ekantik vartalaap evam darshan #1160 · 20 january 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai Anil Tiwari ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ham apne jeevan mein dhairya aur santosh kaise dharan karen evam evam hamare bhitar jo main hai sadhna mein sabse badi badha ban raha hai use pahchanane aur mitane ka saral upay haan sabse pahli baat hai ki ham dhairya kaise dharan karen?
dhairya kise kahte hain? Ai hui apda mein ghabra na jana. Paas mein jnendriay ke bhog ki suvida hote hue bhi bhog na karna. Rasd ke bhog upasthit hone par bhi hamara rasd chalayman na ho. Jnendriay aur rasendriy ko jo apne vash mein rakhta hai use dhairyvan kahte hain. Dhati ki sidhi paribhasha hai jo rasendriy aur Jnendra ko apne kabu mein rakhta hai. Kanch vaach man nishchal rakhe dhan dhan janani teri re jo langoti ka pakka jaman ka pakka aur man ka pakka wahi bhagwan ke marg mein chal pata hai. To hamari dharti ka matlab hai dhairya.
koi vipatti, koi apman, koi tiraskaar, koi ninda kare aur ham vichlit na ho. To yah tab hoga jab rasd aur jnendriay ko kabu mein karke bhagwan ka bhajan kiya jaega. Dhairya tabhi pusht hoga. Vyabhchari kabhi dhairyvan nahi hota. Vivid prakaar ke bhogon ko bhogne wala kabhi dhairyvan nahi hota. Wo bahut kamzor ho jaata hai hriday se. Jo dharm yukt bhogon ko bhogta hai aur rasendriy aur jnendriay ko kabu mein rakhta hai wahi dhairyvan hota hai. Wah badi-badi samasyaon ko bhi dhairya purvak suljhaega. Vichlit nahi hoga.
to hamara dhairya pusht ho isliye naam jap aur rasd aur Jnendra ko sambhala jae. Dusra ji main jo andar baitha hai yah sadhna mein bahut bada vighna sa haan sare jagat mein jo main bandhan ka karan hai wahi yadi sadhu sang kiya jae aur naman bhakti aa jae to main ka nash ho jae sabke prati naman bhav agar aa jae to hamare andar ka main nasht ho jaega. Apne ko tan se nich samjhna aur sabko bhagwan ka swaroop manna isse main jad se khatm ho jaega. Jahan drishti jae to apne bhagwan ko dekhkar namaskaar karen aur apne ko sabse nich samjhe.
tanadu niche aur amanna man den apna kabhi sammaan sweekar na karen. Dusron ko sammaan pradan karen. Dusron mein bhagwat bhav se naman kare aur sadhu sang kare to ahankaar ka nash ho jaega. Ahankaar ka nash aur dhairyvan banna. Aur tisri kya baat thi? Apne andar ke main ko pahchanana aur mitane ka saral upay wo to apne main ko jab pahchanane ki baat aati hai to jab dusron mein dosh ka darshan ho aur apne mein gun ka darshan ho to samjh lena chahiye ahankaar aa gaya hai ahankaar badh raha hai aur yah mitega naman bhakti se sab mein bhagwat bhav karke sadhu samagam kiya jae to naman bhakti hi hamare ahankaar ko nasht kar degi adarsh ji Indor se Harivansh Gurudev Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sadhan kal mein guru isht ke ekatva bhav ko bhagwat prem ke rup mein kaise shuddh nirvikaar aur sthir rakha jae jab guru pradatt naam aur mantr jap karoge to hriday pavitra hoga.
pavitra hriday se vikar nasht honge. Vikar nasht hone par guru aur isht ki ekta ka anubhav hone lagega. Aur ekta ka anubhav hone par sare jagat mein wahi dikhayee denge. Akhand mandlakar vyaptam characharam tatpadam darshitam tasmai shri guruve namah akhand mandal mein char achar mein vyapt Gurudev hai phir isht buddhi kare to shri Ram mein sab jag jani chahe guru buddhi kare to akhand mandlakar vyaptam characharam jab tak naam nahi jap karoge guru pradatt mantr jap nahi karoge adhik se adhik nirantar nishkam bhav se tab tak yah baat nahi aayegi.
jab hamare andar pehle kamnayen nasht ho, vikar nasht ho tab hamara isht aur guru mein ekatva bhav ho ki guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah wahi param brahm paramatma sab mein hai to Siya Ram mein sab jag jani karo pranam jor jug pani chahe ishtkar vritti ho chahe gurukar vritt ho baat to ek hi ho jati hai par wo khub bhajan se banegi baton se nahi banegi padh likhkar samjhne se nahi banegi bhajan se banegi. Jitna bhajan karoge utne hi hriday dridh hota chala jaega. Khub naam jap karo gande acharno ka tyag karke.
sumit Mishra ji shri Harivansh guru ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji roteeram maharaj ji ki mahima suni. Unki ek sukti thi. Yad hai abad hai. Bhul gaya to barbad hai. To maharaj ji yahan yad rakhna ka Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan na hoi. Jo bhula so barbad yad hai so abad bhula hai so barbad jo bhagwan ka sumiran karta hai bhagwan ki yad mein hai wo abad hai jo bhagwan ko bhul gaya wo barbad ho jaega uska jeevan nasht ho jaega bade mahapurush the siddh mahapurush aapse shri mukh se maharaj ji ekantik mein suna tha unki mahima ka varnan wahin se aaya hoon socha unki sukti ke bare mein aapse hi mahima poohe bilkul bilkul pranam hai aise mahapurushon ko bahut achhche mahapurush the.
ham wahan gaye bhi hain. Wahan gaye. Bhramn ke samay ham wahan gaye bhi hain. Bahut achhche mahapurush the. Par leela badi vichitra hoti hai. Antim jo leela mahapurushon ki hoti hai wo samjh mein nahi aati. Antim samay tha to 8 10 sab priy log baithe the 9:00 baje ratri ke lagbhag. To unhone kaha chalo bhaiya hamare jane ka samay aa raha hai. Jao. To wo samjhe mein rukte the. Wo samjhe apne kutia mein jane ki baat ai aur jab subah aae to wahan itna gala kata mila tha ye jo chiraiya hai na jise kahte hain itna koi kaat liye the aur unko pata tha ki ye sab hoga to bole bhaiya tum jao hamare jane ka samay aa raha hai to samjhe jane ka samay matlab kutia ke aa raha hai siddh mahapurush jaise odiya Baba gagda aise se aise bade mahapurushon ki leela aisi hoti hai thahra deti samjh mein nahi aati ki leela kya hai aur wo jante jante the is ghatna ko ki hone wali ghatna hai aur unki itni jo gardan hai itna koi kaat le gaya bada vichitra ki aise siddh mahapurushon ki hatya karne se kya milega bade akinchan rahte the kuch aisa nahi bade akinchan rahte the aur unhin ke guru bhai the sisolar mein jo Baba the na unke guru bhai the jo hi ganga snaan karne ja rahe the suna ki roteeram Baba ka katl ho gaya so jis ghar mein bhiksha ke liye gaye va let gaye 20 sal tak wahi lete rahe.
