhen gupt rakho to age aap adhyatma mein nahi to koi sthiti thodi hai.
jab rona aata hai na bhagwan ke liye rom rom pulkit ho jaata hai. Man ekdam anand se unmatt ho jaata hai. Us dasha ko kaise varnan karen? Wo koi sadharan dasha hai. Gadgad sur Naina sajal dampati ras rahe bheen vrat vrinda vipin mein phire prem talan jab to keval aa bhar ke pukar sakta hai aur kuch nahi bol sakta Radha ha priyaju ha Krishna ha pritam bas ashant are usko chu le to ashant shant ho jae usko dekh le to ashant shant ho jae itna wo shanti ka swaroop ho jaata hai jo bhagwan ke prem mein isliye naam jap karo shastron ka swadhyay karo gambhir raho koi damb na ane pave damb mane hota hai dikhava koi dikhava na ane pave to aapki bhakti sahi raste mein chal paegi agar bhakti ko damb rupi rog ho gaya to phir nasht ho jaegi dikhava nahi hona chahiye yah antar ki gupt vastu hai agar ham banavti hi roen to bhagwan use sahi man lete hain.
ekant mein roen prabhu ham prem ke aansu hain ki nahi mujhe pata nahi lekin aapke liye hai. Agar ham banavti bhi ekant mein roen to bhagwan use sachchi man lete hain aur kabhi hamen sacha prem de denge. Lekin ham yah dikhava karen ki ham prabhu ke liye rote hain to phir bigad jaegi. Phir bhakti nahi aayegi. Natak rah jaega. Rashmi rajput ji auraiya Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji maine aapke shri mukh se ek satsang mein yah suna tha ki sadhak ko kisi se pair nahi chhuane chahiye punya nasht ho jaate hain Gurudev main ek shikshika hoon jaise ki main vidyalay jati hoon sabhi bachchhe akar pair chu lete hain mera mana karne ke baad bhi ki main bolti hoon Radhe-Radhe bolo bas yahi prabhu ki ichchha hai bat maharaj ji aisi sthiti mein jab wo pair chu lete hain to mera punya nasht hoga nahi netron se to unhen pranam kar lo jaise koi aag ke bachchha pair chhuta hai to turant he bhagwan aap is rup mein ho.
accha Radhehe theek hai. Upar se ham bhale sansarik vihaar karen lekin andar se hamen bhagvatik rahna chahiye ki in sab bachchon ke rup mein bhagwan hi hai. Hamen seva di hai padhane ki. Mere bhagwan hi hai. Aisi bhavna rakhni chahiye. Jaise koi akar pair chu leta hai ya sashtang dandvat karta hai ya namaskaar karta hai to apne log pehle use namaskaar kar lete hain. Aap aa hi rahe ho. Ham pehle mansik namaskaar kar liya. Ab aapka jo man hai chahe sashtang karo chahe panchang karo koi to jaise bachchha aa raha hai to pehle aap mansik pranam karo ki ismen bhagwan virajman hai to aapka punya nasht nahi hoga.
dhyan Soni ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji koti-koti pranam. Maharaj ji gita ji mein kaha hai ki karm karo par phal ki chinta na karo. Parantu maharaj ji ham vidyarthi kal mein hamara lakshya achhche marksa lana hai. Aisa rahta hai. To phal ke bina kaise ham karm wah badi unchi baat hai. To abhi tum jaisa bhav kar rahe ho vaisa hi karo. Kiska prashn hai? Aisa hi karo ki main achchhi padhai padhun aur main achhche number laun. Main graduate banun. Aisi bhavna karo. Abhi wah adhyatma ki unchai ki baat hai ki karm bandhan se mukt hone ka upay kya hai?
karm karo aur phal ki asha na rakho. Abhi aap koi adhyatma mein thodi chal rahe hain. Abhi bachchhe ho. Agar phal ki asha nahi rakhoge tum to tumhari ruchi nahi hogi padhai mein. Samjho. Jab ham phal ki asha karte hain to hamari ruchi zyada badh jati hai. Ham asha karte hain ki hamare vyapar mein accha labh ho aur agar ham asha na karen to itna praytn vyapar mein kyon karen aap samjhna. To ek sthiti aayegi jab aap in sab baton ko prapt karne ke baad bhi ashant hoge. Tab aap prashn karoge ki ab main kya karun?
