ekantik vartalaap evam darshan #1177 · 6 february 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai nyaysha ji bagpat se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji yadi sant marg par chalne se bhagwat prapti hoti hai to gasth jeevan ki kya avshyakta aur yadi gasth nahi kya aap samjhte ho kapda badalne se bhagwan ki prapti hoti hai kya sant kya kapda badalne wale ko kahte hain?
kya santo ke lakshan hote hain. To bole phir aap kyon kapda pahne hain? Kyonki hamara swabhav nivatt tha. Ye jitne Baba ji hain ye sab nivraat marg ke hain. Nahi pasand sansaar ka rag. Nahi pasand sansaar ke kartavya. Mujhe ek param kartavya sacchidanand bhagwan mein sthit hona hai. To isiliye bhagwan ne do marg banae. Ek pravriti marg aur ek nivitti marg. Pravriti marg grihasth dharm. Nivitti marg vairagi marg. Vairagi marg mein chalte hue jo gati bhagwan ki prapt karte hain wahi grihasth mein sat bhav se chalte hue apne kartavya ka palan karte hue ham chalte hain.
antar itna hota hai grihasth mein bhagwat prapti apni hi kar le bahut kathin hota hai. Lekin agar vairagi bhagwat marg mein sahi dhang se chal gaya to lok ke lok ko pavan kar dega. Satrati satar sa lokti wo lok ke lok ko pavan kar sakta hai. Agar bachpan se bhagwan ke marg mein na chale hote to aaj aap jo sun rahe hain aap jo anand le rahe hain aap jo akarshit ho rahe hain nahi hote. Sansaar ke bhog bhoge hote manoranjan kiye hote. Sansaar ka nana prakaar ka rag rang bhoge hote to ye nahi hota. Bachpan se bhagwan ne tyag karaya aur tayyar kiya hai.
jab tayyar hue to tum hamare beech mein baith ke bol rahe hain. Tumhare beech mein baithkar ke jo prakash ho raha hai use aap antarik anubhav karo. Use antarik anubhav ek vairagi yadi sache marg se chal jae to lok ke lok ko tar sakta hai. Grihasth dharm mein samyak dharm purvak vishyon ka bhog karte hue bhagwan naam jap karte hue apna udhar kiya jaata hai. Aur vairagi ghor tapasya aur indriyon ke vishyon ka tyag karke pure jeevan jagat mangal ke liye tapasya bhajan karte hue sarve bhavant sukhna sarve sant isliye har grihasth jo sadbhav ka hai wo chahe jo vairagi ho charnon mein jhukta hai grihasth ashram ka guru ashram hai vairagya ashram to yah nahi hai ki sabko Baba ji bankar hi bhagwat prapti hui ban nahi sakte to vairagi banna koi khilwad nahi hai.
yah mat samjho ki keval kapda badal lena vairagi hota hai. Sadhna karke apni indriyon ko vash mein karke man ko vash mein karke jahan ek second ke liye bhi manoranjan nahi. Pura jeevan pura jeevan aap vichar karke kamp jaoge. Keval dekh liya ki Baba ji hai to wahan Baba ji hain. Lekin jeevan agar dekh lo to kamp jaoge ki yah jeevan hai. Ek second ke liye manoranjan nahi hai. Ek second ke liye koi daand banane wala nahi. Koi chati se laga ke bolne wala nahi. Shabash jisko sab virodh bhav mein hi khade hain. Kam, krodh, lobh, moh, matsar, asakti, rag, dves, irshya in sabko parast karke aur tumhara param mangal vidhan karne ke liye bhagwan ek vairagi ko tayyar karte hain.
ye nivitti marg aise nahi hai. Agar balance bana ke chal rahe hain to pakhand aur damb ki baat alag hai. Lekin agar theek marg se chal rahe ho to khaand ki dhar par chalna hai. Chadh ke main tarang par chalbo pavak may prem pat kathin hai sabko nibhata khilwad samjhte ho vairagya ka marg to grihasth marg mein apne kartavya ka palan karte hue dharm purvak vishyon ka sevan karte hue naam jap karte hue aapko param kalyan ki prapti hogi lekin vairagi vairagi lakho ko bhagwat prapti karaega lakho ka kalyan hoga agar sahi dhang se chal raha hai to nahi kapda badalne se bhagwan ki prapti nahi hoti.