20 sal tak wahi lete rahe. Kabhi kisi ne khada hote unko nahi dekha aur hamne darshan kiye the jake unke bhi. To jaise devta ko pavaya jaata hai aise bhid lagi rahti. Koi mukh mein pawa raha hai laar chali gayi. Kabhi smriti ai to andar chali gayi. Bas aise beshuddh avastha mein avdhut sthiti mein 20 varsh to hamen pata hai iske age kitne varsh to sharir rakha hai ye pata nahi. Par 20 varsh lete hi lete sisolar hai udhar sisolar mein unhone paas mein hi maharaj haan haan to jante toge na darshan kiye aur samadhi ke bar matlab jab haan ham to us samay jo hi ham pahunche so itna uthe itna uthe ekdam aise dekha aur bas phir ankhen mund karke bas itna hi unki prakriya thi ek hamare paas bahut achhche mahapurush Paramhans the unke saath gaye the darshan karne ke ab bachpan se Baba ji hain to bade-bade mahapurushon ke darshan hue.
siddh mahapurushon ke darshan hue. Praveen kumar ji Radha vallabh shri har Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ek sadhak ki rahni udasin honi chahiye ya hamare mai shyama ji ke raj ki thesak mein mast rahna chahiye? Dekho sadhak ko sadhna karte hue isht ka bharosa dridh rakhna chahiye. Sadhan chhut gaya to isht ka bharosa ka nahi ban payega. Sadhan pakde rahna chahiye jo hamari dincharya hai. Dekho tum kitna kahte ho hamare ma shyama jiu ko raj yah hamen pata nahi lekin hamare mein shyama jiu ko raj hi hai. Lekin dincharya dekh lijiye aap hamari to dincharya hi theek chal rahi to hamare myaa ruko raj agar dincharya theek nahi rahi to kayar aur pramadi ki wo aisa nahi hota ki bhagwan ka bhakt kayar aur pramadi hota ho Ram kaj ki bin moh kahan vishram jab tak bhagwan ki prapti nahi hoti tab tak vishram nahi buddha hokar ke behosh hokar let gaye ab jab chetna ai to jab jage tab Priya bhaje sove pav pasar haan har samay Priyalal ka bhajan ho raha hai.
unke bhrose pe hai to ye kayar aur pramadi sthiti nahi ki tum bhogo bhog iske baad kaho hamare mai shyama ji ko raj aisi nahi baat hai. Khub niyam sanyam se chalo aur khub bhajan karo tab ye baat aayegi hamare mai shyama ji ko raj jaise Meera ji kahte mere to Giridhar gopal dusron mein koi lekin raat din bhajan mein lagi hai. Aisa nahi bhajan chhodkar ke bolne wala kayar aur pramadi kabhi nahi prapt kar sakta prabhu ko jo raat din bhajan karta hai wahi prabhu ko prapt kar pata hai. Swapnal ji namo namo guru kripa nitant Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ham jab accha khana khate hain ya jab accha sangit sunte hain sundar jaghon ko dekhte hain to vastavta mein yah khushi kise milti hai man ko sharir ko ya man ko man ko man ko dekho shabd sparsh rup ras gandh ye panch vishay hai puri srishti mein isi mein hamen chhah indriyon matlab panch gyanendra aur chhathwan man ye chhah milkar ke hamko parast kiye in panch par jo vijay prapt kar le wahi bhagwan ko prapt karta hai.
shabd sansarik hamen akarshit na karen. Bhagwan ka koi bhajan hai, mahapurushon ke koi pad hai to kan hamare sunne ke liye tayyar hai. Sparsh dharm purvak apni patni ka sparsh bhakton ke charan raj sparsh nahi to hamen aur sparsh accha na lage. Rup bhagwan ka bhakton ka aur rup hamen accha na lage ras bhagwan ko arpit kiya hua bhojan prasad pey jo bhi bhagwan ko samarpit kiya hua prasad ka ras le gandh tulsi ji itr sugandh dhoop aadi jo bhagwan ko arpit ki gayi wo apne sharir ko khushbudar banane ke liye nahi prabhu ko samarpit kiya hua hai to hamari bhakti badhegi aur agar ham shabd sparsh swaroop ras gandh ka swayam bhog karenge to phir bhakti nahi phir to maya ka hi jal badhega jo agyaan hai wahi badhega gyan badhta chala dekho log swad
ke liye hi pashu ka mans khane lage swad ke liye hi ganda bhojan anda yah sab kitna nindniy keval swad ke liye 56 prakaar ke bhog hain swad hamare yahan 36 vyanjan aur 56 prakaar ke bhog thakur ko lagte hain ki jaban bilkul anand se mast ho jae to thakur ko bhog laga ke aisi chijon paye aise gande ahar na karen aur jinko lagta hai gande ahar mein takat hai wo bhul karte hain kuch nahi hai keval brahmcharya se raho aur satvic bhojan pao dekho chehra chamakne lage ab vichar karo dusre ka mans khao anda khao narak jaoge durgati ho jaegi kis kam ke to ham yah batte ki yadi hamara bhojan bhagwan ka prasadi ho accha vishv mein hanuman ji jaisa balishth kaun raha hai matlab kachu maresi kachu mardesi kachu mile dhar dhar ki ko pakar ke apne janghon mein ragad mara thappad to hazaron ki line rakshasaon ki mitti mein mil gayi jai shri Ram aur koi unke barabar barabar hai bal koi buddhiman koi bhakt koi nahi hai aur bhagwan ke param bhakt hai to ye jo log sochte hain ki na manso anda kha ke ham balvan ho jaenge are
kuch nahi tumhari buddhi bhrasht ho jaegi vybhchar mein rat ho jaoge sanyam se ye sanyam keval bharatiya rishi munio se hi prapt hai aur kahin nahi prapt hai agar jo adhyatma se juda hai wahi sanyami hai nahi jo sanyam se raha 21 bar apne pharse se bhagwan parshuram ji ne atyachari Rakshash svaroopon ka nash kiya. Jo atyachari Rakshash swaroop kshatriya kulon mein utpann hue the. 21 bar puri prithvi ko ghum ghum kar ke nash kiya mara. Kisse? Brahmachari bal se. Param brahmachari bhagwan parshuram ji.
param brahmachari shri hanuman ji maharaj. Param brahmachari ji Bhishma ji inke bal ka koi takkar raha hai? To brahmcharya hi sari jad hai bal ki agar brahmcharya se raha jae pavitra bhojan paya jae to hamara jeevan prakash gande log gande vichar jeevan ki hatya karke jo mile khae sab raaksasi vritti inka tyag karna chahiye ham bharatiya hain. Hamara dharm sanatan hai. Hamare dharm mein ye sab nahi hai. Pashu pakshi ko khana ye rakshasaon ka kam hai. Hinsak jeevan ka kam hai. Aapka kam nahi. Aap to pavitra bhojan pao aur dekho chehre chamakte hain jab pavitra bhojan pao.
