॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kab sahan karen aur kab kis baat ka jawab den?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

arun kumar ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji ham aapka satsang sunte hain bat jab koi hamse chhal kapt karta hai to aapke adeshanusar ham usko jawab nahi dete lekin man hi man mayus hote hain jisse naam jap mein rukavat aati hai aisi sthiti mein maharaj ji kya karen maharaj ji us samay chhal kapt koi kare to us samay vichar karna chahiye ki koi hamara praarabdh jaise hamari koi ₹1 ki beimani kar li hamara praarabdh bhog hai purv ka ₹1 karja tha isliye usne beimani karke le liya nipat gaye hamko kisi ne gali de diya hamara praarabdh tha gali sunkar jo hriday mein jalan hui hamara paap nasht ho gaya nipat gaye hamko aise vichar karna hai adhyatma dusre par dosharopan na karke apne ko dekh ke bacha leta hai ye mera praarabdh tha jis praarabdh ne mujhe kasht diya agar mera praarabdh na hota to jo vyakti chhal kapt kar raha hai wo mere se accha vihaar karta.

mera hi praarabdh karm uske upar savar hokar usse chhal, kapt, ninda, apman, tiraskaar aadi karva raha hai. Isliye ismen iska dosh nahi. Mera hi karm hai. Isliye mujhe sah lena chahiye. Agar ham vivek ka prayog karenge to bach jaenge. Mayus hone ki zaroorat nahi hai. Ladne ki zaroorat nahi hai. Vichar ki zaroorat hai. Positive vichar hi hamko bacha sakte hain. Aur wo bhajan se prapt hote hain. Prayah log negative vichar ke adhin hokar krodha aadi kar baithe hain. Tiraskaar kar baithe hain. Lekin nahi sakratmak vichar hamare badhe isliye hamen adhyatma se judna chahiye aur khub naam jap karna chahiye.

maharaj ji ek anya siddhant mein aapne bola tha ki phuskar na chodna matlab dasna nahi bat phuskar bhi na chodna iska bhav donon ka ismen ek baat ye hai ki sharir ke anusaar aur pad ke anusaar ab jaise stri sharir hai wo koi bar-bar chanchalta kar raha hai koi bar-bar abhadr phir hamen kshma nahi karna chahiye agar wo zyada updrav kar raha hai to hamen kanun ka sahara lekar use dand dilana chahiye. Kyonki agar usko ham kshma karte rahe to wah upadravi updrav badhakar wo kahin galat acharno par na utar jae.

ab paddhikari hai wo apne nij janon ko shasan mein rakhna chahta hai. To andar se krodh na rakhte hue bhi yadi wo krodh nahi karega to uske anushasan mein uske niche wale nahi rahenge. Isliye paddhikari jo rashtr seva mein hai jaise shikshak hai, pita hai, paddhikari hai. Inko na chahte hue bhi krodh ka natak karna padega. Virodh ka natak karna padega. Ab office mein aaya time se nahi aata. Aata hai apna kam nahi karta hai. Ab wo bada adhikari hai. Ab use hath jod ke thodi bolegaa. Usse tait hokar bolegaa to agle din wo samay se aa jaega aur apna karya karega.

to adhikari ko, shikshak ko, mata-pita ko, guru ko na chahte hue bhi virodh bhav krodh bhav prakt karna parta hai. Ab bachchha galat aacharan pyar se nahi samjh raha hai to dant laga di. Ab ye soche ki adhyatma ke virudh hai to nahi. Adhyatma ko samjhna hoga. Haan. Ab ham jaise ja rahe hain koi gali chhod diya. Lekin koi kisi ko sata raha hai. Ham nahi chhodenge. Ham beech mein kud padenge. Uski raksha karenge. Ye sab vichar isiliye kahte hain hamen positive vichar ke liye bhajan chahiye. Bhajan karo Ram bhaje chatur nar jitna bhajan karoge utni buddhi vishal vivekavti hoti jaegi aur aapko bacha legi aur dusre ko bhi bacha legi.

Priyam Mishra ji chhattisgarh se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kripa kya hai? Ek sadhak apne jeevan mein kripa ki avhelna na kare iske liye usko kya savdhania rakhni chahiye? Sabse badi baat hai man ko bar-bar jo bhogon mein sansaar mein nana prakaar ke vyakti padartho mein ja raha hai ise hatakr prabhu mein lagaen. Jitna man prabhu mein lagega utna hi kripa ka anubhav hoga. Utna hi ham shastragya ka palan kar payenge. Prabhu se man hata ki ka Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan na hoi jab bhagwan ka smaran nahi hota bhagwan ka bhajan nahi hota to man bhogon mein fansa deta hai bhogon mein phasna hi vipatti hai.

bhogon ka adharm purvak bhog bhogna hi kripa ki avhelna hai. Isliye kripa ka aadar karne ke liye man ko pratiphal prabhu mein lagae rakhen jisse wah galat acharno ki taraf na jae jisse hamari buddhi shuddh bani rahe. Hamen shastron ka swadhyay karna chahiye. Satsang sunna chahiye. Pavitra bhojan pana chahiye aur savdhani purvak pratiphal bhagwat smaran karna chahiye. Isse hamare upar kripa aur badhegi aur kripa ka anadar ya ahilna hamare dwara nahi hoga. Par ji kripa ka vastvik arth kya hai? Nirantar bhagwat smriti mein tanmay ho jana.

jaki kripa lavlesh te mati mand tulsidas ho payo param vishram Ram saman prabhu na kaho kripa ka swaroop hai bhagwan ke charnon mein man ka nirantar lag jana sav man Krishna padarwind ek ek vritt ek ek vritt Krishna git mansa Krishna ne hamare man ko grahan kar liya, akarshit kar liya, ek ek vritt krishnakar ho gayi. Yahi bhagwan ki kripa hai. Yahi kripa ka swaroop hai ki nirantar bhagwan ka man karm vachan chhan chaturi aur bhajat kripa kar hai raghurain. Man vachan karm se sansarik kapt chaturta ka tyag karke bhajan kiya jae to kripa hi kripa hai.

yahi kripa ka swaroop hai. Kripa ka swaroop dhan sampatti ya pad pratishtha ya sharir svasth rahna ya man chahe bhog bhogna nahi hai. Kyonki sab nashvan hai. Sharir chhutne ke baad tumhare saath kuch nahi rahega. To kripa ka swaroop hai bhagwat smaran. Bhagwan naam jap bhagwat leela katha kathan aur shravan naam kirtan pavitra ahar ye sab kripa ka swaroop

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…