kyonki achchhi nokri hai, rupya bhi milta hai, parivaar bhi sab hai. Phir bhi mera man vyakul hai. Tab aapko adhyatma ka rasta milega. Adhyatma mein yah baat hai ki karm karo. Phal ki asha mat rakho. Sukhadkhe samay krtva labha labho jayajo aapne karm kiya parinaam mein sukh mila ya dukh mila labh mili ya hani mili jai hui ya parajay hui iski chinta mat karo. Yah ek bahut achhche sadhak ki baat hai. Ab koi khiladi se kah de ki tum vijay ki asha mat karo to bhai wo vijay ki asha se hi khel utsah purvak khel payega.
baat samjhna hamari. Ek kisan se kaho ki wo pehle hi asha karta hai ki main fasal bounga to ismen ek man gehun lagega bij mein to 40 man baad mein hoga. Wah asha karke pasina chhuvata hai, mehnat karta hai. To yah jo prambhik karm hai, yah asha se hi purn hone ki bhavna hamare andar karm mein pravritta karti hai. Koi bhi bina asha ke karm kahan karta hai? Sansaar mein asha to ho jati hai na. Main yah karunga to lagbhag itni prophit ho jaegi. Uske phal ki asha karke hi wah karm mein pravatt hota hai. Ab wah jab karm ka phal dukh aaya to vichlit ho jaata hai.
har bar thodi ki aap vijay hi hote rahoge. Kabhi-kabhi parajay bhi aati hai. To bhagwan isliye kah rahe hain ki tum saman bhav bana rahe tumhara. Tum dukh sukh se lipt na ho. Isliye tum phal ki asha mat karo. Par wo unchi baat hai. Abhi bachchhe ho tum. Khub achchhi asha karo ki main graduate hoon. Main achhche number se paas hoon. Main amuk degree prapt karke amuk nokri karun. Asha rakho jisse tumhare praytn mein utsah rahega. Tumhen karm karne mein utsah rahega. Wo to yog hai. Abhi to aap sansaar ke bachchhe ho.
naam jap karte raho aur khub achchhi har vyakti chahta hai jaise bhajan karne wala main accha bhajan karun bhagwan ka accha bhakt ban jaun bhagwan ke charnon ka mujhe prem prapt ho aisi asha to karta hai na lekin bhajan ka jab ek phal utpann hoga hriday mein to sab ashaen shant ho jati hai mile bhagwan na mile dukh mile sukh mile gati ho durgati in sab baton se man hatkar shant bhajan mein bhagwadakaar ho jaata hai. Wo sthitiyan hai. Abhi tum aisa jaisa bhav hai waise chalo aur naam jap karte raho. Radha Radha jo tumhen praveen banaega.
tumhari buddhi ko shuddh karega. Laukik parloulik sukh pradan karne mein samarth hai Radha naam. Isliye Radha Radha japte raho. Harsh kumar rana ji Gujarat se shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji pichle do salo se aapke dwara batae gaye marg par chalne ka prayas kar raha hoon. Gurudev maine aapki shri vani se sharir ke bare mein suna hai ki sthul sharir, sukshm sharir aur karan sharir aur yahi tino shariron se bhagvatik cheshaon ke bare mein to maharaj ji bhagvatik cheshta kaise karen.
bhagvatik cheshta ho rahi hai kaise samjhe aur bhagvatik cheshta ho rahi hai par swikrati kaise aae aur swikrati ko dridh kaise karen? Bhagvatik cheshta ka tatparya hota hai tasma shastram prmanam te karya akaryo vyvasthit shastr ke anusaar hamare karm hone chahiye shastr virudh karm nahi hone chahiye jab sthul sharir se pavitra dharm mein bhagvatik kriyaen hoti hain ya jo bhi karm hai wo bhagwat samarpit kiye jaate hain to uska prabhav sukshm sharir par parta hai. Sukshm sharir hai man, buddhi, ahankaar, panch gyanendriay, panch karmendirya ye hai.