mahara ji grihasth jeevan mein maharaj ji kahin na kahin yah manyata ban jati hai ki khub bhog bhogne ki chhut hai. To isliye matlab nahi chhut to kahin nahi di gayi hai. Chhut to kahin nahi di gayi. Agar dharm ke anusaar dekho to pahla ashram grihasth dharm ke ya virakta dharm ke ashram ke pahla ashram hai brahmcharya. Chahe wo virakta jana ho ya grihasth jana ho. Donon ke liye pahla ashram brahmcharya hai. Kam se kam 20 varsh ki avastha tak brahmachari iske baad yadi aapki nivitti parak vritti hai to nivitti marg pravriti parak hai to grihasth ab 2025 tak brahmcharya rahe iske baad ek patni vrat apni patni mein bhi wo bhi dharm ke anusaar jo shastr ki agyaa hai masik dharm ke ek saptah baad santan utatpatti ki bhavna se mahine mein ek bar aisa par stri stri raman ghor nark jana.
par purush raman ghor nark jana. Yahan manmani acharno ko thodi grihasth dharm kahte hain. Aae hue atithi ke liye apne prannon ko bhi samarpit karne ki bhavna rakhna. Atithi na bhukha jae chahe kuch bhi ho jae. Atithi satkar na yahan kahan atithi darwaze par bhikshuk ko dekhte hi rosh bhari drishti dekhe. Ye nahi bhagwan aae. Narayan kis rup mein aa gaye? Aao aao prabhu bhojan paie jal pijiye asan mein grahan kijiye atithi satkar grihasth mein mata-pita ki seva grihasth mein pure parivaar ko bhagwat swaroop mante hue dharm purvak kamkar dhan aur uski seva karen aur naam jap kare bhagwat prapti ho jaegi grihasth manmani bhogon ke liye thodi chahe Baba ji ho chahe grihasth ho dharm se nahi chaloge to narak jaoge har shishya dhan sokan har so guru ghor aur narak ma par ye aise thodi hai siddhant hai chahe virakta ho chahe grihasth agar dharm purvak chalta hai to bhagwat prapti hoti hai agar dharm purvak nahi chalta hai to uski durgati hoti hai kapda narak se nahi bacha sakta chahe jaise pahno dharm se chaloge to baat banegi donon marg tapasya ke hain maharaj donon marg sataarg hai bhagwan ke dwara donon marg sthaapit kiye gaye grihasth aur virakta donon dharm se chalenge apne apne dharm se to kalyan ho jaega jaega.
donon ka param kalyan ho jaega. Ajit ranjan das ji jaunpur se. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapki adhyatmik jeevan yatra mein jo sthan pujypad shri odiya Baba ji ka raha hai. Das ke hriday mein aapke charan kamlo ki upsthi ki waisi hi dasha hai. Maharaj shri das ke upar ashirwad se abhi sinchit drishti se shaktipat karne ki mahti kripa karen jisse aapke is das ka kuch bhajan banne lage. Maharaj ji naam jap mein upansu ke baad mansik aur pashyti mein naam jap ke chalte hi ki sthiti kya hoti hai maharaj ji matlab naam mein upansu ke baad jab mansik aur pashyti mein naam jap chalne ki sthiti janna chah rahe hain maharaj ji phir chalana nahi hota karta nahi rahta wo keval dekhta rahta hai aur swad leta rahta hai jab vachik ke baad upansh upansh ke baad mansik aur mansik jab paripakva avastha ho jati hai to keval sunta rahta hai, dekhta rahta hai.
samne rup hota hai. Andar mantr dhvani hoti hai. Hriday anand se labalab bhara hota hai. Sune na kan ki kahin kahe na apni baat. Narayan va rup mein magan rahe din raat. Na kan so bolbo na koi vihaar apni kunwar kishori ko jayat nihar nihar bas us antravtha ko kaise batayen jis samay avyavat bhajan prarambh hoga akhand chintan prarambh hoga us samay sab suna sunana sa ho jaata hai koi utsah nahi rah jaata udasinta badhti chali jati hai. Antarmukhta badhti chali jati hai. Khanpan vishyak sambandhi, sharir sambandhi, rishte nate sambandhi jitna bhi rag ho sab bhasm ho jaata hai.