ek hriday mein ullas rahta hai. Yahan kaun puchta hai? Samay gaya sab dhur mein mil jaata hai. Yash kirti bhi to isliye yash kirti ke liye ya bal ke liye galat acharno ko nahi karna chahiye. Unka tyag karna chahiye. To shabd sparsh, rup, ras, gandh ye panch hi jo hai maya ke hamen ghaseete hue hain. Jiske karan ham bhagwan tak nahi pahunch pate. To hamen inhe bhagvatik banana hai. Shabd bhagvatik sunna hai. Sparsh bhagvatik karna hai. Rup bhagvatik dekhna hai. Ras bhagwat ke liye gandh bhagwat ke liye to hamara jo jeevan hai wo in bhogon ko bhogte hue bhi bhagwan ko prapt ho jaega.
ritu ji sikandrabad se. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji bhagwat kripa aur bhajan mein kaun adhik shreshth hai? Kripa patr jan bhajan ki kami hone par bhi kya bhagwan ko prapt kar sakta hai? Pahli baat to kripa se hi bhajan hota hai aur bhajan se kripa ka anubhav hota hai. Baat samjhna kripa se Harivansh kripa Harivansh kahe Harivansh kahe Harivansh lahe Harivansh sulabh sada tinke sukh sampatti dampati jo jinke shri sevak ji maharaj kah rahe hain ki agar naam ucharan aap kar rahe hain to unki kripa se karen Harivansh kripa Harivansh kahe to jo bhajan ban raha hai wo kripa se ban raha hai.
ab bhajan se kripa ka anubhav hoga. Jaise sab par kripa hai. Sab mam priy sab mam upjae. Sabko main pyar karta hoon kyonki sab mere prakt kiye hue hain. Dusri jagah kaha sab par mor barabar daya. Par sab koi kyon anubhav nahi kar pa raha ki mere upar bhagwan ki kripa hai. Bhagwan mujhe pyar kar rahe hain. Kyonki wo bhajan nahi kar rahe. Bhajan se kripa ka anubhav aur kripa se bhajan hona. Bhagwan ki kripa se sadhu samagam hona, bhagwan ki kripa se dham ana, bhagwan ki kripa se bhagwan naam mahima sunna, bhagwan ki kripa se naam japne ki ichchha hona ye kripa se hai.
aur jab ham bhajan karte hain to ham par bhagwan ki apaar kripa hai. Aisa anubhav hota hai. Rona aata hai kabhi-kabhi unki kripa ka smaran karke. Ab rahi baat ki bhajan ki kami hone par bhi kya kripa se bhagwan ki prapti ho jaegi? Avashya ho jaegi. Antim samay bhagwan kripa karke apna smaran de de to chahe jeevan mein jo bhi trutiyaan rahi ho sab bhasm ho jaenge. Use bhagwat prapti hogi. Par antim samay final mein bhagwan ka smaran ho jae aur yah bhagwan ki kripa se hi hota hai. Thoda apna prayas ki ham nirantar bhajan karne ka abhyaas kar rahe aur antim samay jab hamari murcha avastha hai jab mrityu avastha hai hamen kuch hosh nahi hai us samay bhagwan ki kripa se nikal jae Radha Radha Radha bas kam ho gaya wo bhagwat prapt ho jaega ya jite ji hamne itna bhajan kiya ki bhagwan prasann ho gaye aur unhone kripa karke bodh kara diya anubhav kara diya to bhajan kabhi vyarth nahi jaata.
aap jo bhajan kar rahe hain uska labh avashya milega. Isi janm mein bhagwat prapti nahi hui to agle janm mein Shri van dhanvan aise sammanni kul mein janm hoga aur aap janm se hi bhagwan ki bhakti ka anukul vatavran prapt karke us janm mein bhajan karke bhagwan ko prapt kar lenge. Bhajan karne wale ki kabhi durgati nahi hoti. Name bhakta prannasati chahe thoda hi bhajan hua ho wo kabhi nark nahi jaata agar janm hoga to achhche kulon mein dhanvan sammanni kulon mein janm hoga aur wahan wo bhagwan ki bhakti ki anukulta prapt karke janm se bhajan ka bhav bankar ke aur ant mein bhagwan ko prapt ho jaega.
bhajan kabhi vyarth nahi jaata. Kiran ji rampur se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhakti aur gyan mein se kya adhik mahatwapurn hai? Donon pehle itna to gyan hona hi chahiye ki jitne bhi sambandh hain, jitne bhi bhog hain ye sab nashvan hai. Tabhi bhakti hogi. Gyan se bhakti aur bhakti se gyan. To shastr gyan aur satsang mein prapt hue gyan se bhakti ka vardhan hota hai aur bhakti se phir tatv gyan hota hai. Tatv gyan sarvam khalam brahm jad chetan jag jeev jat sakal Ram main jaan ye gyan sarvottam gyan hai.
vasudeva sarwamti sam mahatma su durlabh jo sab jagah apne bhagwan ko dekhta hai aisa mahatma milna durlabh hai to sadharan gyan se sadharan gyan kya hua shastr gyan aur santo ka pravachan sunkar ke jo hamari bhakti mein rati ho rahi sadharan gyan se bhakti ki vridhi aur bhakti se jo gyan hua wo asdhran tatv gyan brahm bodh bhagwat tatv ka sarvatra darshan karna to donon zaruri hai. Gyan bhi zaruri hai aur bhakti bhi zaruri hai. Bina gyan ke vairagya nahi hota aur bina gyan vairagya ke bhakti ka vardhan nahi hota aur bina bhakti badhe tatv bodh nahi hota.
bhagwat sakshatkar nahi hota. Isliye atyant avashyak hai gyan bhi aur bhakti bhi. Haan age chalkar jab bhakti apna swaroop prakashit karti hai. Age chalkar jab apna gyan swaroop prakashit karta hai to donon mein bhed ho jaata hai. Agar ham gyan mein hi chalte gaye to aham brahmasam ki siddhi hogi aur bhakti ki antat dastv mein siddhi hoti hai. Prabhu mere Swami aur main prabhu ka sevak aur Swami mein main ka lay ho jana main ka samarpan ho jana aur keval Swami bach gaye radheshyam shyama Shyam unhin ki smriti mein magan ho gaya aisa hai tilakraj ji Haryana se bhivani se Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aap batte hain ki man prabhu se viparit prakriti ke saath chalta hai to main yah janna chahta hoon ki sabhi prakriti bhi to prabhu ki hi banai hui hai.
to yah prakriti prabhu se viparit kyon chalti hai man ke virudh? Bhagwan ne ise banaya hi hai. Khel hai. Jaise kabaddi ka khel hai. Ek hi school ke do vidyarthi ke vibhag kar diye gaye. Ab ek vibhag dusre ke pratikul usko rokega. Aur uski sans na tutne paye apne pala mein aa gaye to vijay aur sans tut gayi to aut. To sansaar khel racha hai bhagwan ne. Ek paksh mein maya hai aur ek paksh mein bhakti hai. Aapko maya paksh mein jana hai par sans na tutne pave. Radha Radha Radha Radha Radha aur ye dhyan rahe ki hamara lakshya hai pala pe ana.