to jo sukshm sharir hai wo pavitra sankalp karne lagta hai. Man buddhi pavitra nischay karne lagti hai. Pavitra bhagwan ka chintan karne lagta hai. Ahankaar bhagwan ke dastv mein badalne lagta hai. Prabhu mere Swami main prabhu ka das. Iska prabhav parta hai karan sharir par. Karan sharir kahte hain swabhav. Jaise hamare yahan shri sevak ji maharaj kahte hain yah jo par moh sahaj swabhav shri Harivansh naam ras chav nav sudridh bhav taran ko bole mujhe mera yah swabhav par gaya hai ki nirantar shri Harivansh shri Harivansh shri Harivansh ye naam hamare chalta rahta hai.
swabhav karan sharir swabhav shrutau Radhika keertita swabhave hamara swabhav ban gaya hai Priya pritam ki charcha sunne ka shrut Radhika keertita swabhave hamara swabhav ban gaya hai Priya pritam ke jas ka kirtan karne ka to jab sthul sharir se koi pavitra kriyaen dharm mein bhagvatik kriyaen karta hai to uska sukshm sharir pavitra hota hai. Jab sukshm sharir pavitra hota hai to uska swabhav badal jaata hai. Jo swabhav bogi tha wo yogi ho jaata hai. Jo prapanchi tha wo bhagwat swaroop ho jaata hai. Tino badal gaye.
sthul, sukshm aur karan. Aur jahan tino pavitra hue to jaise saaf darpan mein apna pratibimb saaf dikhayee deta hai aise swaksh antahkaran mein pavitra buddhi mein gyan ka pradurbhav hota hai aur wo apne swaroop ko dekhta hai ki main in tino shariron se alag hoon sthul sukshm aur karan aur wo jeevan mukt mahapurush ho jaata hai. Inheen shariron ke rag ke karan hamari durgati hoti hai. Kyonki karta bhav hone ke karan jo ham karm karte hain uske anusaar phir janm hota hai. Phir karm karte hain. Phir janm hota hai.
bar-bar janm bar-bar maran bar-bar maa ke garb mein jana yah hamara chalta rahta hai. Tab tak jab tak tino sharir pavitra nahi honge. Sthul, sukshm aur karan tino ka rag nahi tyag dete tab tak hamara yah aavagaman chalta rahega. To chahe bhakti ke dwara, chahe gyan ke dwara, tino shariron ko pavitra karna aur tino shariron ka rag tyag dena tab wo moksh ya prem ko prapt hota hai. Agar sharir se prem bana rahe, asakti bani rahe to bhakti rang nahi lai. Bhakti jab rang lati hai to deh kutumb te jae chhut sab hi vidhi nato sharir se rag uska khatm ho jaata hai.
sharir sukh mein hai ya dukh mein uske bhagwat chintan par koi fark nahi parta. Aur yadi sharir mein rag hai to dukh padte hi bhagwan ka vismaran hone lagta hai. Wo pida, wo chinta, wo shok grasit ho jaata hai. Isliye tino shariron ka rag bhagwan ki kripa se nasht hota hai. Sadhan ham karte hain. Kripa bhagwan karte hain. Keval sadhan se hi nahi hota. Ismen mukhyata mahat kripa hoti hai. Mukhyasta to mahat kripa hi hoti. Mahapurushon ki kripa bhagwan ki kripa to hamare shariron ka rag nasht ho jae aur bhagwan se prem ho jae ya atma swaroop ka bodh ho jae.
aap samjh paye Manoj ji maharaj bhagwat ji mein ekadash skand mein likha hai ki he Uddhav tum gyan ke sahit apne swaroop ko jaan lo aur gyan vigyan se sampann hokar bhakti bhav se mera bhajan karo. Maharaj ji yahan kaun se gyan vigyan ko janne ki baat kah rahe hain dekho. Bhagwan ka jo ye rachnatmak swaroop sansaar hai yah bhi bhagwat swaroop hi hai. Mul baat samjho. Yah jo rachnatmak sansaar aap dekh rahe hain jad chaitanya goswami tulsidas ji kah rahe hain jad chetan jag jeev jat jitna bhi jad chaitanya jeev hai bole sakal Ram main jani maine yah jana ki yah sab bhagwan hi hai.