bas jeevan keval prabhu chalate hain uska. Jiska avyavat bhajan chal raha hai, akhand bhajan chal raha hai. Keval prabhu jeevan chalate hain. Prabhu bhojan pawate hain. Prabhu usse kriya karate hain. Prabhu usse bulwate hain. Prabhu usko hansate hain. Prabhu usse cheshta karate hain. Wo swayam mein to kho gaya. Swayam mein kho jaata hai. Aisi mansik bhajan ki sthiti jab wahi mantr jab rup dharan karta hai. Aisa saundarya hai prabhu ka aisa saundarya hai priyaju ka ki moksh sukh bhi tuchchhakrit lagta hai. Us sukh mein upasak jo nimgn ho jaata hai.
ye kam, krodh, lobh, moh, madhum, matsar, nana prakaar ki bhog vasnae ye to bahut pehle hi nasht ho jati hain. Mansik bina vikshep rahit nirantar chalne ke pehle ye nasht ho jati hain. Jab mansik chalne lagta hai to bhagwadakaar vritti hoti hai. Nirantar mansik bhajan chal raha hai. Wo mam bhakti bham pun wo lok ke lok ko pavan karne ki samarth rakhta hai. Bas wah hota nahi hai. Hota prabhu hai keval hriday mein. Main kho jaata hai. Tabhi nirantar chalta hai. Jab tak main hota hai to koi sankalp vikalp bana rahta hai. Sankalp vikalp rahta hai to vikshep parta hai.
jab main hi kho gaya wo bas ab us hriday ki sthiti jiska nirantar bhajan chalta hai to wahi samjh sakta hai jo ghanta do ghanta kam se kam nirantar tala aae. Ghanta do ghanta mein nirantrta lal aae to samjh payega ki jiska 24 ghante bhajan hota hai uski sthiti kya hogi. Adbhut madakta adbhut nasha aur bhajan ke prati adbhut bhookh raat din bhajan hone par bhi bhajan ki bhookh itni ki use chain nahi mil raha. Use lag raha hai kya karun? Kaise karun? Kaise meri bhajan ki bhookh tript ho. Bhajan ki bhookh badh jati hai. Kisi ke vishay mein sochna, kisi ke vishay mein bolna, kisi ke vishay mein sunna ye to bahut dur ki baat rahi.
itni sudha bhajan ki badh jati hai ki wo apni bhi nahi sunta. Wah apni bhi sab jitni sharir sambandhi cheshta sab shithil ho jati hai aur bhajan mein duba hua wah bhagwan ko adhin kar leta hai. Usi ke hriday mein prem prakt hota hai aur usi ke hriday mein premadheen bhagwan prakashit ho jaate hain jo nirantar bhajan paraayan rahta hai. Savita ji Rajasthan se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev koi aisi baat jo hamen bhagwat marg se bhrasht kar degi aur koi aisi baat jo hamen bhagwat prapti kara degi santo ka sang ek baat jo tumhen bhagwat prapti kara degi aur kusang ek baat jo tumhen bhagwat marg se bhrasht kar degi bas satsang aur kushang barhal vas narak kar tata dusht sang jan de de vidhata bhale narak ka vas mil jae lekin kusang na mile kusang milega to parmarth pathik bhrasht ho jaega.
satsang milega to bhrasht purush bhi mahatma ban jaega. Satsang ka prabhav hota hai. Samasth durgun duracharon ko mita ke satya sacchidanand bhagwan mein sthiti pradan karna ye satsang ka prabhav hota hai. Isliye bade bhag paip satsanga jab bada hamara punya punj ekatrit hota hai. Bhagwan ki vishisht kripa hoti hai tab satsang prapt hota hai. Santo ka sang prapt hota hai. Aur jab hamara durgati ka yog lagta hai, durbhagya prakt hota hai tab kusang milta hai aur kusang sarvnash kar deta hai. Kusang ek vastu hai, ek baat hai jo nash kar deti hai.