bhakti pe ana. Agar aap kam krodh lobh ke pakde jane par aap ghasit karke apne pala mein aa gaye to aap vijay ko prapt hue. Yadi kam krodh ke chakkar mein phas ke sans tod di wahi naam japna chhut gaya bhog mein rath ho gaye to aut ho gaye ek khel chal raha hai bhagwan ne ek ek khel racha hai to khel mein to donon ek hi hai par viparit hona padega na ek pakdne wala hoga ek bacha ke nikalne wala hoga to ek paksh mein bhakti hai ek paksh mein maya hai to maya paksh wale bhi bhakti mein ate hain bhakti paksh wale ko maya maya mein jana hota hai aur donon ko apne apne thikane yad rahe to wah usmen vijay prapt kar sakta hai.
to jo bhakti ke paksh mein maya se aaya uski to jai ho heegi. Lekin jo bhakti paksh se maya mein gaya usko samjhna hai ki hamari parajay ho jaegi. Agar main yahan tik gaya agar kam krodha aadi ke pakde jane par bhagwat vismaran ho gaya aur ham apna lakshya bhul gaye to ham bhrasht ho jaenge. Aur jo maya se bhakti paksh mein aaya to agar bhakti paksh walon ne pakar bhi liya to uski vijay ho gayi. To hamen yah dhyan rakhna hai ki ham bhakti paksh ke hain. Hamen maya paksh mein jana padega aur ek hi Swami ki donon hai.
bhakti bhi hari Priya hai aur maya bhi hari Priya hai. Mayapati bhagwan ko kaha gaya na mayapati to mayapati bhi bhagwan hai aur bhakti bhi hari Priya hai. Aur donon paksh ham do mamo bhagwan ke ham ansh hain. Hamko khelnaa hai. To hamko vijay prapt karna yah hai ki maya ke karya karte hue hamara naam na chhute. Maya ke kam krodha aadi ham par apna avesh lakar bhrasht na kar de. Agar yah ham savdhani rakenge to is khel mein ham vijay ko prapt ho jaenge. Aur jo is maya ke khel se vijay ko prapt kar leta hai wo bhagwan ki divya leela rupi khel mein pravesh pa jaata hai.
bhagwan ki divya leela mein pravesh pa jaata hai. Krit krit ho jaata hai. Maha sukhi ho jaata hai. Sada sada ke liye anant kal tak ke liye dukh ka nash ho jaata hai. Rashmi tripathi ji oman se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji apne grihasth jeevan mein mujhe bhagwan ko adhik mahatva dena chahiye ya apne mata-pita ko? Mata-pita mein bhagwan ki bhavna karni chahiye. Mata-pita mein hi bhagwan ki bhavna karni chahiye. Pati mein bhagwan ki bhavna karni chahiye. Putr mein bhagwan ki bhavna karni chahiye. Sab mein bhagwat bhav karke yadi ham seva karenge to grihasth hote hue bhi ham parbrahm paramatma ko prapt kar lenge.
mata-pita ki seva mein dridta purvak bhagwat bhav rakhne ke karan pundreek ji ke yahan swayam vitthal bhagwan pandarpur mein swayam vitthal bhagwan darshan dene ke liye padhare keval mata-pita ki seva jo apne mata-pita ki seva bhagwat bhav se karta hai use nischit bhagwat prapti ho jati hai. Par bhagwat bhav se ki mere mata-pita sakshat bhagwan hai. Matri devo bhav pitr devo bhav mera pati sakshat bhagwan ka swaroop hai. Aisi bhavna yadi grihasth mein rakhi jae to grihasth dharm ka palan karte hue bhi bhagwat prapti ho jaegi.
bhog bhogte hue bhi jo vairagiyon ko bhagwat prapti hoti hai wahi grihasth ko ho jaegi. Par sab mein bhagwat bhavna bhagwat bhavna vihin karm shubh karm hota hai punya aur punya kisi bhi aparadh se nasht ho sakta hai lekin bhagwat bhavna avinashi hoti hai isliye wo kabhi nasht nahi hoti use bhagwat prapti kara ke hi purn karti hai shri manas chuk ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main aapse ek baat puchna chahta hoon ki ham jab bhi koi accha kam ya seva karte hain to ham pure man se nishkam bhav se karne ki koshish karte hain.
lekin phir bhi kahin na kahin yah thot aata hai ki aaj main yah kam accha kiya hai to kabhi na kabhi bhagwan mujhe iska phal jarur denge. Seva ke kam mein yah jo swarth ki bhavna aati hai to maharaj ise kaise dur karen? Bilkul chinta mat kijiye. Chinta mat kijiye. Ek ek second ka hisaab hoga. Hamare bhagwan dekh rahe hain. Hamari baat par vishwas karna. Jo aap ek ek second karm kar rahe hain galat ya sahi uska theek hisaab hoga. Galat karoge to dand milega. Sahi karoge to bhagwan uska phal pradan karenge. To agar ham phal ki akanksha kar lete hain ki aaj jo ham seva kar rahe hain iske parinaam mein hamen phal milega to koi dosh ki baat nahi hai.
accha hai. Aur phal ki akanksha karke aur seva badao aur satkarma badao aur samaj seva karo. To aapki seva karte hue jab hriday aur pavitra ho jaega to ye akanksha bhi chali jaegi. Yah apvitra hriday ki akanksha hai ki karm karke uske phal mein aasakt hona aur pavitra hriday ka lakshan hai kartavya dharm mankar karm karna lekin phal ki akanksha na karna phal mein sukh dukhe samay krtva labha labh jaya jai jai parajay mein labh hani mein sukhdukh mein saman bhav rakhne wala wo parmarathi keval apne dharm aur kartavya karm par drishti rakhta hai phal ki akanksha nahi karta abhi hamare hamara hriday malin hai isliye phal ki akanksha prakt ho jati hai.
koi baat nahi aap aise hi karte rahie. Hriday pavitra hone par aap nishkam ho jaenge. Vansh ji revari Haryana se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji agar ham apne sansarik lakshya ki or chalte hue bar-bar viphal ho jaate hain to kya yah sanket hai ki hamen bar-bar phir se prayas karna chahiye ya prayas karna chahiye. Us lakshya ko chhod dena chahiye. Dekho ismen karan hota hai purv praarabdh jab ham koi unnatisheel kriya karte hain aur hamari avnti ho jati hai, har ho jati hai to hamara bura praarabdh hamko prapt kar raha hai.
ab us bure praarabdh ko mitane ke liye jo tap kare tumhari kumari to bhabhi met sake tripurari. Hamare jo bhagya mein likha hua hai usko bhagwan mita sakte hain. Yadi ham naam jap karen bhagwat aradhna karen. Roz hamen niyam purvak naam jap ka anusthan karna chahiye. 10,000, 15,000, 20,000, 1 lakh aise naam jap karne chahiye to hamara bura praarabdh nasht ho jaega. Aur jo ham vyapar, nokri aadi ka uddeshya liye hue hain. Aaj nahi to kal hamen safalta prapt hogi. Hamen naam jap se chalna chahiye. Hamen dharm se chalna chahiye.