accha sab bhagwan hai to yahan kaun hai? Apne mein bhi to bhagwan hai. Yah jaan jana ki bhagwan hamare hriday mein hi virajman hai. Sabke hriday mein virajman hai. Ye bahu naam janm namte gyanvan mam prapaddyate vasudevit atma sudarlabha bhagwan ne ise gyan kaha hai. Bahut janmon ki sadhna ke baad kisi ko yah gyan prapt hota hai. Bhagwan shri Krishna ji kah rahe hain bahu naam janm navte gyanvan mam prapaddyate vasudeva swarmit sab jagah Vasudev hai aur yahan bhi Vasudev hai. Yah jaan lena gyan hai.
aur us gyan mein samasth bhogon ka ragon ka tyag karke Bhagvdanand mein dubna yah vigyan hai. Bhagavda mein dubna yah vigyan hai. To bhagwan kahte hain yah tum jaan lo aur yah anubhav karo. Vigyan mane hota hai anubhav karo. Anubhav karke phir meri bhakti mein lago. Bhagwat swaroop hokar bhagwan ki bhakti mein lago. Bhagwat swaroop ho. Abhi ham agyani hain to deh bhav se bhakti karte hain. Thoda pavitra hue to ansh bhav se bhakti karte hain. Jeev aur ishwar aur jab param pavitra hue to bhagwat bhav se bhakti karte hain. Yahan jo hai wahi samne virajman hai.
ek bar hanuman ji se pucha Vashisht ji ne ki aap kaun ho? To hanuman ji ne kaha deh bhav se Swami wo baithe hain aur sevak ye baitha hai. Ansh bhav se anshi wo baithe hain aur ansh se baitha jeev. Ansh bhav mein jeev aur swaroop bhav mein jo wah baithe wah yahan baitha hai is jo wahan hai wo yahan hai ye gyan aur isi anand mein dubna ye vigyan is anand mein dubte hue bhagwat swaroop hokar bhagwan ki divya bhakti mein dubte hue hamare prati samay vyatit karo bhagwan sal samjh paya prabhu ji anuradha kumavat ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main pichle teen salo se Radha naam jap karne ka abhyaas kar rahi hoon maharaj ji man aur indriyan jyon ki tyun hi chanchal hai.
main sarvatha samarthaheen ho gayi hoon. Na pravriti marg mein man lagta hai na nivitti marg ko matlab khane ko dauda hai. Haan kai bar hamne charcha ki hai ki Bhagvdanand mila nahi aur vishyand chhod diya. Badi dukh ki yatra hai. Yah yatra yah yatra sabko katni padti hai. Yah yatra aisi hai ki bina sadhu sang ke chali hi nahi ja sakti. Kyonki vishyon ke prati sukh buddhi hai. Aur bhagwan ke liye ham apna jeevan arpit karna chahte hain. To bhogon ka hamen tyag karna padega. Sukh hai. Aisa hona hi ichchha hai bhogne ki.
ab us sadhak ka jo jeevan hota hai wo bada agam mein jeevan hota hai. Bhagwat anand mila nahi. Vishyand chhuta nahi. Ab batao kaise jie? Tab use satsang jivit rakhta hai. Uske andar satsang naveen utsah aur asha paida karta hai aur bhajan usko dridh karta hai. Sadhan ko hari bhajan hai kah satsang sahai satsang sahayata karta hai ki utsah aata hai nahi nahi hamen prabhu milenge hamen vishyon ki taraf nahi jana hamen paramatma ki taraf hi chalna hai nahi to dekho man purwabhyasi bhogon ka hai. Purv se anek janmon se bhog bhogta aaya hai.
aaj ham use bhagwan mein lagane ke liye samay de wah bhi kitna de pa rahe hain to dekh lo 24 ghante dete ho 10 ghante dete ho panch minute dete ho kitna dete ho jab man ko ham 24 ghante vishyabhyas se katkar bhagwat abhyaas mein layenge to ye man jante ho bahut balvan hai man se bada balvan koi nahi hai. Ye bade-bade viron ko bhi ghutne pe la diya hai. Jo apne chakravarti rahe hain unko bhi ghutne par la diya hai. Man jo chahta hai wahi karva ke rakhta hai. Wahi karva ke rakhta hai. Matlab ye bahut bada man hai. Chahe jitna bada koi guru ho jo man ko chela nahi banae wo guru ho hi nahi sakta.