satsang ek baat hai jo unnati pradan karti hai. Laukik aur parloulik donon. Isliye kusang se bache aur satsang ka sevan karen. Namrata ji haridvar se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji vaniyo mein aata hai ki ek doi jo pai hai khoji sab sansaar hijju ki riti koi lakhan mein ek jane maharaj ji aisa aap likh rahe hain ki Gurudev itni durlabh gati hamare jaise lakho mein ham log hain na asankhyo jeev hain. Asankhyo jeewo mein kuch manushya hain. Un manushyon mein kitne log baithe hue hain? Bhagwat charcha mein kitne log baithe to yah sab kripa patr jan hai.
jitne log baithe hue hain ek hath ki jamin mein utni deemak hogi. Wo bhi to jeev hai. To manushya sharir mein pure bramhandon mein dekha jae to kitne bhakt hain. Agar ganna lagai jae to ek hi do nikelnge. Anupat lagaya jae to ek hi do nikelnge to ek hi do ki ganna mein to ham aap hain. Lakho ki ganna mein hai kya? Bhakt bhagwat marg mein chalne wala durgun durachaar ka tyagi sadgun sataarg ka pathik to koi birla hi hota hai na. Aur us sadgun sataarg mein bhi premi Priya pritam ka premi wo to aur bhi durlabh hai.
bada durlabh vishay hai bhagwat prem. Kyonki kahin na kahin lok parlok ki jo kamna rahti hai wo prem prakashit nahi hone deti. Jab lok parlok ki samasth kamnao ka nash ho jaata hai tab bhagwan ko adhin karne wala prem prakashit hota hai. Jah na chah kabahu kachu tum san sahaj sneh baso nirantar tas sur so ra nij geh prem atyant durlabh vastu hai. Atyant durlabh vastu hai. Isiliye kaha gaya jaise yahan kaha gaya ki koi virla hi ek doi jo paie aise hi bhagwan ki bhakti ke liye goswami tulsidas ji kah rahe ko ek pav bhagat jimi mori koi ek aise hi brahm gyan ke liye brahm bodh ke liye bhagwan shankaracharya ji kah rahe shastron janmon ki sadhna jiski paripakva hoti hai uske andar mumukshuta jagrit hoti aur wah moksh ko prapt hota hai.
to wo shastron janm ki sadhna ham sabki purn hui. Tabhi ham bhagwat dham mein sant samagam kar rahe hain. Bhagwan ke marg mein chalne ke liye ham utsahit ho rahe hain. Ye hamare anek janmon ki tapasya ka phal hai. Bhajan ka phal hai. Aisa mano ab hamara akhiri janm hai. Aisa nahi ki ab hamara prambhik janm hai. Abhi ham anek janm sadhna karenge tab hamen gyan hoga. Tab hamen bhakti hogi. Nahi ham birle walon mein hain jo kaha gaya koi ek pao to unko ek mein hamari ganna hai ek doi jo paie to ek doi mein hamari ganna hai anant srishti mein anant jeevan mein anant manushyon mein kitne log bhakti kar rahe hain nahi to 10 10 11 baje tak sote hain kaun 4 baje uthkar snaan karke bhagwan bhajan trikal sandhya ya sataarg ki baten ye to bade bhagya hain aapke ki param param pavan Vrindavan mein prat kalin vela par is param pavitra bhumi mein baithkar aap bhagwat charcha sun rahe hain.
ye to bade bhagya hain. Ye to tabhi ham kah rahe hain jo ek doi jo pai to wo ek hi doi mein ho tum. Itni badi srishti mein agar ganna lagae to ek hi doi ka anupat lagega. Jo aap log baithe hue hain to aisa maniye ki wo ek do mein ham hain. Ab hamara antim janm hai. Satsang mil raha bhajan mil raha. Ab mujhe bhagwan jarur milenge. Yadi unko milna na hota to hamen is sansaar rupi daldal se kyon ghaseete? Agar unko kripa na karni hoti to jahan main vishyon mein fansa tha wahin fanse rahne dete. Mujhe kyon ghaseeta?
