॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

aapko sunne walon ko aur aapke shisyo ke liye aapki kya agyaa hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

suraj kumar ji jharkhand se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapne ek satsang mein bataya tha ki ek mahatma ke do vachan aapko bahut achhche lage ki unhone apne shishya se kaha ki hamari do agyaen hain is bhajan marg ko kabhi chodna nahi aur dusri baat jeevan bhar kuch anubhav na ho to bhi is bhajan marg ko mat chodna tumhara mangal ho jaega to maharaj ji jo aapne aapke shishya ban chuke hain ya jo aapki baat sunte hain unke liye aapki koi agyaa hamari to yahi agyaa hai Radha Radha Radha tha. Tum chinta mat karo.

tum keval Radha Radha bolo. Vrindavan mein baithkar kah raha hoon. Garantti ham lete hain. Jimmedari hamara isht leta hai. Tum keval Radha Radha japo. Tumhara param mangal param kalyan ho jaega. Chahe tum ghor vishay kyon na ho. Tum ghor vishay kyon na ho. Ye ham kisi pralobhan se nahi kahte. Tumse hamen kuch chahiye nahi. Lekin ham ye shastr aur vani ke anusaar kah rahe hain. Yadyapi bhakt anannya jo vishay indriyan bas hoe karmth koti jitendriyan te samalhe na koi tum sirf Radha Radha rato chodo anya sab chodo ki kya sadhna banti kya nahi Radha Radha Radha Radha agar thakur ji mil na jae to hamse kahna aap keval naam pakdo ham apne janon ko naam pakda rahe hain jo hamne sadhna ki jo jeevan bhar kiya uska phal mujhe Radha mila Radha wahi main chilla chilla ke aapko kah raha hoon Radha Radha Radha rato aur parinaam mein dekh lo aapka mangal ho jaega.

jitendrita manonigrahta ye kitna kathin hai aap log dekh lijiye. Sham ke kasam khaaiye subah tod dijiye. Aise balvan man aur indriy hain. Radha Radha rato. Ek Radha naam narak nahi jane dega. Agar aap nirantar Radha rat rahe hain to nischit bhagwat prapti ho jaegi. Aapko dusra koi karya nahi karna. Kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utar para ham tasma shastram pramanamte shastr pramanit baat kahte hain koi mano manoranjan wali baat nahi kahte ya keval ham apne man ki baat nahi kahte hamara man bhi agar kuch baat kahta hai to thakur ji se milkar baat karta hai aise apne man se nahi bol dete wo thakur ji se paas baat hoti hai tab aapke kan tak pahunchti hai karnal rajul rathi ji merath se Radha Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji grihasth par rahte hue agar apno ke prati moh na rahe to kya unke liye ham apna dayitwa imandari se nirvah kar sakte hain?

hamara aapko kisi se moh nahi kya main aapse pyar nahi karta aap sabse? Kya aap sabse ham pyar nahi karte? Hriday se bataiye. Kya aapko aisa lagta hai ki main aapse pyar nahi karta? Moh se wah seva nahi ho sakti jo seva pyar se hoti hai. Agar ham prem karen putr mein mere bhagwan putr ke rup mein aae. Meri patni ke andar bhagwan virajman hai. Mere mata-pita ke andar bhagwan virajman hai. Mere parivaar mere samaj ke andar bhagwan viraj kitna sundar seva hogi. Moh se seva chhodi hoti hai.

moh se to bandhan prapt hota hai. Moh sakal vyadhin kar mula moh mul bahu shul prad tyag uttam abhiman bhajhu Ram raghunayak kripa sindhu bhagwan tum apne bachchhe se kya pyar karte hoge ham jitna apne bachchhe se pyar karte hain. Hamare bachchhe kaun hai? Sab aap ho. Ye sab virakta jan bachchhe kitna pyar karte hain. Tum kya samjhte ho? Lekin moh kinchna matra bhi nahi hai. Mamta kinchna matra nahi hai. Mamta shri Priya ji ke charnarvind mein hai aur unhin ke sambandh se inka nate neh Ram ke maniyat surad susevya jahan lo goswami tulsidas ji kahte hain nate neh Ram ke maniyat surad susevya ye sab shri ji ke hain.

aap sab shri ji ke ho. Aap bhagwat swaroop ho isliye ham aapse pyar karte hain. To moh aur prem mein antar hai. Yadi aap prem purvak parivaar ka poshan karen to moh se kai guna badhkar sukh prapt kar lenge aap aur unko bhi sukh pradan karenge. Moh mein to jab pratikultaa aa jaegi to aap dekhna dves paida ho jaega. Chahe wah putr ho, chahe patni ho, chahe koi ho. Jis din aapke pratikul aacharan karne lagega, us din aapko dves paida ho jaega. Aur prem mein jis din pratikul aacharan karega, us din aapka pyar aur badh jaega.

main harunga nahi. Tum pratikultaa karoge. Main tumhen pyar karunga. Prabhu aap is rup mein ho. Main mujhe pakka pata hai aap is rup mein ho. Main harunga nahi. Aapki kripa se aapko pyar karunga. Yah bhakti rang lati hai aur is bhakti ke rang se grahasti mein rahte hue bhi aap paramatma prapti kar sakte hain. Jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jaan. Accha sachchi batao man lo bahut sundar patni hai. Uske sharir ko aap jante ho. Lekin jab andar se paramatma chala jaata hai to sharir ko phunk kyon dete ho?

kyon gad dete ho? Aap usko to jante nahi the jo andar tha. To uske chale jane se aapko fark kya para? Aap sharir ko pyar kijiye. Bole nahi wah chala gaya jisse aap pyar karte the. To anjane mein bhi aap bhagwan se pyar karte hain. Sabke andar bhagwan hai. Unhin ko jankar ke pyar kijiye to moh ka tyag ho jaega. Moh gaye bin Ram pad hoi na dridh anurag. Agar moh nasht ho gaya to bhagwat prapti ho jaegi. Pyare bahut achchhi tarah seva hoti hai. Jab ham sab mein bhagwat bhav karte hain. Moh mein to rag aur dves hota hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…