nahi to man guru rahta hai. Man guru rahta hai. Dhyan rakhna. Jo man ko chela bana le, jo man ko das bana le, jo man ko parast kar de, wahi paramarth path ka vijay upasak hota hai. To jab ham sochte hain kabhi aap is baat ka abhyaas kijiye jaise aap koi bhi chij roz pate hain jo man ko achchhi lagti hai. Chahe wo koi vyasan ho ya kuch bhi ho. Ab sochiye ki aaj se nahi karunga aur phir man ko jhankie to pehle aapko utna wo parast nahi karta tha jitna ab parast karega wo aapko jab jis din se niyam liya ki aaj se nahi yahi yahi dimaag mein aayega ki wo man utha ke aapko patakne ki hazaron koshish karega aur yadi aap bhagwan naam jap nahi karte, sadhna nahi karte to utha ke patak dega.
bach hi nahi sakte. Ye sab log dekh lo. Ek indri ka vishay nahi har indri ke vishay mein bahut balvan hai. Aur yah balvan tab aapko dikhayee dega jis din aap iske virudh chaloge. Nahi khaonga. Yah nahi dekhuga. Yah nahi karunga. Tab aap dekho ye aapko jalata kaise hai. Tab har samay dimaag mein wahi nachega ki ab ek bar to phir ek bar to phir bas isi ko jo mar diya wo bhagwan ka ladla ban jaata hai. Bhagwan ka pyara ban jaata hai. Man marya tan bas mein keenha hua bhram sab dur bahar se kachu dikhta nahi andar chamke nur apo tyag jagat mein baithe nahi kisi se kam unmein to kachu antar nahi sant kaho chahe Ram jinhone apne man ko mar liya man ka marna bahut kathin hai ye wahi jante hain jo mar rahe hain ab jo vishyon mein gire pare hain wo kya jane ki man ka marna kya hota hai.
baat yah hai ki jab hamara man chah raha hai aur ham use na den aur wo vastu samip ho. Khas baat samosa chatni rakha hai aur man kah raha hai pa lo aur aap kaho nahi payenge. Ab aap dekho to chamatkar uska man ka agar yahan dimaag mein samosa na bhar de to bata dena. Us dimaag mein bhar jaega ki ab kha lo tabhi shanti hogi. Aise hatheele man ko bhagwan ke naam jap ke dwara hi roka ja sakta hai. Dusra koi upay nahi hai. Ye aisa hala pocho mat pocho mat. Pura vishv pura vishv isi ke nachae nach raha hai. Is man ke nachae. Bhagwadakaar man jeevan mukt aur vishyakar man bandhan bandhan aur moksh man ka hai.
to hamen chahiye ki naam jap shraddha purvak karen. Shraddha kis baat ki? Ki chahe jeevan mein bhagwan na mile. Chahe jeevan mein hamen koi sukh na mile lekin naam jap nahi chhodunga. Wah to par ho sakta hai aur jo hua ki teen sal hue jap karte abhi siddh hue ki nahi man malak to bhul jao marg chhut jaega man ashradha paida kar dega tum 30 teen sal ki baat karte ho ham 30 varsh ki baat karen ki 30 30 varsh ho gaye abhi man ko sambhal nahi paye man waise hi jab uchhal marta hai Meera ji kahti hai Giridhar ye matvala hathi man koi koi bhi janjir nahi man raha.
bahar janjir tod deta hai. Goswami ji tulsidas ji kahte hain hari ju mero man hath na taje yah bada hatheela hai prabhu yah manta nahi hai aur akhri mein wo kahte hain ho haro kar jatan vivid vidhi atishay prabal ajay tulsidas bas hoe tab jab prabhu prerak bar main har gaya yatan karke nath mere se vash mein nahi hua ab aap kripa karo aap rok do is man ko yah bahut jor ki baat hai. Aap rok do ye man shant ho jaega kyonki iski dori aapke hath mein hai. To ham bhagwan ka aashray lekar naam jap karen aur ube nahi aur man jis chij ke liye hat kar le us chij par vichar karo ki ye dharmamay ya adharm mein.