ghaseeta hai to jarur wo ab itne pe nahi chhod denge. Wo hamko jarur milenge. Jarur aisa sadhan denge. Jarur aisi bhavna denge ki hamara bhagwat sakshatkar rupi param phal hamko prapt hoga. Akash lal ji patna bihar se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ham sansarik ahankaar tyag kar bhakti mein ate hain. Parantu kuch samay baad ek satvic ahankaar ane lag jaata hai bhakti marg mein. Maharaj ji main niyam palan karta hoon aur baki sab papi hain. Is nahi yah bahut nindniy hai. Yah bahut nindniy bahut nindniy bahut hosh mein nahi bahut jaldi nasht ho jaega paramarth.
bahut hosh mein ye bahut nindniy hai. Matlab bahut bahut nindniy hai. Paramarth ka swaroop to yah hai ki hriday se batau to ham sabse nich hai. Sab mein bhagwan virajman hai. Main charachar jagat ka sevak hoon. Sab mere Swami hai. Paramarth ka to swaroop yah hai. So anannya gati jake asamti na tare Hanumant main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant ye charachar jagat mere ladle bhagwan ka swaroop hai. Sab papi hain. Main mahatma hoon. Ye to badi durgati ki baat hai. Sab bhagwat swaroop hai. Main nich hoon. Yah sadgati ki baat hai. Tanad suneeche apne ko tan se nich samjhna hai.
tan ke saman nich samjhna hai. Ye to bahut galat baat hai. Bahut patit karne wali baat hai. Bahut jaldi isko dur kar de sadhak. Nahi bhrasht ho jaega. Nasht ho jaega. Paramarth se patit ho jaega. Bilkul ye khtrnak baat hai. Ye man mein ate hi traahimaam traahimaam pukaro bhagwan ko. He nath karuna karo. Mere is ahankaar ko nasht karo. Ye dosh drishti rupi nich vritti hamara nash karne par tatpar hai. Nath aap kripa karo kripa karo. Traahimaam raksha karo. Bhagwan sambhal denge. Aur agar is vritti ka nash nahi hua to aapka patan jarur ho jaega.
likh lo kaagaz mein likh lo. Jo dusron par he buddhi rakhta hai, apne mein gun buddhi rakhta hai, bahut jaldi nasht ho jaata hai. Jo dusron mein bhagwat buddhi rakhta hai, apne mein adham buddhi rakhta hai, wo adhyatma ki unchai par chadh jaata hai. Wo mahan pad ko prapt hota hai. Lephtend karnal smita Gupta ji Mathura Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sena mein ek jagah pe teen-char sal ka hi transfer hota hai maharaj ji. To maharaj ji abhi Mathura mein posting thi aur Kolkata ja rahi hoon to man maharaj ji bahut dukhi hai ki mera Mathura Vrindavan chhut jaega maharaj ji ab jane ka aapko is baat ke liye dukhi nahi hona chahiye aap rashtr raksha ke param dharm mein sthit hai.
rashtr ke age kuch nahi hai. Dekho dhyan rakhna rashtr raksha ke liye ham apne laukik dharm ka bhi tyag kar sakte hain. Pran ka bhi tyag kar sakte hain. Sarvasv ka bhi tyag kar sakte hain. So aap log karte hain. Aap apne pariviarik sambandho ki jo priti hai uska tyag karke sharir sukho ka tyag karke apne man ki jo vrittiya hain unko sah karke aap hamare rashtr seva mein hain. Isliye rashtr seva sabse bada dharm hai. Aap us sabse bade dharm ka palan kar rahe hain. Isliye aapko udas nahi hona chahiye.
yadi aapka transfer ho raha hai to aap rashtr seva mein hain. Aap garv purvak rashtr seva ka bhav lekar jahan jaiye hamare rashtr seva ke vidhan ke anusaar aap chalie aur ban sake to Radha Radha naam jap kijiye. Aapka param mangal hoga. Ab ye rashtriy sarkari karya hai. Ab ismen to aisa nahi ho sakta ki aap Vrindavan vas karen ya Mathura vas karen. Jis samay sarkar ka jahan transfer ka adesh hoga wahan jana padega. Aapko tayyar rahna chahiye man se aur jab ritayar ho jaiye phir aapki swatantrata hai. Phir aap chahe Vrindavan vas karen, Ayodhya vas karen jahan aapki bhavna bane.