asflata hone par bhi dhairya rakhna chahiye aur punah uska anusthan karna chahiye. To ham safalta ko prapt ho jaenge. Shri Radha vallabh lal ki shri Gurudev main Hastinapur ke bare mein Krishna mahabharat ki avashyak acharya Hastinapur ke bhavishya ke bare mein soch raha hoon. Kya hoga us Hastinapur ka kya hoga us raj simhasaan ka jisse main bandha hua hoon. Agar vidur mah Bhishma pratigya na ki hoti to main is raj sinh ka saath na deta. Maine ek jalae punya mein se aaj panch jal hai. Vidur mujhse kuch kaha nahi jaata.
budhape mein dukh saha bhi nahi jaata. Arjun mujhse akar kaha karta tha tat shri tat shri mujhe bhi maiya mar raha. Main kahta tha pagle main tere tat ka bhi tha tu aaj us arjun par kai seva chalaunga. Acharya par maharaj ji Ram mandir mein rag seva ki seva hoti hai aur jitne bhi badhaiyan hoti hai to koi bhi utsav soiya apne Ram ji ko ji ye ek ham log maharaj ji thodi si do pankti sunana chaenge maharaj ji aapko aur ji sitaram ji ki pyari rajdhani lage rajdhani lage mohe meetho meetho saryu ji ko pani lage mohe meetho meetho saryu ji ke pani lage chhoti chhavni rang mahal hanuman gadh ati sundar hanuman gadh ati sundar swayam jagat ke malik baithe kanak bhavan ke andar haan haan kanak bhavan ke andar sitaram ji ki pyari sukh khane lage sukh khane lage mohe meetho meetho sarju ji ko pani lage Mithila dham mein janm hua hai Ayodhya dham mein vas ho raha hai Vrindavan dham mein akar aapka darshan pakar mujhe jai Mithila jai maithili jayati janakpur dham jai raghav saryu avdh tulsi karat pranam tulseet pranam hazaron katha puri kar lekin nirantar bhagwan ka smaran kyon nahi hua?
agar ham anya chah chhod den. Ek siddh purush Ayodhya mein Ram mangal das ji ka naam suna hai. Bade Paramhans siddh the. To ek bhagavtacharya ji ne unse prarthna ki ki main naveen bhagwat karne ja raha hoon. To pehle aapko sunana chahta hoon. Bhagwat sunai to unhone kaha ki bhagwat ki dakshina bhi deni chahiye to bolo tum kya chahte ho to unhone kaha hamare santan nahi hai santan de do kaha Ram ji ki kripa se ho jaegi aur kya chahiye to unka dhan nahi hai bole bhagwan ki kripa se bhi ho jaega aur kya chahiye to kaha bhagwan ki bhakti to unhone dant diya tere ko bhakti milegi kadpi nahi milegi to kaha maharaj ji truti kya ho gayi?
bole truti hai ki pehle putr aur phir dhan aur phir bhagwan ki bhakti aise nahi milti. Sarvpratham bhagwan ki bhakti. To ham log kahin na kahin anya chaho ki purti mein lag jaate hain. Anya chahon ki purti hone ke karan phir bhajan gad ho jaata hai. Agar ham anya chahon ki jagah pahla bhajan number rakhen to anya chahe to apne aap purn ho jaengi. Isiliye aisa hai aap dhairya purvak phir pryasrat rahie jibhya se naam ratne ka prayas kijiye jisse naam hamen pakar le char vaniyan hain para pashyti madhyama vaikhri prarambh mein vaikhri se aur vishwas karo vaikhri hi paravani tak pahuncha degi aur jab paravani se bhajan hota hai to rom rom anand se yukt hota hai swayam hota hai jise ajpa jaap kahte hain ki apne jap nahi rahe lekin swayam chal raha hai.
hamko wahan tak pahunchna hai. Isliye hamen nirantrta lani padegi. Satu dirghakal nirantar satkar sevit dridh bhumi satu dirghakal nirantar satkar sevit nirantar aadar ke sahit yadi naam japa jae to dridh bhumi phir wah hriday mein virajman ho jaata hai. Bahut kripa kari darshan diye. Hamare jeevan mein gussa bahut aata hai. Gussa bahut aata hai. Bhagwan ke bhajan se hriday shital ho jaata hai. Agar ham bhajan aur badhave to ye kshan rushta kshan tashta rushta tashta kshan kshan is par ham kabu kar le. Bhajan aur badhiye. Khub naam jap kijiye aur samne wale mein bhagwan ka darshan karne ki bhavna kijiye.
sab mein Siya Ram mein sab jag jani karo pranam jo to jab ham apne samne wale mein bhagwan dekhenge to gussa nahi aayega bhagwan hi hai gali de rahe lekin andar se bhagwan hai to man se ham pranam karenge na sevak bhav tabhi pusht hota hai jab sab mein isht bhav karen aur jab isht bhav karega to krodh nahi aayega. Jab ham jeev dekhte hain, dusht dekhte hain tab krodh aata hai. To jab isht bhav dekhte hain to krodh ko saman karne ki kshamta aa jati hai. Isliye naam jap karo aur sabne isht bhav ki cheshta karo shri Ram jai Ram jai shri Ram shri Ram jai Ram jai jai Ram shri Ram jai Ram jai jai Ram shri Ram jai Ram jai jai Ram jai Ram jai jai Ram shri Ram jai Ram jai jai mahabali abhi thodi der bahreli ki charcha kar rahe the ki mans khane walon anda khane walon tum log samjhte ho balvan hai.
are balvan bhagwan ki bhakti mein jo bal jagrit hota hai koi hanuman ji jaisa tribhuvan mein veer gir charan de hanumanta chale suga patal turanta ji amog raghupath kar bana yahi bhat chale hanumana kaun hai kachu mare kachu mar kachu mile dhar dur kachu pul jae pukare prabhu barkat balburi inke barabar aur bhagwan ki seva mein rahte hain aur satvic phal phool pate hain aur akhand brahmachari Bhishma ji jaisa kaun balvan? Akhand brahmachari bhagwan ke maha bhagwat jo bhagwan se juda wahi balvan bana. Ye ganda bhojan gande aacharan karne wale durgati ko prapt ho gaye.
narak ko prapt ho gaye. Sudhro ham bhartvassi hain. Ham sanatan dharmi hain. Ye rakshasaon ka bhojan jo kar rahe ho raaksasi aacharan kar rahe tumhen narak jana padega. Sudhro kam se kam rishi munio santo ki baat ko samjho jisse tumhara jeevan ujjwal ho mangalmay bhavishya ho tumhara bhagwan ke anand ke barabar koi anand nahi jitna vishay anand hai bhagwan ke anand sindhu ke ek bindu ke siker se pura tribhuvan suvasit hai isliye anand sindhu mein dubne ke liye santo ke charnon ka aashray lekar naam jap karo naam kirtan karo bhagwan ko bhog laga ke pao to jeevan tumhara sudhar jae ji paas mein hi devra Baba ke naam parat Radha kund ke paas lal ganv hai.