agar adharm mein hai to na aur dharmamay hai to phir kar dena. Ab jaise wo kah raha hai ki aaj hamko amuk chij pani hai wo pane layak hai to phir aap vyvastha karo usko thoda apne apne paksh mein karo ekdam aap na khinch jao itne bade veer nahi ho gira dega pakka gira dega ham log khub iska anubhav kiye hue hain. Isko paksh mein bhi lena padega. Jaise jangli janvar ho to use dande ka bhi bhay aur khavane ka bhi. Donon baat rahe usko pyar bhi do aur usko bhay bhi do to bhay adharm ke liye aur pyar dharm ke liye wo kahta hai aaj ye ham khaenge ye piyenge aur wo dharmamay hai to koshish karo yadi aapke paas vyvastha hai to use khwa pila do aur agar dharm ke virudh hai phir nahi phir to na na kuch bhi kare to wo kya karega wo jalega hamare hriday ko aur us jalan ko jo sah gaya wahi bhagwat prapt ho ho jaata hai yam hi vyathte pursham purush sam dukha sukhadh swat kalpte jo man ke dwara di hui jalan se vyathit hokar parast nahi hota sukhdukh mein saman bhav rakhne wala mahatma amrit pad ka adhikari hota hai mahatma shabd sabke liye hai wo chahe kisi kapde mein ho yadi wo dhairyvan aur bhagwan ka nij jan bhajan karne wala hai wo mahatma hi ho chahe grihasth ho chahe virakta maharaj ji ek sadhak kah rahe the ki jaise aap bolte hain ki 25-25 sal ho jaate hain man ko kabu karna bada kathin hai.
bhagwat kripa ho to ek wo hai. To maharaj ji kah rahe hain ki kabhi-kabhi ekdam utsah rahit ho jaata hai man ki matlab ki 25 sal ho gaye in mahapurushon ko to phir bilkul utsah rahit ho jaata hai. Par bhagwan phir kripa karte hain aur sahyog karte hain. Kabhi-kabhi man ekdam nirasha paida kar deta hai. Bataya nahi ki bhagwan to mile nahi aur vishyand samne dikhayee de raha hai bhogne ke liye aur man lalayit hai par bhog nahi raha kyonki bhagwan ke marg mein chalna hai to us sadhak ke upar bhagwan vishesh kripa karte hain jahan wo ladakhdane lagta hai ta kripa karke sambhate hain aur phir apna akarshan dete hain kyonki yah marg prarambh bhi bhagwan se hota hai aur madhya bhi bhagwan mein hai aur ant bhi bhagwan se hi hota hai.
sadhak ki koi samarth nahi. Uska sadhan bhi bhagwan hai aur uske sadhya bhi bhagwan hai. To jab kabhi nirasha chaai, nirasha ka andhera chhaya jeevan mein to prakash ka punj bankar ke aae aur koi aisi baat kari, koi aisi jhanki dikhayee, koi aisi ghatna ghatai. Are mere prabhu are mere din bandhu phir man bhag para bhagwan ki taraf. Aise chala jaata hai aur wo bhagwan pakar kar chalate hain. Aap nischit samjho jis samay sadhak jalta hai to ek ek second ka hisaab bhagwan dete hain uske phir itna anand dete hain ki nach parta hai aur kahta hai payo ji payo maine Ram ratan dhan payo nach nach karke Meera ji kahti hai ki vastu mulak di mere satguru sadguru ne amulya vastu de di bhagwan ka naam itna parmanand milta hai jeev krit kritya ho jaata hai isliye thodi ye jalan to bardast karni padegi ek din yahan ekantik mein kah rahe the sansaar ka marg to jalan jalan mein hi hai.