bhagwat chintan karte hue rashtr seva mein jo tatpar hai wo Mahavir hai. Wo sammaniay hai. Wo prashansniy hai. Wo vandneey hai. Wo sadgati ko prapt hoga. Bhagwat smaran karte hue tum jahan bhi virajman ho rashtr seva mein tum sadgati ko prapt hoge. Tum apne man ko sankoch mein mat daalie ki Mathura chhut rahi hai. Tum Mathura ko chhod sakte ho. Mathura tumhen nahi chhod sakti. Mathura Vrindavan ye chidanand dham hai. Yadi bhav mein rakhoge to karodon kos dur bhi tum Mathura mein hi vas mana jaega. Kyonki aap rashtr seva mein rashtr dharm mein sthit hai.
isliye aap chinta na karen. Pushpa ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhakti marg mein bahya swachchhata wo pavitra aniwarya hai kintu jab pavitra par adhik jor dene ke karan bhakti prabhavit hone lage to kya karna chahiye maharaj ji bahari pavitra par adhik kya kaise ki abhi hath dhone hain abhi nahana hai abhi ye karna hai to kya ismen pareshani hai ismen pareshani kya ismen bhakti kya badhit hogi hamen bataiye kya badhit hogi kya aapko aisa lagta hai to ham usmen aapko batayen ki yah nahi karna chahiye.
kaise maharaj ji kuch janon ka maharaj ji matlab kahin bhi hath laga diya phir hath dho phir tala nahi agar ham thakur ji ka bhog lagane ja rahe hain to ham hath dho rahe hain. Ham hath dho ke jaenge. Chahe kahin hath lagae ho ya na lagae ho prakshaln karke jaenge. Thakur ji ke patron ka marjan karenge. Thakur ji ke liye apne sharir ko pavitra rakenge. Apne wastron ko pavitra rakenge. Apne mantr japna hai isliye achman karke mukh ko pavitra rakenge. Agar kuch khaya hai to achchhi tarah kulla karke teen bar achman karke ham rahenge kyonki har samay hamen naam mantr japna hai to ismen pareshani kya hai?
bhakti mein badha kya hai? Pavitra bhakti ki sahayak hai. Badhak kahan hai? Haan. Ab ye ki ye chu na jae. Ye baat nahi honi chahiye. Ye nahi honi chahiye. Nahi sab mein bhagwan virajman hai aur yah pavitra ek sima tak hai. Iske baad iska bhi mahatva khatm ho jaata hai. Avdhut sthiti ane lagti hai. Is sharir se rag tyag dena hi pavitra hai. Sharir se rag rahit ho jana hi param pavitra hai. Par us sthiti tak pahunchne ke liye bahari pavitra ka nirvah kiya jaata hai. Haan, pavitra mein yah baat nahi honi chahiye ki he tum hamen kaise chu liye?
ab hamen phir nahana padega. Ye nahi ye nahi hona chahiye. Sab mein bhagwan virajman hai. Bhagwan ka swaroop man karke koi chu le to ham use apvitra nahi mante. Haan ham thakur seva mein jaate hain to vastr sharir aadi ki pavitra bhav aadi ki pavitra rakhte hain. Bahari pavitra ka tatparya antarik bhav pavitra ho jana. Aur jab bhav pavitra ho jaata hai to bahari pavitra ka vishesh mahatva nahi rahta. Ashish ji Mathura se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main jo bhi bhakti karta hoon uska karan mrityu ke prati mera bhay hai.
abhi bhakti karni hai kar lo pata nahi kab mrityu ai lekin bahut accha bahut accha bahut tumhare upar bhagwan ki badi kripa hai. Yadi yah baat tumhare dimaag mein baith gayi to tum bahut achhche bhakt ban jaoge. Mrityu ka bhay baith jae ki pata nahi kab sharir chhut jaega. Dan punya kar lo. Tirth yatan kar lo, paropkar kar lo, mangalmay bhagwan ka naam kirtan kar lo, bhagwat katha sun lo, bhagwat bhakton ka sang kar lo, dhanya bhag ho jaenge. Yahi bhay to chahiye. Yahi bhay chahiye. Jo sabhi awa sharnai rakhiyo tah pran ki nai.