wahan par 135-40 ekad mein ek gaushala hai. Aapka das wahi hai teen char din se wahi narad ji ke naam sankirtana kya aap maharaj to Radha vallabh ji ke mandir mein us samay jab aap shri dham Vrindavan padhare aur main aap shri Radha vallabh ji ke charnon mein aur main gau mata ke charnon mein punjab mein Vrindavan mein aaj se koi 2005 mein vatsalya gram ke samne shri Govind godha dham gaushala ghat par bani uske baad phir punjab kshetron mein to aap yahi bhave bahut kripa hai aapke upar jo aap seva mein utar gaye bhagwan ne idhar samaj seva mein laga diya aapko gau
seva laga diya bahut seva bahut sundar seva kar rahe ho bahut sundar seva kar rahe ho aur ye sakshat bhagwan ki seva hai gau seva bhagwan ki seva hai hamen lagta hai ham kai bar kaha hai bharatvasion se prarthna ki hai ki yadi aap gau seva na kar sakte ho to kuch chand rupaye apne manoranjan wale jo manoranjan mein kharch karte ho wo ek jagah ekatrit kar lo aur mahine mein aap kisi gaushala mein phuanchte raho jisse gaun ki seva hoti rahe gau sanatan dharm ki maa hai dharm bail ke rup mein parikshit ji ko mila tha na to bail ka rup dharan karke dharm ne parikshit ji ko darshan diya to gay se hi to bail hota hai to matlab dharm ki maa hai gay agar agar ham apne dharm ko jahan se prakty hua hai sanatan dharm ki agar ham gau mata ki seva karenge nahi kar sakte to ham sahyog karte hain.
swayam bhagwan shri Krishna ne subah se prat kal se lekar sayank kal tak gau charane jaate the aur har samay gaushala mein bacchhron ko gayo ko dular karte the. Swayam bhagwan ne kiya to ham unke to ansh hain. Hamko karna hi chahiye. Ji Priyam basu ji dubai se Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji bhagwan aur Gurudev ek hi hain aur inme bhed nahi karna chahiye. Aisa sant shastr jan kahte hain. Jaisa bhagwan ka swabhav hai wah bhakt ko kabhi tyag nahi karte waise hi kya Gurudev bhi tyag nahi karte ya Gurudev tyag kar dete hain.
do nahi Gurudev aur bhagwan ke swabhav mein antar milega aur prabhav mein antar milega. Ek hote hue bhi prabhav mein antar milega aur swabhav mein antar milega. Prabhav bhagwan ne giriraj ji ko uthaya. Gurudev ne uthaya. Bhagwan ne kali deh mein Kaliya ka mardan kiya. Gurudev saanp pakar ke katwa ke jivit nahi rah sakte. Pragat mein bhagwan ne munja tavi mein aag lagi to apne mukh mein aag pi gaye. Aisa nahi bhagwan karodon vayu jaise maha balvan hai. Pragat mein Gurudev aise nahi kyonki kripa sindhu bhagwan hari manushya rup dharan karke guru rup mein aae hain.
to prabhav bhi utna hi ek simit asim prabhav wale hokar bhi ek simit prabhav dikhana aur swabhav bhagwan kabhi nahi tyagte. Lekin Gurudev tyag kar denge. Yadi aap unki agyaa ka palan nahi karte, aap manmani aacharan karte ho to aapko apne se dur kar denge, nikal denge. Aur yadi phir bhi aap guru nishtha ko dharan karen to Gurudev aapka param kalyan karke hi chhodenge. Par aap yadi unki avagya karenge, manmani aacharan karenge, adharmacharan karenge to Gurudev tyag kar denge. Par us sthiti mein bhi jab Gurudev tyag kar diye hain to bhi isht kripa usko ghere rahti hai.
usko bchane ki cheshta karti hai aur punah guru sharan mein lane ki cheshta karti hai. Hamari swamini jo ka swabhav kabhi ne kahun na ris kahun bhul na ho sakhi. Kabhi gussa nahi hoti. Par Gurudev ke rup mein gussa bhi dekha jaata hai ki agar asat aacharan karoge to aapko dant denge aur galat aacharan kiye to aapka tyag kar denge. Aapke upar dand vidhan rakh de lekin isht ka swabhav aisa nahi hai. Sahaj swabhav par naval kishori jo ko mriduta dayaluta kripaluta ki rashi hai. Abhed hote hue bhi antar hai. Guru ek pragat mein jab manushya sharir mein ate hain to simit bal wale hote hain.
wahi asim bal wale bhagwan hi Gurudev ke rup mein aae hain. Par simit bal aur swabhav Gurudev ka jo isht ka wo ek hi hote hue bhi antar paya jaega vimurkh bhay nimash na akpa jab chit tab waise isht ka swabhav lekin guru agar aapko dand de diya aur aapko nishkasit kar diya to aankh bhi nahi denge drishti bhi nahi denge aap sudhar karo apna kyonki us sudhar dharne ke liye aae hain. Isliye dand vidhan bhi karenge. Par guru jab koi hriday se man leta hai kisi sant ko to chahe jitna wo patit ho jae jab tak uska udhar nahi hota tab tak wo chain nahi lete.
chahe janm bhale lena pare lekin wo shishya ka param kalyan kar dete hain. Par shishya ka tyag karte hue dekha gaya. Shishya ko shasan mein lete hue dekha gaya. Dand vidhan karte hue dekha gaya. Par agar shishya sharanagat bana rahe, bhav pusht rahe to uska kam ban jae. Pujyapa du Baba ki sharir seva mein ek shishya rahte the to koi aparadh ban gaya to Baba ne pucha aapse aparadh ban gaya to unhone kaha ji maharaj ji to kaha teen varsh tak hamen muhn mat dikhana hamare samne teen varsh tak mat ana jao ab wo roz atho pahar unki sharir seva mein itna bada dand ki mukh mat dekhna na dikhana ab to wo vyakul ho gaye par guru agyaa chale gaye aur ganga kinare ek jhopdi bankar bhajan karne lage aur rote to guru ke viyog mein teen varsh mein unhen brahm sakshatkar ho gaya.
ab ise gussa mane ya kripa mane kripa guru ka viyog bhojan bhi accha na lagta. Raat din brahm chintan teen varsh mein bhagwat sakshatkar ho gaya. Aur jab bhagwat sakshatkar ho gaya tab odiya Baba ashram jo hai us ashram mein akar ke phir darshan kiye aur guru ji se kaha ki jo kai janmon mein kam nahi banta aapki krodh rupi kripa ne teen varsh mein wo kam bana diya. To yadi guru hamen tyag karta hai. Guru hamen koi dand vidhan karta hai. Ham guru ko na chode aur unki agyaa ka palan karen to nischit guru kripa uska kam bana degi.
