॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Mobile mein samne galat drishya aata hai to na chahte hue bhi dekh leti hoon

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji mobile par aapke pravachan sunne ke baad naam bar-bar japne ke baad jab bhi mere mobile ke samne koi bura drishya aata hai to main use dekhti hoon. Bhale hi mujhe pata hai ki yah galat hai. Is wajah se bar-bar apne bhakti marg se bhtak nahi dekhna chahiye. Nahi dekhna chahiye. Yah galat baat hai. Ye galat aadat ko chhodie. Jo galat aadat hai usko aap apnaenge to phir kaise baat banegi? Hamen bhakti marg mein chalna hai. Achhche banna hai. Bhakti marg ka matlab koi Baba ji banna nahi hota hai.

bhakti chakravarti samrat amrish ji bhi kar rahe hain. Chakravarti samrat hai. Amrish ji bhakti kar rahe hain. Sudarshan chakra unki rakhwali mein rahta hai. Bhakti ka koi tatparya aisa nahi ki ve bhash badal lena hi bhakti hai ya matlab bahari dikhao. Ye sab nahi hai. Aap pat shirt mein aap salwar kurta mein aap sadharan vesh mein bhakti ho sakti hai. Kyonki bhakti ka matlab hota hai pyar. Achhche aacharan karna aur dil se bhagwan ko bhajana. Uska matlab bahari se keval nahi hota. Ab ham log virakta hain to hamara ye poshak hai.

hamari bahari poshak bhagwat swaroop hai. Aap log grihasth ho. Aap grihasth mein ho. Lekin hamko galat aacharan jo ham jante hain galat hai. Agar aap galat drishya dekhoge to galat aacharan karne ka man hoga ki nahi hoga? Usmen ruchi hogi ki nahi? To galat aacharan karoge to phir bhakti ka matlab kya raha? Ek baat samjho. Bhakti ka matlab kya raha? Ek taraf aap sant ke pravachan sunkar ke achhche banna chahti hain. Ek taraf galat drishya dekhkar to galat aacharan to aapki unnati nahi hogi. Aapki adhyatmik unnati nahi hogi. Isliye aapko kathor banna padega.

un drishyon ko turant hatana padega. Jo drishya hamare marg ke nahi hai hamko unko nahi dekhna hai. Hamen galat baten nahi dekhni hai. Aur aaj hamare naujawan bachchhe galat baten dekh kar bahut zyada galat hote ja rahe hain. Galat acharno mein pravatt hote ja rahe hain. Kyonki mobile wo sab kuch dikha deta hai. To ye sab baten agar karoge to bhakti kaise hogi? Bilkul nahi. Achhche bachchhe bano aur ye jab galtiya hai inko chodo. Bilkul chodo. Sachin ji shimla Himachal se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam maharaj ji bhagwat marg ke pathik ko bhagwat sakshatkar hone se pehle aise kaun-kaun se anubhav ya sanket ya bahav milte hain jisse pata chale ki wah sahi marg par chal raha hai.

kamadi vikar nishprabhavit hone lagte hain. Jo pure tribhuvan ko adhin kiye hue hain. Kam bhakt ke hriday mein wo sphurrit hota hai aur nasht ho jaata hai. Jab kam ka akarshan, parivaar ke moh ka akarshan, dhan ki mahatva buddhi, man pratishtha ye sab sunne lagne lage. To samjhna chahiye ki jo main naam jap kar raha hoon, jo bhagwat katha varta sun raha hoon, satsang sun raha hoon, adhyatma mein chal raha hoon, uska labh hamen mil raha hai aur ham unnati ko prapt ho rahe hain. Yadi vikar grasit buddhi hai, dhan par mahatva buddhi hai, man pratishtha ki chah hai, abhi bhajan ka rang nahi aaya.

bhajan ka rang tabhi mana jaata hai jab in vikaro par vijay prapt ho jae. Kam krodh mad man na moha lobh na shobh rag nahi droha jinke kapt damb nahi maya tinke hriday baso Raghuray jahan kam krodh abhiman dves rag ye sab nasht ho chuke hain. Shant hriday hai. Koi chah nahi ek adbhut anand ek adbhut umang pratiphal yahi kab milenge prabhu kab milenge prabhu to samjhna chahiye ki hamara marg bahut theek hai aur ham unnati ko prapt ho rahe hain. Agar kanchan kamini aur kirti mein hamari priyata hai to abhi bhajan hamara rang nahi laya.

kamini priy lage, dhan priy lage, man pratishtha priy lage to samjhna chahiye abhi marg theek nahi hai. Abhi adhyatma marg mein hamari unnati nahi ho rahi. Adhyatma marg mein unnati tabhi mani jati hai jab in tino par hamari anashakta buddhi ho jae. Na kanchan mein na kamini mein na man pratishtha kirti mein. Tab hamara bhajan safal mana jaega. Nirantar bhagwat smriti vikaro par vijay aur man madadi ka tyag. Samjh pa rahe hain aap? Theek.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…