bhagwat marg thodi der ke liye jalan sah jao phir nikal jaoge. Ye thoda rasta jo jab tak bhogakarshan bhasm nahi ho jaata tab tak aapko jal ab kitna bhajan aap karte hain dekhna hai agar aap 24 ghante bhajan kar rahe hain tanmayata dharan kar rahe hain to mahino mein ho sakta hai aap thoda bhajan kiye vishay sevan kiye to varsho lag sakte hain janm lag sakta hai kai janm lag sakte hain ye bahut badi yatra hai dekho agar teen varsh mein teen second bhi naam mein lag gaya to aapne bahut badi vijay hasil kar li. Anant janmon ka bigda hua man teen minute teen second yadi bhagwan mein lagne laga to aapne vijay hasil kar li.
matlab dawa kam kar rahi hai. Rog mein teen percent agar hamara sudhar hua to hamen chinta nahi karni chahiye. Wo pura 100% sudhar kar dega. Aur dekho lag to gaya hai aaj. Jitne log baithe ho agar aapne 10 minute ka niyam liya hai naam jap ka aur us 10 minute mein koi aa jae to aapko disturb kare to aapka man hi kah dega matlab 10 minute raji ho gaya aur agar dhire-dhire isse ham samay badhate jae aur 24 ghanta phir chalte phirte uthte baithe khate pite sote jagte har samay naam jap are phir kya kahna hai maya par vijay prapt ho gayi bhagwan ka sakshatkar jaise jaise naam paap nasht karta hai waise waise mangalmay bhagwan ki jhanki samne ane lagti hai aur dekh dekh kar sadhak pulkit hota hai aandit rahta hai phir age ka marg to itna akarshanmay hai ki daud parta hai sadhak par itna marg jo hai wo bahut khtre ka hai.
ye bina guru kripa aur sant sang ke nahi chala ja sakta. Maharaj ji aap do prakaar ke siddhant batte hain. Ek hai jo sadhak sadhan karke paripakva hota hai uska aur ek kahte hain ki aap ki khiladi ke hath ka gend ban jao. Ye bhi ek siddhant ki unke hath ka hai to wo gireega bhi to itni jor se thapak lagaya haan to sadhak hi to khiladi ke ka khel ka gend hai. Sadhna hi to wo gend hai. Man lo sadhan se bhrasht ho gaya. Gir gaya to phir bhagwan usko gira thodi rahne denge. Thapak mari aur lakshya tak pahuncha diya.
yah to bade bado ke jeevan mein aata hai. Dekho jo dauda hai wahi girta hai. Jo gira para hai wo kya gireega? Jo sadhna mein chal raha hai wahi to bhrasht mane hota hai khisakna. Phesal jana. Phislega to wahi jo daud raha hai na to usko inam milta hai. Koi aisa thodi ki dand milta hai. Jo kushti ladte hain to man lo 5000 ki kushti to ₹000 jitne wale ko mile. Lekin 2500 usko bhi milega. Jo hara hai 2500 usko bhi dete hain. Uska bhi to is marg mein agar har bhi gaye to vijay hi hogi to labh hi hoga.
hani to honi hi nahi hai bhagwat marg mein. Shri Harivansh maharaj ji maharaj ji mere ghar mein mere bujurgo ne apna kuch arth sambhal kar rakhne ko mere ko diya tha 15 varsh purv lekin 10 varsh pehle hi ve sharir chhodkar chale gaye. Tab se unka arth mere paas surakshit hai. Iski jankari kisi ko nahi hai. Main iska upyog kaise aur kahan karun jiska unko purn labh ho. Waise dharmartha kar do to bahut accha rahega. Jaise avara gay, budhi gay, bimar gaye jahan sevan ki jati hai. Nandi ham isliye ye naam le rahe hain ki inme swarth nahi hai.
lekin budhi gauen, bimar gaye, avara Nandi inki jahan seva hoti ho ya jahan garib logon ko free aushadhi di jati ho wahan ya sant jahan sant bhagwant ki seva hoti ho wahan de do ya gaushala mein de do aisi ya kisi mission mein aise de do jahan garib logon ko davaen di jati hai. Vastra aadi bimari ki ye sab to aisi jagah laga do to tumhare jinhone dhan diya hai unka kalyan ho jaega. Unka mangal ho jaega. Theek hai?
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…