bina bhagwat prapti karae guru kripa hatti nahi hai. Bolo Radha vallabh sarkar ki jai. Mahapurushon ki kripa hai. Phir dobara guru Govind log hain bhai. Sneh ke karan se zabardasti diwali hai. Chalo bhai chalo. Maharaj ji ye sab guru Govind hain. Kisi se vyakaran padhe kisi se bhagwat kisi se ramayan in sab ke sneh ke karan se haan jo sant ji sab jagah se aae man lo sab jagah se aae hain aur sab kisi se ham sadhna sikhe kisi se adhyan kiye parinaam batane mein to bahut samay lag jaega. Ye samjh lo ye sabhi mahapurush doodh ke saman pavitra aur jal ke saman nirmal hai maharaj ji phir inke prati bhi sansari log dosh dekh hain maharaj ji aur dusri baat kuch guru bhai log aapas mein gaddi pratishtha ke chalte pratishtha ke chalte aapas mein vivad kar lete hain to maa ji uske liye thoda haan hamari sabse prarthna hai ki guru ki antarik sampatti ke liye ham shishya bante hain.
agar guru ki vah sampatti guru prasad se mil jae Gurudev swayam de den to ham sevak bankar unki agyaa ka palan karne ke liye sevkai rup se ham Swami kabhi na bane aur jo guru ki sampatti par nazar karte hain wo guru patni gami ka aparadh prapt karte hain. Guru patni gami ko jo durgati hoti hai wah guru ki ruchi ke khilaf guru ki sampatti ka aphrn karke uska bhog kiya jae to guru patni gami ki saman durgati ko prapt hota hai. Guru ki antarik sampatti jo Siyaram ji hain jo radheshyam ji hain hamen unki prapti ke liye manav janm mila hai.
unki prapti ke liye guru sharanagati hui hai. Unki prapti ke liye ham vesh dharan kiye hue hain. Yadi ham sampatti aur man pratishtha ke liye to hamara jeevan dhikkar hai. Sammaan kalyat ghor garam nicha apmanam sudha ham sammaan ka tyag karke aur nich purushan dwara kiye hue apman ko bhi sahakar prabhu ki prapti ke marg mein chale hain. Yadi ham ek guru bhai dusre guru bhai se droh karta hai to durgati ko prapt hota hai. Kyonki chahe aaj vaishnav bana ho ya kal vaishnav banega wo naman yogya hai.
jo guru ki sharan mein aa gaya aur guru ji apni sampatti jisko chahe de de luta de hamara adhikar nahi hai. Agar guru ji ne kisi guru bhai ko sampatti de di to ham uski sevkai karenge na ki usse var karenge kyonki guru ji ne usko yogya chuna hai. Ham usse var karke yadi sampatti hadapte hain to guru patneegami ka aparadh lagta hai aur durgati hoti hai. Aur jo rahi logon ki ninda ki baat to logon ka chashma hai. Unke trigun maya yukt chashma hai jismen rag aur dves stuti aur ninda man aur apman itna hi becharon ke paas hai to uske liye goswami tulsidas ji ne kaha hai battul bhut vivash matware te nahi bole vachan vichar tinkar kaha suni nahi kanha aise logon ki baat ka ham dhyan hi nahi karte jo vishay hain jo mai hain jo prabhu se vimurkh hain wah to kuch bhi kah sakte hain lekin jo prabhu ke sanmukh hain prabhu ke jan hai unse yadi ham droh karen to durgati pakki isse bada koi aparadh nahi
vishv mein har aparadh ka marjan hai lekin sant droh ka sirf wahi sant marjan kar sakta hai dusra koi nahi kar sakta jaise amrish ji se droh kiya sant Durvasa ji ne to bhagwan ka ek vrat hai ki koti vipr badla gaye jahu aae sharan tajo nahi tahu lekin bhakt ka aparadh karne ke karan bhagwan ne sidha jawab de diya aham bhakt paradheeno asutantra yahan meri sharanagati nahi chalegi ki meri sharan mein aa gaye sudarshan ko shant kar den jao aur amrish ji ke pair pakdo aur wo sudarshan ji ki prarthna karen tab aap sudarshan ji ke tap se bach sakte ho aisa hi Durvasa ji ko karna para to sadhu avagya turant Bhawani kar kalyan akhil ke hani bhaktan ninda ati buri bhul kare jin koy kiye sukrit bahu janm ke chhin mein dare khoe bahut janmon ki tapasya aur punya agar ek kshan mein nasht ho jae wo hai bhakt droh dusra koi aparadh aisa nahi jiska marjan na ho sake lekin bhakt droh vajr ki leek agar wo bhakt kshma kar de to hai nahi srishti mein dusra koi kshma nahi kar sakta isliye bhakton ki ninda sunne
aur kahne se bachna chahiye aur ye jo guru ki sampatti hai. Is par drishti nahi dalni chahiye. Guru ki antarik sampatti par drishti dalni chahiye ki hamen Gurudev ki kripa se jo naam mantr mila hai ismen priti ho jae. Raghunath ji ke charnon mein priti ho jae. Is laukik maya ke liye ham Baba ji thodi bane. Ye log hazaron lakho log vahwah kar rahe hain. Ham inke liye thodi Baba ji bane. Ham to Priya pritam ke liye bane. Raghunath ji ke liye bane. Unka koi das kah de ki vah to karodon ki vahwah ek taraf aur unke das ki vah ek taraf to hamen santo ke pyare banna hai.
hamen Priya pritam ke pyare banna hai. Isliye har samay bhajan ye rag dves ladai jhagda ninda stuti ye sab hamare jeevan mein nahi hona chahiye. Agar ham sadhu bankar ladai jhagda, rag, dosh, ninda, stuti to theek nahi hai. Haan, yadi hamare guru par koi aghat karna chahta hai, hamare dharm par aghat karna chahta hai, phir ham maun ya chup nahi baithenge. Ham kayar nahi hai. Ham kayar bhi nahi hai. Agar koi hamare guru parampara par, hamare koi acharya parampara par ya hamare dharm par, koi ya rashtr par to phir ham kayar nahi hai.
agar hamen tum gali dete ho to kshma hai. Hamen tum dukh dete ho kshma hai. Lekin hamare guru, hamare dharm, hamare rashtr par is par kshma nahi hai. Aur jo hamara tap bal, man bal, sharir bal, gyan bal hai. Ham sabka prayog karke ham apne dharm ki raksha karenge. To isliye aapas mein santo ka to droh hona hi nahi chahiye. Aapas mein ek guru bhai dusre guru bhai ke prati naman bhakti rakhna chahiye. Dves bhav to hona hi nahi chahiye aur dves jo karta hai uski badi durgati hoti hai. Ek hamne swayam ankhon dekhi baat kah rahe hain aur ganga kinare hai.