yadi mrityu se bhayabhit hokar bhagwan ki sharan mein gaye to amar ho jaoge. Avinashi pad ko prapt ho jaoge. Aur ek ek minute bahut achchhi tarah se katega. Yadi mrityu ka bhay raha. Jab marna hai to paap kyon karna hai? Burai kyon karni hai? Nich karm kyon karna hai? Yah bahut bade bhagya ki baat hai ki kisi ke hriday mein baat baith jae ki mrityu to honi hi hai. Astarma nahi karna. Mujhe satkarma karna hai. Yahi mrityu ka bhay bhagwan ki smriti se yukt kar dega aur bhagwan ki smriti bhagwat prapti kara degi.
rudraksha ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sadhak ke jeevan ka wah din kaisa hota hai jab uski janmon janmon ki pratiksha samapt ho jati hai aur uske premaspad uske samne khade hote hain. Aisa prashn kiya hai. Iska uttar hriday se hota hai. Vani se nahi. Jab koi bhajan ke prabhav se prabhu se prem kar pata hai aur jab prabhu milte hain us milan ke sukh ko vani varnan kar sake. Itni samarth prakritik vani mein kahan hai? Saraswati ji mein bhi itni samarth nahi hai ki bhagwat milan ki sukh vritti ko likh sake.
nahi bhagwat milan karane wale prem ko hi kaha gaya anirvchaniyam prem swarup prem ka swaroop vani ke dwara varnan nahi kiya ja sakta. Phir pritam samne ho aur bahut kal se unke virah mein vyathit hriday jo unko dekhta hai to hriday mein kya hota hai ye vani ki samarth nahi ki varnan kar sake wah to keval hriday janta hai keval hriday dusra na varnan kar sakta hai na samjh sakta hai. Do premion ke milan ki baat keval unka hriday hi janta hai. Iske age ham is vishay mein nahi kah sakte. Jaise brahmanand keval ek brahm bodh sampann mahapurush ki anubhuti vishay hai.
vani ka vishay nahi. Aise Premanand yah keval hriday ka vishay hai. Vani ka vishay nahi ki usko aisa sukh milta hai. Jaise ham prakritik sukh ki baat aapse poohe aapko bahut jo priy vastu hai wah jab aapko prapt hoti hai to kaisa lagta hai? Bole accha lagta hai. Kaisa accha lagta hai? Bahut accha lagta hai. Kaisa bahut accha lagta hai? Phir aapka uttar hoga ki aap us vastu ka sevan karke dekh lijiye. Iske age prakritik vastu ke anand ka anubhav prakritik vani nahi kar sakti. Phir sacchidanand swaroop param pran pritam pranadhar anand samudra prem samudra gyan samudra vairagya samudra ishwar samudra bhagwan ka milan ho raha hai aur us sukh ka varnan vani kar sake asamabhav vani ki adhishthatri devi Saraswati bhi nahi varnan kar sakti is panch bhautik vani ki to baat hi jane do wo to keval hriday janta hai keval milan ki chah chah mein jo sukh hai ishare se itni baat kah sakte hain ki us chah mein bhagwat milan ki chah mein jo sukh hai wo sukh brahma ke parmesthi pad ka bhi
tiraskaar kar deta hai aur to aur jane do jise bhagwat milan ki chah prakt ho gayi to brahmaadik ke bhog sab visham lagat tai narayan brijchand ki lagan lagi jae na parmeshtham na mahendram na sarvbhaum na rasadhipatyam na yog siddhi punrabh na moksh na yog ki siddhi na brahma ka pad na sarvbhaum samrat pad na Devraj indra ka pad kuch nahi us sukh ke samne kuch nahi ab us sukh ka varnan kaise kar sake wo anirvachniy hai wo to jane mori chati us premi ka hriday hi janta hai ki apne pritam janm ke milan mein kya sukh hai?
