jab maharaj ji ne bataya kaise bade maharaj ji ne pehle hi bata diya tha jo aaj ho raha hai?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
shivand Yadav ji jai ho Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki guru kripa paripakva kaise hoti hai? Yah naam japne se kitni sahayak hai? Guru kripa haan guru kripa naam japne se to sahayak hai hi lekin unki agyaa palan zaruri hai. Unki agyaa par pradhanata honi chahiye. Naam jap to unke dwara diya hua karunamay kripa prasad hai. Wah to hamari unnati karta hi hai. Par ismen agyaa pradhan hai. Jaise koi hamari kabhi agyaa ullanghhan nahi karta aur us samay ham bhajan mein baithe aur us samay dhyan aaya ki yar kitni kathor kathor baten kahi kaisi-kasi hamne agyaen di lekin kabhi dosh darshan nahi kiya kabhi agyaa ullanghhan nahi hriday shital hua transfer ho gaya guru ke hriday se kripa transfer ho gayi uska utthan shuru ho gaya laukik parloulik donon utthan shuru ho gaye to guru kripa prapt karne ke liye guru agyaa ke liye lalchae ki kabhi Gurudev hamko koi agyaa de de.
satsang sarvjanik hota hai. Updesh personal hota hai. Agyaa Gurudev ki personal hoti hai. Usmen updesh aapke liye personal hota hai. Agyaa Gurudev ke liye personal hoti hai. Gurudev apne man chahiye baat kahe ki aisa tum karo. Bas hamko pranpan se unki agyaa pe lag jana chahiye. To agyaa sam su sahib seva agyaa ka palan karna hi apne sahab ki seva hai. Ek bar kisi mahapurush se unke bete ne kaha ki ek shishya bhi the to bete ne kaha ki ham aapke putr hain. Par aap hamen utna pyar nahi karte jitna aap shishya ko pyar karte hain.
accha aisa aapko to aap kyon karte hain itna shishya ko pyar? Kya baat hai? Unhone kaha is baat ka uttar to phir denge. Tum aisa karo hamare baithe ke liye chabutra banao. Aur shishya se kaha tum is ped ke niche chabutra banao. Donon ke chabutre banae. Prayas karke sham tak. Kaha bigad do hamare man ka nahi. Bigad diya. Dusre din phir adesh kiya. Banao. Phir banaya achhche se accha ek set karke kaha bigad do hamare man ka nahi tisre din phir adesh kiya phir bana kaha bigad do hamari putr ne kaha akhirkar aap chahte kaisa hai roz banwate hain bigad dete ye kya hai kya chahte hain aap shishya se pucha tumhare andar koi baat bole bhagwan jeevan bhar banwate rahie bigadte rahie jeevan bhar banate rahie, bigadte rahie aur ham to aapke sevak hain.
aap jeevan bhar banate rahie, bigad to putr se kaha samjh mein ai hai baat? Isliye pyar karta hai. To guru kripa patr wahi ho sakta hai jo agyaa par samarpit hai. Ji vachnam kar patrata bhi to honi chahiye utni jaise guru kripa kar raha hai. Patrata aa jati hai na. Patrata banai jati hai. Patrata banai jati hai. Jaise aapko 100 gram ras dena hai to 100 gram ki patrata aapko banai jati hai. Wah swayam mein thodi hoti hai. Swayam mein thodi hoti hai. Patrata banai jati hai. Jis samay Gurudev kripa drishti se dekh le ki isko yah banna hai.
bas wo ban jaega. Usmen wo sare gun jagrit ho jaenge. Daivi sampada jagrit ho jaegi. Ham aapko apne Gurudev ki baat batte hain. Ek bar Gurudev ne hamen laga ki majak kar rahe hain, hansi kar rahe hain. To unhone kaha jab tum chalo to tumhare samne foolon ki varsha ho. Log vahwah karen, log dandvat karen, bhid piche ghume. Khub sant ekatrit ho. Aisa nahi theek rahega. Gurudev ne kaha to hamen laga hamare andar koi man ki ichchha hai sammaan ki to usi ko Gurudev kah rahe hain. Maharaj ji ye kabhi nahi chahiye.
satya aapse kahta hoon. Mujhe kabhi mujhe Priya pritam ka prem chahiye. Yah nahi chahiye. To unhone kaha nahi hamari bhi ichchha hai ki ek do aise sthan hone chahiye jismen sadhak rahe kyonki sadhako ki badi avyvastha hai. Ashraomo mein bhajnanandi sadhako ke liye vyvastha nahi hai. Maharaj ji yahan khane ko to hai nahi. Maang kar khate the aur aap kahte ashram banwaie. Unka sab shri ji kar dete. Jo jo shabd nikle the wo wo shabd maharaj ji ke pure jo jo shri mukh se nikla tha wo sab wo sab yogyta wo sab vyvastha unke vachno se hui hai.
ham ham bol rahe hain. Hamari bolne ki samarth nahi hai. Ye hamare Gurudev bulva rahe hain. Hamare Gurudev prashan ka uttar de rahe hain. Sound Premanand hai lekin andar jo chip lagi hai na wo Gurudev hai. Maharaj ahankaar kyon bana rahta hai sadhak mein ki use pata hai mera naam sab kuch guru hi kara rahe hain to ahankaar ye nivitti kaise hogi iski? Ahankaar tabhi chala jaega jab vastvik pata hai ki mere Gurudev ka hai. Ab jaise ham aapko ₹500 den to aapko ₹500 ka ahankaar hoga kya? Koi puchega aapse ki aap to ₹500 liye ho to aapke bhale bolo na aapke man mein age yah to Gurudev ka mera to hai nahi.
to ab aapko ₹00 ka kabhi aham nahi hoga ki ₹00 mere aapko lage to Gurudev ki dhar hai. Aise hi jab yah dikhayee de ki bhajan, sadhna, vaibhav, sammaan, kirti yah to sab Gurudev ki hai. Main to kisi kam ka nahi hoon. Unhone to mujhe sweekar kiya hai. Yah sab Gurudev to ahankaar kaise aa sakta hai?
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…