wo un mahapurush ka naam jarur le rahe hain. Unka naam tha Swami parmanand ji. Wo brahmanand mein magan rahte the. To ek bahut mainded aadmi master the wo unka wo shishya bane sampatti dekhkar aur unhone bahut jaldi progres kiya sabko hatane ka aur wo nazdik pahunch chuke maharaj ji ki seva mein ek banavti shraddha hoti hai na sant saral chit jagat hit wo to saral chit hote hain ab wo 24 ghante mein ek bar bhang chhante the santo ki apnipani mauj hoti santo ki mauj hoti hai. Haan alag-alag mauj hoti to itni bhang chhante the to bhang mein vish milaya sankhya aur aise rakh diya to unhone aise uthaya siddh sant the aise aur kaha jagdeeshwaranand ko bulaya jae to aur shishya sab the jagdeeshwaranand ko bulaya turant sabko bahar kiya aur kaha bachchha ye hamare liye kamp gaye kamp gaye to unhone khapar mein ghura aur hari Om pura pi gaye unhone kaha ki are guru ji bole pilane ke liye hi to tune rakha hai aur sat din Padmasan mein baithe rahe aur roz bulate usko kahte dekh tere jahr ka
koi prabhav para dekh tere jahr ka koi prabhav aur yah koi nahi janta tha satwen din kaha ab main apna sharir apni ichchha se tyagta hoon tere jahr se nahi jo hi unhone sankalp kiya pure sharir mein jahr fail gaya pura nila sharir par gaya sharir chhut gaya us vyakti ko dekha gaya ki jaise jaise pani aata hai aur dararen par jati hai na mitti mein pani jane ke baad aise shariron mein dararen par gayi aur mawad chune laga aur wo chikh chikh ke kahta hai guru ko jahr dene ke karan meri durdasha ho rahi koi bacha lo chillata rahta hai raat din palken aise fail gayi aur mawad nikle ab wo durgati pocho mat tadap tadap ke raat din hamen lagta hai us din se usko nind nahi ai hogi us din se usne chain se bhojan nahi kiya hoga sant droh bada bada bhayanak hai.
yah sarvnash kar deta hai. Isliye chahe guru bhai se ho ya kisi anya sant se ho kabhi droh na karen. Wo gali de to bhi charnon ki taraf hi jhuke. Santo ke charnon ki taraf jhukne mein hi mangal hai. Aur jo sant ninda karte hain to bematlab apna nash kar rahe hain. Bematlab apna nash kar rahe hain. Jo sant ninda karte hain na wo bematlab apna nash. Ye bhagwan ke parsad hain. In par hamare dosh darshan karne ka adhikar nahi hai. Agar yah dosh hai inme koi to Raghunath ji jane wo theek karen. Ham to inke charnon ko keval namaskaar karte hain ki bhagwan ke das hain.
aise chalna chahiye. Yog kai prakaar ke batae gaye to satyon ko kaun sa yog karna chahiye? Naam yog. Bhagwan ka surat yog ki har samay bhagwan ke naam smriti mein ham dube rahe. Sab sadhan kar ya phal sundar prabhu pad pankaj priti nirantar gyan marg mein chittavrittiyon ka paramatma mein atma mein lay hai yog marg mein chittritti ka nirodh karke paramatma ke chintan mein dubna hai aur bhakti marg mein bhagwan ke madhur naam kirtan aur naam smaran mein dubna hai. Bhagwat smriti hi hamara jeevan hai. Tadpita akhilacharita tad vismaran param vyakulte devrshi narad ji acharya bhakti ke unhone tad vismaran param vyakul teti tribhuvan ki raj lakshmi dene par bhi jo adhe pal ke liye apne prabhu ka smaran nahi chhota wahi mahabhagvat hai wahi sant hai sabse bada yog hai bhagwan ka sumiran yog surat yog bhagwan ki smriti maharaj ji man karm vachan chhani chaturi ji apne vyktigat ke lekar kah raha hoon.
aapse nivedan kar raha hoon. Ham bahut prakaar se prayas karte hain. Par chaturi ja nahi pa rahi hai. Is par thodi kripa karte hain. Maharaj ji chaturi kya hai? Hamen keval samjhna hai. Chaturi kya hai? Ham bhagwan ke naam ka aashray lekar ke apni jo ichhao ki purti chahte hain, apni man pratishtha chahte hain. Apna yash chahte hain. Yahi chaturi hai. Chauthi bhagat mam gungan kare kapt taj gaan. Ye jo ham apna chahte yahi chaturi chhorne ki saralta aa jae kyonki bhagwan ke ham hai isse badhkar hamara yash kya hoga?
tribhuvan mein isse bada koi pad hai. Ham haridas hain. Isse bada koi pad nahi. Brahma bhi namaskaar karte hain haridasatwa ko. Ham unke das hain. Isse bada hamara koi taital koi pad hoga. Ram bhajan chatur haan sabse badi chaturi yahi hai ki anya bhavon ka tyag kar bhagwan ka nirantar ham bhajan karen. Bhajan se sab shant ho jaata hai. Ekdam sarlit ho jaata hai. Ekdam kapt ka tyag ho jaata hai. Gasth parivaar mein sarkar jo thakur ji ki seva puja karte hain. Ve janm chhutak mrityu chhutak par bar-bar phone karte hain kya karen nahi karen ham samjh nahi pate kya batana.
maharaj ji tasma shastr praman karya vyvasthit manna chahiye. Manna chahiye thakur ji ko kya karen us samay mein log haan samasya to fas jati hai isiliye jo jo hamari upasna hai vidhi nishedh nahi das anannya utkat vrat dhari ham apni upasna ki baat nahi bol rahe hamari upasna mein to agar ham payenge to shri ji ko bhog laga ke payenge hamare ghar mein koi padhar gaya hai to hamari shri ji ki seva band nahi hogi haan dusre ki tirah mein ham bhog nahi lagaenge lekin apne ghar mein ham thakur seva band nahi karenge.
ki hamare yahan ka jo matlab hai haan lekin jo sanatan dharm ki mariyada ke antargat hai to janna sutak aur marna sutak isko mana gaya hai. Sanatan dharm ki mariyada mein mana gaya hai. Hit dharm prem dharm mein age chalkar iska visarjan ho jaata hai. Par sanatan dharm ki mariyada mein grihasth dharm mein to mana hi gaya hai. Jaise matayen bahne jab wo masik dharm se yukt hoti hai to teen din seva na karen aur kam se kam 11 din jo hai bhagwat seva ko kisi aur ke dwara karva le ya aur bhog laga le bhai aisa aur jab ham ise prem mein laye jo ham prem ki paddhti mein aae to yah ham ji nahi sakte ham nahi ji sakte agar ham pani piyenge to apne ladle ko bhog laga ke piyenge agar ham bhojan payenge to apne prabhu ko tum kis kis bhav se hamare thakur ko bhog lagaoge hamko tasalli hogi kya ham jis bhav se bhog lagate hain ham apne bhav se to phir yahan vidhi nishedh nahi das anannya utkat vriddhari nabha ji ne likha hai vidhi nishedh nahi das anannya utkat vriddhari ye prem ka marg jo hai sab sarwabhav mein to jab Raghunath ji se prem ho jaega to phir koi roke nahi rukegaa lekin jab tak grihasth dharm ki mariyada hai tab tak manna chahiye janna soch marna soch masik dharm aadi ke samay rasoi seva, thakur seva yah sab nishedh ki gayi hai Shastri vidhan se to hamen lagta hai nahi karna chahiye.
haan aise grihasth ke liye to man haan grihasth dharm mein to virakti ke liye kaun sa virakti ke liye to koi hai hi nahi. Virakti ke liye to koi hai hi nahi. Wo to raton din bhagwan ki seva mein lekin grihasth dharm mein sanatan dharm mein aisa mana gaya hai. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…