jis sukh ke age brahma ka pad bhi phika lagta hai. Us sukh ka kaise varnan kiya ja sakta hai? Ji nyayadhish Rajendra kumar ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sab sukh suvidhae hone ke bavjud bhi mansik shanti na hone ka maharaj ji karan bhagwat vismriti bhagwat vimukhta mamo jeewo jeev bhuta sanatan bhagwan kahte hain tu mera ansh hai avinashi ka bachchha avinashi anand samudra mein hi shanti prapt karega tab lag kushal na jeev kah dhyan se sun lo tab lag kushal na jeev kahun sapne man vishram jab la bhajat na Ram kahun shok dham taj kam jo chahat hai nitya sukh aur man ko vishram hit dhruv hit so bhajat raho pal pal shyama Shyam pal pal shyama Shyam yadi shanti chahte ho sukh chahte ho to aap dekh lijiye aapke paas pad hai.
aapke paas dhan hai. Aapke paas bhog hai. Lekin man jo shanti chahta hai wo nahi hai. Wo shanti paramatma mein hai. Jab tak paramatma prapti nahi hogi tab tak shanti nahi hogi. Shraddwan late gyanam tatrendra gyanam la param shanti mare gachati jab brahm bodh ho jaata hai ya bhagwat sakshatkar hota hai to hriday param shant ho jaata hai apaar shanti hamare bhagwan ka swaroop shakarkaram shant swaroop ham unke ansh hain usi shanti ko chahte hain wo bhagwan se mile milegi maya se nahi prakriti se shanti nahi milegi paramatma ke ansh ko prakriti se shanti nahi milegi paramatma ke ansh ko prakriti ki vastuon ko sadhan bankar paramatma se shanti milegi ham bhul karte hain agar upasna bhi karte hain to bhagwan ko sadhan bana lete hain aur bhogon ko sadhya man lete hain.
yadi ham bhogon ko sadhan bana le aur bhagwan ko sadhya bana le aur bhagwan ka smaran karte hue apne kartavya ka bhay aur pralobhan tyag karke theek nirvah karen to hamen shanti prapt ho jaegi. Kahin na kahin hamse bhay ya pralobhan se aparadh ban jaata hai. Galti ho jati hai aur wo galti phir jeevan bhar ashanti pradan karti hai. Isliye samasth galtyon ko mitane ke liye bhagwan ka naam garaj raha hai. Naam jap karo. Hriday se bhagwan ki sharan mein raho aur jo pad mila hai uska theek nirvah karo. Kisi bhi pralobhan se, kisi bhi bhay se, koi aisi galti na hone pave jo nahi honi chahiye.
nirdosh ko dand dena, doshi ko bakhsha dena yah hamare liye badi ashanti ka karya hoga. To koi bhay ya koi pralobhan hamare kartavya ko, hamare nyay nishtha ko kahin bhi kisi bhi tarah daba na pave. Aise bhav mein raho aur naam jap karo. Bhagwan ke ashrit raho. Dekho shanti prapt ho jaegi. Shanti nahi param shanti param shanti param shanti prapt ho jaegi. Maharaj ji purv mein agyanta vash aisa ho gaya aur abhi aapka satsang ya mahapurushon ke vakya sunne ke baad sachet hue ki abhi se hamen galti nahi karni.
to maharaj ji ek to jo purv ka paap bana hai aur abhi se nahi karna. Naam jap se to theek hai to naam jap se wo jo purv mein paap hue hain wo bhi haan naam sankirtan yas sarv paap pranashnam sarv mane piche ke abhi ke aur age ke bhi sarv paap pranashnam likha hai na vartman ke paap nasht ho jaenge ya bhavishya ke paap nasht ho jaenge aisa nahi likha naam sankirtan yas sarv paap pranashnam samasth paap nasht ho jaate hain jo piche ke bhi kiye hue hain jo ab bhi ho rahe hain ya jo bhul chuk se age bhi ho jaenge naam jap ke prabhav se naam kirtan ke prabhav se nasht ho jaate
hain aur bhagwan ki sharanagati se bhi sarv dharm parityaj mamekam sharanmaj to aham tam sarv pape sarv likha hai sarv pape bhut ke paap vartman ke paap aur bhavishya mein bhi jo galti ho jaegi maa socha main tumhen pavitra karunga dunga ham tam swarpa mokshya macha main tumhen sabse mukt kar dunga isliye bhagwan ki sharan mein hokar bhagwan ka naam kirtan naam jap kiya jae to hamara jeevan param pavitra ho jaega Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki
aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha [gana gane ki aawaz] Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…